• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mohabbatein... (Completed)

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 51

naples ke aasman ka nila pan kam hokar waha gehra laal, gulabi, kesri rang bikher gaya tha, dinbhar tapta hua sujar dubne laga tha, samundar ki or jane wale rashte se thodi duri par bane ek cafe main radha poonam ke sath baith kar griled sandwich aur coffe ka maja le rahi thi, uske sath wali trip ke log pichli raat ko hi laut gaye the aur wo aur poonam avantika ke kahe mutabik agle ek do mahine wahi rukne wale the

"radha wo chef dekho yaar....kitna hot hai na..."poonam neander ke counter ki or ishara karte huye kaha

"ha yaar aur wahi hamare yaha ke chefs hai bulkul ulte" radha ne kaha

"wo tabse tumhari or hi dekh raha hai..chalo baat karte hai usse" radha ko chidhate huye poonam ne kaha

"chup karo tum faltu main kya baat karni hai usse" radha

"arre chalo to kya pata ekadh wine ki bottle hi dede complimentry" poonam radha ko khichte huye boli

"na tum hi jao mujhe bahut bhukh lagi hai..aur aate huye mere liye ek pasta lete aana" radha ne kaha aur poonam akeli hi chali gayi

poonam ke jane ke baad radha ne apna phone on kiya aur messages dekhte huye use omkar ka bheja hua photo dikha....ashish aur rima ko wo chehre se pehchanti thi lekin omkar ke bagal main baithi huyi ladki, ragini, kaun hai use samajh nahi aa rahatha

omkar ke office main koi ladki hai ye usne nahi hua tha aur om ne apni kisi behan ke bare main bhi use kabhi nahi bataya tha

"radha tumhara naam puch raha tha wo..." table par pasta ki dish rakhte huye poonam ne kaha

"hmm"

"hmm kya lagta hai fida hai wo tumpar shaam ko beach ke shaks par dinner ke liye puch raha tha"

"ok"

"acha tumhe puchna hi reh gaya, tumhe pasta red sauce main chahiye tha ya white sauce main" radha ke samne pasta ki dish sarkate huye poonam ne kaha

"hmm"

"o..o...o..main kya pagal hu akeli badbad karne ke liye? tab se phone main dimag laga ke baithi hai la wo phone dhar" itna bol ke poonam ne radha ke hath se phone le liya aur phonemain ka photo dekh kar poonam ne pucha

"kiska photo hai ye?

par radha ne koi jawab nahi diya, usne pasta ki dish apni or li aur khana chalu kiya par uska khane main dhayan hi nahi tha wo bas dish main chamcha ghuma rahi thi

"radha kya hua hai? tum ekdum itni isturbed kyu ho gayi aur is photo se sambandh hai kya is baat ka?" poonam ne pucha

"aisa kuch nahi hai.chhodo na kafi lambib kahani hai.." radha ne kaha

"to hame kaunsa kal subah tak koi kaam hai"

"theek hai pehle pasta khatam kar lu fir coffee order karenge aur fir tumhe sab batati hu"radha

"aur is chef ka kya karna hai? use aaj ki jgah kal milte hai kehti hu..ok?"

"hmm...ok.."

aur poonam us chef se baat karne chali gayi ayaha radha ne omkar ka message open kiya..kya reply kare use samajh main nahi aa raha tha aur ye ladki kaun hai aisa direct puchna bhi use sahi nahi lag raha tha usne sirf tum sab badhiya lag rahe ho aisa message kar diya

Jab radha aur poonam ki bate khatam huyi tab shaam beet kar raat ho chali thi aur jaha wo baithe the us galli ka roop hi badal gaya tha sabhi restaurants main kafi sahi lights lagi huyi thi aur kuch jagah system par to kahi live bands sangeet baja rahe the, bikini main ghoomne wali ladkiya ab raat ke one piece partywear main apne boyfriends ke sath ghoom rahi thi

"hmm...to aisa hai sab kuch" kuch pal shanti main bitne ke baad poonam ke kaha, "par yaar maan gaye tumhe... you are great matlab apne sapno kapicha koi kare to aise kare.."

"Zingadi badi honi chahiye lambi nahi....mujhe jab jab jo jo laga maine kiya bagair soche ki iska aage kya asar hoga" radha

"fir ye jo koi omkar hai kya tum ise pasand karti ho matlab disri laki ke sath uska photo dekh kar tum disturb ho gayi thi isiliye pucha" poonam

"is mamle main to main khud confused hu....matlab wo acha hai....kabhi kabhji uske bare main mujhe feelings mehsoos bhi huyi par mera dheya constant tha aur mujhe is relationship ke chakkaromain nahi padna tha isiliye is bare main itna kabhi socha hi nahi" radha

"par wo to tumhe pasand karta hai na" poonam

"200%" haste huye radha ne kaha

"tumhari jagah agar main hoti to shayad main is bare main sochne ke liye samay leti ekdum na nahi kehti matlab jo kuch tumse suna hai uspar se ye banda sadha bhola jaan pad raha hai, dikhne main cute hai aur tumse pyaar karta hai aur si prem ke liye ek kitab likh chuka hai" poonam

"arre hum dono do alag alag chor hai wo ekdum sadhi jindagi jine wala hai aur mujhe hamesha kuch naya romanch chahiye, kabhi kahi pagal jaise ghumne ka man karta hai to kabhi lagta hai ki koi rock band join kar lu to kabhi kisi nirjan jagah tambu thok ke ruk jau aur wo isme se kuch bhi nahi karega" radha

"tumhari baat sahi hai par tum sirf present ke bare main soch rahi ho bhavishya ke bare main socha hai kabhi..matlab jo tum aaj kar rahi ho wo isliye ke tumhara sharir sath de raha hai man sahi hai aur par..."

"kis bhavishya ki baat kar rahi ho poonam..kal kise dekha hai...aur us bhavishya ke liye main apna aaj niras kar lu aur wo kal aaya hi nahi to? kal ko main jis plane main rahu wo crash ho jaye ya mujhe koi truck uda de ya heart attack aa jaye kuch bhi ho sakta hai" poonam ki baat katte huye radha ne kaha

"par tumhara kal aayega hi nahi aisa bhi nahi hai na aur us bhavishya ka samna karna pada to kya karogi??" poonam

"ye to murgi pehle aayi ya anda wali baat hogayi...jaane do aur hum ye suhani shaam is philosophical discussion main kyu bita rahe hai chhodo aur is photo ka kya karna hai batao" radha

'mujhe lagta hai usne tumhe ye photo jaan bujh kar bheja hai tum usse us ladki ke bare main abhi kuch mat pucho dekhte hai kya hota hai" poonam ne kaha

"to ab kya karna hai khane ke liye bhukh nahi hai" radha

"night outs ke liye jagah dekhte hai.." poonam

"nahi yaar aaj ke liye bahut kaam ho gaya hai usse acha drive in par jate hai..open screen theaters hai mast car main baith kar film dekhenge koi" radha

"na waha sab couples hote hai aur hum dono..."

" to kya hua bol denge we are lesbo...chalo..nirlajjam sada sukhi" radha ne poonam ko uthate huye kaha


dono ne bill pay kiya aur car main baith kar downtown ki or chali gayi
Manmohak update hai mitr.
 
