If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Pichle update mei aapne dekha ki Shubham jab Laal pathar ka pass pahucha toh uske samne Swaroopa aa gayi aur usne Shubham ko kaid kar liya…. Vahi Mathira Guru Trajang ki shishya jo ki Shubham ki dusri premika hai vo Aaliya ko apne saath lekar chali gayi…. Vahi Elika Nancy ko Saaye ki beti se milati hai….. Aur usse lekar ek dusri jagah jati hai…
Ab Aage…..
Place: Roop Nagar….
Jaisa ki aapne padha Swaroopa Shubham ko lekar apne Nagar ka liye nikal jaati hai…. Uske magic ki vajah se Shubham aur Swaroopa dono hi uske nagar mei kuch hi minute mei pahuch gaye….
Shubham: Jaise Jaise mei ander jaa raha tha mujhe vaha par log dikhayi dene lage…. Meine dhyan se dekha toh vaha mujhe do kisam ka log dikhayi diye…. Pheli tarah ka log vo tha jinke sharir par kaale se kapde tha aur unke haath mei hadiyo ka ek hathiyar….. Unn sabhi ka sharir par kaale kapdo ka alawa haatho mei ek chamkili chij bandhi hui thi, vaisi chij meine phele kabhi nahi dekhi thi….
Dusre tarah ka log tha mere jaise jinke gale mei vo wire bandha hua tha aur unke sharir par alag kapde tha…. Phele tarah ka log dusre tarah ka logo se pure nagar ka kaam karwa rahe tha…. Vaha bache, buddhe, jawan sabhi log maujood tha…. Unhone kissi ko nahi baksha…….
Swaroopa: Esse kya dekh rahe ho rakshak…. Ya sab bhi tumhari tarah hi mere gulam hai…. Ya kaale kapde vale mere nagar ka sainik hai, jo ki alag alag jagah ka bade bade jadugar ya yodha hai, vahi dusre log aam log hai…… Yaha kaa har basindha mera gulam hai….
Tabhi vaha ek aurat ki awaj aati hai…. Uss awaj ko sun mei aur Swaroopa dono uski taraf ghumte hai….
Awaj: Galt soch hai teri Swaroopa….. Ya sab tere nahi tere kaale jaadu ka gulam hai…. Mujhe Vishwas hai ek na ek din humara rakshak jarur hume bachane aayega…. Tera kaal bankar….
Swaroopa: Uss aurat ki ya baat sunkar vo jor jor se hasne lagi…… Janti hai tu aaj tak jinda kyu hai Maa…..(Jee dosto ya Swaroopa ki Maa hai, par Swaroopa na usse bhi apni kaid mei kar liya hai….) kyunki mei til til kar tujhe tere logo ki maut dikha saku…. Tujhe har din iss baat ka dard ho ki teri vajah se ya sab kuch ho raha hai aur tu iski jimmedar hai…. Aur rahi baat tere uss Rakshak ki, toh dekh samne ya jo khada hai na ya hai iss Brahamand ka Rakshak…..
Aaj tere aur tere iss Rakshak dono ka samne tere logo ko maut dungi dekhti hu tum dono hi kaise bachate ho apne logo ko…. Apne ek sainik ki taraf ishara karti hai….
Sainik: Vo apne saath kuch logo ko lekar aata hai…. Jismei do aurat, do aadmi aur k choti si ladki hote hai...... Vo ladki mujhe dekhti hai aur muskurane lagti hai, vahi mujhe bhi uss ladki ko dekh essa lagta hai jaise mei isse janta hu……
Swaroopa: Bandh do inn sabhi ko aur aaj iss pure nagar ka samne inko kode maar maar kar maut ka ghat utar do…..
Sainik: Jaisa usko aadesh mila usne vaisa hi kar diya…. Usne sabhi ko bandha….. Aur uske baad usne unn sabhi ko mere samne kode maarne laga…..
Unn logo ka chikhne ki awaj uss pure vatavaran mei fail rahi thi….. Unki chikh sunkar Swaroopa ka man ko jaise shanti mil rahi thi…. Uska rom rom khil uth raha tha….. Vo has rahi thi aur uske saath uske sainik bhi has rahe tha….
Vahi mei lachar sa khada khada ya sab dekh raha tha…. Mei chat pata raha tha, par mere sharir ka koi hissa meri baat nahi maan raha tha….. Meine bahut koshish kari par mei apna haath bhi nahi utha saka…..Aakhir ant mei vo sabhi dard bardash nahi kar sake aur apne praan tyag diye….Apne samne bekasor logo ki maut hote dekh meri aankho se apne aap hi aasu nikalne lage…..
Swaroopa: Mere pas aakar meri aankho se behate aasu saaf karke…. Rakshak tum toh bahut kamjor nikale…. Abhi toh tumne dekha hi kaha hai….. Bus kuch raate aur ruk jaao….. Uske baad tum mere humesha humesha k liye gulam ban jaaoge aur uske baad tum apne haatho se inn sabhi ko maut doge….
Shubham: Mei kuch bol toh saka nahi, bus meri aankhe gusse mei laal ho gayi…… Meri aankho ka colour badal kar neele se laal ho gaya…. Jisse dekh Swaroopa ka cehare par ek baar firse bahut badi muskaan aa gayi, jaise usne kuch bahut bada hassil kar liya ho….
Swaroopa: Vo ek baar fir palti aur unn paancho ka sharir se behate khoon ko apne jaadu se hawa mei utha kar ek jagah ikhata kar diya aur uska rukh apni Maa ki taraf kar diya…. Vo ikhata hua khoon uski Maa ka upar jakar barish ki tarah unke upar girne laga….. Swaroopa ki Maa ka pure sharir par unn paancho ka khoon lag gaya…. Vo khudko usse bachane ka liye hil bhi nahi saki…..
Swaroopa: Uske pass jakar, inn 5 bekasuro ki maut ki jimmedar tum ho Maa…. Ya khoon kuch dher mei tumhare sharir par sukh jaayega, ya khoon tumhai har samaye inki maut ka karan yad dilayega aur tum ander hi ander tadapogi maut ka liye par maut tumhai nahi aayegi…. Tum har second maut mangogi par maut tumhai nahi milegi…. Ya baat kahate hua Swaroopa ki aankhe puri laal ho gayi thi, jaise ki abhi uski aankho se angare nikalege aur sab kuch khatam kar dege….
Uske baad Swaroopa mujhe lekar apne mehal mei bane ek bandhiyo ko rakhne ki jagah le gayi aur mujhe uske ander band kar diya…..
Swaroopa: Sainiko, dhyan rakhna agle do din tak ya yaha se hil bhi nahi sake….. Isse khana, paani kuch dene ki jarurat nahi hai…. Tumhari aankhe har shan bus issi par honi cahaiye….. Ya kaha Swaroopa vaha se nikal gayi….
Shubham: Uske sabhi sainiko ne mujhe bandhi bana diya aur sabhi logo ki najar bus meri taraf hi ghum gayi…. Kuch der esse hi bandhe rahene ka baad achanak hi mera sharir hilne laga….Mei khudko jaise hilane ki koshish kar raha tha vo hil raha tha…. Mei samajh nahi saka ki aakhir ya sab ho kya raha hai…. Achanak hi mei kaise hilne dulne laga….. Abhi mei kuch aur jada sochta usse phele hi mujhe apne kaid khane ka samne jo sainik tha vo ek dum behosh hote hua jamin par baithe dikhe….
Unke behosh hote hi mere samne jo aaya usse dekh mujhe shock laga…. Vo koi aur nahi vahi choti si ladki thi jisse kuch der phele Swaroopa ka ek sainik na sabhi ka bich kode maar maar kar uski jaan le li thi….
Bachi: Vahi vo mujhe dekh bus muskura rahi thi…. Usse jaise ya samajh aa raha tha ki meri halat kaisi hai…. Usne uss Kaid khane ki salakho ko chua aur vo sab apne aap hi gayab ho gayi aur chal kar mere samne aa gayi….
Bachi: Esse kya dekh rahe ho, abhi kuch der phele hi toh mile tha hum sadak par…..
Shubham: Mile toh tha, par tum toh vaha sadak par mar gayi thi na kode khate khate…. Toh fir tum yaha kaise….???
Bachi: Usne apne haath aage kare aur mere haath aur pair dono rassi se jo bandhe tha khul gaye…. Tumhai kisne kaha ki mei vaha mar gayi thi…. Mera sharir aur meri aatma amar hai…. Mjhe na koi maar sakta hai aur na hi koi nuksaan pahucha sakta hai…. Mei khud apni icha se jab jaha jaise cahau vaisa kar sakti hu….
Shubham: Kya par kaise aur ho kon tum…..???
Bachi: Abhi unn sabhi baato ka samaye nahi hai…… Abhi ka liye tumhai yaha se jaana hoga, kyunki iss pure Roop Nagar ko tumse umeed hai…. Usne apne haath aage karke ek door khol diya, tum iss darwaje se dusri taraf pahuch jaoge…. Jaha se tumhai apni naak ki sidh mei jaana hai…. kuch dhur jaane ka baad tumhare aage ka rasta band ho jaayega, uss samaye tumhare samne jo deewar hogi tumhai uske upar apne dono haath rakhne hoge aur man mei bus khudko dekhne ki koshish karna…. Jaise hi khudko dhund loge, uss samaye vo deewar gayab hokar ek raste mei badal jaayegi….
Shubham: Par uss raste par jaane se hoga kya….??? Aur aakhir tum ya sab janti ho toh khud kyu kuch nahi karti….????
Bachi: Abhi saval nahi sirf suno….Samaye kam hai humare pass…. Uss raste par jab tum chaloge vo rasta hi tumhai tumhari manjil tak lekar jaayega…. Jaha tumhai apne iss gale mei bandhe taar aur Swaroopa ki maut kaise hogi iska raaj milega…. Yaad rakhna tumhare pass sirf do pure din hai, vaha khatra bhi hoga aur tumhara jaadu kaam nahi karega…. Jo karna hai sirf khudpar vishwas rakh kar hi karna hoga…. Ab jaao….
Shubham: Usse puchne ko saval bahut tha, par samaye jaisa usne bataya vo bahut kam tha…. Islye mei uss door mei se hote hua dusri duniya mei pahuch gaya…. Uss duniya mei jab mei pahucha toh samne sab kuch andhera hi andhera tha…. Bus meri naak ki sidh mei hi kuch roshni si dikh rahi thi jo ki dekhne par essa lag raha tha ki kaafi dhur se aa rahi hai…. Mei uss bachi ki baat mankar ussi raste par chalta chala gaya…. Meine socha kyu na apni shakti Neela Unicorn ki speed ka istemaal kiya jaaye…. Meine usse awaj di, jiske javab mei mujhe kuch nahi mila…. Essa do teen baar karne ka baad bhi jab kuch nahi hua, toh samajh aa gaya ki kissi bhi tarah ki shakti kaam nahi karne vali hai….
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Place : Paristan
Ya vo jagah hai jaha iss samaye Elika aur Nancy dono aaye hua hai….Jaisa ki meine pichle update mei bataya tha ki Elika Nancy ko lekar kahi gayi hai, par kaha ya nahi…. Toh vo jagah hai Paristan…. Isse phele bhi Nancy na Paristan ko dekha hai…. Par abhi jaha vo thi usne ya jagah kabhi nahi dekhi thi aur issi vajah se Nancy na uss jagah ko dekh ya kaha tha ki hum kaha hai….
Nancy: Elika, ya tujhe kaha mila aur hum iss samaye kaha hai….???
Elika: Nancy hum kaha hai ya tu khidki se bahar dekh kar samajh jaayegi….
Nancy: Usne dekha toh vo samajh gayi vo Paristan mei hai iss samaye….
Elika: Isko toh tu janti hi hai…. Iske bare mei mujhc jada khabar tujhe hogi….
Nancy: Ha Elika isse kaise bhul sakti hu…. Par ya tujhe mila kaha aur ya Shubham ka bich ki rukavat kaise hai…..??
Elika: Nancy tujhe yaad hoga ki school ka samaye Shubham gayab ho gaya tha aur kuch din baad hi khudse vapas aa gaya tha…. Janti hai usse gayab karne vala koi aur nahi yahi tha…. Isne hi Shubham ko gayab kara tha aur usse marne ki koshish kari thi…. Tabhi se isse dhund rahi thi…. Par na jaane ya kaha chup gaya tha uss din ka baad na kabhi samne aaya aur na hi isne koi aur kaam kara….
Abhi kuch samaye phele ya mujhe Zamata (Kairo’s Kingdom) mei dikhayi diya….. Isne mujhe jaise hi dekha vaha se bhagne laga, par meine uss samaye isse kuch nahi kara kyunki vaha bahut log tha par meine apne jaadu se iske piche kuch chuha chod diye tha jo saaye ki tarah iske piche bhagte rahe aur aakhir mei mujhe iski vo jagah mil gayi, jaha ya chupa hua tha….
Nancy: Elika toh tune isse maar kyu nahi diya abhi tak….??
Elika: Yaar isse marne ka man toh bahut hai, par abhi isse kuch baate jaani hai…. Bahut samaye se jaane ki koshish kar rahi hu, par ya kuch bolta hi nahi hai…. Agar aaj ya nahi bola toh mujhe vo sab raaj iske ander se nikalne padege….
Chaliye dosto aapko bhi bata deta hu jisse Elika na pakda hai vo koi aur nahi Minora hai…. Ya iss duniya ka sabse hunar baaj aur shatir contract killer hai…… Saari duniya ka raja isse apne dushman ko khatam karne ka kaam dete hai, jiske badle mei ya uss Rajye ki kuch ladkiyo ko aur bahut sara dhan leta hai…. Aaj tak isne jiss jiss ko maarne ka sauda kara hai vo sabhi iss duniya se vida ho chuke hai…. Par koi isse dhund nahi saka….. Sirf ya Shubham ko hi nahi maar saka….
Back too Story….
Elika: Usne apne haatho ko aage kara aur uske haath se paani nikala jo sidhe Minora ko laga, jiski vajah se uski chetna vapas laut aayi….
Minora: Hosh mei aane ka baad uski najar Elika par padi...... Tum fir aa gayi, Rajkumari nahi nahi Maaf karna Maharani Paristan (Ab ya mat sochna ki ya sab kab hua, kyunki jaise hi Shasha na apne jaadu ki takat Nabila aur Elika ko ek karne mei laga di, ussi samaye se Elika hi Paristan ki Maharani ban gayi hai….) Kitni baar kaha hai, mujhe kuch nahi pata aur agar pata bhi hoga toh mei tumhai kuch nahi bataunga….. Tabhi uski najar Nancy par padi, jisse dekh uske cehare par ek muskurahat aa gayi….. Aaj toh mera jeevan safal hogaya jo mujhe Rajkumari Arrington ka darshan hua….. Vaise Rajkumari uss din ka baad aaj aapko dekh raha hu…. Aap dubara kabhi mili hi nahi….
Nancy: Uske cehare ki uss muskurahat na Nancy ka ander bhare gusse ko aag dene ka kaam kiya…. Nancy na bina ek pal barbad kiye uske sharir ko apne Water Magic ki madat se pura baraf ka bana diya, sirf uska cehara hi azad tha…..
Nancy: Tujhe man toh jaan se maar dene ka kar raha hai, par kya karu ek toh tujhc bahut kuch jaana hai, dusra tujhe siddha maut de di toh fir na mujhe shanti milegi aur na hi uski aatma ko jo aaj tak teri maut ka intezar kar rahi hai…..
FlashBack
Arrington aur uske padosi Rajye Devda ka bich bahut ghanisht sambandh hai…. Jab Nancy ka janam hua, ussi samaye Devda Rajye ka Maharaj ko ek beta hua…. Dono hi Rajye ka Maharaj ek dusre ka liye bahut khush tha…. Issi khushi mei Devda ka Maharaj na Arrington Ka Maharaj se apni mitrata ko rishtedari mei badalne ki icha jatayi, jisse Maharaj Arrington na saharash suvikar kar liya…. Samaye nikala Nancy aur Devda Ka Prince dono bade hone lage aur dono ko hi ya pata tha ki dono ki shadi ek dusre se hogi jiski vajah se dono saath hi rahete tha aur dono mei pyar bhi bahut gehara hota chala gaya…. Par ya baat Arrington ka dusre padosi Rajye ko pasand nahi aayi, aur vo apne bête ka vivah Nancy se karana cahate tha, jiski vajah se unhone Minora ko Devda ka Prince ko maarne ki supari de di…. Jab Nancy aur Devda ka Prince dono hi 13 saal ka tha, toh ek din dono Devda mei ghumne ek jharne ka pass chale gaye bina kissi suraksha ka, vahi Minora na Nancy ka samne Devda ka Prince ko maut ka ghaat utar diya aur Nancy kuch nahi kar saki, tabse Nancy ek yodha banana cahati thi aur vo Minora ko dhund rahi thi….
Back to Present
Minora: Nancy ka magic se uska sharir thanda hone laga aur vo tadapne laga….. Uski iss tadap ko dekh Nancy khush ho rahi thi….
Elika: Minora mei aakhri baar puch rahi hu, kon hai vo jisne Shubham ko marne ka liye tumhai chuna tha….
Minora: Thand ki vajah se tadapte hua…. Meine kaha na mujhe kuch nahi pata hai…
Nancy: Elika ya esse kuch nahi bolega…. Tujhe iske dimak mei hi dekhna hoga…. Tadapne de isse…. Iski maut bhi ho gayi toh koi farak nahi padega….
Elika: Usse bhi Nancy ki baat sahi lagi, islye usne apna ek haath Minora ka sar ka upar rakh diya….. Dekhte hi Dekhte ek roshni Minora ka sar mei ghusi aur uske dimak mei jitni bhi baate jama thi vo ek screen ka roop mei Nancy aur Elika ka samne aa gayi…. Dono hi usse dekhne lagi, vahi Minora roshni ka apne sar mei ghuste hi jor jor se chilane laga…. Uski awaj chilane ki itni tej thi ki yadi koi behara bhi ho toh bhi uski chikh sun sakega….
Kaafi der tak dono esse hi Minora ki yadash ko dekhti rahi, par unhe kuch nahi mila…. Par kuch chije Elika na essi dekhi jiski vajah se uske cehara kuch seconds ka liye shock hua, par phir usn khudko sambhal liya, par vo kya tha ya aapko aage pata chalega….
Place: Earth
Yaha bhi chaliye kaafi samaye se nahi aaye hai toh chalkar dekhte hai ki aakhir yaha ho kya raha hai…. Pichli baar jab hum Earth par aaye tha, uss samaye yaha par Lily na Gujaral ko khatam kar diya tha aur vahi se Shubham gayab hokar pahuch gaya tha Dream World mei jiske aage ka aapko yaad hi hoga….
Shubham aur Aaliya ka jaane ka Earth se jaane ka baad Shubham na dono ka hi ek-ek clone ko bana diya aur unhe dharti par chod diya, jo ki Aaliya aur Shubham ki jagah Dharti par tha jiski vajah se dono ki gair maujudagi kisi ko pata nahi chali…. Vahi achanak Nitin ka gayab hone se Singhaniya Mansion mei hadkamp mach gaya…. Sabhi log Nitin ka gayab hone se pareshan tha, par 4 esse bhi tha jinhe uske yaha se jaane se jaise koi farak hi nahi pada ho…. Ya chaar mei se ek Aaliya ka clone, ek Nirmala Thakur (Unhe laga ki Shubham na usse raste se saaf kar diya), third thi Shubham ki vo bhen jisse Aaliya na sab bataya tha aur fourth thi Ranjhana Singhaniya…..(Ab inhe koi khaas farak kyu nahi pada ya hum aage dekhte hai….)
Vahi thoda piche vapas chalte hai aur pahuch jaate hai uss jagah vapas jaha Lily na Gujaral ko maara tha…. Lily ka Gujaral ko maut ka ghaat utarne ka baad sabhi log uski laash ko vahi chod kar chale gaye…. Kuch der baad do aadmi aaye aur unhone uss laash ko utha kar apni gaadi mei daal diya aur vaha se chale gaye aur piche chod gaye ek dusri laash, jisse unhone uss puri jagah aag laga kar jala diya……
Dono aadmi jaldi jaldi laash lekar pahuch gaye ek farm house mei jaha phele se hi koi unn dono aadmiyo ka intezar kar raha tha…..(Yaha gaadi valo ko A2, A3 likhunga aur farm house mei jo tha usse A1)
A1: Usne jaise hi gaadi ko aate dekha turant hi farm house ka gate khol diya aur gaadi ko ander lekar jaane ko kaha aur khud bhi gaadi ka piche piche bhagta hua ander aa gaya…..
A1: Kitni der laga di tum dono na…..
A2: Boss hum kya kare, vo log kaafi der tak vahi khade rahe…. Jaise hi vo gaye hum iss laash ko lekar aa gaye….
A3: Boss iss laash ka parts ko kya hum nikal kar bechege….
A1: Tum dono apna muh aur dimag dono hi kam chalao aur iss laash ko jaldi se nikal kar vo samne bane garden mei jo khada hai uske ander dafna do….. Jaldi karo mera muh mat dekho….
A2 aur A3 dono hi jaisa A1 na kaha vaisa hi karne lage aur unhone Gujaral ki laash ko vaha dafna diya…..
A2: Boss aapne iss laash ko apne itne sundar garden mei kyu dafna diya…. Hum isse kahi aur dafna dete….
A3 : Ha boss kitna sundar hai ya garden saara kharab kar diya aapne….
Pichle update tak aapne dekha ki Shubham ek anjane raste par nikal gaya hai, jaha usse Swaroopa ka ant ka baare mei pata chal sake….. Vahi Dusri taraf Elika Nancy ko uss insaan se milati hai jisko Elika na utha liya tha aur Nancy jab usse dekhti hai toh usko uske upar bahut gussa bhi aata hai…. Vahi Earth par Nitin ka gayab hone se Singhaniya Mansion mei afratafri machi hui thi, par Ranjhana ko Nitin ka gayab hone se koi khaas farak nahi pada…..
Ab Aage….
Place: Earth
Iss samaye Ranjhana Singhaniya aur Nirmala Thakur dono hi ek gaadi mei baithe jaa rahe tha, vahi Nirmala Thakur lagatar apni beti ko dekh rahi thi aur soch rahi thi ki aakhir vo kaise apni beti se baat kare….. Kyunki aaj unhone ya faisla kar liya tha ki cahaiye kuch bhi ho jaaye aaj vo Ranjhana ko sachayi bata kar hi rahegi….. Vo bus gaadi mei baithe yahi soch rahi thi…. Unhe samajh nahi aa raha tha ki vo apni ek dum hasti hui beti ko ya sab kaise bataye…. Vahi unhe ya baat bhi khatak rahi thi ki aakhir Ranjhana ko Nitin ka jaane se koi farak kyu nahi pada…..
Nirmala Thakur baithe baithe ateet ka pano mei kho gayi….. Unhe vo samaye najar aane laga jis din unki beti ka janam hua tha aur vo kitni khush thi…. Unhone apne pure gaav ko iss baat ki khushi mei ek mahine tak ka bhojan karaya tha…. Apni beti ka paida hone par unhone apne gaav ka sabhi kisano ka karz maaf kar diya tha…. Phir unke samne vo samaye aane laga jab unki beti badi hone lagi tab vo kitni masti karti thi, par har raat vo Nirmala Thakur se kahani sune bina nahi soti thi…. Samaye aage bada aur Ranjhana pheli baar school ka fansy dress competition mei first aayi thi…. Uss samaye Ranjhana kitni khush thi…. Uske baad Ranjhana ka college ka din aur fir uski shadi ka samaye….. Unhe vo sab kuch apni aankho ka samne dikh raha tha jaise vo sab kuch abhi hi ghatit ho raha ho…. Nirmala Thakur ko vo din yaad aa gaya jab Ranjhana ko beta nahi ho raha tha toh kitni dukhi thi, vo har mandir masid sabhi jagah apna shish jhukaya karti thi….. Essa nahi tha ki Ranjhana ko apni betiyo se pyar nahi tha, par usse bete ki caha islye thi kyunki uski betiyo ko ek bhai cahaiye tha……Usne Nirmala Thakur se apni ya pareshani saja kari aur saath hi uske hal ka liye bhi tab achanak hi unhe ek Rishi mile jinhone unki madat kari…. Aur fir vo samaye jab Shubham ka jana tha….
Ranjahana Shubham ka janam ka samaye kitni khush thi…. Uski khushi ka koi thikana nahi tha…. Usne apni sabhi betiyo ko unke bhai se milwaya…. Fir uske baad janam ka dusre din hi apne bete se dhur hone ka dukh aur fir itne saalo se apne bete ko yaad karna….. Uska apne bete ki lambi aayu aur khushi ka liye uske har janamdin par har saal hazar brahaman ko apne haatho se bana bhojan karana….. Aur aaj jab unki beti ko pata chalega ki jiss bete ka liye vo ya sab kuch kar rahi hai thi, vo na jaane kaha hai aur kis halat mei hai…. Jab usse pata chalega ki jisse vo abhi tak beta samajh rahi thi asal mei vo toh Singhaniya aur Thakur Pariwar se apna badla lene ka liye aaya tha…. Jab usse ya pata chalega ki uski Maa itne saalo se uske bete ka baare mei sab kuch jhut bol rahi hai toh uss samaye uske upar kya bitegi…. Uska apni Maa se iss duniya se sabhi chijo se bharosa hi uth jaayega….. Usse badkar vo khudko kaise sambhalegi...... Vo kahi khudka aapa hi nahi kho de ….. Yahi sab sochte hua Nirmala Thakur ki aankho se aasu ki jhadi behane lagi….. Vo aur na jaane kitne samaye esse hi raheti yadi unki tandara Ranjhana ka hilane se nahi tutati……
Ranjhana: Maa kaha kho gayi, kabse awaj laga rahi hu, aur ya tum ro kyu rahi ho…..???
