Update 092
------------------
ab tak hui saari baate maa ke bardast se bahar ho chuki thi isliye wo boli
maa- wah kya soch hai tumhari......... jiya kare to wo pyaar he!!!!! aur ajay aur nisha kare to wo paap!!!! kyun hai na???? aur agar is paap ki saja nisha ko mili he to fir ajay ko bhi milni hi chahiye. are murkh inshan tum shayad bhool gaye ho ki jab se jiya ne ajay se pyaar kiya he, usse pehale se ajay aur nisha ek dushre par apni jaan chhidakte the, bachpan ka pyaar he un dono ka, bus samay ke saath uska roop badla gaya tha.
fir maa jiya ki taraf mudi aur boli
maa- ab jab baat yaha tak pahunch hi gai he. to fir ab mere khamosh rehane ka koi fayda nahi raha. chunki baat meri beti ke charitra par uthi he, to mai ek maa hone ke naate use diya apna har ek bachan aaj todti hun. aaj mai bataungi nisha ki sachchai, wo bhi sabke saamne. jiya tum nisha ke past ke baare me sab kuchh janna chahati thi, to sun. nisha aur ajay ke naye riste ki kahani tab suru hu jab tum aur nisha yaha delhi se bapius gai. nisha aur ajay ka pyaar to bahut baad me suru haua tha. par mene kahani yaha se is liye suru ki kyun ki yaha se jaane ke baad tumne ajay se dooriyan banani suru kar di thi. tum logo ke jaane ke baad tumhari is behan sadhna ne, jo aaj kal teri jaan bani hui he, usne simmi ke saath milkar ajay ko itni jyada havy dose me drug diya tha, ki usse ajay ki jaan bhi ja sakti thi.
ye bolkar maa ne ek baar sadhna aur simmi ko ghoora. jo ki najre jhukaye huye khadi hui thi. fir maa ne dobara balna suru kiya
maa- us drug ka natija ye hua ki aprodics ki matra ajay ke sareer me bahut jyada bad gai thi, aur us samay use tumhari sabse jyaada jaroorat thi, par tum to jhuthi shadi ka natak kar rahi thi, tumhe to pata hi nahi tha ki ajay kin paristhitiyon se gujar raha he. aur na hi tumne kabhi janne ki kosis ki. mai ye nahi keh rahi hun ki tum us wakt galat thi, par nisha aur ajay ke bich jo kuchh bhi hua, wo bhi galat nahi tha. aur fir tumhe to sab pata hi he, teri shadi ke baad hospital me kya hua tha???? yaad to hoga hi na tumhe??? ki tumne nisha se ek vada liya tha, ki wo ajay ka hamesha khyaal rakhegi, aur ajay ki jindgi me fir se pyaar layegi, yaad he na????? ya fir apne baap ki tarah tum bhi har baat bhool gai?????
maa ki baat sunte sunte jiya ki aankho me aanshu beh aaye the. usne aapne aanshuo ko poonchha aur boli
jiya- haan mami mujhe sab yaad he.
maa- tere jaane ke baad ajay poori tarah se toot gaya tha, tab nisha hi thi jisne use samhaala tha. dhire dhire ajay normal ho gaya, aur fir usne badla lene ka nirnay liya. is badle ki aanch nisha tak bhi ja pahunchi, ajay ko dukh pahunchane ke liye prakash ne nisha ko hi targate karna suru kar diya, kya galti thi us mashoom ki???? usne kisi ka kuchh nahi bigaada tha, fir kyun hua uske saath wo, par wo is sab se dari nahi, par ajaya bahut jyada dar gaya tha, use nisha ki chinta hone lagi thi, apne poore parivaar ko lagbhag kho dene ke baad wo ab nisha ko nahi kho sakta tha. isliye wo bahi indore me hi ruk gaya. aur fir wo hua jo sayad nahi hona chaiye tha.