  • Like
Reactions: Adirshi

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 52

dono ne bill pay kiya aur car main baith kar downtown ki or chali gayi

yaha radha ka reply dekh kar omkar ka man khattu ho gaya tha..uselaga tha ke radha ragini k bare main puchegi.to omkar ne wo baat wahi chhod di aur radha ne bhi is bare man baat na karne ka decide kiya tha

dheer dheer din bitne lage..

ek din ashish aur omkar office main baate karte huye baithe the

"so..kya boli ragini..aajkal tum dono ekdusre se kuch jyada hi mil rahe ho" ashish

"ragini.....achi ladki hai wo isme koi doubt nahi hai aur usse bate karna suru ho jaye to samay ka pata hi nahi chalta topic koi bhi ho uspar hum ghanto baat kar sakte hai" omkar

"haat yaar..matlab abhi bato pe hi kaam ruka hua hai mujhe laga aage bhi kuch hua hoga.." ashish

"arre uska sahime peter naam na koi boyfriend hai beech main bato bato main uska jikra hua tha..aur uski bato se nahi lagta ki wo jhoth bol rahi hai.." omkar

"acha toek kaam karte hai..ek movie ka plan karte hai..apan charo aur us peter ko bhi bula lenge agar sach main hua to aa jayega ua ragini koi bahana bana degi..kya bole ho?" ashish ne apna dimag chalaya

"theek hai done...par hame ekdum last ke show wagaire ko jana padega, 11.30 baje wagaire uski duty hoti hai na bauncer ki.." omkar ne hami bhari

" I am ok with it tum ragini se baat kar lo aur ticket ka dekh lo.."ashish....

decide kiye mutabik movie jane ka plan fix ho gaya.peter ko bulane ke bare main rati ne kaha ki agar wo duty se time se chhuta to aa jayega so pehle tickets mat nikalna ..samay par nikalenge

omkar man hi man khush ho raha tha..kahi na kahi use bhi ashish ki baat sahi lag rahi thi ke ragini ka koi boyfriend nahi hai wo bas fek rahi hai aur samay par bolegi ke uska aana possible nahi hua bas yahi baat man me leke omkar theater ke liye nikal gaya...

ashish aur rima pehle hi waha pahuch gaye the aur thode samay main ragini bhi waha pahuch gayi aur ispar sirf omkar bhi ashish bhi use dekhte hi reh gaya aur sirf yahi dono kyu theater ke kafi ladke use hi dekh rahe the

olive color ka aur uspar phoolo ke pattern wala sleveless frock usne pehna hua tha...baal khule chhod rakhe the aur uski ek side pins lagake set ki huyi thi..kano main chanderi rang ke jhumke uske gore varn par ache dikh rahe the..pair main gladiator style ke sandels uske najuk pairo main aur bhi badhiya lag rahe the...ragini ke kareeb aate hi uske halke perfume ka sugandh omkar ke naak main ghusa

"looking bbeautiful.." omkar ne kaha

"thanks..." ragini

"peter aa raha hai na?" ashish ne pucha

"pata nahi..maine phone kiya tha to usne uthaya nahi thodi der raah dekhenge nahi to hum chalenge" ragini ne kaha

10-15 minutes shanti main bite...om man hi man prarthana kar raha tha ke peter aaye hi na par uski prarthana fail ho gayi aur ragini ka phone baja..

"hushh...acha hua tum samay par aa gaye" ragini phone par baat kar rahi thi.."ha mujhe pata hai...tum kaam par the...ok sorry.. ab hum kya phone par jhagda karne wale hai kya...hmm jaldi aao hum first level par hai..." ragini ne apni baat khatam ki

"wo aa gaya hai.." ragini ne kaha

omkar ke dil ki dhadkan badh rahi...thode hi samay main ek balshali sharir ka ladka unke paas aaya..uske samne ragini kisi gudiya ke jaisi dikh rahi thi

"guys this is peter.." ragini ne sabki pehchan karwayi aur omkar aur ashish ki najre mili

"so..kaunsa movie dekhne wale hai hum??" peter ne pucha

"last week jo rom-comrelease hua hai wo kafi acha hai.." ragini ne kaha

"abey yaarr...faltu main aise senti films nahi dekhne hai yaar usse acha aaj jo release hua hai wo zombi movie dekhte hai" peter

"na..bahut jyada blood shed hota hai zombi movie main ladkiya darr jayengi faltu main" omkar ne kaha

"darne ke liye kya bacciya hai wo aur har baar hum hi kyu unki pasand ki films dekhe" peter

peter ki baat sun kar omkar ne sabko dekha..jab koi kuch nahi bola to usne tickets nikal liye... movie usi din release huyi thi isiliye achi khasi gardi thi isiliye sabko ek hi line main tickets nahi mile 2 seats aage ki row main thi to teen piche..omkar ne wo do tickets ragini aur peter ko di aur wo piche ashish aur rima ke sath baith gaya

jaisa socha tha usi hisab se movie ekdum faltu tha ...theater chikhe goli ke awaj..mara-mari..blood sheds se bhara hua tha par omkar ka to movie ki taraf dhayan hi nahi tha..wo baar baar samne baithe ragini aur peter ki or dekh raha tha..matlab ragini ko bhi wo movie pasand nahi aaya tha par peter uska pura maja le raha tha aur kuch bhayanak scenes main jab ragini peter se chipakti ko omkar aur bhi jal jata

movie main ek zombie ki sena shahar par akraman karti main aur film ka hero talwar bandook jo mile usse unka safaya kar raha tha wo scene chalu tha aur jab ragini se sahan nahi hua to wo uth kar bahar chali gayi aur jate huye usne ek najar omkar ki or dekha

omkar ne kuch samay ruk kar peter ko dekha..wo film main khoya hua tha aur ragini waha nahi hai ye bhi uske dhayan main nahi tha to omkar bhi bahar aa gaya..ragini bahar coffee counter ke paas coffee pi rahi thi omkar ko aata dekh usne ek aur coffee order ki...

"horrible movie na??" ragini

"hmm"

"I am sorry..faltu main hamari wajah se tumhari shaam kharab ho gayi warna tumkoi dusra movie dekh lete"

"its ok ragini ye kuch alag dekhne mila" haste huye omkar ne kaha

"meri aur peter ki pasand bahut alag hai aur uski wajah se hamari jyadatar dates jhagde main badal jati hai.." ragini ne kaha.." par wo man ka kafi acha hai..jab mood main hota hai tab usse behtar koi nahi hai..kafi safe mehsus hota hai uske sath" ragini

achanak omkar ko radha ki yaad aa hayi...uska ur radha ka bhi aisa hi tha... dono ki pasand alag thi agar kafi radha aur omkar sath aaye to kya apna bhi aisa hi hoga?? jhagde hi jyada honge??

omkar aur ragini bahar baat karte baithe the..10 minutes huye honge utne main peter bahar aaya

"tum yaha kya kar rahi ho" thoda sa chidh kar aur omkar ki taraf shaki najro se dekhte huye peter ne pucha

"peter..please..kita boring movie hai wo main aur nahi dekh sakti use" ragini

'to kya hua main bhi to tumhare sare rondu movies dekhta hu"

"kaha dekhte ho...last time hum 'natsamrat' dekhn gaye the to tum adhi movie se mujhe chhod kar chale gaye the"

"ha to aisi filme dekhne ki umra thodehi hai apni anyways chalo chalte hai" peter

"kaha??"

"arre rony ka phone aaya tha 'hard rock cafe main party hai wahi jana hai..." peter

"aur film??"

"jane do main baad main download karke dekh lunga..chalo"

"aur bakiyo ka kya wo to tumhari wajah se ye film dekh rahe hai na" ragini

itne main rima aur ashish bhi bahar aa gaye

"kaun dekh raha hai sabhi to bahar aa gaye hai" peter

"nahi yaar mujhe bore hota hai tumhara group..tumlog baith kar sirf pite ho"

"ha to tum colddrink le lena kya hai na waha masala doodh nahi milta hai" apni hi baat par pete jor jor se hasne laga par fir uske dhayan main aa gaya ke ragini hurt huyi hai' "ok sorry ab chale...bye guys"

"theek hai ghar chal kar main kapde change kar leti hu ye aise chote kapde pehan kar chalu kya waha??

"usme kya hua yaha aayi thi na.." peter

"ha par theater aur hard rock main farak hai usme tumhare sare dost mujhe aise dekhte hai ke..."

"chalo yaar main hu na dekhta hu kaun kya bolta hai to"

"ragini tumhe chahiye to ye mera sports jacket le jao.." apna jacket ragini ko dete huye om ne kaha

"thank.." itna bol kar ragini peter ke sath waha se chali hayi

"to ab kya kiya jaye" unke jaye hi omkar ne pucha

"ha be wo bacha hua movie dekhne ka ab man nahi hai" ashish ne kaha

"usse acha kahi khana khane chale" rima

"tum log jao mujhe waise bhi bhukh nahi hai aur sham ka bhi satyanash ho gaya hai" omkar


undono ne omkar ko sath chalne kaha par omkar nahi mana aur wo teeno ek dusre ko buy karke chale gaye.......
Atulniye update hai mitr.
 
