Update 200 (SUPER MEGA FINALE EPISODE)
Chacha :- paritosh ke pass
Jab chacha ne paritosh ka naam liya toh dadaji shocked ho gaye
Dadaji :- paritosh sahar me hai aur ye baat tumne batayi bhi nahi
Chacha :- kya karta pitaji us terrorist attack ke baad jab humara sab kuch ujad gaya toh mene aur nuksaan na ho isiliye rebel gang ko deactivate kar diya
Aise hi thodi der baaate karte hue woh teeno paritosh ke ghar pahunch gaye jaha par mla aur paritosh apne pure pariwar ke saath baith kar khana kha raha tha aur jaise hi usne dadaji aur chacha ko dekha toh woh shocked rah gaya
Lekin jald hi khud ko sambhal ke usne sabka swagat kiya toh wahi paritosh ki biwi ne bhi jald hi unko pahchaan liya aur dadaji ke pair pakad liye pahle ye dono miya biwi dadaji ke ghar pe hi kaam karte the lekin phir dadaji ne inhe khudka business start karne ke liye bahut help ki aur paison se bhi aur anubhav se bhi isiliye ye dono khudko unke ahsaanmand maante hai
Toh wahi jab paritosh ki beti ne apne mata pita ko aise pair chute dekha toh woh bhi uthake dadaji ke pair chune lagi phir uske baad paritosh ne un sabko khane ke liye invite kiya jiske baad sabne milke khana khaya aur phir baad me dadaji ne apni googli fecki
Dadaji :- waise paritosh aaj me tumne mere sare ahsanon ka gala ghot diya hai
Paritosh :- king mene aisa kya kiya jo aap itne naraz ho gaye please mujhe nadan samajh ke maaf kar dijiye
Dadaji :- agar tumne galti ki hoti toh jarur maaf kar deta lekin rudra ke baare me chupa kar tumne apradh kiya hai
Paritosh :- Rudra ke baare ji unke baare me mujhe bhi 2 saal pahle hi pata chala tha lekin unki jaan ko khatra tha isliye mene khud prince ko bhi is baare me nahi bataya tha lekin jab mene unhe sach bataya toh us din pata chala ki unki jaan ko kbatra kabhi tha hi nahi
Dadaji :- tum kahna kya chahte ho saaf saaf batao.
Paritosh :- matlab rudra ne aapko kuch nahi bataya hai
Dadaji :- nahi kuch nahi lekin ab tum bataoge kon hai rudra uska aur humara kya rishta hai
Paritosh :- woh woh
Abhi koi kuch aur bolta ki tabhi chacha ka phone baj utha
Chacha :- hello
Samne se :- virendra tum abhu tak jinda ho mujhs to laga abhi tak mangal ne tumhe kaat kar gaav ke chaurahe par tang diya hoga khair tum na sahi tumhara pariwaar hi sahj
Chacha :- rana kya bol rahe ho tum saaf saaf bata mangal kya karne wala hai
Rana :- tumne soch bhi kaise liya ki tum kisi ko bhi utha kar le aaoge aur hume dara doge are aaj tumhe pata chalega ki hum kya cheej hai us din kya kaha tha us ladkke ne haa yaad aaya woh kah raha tha ki "aakhiri baar kah raha hu ki ratan garh aur shekhr singh se door raho agar me door karne par aa gaya toh sidha sabko sansaar se door kar dunga kal se gaav me waise hi haal hone chahiye jaise dharmesh singh ke jinda hote the samjhe" aaj pata chalega usko ki usne kisse panga liya hai
Itna bolke rana phone kaat diya jiske baad chacha ne sabko rana ki dhamki ke baare me bata diya jisse waha dadaji aur fufa ghar par lagataar call karne lage lekin ye woh waqt tha jab mene sabko uper wale store room me chupa diya tha aur abhi me rana ke aadmiyon par goliyon ki baarish karna shuru kar diya tha jisse phon ki aawaj goliyon ki aawaj me dab gayi thi
Dadaji :- waha koi phone nahi utha raha hai hume jaldi karni hogi
Paritosh :- aap chinta mat kijiye king rudra hai na waha jab tak woh hai rana aur mangal jaise chahe 100 bhi kyu na aa jaye woh akela sambhal lega
Chacha :- dekho paritosh mere pariwar ki suraksha ka sawal hai mujhe sach sach batao ki aakhir rudra kon hai
Paritosh :- rudra nahi rudradev singh aapke bade bhai dharmesh singh aur jyoti ka beta aapke ghar ke bade bete hai woh
Paritosh ki baat sunne ke baad toh jaise un teeno ke chehre par aisi khushi cha gayi ki unhone koi bahut bada khajana mil gaya ho lekin jab unhe rana ki dhamki ka khayal aaya toh woh log turant ratan garh ke liye nikal gaye aur unke sath paritosh bhi nikal pada
