Episode 114
jab lata chachi mere pass aayi to sar jhuka ke baith gayi. mai bhi bilkul ek achhe beautician ki tarah bin unke saath ched chad kiye achhe se unke chehre pe cream laga diya fir hath pair me bhi jo thode bahut hair the unko clean karke body lotion laga diya. wo 10 minut fir isi tarah leti rahi jab lotion sukhne laga tab mai unko bola-aab aap jakar naha lo sara kaam ho gaya hai.
lata chachi nahane chalai gayi. aur jab naha kar aayi to sachme cream ki wajah se unka chehra hath pair pahle se jada glow kar raha tha jise dekh kar chachi khus ho gayi aur mujhe 3-4 baar thank you boli.
mai bas unko khush dekhkar khush ho raha tha. wo apne aap ko pahle se jada gora dekhkar kaafi khush thi aur abhi kuch der pahle jo kuch hua tha use wo bhul chuki thi. fir chachi bhi ghar chal di mai bhi manohar ji ka ghar band karke apne ghar chal diya kyunki subah se mai kuch khaya nahi tha.
mai jab ghar me apne room me gaya to achanak se mere room me vina ji aa gayi.
mai-kya baat hai vina ji,
vina-dekho raja please kuch bhi karke aaj samay niklao. mai tumhe pyaar karna chahti hoon bahut sara pyaar dena chahti hoon. tum khush ho jaoge tab hi to mere sapne pure honge. waise bhi mera ab ghar me man nahi lagta kab tak mai us ghar me apne maa papa bhai bhabhi ke saath rahungi. meri umar bhi to ho gayi hai mujhe bhi pyaar ki jarurat hai. please raja man jao na.
mai bola-haan haan mai aaj raat ke liye kuhc karta hoon. aap bilkul bhi chinta mat kijiye.
vina man me sochi-ek baar tum khush ho jao raja tabhi to mai baba ke kripa se amir ban jaungi. fir apne maa papa bhai bhabhi se door mast jindagi jiyungi.
mai jab vina ji ka chehra dekha to usme mujhe lalach aur hawas dono najar aaya aur mai soch me pad gaya ki agar kal ko ye galti se bhi amir ban gayi to kya kabhi meri aur mere didi ki ijjat karegi. kahi aisa na ho ki kal ko ye amir ban jaye aur kisi baat pe didi se naraja ho jaye to us eaur pareshan kar de. ye sochte hi mere dimag me bahut sare sawal aane lage ki bhavisya me ya hoga kahi ye mere didi ki khusiyon ke raste me na aa jaye. abhi mai ye soch hi raha tha ki maa bhar se awaj deti hui aayi aur boli-nasta kha lo raja saath hi wo vina ji ko bhi khane ke liye bol ke gayi.
mai kha to raha tha lekin soch bhi raha tha ki kuch aisa karna hoga jis se vina humesha didi ke niche hi rahe kabhi bhi unse upar na pahuch paye. ye sba sochte hue khana khaya aur fir kaam karne ke liye lata chachi ke ghar aaya.
jab mai unke gate ke pass pahucha to dekha sravan bhai nam ankho se gate se bahar jaa rahe the. mai andar gaya to dekha tin char family ke log aaye hue the yani lagbhag 12-15 log aa gaye the. lata chachi aur vimal ji sabse mil rahe the sabse baate kar rahe the lekin sravan bhai itna udas hoke kyun nikle ye pata nahi chal paa raha tha aur ye baat mujhe pareshan kar raha tha kyunki unke bahan ki shaadi ho rahi hai to unko khush hona chahiye na ki dukhi. isliye mai ek baar lata chachi ko ishare se storeroom ki taraf bulaya.
lata chachi bhi apne mehmano se baat karte karte ek minut me aati hoon bolkar mere pass aa gayi.
lata chachi boli-kya baat hai raja kuch kaam hai kya.
mai bola-ye sravan bhaiya ko kya hua.
lata chachi thoda sa gusse wala mooh bana ke ek ladki ki taraf dikha kar boli-wo aayi hai na chudail use dekh kar hi sravan udas hua hai. ab kya kare vimal ji inke parivaar ko bahut dino se jante hai to formality ke liye bulana to padta hi hai. aur dekho ye log bhi mooh utha ke aa gaye. aur fir lata chachi udhar chal di kyun ki kaam ab dheere dheere badh raha tha aur sravan bhai bhi nahi the.
mai samajh gaya jarur ye ladki sravan bhai ki ye girlfriend hi hogi tabhi to wo itna udas ho kar gaye hai. lekin abhi ke samay unka udas hona sahi nahi tha.
mai wahan se nikla aur sravan bhai ko dhundhne laga unko dhundhte dhundhte mai gaav ke pass wale saaf pani ke talab ke pass pahuch gaya jahan ek ped ke niche sravan bhai baithe hue the.
aur unke ankhon se ashu bah raha tha.
mai unke pass gaya aur bola-kya hua bhaiya aap ro kyun rahe hai.
