Sanny or apna hero mature hai or Issi wajah se har ek pahlu ko soch samajh kr aage badh rhe hai apne hero ka kahna bhi sahi hai jb apni jaan pr ban aati hai to selfish hona bura nhi hai, akhir survival instinct yhi to hai, to koi in zombie horje ko is raste me Jan bujh kar chhod rha hai Taki koi or yha pr na aa sake... Superb update bhai sandar jabarjastUpdate:-9
{Near to death}
Maine gadi full speed mein jaane di aur zombies ke herd ke thodi dur khadi kar ke bandh kardi gadi.
Main sab ko bola
Main:- Gadi ke sab shishe upar kardo aur koi bhi awaz mat karna.Zombies aawaj ke jariye jan pate hai sab.zombies ko kuch dikhta nahi hai vo sirf aag aur aawaj ka picha karte hai.
(Aag ki garmi se vo kiche chale aate hai)
Sab ne mere kahe anusar kar diya.
Ab hume zombies ke herd ka wait karna tha.
Kab woh hamse aage nikale aur hum aage badhe hamari manzil ki Taraf.
Jaise jaise time guzarta gaya vo paas aate gaye aur hum chup chap gadi ke andar shushe bandh karke ek dam khamosh baithe the aur zombies ke nikal jaane ka intezar kar rahe the.
Gadi mein itna sanata tha ki hum ek dusre ke saans lene ki aawaj ko bhi sun sakte the.Hum sab ka pasine se bura haal tha.
Hum Sab ko yahi dar tha ki aane wale kuch pal mein kiya hoga kyon ki aane wale pal mein ya to hum sab zinda yaha se nikalenge ya phir zombies banke inke sath ghumenge.
Kuch der baad zombies hamari gadi ke paas se nikal ne lage aur unki gurrane ki aawaz hame saaf saaf andar sunai de rahi thi.Sab ke dil mein dar tha.
Par kuch min baad jab zombies ka herd hamare paas se gijur gaya to hum sab ne rahat ki saans li.
Zombies ke herd ko humse dur jane ka Maine wait kiya aur jab hamari gadi se kafi dur chale gaye to maine gadi start ki aur hum nikal gaye vaha se.
Abhi hum ko mout ke muh se nikale huye aadha ghanta huaa tha ki samne ek aur zombies ka herd dikha hume.
Ye wala zombies herd chota tha unse par hum lad nahi sakte the inse.maine bhi gadi vahi rok di.
Main bola
Main:- To ab kiya karna hai jaisa humne piche kiya vaisa hi yaha karna hai ya fir koi aur rasta hai to batao.
(Inko puchna bhi zaroori tha kyunki sab ki ray lena mera fraz tha.Sab ko apna faisla lena unka haq hai aur yaha to jindagi or mout ka faisla lena tha)
Aarti:- isme socha na kiya hai jo humne kiya tha vo hi karenge.
Aslam chacha:- ha aarti beti sahi bol rahi hai aur dusra koi rasta to hai nai hamare paas iske alawa.
Unki baat sun maine gadi vahi bandh kar di aur sab ne gadi ke shishe upar chadha diye.
Main:- Sunny mujhe kuch gadbad lagti he yaha kyun ki hume Jaisalmer se aate time itne zombies kabhi nahi dikhe bhai.Jaise hi hum Gujarat border mein enter huye to hume 1 2 zombie to dikhe nahi sirf zombies ke herd hi dekhe hai ab tak.
Sunny:- Koi shayana inhe bahar nikal raha hai aur aawaz kar kar ke inhe yaha chod raha hai taki koi dusre State se andar na gus sake.
Sunny itna bola hi tha ki aarti boli
Aarti:- Dusro ne enter kiya to unka kya bigde ga.
Aslam chacha:- mujhe bhi samaj nahi aaya ki dusre state ke logo ko na aane dene se us ka kiya fayda hoga.
Sunny:- Bohat fayada hoga chacha jitne kam log itne kam rss istemal honge ruko pura samja ta hu.
Sunny ko maine bich me toka aur bola
Main:- zombies aa rahe hai chup ho jao sab.
Ye bol Maine samne ki taraf ishara kiya
Mera Ishara dekh jab sunny,chacha,Aarti aur shakil ne samne dekha to zombies ka herd hameri gadi ke bilkul karib aa chuka tha.