  • Like
Reactions: Adirshi

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 53

undono ne omkar ko sath chalne kaha par omkar nahi mana aur wo teeno ek dusre ko buy karke chale gaye.......

omkar ghar aaya apne joote ek kone main feke aur bed par pasar gaya...kuch 10 minute hi bite honge to uske phone par ek message aaya...message ragini ka tha

'can you pick me up from koregaon park....agar cinema hall main na ho aur busy na ho to please call'

omkar ne phone lagaya

"kaha ho om??" kuch ghabraye awaj main ragini ne kaha

"ghar aa gaya hu kyu? kya hua?" omkar

"please mujhe pich kar sakte ho?? main koregaon park main hu.."

"ha main aa raha hu par peter kaha hai?"

"wo mujhe raste main chhod kar chala gaya please tum jaldi aao main yaha akeli hu" ragini

omkar ne ghadi par najar dali..raat ke sadhe bara baj rahe the...koregaon park shahar ke bahar ka nirjan bhag tha aur is samay ragini akeli raste par wo bhi aise kapdo main..

"ragini dekho raste par mat kadi raho..aaju baju main koi jagah hai kya??"

"nahi yaha kuch nahi hai..ek minute..waha aage...shii.....sulabh shauchalaya hai.." ragini ne kaha

"very good wahi jakar ruko main aa raha hu" omkar

"pagal ho kya..arre wo public toilet hai kitni gandagi hoti hai waha.." ragini

"dekho ragini main jaldi pahuch raha hu aise raste par akeli mat ruko please meri baat mano aur mujhe whatsapp par apni location send karo aur waha ruko main nikal gaya hu" itni baat karne omkar nikal gaya aur jte huye apne sath usne 3-4 perfume ki bottles bhi le li aur gadi ragini ki location ki or badha di

raat ka samay hone ki wajah se traffic kam tha 20 minute main omkar waha pahuch gaya aur use dekhte hi ragini usse aakar chipak gayi

"mai..maine ander ulti kardi" rote huye ragini ne kaha

"its ok...its perfectly ok.." uski pith sehlate huye omkar ne kaha usne gadi main se pani ki bottle aur perfume ragini ko diye..ro rokar uske eyeliner ki vaat lag chuki thi galo par kali lines umat gayi thi baal bikhar gaye the..jab ragini thodi normal huyi tab usne usne gadi main bithaya aur gadi badha di

"kya hua tha??" omkar

"hamesha ki tarah hamara jhagda hua..mujhe nahi jana tha om uske dosto ke group main usme usne jis taraah tum logo ke sath behave kiya uska mujhe gussa aa gaya tha... humj dono ka para chadha aur maine use gusse main usse kaha ki mujhe yahi utar de to usne sach main mujhe gadi se utara aur chala gaya" ragini

"kya chutiyagiri hai....fir? tumne kya kiya?" omkar

ragini ne apna phone on kiya aur usme se ek message omkar ko dikhaya

"peter I am breaking up with you..please kal se apni sadi huyi shakal mujhe mat dikhana"

wo message dekh kar omkar ki aankhon main chamak aa gayi waise hi ragini ne kaha " maine tumhari wajah se usse break up kiya hai aisa mat samajhna "

"chhe...maine aisa kab kaha" omkar

ragini ne omkar ke gadi ke dashboard panel par najar dali

"kya hua?" omkar

"dekh rahi hu petrol kitna hai "

" bahut hai..kyu?" omkar

"fir jaha chalna hai chalo meri abhi ghar jane ki bilkul icha nahi hai " itna bol kar ragini ne gane ka awaz badhaya seatbelt lagaya aur aankhen band karke aaram se baith gayi


"your wish my command mam...driver omkar at your service" aisa bol kar omkar ne gadi city exit ki or ghuma di...
Wonderful update hai dost.
 
  • Like
Reactions: Adirshi

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 54

"your wish my command mam...driver omkar at your service" aisa bol kar omkar ne gadi city exit ki or ghuma di...

"bhai kafi mushkil hai yaar ye baat pacha pana aisa bhi koi karta hai kya " omkar se pichli raat ka kissa sunne ke baad ashish bola

"abe haa be....use aise hi akele chhod ke chala gaya wo agar kuch ulta sidha ho jata to?" omkar

"fir baad main tum logo ne kya kiya, kaha gaye ghumne?" ashish

"khapoli tak gaye the bhai ghumne fir ekdum kas ke bhookh lag gayi waise to icha thi kisi dhabe pe jake mast khana khane ki par ragini ke kapdo ki wajah se waha na jake food mall chale gaye the" omkar

"to uska break uo ho gaya tum to kafi khush hoge isse?" ashish

"ha..par mujhe na uska behaviour thoda immature laga..I mean peter ne jo kiya wo to galat tha hi par itna jaldi break up" omkar ne kaha

"to, aisa faltupan kaun sehan karega bhai aur tumhe kaise pata ki isi baat ki wajah se breakup hua hoga shayad pehle bhi kai bate huyi hogi ye ye baat breakup ka karan ban gayi..bas.." ashish

"hoga par wo thodi alhad immature lagti hai mujhe"

"ha ha aur tum to kafi mature ho khud ko hi dekho pehle rima ko...."ashish

"ek minute maine rima ko nahi chhoda usne mujhse breakup kiya tha" omkar ne kaha

"ok aur radha..."

"usme bhi meri galti nahi hai radha ne hi koi rishta age badhane se mana kiya " omkar

"main kaha mana kar raha hu yaar par ab radha ke sath sath tumhe ragini bhi pasand aane lagi hai" ashish

"to....tum aisa kehna chante ho ki main radha ko pasand karta hu to kisiko dekhubhi nahi
aur jab radha ne mana kar hi diya hai to kya ab main jindagi bhar uski raah dekhte akele rahunga aur ye natural hai yaar tumhare sath bhi hota hoga" omkar ne kaha

"thik hai bhai gussa mat karo ye bate band karte hai aajsham ko publisher ke sath meeting hai sadhe char ke kareeb comfirm karu na??" ashish

"ok final kar do" laptop main dekhte huye omkar ne kaha

----------------

4-5 din beet gaye uske baad ragini ka omkar ko phone aaya

"saturday ko subah kya kar rahe ho?" ragini

"kuch khas nahi...kyu?" omkar

"ghar aaoge?"

"tumhare?"

"ha aur nahi to kiske?"

'kyu?"

"aise hi hum ekdusre ko itne dino se jante hai aur main generally apne dosto ko ghar bulati hu"

"theek hai sadhe gyarah baje theek rahega" omkar

"ok main rah dekhungi"
----------------

jaisa decide hua tha us hisab se omkar ragini ke ghar pahuch gaya...denim ki short aur halke gulabi rang ka t-shirt aise sadhe ghar ke kapdo mainragini ne darwaja khola "good morning" chehre par smile ke sath ragini ne kaha "welcome"

omkar ne apne hath ka pile phoolo ka bouquet ragini ke hath main diya

"om main tumhari sabse pehchan kara deti hu..ye mere mom-dad hai aur mom-dad ye mera dost omkar hai" ragini ne ek hi line main sabki pehchan karwa di aur omkar khurchi par baithe tab tak pani le aayi

"sorry omkar humne to tumhari books padhi nahi hai par ragini se tumhare bare main kafi suna hai....wo kafi bate karti hai tumhare bare main seems you are a good author" ragini ke pitaji ne kaha

"thank you sir" omkar ne kaha

"omkar, ragini ne hame us raat ke bare main bataya..thanks to you tum waha pahuch gaye"

"oh not a big deal meri jagah dusra koi hota to wo bhi yahi karta "

"anyways, ragini jao omkar ko apni room dikhao"

"kya yaar papa ye room dikhane ki baat kaha se aa gayi wo kya mujhe shadi ke liye dekhne aaya hai"

"nahi??to ab dekh lega" ragini ke dad ne haste huye kaha aur ragini omkar ko lekar apne room main aayi

ragini ki room ekdum uske jisi thi ekdum colorful jiski sajwat dekhne main om kho gaya tha

"tumne kafi badhiya decorate ki hai room" omkar book rack main books dekhte huye bola

"thanks, tum baitho na" ragini ne khurchi ki or ishara karte huye kaha

"gaane lagau? tumhe kaunse pasand hai" ragini

"apne ko sab pasand hai ekdum metallic-hard rock se lekar hindustani shastriya sangeet tak aur tumhe?' omkar

"a..main bahut choosy hu gaano ke mamle main arijit singh ka laga du koi?"

