Episode:41
main telepathy na janta hota toh jo secrets rupali ya uske asli parivar ke dimago me maujud the, woh kabhi nahi jan sakta tha. kuchh aisa hi plan banaya gaya tha. jo dimag ko phaad kar rakh de.
aise aise khel khele gaye the. main bhi rupali ke dimag me ghus kar sab jaan kar chakra gaya tha.. aisi ajib dastan jaanne ko mili thi. main hi kya, koi bhi jaan jaane ke baad chakra kar rah jata.
rupali is kahani ke ek mukhe character (raja thakur) ko thikane lagane ke liye apne bhatije ke ghutne ko udane ki bajaye raja thakur ki or shotgun kar rukh karke triger daba gayi thi.
rupali randi hi nahi thi. woh bohut badhiya nishane baaz bhi thi. woh hi nahi uske parivar ke kuchh aur members bhi best nishebaz the..
par rupali chah kar bhi aisa kar nahi sakti thi. rupali ne trigger dabaya zaroor tha. par woh keval apne dimag me hi soch ke aisa kar saki thi. uska dimag toh mere control me tha. woh chah kar bhi trigger daba nahi paayi thi. woh chah kar bhi shotgun se fire karke raja thakur ka sar uda nahi paayi thi. main aisa kaise hone de sakta tha. mere rehte koi kaise mere parivar ki or ankh utha kar dekh sakta tha. kaise koi mere parivar ke kisi sadasy ko shoot kar sakta tha. saamne toh fir bhi hamare pure khandan ke sabse bade member the. sabse mahaan insan the. ek galti ke siva kabhi koi aur galti nahi kari thi raja thakur ne. raja thakur agar kasur war the toh mere the. unhe saza de sakta tha toh main de sakta tha. rupali ya koi aur kaise unhe koi ghao de sakta tha. main aisa sochne wale ka wajud hi hazaron tukdo me na badal kar rakh deta..
sab ke sab rupali ko raja thakur ki or shotgun ka rukh karte dekh kar cheekh pade the. fire nahi hua toh sab ko chain ki saans aai thi.
main zor zor se hasne laga..
hahahahahaha...hahahahahaha..
daksh : kaha tha tujhse rupali randi.. kaha tha na tujhse, main africa se kaala jadu seekh ke aaya hon. tu kuchh bhi apni marzi se nahi kar sakti. tu chahe toh apni jaga se hil bhi nahi sakti..
rupali pure zor, pure josh ke sath shotgun raja thakur ki aur kiye trigger dabane ki koshish kar rahi thi. par woh aisa kar nahi sakti thi. uske paas samay tha. jab mai bol raha tha. mujhe uske dimag se nikalna pada tha. tab woh raja thakur ko shoot kar sakti thi. par meri baat sunne ke chakkar me woh ye bhul gai thi.
woh kuchh janti bhi toh nahi thi.
lamho ka khel hua karta ha. faisle bhi lamho me liye jate han. lamhon me hi baazi ko paltna padta tha.. jaise pehle mujhse rape ka aarop laga tha toh lamho me hi sab badal kar rah gaya tha. sab mere khilaf ho gaye. rupali bohut badi baazi jeet gayi thi.
ab wahi khel main khel raha tha. ab lamhon par meri pakad thi. kaise koi samjh sakta tha. mere se badh kar koi khiladi bhala kaise ho sakta tha.. abhi to main naya tha is khel ke medan me. fir bhi bohut badhiya performance de raha tha.
main chalta hua rupali ke saamne ja pohncha aur uske hath se shotgun leke shimuna ki or phenk di. fir khench ke ek thappad rupali ke gaal par jad dia.
rupali cheekhte hue door ja giri.. uske moh se khun nikalne laga. thappad tha bhi badi power ka.. pura panja rupali ke moh par chhap gaya tha.
vikram chacha wahin khade hue sab dekh rahe the. vinay bhi ab kuchh nahi bol raha tha. uske sath payal di ne jo kar dia tha. woh uske liye bohut tha. woh pehle hi maar kha ke dara hua tha. ab aur bhi dar gaya tha.