Nirmala: Vo apni beti se muh fer kar, kuch nahi beta vo kal nind nahi aayi thi na islye…. Tu kuch kahe rahi thi na…..
Ranjhana: Maa tumhara dhyan kaha hai….??? Mei toh bus yahi kahe rahi thi ki utro hum pahuch gaye hai farmhouse….
Nirmala: Par hum farmhouse kyu aaye hai….???
Ranjhana; Maa tumhari tabyat toh thik hai na…. Meine raste mei tumse hi pucha tha na ki hum farmhouse chale kya toh tumne ha bhari thi….. Tumhara dhyan kaha hai Maa….??
Nirmala: Ary mei ek dum thik hu, bus mei ya dekh rahi thi ki tumhai kitna yaad hai….. Tabhi uski najar gate par padhti hai….
Nirmala: Ya dono yaha kya kar rahe hai…..???
Ranjhana: Maa inhe meine hi yaha bulaya hai…..
Nirmala: Tune par kyu…..??? Aur kab…..??? Humara toh yaha aane ka plan raste mei hi bana hai na…..
Ranjhana: Maa aap ander chaliye mei aapke sabhi savalo ka javab deti hu…..
Ab chaaro ander baithe hua tha….. Ya log ek round table ka aas pass baithe hua tha…. Nirmala abhi bhi samajh nahi paa rahi thi aakhir ya sab ho kya raha hai…..
Nirmala: Ranjhana tu mujhe batayegi, aakhir tune inn dono ko yaha kyu bulaya hai aur hum yaha kyu aaye hai…..???
Ranjhana: Maa ek baat batao aapko ya baat pata thi na ki Nitin mera beta nahi hai…. Sach Sach batana….
Nirmala: Ranjhana ki baat sunkar toh uske hosh hi ud gaye…. Usne toh ya expect hi nahi kara tha ki Ranjhana ko ya baat pata chalegi….. Uski jaban ko jaise lakwa maar gaya tha, aur uske muh se koi shabd hi nahi nikal rahe tha…..
Uski essi halat dekh…..
Aaliya Clone: Maa aap na meri Nani ko jabardasti gunhagar mat banao…… Ya sab kuch aapke bete ka kiya dhara hai….. Nani toh bus vahi sab kar rahi thi jo aapke iss Nalayak Bete na karne ko kaha tha, ya baat Aaliya Clone na Shubham 5(Friends ya eight mei se 5th no. ka Earth par hai….)ka kaan pakad kar kahi thi…..
Nirmala:Aaliya clone ki ya baat sunkar toh jaise unhe ek essa jhatka laga jaise toh kissi na unhe High Tension Electricity Wire hi pakda di ho….. Vo toh bus aankhe faade kabhi Ranjhana ko, kabhi Aaliya Clone ko aur kabhi Shubham 5 ko dekh rahi thi……
Ranjhana: Kyu Maa laga na shock…..??? Ya tumhara hi Naati hai tumhare saath hi game khel gaya….
Nirmala: Unhe abhi bhi jada kuch khaas samajh nahi aa raha tha ki aakhir ya sab ho kya raha hai…..???
Abhi vo kuch puchti usse phele hi vaha kaam karne vali naukrani na Ranjhana ko kitchen mei kuch baat ka liye bula liya….. Ranjhana bhi vaha se uth kar kitchen mei chali gayi…..
Nirmala: Aaliya, Shubham tum dono ya sab kya kar rahe ho…..???? Aaliya tu apni Maa se ek jhut aur bol rahi hai…..
Aaliya Clone: Nahi Naani mei maa se koi jhut nahi bol rahi hu….. Mei jo bhi kaha rahi hu sab kuch sach hai…. Meine Shubham ka DNA report bhi nikalwa liya hai, jisse ya prove hota hai ki SHubham hi humare Pariwar ka beta hai…..
Shubham: Nani mujhe bhi ya sab kuch baad mei pata chala hai…… Mujhe phele kuch nahi pata tha…. Mei sach kahe raha hu…..
Aaliya Clone: Iske baad vo Nani ko jo unke Guruji na dono behano ko Shubham ka baare mei bataya tha vo sab kuch bhi bata diya….. JIsse sunne ka baad Nani ko bharosa hua ki Shubham hi unka naati hai…..
Nani; Par tumne ya sab kuch Ranjhana ko kab bataya…..
Ranjhana: Ya mei batati hu….
Chaliye dosto jab tak Ranjhana apni Maa ko ya bata rahi hai ki Shubham na kab uski Maa ko ya sab kuch bataya, hum thoda flashback chalte hai…..
Ya baat tab ki hai, jab Shubham na apne 7 roop aur kare tha, ussi samaye Shubham na Shubham 5 ko dharti par jaane ka liye kaha aur vaha apni Maa se milkar unhe sab kuch sach sach bata dene ko kaha….. Kyunki Shubham ko iss baat ka ehsaas tha ki jab Nitin Earth se gayab hua, uske baad uski Maa ka haal bahut bura ho jaayega…… Aur ek beta kabhi bhi apni Maa ko dukh mei nahi dekh sakta hai.....
Shubham: Shubham 5 tum aur Aaliya ka clone ab dharti par pahuch kar Maa ko sab kuch sach sach bata dena….. Iss kaam mei tumhari madat Mathira karegi…. Tum jab dharti par pahuchoge uss samaye Mathira tumhai vahi milegi aur aage kya karna hai vo sab kuch tumhai samjha degi….
Jab dono DHarti par pahuche toh Mathira na dono ko apne saath chalne ko kaha…..
Usne dono ka blood sample liye aur usse unki DNA report banwayi, jo iss baat ko prove kar rahi thi ki Shubham hi Singhaniya family ka ek lauta beta hai…. Par sabse badi problem thi ki ab achanak hi Maa ko ya sab kuch kaise bata diya jaaye…..
Mathira: Aaliya Clone tum apne ghar jaaogi aur apni Maa ka saath apne pariwar ka kul Guruji ka yaha jaaogi, jaha tum Guruji se ya puchogi ki tumhara bhai vapas ghar se kaha gaya…… Jiske javab mei Guruji tumhari Maa ko ya batayege ki Nitin kabhi unka beta hi nahi tha, aur saath hi vo Shubham ka cehara bhi tumhari Maa ko dikhayege…..
Uske baad kuch dino baad tum Shubham ko lekar apni Maa ka pass jaogi aur vaha Shubham ko apni Maa se na sirf milwaogi bulki unhe ya DNA reports bhi dikhaogi jisse ya 100% prove ho sake ki Shubham hi unka beta hai…..
Shubham5: Mathira ji par kya aapko nahi lagta hai ki hum Maa ki bhavnao ka sath khel rahe hai……??? Mera matlab hai…..
Mathira: Janti hu tum kya kahe rahe ho, par tumhai nahi pata ki tumhari Maa ko saalo se tumhare sapne dikhate aa rahi hu, jiske ander unhe tumhara cehara ki dhundali tasver dikha rahi hu…… Jab vo ek baar tumhai iss baar vapas dekhegi toh unke vo dhundali tasveer puri ho jaayegi….. Janti hu abhi ya thoda unki bhavnao ka saath khelne jaisa hai par agar unhe dukh se bachana hai toh unke liye ya sab karna hi hoga,…..Vaise bhi hum ya jhut nahi bol rahe hai ki tum SHubham nahi ho, kyunki tum khud uska hi ek hissa ho…..
Aur iske baad jaisa decide hua tha vaisa hi hua….. Iss sabhi ka bich Shubham5 na apni Maa ko kisiko kuch kahene se mana kar diya tha, kyunki abhi uske dushman khatam nahi hua hai jo uske pariwar ka bura cahate hai….. Bus islye Maa se mila aur kuch din unhe rukne ka liye kaha taaki uske baad apne Pariwar ka samne khudko laa sake….
Flash Back Ends…..
Shubham5: Nani mujhe aapse kuch puchna hai…..???
Nani: Ha pucho na….
Shubham 5: Nahi aap Gujaral ko kaise janti ho, aur vo aapke piche kyu pada hai…..???
Nani: Gujaral kya tum business man Gujaral ki baat kar rahe ho jo abhi kuch din phele hi mar gaya tha…..
Shubham 5: Ha Naani ussi ki baat kar raha hu….
Nani: Beta uski aur meri dushmani shuru hui Simi ki vajah se….. Ranjhana ki ek khaas dost thi jiska koi nahi tha vo mujhe apni Maa ka saman hi samajhti thi, usse Gujaral se Pyar ho gaya aur dono ki shadi, par usse baadmei pata chala ki Gujaral saare kaale kaam karta hai aur vo apni beti ko uss duniya mei nahi rakhna cahati thi…. Bus yahi vajah thi ki usne mujhe sab kuch bata diya aur meine Gujaral ka piche se uski biwi ko gayab kar diya…… Usne ek sundar si beti ko janam diya jiska naam humne Lily rakha…… Usne mujhe usse apni hi ek dost ko dene ko kaha, kyunki uski dost kabhi Maa nahi ban sakti thi…. Par kuch samaye baad mei Lily se milne gayi toh vaha uski dost nahi thi aur na jaane vo kaha chali gayi thi…..
Iske baad usne mujhe kayi baar dhamkaya aur Lily ka baare mei jaane ki koshish kari, par mei khud kuch nahi janti thi toh usse kya batati…..
Ranjhana: Na jaane vo bachi kaha hogi aur kis haal mei hogi…..
Shubham5: Maa mei janta hu Lily kaha hai…. Mei jaldi hi aapko usse milwa dunga….
Chaliye dosto inhe yahi chodte hai aur chalte hai Earth mei dusre kone mei jaha A1, A2 aur A3 abhi ek kamre mei baithe hua tha…. Jaha A1 kuch soch mei gum tha vahi A2 aur A3 dono nasha kar rahe tha…. Tabhi vaha koi aata hai jisse dekh A1 ke cehare ki khushi ka koi thikana nahi tha, vahi A2 aur A3 ka nasha ek baar mei hi utar gaya….
A1; Malik aap vapas aa gaye…. ??
Aadmi: Mujhe toh aana hi tha, itni jaldi mujhe maut nahi aa sakti jab tak mei Nirmala aur uske pariwar ka har ek aadmi se badla nahi le leta…. Us abhi naye naye aaye chokre ko kya laga ki usne mujhe maar diya, Gujaral ko maar diya…. Usse ya nahi pata Gujaral Imosopher Maharaj ka sabse khaas hai…. Vo rakshak hoga, par Maharaj Imosopher ka samne kuch nahi….. Ab mei uske pariwar ka har insaan ko chun chun kar maaruga…. Aur agar usse unhe bachana hai toh usse Maharaj ka samne apne ghutne takne hi hoge….
A1: Malik, par aap har bar iss mitti mei jaane ka baad jinda kaise ho jaate ho…..???
Gujaral: Hahahaha, A1 ya koi aam mitti nahi hai jismei tum mujhe dafan karte ho, ya khaas hai ek dum khaas…..Ya patal ki rait hai jo shetano ka liye amrit ka barabar hai…. Iss mitti mei yadi kabhi kissi black magic vale ko dafna diya jaaye toh uske pran vapas aa jate hai……
A1: Ab samjha malik aakhir aap har bar bus yahi kyu kahete hai ki mujhe kuch ho jaaye toh mujhe bus yahi dafan kar dena…..
Place: Roop Nagar….
Yaha Shubham uss dewar ka karib pahuch gaya tha…..
Shubham: Ab jaisa usne kaha tha ki yadi mujhe iss deewar ka paar jaana hai toh mujhe dono haath iske upar rakh kar khudko dhundna hai….. Ab ya khudko kaise dhundte hai pata nahi par koshish karke dekhta hu…..
Usne apne dono haath deewar par rakhe aur aankhe band karke apne man mei khudko dhundne laga…. Kaafi der koshish ka baad bhi usse kuch nahi hua….
Shubham; Ya kya hai, ab mei aage kaise jaau….. Uss choti si bachi na toh bus yahi kaha tha ki yadi mujhe iss deewar ka paar jaana hai toh mujhe khudke upar bharosa karna hoga aur apne man mei khudko dhundna hoga….. Par yaar usne ya bhi kaha tha ki samaye kam hai…. Ek baar firse koshish karta hu….
Meine ek baar firse apne dono haath uss dewar par lagaye aur khudko dhundne laga…. Iss baar bhi khoob koshish ka baad mujhe kuch bhi safalta hassil nahi hui…. Mei thak haar kar jamin par uss deewar ka sahare hi baith gaya…. Kyunki ab mujhe aage kuch bhi rasta nahi dikhayi de raha tha….
Abhi mei aankhe band hi kari thi ki mujhe essa lagne laga jaise mei koi sapna dekh raha hu…. Mei sapne mei dekh raha tha ki mere samne kuch log khade hai bandhe hua aur vo log lagatar khudko bachane ka liye rakshak ko awaj laga rahe hai…..
Vahi unke samne ek mota sa bilkul aalu ki tarah dikhne vala aadmi dikh raha tha, jiska pait itna tha ki vo khud apni aankho se niche nahi dekh sakta tha vo jor jor se has raha tha…. Ussi ki tarah uske saare sainik bhi has rahe tha…..
Mota Aadmi: Bulao Bulao apne rakshak ko, mei bhi dekhu aakhir vo tumhai yaha se kaise bachata hai….. Ruko Ruko vo esse nahi aayega…. Jab tak mei tumhai nuksaan nahi pahucha deta vo samne nahi aayega…. Sainiko inn sabhi ko bandho aur inke sharir par itne cut lagao ki inke sharir se lagatar khoon behata rahe, par yaad rahe ya mare nahi, kyunki ya mare toh inki jagah tum hoge….
Ya dekh mujhe gussa aane laga aur mei aage badne laga, tabhi piche se kissi ne piche se mere kandhe par haath rakha….
Shubham: Meine piche mudkar dekha toh ya koi aur nahi vo choti ladki hi thi jisne mujhe yaha ka rasta bataya tha….. Tum yaha kya kar rahi ho, aur ya konsi jagah hai…..????
Ladki: Tum mujhe batao tum kya karne jaane vale tha….??? Kya tum unhe bachane jaane vale tha kya….???
Shubham: Ha mein unhe unn Sainiko se aur uss mote aadmi se bachane jaa raha tha…. Varna vo unhe maar dega…. Vaise bhi vo mujhe yaani Rakshak ko bula rahe tha….
Ladki: Par tumhai essa kyu laga ki vo tumhai bula rahe hai, kyunki apne man ka ander toh tum aaj bhi khudko rakshak nahi samajhte ho…. Tumhai toh aaj bhi lagta hai tum inn sabhi Shaktiyo ka layak nahi ho…. Tum iss brahamand ko nahi bacha sakte…. Sahi kaha na meine….
Shubham; Uski baat sunkar mei kya kahu mujhe nahi pata kyunki yahi sach tha….. Mei har din ka saath bus yahi soch raha hu ki aakhir mei hi kyu chuna gaya, kya sirf islye ki Mei Maharani Trisha aur Nabila ka beta hu mujhe ya shaktiya mili, jabki mujhc jada ache aur takatwar aur bhi bahut hai….
Ladki: Dekho samne dekho….
Shubham: Meine vapas mudkar dekha toh vaha iss samaye 3 log khade tha aur unn teeno ka kapde bilkul mere jaise hi tha….
Ladki; Jante ho inn teeno ka pass kissi bhi tarah ki shakti nahi hai aur na hi ya koi rakshak hai…. Ya ek dum aam log hai jinke pass na koi magic hai aur na hi inhe kissi na iss kaam ka liye paise diye hai ya koi khaas prashikshan diya hai…. Aur yaha tak ki ya jinhe bachane aaye hai unhone hi abhi kuch samaye purv inn teeno ladko ka unki garibi ki vajah se majak banaya tha, par fir bhi ya teeno yaha inko bachane aaye hai…. Jante ho kyu…..???
Shubham: Uski baate sunkar bus mei usse hi dekh raha tha aur mere muh se kuch nahi nikal raha tha…. Kyunki jo vo kahena cahati thi vo mei kuch kuch samajh raha tha, par fir bhi mei usse dekh raha tha aur uske javab ki hi pratiksha kar raha tha…..
Ladki: Ya sirf yaha islye aaye hai kyunki ya ache manushye hai…. Iss duniya mei jo bhi janma hai vo apne aap mei Rakshak hai…. Kyunki hum sabhi apne pariwar ka sadasyo ko kissi bhi buri musibat mei padhne se bachate hai vo kaam bhi Rakshak ka hi toh hai…. Humare Pariwar mei ya humare kissi karibi ko koi pareshani ho toh uski madat karte hai toh uske liye toh hum kahi na kahi rakshak hi hua na….
Ek ache insaan ka jamir kabhi usse ya gavayi nahi deta hai ki vo apne samne kabhi kissi ko marne de yadi vo vyakti jo marne vala hai vo acha aur nek insaan ho…. Tum humesha yahi sochte ho, par kya kabhi tumne ya socha hai ki tumhare pass baaki se adhik takat hai toh tumhai jaada logo ki madat karni cahaiye….Nahi kyunki tumhari najaro mei Rakshak ek kaam hai jo tumhari Maa na tumhai saupa hai….
Ya samne jo deewar hai na ya tumhai kabhi khudke paar nahi jaane degi kyunki ya deewar koi aam deewar nahi hai, ya jaadui deewar hai jo apne paar sirf aur sirf ussi ko jaane deti hai jo apne man se apne dil se khudko Rakshak samajhta hai…. Jiss din tum khudko Rakshak samjhne lagoge aur usse ek saupi hui jimmedari nahi uss samaye na sirf tum iske paar ho jaaoge bulki tumhai kabhi kissi ka samna karne ka liye jaadu ki jarurat nahi padegi kyunki tumhare ander phele hi itni shakti hai ki tumhai aur kuch nahi cahaiye….. Ab faisla tumhai karna hai…..
Ya kaha kar vo ladki vaha se chali gayi aur saath hi saath vaha ho rahi sabhi chije bhi jaise gayab ho gayi aur achanak hi meri aankhe khuli…. Aankhe khulne ka baad mei hadbada gaya…. Kyunki mujhe ya samajh nahi aa raha tha ki jo meine abhi dekha vo sach hai ya sapna….
Shubham: Par ek baat thi ya sach ho ya koi sapna par jo bhi baate hui thi vo sabhi kuch sach thi….. Unn baato na mujhe ya sochne aur maane par majbur kar diya tha ki mei galat hu rakshak toh mei humesha se hi hu, cahaiye mei Maharani Trisha aur Nabila ka beta nahi bhi hota tab bhi….
Shubham: Yahi sab sochte sochte ki mei ek Rakshak hu meine apne haath ek baar firse uss deewar par laga diye….. Iss baar jaise hi meine apne haath deewar par lagaye vo deewar gayab ho gayi aur mere samne ek rasta khul gaya aur mei uss raste par bad gaya….
Chaliye dosto aaj ka update bus yahi khatam karta hu aur Shubham ka Adventure aaj nahi dikha saka par parso ka update mei Swaroopa se jude Laal Pathar aur Teer Kaman ka kissa bhi khatam ho jaayega….
Pichle update tak aapne dekha ki humne dekha Ranjhana se Shubham mil liya hai aur saath hi saath Nirmala ko bhi ya baat pata chal gayi hai…. Vahi Gujaral markar bhi jinda hai….. Itna hi nahi vo Imosopher ka hi khaas hai….. Vahi dusri taraf Shubham deewar ko ka paar pheli baar jaane mei asafal hota hai, jaha usse uske jeevan se juda gyan milta hai…..
Ab Aage…..
Shubham: Deewar ka gayab hone se vaha ek rasta khul gaya, meine jab uss raste ko dekha toh mujhe vo kuch videsho mei bane raste se laga…. Vo kuch iss prakar hai….
Mei bhi uss raste par chal diya, mujhe ya baat yaad thi ki iss raste par aage khatra bahut hai aur uss khatre ka samna karne ka liye mujhe koi jaadu ki madat nahi milne vali hai…. Islye mei badi savdhani se aage bad raha tha aur iss baat ka dhyan rakh raha tha ki kahi se koi aa na jaaye…. Kuch dhur chalne ka baad mujhe ek awaj sunayi di….
Awaj: Oye bhai aage mat jao, aage bahut khatra hai…. Vo tumhai maar kar kha jayege….
Shubham: Uss awaj ko sun mere par apne aap hi ruk gaye…. Mein idhar udhar najar ghuma kar dekhne laga, par mujhe kahi koi dikhayi hi nahi de raha tha…… Kon hai bhai aur kaha hai….. Agar meri madat hi karni hai toh samne kyu nahi aate…..???
Awaj: Ary yaar mei toh yahi hu, tum hi mujhe na jaane kaha dhund rahe ho…. Jara niche dekho mei dikhayi dunga tumhai….
Shubham: Mei niche dekhne laga, toh mere samne ek chuha tha, jisse dekh mei abe yaar kaha hai yaha koi…. Aakhir kon hai samne kyu nahi aate ho…..???
Awaj: Ary bhai mei hi jo tumhare aankho ka samne niche hu…. Nanha sa chuha….
Shubham: Kya…..??? Chuha bhi baat karta hai kya bhala yaha…. Mei niche baith kar usse dekhne laga….
Chuha: Esse kya dekh rahe ho…. Ya hum janwaro ka jungle hai aur ek dum mayavi…. Yaha ka har janwar bol sakta hai…..
Shubham; Acha toh tum apna naam hi bata do, varna mei tumhai baar baar chuha kahunga toh kahi tum bura nahi maan jao….
Chuha: Mera naam toh kuch nahi hai, tum mujhe jo cahaiye bula lo….
Shubham: Hmmm, chalo tumhara naam baad mei rakh dege…. Abhi ya batao ki tum mujhe kyu rok rahe tha….
Chuha: Kyunki tum jiss raste par jaa rahe ho uss raste par bahut khatra hai aur vo tumhari jaan le lenge uss book tak pahuchne se phele….
Shubham: Konsi book, aur kon meri jaan le lega….???
Chuha: Tum yaha book dhundne hi toh aaye ho jiske ander tumhai Swaroopa ki jaan lene ka tarika milega…. Aur tumhari jaan iss duniya ka janwar le lege jo uss book ki raksha kar rahe hai Swaroopa ka liye….
Shubham: Kya…..??? Toh kya iss jagah ka baare mei Swaroopa bhi janti hai kya…..???
Chuha: Tumhai rakshak kisne bana diya, tumhai kuch bhi toh nahi pata hai….. Swaroopa na hi ya mayavi jungle banaya hai aur yaha ki sabhi chije bhi….
Shubham: Par kaise, uske pass toh Power of Creation nahi hai…..??
Chuha: Yaar meine sahi kaha tha tum ek dum bewakuf ho…. Usne iss mayavi jungle ka kuch trees ko apne haatho se lagaya aur unke upar magic karke saare jungle ko mayavi kar diya apne magic se….
Shubham: Wah tum bade intelligent ho…. Ab ya batane ka kasht bhi kardo ki mei uss book tak kaise pahuch sakta hu….???
Chuha: Simple iss jungle ka janwaro ki raani ko khatam karke….
Shubham:Aur vo kon hai aur kaha milegi…??
Chucha: Usse tumhai dhundne ki jarurat nahi hai, vo tumhai khud hi mil jayegi jaise hi tum aage raste par pahuchoge to…..
Shubham: Humm toh fir chale…..
Chuha: Kaha chale…. Tumhare pass ladne ka liye na koi Talwar hai aur na hi koi dusra weapon sirf ek chaku ka….. Chalo mere saath mei tumhai Talwar deta hu ladne ka liye….. Na jaane kaise kaise ko toh iss duniya ka rakshak bana dete hai…. Pata nahi ya unse bach bhi sakega ya nahi….. Dimak toh hai nahi bilkul bhi…..
Shubham: Mei chuha ki baato ko anand le raha tha….. Uski baate sunkar mujhe hasi bhi aa rahi thi, aur soch raha tha ki ya kitna bad bola hai….
Kuch dhur jaane ka baad ek jagah vo ruk gaya aur vaha ek Talwar thi……
Chuha: Lo ya Talwar utha lo aur ab chalo…. Vaise mujhe tumhare bachne ki jada umeed nahi hai…. Fir bhi dekhte hai kiske haatho marte ho….
Shubham: (Man Mei) Lo bhai ek aura a gaye jinhe lagta hai ki mei kissi kaam ka nahi….. Lagta hai ab inhe ya samjhana padega ki bina jaadu ka bhi mujhe rokna itna asan nahi hai….
Hum log nikal gaye aage…. Kuch dhur hi gaye tha ki jungle ka raste ka bich ek janwar aa gaya….. Jisse dekh humare chuha bhai jaan mere joote ka piche chale gaye….
Shubham: Kya hua yaar tum mere piche kyu aa gaye….??? Aur ya kon hai…..??
Chuha: Yahi se shuru hota hai tumhara mukabla…. Agar tum jinda rahe toh hum fir milege….Varna ya tumhai khaa jayega…. Ab mei chalta hu….
Shubham: Ary mere pyare dost tum kaha chale abhi se…. Tumne mera itna majak banaya hai, ab jara dekh bhi lo ki mujhmei kya khaas hai…. Aur kaha kar meine usse pakad kar ek jagah baitha diya…..
Tabhi vaha ek awaj aayi….
Awaj: Yaha se chale jaao aur hum tumhai maaf kar dege varna saaf kar dege….
