- 340
- 1,982
- 123
Update 114
------------------
vikash ko hospital me admit huye poora 1 hafta ho chuka tha. aur filhaal uski condition undar controll thi. lekin jab tak vikash par dava ka asar rehata tab tak wo theek rehata. par dava ka asar khatam hote hi wo dard se tadapne lagta tha. manju, ravi aur baaki ke docters vikash ke ilaaj ki poori kosis kar rahe the. par ab tak uski bimari ke baare me kuchh bhi pata nahi chala tha. is douran ajju ne bhi lab me kai baar vikash ke blood ko test kiya tha. lekin use bhi ab tak kuchh bhi samajh me nahi aaya tha.
dushri rataf monu bhi apni taraf se vikash ki is halat ke baare me janne ki poori kosis kar raha tha. lekin wo us car aur us inshan ke baare me kuchh bhi pata nahi kar paya tha. jisne us raat vikash ki help ki thi. filhaal sabhi ko yahi sak tha ki us inshan ne hi vikash ke saath ye sab kiya he. renu prati din office se aakar sidhe hospital chali jaati thi, aur vikash ke saath samay bitati thi. par vikash ko tadapta dekh kar wo bhi tadap uthti thi. usse vikash ki ye halat bardast nahi ho rahi thi. par filhaal wo kuchh nahi kar sakti thi.
jabki dushri taraf is poore ek hafte me vikash ko apne dwara renu par ki gai haiwaniyat ka yehsash ho chuka tha. kyun ki renu ke saath sex karne ke baad renu ki jo halat hoti thi. kuchh besi hi haalat filhaal uski thi. is poore ek hafte me vikash kai baar renu se maafi maang chuka tha. aakhir kaar renu vikash ki haalt dekh kar pighal gai. usne vikash ko maaf kar diya tha. aur ab renu aur vikash ke beech ki dooriyan poori tarah se mit chuki thi.
renu ne vikash ka laptop aur office ka kuchh jaroori saman manju se permission lekar uske ward me shift karwa diya tha. taaki wo bahi ward me se hi uski help kar sake. iske 2 fayde huye, ek to vikash ki boriyat khatam ho gai. dushra renu ko office ke kaam se thodi rahat mil gai. kyun ki vikash bahi apne ward se hi office ka kaafi sara kaam handle kar leta tha.
vikash ki yesi halat dekh kar ajju filhaal indore jaane ka program cancle karna chahata tha. par renu ne use yesha karne se mana kaar diya. kyun ki wo janti thi ki jab tak vikash ki bimari ka sahi sahi pata nahi chal jata, tab tak koi kuchh bhi nahi kar sakta he. isliye wo nahi chahati thi ki uske aur vikash ki bajah se dushre kaam ruke.
jis din ajju aur monu indore ke liye rawana hone baale the, uske ek din pehle hi RAW office se queen ne un dono se contact kiya, aur unhe turant hi office aane ko kaha. halanki monu lagataar RAW ke contact me tha, aur uske kai operations me hissa bhi le chuka tha, isliye use is tarah bulaye jane par koi ascharya nahi hua, par ajju jo RAW join karne ke baad se hi apni uljhano me is kadar uljha hua tha, ki use yaad hi nahi raha ki uski RAW ke prati bhi koi jimmedari he, use aaj itne dino ke baad RAW ki taraf se bulaye jane ke baad bada ascharya hua.
par filhaal uske pass in sab ke baare me sochne ka koi samay nahi tha. use jald se jald RAW office me report karna hi tha, isliye usne apne man me aa rahe sabhi vicharon ko filhaal nikaal fenka. aur RAW office ki taraf chal diya. lagbhag 2 ghante baad wo dono RAw office me the. jaha unhe bataya gaya tha ki ek jaroori operation ke liye un dono ko indiya se bahar bheja ja raha he. aur unhe is operation chakraview par bhejne ka faishla agent zero ka he. jo na keval RAW ki dupety chief thi, balki unki special team ki head bhi thi.
