Awesome updateUpdate 9
Ab jaise taise humari shaadi ho gayi ....subah jab vidayi ka time aaya to mai aur mere papa ke ankhon me ashoon the. Sayad ye pahla aisa shaadi tha humare poore gaav me jahan vidayi ke samay dulhan ke saath saath dulha bhi ro raha tha. Dulhan ke pita ke saath saath dulhe ka pita bhi ro raha tha. Fir dulhan lekar hum ghar aa gaye...baat yahan bhi sab jagah pahuch chuki thi ki Raman bhaag chuka hai isliye bahut saare log aaye bhi nahi...kuch aaye bhi the to wo log maa ko taane mar rahe the inme se ek meri mousi bhi thi.... .jo bhi ghar ke riti rivaj the sab dukhi man se poora hua...aur fir ho gaya shaam....
Mera to bura haal tha...kyonki maine to apni biwi ka chehra bhi aaj tak nahi dekha tha aur ye jankar ki wo mujhse 5 saal badi hai mere to aur halat kharab ho gaye the.
Jab raat hui to maa mere pass aayi aur boli- beta aaj tumhari pahli raat hai aur tum dono ke liye thoda ajib bhi kyonki shaadi hi ajib tarike se hui hai....
Log humesha kahte the ki tumhare papa pathar aur hira ka fark jaante hai lekin mai aaj tak unki baat nahi maani lekin aaj maan gayi....jis bete ko mai hira samajhti thi wo to bas ek mamuli sa patthar nikla aur jise mai patthar samajhti thi wo to heera nikla...
Mujhe garv hai beta tumpar aur tumhare papa par bhi jo humesha tera saath dete the.ye bolkar maa rone lagi...
Mai- maa ab rokar kya fayda jo ho gaya wo to gaya ab jo hai wo sambhal jaye ye hi bahut badi baat hogi...
Maa- dekho beta humari bahu ko pahle hi bahut dukh hua hoga ye sunkar ki uska hone wala pati bhaag gaya....isliye tu ise kabhi bhi dukh mat dena beta waise hi ye bahut dukh me hai...
Mai- maa mai poori kosis karunga aapki bahu ko khush rakhne ki ab aap rona band karo.
Maa apne pallu se apni ankh pochi saath hi pyaar se mera chehra par aaye ashoon ko poch kar boli- jaa beta bahu intejaar kar rahi hogi.
Mai bhi dhadakte dil dhadakte jigar ke saath room me ghusa jo phoolon se saja hua tha aur bed par ghunghat me meri biwi baithi hui thi apne haath me doodh ka glass liye..unki haath kaamp rahi thi jo mujhe dikh bhi raha tha....
Mai bhi dheere dheere chalte hue bed ke pass gaya.... Ghunghat me andar meri dulhan sar jhukaye anshoo baha rahi thi.....
Mai bed ke kinare par baith gaya ...
Jaise hi mai apni dulhan ke haath se doodh ka glass pakada ab halat ye tha ki maine ek hath se unke haath se doodh ka glass liya aur dusre haath se unka ghunghat uthaya...
Aur fir achanak se mai chillaya - appppp
Aur wo bhi chillayi- tummmmmmm
Ab ye aise jhatke se hua ki mai bed ke kinare se dhadammmmm se niche gir gaya aur jo garam garam doodh tha wo mere chehre aur sharir par gira....doodh kafi garam tha...Mai garam garam chilla chilla kar apne chehra apne hathon se pochne laga aur table par rakhe thande pani ko apne chehre pe dala tab jakar rahat mila. Wo to bhagwan ka shukra hai mera chehra jala nahi....fir mai kisi tarah apne aap ko control me kiya lekin saamne to meri biwi ka chehra gusse se laal ho gaya tha. kyonki ab tak to aaplog ko bhi pata chal chuka hoga ki ye koi aur nahi annu mam thi.....ab mam bhi bolu to kis mooh se....darling, bhagwan, baby , sona kya bolunga poori jindagi is par bhi mujhe daubt ho gaya. Ek baar mai upar dekha bhagwan ki taraf aur man me bola -akhir maine apni jindagi me aisa kya gunah kiya tha jo aapne mujhe aise jindagi dikhayi...
