- 103
- 40
- 28
Update#2
Qaiser: Who tou sukar tha k Safeer k pass cover tha lekin phr bhi us ki left tang jhakmi ho gai aur ek goli bhi lagi ab who bilkul theek hai hum usey yahan le k aaye hn doctor ne tou aram ka kaha tha lekin jesay hi usey hosh aaya us ne zid ki k usey ghar le jaya jaey (Army officer se) Safeer ko le k aao.
Tabhi Army officers k beech se ek Officer wheel chair ko le k aaya jis pe Safeer beitha tha aur us ki left tang pe patti bandhi hui thi jesay hi Safeer samney aaya theek usi waqt Mawra bhagtey hui aaye aur ghutnon k bal beith k Safeer ko galey se laga lia aur roney lagi.
Safeer: Kia hua DD maa aap rou kiun rahi ho deikho mujhey kch nai hua.
Mawra: (rotey huey) Chup ek dum chup (Nisha se) Ja Betu k liey doodh garam kr (Sulman se) Aap Betu ko le k merey kamrey main aayen jaldi se.
Mawra yeh keh k ander chali gai aur Nisha bhi doodh garam krney kitchen main chali gai Sulman Wheel chair ko le k Mawra k room main chala gya sath main ghar ki baqi aurtein bhi Safeer k sath ghar main chali gaen.
Qaiser: Acha ab hum chaltey hn hum Safeer ko shodney aaye they ab humein ijazat dein.
Akbar: Aesay nai janey dein gey aap ko, meri beti ki shadi hai aur khana khayee bina aap nai jaen gey.
Qaiser: Es ki koi zaroorat nai hai.
Akbar: Nai aap khana khaye bina nai jaen gey yeh ek ex COAS ka hukam hai aap ko khana khana hi parey ga Beta Sulman en k liey khana lagwao jaldi se.
Safeer: DD maa Plz rona band kr do na aap janti ho mein aap ko rota hua nai deikh sakta plzz merey liey hi.
Mawra: (rotey huey) Tujhey kch ho jata tou mein tou jetey jee mar jati na mein bht pyaar krti hn tujh se tu yeh janta hai achi trhah se kiun khud ko chout pounchata hai jis sey mujhey takleef hoti hai.
Safeer: DD maa yeh tou mera farz hai na k mein dushmanon se ladun tou es main mamuli si chout tou lag hi jati hai.
Mawra: Mujhey mat sikha tera farz mein bas sirf itna jaanti hoon k tujhey takleef main nai deikh sakti chout tujhey lagti hai dard mujhey hota hai.
Safeer: Aap ki rukhsati bhi honi hai DD maa deir ho rahi hai.
Awaz: Ek min.
Sab awaz ki traf deikhney lagey k kon hai tou jab awaz wala room main aaya tou who Mawra ka sohar Qasim tha who ja k Safeer k samney khada ho gya room main sab ladies theen jin main Qasim ki family bhi thi Qasim k sath sath sarey mard bhi aa gaey they.
Qasim: Mein janta hoon k Mawra tujh se bht pyaar krti hai aur mein yeh bhi janta hoon k tujhey es halat main shod k who kaheen nai jaey gi es liey main chahta hoon k ek hafta Mawra terey pass reh le takeh usey tassali ho jaey phr ek haftey baad Rukhsati kr lein gey aur us k agley din waleema.
Qasim ki baat sun k sab khush ho gaey khaas kr k Mawra kiun k us k sohar ne us k dill ki baat kahi thi who waqiey hi Safeer ko es halat main shod k nai jana chahti thi Safeer k peda honey se le k ab tuk wohi us ki perwarish aur deikhbhal krti aaye hai.
Mawra: Nisha tu bhai k pass ruk mein abhi aaye kisi cheez ki zaroorat ho tou usey foran dena.
Nisha: Theek hai DD.
Mawra Qasim ka hath pakad k usey Safeer k room main le gai aur kamra band kr dia lock krtey hi Qasim k galey lag gai Qasim ne ghour kia tou usey hulka sa roney ki awaz aaye.
Qasim: Kia hua meri jaan ko.
Mawra: Deikhiey na mera chotu kitni takleef main hai mein usey es haal main nai deikh sakti.
Qasim: Esi liey tou mein ne tumhey yahan ek haftey k liey rukney ko kaha hai mein janta hn tum mujh se bhi zyada Safeer ko pyaar krti ho ek trhah se tum us ki maa ho.
Mawra: Thnk u.
Qasim: Kis liey.
Mawra: Mujhey samjhney k liey.
Qasim: Who merey bhai jesa hai usi ki wajah se hum aaj ek huey werna hum sari zindagi achey dost hi rehtey na tum izhaar krti na mein mujhey bhi uski fiker hai.
Nisha: (door knock krtey huey) DD bhai ko dard ho raha hai.
Mawra ne jesay hi yeh suna jhat se Qasim se alag hui aur jaldi se derwaza khol k bhag k apney room main gai aur us ne deikha k Safeer ko dard ho raha hai jis ki wajah se us ki hulki si cheikhein nikal rahi hn us ki puri body bed pe kabhi idher tou kabhi udher ho rahi hai.
Mawra: (rotey huey) Kia hua betu yeh tujhey kia ho raha hai.
Safeer: (dard main) Aaahhhhhh DD maa kch bas abhi theek ho jaey ga.
Kuch hi deir main sab normal ho gya Safeer ka dard khatam hua jab us ne idher udher deikha tou sab us ko gheir k kharey they Mawra abhi bhi rou rahi thi jesay hi Safeer normal hua Bed pe letey huey ko hi Mawra ne galey se laga lia.
Mawra: (rotey huey) Kia hua tha tujhey bata na.
Safeer: Kch nai DD maa yeh ek experiment ka nateeza hai jab bhi mujhey jhakam lagta hai ya goli lagti hai tou formula usey recover krney k liey lag jata hai jis sey thodi takleef hoti hai aur kch nai.