Chapter 7 - Inspector Sharma
Negi meri ummeed se kahin zyada utsukt nikla meri madad karne ke liye. Agle din main subah sokar utha hi tha ke vo mere darwaze par police files ke saath aa khada hua.
"Subah savere?" Maine darwaza khola aur muskuarte hue usse bola.
"Vo actually ye files main kal raat ghar hi le gaya tha, abhi police station ki taraf ja raha tha toh socha ke aapko deta chalun"
"Thanks" Main darwaze se hata taake vo andar aa sake "Thanks so much. Chaai?"
"Haan kyun nahi" Usne fauran haan bol di aur andar aa gaya.
Maine kettle se 2 cups mein chaai daali aur ek cup uske haath mein thamaya.
"Kya lagta hai aapko Sir?"
"Matlab?"
"Matlab kya hua hoga 20 saal pehle? Kahan gayad hue honge Ravi Sahab is tarah ke koi nishan tak nahi mila?"
"I am just getting started, too early to jump to any conclusion"
"Haan sahi keh rahe hai. Kuchh log toh ismein bhoot pret ka haath bhi maante hain"
"Bhoot pret? Unhein Ravi mein kya dilchaspi ho sakti hai?"
"Aap toh jaante hi hain ke log kis tarah ki baatein karte hain. Jitne munh utni baatein aur utni hi atkalein"
"Yeah i guess you are right"
"Kuchh toh yahan tak kehte hain Bade sahab ne hi apne bete ko mara tha"
"You mean Ravi's father, Mr. Rana?"
"Ji haan. Ye bhi baat hai kayi jagah ke khud hi apne bete ko mara unhone aur ek jhootha police case karva diya logon ko dikhane ke liye"
"Aisa maanne ki koi vajah?"
"Pata nahi Sir, main toh suni sunayi baatein bata raha hoon aapko. Us waqt aur jaane aisi kitni baatein udi hongi"
"Hmmmm. Aapko mera ek kaam aur karna hoga"
"Haanji kahiye"
"Mr. Sharma ka phone number kahin se available kara dijiye please"
"Haan ho jaayega. Main puchhta hoon ek do logon se, kisi na kisi ke paas toh hoga hi nahi toh records mein mil jaayega"
"Thank you, i appreciate it"
Vo thodi der aur mere saath betha aur idhar udhar ki baatein karta raha. Uske jaane ke baad maine ek cup mein apne liye chaai aur daali aur police files dekhne laga.
Ravi Rana ek bahut hi dilchasp kism ka aadmi tha. Pehalvani ka shauk tha aur paas ke hi ek akhade mein rozana uska aana jana tha. Iske alawa use gaane ka bhi shauk tha aur guitar and tabla bakhubi baja leta tha. Kisi Rehmat Ali School Of Music se usne classical indian music ki training li hui thi aur apne school aur college ke kayi concerts mein start attraction vahi hota tha. Yahan ke ek local mein aksar uske articles chhapa karte the aur wildlife photography ka shauk bhi Bhai ne paal rakha tha.
In short agar kaha jaaye toh vo kaafi creative kism ka aadmi tha par in sab baaton mein jo baat mujhe sabse atpati lagi vo ye thi ke doston ke naam par koi bhi aisa nahi tha jise uska kareebi kaha ja sake sivaay Kanha ke. Is tarah ke log aksar kaafi extroverts type ke hote the aur logon mein badi jaan pehchan hoti hai. Dosti agar na bhi ho toh unke followers kaafi hote hain. Aise log jo is tarah ki personality ko dekh kar inspire hote hain aur koshish karte hain ke us insaan ke baare mein zyada se zyada jaan saken.
Par Ravi ke saath aisa nahi tha. Vo jaise apne aap mein ek bahut badi mystery hi tha. Gayab hone se pehle uski dincharya akhade se shuru hoti aur phir sara din vo apne baap ka kaam sambhala karta. In sabse agar time nikalta toh apne music, writing aur photography ke shauk poore karta par har kaam akele. Aksar dekhne mein aata hai ke is tarah ka khula paisa agar haath mein ho toh ameer baap ki aulad aksar bigdi hui nikalti hai. Sharab, shabab, nasha aur na jaane aise kitne tarah ke shauk saath lag jaate hain aur zyadatar waqt doston ke saath ayyashi mein hi guzarta hai par Ravi ke saath aisa nahi tha. Na toh use is tarah ke galat koi shauk the aur na hi bahut zyada logon mein uska uthna bethna.