Shubham: Ab aap kon hai samne aa jao…..???
Awaj: Mei tumhare samne hi hu…. Mei iss pure jungle ki rani hu…..
Shubham: Meine samne dekha toh vaha ek billi thi, aur vo dekhne mei badi hi pyari lag rahi thi aur uske agal bagal kyu janwar khade tha….
Shubham: Humm toh billi mausi aap ho iss jungle ki Rani…. Chaliye mei aapki baat maan leta hu, mujhe yaha se aage jaane do aur mei wada karta hu yaha kissi ko kuch nahi hoga, varna mei iss jungle ki saari maya ko yahi khatam kar dunga….
Billi: Hahahahaha, toh thik hai dekh lete hai kon kisko gayab karta hai…. Aajo mere sainiko aaj tumhare liye barso baad naya shikar aaya hai…..
Uske esse bolte hi mere samne 3 janwar aakar khade ho gaye…. Unn teeno ko dekh mei sochne laga, kya maya rachi hai….. Kyunki vo teen janwar mei se ek tha jhau chuha(Hedge Dog), Black Deer aur Spider…. Teeno hi ek duma lag spices ka aur teeno hi shant rahne vale….
Shubham: Dekho bhaiyo….. Abhi meine itna hi kaha tha ki humare HedgeDog se intezar nahi hua aur usne mere taraf nukile kaate faik diye…. (Vaise mei yaha aap sabhi ko bata du jinhe nahi pata hai, hedgedog ek shant kisam ka janwar hai, jo adhiktar kissi par humla nahi karta hai….. Uske sharir par kaate hi kaate hote hai, jiski vajah se koi unke pass nahi jaane ki koshish karta hai aur vo kaate bahut nukile hote hai….)
Vo nukile kaate aapne kabhi chopstick dekhi hogi bus vaise hi tha, bus usmei antar ya tha ki vo thoda nukile aur chote tha…. Unn kaato ki sankhiya bahut adhik thi….
Shubham: Jaise hi meine apni taraf aate hua kaate dekha meri talwar ek second upar ho gayi aur mere upar aane vale sabhi kaato ko meine apni talwar se kaat kar chote chote tukdo mei badal diya…. Mere duwara Hedgedog ka humle ko bekar karte hi humare Chuhe Maharaj siti bajane lage, vahi HedgeDog ko gussa aa gaya….
Vo abhi ek baar firse humla karta ki usse phele hi Deer bol utha…..
Deer: Hedge Dog ab meri baari hai…. Tum apne phele prayas mei vifal rahe….
Hedge Dog: Vo ab ek dum chup ho gaya aur thoda piche bhi…. Vahi Deer thoda aage aaya….
Deer: Bahut ache lagta hai tumne Talwar chalane mei mahart hassil kar rakhi hai….. Par ya mat samajh lena ki tum humse jada takatwar ho…. Kyunki abhi toh game shuru hi hua hai….
Shubham: Mei bus uski baat sunkar muskura diya….
Deer: Usne double humle kare mere upar…. Ek taraf usne mere taraf apne bade bade singho ko faika jo ki hawa mei jaate hi chote chote tukdo mei badal kar bahut saare ho gaye, aur dusra vo khud meri taraf bhaga….
Shubham: Deer ka humle ko dekh mei apni jagah khada raha…. Mujhe esse khade dekh Chuha kuch samajh nahi saka…. Vahi Deer ko laga ki mei uski chaal mei fas gaya hu islye usne gati aur bhi tej kardi….Vahi jaise hi Deer mere pass aane ko hua meine apni talwar ko joro se ghumane laga jiski vajah se vaha thoda se dhul utha jamin se jo ki bahut jada nahi tha, par meri yojana ko safal karne ka liye kaafi tha…. Uss dhule ka uthe hi meine hawa mei ek jump lagayi aur ek saath do baar hawa mei hi ghum gaya….. Mere jamin par pair rakhte hi ek tej chilane ki awaj aayi….. Jisse sunkar sabhi dekhne lage ki aakhir hua kya…. Ya awaj Deer ki thi…..
Hua ya tha ki meine jo dhula udaya tha, uske saath vahi jamin par kate hua chote chote kaate bhi gire hua tha jo Hedge Dog na mere upar humla kara tha uske tha, bus uss Talwar ko jor se ghumane ki vajah se thodi hawa paida hui jiski vajah se dhula uda aur ussi ki vajah se kuch kaate bhi siddhe ho gaye aur jab tak vo niche hote vapas Deer ka pair unke upar aur vo usse chubh gaye aur vo dard se chila pada…..
Chuha: (Man Mei) Baap re ya toh inka bhi baap hai, isne inke hatiyaar inke hi khilaf kar diye…. Gajab lagta hai aaj toh Swaroopa ka iss Mayavi jungle ko khatam hona hi hoga….
Idhar Deer ki awaj sunkar Rani ko bhi jhatka laga kuch seconds ka liye par fir vo vapas normal ho gayi…. Ab baari thi Makdi ki…. Dosto abhi tak meine kissi bhi tarah ka humla nahi kara hai, abhi mei bus khudko bacha raha hu aur unhe samajh raha hu….
Makdi: Usne aav dekha na taav siddha apne jaal ko mere upar phekna shuru kar diya, aur usne sabhi phele nishana mere haatho ko banaya…. Usne mere jiss haath mei talwar thi uss haath par apna jaal pheka aur uss haath ko kaid kar diya…. Usse iss baat se essa laga ki usne kuch gajab kar diya hai, vahi jaise hi mere haath uske jaale se kaid hua, mere haath se Talwar nikal kar ulte haath mei aa gayi….. (Ab mere armor ki khasiyat mein Shuru mei hi bataya tha ki ismei do Talwar ek saath rakhi jaa sakti hai aur yodh ka samaye mere dono haatho mei talwar hogi…. Yaad nahi hai toh recall kariye purane updates se…..)Issi vajah se Madam Mariyana na mujhe dono haatho se talwar chalana sikhaya tha…. Mere ulte haath mei talwar haathe hi vo haat teji se teen baar chala aur uss Makdi ka faika hua jala mere haath se nikal gaya…..
Shubham: Hmm ho gayi tumhari koshish puri ya aur kuch bhi baaki hai…. Kyunki agar icha hai toh karlo, ya fir mujhe aage jaane do….
Meri baat se teeno ka ego hurt ho gaya aur teeno na mujhe gher liya aur lage humla karna…. Sabse phela humla Ek baar firse HedgeDog na mere piche se kara, vahi Deer na bhi meri taraf ek baar firse humle mei khud bahgte hua apne singho se humla karna chuna, vahi Makdi na sabse phele humla mere ek pair par kara, aur saathi hi iss baar humla haatho ki jagah Talwar par kara aur usse apne jaal se dhak diya….
Shubham: Teeno ka ek saath attack tha toh bahut ghatak, par mere liye ya kuch nahi tha, kyunki FairMount mei Indra na mujhe isse kayi guna mushkil mei train kiya hai jaha khatre ki seema bus yahi thi ki meri ek chuk aur meri jaan chali jaati…. Bina suraksha kavach ka vo mujhe ladati thi….
Shubham: Meine ek baar mere pair ko hilane ki koshish kari, par vo bechara kissi kaam ka nahi raha…. Kyunki vo jaal ki vajah se kissi hilne ki halat mei bhi nahi raha…. Tabhi mujhe yaad aaya ki mere pass ek chaku bhi hai…. Meine teji se apne haath ki talwar ko choda , jiski vajah se meri talwar mere haath se girna lagi, vahi ussi samaye meine apne ulte haath se chaku nikala aur apni talwar par ghuma diya, jiski vajah se mere chaku aur Talwar ka aapas mei bhidne ki awaj aayi, aur issi bhidant mei kuch jagah se talwar se vo makdi ka jaala cut gaya….
Mein ek baar firse Talwar pakdi aur apne ek haath mei pakde chaku ko siddha makdi kitaraf pheka, jo siddha jakar uski aankh mei laga aur usne jo jaal iss baar banaya tha mere upar phekna ka liye vo aankh mei lagne ki vajah se thoda sa apni jagah se badal gaya aur vo thoda mere aage ho gaya jaha se Deer aa raha tha…. Makdi ka jaala siddha aakar Deer ko laga aur vahi apni jagah se dhur ho gaya aur mujhc aakar nahi bhida meri side se nikal gaya….
Par mere piche se aate hua kaate mere lagbhag pass aa gaye tha, tabhi meri Talwar ek baar firse bijali ki tarah chali aur mere pair ko jis jaale na jamin se bandha tha usko cut karte hua vo mere ek dum karib pahuch gaye kaato ko katne lagi…. Par iss baar do teen kaate fir bhi mujhe lag gaye…. Par ek fayda ya hua ki Deer ka side hote hi jo kaate mere bagal se nikale tha vo sidhe deer ko lage aur vo vahi jamin par jaa gira….
Shubham: Mujhe kaate lagne ka baad bhi mei nahi ruka aur mei jaldi se bhagte hua sabse phele makdi ka pass pahucha aur uski dusri aankh mei meine apni talwar ghusa di….Aur khud uske niche jaa khada hua, kyunki vo size mei bahut badi thi…. Aur mei apne shairi se kaate nikalne laga….
Idhar Makdi ki dono aankhe jane se vo baukhla gayi aur usne har kahi apna jaal feikna shuru kar diya…. Uske iss humle se kuch fayda bhi hua mujhe…. Aur vo ya ki ab mei kissi bhi paid par uske jale ki madat se chad sakta tha aur khudko ek dum expose hone se bacha sakta tha…. Aur meine yahi kiya…… Meine apni talwar aur chaaku uss makdi ki aankho se nikala aur ek paid par chad gaya…..
Issi bich uss Hedge Dog na ek baar firse apne kaato ko feika tha, par vo mujhe lagne ki jagah makdi ko jaa lage…. Ab vo mujhe bahar nikalta dekh dusri baar kuch karta tab tak mei paid mei gayab ho gaya…. Meine do minute paid par baithkar saas li aur khudke jakham ko dekha…. Mere jakham jada bade toh nahi tha, par do esse tha jinse lagatar khoon nikal raha tha….
Iski vajah se mere sharir se behata hua khoon ki kuch boonde uss paid par gir gayi…. Jaise hi usse mere khoon ki boondo se pata chala ki mei koi insan hu, vo turant hi ek vishal kaaye paid ek monstor mei badal gaya aur usne mujhe paid se niche gira diya….
Uss paid roopi monstor na ek jor ki hukar lagayi, jiska matlab phele toh nahi samjha par baadmei samajh gaya ki ya apne saathiyo ko bhi bata raha thi ki ek insaan aaya hai…. Aaj hum sabhi uski dawat karega….
Shubham: Lo bhai aasman se gira aur khajur par atka…. Ek musibat phele hi kam thi kya jo ek aura a gayi…. Aur iss baar toh inki sankhiya bhi itni hai ki mei kaise inhe roku kuch samajh hi nahi aa raha tha…. Abhi mei koi faisla leta, usse phele hi do teen paido na apni tehani ko bada karke mujhe kaid karne ki koshish kari, jiske javab mei meine badi hi aasani se unki tehani kaat di….
Vahi dusri taraf Hedge Dog ki madat ka liye ab Rani sahiba khud maidan mei aa gayi thi…. Unhone roop badal kar aade insaan aur aade billi ka kar liya…. Ab uske 4 haath, 4 pair, aur lambi si uski pooch (Tail)…..
Iss baar billi na Hedge Dog ko ka muh ko apni poonch mei pakda aur usse jor se gol ghumta hua mere taraf phek diya, jiski vajah se vo khud ek bahut bade aur tikhe kaate mei badal gaya, par vo kaha baaj aata, usne hawa mei se hi apne kaate meri taraf faik diye….
Vahi Billi na Hedge Dog ko meri taraf phek kar khud pane 4 paav ki madat se teji se mujhc bhidne aa rahi thi…. Vahi unn monstor paido na piche se mujhe maarne ka liye apne hi ek saathi ko maar kar uska stem ko meri taraf faik diya, jo ki bahut bada tha….
Shubham: Itne saare humle ek saath hone se ab mei samasya mei tha, kyunki mere pass pure hatiyaar nahi tha, jiski vajah se mei inse ladne mei thoda takleef mehsoos kar raha tha…. Ab mujhe koi rasta hi nahi samajh aa raha tha ki mei kaise kuch karu….
Abhi mei kuch sochta, usse phele hi Chuha mere pass aaya aur usne mere ek taang par jor se kaat liya, jiski vajah se mei jor se chilaya aur niche baith gaya…… Jaise hi mei niche baitha, mere saare dushman ulajh gaye, kyunki ab Hedge Dog aur Billi ka samne stem jaisi majbood chij aa gayi thi….
Hedge Khudko stem se bhidne se nahi rok saka, kyunki ek toh vo aage tha aur dusra uski gati bahut te thi, jiski vajah se vo stem se takra gaya….. Stem se takrata hi Hedge dog shahid ho gaya…. Aur vo vahi mar gaya, par Billi na khudko sambhal liya aurvo khud uss stem ka raste se hat gayi….
Idhar mei Chuha ko katne ka liye dhanyawad de raha tha, aur soch raha tha ki yaar kabhi kabhi hum apni pareshani ko itna jada sochne lagte hai ki hume siddha aur aasan tarika dikhta hi nahi hai……. Mei usko dhanyawad karke ek baar firse khada ho raha tha, ki meri najar ek jagah gayi jaha meine dekha ki ek paid sabse alag laga hua aur usse dhur se dekhne par vo kaafi purana lag raha tha aur uski aankho se lagatar aasu nikal rahe tha….
Shubham: Dost kya tum uss paid ka baare mei kuch jante ho….???
Chuha: Usne bhi uss paid ko dekha aur tapak se bol utha….. Ary wah yaar tumne to hiss Maya ka thod ko dhund nikala…. Yahi ek essa paid hai jo iss Mayavi Jungle aur janwaro se tumhe bacha sakta hai…. Yahi hume isse nipatne ka rasta batayega….
Shubham: Ya baat tumne mujhe phele kyu nahi batayi….
Chuha: Aaahhhh mujhc baadmei lad lena, abhi iss Raani se lado….
Shubham: Meine dekha vo Rani Bili apne do haatho mei talwar lekar meri taraf khud gayi…..
Shubham: Usko khudta hua dekh meine bhi jaldi se apni talwar bich mei kardi, jisse uski dono Talwar meri ek talwar se takrayi aur vaha ek bahut tej force paida hua, kaise ya nahi pata but uski vajah se mei aur vo dono hi alag alag disha mei jakar gire…..
Iss Force ki vajah se shayad uss Billi ko thoda jada jhatka laga, jisse usse uthne mei kuch dikat ho rahi thi…. Meine itne samaye ka fayda uthaya aur pahuch gaya uss paid ka pass…. Abhi mei kuch usse puchta usse phele hi vo bol utha…..
Paid: Jaldi se apne haath se nikal rahe khoon ko mere muh mei daalo…..
Shubham: Nahi Nahi mei ya nahi karunga, yadi tum bhi monstor ban gaye toh……
Paid: Tumhai khoon dalna hi hoga, yadi khudko bachana hai toh…. Kyunki tumhare khoon se hi pata chalega ki kya tum sahi mei Rakshak ho ya nahi….
Shubham: Saala har jagah test do apna…. Par ab mere pass koi rasta hi nahi tha, kyunki mei akela inn sabhi ko bina proper weapon ka inhe nahi hara sakta tha…. Meine der kiya bina hi apne haath se nikal rahe khoon ko uss paid ka muh mei daal diya….
Paid: Mere khoon ki kuch boondo ka ander jaate hi uski aankhe khushi se badi ho gayi…… Hum tum hi ho rakshak….. Tumhara hi intezar tha…. Tum apna haath mere muh mei daalo, vaha se tumhai Teer Kaman milega,…. Usse tumhai iss Raani ko marna hoga, tabhi ya Maya khatam hogi…. Uske bina ya kabhi khatam nahi ho sakti hai….
Shubham: Marta nahi kya karta, meine uski baat maan li, aur uske muh mei apna haath daal diya…. Jaise hi meine uske muh mei haath dala mere haath mei ek teer Kaman aa gaya…. Meine usko bahar nikala…. Jaise hi vo bahar aaya, vo ek dum se chamakne laga…. Vahi mujhe khudke ander achanak se hi bahut achi aur positive energy feel hone lagi……
Tabhi ek awaj mere man mei hi boli…..
Awaj: Ab se mei aapse jud gaya hu…. Jab tak aap ka jeevan hai, mei aapke saath hi juda hua hu…. Aapko mera istemaal karne ka liye pratyancha (Thread of Bow) ko khichna hoga…. Aur jiske upar nishana lagaya hai usko man mei sochlo…. Jaise hi aapne pratyancha ko choda, ek teer apne aap nikal jaayega apne target se…. Ab mei aapke man se puri tarah jud gaya hu….. Aur vo shant ho gaya….
Shubham: Uski awaj band hote hi meine apni aankhe kholi toh meine samne dekha ki kuch paido na mujhpar humla kar diya hai…. Ab kyunki mei bhi tayar tha apne naye weapon ki testing ka liye…. Meine jaisa usne kaha tha vaisa kara aur man mei paido ko target kara….
Mere haath se jaise hi pratyancha chute ek saath teen teer nikale aur jaakar unn teeno paido ko lage aur unke parkhache udd gaye….. Meine deri kiye bina ek baar firse pratyancha khichi aur uske nishana uss Rani Billi ko banaya aur chod diya…..
Jab tak Raani Billi khudko sambhalti tab tak ek ka baad ek 10 teer usko lage aur vo vahi khatam ho gayi…. Uske khatam hote hi saare jungle ka paid bhi jal gaye aur unki jagah naye chote chote paudho na le li, jo aage bade bade paid mei badal jaayega……
Billi: Usne apne aakhri samaye mei mujhe khudka pass bulaya….. Rakshak mei marne se phele tumhai kuch dena cahati hu…..
Shubham: Uski baat sunkar mei uske pass gaya…. Usne mere sar par haath fera aur ek Black Enery mere ander sama gayi…. Uss Energy ko feel karte hi mei jhatke khane laga…. Kyunki meine pheli baar kissi Black Enery ko absorb kiya tha….. (Ya kya hai aage pata chalega…..)
Dekhte hi Dekhte Billi mar gayi…. Aur vaha ka mahool bhi ekdum badal gaya….
Aage jaane ka liye bane rahe aapki apni kahani par….. Swaroopa’s Chapter will be closed by tomorrow….
Pichle update mei aapne dekha ki Shubham uss jungle mei gaya jaha usse Swaroopa ka Raj pata chalna tha, aur usse vaha par mila ek chuha jisne usse uss jungle mei kya karna hai ya bhi bataya…. Vahi SHubham ka samna jungle mei kuch jungle janwaro se hua jo ki aam taur par shant hote hai, par Black Energy ki vajah se vo kaafi violent tha….
Ab Aage….
Shubham: Rani Billi ka marne ka saath hi uss jungle ka mahool badal gaya aur vaha mere samne ek book aa gayi…. Uss book mei kya likha tha ya toh aap sabhi jante hi hai….
Chuha: Yahi hai vo kitab jo tumhai uss dhoke baaz Swaroopa ko maarne ka rasta batayegi….
Shubham: Dhoke baaz…..?? Tum Swaroopa ka baare mei kya jante ho…. MUjhe batao na….
Chuha: Abhi samaye nahi hai….. Kuch der mei hi Swaroopa apne vastvik roop mei aa jayegi…. Aur fir uske baad usse koi nahi maar sakega…. Islye ya Kitab kholo aur Swaroopa ki maut ka raaj dhundo…..
Shubham: Thik hai, shant dost shant…. Meine aage badkar uss book ko kholne ki koshish kari, par vo kitab nahi khuli….
Chuha: Apna Khoon ki bundo ka istemaal karo dost…. Uske baad hi ya Book khulegi…..
Shubham: Meine apne sharir mei jaha se thoda khoon nikal raha tha, meine vaha se kuch khoon ki boonde uss kitab par daali….
Mere Khoon ki boondo ka kitab ka upar girte hi kitab chamakne lagi aur dekhte hi dekhte kitab khul gayi aur uske saath hi vo kitab mei se nikali kuch choti choti aakrati….
Aakrati: Rakshak ko humara pranam…. Hum iss kitab mei rakhi hui kuch choti choti tasveer hai, jinko rakha gaya tha aapke liye….
Uske baad ek aakrati na aakar mere gale mei bande uss taar jaise padarth ko chua aur vo khatam ho gaya….
Shubham; Jaise hi taar ka bandhan mere sharir se khatam hua, mere sharir se ek baar firse energy nikalne lagi…. Aur jaha jaha se mere sharir mei cut lage tha vo sab dhere dhere bharne lage…. Aur mei ek baar firse phele ki tarah hi ho gaya….
Aakrati: Rakshak aapko Swaroopa ki maut ka raaj ka liye iss kitab ko shuru se lekar aakhir tak padhna padega, kyunki isse padhe bina aapko Swaroopa ki maut ka raaj nahi milega….
Shubham: Thik hai…. Par aap sabhi ko iske ander rakhne ka karan….???
Aakrati: Iska javab aapko kitab padhne ka baad apne aap mil jaayega….
SHubham: Thik hai toh mujhe thode ekant ki jarurat hai….
Aakrati: Aap nischint rahe, jab tak aap ya kitab nahi padh lete ya hawa bhi aapke kaam mei badha nahi banegi….
Iske baad Shubham na book padhna shuru kara….
Abhi aage jo kuch bhi likhunga vo sab kuch book ka ander hi likha hua hai….. Ya sab kuch ab kitab bol rahi hai….
Book: Pranam Rakshak, jiss samaye aap ya kitab padh rahe hoge uss samaye Roop Nagar ki Rani Swaroopa ki maut kaise ho aap yahi dhundne ka liye aaye hoge…. Aapko iska javab kitab ka khatam hone tak mil jaayega…. Usse phele aapko ismei likhi ek kahani ko pura padhna hoga…. Yahi vo kahani hai jo aapko sab kuch bata degi….
Ya kahani hai duniya ka sabse sunder aur khushnuma jagah ki, jaha ke Maharaj aur Maharani ko apne logo ki bhalayi aur apne nagar ki sundarta par bahut abhiman tha….. Maharaj aur Maharani ko do behad hi sunder putriya thi…. Badi Bhen Choti Bhen se umar mei 15 saal se bhi jada adhik badi thi…. Badi Rajkumari ka naam Swaroopa tha, vahi Choti Rajkumari ka naam Roopa tha…. Swaroopa ka liye uske Mata Pita, aur choti bhen hi saara sansar tha…. Swaroopa aur Roopa ka man mei ek dusre ka liye behad pyar tha…. Swaroopa Roopa ko apni beti jaise pyar karti thi… Roopa ki har choti se lekar badi chij ka dhyan vahi rakhte thi, vahi badle mei Roopa bhi apni badi bhen ko apne jaan se adhik manti thi….. Uske jeevan ki har choti se choti aur badi se badi baat Swaroopa ko batati thi….
Swaroopa ka svabhav itna madhur aur hasmukh tha ki Nagar ke har vyakti ki jaban par uske guno (Qualities) ka tarif humesha raheti thi…. Apni praja ka logo ka dukh mei unke saath rahena Swaroopa ko behad pasand tha…. Waqt ka saath Swaroopa badi hui, aur uski umar karib 25 saal ki ho gayi…. Badti umar ka saath Swaroopa ka gun(Qualities) mei bhi badhotri hui……
Vahi ek Rajkumari thi jisse Roop Nagar behad pasand aa gaya tha, aur uske saath hi usse vaha ka Maharaj bhi….. Uss Rajkumari na Maharaj ka samne shadi ka prastav rakha aur uske badle mei apne Rajye ko Roop Nagar mei milane ka bhi aagrah kara…. Par Maharaj ko Maharani aur apni dono betiyo se behad prem tha jiski vajah se unhone ya vivah prastav ka liye mana kar diya….
Ya baat uss Rajkumari ko pasand nahi aayi aur usne Maharaj ko kayi baar alag alag tarike se vivah ka liye tayar karne ki koshish kari….. Har Baar Maharaj usse thukra dete tha…. Behad baar thukraye jaane ka baad uss Rajkumari ka aham (Ego) ko chot lag gayi aur usne ya pran le liya ki vo ek ek karke Maharaj ka sampoorn Pariwar aur Nagar ko hi khatam kar degi…. Tabhi uski ek daasi na usse ek sujhav diya jisse Rajkumari khush ho gayi aur usne iske upar amal karne ki tayari kardi….Iske liye usse jarurat thi behad takatwar Kaali takato ki…… Rajkumari ko uske nagar ka ek mage na ya salah di ki Maharani ko Kaali Takato ka liye Maharani Trasa ko khush karna hoga, jiske badle vo usse behad takatwar shaktiya de degi.... Unhe khush karne ka liya Rajkumari ko unhe koi anmol taufa dena hoga….
Kaafi samaye soche ka baad unhe yaad aaya ki unke Pita na Marne se phele unhe ya bataya tha ki Roopa Nagar mei do behad hi khaas takat hai….. Ek hai White Energy ki aur ek hai Black Energy ki…. Usse ya bhi pata tha ki unn takato ko kaise paya jaa sakta hai…. Jabki vo Takate keval Rakshak ka liye hi thi…. Usne vahi Takat paane mei Maharani ki madat karne ka vachan de diya….
