• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Samraat ..The Tales of Debauchery, Hate & Revenge

Daksh The King

Active Member
905
6,402
124
Covid Se Pahle....

covid se pahle meri busyness kuch aisi thi.. mere liye lunch ka samay nikaal pana mushkil tha... mera kaam hi aisa tha.. upar ki krpa se sab koshal mangal tha.. par covid ne aisa disturb kiya.. kuch aise halat kharab hue.. karze ke bojh tale ja daba.. jo abhi tak utar nahi saka... life jaise taise kat rahi rahi thi..
samay freee tha bohut free tha.. so XP ko khub samay dia maine...

parrr abbb

uparwale ki krpa se mera dhanda firse apni routine par aane laga ha... aise me samay ki firse kami ho gayi ha mere paasss....
ab aap sab se juda hon to to juda rahunga.... update ki speed kabhi zayda samay mila to zayada likh kar post kar dia karnga....
kam mila to kammm...

jaise hi last kuch days se udpate likhna to door ki baat.. likhna kya ha. wo bhi nahi sochne ka samay tha mere paas..

aaj kuch din me samay mila.. to socha kya likha jaaye.. fir abhi dedh ghante me update likh daala... aur post bhi kar di...

so update let ho to mayus nahi hona.. updates aate rahenge.. der se sahi.. par aap ka sath bana rahega...

Thanks For You Love......
 

naveen61070

New Member
4
6
3
Yeh story close ho gaya hai: samay kharab mat karo
 
  • Like
Reactions: Naughtyrishabh

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,684
29,068
218
Intjaar....
 

asadjee

Well-Known Member
8,204
18,251
174
Mast update Bhai

Nice update janab

Super update dear

Nice update bro

Nice update

Nice update bhai waiting for next update

Shaandaar update👍👍👍

Awesome updates🎉👍

lovely update ..sophia ke saath mast khel khela samrat ne 🤣.
hebrew ko to bewajah marna pada sophia ke haatho .
sophia bhi apne chaal ke baare me sochkar khush hai ki wo samrat ko apna paltu bana legi .

Shandar update bro

Daksh is baar sofiya ke dimag me ghush kr Bahut si Khatarnak information nikal laya alka ke bare me, payal ke baare me or sofiya ki org ke bare me, unka motive, hideout, agents or hathiyar in sabki pramukh jankari nikal laya daksh...

Uske baad hi usne kya pareshan kiya hai sofiya ko, pahle bande ko to goli hi mar diya sofiya ne Vahi mujhe lagta hai ki sofiya ke sath flart karte huye daksh use ek mauka de rha hai ki aao mere pass or Mai sikar karunga tum sabka, Isiliye ye pyar ka lollypop thamaya hai sofiya ko or Vo us pr sochne me lagi hui hai yah bhi daksh ne sun liya hai...

Kya ho jb daksh sofiya ko ahsas dilaye ki aise hi kisi ke ghar me Desh me ghush Jana or vha tabahi machana logo ke pariwar ko khatm kr dena Desh ke naam pr sahi nhi hai or aisa karne ke liye daksh sofiya ke pariwar valo ke dimag me jakr kuchh aisa kare ki Vo khud samjhaye or na samajhne pr daksh ek ellusion creat Kare Jisme usi ke Desh ke org vale usi ke family members ko apne fayde ke liye maar kaat dete hai or sofiya ko kuchh or btate hai ki kisi or ne kiya Taki sofiya unke sath kaam karti rahe... Yadi aisa kuchh hua to dekhna hai mujhe ki sofiya ke reaction kya rahte hai or use sahi se samajh aata hai ki nhi, jo vo karti aa rhi hai vo galat hai...

Daksh ne jaruri details note kr liya hai or ab shimuna ke sath masti karne me lga hua hai, pura pariwar asram pahuch gya hai yha unhe ek flat mil gya hai rahne ke liye pr daksh ki gulam ko vha rahne ki ijajat nhi mili...

Superb update bhai sandar jabarjast lajvab bhai with awesome writing skills

Bhai update kab do ge

Aaj raat tak Update ayega ya nhi

Bhai tension nko lene ka, uper vale ke Kripa se apka b business bohot tariki karega bhai jann

Waiting bro

Waiting for next update bhaiya ji please request hai


Awesome update

Ok bhai we will wait for your update

Update kab tak aayega
Wese bhi bahut time ho gaya h

Waiting for next bro


Waiting bro

Bahot zabardast shaandar update
Sophia tow khayali polaw banane lagi
Use nahi pata uska yeh polaw usper hi bhaari padne wala h
Baherhal dekhte hai agli chaal kia hoti h

Wow, the most fabulous update that you have given sofar, dear bro. Story is picking up speed & continues to excite us to the core. Tnq👌👌👌😍😍😍💞💞💞


Bhai bhot din ho gaye koi update nhi aya hai bhai kab aye ga update


Plz update next episode

Update please

Story bohat badiya hain magar yaha per dimagh hi ghuma diya prachi n payal ne aur sath sath gufa ke Raaz ne pura bheja ghuma ke rakh diya

Daksh The King aapne kahani jabardast hain
Next update ka intezar hain

Update kar do late nahee please

भाई और कितना दिन लगेगा update देने मे हमलोग इन्तेज़ार कर रहे हैं l


Waiting for next update

Fentastic

bhai next update kab tak aayega?

NICE STORY BHAI PLEADE UPDATE ME

Yeh story close ho gaya hai: samay kharab mat karo


Intjaar....
Namaskar dosto!

sorry bohut samay taka ap sab se door rahne ke liye.... hazir hon ek bar firse aap sab ki khidmat me..

Daksh The King wali ID se is thread ko band kar raha hon main...

ab se......

asadjee ID davara ek new thread me is story ko aage likha jayega.... Link Below 👇👇👇👇

 

navrose

Member
403
241
43
Episode:14





Raja Thakur : kisi ko kuch kehna ha is bare me.Raja Thakur garajdar awaz me bole toh sab ghabra ke ek dusre ko dekhne lage. Aise hi haalRaja Thakur ki kacheri me hua karta tha. Ghar me lage ya ghar se bahar, sabki halat patli ho jaya karti thi.

Vikram Singh ghusse se uth khada hua.Raja Thakur ke saamne uski bhi hawa tight ho jaya karti thi. Par jab baat Daksh ki hua karti thi toh woh khud me himmat la ke bol hi padta tha. Ab bhi woh Daksh ko sochte hue bohut ghusse me tha. Daksh ke kaaran bohut nuksan uthana pada tha. Vikram Singh ka apna zaati business bhi"jo foreign countries me tha" thap ho chuka tha.

Vikram Singh : babu ji woh ab hamare beech nahi rehta, fir bhi woh aisa kaam kar gaya ha. Jiske kaaran humen bohto ko jawab dena pad raha ha. Kal ke kiye uske kaand ke kaaran humen kitna nuksan uthana pad raha ha. Raaton raat hamara foreign business totally destroy ho chuka ha. Woh ghattiya insan ghar se----------

Raja Thakur : (dahadte hue) vikkkkkrammmmmmmm!!!

Sab ke sab aaj bhiRaja Thakur ki goonjdar awaz par dehal uthte the. Ab bhiRaja Thakur ghusse se dahade toh sabke chehre par pasine ki boonden chamkne lagi.

Raja Thakur : apne shabdo par conttrol banana seekho vikkramn. Pure parivar ke beech me ho tum aur aise shabdo kar upyog kar rahe ho. Sharam aani chahiye tumhe.

Vikram Singh apne mathe par aaye pasine ko pocket se rumaal se rumal nikal kar saaf karte hue bola.. Shama chahta hon babu ji mujhse bhul hui. Mujhe ghussa hi uspar itna aa raha tha. Uske kaaran pehle bhi humen--

Raja Thakur hath utha ke vikram Singh ko tokte hue bole.. "pehle ki baat ka ab koi matlab nahi banta vikram. Abb ki baat karo. Kal raat jo loss humen uthana pada hai, uspar baat karo. Guzri kisi baat par koi bhi zikr nahi hoga"

SabRaja Thakur aur vikram Singh ko hi dekh rahe the. Pehle jo kisi me himmat aai thi Daksh ke baare meRaja Thakur se baat karne ki. Ab woh khud me himmat ko kam hote hue mehsus karne laga tha. Aisa hi goonj thiRaja Thakur ki garajdar awaz me.