"bilkul"

ragini gaane ki CD lagane lagi tab tak uski mom juice aur kuch khane ke liye lekar aa gayi

"ragini mainaur tumhare papa market ja rahe hai wahi se khana khakar natak dekhne jayenge chalega na??"

"ha ha jao aap log" ragini

"omkar khana kha kar jana..ragini kafi acha khana banati hai subah se kitchen main thi" itna bol kar ragini ki mom waha se chali gayi

gane baj rahe the aur unka sangeet vatavaran main ghul raha tha tab tak adha paun ghanta beet gaya...omkar itna kho gaya tha ke use samay jagah iska koi bhas nahi tha ab ye kamal gaano ka tha ye us room main ragini ke sath ka par itna shant apne aap ko usne kabhi mehsoos nahi kiya tha

jab omkar ne aankhen kholi to ragini uski taraf dekh kar muskura rahi thi

"kyu hua??" omkar ne pucha

"kuch nah, tum kaha kho gaye the" ragini

"shayad gaano main kahi........mom dad gaye tumhare" omkar ne pucha

"kabke.." ragini ab bhi uski taraf dekh rahi thi

uski najro main kuch to tha jo omkar samajhna chahta tha

"om..ek baat puchu?" ragini

"hmm pucho na.."

"par iskakuch waisa matlab mat nikalna ..ek simple sawal hai par sach sach jawab dena"

"arre baap re aisa kya puchne wali ho?"

"tum rima ke sath live-in main rehte the?"

"haa.."

"kabhi uske sath sex.."

"ha..par sach kahu to mujhe nahi lagta usme romance jaisa kuch tha it was one of those crazy nights...romance ki meri paribhasha kafi alag hi"

"matlab kaise?"

"matlab aise jordar barish main hath main hath leke ghumna....bijliyo ki kadkadahat..tez hawa main kiss karna mujhe jyada passionate lagta hai" omkar

"fir rima ke sath rehte huye kabhi aisa experience nahi aaya" ragini ne haste huye kaha jispar omkar has diya

"aur radha ke sath?" achanak gambhir hote huye ragini ne pucha

"nahi.." bagair ek pal gawaye omkar ne kaha

"par kabhi waisa laga to hoga na?" ragini

"par tum ye kyu puch raho to"

"pehle tum jawab do"

"nahi...par ahar jordar barish hoti to shayad..."

"to kya om"

"anyways ye baat yahi khatam karte hai" omkar thoda uncomfertable hote huye bola

"theek hai....khana khaya jaye?? tumhe aise hi jane diya to mom kafi gussa karengi.." ragini ne kaha

"acha mom gussa karengi tum nahi?" omkar ne kaha

"agar main naraj huyi na bacchu to manate huye nani yaad aa jayegi tumhe" ragini ne kaha

omkar ne khidki se bahar dekha may mahina khatam hone wala tha aasman main badal ghirne lage the

"lagta haijordar barish hogi.." kuch samay pehle ki barish ki baat karne omkar bola ragini ko uske bolne ka matlab samjha aur wo hasne lagi

"fir kya hoga om..jordar barish huyi to.." ragini ne room ke darwaje ke paas se pucha

"to..dam bhar jayenge, har taraf hariyali chayegi" omkar

"aur..."

"aur garmi thodi kam hogi"

"aur tumhe kya kya hoga.." ragini

ragini ke awaz ka wo tone omkar samajh raha tha wo ragini ke paas jakar ruka..uske sharir ka har ang ragini ko apne bahupash main lene ke liye machal raha tha...agar wo aage badhta to ragini use rokti nahi...is baar omkar 100% confirm tha wo ragini ko pasand karta tha par ab bhi radha uske man se nikli nahyi thi aur wo ragini ko dhoka nahi dena chahta tha

omkar ne khud ko sambhala

"anyways chalo khana khate hai" omkar


ragini ne ekbaar avisswas bhari najro se omkar ko dekha aur khana parosne kitchen main chali gayi....
Bahut sunder update hai mitr.
 
  • Like
Reactions: Adirshi

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 55

omkar jab se apne ghar wapas aaya tab se uske dimag main kayi khayal aa rahe the 'apan ne jo kiya kya wo sahi kiya' 'ragini ko kya laga hoga' 'apan ne ek acha chance gawa diya?' 'par ragini koi chance nahi hai abhi agar bhavna ke aaveg main kuch karke bhavishya main om ragini ko takleef nahi dena chahta tha'

"apan ne khud ko rok liya iska ekmev karan radha hai kya? apan ab bhi usse pyaar karte hai? ab bhi uske aane ki raah dekh rahe hai? kyu? kisliye?"

aise kayi sawal is waqt omkar ke dimag main ghoom rahe the...uski tandri bhang huyi uske phone ke awaj se ...omkar ke pitaji ka phone the

"parnaam babuji...boliye" omkar

"om is monthend ko main aur tumhari maa aa rahe hai waha"

"badhiya...par achanak kaise plan ban gaya?" omkar

"arre tumhari cousin shreya ki shaadi pakki ho gayi hai"

"yre kab hua? itni jaldi?"

"ha..arre uska hone wala pati IT field ka hai.america main rehta hai use jyada chhuti nahi hai...wo yaha tha to milne aaya dono ne ekdusre ko pasand kar liya aur shadi pakki ho gayi"

"fir baki log kaise aayenge?'

"hum sabhi aa rahe hai sidhe tumhare hi paas aayenge"

"ok..!"omkar

"omkar..!"

"ha babuji"

"everything alright..?" omkar ki awaz main shadi aur un sab se milne ka koi utsah nahi tha ye uske pitaji jaan gaye

"hmm..everything alright..."

"arre baap hu tumhara...kya hua hai..koi ladki wagaire.."

"hmm...ek nahi do.." omkar ne kaha

"ye to badi samasya hai koi nahi mere paas samay hai baat kare is bare main...?"

agle 10-15 minute main omkar ne radfha aur ragini ke bare main sab bata diya

"ab mujhe samajh nahi aa raha hai mujhe kaun jyada pasand hai radha ya ragini? aur agar wo radha hai tab bhi uske man main kya hai mujhe nahi pata...wo wapis aayegi nahi aayegi koi bharosa nahi aur agar ye maan lu ke radha nahi ayegi aur ragini ka hath tham lu aur radha a jaye tab kya hoga ye bhi main nahi janta" omkar

"dekho bete mera to ye manna hai ke bhagte ke piche na bhag kar jo apne paas hai use apnana chahiye...radha ki news humne bhi TV par dekhi thi matlab isme pura decision tumhara hoga....ek kaam karo shadi main ragini ko bhi le aao..."

"theek hai...rakhu phone.."

