Update 94
Sandhya jab behosh hui tu usse hospital panhucha diya gaya aur vanha vo hosh me aane par apani yaadashat kho chuki thi lekin uske sath sath vo pregnant bhi ho chuki thi. Doctors ko vo apane bare me kucch nahi bata pa rahi thi. Vo baccha jisse usne bachaya tha uss bazaar ke Malik ka beta tha. Vo aur uski Patni apane aap ko Sandhya ke karzdaar samjhate the jisne unke bacche ko bachaya tha. Donon uska pura ilaaz karwa rahe the aur jab vo kucch theek ho gayi tu usse apane ghar le aaye aur uski puri dekhbhal karne lage.
Waqt beetta raha aur Sandhya ne ek khubsurat bacche ko janam diya jo ki ek ladka tha aur Sandhya ne apane aap ko uski parvarish me vyast kar liya.
Vo Pati patni (Rajaram aur Shobha) Sandhya ka pura khyaal rakhte the. Jab Sandhya hospital me panhuch gayi thi tab unhone uske saman ko Dharamshala se lene gaye tu uska malik Rajaram ka dost tha, iss vajah se samaan de diya lekin uss bag me tala laga hua tha. Pati patni kafi waqt tak iss duvidha me the ki iss bag ko khole ya na khole. Unhone socha ki bag me pata nahin kya ho, unhone socha ki jab ye theek ho jayegi tab isse kholenge.
Jab kafi waqt tak Sandhya ki yaadashat vapis nahin aayi tab Doctors ke kehne par uss bag ko khola gaya tu usme Sandhya ke kapade the aur ek bahut purani chhoti si diary thi jisme ek purana photo bhi tha aur uss diary me ek number bhi likha hua tha. Rajaram ne uss number par phone kiya tu usse koi jawab nahi mila. Vo lagatar kai din tak uss number par phone karta raha lekin koi jawab nahi. Rajaram thodha sa chintit ho gaya ki ya tu ye number galat hai ya vo vyakti jawab dena nahin chaahta. Dono Pati Patni ne soch liya ki ab isse vo donon apane paas rakhenge aur jindagi bhar iss devi ko behan maankar apane ghar me rakhenge.
Aise hi ek din Rajaram, Shobha aur Sandhya baithe hue the ki ek anjaan number se phone aaya aur vo pucchane laga tu Rajaram ne kuchh kucch jo usse pata tha bata diya aur uss vyakti ne kaha ki theek hai jaisa aap kanhe ham vaisa hi kar lenge aur fir phone band ho gaya. Idhar Rajaram aur Shobha raat ko uss phone ke bare me baat karte rahe aur aage kya karna hai uss bare me vichar vimarsh karte rahe.
Inko yanhi vichar vimarsh karne dete hain aur ham chalte hain Udhar Ruchika aur Diya ke paas
Ruchika 'Main kucch bhi nahin bhuli hun, kya vo tumhare Pati nahin hain'
Diya 'Mere manne ya na manne se kya hota hai. Ye un par nirbhar karta hai ki vo Mujhe Patni mante hain ya nahin. Jab tak vo mujhe Patni nahin mante, tab tak sirf aur sirf tum hi unki Patni ho'
Ruchika 'Shayaad tum bhul gayi ho ki Guru ji ne kya kaha tha?'
Diya 'Main kucch nahin bhuli hun, mujhe acchi tarah se yaad hai. Mai uss Puja ko kaise bhul sakti hun kyounki uss Puja ki vajah se meri inse (Suraj ji) kaafi ladai hui thi. Lekin honi ko kaun taal sakta hai, Inka Guruji par andh vishwas hai aur unhone bata diya tha ki agar ye Puja nahin hogi tu sab kucch khatam ho jayega, jo kucch bhi hamare paas hai sab tabah jo jayeg aur ham me se koi bhi jivit nahi bachega'
Ruchika 'Main samjhi nahin'
Diya 'Tumhe Maine bataya tha na ki inhe, Mujhe, Deepk ji aur Avni ko kidnap kar liya gaya tha. Un logon ne hame nagan karke rakha tha aur ham donon ko Suraj ji aur Deepak ji ke samne nagan rakha jisse hame bahut sharm aa rahi thi, lekin kya kar sakte the. the aur apani nazre neeche kiye hue the. Ye donon bhi sharam se gadhe hue the aur inhone bhi apani nazron ko jhuka rakha tha.