Vikram ko bolna toh tha hi. Wo aage bolne laga.

Vikram Singh : babu ji Daksh ke kal ke kiye kaand baare humen puri info prapt ho gai ha. Kaise Daksh ne wahan par hamla karke rpo ke kai gaurds ko maar diya. Sath hi dusri dunya se aaye huon ke pair bhi kaat diye. Kitni mehnat se rpo ne dusri dunya se aaye huon ko hasil kiya tha. Daksh ne unki mehnat ko mitti me mila diya aur shoes lekar kahin ghayab ho gaya. Isi baat ke chalte rpo humen nuksan pohncha gayi ha. Main sirf ye kehna chahta hon, Daksh ko aisa kuch bhi karne se pehle sochna ye sochna chahiye tha. Uske aise karne se humen bhi nuksan pohnch sakta ha.

Vikram Singh ne bohut koshish karke apne lehje me maujud zeher ko kamm kar diya tha. Fir bhi sab vikram Singh ki awaz me Daksh ke liye bepanah nafrat ko mehsus kar gaye the. Par kisi ko bhi vikram Singh ke aise lehje par farq nahi pada sivaye paridhi ke.

Raja Thakur vikram ki baat sunke sab ko dekhne lage. Wahan par alka maujud nahi thi. Wo abhi bhi delhi me thi. Baki sabhi parivar ke sabhi members maujud the.

Raja Thakur : kisi aur ko kuch kehna ha kyaa??

Raja Thakur goonjdar awaz me bole toh sab apne khushk honto par jeeb ferne lage. Ek bar firse sabki himmat jawab de rahi thi.

Raja Thakur kuch der sabko dekhte rahe, kisi aur ke bolne ka intezar karte rahe. Par koi aur nahi bola.

Raja Thakur firse sabko dekhte hue bolne lage.....

Raja Thakur : main janta hon sabke mann me Daksh ko leke bohut kuch ha. Sab usay is maamle me bhi kasoor war thehra rahe han... Itna bol keRaja Thakur firse sabko dekhne lage.

Jab keh aisa nahi ha.......

"jab keh aisa nahi ha" in words koRaja Thakur ne ruk ruk ke bola tha. Aur aisi sakhti in words ko adaa karte samay unke lehje me aa gai thi. Vikram Singh jo abhi bhi khada tha, usay apne pair kaanpte hue mehsus hone lage. Vikram Singh bohut kuch hote hue bhiRaja Thakur ke jaisi power prapt nahi kar paya tha.Raja Thakur ke jaisi goonjdar awaz apne andar nahi la paya tha. Unke dabdabe par khud ko strong nahi bana paaya tha.Raja Thakur ke kahe words me jaan hi itni hua karti thi, sunne wala andar se dehl jaya karta tha. Kamzor dil wale toh gir hi padte the.

Raja Thakur : jab woh is ghar se nikaal diya gaya tha. Toh fir uska is ghar se har tarah ka sambandh khatam ho gaya tha. Uske baad woh kuch bhi karta fire, koi bhi usay poochhega nahi, yahi mera aur sabka faisla tha. Aur hua bhi aisa hi. Pichhle guzre 6 saalon me uska kabhi zikr bhi is haveli me nahi hua. Guzre 6 saalon me usne bhi kuch aisa nahi kiya, jis bina par humen lage keh woh ek baar firse galti kar raha ha. Agar aisa hota toh hum wahin jaa kar uski ankhon me aankhon daal kar baat karte. Usse kehte keh jab tumhara haveli se, hum sab se koi sambandh hi nahi raha toh koi bhi baat haveli se related kyun tumhare moh se nikli. Kyu tumne kuch aisa kiya, ek baar firse tum haveli se jude hue kehlaane lage. Tumhare kaaran is parivar ki izzat par ek baar firse dhabba kyu laga.

Par woh galat hote hue bhi hamara hi khun ha. Ek baar ki galti ke baad usne fir kabhi koi galti nahi kari. Kya tum sab bhul gaye ho. Jab dusri dunya se aane wale hamari dunya me aaye the to koi bhi nahi janta tha, Daksh hamara khun ha. Dk ka asal naam Daksh ha, koi nahi janta tha aur na hi usne kisi ko pata chalne diya. Yahan se jaane ke baad usne sab kuch aise kiya, jisse hamari aan baan shaan par koi ungli na utha sake. Kitne dino ke baad sabhi organization walun ko pata chala, dk hamara khun ha. Aur uska naam dk nahi Thakur Daksh Singh ha.

Daksh ne kisi ko pata nahi chalne diya woh hamare parivar se han. Ye toh rpo aur dusri organizations ko bohut baad me pata chala tha. Aur aisi info toh murdon se bhi prapt kar li jati ha. Daksh toh fir bhi hamara khun ha. Ek indian ha. Kaise na uske baare me sab jaan paate.

Is maamle me Daksh ne hamare hi asulon par chalte hue khud ko sabat bhi kar dikhaya ha.
Humse door ha, par thauruon ki aan baan aur shaan ko badhane wala kaam kiya ha. Mujhe is pure maamle me Daksh kahin bhi kasoorwar nazar nahi aata.

Raja Thakur ki is baat par sab khule moh ke sathRaja Thakur ko dekhte hi reh gaye.

Vikram Singh : par babu ji ye sab toh Daksh ke kaaran hi hua ha na. Usi ki waja se hi toh rpo ne humen itna nuksan pohncha diya ha.

Raja Thakur : Daksh ne kuch galat nahi kiya. Usne wahi kiya jo ek sachhe insan ko karna chahiye tha. Jaan par khel par usne dunya ko ke badi tabahi se bachane ki koshish ki ha. Bhul gaye ho to main tumhe bata dun, usay ek goli bhi lagi thi. Wahi goli uske kandhe par na lagte hue sar me bhi lag sakti thi aur woh hamesha ke liye is dunya ko chhod kar bhi ja sakta tha. Agar aisa hota toh Daksh Thakur ke waja se na sirf tahkur khandan na naam roshan hota, balki pure desh me usi ka naam liya jaata. Jab jab insaniyat ke liye mar mitne walun ka zikr hota, tab tak Daksh Thakur ka bhi naam liya jata.

Raja Thakur jab ye bat bole the toh pehli baar arjun Singh, rohini Singh, payal Singh ke dil ki dhadkan ruk si gai thi. Kandhe par lagne wali goli sar me bhi lag sakti thi. Aur yadi aisa hota toh Daksh ka khel hamesha ke liye khatam ho jata. Rohini Singh bethe bethe apne dil ko thaam gai thi. Payal Singh ko dard hua tha. Par woh sar jhatak gai thi. Sabse zayada buri halat paradhi ki ho rahi thi. Badi mushkil se woh khud par kaabu paaye hue the. Is haveli me ek wahi toh thi, jise Daksh ki hamesha se pure mann se chah rahi thi. Jo hamesha se uske laut aane ki aarzo kiya karti thi. Jaane kitni baar mandir me jaa ke apne bhai ke laut aane ke liye puja karwa chuki thi.

Raja Thakur ke shabdon ne sabpar sannata sa taari kar dia tha. Kaiyo ki toh saans hi ruk si gai thi. Kuch Daksh ke liye ye sunke preshan ho gaye the toh kuchRaja Thakur ko Daksh ki favour me bolte dekh kar heran reh gaye the.

Daksh ko haveli se nikalne me akeleRaja Thakur ka hi hath nahi tha. Sabne apna apna role play kiya tha. Par Daksh Thakur ke haveli badar ho jaane ke baad uska zikr nahi hua tha. Aaj uska zikr hi nahi ho raha tha, aaj tohRaja Thakur Daksh Thakur ki puri puri favour bhi kar rahe the.

Raja Thakur sab ko baari baar dekhne lage.

Raja Thakur : Daksh ne jo kiya woh sahi kiya.. Parr.. Ye uski apni life ha, woh jaise chahe ji sakta ha. Usay ye rasta sahi laga toh usne is raste ko apna liya. Ab woh jis raste par chal pada ha. Us raste me us zindagi milti ha ya maut. Humen ispar charcha karne ki zarurat nahi ha.

