Update 68 part 5.
Suman - ruk idhar abhi tere ko akal sikhati hun .
Aryan - achha mein abhi mithai lekar aata hun
Neha - kya maa rehne do woh bas mazak kar raha hai aur bhabhi aap bhi apna sar upar kar lo kab tak aise hi baithi rahogi
Sana ab bechari si shakal bna kar apna muh upar karti hai
Suman - sana beti tu kya aise har baar ghabra jaati hai isko tu kuch kehti kyu nhi yeh tere sath har baar aisa hi karta hai na .
Sana- mein kya bolu maa ji mein inke aage thode na bol sakti hun waise bhi apko pta toh hai meri kaha sunane wale hai yeh .
Neha man mein - kya acting karti ho bhabhi tum iske aage nhi bolti are jab dekho bechare ke sar par baithi rehti ho
Hina man mein - yeh uske aage nhi bolti yan phir usko kuch bolne nhi deti aur yeh aryan kon sa kam hai jab dekho isko tang karne ka mauka nhi chorrta
Aryan tabhi sab ke liye sweets lekar aa jaata hai aur serve karta hai .
Sana- aap bhi khaiye na
Neha - are kya bhabhi isne kha toh li mithai
Suman - neha mat kar tang kar usko aur kyo tum bhai behan hamesha uske piche pade rehte ho .
Suman - sun bahu tu na in paglo ki baaton par dhyan na de
Hina- waise mithai lagi kaisi jija ji
Aryan- bahut mitthi thi ab toh yeh hi favourite mithai hai meri
Sana- mein jaa rahi hun apne room mein ( gusse mein)
Suman - ruk bahu baithi reh idhar .
Sana - par maa ji dekhiye na yeh chup hi nhi kar rahe
Suman- aryan beta thoda paas aana zara
(Aryan ab suman ke thoda paas aata hai )
Aryan - han maa bolo
(Suman ab gusse mein aryan ke bahut zor se thapad maarti hai)
Suman - bas kar besharam kahi ke kabhi toh dekh liya kar kaha baitha hai
Aryan - sorry
Hina man mein - achha hua iske sath
Sana man mein - yaar aryan ko toh maa ji ne bahut zor se maar diya mujhe unhe bolna hi nhi chahiye bechare ke meri wajah se thapad par gya par iske padna bhi chaiye tha pta nhi।kab yeh aisi harqate band karega.
Suman- achha abhi sab shant ho jayo aur chup chap yeh mithai khao .
Sana- aryan ji khayoge aap
Aryan- chalo thodi se de do
Sana- yeh lijiye aap .
(Sana ab aryan ke aage apni plate rakh deti hai )
Aryan- are tum khilao na apne hathon se meri sona .
Sana man mein - yeh ladke ko kab samajh aayegi . aryan kabhi toh kisi ki sun liya karo abhi itni zor se thapad pada hai phir bhi woh hi haal hai iske .
(Suman aryan ki baat sunkar uski taraf gusse se dekhti hai )
Aryan- woh maine isko sana kaha hai sona nhi kaha shayad apko galatfehmi ho gyi hogi sunane mein
Suman - par maine toh tujhe abhi pucha nhi ki tune kya bola aur waise sub ne sun liya ki tune kya bola hai
Aryan- achha toh koi baat nhi ohh sach mere ko yaad ki mujhe abhi college ka kaam karna hai koi
Sana- are baitho raha na aap idhar kabhi toh kahi tik kar baith jaya karo ( chirrchiri si awaz mein)
Neha - waise maa ji isko paida karne se pehle aap ne khaya tha.
Suman - maggie khayi thi beta
Hina- isliye lgta hai aise hai jija ji .
Sana- aur tu kaisi hai hina jab se dekh rahi hun aryan ji ko befaltu bole jaa rahi hai woh tere jija ji hai thodi toh tamiz rakh.
