Bhai suspance pe suspance Dal rhe story me Jo bhi h shandar h
"Yaar Negi Bhai bhookh lagi hai, kahin ruk kar kuchh khaya jaaye?" Ham gaadi mein bethe toh maine Negi se kaha.
"Haan zaroor, idhar thoda aage hi ek dhaba hai, vahin rukte hain" Kehkar usne gaadi vaapis ghuma li.
"He said a dhaba" Kamini meri taraf dekh kar boli.
"So?"
"So its a dhaba, not a fancy restaurant and you didnt object to it"
"Haan toh theek hai na, kya farak padta hai. Bhookh mein toh gullar bhi pakwaan lagte hain"
"Am i missing something? Tum kabse ye roadside dhaabe vagerah pe khane lag gaye"
"Times change, situations change, people change" Maine uski taraf muskura kar dekha.
"Time and situation didnt change what i want to change about you" Usne serious andaaz mein meri taraf dekhte hue kaha.
Main janta tha ke vo kis baare mein baat kar rahi hai aur uski baat ka mere paas koi jawab nahi tha isliye chup hi raha.
"Kuchh pata chala sir?" Negi ne gaadi chalate hue puchha.
"Haan kaafi kuchh" Maine dil hi dil mein uska shukriya ada kiya ke usne topic kuchh aur chhed diya, "I am pretty sure Sunanda aur Ravi ka ek saath gayab hona was not a mere co-incidence"
"Aapka matlab dono baatein connected hain"
"Thats right. In dono ki gumshudgi ki vajah mujhe poora yakeen hai ke ek hi hai. Bas ab ye samajhna hai ke vo kya baat thi jo Ravi aur Sunanda ko jodti thi, jis din ye baat pata chal gayi ye saara mamla sulajh jaayega"
"Kya lagta hai Sir, zinda hain dono ya nahi?"
"Sach kahun toh 50/50 chances hain par ek baat toh tay hai. Agar zinda hain dono toh jahan kahin bhi hain saath hain aur agar mar chuke hain toh ek hi vajah se mare hain"
"Aapka matlab vo dono aapas mein....?"
"Right. Andhesha toh yahi hai mera ke dono aapas mein involved the"
"Vo kaise Sir?"
"Sunanda ka kisi ladke ke saath chakkar tha jiske baare mein vo apni maan ko bata chuki thi par Ladke ka naam batane se katra rahi thi. Shayad use darr tha ke agar ye baat bahar hui toh problem ho sakti hai. Phir vo ek din ghar se nikalti hai aur vaapis nahi aati. Uske ek hafte baad hi Ravi gayab ho jata hai. Is situation mein agar do aur do jodkar 4 karna mushkil nahi hai"
"Kanha bhi toh ho sakta hai" Achanak pichhe bethi Kamini boli, "Vo bhi toh mara hai kuchh din baad hi"
"Nahi Kanha ke hone ke chances nahin hain itne"
"Kyun?"
"Pehli baat toh ye ke agar ladka Kanha hota toh Sunanda ghar mein apni maan ko bata deti, society ka sochke itna ghabrati nahi"
"Par considering ke maan beti ki kya reputation thi, vo ghabra bhi sakti thi"
"Nahi agar maan beti ki reputation ke baare mein socha jata toh phir Kanha apne ghar mein apne baap se baat karne mein katrata, Sunanda nahi"
"Yeah i guess" Vo haami bharti hui boli.
"Plus, Sunanda ko gaane ka shauk tha"
"Yeah how is that related? I was wondering when you asked that question but then forgot to ask you"
"That is how they met"
"Ravi aur Sunanda?"
"Yes. Ravi ko bhi music ka shauk tha aur Sunanda ko bhi. Mujhe poora yakeen hai ke isi shauk ke chalte dono ki mulaqat hui and they both fell in love. Ravi kisi music school vagerah jata tha aur vahin mila hoga Sunanda se. And that reminds mein ke main ye baat puchhna bhool hi gaya ke Sundanda kisi aise school mein gayi thi kya"
"Yeah that makes sense"
"Sahi ja rahe ho Sir" Meri baat sunkar Negi muskurata hua bola.
