complex update raha yah.Update 085
-----------------------
honymoon se loutne ke kuchh din baad hi renu aur vikash news chanel ke office jaane lage the. renu abhi bhi apni maa ke ghar par hi thi, isliye wo bahi se office jaya karti thi. abhi uska kuchh din aur apni maa ke pass rukne ka plane tha. is wakt renu apne office me bethi hui thi. jo ki asal me nisha ka office tha. par jab se renu aur vikash ne office re-join kiya tha, nisha ne jana band kar diya tha. aur saara kaam un dono ke hand over kar diya tha. renu ke sath baha par vikash bhi moujood tha. renu aur vikash abhi baat kar hi rahe the ki tabhi maa ka phone aa gaya. renu ne turant call recive ki
renu- haan maa
maa- beta tu aaj jaldi ghar aa ja. mujhe kahi jana he. monu bhi ghar par nahi he. wo divya ko chhodne indore chala gaya he.
renu- thik he maa. me bus nikal hi rahi hun
itna bolkar renu ne call disconnect kar diya, aur apna hand bag uthate huye vikash se boli
renu- vikash please aaj tum manage kar lena, mujhe abhi ghar jana padega.
itna bolkar renu jane lagi to vikash ne uska hath pakad liya aur bola
vikash- thik he chali jana, par par pehale mujhe ek kiss dekar jao
renu ne muskurate huye vikash ke gaal par kiss kiya, aur boli
uuuuuuuuuummmmmmmmmm
renu- thike he!!!! ab to khush. ab chhodo mera hath
vikash- ye bala nahi mujhe lip-kiss chahiye
renu- nahi.... abhi nahi.... kal dungi pakka
vikash- nahi mujhe abhi chahiye. kitne din ho gaye he tumhe apni maa ke ghar gaye huye. taras gaya hum mai tumhe jee bhar kar pyaar karne ke liye
renu- bus kuchh dino ki baat he jaan. fir to mai aa hi rahi hun ghar par.
vikash- nahi mujhse ab aur intjaar nahi hota.
itna bolkar vikash ne ek jhatke ke sath renu ka hath khincha. renu iske liye bilkul bhi taiyaar nahi thi. uska balance bigda aur wo sidhe vikash ki god me jakar giri. isse pehale renu apne aap ko samhaal pati, vikash ne uske hontho par apne honth rakh diye. aur renu kasmasake reh gai
uuuuuuuuuuuuummmmmmmmmmmmmmmmm
renu ne vikash se chhutne ki kosis ki, par vikash ne use nahi chhoda. par renu ke is virodh ka vikash par ulta asar hua. usne apna ek hath renu ke ubharo par rakh diya aur unhe sehalane laga.
renu ko vikash se is sab ki ummeed nahi thi. wo bhi yaha office me. jaha kabhi bhi koi bhi aa saktha he. renu ne poori takat se vikash ko dhakka diya. is baar wo vikash ki pakad se azaad ho gai. aur vikash se thoda door khade hokar lambi lambi sanshe lene lagi. jab uski sanshe uske niyantran me aai, to wo vikash se boli
renu- tum pagal ho gaye ho kya????? mene tumhe kitni baar mana kiya he ki yaha office me is prakar ki koi bhi harkat mat kiya karo. koi bhi kabhi bhi aa sakta he.
vikash bhi khada ho gaya aur renu ke pass jakar bola.
vikash- oh come on renu. yaha hamare office me bina hamari marzi ke koi nahi aata
itna bolkar ek baar fir vikash ne renu ko apni baho me bhar liya, aur use kiss karne ki kosis karne laga.
renu- chhodo mujhe vikash. mujhe der ho rahi he
par vikash kaha manne bala tha
vikash- chali jana par mujhe thoda pyaar to kar lene do. kitne dino se tadap raha hun.
itna bolkar ek baar fir vikash ne apne honth renu ke hontho par rakh diye, aur use kiss karne laga. renu apne aap ko vikash se chhudane ke liye piche ki taraf jaane lagi to vikash bhi uske saath saath badne laga. par usne renu ko nahi chhoda. aur fir renu pichhe diwaal se jakar sat gai. ab wo kuchh nahi kar sakti thi. par iska fayda vikash uthane se nahi chuka. ek baar fir usne apne haat renu ke ubharo par rakh diye aur unhe sehalane laga.
ab renu ne bhi uska virodh karna band kar diya tha. vikash dhihre dhire apana niyantran khone laga, aur ek samay yesha aaya jab wo renu ke ubharo ko buri trah se masalne laga. renu ne jese tese apne honth vikash ke hontho se alag kiye aur boli
renu- vikash please chhodo mujhe .... mujhe dard ho raha he....
par vikash par iska koi asar nahi hua. ulta wo renu ke top ko utaren ki kosis karne laga. aur bus yahi wo pal tha, jab renu ne use jor se dhakka dekar apne se alag kiya, aur gusse me boli
renu- tumne mujhse jhoot bola vikash. tumne to kaha tha ki tum us drug ka antidose le chuke ho. par tumhari harkate to kuchh aur hi ke rahi he.
renu ki is harkat se vikash ko bhi gussa aa gaya, aur wo gusse me bola
vikash- haa bola mene jhoot. kyun ki mujhe us antidose ki koi jaroorat nahi he.
renu- tumhe bhale hi us antidose ki jaroorat na ho, par mujhe he. tum us drug ki bajah se apne controll me nahi rehate ho. tumhe to ye yehsash hi nahi hota, ki tum mujhe jane anjane me heart kar rahe ho. jab tum mujhe is tarah se pyaar karte ho, to mujhe isme tumhara pyaar kam aur hawash jyada dikhai deti he. aaj ek baar fir tume mujhse jhoot bolkar mere vishwash ko toda he vikash. mai tumhe kabhi maaf nahi karungi.
itna bolkar renu bina vikash ki baat sune office se bahar nikal gai
--------------------------------------------------
renu aur maa is wakt highway par apni car me moujood thi. renu kuchh pareshan laga rahi thi. wo is wakt kisi ko call kar rahi thi, jab call disconnect hua, to maa ne usse poochha
maa- kya hua????
renu- maa ajju bhai aur jiya didi phone recive nahi kar rahi he.
maa- to office me call kar ke dekh, sayad baha gaya hoga
maa ki baat sunkar ek baar fir renu phone par bussy ho gai. is baar usne varun ko call kiya tha. call recive hote hi renu bol padi
renu- hello jiju mai renu bol rahi hun
varun- haan renu kya baat he
renu- mujhe ajju bhai se baat karni he abhi. unka call recive nahi ho raha
varun- par ajay sir to 2-3 din se office hi nahi aaye. tum ek baar raghu ko call kar lo sayad security office gaye honge
varun ki baat khatam hote hi renu ne phone disconnect kar diya, aur turant raghu ko call kar diya. jese hi call recive hua, to ek bar fir renu se sidhe apni baat suru kar di
renu- raghu bhai mai renu bol rahi hun. ajju bhai hai kya baha
rahu- nahi aaj to ajju bhai yaha aaye hi nahi. aaj to wo ghar par hi he.
