• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Parijaat : A Romantic Fantasy

Rk1991

Member
277
799
108
Kahani padhne aur pasand karne ke liye shukriya bhai :D . Story chhoti rakhne ke peechhe sirf kahani ko rochak banaye rahna hai . Mai shukiya writer hoon bhai to kahani badi hote hi yun lagta hai jaise daily soap ban jati hai:lol: . Doston ka sath raha to ye kahani baki ki do kahaniyon se thodi badi hogi :thanks::yo:
Thanks bro
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,281
304
Parijaat : A Romantic Fantasy

Pics-Art-01-06-10-09-31.jpg


Screenshot-20200104-203753-01.jpg
Btw kaafi khubsurat posters hain
 

Notebook

Active Member
1,511
3,033
143
are, are itni Jor se chhadi ko patak rahi hai kahin tut naa jaye :D
hmm... rani pari kuch zyada hi gusse mein hain...
idhar swara bhi udas udas si hain...
Brilliant update with awesome writing skill :applause: :applause:
Chhadi ke jalwe aage dekhiyega ye tootne ke liye nahi todne ke liye hai :D swara ki udasi ki wajah jald khatm hogi lekin aafat aur vipatti ka daur chalne wala hai:yo: thanks for reading dear :yo:
 
  • Like
Reactions: Aakash. and Naina

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,281
304
Chhadi ke jalwe aage dekhiyega ye tootne ke liye nahi todne ke liye hai :D swara ki udasi ki wajah jald khatm hogi lekin aafat aur vipatti ka daur chalne wala hai:yo: thanks for reading dear :yo:
waise karan ka behavior kuch zyada hi rude hai swara ki prati.....
 

Sabhi91

Active Member
1,395
3,957
159
Update # 12



Mahaul kafi sanjeeda tha tabhi ek udta hua patra seedhe Rani pari ke samne aa pahuncha jo laal rang ka tha aur jise dekhte hi sabhi ke chehron par chinta dikhne lagi . Uss patra me jane kya aisa likha tha jisko padh kar Rani pari apne sthan se khadi ho gayi .


Rani Pari - mujhe lag hi raha tha ki in logo ki nadani hame bhari padne wali hai . Sara santulan kharab ho jayega abb . Dekho kya se kya ho gaya .

Rani pari ne gusse se bhari awaaj me apni chhadi ko jor se patkte huye kaha to wahan maujood sabhi log pareshan ho gaye . Isase pahle ki Rani pari kuchh bolti waha maujood ek Pari jiski shakl hoobhoo Swara ki rarah thi bol padi .


Pari - abb kya hua Rani maa ? Sab theek to hai na ? Swara to theek hai na ? Meri bahan ko kuchh hua to nahi ?


Rani pari - abb tak to kuchh nahi hua hai lekin jaan khatre me hai Swara ki aur uski wajah se gaon walon ko bhi khatra ho chuka hai Kaya . Tufaan chal chuka hai wahan ke liye .

Rani pari ki awaaj me gahari chinta thi .



Kaya - Rani maa kya ham Swara ko wapas nahi bula sakte hain ?


Rani pari - Kaya tumko achchhi tarah pata hai ki nahi aa sakti hai abb wo wapas bina Parijaat ka phool khile aur phool khilne me wakt hai abhi .

Rani pari chintit hokar boli .



Kaya - Rani maa aap ko to pata hai na wo bhullakad waise bhi kachhi hai jadu me upar se mere bina uski shakti adhoori rahti hai . Maa wo bahut bholi hai .

Swara ne haath jod kar kaha .


Rani pari - haan wo sab to mai bhi janti hoon sab par kahna kya chahti ho tum ?


Kaya - Rani maa aap mujhe prithvi par jane ki anumati dain .


Rani pari - Asambhaw Kaya . Ek galti ko sudarne ke liye usase bhi badi galti karne ko bol rahi ho tum .


Kaya - koi chara bhi to nahi hai Maa .


Rani Pari - hal hai hamare paas bas sahi wakt ki pratiksha kar rahe hain ham aur haan ghoshna karwa diya jaye ki abb se hamari anumati ke bina jo prithwi par jayega use mrityu dand milega .



#####


Karan apni maa ko sath lekar chhat se neeche aa gaya tha . Maa aur beta thodi der tak to yun hi chup chap baithe rahe lekin Kavya ki nautankiyon se jyada der bachna mushkil tha.


Kavya - Maa sara pyaar to aap is chilgoje ko de deti ho aur mere liye to bas kaam dhaam hi bachte hain .


Maa - tum dono meri aankh ke tare ho bachchon .


Kavya - rahne dijiye jhootha pyaar dikhane ke liye mujhe aadat ho chuki hai abb .


Karan - tujhe to double pyaar karte hain ham , maa bhi aur mai bhi .


Kavya - tu duniya ka sabse bada ladaka hai . Mai to tera sir nahi fod rahi hoon yahi bahut hai .


Maa - tum dono phir shuru ho gaye ?


Kavya - iski to nautanki band nahi hoti maa Chaliye khana kha lijiye .

Kavya ne Karan ko jeebhi chidhate huye maa ko pyaar se .anane lagi . Teeno khana khane baith gaye tabhi Karan ko ek dam se Swara ka khayal aaya . Uske haath ka nivala muh tak pahunch kar bhi ek dam se ruk gaya . Use yun to Swara par yakeen nahi tha lekin kisi ko bookha rakhna bhi use sahi nahi laga . Kuchh sochte huye wo apna khana ( thoda jyada ) lekar apne kamre me pahunch gaya .


Khane ki thali ko bed par rakh kar karan darwaje ko band karne ke liye palta to uske chehre par ek vyangatmak muskan thi kyu ki use pata tha ki pahle ki tarah khana gayab hoga . Lekin jab wo palta to aisa kuchh nahi hua tha . Swara kahi bhi nahi dikh rahi thi . Karan ne sab jagah dekha kamre me . Bed ke niche , table ke upar par wo kahi nahi thi .



Karan ko thodi chinta huyi to wo bhagte huye chhat par gaya . Usne Swara ko idhar udhar khojte huye jab uska naam pukara to achanak hi Swara " uski hi jeb se udaas muh liye bahar nikli " . Ek bitte ki Swara ko apni jeb me khade dekh Karan hairat me pad gaya par na jane kyu use khushi ho rahi thi .
Bahut hi khubsurat story hai sir jeee..
Kya ab update milega regular.....
Agar tym lage to inform kar diya kijye sir jeee. Is se hum savi ka thodi pareshani kam ho jayegi.....

Apke agle update ka intezar rahega.....
 
Top