Anirban abne bed se utha aur gate ke paas gaya.hariya ki biwi khadi thi
"A m mujhe jaana hai"anirban bola
"Koun hai jo tumhe dara raha hai"jhumri hariya ki biwi boli
"Koi nahi didi"anirban bola
"Didi??"hairan hokar jhumri boli
"Haan mujhse badi jo mera khayal rakhti hai.time par khana aur mere baare me fikarmand hai wo didi hui na"anirban haskar bola
Jhumri kuch boli nahi thagi si reh gayi aur anirban chala gaya
Anirban bataye jagah par pohunch gaya raat ke 11:00 baje
Do teen aadmi khade the
"Police ko inform to nahi kiya na ??"awaaz pehchani si lag rahi thi anirban ko
"Roshan ye tum ho na"anirban roshan ki aur jhapta lekin baaki logo ne usko pakad liya
"Dekho anirban hamari tumse koi dushmani nahi hai,tum hame pagle sahab ki kabr ke paas ke chalo aur ye khoobsoorat kritika tumhari"door khade ek car ji aur dikhaya roshan ne
Car ka darwaza khula aur usme se kritika dikhi muh aur haath bandhe hue the
Ro ro kar bura haal tha
"Kritika ko chod to mai tumhe le chalta hoon"anirban bola
"Good yahi to hum chahte hai"roshan bola
Lekin fir bola
"Well actually mere do ladke kritika ko pakde rahenge jab hum wapas aayenge tab kritika free ho jayegi"roshan haste hue bola
Tabhi 5 log aur dikhe anirban ko
Ye Wahi log the jo train me baithkar aaye the motinagar
Yani ye gunde aur roshan ka group dono mile hue hai??
"Chalo time pass mat karo aur jaldi chalo ladke"gundo ka boss bola
-------------------------------------------------------------------------------
Jheeku sardar police ko lekar kritika ko khoje ja rahe the
"Sardar ghabrao mat wo ladka mere khayal se kritika ke saath hi hoga"chaganlaal bola
"Yakeen ke saath kaise bol sakte ho aur agar hua bhi to akela kritika ko bacha payega??"jheeku sardar bola
"Us ladke me kuch to hai sardar."chaganlaal bola
"Pata nahi mujhe to meri gudiya ki chinta ho rahi hai chahiye"jheeku sardar bola
"Aap bekar me chinta kar rahe hai"chaganlaal bola
"Lekin meri beti ko bachane ke liye agar purane jheeku ko jagana pade wo bhi karunga,25 saal pehle jo jheeku mar gaya tha aaj zinda hoga"jheeku sardar bola
Chaganlaal ye sab sunkar ek baar kaamp utha
-------------------------------------------------------------------------------
Pahadi ke raaste se us jagah ne anirban sabko lekar chal raha tha
"Ye to bata tujh jaise bhondu ko hi ye kabr ke baare me kaise pata chala??"ek gunda bola
Aur sab hasne lage
Anirban chupchap chalne laga
Moahadi ke raaste se hote hue ek gaddhe me utarkar ek surang ki aur gaye
Surang aage badhne laga aur halka sa Neelapan shuru ho gaya
Anirban ko pata tha wo nazdeek pohunch gaya hai
Neeli roshni badhti gayi aur ab sabkuch dikhane laga tha.