Ham sab man me soch rahe the ki ya tu ham bachenge nahi aur bach bhi gaye tu jinda kaise rahenge.
Abhi ham ye soch hi rahe the ki Mohan Bhai Sahab pata nahin kanha se Farishta bankar aaye aur un gundon ko maar bhagaya aur hame vanha se chhudaya aur hame kapde diye aur ham sab vapis aa gaye.
Uss ghatna se ham sab bahut dare hue the. Ham sabne Mohan Bhai Sahab ka ehsaan bhul nahin paa rahe the. Hamne inhe bahut kuchh dena chaha lekin ye bahut hi swabhimai vyakti hain aur inhone kaha ki ham donon iski behne hain aur kehne lage ki behan se bhi koi kucch leta hai. Hamne bhi inko dil se apana bada Bhai maankar izzat di aur itna hi nahin inhe Rakhi bhi bandhne lagi.
Uss ghatna ke baad pata nahin kya hua ki hamara business me nuksaan hone laga. Chhota mota nuksaan tu chalta hai lekin ek dam se 10 karod ka ghata ho gaya aur Deepk ji ko koi 3 se 4 karod ka. Ham Pati Patni Guruji ke paas gaye aur unhone pehle tu ham donon ko ye salah di ki abse kabhi bhi Suraj ji akele business nahin karenge. Ab se Suraj ji ko Deepak ji ke sath business karne ki salah di Usse fayada tu nahin hua lekin nuksaan bhi nahin hua.
Ham fir se Guru ji ke paas gaye Main aur ye (Suraj ji). Guru ji ne dhyaan lagaya aur jo baat batai usse karne me mera bilkul dil nahin tha. Guru ji ne kaha ki agar vo uppaye nahin kiya tu business hi nahin balki jindagi par bhi khatra hai. Unhone bataya ki jin logon ne hame kidnap kiya tha unhone hamari bali ki taiyari kar rakhi thi.
Hame yaad aaya ki jab ham nagan the tu vo gunde kisi Mahatma jaise shaksh ko lekar aaye the jo hamare upar kucch jal sa chidak kar mantar padh raha tha aur pata nahi vo log kis bhasha me baat kar rahe the jo hame samajh nahi aa raha tha. Ham tu dar se hi thar thar kaamp rahe the. Mujhe Guruji ki baaton par vishwas hone laga lekin vo jo karne ke liye keh rahe the bilkul man gavahi nahi de raha tha.
Main aur Ye (Suraj ji) ghar vaapis aa gaye aur inka Guru ji par andh vishwas tha aur inhone mujhe bhi kaha ki ye tu karna hi padega. Maine sakhti ke sath keh diya ki Main nahin karungi kyounki mera manana tha ki ye sab bekar ki baatein Hain aur jo hona hai vo hokar rahega. Waqt beetta raha aur ham donon ke beech ek duri aane lagi.
Fir ek din pata laga ki Deepak ji aur Avni ka accident hua hai, lekin vo bach gaye hain. Idhar Suraj ji ko seene me dard hone laga tu inko hospital me bharti karwa diya gaya aur pata laga ki inko heart attack hua hai jo ki mild tha. Doctors ne keh diya ki inhe khush rakhe aur koi bhi buri khabar na de.
Maine Guruji se pata kiya tu unhone keh diya ki 'putri jo Main dekh raha hun vo shayad tum nahin samajh paa rahi ho. Tumhe agar apane Ghar ko bachana hai tu vo Puja karni hi padegi.'
