Update 50
avanti-good main punam se bhi baat kar lungi ye tour khatam hote hi hum teeno ek skype call kar lenge aur fir sara plan discuss kar lenge...
radha-ok avanti and thank you so much this means a lot to me...
avanti-ok bye take care...
itna bol kar radha ne phone cut kar diya aur fir punam ke room ki or chali gayi usse baat karne.......
---------------------------------------------
omkar ne decide kiye mutabik whatsapp par un charo ka grp bana liya usse fayda ek ye hua ke aamne samne na ho fir bhi ragini ki un sab se achi tarah jaan pehchan ho gayi aur shukarwaar ki shaam ko hotel royal palace main jane ka un charo ka plan ban gaya matlab omkar, ashish, ragini aur rima....hotel waise shahar se thoda door tha isiliye unlogo ne omkar ki car se jane ka decide kiya...
omkar ne sab ko pick kiya aur 9 baje ke kareeb wo sab restaurent main pahuch gaye....
rima-tum marriot main kaam karti ho to bahut sare celebraty dikhte honge haina
rama ne ragini se pucha
ragini-ha...bharpoor...waha to baut se logo ka aana jana laga rehta hai na
ashish-aur IPL ki teams bhi wahi rehti hai na??
ragini-ha..aur mera to virat ke sath selfie bhi hai..
itna bol kar ragini ne un sab ko apne cell main se apna aur virat ka photo dikhaya
rima- so lucky yaar......
ashish-aur wo mayami laungue …waha to bohot sari page 3 parties hoti hogi na ??
ashish ne jaan bujh kar mayami ka Vishay nikala aur uski aur omkar ki najre aapas main takrayi
ragini-ha lekin wo pub thoda teen age aur young logo ke liye hai to celebs se jyada waha unke bacche dikhayi dete hai
ashish-fir to waha kafi halla hota hoga in sab bato ko sambhalte kaise hai waha??
Ashish jaan bujh kar bouncers ka aur us hisab se peter ka Vishay nikalne ki soch raha tha lekin tab tak starters aa gaye aur wo baat wahi khatam ho gayi
Un charo ka bate aur khana ek sath chalu tha tabhi waha kone ki trable par baitha ek young ladka lagatar un logo ki taraf dekh raha tha aur kafoi samay baad w out kar unke paas aaya aur omkar se bola
Ladka-aap wo ‘mohabbatein’ book ke writer ho na
Omkar-haa..
Ladka-sir mujhe aapki book bohot pasand aayi….mefre padhne ke baad maine apne sabhi dosto ko wo book padhne ko di aur un sabko bhi wo bohot pasand aayi
Omkar- well…thank you…
Apne awaz main ki excitement dabate huye omkar bola…
Ladka-sir aage mira ka kya hua?? Book ka agla part aane wala hai na..?? kab aayega??
Omkar-uspar abhi kaam suru hai jald hi main announcement karunga
Ladka-please sir thoda jaldi kijiyega hum sab rah dekh rahe hai…..
omkar-bilkul....
ragini ke samne apne ko milne wala fame omkar ko kafi acha lag raha tha
ladka- sir ek selfi milega??
Omkar- sure why not...
omkar ne apna sports jacket sahi kiya aur balo main se hath ghumaya, omkar ke sath selfi lekar wo ladka waha se chala gaya
ragini- oh my god...hamare sath yaha ek celebrity bhi hai
omkar- koi shaq,
shirt ki color uper karte huye omkar bola
ragini-par sach main aage kya hua wo to mujhe bhi janna hai..kaha hai abhi radha??
jaise hi radha ka jikra hua omkar kuch pal ruka fir bola "pata nahi"
ragini- pata nahi? arre fir tumhari book kaise aage badhegi....ya aage ki sari kahani imagination hai
ashish-ha bhai bahut din ho gaye tumse radha ke bare main sune huye hai kaha wo?
omkar- arre mujhe sach main nahi pata na usne mujhe phone kiya na maine use
omkar ne radha ke phone ke bare main kisi ko nahi bataya tha
ragini- mujhe radha ko dekhna hai kisi ke paas uska koi photo hai?