Zarurat ha toh keval is baat ki. Rpo ki himmat bhi kese hui sab kuch jaante hue bhi hamare sath aisa karne ki. Kya woh nahi jaante, pichhle 6 saalon se hamara aur daskh ka sambandh hamesha ke liye khatam ho chuka ha. Fir bhi agar rpo aur dusri organizations humen pareshan karti han toh kya tum sab ne hathun me choodiyan pehn rakhi han. Jo unko jawab nahi de sakte. Kayron ki tarah Daksh Thakur ko dosh rahe ho. Hamare ek ishare par puri sarkar dagmaga jaya karti ha toh kya hum rpo ki ankhon me ankhen daal kar baat bhi nahi kar sakte.

Rpo ke sath ab kya karna tum samjh sakte ho. Ya main ye samjh loon, is ghar me mere baad ek hi sher tha, woh nahi raha toh to tum sab nakara ho gaye ho.

Raja Thakur ki is baat par arjun Singh uth khada hua.

Arjun Singh : babu ji! Aapka koi bhi beta ya pota nakara nahi ha. Hum itni himmat aur taqat rakhte han rpo ya koi bhi org ho, unki ankhon me ankhen daal kar baat kar saken. Aise bohut se raste han, jinpar chalte hue hum apna nuksan bhi pura kar sakte han. Aur rpo ko warning bhi de sakte ha. Hamara nuksan woh karenge toh unka nuksan bhi karne ki himmat hum khud me rakhte han.

Raja Thakur : agar aisi baat ha toh fir haveli par ye maatam jaisa mahaul kyu bana rakha ha tum sabne. Kyu sab ke sab ek sath hoke ek ko nishana banate hue nuksan ka zimmedar maan rahe ho. Woh kuch bhi sahi galat kare. Tum sab milke apna apna difah karo. Apne business ki, apne parivar ki raksha karo. Dushman agar moorkhta karta ha toh usay jawab do. Bandooq ki goli se do ya fir shabdo ke zehreele waar se. Hamare sath galat karne walun ko chain se baithne ka koi haq nahi ha. Fir chahe woh aam insan ho ya rpo jaisi koi organization.

Itna bolne ke baadRaja Thakur uth khade hue. Sab bhiRaja Thakur ke samman me uth khade hue..

Raja Thakur apne kamre ki or badhne lage. Kamre me parvesh karne ke baad lock lagaya lights on karke bed par baith gaye.

Foran hiRaja Thakur ke brain me Master CHI-FANG ki awaz sunaai dene lagi.

CHI-FANG :Raja saab aaj bhi aapki awaz me ghan garj barkarar ha.

Master CHI-FANG telepathy dwaraRaja Thakur se rabte me the.

Raja Thakur : Master! Kaisa ha ab mera pota.Raja Thakur ki awaz me zamane bhar ki mithas thi, zamane bhar ka pyar thaRaja Thakur ke shabdo me apne pote ke liye.

CHI-FANG :Raja saab, aapka pota aapke jaisa hi sher jawan ha. Goli ka ghao bhi uska kuch nahi bigad saka. Sher ha wohRaja saab! Babbar sher.

Raja Thakur apni moonchhu ko taao dene lage. Toh Master CHI-FANG joRaja Thakur ke diamg me the. Sab dekh rahe the. Woh halki awaz me hasne lage.

Raja Thakur bhi has pade.

Raja Thakur : Master! Zinadgi ke in akhri lamhat me aapne mujhe mera pota hi nahi lautaya ha. Mujhe apni meri galti bata kar, meri orr se hue pehle aur akhri galat faisle ko sudharne ka moka bhi diya ha.. Mujhe ye bata dia ha mera pota galat nahi tha. Kkoi khel khela gaya tha mere pote ke sath. Par aap mujhe sab sach nahi bata rahe. Aap toh mere dimag me rehte hue mere andar ka sara haal jaan chuke han. Kitni badi galti hui thi mujhse. Par mai bhi kya karta, jaisa sab mere saamne aaya tha. Main kaise koi aur faisla le bhi kaise sakta tha.

CHI-FANG :Raja saab aapse koi galti nahi hui thi. Samay ne apni chaal chali thi. Kuch shatir log the, jo khel ko badi umdagi ke sath khel gaye. Aur sabne Daksh bete ko galat jaan liya. Par aap sab ye bhul gaye theRaja saab! Daksh aapka hi khun tha. Itni badi galti woh kaise kar sakta tha.

Raja Thakur ansu bahane lage.Raja Thakur jinki ankhon se hamesha sholay nikla karte the. Aaj unhi ankhon se aansu beh rahe the. Ye ansu toh kai dino se beh rahe the.

Daksh ke temple pohnchne ke baad Master ne telepathy dwaraRaja Thakur se rabta kiya tha. Daksh ke baare me kuch kuch bata diya tha Master neRaja Thakur ko. Pehle tohRaja Thakur ko yakin hi nahi aaya tha. Fir jab Master ne apna pura parichay karwaya tohRaja Thakur ko yakin aa gaya tha.Raja Thakur Master CHI-FANG ke baare me bohut kuch jante the. Kabhi milna nahi hua tha, par jaante bohut kuch the Master CHI-FANG ke baare me.

Raja Thakur Master ko apne brain me bhi ghuse hue paa ke yakin kar gaye the.. Tab seRaja Thakur ki halat bohut kharab thi.

Bazahir woh sabke saamne wahi rehte the, par akele me woh toot jaya karte the. Kitna galat faisla woh apni zindagi me le baithe the. Ek hi toh unke jaisa pota tha. Warna toh pure parivar me unke jaisa koi nahi tha.Raja Thakur hamesha Daksh me khud ko dekha karte the. Daksh ke kaand ke baad bhi woh toot gaye the. Unhe Daksh ke baad apne jaisa koi aur nahi dikha tha. Isi baat ke chalteRaja Thakur patthar dil bhi ban gaye the.

Tabhi last time stadium me hue faisle parRaja Thakur ne saza me bhi izafa kar dia tha. Izzaton ke sath khelne wale kabhi bhiRaja Thakur ko achhe nahi lagte the. Apne sher jaise pote ko saza suna kar unke andar ka ghussa aur bhi badh gaya aiso ke liye. Jab unka bekasoor pota inti zillat, itni badi saza jhel sakta tha toh dusron ke liye toh maafi ka koi option hi nahi banta tha.

CHI-FANG :Raja saab aap ki ankhon me aansu achhe nahi lagte.

Raja Thakur : Master! Ye ansu toh meri, mere pote se mohabbat ke han, uske sath ki gai nainsafi ke han. Ye toh ab behte hi rahenge. Master main kab mil sakunga apne pote se. Kya wo mujhe maaf kardega. Kya firse main uska wahi pehle wala dada ban sakunga.

Raja Thakur badi hasrat se bole. Master CHI-FANG ne ek lambi saans li toh woh saansRaja Thakur ko apne diamg me bhi mehsus hone lagi. Bada ajib sa ehsas thaRaja Thakur ke liye.

CHI-FANG :Raja saab, dil ka dard, apnu se mila dard, dhutkaar ka dard toh itni jaldi jaayega nahi. Aise zakham itni jaldi nahi bhara karteRaja saab. Pichhle 6 saalo se daskh beta ek marine life jeeta aa raha ha. Ab ja ke uski life me kuch changes aane lage han. Mujhe ummid ha trainning ke pure hote hote Daksh beta andar se bohut badal chuka hoga. Ek baar maine zikr bhi kiya tha, nimuns ke aa jaane se uske parivar par bhi khatra badh gaya ha. Ye sunke woh bohut ghuse me aa gaya tha. Uske chehre ke bhav dekh ke maine jaan liya. Aap sab se mili, nafrat, dhutkar bhi usay hamesha ke liye aap sab se door nahi kar saki haRaja saab. Aap sab par bene khatre me woh hamesha sabse aage rahega.

Raja Thakur ka seena garv se chauda ho gaya.

