• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Milan ya Punah Milan

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,311
304
Update 5

Jab principal ji ne Thakur Bhawani Singh se do shabd kahane kaha to Thakur Ji apne is samman se bahut prasann huye.


Thakur ji - Main tahedil se principal ji dhanyawad kahuga jo mujhe aap logon margdharshan karne hetu kuch shabd kahane ko kaha. To mere pyar bachchon badon ka samman aur chhoton se pyar karna ye hamesha yad rakhana. Sikhane ko jahan mile waha sikhana kabhi ye mat sochna koun pda likha hain aur koun anpadh, koun chhota aur koun bda kyoki ye jiwan hain swayam me ek vidhalaya hain. Ye har insan ko sikhati rahati hain to jaruri nhi jo school gaya ho wo gyan de.

Kuch padh sikhate hain aur kuch jiwan ke anubhaon se shikhate hain isliye hamesha sikhate rahna. Main is vidhalay ko 12 tak karane ke liye prayasrat hoon taki chahe ladki ho ya ladka wo kam se kam kisi abhaw ke karan apni padhai band kar deta ya deti hain wo 12 tak padhe. Main khud 12 tak padh paya magar main chahata hoon mere gaon ka har bachch aur bachchi uch siksha prapt kare. Isi ke sath jo safal huye hain unki ujjawal bhawan ke liye kamana karta hoon aur jo asafal huye unhe ore parishram se apne sangharsh ko agge badhane ke liye himmat dena chahuga. Mere bachchon hamesha kush raho.

Thakur Sabah ki bat khatm hote hi har kisi ne jordar taliya bajayi.

tThakur ji ke baithane bad Principal ji uth khade huye aur bole.

Principal: bachchon jaisa ki maine bataya aap sabke parikshafal apke guru log dege hamane samaroh us honhar bachche ke liye rakha jisane na hi apni school me apitu pure janpad me pratham sthan pakar hamare vidhalay aur gaon naam roshan kiya hain.

Main thakur ji se agrah karunga ki us bachche ka malyarpan karke uske is uplabhi ke uske samman badhaye taki use ore behatar karne ka tatha dusare bachchon aesa karne ke prerana mile.

Principle ji ki bat sunkar Bhawani Singh hath me mala lekar khade ho gaye.

Principal: hamari Gaurav pure janapad me bhadhane wala bachcha koi aur nhi hamar Thakur Sahab bade suputra Sameer Singh to beta Sameer yahan akar apne Pita ji se apna samman grahan karon.

Apne putra ka naam sunkar Thakur Sahab ka seena garv se chouda ho gaya aur kyo na har pita ki kamana hoti hain unka putra kuch aesa kare jisase uske kul Yash badhe aur yahan putra samman karne ka kary bhi pita ke hath me tha.

Sameer apne guru ki bat sunkar prasann ho apni jagah uth kar apne pita ki taraf jane laga uska naam sunkar uske bhai aur bahene bhi badi khus huyi aur jor se tali bajane lagi.

Thakur ji ne Jaise hi Sameer ko mala pahanayi bap-beta dono ankhon me kushi ke ashu aa gaye . Apne pita ke hathon ye samman pakar Sameer ki prasannata ki koi seema na rhi wo jhuk kar apne pita e sath sath sarpanch ji aur principal ji ka bhi ashiward lekar jab sthan par jane ke liye ghuma tab.

Principal: Ruko beta tumhari uplabdhi ke sath ek uphar bhi mila hain. Pure janpad me pratham aane ke karan sarkar ne tumhari 12 tak ki siksha ka kharcha swayam uthane ko kahan.

Principle ki bat sunakar Thakur Sahab ke sath sarpanch ji aur Sameer dono ati Kush huye. Parantu Sameer kuch kahan chahata jo uske chehere pe dikh raha tha, uski manodasha ko thakur ji samajh li.

Bhawani- Beta Sameer tum kuch kahan chahate ho.

Sameer- ji pita ji.

Bhawani- To beta nidar hokar kahon.

Sameer- Pitaji ye wajifa milane se ab to meri padhai ke liye koi kharcha nhi karna padega magar main chahata hoon jo mere padhai pe kharcha hone wala tha usase aap is gaon ke honehar vidharthi ko padhai taki sanshadhano ke abhaw se usi siksha adhuri na rah jaye.

ye bol ke Sameer chup ho gaya apne bete ki bat aur vichar sunkar Bhawani Singh apne garv aur pyar dono aaya sath hi me sabne samman aur badai ki drishti Sameer pe dali.

Bhawani- Mujhe tumhara vichar pasand aaya ab ye batao ki wo honehar vidharthi koun hoga aur kyo.

