• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Parijaat : A Romantic Fantasy

Notebook

Active Member
1,511
3,033
143

Update # 15




Raftaar - Karoon , sardaar Karoon , aappp Halaaku ko bula lijiye , shaitaan aa chuka hai . Kha jayega sab ko aur wo bhi aa chuki hai . Mmmaine dekha use . Toofaan ko rokiye Karoon .

Itna kah kar Raftaar behosh ho gaya . Karoon ka sir chara utha tha Raftaar ki baat sun kar aur Chandrika bhi wahan aa gayi thi . Uske sath me basti ka ek aadmi tha jise wo ghaseet kar lai thi . Raftaar ki ye haalat dekh kar wo ghabra kar boli ,


Chandrika - abb ise kya hua ? ye kya batane ki koshish kar raha hai ? Kab dekha isane shaitan ko ?

Chandrika ne tyoriya chadha kar ladake se poonchha .


Ladake - mafi rajkumari ji .. rajkumari ji ham sabhi ko kuchh bhi nahi dikha . Sirf Raftaar ko hi dikha hai .



Chandrika - hua kya tha ?

Chandrika Chilla kar poonchhi to samne wala ladaka dar se thar thar kampne laga .


Ladaka - ham logon ko jab bali ke liye koi aadmi nahi mila to ham log basti ke kafi najdeek pahunch gaye aur ek ghar ke paas ki ghani jhadion me chhip kar baith gaye the . Sham dhalne ke sath hi Achanak hi wahan ka mausam badlne laga tha aur vatavaran me shanti chha gayi thi , kisi shakti ke aas paas hone ka aabhas ho raha tha . Raftaar ko bhi ghabrahat ho rahi thi .

Thodi der baad uss ghar me ek ladka aaya hai aur usi ke baad sab kuchh badalna shuru ho gaya . Ek ladki ke jor se chillane ki awaaj aayi hai aur vatavaran me ek tez badbu fail gayi . Uske baad ka kuchh nahi pata kyu ki ham log behosh se ho gaye . Jab aankh khuli to Raftaar kaamp raha tha par bolne ki jagah behosh ho gaya .


Chandrika - uss ladka ya ladki kisi ko dekha tumne ?


Ladaka - nahi .


Chandrka - kahan hai basti ka wo ghar ?


Ladaka - uttar ke jungle ke khatm hote hi basti ka pahla ghar hai .


Chandrika - theek hai kal subah mujhe lekar chalna wahan , abhi jao vaidya ji ko bula kar lao basti se aur haan yaad rakhna unke samne Raftaar ke basti jane ki ghatna ka koi jikra mat karna . ( doston maine pahle bhi bataya tha ki vaidya ji Basti aur kabeele dono jagah ilaaj karte the )

Ladako ke wahan se jane ke baad Chandrika chintit hokar Karoon se boli ,


Chandrika - pita ji Halaaku ko bulawa bhej diya aap ne ?


Karoon - haan .


Chandrika - mai basti se jise pakad kar layi hoon use bali de dijiye mai vaidya ji ko samhalti hoon aur haan subah mai basti jaungi aur lautne me ho sakta hai do - char din lag jaye .


Karoon - kyu , kyu jaogi . Raftaar ki haalat to dekho pahle .


Chandrika - pita ji jisne Raftaar ki ye haalat ki usase milna padega mujhe aur dekhu to kis shaitaan ko dekh kar Raftaar moorchhi ho gaya hai aur haan uss ladke aur ladki ko bhi le aaungi bali ke liye .

Chandrika ne baatein kah to di par na karoon sahmat tha usase na hi achet pada Raftaar jo sun sab kuchh sakta tha par bol kuchh bhi nahi .



#####



Karan ko jab hosh aaya to wo Saloni ke ghar ke andar leta hua tha aur Saloni aur uski dadi ird - gurd baithe huye the .


Karan - S..saloni tum theek ho na ?


Saloni - haan mai bilkul theek hoon Karan , abb tumko kaisa lag raha hai ?


Karan - m..mai bhi theek hoon , bahut chakkar aa raha hai . Kya hua tha mujhe ?


Saloni - tum behosh ho gaye the aur jhadiyon ke peechhe ek bhayankar aakriti thi , ek danav jaisi jo .........

Saloni itna hi bol payi thi ki achanak use sab kuchh bhool gaya jaise Rohan ko bhoola tha .


Saloni - tum behosh kyu ho gaye the Karan . Kitni mehnat lagi mujhe tumko andar lane me hai na dadi .


Dadi - haan Karan beta sab theek to hai na kya hua tha tumko ? Kya darr gaye the kisi se ?

Un dono ko to kuchh bhi bahana bana kar Karan ne chup kara diya par uski nigahe Swara ko khoj rahi thi jo door khadi thi . Swara ko dekh kar Karan ghar jane ke liye uth gaya . Dadi aur Saloni ne bhahut roka par Karan nahi mana . Andhera bhi ho gaya tha to jyada jor bhi nahi diya unn logo ne . Saloni ke ghar se thodi door aakar Karan ne Swara se gusse me poonchha ,



Karan - kaun tha wo ??


Swara - mujhe nahi pata par hum dono ko uthane aaya tha.


Karan - tumne Saloni ki wo rakshas wali yaad kyu mitayi .


Swar - jisase uske andar se darr khatm ho jaye .


Karan - tum jhooth par jhooth kab tak bolti rahogi .


Swara - kaisa jhooth ?


Karan - koi aur nahi tum hi ho wo rakshas , har baar nakaam ho jati ho ham basti walon ko khane me to ek badboo dar rakshas ko la deti ho kyu ki mayavi to tum ho hi .


Swara - ye kya kah rahe ho ?


Karan - kaan khol kar sun lo mere gaaw se apni chhaya hata lo warna mai tumko jaan se maar doonga aur haam mere papa ko bhi tum hi le gayi ho na ? Unko bhi wapas kar do aur mere peechhe mat aana abb .


Karan gusse se bhar kar apni sari bhadaas Swara par nikaal deta hai par wo iss baat se poori tarah anjaan tha ki koi aur bhi hai jo unn dono ko sun aur dekh sakta tha .

 

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Waah bhai aate se hi update par update de diye badiya h. Wese abhi to story to simple chal rahi par lagta h ki aage achchha khasa action dekhne ko milega
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
32,796
79,343
304
Rohan is very nervous and is unconscious, I think Rohan comes to know about Swara but no one can see Swara except Karan, Meaning there was a demon, this is confirmed. Now Chandrika will go to the village, meaning Sonal is in danger. Sometimes from Karan's words it seems that he knows nothing, sometimes he seems innocent. I don't like when someone yells at swara, Swara is very sweet, treat her with love, Poor Swara is away from her home and is also helping Karan. Secretly listened to both, but who?
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
???
 
Last edited:
Top