Ek mistake ho gyi story karn aryan ke thapad marta hai na ki aryan uske.
Msst broUpdate 22
Aryan ab karn kr ghar pahunch kar doorbell bjata hai .karn ki maa darwaza kholti aur woh uske pau prta hai .
Maa- are beta aryan kesa hai aur itne din baad .yeh sab shor sana beti ko lekar aya sath kahi dikhai nhi de rhi.
Aryan- nhi filal akela hi aya hu.
Maa- kya baat bahut udas lg rhe ho .
Aryan- nhi maa ji aisi koi baat nhi .
Maa- chal yeh sab shor andar toh aa.
(Aryan ab andar enter karne lgta hai tabhi karan bhi aa jata hai)
Karn - koi zarurat nhi andar aine ki .
Aryan- kya hua bhai koi galti ho gyi mujhse.
Karn - sale bina btaye shadi karli woh bhi mujhse pehle aur idhar mein 26 saal ka kuwara ghar par baitha hu.
Maa- ha toh tujhse shadi bhi kon karega shakal dekhi hai tune apni . aryan tu andar yeh mera ghar hai is lafange ka nhi
(Karn sochta hai ki yeh aryan kya uski respect karega idhar Ghar wale nhi karte )
Karn- ruko maa mein bhi dekhta hu yeh kaise andar ata hai .
(Aryan tabhi usko code word mein yeh btata hai ki woh bottle leke aya hai alcohol ki )
Maa- karn ab ghusa shor bhi de jo hona tha wo ho gya.
Karn- thik hai maa shor diya gussa chal be aaja andar .
Maa- abhi toh gussa ho rha tha itni jaldi mood badal gya .
Karn- haa maa bhaiyo ka pyar hi aisa hota hai bas do pal ka hi toh gussa hota hai.
( Aryan se bottle shinta hai aur dono upar ke room mein jaane lgte hai)
Karn- maa aaj rat ko dinner mat bnana aryan bahas lekar aya mere liye .
Maa - ok
Ab dono upar wale kamre mein pahun jaate hai
Karn ko itna shrab ko shonk nhi tha woh bas 4 mahine be ek do baar pi leta tha aur yehi haal aryan ka tha )
Karn- beta bach gya tu ki yeh bottle leke aya nhi toh aaj tere boot parte .
Aryan- bhai apki help chahiye thi.
Karn- help bhi ho jayegi pehle jaruri kaam krte hai .
(Ab dono do peg bnate hai aur chilli paneer khane lgte hai tabhi peg lgate time aryan fut fut kar rone lgta hai)
Karn - are ab tujhe kya ho gya .kya biwi shor kar chali gyi ya fir Ghar walo ne tujhe nikal diya.
Aryan- dono chize ho gyi ( aryan ab chotte bache ki tarah ro rha tha karn ab usko chup krane mein lag jaata hai )
Karn- acha pehle rona shor yeh bta ki kya hua aur bolne se pehle yeh rona band kar diyo kyuki rote hue bolega toh kuch samaj nhi ayega .
( Aryan ab or jor se rone lga aur rote hue bolne lga )
Aryan- bhai woh sana mujhe shor kar chali jayegi aur agar aisa hua to mein mar jaunga.
Karn- kon sana .
Aryan- meri biwi or kon.
Karn- kya saale ek 32 saal ki aurat ke liye ro rha hai .agar shor kar chali jayegi toh dusri shadi kar liyo abhi tere age hi kitni hai par han meri shaadi jab hogi uske baad kariyo.
Aryan- nhi mein koi dusri shadi nhi karunga mein uske bina nhi reh sakta.
Sana- abe mere kabir singh tu jab 18 ka hua tha toh milf category jaada dekhna lga tha kyaa.are kya ek aunty ke chakkar mein para hai chill kar .shor kar jaa rhi hai toh jaane de .dekh meri tution pe kamal ki teri age ki ladkiya ati hai tu bhi meri tution join kar le aur baat age bda haa waise tution ki fees 1500 hai tujhse 1200 le lunga .
Aryan- nhi bhai mere ko koi girlfriend nhi bnani .mein sana ko sache dil se pyar krta hun ab mere se uske bina rha nhi jaayega ( ab hor chillana shuru kar deta hai aur karn ke gale lag jaata hai aur karn soch rha tha ki kis bewakoof ko usne apna bhai bna diya 21 saal ko ha gya hai par maturity naam ki isme ek chiz nhi .aryan ab apni jagah se uth kar karn ko lga leta hai )
Karn- acha sari baatein shor pehle yeh 7 sal ke bache ki tarah rona band kar aur baat bta kya Hui .
