• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Sarvnaash

Status
Not open for further replies.

JAIY

Member
321
1,185
124
koi chinta nahi. samay mile to padh lena. mai to bas yahi kahunga. apni is story ki zayada se zayada updates dene ki koshish kijiyega.. bohut achi story hai ye :vhappy:
Koshish karunga bhai
 
Yasasvi1

❣bhootni💞
1,015
2,753
144
Update 1
'Apocalypse'

Main hu Aalok, age 20, 5"10, sada simple ladka, koi pehelvano vali body nhi hai, lekin roj exercise ki vajah se bahut fit aur healthy hu. College me self defence bhi sikha hai to 1-2 bando se nipat sakta hu aaram se.

Meri family me meri Didi - Anjali, age 22, koi jannat ki pari nhi hai lekin khubsurat hai aur main pyar karta hu.

Maa - Kamini, age 44

Papa - Prakash, age 47

Main jab subah utha to kuch ajeeb sa mehsus hua, ek bhayanak si shanti aabo hawa me faili hui thi. Aaj vo tazgi mujhe mehsus nhi ho rahi thi ji roj hoti thi.

Mene uthkar angdai li aur khada hua ki itne me hi ek jordar dhamake ki aawaz se pura mahol hil gya.

Mene hadbadakar dekha to kahi thodi dur duaa uth raha tha aur aag ki lapte nazar aa rahi thi. Meri hairani tab aur badh gayi jab maine dekha ki charo taraf hi kuch aisa manjar tha.

Shahar me jagah jagah aag lagi hui thi.

Aalok - Ohhh bhencho ye kya ho rha hai, aisa lag raha hai jaise ye shahar nhi shamshan hai.

Aaj mujhe uthne me deri ho gyi thi, iss vakt tak maa ki tez aawaz mere kano me padh jati thi. Lekin abhi tak maa ne mujhe aawaz nhi di.

Chhat ki sidhiya sidha ghar ke bahar ki taraf sadak par nikalti thi, isliye koi bhi anjan sidhiyo se upar aa sakta tha, isko rokne ke liye hamne sidhiyo me darvaja lagva rkha tha.

Main uthkar niche jane laga, jaise hi maine sidhiyo ka darvaja khola ki mujhe kuch ajeeb dikha aur mene darkar phir se gate band kar liya.

Aalok - Hhhh! vo kya tha. or kya kar raha tha?

Mene phir se himmat karke gate halka sa khola to mene dekha ki koi aadmi pada hua hai aur ek dusra aadmi uske pass betha hua hai aur kuch kar raha hai.

Mene dhyan se dekha to najar aaya ki vo aadmi uss jameen par pade hue aadmi ko kha raha tha. Khun idhar udhar bikhra hua tha. Aur kuch maans ke tukde bhi yahan vahan gire hue the. Mera ye scene dekh ke hi ulti jaisa mann hone laga tha.

Lekin ab mujhe ghar valo ki chinta hone lagi, BC koi gali me koi narbhakshi ghum raha hai aur kisi ko koi khabar hi nhi hai. Mujhe ab tak unka chehra nahi dikha tha.

Mene himmat ki aur chupke se bahar nikalne laga , main aaram aaram se bina aawaz kiye ghar ke darvaje ki taraf jaa rha tha.

Lekin....

Meri aankho ne kuch aisa dekha ki meri ruh kamp gyi, maano meri duniya hi ujad gyi... Sab kuch khatam ho gya...

Main jor se chillaya,
Papaaaaaaa..........

Meri aankho ke samne jis aadmi ki lash jameen par padi hui thi vo koi aur nhi balki mere papa the. Aur koi unke shareer ko nochkar kha rha tha.

Mere aansu behna shuru ho gye... Papaaaaa...

Meri chikh sunke vo aadmi khada hua aur palta....aur mujhe ghur kar dekhne laga...vo aadmi jo mere papa ko kha rha tha koi aur nhi balki hamare padosi aur papa ke sabse ache dost
Shyam uncle the....

Main - Uncle ye aapne kya kiya😡, main aapko chhodunga nhi, main aapki jaan le lunga...

Shyam uncle meri taraf badhne lage, vo kuch bol nahi rahe the,.bas dheere dheere meri aur badh rahe the...aur ajeeb tarike se gurra rahe the...

Shyam - gurrr..ahhh...gruhhhh...ggghhhhhrrrr....