Hum sab vapas khamoshi se unke nikal jane ka intezar kar ne lage.
2 3 zombie to gadi se takra ke niche gir gaye the par vo vapas khade huye aur apne jund(herd) ke sath nikal gaye.
Kuch min baad vo hamari gadi se aage nikal gaye.Hum sab unko dekh rahe the aur unko hamse dur jane ka hm intezar kar rahe the.
Jab zombies ka jhund humse kafi dur chala gaya to Sunny ne apni baat continue ki
Sunny:- Dusre logo ke na aane se un sab ko ye fayda hoga ki petrol khana aur jaruri chize sirf unke liye hi reh jayegi isse vo kuch aur din nikal sakte hai.
Aslam chacha:- ye log aisa kar rahe hai to phir dusro ka kiya hoga.
Main:-Chacha jab baat jaan pe ban aaye to sab selfish ho jate he aur aisa karna hi samajhdari hai tabhi aap in halato se nikal sakoge aur kuch hafte ya fir kuch mahine zinda reh paoge.
Aarti:- Tum hamesha aisi hi bate karte ho.
Maine gadi ka sheesha niche kiya aur gadi start kar ke nikal di vaha se.gadi chalate chalate maine aarti ka jawab diya
Main:- Maine konsi baat galat kahi maine to sirf jindagi ka sach bataya hai agar mere aur Sunny ke jaan pe ban aayi to main kisi ko bhi maar sakta hu aur usko maar ke kha bhi sakta hu.
Mere liye mera zinda rehna aur Sunny ko zinda rakhna ye sab se jyada aham hai.
Meri baat sun koi kuch nahi bola bolta bhi kiya kyunki maine almaas ko bhi maara tha jaan se aur uska pachtawa bhi nahi tha mujhe.
Main chahta to almaas ko vahi adar library mein zinda bandh kar sakta tha par aisa karne se vo zombie mein tabdeel ho jata aur jo koi bhi aata unke jaan ko khatra hota Almaas se isliye uska marna behtar tha.
Main gadi chala raha tha to mujhe fuel pump dikha to vaha se thodi dur gadi rok di.
Kyunki main chance nahi lena chahta tha.Gadi ki aawaj sun zombie hamari taraf aa jate jisse hume hai mushkil hoti.
Main gadi mein hi bola sab ko
Main:- Yahi utar te hai aur aap sab ko pata hai ki kiya karna hai aage ab.
Shakil:- yaha kyu bhai
Main:- kyunki bhidu agar vaha gaye aur zombies huye toh hamari gadi ke aawaj se humari taraf aa jayenge.
Shakil:- samaj gaya bhai.
Hum sab gadi se utre aur pump ki taraf paidal jane lage
Life Is Near To Death.
******************** Update:-09
1037 words hai.....
read and have fun
HahaUpdate:-10
{Wrong Turn}
Vahi dusri taraf ....
Akshay gadi chala raha tha sonu uske baju mein baitha hua tha aur khushhali piche baithi thi.
Akshay bola sonu aur khushali se
Akshay:-Vkey aur Sunny dono pagal hai acha hua hum alag ho gaye unse varna hum bhi mare jaate Vkey sunny Aslam aur vo ladka aur ladki ki tarah.
(Jub Akshay sonu aur khushhali hum se alag huye to vo log kuch dur jakar wapas aaye hame dekhne ki hum bach gaye ya hum fas gaye hai zombies ke bich.
Akshay sonu aur khushali madad hi karne aaye the hamari par unhone jab hamari gadi ko zombies se ghere dekha to un logo ne vahi se U-Turn le liya aur samaj baithe ki Vkey sunny Aarti Aslam shakil mar chuke hai.
Akshay khushali aur sonu bhi sahi the kyunki humari gadi zombies ke bich mein thi aur Akshay khushali aur sonu ko Vkey ka plan pata nahi tha isliye.)
Khushali:- mujhe to Vkey pura pagal lagta hai. Sunny to phir bhi thoda sahi laga mujhe par Vkey to pura mental hai.
Sonu:- Apocalypse mein Vkey ka dimag hil gaya lagta hai.Is Apocalypse mein Vkey jaise pagal hi survive kar jaate hai kyunki wo kuch bhi kar gujarne ko taiyaar rehte hai.