Maharani Trasa toh kaafi samaye se unn takato ko paana cahati thi islye unhone usse khush hokar usse behad saari takat de di…. Rajkumari na takat ka milte hi apne mansube ko pura karne ki tayari shuru kardi….Bus usse ab jarurat thi toh ek uchit samaye ki, jab vo iss shadiyantr ko shuru kar sake…. Aur usse vo samaye bhi mil gaya….
Ek din Roop Nagar ki Maharani akele hi jungle mei ghumne chali gayi…. Ya unki aadat mei hi tha…. Vo aksar essa hi karti thi…. Uss din bhi vo jab jungle mei ghum rahi thi tabhi achanak vaha par 4 logo na unhe gher liya......
Maharani: Kon ho tum, aur hume esse gherna ka maksad kya hai…..?? Tabhi vaha ek tree ka piche se Rajkumari nikali…..
Rajkumari: Jada kuch nahi, tumhare pati na mere shadi ka prastav ko thukra kar mera apman kiya hai…. Jiske liye usse bahut badi kimat chukani padegi…. Aaj se tumhari jagah mei Roop Nagar ki Rani hu….. Aur tum sadogi mere Rajye ki kaali khotri mei…. Hahahahahah…… Ya kaha kar usne Maharani ka upar behosh karne ka jaadu kar diya aur Maharani ko uske log le gaye aur usne khud Maharani ka roop lekar Roop Nagar chali gayi……
Vaha jaane ka kuch din baad hi uss Rajkumari na apni kaali shaktiyo ki taqat se Maharaj ko apne vash mei kar liya aur unhe apne gulam ki tarah istemaal karne lagi…. Maharaj jaisa jaisa vo cahati thi unhone vahi sab kara…. Usne ek din Maharaj se ya ghoshna kara di ki unka swasthya thik nahi raheta iss vajah se Maharani (Rajkumari) hi Roop Nagar ko sambhalegi…. Vahi Rajkumari na Swaroopa aur Roopa ko bhi kaafi pareshan karna shuru kar diya….. Jab bhi dono apne Pita se uss baat ka liye kuch kaheti toh Maharaj unhe hi daant dete tha…. Jiski vajah se Swaroopa aur Roopa ki dhuri apne Pitaji se bhi badne lagi…. Iss badhti dhuri ki vajah se dono bhene bhi kaafi pareshan rahane lagi…. Par Rajkumari yaha bhi shant nahi hui….. EK din unhone dono Rajkumari ka chaal chalan par ungali utha di jiski vajah se Maharaj na unhe Mahal se aur apni duniya se dhur kar diya….. Vahi saare log jo kuch samaye phele tak Swaroopa ka gun gaate tha, unhone bhi usse characterless bata diya….
Dono bheno ka pass ab na koi apna tha aur na hi koi rahene ki jagah…. Vo dono jungle mei jakar rahene lagi…. Vaha dono ko rahene mei behad pareshani hone lagi, par Swaroopa na haar nahi maani aur apni behan ka rahene ka liye apni mehanat se ek choti si jagah bana di, jismei vo rahene lage….. Jeevan chalne laga tha, jungle se fruits thodkar laana aur khana esse hi unki bhook shant hoti thi…. Issi bich ek din Swaroopa jungle mei jab fruits thod rahi thi, ki uske upar ek sher na humla kar diya….Swaroopa sher ko dekh dar gayi aur jor jor se chilane lagi…. Kyunki Swaroopa na kabhi talwar baaji ya koi aur youdh karne ka tarika nahi sikha tha…. Vo sher Swaroopa ko koi haani pahuchata usse phele hi vaha na jaane kaha se Swaroopa ki chilane ki awaj sunkar ek ladka aa gaya, usne apne jaadu se uss sher ko apne vash mei kar liya….. Ladka Swaroopa ko dekh usmei hi kho gaya……. Yahi haal Swaroopa ka tha…. Vo bhi apne jeevan mei pheli baar kisi ladke ko dekh kho si gayi….
Ladka: Aap thik hai….?? Sher na aapko koi nuksaan toh nahi pahuchaya….??
Swaroopa: Jee mei thik hu, aapka bahut bahut sukriya ki aapne sahi samaye par aakar meri jaan bacha li….
Ladka: Jee yahi mera kaam hai…. Mei har jarurat man insan ki raksha karta hu…. Vaise aapko jungle ka itna ander nahi aana cahaiye tha vo bhi akele…. Yaha behad khatarnak jungly janwar rahete hai….
Swaroopa: Jiska koi na ho aur apni aur apno ki bhookh shant karne ka liye har khatra lena padhta hai…. Usne jab ya baat kahi thi uski aankho mei behad dukh tha…. Vahi uss ladke na bhi uski aankho mei vo dukh dekh liya tha….
Ladka: Chaliye koi baat nahi, aayie mei aapko aapke ghar tak chod deta hu….
Dono Swaroopa ka jungle mei bane uss chote se ghar ki taraf chal diye….. Swaroopa aur Ladke ka bich iss pure raste kaafi baate hui aur dono ko hi ek dusre se baat karke acha lag raha tha…. Kyunki dono hi hum umar tha, usse badi baat dono ka hi jeevan mei jada koi nahi tha jiski vajah se dono ek dusre ka saath behad jaldi ghul mil gaye….
Samaye beeta aur dono ka bich pyar ho gaya, dono na hi apni ek choti si duniya basa li aur usmei khushi khushi rahane lage…. Vahi dusri taraf Rajkumari na kuch samaye baad Maharaj ka katal kar diya aur pure nagar par khudka kabja kar liya…. Ek din usse khabar mili ki Swaroopa aur Roopa dono hi jungle mei chupe hua hai….. Rajkumari se ya bardash nahi hua aur usne unn dono ko maarne ka aadesh de diya…. Vahi iss nagar ka sabse bade Jadugar ko Maharani ki takato ka baare mei apne Guruji se pata chala aur unhone Swaroopa ko ek paper dene ka liye kaha….
Uss jadugar na Swaroopa ko jungle mei jaise taise dhunda aur usse akele mei apne Guruji ka duwara diya gaya letter diya….JIske ander uske guruji na Swaroopa ka samne sabhi tarah ka sach rakh diya aur usse milne ki icha jatayi…. Aur ek din dono ki mulakat hui…..
Swaroopa: Pranam Guruji…. Aapne jo bhi kaha agar vo sach hai toh aap hi hume suraksha pradhan kare…..
Guruji: Beti suraksha toh tumhai mil jaayegi, par uske liye tumhai behad saare kaam karne hoge….
Swaroopa: Bataye Guruji mei kuch bhi karne ko tayar hu….
Guruji: Thik hai, sabse phele tumhai jo kuch bhi meine bataya hai vo sab kuch ek kitab mei likhna hoga aur uss kitab ka aakhri page mei tumhai apni bhen ko kaid karna hoga saath hi mei jo jaadu tumhai bataunga usse uss kitab par karna hoga…. Uske baad tumhai apne pati ko ek chuha mei badalna hoga aur usse jungle mei hi chodna hoga aur iss jungle ko ek kaale jaadu se surakshit karna hoga, taaki isse koi nahi paar kar sake…..
Swaroopa: Par mei nagar ko kaise bachaungi…..???
Guruji: Beti ek baat tumhai nahi pata hai par tumhari Maa ko pata thi ki tumhare janam ka samaye essa yog bana hua tha jiss samaye iss duniya ka phele Rakshak ka janam hua tha…. Uss samaye graho ki essi disha thi ki usse tumhai do khaas chije mili hai, ek hai amar hone ka vardan….. Jiska matlab hai tumhari maut tumhari icha ka bina nahi ho sakti hai…. Vahi dusra vardan ya tha ki tumhare ander itni White Energy hai ki tum kaali taqat ko apne ander le logi toh bhi vo tumhai koi haani nahi pahucha sakegi…. Tum humesha White Energy ki Pratik rahogi…..
Tumhare nagar ko bachane ka liye tumhai Black Energy ko apnana hoga…. Jiski madat se tumhai uss Rajkumari ko singhasan se hata kar khudko vaha baithana hoga…… Black Energy accept karne ka baad tumhai kayi logo ko maut deni hogi par vo sabhi bure hoge…. Tumhare haatho kabhi koi begunha nahi maara jaayega…. Aur ha sabse badi baat tumhare Nagar ko inn sabhi chijo se mukti dilane ek din Rakshak aayega aur vo tumhari bhen ko iss kitab se nikalega aur jab tum apni bhen se vapas milogi tab sab kuch phele jaisa ho jaayega…. Par Rakshak ko iss jungle tak pahuchane ka liye mujhe tumhara hi ek bachpan ka roop banana padega, jo samaye par rakshak ki madat karega…….
Ab samaye kam hai islye ya sab kuch karna shuru kardo…. Aur ya kahakar Guruji gayab ho gaye…. Aur uske baad vahi sab kuch hua jaisa Guruji na kaha tha…..
Book: Rakshak hum kitab ka aakhri pane par pahuch gaye hai…. Yaha likhe mantar ko padhiye jiski vajah se Rajkumari Roopa iss kitab se humesha ka liye azad ho jaayegi aur ya kitab aur iss jungle ka jaadu humesha ka liye gayab…..
Vahi dusri taraf mere saath saath iss kitab ko chuha na bhi pada tha aur ya sab padhne ka baad uski aankho se lagatar aasu behane lage tha…..
Shubham: Jaisa uss kitab mei likha tha, meine vaisa hi kara toh uske ander se ek ladki nikal kar aayi, jo ki behad masoom lag rahi thi….. Uski umar kitab mei rahene se vahi rahe gayi….. Uss ladki na kitab se bahar nikalte hi mujhe joro se jakad liya…..
Roopa: Mujhe meri didi se milna hai…. Mujhe meri didi se milna hai….
Shubham: Thik hai, chalo tumhai tumhari didi se mila deta hu….
Aur ya kaha kar meine Chuha ko apne haath mei aur Roopa ka ek haath pakad kar aankhe band kari, toh hum siddha Swaroopa ka darbar ka bich mei tha…. Jaha iss waqt Swaroopa na gusse mei Rajkumari (Yahi vo Maa hai jinhe Swaroopa tadpa tadpa kar maarna cahati thi….. Real Maa is dead)ko kaid kar rakha tha….
Roopa: Uski najar jaise hi Swaroopa par padi, vo bhagti hui jakar Swaroopa ka par jhul gayi….
Swaroopa: Vahi apni jaan aur apni duniya, apni choti behan ko dekh ek baar firse Swaroopa ka ander ki achayi bahar aa gayi aur jo Kaali Taqat ka libas uske upar tha vo khatam ho gaya…. Aur usne Roopa ko apne gale laga liya….
Yaha inn dono behano ka aapas mei prem chal raha tha, tab tak meine apni aankhe band karke apne haath mei pakade chuha ko vapas insan bana diya…. Vo bhi apne aapko vapas insaan bana hua dekh khushi se jhum utha….
Swaroopa: Uski najar jaise hi uss Ladke ka upar padi, uski aankho mei ek behad hi badi khushi ki chamak aa gayi jo iss baat ka saboot thi ki usse vapas dekh vo kitni khush thi….
Ladka: Vo bhi Swaroopa se milkar behad khush ho gaya….Aur jakar Swaroopa ko gale laga liya….
Swaroopa: Mujhe maaf kar dena, meine tumhai bina bataye ya sab kuch kara…..
Ladka: Maafi tumhai nahi mujhe maangni cahaiye, kyunki meine tumhai galat samjha….. Mujhe laga tha ki tum badal gayi ho, tumne mujhe dhoka diya hai, par tumne ya sab kuch meri suraksha ka liye kara tha…. Meine tumhare upar bharosa nahi karke behad badi galti kardi…. Mujhe shama kardo….
Swaroopa: Nahi essa mat kaho…. Yadi tumhai mere upar bharosa na hota toh shayad tum mere aakhri shabdo ko dhyan mei rakh kar rakshak ki madat nahi karte….
Iss pure samvad mei dono ki aankho se aasu nikal rahe tha…. Vahi mei apni hi socho mei kho gaya tha…. Unhe esse dekh mujhe Elika aur Kima dono ki hi jaan ki chinta hone lagi… Saath hi mei ya sochne par majbur ho gaya ki meine apne jeevan mei apno ka liye kitna kam samaye nikala hai…. Mujhe unhe kuch samaye dena cahaiye kyunki ya jindagi kitni lambi aur choti hai kisko pata…..
Kisina mujhe mere kandhe par haath rakh kar khayalo ki duniya se bahar nikala….
Ladka: Rakshak tumhara bahut bahut sukhriya ki tumne hum sabhi ko ek baar firse milwa diya….
Shubham: Tumhai milane se mujhe behad khushi mili hai….. Tum mujhe sukhriya ada karke behad chota bana rahe ho….
Swaroopa: Rakshak mei aapko sukhriya nahi kahungi, kyunki sukhriya kahane se aapka ehsaan ko mei bhul jaungi par mei ya kabhi nahi cahati hu….. Jeevan mei aapke kisi bhi kaam aa saku toh aap mujhe jarur batayega….
Swaroopa: Vo aapka hi hai, usse aapko mujhc mangne ki jarurat nahi hai….. Aap mujhe chu kar aankhe band kariye vo apne pass aapke ander sama jayega….
Jaisa usne kaha meine kiya aur sach mei mujhe apne ander phele se bhi adhik black energy feel hone lagi…. AB mere ander Black aur White Energy ka bich ladayi chidne lagi thi nikalne ki….
Shubham: Rajkumari Jee ab aapka faisla karne ki baari hai…. Aapne keval apnea ham ko bich mei laakr do Rajye ka logo ka sukh ko khatam kar diya hai…. Na jaane kitne logo ko maut ka ghaat utara hai….. Do bacho ko unke Mata Pita se na sirf alag kara bulki unke man mei unke prati nafrat bharne ka ghinona kaam kiya hai…….. Aur iss kaam ka badle tumhai sirf aur sirf maut hi mil sakti hai…. Par tumhari maut sadharan hui toh tumhai koi dukh aur dard ka ehsaas nahi hoga….. Cahaiye Swaroopa aur Roopa ka dukh ka mukabala tumhai dukh nahi de sakunga par itni aasan maut bhi nahi dunga….
Ya kaha kar meine ek jaadu kara aur vo Rajkumari vaha se gayab ho gayi…. Usse uski maut ki saja jaha milegi vo vaha pahuch gayi thi…. Vo jaha gayi thi, vaha behad hi khatarnak aur khooni kutte rahete hai jinhe jeene ka liye insaan ka sharir ka khoon cahaiye aur bookh shant karne ka liye isnaan ka sharir ki boti….. Vo uske sharir ko noch noch kar khaa jayege….
Roopa: Mera haath pakad kar….. Mera koi bhai nahi hai, kya aap mere bhai banega aur kya apni tarah powerful banayega taaki mei apni didi ki humesha suraksha kar saku….
Shubham: Tum mujhe bhaiya toh bula sakti ho, par ek shart hai meri…..
Roopa: Kya….???
Shubham: Tumhai kabhi koi pareshani hogi toh tum mujhe yaad karogi…. Bolo Promise karogi….
Roopa: Ohk promise….
Shubham: Ohk toh aaj se tum meri choti gudiya…. Tumhai jaadu jab tum badi ho jaogi na tab jarur sikhaunga…. Ya promise raha mera…..
Shubham: Swaroopa iss nagar ko sambhalne ki jimmedari abse tum dono ki hai…. Koi bhi pareshani aaye toh mujhe jarur yaad karna…. Ab chalne ki izzazat do….
Ya kaha kar mei vaha se gayab ho gaya aur pahuch gaya, vapas school siddha AS ka office mei……
Shubham: EK baat ka javab dijiye…… Ya toh mujhe pata hai ki aapne Swaroopa se jhut bola tha ki uski maut uski icha ka bina nahi ho sakti hai….. Kyunki is duniya mei essa sirf aap aur Madam Mariana hi hai…. Mujhe ya bhi pata hai ki uske ander White Energy ka koi bhandar nahi hai…. Aur vo kabhi black magic ki gulam nahi ho jaaye, islye aapne uske White Energy ki power ka ek ansh bana kar uske hi bachpan ka roop de diya….
AS: Jab sab tumhai pata hai toh fir puch kyu rahe ho…..???
Shubham: Mera saval ya hai ki agar kisiko pata chal jata iske baare mei toh kya hota aur aapne usse black energy ko absorb kyu karaya….???
AS: Phela saval agar ya ra kisiko pata chal jata toh Swaroopa ki maut nishchit thi…. Kabhi kabhi ache kaam ka liye kuch khatre lene padhte hai….. Dusri baat meine usse islye essa karaya kyunki uss Rajkumari ki energy ko sirf Trasa ki shakti hi kaat sakti thi islye aur dusra jiss Teer Kaman aur Lal Pathar ki talash tumhai thi vo surakshit tabhi hote jab Trasa ko ya vishwas hota ki koi uska apna hi unki raksha kar raha hai aur islye vo nishchint hokar uske upar se dhyan hata de….
Ab ya nahi puchna ki uski magic energy kaha gayi…. Tumhare vaha pahuchte hi tumne uski saari energy apne ander khich li, yahi power di thi uss Rani Billi na tumhai…. Aur koi sawal ho toh bolo…..
Shubham: Sach AS aapne Trasa ka saath behad bada game khel diya….. Aapki soch behad khatarnak hai…. Mei sochta tha ki mei bahut tej hu par aapke aage mei kuch nahi hu…..
AS: Ya sb kuch samaye ka saath badhta hai…. Meine behad samaye dekha hai SHubham…….
Place: Earth….
Shubham5: Professor mei aapse kuch baat karna cahata hu….??? (Friends yaha Shubham 5 Professor Iyer se milne aaya hai unke ghar….)
Professor: I know, I know tum kyu aaya hai…. Jitni jaldi tumhai hai usse mujhc lene ki usse jada jaldi hai mujhe tumhai vo dene ki…. Come with me….
Ya kaha kar Professor ander kamre mei chalne lage aur Shubham unke piche piche…. Professor ek photo ka samne jakar khade ho gaye…. Uss photo mei se ek light rays nikali aur usne Professor ki eyes ko scan kiya…..
Awaj: Welcome Professor…. Its been too long when you last visited….(Ya awaj computer program kit hi jo uss jagah ki safety kar raha tha…..) Aur iske saath hi vo painting gayab ho gayi aur vaha ek corridor khul gaya….
Professor uske ander ghus gaye aur Shubham 5 unke piche piche…. Aage jakar ek bade se hal jaisi jagah khuli…. Vaha ek Table aur chair rakhi hui thi….
Professor: Shubham mere father ek archeaologist tha….. Apni history research ka samaye unhe ya mila tha…… Unhone apni saari umar isse solve karne mei laga di, par vo isse solve nahi kar sake….. Unhone mujhe apni maut se phele ya diya aur kaha tha ki ek din iska true owner isse lene jarur aayega…. Vo aakar tumhai ek moti dega aur tum ya saari research de dena…… Ya uski hi amanat hai…….
Chaliye dosto dekhte hai ya kya hai, par agle update mei….. Dekhne ka liye ki SHubham 5 kis baare mei baat kar raha hai bane rahe…..
Pichle update tak aapne dekha ki Shubham ko pata chalta hai Swaroopa ka baare mei saath hi usse ya bhi pata chalta hai ki uski do powers ko surakshit karne ka liye AS na hi ya sab drama racha tha…. Vahi Shubham 5 Professor ka pass pahuchta hai unse kissi chij ka baare mei baat karta hai….
Ab Aage….
Shubham5: Professor kya aapke Pita na aapko bataya tha kya ki ya kis chij se juda hai….???
Professor: Nahi Shubham, unhone kabhi mujhe ya nahi bataya ki ya kis chij se juda hua hai, par unhone kaayi baar kayi logo ki madat se par vo kabhi ismei kamyab nahi ho sake….. Iske baare mei kayi logo ko pata hai par mere Pita ka alawa aaj tak koyi vaha se vapas nahi lauta essa Pitaji kahete tha….
Shubham5: Thik hai professor kya mei ya sab apne saath le jaa sakta hu…..???
Professor: Ha kyu nahi tumhari hi amanat hai, toh tum jaise cahao iska istemaal kar sakte ho….. Aaj mei isse azad hua…. Ab mujhe koi chinta nahi yadi mujhe maut bhi mili toh….
Shubham5: Nahi Professor itni jaldi maut ko gale laga kar aap kya karege…. Abhi aapko bahut kuch karna hai iss duniya ka liye…..
Professor: Ary tum serious ho gaye…. Abhi mujhe marne ki koi jaldi nahi hai…. Mei abhi khushi khushi kuch saal aur jeena cahata hu….
Iske baad Shubham vaha se saara saman lekar chala gaya…. Aur pahucha sidhe Mathira ka ghar jo ki abhi uska iss Dharti par kaam karne ka liye bana secret quarter bhi tha….
Mathira: Shubham5 tum Professor ka yaha se saara saman lekar aa gaye na…..
Shubham5: Ha Mathira….. Par kya aapko ya pata hai kya ki ya kya hai…..???
Mathira: Bahut jada toh nahi pata bus itna pata hai ki iss jagah par Dharti mei ek khaas weapon hai jo Shubham ko cahaiye….. Iss weapon ka baare mei Alvace aur Shubham hi jante hai…. Guruji na bhi kabhi iske baare mei kuch nahi bataya…..
Shubham 5: Par fir ya Professor ka pitaji ko kaise mil gaya aur kabhi koi kyu nahi dhund saka…..??
Mathira: Professor ka Pita ko kaise mila ya Professor na bataya hi hai, kyu mila mujhe nahi pata aur kisi dusre ko kyu nahi mila yabhi nahi pata….. In short mujhe iske baare mei kuch nahi pata hai…..
Shubham 5: Toh aba age kya karu iska….???
Mathira: Ek kaam karo, iski madat se koshish karo uss jagah ko dhundne ki…. Vaise ya Map tumhai vaha lekar jarur jaayega, par hume ya dekhna hai ki vaha kya kya musibat hai aur kaise hum usse paar kar sakte hai…..
Shubham 5: Thik hai, mei kuch din mei nikal jaata hu, kyunki varna abhi Maa aur Nani jaane nahi degi…..
Place: School of Magical and Weaponary Arts…
Iss samaye Shubham vapas School mei hi tha…… AS se baat karne ka baad Shubham vaha se nikal kar apne school ka kamre mei aa gaya aur kuch der vaha aaram karne laga….. Par aaj uski aankho se nind dhur thi…….. Vo apne kamre mei leta jarur tha par uska man shant nahi tha…. Kyunki usse ya samajh aa gaya tha ki uski Black Energy ki powers dhere dhere bad rahi hai…… Usse bus issi baat ki chinta thi ki jab uski saari Black Energy azad ho jayegi toh uske baad vo khudko kaise sambhalega….
Usse Mathila (Jo log bhul gaye ho unhe bata du, ya unn 5 mei se ek hai jisse Maharani Trisha na Guruji ka duwara kuch sandesh bheja tha……..) ki baate bhi yaad aa rahi thi jab uski aur Mathila ki baat hui thi, jaha unhone ya bataya tha ki mere ander Black Energy ki shamta bahut adhik hai, par unhe badne mei kaafi samaye lagega…. Jaise Jaise vo badne lagegi uske saath hi mei apne upar niyantaran khone laguga aur jaise jaise mere niyantaran kam hoga, mei iss duniya ka liye ek abhishap mei badal jaunga…….
Shubham: Kuch der baithne ka bhi jab uske man se ya baate nahi nikali toh Shubham vaha se gayab ho gaya aur pahuch gaya Training session room mei…. Aaj Shubham bahut samaye baad vapas yaha aaya tha….. Usne aankhe band kari aur kuch mantar budbudane laga…. Dekhte hi dekhte vaha Shubham na kuch esse yodha khade kar diye tha jo kissi tarah se nahi marne vale tha aur unke shamta Shubham ki jitni thi…. Unn yodha ki sankhiya 4 thi…..
Shubham: Vo bhi unke saath maidan mei khud gaya Talwar lekar…. Aur iske saath hi ho gaya mukabala shuru…. Iss mukabale ka asli karan sirf ek hi tha aur vo tha ki Shubham apne man ki frustration nikal raha tha…. Jiss baat ka liye vo khudko shant nahi kar sak raha tha uska gussa vo apni training ko aur bada kar aur saath hi unn logo ka upar nikalna cahata tha jinhe kissi bhi chij se koi nuksan nahi hota….
Kaafi der tha Shubham na unn logo ka saath pasina bahaya aura lag alag taraf ka weapons ka use kara, par iske ander usne kissi bhi tarah ka apne magic ya usse judi koi Power ka istemaal nahi kara…. Ya Keval aur Keval alag alag yodh ki kala aur hathiyar ka hi istemaal kara…. Aur aakhir mei thak haar kar vo vapas ussi kamre mei bani hui uss bench par baith gaya….
Abhi vo baitha hi tha ki uske kaano mei awaj aayi….
Awaj: Itne ashant man se yodh ki tayari karoge toh kahi na kahi khudko hi nuksaan pahucha loge….
Shubham: AS (Awaj unki hi thi….) aur Alvace aap dono se kuch bhi nahi chupa hua hai…… Aap dono jante hai ki meri shakti badne ka saath saath mere ander jo Kaali takat abhi tak dabi hui hai, vo bhi nikalne lagi hai…. Mujhe khudko shant karne ka koi tarika nahi samajh aa raha hai….. Aur agar vo puri tarah se azad hui toh……
Alvace: Usse azad hone se koi nahi rok sakta hai…. Abhi tak tum Maharani Trisha ki tarah lad rahe ho, jaldi Maharani Nabila ki tarah bhi lad sakoge….. Tum dhyan mei baitho, tumhai madat milegi…..