Vo meri taraf badhne lage, unki aankhe puri safed thi, jaise unki aankho me putli naa ho... Unka chehra pura khun me sana hua tha...
Vo meri taraf jhapte aur mujhe katne ki koshish karne lage....main apne aapko bachane ki koshish karne laga, mene unki gardan ko pakda hua tha....

Main - Ahhh, uncle...pagal ho gye hai aap...me unhe puches marne laga. Lekin unhe to koi asar hi nhi ho raha tha...

Vo pagalo ki tarah sirf mujhe katne ki koshish kar rahe the...unse ladte hue main jameen par gir gya...aur vo mere upar chadhe hue the...mujhe kuch samajh nhi aa rha tha...main unhe rokne me nakamyab ho raha tha...mene apna ek hath side me ghumaya to mujhe ek eent mili. Mene uss eent ko pakadkar jor se uncle ke sar par vaar kiya ...aur unhe apne upar se dhakka dekar hataya...lekin vo phir khade hue aur mujhe katne ke liye daude...mene khade hokar puri takat se uss eent se vaar kiya aur vo vahi gir gaye...lekin main vahi nhi ruka...mene uske sar par lagatar kai vaar kiye...jisse unka sar puri tarah se phat gya... Phir main side hokar jor jor se saanse lene laga.

Mene apne aapko sambhala, aur jahan papa ki lash padi thi vahan par gya...unhe dekhkar mere aansu nikalne lage...main unse lipatkar rone laga...unka pura sharir khun se gila tha aur unke pet me se antadiya bahar aa rahi thi...main ye dekhkar aur jyada rone laga...

Papa....😭😭😭😭😭
Main kuch der vahin baitha raha, phir mujhe maa aur didi ka khyal aaya....

Main - Maa... Didi...vo dono kahan hai...

Maine papa ki ankhe band ki aur tezi se uthkar ghar par bhaga...ghar ke darwaje par bahar se kundi lagi hui thi...
Mene darvaja khola aur andar gya....

Maaaa... Didiiii.....Maa... Didiiii.... Kahan hai aap...

Lekin koi jawab nhi.... Main yu hi chilla raha tha ki achanak se Didi ki awaz mujhe upar vale kamre se aayi...Main daudkar vahan gya...kamre ko bahar se bad kar rkha tha...jab mene darvaja khola...to andar didi aur maa khadi thi...

Maa - Aalok bete...kya hua hai...tere papa hame yu band karke niche gye the....raat me...lekin lautkar nhi aaye...

Didi - Bhai kya hua hai bta...hamne tujhe bhi raat me kai aawaze lagayi thi... Bahar se kuch jor jor se chikne chillane ki aawaze aa rahi thi...papa hame band karke gye aur aaye nhi...tu tha kya unke sath...kahan hai papa.

Main Maa aur Didi ko dekhkar aur emotional ho gya aur rone laga...kaise btau inhe...

Kya hua Aalok bta kya baat hai...tu ro kyu raha hai...aur tere papa kahan hai...bol...dekh ab mujhe dar lagg raha hai...bta de.. Maa Boli

Main - Maa😭 papa hame chodkar chale gye...ab vo iss diniya me nahi rahe...
Ye kehte hi mere gaalo par ek jordar chata pada jo maa ne mara tha...

Sharam nhi aati...ye koi majak karne ki baat hai...aane de unhe...aaj teri belt se pitayi karvaungi...

Main - maa yahi sach hai...bahar... bahar...

Kya bahar...aur maa tezi se niche jane lagi...abhi main unhe rokta ki maa aur didi dono niche jane lagi...

Niche pahunchte hi Maa aur Didi dono ek sath chikh padi....

Aaahhhhhhhhhhh......

Maa ki to jaise duniya hi ujad gyi...Maa aur Didi dono papa ki lash ko dekh ke jor jor se rone lagi...mujhe bhi unki halat dekhke rona aa rha tha...

Vo dono kafi der tak roti rahin...aur maa rote rote behosh ho gyi...main unn dono ke piche khada tha...
Lekin tabhi meri nazar side me padi jahan ek aadmi.. didi ko ghur raha tha aur didi ki taraf chalke aa rha tha... Vo bhi shyam uncle ki tarah hi dikh rha tha...

Didi aur Maa ko khatre me dekhkar main unki taraf daudne laga...abhi vo didi par jhapatta marta usse pehle hi mene ek kick marke dur kiya vo samne ki diwar me jakar takraya...