Police reports ke hisaab se pichhle kuchh din se unke aur Ravi ke beech jaaydad ko lekar anban chal rahi thi. Ravi batwara chahta tha taaki uske hisse ki jaaydad use naam kar di jaaye. Files mein yahan tak likha hua tha ke vo apne hisse ki jaaydad bechkar kisi foreign country mein shift hona chahta tha aur Mr. Rana uske khilaff the.
Us shaam bhi baap aur bete ke beech is baat ko lekar anban hui aur Ravi paon patakta hua ghar se nikal gaya aur phir lautkar nahi aaya. Case ke investigating officer Mr. Sharma the. Kayi logon ke bayaan initial FIR ke saath file mein the jinmein se kayi naamon se main vaakif tha aur kuchh naye the. Mr. and Mrs. Rana, Mr. Pratap Rana, Sakshi Rana, Raj Rana, Liyaqat aur Kanha, ye saare naam main pehle bhi sun chuka tha par inke alawa aur kayi aise logon ke bayaan darj the jinka naam maine pehle nahi suna tha.
Sabse important baat jo reports mein maine dekhi vo ye thi ke us waqt yahan chalne wali Bus Service ke logon se baat ki gayi thi.
Chail ek bahut hi chhot sa kasba hai aur 20 saal toh main khud bhi andaza laga sakta tha ke yahan ka mahaul kaisa raha hoga. Investigation ke dauran Chail mein maujood kisi hotel mein Ravi ne us raat check in nahi kiya tha. Baarish us shaam bahut tez thi aur agar vo ghar nahi aaya toh kahin na kahin toh raat zaroor guzari hogi par na toh report ke mutaabik vo apne kisi dost ya rishtedaar ke yahan pahuncha aur na hi kisi hotel mein check in kiya.
Us waqt Chail ki Bus Service limited thi aur yahan se Himachala Roadways ki kuchh buses Shimla ki taraf jaati thi aur Chandigarh ki aur. Us shaam Ravi ke ghar se nikalne ke baad Chail se kul milakar 3 buses gayi thi par Ravi unmein se kisi mein nahi betha aur na hi uske baad agle kuchh din tak kisi aur bus mein. Kufri, Shimla aur Solan Chail ke paas hi base hue towns hai par paidal chalkar jaane layak distance nahi hai, khaas taur se ek barsaati shaam mein to ye mumkin tha ke Ravi ne kisi se lift li ho. Is baat ko madde nazar rakhte hue agle kuchh din tak har newspaper mein ad di gayi par koi aisa saamne nahi aaya jisne Ravi ko us raat lift di ho. Investigation ke hisaab se Chail ke 100 kms ke radius mein jo bhi hotel ya guest house tha har kisi se puchha gaya par Ravi ne kahin check in nahi kiya.
In short agar kaha jaaye toh vo aise gayab hua jaise gadhe ke sar se seeng.
Maine baaki logon ke bayan par nazar daalni shuru ki. Sabse pehle meri nazar padi Ravi ke eklaute dost Kanha ke bayan par.
Jo ek cheez mujhe Kanha ke bayaan mein sabse ajeeb lagi vo ye thi ke jahan ek taraf mujhe ab tak ye bataya gaya tha ke gayab hone se pehle Ravi kaafi pareshan tha vahin Kanha ke bayaan ke mutaabik aisi koi baat nahi thi. Ravi gayab hone ke din tak bilkul theek tha aur use Kanha ko aisi koi baat nahi kahi thi jisse aisa lage ke vo ghar chhod kar jaane ke plan mein tha.
Kanha ne apne bayaan mein kaha tha ke Ravi jis din gayab hua us din dopahar ko vo Kahna ke ghar aaya tha. Dono kisi kaam se Solan gaye aur phir uske baad Ravi Kanha ko uske ghar chhod kar apne ghar chala gaya. Un dono ka us shaam Shimla ki taraf jaane ka irada tha magar mausam ke biagd ne ke karan vo plan unhone agle din ke liye post-pone kar diya.
Kanha ke hisaab se Ravi na toh kisi baat ko lekar pareshan tha aur na hi uski us dauran kisi se koi an-ban thi jo koi usko nuksaan pahunchana chahta. Vo toh balki agle din usne saath Shimla jakar use uske janamdin ke liye kapde dilvana chahta tha.
Superb update.
Yeh dimaagh ferr dene wale tehkikaat chal raha hai. Ab 20 saal purani di gayi bayaan se ki kia haasil hota hai aguey dekhta hoon