Chapter 6 : Start Of An Affair
Main aur Renuka ek hi class mein tha. Hamari class mein seating intezaam aisa nahi tha jaisa ke aksar schools aur colleges mein dekha jata hai, yaani ke ladkiyan saari class ke ek taraf aur ladke ek saath doosri taraf. School mein toh mere bhi aisa hi tha par college mein nahi. Yahan kisi ki koi decided seat nahi thi, jo jahan chahe beth jaaye. Aisa kuchh nahi tha ke ladke ek taraf aur ladkiyan ek taraf.
Renuka ko apni khoobsurati ka poora andaza tha aur vo iska poora fayda bhi uthati thi. Jahan ladkiyan use dekh dekh jalti kudhti rehti thi vahin Ladke uspar jaan chhidakte the aur uske ek ishara par kuchh bhi karne ko taiyyar the. Nateeja ye ke use kisi maharani ki tarah treat kiya jata tha. Ghar se koi na koi car leke pick karne jata aur phir izzat ke saath ghar chhoda bhi jata. Kisi se bhi vo sidhe munh baat nahi karti thi aur ladkiyon se toh bilkul bhi nahi. Uski har farmaish ko fauran poora kiya jata aur mujhe nai lagta ke college canteen mein kabhi usne paise khud diye honge. Use aur uske aas paas chakkar lagate ladkon ko dekh ek vo sher yaad aata tha,
Kuchh is tarah se aaj vo pehlu nasheen rahe,
Jab tak hamare saath rahe, ham nahi rahe,
Allah re chashm-e-yaar ki mojiz bayaniyan,
Har ek ko hai ghumaan ke mukhatib ham hi rahe ....
Jis din vo kisi se pyaar se do alfaaz bol leti us din toh jaise us ladke ke chaandi ho jaati. Poore college mein vo dhindhora peet-ta phirta ke Renuka ne aaj usse kya baat ki aur kis tarah se baat ki. Jo use ghar se lene jata ya use ghar chhod kar aata, uski kismet par college ka har ladka rashq kiya karta. Halat ye ho gayi thi ke agar vo chahti toh bina exam diye pass ho sakti thi, karna sirf ye tha ke uspar lattoo professors ko dekh kar bas muskura dena tha.
Is sabe bilkul vipreet main apne college mein bahut hi serious students mein aata tha. Main un logon mein se tha jo apne career ko bahut seriously lete the aur college sirf padhne jaya karte the. Main kabhi apni academic life mein top student nahi raha par koshish poori karta tha top students mein aane ki. Mujhe lagan thi kuchh karne ki, zindagi mein aage badhne ki aur yahi vajah thi ke main kabhi pyaar mohabbat ke chakkar mein Kamini ke saath bhi nahi pada jo ke ek bahut hi achhi ladki thi. Renuka jaisi ladki ke aage pichhe chakkar katna toh kahin mere khwaab aur khyaal mein bhi nahi tha.
Ek din main thoda upset tha aur college mein kaafi gumsum ek kone mein betha tha. Professor class mein aaya nahi isliye sab bethe ek doosre se baatein kar rahe the. Ladkiyan saari saath bethi jaane kya baat kar rahi thi par ek bas Renuka hi thi jo unse hatkar bethi thi, ladko ke beech. Class ke saare ladke use ghere bethe the aur use vahi maharani wala treatment diya ja raha tha. Yakeen toh mujhe poora tha ke ladkiyon mein bhi us waqt discussion ka topic Renuka hi thi.
Mere saamne table par ek pani ki bottle rakhi thi jo main aksar saath rakhta tha.
College mein hamari class 4th floor par thi aur peene ke pani ka intezaam sirf ground floor par tha yani ke agar pyaas lage toh 3 floors utar kar neeche aao aur phir chadh kar uper jao. Aksar ye hota tha ke neeche aakar pani peene ke baad 3 floor chadhne mein uper pahunchne tak phir pyaas lagne lagti thi jis vajah se kaafi students apne bag mein ek pani ki bottle laaya karte the. Kayi baar hamne college administration ke saamne is baat ko lekar halla machaya par pani ka intezaam kabhi nahi kiya gaya.
