Update 66
Budhwaar ko subah jab omkar aur ragini nikle tab aasman main kale badal chhaye huye the
"Aaj shayad barish hogi" ragini ne aasman ki or dekh ke kaha
"Bilkul... Waise bhi farmhouse aisa pahado main bana hua hai to yaha barish na bhi huyi to waha jaroor hogi" omkar ne kaha
"Radha ghar par hai abhi?"ragini
"Pata nahi hogi shayad..."
"Matlab? Tumlog mile nahi party ke baad main..." Ragini ne ashcharya se pucha
"Nahi.... Wo busy hai kaam main...uske office main kuch deligates aane wale the" omkar
"Oh...ok"
car jaise hi thoda shahar ke bahar aayi ragini ne ac band karke car ki khidki khol di aur thandi hawa ja jhoka ander aaya
"Solid thandi hai na bahar" ragini ne kaha
"Ye lo gale main pehan lo" apne gale ka muffler nikal kar ragini ko dete huye omkar ne kaha
"Thanks" aur ragini ne wo muffler le liya
Ragini ne apne baal khule chhod diye to bahar se aane wali hawa se uske baal udne lage
"Nahi yaar please nahi.."omkar
"Kyu?? Kya hua.." ragini
"Apni in julfo ko is tarah se na lehra de e jalim , in ghani ghatao ko dekh kahi ye badal na sharma jaye.." omkar ne haste huye kaha
"Oh ho ekdum shayari wagaira " ragini
"Agar aap jaisi haseena sath ho to..."
"Oh hello tum flirt kar rahe ho mere sath" ragini ne omkar ko rokte huye kaha
"Nahi karunga tumhe pasand nahi hai to"
"Maien kab kaha mujhe pasand nahi hai "ragini
"Ok" aur dono hasne lage
Ragini ne fm suru kiya to lag ja gale gaana suru tha
'humko mili hai aaj ye, ghadiya naseeb se
Jee bhar ke dekh lijiye, humko kareeb se
Fir aap ke naseeb main ye baat ho na ho
Shayad fir is janam main mulakat ho na ho'
Ragini ne arthpurn najro se omkar ki taraf dekha.....
Thodi der main wo 'whistling wood' ka board lage ek gate main se ander ghuse
"Wow yaar kya badhiya area hai ye.." ragini ne aaju baju dekhte huye kaha
"Arre ye kuch nahi hamara farmhouse waha uper hai pahado par waha se dekhna kya badhiya location hai" omkar
"Hamara??"ragini
"Ha matlab hum vasudev kutumbakam wale hai na to sab hamara hai" omkar ne haste huye kaha
15 minto ke drive ke baad omkar apne farmhouse par pahucha..kafi sara kaam pura ho gaya tha waha...
"This is seriously good...."ragini ne kaha
"I know...main to soch raha hu iske banne ke baad yahi aakar rahu ekdum shant jagah hai book likhne ke liye ekdum perfect" omkar ne kaha
"Radha ko dikhaya ye..?" Ragini
"Nahi abhi nahi par mujhe nahi lagta use ye pasand aayega...use happening jagah achi lagti hai yaha ki shanti chubhegi use" omkar
"Jo hai wo hai ab tumhari relationship hi adjustment par hai to kya hi kare" ragini
"Ye taunt tha kya..."ragini ki taraf dekhte huye omkar ne kaha jispar ragini kuch nahi boli
Dono ne fir farmhouse dekha...omkar ne ragini ko drawing room dikhaya aur fir waha ka interior kaisa ho...kya kya naya waha kar sakte hai dono ne ispar baat ki...
"yaha na wo purane jamane ka recorder rakhna.."