Vo phir se khada hua aur meri taraf bhadne laga..
Didi to usse dekhkar jam gyi thi...

Main - Didiii Maa ko lekar andar jao jaldi....

Mere jor se bolne par unka dhyan tuta aur vo maa ko khichte hue andar le jane lagi...

Vo aadmi meri taraf aaya to mene phir se ghumakar use ek lat mari aur vo side me jake gira... Mene dekha ki didi almost darvaje par pahuch gyi hai...to main bhi gate ki taraf bhaga...vo aadmi bhi meri taraf tezi se aane laga...main jaldi se ghar ke andar pahucha aur gate band karke ek side me rakhi table khichkar uss gate ke aage laga di...vo aadmi jor jor se darvaja pit ta raha...

Mene didi ko dekha unhone maa ko sofe par lita diya tha...vo meri taraf aayi...

Didi - 😭Bhai ye sab kya hai...vo aadmi...aur papa...papa😭😭😭

Main - 😭pta nhi di...lekin hamne papa ko kho diya hai...😭😭

Didi phir se rone lagi...mene unhe apne gale se laga liya...

Kuch der baad...

Kuch sochkar mene TV on kiya aur Newschannel lagaya...news par khabar aa rahi thi...

Emergency... emergency...sarkar ne kiya national emergency ka announcement...

Kuch dino se duniya bhar ke kai jagaho par ajeeb tarah ki khabre aa rahi hai...log ek dusre ko kaat rahe hai...kha rahe hai...ye bimari lagbahag duniya ke har desh me fail chuki hai...hamare Desh me bhi halat bahut bigde hue hai isliye sarkar ne national emergency ka ailan kar diya hai...aur logo ko hidayat di hai ki vo apne gharo me hi rahe...aur rashan ka dekhbhal ke sath istemal kare...abhi iss bimari ke bare me koi jankari nhi hai ki ye kahan se aayi hai...or kya hai...sarkar ne lockdown laga diya...kisi ka bhi ghar se nikalna allowed nahi hai...

Log ise duniya ka ant bta rahe hai...

Sabhi TV channels ko bhi kuch der me band kar diya jayega...hum aapke surakshit rehne ki kamna karte hai...

Ye dekh kar mere dimag me ek hi shabd aaya,

"Zombies"
Yep zombies.....kafi pyara seen ha or kafi movies dekh chuki hu inpe.....bhot kuch ha internet per aapne bhot aache se samjhya ha ...is update me to ha saandaar ab ko log isko samjhange unko pasand aayaga....
Per mera ek suggestion ha ki aap isme love 🤔or chaho to sex or thodi comady aad karo per main concpet zombies ka hi rakho....🤔baki intazzar rahaga hamesha ki trh agle update ka
 
Thanks Yasasvi1 ji
Iss story ko kafi explained way me likhna padega. Taki zombies vale scene sabko visualise ho sake.

Love aur Sex to hoga hi isme, lekin comedy ka kehna mushkil hai uske 2 reason hai.
1. Mene iss story ki approach hi tragic, dystopian, dukh vali rakhi hai. 1st update me hi pta chal gya hoga. Shuruaat hi baap ki maut se hui.

2. Main comedy likhne me bilkul acha nhi hu.
Lekin phir bhi main koshish karunga
 
Thank you so much i know comady likhni muskil bhi ha or sabko hasi aaye ye posible bhi nahi par me just suggest kar rahi hu...so chill nahi ha comady to koi na per love or suspance se kafi aacha feel hoga...and good luck for this
 
Ak47203

Well-Known Member
3,692
5,567
143
Update 1
'Apocalypse'

Main hu Aalok, age 20, 5"10, sada simple ladka, koi pehelvano vali body nhi hai, lekin roj exercise ki vajah se bahut fit aur healthy hu. College me self defence bhi sikha hai to 1-2 bando se nipat sakta hu aaram se.

Meri family me meri Didi - Anjali, age 22, koi jannat ki pari nhi hai lekin khubsurat hai aur main pyar karta hu.

Maa - Kamini, age 44

Papa - Prakash, age 47

Main jab subah utha to kuch ajeeb sa mehsus hua, ek bhayanak si shanti aabo hawa me faili hui thi. Aaj vo tazgi mujhe mehsus nhi ho rahi thi ji roj hoti thi.