Us din sabse bekhabar main akela betha ek book mein uljha hua tha ke achanak Renuka ne meri taraf palat kar mujhse kaha.
"Hey You, whatever your name is"
Na toh maine kabhi usse baat ki thi aur na hi kabhi usne mujhse isliye mujhe laga ke kisi aur ko keh rahi hai. Main ansuna kar diya toh usne phir kaha.
"Hey You" Aur is baar thoda zor se kaha.
Maine palat kar uski taraf dekha.
"Ye pani ki bottle idhar lakar dena" Usne aisa kaha jaise main koi bandhua mazdoor hoon, uske baap ka ghulam. Main chid gaya aur use ignore karke phir apni book ki taraf dekhne laga.
"Pani ki bottle" Is baar usne aur zor se kaha toh fauran ek ladka uthkar meri taraf aane laga. Usne vaapis us ladke ko bethne ka ishara kiya toh vo aise betha jaise koi achha bachcha apni maan ka hukum maan raha ho.
"Pani ki bottle Dena" Usne phir kaha.
"Pani ki bottle chahiye?" Main bottle ka dhakkan kholta hua bola "Toh aakar khud lo"
Maine bhi jawab kaafi bad-tameezi se diya tha par jaane use kya soojha ke vo uthi aur chalti hui meri taraf aane lagi. Jab maine dekha ke vo aa rahi hai toh maine bottle apne munh se lagayi aur jab tak ke vo mere paas aati, tab tak main poori bottle khaali kar chuka tha.
"Bottle chahiye thi na?" Maine khaali bottle uski taraf badhayi "Ye lo aur jao pani bharke lao ground floor se"
Uski shakal aisi ho gayi jaise kisi ne abhi abhi use thappad maar diya ho. Ladko ke munh hairat se khule reh gaye aur saari ladkiyon ke chehre par aisi muskurahat pheli jaise un sabki shaadiyan tay ho gayi hon.
Us din main college ka hot topic ban gaya. Har koi yahi baat kar raha tha ke maine kaise Renuka ke saath bad-tameezi se baat ki. Saari ladkiyan aur kuchh ladke jinki taraf Renuka kabhi palat kar bhi nahi dekhti thi unke liye main hero ho gaya tha aur vo ladke jinke saath vo uthti bethti thi vo sab mujhe college ke bahar pakadne ki taiyyari kar rahe the taaki mujhe maza chakha saken.
Usi din main college ki canteen mein betha ek Red-Bull pi raha tha ke tabhi Renuka kuchh ladkon ke saath aayi. Mujhe akela Red-Bull pita dekh kar vo mujhe sunane ke liye zor se boli,
"Chhote bachche aisi cheeze nahi peete, doodh piyo doodh"
Main janta tha ke vo mujhe suna rahi hai. Ladkiyon ke saath main hamesha kaafi izzat se pesh aata tha aur takreeban college ki har vo ladki jo mujhe jaanti thi, mujhe pasand karti thi. Par Renuka ke akkhad mijaaz ki vajah se jaane mujhe kya soojha ke maine usse vo keh diya jo ke maine kabhi zindagi mein nahi socha tha ke main ek ladki se kahunga.
Main uski taraf palta aur uski aankhon mein dekha.
"Doodh?" Phir maine nazar jaan boojh kar is tarah se ke use bhi pata chal jaaye uske chehre se hata kar uski seene par laga di aur kaha "Aao pila do"
Us din toh jaise college mein hungama sa ho gaya tha. Jungle mein shayad aag bhi itni tezi se nahi phelti jitni tezi se mere Renika se is tarah pesh aane ki baat pheli.