Tabhi mere dimag ne bola - ye to suruaat hai lagta hai tu poori jindagi ab ghar ka naukar hi ban kar rah jayega...college me wo mam ban jayegi...ghar me malkin...
Mai abhi ye sab soch hi raha tha ki annu boli- tera to ghar hi barbaad hai ek tera bhai jo shaadi ki raat bhaag gaya apne gharwalon ki ijjat duba kar aur ek tu...jo college me awara gardi karta hai....padhai likhai se koi lena dena nahi hai tujhe....
Tujhe pata bhi hai mai koun hoon...maine class 10 me poore district topper thi 12th me state topper thi fir maine london se apna graduation kiya hai aur masters bhi...wo to meri shaadi honi thi isliye mai india me abhi 2-3 saal padhane aa gayi..socha tha tumhare bhaai ke saath mai bhi USA me settle ho jaungi kyonki 2 saal ke teaching experience ke baad mujhe aram se wahan lecturer(teacher) ki job mil jayegi. Hum pati patni aram se ek achhi jindagi batayenge...lekin jab ye pata chala ki ek bhaag gaya tab bhi sochi ki uska bhai bhi padhai me kafi achha hoga jab wo college pass kar jayega tab hum dono videsh me settle ho jayenge. Lekin mujhe mila tu.....meri jindagi barbaad ho gayi...ye bolkar wo rone lagi....mai unko chup karane ke liye unke kandhe par haath rakha hi tha ki wo gusse me mera haath jhatak di....
Annu- mujhe chune ki kosis bhi mat karna....chuki mai apne papa se bahot pyaar karti hoon aur unka man na hai ki tum ek achhe ladke ho to mai tumhe 3-4 mahine ka time deti hoon.3-4 mahine hum saath rahenge isme tumhe proove karna hoga ki tum bhi ek honahar ladke ho achhe tarah se rah sakte ho tab hi mai tumhare saath jindagi bitane ka sochungi nahi to divorce....
Mai- kya aaaa?
Annu- aur haa. Ye baat tum kisi ko nahi bologe na apne maa papa ko na mere maa papa ko.
Ye sab sunkar to mai sadme me aa gaya...
Annu- ab soch kya rahe ho jao jakar niche so jao..aur sochna bhi mat ki hum dono ke bich abhi kuch hoga...ab jao so jao....
Ye bolkar annu bed par let gayi aur apne kismat ko kosne lagi.
Annu- man me boli- maine aisa kya galti kiya tha bhagwan jo mujhe aapne aisi jindagi di....ye bolkar wo rone lagi....
Unke subakne ki awaj mujh tak aa rahi thi lekin mere me himmat nahi tha ki mai unko chup kara sakoon.
Idhar maj bhi jamin par let kar so gaya.....
Ab uparwala hi jane jindagi kis mod par le jayegi...isliye to kahte hai pyaar mohabbat sab kismat ka khel hai.....na mai hi apne sapne poore kar paya aur na annu mam.
Nice update bhaiUpdate 10
Ab agle din se baaki ke riti rivaj bhi hone lage lekin bas naam ke hi riti rivaj the na koi khushi na koi ummid bas dukhi man se ye sab bit gaya...bich bich me koi koi ristedaar tana bhi maar jata tha ki ladki me khot hai to kuch raman ki burayi karke chale jaate the kuch to maa papa ko bur bhala bol dete the...hum chup bhi karate to kitno ka mooh band karwa pate....
Aise hi 4-5 din bit gaye sab riti rivaj bhi khatm hue aur ek din ramakant aur susma bhi aayi aur fir maa papa saas sasur milkar kuch baat kiye fir papa mere pass aaye.