raghu ki baat khatam hote hi renu ne call disconnect kar diya, aur ek baar fir maa ki taraf dekhte huye boli
renu- maa bhai to aaj office gaye hi nahi. ab hum kya kare
maa- vikash ko call kar. use ghar par jakar ajju se baat karane ki bol abhi
maa ki baat sunte hi ek baar fir renu phone par bussy ho gai. par vikash ne uska call recive nahi kiya. renu janti thi ki vikash se aaj uski jo behash hui he, iski bajah se wo jaan boojh kar call recive nahi kar raha he. isliye renu ne office ke land line number par call kiya. kismat se vikash ne bina caller id dekhe call recive kar li
vikash- hello vikash speaking
renu- mai renu bol rahi hun
renu ki awaj sunkar vikash ko gussa aa gaya aur wo gusse me hi bola
vikash- kyun call kiya he mujhe. ab aur kya reh gaya kehane sunne ko
renu- vikash please 1 minute meri baat to sun lo. its urgent....
vikash- kaho
renu- mujhe ajju bhai se baat karni he abhi
vikash- to unke number par call karo. mujhe kyun call kiya
renu- wo aur jiya didi call recive nahi kar rahe he. aur aaj wo office bhi nahi gaye
vikash- to isme mai kya kar sakta hun
renu- please unke ghar par jakar meri unse baat karwa do abhi
vikash- kya baat karni he?????
renu- wo wo nisha bhabhi......
vikash pehale se hi gusse me tha. renu se hui behas ki bajah se uski male ego ko thesh pahunchi thi. upar se nisha ka naam sunte hi use maaldivs ki ghatna yaad ho aai thi. is liye usne gusse me renu se kaha
vikash- achchha to ab tum meri sikayat karne baali ho nisha mem se. hamare bich ki har chhoti badi baat nisha mem se karogi. us din msaldivs me hui ghatana se tumhe kya laga ki mai unse dar jaunga
renu- nahi vikash!!!!! kye tum kya keh rahe ho.... please suno ye baat nahi he. mera isi wakt ajju bhai se baat karna bahut jaroori he. tum samajh nahi rahe ho ki bhabhi....
par vikash ab kuchh bhi sunne ke mood me nahi tha. is liye bola
vikash- mai koi tumhare baap ka nokar nahi hun. jo tumhare ishare par nachta firun. jab tumahra man ho to mujhe pyaar karo. aur jab man na ho mujhe dhutkaar do. aur jab tumhe mujhse koi kaam ho to mai tumhare isharo par apana sara kaam chhod kar yaha baha bhagta firu
renu- vikash please tumhe mujhe jo bhi sunana he baad me suna lena, par abhi meri bhai se baat kara do. its veri urgent
vikash- aaj tumne mere pyyar ko gaali di he renu. tumne mere pyaar ko hawash ka naam diya he. isliye aaj mai tumhari koi bhi madad nahi kar sakta. tumhe bhi to ye yehsash ho ki tumne kitni badi galti ki he
renu- haan mai manti hum mujhse gaalti hui he. mai uske liye tumse maafi bhi mangti hun. tum kahoge to mai tumhare pair pakad kar bhi tumse maafi maang lungi. mai tumhare haath jodti hun vikash. tum jo kahoge wo mai karungi, tumhari har baat manugi. par please meri ajju bhai se baat kara do.
renu ki baat sun kar ek pal ke liye to vikash ko laga ki mamla bahut jyada serious he. kyun ki jis prakar se gusse me renu yaha se gai thi, usse use yesha bilkul nahi laga tha, ki kuchh der baad hi renu usse yese maafi maagne ke liye taiyaar ho jayegi. par agle hi pal uski male ego fir saamne aa gai. aur wo bola
vikash- sorri renu isme mai tumhari koi help nahi kar sakta.
itna bolkar vikash ne phone disconnect kar diya. call cut hote hi renu ki aankho me se aanshu behane lage. wo maa ke seene me apna chehara chhipate huye boli
renu- maa ab kya hoga. mera dil bahut ghabra raha he. mujhe bahut dar lag raha he.
par maa ke pass is wakt renu ko santvna dene ke liye koi sawd nahi the. kyun ki unki haalat bhi renu se alga nahi thi. unki aankho me bhi is wakt aanshu the. aaj wo dono apne aap ko bahut akela aur kamjor mehsoos kar rahi thi.
----------------------------------------------------
renu aur vikash ke jhagde ko huye 4 mahine se adhik samay gujar gaya tha. par maa, renu aur vikash ke alawa kisi ko bhi iske baare me pata nahi chala tha. aur na hi unhone kisi ko batane ki kosis ki thi. us jhagde ke kuchh dino baad hi, renu vikash ke ghar par rehane ke liye chali gai thi. par ab unke riste samanya nahi rahe the. aur un dono ne kisi ko bhi is baat ki bhanak tak nahi lagne di thi. halanki vikash ko baad me apni galti ka yehsash ho chuka tha. aur usne kai baar maafi mang kar renu ko manane ki kosis bhi ki thi, par renu us ghatna ko bhula nahi paai thi. isliye usne ab tak vikash ko maaf nahi kiya tha.
bahi dushri taraf jiya ko bhi ye lagne laga tha, ki usne nisha ke saath sahi nahi kiya he. par ajju ko sach batane ki usme himaat nahi thi. isliye usne socha ki wo nisha ko call kar ke use sab sach sach bata deg,i aur usse maafi mang legi. par uski himmat nisha se bhi baat karne ki nahi ho rahi thi. wo apni galti ki bajah se nisha se baat karne se katra rahi thi.
par aaj use nisha ki kuchh jyada hi yaad aa rahi thi. use bachpan me nisha ke saath bitaye ek ek pal yaad aa rahe the. use wo pal bhi yaad aa rahe the, jab kamal ke hamle se wo ghayal hokar hospital me apni aakhri sanshe gin rahi thi, tab usne nisha se jo vada liya tha. use wo pal bhi yaad aa rahe the, jab nisha ne use poonam ke room me bhi pehchaan liya tha. use wo pal bhi yaad aa rahe the, jab nisha use apne saath-saath har us jagah lekar gai thi jaha se uski yaade judi hui thi.
use wo pal bhi yaad aa rahe the, jab uski jaan bachane ke liye nisha ne apni jaan daav par laga di thi. use wo pal bhi yaad aa rahe the, jab apni aakhri jung lad kar ajju aur nisha bapis aaye the. aur use wo pal bhi yaad aa rahe the, jab apni jidd aur chid ki bajah se usne kai baar nisha ko heart karne ki kosis ki thi, par har baar nisha ne muskura kar uska jabab diya tha. aur uski galtiyon ko ignore kar diya tha.
use apni nisha se aakhri mulakat ke wo pal bhi yaad aa rahe the. jab nisha ne bina kuchh soche samjhe radha raani ka prashad, yaani apne hath par bandha kalawa uske haath par bandha tha. use wo pal bhi yaad aa raha tha jab party me nisha ne gana gaya tha. aur wo apne aanshuo ko sabki najro se chhipa kar apne room me chali gai thi. isliye jiya ne ye tay kiya tha, ki wo aaj ajju se nisha ke baare me baat karke hi rahegi. aur jab ajju ghar par aay to usne ajju se poochh hi liya.
jiya- nisha di aaj kal kaha he?????
ajju- pata nahi!!!!! sayad form house par hi hogi. par tum kyun poochh rahi ho????
jiya- kaafi din ho gaye he unse baat nahi hui, aap ki baat hui kya???????
ajju- nahi!!!!!!!!!!!!!
ajju ki baat sun kar jiya hairaan reh gai. usne ye ummeed bilkul nahi ki thi. kyun ki wo janti thi, ki ajju aur nisha jyada samay tak ek dushre se baat kiye bina reh hi nahi sakte he. isliye wo boli
jiya- par kyun????