"Vaise aapse bhi ek kaam hai"
"Haanji zaroor"
"Ye pata karna hai ke yahan aas paas kis bank mein locker service available hai. Ya koi aisi company jo locker ya vault vagerah provide karati ho"
"Chal jaayega Sir. Aajkal toh takreeban har bank mein hi hota hai ye system"
"Right par pata ye karna hai ke 20 saal pehle kaun se bank mein tha"
"20 saal pehle?"
"Right"
"Us waqt toh sir bank bhi ginti ke hi hote the vo bhi sarkari. Mujhe nahi lagta ke us waqt kisi bank mein yahan thi ye facility par puchh loonga"
"Bank mein nahi agar toh kisi gym vagerah mein pata kariye ya kisi club mein. Sirf ameer log jahan jaate hain us type ke club"
"Ek baat batao" Kamini ne kaha, "Agar tha bhi aisa koi locker toh 20 saal pehle tha. Ab tak thode hi hoga mujood and kya guarantee hai is baat ke Ravi ke gharwalo ne uske gayab hone ke baad locker khaali nahi kiya hoga"
"Koi guarantee nahi hai par pata karne mein kya harj hai. Mil gaya kuchh toh theek varna toh vaise bhi filhal haath mein koi solid lead nahi hai"
Kuchh der baad Negi ne ek chhote se dhaabe ke paas lakar gaadi rok di.
"Aaiye sir, pet puja ho jaaye" Vo muskurata hua bola.
Chapter 12 : The Unfaithful Wife
Us din jo hua tha vo kehne ko toh bas ek incident hi tha aur ise dekhne ke hazaar nazariye ho sakte the. Ye zaroori nahi tha ke jo aadmi us din Renuka ke saath tha vo uska lover hi ho jiske saath vo mujhse dhokha de rahi thi. Vo aadmi koi bhi ho sakta tha, ek dost, ek colleague ya koi aur. Aur sach kahun toh mujhe is baat ne itna pareshan nahi kiya ke vo kisi ladke ke saath thi. Jo baat mere dil se lagi vo ye thi ke usne mujhse jhooth bola tha. Lakh koshish ke baad bhi main us din ke jhooth ko apne zehan se nikal nahi paya. Jaise uske ek jhooth ne ek bahut hi oonchi deewar se khadi kar di thi ham dono ke beech.
Us din ke baad main kaafi kata kata sa rehne laga tha usse. Vo sawal karti toh ek ya do line ke jawab deta, vo hasti toh bas ek nakli si muskurahat apne chehre par le aata. Kayi baar socha ke usse baat karun us din ke baare mein par chah kar bhi aisa nahi kar paya. Aur iski vajah mere apne dil mein chhupa chor tha. Main faisla hi nahi kar pa raha tha ke kya sahi hai aur kya galat.
Uske chehre ki taraf dekhta toh apne uper sharam aati. Vo ek layak biwi ki tarah meri har zaroorat ka khyaal rakhti. Aksar office se aane ke baad khud apne haathon se mere liye khana banati, agar main office se late aata toh intezaar karti aur mere bina khana na khati. Raat ko bistar par kisi tote ki tarah apne poore din ka haal mujhe sunati. Uski aankhon mein ek ajab masoomiyat si hoti thi jo mujhe apne aapko kosne par majboor kar deti thi ke kitna gir gaya hoon main. Us din jo hua uske baare mein baat karne ke bajaay apni biwi par shak kar raha hoon. Par phir agle hi pal jab khyaal aata ke kis tarah se usne mera phone kata tha, mujhse jhooth bola tha aur jab maine baar baar phone kiya toh apna phone band kar diya tha toh mera gussa phir sar chadh kar bolne lagta.
Dil hi dil mein main usse anjaane mein itna door ho gaya tha ke khud use haath lagana toh door ki baat, raat ko bistar par jab vo khud pehal karti toh main mana kar deta. Aksar jab vo bistar par khisak kar mere kareeb aati toh main doosri taraf karwat badal kar so jata tha.