Khushali:- Aise pagalo ki wajah se hum bhi kabhi jaan kho dete hai par jo bhi ho hume ek fayda huaa Vkey se usne hume rss(resources) de diye.
Akshay:- ha vo to hai sala kitna dimag lagta hai.Sab usko pata hai ki konsi chiz kaise istemal kari ja sakti hai ya phir future mein kaam aa sakti hai.Mujhe Lagta hai vo in sab mein trained hai.
Khushali:- hume kya ab to vo sab mar chuke hai ab unko yad karke ya phir unki baat karke hume kya fayda.
Sonu:- Sahi kaha tumne khushali ab khud ke bare mein sochna hai aur yaha se jaldi kisi safe jagah pohchna padega hume.
Kuch der gadi chalane ke baad unke samne 2 raste aaye to Akshay ne gadi rok di aur khushhali,sonu ki taraf dekh ke puchha
Akshay:- Hum kis raste se aaye the tum dono ko yaad hai.
Khushali:- Mujhe kuch yaad nahi hai aur waise bhi main piche baithi thi jab uncle gadi chala rahe the.
Sonu:- Main sure to nahi hu par hum shayad right se aaye the.
Akshay:- To chalo phir right ki taraf vaise bhi agar dusri jagah pohche to vo bhi to nahi jagah hogi hamare liye.
Ye bol Akshay ne gadi right side ki taraf mod di.
Thodi dur jaake Akshay ko petrol pump dikha to usne gadi petrol pump ke paas jane di aur bilkul pump ke paas jake rok di.
Gadi rok ke Akshay sonu khushali utre.Akshay ne gadi mein fuel dala jab tak Akshay fuel daal raha tha tab sonu ne chote chote drum nikal diye un mein petrol bharne ke liye.
Akshay khushhali aur sonu ne petrol pump check karna jaruri nahi samja Kyunki na to unko rss chahiye the na hi unko washroom jana tha.
Akshay ne gadi mein fuel bhara aur drum mein bharne ke baad Akshay sonu khushali gadi mein baith ke nikal gaye vaha se.
Karib 2 ghante gadi chalane ke baad Akshay ki bich raste pe gadi khadi hui Mili par Akshay ne gadi roki nahi ulta aur speed mein jane di.Akshay ne gadi thodi aage hi gayi thi ke unke gadi pe pathar barsne shuru ho gaye right aur left side se.
Phir bhi Akshay ne jane di gadi par Akshay sonu aur khushali 3no dar gaye the
Khushali boli
Khushali:- vo sab kiya tha pathar kaha se aa rahe the.
Akshay:- Hamare right aur left side se aa rahe the aur pathar marne wale bhi 2 log hi the Shayad.
Sonu:- Mujhe kuch sahi nahi lag raha hum galat raste pe aa gaye hai. I think we took the "WRONG TURN".
Sonu ne itna bola tha ki Akshay ne gadi ki break mar ne ki koshish ki kyunki Akshay ke samne rasta pura block kiya hua tha.
Bich raste pe 3 gadiya padi huyi thi aur aage jane ki jagah bhi nahi thi to Akshay ne break mar ni chahi par Akshay ne break marne mein deri kardi kyunki Akshay ki gadi already niche feki hui lohe ki kil(Nail,Spike) ke upar se ja chuki thi aur gadi ke tyres puncher ho chuke the.
Gadi ko control kar pana Akshay ke liye muskil ho raha tha aur time bhi kam bacha tha.
Akshay hadbadi mein gadi road se niche utar di aur woh control kar pata usse pehle hi gadi paas ke ped se ja takrai.
Na to Akshay na sonu aur na hi khushali ne seat belt pehne the isliye gadi takra te hi Akshay ka sar laga steering wheel pe sonu gaya sida gadi ke aage ke kanch ki taraf aur khushali jo piche baithi thi uska sar takraya petrol gauge (petrol kitna hai vo batane ka metre) aur dusre jo indicates the use takraya.
Jatka itna heavy tha ki Akshay khushali aur sonu 3no hi unconscious(Behosh) ho gaye.
Jab Akshay ki aankh khuli to us ke apne aankho ke samne ghor andhera paya aur apne aas paas Nazar ghumane laga ye check karne ke liye ki wo hai kaha.