undono ko operation chakraview ke baare me saari detail de di gai thi. jise jaan kar ajju aur monu aascharya chakit reh gaye. kyun ki unhe ye operation koi khash nahi lag raha tha. unke anushar operation chakraview to koi bhi samanya agent bhi ashani se poora kar sakta he. ajju ko kuchh bhi samajh me nahi aa raha tha. ek baar fir se uske man me kai saare sawal umad aaye the. ajju filhaal is operation par jana hi nahi chahata tha, isliye usne agent 10 matlab ki ikram jo ki unhe operation ki saare detail de raha tha se kaha
ajju- agent 10 mujhe abhi isi wakt agent zero se milna he
ajju ki baat sun kar ikram ne kaha
ikram- sorry agent 1 aap unse nahi mil sakte.
ikram ki baat sunkar ajju ke saath saath monu bhi hairan reh gaya. wo pichhle 5 saalon me kai baar RAw ke operation me hissa le chuka tha, par aaj tak agent zero se uski koi mulakat nahi hui thi. jabki uske saath baale dushre agents, kai baar agent zero se mil chuke the. kai baar agent zero un logo ke saath field operation par bhi gai thi. par monu ke saath yesha mouka kabhi nahi aaya tha. uske pass agent zero se contact ka ek matra rasta agent 10 yaani ikram hi tha. isliye na chahate huye bhi monu aakhir kaar bol hi pada
monu- par kyun????? hum log agent zero se kyun nahi mil sakte
ikram- mujhe nahi pata. aur na hi mujhme itni himmat he ki mai "hind ki serni" se ye sawal kar sakun.....
"hind ki serni" ye line agent zero ke liye monu kai baar sun chuka tha. aur use iski poori story bhi pata thi. agent zero ki bahaduri ke kai kisse monu ne sun rakkhe the, sach poochho to monu ko apne aap par garv hota tha, ki wo yese inshan ke under me kaam karta he jiske naam se dushman kampte he. monu ne bhi kai operations me apni jaan ki baaji lagai thi, uske special team ke jyadatar log uski bahaduri ki bajah se uski ijjat karte the. par jis se prerit hokar monu ye sab karta tha, pata nahi kyun wo agent zero uske prati yesha vartav karti he.
ajju- kam se kam tum ek baar hamari baat un tak pahuncha to sakte ho??? agent zero se kaho ki mai filhaal is operation me bhag nahi le sakta.
ikram ne ajju ko yese dekha jaise duniya ka aathva ajooba dekh raha ho, ikram ke yun dekhne par ajju fir bola
ajju- ab kya hua????
ikram- jitna mujhe tumhare baare me bataya gaya he, uske hisab se lagta to nahi he ki tum dar kar pichhe hatne baalon me se ho, aur bese bhi ye operation tumhare liye itna jyada khatarnaak bhi nahi he
ikram ki baat sunkar ajju ko gussa aa gaya, isliye wo chid kar bola....
ajju- mai kisi se bhi nahi darta, tumhari agent zero se bhi nahi, bus itna samajh lo ki meri kuchh vyaktigat majbooriyan he, jinki bajah se me filhaal ye operation nahi kar sakta.
ikram- RAW me ek baar aane ke baad kisi ki koi bhi vyaktigat majbooriyan nahi rehti he mr. ajay sharma, aur rahi baat agent zero ki to meri ek baat hamesha yaad rakhna, ki jis din agent zero se tumhara aamna samna ho gaya, us din tumhe apne upar jitna guroor he, wo sab chakna-choor ho jayega.
ajju ko ikram ke muh se apna naam sun kar hairani hui. kyun ki use bataya gaya tha ki koi bhi aam agent uski vyaktigat pehchaan ke baare me nahi jaan sakta he. isliye wo bol pada
ajju- tum mere baare me kaise jante ho?????
ikram- agent zero ka right hand hun me, unke jyadatar official kaam mai hi dekhta hun, isliye tumhare baare me janna mere liye koi badi baat nahi he.
ikram ke jabab ko sunkar ajju ne baat ko aage badana thik nahhi samjha, isliye usne dobara apna prashn doharaya
ajju- kya tum agent zero tak meri baat pahuncha sakte ho?????
