Update 3
Mai shaam ko utha nind se fir pawan ko bhi uthaya aur fir taiyar hokar chal diye party karne. Jab hotel pahuche to wahan kiran dikh gayi.ab aap soch rahe honge ye kiran koun hai.ye hai ek ladki jo naam se aapko bhi pata chal gaya hoga. Ye class 6 se mere saath padh rahi hai itna hi nahi jis saal mai fail ho gaya tha us saal iski tabiyat khrab ho gayi thi isliye ye bhi exam nahi de paayi thi. Waise ye bahut hi shant swabhav ki ladki hai hum dono ne aaj tak hi hello ke aage baat hi nahi kiya hai bas dono ek dusre ko jante hai. Jab wo dikhi to maine aaj pooch hi liya himmat karke..
Mai- hiii
Kiran- hiii
Mai- wo aaj mai apne dosto ko party de raha hoon to tum bhi join kar sakti ho...
Kiran ye sunkar 1 minut chup rahi .
Kiran - ok lekin mai apni saheli ke saath aayi hoon.
Mai - koi baat nahi usse bhi puch lo join karne ke liye...fir dono ladkio ne kuch baat kiya aur ok bol diya....uske baad Pahle to pet bharke chiken tandoor thoosa hum sabne ab baari thi daaru ki lekin saath me thi ladkia to pahle unlogon ko humne kuch bahane banakar alvida kiya aur chal diye baar aur wahan tab tak piya jab tak man kiya aur fir haste gaate ghar aane lage.
bike pawan chala raha tha mai piche baitha tha.
pawan - bhai waise ye kiran bhi to kafi achhi hai kabhi iske baare me nahi socha.
mai - mujhe chahiye thodi chatpati aur chanchal type ki ladii lekin ye bahut shant swabhav ki hai upar se pategi bhi nahi...jhooth mooth ka apni ijjat kyon kharab karu.
pawan - baat teri bhi sahi hai koi baat nahj kal dhundhenge chatpati bhabhi tumhare liye.
aur humlog baat chit karte karte ghar pahuch gaye.
aur ghode bechkar so gaye.....