"ab kaisi hai tabiyat tumhari??"anirban ne poochha
"Thik hi hoon,bas KAMZOR si hai"kritika boli
"To rest kar leti mere saath walk pe chalna zaroori tha??"anirban bola
"Company dene ki sochi,waise bhi mai rahungi to tumhe kuch nahi hoga"kritika bola
"Sachmuch??"bol hasne laga anirban.in kuch dino ki ghatna ke baad kritika ne sachmuch soch liya ki anirban KAMZOR hai.halanki ye baat poori tarah sach nahi hai.jitne baar uspar hamla hua saare jhund me the ek ya do teen se to wo nipat leta lekin 10-15 se nipatna mushkil tha,waise bhi saare log usse umra me bade the
"Waise tum bohut brave ho pata hai,hame to laga tha ki hame tum dekhne tak nahi aaoge,mere saare dost mujhse darte hai anirban.sirf tumne bina darr ke mujhse dosti ki,aur..."kritika bolti hi ja rahi thi.anirban ne apne haath se uska muh band kar diya
"Baap re baap itna bolti ho tum,thoda is weather ka lutf uthaiye na madam ji"anirban haskar bola
Lekin aisa karte hue kritika aur anirban aamne saamne a gaye aur dono ki nazrein ek doosre se mil gayi
Dheere dheere kritika aur anirban ne aankhen band kar li
Kritika ke honth thartharane lage.anirban ke honth uske honth ki aur badhe
Tabhi ek ball dono se takrayi.
"Arey aap dono kya kar rahe ho kritika di??"ek bachhe ne poochha
Kritika bhaag gayi wahan se aur anirban ko chod gayi
Anirban ne ball ko ek laat maari aur bachhe ball ke peecha bhaag gaye
Anirban hasne laga aur khada raha.lekin jaise hi jaane ko hua use ek jesus ka cross dikhai di jo door se chamak raha tha.ye to ghar ke saamne wale bagiche ki aur aaya hai anirban jahan kritika ne aane se mana kiya tha.
Lekin wo chamkeela sa cross???
Anirban se raha nahi gaya aur wo bagiche me ghus gaya.bohut ander aana pada use.shaam ka time the sooraj doob raha tha.
Suraj cross ke paas aaya aur use uthana chaha.cross zameen se chipka hua tha
Aisa hi lag raha tha anirban ko.lekin usne poori taaqat se use hatana chaha.cross to zameen se utha nahi lekin ghoom gaya
Aur usi ke saath pahad ki aur ek halki se awaaz hui.anirban ne wo suna aur us awaaz ke peecha chala gaya.
Ek bade se pathar ke paas aayi thi awaaz.anirban ne jaise hi paanv aage badhaya.achanak zameen khul gayi aur wo andhere me girne laga neeche
Gira zaroor lekin wahan kaafi ret hone ki wajah se chot zyada nahi lagi.
Par lagi to.thi.ghutne chil gaye,kohni se khoon behne laga
Anirban ne apna mobile nikala.signal nahi tha .khair usne torch on kiya mobile se aur us jagah ke aaspaas dekhne laga
Jagah bohut badi thi.jaise kisi ne khudai karwai ho.
Anirban ne dekha ek jagah darwaze jaisa hai.wo us darwaze ke peecha chala gaya andhere se ghira hua tha ,shukr ki baat hai ki mobile ki torch se anirban ja raha tha.achanak ek jagah aakar ruk gaya.aage jaane ka rasta nahi tha.kyunki ek bada sa gaddha tha saamne.
Lekin uske saamne ek ghar sa tha.aur us ghar me se Neeli rang ki roshni se poora mahaul chamak raha tha.yahan tak ki mobile ke torch ki bhi zaroorat nahi rahi.
Us roshni me anirban ne dekha ki ek vriddh neele rang ka gown pehen kar ek chair par baithe kuch padh rahe the.
"E ex excuse me k kya aap mujhe b b bahar ja . Ne ka r raasta bata sakte hai?"anirban saham kar bola
Vriddh ghoome aur us ghar ke khidki ke paas aaye.koi foreigner the,gora rang aur aankhen Neeli.
"Kya hua??kyun pareshan kar rahe ho??khajane ke liye aaye ho???"vriddh bole awaaz bohut deep thi aur gambhir bhi
"J ji mai raasta bhatak gaya"anirban bola
"Pata nahi kyun pareshan karte rehte ho,wapas 20 kadam chale jao aur aankh bandh karke jaana,bahar pohunch jaoge,yaad rahe aankh kholna nahi,20 kadam peecha ki aur,tumhe khajana nahi chahiye???"vriddh bole
"Nahi wo to pagla sahab ke kabr me hai,aur mujhe usse koi matlab nahi,mai padhna chahta hoon.padhai me hui kamzori ko poora karna chahta hoon ye khajane se kam nahi"anirban bola aur jaane laga
"Thahro"vriddh bole
Anirban ruka aur aankhen khola
Vriddh ek cross haath me liye kuch budbuda rahe the aur anirban ki aur us cross ko dikha rahe the
"Ab jao "vriddh bole
Anirban ne aankhen kholi aur 20 kadam peecha gaya
Aankhen khola to ghar ke gate ke saamne pohunch gaya
Kaise?????
Use.kuvh pata nahi tha