Update 32
Retreat.
Border of Mist Basin.
Hera aur baki sabhi Mist Basin ke border par khade the. Vo abhi bhi yahi soch rahe the ke unhe andar jana chahiye yaa nahi.
Tabhi un sabhi ko apne piche se kaafi saare footsteps apni taraf aate hue sunayi diye.
Sabhi ne palat kar dekha toh Aditya aur Abhay apne saath kuch 10-15 Elite Mage Warriors ko lekar aaye the.
Unke saath mei Flamingo Mercenary Band bhi tha.
Paas aane par Aditya ne Hera ko dekha aur kaha.
Aditya-Professor hera yeh sabhi Elite Mage Warriors hai. In sabhi ki help ke saath ham aage badh sakte hai.
Hera ne Aditya ki baat suni aur apne sir ko haan mei hilaya. Aage toh vo badhna hi chahti thi. Lekin abhi tak unke paas koi plan nahi tha ke aage kaise badhna hai. Upar se yeh white mist saamne sab kuch block kar rahi thi. Is wajah se unhe yeh tak pata nahi chal paa raha tha ke unhe jana kis direction mei hai.
Agar vo yaha par ek bhi wrong step lete hai toh kaafi kuch ho sakta tha. Ek pal ke liye Hera retreat karne ke barmei soch rahi thi kyo ki ab situation uske bhi haato se bahar ho gayi thi. Upar se usse yaha aane ke baad se kaafi negative energy feel ho rahi thi.
Baar baar usse aisa feel ho raha tha ke koi hai jo unke movement par nazar rakhe hai.
Lekin asia sirf Hera hi feel nahi kar paa rahi thi balki waha par jitney bhi log the un sabhi ko bhi aisa hi feel ho raha tha ke koi hai jo unhe is fog ke hote hue bhi dekh raha hai.
Upar se aisa lag raha tha ke har bitne wale pal ke saath yeh fog dense hota jaa raha hai. Agar vo jaldi hi kuch nahi karte hai toh vo yaha par phas sakte the.
Kuch der aise hi soch kar Hera ne sabhi se kaha.
Hera-Sabhi meri baat suno. Hame yahi se retreat karna hoga. Yeh mission ab kaafi dangerous ho gaya hai. Saath hi hame ab is sab ke liye professionals aur experts ki zarurat hai. Ham abhi yaha se nikal rahe hai.
Hera ki baat sabhi ko sahi lag rahi thi.
After all Raj aur uske friends Magic Academy ke students the. Agar unhe kuch bhi hota hai toh Magic Academy ki image par sawal uth sakta hai.
Jaldi hi sabhi waha se nikalne lag gaye.
Is sab ke baremei jab Shade ko pata chala toh vo un sabhi par attack karne ke baremei soch raha tha par usne khud ko rok liya. Waise bhi agar vo attack karta toh Hera aur baki sabhi ko uske waha hone ke proofs mil sakte the aur phir Swarndesh ki Royal Family powerful Mages aur Mage Warriors ko bhej sakti thi uske mage tower ko destroy karne aur usse capture karne ke liye.
Abhi Hera aur baki sabhi us narrow path se aage badh hi rahe the ke suddenly Hera ko us path ke centre mei jalne ke spots dikhe.
Usne jab us jagah par apna haath rakha toh ek pal mei hi usne apne haat ko piche khinch liya.
Uski is harkat par sabhi shock the. Aditya ne aage aa kar pucha.
Aditya-Kya baat hai professor, aapne suddenly apne haat ko piche kyo khinch liya ?
Hera ne Aditya ko dekhte hue kaha.
Hera-Yaha par kisi forbidden spell ko use kiya gaya hai. Shayad uske help se yaha par kisi ko maara gaya hai.
Hera ki baat par sabhi shock the. Lekin Raj ke face par ke expressions kaafi cold ho gaye the.
Usne waise hi cold tone mei kaha.