Hina man mein - yeh kaisi aurat hai yaar apne gharwale ke baare mein ek shabad nhi sunti chal koi na aane do karn ko agar is aryan ko nhi jhute parwaye na usse toh mera naam hina nhi aur kon jija ji yeh nikamma na ghar mein iski koi ijjat hai na bahar.
Suman - are bahu tu itna gussa kyo kar rahi hai usne mazak hi toh kiya hai ek aur tu hai kaisi ek toh mujhe samajh nhi aata kabhi teri zuban nhi chalti aur kabhi kabhi tu chup hi nhi karti .
Sana- sorry maa ji par yeh hina hai na mujhe har bar gussa dila deti hai .
Rl- waise beti gusse se yaad aaya dekho kal jo bhi hua aur maine bhi gusse mein isko thoda galat bol diya aur yeh bhi nhi dekha ki tu ro rahi iske liye agar tujhe bura laga ho toh please mujhe maaf kar dena woh kya hai kal mein thoda pareshan tha isliye aisa bol diya waise bhi hamare ghar mein toh yeh sab hota hi rehta hai isliye tu kisi baat ki chinta mat karna maine kuch isko ya tujhe dil se nhi bolo bas mein toh isko samajha raha .
Neha - aur han waise bhi bhabhi agar 1 mahina hamare ghar mein koi kalesh nhi hota toh yeh mujhe yeh ghar hamara ghar hi nhi lgta.
Sana- nhi papa aap ne jo bhi kaha inke achhe ke liye bola tha mein apse koi gussa nhi thi bas mujhe jab aap bol rahe toh thoda bura laga aur waise bhi agar aap nhi inhe samajhayege toh kon samajhayege.
Suman - challo yeh sab baatien chorro sab aaj sab itne khush hai toh mein soch rahi thi ki bahu ko aaye bhi kaafi time ho gya hai iski aur aryan ki shaadi ka bhi saara kharcha iske gharwalon ne kiya tha .humne toh aaj tak kuch bhi nhi kiya toh ji kyu na hum ghar par puja, satsang aur ek chotto sa function karwan de .
Aryan- par maa shaadi ko itni der ho gyi hai waise bhi saare function toh ho gye the ab kyon hi karna .
Neha - par phir bhi bhai humne khud toh kuch bhi karwaya mein kehti hun ki function kara lete hai par shaadi ka nhi balki hamara nayi dukan kholne ka kya kehte ho
Aryan - yeh thik rahega aur ajeeb bhi nhi lagega
Suman - han toh aisa kar lete hai .
Suman tabhi notice karti hai ki rl thoda pareshan lag raha hai
Suman - kya baat hai ji koi problem hai .
Rl - han suman kaam ke liye abhi bhi kam se kam 2 lakh rs mujhe chahiye aur mujhe kahi se loan bhi nhi mil Raha hai aur upar se yeh function ka bhi kitna kharcha ho jayega
Aryan - toh papa hum bank se loan kyo nhi lete .
Rl- bank wale ko kuch toh dikhana padega na ki hamare pass kuch hai security ke liye .mein toh soch raha kisi jaan pehchaan ke insan se hi thode paise le lu intrest pe .
Rl- tera hai koi aisa jaan pehchaan wala beta
Aryan man mein - hai toh bahut par kisi ka bhi background achha nhi hai .
Aryan - papa woh mera dost guddu hai na woh kuch kar sakta par uska bada bhai shayad na maane .
Rl- rehne de bata tere kisi dost se paise lete hue mein accha nhi lgta
Sana man mein - ab mein hi kuch karti hun waise bhi ab yeh mera parivar hai aur mera bhi inke liye koi toh farz banta hai .mujhe kabhi ne itna pyar nhi kiya jitna in logo ne kiya hai pta nahi kaise yeh sab log jinko mein jaanti bhi nhi thi apne se lagne lage hai aur aryan toh mere liye jaise sab kuch hi ho gya hai .
Suman - dekhiye thik hai koi baat nhi aap ko kahi se paise milte hai toh udhar le lijiyega par function ke kharche ki tension mat lijiye maine kuch paise bacha kar rakhe the usse ho jayega function.