"aur yaha main..wo lights lakar lagaunga jo tumhare room main dekhe the mujhe kafi pasand aaye the" omkar
"aur diwaro ka kiya karne wale ho..waha na aise books ma murals karke lagana acha lagega aur khas kar writer ka ghar dikhega" ragini
"aur kitchen main kya karna hai..?" omkar ne arthpurn najro se ragini ko dekha...ragini ko uske sawal ka matlab samajh main aa gaya
"wo maine kaise batau wo tum radha ko pucho wo uska department hai...maine bataya aur use pasand nahi aaya to" ragini ne mand mand uskurate huye jawab diya
ragini ne jamin par gira et ka tukda uthaya aur diwar par O heart R aisa likh diya
"R?" omkar
"R for Radha"
"ha..ha sahi hai fir aisa adha R kyu pura likho na" omkar ne thoda chidh kar kaha
"ok as you wish" aur ragini ne waha pura radha likh diya aur waha se bahar nikal gayi
"kuch jalne ki boo aa rahi hai...ye workers bhi na..sara kachra jala dete hai yaha" jaan bujh kar ragini ke paas se jate huye omkar ne kaha
"o mister writer chalo na bhukh lagi hai kahi chalte hai?" ragini
"yes chalo yahi paas main ek mast hotel hai"
dono waha se nikle to thoda aage jane ke baad
"oh shit!!" ragini
"kya hua?"
"samne dekho tumhare mom dad.."
omkar ne samne dekha to uske maa babuji aa rahe the unhone bhi un dono ko dekh liya aur ab to piche kahi chipne ki bhi jagah nahi thi
"arre babuji aap yaha??" omkar ne normal hote huye pucha
"haa tumhare mamaji ne bulaya tha to waha aaye the aaj mausam acha dikha to yaha chale aaye tumhari maa bhi ghum leti thoda to..par tum yaha kaise?"
"bas aise hi generally aa gaya tha dekhne kitna kaam hua hai to"omkar
"radha nahi aayi?" omkar ki maa ne pucha
"nahi...use kaam tha thoda warna hum dono hu aane wale the par fir radha ko kaam aa gaya aur main ise sath le aaya" omkar ne kaha
"tum ragini na??" omkar ki maa ne ragini ki taraf dekhte huye kaha
"ha maa I mean aunty' ragini
"arre chalega maa bola tab bhi chalega"
somehow omkar ki maa ragini ko dekh kar khush lag rahi thi
"chalo hum restaurent main ja rahe hai aaplog aa rahe ho?" omkar ne pucha
"ha chalo" omkar ne pitaji ne kaha aur wo chalo restaurent main aaye
charo ki badhiya bate chal rahi thi
"omkar chalo jara bahar se aate hai" omkar ke dad ne kaha aur dono bahar aaye
"kya hua?" omkar
"arre kuch nahi drinks karne ka mood tha..tumhari maa ko pasand nahi hai na subah subah isiliye bahar le lenge chup chap"
dono ne small pegs liye
"maa aaj solid mood main hai na...ragini se achi banti hai unki" omkar ne kaha
"omkar stop it....mujhe pata hai tum kya kehna chah rahe ho...dekho mane tumhe kafi kuchy nahi kaha hai kyuki main janta hu ki tum kuch galat nahi karoge par hum waise log nahi hai..tumhari aur radha ki shadi pakki ho gayi hai..tum dono ne soch ne samajh ke ye faisla liya hai...ab use takleef dekar ye shadi mod kar tumhara ragini se shadi karna mujhe pasand nahi aayega.."
"par babuji jo galti ho gayi hai wo badhe usse pehle use sudharne main kya burayi hai?" omkar
"galti?? tumhe abhi se wo galti lagti hai? omkar pehle rima fir radha aur ab tumhe ragini pasand hai? kabhi khud ke decisions par kayam raho..kya guarentee hai ke bhavishya main tumhe koi aur pasand nahi aayegi......grow up now...tum college main padhne wale ladke nahi ho aise aashiqur karne ke liye"
"ok main aapki baat samajh raha hu par babuji kabhi kabhi aisa hota hai na ke aap raste se cal rahe ho..chalte chalte aap kafi aage badh gaye ho fir pata chalta ke arre ye wo rasta nahi hai jaha aapko jana tha..aur ye tabhi pata chalta hai jab aap raste par aage badh jate ho shurwat main sani samajhta fir tab hum kya kare?? chalte rahe ye jaan kar bhi ki ham galatraste par hai?" omkar
omkar ne babuji kuch nahi bole unhone apna peg khatam kiya aur waha se chale gaye
wapis aate samay omkar bhi gadi main shant hi tha ragini ne puchne ki koshish bhi ki ke kya hua par omkar ne baat taal di........