Mene uthkar angdai li aur khada hua ki itne me hi ek jordar dhamake ki aawaz se pura mahol hil gya.

Mene hadbadakar dekha to kahi thodi dur duaa uth raha tha aur aag ki lapte nazar aa rahi thi. Meri hairani tab aur badh gayi jab maine dekha ki charo taraf hi kuch aisa manjar tha.

Shahar me jagah jagah aag lagi hui thi.

Aalok - Ohhh bhencho ye kya ho rha hai, aisa lag raha hai jaise ye shahar nhi shamshan hai.

Aaj mujhe uthne me deri ho gyi thi, iss vakt tak maa ki tez aawaz mere kano me padh jati thi. Lekin abhi tak maa ne mujhe aawaz nhi di.

Chhat ki sidhiya sidha ghar ke bahar ki taraf sadak par nikalti thi, isliye koi bhi anjan sidhiyo se upar aa sakta tha, isko rokne ke liye hamne sidhiyo me darvaja lagva rkha tha.

Main uthkar niche jane laga, jaise hi maine sidhiyo ka darvaja khola ki mujhe kuch ajeeb dikha aur mene darkar phir se gate band kar liya.

Aalok - Hhhh! vo kya tha. or kya kar raha tha?

Mene phir se himmat karke gate halka sa khola to mene dekha ki koi aadmi pada hua hai aur ek dusra aadmi uske pass betha hua hai aur kuch kar raha hai.

Mene dhyan se dekha to najar aaya ki vo aadmi uss jameen par pade hue aadmi ko kha raha tha. Khun idhar udhar bikhra hua tha. Aur kuch maans ke tukde bhi yahan vahan gire hue the. Mera ye scene dekh ke hi ulti jaisa mann hone laga tha.

Lekin ab mujhe ghar valo ki chinta hone lagi, BC koi gali me koi narbhakshi ghum raha hai aur kisi ko koi khabar hi nhi hai. Mujhe ab tak unka chehra nahi dikha tha.

Mene himmat ki aur chupke se bahar nikalne laga , main aaram aaram se bina aawaz kiye ghar ke darvaje ki taraf jaa rha tha.

Lekin....

Meri aankho ne kuch aisa dekha ki meri ruh kamp gyi, maano meri duniya hi ujad gyi... Sab kuch khatam ho gya...

Main jor se chillaya,
Papaaaaaaa..........

Meri aankho ke samne jis aadmi ki lash jameen par padi hui thi vo koi aur nhi balki mere papa the. Aur koi unke shareer ko nochkar kha rha tha.

Mere aansu behna shuru ho gye... Papaaaaa...

Meri chikh sunke vo aadmi khada hua aur palta....aur mujhe ghur kar dekhne laga...vo aadmi jo mere papa ko kha rha tha koi aur nhi balki hamare padosi aur papa ke sabse ache dost
Shyam uncle the....

Main - Uncle ye aapne kya kiya😡, main aapko chhodunga nhi, main aapki jaan le lunga...

Shyam uncle meri taraf badhne lage, vo kuch bol nahi rahe the,.bas dheere dheere meri aur badh rahe the...aur ajeeb tarike se gurra rahe the...

Shyam - gurrr..ahhh...gruhhhh...ggghhhhhrrrr....

Vo meri taraf badhne lage, unki aankhe puri safed thi, jaise unki aankho me putli naa ho... Unka chehra pura khun me sana hua tha...
Vo meri taraf jhapte aur mujhe katne ki koshish karne lage....main apne aapko bachane ki koshish karne laga, mene unki gardan ko pakda hua tha....

Main - Ahhh, uncle...pagal ho gye hai aap...me unhe puches marne laga. Lekin unhe to koi asar hi nhi ho raha tha...

Vo pagalo ki tarah sirf mujhe katne ki koshish kar rahe the...unse ladte hue main jameen par gir gya...aur vo mere upar chadhe hue the...mujhe kuch samajh nhi aa rha tha...main unhe rokne me nakamyab ho raha tha...mene apna ek hath side me ghumaya to mujhe ek eent mili. Mene uss eent ko pakadkar jor se uncle ke sar par vaar kiya ...aur unhe apne upar se dhakka dekar hataya...lekin vo phir khade hue aur mujhe katne ke liye daude...mene khade hokar puri takat se uss eent se vaar kiya aur vo vahi gir gaye...lekin main vahi nhi ruka...mene uske sar par lagatar kai vaar kiye...jisse unka sar puri tarah se phat gya... Phir main side hokar jor jor se saanse lene laga.