ajju- koi khash baat nahi he, bas wo thoda naraj he mujhse
jiya- par kyun naraj he wo aap se?????????
ajju- hamare bich jhagda ho gaya tha
jiya- to fir aap unhe manate kyun nahi
ajju- wo bahut jiddi he, jab jidd sant ho jayegi to khud se mujhe call kar legi
jiya- par aap bhi to jidd kar rahe ho
jiya ki baato se ajju ko chid hone lagi thi isi liye wo thode gusse me bola
ajju- haan kar raha hun jidd... to kya???? galti uski he isliye mai jidd kar raha hun
jiya- to fir kya mai call kar lun unhe
ajju- nahi...... koi jarurat nahi he use call karne ki. tum call karogi to use lagega ki mai call karwa raha hun. bese bhi use agar itni fikar hoti tumhari to usne tumhe call kyun nahi kiya. mujhse jhagda hua tha uska, par tumse to koi jhagda nahi hua he na. to fir wo tumhe to call kar hi sakti thi. bese bhi mai ye dekhna chahata hun ki wo kab tak apni jidd par kayam rehati he. kuchh din akele rahegi to mar nahi jayegi. jab akkal thikane aayegi to khud hi call kar legi mujhe. bese bhi wo jyada din tak mujhse baat kiye bina reh hi nahi sakti he.
ajju ki baat sun kar jiya ne ek baar fir khamos rehna hi thik samjha, aur ye khamoshi kaafi jyad lambi ho gai.
Update 086
------------------------
din hafto me aur hafte mahino me kab badal gaye pata hi nahi chala. aur fir mahine bhi yun hi gujarte gaye, aur wo din bhi aa gaya jis din jiya ne ek pyari si beti ko janam diya. sabhi log jiya aur ajju ko badhai dene hospital pahunche, aaj ajju kaafi khush tha, wo to khushi se foola hi nahi sama raha tha par uski khushi tab achanak se gayab ho gai jab manju ne kaha
manju- agar nisha yaha hoti to wo bhi kitna khush hoti, kitna lagav he use bachcho se, jab lucky paida hua tha, tab wo use kaise apne seene se lagaye ghumti rehti thi. ek tarah se uski sagi maa ban gai thi wo. are kisi ne use khabar di ya nahi???? lo sab bhool gaye na??? lao mai hi call kar deti hun
itna bolkar manju ne nisha ko call kiya par ye kya, uska phone lag hi nahi raha tha, manju ne kai baar try kiya par nisha ka call nahi laga. jisi bajah se manju thoda pareshan dikhne lagi. manju ko yun achanak pareshan dekh jiya poochh hi bethi
jiya- kya hua manju didi???????
manju- pata nahi kyun uska call hi nahi lag raha he, kahi usne apna number to change nahi kar diya???? mene bhi usse kai mahino se baat nahi ki he. sayad last time party par meile the hum log monu ke ghar par
itna bolkar manju ne sabke chehare ki taraf dekha ki sayad kisi ke pass nisha ka naya contact number ho, par sayad kisi ke pass uska koi naumber nahi tha. sabhi log hairan the sibay maa, renu, monu aur vikash ke. sayad ye charo nisha ke baare me kuchh jante the. par filhaal batana thik nahi samajh rahe the. vikash ne ek baar renu ki taraf dekha jese wo ijajat maang raha ho kuchh kehne ki, par renu ne na me gardan hila di,
ajju itne dino se to nisha ke baare me hone baali har baat ko taalta aaya tha, par ab baakai me use nisha ki chinta hone lagi thi. use apni galti ka yehsash ho raha tha, aur wo soch raha tha ki
"apni jidd ki bajah se kitna samay gujaar diya usne. aur nisha se contact karne ki kosis bhi nahi ki. wo to yaha ghar par sabke saath rehta aaya hai, aur nisha??? wo bechari baha sabse door farm house par akele rehati he, koi nahi ja pata usse milne baha. ek phone hi to hai jisse wo sabke contact me rehti thi. par kitna samay beet gaya usne nisha se phone par bhi baat nahi ki, par nisha ne bhi to call nahi kiya, to kya hua nisha ne call nahi kiya?? wo naraj thi usse isliye nahi kiya, kam se kam use nisha ko manane ki kosis to karni hi chaiye thi"
yahi sochte sochte aaju bola
ajju- are kisi ki to baat hoti hogi nisha se
ajju ka ishara renu aur maa ki taraf tha, par yaha bhi use nirasha hi haath lagi. kyun ki aaju ke sawal ka jabab renu ne diya. aur jo jabab diya uski ummeed ajju ne nahi ki thi.
renu- nahi kisi ki baat nahi hui he bhabhi se, par aap ki to honi chaiye thi na "ajju bhaiya". aapko pichhle 9 mahino me itna bhi samay nahi mila ki ek baar baat kar ke dekh le, ya fir ek baar milne bhi nahi gaye aap bhabhi se. pehale to aap yese nahi the.
renu ki baat sunkar ajju hadbad gaya. aur isi hadbadahat me wo bola
ajju- wo wo mai... asal me hamara ek chota sa jahgda ho gaya tha, tabhi se meri nisha se baat nahi hui hai
ajju ki baat sunkar ek banawati hanshi hanshi hanshte huye renu boli
renu- yesha bhi kya jhagda bhai???? ki aapne pichhle 9 mahine me ek bhi baar baat karne ki ya milne ki kosis nahi ki
renu ke is tarah se bolne se ajju ko bhi gussa aa gaya, aur wo gusse me hi bola
ajju- to kya hua???? usne bhi to mujhse koi contact karne ki kosis nahi ki.
renu- kya pata bhabhi ne kosis ki ho par kisi ne wo kosis poori hi na hone di ho
itna bolkar renu ne vikash, jiya aur mama ji ko gusse me dekha aur fir apni nazar fer li
ajju- jo bhi ho par wo kam se kam news chanel to aati hi hogi, ya baha to contact me rehti hogi. aakhir news chanel ka kaam yun hi to manage nahi ho raha hoga
ye bolkar ajju ne vikash ki taraf dekha. shayad ye vikash ke liye bolne ka ishara tha, jo vikash samajh bhi gaya. aur aakhir kaar bol hi pada
vikash- wo asal me baat ye he ki .....
vikash apni baat bhi poori nahi kara paya tha ki renu ek baar fir bich me hi bol padi
renu- ji nahi bhai!!!!! bhabhi shadi ke baad jab se yaha se gai he, tab se wo kabhi bhi office mn nahi aai he, aur na hi unhone kisi se kabhi bhi koi contact kiya he. news chanel ka saara kaam mai aur vikash hi samhal rahe he.
renu ki baat sunkar ajju bokhla gaya. aur isi bokhalahat me wo bola
ajju- to to to ab tak tumne mujhe bataya kyun nahi?????
renu badi muskil se ab tak apne gusse ko controll kiye huye the. par ab wo apne upar aur controll nahi rakh saki is liye gusse me bol hi padi
renu- jab aapko unse koi matlab hi nahi rakhna tha, to mai kya karti bhala aapko bata kar. bese bhi jab bhabhi yaha se gai thi to mujhe unhone ek baat sikhai thi, wo ye ki kabhi bhi do logo ke jhagde me apni tang ada kar unki basi basai grasthi barwaad nahi karni chahiye.