Shubham: Alvace aap aakhir cahate kya hai, agar mei dhyan mei abhi baith gaya toh fir jiss energy ko azad hone mei samaye hai, vo sab bhi azad ho jaayegi….Aapko pata hai aajkal mera gussa badne laga hai aur kuch samaye toh essa mehsoos hota hai ki jaise bus mere ander se koi bahar nikalne ka liye chatpata raha hai…..
AS: Shubham ya sab baato ko dimak se nikal do….. Kyunki abhi kuch aur bhi bahut saari baate hai jinke baare mei hume sochna padega…..
SHubham: Kya baat hai AS, kuch jada hi pareshan hai aap dono aaj….? Iss Sansar mei essa kya ho gaya jisne aap dono ka cehare ko pareshani mei daal diya hai….
AS: Asal mei Shubham mujhe lagta hai humare apne hi humara vidhroh kar rahe hai aur humari pith mei chura ghusane ki koshish kar rahe hai….
Shubham: AS aap kiske baare mei baat kar rahe hai saaf saaf bataye…. Aakhir baat kya hai….???
AS: Shubham Noora na mujhe ya tasveer di hai jo ki uske hisab se Aaliya ko uss World of Dream mei kaid karne ka liye gaya tha……
Shubham: Thik hai toh iska pata lagate hai aakhir isse humse kya dushmani hai…. Aur ya kon hai…..???
AS: Shubham puri baat suno aur isko thoda seriously lo…… Noora na jo hume tasveer di hai, vo tasveer Aaliya ki di hui tasveer se ek dum alag hai…….
Shubham: Toh ho sakta hai do log hoge…. Noora na jisse dekha vo ya hoga aur jisse Aaliya na dekha hoga vo ya hoga…. Toh ismei pareshani kya hai….???
Alvace: Pareshani ya hai ki ya sach nahi hai…. Vaha keval ek hi vyakti gaya tha….. Jisne Aaliya ko vaha kaid kara…. Par problem ya hai ki ya samajh nahi aa raha hai ki aakhir dono mei se sahi kon hai……???
Shubham: Par Alvace aap itne yakin se kaise kahe sakte hai ki do log nahi ho sakte hai…..???
Alvace: Shubham kyunki meine Aaliya se ya baat puchi thi nikalte hi ki Aaliya vaha kitne log tha, toh Aaliya na bataya tha ki keval ek hi tha….. Vahi meine Noora se bhi yahi baat puchi thi toh usne bhi yahi bataya tha ki keval ek hi vyakti tha……
Aaliya ka dreams ki raksha kyunki koi kar raha tha jiski vajah se cahaiye uss world mei ek ho ya anek kitne bhi shatru ko uss rakshak se ladna hi padega tabhi vo aage bad sakta hai…. Humne jaha Noora ko chupaya tha ya vahi jagah thi jaha Rakshak ko hona tha, toh fir yadi vaha ek hi aadmi tha toh fir ander jakar badal kaise gaye…..
Shubham: Alvace essa nahi ho sakta hai kya ki usne ander apna roop badal liya ho…..???
Alvace: Shubham ya bhi sambhav nahi hai……. Koi bhi dream world mei apne asli roop ka alawa koi dusre roop mei nahi jaa sakta hai aur na hi vaha apna roop badal sakta hai…..
Shubham: Toh aap ya kahana cahate hai ki Noora ya fir Aaliya dono mei se koi ek essa hai jo hume dhoka de raha hai…… Par ya kaise ho sakta hai, Kyunki Aaliya toh meri hi bhen aur meri hi shakti hai toh fir vo mere against nahi ho sakti hai….. Noora bhi Maharani Indra ki beti hai, aur Maharani na mujhe humesha apne bete ki tarah hi maana hai….. Toh fir vo kyu hume dhoka degi…..
Alvace: Iska javab abhi nahi hai mere pass, par mei jaldi hi iska karan jaan lunga….. Mei iss baat ko yahi khatam nahi hone dunga…..
AS: Pareshani sirf yahi nahi hai….. Ek pareshani ya bhi hai ki Pilaso iss duniya mei kya kar raha hai….Pilaso ko Orion ka gayab ka saath hi Orion ka saath chale jaana cahaiye tha….. Toh fir aakhri samaye mei vo Orion se gayab hokar yaha kya kar raha hai…. Usse badi baat ab uske pass apni takat bhi nahi rahi….. Aakhir ya sab chal kya raha hai….
Alvace: Mujhe Shasha aur Pilaso dono par shuru se hi yakin hai….. Mujhe humesha hi lagta hai dono kuch bahut bada plan kar rahe hai aur humse chupa rahe hai…. Isse phele bhi unki vajah se kitne hi logo ko jindagi se haath dhona pada….
Alvace: Vo vahi baat Shubham ko batate hai jo baat Glimo na Shubham ko batayi thi uski duniya ka baare mei….
SHubham: Iska matlab Glimo sach kahe raha tha,,,,, Uski duniya abhi bhi hai bus unhe dono Maa ka magic na chupa rakha hai….
AS: Tum kis baare mei baat kar rahe ho…. Glimo na kya bataya tumhai…..
SHubham: Vo Glimo ki saari baat unn dono ko bata deta hai….. Jisse sun dono ka hosh udd jaate hai…..
Alvace: Tum ya kahana cahate ho ki White aur Black Dragon dono ki takat iss duniya mei abhi bhi hai…. Aur job hi Glimo ki duniya ko dhundega usse hi vo dono takat milegi…… Par uss takat ko koi kaise sambhalega….. Kyunki ek saath dono ki takat itni adhik hogi ki duniya ka bade se bada Jaadugar bhi usse apne ander nahi utar sakta hai….
AS: Utar sakta hai Alvace….. Aap kuch bhul gaye hai shayad…..
Shubham aur Alvace: Kaise…..???
AS: Satrangi Shakti jiske ander bhi hogi, agar vo inn dono takato ko apne ander lega toh uske ander jiski matra jada hogi Black ya White mei se, vo energy bad jaayegi aur dusri energy ko Satrangi Shakti apne ander mila legi jiski vajah se dusri energy body ko harm nahi kar sakegi…..
Alvace: Baat toh tumhari sahi hai….. par fir bhi koi bhi normal body itni ek dum badi shakti ko sambhal bhi nahi sakta hai na…..
AS: Par jiske pass Satrangi Shakti hogi uski body essi chije behad aram se absorb kar legi…..
Shubham: Acha, Acha mei samajh gaya….. Ya toh mei ya fir Imosopher hum dono ka alawa koi usse hassil nahi kar sakta hai…. Vaise abhi ka hisab se ya kaam keval Elika hi kar sakti hai…..
Alvace: Sahi kaha…. Chalo ab hum jaate hai aur iska pata karte hai jaldi se jaldi hi aakhir kya chal raha hai….
Shubham: Thik hai, par aap ek kaam kare iss Tasveer ko Mathira aur Elika dono ko hi bhej de…. Shayad unhe kuch pata ho….
AS: Hmm thik hai…. Vaise tu agar free hai toh tu khud hi kyu nahi Paristan chala jata….. Vaha tu Elika se bhi mil lena aur Pilaso bhi mil jaayega usse bhi baat ho jaayegi….
Shubham: Ya bhi sahi hai…. Vaise bhi kaafi samaye se usse baith kar shanti se baat nahi hui hai…. Aur uss saaye ko marne jaane ka liye abhi bhi do pure din hai….. Ya do din nikal jaaye fir uska no. lagata hu….
Aur yaha se teeno hi gayab ho jaate hai….
Place: Fair Mount…..
Iss samaye Maharani Indra aur Noora dono hi ek kamre mei maujood hai aur dono ka bich kissi baat ko lekar bahut gambhir baat chal rahi hai…. Essa lag raha hai ki jaise dono kissi Vishay par bahut hi jada serious hai….. Chaliye sunte hai ki aakhir baat kya hai……
Indra: Noora ya tu kya kar rahi hai…..??? Tera dimak kharab ho gaya hai kya….??
Noora: Maa aap kis vishey mei baat kar rahi hai ya toh bataye…. Aakhir meine essa kya kar diya hai…..????
Indra: Mujhe pata hai tu kya kar rahi hai…. Tu Zooma aur Badshah ka saath milkar Shubham ko dhoka de rahi hai…..??? Tu essa karne ki soch bhi kaise sakti hai…… Aaj uski vajah se hi hume ek baar firse Fairmount mila hai aur tu usse hi nuksaan pahuchana cahati hai…..
Noora: Maa iska matlab aapko mere upar bharosa nahi hai na……Aapne mere piche apne khabri laga rakhe hai…. Ya achi baat nahi hai….
Indra: Noora baat ko badalne ki jarurat nahi hai….???
Noora: Maa aap hi toh kaheti hai na ki aankho dekhi har baat aur kaano suni baate humesha sahi nahi hoti hai…. Toh fir aaj aap kaise iss baat par yakin kar sakti ho…. Aapko kya lagta hai ki mei Shubham ko nuksaan pahucha sakti hu….
Indra: Matlab tu kahana kya cahati hai…..???
Noora: Maa aapko nahi pata hai abhi kuch bhi…. Mei Zooma aur Badshah ka saath mili hui hu ya khabar jitni sach hai utni hi jhut bhi…. Mei unke saath toh hu, par Shubham ko nuksaan pahuchane ka liye nahi unhe nuksaan pahuchane ka liye…. Maa Badshah(Nitin) koi aur nahi vahi hai jisne Pitaji ki jaan li thi, kyunki vo Maharani Trisha ko mante tha……
Indra: Tujhe ya baat kaise pata jabki kissi ko bhi nahi pata kit ere Pitaji ki maut kaise hui thi….???
Noora: Kyunki jab unki maut hui thi mei uss samaye ussi kamre mei chupi hui thi…. Meine apni aankho se dekha hai vaha jo kuch bhi hua tha…. Ya tabki maat hai jab mei keval 7 saal ki thi…. Mei uss din Pitaji ka kaksh mei chupi hui thi, kyunki meine soch liya tha ki aaj mei unhe daraungi…. Kuch samaye baad Pitaji bhi kaksh mei aa gaye aur unke saath hi maujood tha humare Maha Mantri….
Maha Mantri Pitaji ko kuch samjha rahe tha aur vo baar baar Pitaji ko unki baat maane ka liye kahe rahe tha…. Par Pitaji unki baato se sehamat nahi tha aur unhone usse kaha diya.....
Pitaji: Maha Mantri hum aapki baato ka baare mei sochega, aur saath hi Maharani Trisha se bhi iske vishey mei baat karege…. Unki raaye bhi jaan lete hai…..
Maha Mantri: Par Maharaj hum humare rajye ka faisle khud le sakte hai, hume unki koi jarurat nahi…. Aur vaise bhi ya toh humari suraksha ka liye hi hai….
Pitaji: Maha Mantri meine aapse jo kaha hai aap bus utna karo…. Maharaj hum hai, hume pata hai ki hume kab kya karna hai…. Iss rajye ka liye faisle lene ka adhikaar sirf hume hai….
Maha Mantri: Nahi Maharaj aap ache shashak nahi hai…. Aap apni praja ka fayde ki nahi soch rahe hai….. Hume kitna fayda hoga aur hum kitne shaktishali ho jaayega….
Pitaji: Maha Mantri behatar yahi hoga ki yaha se chale jaaye, varna hum sainiko ko kahe kar aapko kaid kar lege….
Tabhi vaha Badshah(Nitin) aa pahucha…. Jisse Dekh Maha Mantri ka cehare par ek kutil muskaan aa gayi, vahi Pitaji shock ho gaye….
Pitaji: Kon ho tum aur yaha kya karne aaye ho…..??
Maha Mantri: Hahahahhaha, yay aha tumhai maarne aaya hai…. Meine iske master ko tumhai maarne ka liye paise diye hai aur usse badi baat ya Maharani Trisha ko maane vale har vyakti se nafrat karta hai….
Badshah: Usne ek bhi minute ka samaye nahi lagaya aur ek ka baad ek do choti choti sui Pitaji ko chubha di…. Jaise hi dono sui Pitajo ko lagi, Pitaji ka sharir mei do behad hi chote chote kide ghus gaye aur vahi Pitaji behosh ho kar gir gaye….
Maha Mantri: Ya toh behosh ho gaya, meine tumhai maarne ko kaha tha…..???
Badshah: Jaisa tumne kaha tha, ya maara jayega aur iska karan sabhi ko achanak maut hi lagegi…. Ya jo kide meine iske ander chode hain na iski body ko kuch hi second mei na ander se puri tarah sada dege aur saath hi iske dil ko bhi dhadakne se rok dega….. Iski vajah se kisiko kuch nahi pata chalega ki iski maut kaise hui hai…..
MahaMantri: Tum behad kabil ho…. Tumhare Master na tumhai behad kuch sikhaya hai….
Badshah: Usne ek sui Maha Mantri ko bhi chubha di…. Aur vo bhi Pitaji ki tarah behosh ho gaya….
Noora:Aur kuch der mei hi dono mar gaye aur sabhi ko laga ki ya apne aap hi maut ka hawale ho gaye…. Kisi na bhi ya nahi socha ki do logo ki maut ek saath ek jagah aur ek jaisi kaise ho sakti hai…..???
Indra: apni beti ki ya baat sunkar unki aankho se aasu nikal rahe tha… Unhone Noora ko apne gale se laga liya…. Beti tu itne samaye se apni Maa se ya sab chupa kar kaise rakh sakti hai…. Khud dukh leti rahi par kabhi kisiko kuch nahi bola….. Par ek baat samajh nahi aa rahi hai aakhir tune abhi tak usse kyu nahi maar diya….
Noora: Nahi Maa, sone ka anda dene vali murgi ko halal nahi kiya jata hai….. Usse sambhal ka rakha jaata hai….. Bus ya Badshah bhi vahi hai….. Iski vajah se mujhe ya pata chalta hai ki humare Rajye ka kon esse log hai jo hume nuksaan pahuchana cahate hai…. Saath hi iske jariye mujhe Draco ki har khabar raheti hai aur mujhe ya bhi pata hota hai ki ya kab aur kaise Shubham par humla karne vala hai….
Jiski vajah se mei sahi samaye par vaha pahuch kar usko bacha leti hu…. Phele bhi do baar Isne Shubham ko maarne ki sajish rachi thi, ek baar Fair Mount ka unn chote chote taapu par aur ek baar Zooma ka dost ko Shubham ko maarne bheja tha…. Uss din meine sahi samaye par pahuch kar usse maut ka ghaat utaar diya…….
(Friends yaha ek saval do savalo ka javab mil gaye hai…… Noora hi vo hai jo Shubham ko kadam kadam par bacha rahi hai aur saath hi vo Nitin ka saath usse khatam karne ka liye hai…..)
Indra: Toh tu Shubham ko ya sab kyu nahi bata deti hai….???
Noora: Maa aapki ladli student aur Beti Elika(Indra Elika ko apni Beti ki tarah treat karti hai kyunki Elika Noora ki dost bhi hai, ya baat meine phele bhi updates mei batayi hai..……) na mana kar rakha hai batane ka liye…. Uska kahana hai ki Shubham ka upar phele hi bahut si samasya hai, toh kyu na hum sabhi uski ya choti choti problems ko dhur karde usse bina bataye hi…… Taaki vo badi badi samasya par hi dhyan de sake….
Indra: Ya Elika dikhti behad hi masum aur pyari hai, par iska dimak mei kya kya chalta hai kisiko nahi pata hota hai….
Noora: Maa aapki student hai khatarnak toh honi hi hai….
Chaliye aaj hum bhi yahi rukte hai….. Kal fir milte hai jaha humare samne shayad koi naya raaj khule ya fir koi naya raaj janam le le…. Jaane ka liye bane rahe story ka saath….
Stay Tunned……
Note: Sorry friends meine kaha tha ki update 5000 aur usse bada dunga, but kuch kaam mei busy hone ki vajah se itna bada nahi de saka par fir bhi somewhere around 3300 words ka hai….. Kal ka update Mega Update hoga jaha Shubham saaye ko na sirf khatam kar dega, saath hi Shubham ka bhakshak ka roop ki ek jhalak dikhayi degi….
Pichle update tak aapne dekha ki Shubham aane vale samaye ko lekar pareshan tha, vahi Alvace aur AS dono hi Aaliya, Noora aur Pilaso ko lekar pareshan tha….. Dusri taraf Noora aur Indra ka bich baat hoti hai, jismei ya baat pata chalti hai ki Noora Shubham ko nahi Badshah (Nitin) ko bewakuf bana rahi hai aur vo bhi Elika ka kahane par…
Ab Aage…..
Place: Paristan…
Yaha Elika aur Nancy Minora ko ussi kaid mei chod kar ek baar firse pahuch gayi Paristan ka Mahal ka ander aur iss samaye dono hi vishesh manthana kaksh mei baithi hui thi….
Elika: Aaj job hi kuch usne Minor aka mastikash se nikal kar dekha, usse dekh vo kuch vichalit ho uthi, usne essa kya dekha ya kuch samaye mei samne aa hi jaayega...... Par issi vajah se vo kuch pareshan si baithi hui thi….
Nancy: Elika kya baat hai, kabse dekh rahi hu tu Minora ka dimak mei jhakne ka baad se kaafi bechain hai…. Koi pareshani hai toh bata na….
Elika: Nancy meine uske dimak mei kuch essi tasveera dekhi hai jinko vaha nahi hona cahaiye tha….. Aur usse bhi badi pareshani ki baat ya hai ki Minora ka dimak ko mei puri tarah nahi dekh saki hu, kuch hisse mei meri shakti pravesh hi nahi kar saki….
Nancy: Kya par ya kaise ho sakta hai….??? Teri shakti ka aage Minora ki shakti toh kuch bhi nahi hai…..
Elika: Ya kaam minora ka nahi kissi behad khatarnak jaadugar ka hai, kyunki uske jaadu ko agar meine thodne ki koshish kari toh Minora ki saari yaade khatam ho jaayegi aur saath hi uski maut bhi…. Usse thodne ka baad bhi mujhe kuch nahi milega….
Nancy: Par itna shaktishali jaadu kon kar sakta hai…..??? Aur essa kya chupane ka liye ya kiya gaya hai…..??
Elika: Kon aur kyu dono ka javab nahi hai aur yahi hume pata karna padega….
Nancy: Aur vo tasveer, usmei tune kisko dekha jot ere hisab se nahi hone cahaiye tha….??
Elika: Pilaso aur meri Maa dono ko….. Mujhe samajh nahi aa raha hai ki dono hi Minaro ko na sirf jante hai bulki usse kissi vishey mei baat kar rahe tha….
Nancy: Par Elika essa bhi ho sakta hai na ki vo dono usse kuch samjha rahe ho….
Elika: Ho sakta hai, par mujhe kuch aur baat lag rahi hai…. Ab iska javab vo dono hi dege…… Par ek shaksh aur hai aur uska hona humare liye khatre ki sui ki tarah sanket kar raha hai…. Maharaj Zomata (Kairo’s Father)….. Unke nagar mei Minora ka milna aur Minora ka Zomata ka mehal mei aana jana kuch badi anhoni ki taraf sanket kar raha hai….
Elika: Vo do Pariyo ko awaj deti hai….(Unhe Pari 1 aur Pari2 likhunga) Ya dono Pariya hi paristan ki behad khaas aur hunarmand jasoos hai…. Dono hi Elika ka samne aati hai…..
Pari1 aur Pari 2: Rani pari ko humara pranam…..
Elika: Tum dono ko ek khaas kaam karne ka liye Paristan se dhur jaana hoga…. Ya kaam behad khaas aur jaruri hai……
Pari 2: Rani Pari hum humari puri koshish karege ki hum iss kaam ko pura kar sake…. Hume khushi hogi aapki sewa karne mei…..
Elika: Apni aankhe band karke dono ka sar par haath ferti hai, jisse dono ko hi samajh aa jata hai ki unhe kya karna hai…. Ek baat dhyan rahe tum dono ka jab bhi lage ki tum behad bade sankat mei fas gayi ho manmei keval ek baar yaad karna, tumhari madat ka liye mei aur baaki sabhi log turant pahuch jaayega….
Pari 1: Jee Rani Pari….
Elika: Ab tum jaa sakti ho….
Dono vaha se gayab ho gayi….
Nancy: Ab tu abhi kuch batayegi toh hai nahi, islye mei chali ab Paristan ko ghumne….. Kitna samaye ho gaya hai yaha ghume hua….. Aur vo vaha se nikal gayi…..
Uske jaane ka baad Elika firse apni hi soch mei kho gayi….. Vo kuch jarur soch rahi thi….
Tabhi vaha pahuch gaya Shubham…..
Shubham: Vaha pahuch kar mei Elika ko dekhne laga, jisse mere vaha hone ka bilkul ehsaas nahi tha…. Vo toh apni hi duniya mei khoyi hui thi, jisse dekh mujhe kuch bura hone ki aashanka hui…. Par mei janta tha ki Elika mujhe kuch nahi batayegi …. Mei cahata toh uske dimak mei jhaak leta par fir ek dusre par jo bharosa hai uska kya hota…. Jo chij pyar ka rishte ki buniyad hoti hai agar vahi kamjor ho jaaye toh fir aapke aur aapke partner ka bich ka pyare rishte mei dhere dhere darar aane lagti hai aur vo rishta makan ki kamjor neev ki tarah kabhi bhi gir sakta hai….
Mei apni gati se Elika ka piche gaya aur piche se usse apni bahao mei bhar liya….
Elika: Achanak khudko kissi ki bahao mei pakar shock ho gayi, par jaise hi usse ehsaas hua ki uske piche mei hu vo firse normal ho gayi…..
Elika: Tum kab aaye aur yaha kaise….??? Mujhe hi bula liya hota….
Shubham: Kabka aa gaya hu mei toh par tum apni hi soch mei vyast thi…. Kissi baat par gheri manthana kar rahi thi….. Ab mei puchunga toh tum usse huma dogi jisse behatar hai ki mei nahi puchta hu….
Dusre saval ka javab bula toh leta par fir mujhe apni mohobat ka saath iss khubsurat duniya ko dekhne ka mauka hi kaha se milta….
Elika: Kya baat hai, aaj iss duniya ka rakshak ko samaye mil gaya kya apne liye aur apno ka liye….?? Varna mujhe toh laga tha ki bus ab iss jeevan mei tumhare saath hokar bhi tumse dhur hi rahena padega…. Ya baat usne kuch ruthe hua swar mei kahi thi….
Shubham: Elika ko ghuma kar apne samne karte hua, janta hu saath hokar bhi hum dhur hai, par iss maan mei ek dar hai Elika…. Jiss raste par mei chal pada hu vaha har samaye koi na koi mera dushman tayar hai aur iss mauke ki talash mei hai kab usse mauka mile aur vo mere par humla karde…. Khudpar hua humla ko toh sambhal lunga par kisi apne ko agar koi nuksaan hua toh khudko sambhalna mushkil hai….
Tujhc kuch chupa nahi hai, jitna mei janta hu usse kahi guna tujhe hai pata…. Vo din dhur nahi jab mei ek hawan mei badal jaunga…. Iss duniya ko mujhc koi nahi bacha sakega…… Darta hu kahi apni hawaniyat mei kahi kissi apne ko nuksaan na pahucha baithu….
Elika: Muskurate hua, baaki ka pata nahi par mujhe toh ya baat humesha se hi pata hai ki tumhara rasta kya hai aur manjil bhi…. Jiss din tumse pyar hua tha uss samaye ya bhi pata tha aage ki manjil mushkil hogi….. Mujhe khudki kamjori nahi takat samjho…. Tumhare har mushkil samaye mei humesha khudke pass aur saath paaoge……
Shubham: Mahool thoda senti hone ki taraf bad raha tha, ary mei bhi kaha ya baate lekar baith gaya…. Vaise tum badi kharab ho…. ??
Elika: Kyu meine kya kara….??
SHubham: Itne sundar Paristan mei raheti ho…. Saari duniya jiski khubsurati ki tarif karti hai, jisse ek baar dekhna duniya ka sapne jaisa hai tum vaha ki Maharani hone ka baad bhi mujhe kabhi bhi na yah aka liye bulaya aur jab aaj mei aa gaya khudse hi toh bhi mujhe iss duniya ko ghumane ki jagah shikayat lekar baith gayi….
Elika: Toh ismei konsi badi baat hai…. Neele Unicorn ka malik ho tumhare liye koi bhi jagah ghumna konsi badi baat hai…. Ek shan mei paristan ko ghum kar aa jao….
Shubham: Jee nahi, mei ek aam insaan ki tarah tumhare saath ya jagah dekhna cahata hu …… Ab tum apna ya pariyo vala roop badal lo aur chalo…..
Elika: Nahi yaar mujhe kuch kaam hai….
Shubham: Mei kuch nahi sunne vala…. Agle do din tum aur mei koi kaam nahi karne vale hai….Ab cahaiye ya brahmand khatam ho jaaye ya fir Imosopher youdh ka liye aa jaye…. Hum koi kaam nahi karne vale hai….
Elika: Acha ji toh sab soch kar aaye ho….. Chalo do din tumhare saath bhi bita lete hai…. Dekhte hai aakhir kya kya plans banaye hai….
Shubham: Hmm toh chalo hum sabse phele Paristan se shuru karte hai…. Par uske liye tumhai aur mujhe dono ko apna huliya badalna hoga varna tumhare log tumhai dekh kuch satark se aur kuch dil khol kar enjoy nahi kar sakege….
Elika: Jo hokum mere aaka…. Aur Elika na apni chadi ghuma di…. Hum dono ka roop badal kar ek dum normal logo jaisa ho gaya….
