Maine ghar mein nazar ghumayi. Khaas kuchh tha nahi, bas zaroorat bhar ka saman. Tabhi meri nazar deewar par tangi ek tasveer par padi.Vo ek lakdi ke photo mein framed photographed thi, black and white. Kursi se uthkar main us photo ke paas gaya aur gaur se dekha aur pal bhar mein hi meri soch ka rukh fauran badal gaya.
Maine ghar mein ek baar phir chaaro taraf dekha par aur kahin koi tasveer dikhai nahi di, bas vahi ek photo thi poore ghar mein. Tasveer ek ladki ki thi, face close up jaisa ke aksar ham passport size photographs khinchvate hain. Tasveer khinchne ka andaaz bhi passport size photograph wala hi tha. Ek ladki saamne camera ki taraf dekh kar muskura rahi thi aur pichhe background mein ek kala parda tanga hua tha jaisa ke photographers ki dukaan mein hota hai.
Maine tasveer mein bethi ladki ko gaur se dekha. Ek baat toh saaf thi ke yahi ladki Sunanda thi. Jis waqt ki ye tasveer thi us waqt uski umar koi 20 se 25 ke beech rahi hogi.
Aajkal toh digital photography aur photoshop jaise softwares ki aa jaane ke baad shakal kaisi bhi ho, photo kaise bhi karke achhi aa hi jaati hai par 20 saal pehle aisa nahi tha. Us waqt jaisi shakal vaisi tasveer wala funda hi tha. Yani ke ye ladki jaisi tasveer mein dikh rahi thi vaisi hi asal zindagi mein bhi dikhti hogi. Saanwla rang, aankhon mein kajal ke dore, kaan mein baaliyan, naak mein bhi ek chhoti si baali, baal khinch kar kamar par baandhi gayi choti aur baalon mein tel itna ke camera ka flash bhi sar pe pad kar chamak raha tha. Yun toh tasveer sirf seene tak thi par uske chehre ko dekh kar lagta tha ke ladki thodi si moti bhi thi. Shakal soort se bhi vo bas ek aam si hi ladki thi, koi khaas baat nahi thi usmein.
Ek baat aur jispar mera dhyaan gaya vo ye thi ke yun toh iski maan ko Sunanda ki maut par poora yakeen tha par na toh photo ke uper hi koi phool the aur na saamne.
"Ye meri beti Sunanda hai" Pichhe se aawaz aayi toh main palta. Vo aurat aur Kamini dono table par chaai rakh rahe the.
"Ji mujhe laga bhi tha" Main vaapis kursi par aakar bethta hua bola.
"Ab aap hi bataiye, us photo mein aapko ek sidhi saadi gharelu ladki dikhai di ya koi dhandha karne wali?"
Sawal itna sidha tha ke main ek pal ke liye baukhla utha.
"Oh" Agle hi pal sambhlata hua main bola, "Toh aap jaanti hain"
"Main kya poora gaon janta hai ke meri beti ke baare mein is tarah ki afwaah udi hui thi"
"Aur ye baat aapko kab pata chali?"
"Matlab?"
"Matlab kya aapki is baare mein kabhi Sunanda se baat hui koi?"
"Nahi ye baat mujhe uske jaane ke baad pata chali, jab main police station ke chakkar kaat rahi thi. Policewalo ka kehna tha ke ek dhandha karne wali ka kya bharosa. Bhaag gayi hogi apne kisi yaar ke saath. Mujhe toh iske baad pata chala ke policewale hi nahi, aas paas ke gaon ke log sab yahi kehte the meri beti ke baare mein"
"oh"
"Meri beti aisi nahi thi, bahut hi dhaarmik kism ki thi vo. Kaise kaise ilzaam lagaye in logon ne meri bechari bachchi par"
"Us din jab Sunanda ghar se nikli thi, toh kya kehkar gayi thi"
"Kuchh kapde lene the usne isliye Solan gayi thi. Subah nikli thi ye kehkar ke shaam tak aa jaayegi par aisi gayi ke aaj tak nahi lauti"
"Agar aap bura na maanen toh ek baat puchhun?"
"Puchhiye"
"Kya aapki beti kisi ko pasand karti thi?"