ragini ke sawal par sabne na main garden hila di
ragini- kaise ho yaar tumlog omkar ne apni mira ke bare main book main itna kuch likh diya aur kisi ke paas uska koi photo bhi nahi hai mujhe dekhna hai wo kaisi dikhti hai
ashish- hum sab mile hai usse par photo aisa kisi ke paas nahi hai
ragini- par whatsapp par to hogi na wo uspr profile picture to hoga hi...
ragini apni baat se picher hatne ko tayar hi nahi thi aur akhir ne omkar ne apna phone nikala aur radha ka profile pic open kiya 'welcome to naples, italy' aise sighboerd ke samne radha ka photo tha
omkar- maa ki kirkiri ye italy kab gayi
ashcharya se omkar ke muh se nikal gaya to ragini ne uske hath se phone le liya pohto dekhte ke liye
ragini- wow....she is so pretty..luchy you....(apne kandhe se omkar ke kandhe ko dhakka dete huye ragini boli)
rima- hamara group photo bhejo na use
achanak se rima ne kaha..uske man main ab bhi radha ko lekar thodi jelousy, gussa th, somehow apan ab bhi omkar ke paas hai ye use radha ko dikana tha
omkar- kyu faltu main, aur waise bhi main filhal uske comtact main nahi hu
rima- aise kaise...book ki heroine hai na wo aur real life main bhi....
omkar- rima please
omkar ne rima ki baat beech main kaat di use apne aur radha ke bare main ragini ke samne baat nahi karni thi aur waise bhi wo past tha aur use piche chhod kar omkar aage ke naye raste talash raha tha
ragini- theek hai lekin photo bhejne main kya dikkat hai, aur contact nahi hoga to is bahane se ho jayega
dono ladkiya sunne ko tayar nahi thi isiliye omkar ne photo nikala aur radha ko whatsapp kar diya
raat ke dus baj gaye the aur DJ ne ab soft romantic music bajana chalu kar diya tha
rima- kya badhiya gane chal rahe hai yaar...lets dance...
ragini- nahi yaar chalna chahiye gha par mummy papa raah dekh rahe honge sadhe gyarah baj jayenge pahuchte huye
omkar rima ashish ko ye baat pata thi unhone is hisab se hi plan banaya tha
ashish-oh...theek hai fir main aur rima kuch der rukenge om tum ise ghar chhod dena
decide kiye mutabik ashish bola
omkar-par tum log kaise aaoge fir??
ashish-usme kya hai bhai hum cab le lenge..kuch problem nahi hai tum jao
ragini aur omkar ko thoda samay akele mil sake isiliye unhone ye plan kiya tha....12 baje ke pehle wapis aane ki baat ragini ne unse kahi thi to jaan bujh kar unhone door ka hotel chuna tha
omkar- ok den bye....enjoy
ragini- bye guys!
ragini ne dono ko bye kiya aur omkar ke sath bahar aa gayi, ekto hotel shahar ke thoda bahar tha aur baju se behti nadi ki wajah se hawa thandi beh rahi thi
ragini- I am sorry meri wajah se tumhe bhi jaldi nikalna pad raha hai
omkar- its ok waise bhi main yaha ruk kar kya hi karta
chalte chalte ragini ruki
ragini-tumhare aur radha ke beech main sach main kuch nahi hai
omkar- nope
ragini- par kyu om....maine dekha hai tum paagal ho uske liye, uska hasna, bolna, uska basuri ka tatoo sab ke liye aur ye bate tumhare likhan se pata chalti hai, tum use kabhi bhool nahi paoge.. go for her...
ragini omkar ki aankhon main dekhte huye boli jispe omkar gadi main baithne tak kuch nahi bola aur fir gadi chalu karne ke baad wo bola
omkar- ragini...are you happy??
ragini-matlab?? ofcourse I am happy
omkar- nai matlab aise satisfied about life...jindagi se jo kuch chahiye wo mila hai ya mil raha hai..that types happy
ragini- om I am not even thirty....aise life ke bare main abhi kaise bolu? maine abhi life dekhi hi kitni hai but anyways tumne topic kafi ache se change kiya hai
haste huye ragini ne kaha jispar omkar bhi halke se hasa aur gadi ghar ki oe badha di.........