Shubham: Ab sahi hai…. Paristan ghumane ki jimmedari tumhari hai….
Elika: Toh fir yaha par thodi dhur ek behad hi khubsurat sa jharna hai…….
Shubham: Thik hai chalo….
Hum dono vaha se gayab hokar pahuch gaye Paristan ka sabse khubsurat jharne ka karib……. Ya jagah sahi mayne mei ek behad hi khubsurat jagah thi...... Uss jagah chaaro taraf bus haryali hi haryali thi…. Vaha alag alag rang birange phool bhi lage hua tha…. Jharne ka paani ka girne se vaha ek behad ek behad madhur awaj ho rahi thi….. Uss jharne ka kinare par kuch chote chote khargosh ka bache ghum rahe tha, uchal khud kar rahe tha…. Vahi unse kuch dhur sundar sundar sona se chamakte hua heran uss jharne se paani pee rahe tha…. Unka ek pura jhund tha jismei bade se lekar chote heran bhi tha…..
Shubham: Uss jagah ko dekh mei bus mantr mugdh ho gaya kyunki essi jagah mei kabhi dekhi nahi thi…. Dil caha raha tha ki bus yahi baith jaau aur humesha humesha ka liye yahi ka hokar rahe jaau……
Elika: Kuch der mujhe bus uss jagah ko niharte hua dekhne lagi….. Kuch samaye baad, kaisi lagi ya jagah…..
Shubham: Ek dum adbudh aur lajawab hai ya jagah toh…. Sach kahte hai Paristan ko swarg ka saman sunder hai…. Aur Paristan ki pariya bhi….
Elika: Acha ji toh ab tumhara dhyan sabhi Pariyo par aa gaya hai….. Dekh rahi hu kuch badle badle se lag rahe ho…..
Shubham: Bus essa hi samajh lo…… Pichle safar na ya samjha diya hai ki jeevan ka koi bharosa nahi….. Kab kisse kya ho jaaye ……. Islye Jeevan ka chote chote palo se khushiyo ko batorte raho.......
Elika: Chalo der aaye durust aaye…. Aakhir tumhai ya samajh aa gaya ki jeevan mei har chij ki jarurat hai……
Shubham: Chalo na paani mei masti karte hai……
Elika: Nahi mei yahi dhur hi achi….
Shubham: Jaisi tumhari icha…. Aur ya kaha kar mei Paani mei khud gaya…. Paani mei khudte hi mei shock hua kyunki yaha ka paani halka halka garam hai…. Jiske ander dubki laga kar mujhe behad aram mil raha tha……. Elika tum bhi ander aa jao.....
Elika: Nahi mei esse hi achi hu….
Shubham: Meine apni speed ka istemaal kara aur usse utha kar paani mei faik diya….
Shubham: Paani mei puri bhigne ka saath hi jaise vo chamakne lagi…. Usse dekh essa lag raha tha ki jaise taare jamin par aa gaye ho…. Uski khubsurati aur bhi adhik dikhne lagi….
Elika: Mera khudko essa dekhne se sharmane lagi, jiski vajah se uske gore gore gaal ek dum laal pad gaye…. Essa kya dekh rahe ho….??
Shubham: Kuch nahi, bus apni aankho ka samne din mei taare ko chamakte hua dekh raha hu……
Elika: Usne apni aankhe band karke khudko vapas paani se gayab karke bahar nikal gayi aur firse vo normal ho gayi…. Vahi dusri taraf mei kuch der paani mei baitha raha aur khud uss garam garam paani ka maza leta raha…. Ya paani jaise mere sharir ka har muscle ko ek tarah se shanti de raha tha…. Jo bhi dard aur thakan thi vo gayab hoti si lag rahi thi…..
Kuch der ka baad mei Paani se bahar nikala….. Aur vahi pass mei ek paid ka niche hum dono baith gaye….. Iss samaye mera sar Elika ki goudi mei tha aur vo mere baalo se khel rahi thi vahi mei upar muh karke bus usse dekh raha tha…..
Elika: Kaisa laga paani mei naha kar….??
Shubham: Behad acha, essa laga jaise ki mere sharir ki saari thakan hi khatam ho gayi ho…..
Elika : Vo toh hona hi tha…. Ya ek khaas jharna hai….. Iske paani ki yahi visheshta hai…. Jo bhi ek baar iss Paani mei dubki laga le, toh uske sharir ki saari thakan pal bhar mei hi khatam ho jati hai….. Vahi yadi koi Paristan ka bashinda iss jharne mei dubki lagaye toh uski kamjor padi sabhi takat usse vapas mil jaati hai….
Shubham: Aur jo tum chamak rahi thi….??
Elika: Suraj ki roshni mei ya paani hum sabhi Pariyo ka sharir ko esse hi chamka deta hai…. Uss samaye hum kissi taare se kam nahi lagte hai….
Shubham: Hmm, vaise Elika ek baat batao, tum Paristan ki Rajkumari thi, duniya mei koi essi chij nahi hogi jisse tumne caha ho aur vo tumhai nahi mili ho….. Toh kya ya sach hai ya fir kuch essa bhi hai jo Paristan ki Rajkumari ko nahi mil saka ho…..
Elika: Kuch muskurate hua, mei Paristan ki Rajkumari thi iska ya matlab nahi tha ki mujhe sab kuch apni icha se mila ho…… Ulta iske behad nuksaan mujhe uthane pade hai bachpan mei….. Mei kahi aa nahi sakti thi, jaa nahi sakti thi…. Har samaye mujhe ya dhyan rakhna hota tha ki mei Pariyo ki Rajkumari hu islye mei kuch bhi apni icha ka nahi kar sakti thi…..
Shubham: Acha essa hai toh aaj tum bata do essa kya karna cahati thi tum jisse tum ek Rajkumari ki vajah se nahi kar saki….
Elika: Essi behad saari chije hai, par sabse jada meine jo miss kara hai vo hai Swar Nagar ka haat…..Vo duniya ka sabse bada haat lagta hai jaha alag alag tarah ki chije milti hai, aur usse badkar vaha behad hi alag alag tarah ki khane ki chije bhi milti hai……
Shubham: Toh fir ya hum pahuch gaye tumhari pasand ki jagah….. Aaj tum ek Rajkumari ya Maharani nahi ek dum aam ho, ghumlo…..
Elika: Humari palak jhapakte hi badly hui jagah dekh uske hosh hi ud gaye….. Par fir usse samajh aa gaya ki ya kaise hua…. Vo turant hi uth khadi hui aur uss haat ko esse dekhne lagi jaise vo koi sapna dekh rahi ho….
Shubham: Uske pass jakar mei usse jor se ek baar pinch kar deta hu…..
Elika: Aaaahhhh essa kyu kara….??
Shubham: Toh aur kya karta, tum toh esse iss jagah ko dekh rahi ho jaise koi sapna dekh rahi ho toh tumhai hosh mei toh laana hi padega na….
Iske baad hum dono hi vo jagah ghumne ka liye chal diye.... Elika har chij ko bade chaav aur khushi se dekh rahi thi…. Har dukan har jagah vo sabhi tarah ki chije bus dekhne mei hi lagi thi….. Meine itne lambe samaye mei usse kabhi itna khush nahi dekha tha jitna khush vo iss samaye thi….. Humne kaafi saari jagah ruk kar bahut kuch khaya aur usmei sabse khaas jo usse pasand aaya tha vo tha gola…. Jee baraf ka gola jismei alag alag tarah ka colour ka sharbat dale hua hote hai….
Aur esse hi humare 2 din hassi khushi mei nikal gaye pata bhi nahi laga…. Khushi ka din kitni jaldi beet jaate hai uska pata kissiko nahi chalta hai bus essa hi kuch yaha bhi tha….. Ab aaj vo din tha jab mei Saaye ki duniya mei saaye se mukabla karne jane vala tha……
Place: School
Aaj Subha hi Elika ka saath samaye beeta kar mei vapas school aaya tha aur apne jaane ki tayari kar raha tha….Tabhi mere kamre mei Alvace aaye….
Alvace: Shubham tum akele jaa rahe ho ya faisla sahi nahi hai…. Tum jante ho vo duniya puri andhere se gheri hui hai, jiski vajah se Saaye ki shakti phele se kaafi adhik hogi….. Uske upar se tumhari Black Enery abhi develop nahi hui hai aur na hi tumhai usse jude koi magic aate hai…..
Shubham: Alvace aapki chinta kuch samajh nahi aa rahi hai…. Kyunki ya toh aap bahut ache se jante hai ki meri shaktiya kitni adhik bad gayi hai….. Esse mei Kaalo duniya mei bhi unhe koi nahi rok sakta hai, ulta uss Duniya mei andhere mei toh meri Black Energies behad jaldi grow karegi aur jab ek baar mere ander ka Bhakshak jaag gaya toh fir uss Saaye jaise kitne hi kyu na ho vo mujhe sambhal thodi sakege…..
Alvace: Tum samajh nahi rahe ho, Saaye ki aadat hai piche se humla karne ki, vo jarur kuch na kuch tayari karke hi baitha hoga…..
Shubham: Acha hai aur karke bhi rakhni cahaiye, varna vaha ka mera adventure khaas kaise hoga…..
Tabhi humari baat ka bich vaha Elika, mere baaki sabhi dost including Noora aur Mathira aur Aaliya bhi pahuch jaate hai….. Par vaha ek shaksh aur bhi tha jisse dekh mei shock ho gaya….. Kyunki meine uske yaha hone ki nahi sochi thi…. Vo tha Zooma…..(Yes friends ya Fair Mount vale sabse bade ladake mei se ek tha…)
Shubham: Tum sab yaha kya kar rahe ho….?? Willy aur Marium tum dono toh Magical City ki raksha kar rahe tha na…. Aur Iszy tere rajye mei toh phele hi pareshani behad hai, tu yaha kyu aa gayi….
Willy: Tujhe kya laga tha akele akele saare maje le lega…… Jab dekho tab akele gayab ho jaata hai kahi bhi, aur khud hi akele akele sabhi se ladne ka maza leta raheta hai….
Iszy: Mere Rajye ki pareshani ka liye mei kyu pareshan hu, ya kaam Pitaji aur duniya ka Rakshak ka hai…. Aur vaise bhi Pitaji ko Rakshak ka sandesh mil chukka hai ki vo jaldi vaha pahuch jaayega…..
Shubham: Yaar tum sabhi kyu apni jaan khatre mei dalte ho, ya kaam mera hai mujhe hi pura karne do….
Tabhi piche se AS bhi aa gaye……
AS: Shubham tu bhul gaye kya ki Maharani Indra na humesha yahi toh sikhaya hai ki yodh kabhi akele na lade jaate hai aur na hi jeete jaate hai….. Aur yaha toh essa yodh hai jiski vajah se sabhi ko aage ka liye behad kuch sikhne ko milega…. Yaha ya training kar sakte hai aage ki…..
Shubham: AS aap bhi, jabki aapko pata hai na ki Saaye ki duniya mei inn sabhi mei se koi bhi saaye ka logo se nahi lad sakta hai kyunki unse ladne ka liye sabhi ko saaye mei badalna hoga jo ya nahi kar sakte hai…..
AS: Vo badal nahi sakte hai toh kya hua, tum toh unhe badal sakte ho…. Tum apni shakti ka kavach inn sabhi ko pehana sakte ho jiske baad ya pareshani bhi khatam….
Aakhir mei mujhe bhi unn sabhi ki baat maani padi aur hum nikal gaye Saaye ki duniya mei, humare dushmano ki list ko choti karne…. Abhi hum sabhi uski duniya mei pahuch gaye tha…..
Rimjhim:Ya kaisi jagah hai, yaha sabhi taraf sirf andhera hi andhera hai….. Na log dikh rahe hai aur na hi koi aur chij….. Bus kuch dikh rha hai toh sirf andhera ya fir vo minar..........
Mathira: Rimjhim yahi hai saaye ki duniya aur Kaali takat ka samrajye ki sabse choti jagah yaha se Imosopher ka raajye shuru hota hai…. Iske aage ki saari duniya hi Kaali hai….Jaha Suraj ki roshni bhi kabhi nahi nikalti hai…..
Tabhi waha ek awaj aati hai….. Ya awaj Saaye ki thi……..
Saaya: Aa gaye rakshak….. Bada Intezar karaya tune milne ka liye…... Ary wah apne saath auro ko bhi laaya hai mere haatho marwane ka liye….. Bahut ache
Nisham: Ary yaar ya awaj kaha se aayi, yaha toh dhur dhur tak kuch dikh hi nahi raha hai…..
Nancy; Duffer andhere mei kabhi saaya dikhta hai kya jo tujhe yaha koi saaya dikhega….
Shubham: Ya awaj uss minar se hi aa rahi hai….. Abhi yaha nahi hai koi bhi…..
Shubham: Aa toh gaya, par tu toh bada darpok nikala jo vaha itni dhur uss minar se baat kar raha hai, jabki mei toh tere samne hi khada hu yaha….
Saaya: Lo tumhai ya icha bhi puri kar deta hu….
Aur ya kaha kar vo saaya mere samne aa jata hai….
Shubham: Apni aankhe band karke mei sabhi ka upar apne Laal Pathar ki shakti ka kavach bana deta hu jiski vajah se vo sabhi bhi ab Saaye ko dekh sak rahe tha…..
Jaise hi sabhi na samne dekha sabhi ka muh khula ka khula rahe gaya….. Kyunki samne karib 10000 ka upar saaye haatho mei hathiyar liye khade tha….
Jaise hi sabhi na upar dekha iss baar toh bus aankhe hi bahar aane ko ho gayi thi….. Kyunki humare upar behad hi bade bade vulture ghum rahe tha aur unke upar baithe tha saaye…… Par ya sab dekh kar Mathira aur Elika dono ka cehare par muskan thi….
Mathira: Wah humare swagat ka liye itni tayari…. Behad bhaye hai tumhai humara jo itne se logo ka liye itno ki jarurat pad gayi tumhai…… Chalo koi nahi tumhara vishwas tutne nahi dega…..
Saaya: Bahut ache, Guru Trajang ki tarah unki shishya ko bhi apne gyan par behad abhiman hai…. Chalo abhi koi kuch kare, usse phele ek aakhri taufa toh dekh lo….
Essa kaha kar Saaye na ek haath hawa mei uthaya….. Uske essa karte hi piche se do saaye kissi ko pakad kar laa rahe tha….. Jab vo samne usse lekar aaye toh saaye na ek choti si agni prajvalit kardi…. Jaise hi uski shakal samne aayi, abki baar toh jaise sabhi ka sabhi apni jagah se uchal hi pade….. Kyunki aapko toh pata hai ki Saaye ka pass Elika (Actual Kimya jisne Elika ka roop le rakha hai….) Iski vajha se Mujhe Elika, Nancy aur Aaliya ko chod sabhi bus sadmei chale gaye…..
Avantika: Ya kya hai, do do Elika…. Ab ismei asal konsi hai aur nakli konsi hai…..
Saaya: Kya hua, ab kuch nahi bolega….. Janta hai tere saath jo ya Rajkumari Paristan bane ghumti hai vo koyi aur nahi meri beti hai…. Jisko meine hi tere piche lagaya tha…..
Shubham: Ab tujhe kya hi bolu, chal kuch dikhata hu…… Nancy jisse tu laayi hai bottle mei jara usse bahar dikhana toh sabhi ko…..
Iss baar jhatke ki baari Elika aur Nancy ki thi….. Kyunki unn dono ko yahi lag raha tha ki mujhe kuch nahi pata hai….
Shubham: Ary Elika, Nancy esse mat dekho….Nikalo toh sahi…..
Elika: Usne bottle ka dhakan khol diya…. Jaise hi usne dhakan khola vaha ek aur Elika aa gayi…….. AB vaha teen teen Elika thi….. Tesri Elika ko dekh kar ab bachi Aaliya bhi shock mei pahuch gayi thi….. Bus bach gaya tha toh vo sirf mei tha jisse koi shock nahi laga…….. Essa kaise hua iske liye chalte hai thoda past mei……..
Flash Back…
Aapko yaad hoga ki jab mei Dream World ka baad vapas school aaya tha toh uss shyam ko meine Aaliya ka sar ka upar haath fera tha jiski vajah se vo nind mei khoti chali gayi thi aur uss samaye Shubham na Elika ko kaha tha ki ab agar tum nahi soyi toh mujhe tumhare upar bhi magic karna hoga….
Jiske javab mei Elika na kaha tha ki tumhara koi zaadu nahi chalega….. Tum mujhe jaadu se nahi sula sakte ho…..
Bus yahi vo samaye tha tab meine kuch ajeeb se cehare banaye tha par khudko normal karke uske baad apne kamre mei ghus gaya tha….. Aur vaha apne roop banaye….. Unn sabhi roopo mei se Shubham 1 ka kaam tha Elika ka upar najar rakhna, kyunki mujhe bus yahi pata tha ki jo Elika saath hai vo Saaye ki beti hai…..
Uss shyam hi Elika Shubham 8 aur Aaliya ko chod kar kahi gayi thi, uss samaye mera sandhey vishwas mei badal gaya ki ya Elika nahi hai aur Shubham 1 ko Elika ka picha kara, aur iske baad Elika aur Nancy ka bich ki saari baate hue pata hi hai…..
Flash Back Ends….
Saaya: Apne samne teen teen Elika ko dekh ab toh uske bhi hosh ud gaye…. Kyunki uske hissab se ek Original aur ek uski beti hone cahaiye toh fir ya tesri kon hai…..
Shubham: Kya hua ab kaha gayi teri vo hasi…. Tujhe kya laga tha ki saari yojana tu hi bana sakta hai baaki sabhi toh yaha bus esse hi aa gaye hai…. Ab bata konsi hai teri beti….
Saaya: Meri beti koi bhi ho mujhe farak nahi padhta hai….. Cahaiye tune usse maar hi kyu na diya ho…. Kyunki mujhe toh bus ya Rajkumari cahaiye thi, jo ki mere pass hai….. Ab mujhe kuch nahi cahaiye……
Shubham: Hahahahahahaha……. Kimya apne asli roop mei aa jao…..
Mere esse kahete hi Kimya jo ki saaye ka pass thi vo apne asli roop mei aa gayi….
Saaya: Apne samne Kimyo ko dekh vo baukhla gaya….. Usse khudki haar bardash nahi hui….. Kyunki usne Elika ko bandhi bana hua soch kar behad saari chaal soch rakhi thi jo ki sabhi bekar ho gayi…..
Shubham: Ya le ya rahi teri Beti…… Aur meine Elika ki taraf dekha jo humare saath aayi thi….. Usne ek magic ka use kara aur jisse Nancy aur Elika lekar aayi thi uss Elika par chod diya aur dekhte hi dekhte vo apne asli roop mei aa gayi…….
Saaya: Jaisa ki Alvace na kaha tha ki vo pith piche chura ghusane mei mahir hai, toh bus essa hi kuch usne karne ki sochi…. Usne Kimyo ko maarne ki koshish kari iss bich, par bechara kuch kar nahi saka kyunki meine phele hi Kimya ka chaaro taraf apna suraksha kavach bana diya tha….. Saaya ka vaar khali gaya…..
Shubham: Tu apni harkat se kabhi baaz nahi aayega ya mujhe phele hi pata tha, islye meine isse phele hi apne suraksha ka ghere mei kaid kar diya tha….. Ab isse thodna tere bas mei nahi hai….. Ab tere liye behatar yahi hoga ki tu haar maan le varna tera haal behaal ho jayega…..
Saaya: Nahi kabhi nahi…..Tujhe kya laga ki tu jeet gaya hai…. Yaha itno ka bich se tu jinda nahi jaa sakta hai…
Aur iske saath hi shuru ho gaya humare bich ladayi…. Iss ladayi ka dauran mei Saaya se aur Elika Saaya ki beti se lad rahi thi….. Vahi Mathira akele hi aasman mei unn Vultures aur unke upar saayo se lad rahi thi…. Vo akele hi unke upar bahut bhari pad rahi thi……
Par yaha niche mere dost baaki sena se lad rahe tha….. Pheli baat toh vo saaye ki sankhiya behad adhik thi, dusri baat yaha Ghana andhera tha jiski vajah se na sirf Saaye ki sena adhik shakti shali thi, bulki unko andhere mei dekhne mei kuch pareshani ho rahi thi….. Aur issi vajah se mere dost yaha thoda kamjor najar aa rahe tha…..
Shubham; Elika tum baaki ka saath iski Sena ko sambhalo….. Inn dono ko mei dekhta hu…..
Elika: Thik hai…. Aur vo bhi baakiyo ka saath Saaye ki sena se ladne lagi….. Dekhte hi dekhte yodh behad ghamasan ho gaya tha….. Par iss bich Saaya apni harkat se baaz nahi aaya…. Usne mera dhyan khudki beti ka saath ladne mei laga kar, khudne piche se Aaliya ka upar humla kar diya….
Kyunki Aaliya abhi puri tarah tayar nahi thi, bus issi vajah se vo samajh nahi saki Saaye ka war ko aur saaye na Aaliya ko ghayal kar diya….
Jaise hi Aaliya ghayal hui, uske saath hi mere sharir par bhi thik ussi ek dard sa utha…..Uss dard ki vajah se mera dhyan Saaye ki beti se thoda hata aur vo vaha se bhag nikali….. Kyunki vo mujhc kaha tak yodh karti….
Idhar Saaye na Aaliya ka ghayal hote hi uske upar dusra humla karne ki koshish kari, par jab tak vo iss koshish mei safal hota meri najar uske upar pad gayi aur meine usse vahi rok diya….. Aur apne magic se usse dhur faik diya….
Shubham: Aaliya ko ghayal dekh mujhe na jaane kya hone laga….. Mera sharir apne aap jhatka khane laga…. Essa lag raha tha ki jaise koi bahar aane ko betab ho raha hai aur vo sabhi ko Dhaka dete hua bus bahar nikalne ki koshish kar raha hai…..
Ussi samaye Elika aur Mathira dono ki hi najar mere upar padi aur jaise hi dono ki najar mere upar padi dono ka gala sukh gaya…. Kyunki meri aankho ka jo Sclera (The White Portion of Eye) ek dum kaali ho gayi thi aur vahi jo aankho ka pupil hota hai vo Neele se ek dum Laal ho gaya tha…. Mujhe dekh dono samajh gayi ki ko nahi hona cahaiye tha vo ho gaya….
Idhar mei Aaliya ko dekh raha tha, par mera sharir saath nahi de raha tha….. Mujhe khudko jhatke lagne laga…. Par do minute ka ander sab kuch shant ho gaya…. Ab mei puri tarah se badal gaya….. Jaha phele mere uparsunhare colour ka kapde tha, ab vahi kapde badal kar ek dum Kaale ho gaye tha…. Mere haath mei apne aap ek stick aa gayi aur uske upar ek bada sa Crystal tha…..
Idhar Saaya mujhe maarne ka liye aage bada…. Par jaise hi mei Kaale kapdo mei badla uski jaan halak mei hi rahe gayi…… Usse samaj hi nahi aaa ki ya kya ho gaya….. Uske saare paase ulte kaise pad gaye…..
Idhar meine Aaliya aur uske saath hi sabhi ko vaha se gayab kar diya….. Vo sabi uss grah se gayab ho gaye tha aur Aasman mei hi khade niche kya ho raha hai dekhne lage…..
Willy; Elika ya achanak se Shubham ka kapde kaise badal gaye aur hum bhi yaha kaise aa gaye……???
Elika: Hume achanak se nahi, hume Shubham na uss grah se bheja hai, kyunki ab vaha vo aa gaya hai vo behad nirdaye hai aur andhera uska dost…..
Siyam: Par vo akele kaise unhe sambhalega…..???
Mathira: Ab vo akela bhi behad hai inn sabhi ka liye….
Willy: Par ya hua kaise aur kyu…..???
Elika: Willy Shubham ka pass Black Energy bhi hai aur vo White Energy se kayi gunna jada strong hai uske ander par abhi uski Black Enery ko usne dhyan nahi diya hai jiski vajah se vo abhi tak shant thi, par aaj jaise hi Aaliya ka upar humla hua uska gussa aur dukh na uski uss Energy ko kahi na kahi jaga diya….. Aur vo nikal kar bahar aa gayi….Ab Shubham ek dum alag hai, ya roop alag hai aur behad shakti shali…. Iske samna karna behad mushkil hai……
Vahi dusri taraf Saaye ka grah mei Saaya aur uske sabhi log mere achanak se badle roop se dar gaye….. Saaye aur baaki sabhi ko ya behad ache se pata tha ki Rakshak ka ek roop aur hai, par unhe ya nahi pata tha ki ya roop esse unke samne aa sakta hai…..
Idhar mere ander Black Energy puri tarah se hawi ho gayi thi….. Black Energy na meri soch aur meri samajh dono ka upar hi apna kabza jama liya tha aur uske fal swaroop hi mere sharir se aag nikalne lagi….. Mera pura sharir hi aag ki lapto mei badal gaya aur ab mei essa dikhne laga tha jaise ki mein khud ek aag hu sharir vagerea kuch hai hi nahi…..
Iss naye roop na ek minute ka bhi samaye nahi lagaya aur Saaye ka sabhi logo ka upar aag ka humla karna shuru kar diya….. Aasman mei ud rahe Black Vultures bhi mujhe dekh aur mere humle ko dekh vaha se bhagne lage….. Saaye ka pura grah mei bus aag hi aag lagne lagi….. Saare log bus ab apni jaan bachane ki koshish kar rahe tha…..