Toh wahi me mangal ko wahj chaurahe par chodke ghar wapis aa gaya tha aur jaise hi me ghar pahucha toh waha hall me sirf chachi yash aur suresh tha baki sab shayad abhi bhi uper the me jaise hi yash ka haal puchne uske pass pahucha waise hi chachi mere pass pahuchi aur jaise hi woh mere passs pahuchi toh unhone turant hi ek thappad mere gaal par jab diya
Chachi :- kon hi tum aur kyu aaye hi humare Jindagi me aaj tumhare wajah se mere bete ko goli lagi agar us daku ka nishana jara bhi chukta aur goli iske dil me lag jati toh kya hota waise hi ek baar pahle hi isi khoon kharabe ki keemat mend apni beti apahij bana ke chuka di hai ab apne bete ko nahi kho sakti
Me :- chachi aap chinta mat kijiye me jab tak hoon aap logo par koi haath toh kya nazar bhi uthake nahi dekh sakta me sabki aakhe fod dunga
Chachi :- bas karo ye sab khoon kharaba aur agar tumje ye sab band nahi karna hai toh nikal jao humare ghar se aur phir jo karna hai karo waise bhi tum is ghar me kewal kucb din ke liye rahne aaye the
Me :- ye aap kya kah rahi hai chachi ye ghar kaise chod sakta hoon me is ghar ka (man toh kar raha tha ki sab kuch sach sach bata doon lekin na jane kyu meri himmat hi nahi hui me chahta tha ki unhe gale se laga kar bol du ki me bhi aapke pariwar ka hissa hoon lekin me kuch bol nah paya aur aise hi ghar se bahar nikal pada
Aur mere ghar se nikalne ke kuch der baad hi dadi bhi seema aur deepti ke saath niche aa gayi toh wahi bua ne turant hi deepti ko uske wheelchair par bitha diya aur woh log aate hi niche yash ka haal puchne lage aur jab woh yash ka haal puch rahe the ki tabhi ghar me dadaji aur baki sab aa gaye
Aur jab dadi aur chachi ki nazar paritosh par padi toh woh dono shocked ho gaye toh wahi jab chacha aur bakion ne ghar ke bahar ka haal dekha toh unki toh mano saas hi atak gayi toh ye sab nazara dekhke paritosh muskura raha tha
Chacha :- ye bahar kisne kiya
Dadi :- woh us kamine mangal ne hum sabko khatam karne ke liye gunde leke aaya tha lekin acha hua ki rudra yaha par tha usne sabko maar kar hume bacha liya
Fufa :- lekin rudra ne in sab ko mara kaise matlab uski umar ke hisaab se ye sab toh na mumkin hai
Paritosh :- prakash ji abhi toh bahut kuch aisa hai jo aap jaante nahi ho
Fufa :- aur kya hai woh
Chacha :- woh sab baad me pahle ye batao ki rudra kaha hai mujhe milna hai usse
Chacha ki baat sunkar yash aur suresh ghabra gaye
Chachi :- uske wajah se aaj humara pariwaar khatam ho jata aaj yash ko goli chu ke nikli aur kal koi dusra khatra na ho isiliye mene use ghar se jane ke liye kah diya
Chachi ki baat sunkar sab shocked ho gaye the chacha ke chehre se hi pata chal raha tha ki woh kitne gussa hai
Dadi :- jane ke liye kah diya matlab kaha jane ke liye
Chachi :- kaha bhi jaye lekin ab uske wajah se humare pariwaar pe koi khatra nahi aayega
Abhi chachi ne ye kaha hi tha ki tabhi chachi ke galon par chacha ke hathon ka karara thappad pad gaya jo dekh kar fufa ne turant chacha ko pakad ke side kar diya toh baki sab shocked hoke sirf dekhte rahe unhone bahut salon baad chacha ko gusse me dekha tha
Fufa :- dekho Virendra ye sab baad me dekha jayega pahle rudra ko dhoondhna hoga
Chacha :- ha jaldi chalo
Itna bolke woh dono ghar se nikalne lage lekin abhi woh nikalte ki tabhi waha rana kuch police walon ke saath aa gaye
Police :- kaha ja rahe ho virendra ji
Chacha :- officer aap yaha kaise
P. O :- ghar ke bahar khoon ki nadi baha rakhi hai aur police ko bol rahe ho ki woh kaise
Chacha :- dekh officer ye sab humne nahi kiya balki is rana ne hi apne dost mangal ke saath milke mujhe aur mere pariwar ko maarne ka try kiya tha
P. O :- toh kya tum khoon ki nadi baha doge tumhare khilaf murder ki complain aayi hai ki pure gaav ke bicho bich tumhare bhade ke gunde ne mangal ko dardnaak maut di pure gaav ne uski chikhe suni hai
Chacha :- dekhi officer woh koi bhade ka tattoo nahi hai aur waise bhi ye sab self defense me hua hai
P. O :- woh sab court me batana
Itna bolke woh chacha ki taraf badhne lagta ki tabhi bahar se joro se aawaj aane lagi aawah bhi aisi jaise koi full speed me pankha chala diya ho jab sabki nazar bahar gayi toh waha par ek helicopter aasman se utarte dikha aur us helicopter se meri beast gang bahar nikli
