Update: 24
Main: moun pani se saaf kr k wapas ata hoon
Payal:Pehle se Goore Lag rhe hoo
Main: To tum apne Moun pr laga liya kro tumhara moun bhi thoora sa white ho jaye gya
Meri is baat pr payal ka moun gusse se laal ho gya pr baki sab hasne lagi. Ritu shut up ab tum bakwas kro gye hum se apni aukat me raho
Ritu: bohat par lag gaye ha na tumhe ab dekhna kaise cut krti hoon
Main: Mujhe smaj lag gya k ab ye mujhe nehi chore ge lekin main be tayar tha is ka har zhulam sahne k liye
Ritu: Aspass dekhti ha shayad koi cheez dondh rhi thi phir achanak ek cheez ko dekh kr os ke chehre pr smile a jati ha
Ritu: soham tum tree k oper char jate ho na
Main: Haan
Ritu: to chalo phir mere liye os drakht se honey le kr ao
Main: samne dekha to os drakht pr shehed(Honey) tha os ke asspass boht makhiyan thi
Main:Par waha bohut makiyan ha
Ritu: to kya tum mera hukam nehi mano gye
Main: Maine Na kab kha
Anjali: Tum pagal ho gye ho kya dekh nehi rahe waha kitni makhiyan ha ye koi am makhi nehi ha
Sonam: Dekh ritu os ki jaan bhi ja skti ha
Ritu: tu fikr mat kr itni jaldi nehi mare ga ye
Main: theek ha jesa tum kaho mai le kr ata hoon
Theek ha ritu agr tum mujhe takleef me dekhna chahti ho to waise he theek.or wese bhi main tumhe apna sab kuch man chuka hoon. Main tumhari ek khushi k liye apni jaan tak de sakta hoon.Dekhte ha kab tak tum mujh pr sitam krti hoon tumhara bhi dil kabhi pigal hi jaye ga meri Muhabat se. Haan ritu mai tumse Muhabat krne laga hoon pehli baar me he tumse muhabat hoo gayi thi jab bhi tum pas hoti hoon na Ye dil mere kabu me nehi rehta. Tumhari ek smile dekh kr aisa lagta ha k duniya k har khushi mujhe mil gayi hoon. Ab aisa kaise hoon sakta ha ki tumhari khusi mujhe dard dene ki hoon or main ose pora na karo
Ritu: to chalo hum car me bethy ha
Ritu apni friends ko le kar car me beth gye. Soham Baat suno ritu ne car ki window me se awaz lagai. Mujhe laga shayad wo mujse mazaq kr rhi thi ab wapas ane ka bol rhi ha. Ma car k pas gya
Ritu: apni shirt utaro
Main: Pr kyu
Ritu: jitna bola ha na otna kro
Main: Apni shirt nikal kr dedi
Ritu: os ne pakr car car ki pichli seat pr rak de
Ritu: Chalo ab jao or le kr ao
Main:lekin main to oper se nanga ho or makhi ka dang laga toon
Ritu: Kuch nehi hoga tumhe agr ek do dang lage
Anjali: Ritu R U Mad tum pagal ho gye ho kya marna ha os bechare ko
Ritu:Shut up or tumhe kya preshani ho rhi ha agr wo mar bhi gya to
Anjali: Mujhe tumse ye umeed nehi thi tum is had tak bhi jao ge
Ritu: Bol liya jo bolna tha
Ritu: Ab tum mera moun kya dekh rahe hoon jao yaha se
Main: Jese hi waha se jane laga Anjali ne mujhe awaz di ruko Soham
Anjali: Ye lo apne gal se dupata utar kr diya ise apne moun pr band lo
Main: Maine os se dopata pakra OR CHAL diya
Mujhe lag rha tha k aj mera akri din ha.kyuke mujhe maloom tha k shehed ki makhi ke dang ka dard kya hota ha.lekin ritu ne bola tha krna to tha ab maine apne chere pr dupata band liya or char para drakht ke oper
Payal: Yar ritu ab mujhe bhi dar lag rha ha kahi ose kuch ho gya toon
Ritu: Are kuch nehi hota yaar (ritu ne ye bol to diya tha lekin ander se wo bhi dar rahi thi k kahi soham ko kuch ho na jaye os ka dil keh raha tha k wo abhi soham ko wapas bula le lekin ego keh rahi thi k nehi or dil or dimag ki is larai me dimag ki jeet hoi)
Main drakht pr chara tha or honey k pass a gya maine socha k shehed ko niche gira doon phir niche ja kr pakr loon ga maine shehed k pass gya or apni pair ko jathe me mara ek do bar marne ke baad wo niche gir gya or makhi har tarf pahal gye mujhe meri peth pr makhiyon ne katna shuro kr diya. Meri dard bhari awaze nikal rahi thi. Me fatafat niche utra niche zameen pr shehed ke kafi tukre the maine ek tukre ko pakra lekin ose pakarne ke baad mujhe pata chala k maine kya galti ki os ke niche bohut zyada makhiyan thi wo sari mujh pr tooth pari koi meri bazo pr kath rahi thi koi peth pr mera dard se bura haal tha. Meri cheekhe asspass gonj rahi thi main fatafatcar ki tarf baag raha tha. Mene jis hath me shehed pakra os pr makhi thi jis ne mujhe kai bar kata os hath me . Main car ke kharib gya to snam ne car ka seecha nechy kiya.