rupali ko sar ke balon se pakad kar maine firse uthaaya aur usse bola
rupali : tune kya samjha tha. jo khel tu aur tera parivar khel raha ha. tu ya tera parivar safal ho jayega. mere rehte aisa kaise ho sakta ha bhala. raja thakur ki saltnat khatam hui toh main thakur daksh singh laut aaya. tujhe aur tere parivar ko moka mil gaya tha raja thakur aur mere sare parivar ko maar dene ka. par tu aur tera parivar lalach me aa kar alka ke khandani khazane ke chakkar me pad gaya.. apna asli maksad bhul gaya.. lalach na karte toh shayad tu aur tera parivar safal bhi ho jata. par tumne der kar di. der kar di tumne rupali singh..
rupali jald hi khud par kaabu pa kar uth khadi hui..wo bhi ab bohut ghusse me aa gai thi..
rupali : tera jo mann karta ha bol le daksh.. mera time na pehle kabhi khatam hua tha. na kabhi hoga. ab teri baari ha. tu khel khatam karna chahta ha toh maar de mujhe. maar de mere parivar ko. maar de sabko.. tu bach sakta ha, mujhe aur mere parivar ko maar kar. tu bacha sakta ha khud ko aur apne parivar ko mujhse aur mere parivar se.. maar de mujhe daksh.. jitni jaldi ho sakta ha maar de mere parivar ko daksh.. koi ek bhi bacha toh tu nahi bachega.. tere parivar ka bhi koi bhi sadasy nahi bachega.. maare jaayenge sab ke sab. ek ko bhi zinda nahi rehne dungi.
daksh : ab boli ha na tune apni asli baat. ab dikhaya ha na tune apna asli chahra..
main sabko dekhne laga. sab paglon ke jaise mujhe aur rupali ko dekh rahe the. unhe kuchh samjh toh nahi aaya tha. bas itna hi samjh me aaya tha rupali gadbad ha. rupali se jude han bohut se raaz. kuchh toh aisa ha, jisse woh anjaan han. kuchh toh aisa bhayankar ha, jo saamne aaya toh najaane kya kuchhh ho jaayega.
raja thakur bhi heran hoke rupali ko dekh rahe the. koi mujhse kuchh bhi nahi poochh raha tha. sab moh khole dekh rahe the.
main shimuna ko dekha toh usne firse woh shotgun meri aur phenk di.. maine catch kari. firse uske andar kartoos bhare aur rupali ko dekhne laga.
daksh : ab tujhe main apna nishana dikhaao. rupali ke chahre par firse mujhe dar dikha. par mere liye nafrat ki inteha bhi uske andar aa gai thi. woh mujhe ghusse dekhne lagi.
rupali : aaj tera time aa gaya ha daksh toh jo tera mann kar raha ha tu karega. kar le, jo tu karna chahta ha, karle. main chah kar bhi tujhe rok nahi sakungi.. na chahte hue bhi mujhe apni zindagi ke sabse bade dard se guzarna padega. mera khel shru hone se pehle hi tune apna khel khelna shuru kar dia. utha le is moke ka fayda. main zinda rahi aur mujhe moka mila toh main bhi moka ka pura pura fayda uthaongi.. aur aisa fayda uthaaongi. tu tadpega, mere pairon par sar ragad ragad kar royega. par us samay mujhe bhi tujhpar daya nahi aayegi. aa bhi nahi sakti. daya na mere andar ratti barabar ha aur na hi mere parivar ke kisi sadasy ke andar. tu zarur apne kaale jadu se sab jaan gaya hoga. agar jan hi chuka ha toh khel ja aaj tu apna khel.. kar ja har had paar. baha de mere payaro ka khun. khel le unke khun se khun ki holi.