Aryan- mein bhi na vicky bhaiya se baat kar lunga ki mujhe woh thankwah pehle de de .yeh kehkar ki mujhe uski bahut zarurat hai aur agar aisa hua toh baki kharcha mein dekh lunga .
Rl- rehne de beta woh bala tujhe kyon advance mein de dega thankwah
Aryan- nhi woh de denge kyunki meri unke sath kafi achhi dosti ho gyi hai .
Sana man mein - han han waise bhi do sharabiyo mein dosti bahut jaldi ho jaati hai
Suman - toh thik hai agle hafte hum ghar par function rakhte hai aur han aryan aur neha tu bhi ab taiyari karne mein koi alas na dikhana .
Suman - aur hina mein toh kehti hun tu waise bhi 4 din ke liye aayi hai toh ruk jaa na hafte tak function attend kar ke jaana aur tere rukne ke karan sana ka bhi dil laga rahega .
Sana- han hina ruk ja na please bahut mazza aayega
Hina- nhi aunty ji mujhe pehle hi bahut mushkil se chutti mili hai isliye possible toh nhi ho payega par aap fikkar na kare mein puri koshish karungi function par aane ki
Sana- kya matlab koshish karegi tujhe toh aana hi padega
Hina- achha baba aa jaungi .
Suman - chutti kis baat ki beta tu yahan patient ko hi toh dekhne aayi hai
Sana- are maa ji maine btaya na ki yeh guilt mein hai ki patient thoda pagal ho gya hai isliye personally chutti lekar aayi usko dekhne
Hina- ji maa ji yeh sach bol rahi hai
Neha - matlab jo patient tha woh sach mein pagal ho gya
Sana- or nhi toh kya
Hina man mein - ruk tere ko btati hun kamini
Suman - achha yeh sab chorro waise sana ek baat puchu tune btaya nhi tu dance bhi karti hai
Suman ki baat sunkar Aryan hairan ho jaata hai .Neha bhi gehri soch mein pad jaati hai halanki sana ne neha ko dance wali baat kahi thi par neha ko yeh baat nhi pta thi ki sana bahut achhi dancer reh chuki hai aur sana yeh baat sunte hi dar jaati hai aur thoda kampne lgti hai .
Sana- nhi ...nhi..mein aur woh....woh dance kabhi nhi mujhe toh aati hi nhi da....
Suman - are aise ghabra kyo rahi hai aur kyon nhi aata tujhe dance maine dekha abhi upar kaise tu room mein dance kar rahi thi .
Sana man mein - oho maa ne dekh liya lgta hai mujhe dance karte time ab mein kya karu .
Suman - dekh phir tune apne gaal tamatar ki tarah laal kar liye aur beta tu aise dar kyu rahi hai tu dance hi toh kar rahi thi koi galat kaam nhi
Neha - kya bhabhi aap naach rahe the par apne toh kaha ki ab aap kabhi dance nhi karengi .
Aryan ab sana ke kaan ke paas jhakar dhimi awaz mein bolta hai .
Aryan - waise kon se song par dance kar rahi thi tum
Sana man mein - yeh mr immature ko toh mein baad mein room mein btati hun mein. Idhar itna embarass feel kar rahi hun aur yeh mere maze le raha hai .
Sana- nhi maa ji woh toh mein aise hi koi exercise kar rahi thi shayad apko laga mein dance kar rahi hun .
Hina- chal jhuthi aunty ji apko pta hai yeh jo sana hai indore ki best dancer thi iske Ghar par bahut awards pade hue hai jo isne different - 2 dance competition mein jite the .
Neha- kya Sachi ( hairani )
Suman - are beta sana tune Hume itni badi baat btayi nhi
Hina man mein - are yeh mein jaldi - 2 mein kya bol gyi ab mujhe yahan se nikal jaana chahiye nhi toh yeh sana mujhe maar dalegi.
Hina ab sana ko taraf dekhti hai jo usko is waqt deathlook de rahi thi .
