- 10,712
- 6,971
- 229
Bechain hui rooh ka, ek mujhse ye swal tha !
Wo chah thi ya pyar tha, ya ek hasin khwab tha |
Bekhauf badh raha tha jiski ungaliyan pakar ke main,
Har roj mar rha tha jiski shuliyon pe chadh ke main !!
Benam sa hu ab khada, Jabse wo hui bewafa,
Kya bewajah hi saath tha, har shakhsiyat se lad ke main !!
Wo jaan thi wo saans thi, Jo bujh sake na pyas thi kuch to uska naam tha !!
Bechain hui rooh ka ek mujhse ye sawal tha,
Wo chah thi ya pyar tha ya ek hasin khwab tha ||
Jo chhup sake na baadlon me, wo aisa ek chand tha !
Jo mit sake na ret me, wo aisa ek nishan tha !!
Main dhundhta hu baith ke kabhi kabhi jawabon ko,
Wo khud me ek swal tha ya khud hi ek jwab tha !
Na andhiyo me bujh sake wo aisa ek chirag tha !!
Bechain hui rooh ka ek mujhse ye swal tha,
Wo chah thi ya pyar tha, ya ek hasin khwab tha ||
Jab waqt ke paraw me mai mushkilon se tha ghira,
Kuch aise bad halaton mai usse is tarah mila !
Jab saari duniya waalon ne kar diya beghar mujhe,
Fir khud ke hauslon se usne mujhko apna kar liya !!
Kya sabka jakham bharna bas uska ek kaam tha !!

By - Mak