Us din ke lagbhag 3 hafte baad ki baat hai. Main office se apne ghar pahuncha toh Renuka ghar par akeli thi. Jaise hi darwaza khol kar main andar daakhil hua vo bhaagti hui mere kareeb aayi aur mujhse lipat kar rone lagi.
"Kya hua?" Use yun rota dekh main ek pal ke liya apna sara gussa bhool gaya aur fauran uske uljhe baal suljhata hua bola.
Jawab mein vo mere seene mein apna sar chhupaye khamoshi se subakti rahi.
"Kya hua beta?" Maine uska chehra apni taraf uthaya. Un aankhon mein mote mote aansoo dekh ek pal mein har fasla jaise apne aap mit gaya.
"Nahi kuch nahi" Usne sar hilate hue kaha.
"Phir ro kyun rahi ho?"
Jawab mein usne mere haath mein ek plastic ki dandi jaisa kuchh thama diya.
"Kya hai ye?"
"Pregnancy test"
"What?"
"I missed my period this month"
Vo kya keh rahi thi achanak mujhe samajh aaya.
"WHAT !!! ?" Main bhi uske saath khush hota hua bola.
"Ye toh khushi ke aansoo hain. We are going to have a baby" Vo haste hue boli.
Main use apni baahon mein lekar jhoom utha. Mujhe yaad hi nahi raha ke aaj subah tak main usse kitna naraz tha. Use bas apni baahon mein bhar kar uske sar ko choom liya.
Tab hi achanak phone ki ghanti bajne par ham dono ek doosre se alag hue. Renuka ne aage badhkar phone uthaya. Shayad uske office se koi tha aur vo phone par hi kisi presentation ko lekar baat karne lagi. Main bedroom ki taraf change karne ke liye badh gaya.
"Suno, mere bag mein ek green color ka notepad hai, vo lete aaoge?" Living room se uski aawaz aayi.
Maine aage badhkar uska bag khola aur notepad nikal kar use de aaya. Bedroom mein vaapis daakhil hua toh zameen par ek kagaz ka tukda gira dikha jo shayad ya toh Renuka ke bag se tab nikal kar gira tha jab maine notepad nikala ya phir shayad notepad ke andar hi rakha hua tha aur nikal kar gir gaya tha. Maine aage badhkar vo paper uthaya aur meri poori duniya mujhe ek baar phir bikharti hui nazar aane lagi.
Vo ek hotel ka bill tha. Hotel Sunrise. Ye ek 5 star hotel tha aur jis mall mein maine us din Renuka ko dekha tha, us Mall mein hi ye hotel bhi tha. Maine date check ki. Bill usi din ka tha. Ek kamra book kiya gaya tha hotel mein aur ye uska bill tha. Ab samajh aa raha tha ke vo us din achanak mall mein gayab kaise ho gayi thi aur main dhoondh kyun nahi paya tha. Main jab mall ke dhakke khata ghoom raha tha tab tak toh vo dono ek hotel ke kamre ke andar band ho chuke the.
"We are going to have a baby" Renuka ke thode der pehle bole shabd mere kaano mein ek baar phir goonje, "I missed my period this month"
Par ab mere dimag mein sirf ek hi sawal ghoom raha tha.
"Kya ye bachcha mera hai?"
Pehle dimag mein sirf shak tha ke, ek halka sa khyaal ke kahin Renuka mujhe dhokha toh nahi de rahi. Ek sawal beth gaya tha dimag mein ke us din uske saath vo ladka kaun tha. Kya vo sirf koi pehchan wala aadmi tha, Renuka ka koi dost tha ya usse zyada? Agar sirf dost tha toh us din mujhse jhooth bolne aur mera phone na uthane ki kya vajah thi aur agar vo dost se zyada tha toh kabse chal raha tha ye?
Par us din vo hotel ka bill haath lagne ke baad shak yakeen mein badal gaya. Mujhe is baat par bharosa ho gaya tha ke Renuka mujhe dhokha de rahi hai.
Vo jab bhi meri aankhon ke saamne hoti toh baar baar dil mein yahi khyaal aata ke kya hua hoga us din hotel mein? Kya karne gayi thi vo uske saath? Sone gayi thi? Kabse chal raha hai ye meri peeth ke pichhe? Aur sabse bada sawal ye ke kya vo bachcha mera tha?
