Update 37
omkar-kyu yaar...meri har baat ko na karne ka tumne decide kiya hua hai kya...
radha-waisa nahi hai dekho tumhare sath ek din main main jo nahi karna tha wo kar gayi ab agar sath rehne lage to najane kya hoga isiliye nahi thik hai..
omkar-aise kaise hoga yaar hum koi chote bacche nahi hai radha
omkar apni jid chodne ko tayar nahi tha aur radha apni aur akhir kaar radha gadi main baith gayi aur dono fir se apne raste par chalne lage.............
--------------------------------------------------------
agle din omkar thoda late office pahucha to ashish waha uski rah hi dekh raha tha omkar ko dekhte ki wo khushi se jhum utha lekin wo kuch bolega usse pehle hi omkar ne use chup kara diya
omkar-please ashish abhi kuch mat bol..
ashish-kyu bhai kya hua pehle din hi bhabhi se jhagad liya kya??
omkar-bhabhi?? hehe
ashish-bhai thoda samajh main aaye aisa bol na
aur fir agle 1 ghante omkar ne ashish ko yaha se nikalne se lekar to lautne tak safar ki puri dastan sunayi
ashish-parbhu kaha hai aapke pair.....kya gazab ki kismat lekar paida huye hai yaar tu..pehle rima mili fir usne tujhe chod diya..fir tuy goa gaya waha tujhe radha mili fir wi gum ho gayi..baadme mili to kaha police station main...fir wapas radha mili usne tujhe kiss kiya I love you bola..aur fir?? fir bhi radhja wpas gum ho gayi?? are koi mujhe batayega ye sab chal kya raha hai???
omkar-main to bi kya karu bhai tu hi bata meri na ab kundali pandit ko dikhane ka samay aa gaya hai
ashish-to ab kya?? ab wapas apna morcha rima ke or badhane wale ho kya wo hai bhi tere liye khali
omkar-rima?? ab ye kaha se aa gayi beech main??aur tu kyu itna hyper ho raha hai??
ashish-nahi to kya tera hi kuch decide na ho raha hai rima ya radha??
omkar- par maine to rima ke bare main baat tak na ki
ashish-nahi kaise?? tum dono ko fir se milna chalu nahi tha beech main
omkar-humj dono nahi sirdf wo...wo milti thi mujhse
ashish-fir tu nahi bol sakta trha na use kyu usko atka ke rakha bhai sidhas sidha bol de mujhe tujhme intrest nahi hai
omkar-wo main mera dekh lunga partu kyu uski itni baju le raha hai???
ashish-matlab tu rima ko use kar raha hai radha nahi to uske paas radha hai to kon rima wagaire hai na aisa chalu hai tera
omkar-dekh ashish...
omkar kuch bolne hi wala tha ke uske desk par ka phone bajne laga aur undono ki baat chit wali rook gayi
us din ghar par aane ke baad usne ashish ki baat par bahut socha kya wo sachme aisa hi behave kr raha tha jaisa ashish ne kaha?? jan jujh kar nahi par anjane main??
ek hi samay par wo do navo main pair rakh kar rima ko bahut takleef de raha tha pehle jaisa pyaar uske man main rima ke liye nahi tha aurradha ke milne ke baad wo pyaar jagne ki koi asha bhi nahi thi matlab ye bt kabhi usne rima ko nahi batayi shayad ashish ke mutabik rima ab bhi uski rah dekh rahi ho usne kafi der socha aur fir rima ko phone lagaya
rima-hi om..what a pleasent surprise...
omkar-hey rima..kaisi ho
rima-main badhiya tum batao kaise yaad kiya...
waise to omkar ne breakup karne ke liye phone lagaya tha lekin akhri kyu na ho ye baat milkar hi karni chahiye aisi uski icha thi lekin rima ke us niragas chehre ke samne shayad uske shabd uske gale main hi taak jate..
omkar-tumse kuch baat karni thi..
rima-bolo na breakup karna hai..
ekdum sajahta se rima ne ye baat boldi lekin isse omkar ke pairo tale jamin khisak gayi
omkar-break to hamara kab ka ho gaya tha tumne hi to kiya tha
rima- hai na fir kis liye phone kiya hai tumne
omkar-dekho rima mujhe pata hai ke tumhe lagta hai ke hum dono fir se ek ho sakte hai tumhari jagah main hota to mujhe bhi shayad aisa hi lagta..