Raja Thakur : akhir pota kiska ha. Bhale hi humne usay dhutkaar dia tha. Par hamare diye sanskar uske andar se nahi gaye. Apne parivar ki raksha karke woh apna farz bhi hamesha hi nibhata rahega.

CHI-FANG : yahi ek cheez toh mujhe uske andar sabse zayada achhi lagi haRaja saab. Jitna dard usay mila ha, usay badal jana chahiye tha. Par woh nahi badla. Badon ko samman dena, apnu ke liye jaan par khel jana, ye khasiyat Daksh bete ke andar se kabhi nahi ja sakti. Yahi khasiyat ek din Daksh bete ko aap sab ke paas bhi le kar aayegiRaja saab. Par Daksh bete ke lautne se aur sab kuch jaan lene se aapke umar bhar ke banaye usool bhi reza reza ho jayenge.

Raja Thakur : Master! Yahi baat aap pehle bhi kai baar bol chuke han, par mujhe kuch batate nahi.

CHI-FANG : kaise bataonRaja saab! Waqt khud batayega aapko. Jaisi aag Daksh bete ke andar bhar di gai hai. Uska kuch to result niklega hi. Abhi woh kuch janta nahi haRaja saab. Jab woh bhi meri tarah telepathy me mahir ho jaayega toh fir kuch bhi usse chhup nahi sakega. Jo sach saamne aayega, Daksh beta woh kuch kar jaayega, jo aap soch bhi nahi sakte. Maine jaan liya ha sab sachRaja saab. Par main Daksh bete ko ya aapko kuch bhi nahi bataonga. Samay khud hi Daksh ke saamne sab kuch khol kar rakh dega. Fir Daksh beta khud se hi faisla lekar har kisi ke sath insaf karega. Achhu ke sath achha toh bura karne walun ke sath bura bartao karega. Uski ragon me aap sabb se mila shabdo ka zeher daud raha haRaja saab. Aur shabdon se ragon me bhara zeher dunya ki koi medicine, koi jadibuti khatam nahi kar sakti. Daksh beta khud chahe toh khatam kar sakta ha apne andar ka zeher, woh bhi khud se lad ke. Par maine itna strong insan apni puri zindagi me aaj tak nahi dekhaRaja saab. Jo Daksh bete jaise halaton se guzra ho aur fir sab jaan kar khud par control bana jaaye. Namumkin ha yeRaja saab.

Raja saab Master CHI-FANG ki baaten sunkar bohut preshan ho gaye the. Woh kuch kar bhi toh nahi sakte the. Bole toh bas itna hi.

Raja Thakur : Master! Maine apni zindagi guzar li ha. Ab mere bachhon ne jeena ha, is dunya ko apne hisab se dekhna ha. Daksh bete me hamesha hi maine khud ko dekha ha. Uske jaane ke baad main kisi aur me khud ko nahi dekh paya. Mujhe koi is layak dikha hi nahi. Aapne mujhse rabta karke jitna zaruri tha, mujhe bata kar mera pota mujhe lauta diya ha. Theek ha mere baad Daksh beta ya koi aur mere jaisi zindagi nahi ji sakta. Mera naam mere hisab se aage nahi badha sakta. Par mujhe koi gham nahi ha Master. Mere pote ne toh woh zindagi choose kar li ha. Jiske baare me main kabhi khawab me bhi soch nahi sakta tha. Maine hamesha hi apne baap dada ke naqshe qadam par chalte hue unke naam ko, apne khandan ke naam ko asmaan ki bulandiyon par pohnchaya ha. Par Daksh bete ne ek aisi zindagi apne liye chun li ha. Jiski barabri main kabhi bhi nahi kar sakta. Maine toh chand logon ki bhalai ke liye apna jeevan bita diya tha Master! Par mere pota Daksh Thakur toh puri dunya ke logon ki bhalai ke liye khud ko tyag raha ha. Main bata nahi sakta Master! Garv karne karne ki agar koi limit ha toh us limit se bhi kahin badh kar mujhe apne pote par garv ha.

Jaisa aapne bataya Master! Mujhe apni zindagi ke rules tootte hue bhi dekhne padenge. Kuch aisa dekhne sunne ko bhi mujhe mil sakta ha. Jise dekhne sunne ki shakti mujhme nahi ha. Toh Master aap main aapse kehta hon. Mujhe jitni bhi peedan aane wale samay me jhelni padne wali han, usse kahin badhkar shanti prapt hogi mujhe Master. Mera beta anekon ko jeevan dekar, anekon ki zindagi banane ja raha ha. Yahi baat mujhe milne wali har peedan me bhi rahat degi Master. Main apne sare asul tootte hue bhi dekhne ke liye tayyar hon Master aur Daksh bete ki or se milne wali peedan jhelne ke liye bhi.

Raja Thakur ki ankhon se aansu ek tasalsal se beh rahe the. Aisa ronaRaja Thakur ko pehle kabhi nahi aaya tha. Ye aansu peedan ke nahi the, ye aansu us khushi ke the, joRaja Thakur ko apne zaleel o khuwar karke nikaale gaye pote ki orr se mili thi. Aise pote ki orr se mili khushi ke the, jiseRaja Thakur ne, sabne milkar dhutkara tha, dhakke maar maar kar haveli se nikaal diya tha.

Jis khushi ki ummidRaja Thakur ko kabhi nahi thi. Woh khushiRaja Thakur ko mil rahi thi. Pota hi nahi mila tha. Ek aisa pota mila tha. Jiska saani puri dunya me koi nahi tha. Jisne abhi trainning shuru hi ki thi keh ek bada mission bhi sar-anjaam de diya tha. Kaise na firRaja Thakur apne pote ki orr se milne wali itni badi khushi par aansu bahate.

Kuch der aur baten hoti rahi, fir Master CHI-FANG ne rabta khatam kar dia.Raja Thakur uthe aur lights on karke Daksh Thakur ki ek tasveer nikal kar uspar hath ferne lage.

Raja Thakur : mujhe maaf kar dena Daksh beta. Apne ahankar ke chalte main apni budhi ka upyog bhul gaya tha. Sabse zayada main kasoorwar hon Daksh beta. Dusre sab toh mand budhi the. Par main toh hamesha hi budhi ke khel me Mastermind raha hon. Par tumhare maamle me main ahankar ka shikar ho gaya tha Daksh beta. Bohut badi galti hui ha mujhse. Ho sake toh mujhe maaf kar dena Daksh beta. Dusron ki zindagi ke sahi faisle karte karte umar guzar di. Par apne hi pote ki zindagi ka ek faisla sahi nahi kar saka. Mujhe maaf kar dena mere bete.

Raja Thakur Daksh ke baare me jaan kar pure hi badal gaye the. Bahar se sabke liye wahi the. Par andar se unka kuch bhi pehle jaisa nahi raha tha. Na soch aur na hi ab asul pehle jaise rahe the. Asulon ki hi waja se, ahankaron ki waja se wo apne pote ko kho bethe the. Ab kaise ahankar aur asul salamat reh sakte the. Ahankar aur asulon ka ab sirf dikhawa hi reh gaya tha.



:::::::::::::::::::::


Master CHI-FANG khud me bohut kuch the. Sharirik aur mansik bohut se maamlon me unka pure china me koi jod nahi tha. Telepathy wali skill bhi pure china me koi prapt nahi kar paya tha. Ye khalis hindustani skill thi. Master CHI-FANG bhi ek baar india kisi kama se aaye the toh us samay ke ek mahaan gyani ne lok seva ke chalte Master CHI-FANG ko telepathy seekhne me madad di thi. Master CHI-FANG kabhi bhi ise seekh nahi sakte the. Ise seekhne ke liye ek mahaan guru ki zarurat hua karti ha. Aur china me kya us samay puri dunya me koi guru nahi tha. Sivaye hindustan ke.

Master CHI-FANG Daksh ko paa ke bohut khush the. Ek toh unhe apne purkhu ki virasat ke liye Daksh mil gaya tha. Dusra telepathy wali skill firse hindustan ke ek jayale ko lauta kar Master CHI-FANG us mahaan gyani ka karz bhi chuka dena chahte the. Daksh bhi toh lok seva ke liye hi khud ko tyag chuka tha. Master CHI-FANG kaise na fir Daksh ko apna sab kuch aur mahaan gyani ki orr se mili telepathy ki skill se na nawazte.

