Naik
Well-Known Member
- 21,507
- 77,372
- 258
Bahot behtareenUpdate 4
Next day Midoriya ready ho gaya tha UA High ke practical exam ke liye. Jane se pehle Inko ne usse puri tarah se check kiya aur usse best of luck kaha.
Kyo UA Hight Midoriya ke ghar se kaafi distance par tha is liye Midoriya public transport se UA High chala gaya.
Kuch der baad Midoriya UA High ke samne khada tha aur uske building ko dekh raha tha. Jo kaafi badi thi.
Usse abhi bhi believe nahi ho raha tha ke vo written test mei pass ho gaya tha aur aaj practical exam dene aaya tha. Uske aaspas bhi uske same age ke students UA High ke gate se andar jaa rahe the.
Midoriya bhi andar chala gaya. Andar aane ke baad Midoriya ko kuch signs dikhe jispar UA Entrance Exam Location likha hua tha. Vo un sabhi signs ko follow karte hue aage badhne lag gaya aur ek auditorium mei chala gaya jaha par usse kuch papers mile.
Kuch der ke baad vo auditorium puri tarah se full ho gaya aur uske doors bhi close ho gaye. Even waha ki lights tak ko off kar diya tha sirf stage ke light ko chod kar. Us stage par Mic hero Present Mic khada tha.
Present Mic-Kaise ho UA Candidates ? Mein tumhare is school ka dj hu aur mere saath tuning karne ke liye thanks.
Par kisi ne bhi kuch nahi kaha. Yeh sab dekh kar Midoriya ko Present Mic ke liye kaafi bad feel hua.
Present Mic-Ohh khud ko mellow rakh rahe ho, huh ? Koi baat nahi mein direct tumhe main show dikhata hu. Chalo tumhare exam ke baremei baat karte hai. Toh kya tum sabhi iske liye ready ho ?
Is baar bhi koi kuch nahi bola.
Present Mic-Alright. Jaisa ke tum sabhi ke applications mei likha hua hai ke tum sabhi boys and girls ko ek 10 minute ki mock battle karni hai vo bhi super hip urban cities ke andar. Jaise hi mein apni sabhi baate complete karunga waise hi tum sabhi apne apne specify hue battle centers ki tarafa chale jana.
Is par Midoriya ne apne paper ki taraf dekha jispar uska battle center B likha hua tha.
Present Mic-Okar okay chalo ab tum sabhi ke targets ko check karte hai. Har battle center mei 3 types le faux villains hai. Tum sabhi ko unke level of difficulties ke upar points milenge. So apne villain ko wisely choose karna. Tum sabhi ka is test mei goal ek hi hai aur vo hai apne quirk ka use kar ke zyada se zyada faux villains ko destroy kar ke apne points ko badhana. Lekin ek baat mein sabhi ko yaad dilana chahunga ke koi bhi contestant dusre contestant ke upar apne quirk se attack nahi karega.
Jab Present Mic ne apni baat complete ki tabhi ek ladka khada hua.
Boy-Excuse me sir mera ek question hai aap ke liye.
Present Mic-Hit karo apne question ko.
Abhi jo ladka khada hua tha usne abhi glasses pehne hue the aur uske hairs bhi blue the. Vo other students se kuch taller tha.
Boy-Hamare prints par 4 types ke villains ko list kiya hai na ke 3 types ke villains ko. With all respect agar yeh Officials UA materials ka error hai toh yeh kaafi shameful hai. Ham sabhi exemplary students hai aur japan ke top hero school se ham sabhi best expect karte hai.
Present Mic-Alright alright. Examinee number 7111 thank you is baat ko notice karne ke liye. Ab aate hai tumhare answer par toh 4th type ka villain hai vo zero point villain hai. Vo tum sabhi ke liye ek obstacle ki tarah hai jo har ek battle center mei hai. Usse us tarah ke hurdle ki tarah samjho jise tumhe avoid hi karna hai. Aisa nahi hai ke tum usse beat nahi kar sakte ho lekin uske koi point nahi hai. Mere sunne walo ko mein yahi kahunga ke tum usse bhul jao aur jo charts hai unpar focus karo.
Boy-Thank you very much sir aap continue kar sakte hai.
