लेखक इसे अब दिल लगा कर नहीं लिख पा रहा या तो उसका ध्यान केंद्रित नहीं है
Aisa to kadapi nahi ho sakta ki apne jivan ke 2 sal ispar mehnat karne ke bad lekhak ab isme man na lagaye. Aap(reader) ke sath ho sakta h kyonki 2 sal me aapne kahani jyada 5-6 bar pad li ho or ab ek update se aapko utna excitement nahi mil raha ho jitna ek sath 220 update me mila ho to aap kuch din ka break le 1 mahine 2 mahine fir dubara pade tab aapko excitement mile ya fir aap is intjar me h ki arjun kab wapis Sansar me jaye. kyonki kayi bar jab naye character aate h to purane logo ka moh chhut ta nahi h. isliye ho sakta h ki aap XXXX city ko miss kar rahe ho .
lekin aap ko bhi pata h ki aka bhai ne or anay sathiyo ne kitna keh diya ki aap scene ko skip kar rahe ho lekin enigma bhai apni marji se likhte aaye h or aage bhi likhenge, kyonki unhe pata h kab kaunsa scene dikhana h or kaunsa nahi dikhana.
ab gav me itni ladki waiting me h ki agar enigma bhai aadha-aadha update bhi unko de to august khatm ho jayega real life me. september bhi ho sakta h.
वो इसे इसी तरह खींचना चाहता हो बजाय इसके की इसे बार -बार पढ़ कर याद रख सके कि लेखनी ऐसी भी हो सकती है
isme to main kya hi kahu sab log yad rakh rahe h or rakhenge bhi ki aisi bhi koi kahani likhi gai h
maine ye kahani dec-2019 me padhi thi usse pehle bhi kai kahani me pad chuka tha jo adhuri thi,or tab enigme bhai personal life me busy ho gaye the
isliye me bhi padkar bhul gya ki ab ye puri nahi hogi(kahani ka nam bhi bhul gaya tha), lekin bad me ye kahani ye characters khud b khud yad aaye , me sochta tha ki ye maine kaha padi h kya nam h. fir maine dubara dunda isko feb-march 2020 me aur dubara pada. sath sath me comments bhi pade , Enigma bhi ke comments padkar aisa laga ki ye aadmi jhuth nahi bol sakta agar isne ek bar bhi ye kaha h ki kahani complete hogi to jarur hogi. fir me daily yaha dekhata ki update aaya h ya nahi
jab enigma bhai 27 april 2020 ko wapis aaye tab me online tha or or inhone do din bad ka kehkar next day hi update diya tha
itni khusi to mujhe tab bhi nahi hui thi jab kabhi crush ne aakar mujh se bat ki ho
or ab bhi yaha me sirf pyaar 100 bar ke update padta hu(Chauraha ke bhi ) kyonki or koi kahani h hi nahi jisme itne character ho koi main character na ho or ek pariwar ho
smile117 bhai aapne jo vyapar kaha h vo vyapar nahi h vo logo ki chahat h Pyaar 100 bar ko apne pas dil se lagane ki itne logo ne enigma bhai se request ki ta wo raji huye iske liye.
vyapar tab hota jab vo aadhi update chhapte or kehte jis jisne complete update padni h vo paise bhejo.
vyapar vo karte h lekin vo alag vyapar h ghar chalane ke liye , bachche bhi bade ho rahe h, aapko to pata hoga ya nahi lekin inke pas gadi bhi h or petrol diesel aajkal 100 se upar h to usko chalane ke liye bhi vyapar karna padta h
agar aapke pas jyada paise h to aap salary bandh dijiye hamara bhi bhala ho jayega daily updaye pad lenge(bura mat manna ,lekin manna h to man lena hame to bas enigma bhai se matlab h)
fir bhi aapko lagta h to aap comment kiya kare kuch samajh na aaye to pucha kare, samajh aa jaye to konda bhai ke ungali kar diya kare . isse thread me chahal pehal machi rahegi. raghav bhai intjaar me rehte h kab koi ungali kare fir vo hath ghusa dete h.
aapko ye gyan isliye diya gaya h ki aap bura na mane kyonki agli bar gyaan ke alawa sab kuch milega
ab aapko to nahi pata lekin agar enigma bhai is bat se naraj ho jaye to ki readers ne aapko jawab nahi diya(hame pata h aisa nahi hoga lekin agar aaj bhabhi ne bartan saf karwa liye ho to). par agar reader pehle answer de de to kuch reader aise bhi h jo aapka samarthan me ye keh denge ki sawal enigma bhai se tha to jawab bhi unhe dena chahiye isliye kai active reader to filhal silent h jo kehte h ki inka alag hi pariwar h(active members ka).
are bhai ye virtual forum h kaunsi jameen ki ladai h jo muh fulaye baithe ho. yaha koi kisi ki beijjati nahi karta bas kisi ko majak pasand aata h kisi ko nahi to ye aisi kasame mat khaya karo ki me to aaj se silent reader hu.
Professsor bhai sahab aapne bahot din bad darshan diye. Billi aapko bahot yad karti h
bacho ne billi ka majak bana rakha h, unki hindi ki hindi kar rakhi h.
bc ham to daily update do bar padte h taki pata chal jaye ki Arjun ka pehla pyar kaun h.
hame to bas ek dukh h ki ham aaj bhi silent reader h update ki tarif karni nahi aati, bas kabhi kabhi dil behlane ke liye billi ki poonch par panv rakh dete h