Maine Guruji se kaha 'Aap ek baat bataiye ki Maine agani ko sakshi maankar inko(Pati) mana hai aur vachan diya hai. Ab agar Main aapki baat maankar iss puja me shamil hoti hun tu Main apane vachan se hat nahin jaungi'
Guruji 'Putri tumne Suraj ko har kasht me sath nibhane ka vachan bhi diya hai. Tumne ye vachan bhi diya hai ki inki har baat manogi. Ye vachan bhi diya tha ki unki parchai bankar unse kabhi alag nahi hogi. Jab tum inki baat nahin manogi tu fir ye vachan bhi tut jayenge'
Diya 'Guruji, Mujhe ek shanka hai ki agar Main iss puja me baithtti hun tab mujhe aapki baat manne se uss shakhs se Mera dusra Rishta hai, vo bhi tu kharab ho jayega'
Tab unhone kaha ki 'Putri uss Rishte ko Tumne khud chuna hai, jabki ye jo Main bata raha hun, bahut pehle likha ja chuka hai aur ye na tum badal sakti ho aur na hi Main. Tum chahe kitna bhi mana karo, jab upar wala chahega, tum inkaar nahin kar paogi'
Main bhari man se vanha se vapis aa gayi aur Suraj ji ko puja ke liye haan keh di'
Ruchika 'Fir kya hua'
Diya 'Fir tu tumhe pata hi hai, Guruji ne hame bata diya tha ki ham sab bahut jaldi milenge aur ham sab mile'
Ruchika 'ye ham sab ham sabki patniyan hai ka kya chhakar hai'
Diya 'Tumhe yaad hoga jab ham Guru ji ke paas gaye the aur tumhari beemari ka puchane gaye the, tab unhone kaha tha na ki jo Puja hui thi uska matlab yahi tha ki ham teenon ham inn teenon purushon ki patniyan hain aur hame ye bhi chetawani di thi ki koi bhi kisi ke sath jabardasti nahin karega. Tum teenon asal me ek ki Patni ho, lekin aisa waqt aa sakta hai jab tumhe dusre purush ki patni ka dharam nibhana pad sakta hai aur Main ye hote hue dekh raha hun, lekin fir se keh raha hun ki jabardasti kisi ki Patni nahin banna hai. Haan ye bhi sach hai ki jarurat padne par peeche bhi nahin hatna hai. Tum sab ab ek Parivaar ho aur sabne alag hone ki sochna bhi nahin hai nahin tu Main bhi kucch nahin kar paunga. Ye bhi bata dun ki agar Tum sab ikkhathe rahoge tab koi bhi musibat kitni bhi badi ho vo uss Puja ke suraksha chakar ki vajah se tal jayegi'
Ruchika 'Matlab ki tum ab inki pakki wali biwi ho'
Diya 'Guruji ke kahe anusaar hun tu sahi, lekin ye sirf aur sirf tumhe hi apani Patni mante hain'
Ruchika 'Aisa nahin hai kyonki Guruji ne inhe bhi kaha tha ki 'Tumhari jindagi me aur Patniyan aayengi' inhe pata hai aur ye sab jaan chuke hain ki Tum inko biwi ban chuki ho'
Diya 'Lekin yeh bhi utna hi Satya hai ki inhone Duniya ke samne bhale hi Mujhe biwi kaha ho, lekin dil se kabhi bhi mujhe biwi nahin balki behan hi mana hai'
Ruchika 'Accha yaar ek baat bata ki Tumhara man hai ki Tum inhe Biwi wala pyaar do'
Diya 'Shayaad tum bhul gayi ho ki Guruji ne bade hi sapasht shabdon me kaha tha ki koi kisi ke sath jabardasti nahin karega, tu Main kaise kar sakti hun'
Ruchika 'Ab ye tu clear ho gaya na ki tum man se chahti ye tu ho'
Diya uski baat sunkar soch me pad gayi aur vo America me hue uss vakaye ko yaad karne lagi ki jab dance ke baad vo sab khana khane ja rahe the tab Mohanlal ne Diya ki kamar me hath daalkar apane se chipkate hue dinner lene chal diye.