Aryan ab thoda shant hota hai aur apni sari kahani bakna shuru krta hai woh zyada detail mein na zakar sana se usne zabardasti ki thi ki uska bhi zikar karta hai aur kaise usne sirf sana ke sath apna matlab nikala tha . aryan karn ko bhai manta tha isliye us se har chiz share karta tha ab aryan karn ki baat sunta hai aur thoda serious hota hai )
Karn- sale mein toh tujhe alpha male samjhta tha par tu toh simp nikla chal yeh sab shor hath mila .
Aryan- kyu kya hua.
Karn - are jitna kha hai utna kar .
(Aryan ab karn se hath milata hai )
Karn - mubarak ho .
Aryan- kis baat ki mubarak.
Karn - mere se pehle virginity loose karne ke liye.
Aryan- thanks bhai.( Udas sa muh bnakar)
tabhi karn ke 3 se 4 zabardast thapad marta hai .aryan karn ki is harqat se hairan tha abhi tak karn ne sirf aryan ke 2 bar thapad mara tha ek baar jab usne karn ki crush ke gaal par jab kiss kar diya tha aur dusra jab karn ki cousin sister ko usne purpose kiya tha par tab toh karn use janta bhi nhi tha par yeh toh bilkul unexpected tha.aryan man mein kehta hai yha aa kar bhi koi fayda nhi yha bhii usko mar par rhi hai aur woh karn se mar isliye kha rha tha kyuki usko apna bada bhai manta tha )
Karn- kyu be sale maine itna kush tujhko sikhaya is din ke liye. Agar main nhi hota to dasvi mein bhi fail ho jaata .maine tujhe itne salo tak rehta rha aryan gentleman jaise behave Kiya karo aur agar ladki tujhe approach kare toh sabse pehle ignore karne ka aur in janab ko dekho ek aunty ke piche marne ki baat kar rhe hai . Mere ko toh tujhe gin aa rhi hai . Maine tujhe kha tha ki kabhi kisi ladko ko sherna nhi dusri baat kabhi kisi ki crush ko gaal pe kiss nhi karna .ruk ruk tune ek baar anu ko kiss kiya tha jis par mera crusha tha ( aisa bol ke ek chanta aur marta hai . aryan sochta hai yahan usko ana nhi chahiye tha aaj ka din hi khrab hai )
Karn- teesra kabhi bhi kisi agar koi rishta rakhna toh usko puri tarah nibana par idha yeh gadha ek aurat ke sath jo uski khud ki biwi hai uske sath zabardasti kar ke aya hai .mere ko tere par itna gussa aa rha ki puch mat .dil toh kar rha hai yha se gaseet gaseet ke tujhe tere ghar tak lekar chalu aur teri biwi ko kahu ki tujhe char chaple maare
Aryan - dekho bhaiya mere ko maaf kar do .main toh ap se yeh solution lene aya tha is musibat ka aur ap mujhe hi pitne lge main ab jaa rha kisi dusre dost ke ghar.dekho bahi mujhe mein meri galti ka ehsaas hai isliye toh ap se jan ne aya hu ki is galti ko main kaise thik karu aur maine ab faisla kar lya hai ki main ab sana ko kisi tarah convince karunga ki main uska husband hona deserve krta hu aur usko apni harkat ke sudhar ke impress karunga .
(Karn ab thoda serious hota hai)
Karn- dekh putar , tu na kya impress karega .kya tu kabhi usko ghumane lekar gya , kya kabhi khud nashta ya chai bnakar di, kya kabhi usko koi saree kapa gift Kiya , kya usko kabhi jaane ki koshish, kabhi pusha ki uski pasand ya na pasand le baare mein ya sirf usko hawas ki hi nazar se dekha.
Aryan ab sharm ke maare apna sir niche kar leta hai .
Aryan- nhi aisa kush toh nhi kiya .
Karn-dekh bhai agar insan ka sex aur khane se hi sab kaam ho jata toh na to wo evolve hote aur na hi kush avishkar krte.dekh bhai ham insan physical hi nhi spritual and emotional beings .humko chahiye emotional bonding
Pyar aur respect jaise tere mere bich bade bhai wala aur chote bhai wala pyar hai .
Aryan- par bhai abhi kya kar skte hai hai ab to teer kaman se nikal gya hai .
Karn- dekh bhai mere pass hai ek plan.