Mujhe college ke baad kuchh aur kaam bhi the isliye main sidha ghar nahi aaya. Vo kaam niptaye, phir ek dost ke ghar gaya aur dinner bhi uske saathi hi kiya. Phir vahan se ek movie dekhne chale gaye aur uske baad maine apne dost ko ghar drop kar diya. Jab tak main apne ghar ki taraf rawana hua tab tak raat ka 1 baj chuka tha. Sadkon par gaadiyan kaafi kam ho gayi thi aur mere ghar ke aas paas toh jaise bilkul marghat sannata hi chhaya hua tha. Mere ghar se kuchh door hi achanak 3 gaadiyan meri bike ke aas paas aayi aur mujhe rukne par majboor kar diya.
Mere rukte hi gaadiyon se 9-10 ladke nikle. Unmein se main kisi ko bhi na toh janta tha aur na pehchanta tha. Par haan ek ladka tha jisne apne sar par jacket ka hood dala hua tha aur mujhe laga ke maine use apne college mein dekha hai. Main samajh gaya ke mujhe kyun roka gaya hai. Pata nahi vo kabse mera pichha kar rahe the aur mujhe kahin akele mein pakadne ka mauka dhoondh rahe the.
"Kyun be? Bada hero ban raha hai tu?" Ek ne kaha. Vo sab mujhe gher kar khade ho gaye the.
"Haan toh?" Maine rookhe se andaaz mein jawab diya.
"Toh ye ke kal tu Renuka se maafi maangega, samjha?"
"Kis baat ki?"
"Jo aaj kiya us baat ki"
"Aur na maangi toh?"
Usne meri baat ka jawab diye bina muskurate hue baaki saare ladkon ki taraf dekha aur phir pichhe khadi cars ki taraf. Maine uski nazar ka pichha kiya toh mujhe andaza hua ke main us waqt apni soch se zyada serious situation mein tha.
Jahan ham khade the vo jagah sunsaan si thi. Koi ikki dukki hi gaadi udhar se guzarti thi. Pichhe gaadiyon ke darwaze khule hue the aur andar rakhi hui hockey sticks mujhe nazar aa rahi thi.
Main janta tha ke samajhdari isi baat mein thi ke is waqt unki haan mein haan milata aur vahan se nikal leta. In sab maamlon mein kam main bhi koi kam nahi tha aur yahi vajah thi ke college ke ladkon mein se khud koi nahi aaya tha. Kyunki vo jaante the ke mujhe is tarah se yun akele mein pakadne ka matlab tha ke phir main un sabko baad mein ek ek karke akela pakadta. Jo vo yahan mere saath karte, baad mein main unke saath karta.
Par jaane kyun mujhe us waqt khud pichhe hatna bilkul bhi ganwara nahi hua.
"Chal abhi side ho" Maine bike ke aage khade ladke se kaha, "Na toh mere paas us bekaar cheez ke liye time hai jise tum Renuka Sinha kehte ho aur na hi tum jaise chalte phirte koode kachre ke liye time hai"
"To matlab tu maafi nahi maangega?"
"Sawal hi nahi uthta. Main apne ghar mein uske naam ki kutti tak na paalun"
Mera itna kehna hi tha ke usne achanak mera collar pakad liya. Uski is achanak harkat se main ekdam baukhla sa gaya aur isse pehle ke main khud hi kuchh soch pata, maine haath chhod diya aur uske chehre par ek zordar thappad maar diya.
Uske baad kya hua mujhe kuchh theek se yaad nahi. Bas itna pata tha ke meri motorcycle ek taraf giri padi aur main doosri taraf. Un saare ladkon ne mujhe gher rakha tha aur mujh par chaaro taraf se laatein pad rahi thi. Koi 10 - 15 minute tak jamkar meri kutaai ki gayi. Phir usi ladke ne jo ke mujhse baat kar raha tha mere baal pakad kar mujhe sidha khada kiya.