mujhe dekhte hi sravan bhai apni ashoon pochn elage aur bole-tumhe in sab chijo ke baare me nahi sochna chahiye. meri niyati me yahi likha hai ki mai pinky ke pyaar ke bina hi jiyu.
mai samajh gaya us ladki ka naam pinky hai.
mai kuch socha aur bola-arey aap dukhi kyun ho duniya me hajaro log aate hai jate hai lekin jindagi to nahi rukti na. mujhe hi dkeh lijiye humare papa is duniya se chale gaye to kya maine , maane ya didi ne ya bhaiya logon ne apni jindagi chod di kya. hum bhi to ji rahe hai na aur dheere dheere apni khushiyon ko dhundh rahe hai na. aap ko bhi to apni khushi dhundhani chahiye na. sravni di ki shaadi hone wali hai aur aap yahan ro rahe ho.
sravan bhai bole-tera dil nahi toota hai na chote aaj tak isliye tu itni badi badi baate kar raha hai.
mai-agar aap itna hi pyaar karte hai pinky se aur wo bhi aap se pyaar karti hai to dono shaadi kar lijiye. aur agara sirf aap pyaar karte ho wo dhokhebaaj hai to unko bhool jaiye. unke dhokhe me kya aap apna pura parivaar barbaad kar doge. sravni di ki shaadi barbaad kar doge.
sravan bhai bole-na mai dhokhebaaj hoon na wo dhokhebaaj hai dhokhebaaj to humari kismat hai. hum dono alag jaati ke hai aur mai koi bahut bada rahish aadmi bhi nahi ki paiso se uske baap ko lalach de saku. aur waise bhi uski shaadi tay ho chuki hai wo bhi nilesh ke saath jo tumhare didi ke sasuraal ke pass hi rahta hai.
jaise hi sravan bhai ne nilesh ka naam liya mere dil aur dimag dono ne bola-yahi time hai is se achha mouka nahi milega.
tabhi mera dimag bola-ye galat hai mujhe aisa nahi karna chahiye.
tabhi fir se dimag bola-arey bhad me jaye sahi galat jindagi me khusiyon ka hona jaruri hai.
mai sravan bhai ko bola-kya pinky ki shaadi kisi aur se ho jaye aur fir uska divorce ho jaye fir bhi aap unko apna lenge.
sravan bhai bole-mai use har halat me apna lunga bas wo ek baar bol ke to dekhe.
jaise mai ye suna man me bola-waah re pyaaar.
ek sunil hai jo paise ke pcihe pagal hai aur ye hai jo apne pyaar ke piche pagal hai. ek vina hai jo apne sapno ke piche pagal hai aur ek mai hoon jo apni didi ki khushiyon ke liye pagal hoon. ab jab itne saare pagal ek saath mil jaye to kuch to aisa karna hi chahiye jo kisi ne na socha ho.
mai sravan bhai ko bola-kya aapko lagta hai ki pinky ji abhi bhi aapko chahti hai.
sravan bhai bole-chote mai apne pyaar ko achhe se samajhta hoon mujhe lagta wagta nahi hai mujhe pura yakin hai ki pinky bhi mujhse pyaar karti hai lekin uski jaat mere se alag hai aur wo apne papa se darti hai isliye usne mujhse rista tod liya.
mai aapko apki pinky dila dunga ye mera wada hai lekin aapko bhi kuch karna padega mere liye. aur haan jo kuch bhi hoga wo bahut muskil ho sakta hai.
sravan bhai ko meri baato me ek ummid dikha aur wo pyaar me fuke hue majnu ki tarah mere haath pakad liye aur bole-mai kuch bhi kar sakta hoon pinky ke liye.
mai-kuch bhi.
sravan-haan kuch bhi.
mai-soch lijiye kuch bhi matlab kuch bhi.
sravan-haan haan kuch bhi.
mere chehre pe badi si smile aa gayi.
mai-aap vina se shaadi kar lo.
sravan-kya..........
mai unko bola ye serial ke hero ki tarah drame band karo aur fir mai unke kaan me kuch kuch bola.
jab meri puri baat wo sune ko to unke kaan se dhua niklane lag jaye aisa halat ho gaya tha unka.
mai sravan bhai ko bola-manjoor hai.
sravan bhai meri baat sunkar shock me jarur the lekin khush bhi bahut the wo bole-manjoor hai.
mai bola-to rona dhona band kijiye aur man lagakar bahan ki shaadi karaiye wo bhi khushi khushi kyunki 6 mahine me aapki shaadi vina ji ke saath hone wala hai.
wo mujhe kas ke gale laga liye aur bola-6 mahine kyun agle hafte hi kar lete hai.
mai-pagal mat baniye shaadi ke process me 6 mahine to lag hi jayega aapke maa papa unke maa papa se batchit karenge fir kuch soch vichar hoga fir lene dene ki baat hogi fir shaadi ka muhurt tay hoga fir aapke sapne poore honge samjhe ab jaiye.
meri baat sunkar sravan bhai khushi se doudte hue apne ghar ki ore bhage mai bhi haste hue lata chachi ke ghar jane laga.