Andhere ki wajah se Akshay ko kuch samaj nahi paya to Akshay hilne dulne laga to khudko bandha huaa mehsus kiya.Akshay ke haath piche ki taraf aur pair bandhe huye the.
Akshay ko apne halat jan ke hi usko kuch anhoni ka aabhas hone laga.
Akshay ke paas wale kamre mein khushali aur Sonu dono Akshay Jaisi hubahu stithi mein the.Filal khushhali aur Sonu behosh the.
Kuch der baad ek Aadmi dakhil huaa Akshay ke kamre mein.Aadmi ke kadmo ki aawaz se Akshay ko andaza ho gaya tha ki koi uski aur aa raha hai.
Akshay ke dil mein dar bhi tha ki ab kya hoga khushhali sonu aur uska.
Akshay ne apni himmat jutate huye aur apni aawaz ko kathor karke jo shaks uske kamre me Dakhil huaa tha usse pucha
Akshay:- Kon ho tum? Mujhe yaha kyu rakha gaya hai.Mere sath jo mere Mitra (dost, friend) the vo kaha hai.
Akshay itna hi bola tha ki utne samay mein Vo aadmi us ke paas aa chuka tha aur Akshay ke halat dekh uski hasi chut gayi.
Aadmi:- Hhaaaahahaaaaa hahahahaha
Aadmi apni shaitani hasi hasa.....
Update:-10
********************
1077 words hai....
Read and Have fun![]()
Thanks bhaiSanny or apna hero mature hai or Issi wajah se har ek pahlu ko soch samajh kr aage badh rhe hai apne hero ka kahna bhi sahi hai jb apni jaan pr ban aati hai to selfish hona bura nhi hai, akhir survival instinct yhi to hai, to koi in zombie horje ko is raste me Jan bujh kar chhod rha hai Taki koi or yha pr na aa sake... Superb update bhai sandar jabarjast
Thanks bhaiHahaapne aap ko kuchh jyada hi hosiyar samajh rhe the pr unhe kya pta unki yhi hosiyari Unpr kitni bhari padegi ye Apne Aap ko Vahi purani sthiti me samajhne ki bhool kr chuke the ab duniya Pahle jaisi na rhi or na hi Pahle Jaise log ab log ek ghoot pani ke liye bhi kisi ko mar sakte hai, petrol pump me gye or gadi bhi Vahi jakr roki Lekin andar office me kya hai vo check tk na kiya, kaise karte jb dimag mauj masti me lga dete hai sab apna to situation ki ganbhirta ko kaha se samajh payenge... Superb update bhai sandar jabarjast lajvab
Yes lucky to hai vahi mujhe vo pichhla title yaad karke hasi aa rhi hai Wrong Turn Isse kafi yade taja ho gyi hmari...Update:-11
{Lucky}
Hum Gadi se niche utre aur petrol pump ki taraf jane lage bina koi aawaz ki ye.Aawaz se zombies hamari taraf aa sakte the isliye khas hum sab wahi baat dimag mein rakh kar Petrol pump ke karib ja rahe the.
Jaise hum petrol pump ke paas pohche to hume vo khali dikha matlab petrol pump ke aage wale area mein hume koi zombie nahi dikha.
Ye dekh hum ne thodi rahat ki saans li par khatra abhi bhi tala nahi tha aur na hi hamara kaam pura huaa tha abhi.
Hum sab Petrol pump ke andar gaye.Hum sab alert the aur lad ne ke liye khud ko humne taiyar bhi kar rakha tha.
Agar kisi ki bhi jaan pe ban aaye to koi bhi apni taqat aur junon laga deta hai khud ko bachane ke liye hamara haal bhi kuch vaisa hi tha.
Na to hum sab thik se soye the na hi hum ne kuch thik se khaya tha par phir bhi hum ladne ko taiyar the aane wale khatre se.
Ye sab isliye mumkin tha kyunki Main Sunny Aarti Aslam shakil hum ek sath khade the dat ke hum ek dusre ke liye khade the dat ke aur jab Insaan ek ho Jate hai tab insaaniyat ki hi vijay hoti hai.
Na majhab upar hai na paisa upar hai aur na hi takat upar hai sab se upar hai insaniyat.
Yahi baat log kuch saalo pehle samajh gaye hote to aaj ye din hum ko na dekhna padta aur nahi hum bache kucho ko in halato se juj na padta. aaj sab zinda hote aur sab hasi khusi apne pariwaar ke sath waqt bita rahe hote.