renu ke ye sawd ajju ke dil ko kisi garam chaku ki tarah cheer gaye the. use wo saari baate yaad aa rahi thi jo usne nisha se kahi thi. par renu yahi sant nahi hui usne kehna jaari rakha
renu- aur mene aapse bhi kuchh sikha he bhai, aur wo ye ki bina sach jaane kisi ki bhi baato me aakar, apno ko dukh kese pahunchaya jata he. jabki vastvikta usse bhi pata ki ja sakti he jiski grasthi barwad hone ki chinta ho rahi hoti he.
renu ki baat sun kar ajju ko ye baat to clear ho gai thi ki uske aur nisha ke bich ke jhagde baali baat renu ko maloom chal chuki thi. aur renu ki bato se use lagne laga tha ki bina sachchaai jaane usne nisha par bahut bada iljaam laga diya tha. par ab kya kiya ja sakta he, jo ho chuka he use badla to nahi ja sakta tha. par apni galti maan kar fir se riste sudhare ja sakte he. par pata nahi kyun ajju ko ab ajeeb si ghabrahat hone lagi thi. renu ke khamosh hote hi maa boli
maa- kabhi kabhi chhote chhote jhagde bahut bade ho jate he "ajay"
"ajay" ye sawd sunte hi ajju ke saath sabhi log chonk gaye, kyunki maa hamesa hi use ajju keh kar hi bulati thi, par aaj jindgi me pehli baar ajju ne apna naam maa ke muh se suna tha. maa aur renu ne bhale hi ye baat keval ajju se kahi ho, par sir sabhi ke jhuke huye the, kyun ki ajju ki tarah baaki sabhi ne bhi pichhle kai mahino se nisha se contact karne ki koi kosis nahi ki thi.
ek nisha hi thi jo hamesha sab ko pehle se call karti rehti thi. pehli baar yesha hua tha jab nisha ne itne lambe samay tak kisi ko bhi call nahi kiya tha, aur baaki logo ko to jaise yaad hi nahi tha ki koi nisha hai bhi ya nahi. maa ke rection se ab tak khamos bethe mama ji aakhir kaar bol hi pade
mama ji- are tension mat lo.... sayad mobile discharge ho gaya hoaga, ya uske network nahi mil rahe honge, baad me call kar denge. bese bhi ye khushi ka mouka he yesi baato ka nahi, aur haan jiya ke discharge hote hi do din baad mene ghar par party rakkhi he, sabko aana hi padega, mai pehali baar nana bana hun, itna hak to mera banta hi hai, hai na?????
party ki baat sun kar ek baar fir sab khush ho gaye, aur ek baar fir nisha ko un sabhi ne bhula diya. par renu aur maa lagatar gusse me mama ji ko ghoore ja rahi thi.
--------------------------------------------
do din baad ajju ke ghar par party chal rahi thi, nisha ko chhodkar sabhi log baha moujood the aur khoob enjoye kar rahe the. aaj bhi nisha ko baha na dekhkar jiya ne ajju se kaha
jiya- aaj bhi nisha didi nahi aai. unka phone bhi nahi lag raha hai, aapki baat hui kya???
jiya ki baat sun kar ajju ko jaise hosh aaya. 2 din se wo kai baar nisha ko call karne ki kosis kar rha tha, par uska phone switch off hi aa raha tha. aakhir me usne farm house jaane ka nischay kiya, par ye kya wo to khali pada hua tha.
koi nahi tha baha. yesha lag raha tha jaise kai mahino se koi yaha nahi aaya ho, ajju ne andar jakar dekha, sab kuchh besa hi rakkha hua tha, jese pehle rakkha rehta tha, nisha ke kamre me bhi uska saman besea hi rakkha hua tha. bus nisha nahi thi baha. baha rehne baale gaurd aur nokar bhi nahi the baha.
ajju se socha sayad nisha kahi gai hogi, isliye bapis aa gaya tha, aur party enjoy karne laga tha, par ek baar wo sab yaad aate hi use chinta hone lagi thi. usne charo taraf dekha maa aur renu ek side bethi hui thi. unke chehre se dekh kar lag raha tha jaise unhe jabardasti baha roke rakkha gaya ho, kyunki unka jara bhi man baha rukne ka nahi tha. ajju unke pass chala gaya aur bola
ajju- maa nisha ka kuchh pata nahi chal raha he. kaha he wo?????? uska phone bhi switch off aa raha he. mai aaj farm house bhi gaya tha, baha koi bhi nahi tha. aap ko to pata hi hoga kaha he nisha?????
maa ne gusse me ghoor kar ajju ko dekha. ab unke sabra ka bandh toot chuka tha, aur fir pata nahi unhe kya hua... ek jor dar chanta ajju ke gaalon par pada jiski gunj sabhi ko sunai di
"chataaaaaaaaaaaakkkkkkkkkkkkkkkkkk"
maa- tujhe yaad he na????? indore me apne ghutno ke bal baith kar tu apne paap ki saja mang raha tha na mujh se!!!!! tab to mene tuje saja nahi di thi. kyun ki mujhe tumhari baato me sachchai dikh rahi thi, tumhara aur nisha ka sachcha pyaar dikh raha tha. par mai galat thi. aaj mujhe saaf saaf dikhai de raha he ki wo pyaar nahi tha, aur us samay tujhse koi galti nahi hui thi, tune jaan bujh kar wo sab kiya tha, kyun ki tere andar pyaar nahi paap tha... vashna thi..... jab teri vashna nisha se mit gai, to tune dudh me se makkhi ki tarah nikal fenka meri bachchi ko....
ye kehte kehte maa ki aankho me se aanshu aa gaye, aur party bhi ruk gai, party ke rukte hi dhire dhire sabhi log baha ikatthe ho gaye. abhi tak sabhi ne maa ke dwaara ajju ko tappad marte aur usse kuchh kehte hi dekha tha, par suna kisi ne kuchh bhi nahi tha, isliye wo ye samjhne ki kosis kar rahe the ki aakir hua kya he, koi kuchh keh pata usse pehle ajju fir bola
ajju- nahi maa yesha nahi he, us din aap se mene jo bhi kaha aur aap ne mere liye jo bhi mehsoos kiya tha, wo sab sach tha, mai yesha nahi hun maa jesa aap bol rahi ho, mai manta hun ki mujhse galti ho gai he, par please bata do nisha kaha he
maa to jaise gusse se dhadhak rahi thi, unhone apne bag se kuchh documents nikaale aur ajju ko ek ek kar ke dete huye boli
maa- ye lo.... ye NGO ke ke president post se nisha ka resignation aur ye hai jiya ko naya president banane ka request latter, ye bhi lo.... ye news chanel ke saare share nisha ne jiya ke naam karne ke liye power of attorney banwai thi, aur ye bhi lo... uska ghar aur uska sara saamaan with jwelary and cash ko jiya ke naam karne ki power of attorney.... kuchh bhi to nahi chhoda apne pass usne, sab kuchh to de diya he, ab aur kya chahiye tumhe usse jiske liye uske baare me poochh rahe ho
maa ki baat sun kar sab bokhla gaye, sabhi ke chehare par hawaiyan ud rahi thi, kisi ko kuchh bhi samajh me nahi aa raha tha ki kya hua he, 2 din pehale jab nisha ka jikar hua tha to sab ne nisha se contact karne ki kosis ki thi par nisha ka phone switch off aa raha tha. ravi aur manju farm house bhi gaye the, par ajju ki tarah hi unhe bhi baha koi nahi mila tha, par kisi ne ye ummeed bhi nahi ki thi. ajju bahi ghutno ke bal beth gaya aur maa ke pair pakad kar rote huye bola
ajju- maa mera dil bahut ghabra raha he, batao nisha kaha he maa, please bata do maa
maa- kon si maa????? kis ki maa??????? mai teri koi maa nahi hun, mujhe to apne aap par hi ghin aa rahi he ki mene tujhe apna beta mana, tu kisi ka saga nahi he re, profesor sahab thik hi kehte he khoon aur parvarish apna asar to dikhati hi he. tere andar bhi usi khandan ka khoon he jis khandan me prakash sharma urf chief ne janam liya tha, aur chunki wo tere hi chacha the, is liye teri parvarish me kahi na kahi uska bhi haat raha hi hoga, hai na professor sahab??????