maa kuchh der ke liye khamosh ho gai. aur gehari sansh lekar boli
maa- dono ek dushre ke pass aane lage, pyaar to dono pehale bhi ek dushare se bahut jyada karte the, par wo pyar bhai-behan ka pyaar tha, par ek dushre ke saath jyada kareeb rehane ki bajah se, wo badalne laga. nisha jo ajay ki jindgi me fir se jiya ke jaisa pyaar laane ki kosis kar rahi thi, kab khud hi ek nai jiya ban gai use pata hi nahi chala. tumhe pata he??? jis din se tumne nisha se vada liya tha, us din se har raat nisha ke sapne me tum aati thi, aur use baar baar apna vada yaad dilati rahati thi. sayad ajay bhi nisha me tumhe dekhne laga tha, isliye wo dono ek dushare ke kaafi kareeb aa gaye. aur fir achanak dono ko ye yehsash hua ki ye galat he, par tab tak kaafi der ho chuki thi, dondo do jism aur ek jaan ban chuke the. dono ka ek dushare ke bina rehana muskil ho gaya tha. nisha ne apna vada poora to kar diya tha, wo ajay ki jindgi me fir se pyaar to le aai thi, par uspar ye galti ho gai ki wo pyaar wo khud hi ban bethi.
ek baar fir maa kuchh der ke liye ruki. aur dobara bolna suru kiya
maa- aur fir chief ne ek aur ganda khel khela, nisha ki shadi ke natak ka khel, ajay aur nisha ne ek dushre se door rehane ka faishala kar liya tha, kyunki unhe apne riste ki maryada ka khyaal tha, isliye ajay nisha ki shadi se pehale hi delhi aa gaya tha, yaha aakar ajay ne mujhe, renu aur tumhare mama ji ko us inspector gurjar se bachaya tha, jo renu par gandi nazar gadaye betha tha. Iske baad achanak khabar aai nisha ke kidnep hone ki, majboor hokar ajay bapis indore gaya, usne na keval nisha ko bacha liya balki nisha ko sahi salamat shadi me bhi le gaya, par baha chief ka ek aur natak unka intjaar kar raha tha. dulhe ne shadi se mana kar diya, sabhi logo ne nisha aur ajay par gande gande iljaam lagaye aur fir chief urf prakash ne ajay se nisha se shadi karne ka prastav rakkha, jo in dono ne thukra diya, par fir tumhara baap hi tha jisne ajay ko is shadi ke liye taiyaar kiya, jara poochho to apne baap se kya yesha nahi hua tha???? tab wo tere baap ki nazar me paap nahi tha. par aaj bahi sab tere baap ki nazar me paap he. aur agar ye paap he to pr. narayan is paap ko karwane ke sabse badi apradhi he.
itna bolkar maa pro. narayayan ko ghoorne lagi, jo ki abhi bhi gusse me unhe aur renu ko dekh rahe the. par maa par iska koi asar nahi hua unhone bolna jaari rakkha
maa- halanki ye baat alag he ki nisha ko mene aur renu ne raazi kiya tha shaadi ke liye. to kya galat kiya tha nisha ne, agar usne ajay se shadi kar li???? aur fir in dono ka accident ho gaya, jisme ajay gambheer roop se ghayal tha, aur nisha lagbhag mar hi chuki thi. ravi ne hi to bachaya tha un dono ko, poccho jara ravi se ki kya haal tha nisha ka us samay. par un dono ka pyaar hi tha jo nisha bach gai, chunki dono shadi kar chuke the, aur ek dushre ko pashand bhi karte the to fir unke bich physical relation bhi ban jana normal hi tha. wo dono kaafi aage bad chuke the. kitne khus the dono saath me, par fir achanak se nisha tumhe bapis le aai. tumhe bapis laakar kitna khus thi wo, ek pal ke liye bhi uske man me ye baat nahi aai thi ki tumhare aane ke baad ajay usse door ho sakta he. par kya hua???? na keval ajay balki sabhi log usse door ho gaye. ab tum hi batao kya galti thi uski kya itna bada paap kar diya tha usne jo use ye saja di gai