Mene apne aapko sambhala, aur jahan papa ki lash padi thi vahan par gya...unhe dekhkar mere aansu nikalne lage...main unse lipatkar rone laga...unka pura sharir khun se gila tha aur unke pet me se antadiya bahar aa rahi thi...main ye dekhkar aur jyada rone laga...

Papa....😭😭😭😭😭
Main kuch der vahin baitha raha, phir mujhe maa aur didi ka khyal aaya....

Main - Maa... Didi...vo dono kahan hai...

Maine papa ki ankhe band ki aur tezi se uthkar ghar par bhaga...ghar ke darwaje par bahar se kundi lagi hui thi...
Mene darvaja khola aur andar gya....

Maaaa... Didiiii.....Maa... Didiiii.... Kahan hai aap...

Lekin koi jawab nhi.... Main yu hi chilla raha tha ki achanak se Didi ki awaz mujhe upar vale kamre se aayi...Main daudkar vahan gya...kamre ko bahar se bad kar rkha tha...jab mene darvaja khola...to andar didi aur maa khadi thi...

Maa - Aalok bete...kya hua hai...tere papa hame yu band karke niche gye the....raat me...lekin lautkar nhi aaye...

Didi - Bhai kya hua hai bta...hamne tujhe bhi raat me kai aawaze lagayi thi... Bahar se kuch jor jor se chikne chillane ki aawaze aa rahi thi...papa hame band karke gye aur aaye nhi...tu tha kya unke sath...kahan hai papa.

Main Maa aur Didi ko dekhkar aur emotional ho gya aur rone laga...kaise btau inhe...

Kya hua Aalok bta kya baat hai...tu ro kyu raha hai...aur tere papa kahan hai...bol...dekh ab mujhe dar lagg raha hai...bta de.. Maa Boli

Main - Maa😭 papa hame chodkar chale gye...ab vo iss diniya me nahi rahe...
Ye kehte hi mere gaalo par ek jordar chata pada jo maa ne mara tha...

Sharam nhi aati...ye koi majak karne ki baat hai...aane de unhe...aaj teri belt se pitayi karvaungi...

Main - maa yahi sach hai...bahar... bahar...

Kya bahar...aur maa tezi se niche jane lagi...abhi main unhe rokta ki maa aur didi dono niche jane lagi...

Niche pahunchte hi Maa aur Didi dono ek sath chikh padi....

Aaahhhhhhhhhhh......

Maa ki to jaise duniya hi ujad gyi...Maa aur Didi dono papa ki lash ko dekh ke jor jor se rone lagi...mujhe bhi unki halat dekhke rona aa rha tha...

Vo dono kafi der tak roti rahin...aur maa rote rote behosh ho gyi...main unn dono ke piche khada tha...
Lekin tabhi meri nazar side me padi jahan ek aadmi.. didi ko ghur raha tha aur didi ki taraf chalke aa rha tha... Vo bhi shyam uncle ki tarah hi dikh rha tha...

Didi aur Maa ko khatre me dekhkar main unki taraf daudne laga...abhi vo didi par jhapatta marta usse pehle hi mene ek kick marke dur kiya vo samne ki diwar me jakar takraya...

Vo phir se khada hua aur meri taraf bhadne laga..
Didi to usse dekhkar jam gyi thi...

Main - Didiii Maa ko lekar andar jao jaldi....

Mere jor se bolne par unka dhyan tuta aur vo maa ko khichte hue andar le jane lagi...

Vo aadmi meri taraf aaya to mene phir se ghumakar use ek lat mari aur vo side me jake gira... Mene dekha ki didi almost darvaje par pahuch gyi hai...to main bhi gate ki taraf bhaga...vo aadmi bhi meri taraf tezi se aane laga...main jaldi se ghar ke andar pahucha aur gate band karke ek side me rakhi table khichkar uss gate ke aage laga di...vo aadmi jor jor se darvaja pit ta raha...

Mene didi ko dekha unhone maa ko sofe par lita diya tha...vo meri taraf aayi...

Didi - 😭Bhai ye sab kya hai...vo aadmi...aur papa...papa😭😭😭

Main - 😭pta nhi di...lekin hamne papa ko kho diya hai...😭😭

Didi phir se rone lagi...mene unhe apne gale se laga liya...

