• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Sarvnaash

Status
Not open for further replies.

rocket league

I predicted your prediction
4,047
18,528
144
Update 2
'Survival'

Subah se shaam ho gyi thi, hum log apne hi ghar me band the. Maa aur Didi ka rokar bura haal tha. Maa to kuch bol hi nhi rahi thi.

Sabhi TV channels aana band ho gye the, Phone me network aa raha tha lekin internet nahi chal raha tha. Sirf call ki jaa sakti thi.

Maine bahut sari hollywood zombie movies dekhi thi, lekin main nhi janta tha ki jaisa filmo me dikhate hai ye bimari vaisi hi hai yaa usse bhi khatarnak.

Main bhi papa ke marne par bahut dukhi tha vo mere mentor the, mujhe hamesha behtar aur takatvar ban ne ki baat kaha karte the. Lekin aaj vo mere sath nhi the.
Lekin mujhe maa aur didi ko bhi sambhalna tha, isliye main dukh me nahi beth sakta tha. Agar main kamjor pad gya to hum log ek din survive nhi kar payenge.

Survival...ji ha survival...ab yahi shabd mere mann me ghum raha tha.

Hollywood movies dekh dekh kar, Subah jo kuch hua use dekh kar aur news channel dekhne ke baad main ek baat samajh gya tha ki ye bimari jo bhi hai, jaldi khtam nhi hogi.

Ya shayad ye sach me iss duniya ka antim samay tha. Aur iss vakt me vahi jinda rahega jo takatvar hoga. Ye duniya ek jungle ban chuki thi, ghumti phirti laasho ka jungle.

Aur iss jungle me takatvar hi jinda rahega.

"Survival of the fittest"

Aur mujhe sirf apne aapko hi nhi, Maa aur Didi ko bhi safe rkhna tha. Main samjh gya tha ki hum jyada din tak iss ghar me bhi nhi reh payenge.

Bahar papa ki lash vaise hi padi thi, vo drishya mere dil ko bahut chot pahucha raha tha. Main papa ko iss hall me nhi dekh sakta tha.

Main Ghar ke andar gya aur ek bada sa chaku aur kerosin ki can lekar aa gya. Vo zombie jo ghar ke bahar tha shayad jaa chuka tha. Mene gate khola aur bahar aa gya.

Didi mujhse puchne lagi ki main kahan jaa rha hu. Mene unse maa ke sath rehne ko kehkar, gate ko bahar se kundi lagayi aur bahar ki taraf chhat par chala gya, chhat par kafi sari ladkiya rakhi hui thi.

Mene unn lakdiyo ko chhat se niche gali me feka aur niche aa gya. Phir main papa ki lash ke pass gya unki lash ko mene safed kapde se dhakkar uthaya aur ladkiyon ko stand ki tarah banakar uspar rakh diya.

Phir kuch bachi hui lakdiyo ko unke upar rakhkar, uspar kerosine dalkar unka antim sanskar kar diya. Pta nhi unki atma ko is tarah ke ghatiya antim sanskar se mukti milegi yaa nhi lekin main unko uss halat me nhi dekh sakta tha.

Unki chita gali me hi dhu dhu kar jalne lagi.

Didi aur Maa khidki se mujhe ye sab karte dekh rahi thi, lekin kuch keh nahi rahi thi. Shayad unke pass kehne ko kuch tha bhi nhi.

Jab papa ka shreer puri tarah se jal gya to main gate kholkar andar aaya. Andar aate hi didi ne mujhe ek jordar thappad jad diya. Shayad vo papa ke is tarah antim sanskar kiye jane se naraj thi.

Didi - kyu gya bahar bol, gate kyu band kiya, kal papa bhi aise hi gye the hame band karke aur phir vapas nhi aaye ( ye kehkar didi rone lagi😭😭😭)

Main unhe apne gale se lagakar chup karane laga.

Didi - kya ho raha hai ye sab, kyu papa ke sath aisa hua. 😭😭😭

Main - chup ho jao didi, ab sab kuch aisa hi ban chuka hai...aapko himmat rakhni hogi varna maa ko kon sambhalega.

Phir main maa ke pass gya.

Main - Maa kuch to bolo, pls. Aap subah ro rahi ho.

Main - agar aap nhi bolengi to main bhi papa ki tarah chala jaunga.

Ye sunte hi maa chikh padi.

Maa - nahinnnnn, nahinnnn, tu mat jana mere bete, 😭😭😭, tu mat jana, teri maa mar jayegi tere bina😭😭.

Main - nahi jaunga maa, kahi nahi jaunga, lekin apne aapko sambhaliye, papa ab lautkar nhi ayenge. lekin hame aapki jarurat hai...

Maa - 😭😭😭ye sab kya ho rha hai, mujhe kuch samjh nhi aa raha.

Main - ye sab zombies hai

Didi - zombies? Lekin vo to filmo me hote hai.

Main - Shayad filmo ki kahani ab hakikat ban chuki hai.

Didi - kya, ab hamara kya hoga😨 kya ab hum bhi mare jayenge.