Torch ki zaroorat nahi thi
Aakhir wo pal a hi gaya jahan ek badi si khai thi aur khai ke us paar ek kamra
Kamre me Neeli roshni faili hui thi ek vriddh wahan kuch padh rahe the
Awaz se wo padna.chod .khidki se dekhne lage
"Khajana chahiye na tumhe??aao is cross ki roshni ko dekhte hue is seedi ke sahare a jao"vriddh bole
Aur sab dheere dheere seedhiyon se chalne lage
Vriddh ke haath me ek bada cross dikhne laga.cross se roshni bohut zyada badhne lagi
Ek samay par anirban ne bhi aankhen aadhi band kar di.anirban nahi gaya un logo ke saath kyunki wo laalchi nahi tha,bura aadmi nahi tha
Aur waise bhi usko pata tha wahan koi seedi honi nahi chahiye kyunki wahan koi seedi thi hi nahi jab pichli baar gaya tha
Khair sab log seedi se hote hue us roshni me gayab hone lage
Jab tak akhiri aadmi gayab nahi ho gaya tab tak vriddh waise hi us cross ko pakde rahe
"Ab tum bees kadam peecha jao aankh band karke,bibl b padh raha hoon disturb mat karo"vriddh bole
Anirban ki aankhon se aansu behne laga.lekin ye dar ke aansu nahi izzat aur samman ke aansu the
"Aap bohut ache hai pagle sahab,aap aaram kijiye aaj ke baad aapko koi pareshan nahi karega"man hi man bol apne aansu pochte hue aankh band kar bhari mann se bees kadam peecha gaya aur wahan pohunch gaya jahan 2 gunde kritika ko lekar khade the
Anirban ko akele dekhkar unhone apne bandook tankar jaise hi goli chalanr ki koshish ki wahi piano ki awaz shuru ho gayi
Kritika,aur baaki do gunde wahi Awaz sun behosh ho gaye
Jabki anirban par koi asar nahi hua
Khair kuch der baad police a gayi saath me jheeku sardar, chaganlaal dono the
Dono badmaash ko police le gayi aur fir anirban ke paas aayi
"Us kabr ke baare me kuch pata chala??"inspector ne poochha
"Kya kabr??mujhe kuch nahi pata "anirban bola
Doosre din sab anirban ke kamre me baith gaye.
Jhumri ne sabke liye nashte ka intezam kiya tha.ab jhumri bhi anirban se padhai seekh rahi hai chaganlaal aur hariya ke saath
"Wo sab to theek hai lekin ab padhai kar ke is ladke ka dimag aur kharab hoga,fir mere se ye daanv pench kaise seekhega??"chaganlaal bola
Anirban has pada
"Padhai bhi karunga aur daanv peench bhi seekhunga "bol wo kritika ki taraf dekh kar hasne laga
Kritika mand mand muskurane lagi
-------------------------------------------------------------------------------
AFTER SIX MONTHS
"Ari sunti ho hamara arindam first aaya hai poore state me"newspaper lekar daudte hue dr aridhman apni wife se bol uthe
"Mujhe to pata tha ,bas aapko hi ek aankh nahi bhaata tha mera beta"Mrs ghosh muh banakar boli
"To tumhara ladla aur tumhari didi ka beta suraj dono to badmashi me no 1 the,khair bhagwan ka lakh lakh shukra hai ki dono bacche sudhar gaye"mr ghosh bole
Tabhi darwaze par dastak hui
"Ek chitthi hai aapke naam "postman khada tha
Mr ghosh aur Mrs ghosh ne hairaani se chitthi li aur dono padhne lage.
Chitthi arindam ne likhi thi
"Dear mummy and papa,
Aap logo ki badi yaad aati hai,dadi ke bina din nahi nikalta aur chutki wo to har pal yaad aati hai
.ek saal kaise guzar gaya pata nahi chala
Kuch pata chala to ye ki motinagar ab apna sa.lagne laga hai
Padhai me dhyan lag raha hai.yahan ke MLA ne mujhe inaam ke taur par kuch rupaye diye the jo maine school fund me daan kar diye,
Kyunki isi school me mujhe izzat aur naam dono mila
Aapko to pata hi hoga ki wo jo kidnapping case hua tha us kritika naam ki ladki ka.usme bhi police ne mujhe inaam diye jo maine pahadi ke paas wale us garden ki.marammat ke liye kharch kar diye,ab wo koi khandar nahi ek pyara sa baag hai aur us baag me mr henry jefferson ki ek statue bhi lagai hai,
Yahan sab ke saath ghul.mil.gaya hoon
Kritika jaisi ek bohut achi ladki ki dosti mili
Jhumri jaisi didi,aur chaganlaal jaisa ustad jinse sab kuch seekha raha hoon.aap log apna khayal rakhiye
Aur haan college bhi mai yahi karunga aur uske baad hi aap logo ke paas aunga.aap sab apna khayal rakhna dadi ko aur chutki ko dher sara pyar,
Aapka
Anirban"
--------------+++-+++++++THE END+++++++++----------