"Vo toh sab hi ko pasand karti thi, sab se has bol kar milti thi"
"Ji nahi, mera matlab koi ladka. Jise vo chahti ho, jisse shaadi karna chahti ho?"
"Koi tha toh"
"Kaun?"
"Ye mujhe pata nahi"
"Aapko kaise pata ke koi ladka tha?"
"Usne khud bataya tha ke ek ladka hai jise vo pasand karti hai aur shaadi karna chahti hai"
"Naam nahi bataya?"
"Maine puchha tha ke kaun hai, kai baar puchha par vo taal gayi. Kehti thi ke waqt aane par batayegi"
"Aisa kyun?"
"Ye toh bhagwan jaane. Kehti thi ke samaj shayad unke rishte ko manzoor na kare isliye vo abhi se baat nahi udana chahti thi"
"Aapka koi andaza ke kaun ho sakta tha?"
"Pata nahi par mujhe toh lagta tha ke shayad koi neechi jaati ka ladka hoga jise lekar itna jhijhak rahi hai"
"Agar hota toh aap mana karti?"
"Nahi, bilkul nahi. Ladka achha hota, khata kamata hota yahi kaafi tha mere liye"
"Aapne kabhi is baat par zor dene ki koshish ki ke aap us ladke se milna chahti hain? Mera matlab aap uski maan thi, kabhi aapko aisa laga ho ke is tarah kisi ladke se uska milna julna theek nahi tha, ya kabhi aapne use is tarah ka kuchh kaha ho?"
"Nahi kabhi rok tok toh nahi ki thi maine uske saath par haan, ek jawan ladki ki maan hone ke naate fikar toh lagi hi rehti thi. Jaane ladka kaun tha, kya karta tha, kaisa tha? Shaadi karna bhi chahta tha ya bas yun hi shaadi ki baatein karke uska fayda utha raha tha"
"Ye baat kabhi kahi thi aapne usse?"
"Haan kahi thi, kayi baar par use us ladke par poora bharosa tha. Kehti thi ke fayda uthane ki koshish karna toh door ki baar, us ladke ne kabhi use haath tak nahi lagaya tha"
"Bura na maanein toh ek baat aur puchhun?"
""Kahiye"
"Aapki beti us tarah ka kaam karti hai, kabhi aapne ye socha ke ye baat shuru kaise aur kyun hui?"
"Nahi, kabhi nahi socha kyunki mujhe pata tha ke ye baat kyun aur kaise shuru hui?"
"Kaise?"
Mera ye sawal sunkar vo ek pal ke liye chup ho gayi jaise apne aap mein ulajh rahi ho ke bataye ya na bataye. Uske chehre ke haav bhaav dekh kar uske batane se pehle hi mujhe andaza ho gaya ke vo ab aage kya kehne wali hai.
"Sach sunna chahenge ya jhooth?" Thodi der ki khamoshi ke baad vo boli.
"Is baat se koi farak nahi padta ke main kya sunna chahta hoon" Maine muskurate hue kaha, "Main sirf vo sununga aur maan loonga jo aap mujhe batayengi. Faisla aapne karna hai ke aap mujhe sach batana chahti hai ya jhooth"
"Toh phir sach hi sun lijiye" Usne ek lambi saans lete hue kaha, "Vaise bhi ab mere aage pichhe hai hi kaun jise mere sach bolne se koi farak pade"
"Shayad mujhe andaza hai ke aap kya kehne wali hain" Maine uski mushkil ko kuchh aasan karne ki koshish ki.
"Tab toh phir aap ye bhi jaante honge ke ek sharabi aur juanri ki biwi ko ghar chalane ke liye is tarah ka kaam bhi karna pad sakta hai"
"Bilkul janta hoon, is tarah ke kayi cases dekh bhi chuka hoon" Maine jawab diya.
"Main samjhi nahi" Kamini beech mein bol uthi.
"Mera pati ek sharabi aur juanri tha. Sharab pi pike mar gaya aur pichhe mere paas chhod gaya ek beti aur bahut sara karza jise chukate chukate sab kuchh bik gaya. Jab bechne ko aur kuchh nahi bacha toh majboor hoke apna aur beti ka pet paalne ke liye mujhe apne paas bachi aakhri cheez bhi bechni padi, apna jism"
"Oh" Jawab sunkar Kamini ne apni nazar neeche jhuka li, shayad apne sawal par hi sharminda ho rahi thi.
