Update 25
radha ko uski is harkat ka koi dukh nahi tha wo chup chap apne kamre main gayi aur darwaja band karke baithi rahi kitni der pata nahi baad main wo utni towel liya aur nahane chali gayi.....garam pani ki bunde sharir par girte hi use acha lagne laga wo naha kar bahar aayi aur sidha apne bed par gir gayi..lete lete kab uski aankho main se aansu girne lage pata hi nahi chala aur un aansuo ke sath hi wo so gayi................
----------------------------------------------------------
anurag ka gokarn police station par pahuchna aur fir rasdha ko lekar nikalne ka live footage Tv par chalu tha ... omkar isi shock lage jaisa tv ko dekha raha tha wo news padh raha tha...uska manager ashish ab uske baju main aakar khada ho gaya tha
omkar-tumhe radha ka photo dekhna tha na ab dekho live use....sab meri hi galti hai yaar us din maine use rokna chahiye tha..agar us din main use rok leta to shayad aaj ye naubat na aati
ashish-look om faltu main apne aap ko dosh mat de mere bhai
ashish om ko samjahne ki koshish karne laga aur dono kis are main baat kar rahe hai ye samajhme na aane ki wajah se rima bas un dono ko dekh rahi thi, kuch samay baad news change huyi aur wo teeno apne table par aaye
Rima- kaun hai ye radha aur on tum kaise pehchante ho use?
jab usse raha nahi gaya to rima ne puch liya
omkar-rima please..... I really dont wnt to talk about it
omkar ne thoda irritate hote huye kaha aur uska wo irritated expression rima ke liye naya nahi tha, itni koshisho ke baad wo omkar ke thoda kareeb aayi thio aur ab use fir se back to zero nahi hona tha
rima- alright... whenever you feel like....main chalti hu mujhe thode photos ke print collect karne hai... call me..
itna bol ke rima waha se nikal gayi
omkar- mujhe ab bhi vishwas nahi ho raha hai yaar wo 'radha' hi thi
thode samay baad omkar ne kaha
Ashish- chhod na bhai.....dekho mujhe lagta hai that's waht radha always wanted.....not the police station par being hippi wagaire...shayad ab use iska acha bura samajh gaya hoga..
Omkar-mujhe usse milna hai abhi.....
table se uthte huye omkar ne kaha
Ashish- Om mujhe lagta hai ye sahi samay nahi hai....uski mansik paristithi kya hogi, uske ghar par kya haalat honge ye hame nahi pata hai aur aise main tum achanaqk uske samne jaoge to...usse behtar hai lets wait....wo bhi isi shahar main hai aurt tum bhi kabhi na kabhi tum usse mil hi loge
Omkar- baat to sahi hai tumhari par tab tak wo fir se bhag gayi to...
omkar ki baat sun kar ashish apni hasi nahi rok paya
Ashish-so..how was the date with rima??
topic change karte huye ashish ne pucha
Omkar- o bhai please date wagaire kuch nahi tha hum aise hi casually mile the...
ashish- tum hoge casually wo nahi thi, tumne notice nahi kiya wo kitna badhiya tayar hoka aayi thi
omkar- bullshit..rima hamesha aise hi rehti hai
ashish- really? I think there is something cooking om....main rima ko ache se janta hu aur mujhe ab bhi lagta hai ke rima tumhara future hai....manta hu ki tumhe radha pasand hai and all par ab shayad der ho chuki hai wo uske ghar wapis aa gayi hai
TV par anurag aur radha airport se ghar wapis aane ke footage suru the jise dekhne ke liye om fir se TV ke paas aaya aur ashish a[pni jagah se khada hua
Ashish- acha chalo tumhara agar ye girly coffee cookies kha kar ho gaya ho to kuch manly drinks ke liye chale...wo jo naya barbeque nation suru hua hai waha complementry takila shots hai...
Omkar- na yaar...barbeque jitni bhook nahi hai
ashish- alringt, jut drinks then?? cafe eastwoods?
ashish zomato par aas paas ki locations dekhte huye bola
Omkar- sounds good....main abhi aaya change karte tum gadi laye ho na?
ashish- ha, tum aao main raah dekh raha hu
counter par bill pay karke omkar baju ki building main apne ghar chala gaya kapde change karne aur uske jane ke baad itni der se vibrate mode par bajta hua apna phone ashish ne uthaya, rima itni der se use phone kyu kar rahi hai yahi use samajh main nahi aa raha tha lekin somehow wo phone omkar ke bare main tha ye wo janta tha isiliye usne omkar ke samne phone nahi uthaya par uske jate hi usne phone utha liya
Ashish- ha rima bolo
Rima- Om nahi hai na wah?
ashish- nahi hai tum bolo
Rima- dekho ashish, tum hum dono ke kareebi dost ho is nate kya main tumse kuch bol sakti hu aur tumse kuch mang sakti hu??
ashish- ofcourse go ahead
rima- ashish ye radha kaun hai aur usko dekhte hi omkar itna hyoer kyu hua isse sach main mujhe kuch lena dena nahi hai. main aur wo bichme kuch samay sath nahi the tab wo ya koi aur omkar ki jindagi main tha kya is bare main muhe kuch nahi janna hai par ek baat saaf haiIwat to win back om....mujhse kuch galtiya huyi hai manya hai aur main unhe sudharne ki koshish kar rahi hu, will you help me??
ashish- main kisi baat ka wada nahi karunga, om ke man main kya hai mujhe bhi nahi pata, wo filhal ek alag manstithi main hai so mujhe pehle pressurise nahi karna hai par itni baat saaf main hogi jitni madad main tumdono ki karunga
Rima-thnak you ashish..thankyou very much
Utne main ashish ko samne se omkar aata hua dikhai diya to ysne phone kaat diya aur khudse hi bola
" devdas re yaar sahime devdas....sala do do ladkiya line de rahi hai lekin ye ab bhi akela hai "
Aur fir wo dono nikal liye apni tehrayi huyi jagah ki or...........