Uss waqt Mohanlal ki ungaliyon me Diya ki nangi kamar ki chua aur ungaliyon ki pore uske nange pait ko saparash kar rahe the. Mohanlal ki ungaliyon ka aapne sharir par saparash ne Diya ki bhavna ko bhadka diya aur uske man me utthal puthal machne lagi. Itna hi nahin Mohanlal ki baju se Diya ke unmatt urojon par dabav pad raha tha. Jab sath sath chal rahe the tu aage peeche hone se baju ka dabav urojon par aur ungaliyon ka dabav pait par kabhi kam tu kabhi jayada ho raha tha. Aisa lag raha tha ki koi urojon ko daba raha ho jaise ki dabaye aur chhod de. Ye mehsoos karte hi Diya madhosh hone lagi. Jab vo dinner table par panhuche tab tak Diya kisi aur hi duniya me panhuch chuki thi aur Mohanlal ke pukarane par bhi usse koi hosh na raha tu Mohanlal ne uski kamar me chutki kaat li tu vo hosh me aayi.
Abhi Ruchika uske kandhe par hath rakhkar hila rahi thi ki kanha kho gayi
Diya hadbadate hue kehne lagi 'Maine tu inhe bada Bhai mana hai aur aaj bhi manti hun, lekin Guruji ke anusaar Mera inse Rishta bahut pehle hi likha ja chuka hai. Agar aisa hai tu Main kaun hoti hun uss faisle ko badalne wali. Agar niyati me likha hai ki Mujhe unki biwi ka dharam nibhana hai tu unki biwi banungi aur pure tan man se banungi'
Ruchika 'Wah kya kehne, Main tu vaada le rahi thi aur Madam ji tu pehle se hi Taiyar baithi hain'
Diya 'Chalo maan liya ki Main Taiyar hun lekin Mujhe ek baat samajh nahin aayi ki Biwi kabhi bhi apane Pati ko dusri aurat ke sath nahin bantti hai aur tum mujh se vaada lena chah rahi ho kyoun?'
Ruchika uski baat sunkar thodha sa udaas ho gayi aur uski aankhon me nami aa gayi aur vo kehne lagi 'Meri jindagi ka tu pata nahin aur Main inhe koi bhi Patni ka sukh nahin de payi. Ye itne acche hai ki mere se kabhi shikayat tu dur kabhi uff bhi nahi kiya, nahin tu mard log aisi sithithi me aisi Patni ki peeth peeche pata nahin kya kya karte hain. Kucch tu aisi beemar biwi ko chhod kar hi bhagh jate hain. Bhagwan ne meri sahayata ke liye tujhe aur Avni ko bhej diya. Avni ka tu pata nahin lekin tum tu unki biwi wale rup me rah chuki ho aur meri halat ko jante hue Main chanhugi ki Tum inhe Patni ka sukh do, Mujhe bura nahin balki accha lagega' ye keh tu gayi lekin uski aankhon me aayi nami sari hakikat bayan kar gayi
Diya 'Main isme kucch nahi kar paungi kyounki inko (Mohan ji) apane nischay se nahi diga sakte aur vo kabhi bhi ye sab nahin karenge'
Ruchika 'Lekin yaar ek baat batao ki Suraj ji iss baat ke liye kabhi razi honge ki Tum inhe Patni wala sukh do'
Diya hansne lagi aur kehne lagi 'Vo rehte iss zamane me hain aur baat karte hain pata nahin kis yug ki. Unka manna hai ki ab Main teenon ki Patni hun aur Mohan ji sabse bade hain tu Mujhpar sabse pehla adhikar Mohan ji ka hai'
Ruchika 'yaar sachi me aisa bola'
Diya 'Haan yaar aur unki baat sunkar mujhe ek baar jhatka bhi laga tha aur jab Maine ye puccha tab unhone jo kaha mere pairon tale zameen hi nikal gayi' aur fir vo rone lagi.
Ruchika usse chup karane lagi lekin vo chup hone ka naam hi nahin le rahi thi aur bas rotey rotey bhavnaon me behkar itna hi bol kar chup ho gayi 'Meri jindagi pata nahin mujhe kanha le ja rahi hai. Mere liye tu ek taraf kuna aur dusri taraf khai hai, samajh nahin aa raha ki kya karun'
Abhi aur koi baat hoti ki Mohanlal aaye aur bahut hi ghabraye hue se lag rahe the aur bas itna hi kaha ki vo do chaar din ke liye kahin bahar ja rahe hain aur Diya se Ruchika ki dekhbhal ka vaada lekar chale gaye.