"hmm...bye..aur devdas ban ke mat baith jana...book ke agle part par kaam chalu karo..yaha bhi sab puch rahe hai agla bhag kab aayega.." omkar ko cheerup karte huye uske pitaji bole

"likh to lunga babuji par uska ant mujhe hi nahi mil raha hai uska kya" omkar ne khud se kaha aur phone rhk diya..

idhsr naples main kuche huye sunder photos upload karne ke liye radha ne kayi dino baad apna facebook open kiya..pehle kuch posts scroll karne ke baad ek photo par radha ruk gayi...ragini ne uska aur omkar ka nikalahua ek selfi omkar ko tag karke facebook pe post kiya tha

"kaun hai ye ragini aur omkar uske bedroom main kya kar raha hai?" photo enlarge karke dekhte huye radha apne aap se boli

"daal main kuch kala hai.." piche se poonam ne kaha

"chup chudail..kala wagaire kuch nahi hai" radha

"come on radha...you are a woman...ragini ke chehre par ke...uski aankhon ke bhav tum pehchan rahi ho kam se kam khud se to jhooth mat bolo" poonam

"anyways hum waise bhi month end tak india ja hi rahe hai na..waha jakar sab pata chal hi jayega" radha

"aur agar ye sab sach hua to.....to kya karogi aur agar ye sach na hua to kya karogi?" poonam

"pata nahi" radha

"accept it radha tum omkar ko pasand karti ho aur yaha jal rahi ho use dusri ladki ke sath dekh kar"

"shayad..par poonam mere sapno ka kya? meri life ko lekar jo apekshaye hai unka kya? omkar ke proposal ko haa karke main uske aur apne dono jindagiyo ko nyay nahi de paungi aur compromise karke milne wali relationship mujhe nahi chahiye" radha

"is bare mainj socho hamare paas do hafte hai filhal aur india jane ke baad decide kar lena is paar ya us paar tumbhi is main atki huyi ho aur shayad omkar bhi"


radha ne laptop band kiya aur aankhen band karke table par sar jhuka kar khayalo main kho gayi......
Super update hai mitr.
 
  • Like
Reactions: Adirshi

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 56

subah subah ka samay tha omkar mast apne bed par achi neend main soya hua tha to uski neend bhang kari uske phone ki ring ne....pichli raat ko hi uske sare rishtedar shadi ke liye uske ghar pahuch gaye the..sabse baat karne main use sone main late ho gaya..omkar neghadi main samay dekha to abhi subah ke 8 baj rahe the..

kuch seconds main phone fir se bajne laga aur omkar ne phone utha liya

"omkar...o omkar..so rahe ho kya?" dusri taraf se radha phone par chilla rahi thi

"radha?? ye kaha ka number hai tumhara..?" radha ka awaz sunke omkar ekdum se uth gaya

"kya kar rahe the?" omkar ke sawal ko najarandaj karte huye radha ne kaha

"so raha tha aur shayad jyadatar log is samay neend main hi hote hai"

"aaj ka newspaper dekha?" radha

"main so raha tha neend main thodehi paper padhung..."

"theek theek hai ek kaam karo jaldi se MG road par aao tumhe kuch dikhana hai"

"radha main abhi so kar utha hu...thoda samay lagega..kya kaam hai bolo na" omkar

"wo tum yaha aaye bagair kaise bata du? jaldi aao..marzorin ke samne rukna" itna bol ke omkar ke kuch puchne se pehle hi radha ne phone kaat diya

"kya ladki hai yaar ye achanak gayab ho jati hai achanak prakat ho jati hai..kuch context nahi aur MG road par bula rahi hai" khud se hi bate karte huye omkar bathroom main ghusa...

Omkar ne MG road ke corner par pahuchte hi radha ko call kiya aur kuch hi samay main kahi se radha bhagte huye uske samne aakar ruki

"dekha??" raha

"kya..?" omkar ne pucha

"arre yaar wo dekho samne" samne ek advertisement board ki or ishara karte huye radha boli

samne strawberry travels ka ad board tha jiskar radha ka bada sa photo tha come visit europe bolte huye

"iski maa ka..tumne modelling wagaire chalu kar diya kya?" sar par hath rakhte huye omkar bola

"arre nahi pichle hafte main italy se wapis aayi to agency main modelko leke chinta suru thi aur pehle se kafi late ho gaya tha to maine unhe apne kuch photos dikhaye jo maine college ke time khiche the unhe pasand aa gaye aur baat ban gayi and here I am..." radha ne kaha

"tum danya ho devi..kab kaha kya karogi kuch nahi keh sakte" omkar

"arre aur bhi kayi jagah board lage hai aur aaj sare leading papers main bhi ad hai hamari" radha bol rahi thi aur omkar bas uska utsah dekh raha tha

"om." achanak gambhir hote huye radha boli.." agar us din tum gokarn main mujhe nahi bachate to aaj bhi shayad main court ke chakker laga rahi hoti..ye nayi jindagi tumhari wajah se hai thank you so much"

bolte bolte radhna ne omkar ke hath pe apna hath rakh diya

"aur isiliye maine tumhare liye kuch karne ka socha hai..." radha

"ab kya karne wali ho" omkar

"maine is ad ke paise nai liye"

"mere liye?"

"baat to suno puri...maine paise nahi liye..uske badle main..is mahine ke ant main hum switzerland jane wale hai 8 dino ke liye.aur tum hamare sath chal rahe ho.." radha

"matlab?"

"matlab paisoke badle main maine tumhare liye swiss tour book kiya hai."

"what..? aur tumhe itne paise mil rahe the ad ke liye"

"na par aisa hai ke..tuor ke cost ki jo humadvertise karte haiwo margin pakad ke hoti hai.. actual cost kam hoti hai aur main waha empoley hu to uska bhi discount mil gaya..maine sab adjust kar liya hai tumagle hafte mujhe tumhare documents de dena visa processing ko bhejna hai..ok"

"hmm theek hai"

"acha chalo tumne breakfast kiya hai.."

"nahi..mariage hall main karunga"

"marriage hall?"

achanak omkar ke dhayan main aaya ke aaj to shadi hai....usne ghadi par najar dali to 9 baj gaye the aur use 10.30 tak ragini koleke marriage hall main pahuchna tha

"oh damm, radha mujhe jana hoga.."

"kyu?? kya hua?"

"arre shadi hai shreya ki mere chacheri behan ki aur main abhi tayar bhi nahi hua hu..mpehle ready hona hai fir ragini ko pick karna hai...ho gaya kalyan..." omkar

"ragini? kaun ragini?" radha ne pucha

"ragini... a friend hai meri"

"acha wahi jiska photo tumne mujhe bheja tha.."

"ha wahi hai chalo main chalta hu.."

"arre...paagal tumhari behan ki shadi hai aur tumne mujhe invite bhi nahi kiya??"

"arre tum nahi thi na yaha ..isme main kya karunga.." omkar

"par ab to main hu na yaha"

"oh yes..theek hai aa jao fir.."

"aa jao fir?? ye kaisa invite hua..rehne do khud se bolte to sochti aane ka"


"oye ab nautanki mat karo gadbad main bhool gaya aur tumhe aana hoga main raah dekhunga aur address whatsapp kar raha hu" bol ke omkar waha se nikal gaya........
Gajab ki update hai dost.
 
  • Like
Reactions: Adirshi

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 57

omkar ragini ke ghar pahucha tab tak 11 baj chuke the itne main 10 baar ragini ka phone aa chuka tha..aur omkar bas mil kar baat karte hai itna hi bol raha tha..jab omkar waha pahucha to ragini use bahar hi mil gayi

gulabi color kauspar soneri nakshi waha ghagra choli usne pehna tha...jisne uska roop khil gaya tha..hatho main chudiya aur apni odhni sambhalte huye wo gadi main baithi

"kaisi lag rahi hu?" ragini

"cinderella.." omakr ne achanak kaha

"h.."

"bahut badhiya dikh rahi ho"

"shii yaar writer ho na tum...kuch to acha compliment do...kya ye hamesha ka ek hi line" haste huye ragini boli

"acha to likh ke bhej dunga raat main whatsapp par abhi chale"

"ha ha chalo pehle hi late ho gaya hai pat tumhe late kyu hua?"

omkar ne gadi chalu ki aur switzerland trip ka bhag chhod ke radha se huyi puri mulakat bata di

"wo bhi aa rahi hai shadi main" omkar ne kaha

ragini kuch nahi boli par somehow radha ka shadi main aana use pasand nahi aaya tha ye omkar ne taad liya

omkar marriage hall main pahucha tab tak kafi late ho gaya tha parking kabka full ho gaya tha..omkar ne apni gadi raste ke baju main park ki aur ragini ke sath ander aaya

"o seth kita late kar diya"

"kya yaar bro tum nashte ke samay aane wale the na"

"om bhai sab raah dekh rahe the aapki"

aise kafi sawal omkar se kayi logo ne puche par om unhe najarandaj karte huye ragini ko leke sidha apne maa babuji ke paas pahucha