Par mere iss roop se bachna unke bus mei nahi tha….. Har taraf bus aag hi aag ki vajah se Saaye ka sabhi log uske ander jhulasne lage…. Vahi Saaya apni jagah par bus khada khada dekhne laga…… Vo ab kya kare usse samajh nahi aa raha tha….. Mei dhere dhere uski taraf bada aur uske pass pahuch kar usse gale se pakad kar vaha se gayab ho gaya aur upar asman mei le gaya……
Shubham: Dekh teri ek galti ki saja…..Aaj tere lalach aur dhoke ki duniya ka anth aa gaya….. Aaj tujhe samajh aayega ki tune Trasa se haath milakar kitni badi galti kari hai…. Vo dekh udhar teri beti aur tera Pariwar iss aag ki lapto mei kaise jal rahe hai…..
Saaya: Vo bus dekhne laga par kuch kaha nahi…..
Shubham: Ab tera aur iss grah ka samaye khatam hua…… Aaj Imosopher aur Trasa ko meri taraf se ya taufa aur ya kaha kar meine ek jhatke mei uski gardan ko pakad kar uske sharir se khick kar nikal diya….. Uski gardan ko jab meine khicha shuru kiya toh uski chikh nikal gayi jo uss pure vatavaran mei phel gayi….. Iss chikh ki awaj duniya ka har rajye aur har vyakti na suni hogi…..
Vahi asman mei khade hokar dekh rahe mere mei Jhiku, Rimjhim. Aaliya, Marium, Nancy, Tayon sabhi ki bhi uske saath ek jordar chikh nikal gayi…… Unhone kabhi ya nahi socha tha ki Shubham bhi kabhi essa karega….. Vahi Elika aur Mathira dono hi ek dusre ki aankh mei dekh rahi thi, jaise bol rahi ho ya toh bus shuruvat hai….. Aage na jaane kya kya hoga…..
Idhar meine uss Saaye ki gardan jab khick li toh uske sharir se fountain ki tarah khoon nikala aur vo mere upar hi girne laga, apne sharir par usse mehsoos kar mei man se behad prasan ho gaya…… Meine uske sar ko vahi se dhur phek (Throw ) diya aur uske sharir ko vapas ussike grah mei vahi hawa se daal diya…..
Par mei yaha shant nahi hua aur apni aankhe band karke meine apne haath aage kardiye….. Mere haath aage hote hi mere haatho se ek kaali aur laal mili juli roshni nikali aur uss grah ka upar padhne lagi aur dekhte hi dekhte sabhi jagah ek bhayanak visphot ki awaj gunj gayi….. Aur vo grah vahi khatam ho gaya…..
Uss grah ka tukde pure vaayu Mandal mei phelne lage….. Iss Visphot ki awaj sabhi na Suni hogi bahut se log aasman mei ya drishye dekh rahe tha…. AS, Alvace bhi vaha pahuch gaye tha…. Unhone jaise hi mujhe dekha unhe bhi shock laga ki ya itni jaldi kaise ho gaya…..
Vahi mei uss visphot ka baad behad khush ho gaya aur jor jor se hasne laga….. Haste Haste na jaane kab meri aankhe band ho gayi aur mei behosh hokar girne laga….. Vahi Dusri taraf uss Saaye ka sar jo meine dhur pheka tha, vo vaha se Maharani Trasa aur Imosopher ka Rajye mei jaa gira….
Imosopher ka logo mei kuch aapas mei baate hone lagi, vahi Imosopher ka cehare par ek muskaan aa gayi.....
Imosopher: Welcome Back Brother….. Kabse tumhara hi intezar tha….. Aaj tumhai vapas ussi roop mei dekh behad khushi hui…….
Trasa: Aakhir humari mehanat kaamiyab hui……. Aaj sadiyo baad uski ya jhalak dekh dil khush ho gaya……
Imosopher: Alvace, AS ab shuru hoga asli khel…… Bus issi dun ka intezar tha mujhe……Aur ya kaha kar Imosopher jor jor se hasne laga…..
Trasa: Jaao saare nagar mei ya khabar de do, aaj ki raat Nagar jashan manayega…..
Chaliye dosto aaj ka liye hum yahi rukte hai….. Imosopher aur Trasa ki khushi ka kya karan hai ya jaane ka liye bane rahe aap sabhi……..
Pichle update tak aapne dekha ki Shubham ko gussa aane par uske Black Magic ka dusra roop nikal kar samne aa gaya, jisse dekh AS aur Alvace dono hi behad shock mei chale gaye…. Vahi Imosopher aur Trasa dono hi Saaye ka sar ko dekh khush ho rahe tha aur apne rajye mei jashan ka elaan kara diya…..
Ab Aage….
Shubham: Mei behosh hokar niche girne laga tha ki vaha Glimo aa gaya aur usne mujhe tham liya aur mujhe lekar vapas school chala gya…. Uske saath hi sabhi ka sabhi bhi school mei pahuch gaye…..
Elika: Usne sabse phele mere sar par haath rakh kar usne ek spell padha, uske haath se ek ray nikal kar mere ander chali gayi…..
Alvace: Elika sab thik hai na…..
Elika: Ha Alvace sab sahi hai, bus Black Energy ka achanak itni matra mei release hone ki vajah se behosh hai, par ab thik hai….
AS: Thik hai, ab tum sab bhi jakar thoda aram karlo….. Aur Aaliya ko head kardena Rimjhim tum….
Iske baad sabhi vaha se nikal gaye sirf rahe gaye Elika, Alvace, AS aur Mathira…..
AS: Alvace aapne toh kaha tha ki Black Energy nikalne mei abhi humare pass kaafi samaye hai…. Fir ya sab kaise hua…..???
Alvace: Iska javab meri jagah Elika ya Mathira se pucho, kyunki vaha kya hua ya sirf Elika ya Mathira hi bata sakte hai…..
Mathira: AS asal mei Saaye na piche se Aaliya ko humla kara jiski vajah se Shubham ko gussa aa gaya aur uske baad jo hai sab aapke samne hai…..
Alvace: Elika tumne kya check kara….???
Elika: Yahi ki Shubham ka ander ki Black Energy abhi shant hai ya fir nahi….. Vo filhal ka liye shant hai….. Par Alvace mujhe lagta hai jaldi hi ya azad ho jaane vala hai…..
Alvace: Ha Elika…. Lagta toh mujhe bhi essa hi hai…. Chalo abhi isse aram karne do aur mujhe tum dono ko kuch dikhana hai….. Iske baad vo teeno bhi Shubham ko vaha chod kar chale jaate hai…..
AS: (Place AS’s Office) Elika, aur Mathira hum inn do ko dhund rahe hai….. Kya tum jante ho ya kon hai….???
Mathira: Ek photo ko indicate karte hua, ya toh Raja hai….(Noora ki Photo ki indicate karat ha…)
Alvace: Kon hai ya Raja???
Mathira: Ya toh Earth par raheta hai aur Aaliya na abhi kuch samaye phele hi isse apne Pariwar se milaya hai aur abhi ya unke bich hi raheta hai….. Par aap log isse kyu dhund rahe hai…..???
AS: Vo asal baat…..
Alvace: Bich mei…… Isne hi Shubham aur Aaliya ko Dream World mei fasane ki koshish kari thi….. Ek kaam karo Mathira tum iski har activity dekho aur mujhe batao mujhe isse milna hai…..
Mathira: Thik hai Alvace jaisa aap kahe…. Aur Mathira vaha se chali gayi…..
Elika: Alvace aapne Mathira se jhut kyu bola……???
Alvace: Kuch baate samaye ka saath hi jaane mei maza hai Elika…… Khair chodo aur ya batao iss Nitin (Badshah) ka baare mei kya janti ho….???
Elika: Yaha Elika Badshah ki kahani jo Dream World mei aapko pata chali thi vahi vo dono ko bata deti hai, par usne Noora aur khudka plan ka baare mei kuch nahi kaha…..
AS: Elika isko magic kisne sikhaya hai aur ya Ghosh World ki Maharani ka liye kyu kaam kar raha hai…..???
Elika: Maharani Zanabiya na hi isse panaha di thi jab ya akela rahe gaya tha, aur unhone hi isse sabhi tarah ki vidhya di hai……
AS: Kuch socha hai tumne iske liye…..??
Elika: Nahi AS (Jhut) aap dono na kuch socha hai kya…..???
Abhi koi kuch kaheta usse phele hi AS ka office ka Darwaja bol utha…..
Darwaja: AS aapse milne koi bahar Semar aayi hai…. Vo ander aane ki anumati maang rahi hai….
Alavce: Usse ander aane do, usse meine hi bulaya hai…..
AS aur Elika: Dono na hi usse pranam kara aur usse dekhne lage ki ya kon hai….??
Alvace: Semar bahut bahut dhanyawad ki tum mere bulane par yaha aa gayi…… Tumhai pata hoga meine tumhai yaha kyu bulaya hai…..
Semar: Ji, mei janti hu…. Par kya Rakshak tayar hai vidhya sikhne ka liye….. Kyunki ya baat aapse ache koi nahi janta hai ki Black Magic ki vidhya mei bahut kuch khona padta hai tabhi vidhya ko hassil kar sakte hai…..
AS: Kya khona padhta hai aur ya kya baat kar rahe hai Alvace aap….
Alvace: AS, Elika ya hai meri shishya jisse meine vachan diya tha ki mei ab kabhi kissi ko vidhya nahi sikhaunga aur isne mujhe vachan diya tha ki Shubham ko Black Magic ki vidhya yahi sikhaygi….. Kyunki ab Black Magic ki vidhya ka samaye aa raha hai islye meine isse bulaya hai…..
Elika: Alvace par ya kya khone ki baat kar rahi hai…. Aur Black Magic mei essa kyu hota hai….????
Alvace: Elika purine samaye mei ya mana jaata tha ki Black Magic ko vahi sikhta hai jisse ya toh kissi se badla lena ho jab usne apna sab kuch kho diya ho….. Uss samaye jo insan vidhya hassil karta tha vo apna sab kuch daav par laga deta tha aur tabhi vo iss vidhya ko hassil kar pata tha…..
Par aaj ka samaye mei bhi bahut log hai ko Black Magic ko sikhte hai aur kayi ko janam ka saath milta hai, islye aaj bhi purani pratha ko hi maana jata hai aur Black Magic vale insaan ko apne Guru ki icha par kuch na kuch chodna padhta hai, par jab uski vidhya puri ho jaati hai toh Guru cahaiye toh vo apne shishye ko vapas uski chodi hui chij, ya insaan tak pahuchne ka rasta bata sakta hai….. Agar shishye usse hassil karle toh thik hai aur nahi kar sake toh fir vo humesha humesha ka liye uss chij ya vyakti se dhur ho jaata hai…..
AS: Alvace par yadi Guru nahi bataye toh fir…..???
Alavce: Toh fir shishya humesha humesha ka liye usse dhur ho jayega…..
Elika: Semar aap Shubham se kya tyagne ko kahane vali hai….???
Semar: Maharani, Rakshak ko apni sabhi purani ismratiyo ko chodni hogi aur ek naye sire se jeene ki shuruvat karni hogi, jab tak vo apni puri vidhya ko hassil nahi kar lete hai unhe mere saath hi rahena hoga….. Jab unki vidhya samapt ho jaayegi, mei unhe unki puri sabhi ismratiyo ko paane ka rasta bata dungi……
AS & Elika: Kya…..??? Aapko pata hai aap kya kahe rahi hai…..???
Alvace: AS, Elika Semar jo kahe rahi hai vo sahi hai….. Agar Shubham ko sikhna hai toh usse ya sab kuch chodna hi hoga…..
Elika: Alavce, par agar Shubham kabhi bhi apni purani ismratiyo ko nahi paa saka toh…..??? Iss duniya ki raksha ka jo vachan ka uska kya hoga….??
Alvace: Elika agar SHubham apni purani ismratiyo ko nahi hassil kar saka toh vo humesha humesha ka liye usse dhur ho jaayegi….. Rahi baat duniya ki Raksha kit oh Seemar Shubham ko uski vidhya suru hone se phele yahi vachan dilayegi ki vo apni vidhya ka istemaal logo ki bhalayi ka liye karega…..
AS: Alvace mujhe aapki baat sahi nahi lag rahi hai…..
Alvace: AS jo meine kaha hai vo sach hai aur vahi sab hoga agar Semar Shubham ko vidhya sikhayegi toh…. Par agar tum dono kissi aur se uski vidhya shuru karna cahate ho toh mujhe koi dikat nahi hai…..
Alvace: Semar ab tum jao, mei jaldi hi tumhai sab bata dunga…..
Iske baad Semar aur Alvace dono hi vaha se chale gaye….
Elika: AS aapko kya lagta hai hume Alvace ki baat maani cahaiye…..???
AS: Elika mujhe kuch samajh nahi aa raha hai….. Ya tum bhi janti ho aur mei bhi ki Alvace se behatar Shubham ko sikhane ka liye koi nahi mil sakta hai, par jo shart Alvace na rakhi hai vo bhi badi ajeeb hai…. Aur vaise bhi yadi kissi aur na kuch aur maang liya aur baad mei Shubham ko uski sachayi nahi batayi toh fir…..Kamse kam hum Alvace se ya bharosa toh kar sakte hai ki vo Shubham ko uski purani ismratiyo ko hassil karne mei madat jarur karega…..
Elika: AS sach mei ya behad kathin nirnaye hoga….
Place: Red Pupil Palace…(Vahi jagah jaha Shubham ko Alvace lekar gaye tha jab Shubham ko kissi na agva kar liya tha….)
Semar: Alvace kya mei aapse kuch puch sakti hu,…..???
Alvace; Yahi na ki meine essi shart rakhne ka liye kyu kaha….???
Semar: Ha, jabki hum kuch aur sidhi sidhi bhi shart rakh sakte tha…..
Alvace: Semar Swarn Nagar mei Rajkumari Nandani ka liye Shubham ka man mei puri tarah Prem jagane ka liye ya karna behad jaruri hai…..
Dusri vajah ya hai ki Shubham ko kissi aur ki bhi ismratiyo ko hassil karna hai, kyunki unko hassil karne ka baad Shubham ko Black Magic ka sabhi Spell na sirf aa jayega, bulki vo khud unhe bana sakega apne hisab se…..
Semar: Essi ismratiya kiski hai Alavce
Alvace: Semar vo ismratiya behad khaas ki hai bus abhi itna hi bata sakta hu…..(Friends ya ismratiyo ka raaj aur Imosopher ka khush hone ka raaj iss kahani ka aakhir mei khulega, tab tak ka liye intezar kare….)
Place: Ghost World….
Yaha Zanabiya apne raaj darbar mei baithi thi, vahi Draco iss waqt bahari duniya ghum raha tha aur apne liye nayi nayi shaktiyo ki khoj kar raha tha…..
Tabhi Darbar mei ek ghost aata hai…..
Ghost 1: Maharani ko mera pranam…..
Zanabiya: Kya khabar laaye ho……. Aur tumhai pata hai kya ki aaj vo Saaye ka grah ko kisne khatam kara…..????
Ghost 1: Jee Maharani, Saaye ki duniya ko khatam karne vala koi aur nahi Rakshak hi hai….. Par aaj vo kuch alag tha, vo bhi Black Magic ka istemaal kar sak raha tha….. Dusri khabar ya hai ki aaj Maharani Trasa ka nagar mei behad khushiya manayi jaa rahi hai…..
Meine Maharani ko ya kahete suna hai ki behad samaye baad aaj usko dekh khushi hui…..
Zanabiya: Kisko dekh khushi hui…..????
Ghost 1: Maharani iska pata nahi hai, ki ya baat unhone kiske liye kahi…. Hum jaldi hi uska pata bhi laga lege…..
Zanabiya: Thik hai tum jao aur Imosopher ka Mahal ki saari jankari cahaiye mujhe….
Zanabiya: (Man Mei) Kon ho sakta hai vo jisko dekh Trasa aur Imosopher dono hi behad khush najar aa rahe hai...... Imosopher ka saath toh phele kabhi kisiko nahi dekha essa…..
Tabhi vaha Nicaroo aa jata hai…..
Nicaroo: Maharani Zanabiya ko mera pranam…..
Zanabiya: Nicaroo tum yaha kya kar rahe ho….???? Tumhai ek kaam diya tha tumse vo bhi pura nahi hua….???
Nicaroo: Maharani mei ussi ka baare mei aapse aur Draco se kuch baat karne aaya hu…..
Zanabiya: Draco toh nahi hai, par tum mujhe batao ki kya baat hai….????
Nicaroo: Maharani aapko Saaye ka baare mei toh pata chal hi gaya hoga aur aapko ya bhi pata chal gaya hoga ki usse maarne vala koi aur nahi vo Rakshak hi hai….. Par Maharani Rakshak na hum sabhi ki aankho mei dhul jhokne ki koshish kari hai…..
Zanabiya: Nicaroo baat kya hai saaf saaf batao….???
Nicaroo: Maharani mei ya kahana cahata hu ki Rakshak na hume ya dikhaya ki vo khud iss samaye School mei rahe kar kuch nahi kar raha hai, par asal mei usne khudke anek roop bana liye hai aur vo kaafi saari jagah ek hi samaye mei paaya jata hai….
Jaise vo Dharti mei apne Pariwar ka saath hai, vahi school mei humesha maujood raheta hai jisse hume lagta hai ki vo school mei rahe kar kuch kar raha hai humare khilaf, par asal mei usne Roop Nagar ki Raani Swaroopa ka pariwar ko bacha kar Laal Pathar hassil kar liya aur saath hi usne vo Teer Kaman bhi hassil kar liya hai jiski vajah se Land of River and Mountain mei Draco ka kiye jaadu ko bhi kaata jaa sakta hai…..
Saath hi uska ek roop iss waqt aapki Sena mei roop badal kar usse har samaye aapki saari jankari usse de raha hai……..
Zanabiya: Kya, ya kya bakwas kar rahe ho tum….??? Ya kaise mumkin hai…. Tumhai pata hai na tum kya bakwas kar rahe ho…. Humari hi Sena mei, nahi essa nahi ho sakta hai…..
Nicaroo: Mei sabit kar deta hu….. Aap abhi apne kaksh ka bahar pahara dena vale ko bulaye…. Abhi mei aapko vishwas dila deta hu…..
Zanabiya: Vo aadesh deti hai aur ek sainik usko bulakar laata hai…..
Nicaroo: Vo aage badta hai aur uss sainik ka sar par apna haath rakh spell bolta hai aur uske haath se ek roshni nikalti hai….. Vo Roshni uss darban ko sharir mei ghusti hai aur vo darwan tadapne lagta hai aur vo apne asli roop mei aa jata hai….
Jaise hi sabhi uska asli roop dekhte hai, sabhi ka sabhi shock ho jaate hai ki ya kaise ho sakta hai…… Vahi vo darban jamin par tadapne lagta hai….. Ya koi aur nahi Shubham 2 tha….(Friends ya raha 8 hua Shubham mei se 5th one….)
Zanabiya: Nicaroo tumhai ya kaise pata chala ki ya Shubham ka hi ek roop hai…..???
Nicaroo: Maharani yak al ki baat hai, kal meine ek vyakti ko aapke pass sandesh lekar bheja tha Dharti ka Shubham ko lekar aapse baat karne ka liye, uss samaye hi mere uss vyakti na dekha isse apna roop badalte hua, aur usne mujhe ya khabar batayi…..
Zanabiya: Khatam kardo isko abhi ka abhi….. Iss Rakshak ki itni himmat ki humari Duniya mei ghus kar ghumi par najar rakh raha hai…. Bahut ho gaya, ab aamne samne ki ladayi hokar rahegi…..
Tabhi vaha ek awaj aati hai….
Awaj: Zanabiya, sabar rakho sabar……. Aamne samne ki ladayi mei nuksaan tumhai hi hoga….. Islye behatar hai ki tum apne ko takatwar karo aur chupkar hi humla karo…. ABhi aamne samne ka sahi samaye nahi aaya hai…. Jaldi tumhai vo mauka bhi milega…..
Zanabiya: Phele toh awaj sunkar vo thoda shock hui, par fir jaldi hi normal ho gayi….. Thik hai….. Jaisa aap kahe……
Chaliye dosto aaj yahi rukte hai…… Saath bane rahe aage ka updates ka liye…..
Pichle update tak aapne dekha tha ki Shubham behosh ho gaya tha apni Kaali takato ka azad hone ka baad….. Alvace ka kahane par uski Shishya na AS aur Elika ka samne Shubham ko sikhane ka badle ek behad hi khatarnak shart rakh di…. Vahi Zanabiya ko ya malum ho gaya hai ki Shubham na apne anek roop kar rakhe hai, jismei se ek roop uski hi jasoosi kar raha tha….
Ab Aage…..
Shubham: Mei behosh hi tha ki achanak hi mere sharir na jhatke khaaye aur mujhe apne ander ek tej dard utha jiski vajah se mujhe hosh aa gaya….. Mei apne ander jhak kar dekha ki mujhe ya dard kis vajah se hua toh mujhe pata chala ki mera ek roop jo Zanabiya ki jasoosi kar raha tha uska haatho maara gaya…. Abhi mei kuch sochta ya kaheta ki uske phele hi mujhe mere ander se ek awaj aayi…..
Awaj: Kya soch rahe ho Shubham, apne ek roop ki maut hone ka baad bhi tum itne shaant kaise baith sakte ho….. Jisne tumhare roop ko nuksaan pahuchaya hai, usse maut ki sajja milni cahaiye……
Shubham: Neela Unicorn tum mujhe ya kaisi salah de rahe ho…. Aajse phele toh tumne mujhe kabhi essa kuch nahi karne ko kaha…..
Neela Unicorn: Nahi ya mei nahi hu….. Ya awaj aapki hi hai…. Aapke ander se aa rahi hai…. Ismei mera koi haath nahi hai…..
Awaj: Janta hu tum mujhe nahi pehachante ho aur na ki mere baare mei jada kuch jante ho….. Janoge bhi kaise kyunki ya duniya mere naam aur mere kaam dono se hi darti thi aur unhone humesha ka liye mujhc judi sabhi yaade aur jankari sabhi kuch ya toh khatam kardi ya chupa di….
Shubham: Tum kon ho ya tum hi mujhe kyu nahi bata dete…. Aur tum mere ander kya kar rahe ho…..???
Awaj: Mei bus ek yaad hu jo tumhare ander tabhi tak hu jab tak mei tumhai sab kuch sikha nahi deta….. Sab kuch bata nahi deta..... Ha par ya tumhare upar nirbhar karta hai ki tum usse sikhna cahate ho ya nahi…. Agar tum nahi sikhna cahaoge aur na hi mujhe sunna cahaoge toh mei humesha humesha ka liye tumhare ander shanti se rahe jaunga….
Shubham: Phele ya batao tum ho kon aur mujhe kya sikhana cahate ho, tabhi mei koi faisla kar sakunga…..
Awaj: Abhi iske liye samaye hai, kyunki sabse phele tumhai tumhare dusre pathar ka padav ki tarah jana hoga jo Guru Trajang na banaya hai aur saath hi tumhai Nicaroo ko bhi humesha humesha ka liye khatam karna hoga, varna vo tumhare har kaam mei baadha paida karega….
Shubham: Tumhai pathar ka baare mei kaise pata…. Abhi meine itna hi kaha tha ki achanak hi ek tej roshni hui aur mei gayab ho gaya….. Jab roshni kam hui toh mei ek jungle mei ek saadu ka samne khada tha….
Saadhu: Aa gaye rakshak, tumne Saaye ka saath saath saaye ki duniya ko bhi khatam karke ek behad acha kaam kiya hai…. Islye meine tumse milne ki icha jatayi hai….. Mei hu dusra beta apne Pita Guru Trajang ka…. Dusra raaj ki jankari mei hi tumhai dunga…. Par uske liye tumhai pathar cahaiye, par mujhc ek choti si bhul ho gayi vo pathar mere haath se chut gaya aur gir gaya…..
Shubham: Kya, iska matlab aapne usse kahi kho diya hai kya Guru dev….???
Sadhu: Ha bhi aur na bhi…. Meine usse gira jarur diya hai, par mujhe pata hai ki vo kaha gira hai…. Bus usse tumhai hi laana hoga….
Sadhu: Chalo mei hi tumhai lekar chalta hu….. Vo mujhe ek gufa ka ander lekar gaye..... Unhone apne haath jode aur kuch shabd bole….. Unke bolte hi uss jagah ek talab aa gaya….. Par twist ya tha ki vo talab paani ka nahi dehakte hua Lava ka tha…..
Sadhu: Bus vo pathar iske ander hi kahi gir gaya hai, aur tumhai usse dhundna hai….
Shubham: Par ya kaise mumkin hai, ya toh dehakta hua Lava hai aur iski bhaap jo upar aa rahi hai, usse hi ya anumaan lagaya jaa sakta hai ki ya kitna garam hai, agar iske ander loha jaisa bhi daala jaaye toh shayad second ka 100th hisse mei hi vo puri tarah pighal jaaye……..
Sadhu: Ha ya toh tumne sahi kaha….. Par ab mei kya karu, mujhc galti ho gayi hai….. Par uss galti ko thoda mei sudhar deta hu, chalo tumhai usse dhundna ki bhi jarurat nahi hai, bus tum ek kaam karo bus ek baar puri tarah iske ander hokar bahar nikal aao, Pathar tumhai khud ba khud mil jayega….
Shubham: Wah kya madat kari hai aapne….. Mei khulhadi ko khudpar maaru ya kulhadi par khudko lagegi toh mujhe hi na, kulhadi ka kya bigadega…. Essa hi mei ek dubki lagau ya usse dhundu baat toh ek hi hai……
Sadhu: Ab tum jo bhi samjho, meri tapasya ka samaye ho raha hai mei ussi paid ka niche tumhara intezar kar raha hu, jab tum kamiyab ho jaao toh aa jana mei tumhai dusra raaj de dunga….. Aur ya kaha kar vo gayab ho gaye….