Main - Nahi, kuch nhi hoga hame. Me aapko aur maa ko ek khroch tak nhi aane dunga.

Maa - zombies, ye kya hota hai?

Main - thik thik to muje bhi nahi pta, maa. lekin jitna mene jana hai, log ab ek dusre ko kha rahe hai, vo khana chhodkar insan ko khane lage hai, aur agar unme se kisine hame kaat liya aur ham jinda bache to hum bhi unki tarah ban jayenge.

Maa - 😨hey bhagwan, ye kaisi bimari hai.

Main - kuch nhi hoga maa, chinta mat karo. Main hu naa.

Maa - ab tu hi hai beta😭😭.

Hum bethkar intezar karne lagte hai, aaj maa aur didi ke liye main khana banakar lata hu. Vo dono khane se mana karti hai, lekin main apni kasam dekar unhe khana khilata hu. Kyoki abhi khana hi sabse jaruri tha.

Main apne hatho se dono ko khana khila raha tha, dono mujhe bahut dhyan se dekh rahi thi.

Main - kya hua mere chehre par kuch laga hai kya?

Didi - nahi

Main - to phir aise kya dekh rhe ho dono.

Maa - hmara kitna khyal rakh raha hai tu, jabki hame tera khyal rkhna chahiye.

Main - main vahi kar rha hu, jo papa karte. Ab main hi iss ghar ka akela mard hu.

Papa ka jikr hote hi unn dono ke chehre par phir udasi chha gyi.

Main - khabardar agar koi roya to. main baat nahi krunga.

Didi - hum nahi royenge.

Aaj ka din to aise hi nikal gya, raat ko hum tino ek sath hall me hi bistar lagakar soye.

Main - didi

Didi - haa

Main - kal aapko meri madad karni hogi.

Didi - kis kaam me

Main - ye side vali divar ko todkar chhat ki sidiyo ke liye kholna hoga. Chhat par saman hai jo hamare kaam aa sakta hai. Lekin baar baar bahar se chhat par jane me khatra hai isliye kal hame ye divar todni hogi taki hum ghar ke andar se hi chhat par jaa sake.

Phir hum tino sone lage, lekin mujhe nind nahi aa rahi thi, main kisi bhi tarah ka khtra nhi le sakta tha. Isliye main raat bhar jagta raha.

Bahar se dheere dheere aawaje aa rahi thi, mtlb zombies bahar ghum rahe the.
Mast ja rahi hai story or ye Update bahot mast tha aab dekhte hai hero or uski family kitne dino tak iss ghar mai rehti hai
 
  • Like
Reactions: parkas and JAIY

JAIY

Member
321
1,185
124
Superb beginning khatarnak update yaar 😍

Behatreen update
Not a new concept, but I think first time on this forum

:congrats: Bro
what a different and lovely start

Yep zombies.....kafi pyara seen ha or kafi movies dekh chuki hu inpe.....bhot kuch ha internet per aapne bhot aache se samjhya ha ...is update me to ha saandaar ab ko log isko samjhange unko pasand aayaga....
Per mera ek suggestion ha ki aap isme love 🤔or chaho to sex or thodi comady aad karo per main concpet zombies ka hi rakho....🤔baki intazzar rahaga hamesha ki trh agle update ka

Awesome, hero ko strong kare

Update please
Update 2 Posted dosto, read and give your precious reviews. Check out in INDEX
 

JAIY

Member
321
1,185
124
Mast ja rahi hai story or ye Update bahot mast tha aab dekhte hai hero or uski family kitne dino tak iss ghar mai rehti hai
Thanks Bhai
Jyada din nahi reh payenge
 
  • Like
Reactions: parkas

Rekha rani

Well-Known Member
2,512
10,634
159
Update kisi ko pasand nhi aayi kya?
Jab tak kahani ke regular update nhi aayenge tab tak readers nhi aayenge, yha daily new story shuru hoti hai aur phir update aate nhi, abhi aapne 2 update diye hai inki sankhya 10 tak pahuchne dijiye readrs apne aap aayenge aur reviews denge
 

hiakarji

Incest lover 😘😘😘
3,017
7,078
144
JAIY broo bht axha or nice concept hy lkn jaab tk ek firm main story nai ati taab tk aisey hi chaly ga koi support krt gaa koi tang khenchey ga koi tanqeed krey gaa bs ap story likhoo or os ko track or ly kr aao yahan bht kaam writers koi first update sy support milna lagta hy ap likhoo or chah jao axha likh rhy hoo
 

urc4me

Well-Known Member
21,852
36,298
258
Romanchak. Pratiksha agle rasprad update ki
 
  • Like
Reactions: parkas and JAIY

rocket league

I predicted your prediction
4,047
18,528
144
Update kisi ko pasand nhi aayi kya?
100 bage tapa to phir dekha response story pe revo ki abhi tention chor do story pe focus karo jaise jaise Update aayenge ek clear plot ban jayega phir log padhna chalo krte hai or iss type ki story jab 5 ya 10 Update nahi aaye kuch logo ko maza nahi aata unhe chahiye quality + quantity soo story continue rakho tum
 
Status
Not open for further replies.
Top