ye baat maa ne mama ji ko dekh kar kahi thi, jo is baat se kaafi khus the ki nisha ne sab kuchh jiya ke naam kar diya tha. par maa ki baat se unhe bahut bada jhatka laga tha,
ajju- please maa mujhe maaf kar do mujhse galti ho gai he. aap mujhe maariye par itni badi baat mat kahiye, mai aapka beta hun maa, pleas bata do nisha kaha he
ajju ke yun rone se maa bhi thodi toot gai, aur boli
maa- wo abhagan to kab ki jaa chuki he hum sab ki jindgi se door hamesha hamesha ke liye
ajju- par kyun maa?????
maa- kyun ki wo musibat ban gai thi tumhare liye, tum pish rahe the uski bajah se, isliye tumhari jindgi ki musibat hamesha ke liye door ho gai tumse. ab to khush hoge na tum
ajju- nahi maa ye aap kya keh rahi ho
maa- sach hi to keh rahi hun mai. "musibat" hi to kaha tha na tumne use us din ghar aakar. yaad he ya bhool gaye????? aur nisha ne bhi tumse yahi kaha tha na ki agar mai "musibat" ban gai hun to wo hamesha ke liye door ho jayegi tumhari zindgi se. to lo usne apna vada poora kiya. door ho gai tumhari zindgi se wo hamesha hamesha ke liye
ajju- maa wo to us din gusse me yun hi mere muh se nikal gaya tha
maa- aur usi gusse ki bajah se to nisha tere zindgi se nikal gai
ye bolte bolte maa ki aankho me se bhi aanshu behane lage. fir maa ne ek nazar baha moujood sabhi logo par daali aur boli
maa- aur tu hi kyun yaha moujood har ek inshan nisha ka doshi he. yaha moujood har inshan ne meri bachchi ka dil toda he. use rulaya he. wo jaate jaate apna phone bhi chhod gai thi mere pass. mai us din se lekar 2 din pehale tak har roj use charge kar ke rakhti rahi. is ummeed me ki sayad kabhi kisi ko yaad aaye meri bachhi ki. par 9 mahine ho gaye kisi bhi ek inshan ka phone nahi aaya us number par. kabhi kisi ek inshan ke man me uska khyaal tak nahi aaya. kyun kisi ne nahi socha ki jo nisha har dushre din use call karti thi kyun usne itne lambe samay tak kisi ko call nahi kiya. kya itni buri thi nisha????? kya sach me meri bachchi ki kisi ko koi jaroorat hi nahi he??? shayd wo ye baat achchhi tarah se jaan gai thi. isi liye chali gai wo hum sab se door.
maa is samay poori tarah se gusse me thi. sabhi log apana sir latkaye usnke charo tarf khade the, aur ajju ghutno ke bal maa ke pairo me betha ro raha tha. jiya ne ajju ke kandhe par hath rakkha aur kaha
jiya- kuchh nahi hoga nisha di ko, hum dhund lenge unhe mujhe yakeen he aap jaroor unhe dhund lenge
jiya ki baat se ajju ko jese asha ki nai kiran dikhaai di
ajju- haan hum use jaroor dhund lenge... mai kese bhi use dhoond lunga.....
aur fir ajju monu ke pass pahuncha
ajju- monu mere bhai tum batao tumhe jaroor kuchh pata chala hoga nisha ke baare me, kuchh bhi jo pata chala ho
monu- naahi yaar kuchh bhi pata nahi chala he, mene labhag sabhi tano me aur ass pass ke sabhi rajyon me nisha di ki photo bheji he, par kuchh pata nahi chala he.
monu ki baat sunkar ajju bokhla gaya. aur wo jor jor se raghu ko bulane laga
ajju- raghuuuuuuuuuuuu kaha ho?????????? raghuuuuuuuuuuu
ragu turant ajju ke saamne aa gaya
ragu- jee bhai
ajju- hamari security compony me jitne bhi gaurd he chahe delhi ke ho ya kisi aur city ke sab ko nisha ki photo bhejo, aur unse kaho ki kahi bhi nisha dikhe turant mujhe phon kare,
raghu- jee bhai
ajju- aur jo gaurd reserve me hai unhe alag alag seharo me bhej do nisha ko dhundne ke liye, aur form house par jitne bhi gaurd aur noukar the unhe kal office bula lo mujhe unse bhi milna he
raghu- jee bhai
fir ajju varun ki taraf muda
ajju- varun jitne bhi private detective delhi me ho sab ko buk kar lo... mai kal hi office me unse milunga. aur dushre seharo se bhi jitne detectives book kar sakte ho kar lo
varun- thik he sir
fir ajju vikash ki tarf muda
ajju- vikash tum aaj se hi nisha ki pic apne chanel par dikhana suru kar do. aur nisha ko dhundne baale ko muh maga inaam dene ki ghoshna kar do. aur ho sake to dushre news chanel baalon se bhi contact kar lo, unka jitna bhi charge hoga hum denge
vikash- thik he sir
ye sab karne ke baad bhi ajju ko koi rahat nahi mili, uski sanse bahut tej chal rahi thi, uske andar kuchh toot raha tha, ek ajeeb si tadap ho rahi thi, ek ajeeb si baichaini thi uske andar. use kuchh aur samjh me nahi aaya to baha rakkhi sarab ki botalon ke pass ja pahuncha. aur ek botal utha kar yun hi neet peene laga.
aaj kai dino ke baad logo ne ajju ka ye roop dekha tha. kisi ki bhi himmat use rokne ki nahi ho rahi thi. jab ek ke baad ek botale khali hone lagi to jiya ajju ke pass pahunchi aur use rokte huye boli
jiya- ab bas bhi kijiye.... aap kaafi pee chuke he
ajju ne jiya ki taraf dekha aur muskura kar bola
ajju- thodi peene se kuchh nahi hota hai na jaan
ajju ki baat sunkar jiya ko jhatka laga use yaad aaya ki-
"jab nisha di shadi par ajju ko sarab peene se rok rahi thi, tab usne nisha se yahi kaha tha. par wo baat aaj kyun ajju ko yaad aai, kahi wo ye to nahi soch rahe ki nisha di ke jaane ke liye mai bhi jimmedar hun, par maine kya kiya he??? kya ye inki hatasha he??? ya nashe ki bajah se inhe wo saari baate yaad aa rahi he, jin jin baato ne nisha di ko heart kiya he?????"
jiya abhi soch hi rahi thi ki tabhi paalne me so rahi uski beti ke rone ki awaj aai, jiya dod kar uske pass gai aur use chup karaane ki kosis karne lagi, par wo chup hone ka naam hi nahi le rahi thi, tabhi manju ke muh se nikal gaya
manju- kash nisha hoti to wo minto me ise chup kara deti, kitni baar hi usne loriyan suna suna kar lucky ko sulaya he
ye bolte hi manju ko ye yehsas hua ki uske muh se galat samay par galat baat nikal gai he. par ajju par uski baat ka asar ho chuka tha, wo jiya ke pass gaya aur apni bachchi ko jiya ki god se le liya aur ek gana gun gunane laga.