Present Mic-Well aaj ke liye itna hi. Jane se pehle mein tum sabhi ko hamare school ke motto se wish karta hu ke True Hero wahi hai jo apne life ke misfortunes ko bhi overcome kar de aur aage badh jaaye aur kahe Plus Ultra ! Issi ke saath mein tum sabhi ko Good Luck kehta hu.
Issi ke baad sabhi waha se uth kar apne apne battle center ki taraf badh jaate hai. Midoriya jaane se pehle apne clothes ko change karna chahta tha taki usse apne movements mei comfortable ho.
Midoriya ne khud ke clothes ko change kar ke ek gym suite pehen liya tha aur jaldi hi apne battle center par aa gaya. Vo kuch nervous tha aur apne aaspas dekh raha tha ke koi uske pehchan ka person hai ya nahi. Lekin usse koi bhi apne pehchan ka waha nahi dikha. Actually vo abhi Bakugou ko dhund raha tha kyo ki usne usse auditorium ke andar dekha toh tha lekin vo usse kaafi distance par baitha hua tha.
Jaldi hi ek horn baja aur sabhi ki test start ho gayi.
Jaise hi Midoriya ne horn ko suna waise hi vo apne full speed se aage badh gaya. Uske itne speed se aage badhne ke wajah se waha par wind pressure ban gaya tha jiske wajah se kuch students already piche chale gaye.
Sabhi kaafi shock the Midoriya ke speed ko dekh kar. Jaha abhi other students ek hi faux villain ko maar rahe the wahi ab tak Midoriya ne kuch 10 villains ko destroy kar diya tha. Koi bhi faux villain Midoriya ke single punch ke upar jaa nahi pata tha. Uska ek punch aur vo villain robot destroy.
Dekhte hi dekhte Midoriya ne kaafi saare robots ko destroy kar diya tha.
Abhi uske aaspas kaafi sare robots the jinhone usse surround kar liya tha.
Tabhi uske piche se ek robot ne us par attack kiya.
Apne back se hone wale attack ko sense kar ke Midoriya jaldi se fly karne lag gaya.
Vo upar kuch distance par chala gaya aur usne apne heat vision se sabhi robots par attack kar diya.
Kyo ki Midoriya ki heat vision ki lesser kisi iron ko bhi seconds mei melt kar sakti thi toh yeh robots kaha tikne wale the. Dekhte hi dekhte vo sabhi bhi melt ho gaye.
Battle center se kuch distance par ek room mei kaafi screens lagi hui thi aur waha par kaafi sare log baith kar un screens ko dekh rahe the.
Unmei se ek women jisne ek kaafi skin tight dress pehna hua tha usne Midoriya ko aise battle karte hue dekh kar kaha.
Women-Yeh koun hai aur iski quirk kya hai jo yeh ek hi time par fly bhi kar sakta hai aur apne eyes se kaafi dangerous leser bhi release kar sakta hai. Upar se super strong bhi dikh raha hai. Koi bhi bot uske ek punch ke aage tik nahi paya hai.
Us women ke baat par uske side mei baithe ek shaks ne kaha.
Person-Yeh hai Izuku Midoriya aur iski quirk ko yaha par Superhuman strength ke naam se register kiya hua hai aur kuch bhi nahi.
Women-Lagta hai is year kaafi strong quirk aaye hai UA High mei. Dekhte hai aage in sabhi ke saath time kaisa jane wala hai.
Un sabhi mei All Might bhi baitha hua tha aur yeh room ek control room tha jaha All Might ke saath saath UA High ke other teachers bhi baithe hue the.
Ji haa All Might is year se UA High mei future heroes ko training dene wala tha.
Tabhi battle center mei badi building dekhte hi dekhte gir gayi.
Jab Midoriya aur waha ke baki sabhi students yeh dekha toh sabhi shock reh gaye kyo ki unke samne ek kaafi bada robot aa gaya tha jo almost 100 meters tak ke height ka tha.
Jaise hi usne sabhi students waha dekha usne apne ek robotic arm se waha ke street par ek punch maar diya. Iske wajah se waha par aur bhi jo kuch buildings thi vo bhi destroy ho gayi. Yeh bada robot wahi 4th faux villain tha jiske points zero.