rima-meri jagah matlab?? matlab aisi akeli besahara..abala...jiski jindami main koi nahi hai aisi??
omkar-nahi waise nahi....matlab tumhe tumhari galti samajh main aa chuki hai pehla break up tumhari galti se hua tha...
rima-tumhe ye to yakin hai na ke maine meri galti maan li hai fir baar baar kyu yaad dila rahe ho..???
omkar-tum sirf ladogi hi ya mujhe bhi bolne dogi
rima-thik hai bolo..
omkar-mujhe aisa lagta hai ke hamare beech ka jo pyaar tha na wo kabka khatam ho chuka hai kam se kam meri or se..fir use lamba kar kheech kar mafi ki sticky tape lagakar dobara jeene main koi matlab nahi hai..
rima-tumhe ye sachmuch lagta hai kya??? radha..
omkar-radha ko beechmain mat lao uska is sab se koi lena dena nahi hai hum hum dono ke bare main baat kar rahe hai aur ye baat humk dono ke beech hi rehne do please.. mujhe lagta hai faltu main compromise karke ek dusre par khud ki ichaye lad kar ye relationship tikane ki koshish karna bekar hai, pyaar ye koshish karke ki jane wali chiz nahi hai rima
rima- to radha ke mamle main tumne koshish nahi ki thi haina..
omkar- main fir se keh raha hu rima radha ko beech main mat lao
rima- anyways tumne decide kar hi liya hai to bolke koi matlab nahi hai...
Omkar-rima suno na...mujhe bas itna kehna hai ke hum apne dono main se pyaar ye shabd alag kar dete hai na...hum ek dusre ke ache dost bhi to ban ke reh sakte hai na..
Rima-omkar please...mujhe ye friendzone waigaire ka prakar nahi jamta hai lekin ha...aisa bhi nahi hai ke agar kal tum mujhe khi raste main dikh jaoge to main apna rasta badal lungi...anyways all the best... tumhe tumhara pyaar milo ye main har roj bhagwan se prarthana karungi..
Omkar-kyu aisi bate kar rahi ho yaar tum bhi yahi ho aur main bhi bas kuch nahj hai to hamate beech ka tumhe chahiye wo relationship....itnahi..
Rima-itnahi...sirf itnahi...maine tumhari book padhi hai kya radha ke bare main tumhari sari bhavnaye tumne usne vyakt ki hai kya tum un sabhi bhavnayo ko itnahi is ek shabd main vyakt kar skte ho ....nahi na???? maaf karna tumne mana kiya fir bhi radha ki baat chedi lekin mujhe lagta hai aaj jaha main hu waha tum bhi ho..mujhe pata hai pichli baar mujhse galti huyi aur main apni galti hazar baar nahi lakho baar mani hai....tumhara pyaar samajhne jitni main mature nahi thi....tumne mujhe niswarth pyaar kiya aur maine selfish aise tumse ashaye ki, tumhe meri aur se apekshit pyaar mile hum ekdusre ki galtiya bhul ke sath aa jaye bas itna hi mujhe lag raha tha but you are right maine kitni bhi koshish ki tobhi tumhare man main main apne liye pyaar nahi jaga sakti and I don't want to look like a bitch....tumhare samne pyaar ki bheekh mangne wali.....mujhe bhi mera self esteem sambhalna chahiye aur sath hi tumhariobhavnaoka sanman karna chahiye...so......good bye writer....tumhara rasta saaf hai...iske baad tumhari jindagi main rima nahi aayegi
omkar ne bolne ke liye muh khola par uske muh se shabd nahi nikal rahe the...uska gala bhar aaya tha, usne bolne ki koshish ki par phone kabka band ho chuka tha
omkar ne phone rakha aur khudki main aaya, khidki kholte hi ek garm hawa ka jhoka ander aaya, march ka mahina chalu ho chuka tha aur abhi se may ki garmi mehsoos hone lagi thi, road par se gadiya dhul udate huye daud rahi thi
Omkar ki najar door asman main udne wale patang par tik jati hai...hawa ki lehro ke sath udta huya uper aur uper jata huva wo patang achanak kat jata hai uska aur mange ka sambandh toot jata hai....hawa par sawar ho kar udne wala wo patang ab usi hawa ke sahare dishahin ho jata hai jaha use hawa ki lehar uda le jaye...
Udte udte wo dishaheen patang omkar ki najro se door ho jata hai lekin omkar ki najar ab bhi usi asmaan main tiki huyi thi disha heen.......