Ek chiraiya ghonsle ko chhod udd udd jaaye
Aur ye soche kaash aisa ho kadam mud jaaye
Ik chiraiya ghonsle ko chhod ud ud jaaye
Aur ye soche kaash aisa ho kadam mud jaaye
Tinka tinka kar batora aur banaaya ghar
Par samay ki barishon ne kar diya beghar
Kar diya beghar.. kar diya begharr..
O musafir dheer dhar
Aayega sooraj idhar
Kaahe bhaage.. kaahe bhaage..
Door jitna jaayega
Laut phir naa paayega
Kaahe bhaage.. kaahe bhaage..
Ek charraiya ko paraaya des kaise bhaaye
Gaaon ka peepal puraana yaad usko aaye
Tinka tinka kar batora aur banaaya gharr
Par samay ki barishon ne kar diya begharr
Kar diya beghar.. kar diya begharr..
Yeh jo asuan ki ladi
Beh rahi hai har ghadi
Tere aage.. tere aage..
Yaad rakh har mod par
Ek nayi subah khadi
Kaahe bhage.. kaahe bhaage..
Ik chiraiya aansuon se lad jhagad so jaaye
Raah pathreeli hai lekin hausla na jaaye
Tinka tinka kar batora aur banaaya gharr
Par samay ki baarishon ne kar diya begharr
Kar diya beghar.. kar diya begharr..
BadhiaupdateUpdate 087
--------------------
gana khatam hote hote bachchi so chuki thi, ajju ne use fir se jiya ko de diya taaki jiya use bapis lita de. sabhi log ajju ko dekhe jaa rahe the, aaj varsho baad unhone ajju ko gaate suna tha, par khushi se nahi dukh me. ek baar fir ajju bahi toota hua ajju lag raha tha jab jiya ke jaane ke baad wo toota tha
sabhi logo ko apne aap par gussa aa raha tha, kyunki kahi na kahi ajju ki is haalat ke wo bhi jimmedar the, unhone kyun ajju aur nisha ke bich ki doori ko door karne ki kosis nahi ki, kyun itna jyada bussy ho gaye ki nisha ko lagbhag bhula hi diya, aur nisha sab se itni door ho gai. par wo filhaal nisha ko dhundne me ajju ki madad ke alawa kuchh nahi kar sakte the.
ek ek kar ke sabhi ajju aur jiya se vida lekar chale gaye. ghar ke baaki log bhi ek ek kar ke sone chale gaye, jiya bhi apni bachchi ko lekar room me ja chuki thi, par jaane se pehle usne ajju ko bhi chalne ke liye kaha tha, par ajju ne "baad me aata hu" keh kar taal diya tha.
ab keval ajju hi reh gaya tha neeche haal me betha, akela aur tanha, use bachpan se lekar ab tak ki nisha ke saath bitaye har pal ki yaad aa rahi thi, wo man hi man apne aap ko kosh bhi raha tha
"kyun akhir kyun usne us din nisha se jhagda kiya???? aakhir manga hi kya tha usne???? bus thoda sa samay. kitne dino se bol rahi thi wo ki kuchh jaroori baat karni he, par mouka hi nahi mil raha tha, wo bechari har baar ajju ki pareshani samajh kar apni baat taal jati thi. to kya gunah kar diya tha usne jo yun urgent bula liya???? uska hak tha mujh par, par maine kya kiya uske saath???? uska dil tod diya, aakir mere alawa hai hi kon uska is duniya me???? sahi keh rahi thi maa, wo abhagan hi to hai, janam lete hi maa baap se door ho gai, jisne pala bahi jaan ka dushman ban gaya, aur uske mata pita ka katil nikla, jinhe saga bhai behan mana unhone gunde bhej kar uska rape karwane ki kosis ki, jo saga bhai tha usse pyaar kar bethi, aur fir usne bhi saath chhod diya. haan me apraadhi hun, gunehgaar hun nisha ka, mujhe prayschit karna hi hoga, nisha ko dhundna hoga aur agar wo nahi mili to khud ko hi mita lunga"
yesaha bahut kuchh ajju saari raat sochta raha, aur wahi sofe par betha betha so gaya.
-------------------------------------------------
agle din se hi ajju nisha ko dhundne me lag gaya. usne har us jagah par nisha ki talash ki jaha nisha ke hone ki thodi bhi sambhavna thi. par har jagah se use nirasha hi haath lagi. usne har wo kosis ki jo wo kar sakta tha. par har baar use nirasha hi mili. din gujarte gaye din mahino me aur mahine saal me badal gaye, par ajju ko nisha ki koi jaankaari nahi mili. ajju nisha ke yun achanak gayab hone par khud ko doshi maan raha tha. aur ishi bajah se wo andar hi andar tootne laga. aur fir ek samay yesha aaya jab ajju ne haar maan li. wo poori tarah se toot gaya. aur usne apne aap ko sharab ke nashe me poori tharah se dubo liya.
ajju ne kai baar maa aur renu se nisha ke baare me jaanne ki kosis ki, par in dono ne na keval nisha ke baare me kuchh bhi batane se inkaar kar diya, balki har baar ajju ko uske kiye par sarminda bhi kiya. maa aur renu ka vartav ab ajju ke prati pehale jesha nahi reh gaya tha. wo dono ab ajju ko ya to ignore kar deti thi, ya usse na ke barabar hi baat karti thi. aur jitni bhi baat karti wo sabhi dil ko chuvne baali hi karti thi.
nisha ke jaane ke baad maa aur renu ne na keval ajju se baat karna band kar diya tha balki un dono ne jiya se bhi baat karna bhi poori tarah se band kar diya tha. jiya ne kai baar maa aur renu se baat karne ki kosis ki, par un dono ne jiya se ek sawd bhi nahi bola tha.
renu aur vikash ka rista bhi fir kabhi samanya nahi ho paya. duniya ki nazar me bhale hi dono pati patni the, par undono ke bich wo rista keval naam matra ka hi reh gaya tha. dono ek ghar me rehate huye bhi ek dushre ke liye ajnabi ho gaye the. halanki vikash ne kai baar kosis ki par uska koi natija nahi nikla. ulta jab bhi vikash riste ko sudharne ki kosis karta, un dono ka rista aur bhi jyada kharab ho jata. par vikash ne haar nahi mani thi. renu aur vikash ke jhagde ke baad se maa ne kabhi bhi vikash se baat nahi ki thi.
halanki maa ne ye baat monu aur uncle ko nahi batai thi, par divya ki nazar se ye chhipa nahi reh saka tha. par divya ne is matter me kuchh bhi bolna thik nahi samjha, suru suru me to divya ne yahi samjha ki pati patni ka samanya jhagda he, par ab use bhi baat ki gambeerta ka yehsash hone ;aga tha.