Jab vo haskar mere gale lagti toh mujhe ghinn aane lagti? Mere kareeb hoti toh mujhe chid si hone lagti. Jab vo khilkhila kar hasti toh dil mein yahi khyaal aata ke isi tarah milkar haste honge dono mujhpar ke kis tarah se bevakoof pati ko koi andaza nahi ke uske peeth pichhe kya ho raha hai. Jab raat ko vo mere kareeb hokar soti toh main yahi sochta ke isi tarah se ye us ladke ki baahon mein bhi soti hogi.
Aur sach kahun toh is khyaal ko kaafi had tak badhava us Renuka ne bhi diya jise main college mein janta tha, jo hamesha ladko se ghiri rehti thi. Har ladke ke dil mein basti thi, har ladke ki khwahish thi.
"Aakhir aa hi gayi na vaapis apni asli aukat par" Use dekhkar main aksar sochta aur apna chehra doosri tarah ghuma leta.
Magar itna sab hone ke baad bhi main Renuka se is baare mein baat nahi kar paya. Dil hi dil mein kudhta raha, jalta raha par kabhi usse sidha sawal nahi kar paya. Iski sabse badi vajah mere apne maan baap hi the. Jaldi hi sabko pata chal gaya ke vo pregnant hai aur ghar mein ek khushi ki lehar daud gayi. Vo jaise sabki aankhon ka tara ban gayi. Mere maan baap apne hone wale pehle pote ya poti ko lekar bahut khush the aur main achhi tarah janta tha ke is tarah ki koi bhi baat uthane ka matlab hai ghar mein aag lagana, apne maan baap ki khushiyon ko nazar laga dena. Vo sara din Renuka ki dekh bhaal aur uska dulaar karte rehte aur main apne dil ki baat ko dil mein daba kar reh gaya.
Aur usse baat na kar paane ki doosri vajah main khud hi tha. Main usse be-intehaan mohabbat karta tha aur ye mohabbat lakh koshish ki baad bhi nafrat mein nahi badal saki. Haan naraz tha main usse, gussa tha uske upar ke usne aisa kyun kiya par ye gussa kabhi nafrat mein nahi badal saka. Ek darr mere dil apne dil mein bhi tha ke agar main galat saabit hua toh? Agar mera shak sirf shak hi nikla toh? Agar is poore vaakiye ko dekhne ka mera nazariya galat nikla toh?
Aur iska anjaam main bahut achhi tarah janta tha. Agar maine Renuka par anguli utha di, uske charitra par anguli utha di, apne hone wale bachche ko najayaz bata diya toh matlab saaf tha. Main Renuka aur apne bachche se door toh hota hi, apne maan baap aur rishtedaar sabki nazron mein gir jata.
Aur sabse pehle khud apni hi nazar mein gir jata.
Renuka ke pregnant hone ke kuchh din baad hi mera birthday tha. Ek chhoti si party rakhi gayi. Sab dost aur rishtedaar ghar par maujood the. Cake kaatne se thodi der pehle main apne kamre mein sheeshe ke aage khada taiyyar ho raha tha ke Renuka pichhe se aayi aur mere gale mein baahen daal mujhse satkar khadi ho gayi.
"You know that i love you, right?" Usene mujhse puchha
"Until now i believed that, i dont anymore" Dil hi dil mein maine uske sawal ka jawab diya, "I dont know who you love anymore Renuka, me or someone else. I dont know who you are anymore"
"I bought you a little something" Vo mujhse alag hui aur almari khol kar ek chhota sa packet lekar aayi.
"Kya hai?" Maine be-dili se puchha.
"Khol kar dekho" Usne packet mere haath mein thama diya aur kisi chhoti bachchi ki tarah chehakte hue meri taraf dekhne lagi.
Packet ke size ke hisaab se main andaza laga chuka tha ke andar kya hoga. Khola toh mere andaza sahi nikla. Andar ek bahut hi mehengi ghadi thi.