Master CHI-FANG yoga ki alag alag aur hard kisam ki exercise karwa kar Daksh ko mentally bohut strong bana rahe the. Master SHOON-LI jo kuch bhi sikha rahe the. Uska 70% usi mahaan gyani ka sikhaya hua tha. Jo Master SHOON-LI Daksh ko sikha rahe the.


:::::::::::::::::::::

Kandhe ka zakham Tiger ke liye kuch din ki rest le kar aaya tha. Tiger fighting trainning nahi kar paa raha tha. Dono Master milkar Tiger ko yoga ki trainning dene lage.

Aisa ek hafte tak chalta raha aur Tiger ke kandhe ka zakham puri tarah se theek ho gaya. Tiger khud ko inti jaldi kandhe ke bhayankar zakham se nijat paate dekh kar bada heran hua tha. Master CHI-FANG ne Shimuna se keh ke kuch aur samudri jadibutiyan mangwa li thi. Usi ke bal par ek toh Tiger ka zakham jald theek ho gaya tha. Dusra Tiger ke brain ko aur bhi power mil gai thi. Master CHI-FANG telepathy khud 7 months me seekh paaye the. Par woh Tiger ko jald se jald se sikhana dena chahte the. Aur Tiger ke liye ise seekh pana abb bilkul bhi mushkil nahi raha tha.

Telepathy seekhne ke liye inteha ki will power ki zarurat rehti ha. Jo Daksh me alleady thi. Mentally power usay Shimuna ke kaaran pehle khayi rare things se mil chuki thi. Mazeed ab ki mangwai rare jadibutiyon ne aur Master ki alag alag pose ki yoga exercise ne puri kar di thi.

Roz subah savere pahaad ki choti par baith kar Tiger suraj ko dekhte hue, bina palken jhapkaye yoga karne lagta. Usay kuch bhi pata nahi tha. Master usse aisa kyu karwa rahe han. Par woh laga raha.

Sab kuch behad speed se ho raha tha. Ek hafte me hi Tiger ki ankhon ki kashish bohut zayada badh gai thi.

Agle ek hafte me Master ne Tiger ko telepathy par lecture diya toh sunke Tiger bada heran hua.

Tiger : Master meri trainning se telepathy ka kya sambandh hai.

Mster CHI-FANG aur Master SHOON-LI dono Tiger ke paas the. Shimuna us samay wang-zhi ke sath thi. Koi bhi itne dino se upar temple par nai ja raha tha. Master Tiger ki trainning me badlao le aaye the.

CHI-FANG : (smile) Tiger beta ye jitni bhi trainning tumse karwai ja rahi ha. Iska 70% sambandh telepathy se hi ha.

Tiger :(shokced) kyaaaaaaaaaaaaaaaa??

Chi-Fang : Haan Tiger beta. Main telepathy bhi janta hon aur saalon se isi telepathy dwara tumhare baare me sab jaanta raha hon. Kabhi zahir karne ki koshish nahi ki maine. Tum bhi jab seekh jaao, toh kisi ko pata mat chalne dena. Mujhe telepathy tumhare hi desh ke ek mahaan gyani ne sikhai thi. Woh meri lok seva se bohut khush hue the. Ab main chahta hon tum bhi telepathy seekh jaao. Isse logon ki preshaniyon ko janne me asani rahegi aur sazishon ko benaqab karne me bhi asaani ban jaayegi.

Tiger par toh Master CHI-FANG ke ek ek shabd par hairaton ke pahaad toot rahe the. Tiger telepathy ke baare me bohut kuch jaanta tha. Ye bhi janta tha, bohut se gyani telepathy bhi jante han. Woh bhi kabhi ise seekh paayega, ye nahi socha tha Tiger ne.

Tiger hairat ki tasveer bana dono Masters ko baari baari dekh raha tha....

.
.
.
.

Aaj Ke liye Inta Hi Mitro! Milte Han Agle Episode Ke Sath jald Hi...

::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
super update
 

navrose

Member
403
241
43
Episode:15




Tiger telepathy ke baare me Master CHI-FANG se sunke heran reh gaya tha. Jaisa sab uske saamne discuss kiya gaya tha. Tiger sab sun aur jaan ke heran reh gaya tha.

Uski trainning ka 70% telepathy se related tha. Ye jaan ke uske andar hulchal mach uthi thi. Powerfull hona, fighitng me expert ho jana aur baat thi. Shimuna ki power ka usay mil jana bhi khaas baat thi. Par telepathy ki barabri koi bhi chiz nahi kar sakti thi. Tiger janta tha, aisa insan fir chahe toh puri dunya par raj kar sakta tha. Ye sab sochkar Tiger ke dil ki dhadkane bekabu hone lagi thi. Tiger bohut zayada purjosh bhi ho gaya tha. Dono Masters Tiger ko aur Tiger dono ko dekh raha tha.

Tiger : Master telepathy seekhne ke liye toh maine suna ha, saalon bhi lag jate han aur kai toh pagal bhi ho jate han. Bohut mushkil kaam ha telepathy seekhna. Tiger apne dil ki bigdi halat par kaabu paate hue bola.

CHI-FANG : Tiger beta kuch bhi asaan nahi ha toh kuch bhi namumkin nahi ha is dunya me. Kathin priksha me tum safal rahe ho. Jaisi prikshayen tumse li gai han, un parikshaon me tumhare siva koi aur safal ho hi nahi sakta tha.

Pehli priksha me tum nahi dagamagaye toh ab bhi nahi dag-magaoge. Mushkil hogi, pareshani bhi bohut banegi, par tum safal rahoge. Jo zaruri tha, woh tumhare aate hi shuru karwa diya tha humne. Ab ke marahal kuch aur bhi kathin honge. Par tumhare liye un marahal ko paar kar jana bhi mumkin rahega. Tum andar se bohut strong ban chuke ho.
Ab se tumhe raat 1 baje sona hoga aur 4 baje uthna hoga. Din me 1 ghante sone ke liye tumhe diya jayenga.

Tiger : Master 24 hours me sirf 4 gahnte ki nind.. Aise toh main bimar pad jaonga.

CHI-FANG : ye zaruri ha Tiger beta. Tumhe zarurat ha ek best brain ki, bohut zayada brain power ki, bohut samay tak brain ke upayog ki. Kai kai din tak tumhe regular jaagna bhi pad sakta ha. Main bhi jab apne mission anjaam diya karta tha, toh 8-10 tak sone ka bhi samay nahi milta tha.

Tiger : kyaaaaaaaa? Tiger heran reh gaya tha Master ki is baat par. Master koi itne din tak kaise bina soye reh sakta ha.

Tiger ki baat par Master CHI-FANG mand mand muskurane lage.

CHI-FANG : Tiger beta, zara yaar karke batana, 6 saal pehle jab tum ghar se nikle the. To kitne raaten chain ki nind soye the.

Tiger Master ki baat par soch me pad gaya. Usay yaad aane laga, jaisa saluk uske sath karke usay ghar se nikal diya gaya tha. Pehle ek mahina toh wo chand ghanton ke liye bhi so nahi paya tha. Bohut baad me usay kuch ghanton ki nind aane lagi thi. Warna sari sari raat hi karwaten badalta rehta tha, ya kamre me tehla karta tha.

CHI-FANG : jab hum tension me hote han, kisi gehre sadme me hote han, tab hum kai kai raten bina soye kaat lete han. To fir khud se bina kisi preshani ke kyun nahi. Kuch bhi asambhav nahi hota. Haan dimagi thakan bohut badh jaati ha. Usi thakan ko kamm karne ke liye tumhe yoga ki alag alag exercise karke, samudri jadibutiyan kha ke apne dimag ko strong banana hoga.

Tiger beta tumne puri dunya dekh dali ha. Dunya ke kai mulkon me ghoom aye ho. Par tum dunya ke baare me kuch bhi nahi jante. Na toh main apne aap me akela hon, mujh jaise aur bhi kai is dunya me honge. Tum mujhse trainning le rahe ho. Bohut kuch ban jaoge. Telepathy seekh rahe ho, fighitng seekh rahe ho, jismani aur diamgi taur par bohut zayada strong ban rahe ho. Par aise banne wale tum pehle nahi hoge.