Raj-Zarur is forbidden spell ko Bell ne use kiya hoga. Bhul gaye vo carriage se yaha tak aaya tha aur hame yaha aate hue raaste mei koi bhi aisa carriage nahi dikha jo return jaa raha ho. Iska yahi meaning hai ke Bell ne us forbidden spell ko use kar ke us coachman ko maar diya hai aur saath mei uske carriage ko bhi destroy kar diya.
Jaise hi Raj ne apni baat ko complete kiya waise hi ek pal ke liye sabhi ko apne upar ek great pressure feel hua. Yeh pressure Raj ki body se release ho raha tha.
Yeh pressure itna strong tha ke Hera ko chod kar baki sabhi logo ko aisa feel ho raha tha ke jaise unhe saans lena bhi hard jaa raha ho.
Par Raj ke shoulder par jaise hi Roshni ne apna haat rakha waise hi Raj hosh mei aa gaya. Uske hosh mei aate hi vo pressure bhi gayab ho gaya.
Raj ko Bell par kaafi gussa aa raha tha. Par abhi vo khud kuch kar nahi sakta tha. After all vo ek level 2 Mage Warrior tha aur Bell ek level 6 Magician. Agar vo akele uske saath fight karta bhi hai toh bhi uske us battle ke jitney ke chances kaafi kam the. Upar se Bell ek experience magician tha.
Apne gusse ko shant karne ke liye Raj ne ek gehri saans li aur phir waha se sabhi nikal gaye.
Par is sab mei Raj ke body se release hone wale pressure ko mage tower mei Shade ne bhi feel kiya tha aur vo khud bhi kaafi shock tha ke ek teenage ladka jo abhi sirf level 2 Mage Warrior hai vo itna strong kaise ho sakta hai.
Ab usse Bell par bhi gussa aane laga tha. Bell ne usse kaha tha ke yeh sabhi bachhe hai par Shade ko yeh sabhi kahi se bhi bacche nahi dikh rahe the. Specially Raj, Raj ke powers ko feel kar ke vo kaafi shocked tha aur aage agar koi situation ho jaati hai is sab ke liye usne apne mage tower ke aaspas kuch spells ko cast kar diya.
Yaha sabhi forest se bahar aa gaye the. Jaha Hera ke saath Roshni aur Ekant Magic Academy chale gaye wahi Raj, Aditya, Abhay aur Riya apne apne ghar ki taraf chale gaye.
Koi bhi kisi bhi tarah ke baat karne ke mood mei nahi tha.
Raj ne ghar aane ke baad apni maa Dipali se bhi baat nahi ki thi aur apne room mei chala gaya.
Uske mind mei abhi bhi yahi baat ghum rahi thi ke Bell ne khud ko bachane ke liye ek aise person ko maar diya jo uske liye puri tarah se harmless tha.
Apne mind ko calm karne ke liye Raj fresh hua aur apne room mei aa kar meditate karne baith gaya.
Kuch hi der mei Raj ka mind calm ho gaya tha aur vo deep mediation mei chala gaya tha.
Abhi Raj apne deep meditation ke bich tha ke tabhi uski aankho ke samne kuch visions dikhne start hue. In sabhi mei 1st vision Aatm-Ling ka tha. Par sirf wahi ek vision tha jo usse clear dikha tha uske baad ke jitney bhi visions usse dikhe vo sabhi clear nahi the. Lekin Raj samajh raha tha ke yeh sabhi visions usse great destruction ke dikh rahe hai par yeh hai kaha ke yeh vo samajh nahi paa raha tha.
Is wajah se uska mind phir se disturb hone lag gaya tha. Par suddenly uske haat par jo Aatm-Ling ka mark bana hua tha vo halka sa shine hua aur Raj ka mind ek pal mei hi calm ho gaya tha.
Issi ke saath Raj pehle se bhi deep meditation mei chala gaya.