ikram- mai kosis kar sakta hun, aage unki marji, par tumhe ek baat mai abhi se bata deta hun, ki tumhari ye baat unhe bilkul bhi pasand nahi aayegi.
itna bolkar ikram baha se chala gaya, aur kuchh hi der me bapis bhi aa gaya, uske dono haath me do alag alag lifafe the, jinhe wo ajju aur monu ko dethe huye bola
ikram- ye aap dono ke ticket aur passport he, aap log kisi dushre naam se is operation me hissa le rahe ho. ticket aaj ke hi he, isliye aap ko kuchh hi der me nikalna bhi hoga, aur saath me aap dono ke termination latter he, agar aap dono ya aap me se koi ek is operation me hissa lena nahi chahta he, to apne termination latter me sign kar ke yaha se ja sakta he. aaj ke baad aap ka RAw se koi sambandh nahi rahega, aur haan mr. ajay agent zero ne specially aap ke liye kehalwaya he, ki jo inshan pehale hi 3 saal se jyada apne vyaktigat karano ki bajah se RAw se door raha ho, use aur jyada mohalat nahi di ja sakti he. pichhle 3 saal se bhi jyada samay ho gaya he, jab aapne RAw join kiya tha. RAw ko aapki sabhi vyaktigat problames ke baare me pata he, isi liye humne ab tak aap se koi sampark karne ki kosis nahi ki. par ab lagta he ki aap RAw ke layak hi nahi he.
itna bolkar ikram ek pal ke liye ruka aur fir usne dobara bolna suru kar diya
ikram- ab faishla aap dono ke haath me he, agar aap operation par jana chahate he to vyaktigat roop se mujhe bahut khushi hogi, par yadi ab bhi aapka faishla bahi he, to aap termination latter accept kar ke yaha se jaa sakte he, yaha se jaane se pehle aap ko mere saath ek baar hamari technical team ke pass chalna hoga, jo aapke andar inject chipe ko deactivate kar degi, uske baad yaha se jaane ke turant baad aap RAW ke baare me sab kuchh bhool jayenge, aap ko ye bhi yaad nahi rahega ki aapne kabhi RAw join bhi ki thi.
vikash ki poori baat sunkar ajju ki aankhe gusse se laal ho chuki thi, badi muskil se usne apne aap ko controll kiya aur kaha
ajju- tumhari ye agent zero apne aap ko aakhir samajhti kya he????, 2 minute mil kar baat bhi nahi kar sakti he, kisi ki probelams uske liye koi mayne nahi rakhti ke kya????? sidhe sidhe termination latter bhijwa diye, mai in dono me se kisi bhi lifafe ko accept nahi karunga, na to mai is operation par jaunga, aur na hi RAw ko chhodunga.
ajju ki baat sunkar ikram bhi thode sakht lahaje me bola
ikram- bese to RAw se bagawat karne bale agents ka anjaam mout hi hota he mr. ajay, par agent zero ne aapko RAW se azaad hone ka bahut ashan mouka diya he,
ajju- par mujhe ye manjoor nahi he, tumhe aur tumhari agent zero ko mera jo ukhadna he ukhad lo.