"ragini ye mere maa babuji haia ur m,aa babuji ye hai ragini" omkar ne unki pehchan karwayi

ragini ne dono ko pranam kiya

"bahut sunder ho tum" omkar ki maa ne kaha..omkar ne halke se apne babuji ko dekha to unhone bhi badhiya ka ishara kar diya

maa aur ragini ko thodi der baat karne ke liye chhod kar omkar bahar khurchi par aakar baith gaya thodi der main ragini bhi uske paas aa gayi

beech beech main omkar ke koi nakoi rishtedaar aate aur omkar unki aur ragini ki pehchan karwata par uska pura dhayan ghadi ki taraf tha aur najre darwaje par tiki huyi thi ek man keh raha tha ke radha ko ab tak aa jana chahiye tha aur dusra keh aha tha keradha na aaye to acha hoga

dulha aur dulhan aakhri rasm ke liye kapde badalne gaye the

"tum ladkiya bhi kamal hoti ho na..ab shreya ko hi dekh lo...ek-do mulakate huye ekdusre kopasand kiya aur ab shadi..aur to aur ab desh chhod ke uske ghar chali jayegi" omkar ke kaha

"muje nahi lagta isme dino se koi fark padta hai..kabhi kabhi ek mulakat main bhi koi apnasa lagne lagta hai aur kabhi kayi mahino main bhi baat nahi jamti"ragini

"sahi hai..ab mere aur rima ko hi dekh ko hu dono ek dusre ko kafi ache se jante the...pyaar main the..sath bhi rahe..par sab bigad gaya.." omkar

"omkar hum insaan hai....robots nahi ki ek baar programming hone ke baad life long waise hi kaam karenge..kuch bhi hua tab bhi paristithi ke anusar log badalte hai swabhavik hai ye" ragini

"matlab rima sahi thi aur main galat?"

"nahi mera wo matlab nahi tha..mera mudda ye haike shadi rishte judna ye naseeb ka ek bhag hai isme hu ek dusre ko kitne samay se jante hai ye mudda duyyam hai"

omkar ne baat karte huye darwaje ki taraf dekha to uske maa babuji un dono ki taraf dekh rahe the aur omkar ne jaise hi unhe dekha wo ander chale gaye

"matlab tum in shadi wagaira main manti ho.." omkar

"bilkul mujhe bhi shadi karni hai..apna ghar chhod ke dusre ghar jakar nayi surwat naye rishte jodna mujhe pasand aayega" ragini

omkar aage kuch bolta isse pehle hi uska phone baja...phone radha ka tha

"om bahar aao na main gate ke paas hu" radha

"abhi aaya" bolke omkar radha ko recieve karne bahar aaya

ragini ne apna dress theek kiya aur apne mobile main messages dekhne lagi thodi hi der main omkar radha ko leke ragini baithi thi waha aaya

"ragini meet radha....radha ye hai ragini" omkar ke dono kipehchan karwayi

"hi radha.." ragini ne kaha

"hi ragini...you are beautiful" baju ki khurchi par baith te huye rdha boli

"thank but you are georgeous" ragini

"so subah gadbad main baat nahi huyi...how was italy" omkar

"italy..wow..awsome jagah hai..hum bahut ghume...art fairs..meuseum..photography exibitions....restaurents..aur napleske beashes to amazing the...you should definately visit" radha bol rahi thi

"wao...badhiya hai yaar..badhiya life hai tumhari alag alag jagah ghumte raho.." ragini ne kaha

"hmm..par maine struggle karke ye life chuni hai..iske liye kayi bate chhodni padi..kayi logo ka man dukhana pada..om knows better...om.." radha om ki or dekhte huye boli

teeno baat kar hi rahe the ke waha ne omkr ki maa gujri..radha ko dekh kar unhone omkar ke pitaji ko bhi bahar bulaya

"suniye ji..wo om aur ragini ke sath baithi hai wo radha hai kya??'

omkar ke pitaji ne unki ur omkar ki phone par huyi baat uski maa ko batayi thi..unhone radha ko tv par dekha tha par tab wo kafi alag dikh rahi thi aur jab sadharan chehra pehchan ka dikha tab wo bole

"haa shayad wohi hai.."

"to wo yaha kyu aayi hai..om aur ragini kitne ache dikh rahe the sath main ye kyu beech main chali aayi"

"ab mujhe kya pata omkar ne hi bulaya hoga"

"is ladke ka kya hi kare" sar par hath markar wo waha se chali gayi

idhar in teeno ki bate chal hi rahi thi ke waha ek dadi radha ke paas aayi aur boli.." wo paper main ad aayi hai wo ladki tum hi ho na.."

"ha man hi hu" radha ne has kar kaha

"ekselfi le lu tumhare sath" itna bol kar wo lady radha ke sath ek do photo lekar waha se chali gayi aur thode hi samay main ek baat waha fail gayi aur radha waha celebrity ban gayi koi na koi aake uske sath photo khichwa raha tha akhir main radha ek groupke sath photo khichwane waha se nikal gayi...itne main omkar ke pitaji waha pahuche

"omkar tumhari gadi kaha hai?" om ke pitaji ne kaha

"bahar hi khadi hai ander parking nahi mila" omkar

"very good...ek kaam karo shreya aur uske dulhe ko leke mandir jana hai..paas hi main hai...par unki gadi ke piche kisi ne gadi park kar di hai chale jaoge?"


"ha ha theek hai usme kya hai."itna bol ke omkar 2 minute main aata hu aisa ragini ko bol ke waha se nikal gaya....
Behtreen update hai mitr.
 
  • Like
Reactions: Adirshi

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 58

Omkar ke jane ke baad ragini waha akeli hi reh gayi thi rim aka ek important photoshoot tha to wo waha busy thi aura shish ko ek family emergencyke chalet apne gaon jana tha to wo bhi waha nahi tha..thode samay baad radha ragini ke paas aa gayi

“omkar kaha gaya..” radha

“wo dulha dulhan ko leke mandir gaya hai aa jayega 15 minute main” ragini

“oh..ok”

Ek vichitra sanvad ki gap dono ke beech bani huyi thi..kya bole dono ko nahi sujh raha tha aur bhi achanak dono ek sath boli

“tum aur om “

Fir dono hasi jisse dono ke beech nirman hua tension thoda kam hua

“nahi..hum dono ke beech aisa kuch nahi hai..main aur omkar ekdusre ke kafi ache dost hai” radha keh rahi thi..” omkar mere har mushkil ghadi main mere sath tha..agar won a hota to aaj main yaha nahi hoti..I owe him a big thing…par hum dono ke beech aisa kuch nahi hai infact mera kisi ke sath kuch nahi hai “ haste haste radha ne kaha

“kyu?” ragini

“matlab mujhe meri life ekdum freely jeeni hai…mujhe aisa koichahiye jo mujhe restrict na kare..meri life mujhe jaisi chahiye jeene de “ radha

“mera to is mamle main ekdum ulta kaam hai..mujhe to kai aisa chahiye jo hamesha mere aaju baju main rahe mujhe din main pachas baar call kare main kaha hu kya kar rahi hu puche…mujhe na aise sukhadbandhan main bandhana pasand aayega” ragini ne kaha

“fir to tumhara aur omkar ka kafi sahi jamega wo bilkul tumhare jaisa hai” radha

“sachem??” ragini ne khushi se kaha

Kuch pal wo dono ekusre ko dekhti rahi..shabd nahi the fir bhi wo muk samvad kafi kuch bol gaya ragini ki aankhon main omkar ke liye aaya hua pyaar radha spasht dekh sakti thi

“theek hai mujhe ab chalna chahiye” achanak radha ne kaha

“arre abhi to aayi ho tum abhi to shadi bhi nahi huyi” ragini

“ha par mujhe ek important kaam hai”

“omkar ke aane tak to ruk jao use mil kar chali jana” ragini

“nahi..use adat hai mere aise achanak chale jane ki..wo kuch nahi bolega chalo milte hai kabhi baad main” itna bol kar radha waha se chali gayi..

Paanch minute main omkar wapis aa gaya

“ye kya radha kaha hai” omkar ki najar radha ko dhundh rahi thi

“just abhi abhi gayi hai”ragini ne kaha

“matlab?”