LORD BUDDHA ne koi bhi kala kisi ek insan me nahi rakhi. Koi bhi kisi bhi kala ko prapt kar sakta ha. Main samjhta hon, is pure china me mere jaisa koi nahi ha. Par main galat bhi ho sakta hon. Sab saamne bhi toh nahi aate. Samna karne par hi saamne aate han. Main jab apne mission ko anjaam dene ke liye alag alag desho me alag alag tarah ke bure logon se takraya karta tha toh mujhe kai aise bhi mile jo dekhne me mujhe khud se kam bhi nahi lage the. Tum bhi is baat ko saamne rakh ke sab seekhne ki koshish karna. Is dunya me ser par sawa ser maujud han Tiger beta. Tumhari raah me abhi se hi bohut se dushman aane lage han. Aage chal ke aise bohut se dushman bhi tumhe milenge, jinka saamna karte hue tumhari telepathy bhi kaam nahi aayegi.

Apne dimag ko strong banao, ladna seekho, chalaki seekho, dayalo bano, darindo ke liye darinde bano. Pyar karne walun ke sath pyar karo, buron ko khatam karo. Aur aisa sab tum sirf khud ko mentally strong bana ke hi kar sakte ho. Physicall strong hona achhi baat ha. Par jahan baat dimag ki aati ha, kisi aur cheez ki value nahi rehti. Isliye khud ko dimagi taur par strong se strong banane par zayada dhayan do.

Tiger Master ki ek ek baat par pura pura dhayan de raha tha. Kuch bhi asaan nahi tha. Sun lena aur baat thi, uspar amal karna aur baat.

Raat 10 se 1 baje tak Tiger ko ek aise kamre me rehna tha. Us kamre ki uttar disha me ek roshan dan tha, do hath ke faasle par ek chhoti table par ek mombatti dhari thi. Tiger usay dekhte hue telepathy ki mashq karne laga. Pehle din Tiger ki ankhon me bohut jald paani aane laga, dard bhi hone laga. Par usay rat ek baje tak shama beeni karni thi. Fir so jana tha.

Tiger ki telepathy ki trainning shuru ho chuki thi...

Subah uth ke pahad ki choti par jata, wahan baith ke suraj ke nikalne tak yoga karta.
Wahi ek ped par chaku se dane barabr ek nishan bana dia Master ne.

Master ne Tiger se kaha, us nishan ko dekhte rehna ha. Apne mann me ye bolna ha, main jis nishan ko dekh raha hon uska colour woh nahi jo dikh raha ha, uska colour nila ha. Fir jis colour ko Tiger apne mann me dohrayega, ped par bane nishan ka colour bhi wahi dikhna chahiye.

Tiger ke liye ye kaam shama beeni se bhi mushkil tareen kaam tha. Bhala ek balck colour ke dikh rahe nishan ka colour koi aur kese ho sakta ha. Par Tiger ko aisa karna to tha hi. Ye telepathy seekhne ke liye sabse zayada zaruri tha. Tiger laga raha, par koi fark nahi pad raha tha. Teen ghante tak usi nishan ko takta raha.

Ek hafte tak Tiger ki yahi routine chalti rahi...

Dusri raat se shama beeni karte hue Tiger ki ankhon ka pani kam hone laga tha. 2 din me pani aana band ho gaya. Tiger aur bhi dhayan laga kar shama beeni karne laga. Agle 4 dino me Tiger ko apni ankhon me magnetic power ka ehsas hone laga. Badi jaldi Tiger me change aa raha tha. Warna is stage tak pohnch paane ke liye bhi kai logon ko 4 4 mahine lag jaya karte the.

Tiger will power me kaiyon se better tha. Marine life ne Tiger ki will power ko aur bhi badha diya tha. Saalon se apne parivar se door raha tha. Is baat se bhi Tiger ki will power badhi thi. Shimuna ke kaaran samurdi phal aur bhi najane kya kuch khaa chuka tha. Master chi-fang ne Shimuna se aur bhi kuch jadibutiyan mangwa kar Tiger ko khila di thi. Us kaaran bhi Tiger me bohut speed se badlaao aa rahe the. Shimuna ki laai gai rare things milna mumkin nahi thi. Isliye koi Tiger ke jaisa nahi tha. Dunya me kahin aur Tiger se badhkar ho sakta tha. Par jis maamle me Tiger aage badh raha tha. Aise koi aur aage nahi badh raha tha.

Master SHOON-LI ne Master CHI-FANG ko Tiger ki ankhon me ai magnetic attraction baare bataya toh Master CHI-FANG Tiger ke paas pohnch ke Tiger ko aage ka lecture dene lage.

Tiger ki dilchaspi aur bhi ab badh gai thi. Tiger aur bhi mann laga kr seekhne laga.

Din guzarne lage aur Tiger ki ankhon me magnetic attraction badhne lagi. Ek mahine ke baad hi Tiger ko mehsus hone laga, mombatti ka nanha sa shola uske dimag ko chhune laga ha, uski ankhon me utarne laga ha. Uske uske ird gird rasq karne laga.

Ped par banaye nishan ko ab Tiger mann me rang badal badal kar dekhne laga. Tiger apne brrain me bolta, ped par saamne jo nishan nazar aa raha ha, woh blue colour ka ha. Sach me hi Tiger ko woh blue colour ka nazar aane laga. Tiger fir bolta, nahi nishan blue colour ka nahi, green ha, toh woh nishan Tiger ko green nazar aane lagta.

Tiger apni daily report Master SHOON-LI ko de raha tha. Kuch bhi Tiger me badlaao aata toh Master SHOON-LI Master CHI-FANG ko bataye. Woh khud bhi toh telepathy nahi jante the. Master CHI-FANG fir aage ka Tiger ko batane lagte.

Jab tiger is stage par pohncha toh Master ne Tiger ko bula liya. Tiger khushi khushi Master CHI-FANG ke paas ja pohncha.

Master CHI-FANG bhi Tiger ko dekh kar bohut khush hue. Tiger ko lekar Master CHI-FANG usi kamre me le gaye, jahan ek baar Master Tiger aur Shimuna ko lekar gaye the. Jaise Shimuna ke liye Master ne smell wala experiment kiya tha. Ab wahin Master CHI-FANG ne usi kamre ko itna thanda bana dia, Tiger thar thar kaanpne laga.

Tiger : Master itni thand. Kya meri kulfi banane ka irada ha.

CHI-FANG : Tiger beta, mujhe dekho main bhi toh tumhare sath hi hon. Main toh boodha bhi hon, mujhe tumse kahin badhkar thand lagni chahiye. par main normal hoon.

Tiger : isi baat par main heran hon Master.

CHI-FANG : Tiger beta tum itni dino se shaam beeni kar rahe ho. Kya tum khud ko is sardi se bacha bhi nahi sakte.

Tiger : shama beeni ka is sardi se kya talluq Master.. Tiger ke ab dant bajne lage the.

CHI-FANG : Tiger beta apni hatheli ko dekhte hue vese hi dhayan lagaao. Jese shama beeni karte samay lagate ho, dekho mombatti ki wahi lo tumhe apni hatheli me dikhti ha k nahi. Tiger heran to hua par Master ki baat par amal karte hue apni hatheli ko dekhte hue dhayan lagane laga. Apne dimag se har kisam se khayal nikal kar Tiger apni hatheli par shama ko dekhne laga. Kuch der lagi, par Tiger ka dhayan bandh gaya aur Tiger ko apni hatheli par shama ki lo dikhaai dene lagi. Sath hi Tiger ko apne pure jism me garmi bhi badhti hui mehsus hone lagi.

Kuch der me Tiger normal ho gaya. Ab usay sardi nahi lag rahi thi. Ab toh usay garmi ke kaaran pasina aane laga tha.

Master CHI-FANG Tiger ko dekh kar mand mand muskurane lage. Fir woh Tiger ko badhai bhi dene lage.