rupali apni mutthiyan bhenchti hui mujhse bol rahi thi. sach me rupali ek naagin dikh rahi thi. ek aisi nagin jise ek bhi moka milta toh apne zeher se pal bhar me hi mujhe ya sab ko das leti. aur jitna zeher uske andar bhara hua tha. utne zeher ke dase se koi paani bhi na maang sakta. dusra saans bhi na le sakta.
jis ladke ka maine richa ke hathu ghunta udaya tha. usi ke sar ka nishana lekar maine trigger daba dia..
bhayankar awaz hui fire ki aur ladke ka sar ud gaya..
rupali bhi bhayankar cheekhte hue niche gir padi.. aur apne sar zameen par maarne lagi. rupali aise cheekh rahi thi. jaise woh pagal ho gayi ho. jaise usay uski zindagi ka sabse bada dard sehn karna pad raha ho.
aisa hi dard us ladke ke maa baap ko bhi hua.. woh bhi dard se cheekhte hue dahaden maar maar kar rone lage. ladke ki maa aur rupali ka cheekhna sabse bhayankar tha..
us ladke ka ek aur bhai bhi tha. woh usse bada tha. maine uska sar bhi uda dia. firse kartoos bhare aur rupali ke barabar ja betha..
aas paas aisa sannata chhaya tha. jaise dunya me insano ka naam o nishan hi mit chuka ho.. bas rone walun ki awazen hi sunaai de rahi thi. uske siva jo the. woh sab saans tak lena bhul gaye the..
raja thakur ke chahre par bhi mujhe dehshat ke bhav nazar aaye.. hahaha meri darindgi dekh kar woh bhi dehshat me aa gaye the. aisa live scene pehle kabhi dekha nahi tha na.. isliye...
main rupali ko rota chhod kar uth khada hua...
daksh : karanveer.. maine apne dada ke bhai ko unke naam se bola.
woh bhi ankhon me ansu liye hue the. woh bhi halki awaz me ro rahe the. unki patni ka bhi kuchh aisa hi scene tha.. woh bhi khun ke ansu ro rahi thi. karanveer ke parivar ke sab ro rahe the.
daksh : karanveer kiske liye ansu baha rahe ho aap. aap hamesha se bewaquf the. bewaquf han aur rahenge.. suna aapne, aap sada se stupid the. kisi ki baaton me aa kar aapne apne hi bhai ko chhod dia tha. shan o shaukat ki zindagi ko chhod dia tha. apne hi parivar ki daulat ko thukra dia tha. apne hi khandan se dushmani paal bethe the aap.. suna aapne thakur karanveer singh.. jise aap apna parivar samjh rahe han. woh aapka parivar nahi ha.. suna aapne... woh aapka parivar nahi ha.. nahi ha koi bhi aapka apna. na beta na beti. na pota na poti.. koi bhi aapka khun nahi ha.
meri baat karanveer ke sath sath sabke sab sannate me aa gaye..
karanveer ghusse me aa gaye woh meri ye baat bardasht nahi kar paya tha : ye kya nayi bakwas shuru kar di hai tumne. mere do poton ko maar kar bhi tum aise ghinone ghav de rahe ho mujhe.. sharam se doob maro.
maine raja thakur ko dekha.. woh bhi harait ke samandron me ghote khaa rahe the.
kis kis ko main dekhta.. jise bhi dekhta sabka yahi haal tha.. meri maa aur payal singh zarur andar se puri tarah se hill gai thi.
daksh : rupali kiski beti ha.?
karanveer : ye kya bakwas ha. rupali meri hi beti ha.
daksh : aur aapki manjhali bahu.
karanveer : woh mere dost ki beti ha.
daksh : hahaha! kaha tha na. aap sada se bewaquf rahe han. aap kabhi kuchh samjh hi nahi sake. jaise jaise aapko sab bataya jata tha. aap vaise hi maan jaya karte the.
karanveer ghusse se : kehna kya chahte ho tum.
daksh : govardan ko jante han aap.
meri baat par karanveer hi nahi raja thakur bhi achambit ho gaye.
karanveer : go..go..govardhan.. wo..wo..uska is sab se kya lena dena ha.