“use kuch important kaam tha isiliye wo chali gayi” ragini

“tumne use roka kyu nahi” omkar ka awaz achanak badh gaya tha itna ke aaju baju ke log apna bolna chhod kar un dono ko dekh rahe the

“omkar maine use kaha tha ki tumse mil kar jaye usne nahi suna isme main kya karu” ragini ne kaha

“mujhe phone karna chaiye tha na “

“main tumhe kyo phone karu..wo tumhari dost hai usne tumhe phone karna chahiye tha usne waise nahi kiya tum mujhe kyu keh rahe ho” ragini

“kitna samay hua use jakar..”

“paanch minute” ragini ne dusri or dekhte huye kaha

Omkar bhagte huyeradha dikhti hai kya ye dekhne bahar aaya aur jab tak wo aankhon se ojhal nahi hua ragini uski taraf dekhti rahi fir usne apni purse uthayi aur rikshaw main baith kar waha se nikal gayi……
***

radha is waqt poonam ke alishan flat ke prashast terrace par sar par hath rakh kar baithi huyi thi

"kya logi??thandi beer lau?" poonam ne pucha

"nahi..muh kadwa ho jayega..vodka chalega and on the rocks please" radha

"Ok' fir poonam ander gayi aur jab bahar aayi to usne dono ke liye do large pegs bana kar laye the aur khane ke liye kuch chips

"so as I understand..tumhe omkar pasand hai..omkar ko tum pasand ho..par ragini ko bhi omkar pasand hai....fir...tum ragini ko pasand karti ho kya??" poonam

"o come on poonam main kyu use pasand karungi.." radha ne chidh kar kaha

"sorry sorry par jab tum dono ekdusre ko pasand karte ho to problem kya hai..tumhe omkar chahiye ya nai??" poonam

"I want him but on my terms..matlab jo mujhe jis tarah dekhna chahta hai main waisi nahi ban sakti..wo adjust karne tayar hoga to...matlab har baar ladkiya hi kyu adjust kare..apni life apna career kyu chhode omkar wo waise bhi writer hai agar wo ghar sambhalne ko tayar hoga to.." radha ne kaha

"baat sahi hai tumhari par bhartiya mentality badalne main samay lagega aur omkar tumhari baat maan bhi gaya tab bhi use gharwalo ki bhi to apni bahu se kuch ashaye hongi" poonam

"wahi to omkar ko ye decide karna hai ki use biwi chahiye ya maa baap ke liye bahu" radha

"tumne omkar se baat ki hai is bare main? I mean use kabhi bataya hai clearly ki tum bhi use pasand karti ho aur tum sath reh sakte ho par tumhari kuch sharte hai wagaire.." poonam

"nahi.."

"fir mujhe lagta hai tumhe is bare main usse baat karni chahiye...par direct apn sharte mat sunana..use pehle apne side karo..use apne aap main involve karo fir apni sharte rakho.."

"matlabv tum kehna kya chahti ho main kya karu?" radha

"emotions radha emotions..use emotional karo...uske samne gareeb bichari abla bano..tumhe uski jarurat hai aisa use indirectly batao fir dekho wo khud apna kandha tumhare aage karega" poonam

"poonam you bitch..kya kamini hai yaar tu" radha ne haste huye kaha

"arre sare purush same hote hai try it all the best"


radha ne glass bottoms up kiya aur waha se chali gayi.......
Jaandaar update hai mitr.
 
  • Like
Reactions: Adirshi

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 59

"ashish bhai main ragini ke ghar ja raha hu" table par se car ki kesy lete huye omkar bola

"ghar ?? kyu? kya hua?" ashish

"arre do din ho gaye yaar uska phone band aa raha hai..whatsapp par last seen bhi do din pehle ka hai" omkar

"omkar.." use rokte huye ashish bola "mujhe lagta hai wo upset hogi..shadi wale din tum use chhod kar radha ke piche nikal gaye the isse.."

"par jab main wapis aaya tab wo ja chuki thi ab main isme kya karu" omkar ne kaha

"hmm par mujhe kya lagta hai..."

ashish apni baat puri karta isse pehle hi omkar waha se nikal gaya......

ragini ke ghar ka darwaja uski mom ne khola

"aunty ragini hai ghar par??" omkar

"nahi...."

"a kaha gayi hai wo uska phone band aa raha hai do din se" omkar

"vipassana(type of buddhist medation at different centres mainly in nashik and igatpuri)...."

"vipassana....? kab aayegi?" achanbit ote huye omkar ne pucha...

"dus dino baad.."

"kya sanyas wagaire lene ka irada hai kya? haste huye omkar bola par ragini ke mom ke chehre ke gambhir bhav dekhte huye chup ho gaya

"fir phone??"

"phone band rahega 10 din..uske aane ke baad bata dungi use tum aaye the: darwaja band karte huye ragini ki mom boli

"theek hai chalta hu.." par omkar ka akhri vakya band darwaje par takrakar wapis aa gaya..usne apni car suru ki aur ashish ko phone lagaya

"ha bhai kya hua? mili ragini?" ashish

"na yaar wo to dus din ke liye vipassana gayi hai" omkar

"aise achanak? kuch bataya bhi nahi"

"ha aur uska phone bhi band rahega dus din..aur uski mom unhone to aise baat ki jaise main darwaje pe aaya koi salse man hu...ander bhi nahi bulaya..kya hua hoga?" omkar bol raha tha tab uske phone par dusra phone aa raha tha... "ashish ek minute dusra call aa raha hai" omkar ne dusra call dekha to wo radha ka tha.."ashish baad main baat karta hu radha ka phone aa raha hai" omkar ne ashish ka call cut kiya aur radha ka call recieve kiya

dusri or se radha ka awaz aaya

"hello omkar do minute ka samay hai?" radha ka awaz kafi halka aa raha tha

"radha? kya hua? awaz kyu aisa hai tumhara?"

"anurag ne divorce paper bheje hai" radha ne subakte huye kaha

"arre waah badhiya baat hai yahi to tum chahti thi na fir ro kyu rahi ho" omkar

"ha par usne divorce ke reason kafi ghinone diya hai kehraha tha maine gokarn main...." radha bolte bolte ruki

"dekho radha kuch mat socho...divorce hamesha blame game hota hai tum jo chahti thi mil gaya so take it and move on" omkar

"hmm..feling so lonely yaar..ghar aa sakte ho..just couple of drinks fir chale jana" radha

"sure why not..adhe ghante main pahuch raha hu" aur omkar ne phone rakkh diya....gadi abhi aage badhi hi thi ke ashish ka call aa gaya

"kya bol rahi thi radha??" ashish

"arre wo problem main hai main wahi ja raha hu" omkar

"kyu kya hua?"

"arre us anurag ne use divorce paper bheje hai aur karan kuch ulte sidhe bataye hai to ro rahi thi bichari"

"bichari??"

"ha fir wo akeli hai ghar par main mil aata hu"

"bhai agar meri manoge to mat jao abhi " ashish samjhane ke andaj main bola

"kyu??

"kyu kya..ek to wo akeli hai ..bichari...dukhi hai..uspar tum bhi ragini nahi mili isliye upset ho.." ashish

"kehna kya chahte ho"

"main kya kehna chahta hu tum jante ho om..bhavna ke aaveg main kuch ho jayega..use kaho tumbaad main aaoge" ashish

"abe main koi chota baccha hu kya..baad main baat karta hu tumse" omkar ne phone kat diya

ashish ne chidh kar phone ko dekha aur ragini ka number dial kiya par jaisa omkar ne bataya thya phone switchoff tha..jab use kuch samajh main nahi aaya to usne rima ko call lagaya

"bolo shona kya kar rahe ho" rima ne hamesha wale tone main kaha

'abe yaar ye babu shona chhodo us omkar ko phone laga ke roko" ashish

"kya hua??"

fir ashish ne jitna jaldi ho sake sab rima ko bataya aur bola" rima, omkar ko tum bhi ache se janti ho aur main bhi..wo ab bhi radha ko pasand karta hai aur shayad radha bhi....par abhi dono akele hai..upset haimujhe lagta hai unhe akele main nahi milna chahye.....mujhe to omkar aur ragini sath main jyada ache lagenge..isiliye.."