Almost Raj ne raat tak meditation kiya.
Raj apne meditation se bahar aaya aur aaa kar apne room ke window se bahar aasman ko dekhte hue kuch sochne lag gaya.
Raj-Agar Victor ke paas se mile hue paper aur uspar jo map hai waha par sach mei Aatm-Ling hua toh yeh sach mei kaafi badi baat hai. Hame kuch bhi kar ke vo Aatm-Ling baki kisi ke bhi haat lagne se pehle waha se nikaal kar usse ek safe jagah par rakhna hoga. Aatm-Ling ka kisi bhi wrong haato mei jana matlab har jagah destruction fail jana. Nahi nahi, Agar yeh visions mujhe dikh rahe hai iska kuch na kuch meaning hoga. Mujhe kuch bhi kar ke is problem ko solve karna hoga. Par Victor ko vo paper mila kaha se hoga. Mere past life ke history ke mutabik aise papers ancient times mei exist hua karte the. Aise mei yeh paper Space-Time ko break kar ke yaha kaise aa sakta hai. Kahi is paper ko koi yaha par lekar toh nahi aaya hai ? Lagta hai ab mujhe is sab ke baremei sabhi ke saath baat karni hogi.
Yeh sab kuch Raj apne mind mei keh raha tha.
Aatm-Ling ka is world mei hona hi uske liye aur is world ke liye kaafi badi baat thi aur kaafi serious bhi.
Raj achhe se janta tha ke us Aatm-Ling se kya kuch nahi ho sakta hai.
Wahi Hera ne Dean ke aane ke Magic Academy aane ke baad aaj jo bhi hua tha vo us sab ke baremei bata diya. Yeh sab sunkar Dean pehle kuch surprise hue the. Par zyada time ke liye nahi.
Uske baad un dono mei kaati der tak is matter par discussion hua.
Agle din breakfast karte hue Raj ne apne baba se us paper se related kuch baate ki jispar Senapati Dipak ne kaha ke vo uske is matter ko lekar Royal Palace mei zarur baat karenge aur sabhi ke liye ek meeting ko arrange karenge. After all us paper ke baremei sabhi ko janna tha. Par Raj ke sivaye kisi ko bhi uske origin yaa phir uspar jo likha hua tha vo kahi se bhi pata nahi chal paya tha. Wahi sabhi is baat se bhi confuse the ke Raj kaise us paper par jo bhi likha hua tha vo read kar sakta tha. Aisi aur bhi kayi saari baate thi jo baki sabhi logo ko Raj se janni thi.
Yaha Shade ke mage tower mei Bell abhi bhi us pond ke andar tha aur ek coma jaisi state mei chala gaya tha.
Us pond ke aaspas kaafi Dark Energy fluctuate ho rahi thi.
Yeh sab sirf necromancers hi kar sakte the. Necromancers’ dead bodies aur souls ko capture karte the. Is wajah se vo kabhi bhi kisi aisi jagah par nahi jaa sakte the jaha par Pure Energy fluctuate hoti ho.
Agar koi Necromancer ban jata hai toh usse koi bhi apne country mei nahi rakh sakta tha. Country hi nahi balki har country mei us necromancer ko maarne ke liye rewards rakhe jaate the. Even Necromancers ki souls tak after life mei nahi jaa sakti thi aur vo hamesha ke liye Limbo (Death aur After Life ke bich ki state jismei Necromancer ki soul trap ho jaati hai.) mei hi trap ho jaati hai. Yahi tha unke immortality ka secret.
Us dark pond mei Bell ek coma jaisi state mei tha. Jaha uska life force har bitne wale pal ke saath end ho raha tha wahi uski soul Dark Energy ki wajah se aur bhi strong hoti jaa rahi thi aur vo khud Bell ki body ke saath kaafi strongly bind kar rahi thi. Agar koi Necromancer khud ki soul ko jo Dark Energy se powered up hui hoti hai usse khud ke hi body ke saath strongly bind kar leta hai toh uski body bhi Dark Energy ki wajah se aur bhi strong hone lag jaati hai. Par agar Necromancer ki body Dark Energy ko achhe se handle nahi kar paayi toh vo ek skeleton mei change ho jaati.