Ritu:Soham shehed penk do
Mian: Os ki tarf heirani se dekha iske liye he to itna kuch kiya ha
Ritu:Jitna bola ha otna kro jaldi se phenko
Main: Mene shehed ko phenk diya
Kriti ne car ka darwaza khola me car ke pichle seat pr beth gya.Sonam ne car start krde. Mera dard se bura ha tha mujhe jism pr hr jagah dard ho rhi thi.Anjali zyada dard ho rha ha fikr mand ho kr pocha
Main: Haan betha nehi ja rha peth pr kafi makhiyon ne kata ha isliye seth chub rahi ha
Priti: tum aisa kro k lait jao
Main: Letne ki jagah kha ha
Kriti: koi baat nehi soham tum hamari goad me lait jao
Main: Lekin me kaise
Anjali: Socho mat jaldi kro
Main: Mere sath kriti thi os ke sath priti or sab se last pr anjali ritu agli seat pr bethi thi or sonam car drive kr rahi thi
Main khara hoa or un teno ki goad me lait gya mera sir anjali ki goad me tha mera pait priti ki goad me or tange kriti ki goad me tha priti ek dam cheek pari.Soham tumhari peeth poori cheli hoi ha har jagah makhi ne kata ha.
Kriti:Haan soham tumhe jaldi se hospital le jana ho ga
Anjali: kriti theek bol rhi ha tumhari halat theek nehi ha
Main: main to bas ritu ko dekh raha tha mujhe dard bohut ho rha me. Me dekhna chahta tha k mujhe dard me dekh kr ose kaisa mehsoos hota ha abhi tak os ne apne moun se ek lafz bhi nehi kha tha bas ek 2 bar piche mur kr mujhe dekha tha os ke chehre pr preshani or dard tha
Priti ne meri peth pr hath Rakha mere mooh se ah nikal gye. anjali mere balo me ungliyan daal kr sehla rhi thi Mera dard tha ke kam hone ka nam nehi le rha tha
Kriti: Ritu ye tum kya kr diya
Ritu: Bas chup rahi na wo meri tarf dekh rahi thi na kuch bol rahi thi
Priti: Jaldi se kisi kharib k hospital me le chal ise
Main: Nehi main hospital nehi jao gya main theek hoon. Mujhe mere ghar le chalo waha koi nehi ha
Anjali: Pagal hoo gye ho kya.halat dekhi ha apni theek se khara nehi hoa ja rha
Main: Lekin main Hospital nehi jao ga
Sonam: ritu hum ise tere ghar to le kr ja nehi sakte waha sab poche gye to kya jawab de gye
Ritu: Hmm or kuch nehi boli
Kriti: Hum ise mere ghar le jate ha waha koi nehi ha mama papa bhi dusri city gye ha ghar pr sirf main or priti ha
Priti: Haan ye theek rahe ga
Sonam: Theek ha phir me car tumhare ghar ki tarf le kar ja rahi hoon