itna bol kar ajju baha se jaane laga, tabhi us hall me lage speaker se agent zero yaani nisha ki awaj aai, par ajju aur monu us awaj ko pehchan nahi paye, kyun ki nisha is samay apni awaj change kar ke baat kar rahi thi
nisha- mr. ajay sharma RAW desh bhakti aur anushasan ka dushra naam he, aur tum un dono ka hi palan nahi kar rahe ho. mene sidhe side sawdon me tu dono ko instructions diye the. par tum manne ke liye taiyar hi nahi ho. RAW ke ab tak ke itihash me aaj tak yesha kabhi nahi hua he. tumhari in harkato ne mujhe tum dono ko hi RAW se bahar nikalne ke liye majboor kar diya he, ab is baat se koi farak nahi padta he, ki tum termination latter accept karte ho ya nahi. mere liye tumhari ye harkat hi RAW se tumhe nikalne ke liye kaafi he. aur ek baat yaad rakhna mr. ajay, ki yadi tumhe lagta he ki apni super natural powers ki dum par tum hame dara doge, to ye tumhari galat fehmi he. kyun ki RAw itni bhi kamjor nahi he, jo kisi ek yere gaire agent ke bagawat karne par dar jaye. RAw ki takat ka andaja tum isi baat se laga sakte ho, ki meri marji ke bina tum abhi apne haath aur pair bhi nahi hila sakte ho
nisha ke khamosh hote hi ajju buri tarah chonk gaya, kyun ki bakai me wo apne haath aur pair apni marzi se nahi hila paa raha tha. ajju ne apni saari ichchha sakti aur takat ka use kar liya, par isse use koi fayda nahi hua. ek baar fir ajju ke kaano me agent zero ki awaj gunj uthi
nisha- mr. ajay koi fayda nahi he, tumhari saari powers mere saamne bekar he, abhi tak tum itna sab kuchh mere assistent se keval isliye bol paye ho, kyun ki mai tumhe apni galtiyon ko sudharne ka ek aur mouka dena chahati thi. par tum kisi bhi mouke ke layak nahi ho.
nisha ki vaat sunkar ajju badi muskil me keval itna bol paya
ajju- aakhir tum ye sab mere saath kyun kar rahi ho????? jabki ye baat tum achchhi tarah se janti ho, ki jis mission par tum mujhe bhejne par tuli hui ho, wo ek mamooli sa mission he, jise koi bhi sadharan agent bhi poora kar sakta he
ajju ki baat sun kar nisha boli
nisha- ye tumhari galat fehami he mr. ajay, jo tum sochte ho ki ye mission koi sadharan mission he, ye mission jitna sidha dikh raha he, ustna sidha hai nahi, par chhodo ab is matter par tumse baat karne ka koi fayda nahi he.
ajju- par tumne aakhir kiya kya he mere saath???? mai apne haath aur pair kyun nahi hila paa raha hun?????
nisha- sayad tum bhool gaye ho ki tumhare andar ek chipe inject ki gai thi, jiske jariye tum hamesha queen ke contact me rehte ho, par baat keval itni si hi nahi he, us chipe ki help se mai aur keval mai, tumhare mind ke us hisse ko bhi controll kar sakti hun, jo tumhare body ko controll karta he, sidhe sidhe sabdon me itna samajh lo, ki mai jab chahun tab tumhe apne isharo par nacha sakti hun. lekin mere kuchh siddhant he, jinki bajah se mai ye sab nahi karti hun, asal me mujhe desh bhakt agents chahiye, na ki kathputliyan, mene to tumhe ek trailor diya he, wo bhi keval isliye taaki tum bhool kar bhi apni powers ka use yaha par na kar sako.
itna bolkar nisha ne ajju ke upar se apna controll hata liya, jiski bajah se ek baar fir ajju ka apne upar poori tarah se controll ho gaya. par is saari ghatna kram se na keval ajju balki monu bhi ye samajh gaya, ki agent zero unke pahunch se bahut aage ki cheej he. par wo log RAW ko chhodna nahi chahate the, aur filhaal kisi operation ka hissa bhi nahi ban sakte the, isliye ek baar fir ajju ne apne aap ko justify karne ki kosis ki, par is baar ajju ka bolne ke lehaja nisha ke liye respectfull tha
ajju- mem meri kuchh majbooriyan he, please unhe samajhne ki kosis kijiye
par ajju ki baat sunkar nisha aur bhi jyada bhadak gai.
nisha- kon si majbooriyan he mr. ajay?????, RAW tumhe pehale hi kaafi samay de chuki he, pichhle 3 saal se bhi upar ka samay ho gaya he, RAW ne tumhari personal problems ko samjha aur ek baar bhi tumhe contact karne ki kosis nahi ki, kya ye baat sahi nahi he?????
ajju- mai manta hun par....