Wahi agar Necromancer ki body ne Dark Energy ko apne andar adapt kar liya toh vo kisi bhi normal living being se kaafi strong ho jaati hai. Normal attacks se us body ko koi bhi hurt nahi kar sakta tha sir Pure Energy se hi us body ko hurt yaa phir destroy kiya jaa sakta tha.
Jab Bell coma jasi state mei tha tab vo yeh achhe se feel kar sakta tha ke uski soul Dark Energy ko absorb karne ke baad aur bhi powerful hoti chali jaa rahi hai.
Abhi Bell ek aisi jagah par tha jaha par sirf darkness hi darkness thi. Vo jaise us jagah mei yaha se waha float kar raha tha.
Tabhi usse kisi ki aawaz sunayi deti hai.
“Are murkh yeh kya anarth kar diya tumne.”
Yeh aawas sunkar Bell ek pal ke liye shock aur surprise ho jata hai.
Vo apne aaspas dekhne lag gaya tha par usse koi bhi nahi dikh raha tha.
Tabhi suddenly uske samne ek light se bana hua humanoid shape apne samne form hota hua dikha.
Us humanoid shape se nikalne wali light aur energy jaise Bell ko kaari zyada hurt kar rahi thi.
Vo kaafi zor zor se chikhne lag gaya tha.
Tabhi phir se us humanoid shape ne usse kuch kaha.
“Murkh tumne us MRITYU ka hi tyag kar diya jisse jivan SAFAL, SAAKAR aur PURN hota hai. MRITYU jivan ke PRAVAAS ko PURN karta hai. Tumne us MRITYU ko chod kar is ABHISHAPIT JIVAN ka chunav kiya jo tumhe kabhi bhi PARMATMA tak nahi lekar jaane wala hai. Dhikkar hai tumhare is VICHAR par. Lekin tum yeh baat bhul gaye ke har sansaar ka ek NIYAM hota hai jiska janm hua hai uski mrityu ho kar rahegi. Agar tum sahi marg par chal kar AMARTVA ko prapt kar lete toh kadachit PARMATMA se mil sakte the lekin tumne aisa nahi kiya aur yeh ADHARM kar baithe. Lekin is baat ko achhe se smaran rakh lena ke is sansaar mei RAKSHAK ka janm ho chuka hai aur sahi samay aane par vo tumhe tumhare ANT tak zaror pohochayega.”
Yeh keh kar vo humanoid gayab ho gaya aur Bell pure time zor zor se chillata hi reh gaya. Us humanoid ki baate jaise Bell ke mind mei zor zor se baj rahi thi.
Usse yeh pata hi nahi chal paya ke uske saath abhi hua kya.
Royal Palace.
Abhi ek bade se court hall mei Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak ke saath Swarndesh ke kaafi saare important figures baithe hue the.
Maharaj Shekhar ke samne ek young ladka apne haat mei ek paper lekar uspar jo bhi report aayi hui thi uske baremei read kar raha tha.
Puri report read karne ke baad vo hall ke corner mei jaa kar khada ho gaya.
Tab Maharaj Shekhar ne sabhi ko dekhte hue kaha.
M.S-Ab hame sabhi countries ke andar aur bahar jo bhi chal raha hai uski report pata chal gayi hai. MI3 ke intelligence ki report ke mutabik in Dark Elves ke haat kuch aisa laga hai jiski wajah se unki strength aur bhi badh gayi hai. Saath hi mein ne is sab ke baremei ek letter likh kar Elf Kingdom ko bhi bhej diya hai. Hame is war mei shayad ab unki help leni hogi. Saath hi mujhe yeh bhi pata chala hai ke south ke side mei jo small countries hai unke bich bhi tension badhta jaa raha hai. Upar se yeh Magic Academy ke ek level 6 magician ke baremei bhi pata chala hua hai. Waise hame uske upar sirf doubt tha par kal jab vo Magic Academy se bhaag gaya tab yeh prove ho gaya ke vo Dark Magic ki practice kar raha tha.