"I saw you looking at this watch online a few days ago, i know you wanted it so i ordered it" Vo khush hote hue boli, "You like it?"
"Of course i like it" Maine jawab diya. Vo sach keh rahi thi, kuchh din pehle hi ek din main internet par betha is ghadi ko dekh raha tha, kharidne ki soch raha tha. Usne shayad mujhe aisa karte dekh liya hoga aur mere baad online jakar vo ghadi order kar di hogi.
"And this is my second gift to you" Kehte hue usne mera haath pakda aur apne pet par rakh diya.
"Really?" Mere dil mein phir khyaal utha, "Is it mine really? Kya sach mera hi hai ye bachcha? Kya ye hamare pyaar ki nishani hai ya tumhari bewafai aur badchalni ki nishani hai?"
Par ek baar phir maine use kuchh nahi kaha. Birthday celebrate kiya gaya, cake kata gaya aur sab log laut gaye. Raat ko main aur Renuka apne kamre mein aaye aur so gaye.
Waqt ka andaza nahi par hamein soye hue zyada waqt nahi hua tha ke kisi aawaz se meri aankh khul gayi. Main uthkar bethne hi wala tha ke phir Renuka ke hasne ki aawaz sunkar thithak gaya. Vo phone par kisi se baat kar rahi thi.
"Haramzadi" Maine zindagi mein pehli baar use gaali di, "Mere bistar par leti, mere bagal mein leti apne yaar se baat kar rahi hai"
Maine aankhen band ki aur chup chap leta raha. Vo bahut halki si aawaz mein baat kar rahi thi, lagbhag khusphusa hi rahi thi. Par kuchh lafz the jo mujhe saaf sunai diye aur jiske baat usne phone rakh diya.
"I know that yaar, tum par toh main aankh band karke bharosa kar sakti hoon. You know how dear you are to me" Kehkar vo hasi, phir dheere se kuchh kaha jo mujhe samajh nahi aaya aur phone kaat diya.
Usne baad vo toh sukoon se karwat badal kar so gayi par mujhe poori raat neend nahi aayi. Poori raat main nafrat ki aag mein jalta raha.
Haan vo pehli baar tha ke mujhe apne dil mein uske liye nafrat mehsoos hui.
Uske agle hi din meri maan ke zor daalne par Renuka ne office se maternity leave le li. Halanki vo abhi sirf mushkil se ek mahina pregnant thi par meri maan ne use office jaane se saaf mana kar diya. Uske office wale bhi is shart par maan gaye ke vo rozana kuchh ghante ke liye ghar se kaam karegi.
Jahan mere maan baap is baat ko lekar behad khush the vahin mere toh jaise armano par pani phir gaya tha. Kahin apne dil mein main is baat par yakeen kar chuka tha ke Renuka ki kokh mein pal raha bachcha mera nahi tha. Hamare ghar mein ek naya member judne wala tha aur har koi bas usi ki taiyyari mein laga hua tha. Sara din ghar mein kabhi is baat par charcha rehti ke ladka hoga ya ladki toh kabhi is baat par ke bachche ka naam kya rakhenge. Jab bada ho jaayega toh kaun se school mein bhejenge, bada hokar vo kya banega vagerah vagerah. Par mere dimag mein in sabse hatkar ek alag hi soch badhti ja rahi thi.
Sabse badi baat jo mujhe pareshan kar rahi thi vo ye thi ke us din Renuka ke saath vo ladka kaun tha. Kaun tha jo meri bagal se meri biwi ko nikal le gaya aur mujhe khabar tak nahi hui. Peshe se main ek investigative journalist tha, is tarah ki baatein pata lagana mera kaam tha. Maine faisla kiya tha ke agle kuchh din tak Renuka par nazar rakhunga, uski har movement ka pata lagaoonga ke kahan jaati hai, kisse milti hai aur kitna waqt kahan guzarti hai. Par uske maternity leave lene ke baad mera ye plan fail ho gaya. Usne maternity leave kya li, ghar se toh usne jaise nikalna hi chhod diya. Bas sara din ghar par meri maan ke saath bethi baatein karti rehti thi aur agar ghar se nikalti bhi toh maan ke saath. Kayi baar chupke se maine un dono ka pichha kiya ye sochkar ke shayad vo maan ko kuchh bahana banakar chori se us ladke se mile par aisa kuchh hua nahi. Vo jis kaam se nikalte the nipta kar ghar vaapis aa jaate the. Na toh vo maan se alag hoti thi aur na hi beech mein kahin koi use milta tha.