Apne pita ke chehere pe ek harsh ke bhav aur muskrate huye bola....
thakur ji ke vichar bahot achhe aur soch uttam, thik ushi tarah Sameer bhi apne pita ki soch se alag nahi.. Kaise wajifa milane par apne pita ke samne itne achhe vichar rakhe ki uski mein padhai pe jo kharcha hone wala tha usse gaon ke baaki ke students ki study related sanshadhano ke abhav purn kare... taaki wo bachhe bhi achhe se padhke aage badh sake...
Bahot hi dilkash update tha.. sath hi pita putra ki soch aur vichar sach prasansaniya..
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
430
1,577
123
Update 6


Sameer- Pitaji mujhe pta hain aap mere vicharon ka samman bhi karege aur meri kahi baton ko pura karne ki kosish bhi karege isliye main chahta hoon jo kharch aap mere upar hone kharch do logon pe kare. Wo dono koi aur nhi mera param mitra Abhishek aur uski bahan Shweta hain.

Aayi main apka parichay Abhishek aur Shweta se kara doo.

Abhishek: Sameer ke umar ka ladka hain jo gaon ke ek karib kisan beta hain uske maa-baap dusare ke kheton pe dihadi ka kaam kare ghar kharch aur dono bachchon ki padhai karte hain parantu unki amadani itani nhi hain ki wo use shahar bhej ke pda sake. Abhishek Sameer ki tarah ek honhar bachchha hain aur Sameer ke kitabo se se padhai karta hain.

Shweta: Abhishek ki chhoti bahan aur bhai ki tarah padhane me hosiyar aur padhane ka bda chaw. Ye Nisha ki class me hain.

Bhawani Singh Sameer ke bat pe muskura uthe.

Bhawani: Hame ye pta tha aur agar aap na bhi kahate tab bhi in dono bachchon ka kharch vahan karta kyoki dono ke bare me sampurn gyat. Apka vichar sunakar h.prasann bhi huye aur hame aap pe garv bhi hua isliye ham is ek bat aur jodate hain ki kaksha 8 tak gaon sabhi padhane wali ladkiyo ka kharch ab haweli vahan karegi taki gaon ki har bachchi padh sake kyoki agar agar ghar ek mahila padhi likhi ho to wo aane wali do pidhiyon ko shikshit kar sakati hain. Hame pta hain samaj me faili kuritiyan shiksha ke dwara hi mitayi ja sakti hain. Atah aap ki ichchha ka maan rakahte huye apke mitra aur uski bahan ke 12 tak shiksha pe hone wale har kharche ka vahan karege sath hi gaon ki har bachchi ke athavi tak ki bachchi ke kharch tatha jo bachchi aage padhane ke leye apne mehant aur lagan hame Vishwas dilayegi uski 12 tak ka kharcha ham vahan karege.

Thakur ji ki bat sunkar Sameer ke chehere pe harsh ke bhav aa gaye. Thakur ji bat sabne jordar taliya bajayi. Shweta mare kushi Nisha se chipak padi.

Abhishek bhav vibhor ho utha huye aur apne ankhon me khushi ke anshu liye jakar Sameer ke gale lag pda.

Thakur ji ki bat ne Sarpanch ji ko prerit kiya aur uth khade huye bole.

Sarpanch ji: Jab thakur ji ne in do bachchon ke sath gaon sabhi bachchiyon ko Shiksha bhar apne sar pe liya to main ye batana chahata hoon ab ham har varsh ek praiksha lege jinme sabhi ladake bhag lege aur jo 10 bachche sabse achchha pradarshan karege unke 12 tak kharch main vahan karunga. Lekin ye pariksha sirf vohi bachche de sakate hain jinke mata pita ki amadani unke bachchon ko shikshit karane me asamarth hain jo samarthwan hain un bachchon ke liye pariksha nhi hogi.

Sarpanch ji bat sunkar ek bar sabme harsh ke lahar doud gayi.

ISke bad samaroh ka ant hua aur sab apne apne gharon chal pade wohi Sameer Manav aur Abhishek sath bag ki tarah nikala gaya aur apni bahano se bta diya ki wo bhojan ke samay se pahale ghar pahuch jayega. Nisha bhi apni dono bahano aur Shweta ko lekar haveli ki taraf chal padi.

Aaj pur gaon me school me gati gatana ko lekar bat chal rhi thi jisme sab Sameer, Thakur ji aur Sarpanch ji ko wah wahi kar rhe the.

Magar inme kuch log the Jo ladkiyon ki shiksha se sahamat nhi thi jinme sirf purush hi nhi kuch ashikshit mahilaye bhi thi. In logon ne sham ko Thakur ji se bat karne ki sochi.
 
Top