maa ke sant hote hi poore haal me mout jaisi khamosi chha gai, aur fir is khamosi ko jiya ne toda jiski aankho se aanshu beh rahe the
jiya- nahi mami koi galti nahi thi unki, galti to meri thi, jo mai un dono ke bich aa gai. agar mujhe pehale hi ye sab pata hota, to mai ye sab hone hi nahi deti. par ab bhi kuchh nahi bigda he, hum nisha di ko dhund lenge, unhe bapis le aayege, sab fir se pehale jaisa ho jayega,
jiya ki baat sun kar pro. Narayan chounke, unhe laga ki unka bana banaya khel ab bigadne hi bala he, is liye unhone ek aakhri kosis ki
mama ji- par beta tumhara kya hoga, apne baare me bhi to socho beta, socho jara tumhe nisha se kitni nafrat thi
jiya- ye aap ki galat fehami he papa ki mai nisha di se nafrat karti thi, haan mujhe unse chid hone lagi thi, par keval isliye kyun ki unki jindgi mere liye ek rehashya bani hui thi, wo kabhi bhi apni shaadi apne pati ke baare me mujhse baat nahi karti thi, jyadatar log is baat ko jante the, keval mai nahi janti thi, yahi baat dhire dhire mere andar unke liye chid paida karne lagi thi, aur fir aap ne mere andar unke liye jehar gholna suru kar diya. agar aap pehale hi is baat ko mujhe bata dete, to ye sab hota hi nahi. aur rahi baat apne baare me sochne ki, to meri ye jindgi unki hi di gai he. mera jo bhi hoga uski mujhe parwah nahi he, par mai ajju aur nisha di ki judaai ka karan nahi ban sakti, mai yaha moujood sabhi logo ke dukh ka karan nahi ban sakti, is paap ke bojh ko utha kar to mai ek pal bhi jinda nahi reh sakti papa.
jiya ki baat ko sun kar pro. narayan poori tarah se hatash ho chuke the, wo apna sir pakad kar bahi sofe par baith gaye aur fir achanak gusse me bole
mama ji- ab is sab ka koi fayda nahi hoga jiya, jo hona tha wo ho chuka he, ab nisha kabhi bapis nahi aayegi. kabhi bhi nahi.
jiya- nisha di jaroor bapis aayengi papa, mai unhe laungi. chahe iske liye mujhe kuchh bhi karna pade.
mama ji- are bevkoof ladki!!!! ab koi bhi use bapis nahi la sakta, wo bahut door ja chuki he
ajju jo kaafi der se khamosh khada tha, achanak mama ji ke pass aaya aur unki colar ko pakad kar bola
ajju- mai keval ek hi baar aapse poochhunga aur uska jabab mujhe chahiye, us din aur kya hua tha baha, ye vedio aadha hi he, mujhe poori baat janni he, nisha kaha chali gai, ab wo kyun bapis nahi aa sakti. jabab do mama............
ajju ki awaj itni bhayanak thi, ki sabke hosh ud gaye, mama ji bhi bahut jyada dar gaye the par fir bhi bole
mama ji- mujhe nahi pata vedio me jo dikhaya gaya he, uske baad mai baha se bapis aa gaya tha. uske baad baha kya hua nisha kaha gai mujhe nahi maloom
ajju- nahi mama tum jhoot bol rahe ho, tum umra me bade ho is liye ab tak mene kisi bhi tarah apne aap ko roke rakha he. par ab tum mere sabra ka imtihaan le rahe ho. jo inshan apne sage chacha ko maar sakta he, wo mama ko marne ke liye ek pal sochega bhi nahi. lagta he aapko kuchh aur bhi yaad dilana hoga
itna bolkar ajju jor se chikha
ajju- raghuuuuuuuuuu andar lekar aao unhe abhi
ajju ka ishara milte hi, kuchh hi der me raghu aur uske 4 gaurd do aadmiyon ko andar lekar aaye jinhe dekh kar mama ji ke chehare ka rang ud chuka tha, aur unke pair kampne lage the, unke liye ab khade rehna muskil ho raha tha, is liye wo bahi sofe par lagbhag gir pade.