Suman - sana beti bol na aur tu aise hina ki taraf itne gusse se kyon dekh rahi hai .
Sana- maa ji han yeh sach bol rahi hai mein thi ek dancer par yeh mere college time ki baat hai ab mein dance nhi karti bas aaj room mein akele hi thi isliye karne lagi .
Suman - par tumne yeh baat chupyi kyo ki tu ek dancer thi
Sana- woh maa ji isliye kyunki mujhe laga shayad apko achha na Lage
Suman - are isme achha na lagne jaisa kya hai jo tune nhi btaya waise tu kis tarah ka dance karti hai
Sana - nhi maa ji mein dance karti thi ab nhi karti .
Suman- par kyu
(Suman tabhi aryan ko taraf dekhti hai aur aryan usko ishare se yeh baat ko khatam karne ko kehta hai tab suman bhi thoda samajhti hai ki shayad sana thodi uncomfortable ho gyi hai dance ko lekar aur aryan bhi shayad isliye bol raha hai kisi wajah se )
Suman - chal chorr rehne de nhi btana hai toh mar bta
Sana- nhi maa j...woh
Suman - are bahu thik hai hai na tumko nhi btana hai toh mat bta aur chinta mat kar mein tumse koi naraz nhi hone wali .
Sana- nhi maa ji apko nhi btaungi ki toh kis ko Btaungi woh maa ji yeh baat hai ki mere abbu ko pasand nhi hai yeh sab isliye thoda dance ke baare mein baat kar ke achha nhi lag raha hai .
Suman - tujhe nhi achha lag raha hai na toh hum se koi bhi is baare mein baat nhi karega chal ab yeh udas sa chehra mat bna
Sana- nhi maa ji
Suman - koi baat nhi bahu tu aise hadbada mat thodi shant
ho jaa
Aryan ab sana ki jhang par apna hath rakhta hai aur usko pyar se sehlata hai aur usko shant rehne ko bolta hai phir usko halki si awaz mein bolta hai .
Aryan- dekho yeh aise panic mat karo please shant raho koi tumko judge nhi kar raha hai aur agar karega toh mein hun na tumhare sath chinta mat karo
(Sana ab thoda shant ho jaati hai aur uska aryan ka aisa karna bahut achha lagta hai )
Hina man mein - are yaar gharbad ho gyi yeh toh nervous ho gyi mein ab kya karu .
(Sana chahe bahar se thoda shant ho gyi thi par usko hina par bahut gussa aa raha tha )
Suman - chalo waise hina tumne na sahi kiya iska ek raaj toh hume pta chala aur bhi koi Raaz hai iska
Sana- nhi maa ji koi or toh raaz nhi hai par han hina ka ek Raaz hai
Suman - kaisa raaz
Sana- ki hina karn bhaiya ko like karti aur woh patient koi aur nhi yeh karn bhai hi hai aur yeh yahan par unhe shadi ke liye mnane aayi hai aur aryan ji ne hi inhe yahan aane ko kaha hai
Neha - kya ( hamare ghar mein chal kya Raha hai )
Suman- yeh kya bakwas hai (hina ko bhi us nikaame ko hi pasand karna tha )
Sana man mein - are yaar mein yeh heat of moment mein kya bol gyi mein pagal hun kya mujhe bhi gusse mein pta nhi chalta kya bolna hai
Aryan man mein - are isne Mera naam kyu le liya yeh bhi pta nhi kabhi kuch bhi kar deti hai
Aryan- oh mere ko yaad aaya college ka kaam karna mein Zara bahar se thoda saman lekar aaya ( nikal lo bhai idhar se nhi toh aaj maut pakki )
Hina - jija ji mein bhi aapke sath aati hun
Aryan- han han jaldi chalo
(ghabrate hue )
Sana- mein bhi zara dishes saaf kar ke aayi bahut zyada bartan ho gye hain
Suman - tum teeno chup chap idhar baitho koi kahi nhi jaane wala ( gusse mein )