- 430
- 1,577
- 123
New Update 18 posted on page 45
Last edited:
Update 6
Sameer- Pitaji mujhe pta hain aap mere vicharon ka samman bhi karege aur meri kahi baton ko pura karne ki kosish bhi karege isliye main chahta hoon jo kharch aap mere upar hone kharch do logon pe kare. Wo dono koi aur nhi mera param mitra Abhishek aur uski bahan Shweta hain.
Aayi main apka parichay Abhishek aur Shweta se kara doo.
Abhishek: Sameer ke umar ka ladka hain jo gaon ke ek karib kisan beta hain uske maa-baap dusare ke kheton pe dihadi ka kaam kare ghar kharch aur dono bachchon ki padhai karte hain parantu unki amadani itani nhi hain ki wo use shahar bhej ke pda sake. Abhishek Sameer ki tarah ek honhar bachchha hain aur Sameer ke kitabo se se padhai karta hain.
Shweta: Abhishek ki chhoti bahan aur bhai ki tarah padhane me hosiyar aur padhane ka bda chaw. Ye Nisha ki class me hain.
Bhawani Singh Sameer ke bat pe muskura uthe.
Bhawani: Hame ye pta tha aur agar aap na bhi kahate tab bhi in dono bachchon ka kharch vahan karta kyoki dono ke bare me sampurn gyat. Apka vichar sunakar h.prasann bhi huye aur hame aap pe garv bhi hua isliye ham is ek bat aur jodate hain ki kaksha 8 tak gaon sabhi padhane wali ladkiyo ka kharch ab haweli vahan karegi taki gaon ki har bachchi padh sake kyoki agar agar ghar ek mahila padhi likhi ho to wo aane wali do pidhiyon ko shikshit kar sakati hain. Hame pta hain samaj me faili kuritiyan shiksha ke dwara hi mitayi ja sakti hain. Atah aap ki ichchha ka maan rakahte huye apke mitra aur uski bahan ke 12 tak shiksha pe hone wale har kharche ka vahan karege sath hi gaon ki har bachchi ke athavi tak ki bachchi ke kharch tatha jo bachchi aage padhane ke leye apne mehant aur lagan hame Vishwas dilayegi uski 12 tak ka kharcha ham vahan karege.
Thakur ji ki bat sunkar Sameer ke chehere pe harsh ke bhav aa gaye. Thakur ji bat sabne jordar taliya bajayi. Shweta mare kushi Nisha se chipak padi.
Abhishek bhav vibhor ho utha huye aur apne ankhon me khushi ke anshu liye jakar Sameer ke gale lag pda.
Thakur ji ki bat ne Sarpanch ji ko prerit kiya aur uth khade huye bole.
Sarpanch ji: Jab thakur ji ne in do bachchon ke sath gaon sabhi bachchiyon ko Shiksha bhar apne sar pe liya to main ye batana chahata hoon ab ham har varsh ek praiksha lege jinme sabhi ladake bhag lege aur jo 10 bachche sabse achchha pradarshan karege unke 12 tak kharch main vahan karunga. Lekin ye pariksha sirf vohi bachche de sakate hain jinke mata pita ki amadani unke bachchon ko shikshit karane me asamarth hain jo samarthwan hain un bachchon ke liye pariksha nhi hogi.
Sarpanch ji bat sunkar ek bar sabme harsh ke lahar doud gayi.
ISke bad samaroh ka ant hua aur sab apne apne gharon chal pade wohi Sameer Manav aur Abhishek sath bag ki tarah nikala gaya aur apni bahano se bta diya ki wo bhojan ke samay se pahale ghar pahuch jayega. Nisha bhi apni dono bahano aur Shweta ko lekar haveli ki taraf chal padi.
Aaj pur gaon me school me gati gatana ko lekar bat chal rhi thi jisme sab Sameer, Thakur ji aur Sarpanch ji ko wah wahi kar rhe the.
Magar inme kuch log the Jo ladkiyon ki shiksha se sahamat nhi thi jinme sirf purush hi nhi kuch ashikshit mahilaye bhi thi. In logon ne sham ko Thakur ji se bat karne ki sochi.
Thank you Jo apko hamari lekhani pasand aayiApki lekhni bhi bahut hi sundar hey, usemese ache vichar bhi aap dikha de rahe ho.
bohot hi badiya.
Waise ek tarah dekhe to gaon mein padhe likhe logo tadad badhegi to gaon ka hi bhala hoga aur unnati bhi basharte padhayi ke baad log gaon ke liye soche aur unnati ke liye kaam kare.. na ki Shahar jaake bas jaaye..Update 7
Abhishek jab Manav aur Sameer ke sath school ke gate bahar aaya wo tab kuch kahana chah rha tha magar Sameer ne use chup rahena ka ishara kiya aur dono ko sath lekar chal pada bagh ki taraf.
Bagh Thakur ji ke kheto ke shuruwat hone ke sath ek taraf lga hua tha jahan Aam, Amrood, aur vibhinn prakar ke falon ke aur sabjiyon ke ped the.
Bagiche me pahuch ke Sameer ne wohi sthan chuna jahan wo akele ya Abhishek sath akar baitha karta tha.
Waha baithane ke bad...