Honi ko kaun taal sakta hai jo hona hai woh hokar hi rehta hai.
Hum sab pehle petrol pump ke piche gaye vaha bhi hume koi zombie nahi mila.Hum ne ek ek kar sab washroom check kiye to vo bhi sab clear the.
Hum petrol pump ki aage ki taraf gaye aur office clear kiya humne.jab hume koi zombie nahi mila to hum khush ho gaye.
Main Aslam chacha se bola
Main:- Chacha aap aur shakil jake gadi leke aao hum petrol bhar ke yaha se nikal te hai.
Aslam chacha meri baat sun shakil ke sath chale gaye gadi lene tab tak hum sab fresh bhi ho gaye the.
Aslam chacha aur shakil aaye gadi leke petrol pump ke paas to maine unko fresh hone bhej diya aur Sunny laga petrol bharne to bich mein hi ruk gaya metre.
Sunny vapas try kiya par petrol nahi nikala.Sunny dusre pump ki aur gaya to usme bhi petrol khatam ho chuka tha.
Main aur Aarti dur khade usko dekh rahe the Kyunki dhup nikal aayi thi aur hum chaav mein khade the.
Sunny hamare paas aaya aur bola
Sunny:- Petrol khatam ho gaya hai pump mein ab kiya kare.
Main:- Jitna hai utne se kaam chala lete hai bich mein agar koi petrol pump dikha to vaha se bhar lenge.
Hum bat hi kar rahe the ki Aslam chacha aur shakil aa gaye hamare paas to unko bhi hamne petrol ki samsya batai.
Hum sab gadi ki taraf gaye aur usme baith nikal gaye aage.
Sunny drive kar raha tha main uske paas wali seat pe baitha tha.Hamari gadi 1 ghante se lagatar chal rahi thi aur is 1 Ghante ke safar mein hume kahi bhi petrol pump nazar nahi aaya.
Thoda dur jate hi hume zombies ka herd dikha to main muh se nikala
Main:- Ab ye kya chutiyapa hai BC Petrol pump mil nahi raha aur jaise thoda aage jate hai to Zombies ka jund hi samne aa raha hai.
Sunny:- Ab kiya kare bhai.
Main:- Karna kiya hai gadi rok bhai pehle main gadi ke upar chadh ke dekh leta hu ki kitna bada jund hai us hisab se aage ka sochenge.
Sunny ne gadi roki di to main gadi ke upar chadha aur zombies ke jund ka muaiyna karne laga.
Ye wala zombies ka jund sabse bada tha aur maine bhi itna bada jund pehli baar hi dekha tha.main gadi se niche utra aur bola
Main:- Ye wala jund sabse bada hai kamse kam 400 se 500 zombies honge.Pichali bar wala idea is baar istemal nahi kar sakte kyunki inko hume paas karne mein unko 2 ghante upar lag jayenge isliye risk lena sahi nahi hai.
Mere bat sun Aarti Sunny Aslam chacha aur shakil ke chehre pe chinta ki lakire chha gayi.
Shakil:- Bhai ab kiya karenge.
Main:- Aage ek mod hai left side hume jaldi se vaha pohch ke uss mod se hote huye hum andar se nikal jayenge.
Main gadi ke andar baitha gadi already chalu hi thi.Sunny ne gadi chalai full speed aur jaise hum uss mod ke nazdik pohche to zombies ka jund bhi vaha tak pohach gaya tha.
Main:- Sunny uda dena side ke zombies ko.
Sunny ne gadi full Speed mein jane di aur jaise hi mod aaya usne break mar ke gadi ko jaise us mod ki taraf ghumaya usse 4 5 zombies gadi se takara ke dur ghire.sunny ne gadi wapas full speed mein lake us raste pe jane di.
Hum 6 7 km gaye honge uss raste pe ki hamari gadi bandh ho gayi.Jab maine fuel gauge dekha to petrol khatam ho chuka tha.
Sunny:- Vkey Petrol khatam ho gaya ab kiya kare.
Main:- karna kiya hai Ab paidal jayenge aage.
Ye bol ke main gadi se utra sunny Aarti Aslam chacha Shakil bhi utar gaye.
