• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Parijaat : A Romantic Fantasy

Pondy

Member
458
768
108
Welcome back bhai apka hi intejar tha,
Kisi ka mood kharab hai toh swara ke charecter ko padh ke apne man me socho, mood fresh ho jayega , Superb updat par mujhe kabile waalo ki hatal bhi dekhni thi kal jarur dikhana
 
Notebook

Active Member
1,511
3,033
143

Thanks for reading bhai . Kabeele wale bhi kataar me hain . Swara sab ko hasa sakegi to khushi hogi :D :yo:
 
  • Like
Reactions: Aakash. and Naina

Notebook

Active Member
1,511
3,033
143
Update # 13

Raftaar aur Chandrika ne uttar ki disha ka chayan kiya tha jis taraf Saloni aur Karan ka ghar padta tha . Kul mila kar ya to basti walon ke liye ya to kabeele walon ke liye din bhari hone wale the . Khair Raftaar aur Chandrika apne ladako ke sang ghane jungle me apne kabeele ki seema ke antim chhor par pahunch gaye .

Yahan se aage basti ki seema shuru hoti thi par jungle yahan bhi tha aur basti ke ghar yahan se kaafi door thi . Basti walon ne yahan par lohe ke kateele taaron aur khatarnaak kateeli jhadiyon ki unchi deewar baandh rakhi thi aur yahan fal , fool aur mevon ki kheti karte the . Lohe ke kateele taaron ko dekh kar Chandrika ke chehre par jahreeli muskaan tair gayi .

Chandrika - ye bewkoof aisa kyu sochte hain ki iss baade ko baandhne se wo hamse bach sakte hain , ise to ham chutkiyon me ukhaad kar feink sakte hain .

Raftaar - ye baada hamare liye nahi balki jungli jaanwaron ke liye baandha gaya hai . Hamaare liye to jaroor wo log ghhat lagaye kahi dubak kar baithe honge .

Chandrika - hmm chhodo unn geedado ki baat aur ye bolo ki abb hame kya karna hai aur kitne le chalne hain bali ke liye ?

Raftaar - yahi baag hai basti walon ka . Isi me se do chaar ko utha lete hain , basti me jajar kya laabh .

Chandrika - chalo yahi sahi , khoj been shuru kar dete hain .

Chandrika aur raftaar ne ladaakon ke sath do samooh bana liye aur chal diye ghaat lagane .

Ghanto tak jab koi nahi mila to Raftaar jhunjhla kar bina Chandrika ko bataaye apne ladaakon ko lekar basti ki taraf chal diya . chhipte chhipate wo Saloni ke ghar ke kareeb pahunch gaya . ( jaisa ki maine pahle bhi bataya tha ki Saloni ka ghar ek ore se jungle ke kafi kareeb tha .)

####

Karan - Oye meri jeb me kyu ghusi ho tum ?

Swara - to kahan jaaun ?

Karan - mai kahta hoon meri jeb se abhi ke abhi bahar nikalo.( chilla ke )

Karan ke itna kahte hi Swara ekdam se samne aa gayi . Karan itna buri tarah darr gaya ki uske muh se wapas cheekh nikal gayi .

Karan - uff tumne to dara diya yaar .

Swara - hamse dariye mat .

Karan - harkatein hi darane wali hain tumhari khair mujhe abb bhi tumhare pari hone par bharosa nahi hai isliye jyada kareeb aane ki jaroorat nahi hai . Samjhi bhootni kahi ki .

Swara - hame yahi bhootni wala tana marne ke liye khoj rahe the aap ?

Karan - nahi , khana laya tha tumhare liye bhi . kha lo chal kar .

Karan ke itna bolte hi Swara wapas gayab ho gayi . Karan muh bana kar jab tak apne kamre me pahuncha Swara sara ka sara khana kha chuki thi .

Karan - are poora kyu kha li yaar , mera bhi khana tha isame .

Swara - mujhe to abhi bhi bhookh lagi hai .