Doosri baat ye ke main pata lagana chahta tha ke bachcha mera hai ya nahi. Yun toh mujhe yakeen tha ke bachche ka baap main nahi hoon par phir bhi apne dil ki tasalli ke liye ek baar confirm karna chahta tha. Kuchh doctors se maine pata kiya toh jawab ye mila ke is tarah ka test karne ke liye kuchh mahine wait karna padega. Pregnancy ke shuru ke dino mein is tarah ka koi test nahi kiya ja sakta.
Par pareshani ki baat ye thi ke aisa koi test karaya kaise jaaye. Zahir si baat thi ke main asal vajah toh Renuka ko bata nahi sakta tha. Jo bhi karna tha use bina bataye karna tha. Par phir iske liye kisi aise doctor ki bhi zaroorat thi jo is kaam merin khamoshi se mera saath de. Mere saath saath vo bhi Renuka se jhooth bole ke normal koi test kar raha hai aur baad mein nateeja chahe kuchh bhi ho, bachcha mera ho ya na ho, is baat ko bahar na nikalne de, sirf apne tak rakhe.
Renuka ki jasoosi karne ka ab mere paas sirf ek hi tareeka tha. Uske phone aur laptop ko track karna. Kayi baar maine uska phone utha kar contact list, call list aur inbox mein messages dekhe par aisa kuchh nahi mila jo mujhe uske aashiq ka naam aur pata bata sakta. Vo jo bhi kar rahi thi bahut hi hoshiyari se kar rahi thi aur mere paas sivaay uske phone aur laptop ko track karne ke aur koi rasta nahi bacha tha. Kaam mushkil nahi tha. Ek aadmi tha meri pehchan mein jo ye mere liye kar sakta tha, Akram Ballebaaz.
"Kya haal hain sarkar, bade din baad idhar ka rasta bhoole" Main Akram se milne gaya toh vo bahut hi garam joshi se mujhse mila.
Uska naam Akram Ballebaaz kyun tha ye koi nahi janta tha sivaay uske aur vo kisi ko batata nahi tha. Asli naam kya tha ye bhi koi nahi janta tha aur sab use bas Akram Ballebaaz hi keh kar bulate the. Yahan tak ke uske driving licence aur passport par bhi uska naam Akram Ballebaaz hi tha. Aage pichhe uska koi nahi tha aur koi nahi janta tha ke vo kaun tha, kahan se aaya tha par aadmi kaam ka tha. Bina kisi degree aur formal education ke computers aur electrical gadgets ki bahut hi zabardast knowledge thi use.
"Ek kaam tha yaar" Maine kaha.
"Bataiye kiski jasoosi karni hai ab" Vo bola, "Par pehle ye bataiye ke garam lenge ya thanda"
Ye bhi uski bahut purani aadat thi. Apne paas aane wale har insaan ko kuchh khila pila kar zaroor bhejta tha, bhale hi saamne wala lakh mana karta rahe. Isse pehle bhi jab bhi main usse mila toh kuchh kha pikar hi nikla, bhale hi mera dil ho ya na ho. Is waqt bhi main janta tha ke mana karke kuchh haasil nahi hoga isliye khamoshi se use kuchh thanda laane ke liye bol diya. Usne phone uthaya aur kisi ko 2 cold drinks aur samose laane ko kaha.
"Ek baat bata Akram"
"Kahiye"
"Tu sala sara din yahan betha khata rehta hai aur phir bhi hai single pasli?"
Aur ye haqeeqat bhi tha. Vo apne office mein betha sara din bhains ki tarah jugali karta rehta tha par phir bhi itna dubla tha ke agar hawa chale toh udne ka darr ho jaaye.
"Allah ka karam samajh lijiye bas" Usne haskar jawab diya.