Sam :- pata nahi rudra kab sudhrega dekho kaise mara hai inko ab ye sab sambhalenge kaise
Abhi (muskurate hue) :- waise hi jaise har baar sambhalte hai
Jaise hi abhi ne ye kaha toh waise hi sam aage badhne laga aur usne ek dead body ko khichte hue dewar ke pass le jane laga aur baki sare andar ki taraf jane lage
Abhi :- toh officer aap inhe kis ilzaam me arrest kar rahe ho
P. O :- tum kya kahi ke commissioner ho jo mujhse aise sawal puch rahe ho
Abhi (apna id dikhate hue) :- RSF chief mumbai
Abhi ka id card dekh ke us officer ki saas hi atak gayi use pata tha ki ye team direct PMO ke under aati hai isiliye woh inse koi panga nahi le sakta tha toh wahi baki sab bhi shocked ho gaye the unhone bhi news ke chalte is team ke baare me bahut suna tha
P. O :- jai hind sir mafi chahunga mene pahchaana nahi me inko murder ke charge me arrest karne aaya hoon aapne bahar dekha hi hoga
Abhi :- theek hai arrest warrent dikhao nahi toh fir ki copy
Abhi ki baat sunne ke baad police ki hawa tight ho gayi thi kyunki woh bas paison ki lalach me yaha aaya tha
Abhi :- kya hua kuch nahi hai na tumhare pass toh chup chap nikal jao yaha se aur agar is case par koi bhi inquiry karne ki khujli ho toh bahar jake dewar dekhna sari khujli mit jayegi
Abhi ki baat sun kar woh officer haweli se bahar nikal gaya aur jate jate jab usne dewar par dekha toh uski haalat aur kharab hi gayi kyunki dewar par beast ka sign baha tha jise dekh ke woh turant waha se nikal gaya
Abhi :- rana tere ko rudra ki warning samajh nahi aayi kya jo tune aise humla kiya shukar mana tum uske hathe nahi chadha nahi toh teri aisi haalat hoti ki tu marne ki bhikh mangta lekin maut nahi aati
Rana :- ae sun tu jo koi bhi ho mujhe aise dhamki dene ki himmat kaise hui tumhari aur rahi us ladke ki baat toh uska gala me apne hatjon se kaatunga
Rana ke itna bolte hi chacha ka gissa out of control ho gaya aur sidha unhone rana and ka gala pakad liya aur apne ek haath se hi use hava me utha diya
Chacha :- tu marega use ha pata bhi hai kon hai woh rudra usi dharmesh ingh ka beta hai jisne teri phat ke char ho jaya karti thi tudra usi rebel ka beta hai jisne teri puri hizdon ki fauz ko akele khatam kar diya tha aur wahi aaj usne bhi kiya hai akele hi teri puri fauz ko kaat ke rajha hai
Paritosh :- aur agar tujhe phir bhi use maarna hi hai toh beshak use dhoondho lekin ye baat rakhna ki woh koi aam ladka nahi balki woh THE BEAST hai wahi beast jisne pure india ke dons ko kutte ki maut mara hai usse ulajhne se pahle apni sari ichaye jaroor puri kar lena
Jaise hi sabne chacha aur paritosh ki baat suni toh sabke pairo ke tale se dharti hi khisak gayi sabse jyada shock toh chachi ko laga ki jise salon pahle apne khud ke bete jaise pyar dene ke sapne unhone dekhe the usko unhone khid hi apne se door bhej diya tha toh wahi beast ke baare me sunkar sabhi dang hi gaye the toh wahi rana ne toh kab ke pran tyag diye the chacha ki haath ke pakad me usne apni aatma ko uske sharir se alag kar diya tha
Jaise chacha ne use choda waise hi uski dead body jamin par gir gayi jise dekh kar abhi ne sam ko ishara kiya jiske baad sam ne aur force ko bulaya aur sab kuch saaf kar diya sare saboot mita diye sare gaav wale toh rudra ki sachai jaan kar saaf mukar gaye sab bolne lage ki toofan ke wajah se na unhone kuch dekha na suna
Toh wahi us din ke baad sabne rudra ko dhoondhne ki bahut koshish ki lekin kisi ko kuch nahi mila kyunki us waqt rudra dharti se bahut door chala gaya tha mile toh bas kuch papers jo ki rudra ke property ke the jo usne magic se banaye the jisme usne apna sab kuch chacha aur fufa ke naam kar diya tha aur india ke top 2 malls seema aur deepti ke naam kiye the toh bike & car showroom yash aur suresh ke naam
Woh kahte hai na ki jab tak end haapy na ho tab tak end nahi hota sab galat kaahte hai kuch kuch stories ka end sad bhi hota hai aap sabke pyar aur support banaye rakhne ke liye dhanyawad milenge jald hi new story me tab tak ke liye peace out
~~~~~~~~~~~~~~~~~~
THE END
~~~~~~~~~~~~~~~~~~