Hum ne apne apne bags liye aur usme pani aur khana bhare hatho mein hathiyar liye gadi ko vahi chhod aage manzil ki taraf badh gaye.
Aarti:- aaj ka din hi bura hai pehle ek zombies ka jund mila usse nikale to dusra jund hamara intezar kar raha tha uss jund se bhi jaise taise bach ke nikal gaye phir petrol pump pe petrol na milna uske baad ab gadi mein petrol khatam ho jaana ab aur kitna bad luck face karenge hum.
Main Aarti ki baat sun bola
Main:-
Aren't we lucky,to have survived so much bad luck.
********************
Update:-11
1032 Words hai...
Read and have Fun
Thanks bhaiYes lucky to hai vahi mujhe vo pichhla title yaad karke hasi aa rhi hai Wrong Turn Isse kafi yade taja ho gyi hmari...
400-500 ka jhund kon kr rha hai inko ekjut jo Itni badi tadad me chale ja rhe hai jis jagah se gujarenge vha ke logo ka sarvnash kar denge, to petrol pump me petrol khatm ho gya or gadi ka bhi ab paidal chal ke Jana hai dekhte hai kuchh milta hai inhe ya koi aur nyi musibat se pala padega... Superb update bhai sandar jabarjast lajvab
Yhi hota hai jb bina soche vichare kisi nirnay pr pahuch jate hai log ye 4 pirates hai Jo logo ko loot kr unka rasan pani hadap lete hai or unko mar kr ya bandh kr chhod dete hai... Superb update bhai sandar jabarjastUpdate:-12
{Fucked up}
Vahi dusri taraf ......
Aadmi Akshay pe isliye hasa tha ki usko pata chal gaya tha ki Akshay usse dara hua hai par phir bhi apni himmat juta ke ye sab bol raha tha aur uska badan darr ke mare kaap raha tha.
Aadmi apni bhari aur dil dehlane ki aawaz mein bola
Aadmi:- Jo sawal puchhu tum se us ka sahi sahi jawab dena varna yaha se jinda nahi ja paoge tum.
Akshay us shakhs ki awaz aur baat sun bohat ziyada darr gaya tha.
Phir bhi Akshay us shakhs bola
Akshay:- Mere dost kaha hai tum ne unke sath kuch kiya to nahi henaaa aahhaaaaa
Aadmi ne Akshay ko laat maari pet mein jab Akshay usse baat kar raha tha….
Aadmi:- Jitna pucha jaye utna hi bol na mujhe jyada bol ne wale insaan pasand nahi
Ye bol Aadmi ne ek aur laat maari Akshay ke pet mein
Laat padte hi Akshay chillai
Akshay:- aaaaahhhhh please hume chod do maine aur mere dosto ne tumhara kya bigada hai please mujhe jaane do tum hamara sab saman rakh lo.
Aadmi uski baat sun hasa aur Akshay ke paas niche baith gaya apne dono pairo pe aur apne ek hath se Akshay ke baal kinch ke bola
Aadmi:- Shhhhhhhhh tum apne samaan ki fikar mat Karo wo to humne waise bhi le liya hai.
Itna bol ke us shakhs ne apne pith ke piche se chaku nikala aur phir bola
Aadmi:- Ab jitna puchhu uska hi jawab dena na kam na jiyada bolna varna bolne layak nahi chodunga main tumhe.
Akshay us shakhs ki baat sun haa mein sar hillaya.ye dekh Aadmi muskura ke bola
Aadmi:- Tum log kaha se aa rahe the aur kaha jaa rahe the.
Akshay:- Hum Barmer se aa rahe the aur kheda jana tha humko.
Aadmi Akshay ke gaal pe pyaar se chapat marte huye bola
Aadmi:- good boy see how easy it was now another question Tumhare sath koi aur Group hai ya tum 3 hi the.
Akshay:- Hamare sath jo group tha vo to mare gaye sirf hum 3 hi bache kyunki hum time rehte unse alag ho gaye the.
Aadmi:- ye hi sawal main tumhare dosto se puchunga agar thoda sa unka jawab tum se alag huaa to tum apni jindagi se hath dho baithoge samje.
Shaksh ki bat sun Akshay ne haa mein sar hill diya.
Aadmi khada huaa aur kamre se bahar nikal gaya.
Vo dusre kamre mein gaya jaha Sonu aur khushhali bandhe huye the.