Karan -- Kitne janam se bhookhi ho tum ? ( jhunjhla kar )

Swara - 6 - 7 din se . (Sadly )

Karan -- tumhara pet khane se thodi bharega , tum to mera khoon peene aayi ho pi lo .( gusse me )

Swara - mai khoon nahi peeti :( khana khati hoon .

Karan - khane ka naam mat lo mujhe bhi bhookh lag jati hai. Abb maa to dene se rahi khana aur Kavya se magoonga to 100 sawaal poonchhegi . Chalo Saloni ke ghar chalte hain . Wo jaroor kuchh khila degi mujhe .

Swara - kaun Saloni ?

Karan - jiske ghar ke bahar tumne meri jaan bachai thi uss badbu daar raksash se .

Swara aur Karan chal diye Saloni ke ghar . Swara Karan ki jeb me nahi baithi iss baar balki sath sath chal di . Swara ko ek baar phir Karan sirf dekhta rah gaya tha . Swara ke lambe sunahre baal , doodh si rangat aur neeli gahri jheel si aankhein uske divya saundarya ko naisargik bana rahe the . Karan apne khayalon me gum tha tabhi Swara boli ,

Swara - samne dekh kar chaliye, 5 min ke baad bada patthar aane wala hai usase aap ko thokar lagegi .

Karan - tumko kaise pata ?

Swara - mai dekh sakti hoon .

Karan - mai nahi manta ye sab , mujhe yahan ke chappe chappe ki aadat hai .

Karan ka itna bolna tha ki wo ek patthar se takra kar girne laga par Swara ne use pakad liya .

Swara - are samhaliye khud ko , dekha maine kaha tha na ?

Karan - aur kya dekh sakti ho ?
achchha chalo batao Saloni ke ghar khana hai ya nahi .

Karan ke sawaal par Swara ka chehra udaas ho gaya aur wo boli .

Swara - Saloni ka koi apahran karne wala hai . Jaldi chaliye . Wo uske ghar ke bahar pahunch chuka hai .

Swara ki baat sun Karan ne daud laga di Saloni ke ghar ki taraf .
 
Sabhi91

Active Member
1,395
3,957
159

Superb sir jee....
Story bahut hi acchi ban rahi hai.....
Kya karan saloni ko bacha payega....
Waiting for next update....
 
Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
32,797
79,345
304
Update # 12

Mahaul kafi sanjeeda tha tabhi ek udta hua patra seedhe Rani pari ke samne aa pahuncha jo laal rang ka tha aur jise dekhte hi sabhi ke chehron par chinta dikhne lagi . Uss patra me jane kya aisa likha tha jisko padh kar Rani pari apne sthan se khadi ho gayi .

Rani Pari - mujhe lag hi raha tha ki in logo ki nadani hame bhari padne wali hai . Sara santulan kharab ho jayega abb . Dekho kya se kya ho gaya .

Rani pari ne gusse se bhari awaaj me apni chhadi ko jor se patkte huye kaha to wahan maujood sabhi log pareshan ho gaye . Isase pahle ki Rani pari kuchh bolti waha maujood ek Pari jiski shakl hoobhoo Swara ki rarah thi bol padi .

Pari - abb kya hua Rani maa ? Sab theek to hai na ? Swara to theek hai na ? Meri bahan ko kuchh hua to nahi ?

Rani pari - abb tak to kuchh nahi hua hai lekin jaan khatre me hai Swara ki aur uski wajah se gaon walon ko bhi khatra ho chuka hai Kaya . Tufaan chal chuka hai wahan ke liye .

Rani pari ki awaaj me gahari chinta thi .

Kaya - Rani maa kya ham Swara ko wapas nahi bula sakte hain ?

Rani pari - Kaya tumko achchhi tarah pata hai ki nahi aa sakti hai abb wo wapas bina Parijaat ka phool khile aur phool khilne me wakt hai abhi .

Rani pari chintit hokar boli .