"Pata nahi kitne waqt tak maine ye kaam kiya par vo ek bahut lamba arsa tha. Jab kuchh paise jama ho gaye toh main yahan aakar bas gayi, chhoti si zameen kharid li"
"Sunanda jaanti thi ye baat?"
"Sach kabhi chhupta nahi aur aapka ateet aapka pichha kabhi chhodta nahi, aisa hi kuchh hua mere saath bhi. Yun toh main yahan is ummeed mein aake basi thi ke apni guzri zindagi se door aa jaoongi par mere ateet ne mujhe yahan bhi aakar pakad hi liya. Gaon mein aur aas paas ke saare gaon mein baat ud gayi ke main kis tarah ka kaam karti thi"
"Aur aapke saath logon ne Sunanda ka naam bhi isi mein jod diya"
"Haan, sabka yahi maanna tha ke maan agar dhandhe wali thi toh beti kaise shareef sidhi ho sakti hai par aisa tha nahi. Meri beti thi bahut shareef sidhi, ekdam paak pavitra"
"Jab Sunanda ko pata chali ye baat toh usne kya kaha?"
"Samajhdaar thi meri beti, jaanti thi ke maine jo kiya usi ke liye kiya"
"Aapki beti ki us waqt koi aur dost rahi ho jise pata ho us ladke ke baare mein?"
"Ek ladki jise sab dhandhe wali kehte the, aapko lagta hai ke kisi ladki ne use dosti ke kaabil samjha hoga?"
"Nahi i guess not, koi aur baat jo aap batana chahti hon? Jo kabhi kisi se aapne na kahi ho?"
"Maine toh sab usi waqt police ko bata diya tha, beti ko dhoondhne ki koshish mein par 20 saal se bas intezaar hi kar rahi hoon ke ya toh beti laut aaye ya koi aake bata de ke kya hua tha uske saath"
"Koshish karunga ke aapke sawal ka jawab aapko de sakun" Maine kaha, "Aapki beti school college vagerah kahin gayi thi?"
"Bas school hi padi thi, college nahi gayi kabhi"
"Us ladke se kahan mili thi vo?"
"Ye toh main khud bhi nahi jaanti"
"Aur vo dono kahan milte the? Zahir hai yahan gaon mein toh nahi milte honge"
"Nahi gaon mein toh nahi, bahar hi kahin milte the dono. Pehle toh bahana bana kar jaati thi par jab mujhe saari baat bata di toh mujhe bata kar hi jaati thi ke us ladke se milne ja rahi hai"
"Ek aakhri sawal, aapki beti ka sangeet mein koi interest tha? Gaati achha ho ya dance vagerah mein koi dilchaspi?"
"Gaati bada pyara thi, hamesha se filmon mein gana chahti thi. Lata Mangeshkar ki toh jaise pooja hi karti thi"
Is poori baat cheet ke dauran hamne chaai ko bilkul nazar andaaz kar diya tha jo ke ab tak rakhi rakhi thandi ho chuki thi. Chaai ek baar phir garam ki gayi aur kuchh der baad ham ghar se bahar nikle.
"Aapke paas Sunanda ki koi tasveer hai kya?" Jaate jaate maine Sunandi ki maan se puchha, "Koi aisi tasveer jo aap mujhe de sakti hon?"
"Ji zaroor" Kehkar vo andar gayi aur ek tasveer haath mein liye vaapis aayi.
"Ye uske lapata hone se kuchh din pehle ki tasveer hai"
Maine tasveer par nazar daali. Vo ek saade suit mein ek ped ka sahar liye khadi thi.
"Kisne li thi ye tasveer?"
"Jaanti nahi, shayad usi ladke ne jisse vo mil rahi thi
"Ok, thank you" Maine tasveer apni jeb mein rakhi aur apna card nikala, "Ye yahan uper mera mobile number likha hai. Aapko aur kuchh agar yaad aaye toh mujhe is number pe phone kar lijiyega"
Ham pagdandi par vaapis chalte hue us jagah tak aaye jahan Police ki gaadi khadi thi. Hamein aata dekh Negi gaadi se bahar nikla.
"I DID NOT like that woman" Hamein dekh vo thoda gusse mein bola aur meri aur Kamini ki hasi chhut padi.