nisha- ab aur kya bacha he???? in 3 saalon me tumne kya kiya he???? kuchh bhi nahi, sivaay sarab peene ke, aur idhar udhar kichad me dale rehane ke alawa. kuchh bhi to nahi kiya tumne. fir kyun RAw tumhare upar aur jyada samay barwaad kare, tumse bhi jyada yogya aur bhi agents he hamare pass, jo is special team ka hissa banna chahate he, to fir kyun me tumhe is possition par rakh kar apni team ka ek member kam kar lun, pichhle 3 saalon me kai baar yesha mouka aaya, jab RAw ko tumhari jarurat thi, is desh ko tumhari jarurat thi, par tum hamare saath nahi the, is desh ke saath nahi the, tum to nashe ki halat me kisi gandi naali me aaram farma rahe the
nisha ki baate ajju ko jehareele kanto ki tarah chuv rahi thi, par uske pass iska koi jabab nahi tha, kyun ki nisha sahi keh rahi thi, pichhle 3 saalon me ajju ne nisha ke jaane ka gum manane ke alawa, aur kuchh bhi nahi kiya tha....
ajju- aap nahi janti mem mere saath kya hua he... meri personal problem itni badi he ki....
ajju ke dawara baar baar apni personal problem ka bahana banana, nisha ko bilkul bhi achchha nahi lag raha tha. use samajh me aa gaya ki wo jab tak ajju ko uski galtiyon ka yehsash nahi karwayegi. tab tak ajju manne bala nahi he. par nisha khul kar apne hi baare me usse baat nahi karna chahati thi. isliye nisha ne isharo hi isharo me ajju se baat karna hi theek samjha. aur ajju ki baat poori hone se pehale hi wo beech me bol padi.
nisha- kon si personal problem mr. ajay????? kya apni wife nisha ke jaane ka gum he tumhe????? ya tumhare dwara uske saath kiya gaya vartav ka pachhtava he tumhe???? agar nisha aaj yaha tumhare saath hoti, to use ye jaan kar bahut dukh hota, ki tum apni personal problems ka bahana bana kar, apne farz se bhagne ki kosis kar rahe ho. tumne pichhle 3 saalon me ek bhi baar use tumhare upar garv karne ka mouka nahi diya he. isliye koi badi baat nahi he ki ab wo tumhare saath nahi he, ek tarah se ye achchha hi hua.
nisha ke muh se apne baare me ye sab sunkar ajju buri tarah se bokhla gaya tha, aur usi bokhlahat me wo bol gaya
ajju- aap mere aur nisha ke baare me ye sab kese janti ho?????
nisha- sayad tum bhool rahe ho mr. ajay, ki RAW ko tumhare past ke baare me bhi sab kuchh pata he. aur mai apne agents ki saari jankariya rakhti hun.
nisha ki baat sunkar ajju kuchh der khamosh raha. aur fir bola
ajju- aapka kehane ka matlab he ki RAW mujh par najar rakh rahi he.
nisha- nahi.... bus mai itna keh rahi hun ki mai yani ki agent zero apni special task action team ke sabhi agents ke baare me jaankari rakhti hun.
ajju- matla to ek hi hua
nisha- tumhe jo samajhana he samajh sakte ho
ajju- matlab ki aap ye bhi janti hogi ki kuchh dino pehale mere aur meri family ke saath kya hua tha. yaani ki aap mr. naydu baali ghatana ke baare me bhi sab janti thi.
nisha- haan
ajju- to fir kya RAW ka ye farz nahi he ki wo apne agents ko suraksha pradaan kare. ya musibat me unka saath de
nisha- bachcho jesi baate mat karo mr. ajay. tum jante ho ki RAW desh ke andar ke mamlo me koi bhi dakahl andaji nahi karti he. aur bese bhi tumne aaj tak RAW ke liye kiya hi kya he jo RAW tumhari madad karti.
nisha ki baat sunkar ajju khamosh hi raha. kyun ki bakai me aaj tak usne RAW ke liye kuchh bhi nahi kiya tha. to fir use RAW se madad ki ummeed bhi nahi karni chahiye thi.