--------------------------------------------------
hua asal me ye tha, ki aaj subhay subhay renu jab office ja rahi thi, tabhi uski najar do logo par padi, jinhe dekh kar renu ko 3 saal purani ghatna yaad aa gai. renu unhe achchhi tarah se janti thi. us wakt renu ko kuchh aur nahi sujha is liye usne ajju ko call kar diya. 3 saal me pehli baar hua tha jab renu ne khud se ajju ko call kiya tha. renu ka number dekh kar ajju bahut khush hua,
ajju- haan renu meri behan kaisi ho??????
renu- bhai agar aap janna chahate he ki bhabhi ke saath kya hua tha, to jaldi se indrapuri baale road par aa jaiye.
ajju- par tum baha kya kar rahi ho ????
renu- mai office ja rahi thi. tabhi mujhe raste me 2 log dikhai diye jinhe mene 3 saal pehale farm house ke aas pass madrate huye dekha tha
ajju ke liye itna ishara kaafi tha. Renu ki baat sunte hi wo apne hosh kho betha. use ummeed ki ek kiran dikhai di. jab se nisha gayab hui he. tab se yahi hota aaya he. ajju ko nisha ke baare me kuchh bhi pata chalta he to wo poori tarah se us baat ke teh tak jaane me lag jata he. aaj bhi kuchh yesha hi hua. usne turant renu se poochha
ajju- kaha he wo is wakt?????
renu- indrapuri baale road par ek cofee shops me bethe he
ajju- mai abhi baha aata hun
itna bolkar ajju ne phone cut kar diya, aur fir turant raghu ko phone kar ke apne kuchh aadmiyon ke saath baha pahunchne ke liye bol diya. chunki ajju khud bhi office ke liye ja raha tha, aur wo us jagah se jyada door bhi nahi tha jaha ka address renu ne bataya tha isliye ajju ne turant apni car us taraf mod li. kuchh hi der me ajju renu ke pass tha. renu ne ajju ko un dono ke baare me bataya aur fir office ke liye nikal gai. ajju ko renu ki is harkat se thoda ascharya hua, par filhaal use un dono ko dabochna tha, isliye apna dhyaan un dono par lagaye rakkha.
abhi ajju raghu ka intjar kar hi raha tha ki achanak jiya ka uske pass call aaya, usne ajju ko aaj jaldi ghar par bulaya tha. use nisha ke baare me baat karne ke liye ek meeting bulai thi. ajju ne shaam ko jaldi aane ka bol diya tha, kyun ki aaj use office me bhi kaafi saara kaam tha, upar se wo do aadmi jike baare me renu ne abhi abhi bataya, unse bhi ajju ko poochh taachh karni thi. kuchh hi der me raghu aur uske saathi baha aa gaye, ajju ne radhu ko un dono ke baare me bataya aur unhe farm house par le jakar poochh tachh karne ke liye bol diya. aur khud office ki taraf nikal gaya.
dopehar me raghu ne ajju ko phone kar ke bataya, ki un dono ne lagbhag 3 saal pehale farmhouse se ek ladki ki lash thikane lagai thi. raghu ne ye bhi bataya ki un logo ne nisha ki photo pehchan li hai, nisha hi wo ladki thi. aur ye sab un logo ne kisi ke kehane par kiya tha, jise wo log nahi jante he par saamne aane par pehchan lege.
ye khabar ajju ke liye bahut bada jhatka thi. nisha ke milne ki rahi sahi ummeed bhi ab toot chuki thi. ajju kaafi der tak office me betha rota raha. aur fir jab uska rona band hua to ajju ke aankho me khoon utar aaya. ab uske jeevan ka ek hi uddesh reh gaya tha nisha ke katil ki khojna.