"Achha ek toh mujhe ek sim ka clone chahiye" Main matlab ki baat par aate hue kaha.
"Ho jaayega"
"Aur doosra mujhe ek laptop mein koi aisa bug ya virus daalna hai jo us laptop se jaane wali har email ki ek copy mujhe forward kare. Agar Skype, Yahoo ya MSN jaisi kisi chat service ke zariye koi chat ki ja rahi ho toh vo chat save kare aur mujhe email kar de"
"Email wala toh aasan hai, vo toh mil jaayega par ye chat wala zara tricky hoga"
"Ho paayega?"
"Haan ho toh jaayega par ek do din lagenge"
"Uski tension nahi hai. Jab taiyyar ho jaaye toh bata dena main laptop leta aaoonga"
"Kiska laptop hai?"
"Hai kisi ka. Ek kaam aur karna hai, ek landline tap karna hai ke jo bhi call incoming ya outgoing us phone se ho vo kahin record ho jaaye"
"Haan ho jaayega par jaake ek chhota sa device phone ke andar bethana padega"
"Vo toh tu jab chaahe kar dena. Mera hi landline hai"
"Apna phone tap kar rahe ho?" Usne hairat se meri taraf dekhte hue puchha.
"Haan yaar" Maine jawab diya, "Karna padta hai kabhi kabhi aisa bhi?"
"Par kyun?" Usne hairani se mujhse puchha.
"Arrey aisa kuchh nahi hai, aajkal zara ajeeb ajeeb se phone aa rahe hain ghar par aur uper se mera kuchh kaam bhi aisa hai. Toh sochta hoon ke ghar par kuchh install kara loon aisa jisse ke ghar par aane wali calls track ki ja saken, conversation record ho sake"
"Haan ho jaayega, aap jab bolo main ghar aake laga jaoonga"
"Main phone kar doonga tujhe" Main nahi chahta tha ke vo ye kaam Renuka ke saamne aakar kare isliye use kisi aise time par bulana zaroori tha jab ghar par koi na ho, "Most probably kal ya parso hi"
"Ye emails aur chat ka kya chakkar hai?"
"Track kar raha hoon kisi ko, evidence chahiye hogi kuchh uska gunaah saabit karne ke liye"
"Email wala toh aasan sa hi kaam hai, ek chhota sa spyware dalna hai bas. Chat record karne wala bhi ho jaayega, thoda sa time chahiye hoga"
"Theek hai"
"Aur Bhabhi ji ke kya haal chaal hain?"Usne achanak sawal kiya.
"Theek hai vo bhi" Ek pal ke liye mere munh se nikalne hi wala tha ke vo pregnant hai par phir maine baat zubaan tak hi rok li.
Usi raat dinner ke baad jab main aur Renuka sone ke liye lete toh vo mere kareeb hokar let gayi. Maine bas ek baar uski taraf bedili se muskura kar dekha aur aankhen band kar li. Usne khud hi apna sar utha kar mere seene par rakhe aur aur meri ek bazu ko apne jism par lape-te hue mere baahon mein simat si gayi. Uska aisa karna mujhe bilkul pasand nahi aaya par man maarkar main chup chap aankhen band kiye leta raha.
"Ek baat puchhun?" Kuchh lamhon ki khamoshi ke baad vo boli.
"Hmmmm" Maine jawab mein sirf haami bhari.
"Naraz ho mujhse kya?"
"Nahi toh" Uske achanak is sawan ne mujhe aankhen khol kar uski taraf dekhne par majboor kar diya.
"Kuchh din se dekh rahi hoon ke bade kate kate se rehte ho, jaisa kuchh kehna chah rahe ho mujhse, kuchh puchhna chah rahe ho par keh nahi pa rahe. Sirf khamoshi se andar hi andar ghut rahe ho. Mujhse koi bhool ho gayi kya?"
Dil mein toh aaya ke keh doon ke tumse vo galti hui hai jiske baad har galti chhoti pad jaati hai.
"Nahi toh, aisa toh kuchh bhi nahi hai" Main sirf itna hi keh paya.