karanveer ki patni jo unke sath hi khadi thi.. unka naam rekha tha.
daksh : shakuntla kon ha.?
karanveer bhi ab uljhane laga tha. woh meri baton ka jawab foran hi dene laga tha.
karanveer : meri dusri patni.
daksh : rupali uski beti ha na.
karanveer heran hoke : haan. par tujhe kaise pata. ye baat toh bohut kam log jante han.
daksh : sonali aapki manjhali bahu kon ha.?
karanveer : mere dost ki beti.
daksh : hahaha.. aisa nahi hai karanveer.. rupali aur sonali dono sagi behne han. dono ka ek hi baap ha. woh ha govardhan.
karanveer : yy..ye kya bakwas ha. mera govardhan se koi lena dena nahi ha. main usse kabhi mila bhi nahi. barson pehle se hi maine usay chhod dia tha..
daksh : hahaha.. yahi toh woh khel ha. jo tere sath sath raja thakur ke sath bhi khela gaya tha. na tu samjh saka. na hi raja thakur samjh sake. aapki dusri patni asal me govardhan ki rakhel thi. woh aapke sath nahi rehti thi. woh dusre gaon me rehti thi. aap kabhi kabhi usse milne jaya karte the. wahan maze aap karte the. par woh maze naam ke the. asal me sare maze govardhan kiya karta tha. shakuntla uske sath mili hui thi. kabhi aapke sath nahi rahi woh. jaante han aap. isliye keh kahin khel bigad na jaaye. aur aapki pehli patni rekha..
maine rekha ko dekha toh woh ab kanpne lagi thi. sharam se uska sar jhuka hua tha..
daksh : isse poochhen koi bhi bachha aapke beej se uski kokh me pala tha. nahi. koi bhi nahi. aap mard hote hue bhi bachhe paida nahi kar sakte the. ya aisa keh len, govardhan ne aisa hone hi nahi dia tha. woh raja thakur ke sath sath aapka bhi dushman tha. woh aapke sath khelta raha.. paisa aap kamate rahe, khata woh raha. aapke siva is baat ko sab jaante han. sab ke sab govardhan ki muthhi me han. rupali ko bhi plan se tere paas rehne ko bheja gaya tha. rupali bohut tez thi. bohut chalak thi. rupali ne woh woh kaam kiye han. jise jaan kar aap sada khush hote rahe.. par asli khushi govardhan ko milti thi. aap toh phokar me hi khush hua karte the. hahaha
karanveer chakra kar girne wala tha. par kaise bhi karke usne khud ko sambhal liya tha..
maine shotgun se ek aur fire kiya.. is baar ka fire upar asmaan ki or karke kiya tha.
daksh : govardhan ne kaisi kaisi game kheli, koi jan hi nahi saka. pal pal woh apne mohre badalta raha. sab ko apne isharon par nachata raha. jo mohra usay khaas laga, usay usne aage badha dia. yahan maujud logon me sirf ek rupali hi sabse khas ha. aur rupali ke liye kai khaas.. govardhan ke paas aapki sari property ke papers maujud han. raja thakur ki jitni bhi daulat aapne rupali dwara, vikram singh dwara hasil ki ha. woh sab aapke naam par keval dikhawa ha. asal me us saari paroperty ka maalik ha govardhan..
aur govardhan ke paas itna paisa ha. jitna kabhi raja thakur ke paas bhi nahi stock ho paya tha. woh apna paisa show nahi karwa paaya tha. darta tha raja thakur ki power se.. ab karwayega. ab raja thakur ki power ja chuki ha. ab woh khul kar saamne aayega..
alka ki daulat bhi paa lene ka lalach uske dil me aa gaya tha. woh daulat, woh khazana usay prapt ho jata toh zarur woh khud ko bhagwan bhi bol deta. woh sab par evil god bankar toot padta.. fir koi usay rok nahi sakta tha.. uske zulm se khud ko bacha nahi sakta tha.
aisa uska sochna tha. aur sochne wale kuchh bhi soch jaya karte han.. par hota wahi ha, jo manzoore khuda hota ha.