--------------------------------------------------
sham ko jiya ne jab wo vedio play kiya, to ajju ko yakeen ho gaya ki nisha ke murder me mama ji ka hath he, isliye ajju ne raghu ko ishara kar ke un dono ko lane ke liye bol diya, taaki mama ji se un dono ka samna karaya ja sake. mama ji ka reaction dekh kar ajju ko poori tarah se yakeen ho gaya ki mama ji ka nisha ke murder me haath he. jabki professor narayan ko dekh kar un dono me se ek bola
"yahi he.... yahi he wo aadmi jisne mujhe us din wo sab karne ke liye kaha tha"
ajju ki aankho me khoon utar aaya tha, uska poora sareer gusse se kaamp raha tha. jise dekh kar sabhi logo ko ye samajhte der nahi lagi, ki koi anhoni ho chuki he. ajju sidha mama ji ke paas gaya aur unki girewaan pakad kar bola
ajju- us din kya hua tha bhaha mama?????
mama ji ne muskil se apna thook nigla aur bole
mama ji- tumne jo dekha uske baad mai baha se aa gaya tha, mujhe nahi pata kya hua baha.
ajju- mujhe kuchh ulta sidha karne ke liye majboor mat kijiye pro. narayan, yesha na ho ki me aaj apne riste ka lihaaj bhi bhool jaun
mama ji kuchh keh paate usse pehle jiya bol padi
jiya- papa sach sach bataiye kaha he nisha di, unka milna bahut jaroori he,
pro. narayan ko ab bachne ka koi rasta nazar nahi aa raha tha, upar se ajju ki harkat se unhe kaafi gussa aa chuka tha, is liye badhawasi me wo bol pade
mama ji- wo wo wo ab kabhi nahi mil sakti murkh ladki, maar dala he mene use, goli maar di thi mene use usi din, aur fir in dono ki sahayta se uski lash ko thikane laga diya tha. uksa marna hi thik tha hum sabke liye, uska ganda khoon hamare pariwaar ko varwaad kar raha tha, aur dekho marte marte bhi us haramjaadi ne kya kar diya, hamare pariwaar ko tod hi diya usne aaj.
pro. narayan ki baat khatam hi hui thi ki tabhi
"chataaaaaaaaaaaaaaakkkkkkkkkkkkkkkkkkkkk"
ek jor daar chanta pro. narayan ke gaalon par pada. ye chanta maa ne hi unhe mara tha. kisi ki bhi samajh me kuchh nahi aaya.
maa- mene tumse pehale bhi kaha tha pro. narayan, ki ab ek baar aur tumne galti se bhi meri beti ko gaali di, to anzaam achchha nahi hoga
iske baad maa monu ne monu se kaha
maa- monu sab ko bahar le jao abhi, mujhe professor sahab se akele me kuchh baat karni he.
maa ki aankho me is samay aag baras rahi thi, kisi ne bhi aaj tak maa ko itne jyada gusse me nahi dekha tha. isliye monu turant hi ajju, jiya, pro. narayan, renu aur maa ko chhod kar baaki sab ko bahar le gaya.
pro. narayan gusse se maa ko ghoor rahe the. par maa ko ab kisi ki bhi parwah nahi thi, jab sab log chale gaye to maa ne bolna suru kiya
maa- tum jante bhi ho ki jise tum gaali de rahe ho wo aakhir hai kon????, nisha ki asliyat jaane bagair use tum gaali par gaali diye jaa rahe ho. agar nisha ka khoon ganda hai to tumhaara khoon bhi ganda he, ajju ka khoon bhi ganda he, tumhaari behan aur tumhaare behnoi ka khoon bhi utna hi ganda he. haan uski parvarish jaror prakash ne ki he par uski gandi parvarish ka ek ansh bhi nisha me nahi tha. jise tum haramjaadi bol rahe ho wo koi aur nahi ajju ki judba behan thi, tumhari sagi behan ki ladki. ye gaali tum nisha ko nahi ajju ko bhi de rahe ho, ye gaali tum apni behan aur behnoi ko bhi de rahe ho.