sabhi log nisha ke yun chale jaane se dukhi the. aur unhone apne apne star par kosis bhi ki thi. lekin sabhi log ek samay aane par haar maan chuke the. par is sab se agar koi inshan khush tha to wo mama ji the. nisha ke yun chale jaane se unpar koi fark nahi pada tha, balki wo ab pehale se jyada khush rehane lage the. par ajju ne mama ji se baat karna lagbhag band kar diya tha.
is sab ka jiya aur ajju ke riste par bhi asar pada tha. halanki nisha ko khojne ke junoon me ajju jiya aur apni bachchi ke prati apne kartavya ko nahi bhula tha. par us ghatna ke baad un dono ke bich kabhi bhi physical relation nahi bane the. kyun ki ajju raat me us haalt me hota hi nahi tha. aur jiya ne bi kabhi is sab ki kosis nahi ki thi.
maa banne ke lagbhag 1 saal baad hi jiya ne office jana fir se suru kar diya tha. uska karan na keval ajju ka nashe me poori tarah se doob jana tha, balki jiya khud ko office me bussy rakh kar nisha ki yado ko kuchh palo ke liye apne se door karna bhi tha. is bure wakt me agar ajju ke chehare par kabhi muskan aai thi, to wo bus apni bachchi radha ke samne hi aai thi.
---------------------------------------------------
dekhte hi dekhte 3 saal se bhi jyada samay gujar gaya, par nisha ka koi pata nahi chala. kal ki raat bhi ek besi hi raat thi, jesi nisha ke jaane ke baad aksar sabhi logo ko dekhne ko milti thi. 2 din pehale ajju ka birthday tha. nisha ke jaane ke baad ajju ne apna birthday celebrate nahi kiya tha. kyun ki nisha aur ajju ka birthday ek hi din padta he. isliye wo us din sab logo se door akele me nashe me doob jata tha.
par is baar wo us din achanak se gayab ho gaya. jab ajju poori raat ghar bapis nahi aaya to jiya ne monu ko call kiya, jesa ki wo hamesh karti aai he. monu, vikash aur ravi bhai ne ajju ko kai jagah dhunda aur aakhir me wo un sab ko apne farm house par nashe ki haalt me mil hi gaya. ye log use usi haalat me hamesh ki tarah ghar le aaye the. aur bechari jiya ajju ki is halat par poori raat roti rahi thi.
subhay subhay ajju ki neend jaldi khul gai. aur wo tarrace par jakar ugate huye sooraj ko dekhne laga. aur bahi bethe bethe apni yaado me gum ho gaya. jab wo apne yado se bahar aaya to usne apne pass me jiya ko bethe paya, jiski aankho me is wakt aanshu the. ajju ko apni taraf dekhta paakar jiya ne turant apne aanshu poonchhe. aur ajju ki taraf cofee bada di. ajju jiya se coffe lete huye bola
ajju- tum!!!! tum kab aai????
jiya- bus abhi abhi
jiya ka jabab sun kar ajju ne kuchh nahi kaha, aur cofee ship karne laga. jabki jiya ajju ko hi dekhe jaa rahi thi. jiya ko yun apni taraf dekhte pakar ajju ne prashan bhari nigah se jiya ki taraf dekha. jiske jabab me jiya keval itna bol saki
jiya- kab tak????
jiya ke sawal ko sunkar ajju ne ek gehari sansh li aur jiya ki aankho me dekhte huye bola
ajju- jab tak ki mujhe nisha mil nahi jaati
jiya- par is prakar nashe hi haalt me aap nisha di ko nahi dhund sakte. unhe dhundne ke liye aapka hosh me rehana jaroori he. ye sarab nisha di ko dhundne me aapki koi sahayta nahi kar sakti
ajju- tum nahi samjhogi jiya ye sarab meri kitni sahayta karti he. ye meri mere gum ko bhulane me sahayta karti he. ye mujhe meri galti ka yehsash bhulane me sahayta karti he. ye mujhe us pal ko bhulane me sahayta karti he jab mene nisha ko heart kiya. ye mujhe har us baat ko bhulane me sahayta karti he jo mene 3 saal pehale kiya. ye sarab mujhe apne aap ko bhulane me sahayta karti he. ye mujhe mere jinda hone ke yehsash ko bhulane me sahayta karti he. ye sarab meri har us parakr se sahayta karti he jo koi nahi karsakta.
ajju ki baat sunkar jiya ek gehari sansh lekar reh gai. ye pehali baar nahi he jab jiya ne ajju ko sarab peene se roka ho. wo kai baar ajju ko rok chuki he. par har baar ajju yesha hi kuchh jabab dekhar jiya ko khamosh kar deta he. kuchh der ki khamoshi ko ek baar fir jiya ne toda.
jiya- aap kab tak yun hi nisha di ko dhundte rahoge??? agar unhe milna hota to ab tak mil chuki hoti. apne har jagah to dhund liya he unhe.
ajju- har jagah nahi dhunda he mene. ye duniya bahut badi he. mai nisha ko dhundte dhundte duniya ke aakhri chhor tak bhi jaunga. par use dhunduga jaroor. ab mere zinda rehane ka keval ek hi uddesh he, aur wo he nisha ki talash. jis din mene nisha ko talash karne ki kosis band kar di, samajh lene wo din meri zindgi ka aakhri din he.
ek baar fir ajju ne jiya ko kehane ke liye kuchh bhi nahi chhoda tha. is liye jiya ne is baat ko taalna hi thik samjha aur boli
jiya- aap taiyaar ho jaiye. aaj hame radha ke school me jana he parents meet ke liye.
ajju- tum chali jao na.... mera kya kaam baha par
jiya- nahi principle ne hum dono ko hi baha bulaya he.
itna bolkar jiya cofee ka khali cup utha kar baha se chali gai. aur ajju use jate huye yun hi dekhta raha.
---------------------------------------------------
jis din monu, vikash aur ravi ajju ko form house se bapis laaye the. usi din se jiya ne tay kar liya tha. ki ab wo khud hi nisha ke baare me pata kar ke rahegi. wo ab aur ajju ko is haalt me nahi dekh sakti he. par use samajh me nahi aa raha tha ki suruaat kaha se kare. jiya ne sabhi logo se ek ek kar ke nisha ke baare me jankari ikatthi karni suru kar di thi. par ab tak use yesha kuchh khash pata nahi chala tha, jiske aadhar par wo nisha ki talash kar sake.
ab bus 4 hi log bache the. pehala ajju jo ki nisha ke baare me khud hi pata karta fir raha tha. dushre uske papa pro. narayan jo ki jiya ko umra ka bahana bana kar ye bol kar taal dete the, ki unhe yaad nahi he. is liye in dono se baat karne se koi fayda nahi tha. ab keval 2 log hi bache the maa aur renu. par ye dono hi jiya se baat nahi karti thi.
jab bhi jiya unse milne jaati to wo dono baha se bina kuchh kahe hi chali jaati thi. aur agar kabhi jiya phone kare to jiya ka number dekh kar phone hi recive nahi karti thi. is liye aaj jiya market se ek naya sim card khareed kar laai thi. taaki kam se kam unknown number ko dekh kar wo log uska phone recive to kar le. jiya ne naya sim card apne phone me insert kiya, aur sabse pehale renu ko call kiya. unknown number dekh kar renu ne call recive kar li aur boli
renu- hello kon?????
jiya- renu mai...
jiya ki awaaj pehchante hi renu ne phone cut kar diya. jiya ne fir se call kiya par call recive nahi hui. par jiya lagatar call karti rahi aur aakhir me call recive hua, par dushri taraf vikash tha
vikash- hello kon?????