Kuch der baad...

Kuch sochkar mene TV on kiya aur Newschannel lagaya...news par khabar aa rahi thi...

Emergency... emergency...sarkar ne kiya national emergency ka announcement...

Kuch dino se duniya bhar ke kai jagaho par ajeeb tarah ki khabre aa rahi hai...log ek dusre ko kaat rahe hai...kha rahe hai...ye bimari lagbahag duniya ke har desh me fail chuki hai...hamare Desh me bhi halat bahut bigde hue hai isliye sarkar ne national emergency ka ailan kar diya hai...aur logo ko hidayat di hai ki vo apne gharo me hi rahe...aur rashan ka dekhbhal ke sath istemal kare...abhi iss bimari ke bare me koi jankari nhi hai ki ye kahan se aayi hai...or kya hai...sarkar ne lockdown laga diya...kisi ka bhi ghar se nikalna allowed nahi hai...

Log ise duniya ka ant bta rahe hai...

Sabhi TV channels ko bhi kuch der me band kar diya jayega...hum aapke surakshit rehne ki kamna karte hai...

Ye dekh kar mere dimag me ek hi shabd aaya,

"Zombies"
Awesome update bhai
 
Smith_15

Well-Known Member
8,999
18,200
173
Awesome, hero ko strong kare

Update please
 
  • Like
Reactions: JAIY and parkas

JAIY

Member
321
1,185
124
Update 2
'Survival'

Subah se shaam ho gyi thi, hum log apne hi ghar me band the. Maa aur Didi ka rokar bura haal tha. Maa to kuch bol hi nhi rahi thi.

Sabhi TV channels aana band ho gye the, Phone me network aa raha tha lekin internet nahi chal raha tha. Sirf call ki jaa sakti thi.

Maine bahut sari hollywood zombie movies dekhi thi, lekin main nhi janta tha ki jaisa filmo me dikhate hai ye bimari vaisi hi hai yaa usse bhi khatarnak.

Main bhi papa ke marne par bahut dukhi tha vo mere mentor the, mujhe hamesha behtar aur takatvar ban ne ki baat kaha karte the. Lekin aaj vo mere sath nhi the.
Lekin mujhe maa aur didi ko bhi sambhalna tha, isliye main dukh me nahi beth sakta tha. Agar main kamjor pad gya to hum log ek din survive nhi kar payenge.

Survival...ji ha survival...ab yahi shabd mere mann me ghum raha tha.

Hollywood movies dekh dekh kar, Subah jo kuch hua use dekh kar aur news channel dekhne ke baad main ek baat samajh gya tha ki ye bimari jo bhi hai, jaldi khtam nhi hogi.

Ya shayad ye sach me iss duniya ka antim samay tha. Aur iss vakt me vahi jinda rahega jo takatvar hoga. Ye duniya ek jungle ban chuki thi, ghumti phirti laasho ka jungle.

Aur iss jungle me takatvar hi jinda rahega.

"Survival of the fittest"

Aur mujhe sirf apne aapko hi nhi, Maa aur Didi ko bhi safe rkhna tha. Main samjh gya tha ki hum jyada din tak iss ghar me bhi nhi reh payenge.

Bahar papa ki lash vaise hi padi thi, vo drishya mere dil ko bahut chot pahucha raha tha. Main papa ko iss hall me nhi dekh sakta tha.

Main Ghar ke andar gya aur ek bada sa chaku aur kerosin ki can lekar aa gya. Vo zombie jo ghar ke bahar tha shayad jaa chuka tha. Mene gate khola aur bahar aa gya.

Didi mujhse puchne lagi ki main kahan jaa rha hu. Mene unse maa ke sath rehne ko kehkar, gate ko bahar se kundi lagayi aur bahar ki taraf chhat par chala gya, chhat par kafi sari ladkiya rakhi hui thi.

Mene unn lakdiyo ko chhat se niche gali me feka aur niche aa gya. Phir main papa ki lash ke pass gya unki lash ko mene safed kapde se dhakkar uthaya aur ladkiyon ko stand ki tarah banakar uspar rakh diya.

Phir kuch bachi hui lakdiyo ko unke upar rakhkar, uspar kerosine dalkar unka antim sanskar kar diya. Pta nhi unki atma ko is tarah ke ghatiya antim sanskar se mukti milegi yaa nhi lekin main unko uss halat me nhi dekh sakta tha.