"Jaanti hoon main tumhein bahut achhi tarah" Vo vaise hi lete lete boli, "Tumhari aankhon mein dikhta hai mujhe ke koi baat pareshan kar rahi hai tumhein. Kya hua hai"
"Tumhein is tarah pareshan dekh kar jaan nikalti hai meri, please agar kuchh hai toh bata do"
"Main sach keh raha hoon aisa kuchh nahi hai" Maine jhoothi tasalli deni chahi, "Veham hai tumara. Thoda kaam vagerah ke chakkar mein phasa hua hoon isliye aisa lag raha hai tumhein"
"Is it because of the child?" Usne jaise meri baat suni hi nahi.
"Child? What do you mean?"
"Dekh rahi hoon ke jabse main bataya hai ke i am pregnant tum kuchh pareshan se ho. Maine vo ghadi lakar di thi, tumne ek baar bhi use nahi pehna. Pasand nahi aayi?"
Mujhe achanak yaad aaya ke uski laayi hui ghadi toh main bhool hi gaya tha.
"Nahi pasand toh bahut hai, you know i wanted to buy it" Mujhe samajh hi nahi aaya ke kya bahana banaoon ke main kyun ghadi ek baar bhi try nahi ki.
"If you dont want a baby right now then we dont have to do it" Usne phir baat ka rukh bachche ki taraf mod diya.
"Matlab?"
"Jabse main pregnant hoon khoye khoye se rehte ho, mere kareeb tak nahi aate. Agar bachche ko lekar pareshan ho toh we dont have to go through it. We can abort the baby"
"Kya bol rahi ho?" Mujhe uske andaaz se mehsoos hua ke vo serious thi toh main uthkar betha.
"There is nothing more imporant to me than you are. If you dont want this baby then i dont want it either" Aur ye kehte hue uski aankhen chhalak aayi. Do mote mote aansoon uski palkon se behkar uske gaalon par ludhak gaye.
Dil hi dil mein ye toh khud maine bhi kayi baar socha tha ke is bachche ko gira diya jaaye par Renuka se kaise kahun ye decide nahi kar paya. Aur ab jabki vo khud hi mere saamne bachcha girane ki baat kar rahi thi toh main ye decide nahi kar pa raha tha ke kaise react karun.
"Kuchh bolo na, kyun naraz ho?" Usne apna ek haath mere gaal par rakha.
"Main nahi hoon naraz, seriously"
"Jhooth bol rahe ho, chhupa rahe ho mujhse. Nahi batana toh mat batao par jo bhi galti hui mujhse, maaf to kar sakte ho. Please? I am sorry" Aur ye kehkar usne badi masoomiyat se kisi chhoti bachchi ki tarah apne dono kaan pakad liye.
Us ek lamhe main samajh nahi paya ke kya sahi hai aur kya galat. Hazar sawal ek baar phir dil mein umad pade. Kya mera shak sahi tha ya main bas yun hi baat ka batangad bana raha tha? Mere saamne bethi ye ladki jo bhaari palken liye apne kaan pakde mujhse maafi maang rahi thi, bina ye jaane ke vo kis baat ki maafi maang rahi hai, kya ye asal thi ya sirf ek natak? Kya is maafi mein sachchai thi ya apni bewafai ko chhupane ki koshish?
Kya vo mera pyaar tha jo use yun tadpa raha tha ya uska apna mujhe dhokha dene ka guilt jisne use is tarah maafi maangne par majboor kar diya tha? Ek pregnant aurat jo apna bachcha tak girane ko taiyyar thi meri khushi ke liye, meri mohabbat mein, kya ye haqeeat thi ya vo aurat haqeeat thi jo us din ek hotel ke band kamre mein kisi paraye mard ke saath kuchh ghante bita kar aayi thi? Kya vo bachcha isliye gira rahi thi kyunki use lagta tha main is baat se pareshan hoon aur bachcha nahi chahta? Ya isliye ke vo jaanti thi ke ye bachcha mera hai hi nahi?
Vo bachchon ki tarah kaan pakde mere saamne bethi ro rahi thi aur main bas uske chehre ki taraf dekhe ja raha tha.