jiya- vikash me jiya bol rahi hun
vikash- haan jiya kaisi ho??? aur ye kon sa number he
jiya- are mujhe renu se baat karni thi, par wo mera number dekhte hi ya to tumhe phone de deti he, ya phone cut kar deti he. isliye mene ye naya number liya tha. par meri awaaj sunte hi usne phone cut kar diya, aur ab tum baat kar rahe ho mujhse.
vikash- uska kuchh bhi smajh me nahi aata, mujhe batao kya baat he?????
jiya- are bahi nisha di ke baare me baat karni thi
vikash- thik he mai kosis karta hun, ek baar fir se usse nisha mem ke baare me janne ki. sayad is baar wo kuchh bata de mujhe
vikash ki baat sunkar jiya ne ek gehari sansh li aur boli
jiya- thik he vikash, agar nisha di ke baare me tumhe kuchh bhi pata chale to mujhe jaroor batana.
itna bolkar jiya ne phone cut kar diya. fir kuchh soch kar jiya taiyaar hokar ghar se nikal gai. aur sidhe monu ke ghar ja pahunchi.
----------------------------------------------
mama ji aur monu ghar par nahi the. divya ghar ke dushre kaamo me bussy thi. jab se uski shadi hui thi usne apni job chhod di thi, aur full time house wife ban kar hi reh rahi thi. divya ko yese hi rehana pasand tha, halanki monu aur baaki logo ki taraf se use poori chhoot mili hui thi, ki agar chahe to wo job kar sakti he. jabki maa is wakt TV dekh rahi thi, unhone jiya ko dekh liya tha par poori tarah se ignore kar diya tha. jiya sidhe unke pass pahunchi
jiya- kaisi ho mami ji?????
maa ne jiya ko dekhe bina hi divya ko awaj lagai
maa- divya beta..... tumse milne koi aaya he
par aaj jiya soch kar aai thi ki wo maa se baat karke hi jayegi. is liye wo boli
jiya- mujhe divya se nahi aap se kaam he mami, mai yaha aap se baat karne aai hun
maa ne kuchh bhi jabab nahi diya aur TV dekti rahi
jiya- mami aakhir aap mujhe kis galti ki saja de rahi ho???? haan mai manti hun ki mene nisha di ko heart kiya tha. par wo meri bajah se hame chhod kar nahi gai he, aur sach poochho to inki bhi itni badi galti nahi thi, jo hua wo galat hua, aur uski saja bhi hame kaafi mil chuki he, ab to hame maaf kar do please.....
maa ne ek baar fir khamoshi ka hi sahara liya. par jiya haar manne ke liye nahi aai thi, wo fir boli
jiya- kuchh to kaho mami ji
aakhir kaar maa bol hi padi
maa- galti to tumhari he jiya. jab nisha thi to tumne apne aap ko kabil banane ki jagah nisha se comptition karne ki kosis ki. chalo yaha tak to sab thik tha, par tumhare andar uski bajah se jo jalan ki bhavna aa gai thi, bahi se tum galat ho gai thi. iske baad tumne jo kuchh bhi kiya agar use chhod bhi diya jaaye to tumhari dushri sabse badi galti ye thi, ki vikash aur renu ke honymoon ke samay tumne vikash ke jhagde ki jo jhoothi khabar ajju ko di, usne hi nisha ko sab se door karne me aham bhumika nibhai he.
maa kuchh pal khamosh rahi aur fir boli
maa- ab yaha do bate ho sakti he, ya to vikash galat ho sakta he, jisne tumhe sach nahi bataya aur nisha ne uske saath jo kiya uska badla lene ke liye tumhe mohra banaya, ya fir tum vikash ke baare me sab pehale se hi janti thi. aur jab nisha ko uske baare me pata chala, to vikash ne tumhe ye bata diya hoga, aur tum ye baat achchhi tarah se janti thi, ki nisha ye baat kisi ko nahi batayegi, isliye mouke ka fayda uthate huye tumne ajay ko jhuthi kahani suna di.
maa ki baat sun kar jiya ka chehra sharam se jhuk gaya
maa- ab tum sach sach batao ki hakikat kya he
jiya- haan mami ye sach he ki mujhe vikash ke baare me sab kuchh pehle se pata tha. par wo sudhar gaya tha. jab nisha di ko is baare me pata chala to mai dar gai thi. mujhe laga ki nisha di ye baat sab ko bata dengi, jiski bajah se ya to sab ka gussa mujh par tootega, ya mere bhai ka ghar toot jayega. bus isliye mene ajju se chhota sa jhoot bol diya tha. par iska parinaam ye hoga mene kabhi nahi socha tha,
maa- to kya nisha ke jaane ke baad tumne ajju ko sab sach bata diya.
jiya- haan mami mene unhe sab sach sach bata diya tha. par uska natija ye hua ki unhone mujhse to kuchh nahi kaha, par apne aap ko aur bhi jyada nashe me dubo liya.
maa- chalo ek pal ke liye maan lete he ki galti tumhari bhale hi na ho jiya, par nisha ke jaane ka karan tum jaroor ho, aur tum ye baat janti bhi nahi ho
jiya- par kyun mami??? kyun koi mujhe karan nahi batata???? kyun koi nisha di ke past ke baare me nahi batata???? mujhe yakeen he unke gayab hone ke pichhe unka past hi he. please aap batao na unki shadi ke baare me
maa- agar ye sawal tum apne pita se, ya fir apne pati se jakar karo to sayad tumhe koi fayda ho. mujhse to is sawal ke jabab ki ummeed hi mat karna.
jiya- par mami wo mujhe kuchh bhi nahi bata rahe he, ye to nisha di ke baare me baat karte hi khamosh ho jaate he, jyada kuredo to bolte he ki mene nisha se vada kiya he, aur papa bolte he ki unhe nisha didi ki shadi ke baare me kuchh bhi yaad nahi
jiya ki baat sunkar maa jor jor se hasne lagi
maa- professor sahab ko yaad nahi he!!!!!! ha ha ha ha ha..........
fir achank se maa khamosh ho gai aur boli
maa- haan ho sakta he umar ho gai he unki. bese tumhe bata dun ki tumhare baap ne hi nisha ka kanyadaan kiya tha. koi bhala kaise bhool sakta he ye baat. sach baat to ye he ki wo tumhe kuchh batana hi nahi chate. isliye yaad nahi he bol kar taal dete he. socho us din ki us shadi ki baaki saari baate unhe yaad he, bus ye yaad nahi he ki nisha ki shadi kis se hui thi. achchha majak he.
ye bolkar maa ek baar fir hasne lagi
maa- ha ha ha ha ha ha...........
maa aur jiya ki baate chal hi rahi thi, tab tak divya bhi baha aa chuki thi, jiya divya ko dekh kar boli
jiya- divya kam se kam tum hi mujhe bata do ki sach kya he????
jiya ki baat sunkar divya ne kaha
divya- sorry jiya mai tumhari help to karna chahti hun, par majboor hun, mene inse aur nisha di se vada kiya he
divya ki baat sunkar jiya ek baar fir nirash hokar baha se chali aai, par is baar use kam se kam ye to pata chal hi gaya tha ki
"papa sab jante he par bata nahi rahe he"
"par kyun?????"
ye sawal jiya ke man me chal raha tha, sayad isi sawal me nisha ke gayab hone ka raaz bhi chhipa tha.