Unki chita gali me hi dhu dhu kar jalne lagi.

Didi aur Maa khidki se mujhe ye sab karte dekh rahi thi, lekin kuch keh nahi rahi thi. Shayad unke pass kehne ko kuch tha bhi nhi.

Jab papa ka shreer puri tarah se jal gya to main gate kholkar andar aaya. Andar aate hi didi ne mujhe ek jordar thappad jad diya. Shayad vo papa ke is tarah antim sanskar kiye jane se naraj thi.

Didi - kyu gya bahar bol, gate kyu band kiya, kal papa bhi aise hi gye the hame band karke aur phir vapas nhi aaye ( ye kehkar didi rone lagi😭😭😭)

Main unhe apne gale se lagakar chup karane laga.

Didi - kya ho raha hai ye sab, kyu papa ke sath aisa hua. 😭😭😭

Main - chup ho jao didi, ab sab kuch aisa hi ban chuka hai...aapko himmat rakhni hogi varna maa ko kon sambhalega.

Phir main maa ke pass gya.

Main - Maa kuch to bolo, pls. Aap subah ro rahi ho.

Main - agar aap nhi bolengi to main bhi papa ki tarah chala jaunga.

Ye sunte hi maa chikh padi.

Maa - nahinnnnn, nahinnnn, tu mat jana mere bete, 😭😭😭, tu mat jana, teri maa mar jayegi tere bina😭😭.

Main - nahi jaunga maa, kahi nahi jaunga, lekin apne aapko sambhaliye, papa ab lautkar nhi ayenge. lekin hame aapki jarurat hai...

Maa - 😭😭😭ye sab kya ho rha hai, mujhe kuch samjh nhi aa raha.

Main - ye sab zombies hai

Didi - zombies? Lekin vo to filmo me hote hai.

Main - Shayad filmo ki kahani ab hakikat ban chuki hai.

Didi - kya, ab hamara kya hoga😨 kya ab hum bhi mare jayenge.

Main - Nahi, kuch nhi hoga hame. Me aapko aur maa ko ek khroch tak nhi aane dunga.

Maa - zombies, ye kya hota hai?

Main - thik thik to muje bhi nahi pta, maa. lekin jitna mene jana hai, log ab ek dusre ko kha rahe hai, vo khana chhodkar insan ko khane lage hai, aur agar unme se kisine hame kaat liya aur ham jinda bache to hum bhi unki tarah ban jayenge.

Maa - 😨hey bhagwan, ye kaisi bimari hai.

Main - kuch nhi hoga maa, chinta mat karo. Main hu naa.

Maa - ab tu hi hai beta😭😭.

Hum bethkar intezar karne lagte hai, aaj maa aur didi ke liye main khana banakar lata hu. Vo dono khane se mana karti hai, lekin main apni kasam dekar unhe khana khilata hu. Kyoki abhi khana hi sabse jaruri tha.

Main apne hatho se dono ko khana khila raha tha, dono mujhe bahut dhyan se dekh rahi thi.

Main - kya hua mere chehre par kuch laga hai kya?

Didi - nahi

Main - to phir aise kya dekh rhe ho dono.

Maa - hmara kitna khyal rakh raha hai tu, jabki hame tera khyal rkhna chahiye.

Main - main vahi kar rha hu, jo papa karte. Ab main hi iss ghar ka akela mard hu.

Papa ka jikr hote hi unn dono ke chehre par phir udasi chha gyi.

Main - khabardar agar koi roya to. main baat nahi krunga.

Didi - hum nahi royenge.

Aaj ka din to aise hi nikal gya, raat ko hum tino ek sath hall me hi bistar lagakar soye.

Main - didi

Didi - haa

Main - kal aapko meri madad karni hogi.

Didi - kis kaam me

Main - ye side vali divar ko todkar chhat ki sidiyo ke liye kholna hoga. Chhat par saman hai jo hamare kaam aa sakta hai. Lekin baar baar bahar se chhat par jane me khatra hai isliye kal hame ye divar todni hogi taki hum ghar ke andar se hi chhat par jaa sake.

Phir hum tino sone lage, lekin mujhe nind nahi aa rahi thi, main kisi bhi tarah ka khtra nhi le sakta tha. Isliye main raat bhar jagta raha.

Bahar se dheere dheere aawaje aa rahi thi, mtlb zombies bahar ghum rahe the.
 
Status
Not open for further replies.
Top