CHI-FANG : Tiger beta yahi ha, tumhare itne dino ki mehnat pa phal. Shama ki lo ab tumhare barin me, tumhari ankhon me utar aai ha. Ab der nahi lagegi aur tum telepathy seekh jaaoge. Jaante ho is stage tak aane ke liye mujhe 5 mahine lage the. Wo bhi ek mahaan gyani ke rehte hue. Maine tumhe sikhane ka prayas kiya ha. Seekha tumne khud ke balbote par ha. Auron ko is stage par pohnchne me 3-4 saal lag jaate han. Kai to is stage tak aate aate pagal bhi ho jaya karte han. Par tum safal rahe ho.

Ab mujhe ped wale nishan ke mutallaq bataao. Tiger batane laga, apni progress dene laga. Master sunke aur bhi khush hogaye.

CHI-FANG : kal se dhayan lagana, is dunya me pheli hui awazon ko sunne ki koshish karna. Fir mujhe batana keh tumhe awazen sunaai deti han ya nahi.

Agle din Tiger ne ped par dhayan lagaya, ped par bane nishan ko dekhte hue dhayan lagane laga. Apne dimag ko har kisam ke khayalat se khali karne laga. Jald hi woh pure mann se dhayan me ho gaya. Tiger ne aas pass ki pheli hui awazon ko sunne ki koshish ki toh bepanah shor se sath, harzon lakhon awazen ek sath Tiger ko sunaai dene lagi. Tiger hadbada kar dhayan se bahar nikal aaya. Tiger bada heran tha.

Master CHI-FANG se milke unhe batata toh Master CHI-FANG Tiger se bole.

CHI-FANG : wo awazen puri dunya par phele hue insano aur jeevo ki awazen thi Tiger beta, jo tum sun rahe the. Kal se ab keval us nishan ko apne size se thoda bada karke dhayan lagana ha, aur un awazon me se kisi ek awaz par apna focus banana ha. Jab aisa kar jaao to fir mujhe batana.

Tiger lag gaya apne naye kaam pe. Aur ye kaam Tiger ke liye ab tak ki trainning ka sabse mushkil kaam tha. Tiger jaise daring man ke bhi hosh tak gumm hone lage, jab un awazo ke sath hi usay ajib o gareeb ehsasat ne aan ghera. Tiger ko aisa lagne laga, jese uske aas paas koi maujud ho aur lambi lambi saanse le raha ho. Jab bhi aise ehsasat Tiger me paida hote to Tiger ke ronghte khade ho jaya karte the.

Shama beeni karte samay bhi aisa hi kuch uske sath hone laga tha. Shama ki lo ko takte hue usay lagta, jaise koi usay dekh raha ho. Koi aatma, koi bhoot preet, koi chudail.

Tiger ne jab Master ko ye sab bataya. Toh Master CHI-FANG Tiger se bole.

Shi-fang : ye sab tumhare brain power ke kaaran aisa ho raha ha Tiger beta. Warna aisa kuch nahi ha. Tum telepathy seekh rahe ho toh brain ke andar ke bohut se hisse working karne lage han, Jaagne lage han, jisnke kaaran aise ehsasat ka saamna tumhe karna pad raha ha. Tum bas apna dhayan yahan par mat tootne dena, warna bila kisi shak o shube ke tum pagal ho jaaoge.

Tiger ek bar toh dara, lekin fir woh dat gaya. Tiger ki aisi hi lagan ke kaaran toh Master CHI-FANG ne Tiger ko select kiya tha. Itni badi zimmedari aise hi toh nahi Tiger ke kandhon par daal rahe the.



::::::::::::::::


Shimuna bhi wang-zhi ke sath apni yoga aur fighting trainning ko jaari rakhe hue the. Ab woh aksar wang-zhi ke sath upar temple me jaane lagi thi. Dono bohut achhi friends bhi ban gai thi. Dono ka time achhe se spend hone laga tha. Jabse Tiger ki hard trainning shuru hui thi, Tiger aur Shimuna bohut kam ek dusre se mil paate the. Tiger ke pass time hi kahan bachta tha, Shimuna ya wang-zhi se milna ka.


::::::::::::::::


Jab raja thakur ne sabke saamne daksh ki favour me baat kari thi. Toh sab bohut heran hue the. Preshan bhi hue the. Kuch ne la-tallaqi ka izhaar kiya tha.

Paridhi ko zarur apne bhai ke liye dard hua tha. Itne saalon baad apne dada ke moh se apne bhai ke liye itne achhe shabd sune the. Wahin jab raja thakur ne daksh ke liye aisa bola tha"kandhe par lagne wali goli, kandhe par na lagte hue sar par bhi lag sakti thi" toh paridhi puri jaan se larz uthi thi.

Raja thakur ke jaane ke baad paridhi bhi apne kamre me ghus ke daksh ki pic nikal kar dekhte hue ansu bahane lagi thi.

Paridhi : bhai, kahan ho tum, laut kar kyun nahi aa jaate, meri toh koi galti nahi ha na bhai. I love bhai, aa jaao bhai. Main nahi reh sakti aapke bina bhai. Laut aao bhai plz laut aao. Mujhe bhi apne sath le jaao bhai. Mujhe bhi apne sath rehna ha bhai.

Hichkiyon me rote hue paridhi apne bhai ki pic se baat karne lagi thi.

Paridhi : bhai aaj dada ji ne kitne achhe shabdon me aapka zikr kiya ha. Kaise keh rahe the. Aapne kuch bhi galat nahi kiya, aapki apni life ha, aap jaise chahe ji sakte han. Pata ha bhai, dada ji ko aapki aisi life par kitni khushi mili ha. Wo bhi aapse naraz han, fir bhi aapke liye achhe shabd bol gaye. Par woh aise kyu bole bhai.. Pichhle 6 saal se kisi ne bhi aapka zikr nahi kiya. Dada ji ne bhi nahi kiya. Aj kiya toh fir kyun wo aapke liye itne achhe shabdon par upayog kar rahe the.

Paridhi jaise hosh me aai. Wo uthi aur ek faisle par pohchte hue uth khadi hui. Paridhi apne ansu saaf karte hue apne kamre se nikli aur apne dada ke kamre me jaane lagi. Aaj wo kuch himmat apne andar paida kar gai thi. Shayad aaj usay apne dada ka mood apne bhai ke liye better lag raha tha.

Paridhi apne dada ke kamre me pohnchi. Door ko knock kiya toh raja thakur ne poocha kaun ha bahar..

Paridhi : dada ji main ho paridhi.

Raja thakur jo Master CHI-FANG se baat karke abhi kuch der pehle hi free hue the. Wo bhi daksh ki pic dekh kar ro chuke the. Ab bhi unke chehre par gham ki parchaiyan maujud thee.

Raja thakur : kya baat ha beti, mujhse koi kaam ha kya. Raja thakur ne apni awaz ko kadakdar banane ki puri koshish ki, par bana nahi sake. Ye baat paridhi ne note karli.
Usay laga jese raja thakur kuch der pehle roye hon.

Paridhi ke andar toh jaise toofan sa aane laga. Itni samjhdar toh wo thi hi.

Paridhi ; dada ji aap darwaza kholen mujhe aapse kuch zaruri baat karni ha.

Raja thakur ne majburan door khol dia. Paridhi ne andar aate hi door ko andar se band kar dia. Raja thakur ne paridhi ko herat se dekha.

Raja thakur : paridhi beti door kyu band kiya tumne.

Paridhi toh apne dada thakur ki ankhon me nami dekh hi chuki thi.

Paridhi : aaj raja thakur ki ankhon me ye nami kesi. Paridhi aage badhi aur himmat karte hue bol padi.

Raja thakur ne ek ungli se apni ek ankh masalte hue.

Raja thakur : nami aur meri ankhon me. Aisa pehle kabhi hua ha jo aj hoga. Raja thakur apni awaz me sakhti laane ki laane ki koshish karte hue bole.

Paridhi : dada ji aap ko natak karna nahi aata. Aap bhale hi raja thakur han, par is samay aap raja thakur nahi, is samay aap keval ek dada ji dikh rahe han. Waja jaan sakti hon mai dada ji.

Raja thakur to paridhi ki baat aur daring jaan kar heran hi reh gaye the. Aaj tak kabhi kisi ne uske sath aisi koi baat nahi ki thi. Unki kisi baat ko jhutlaya tak nahi tha.