"Khada ho saale. Tujhe teri aukaat dikhata hoon" Vo mere baal pakde hue bola.
"Dikha le, aaj main akela hoon toh kar le apne dil ki. Par yaad rakhna, baari meri bhi aayegi. Tum mein se ek ek ka maine pocha na banaya toh kehna" Maine badi mushkil se kaha. Meri shirt phat chuki thi, munh se khoon beh raha tha aur shareer kayi jagahon par buri tarah se dard kar raha tha.
"Teri toh ... "Meri baat sunkar us ladke ne kaha aur vo ek baar phir mujh par chaalu ho gaya. Har taraf se mujh par vaar kiye ja rahe the aur main apne haathon se apna chehra bachane ki koshish kar raha tha.
"Munh kya chhupa raha hai saale ... "Us ladke ne kehte hue mere dono haath pakde aur mere chehre se hatane ki koshish ki. Maine thodi himmat jutaayi aur apne haath jhatak kar ek haath se uska collar pakda aur doosra haath uski gardan par jakad diya.
Mujhe yaad nahi kitni der tak par usne mujhse chhutne ki kaafi koshish ki thi. Vo jitni koshish karta main apni haath ki giraft uski gardan par utni hi kas deta. Uske gale ka agla hissa jise adams apple aur hindi mein tentua kehte hain meri mutthi mein tha aur main poora zor laga kar daba raha tha. Uski haalat kharab ho chali thi aur uske saath ke ladke bhi use meri pakad se chhutane ki nakam koshish kar rahe the.
Main khud bhi janta tha ke vo ladka us waqt mar sakta tha par main uska gala chhodne ko taiyyyar nahi tha. Jab aur kuchh bas nahi chala toh vo ladke car se hockey sticks utha laaye aur vo mujh par barsani shuru kar di, khaas taur se meri kalaiyon par taaki main us ladke ko chhod doon. Par hua iska ulta hi, vo jitna mujhe hockeys maarte main utni hi zor se us ladke ka gala dabane ki koshish karta. Ab sochta hoon toh aisa lagta hai jaise main us waqt use jaan se maarne ki koshsih hi kar raha tha.
Aur shayad khud use bhi ehsaas ho gaya tha ke main use jaan se maar doonga. Uski dono aankhen palat gayi thi aur vo jaise meri giraft mein jhoolne sa lag gaya tha. Badi koshish karke usne apne dono haath uthaye aur mere aage jod diye, jaise vinti kar raha ho ke main uska gala chhod doon.
Uske saathiyon ne jab dekha ke main uski jaan lene par utar aaya hoon aur lakh koshish ke baad bhi 8-9 ladke milkar use nahi chhuda paaye toh vo samajh gaye ke mamla murder ka banne wala tha. Tab tak us ladke ki aankhen poori tarah palat chuki thi aur munh se laar behne lagi thi. Ab aalam ye tha ke uske saathi mujhe marna chhod khade chup chap dekh rahe the aur vo mere aage haath jode bejaan se meri giraft mein jhool sa gaya tha. Us waqt ek tarah se maine uska gala pakad kar use khada kar rakha tha varna vo toh kabka gir chuka hota.
"Mar gaya ye, nikal yahan se" Kisi ek ladke ne kaha aur vo fauran apni gaadiyan lekar vahan se bhaag gaye.
Unke jaane ke baad maine uska gala chhoda aur vo fauran sadak par gir gaya. Ek pal ke liye toh mujhe bhi laga ke vo mar gaya hai par jab kuchh seconds baad vo khaansne laga toh main samajh gaya ke abhi zinda tha. Mujh par hockeys se kaafi vaar kiye gaye the. Khoon ab mere sar se bhi beh raha tha par gussa thanda nahi hua tha. Main abhi bhi use aur marna chahta tha par jaise hi aage ko badha chakkar khakar khud neeche gir pada aur behosh ho gaya.
Superb. Yeh mere mein bhi hua hai eisa