Sameer: Ha mitra batao kya kahena chahate the.
Abhishek: Tune mere liye kharche ke mang kyo ki.
Abhishek ki bat sunkar Sameer muskura utha. Wohi Manav shanti baith dono ki bat sun rha tha.
Sameer ne muskurate huye kaha "Dekho mitra iske ke kai karan hain jiske karan maine ye kiya. Pahela karan ye hain jo sansadhane mujhe mile wo agar tumhe milta to ye wajiha shayad tumhara hota to sanshadhano ke abhav me tumne ye kho diya jo vastivikta me tumhara tha main wajifa to tumhe de nhi sakta tha kyo ki ye sarkari hain isliye maine mang liya Pitaji se jiske aur bhi kai fayede huye ab gaon ki har ladki padh sakegi aur sath me kai ladkon ke bhi padhai ka kharcha aa jayega jo mere liye atirikt ho gaya tumhari padhai ke.
Dusra mujhe pta hain tumhare ander ek padhane ka junoon hain aur tum kuch banana chahate ho to main ye kaise hone deta ki sirf paiso ki kami ke karan ek honhar vidharthi ki padhai aur sapne dono adhure rah jaye.
Tisra mera fayeda wala karan yaar main tera sath nhi chhodna chahata to shahar me akela kaise jata isliye ye kiya main.
Sameer ki batein sunkar Abhishek bhawuk ho utha.
Abhishek: Mitra main tumhara ahesan kaise utar paouga.
Abhishek ki bat sunkar Sameer kuch kahata usase pahle Manav bol pda.
Manav: kya Abhishek bhaiya mitra bhi kahate ho aur ahesan ki bat bhi karte ho aesa hota to kabhi krishna aur Sudama ki mitrata aese masoohar na hoti. Apko pta hain Jab sudam ji ne kahan ki apki aur hamari kya barabari main apke mitrata ke badale apko kya de paouga.
Tab Krishna ji ne kaha tha ki mitrata lene dene ka naam nhi hain jo saksham jis chij ke liye wo kare ye mitrata hain agar lene dene hone lage to mitrata kaha rahati.
Manav ki bat sunkar Sameer aur Abhishek dono muh khol ke Manav ko dekhane lage.
Sameer: Mera chhota bhai to bada samajhdar hain itani badi badi batein karna laga hain kaha se sikhi itani achchhi batein.
Sameer ke bat sunkar Manav ko bhi khusi mili aur wo kush hokar bola.
Manav: Kala pitaji ne Krishna Darshan sunayi thi jisme Krishna Sudama ke sawand me ye tha.
Sameer apni bhai ki bat sun prasann hua ki wo achchhi batein grahan karna janta hain.
Aayiye chalate hain.
Ek kamare
Pahli Ladki- Ab to tu bahut kush hogi tu apne pyar ke sath rahegi ek chhoti se judai ke bad. Ye duri kam karne wala bhi tera pyar hain.
Dusri Ladki: pagal main tab bhi rahnlete bhale kabhi kabhi mil pati magar ab to main ek judai ke bad sath rahugi.
Pahli Ladki- yani bhabhi bhi rahegi bhaiya ke aap pas.
Ye bat sunkar dusri ladki Sharma uthi.
Abhi aur new entry hogi Naina jido aur naye kirdaaro ne kahani mein entry li hai... Abhishek aur shweta jo padhayi mein abbal aur mehnati bhi hai..
Aaj thakur aur Sameer ke badaulat ye dono hi 12 tak bina koi kharch ke padh payenge.. yaha tak gaon ki har ladki bhi 8 th tak bina kharch padh payegi.. Sarpanch ne bhi elaan kar diya ki pratiyogita mein jo best 10 students honge unki 12 tak ki padhayi ka kharch wohi uthayenge...
yahan kuch kayi pasandida pehlu hai.. jaise Sameer ek thakur hoke bhi bilkul aam si jindagi jeena, na koi ghamand, na koi ahankar... sabko ek nazar se dekhna.. Sameer aur abhishek shayad best friend hona hi Sameer ke saaf dil hone ka saboot hai... thakur bhawani bhi bahot bhale insaan hai...
Lekin Duniya ki tarah kahaniyo mein bhi ek reet hoti hai.. wo ye ki jaha achhayi hai waha burayi bhi hoti hai... hope ki is gaon aur isme rehne walo ko burayi ki nazar na lage..
Khair... Kaafi dilkash update tha..
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills![]()
![]()
Sameer aage chalkar kab achchha thakur banega ye kahani ke bhavishya me chhupa hainWaise ek tarah dekhe to gaon mein padhe likhe logo tadad badhegi to gaon ka hi bhala hoga aur unnati bhi basharte padhayi ke baad log gaon ke liye soche aur unnati ke liye kaam kare.. na ki Shahar jaake bas jaaye..
well... Sameer aage chalke ek achha thakur banega.. jo apne gaon aur gaon walo ki pragati ke baare mein sochega..
Update kaafi dilchasp tha sath hi kirdaaro ki bhumika bhi..
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills![]()
![]()
Thank you jiAmazing update dear
Jaldi hi new update aayega bus ek purwalokan kar loonintezar agle update ke liye