Aaye hue sabhi Dukes aur Arch-Duke kaafi shock ho gaye the. Lekin sab se bada shock unhe Bell ki baat ka laga tha. Unhone kabhi nahi socha tha ke ek level 6 magician jo unke hi best Magic Academy se tha vo kabhi bhi Dark Magic ki taraf badhega. Dark Elves ki situation ko vo handle kar bhi sakte the par ek badi Magic Academy ke magician ka unhe hi aisa dhoka dena unke liye kaafi badi baat thi.
Tabhi ek duke apni seat se khada hota hai aur Maharaj Shekhar se kehta hai.
“Maharaj shayad ham sabhi Dark Elves ki situation handle kar sakte hai par hamari hi Magic Academy ke level 6 magician ka aise Dark Magic ki practice karne wali baat agar bahar pata chal jaati hai toh yeh hamare liye bilkul bhi achha nahi ho sakta hai. Saath mei hame yeh bhi soch kar chalna hoga ke Bell is sab mei akela nahi hoga jo Magic Academy mei Dark Magic ki practice kar raha hoga. Yeh sab kuch hame Gladstone City ki situation ki tarah hi lag raha hai. Vo Dark Elves phir se hame ek bade war mei busy rakh sake aur vo issi bich apne real motive ko pura kar lenge. Zarur yeh Dark Elves kuch bada karne ke baremei soch rahe hai.”
Yeh sab sunkar Maharaj Shekhar ne bhi apne sir ko haan mei hilate hue kaha.
M.S-Mujhe bhi kaafi time se yahi lag raha hai. Kyo ki Gladstone City mei uski haar kaafi badi thi. Saath hi unhone uske baad koi bhi movement nahi ki aur suddenly unhone ek war like situation bana di hai. Saath hi yeh Bell ka Dark Magic ki practice karne wali baat bhi abhi haal hi mei samne aayi hai. Lekin Dark Elves ka aisa kounsa motive ho sakta hai ?
Maharaj Shekhar ki baat par har koi sochne lag gaya tha. Tabhi Senapati Dipak ko Raj ki vo paper wali baat yaad aayi. Unhone Maharaj ko dekhte hue kaha.
S.D-Maharaj shayad mujhe doubt hai ke Dark Elves kya karna chahte hai.
Is par sabhi ne Senapati Dipak ko sabhi ne dekha.
Wahi Senapati Dipak ne aage kaha.
S.D-Maharaj aap ko yaad hoga ke River Town ke forest se Prince aur Flamingo Mercenary Band ne milkar Victor ko maara tha jiske paas se hame Occult Stone mila tha aur saath mei vo mysterious paper bhi jispar northern forest ka map bana hua hai. Mujhe doubt hai Dark Elves zarur us forest mei jana chahte hai. Zarur us mysterious forest ke baremei unhe kuch pata chala hoga. Yaa phir waha par koi aisi chiz hogi unhe aur bhi powerful bana sakti hai.
Sabhi ko Senapati Dipak ki baat sahi lagi rahi thi. Upar se baki aisa kuch bhi nahi tha Human Continent ke andar jiske liye Dark Elves war like situation ko create karenge.
Kuch der sabhi baato ko soch kar Maharaj Shekhar ne kaha.
M.S-Thik hai, Mein MI3 ko yeh order paas karta hu ke vo us mysterious forest ke aaspas ke area ko achhe se check kare aur jaldi se mujhe ek detailed report de. Isse hame aage ki planning mei help ho sakti hai.