Kaya - Rani maa aap ko to pata hai na wo bhullakad waise bhi kachhi hai jadu me upar se mere bina uski shakti adhoori rahti hai . Maa wo bahut bholi hai .

Swara ne haath jod kar kaha .

Rani pari - haan wo sab to mai bhi janti hoon sab par kahna kya chahti ho tum ?

Kaya - Rani maa aap mujhe prithvi par jane ki anumati dain .

Rani pari - Asambhaw Kaya . Ek galti ko sudarne ke liye usase bhi badi galti karne ko bol rahi ho tum .

Kaya - koi chara bhi to nahi hai Maa .

Rani Pari - hal hai hamare paas bas sahi wakt ki pratiksha kar rahe hain ham aur haan ghoshna karwa diya jaye ki abb se hamari anumati ke bina jo prithwi par jayega use mrityu dand milega .

#####

Karan apni maa ko sath lekar chhat se neeche aa gaya tha . Maa aur beta thodi der tak to yun hi chup chap baithe rahe lekin Kavya ki nautankiyon se jyada der bachna mushkil tha.

Kavya - Maa sara pyaar to aap is chilgoje ko de deti ho aur mere liye to bas kaam dhaam hi bachte hain .

Maa - tum dono meri aankh ke tare ho bachchon .

Kavya - rahne dijiye jhootha pyaar dikhane ke liye mujhe aadat ho chuki hai abb .

Karan - tujhe to double pyaar karte hain ham , maa bhi aur mai bhi .

Kavya - tu duniya ka sabse bada ladaka hai . Mai to tera sir nahi fod rahi hoon yahi bahut hai .

Maa - tum dono phir shuru ho gaye ?

Kavya - iski to nautanki band nahi hoti maa Chaliye khana kha lijiye .

Kavya ne Karan ko jeebhi chidhate huye maa ko pyaar se .anane lagi . Teeno khana khane baith gaye tabhi Karan ko ek dam se Swara ka khayal aaya . Uske haath ka nivala muh tak pahunch kar bhi ek dam se ruk gaya . Use yun to Swara par yakeen nahi tha lekin kisi ko bookha rakhna bhi use sahi nahi laga . Kuchh sochte huye wo apna khana ( thoda jyada ) lekar apne kamre me pahunch gaya .

Khane ki thali ko bed par rakh kar karan darwaje ko band karne ke liye palta to uske chehre par ek vyangatmak muskan thi kyu ki use pata tha ki pahle ki tarah khana gayab hoga . Lekin jab wo palta to aisa kuchh nahi hua tha . Swara kahi bhi nahi dikh rahi thi . Karan ne sab jagah dekha kamre me . Bed ke niche , table ke upar par wo kahi nahi thi .

Karan ko thodi chinta huyi to wo bhagte huye chhat par gaya . Usne Swara ko idhar udhar khojte huye jab uska naam pukara to achanak hi Swara " uski hi jeb se udaas muh liye bahar nikli " . Ek bitte ki Swara ko apni jeb me khade dekh Karan hairat me pad gaya par na jane kyu use khushi ho rahi thi .
Nice update dear...
???
 
  • Like
Reactions: Naina and Notebook

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
32,797
79,345
304
Whenever I hear the name Swara, automatically have a smile on my face. Swara is a very sweet and innocent angel, but our Karan is mad, cannot understand it. I also like a quarrel between the two. Now let's see if Karan can save Saloni.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
???
 
  • Like
Reactions: Naina and Notebook

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,281
304
Gaon wale log in kabile walo maar kyun nahi dete . .. kissa hi khatam kar deni hain..
na ye kabile wale rahenge naa hi koi gayab hoga basti se ... ab dekhiye... ye saloni ke ghar tak aa gaye... hadd hain :mad:
karan ye baar baar kaise baat kar raha hai swara se... are jaan bachai hai karan k....
aur woh hain ke..
Khair.
Let's see karan aur swara saloni aur uske ghar walo ko bacha pate hai ki nahi...
Brilliant update with awesome writing skill :applause: :applause:
 
Top