Bohut hua motinagar ab yahan se nikalna hoga anirban ko.itni pareshani to padhai likhai ne bhi nahi hui usko
Hmm kal subah tak yahan se nikal jayega anirban.apne papa mummy ke pair me gir jayega,jo bhi ho karega lekin is jagah se nikal jayega.
Jaane se pehle kyun na suraj bhaiyya se gappe ladaya jaay.yahi soch apne mausere bhaiyya suraj ko call lagaya anirban ne
"Hello ,bol anirban"suraj bola
"Bhaiyya aap ki studies kaisi chal rahi hai??"anirban ne poochha.pata tha use anirban ki tarah padhai me suraj bhi fisaddi hai.dono kam maar khate the ghar me padhai ke chalte??
"Bohut improve hui hai meri studies anirban.abhi tak to shayad college ke top 15 me a jaunga.thodi aur koshish ki to shayad top 5 me bhi a sakta hoon.tu bol??school se sab thik thak??kaisi jagah hai motinagar???soch raha hoon ki kabhi ghoomna a jaun"suraj ne bola phone par
"School me mera haal waise ka waisa hi hai bhaiya,samajh me nahi a raha hai kya karoon"anirban ne wahan se subah ko ghar wapas aane ki baat chupa li
"Koshish kar ani koshish se kya nahi hota??"suraj bola phone par
"Koshish to kar raha hoon bhaiya lekin kuch ho nahi pa raha"anirban bola
"Dil se koshish kar ani sab hoga"suraj bola
"Dekhte hai bhaiya.chaliye rakhta hoon.goodnight"bol phone rakh diya anitban ne
Suraj bhaiyya ne kaafi improve kiya hai studies me,kaise ???yahan to gundo se pitne ke alawa kuch kiya hi nahi anirban ne.tabhi uska cell phone baj utha
"H hello??koun??"anirban ne poochha
"Thanks bolne ke liye phone kiya"ek ladki ki meethi awaaz doosri aur se aayi
"Thanks?? koun ho tum??aur mera number kaise mila??"anirban ne poochha
"Kritika bol rahi hoon anirban,tumhara number school ke office se mila"kritika ne kaha
"Isme thanks ki kya baat hai mai to dost ki madad kar raha tha "anirban bola
"Umm kal school ke baad mile kya??"kritika me poochha
Fir jhat se boli
"Mera matlab uski tarah nahi dost ki tarah.mera matlab dost ki tarah bas aur kuch nahi.ok bye"bol phone kat diya kritika ne
Anirban chupchaap sochne laga.jab suraj bhaiyya datkar college ja rahe hai,aur studies bhi improve kar rahe hai,to mai kyun nahi???
Tabhi piano ki awaz aane lagi.jump markar anirban bed se neeche utra aur pani ke jug se apne muh par paani ke cheente maara.taaki neend na aaye.
Fir dheere dheere room se nikalkar sidiyon ke paas gaya.piano ki awaz abhi bhi a rahi thi lekin
Koi nahi tha wahan.fir awaz kaise a rahi thi.awaz
Se fir neend a gayi anirban ko
-------------------------------------------------------------------------------
School ke baad kritika se milne anirban school compound se bahar jungle me aya
"Tumhe kuch kehna hai kritika??"anurban ne poochha
"Haan anirban,pata hai mai yahan 14 saal Me aayi thi.aur is jagah se pyaar sa ho gaya"kritika boli
"Aayi thi matlab tum yahan pali badi nahi??"anirban ne hairani se poochha
"No sir,maine banglore me janm liya waha. Boarding school me thi.fir yahan aayi"kritika boli
"Lekin boarding school me kyun??"anirban ne poochha
"Chodo ye sab,pata hai,mujhe laga in sab jhamele ke baad tum bhaag jaoge,lekin tum date rahe.hats off yaar"haste hue kritika boli
Anirban ko kritika ki smile achi lagi
"Wo sab to thik hai,pahle sahab ki kahani batao na koi batata hi nahi??"anirban ne poochha
"Tumse chupakar koi fayda nahi,khair baat 1815 ki hai yahan ek British national raha karte the.henry jefferson,bohut nek dil insaan the.kehte hai angrezo ke swabhav ke bilkul viprit the,dukhiyon ki madad karna,khud ke paison se zaroorat mando ki madad karna
Ek baar 3 rajyon ka shahi khajana england jaane ko tha.henry saab ko pata chala to wo iske viruddh khade ho gaye,unka kehna tha ki ye sab yahan ke logon ka hai isme pehla haq inka hai.lekin angrez na maane,for kya tha unhone ye saara khazana lekar ek jagah chipa diya aur jab angrezo ko pata chala to unhone in bechare ko marwa diya.lekin marne se pehle inki akhiri khwahish thi ki inko Wahi dafnaya jaay jahan unhone khazana rakha tha.unki icha poori ki gayi,ye jaane bina ki unhone khajana kahan chupaya tha.aut bas yahi story chali a rahi hai"kritika boli
"Hmm acha kisi ne bataya ki tumhari smile bohut sweet ha?"anirban bola
"Aur kisi ne bola ki tum line bohut maarte ho??"kritika muskurate hue boli
"Are mai to sach keh raha tha"anirban bola
"Rehne do tumhare haath me jo tattoo hai na usse pata chalta hai,kya ho tum"kritika boli
"Kya baat hai,tumne dekh liya??"smile ke saath anirban bola
"Dhat tum bade shararti ho,bye"bol daudkar chali gayi kritika
Anirban use daudta dekh hasne laga,nahi wo motinagar chodkar nahi jaayega padhai poori kiye bagair