Kyo ki sabhi ko kaha gaya tha ke unhe isse avoid karna hai iske wajah se usse waha par dekhne ke baad sabhi students waha se bhagne lag gaye.
Midoriya abhi bhi street ke bich mei khada ho kar us faux villain ko dekh raha tha.
Midoriya-Yeh itna bhi dangerous nahi dikh raha hai. Waise bhi mein ne pehle hi soch liya tha ke iske dikhne ke baad mein isse destroy karunga hi.
Abhi vo usse destroy karne jaane wala hi tha ke suddenly uske sharp ears ne kuch suna.
Jab Midoriya ne apne X-ray vision se aaspas dekha toh paya ke us faux villain ke punch karne ke wajah se waha par jo buildings giri hui thi uske malbe ke niche ek ladki ka pair phas gaya tha aur vo usse nikalne ke liye kaafi try kar rahi thi.
Wahi vo faux villain bhi ab uske paas aa gaya tha aur vo ladki almost uske wheels ke niche jane wali thi.
Par tabhi Midoriya speed se aage badh gaya aur usne us malbe ko hataya aur us ladki ko waha se nikaal liya.
Midoriya ne uske injured pair ko apne X-ray vision se dekha toh paya ke usse muscle injury hui hai.
Midoriya ne us ladki ko utha liya aur usse jaldi se safe distance par chod kar aa gaya.
Vo ladki usse thanks bolna chahti hi lekin tab tak Midoriya waha se jaa chuka tha aur speed se fly karte hue vo upar aa gaya aur usne us bade se robot ko ek single punch maar diya.
Midoriya ke powerful single punch ne vo robot destroy hone lag gaya tha. Waha par jitney bhi students the jab unhone Midoriya ko aise single punch mei hi us bade se robot ko destroy karte hue dekha toh sabhi kaafi shock ho gaye the. Even control room mei baithe hue teachers bhi kaafi shock the ke is year ke aaye hue students ke bich koi itna powerful bhi hai.
Midoriya hawa mei se niche aa gaya.
AB tak battle center par Recovery Girl aa gayi thi aur vo injured students ko waha se le jane ke liye keh rahi thi.
Ab exam complete ho gaye the. Koi bhi seriously injured nahi hua tha aur sabhi apne apne ghar ke liye nikal gaye the. Midoriya bhi apne ghar chala gaya.
Kuch weeks ke baad.
Midoriya abhi apne room mei tha ke Inko jaldi se bhagte hue uske room mei aayi. Uske haato mei ek envelope tha jispar UA High likha hua tha.
Inko-Izuku yeh dekho yeh tumhare liye aaya hai UA High se.
Midoriya-Yeh kya hai ?
Yeh keh kar Midoriya ne us envelope ko apne haato mei liya aur usse open kiya. Uske andar ek small object tha.
Midoriya us object ko utha kar dekhne lag gaya. Jaldi hi usse uska switch bhi mil gaya aur usne usse on kiya.
Suddenly us object mei se ek hologram nikla jo All Might ka tha.
AM-Boo ya ! I am here as a projection.
Midoriya-Yeh koi joke toh nahi ?
AM-Tumhare kuch aur sochne ke pehle mein bata du ke yeh koi joke nahi hai. Ab mein offically school teacher hu.
Midoriya-Kya ?
AM-Aright ab tumhare test grades ki baat karte hai. Written test mei toh tum pass ho gaye the. Wahi practicle test mei tumne 127 points ko achieve kiye hai. Lekin yeh sirf itne hi nahi hai yaha aur bhi kuch rescue points hai jinhe tumne mock battle ke time par bachaya tha. Wahi Young Uraraka ko bachane ke liye bhi tumhe 55 points milte hai. In sabhi ki total ke saath tumhare points hai 182 points. Good Work Young Midoriya. Tumhe UA High school ne as a student accept kar liya hai.
Issi ke saath yeh message end ho gaya aur vo object self destruct ho gaya.
Wahi Midoriya aur Inko is news ko sunkar pehle shock the lekin jaldi hi vo dono bhi kaafi khush ho gaye.
Inko ne jaldi se phone kar ke Hisashi bhi ko yeh baat bata di.
Shaandaar update bhai