Aryan- kya bhai
Karn- ek kam kar jab bhi ghar wapas jayega pehle toh apni maa se bat kar aur chinta mat kar mein aunty ko tere bare mein convince kar dunga ki maine tujhe samjha Diya hai ab tu aisi koi harqat nhi karega.phir sana se maafi mang ki tu kabhi bhi usko tang nhi karega aur uski Marzi ke bina usko touch nhi krega aur phir usko koi gift deke impress kar aur jab tere sath normal ho jaye toh usko realise kra ki tu usko sacha pyar krta hai aur woh tujhe shor kr na jaye par problem yeh hai ki tere pass sirf aaj ka din tha jo ke lagbhag khatam ho chuka hai ab tu apni arthi saja de aag mein tujhe lga dunga.
(Aryan yeh sochkar ghabra jaata hai ki sana toh ab apne ghar ki taraf nikal chuki hogi aur phir woh usko phone karna chalu krta hai par sana ne uska number block mein daal diya tha aur phir rona chalu krta hai )
Aryan- bhai ab mere kya hoga.main toh sana ki bina nhi ji paunga. Bhai mere ko zehar lakr de do main woh kar mar jaunga.
(Karn ab aryan ki taraf dekh ke hasne lgta hai)
Aryan- bhai main yha marne ki baat kr rha hun aur aap has rhe hai .
Karn- bhai maine pyar mein pare bahut aashiq mirze bne dikhe par tu toh pyaar mein rotlu ban kar reh gya hai.dekh bhai pehle apni yeh jo tu wife ke samne animal wala ranbir kapoor banta hai woh ban na band kar movie mein uska baap billoner tha aur tere baap driver hai .thoda practical reality mein rha kar.
Aryan- bhai aap kuch karo na please.
Karn- ruk mein kush krta hun.
Karn ab aryan ki maa Ko phone krta hai.
Suman- hell karn beta kya haal hai .
Karn- aunty namaste, woh aryan aya tha bechare ka aunty ro ro ke bura haal tha ab toh so rha hai usne mere ko saari baat bhi bta di hai .mere ko bas aap yeh bta do ki jo woh sana chali gyi kya apne ghar.
Suman- dekho karn beta bura mat man na par main yeh nhi bta skti .
Karn- thik hai aunty mat bataiye bas yeh abhi thodi der pehle bol rha tha ki agar sana chali gyi toh mar jayega aur uski jeb nind ki goliya bhi thi abhi maine nikal li hai ab baad ka pta nhi .waise aap mujhe bta dengi toh main guarantee deta hun ki aryan kal parso tak sahi salamat aur thoda samajhdar insan bn kar ghar par aa jayega .
(Yeh baat sun kar aryan ki maa thoda ghabra jati hai aur bta deti hai 20 din tak isi ghar mein rahegi )
karn- le bhai bn gya Tera kaam 18 din hai tere pass usko impress krne .
Aryan- 18 nhi maa ne toh 20 kha tha .
Karn- 2 din tuere pass rukega.
Aryan- nhi mein kal hi chala jaunga mujhe koi sana ki yaad aa rhi hai.
Karn- abe sale biwi ayi toh bhai ko bhul hi gya aur main teri itni help ki aur tu 2 din mere pass nhi rukega aur bhai tere ko 2 din mein sikhaunga ki tu usko kaise impress kr skta hai .
Aryan ab thoda sa khush ho jata hai.
Aryan- par bhai kya sab kush jon apne btaya hai woh karna padega.
Karn- ha .
Aryan- par mujhe to yeh bhi nhi pta ki usko khane mein kya pasand hai aur hobbies toh dur ki baat ho gyi.
Karn- ek kam kar uski kisi saheli se sana ke bare mein pta kar aur sana ko impress krne ki koshish kar .
Aryan- haa bhai pta toh hai ek saheli ke bare mein par uska number nhi hai .
Karn ab matha patakta hai hath.
Karn- bhai sach mein tu kitna bada chutiya hai .sun ek kaam karna sna ke phone se us saheli ka no copy kar lena
Karn- waise naam kya us saheli ka .
Aryan- hina khan.
Karn- kya khubsurat naam hai hina .ek kaam karna mujhe bhi uska no forward kar dena.
Aryan- kya bhai yeh ap kaisi bate karte ab so jaiye kaisi ajeeb si baate krte ho.
Karn- kyu be sale matlabi tera ullu sidha ho gya toh ab meri batein ajeeb ho gyi
Aryan- kya bhai mein toh mazak kar rha tha ab bura mat mano.
Karn- thik hai bhai chal so ja mein Zara niche maa ko medicine dekar ata hun.
Koi masla nahi hai badi badi story me choti choti mistake hoti rehti h bhut hee achi chal rahi hai story apki please continue rakho story koEk mistake ho gyi story karn aryan ke thapad marta hai na ki aryan uske.
It's fine thoda bohot typos chalta haiEk mistake ho gyi story karn aryan ke thapad marta hai na ki aryan uske.