Papa- dekho beta mujhe lagta hai tumhe apni padhayi par dhyan dena chahiye aur padhayi complete karni chahiye...aur bahu bhi usi collage me hai to tum dono saath me hi rah bhi lena.
Mai sirf haa me gardan hila diya.
Udhar ramakant ji ne bhi annu se yahi bola aur wo bhi haan me gardan hila di...
Papa- beta bahu ka achhe se kya rakhna...use dukh mat dena....
Mai- ji papa....
Uske baad fir hum dono ko car me bitha kar sahar bhej diya gaya....ramakant ji saath me aaye the.
Hum dono ko ghar me settle karakar wo chale gaye....
Ye ek 2bhk flat tha.
Hum dono baithe hue the mai soch raha tha bolun bhi to kya bolun ki tabhi annu mam sorry annu boli-dekho aman mai nahi chahti college me pata chale meri shaadi tumse hui hai...mera is college me ek saal ka minimum contract hai isliye bich me mai college nahi chod sakti ek saal baad mai college change kar lungi...waise bhi college me meri ijjat hai mai nahi chahti ki sabko ye pata chale ki meri shaadi ek student se hui hai...aur tum ab 3-4 mahine ghar hime aur college me achhe se raho ek room tumhara hai aur ek mera.... Tum mere room me bina kaam ke nahi aaoge samjhe...saath hi khana dono banayenge... Din ka khana mai banayi subha ka aur raat ka tum banaoge...bartan mai dho dungi....ghar me jhadu pocha mai kar dungi aur bahar se saman lane ki jimmedari tumhari....ab suru ho jao...aur haan is ghar me tumhara koi dost nahi aayega nahi meri koi dost aayegi....
Mai bas sab baaton me haan haan bol kar sar hila raha tha fir sab tay ho gaya aur suru ho gaya sara kaaam.m meri bike bhi gaav ke ek ladke ne yahan pahucha diya to mai apne bike pe chal diya apne room par jahan pawan mera besabri se intejaar kar raha tha...chuki wo mere gaav ka tha to us tak bhi udte udte ye baat pahuch gayi ki meri shaadi ho gayi hai.mmbas use ye nahi pata tha ki kisse hui hai....
Pawan- bhai kam se kam shaadi ki baat to bata deta.
Mai use saari baat bataya ki kya kya hua saath hi ye bhi ki meri shaadi anu mam se hui hai ye sunkar to wo bhi chouk gaya.kyonki mujhe pata tha wo mere gaav ka hai use aaj nahi to kal pata chal hi jana tha ki meri shaadi annu mam se hui hai.saath hi use ye bhi bol diya ki ye baat kisi ko na bataye...
Mai- ab kya karoon bhai annu mujhse bahut gussa hai kaise use khoos karoon kuch idea dena...
Pawan- pahli baat your ko ghar me jyada se jyada time unke saath bita aur unki madad kar..dheere dheere sab thik ho jayega...isse jyada to mera bhi dimag kaam nahi kar raha ...
Mai- achha chalta hoon kal college me milunga...
Pawan- apna aur bhabhi ka khala rakhna...
Fir mai use byyyy bolkar ghar aa gaya...
Idhar annu ne ek list mujhe thama diya shopping ka..mai majdooron ki tarah din bhar shopping karta raha fir shaam ko ghar aakar khana bhi banaya...mujhe achhe se aata nahi tha to kharab bana..uske liye bhi daat suna annu mam se...gir bartan dhokar apne room me late gaya...
Mai apne aap se boli- aise hi chalta raha to sala mai majdoor ban kar rah jaunga..
Kuch to karna padega kuch soch aman....kuch soch....yahi sochte sochte adhi raat ho gayi dimag mw bas yahi baat aa raha tha kuch soch aman soch...sala idea to aa hi nahi raha tha....
Zabrdast update..?Update 10