Update#1
Zindagi bhi kitni taiz raftaar se chal rahi hai na k aap jitna bhi usey rokney ki koshish kr lein lekin who apney raftaar se chalti hi rehti hai Bachpan ka kheil, Doston k sath mill k masti krna, Ghar main sherartein krna, Behan Bhaion k sath mazak krna, Maa Baap ka pyaar aur un ki nasihatein sab jesay kaheen peechay shod k aagey berhna hi perta hai.
Raheela: Beta Kal teri DD maa ka nikah hai time pe aa jaey ga na.
Safeer: Haan maa aa jaun ga aap befiker rahein ager yahan kaam nai rehta tou mein haftey pehley hi aa jata.
Raheela: Mawra keh rahi hai k Chotu nai aaya tou Nikah nai karey gi.
Safeer: DD maa ko kehna k mein time pe aa jaun ga who bas tyaari krein.
Raheela: Beta mujhey bht ghabrahat ho rahi hai apna dhyaan rakhna.
Safeer: Aap preshan na hoon Ami Insha***** mein time pe aa jaun ga acha Ami bulawa aa gya hai kal miltey hn.
Raheela: *****Hafiz.
Safeer: ***** Hafiz Ami.
Akbar: Raheela Begum Safeer nai aaya abhi tuk us ko call kr k pucho kab tuk pounchay ga Barat aaney wali hai.
Raheela: Us ka phone nai lag raha kafi deir se try ker rahi hn mein.
Akbar: Pata nai kahan reh gya hai yeh es ka kch bhi pata nai chalta.
Sulman: Baba who aa jaey ga aap tention na lein chalein barat aaney wali hai un ka isteqbal bhi krna hai.
Akbar: Haan chalo.
Mawra: Ami chotu nai aaya na abhi tuk.
Raheela: Nai meri bachi, who aa jaey ga tu tention na le.
Mawra: Who nai aaya na mein Nikah nai krun gi mein bol deti hoon aap ko.
Raheela: Aesa nai boltey meri jaan who aa jaey ga tujh se bht pyaar jo krta hai.
Mawra: Ami mera dill bht ghabra raha hai.
Raheela: Kch nai ho ga mein ne kaha na tu bas tyaar ho Barat aaney wali hai.
Bahir shor sharaba honey laga patakhon ki awaz aur hawayee firing honey ki awazein aaney lageen sath main dhol ki awaz aaney lagi.
Raheela: Deikh Baraat aa gai tu tyaar reh mein aati hoon thodi deir main Nisha ko bheijti hoon terey pass.
Bahir dhol ki thaap pe bhangrey daley ja rahey they Ladkey waley aur Dulhey k dost mazey main dance kiey ja rahey they Dulha Ghori pe beitha hua tha Ladki waley un ka isteqbaal garam goshi se kr rahey they.
Laila: DD Safeer nai aaya abhi tuk.
Raheela: Nai Laila abhi tuk nai aaya pata nai kahan reh gya barat bhi aa gai hai kaha tha time pe aa jaey.
Laila: DD mera dill bht ghabra raha hai.
Raheela: Dill mera bhi ghabra raha hai lekin yeh waqt en sab baton ka nai hai udher Mawra ne rut lagayee hui hai jab tuk Safeer nai aa jata Nikah nai karey gi.
Laila: Mein ja k deikhti hoon usey.
Dulhay ko stage pe le ja k bithaya gya time guzerta ja raha tha lekin Safeer abhi tuk nai aaya tha Molvi shb nikah perhaney k liey aa gaey Safeer ki family preshan ho gai thi k Safeer kiun nai aaya abhi tuk.
Arslan: Kia hua Akbar.
Akbar: Safeer nai aaya abhi tuk.
Arslan: Bhai time nikla ja raha hai.
Akbar: (Molvi se) Aap nikah perhayeen.
Nikah shuru hota hai Nikah honey k baad sarey Dulhay ko mubarikbad detey hn us k baad Molvi shb ko Dulhan k pass le k jaya jata hai sath main Akbar aur Sulman bhi they unhey maloom tha k Mawra Safeer k bagheir qabool nai karey gi.
Akbar: Deikh beta time guzer raha hai meri baat maan.
Mawra: Chotu k bagheir nai.
Sulman: Deikh Mawra tujhey Chotu ki kasam deikh time nikla ja raha hai wapsi bhi hai.
Mawra Safeer ki kasam k aagey bebas ho gai Nikah ho gya mubarikbaad di gaen ab khana serve kia gya abhi shuru hi hua tha k bahir Army ki gariyan aa k rukein Safeer ki Family khush ho gai k Safeer aa gya hai.
Army ki gariyon se jaanbaz utrey un main se Badi post k Officer General Qaiser aagey berhey aur Safeer ki family ki traf janey lagey Safeer ki family Safeer ko dhoondh rahi theen lekin who kaheen bhi nai tha General Qaiser ne Akabr k pass ja k usey Salute kia Safeer ki family Shocked hui es sey unhey kaheen na kaheen andaza ho gya k ab kia ho ga.
Qaiser: Aap jesa soch rahey hn wesa kch nai hai aap ka beta bht bahadur hai deri es liey hui kiun k us ka operation hua tha drasal baat yeh hai k kch aatankwadi group ki information mili thi jis ko aap k betey ki team ne lead kia maar tou sarey hi aap k betey ne diey lekin aakhri ne gernade pheinkha.
Who tou sukar tha k Safeer k pass cover tha lekin phr bhi us ki left tang jhakmi ho gai aur ek goli bhi lagi ab who bilkul theek hai hum usey yahan le k aaye hn doctor ne tou aram ka kaha tha lekin jesay hi usey hosh aaya us ne zid ki k usey ghar le jaya jaey (Army officer se) Safeer ko le k aao.