maa ki baat sun kar jiya aur pro. narayan buri tarah chonk gaye. pro. narayan ko maa ki baato par yakeen hi nahi ho raha tha, is liye wo bole
mama ji- nahi ye jhoot he.... ajju ki koi judwa behan nahi he, uska ek judba bhai tha. jo paida hote hi mar gaya tha
maa- ye wo jhooth he jo prakash ne failaya tha. asal me wo mara hua bachcha prakash ka tha, jabki ajju aur nisha dono swasth paida huye the. prakash ne delavery karne bali doctor ko paise dekar nisha ko apne mare huye bachche se exchange kar liya tha, taaki samay aane par wo ajju ke pita ko nisha ki sahayta se balck mail kar sake. par use mouka hi nahi mila. tumhe yaad he na ajju ke pita ne marne se pehale call kiya tha, aur ek parshal ke baare me bataya tha. asal me unhe nisha ke baare me sab pata chal gaya tha. aur us parshal me wo saare saboot the, jo ye proof karte the ki ajju aur nisha sage bhai behan he. ajju aur nisha ko wo parshal kaafi baad me mila, tab mila jab wo poori tarah se ek dushre ko pati patni ke roop me accept kar chuke the. aur mere hi kehane par un dono ne ye baat aaj tak raaz rakkhi hui thi.
itna bolkar maa khamosh ho gai. aur ajju ki taraf dekhne lagi, jiski aankho me is wakt aanshu the. kuchh der khamosh rehkar maa fir boli
maa- bese to mai ye baat kisi ke saamne nahi batana chahati thi, par aaj jab tumne nisha ko galiyan di aur uske khoon ko ganda kaha, to mere bardast ke bahar ho gaya. wo to hamesha se hi tumme apne maata pita ko dekhti aai he. aur tumne kya kar diya uske saath. apni sagi bhanji ki jaan le li, apni behan ki nishani ko mita diya. are murkh kya tum itne andhe ho ki nisha ke chehare ko dekh kar bhi nahi samajh sake ab tak. kya kabhi bhi tumhe nisha me apni behan nahi dikhai di. koi gair bhi ajju ki maa ki tasbeer aur nisha ko dekh kar samajh jayega ki dono maa beti he. ajju ki aankhe aur nisha ki aanhkhe dekh kar koi bhi anjaan keh sakta he, ki dono sage bhai behan he. par tum nahi dekh paye ye sab
maa ki baate mama ji ko teer ki tarah chuv rahi thi, unhe nisha aur apni behan ka chehara baar baar yaad aa raha tha, bilkul ek jaisa hi to hai.
"par kyun pehale kabhi unhone is par dhyaan nahi diya???? aakhir kyun????"
aur fir na chahate huye bhi unke muh se nikal gaya
mama ji- nahiiiiiiiiiiiii ye kya ho gaya mujh se??????????????
maa- mr. narayan "mama" sawd ka arth bhi jante ho tum???? mama ka matlab hota he maa aur maa matlab 2 maa, par tum to kansh nikle. are tumse achchha to shakuni tha, jo marte dum tak apne bhanjon ke saath to raha.
itna bolkar maa aur renu baha se bahar chali gai. ab keval pro. narayan, jiya aur ajju hi baha bache the. jiya aur pro. narayan lagatar roye jaa rahe the. ek taraf pro. narayan ki aankho me paschataap ke aanshu the, bahi jiya ki aankho me isliye aanshu the, kyun ki wo ek yese inshan ki aulad thi jisne apni sagi bhanji ki hi jaan le li, wo bhi uske liye.