sab ko jaise saanp soogh gaya tha.. sab ke sab abhi bhi bina saans liye khade hue the. ya saans toh le rahe the. par saanso ki awaz saans lene walun ko bhi sunaai nahi de rahi thi.
rupali ab bhi mujhe ghusse se dekh rahi thi. jin jinko maine maara tha. woh rupali ke bhatije nahi, bhanje the. manjhali bahu rupali ki bhabhi nahi, uski sagi behen thi..
saale govardhan ne kaisa khel khela tha. dimag ki cholen hi hil kar reh gayi thi. kitna lamba khel khela tha usne. karanveer ye bhi nahi jaan paya, sonali bhi shakuntala ki beti ha. kitna bada stupid tha woh.
jitni umar rupali ki thi. usse bhi kuchh saal pehle se ye khel khelna usne shuru kiya tha. badi khamoshi se woh ye khel khel raha tha..
sab ko sari haqiqat bata kar main shimuna ke paas ja pohncha. rupali ki kalai pakdi aur usay lekar sath chalne laga.
ab baki ka khel raja thakur aur karanveer thakur khud se khelte.. dono bhaiyo ke saamne maine haqiqat khol kar rakh di thi.
woh dono aur baki sare wahin khade hue the. sab ke sab jaise statue bane khade the. main shimuna aur rupali ko liye haveli ke andar chala gaya..
rupali wahin rehti toh ya toh woh kuchh aisa kar jati. jisse uski jan chali jati. ya fir koi aur usay ghusse me aa kar maar deta..
koi aur maarta ya na maarta..payal di zarur maar deti. aur main aisa hone nahi de sakta tha. payal di kaise rupali ko saza de sakti thi. apne hi bhai par vishwas na karne ki saza toh usay bhi milni thi. rupali jaisi bhi thi. ek naagin thi. zahreeli nagin thi.
par jahan pyaar ki inteha ho, wahan toh zeher bhi beasar ho jaya karta tha. kaisa pyar tha, uska mere liye. jo pal bhar me hi band muthi me ret ke jaise phisal gaya tha.
door ko andar se lock karke main bed par ja betha.. rupali wahin khadi ankhon me ansu aur aag liye mujhe aur shimuna ko dekh rahi thi.
shimuna jo mujhe katil nazron se dekhte hue bed ki or badh rahi thi..... shimuna ki mast chaal dekh kar mera mood khud se achha hone laga. shimuna ki mast chaal jahan mere andar hulchal macha gayi thi. wahin uske honto ki dilfareb muskan mere dil ko bhi rahat pohncha rahi thi.. shimuna bed par aai aur mere barabar aa kar let gayi. ek hath mere seene par rakh kar woh apni ungliyan mere seene par chalane lagi..
saamne rupali ki surat aag aur zeher tha.. toh shimuna ek mehakte gulistan ke jaise
meri bahun me thi..
.
.
.
.
.
.
Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro! Milte Han Agle Episode Ke Sath Jald Hi..
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
Baap re ky to ajeeb chutiya nikla ye KARANVEER dono bivi khud ki or aullad kisi or ki bachpan se jawaani tk pta na chl paya KARANVEER ko HATS OF KARANVEER
.
Bhot he mind-blowing chaal chl rhe thi RUPALI poore pariwar ke sath
Lekin RUPALI mind ki itni sharp btay gy hai mujhe to ni lgta hai usse bi bhot jada bdi bevkoof hai ye bi socha hai ki jo insaan kisi ek ka ni hai wo kisi kr ka kaise hoga
Mera matlab GOVERDHAN se hai usne bdle ke lye KARANVEER ki dono bivi ke sath sambandh bnay or bacche paida Kia uske bad bi chup ke rha hai sbse game khelta rha eso ka ky bhrosa bad me plat jay
.
Mind-blowing update
Daksh The King bro din n din update ke sath or jada excitement bdta Jaa rha hai story ka bhot khoob bro