"hmm..samajh gayi tumhari baat sahi hai main omkar ko call karti hu"rima ne ashish ka call cut kiya ur omkar ko call lagaya

"omkar kaha ho?" rima

"a..bahar hu jara.."omkar

"bahar?? bahar matlab kaha?"

"drive kar raha hu bolo na?"

"kuch kaam main ho?"

"ha radha ke yaha ja raha hu baad main baat kare?" omkar

"nahi suno kuch important baat karni hai" rima

"...."

"omkar tum sun rahe ho na"

"listen rima hum thoda baad main baat karte hai ok.." itna bol ke omkar ne phone band kya aur switch off kar diya....

omkar ka phone band dekhke rima ne ashish ko call kiya

"ashish wokuch sun hi nahi raha hai phone bhi band hai uska"

"maa ki kirkiri...tum kaha ho abhi?"

"main studio main hi hu"

"shoot suru hai kya"

"na just pics editing"

"acha suno..maine yaha se nikal raha hu tumhe pick karta hu aur hum sidhe radha ke ghar jayenge ok??"

"ok main studio lock karke tumhari raah dekh rahi hu

"ok bye den"

"bye.."


ashish office band karke rima ko lene nikla tab tak omkar radha ke building parking main apni gadi laga raha tha....
Bahut sunder update hai mitr.
 
  • Like
Reactions: Adirshi

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update 60

yaha radha ke apartment main jab radha ne omkar ke liye darwaja khola to wo full avtar main thi..baal khule aur bikhre huye the aankhen ro ro ke laal ho gayi thi hath main do teen tissue papers the

"you ok??' omkar ke ander aate huye pucha

"hmm aur sorry ghar main thoda pasara hai" sofe par se kapde aur books uthate huye radha boli

"its ok..bolo kya hua"

radha ne kuch na bolte huye ek envelope main se divorce ki notice omkar ke hath main de di...omkar sofe par baitha aur puri notice padhi

"this is sad yaar..anurag jaise responsible aur respected aadmi se ye umeed nahi thi" notice padhne ke baad omkar bola

"dekho na..divorce ke liye hum dono hi tayar the..fir aise jhuthe nichle darje ke aarop karne ki kya jarurat thi?" radha ki aankhen bhar aayi.."aur sabse sad part ye hai ke ye notice mere ghar ke address par bheji thi..ye...ye sab padh ke mere mom dad ko kya laga hoga?"

"radha pehle tum shant ho jao..main peg banata hu..kya logo?" omkar sofe se uthte huye bola

"antiquity 90..on the rocks.." radha ne kaha

omkar ne whisky ki bottle nikali aur dono ke liye do peg banaye

"anurag aur main dono 2 saal sath the om..use itna to samajhna chahiye tha ke main itna niche nahi girungi..waha gokarn me main un hippi logoke sath sone ke liye nahi reh rahi thi..am I a bitch om?" radha ne subakte huye kaha

"radha.. maine tumhe kaha na..its all a blame game..use sirf ye sabit karna hai ke wo sahi hai aur tum galat aur isi wajah se divorce ho raha hai" omkar ne radha ko smjhate huye kaha

radha ne apna peg khatam kiya aur dusra banaya

"I agree par main ye sab chup chap manya kar lu?? waha family court main divorce ke samay mere mom dad bhi honge...usnke samne main manya kar lu ke ye sab sach hai?? aur agar maine ye baate manne se mana kiya to case lamba khichta jayega..."

radha ne ab tak apna dusra peg khatam kar lliya tha aur teesra bana liya tha

"radha...sambhalke...don't overdrink ok??" omkar

par radha ka omkar ki taraf dhayan hi nahi tha mano wo khud se hi baat kar rahi thi..usne teesra peg bhi khatam kiya ..whisky ka wo pg uske gale ko jala raha tha..usne glass table par rakha aur apne baal sambhalte huye khurchi ki taraf sarki aur uska balance bigda

"radha...sambhalkar..."omkar pat se sofe se utha aur radha ko smbhalkar sofe par baithaya..radha ne dukh se apni aankhen band kar li

"omkar kya sach main maine jindagi ke bare main decision lene main galti kar di?"

"nahi radha..hamari jindagi ke malik hum hote hai...fir hamare decision hame hi safal karne hote hai galti ho gayi to rasta badal lo par manjil ka picha nahi chutna chahiye" omkar

'kitna acha bolte ho yaar tum....writer ho na isiliye achi bate kar lete ho mer kya? mere dimag main to kachra bhara hai" radha

radha sofe par thodi jhuk kar omkar ke kandhe ko tik kar baith gayi aur omkar ke dil ki dhadkan badh gayi

"maine sari jindagi bas apne bare mian socha hai om..mujhe kya chaiye bas is bare main ...auro ke bare main kabhi socha hi nahi..par ab samajh main aata hai isiliye main akeli hu...jiske paas dil khol ke baat ki jaye jisse salah li jaye aisa koi hai hi nahi...ab is akele pan se ub gayi hu main..aur jab aajye haal hai to aage kya hoga..aisa lagta hai...aisa lagta hai koi chahiye ath main.." radha

achanak usne aankhen khol ke omkar ki taraf dekha

"yad hai...us din beach par maine kya kaha tha?"

"kya?"

"I...Love...you..om aisa hi kaha tha na.."

"hmm.."

"I still love you omkar..I want you in my life....not just for sometime but for life time..banoge mere??"

omkar is baat se ekdum badhir ho gaya tha

"kiss me deep om I want to live in this moment..please kiss me.."

radha ne aqpni aankhen band kar li

"radha mujhe lagta hai tum hosh main nahi ho..hum baad main baat kare??"

"come on om its just 3 pegs.meri capacity itni kam bhi nahi hai main pure hosh main hu...dekho main seedi khadi hu" radha sofe par se uth kar khadi ho gayi

"hmm"

achanak radha apne ghutno par baithi aur omkar ka hath apne hath main lekar boli.."lets get married?"

wahi dusri taraf rima aur ashish traffic se bachte bachate huye radha ke ghar ke paas pahuche

"shit!! ashish hame 1 ghanta laga gaya yaha aane main" rima

"hmm..par koi baat nahi omkar ab bhi yahi hai wo dekho uski gadi"parking main om ki gadi ki taraf ishara karte huye ashish bola

"ha..chalo ab jaldi"

lift ki raf na dekhte huye wo dono seedhiyo se radha ke flat ke samne pahuche aur bell bajayi..thode samay baad radha ne darwaja khola

"oh..hi...ashish..rima" dono ko dekh kar chaukte huye radha ne kaha

"omkar hai??"ashish

"ha wo yahi hai..kyu?..kya hua??"

tab tak ashishka awaj sun kar omkar bhi bahar aa gaya tha aur ashish aur rima dono uska chehra padhne ki koshish kar rahe the

"ashish? kya hua aur ander aao na.." dono ko ander bulate huye omkar ne kaha

"coffee?" radha ne pucha

"a..nahi.." rima

"arre lo yaar main abhi bana hi rahi thi..baitho main abhi do minute main aati hu" aur radha waha se chali gayi

"tum dono yaha kaise aa gaye?" omkar ne pucha

"om everything alright??" ashish ne bhi sawal kiya

"ha bilkul..kyu?"

"nahi..tumne kaha tha na..problem hai.radha ro rahi hai wagaire.." ashish

"hmm..thodi disturbed thi wo par ab sab theek hai" omkar ne haste huye kaha

ashish aage kuch bolta isse pehle hi radha coffee lekar aa gayi..coffee pite huye ashish aur rima ne notice kiya ke omkar aur radha ekdusre ko dekh kar has rahe the aur isharo main baat kar rahe the to ashish bol pada

"agar aise hi tum log isharo mani baat karne wale ho to hum jaye"

"arre sorry sorry yaar baitho" omkar

"actually its too early par hame tum dono ko kuch batana hai" radha omkar ki taraf dekhte huye boli

"kya hua hai.." ashish aur rima ne ek sath pucha jis[par ek bada pause ke baad radha boli


"we are getting married!!"
Khubsurat update hai mitr.
 
  • Like
Reactions: Adirshi
Top