Aadmi jaise hi kamre gaya to usne dekha ki Sonu aur khushhali ko hosh aa chuka hai to vo unke paas gaya aur unke samne baith gaya apne dono pairo pe.
Us aadmi ko dekhte hi khushhali aur sonu dar ke mare kaap ne lage.
Aadmi ne unko vahi sawal puche jo Akshay ko puche the.Jab khushhali sonu aur Akshay ke jawab ek jaise sune to usko Akshay ke jawab pe vishwas ho gaya.
Aadmi us kamre se jaate jaate khushhali aur sonu ko pet mein laat marte gaya kyunki vo log bhag ne ki koshish na kare aur koi chaal na chale.
Aadmi kamre se bahar nikala aur apne sathi ki aur chala gaya.
Vo Char log the inka kaam dusre ke rss lootna aur unko bandi bana ke unke sathiyon ke bare mein pata lagana tha.Kuch din baad jo bandhi bane huye the vo log waise hi mar jate bhook aur pyaas se ya phir ye log jaan se maar dete unko.
Apne sathiyon ke paas jake jo uski aur Akshay khushali sonu ke sath jo vartalap huyi sab us ke sathiyon ko bata di.
(In logo ko main Aadmi 1,Aadmi 2,Aadmi 3,Aadmi 4 likhunga.
Aadmi 1 vo tha jisne Akshay khushhali aur sonu se vartalap ki thi.)
Aadmi 2:- To inke koi sathi nahi hai agar hote to hume unka bhi khana aur pani mil jata.
Aadmi 3:- Dusre bhi to yaha se nikalenge hum unka khana aur paani loot lenge unko bandhi banake.
Aadmi 3 ki baat sun sab has ne lage thodi der vo log vahi baith ke baate karne lage.
Kuch der hone ke baad Aadmi 3 jo unka boss tha ya phir hukum chala ta tha vo Aadmi 1 se bola
Aadmi 3:- Tum us ladke ko jake khol ke uske dosto ke sath bandh dena taki vo log mare to sath mein mare.
Ye bol Aadmi 3 aur uske 3no sathi has ne lage.
Aadmi 1 aur Aadmi 4 khade huye aur Akshay ke kamre ke taraf chale gaye.Kamre mein jake Akshay ke paas gaye to Akshay un dono ko dekh darr gaya aur bola
Akshay:- Please main tumhare haath jod ta hu mujhe kuch mat karna mujhe jane do main wapas chala jaunga yaha se phir kabhi wapas lot ke nahi aaunga yaha please….
Akshay ko yu gidgida te aur apne jaan ki bikh magte dekh vo dono has ne lage.
Aadmi 1 bola Akshay se
Aadmi 1:- bachhe hum tujhe maar nahi rahe hai tu khud marega bukh aur pyaas se.
Ye bol Aadmi 1 has ne laga aur Akshay ko khol ke usko uske dosto ke kamre mein le jake bandh diya unke sath.
Usko bandh ke Aadmi 1 aur Aadmi 4 bahar aaye aur baki sab kamre check karne lage kyunki waha bhi unhone dusro ko bandi banaya hua tha.
Aadmi 1 aur Aadmi 4 ko sabse last wale kamre mein ek ki laash mili to us lash ko uthake bahar fek diya zombies ke liye.
Khushhali sonu ko khushi huyi Akshay ko sahi salamat dekh ke hoti bhi kyu nahi khushi aakhir 3no purane dost jo the.
Akshay ne sonu aur khushhali se puchha
Akshay:- Tum dono thik to hona….
Khushhali ne sirf haa mein sar hila diya aur sonu ne Akshay ke sawal ka jawab diya
Sonu:- Hum dono sahi salamat hai tumhe to chot nahi lagi na.
Akshay:- nahi mujhe kuch nahi huaa sirf 2 laat maari.
Khushhali:- Hum yaha se kaise nikalenge agar nahi nikal sake to bhook aur pyaas se hi mar jayenge.
Sonu:- Hume to ye bhi malum nahi hai ki inhone hum ko kaha rakha hai.
Akshay:- kuch na kuch to sochna padega varna yahi maare jayenge hum.
Khushhali:- If we won't then we are
"FUCKED UP"
********************
Update:-12
1052 Words hai.
Read and Have Fun