Raja thakur apni halat par kaabu nahi rakh paaye toh ghusse me aa gaye.

Raja thakur : tum apni had ko bhul rahi ho paridhi beti. Jaao apne kamre me.

Ab ki baar raja thakur ki awaz me kadakpan laut aaya tha. Paridhi raja thakur ko dekhti hui unke pairon me gir padi. "mera bhai galat nahi ho sakta dada ji" aur phoot phoot kar rone lagi.

Raja thakur jaante the, akeli paridhi hi aisi ha, jo daksh se nafrat nahi karti. Jisne daksh ko bura nahi kaha tha. Aaj bhi woh daksh ke liye roya karti thi. Master CHI-FANG bhi sab samjhte hue kai baar raja thakur ko bol gaye the paridhi ke liye. Paridhi ko uske bhai ke baare me kuch bata dia jaaye. Uska dard kuch kam kar dia jaaye.

Par raja thakur khud me itni himmat nahi paate the, paridhi ko daksh ka sach bata dete. Khud bhi toh uski nazron me gir jaate. Kese batate fir paridhi ko daksh ke baare me.

Ab jab paridhi himmat karke raja thakur ke saamne a hi gai thi. Raja thakur ki ankhon me nami bhi dekh gai thi. Wo nami jo daksh ke liye thi. Paridhi bhi to daksh ke liye hi ansu baha rahi thi.

Raja thakur sochne lage, wo sirf daksh ke hi toh kasoorwar nahi han, paridhi ke bhi toh han. Daskh ko ghar se nikala toh ek behen se uske bhai ko bhi door kiya ha. Raja thakur ko Master CHI-FANG ki baaten yaad aane lageen. Woh baaten jo Master CHI-FANG ne aane wale samay se related ki thi.. Samay aane par raja thakur ke sare asul, rules toot kar reza reza ho jaayenge. Fir bhi to unhe aisi hi situation ka saamna karna padega.

Raja thakur paridhi ko apne bhai ke liye youn rote dekh kar pighlane lage. Unki ankhon me bhi ansu aane lage. Jhuk kar paridhi ko kandho se pakad kar utha dia.

Paridhi uthi aur raja thakur ki ankhon me dekhte hue, hichkiyon me rote hue bas itna hi boli.

Mera bhai......

Raja thakur ka toh kaleja hi chhalni ho gaya tha, paridhi ke dard ko mehsus karke . Raja thakur ne tadap kar paridhi ko khench kar apne seene laga liya.

"mat ro meri bachhi, main jaan gaya hon daksh bete ne koi paap nahi kiya tha. Uske sath koi khel khela gaya tha. Jald hi tera bhai laut ke aane wala ha. Main jaanta hon woh kahan ha"

Raja thakur dard bhare lehje me bole. Toh paridhi jhatka kha gai. Ek toh raja thakur daksh ke liye dukhi the, dusre woh daksh ke baare me jaante the, teesra woh daksh ke laut aane ki baat kar rahe the. Chauti aur sabse badi baat woh daksh ko sahi bol rahe the.

"dada ji" paridhi aur bhi zayada rone lagi."dada ji kahan ha mera bhai. Mujhe uske paas jana ha dada ji. Mujhe unse milna ha dada ji."

Paridhi ko apne dada ka seena mila apne dard ko bayan karne ke liye, toh 6 saalon ka dard paridhi ke lehje me paa ke raja thakur aur bhi chhalni chhalni hone lage.

Sharmindhi ke karan unka sar jhukne laga, awaz me bhi pachhtawe ka ehsas chhalakne laga.

Raja thakur : paridhi beti, main daksh bete ka hi doshi nahi hon. Tumhara bhi doshi hon. Mujhe maaf kardo paridhi beti, mujhe maaf kardo.

Paridhi : nahi dada ji, aap mujhse maafi mat mangen. Bas mujhe mere bhai ke paas le jaayen. Mujhe mere bhai se mila dijiye dada ji.

Raja thakur : paridhi beti! Abhi tum daksh bete se nahi mil sakti.

Paridhi : kyun dada ji! Abb bhi main apne bhai se nahi mil sakti. Usay goli bhi lagi ha na. Paridhi ko yaad aaya uske bhai ko gali bhi lagi thi. Toh woh firse awaz me rone lagi. bhai ko meri zarurat hogi dada ji..

Raja thakur paridhi ko jitna zaruri tha, utna batane lage. Sab sun aur jaan kar paridhi khush ho gai. Puri dunya hi daksh ki dushman ban gai thi. Ye baat jaan ke paridhi dard preshan ho gai thi. Par daksh ke baare me jab ye suna, woh Master CHI-FANG ke paas ha aur badi hard trainning kar raha tha toh woh bohut khush bhi ho gai.

Raja thakur : paridhi beti! Kisi ko kuch pata na chalne dene. Warna halat hamare control se bahar ho jayenge. Bohut se dushman bhi uski raah par lag chuke han. Dushman jante han, is haveli me ek tum hi aisi ho, jise apne bhai se sabse zayada pyar ha. Ek tum hi uske laut aane ka intezar kar rahi ho. Dushmano ne agar tumhe pa liya toh wo sab jaan jaayenge. Bohut se hathkande in organizations walun ke paas hote han. Tum bach ke rehna. warna daksh bete ke liye bhi khatra ban jaayega.

Paridhi bachhi nahi thi, woh bhi sab jaanti thi. Raja thakur ki orr se mili apne bhai ke baare me khabar par paridhi ke andar zindagi ki leher daur gai thi. Paridhi khil uthi thi. uske bad ke din chehakte hue guzarne lage. dusron ke saamne wo normal hi rehti thi. kamre me apne bhai ki pic se dheron baaten karti.



::::::::::::::::


nimuns bhi us raat apne sathiyon ko azaad karwane ke liye jana chahte the. par ekdumm se unhe apne sathi nimuns ki bu aana band ho gai. woh samjh gaye. unke saathi ab is dunya me nahi rahe. teeno nimuns bohut dukhi ho gaye the. bohut ghusse me bhi aa gaye the. powerfull hote hue bhi woh kuch nahi kar paa rahe the.

agli subah hiraan ek abadi wale beech par pohncha aur ek insan se info prapt karke usay jaan se maar diya. wahin maujud ek dusre admi ki taangen kaat ke uske brain me ek message chhod diya.

"Earth walo hum earth par apne kisi kaam se aaye the. hamari tum sab se koi dushmani nahi thi. hamare aate hi tum sab hamare piche pad gaye. aur humen preshan karna shuru kar diya. hamare teen sathiyon ko maar diya gaya. hum bhi tumse kamm nahi han earth walo. hum apne sathiyon ki maut ka badla leke rahenge. DK se aur tum sab se... DK hamare saathiyon ko maar ke tumne sahi nahi kiya. jald hi hum sab milkar tumhari zindagi me, tumhare chahre walun ki zindagiyon me bhunchaal le aayenge. tab tujhe pata chalega, kisi apne ka khun bahe toh kitna dard hota ha. jaisa dard hum sab mehsus kar rahe han. aise hi dard se tum bhi guzroge DK. intezar karo.. jald hi tumse mulaqat hogi."

wahan se hiraan apne dosto ke paas pohncha. unhe sab bataya, wo bhi dukhi ho gaye. badle ki aag me woh bhi jalne lage. power me nimuns ek insan se kahin badh kar the. '

hiraan ne nimunica apne king ko detail ke sath pegham bhej diya. kuch dino baad lozan ka pegham aaya, earth walun ke baare me jitni info collect ho sakti ha. woh collect karo, aur wapis laut aao.

Lozan bhi ab bohut kuch sochne par majbur ho gaya tha. woh jaan gaya tha, itni jaldi woh earth par rehte hue shimuna ko paa nahi sakega. uske liye usay kuch khaas karna padega.


::::::::::::::::

nimun ne jo pegham us langde ke brain me chhoda tha. us langde se woh pegham media dwara puri dunya me phel chuka tha. sab nimun ke pegham baare jaan chuke the. sab uski dhamki baare jaan chuke the. cahron aur khaufo haras phel
.
Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro! Milte Han Agle Episode Ke Sath Jald Hi..

::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
nice
 
Top