Shubham: Wah kya fasaya hai inhone…. Ab bhala mei kaise jaau iske ander….. Tabhi meri najar vaha maujood ek lakdi par padi….. Mei ek baar taapman dekhna cahata tha…. Meine usse utha kar uss lava mei daala, toh vo usmei jaate hi gayab ho gayi…..
Awaj: Kya hua dar gaye, itni choti si chunauti se…….
Shubham: Dekho tum jo koi bhi ho aur jaha kahi se bhi aaye ho, abhi mera dimak behad kharab hai, agar tumne mujhe abhi pareshan kara toh acha nahi hoga…… Phele hi mei iss chunauti se pareshan hu aur tum mera dimak kharab karne aa gaye….
Awaj: Hahahahahaha, wah aaj tumne mujhe khush kar diya….. Tumne mujhe meri Patni ki yaad dila di, jab vo bhi kissi chij se pareshan hoti thi aur uska hal nahi milta tha toh vo bhi kuch tumhare jaise hi behave karti thi……
Shubham: Dekho mujhe tumhari ya Prem kahani sunne ka koi shauk nahi hai…..
Awaj: Maaf karna, par kya karu tumse judne ka baad tum hi mere apne rahe gaye ho….. Jisse apne dil ka haal bata diya….. Khair chodo aur suno iss aag ko tum behad aasan tarike se apne ander samet sakte ho, aur ya tumhi jarasa bhi nuksaan nahi pahuchayi……..
Shubham: Lagta hai tum pagal ho gaye ho….. Tumhai pata hai tum kya kahe rahe ho, tum kahana cahate ho ki meri body par iss garam Lava ka koi asar nahi hoga…..
Awaj: Thik hai ek kaam karo vo ladki padi hai usse aag lagao, aur jo mei bolta hu usse mere piche bolna aur apna haath uss jaldi lakdi ko laga kar dekhna tumhai meri baat par vishwas ho jaayega….
Shubham: Mei nahi karne vala essa kuch bhi…. Tum ab ek dum chup hokar baith jao aur mujhe sochne do ki mei kya karu iss chunauti ko pura karne ka liye…..
Awaj: Jaisi tumhari marji….Aur fir awaj aani band ho gayi….
Shubham: Vo apne dimak ka ghode bhagane laga, par usse kuch hassil nahi ho raha tha…. Usne laakh koshish kari par usse samajh nahi aa raha tha ki vo kya kare…. Par usne haar nahi maani aur vo isse hal karne ka baare mei sochta raha…..
Place: School
Elika: Kaafi samaye ho gaya hai, ab tak Shubham ko uth jana cahaiye tha, mei khud jakar usko dekhti hu…. Aakhir vo kaha rahe gaya….
Elika jaha Shubham ko behosh hone ka baad rakha tha uss kamre mei jati hai….
Elika: Usne jakar darwaja khola toh usse Shubham bed par nahi dikha…. Usne socha ki usse hosh aa gaya hoga aur vo apne roop ki vajah se kuch pareshan hoga islye kahi bahar gaya hoga….. Usne apni aankhe band kar Shubham ko dhundne ki koshish kari…. Par usse kuch bhi dikhayi nahi diya…..
Elika: Essa kaise ho sakta hai, meri shakti ek baar firse Shubham ko nahi dhund paa rahi hai, par essa kaise ho sakta hai….
Glimo: Maharani Shubham ko hosh aa gaya tha, par uske hosh mei aate hi ek teej roshni hui aur vo gayab ho gaya….
Elika: Glimo tumne mujhe ussi samaye kyu nahi bataya…… Tum yaha uski raksha ka liye hi ho na….
Glimo: Maharani meine uss urja ko mehsoos kara hai vo urja ekdum pavitra hai, vo kissi dushman ki nahi hai….. Ha bus uss urja ka gayab hone ka saath hi ya ek sandesh mila tha, jiske upar aapka naam likha tha….
Elika: Usne jaldi se envelope ko chua, toh vo envelope apne aap bolne laga….
Envelope: Elika mei Guru Trajang ka dusra beta hu, Shubham mere pass hai aur surakshit hai…. Usse jo raaj jaana hai, uske liye meine hi usse apne pass bulaya hai…. Tum apne sabhi dosto, AS, Alvace, Pilaso, Shasha aur baaki sabhi ko lekar Land of River and Mountain chale jao…… Yaha se safal hone ka baad Shubham tumhai siddha vahi jayega apne kavach aur uss grah ko bachane ka liye….
Itna bolte hi Envelope apne aap destroy ho gaya….
Elika: Par Shubham akele kyu chala gaya, kahi usse kuch ho gaya toh…..
Noora: Piche se aate hua, Elika tum kuch jada hi chinta karti ho, Maa, AS, Alvace, Pilaso, Maraina sabhi na milkar bhi koshish kari thi na, par koi usse nahi hara saka tha…. Aur vaise bhi chunautiya hi uske jeevan ka lakshay hai….
ELika: Bus bus, bahut bhashan de liya…… Jab tujhe kissi se pyar hoga na tab tujhe samajh aayegi meri baat…. Ya sab chod aur ya bata uss Badshah ka Shubham se dushmani ka karan pata chala ki nahi…..???
Noora: Nahi aur na hi vo kuch bata raha hai, bus har bar yahi kaheta hai ki meine apni chaal chal di hai….. Dekho aage aage kya hota hai….
Elika: Yaar ya musibate kam hi nahi ho rahi hai….?? Khair chalo hum chalte hai Iszy ka Rajye, uski aur Siyam ka vivah hone ko hai…. Par usse phele unke Rajye ki mushkil ko suljhana hai…. Aur vo tabhi hoga jab Shubham vaha maujood hoga….
Iske baad ya yaha se gayab ho gaye, vahi Elika nab hi sabhi ko sandesh bhej diya Iszy ka Rajye pahuchne ka….
Place: Land of River and Mountain
Ek essa desh jaha charo tarah pahad hi pahad hai, aur uske bich se rasta nikalti hui nadiya….. Uss nadiyo ka kinare hari hari ghas ki bichi hui chadar, jaha aneko jeev apni bhuk aur pyas mitane ka liye aate hai…. Vahi pure Nagar mei har jagah rang birange Phool khile hua raheta hai…. Logo ka liye rahene ko ladkiyo ka makan hai, bazaro ka raste par dono taraf phoolo ki behad khubsurat drishya….
Par jaise hi Elika, Noora aur Glimo vaha pahuch
Noora: OOoohhh God ya kaisi jagah hai…. Meine toh suna tha ya Rajye behad khubsurat hai, par yaha toh sabhi taraf sab kuch sada hua hi hai…. Aur yaha ki hawa bilkul swach nahi hai aur badbu toh itni ki saas lena bhi mushkil hai….
Elika: Noora ya sab kuch Draco ki vajah se hua hai…. Draco ka kaale jadu na yaha essi halat kardi hai….
Noora: Toh tum apni Shaktiyo ka istemaal karke uske jaadu ko thod kyu nahi deti….
Glimo: Ya koi jaadu nahi hai, ya Draco ki urja se janma ek kida hai, jisse iss sansar mei koi nahi maar sakta hai…. Ya jiss chij ka sampark mei aata hai, usse ya sada deta hai…. Iss sansar ka kayi grah ko iss kide na sada diya hai….
Par ek baat mujhe samajh nahi aa rahi hai, ki isne abhi tak yaha ka logo ko koi nuksaan nahi pahuchaya hai…. Jabki isse phele vali jagah isne kisiko nahi choda tha…..
Pilaso: Kyunki iss Grah mei uski na pasand ki chij behad adhik maatra mei hai, aur islye usne sabse phele insano ki jagah usse sadaya hai…. Iss Kide ko Paani aur Khushbu dono se behad chid hai aur islye ya sabse phele unn dono ko hi khatam karta hai…..(Ab sabhi log vaha aa chuke tha….)
Marium: Par agar essa hai Pilaso, toh fir uss kide se abhi tak vo ek pahadi kaise bachi hui hai, jabki baaki sabhi pahadiya bhi sad gayi hai….
Pilaso: Bus muskura diye…. Marium iska javab bus itna hai ki vaha Blue Dragon raheta hai, aur uski duniya mei uski icha ka bina koi nahi kadam rakh sakta hai…..
Avantika: Par sadiyo phele hi sabhi Dragons ka shikar kar liya gaya than a Pilaso…..
Pilaso: Avantika iska javab tumhai Jhiku de dega…. Mujhe umeed hai uske Pita na usse iske baare mei bhi bataya hoga….
Jhiku: Jee
Abhi koi kuch aur bakwas karta, usse phele hi vaha Uss Rajye ka Maharaj aur unke saath Iszy bhi aa gayi thi….
Maharaj: Shama kare, par aapke swagat ka liye abhi humare pass koi sadhan nahi hai…. Aap sabhi se kuch chupa hua nahi hai…..
AS: Maharaj aapne hume bulaya hai yahi humare liye kisi swagat se kam nahi hai…. Aur vaise bhi hum yaha athiti bankar nahi aapke apne bankar aaye hai, aapke saath iss paristhiti mei khade rahene ka liye…. Vaise bhi aapke nagar ko bachane ka liye Rakshak kuch samaye mei aata hi hoga….
Maharaj: Jee bahut bahut sukhriya AS, aaye humare Mahal mei hi aage ki baat karte hai….
Sabhi log aapas mei baate kiye hua aage bad rahe tha…. Par inn sabhi ka bich Willy aaj ek dum shant tha aur kuch nahi bol raha tha…. Ya baat Elika aur Iszy dono na dekhi par uss samaye koi kuch nahi bola…. Vahi Nagar ki aur uske logo ki halat din par din kharab hoti jaa rahi hai… Logo ko peene ka liye paani bhi nahi mil raha hai….
Essa hi ek drishye sabhi ka samne aaya, jab vo raste se apne Mahal ki taraf jaa rahe tha…. Uss samaye Iszy na apne pass maujood paani ko apne logo ko peene ka liye de diya…. Sabhi log kuch der mei Mahal mei tha….
Alvace: Maharaj ek saval puchu….??
Maharaj; Jee Alvace puchiye….
Alvace: Maharaj aapke logo ka pass peene ko paani bhi nahi hai, par aapke Mahal mei sab kuch hai essa kaise……??
Maharaj: Jaisa aapke baare mei suna tha aap vaise hi hai…. Har baat ko gambhirta se dekhte hai…. Alvace humare Mahal mei paani aur ya sabhi fal jo aapne niche dekha hai, ya sabhi kuch Blue Dragon ki pahadi se aata hai…. Yaha jabse uss kide na humla kara hai tabse bhukmari aur aakal ka halat ho gaye tha….
Par sirf vo ek pahadi jaha Blue Dragon raheta hai, vo jagah ko kuch nahi hua…. Toh ek din humne apne kuch sainiko ka saath uss pahadi par jaane ki koshish kari, ya humari kismat thi ki Blue Dragon na hume koi nuksaan nahi pahuchaya aur na hi hume roka…. Hum vaha se apne nagar ka logo ka liye jitna ho saka utni maatra mei Paani aur fal lekar aa gaye….. Har din subha aur shyam Nagar ka sabhi logo ka bhojan yahi hota hai inn falo ka roop mei….
Alvace: Toh aap dusri baat kyu nahi gaye….???
Maharaj: Humne koshish kari thi, par hum nahi jaa sake…… Ek baar firse vo pahadi mei aana jaana Blue Dragon na rok diya hai humara….
Tayon: Toh iss paani aur falo ka vo kida kuch nahi kar saka kya….???
Maharaj: Nahi Rajkumar, iska karan hume nahi pata…. Acha ab aap sabhi thoda vishram kar lijiye hum raat mei milega bhojan ka samaye….
Uske baad sabhi logo ko Mahal ka alag alag kamre mei rahene diya gaya….
Willy: Mujhe essa kyu lag raha hai ki koi toh hai jo humara picha kar raha hai bahut samaye se…… Meine behad koshish kari par mei uss tak pahuch hi nahi sak raha hu….
Iszy: Tumhai kuch galat femi bhi ho sakti hai….
Willy: Nahi Iszy, mere kaan bade hone ka saath behad tej bhi hai…. Mei dhur se hi khatre ko sun aur mehsoos kar sakta hu…. Mujhe essa aabhas ho raha hai ki koi khatra toh hai humare aas pass….VO jaldi hi humare samne aayega….
Elika: Willy aa gaya toh hum uska samna karega…. Vaise bhi Shubam humare saath hai….. Bekar mei pareshan mat ho, yahi pareshani humari kamjori ban jaayegi uss anjane khatre ka liye….
Willy: Ha shayad tum sahi ho Elika….. Vo mujhe bus uljhana cahata hai dusri taraf….
Place: Gufa ka ander….
Shubham: Mujhe uss gufa ka ander baith kar sochte hua kaafi samaye ho gaya aur meine aaj tak jo sikha tha uss taah ka har jadu istemaal karke dekh liya par koi bhi jadu kaam nahi kara…. Aakhir mei mujhe bus ek hi rasta najar aa raha tha…. Aur vo tha uss Awaj ki baat maane ka…..
Shubham: Awaj vale bhai, mei tumhari baat sunne ko tayar hu…. Par koi javab nahi sunayi nahi diya….
Shubham: Acha mujhe maaf kardo, mei tumhari har baat maanuga…
Awaj: Ek shart hai meri….
Shubham: Bolo….
Awaj: Tum mere baare mei kisiko nahi bataoge aur na hi jo mei sikhaunga usko samanye jevan mei kaam mei laoge…. Ya vidhya ek dum visham paristhiti mei hi kaam mei laoge essa wada karo….
Shubham: Par kyu….???
Awaj: Jaldi hi sab bata dunga, par abhi ka liye tumhai meri baat maani hogi…. Kyunki tum Land of River and Mountains ka liye phele hi bahut der kar chuke ho….
Shubham: Thik hai….. (Man Mei) Na jaane isse sab kuch kaha se pata chal jaata hai…..
Awaj: Mei tumhare man mei hi hu, meri burayi karna band karo aur jo sikha raha hu uski taraf dhyan do….
Shubham: Thik hai….
Awaj: Sabse phele uss ladki se anek ladkiyo ko banao, kyunki hume behad adhik lakdiyo ki jarurat padegi……
Shubham: Jaisa unhone kaha meine kar diya…. Aur unke kahe bina hi kuch lakdiyo ko aag bhi laga di….
Awaj: Toh tumhai jo meine phele kaha tha vo yaad hai…. Acha hai….
Shubham: Ab vo magic Spell toh batao….
Awaj: Uss awaj na mujhe mere man mei spell bola aur mujhe usse try karne ko kaha…. (Spell kya hai ya agle update mei bataunga….)
Shubham: Jaisa unhone kaha tha, meine vaisa hi kara…. Toh mujhe kuch alag alag sa mehsoos hua…. Meine aage badkar uss aag ko chune ki koshish kari bahut darte darte… Par jaise hi meine aag ko chua mujhe koi ehsaas hi nahi hua garam ka…. Mujhe essa lag raha tha ki jaise mei hawa mei haath ghuma raha hu….. Par tabhi achanak meri chikh nikal gayi….. Aaaahhhhhh aur meine jhat se haath piche khich liya….
Shubham: Ya kaise hua, mera magic bekar ho gaya….
Awaj: Magic bekar nahi hua, uska asar khatam ho gaya….
Shubham: Dono ka matlab ek hi hua na….
Awaj: Bilkul nahi…. Magic bekar tab hota hai, jab uska tumhai bilkul bhi fayda nahi hua ho, jabki khatam tab hota hai jab tumhari urja ya toh kam pad gayi ho ya tumhara kaam khatam ho gaya ho……. Ya magic mei tumne jitni energy lagayi thi, utne samaye hi uska asar raha aur fir khatam…. Tumhai apni saari energy ko ek karke hi ya magic ka use karna hoga tabhi tum sahi se iska istemaal kar sakoge….
Shubham: Thik hai… Mei koshish karta hu….
Awaj: Usse phele apne roop ko bulao, aur usse fire magic ka istemaal karne ki power bhi de dena….. Taaki vo har badte samaye ka saath tumhare upar aag ki shakti bada sake…. Taaki tum iss lava ka level ko match kar sako….
Shubham: Unhone jaisa kaha tha, meine vaisa hi kara….. Meine Shubham3 ko bula liya aur usse fire magic bhi de diya….
Uske baad mei dhyan mei baith gaya aur apni body ki saari energy ko ek jagah ikhati karne laga aur apne man se sab kuch nikalne laga…. Bus apni energy ka baare mei hi sochne laga….. Dekhte hi Dekhte mujhe mere man ka ander bahut hi adhik prakash aur andhera dono hi dikhne laga…. Par meine dono ki taraf dhyan nahi diya aur jiss Kendra par mujhe apni saari urja cahaiye thi bus usko hi dhyan rakha…. Aur dekhte hi dekhte dono hi energy ek hokar uss jagah pahuch gayi……..
Awaj: Bahut ache, ab tum firse koshish karo…… Mujhe umeed hai iss baar tum jarur kamiyab hoge….
Shubham: Jaisa unhone kaha, meine ek baar fir vo magic spell bola aur uske saath hi Shubham 3 na mere upar Fire magic ka use karna shuru kar diya…. Kuch der jab mujhe kuch nahi hua toh Shubham 3 na urja ko badana shuru kar diya…. Aur dhere dhere fire magic itna tej ho gaya tha ki uss lava ka temperature se bhi jada mei apne upar le sak raha tha, par mujhe koi asar hi nahi ho raha tha…..
Awaj: Apne roop ko rukne ka liye kaho, varna iss urja se ya puri ghufa pighal jaayegi aur sab khatam ho jaayega….
Shubham: Awaj ki baat sunkar meine apni aankhe kholkar dekha toh puri gufa aag lag gayi thi, mera roop ka bhi uss jagah khade hone mei halat kharab ho rahi thi….. Meine turant hi usse rukne ka liye kaha aur apni urja se puri Gufa par paani daala…..
Abhi mei uss lava ka liye aage bad raha tha, ki ek baar fir mei gayab ho gaya aur pahuch gaya unn sadhu ka samne…..
Shubham: Mei yaha kaise…..???
Sadhu: Mei lekar aaya hu, kyunki tumne tumhari baadha paar karli hai…..
Shubham; Par meine toh uss lava mei gaya hi nahi….
Sadhu: Shubham vo sab toh bus ek dikhawa tha tumhai jo raaj jaana hai vo mei tumhai phele hi de deta bina kisi parishram ka, par humare Pitaji tumhare liye vo vidhya virasat mei chodkar gaye hai jo unhone apne jeevan mei kade tap ko karke hassil kari thi, iss duniya ka kalyan ka liye…. Vo tumhai sikhana cahate tha, par paristhiti kuch aur bani aur unhone ya bhar hum bhaiyo ko de diya…. Mere bade bhai se tumhai gati ki vidhya mili Neela Unicorn ka roop mei….. Mujhc Agni ki…. Mere dusre anuj bhaiyo se tumhai aur bhi behad kuch sikhne ko milega….
Ha essa mat sochna ki ya spell meine tumhai nahi bataya tha……. Jo awaj tumhare ander se nikal rahi hai, vo bhi hum sabhi mei se ek hai…… Jiska sach tumhai jaldi hi pata chal jayega…… Bus uski baato par humesha vishwas dikhana usse jada tumhara hit iss sansar mei koi nahi cahata hai…..
Uske baad unhone apni haath aage kare aur kuch Green colour ki rays mere ander jaane lagi aur aakhir mei gayab ho gayi…..
Shubham: Bahut Bahut dhanyawad Sadhu aapka….
Sadhu: Ya mera karm tha…. Tumhara karm tumhai bula raha hai….. Tumhai jald hi Land of River and Mountain jaana hoga, jaha na sirf tumhare dost aur uske rajye ka log intezar kar rahe hai, bulki Neela Dragon bhi tumhara intezar kar raha hai….
Aur ya kaha kar vo gayab ho gaye aur mei bhi gayab hokar pahuch gaya Land of River and Mountain….
Shubham; Jaise hi meine vaha ki jamin par apne kadam rakhe mujhe essa mehsoos ho raha tha jaise koi mujhe khichne ki koshish kar raha hai….. Vahi pure Rajye mei bhukamp sa aa gaya…. Sabhi logo ko iske jhatke lage….
Chaliye dosto aaj ka liye yahi rukte hai, Land of River and Mountain ka safar aur armor ka safar agle update mei….
Ya kahani hai ek essa ladke ki jiska janam hua tha Dharti par usse Dharti se kayi samaye dhur ek dusri duniya mei lekar jaya gaya jaha uska bachpan behad ache se nahi beeta…… Uss bachpan ka aakhri samaye mei usse uss duniya ka sabse bada School mei padhna ko mila jiska naam tha School of Magical and Weaponary Art….
Jaha uski mulakart AS se hui jo iss duniya mei sabse jada maane jaate tha apni nishtha ka liya aur dusri taraf mulakat hui Madam Mariana se jo ki apni duniya ki sabse hunarmand Talwar baaz thi….. School mei Shubham ka kayi dost bane jinke naam hai Willson, Isabela, Jhiku, Nancy, Avantika, Rimjhim, Nisham…..
School mei hi Shubham ko mila ek dushman jiska naam hai Kairo jisne har kadam par Shubham ko niche dikhane aur usse nuksaan pahuchane ki koshish kari par vo safal na ho saka…… Inn dono ka bich ki shatruta har din ka saath bad hi rahi thi…… Issi bich Shubham ko mili uske sapno ki Rani yaani Elika...
Elika jo ki Paristan ki Rajkumari thi jiske samne bade se bade jadugar bhi bona se lagte tha….. Idhar school mei Shubham ko Mariana na behad kathin se kathin parishram mei laga diya….. Jaha uski sharirik aur mansik vikas dono hua…..
Kuch samaye baad sabhi dosto ko essa safar par bheja gaya jaha chunauti kam nahi thi par saath hi ya vo jagah thi jaha unn chunautiyo ko paar karne par unh eek behad hi khaas upar bhi milne vala tha jiske baare mei vo nahi jaante tha…… Ya chunauti thi FairMount ki…..
Behad hi khatarnak aur behad hi jokhim bhari chunauti ko paar kar sabhi log pahuche Fair Mount jaha inki mulakat hui Maharani Indra se, jo ki Fair Mount ki Rani thi aur saath hi White Lion Kabile ki mukhya bhi….. Maharani ki ek beti bhi thi jiska naam the Noora aur iss kabile mei ek behad acha aur bada ladaka tha jiska naam tha Zooma…..
Yaha aane ka baad bhi Kairo aur Shubham ka bich ki ladayi kam na hui, par iss ladayi mei ek naam aur jud gaya tha aur vo naam tha Zooma ka….. Usko bhi Shubham ka apne kabile mei aana pasand nahi tha….. Yaha sabhi logo ko unke aage ki siksha ko graham karne ka mauka mila aur sabhi logo na yaha aage ka kuch samaye bitaya jaha sabhi ki youdh kala ko bahut ache se nikhara gaya par Shubham inn sabhi mei se behad aage nikal gaya tha aur vo sabhi youdh kala mei behad kabil ho gaya tha…..
Shubham na apne Fair Mount ka aakhri din apne dosto ka saath milkar Maharani Noora ko unka Raj Singhasan vapas lautaya jo ki kaafi lambe samaye se do behad bada Shetano ka kabze mei tha….. Par iss bich ek essi ghatna bhi hui thi jo ki aage kahani mei behad bada baval karne vali hai…..
Hua ya tha ki kabile mei ek pratha thi ki kabile ka sabhi yodha vaha ek dusre ko chunauti deta tha, toh iss pratha ka anusar Shubham ko bhi challenge mila jiske ander usko teen bade bade youdha se ulajhna pada aur ya teen tha Noora, Zooma aur Kairo…. Inn teeno ka saath uss pratiyogita mei Shubham na inn teeno ko hara diya par iss bich Shubham na Kairo ki sabhi ka bich behad bejjati bhi kari….. Usne ek essa magic ka use kara jiske ander Kairo ko pehana kapde hi khul gaye aur vo unhe ucha karne ka liya kuch khaas kar bhi nahi saka…..
Iss bejjati ka chalte Kairo Fair Mount ko chod kar nikal gaya aur pahucha ek essi jagah jaha dhur dhur tak koi nahi tha….. Vaha pahuch kar kuch samaye usne vaha idhar udhar dekha jaha usse koi nahi dikha par fir achanak hi vo vaha se gayab ho gaya aur uske baad vaha se kaha gaya ya kisiko nahi pata chala….
Iss ghatna ka baad Shubham apne ghar dharti par aaya aur yaha usne jaise taise apne Pariwar ko dhunda….. Par iss bich uske sabse bada Dushman Imosopher aur Draco dono ka hi kuch khaas aur khatarnak logo se Shubham ko samna karna pada…… Inn sabhi mei ek tha Nicaroo aur ek tha Imosopher ka sabse khaas jisse sabhi log dharti par Gujral ka naam se jante tha….
Sorry friends aaj thoda thaka hua hu islye abhi ya half hi summary di hai bachi hui summary mei aap logo ko kal shyam tak dekar kal ek naya update post kar dunga.....
Jaisa ki aapne pichli baar padha ki Shubham Dharti par jaata hai apne Pariwar ko milna jaha Dharti par uske do sabse bada dushmano ka khaas shaks Nicaroo aur Gujaral intezar kar rahe hota hai….. Dharti par jaate hi Shubham ki saari shaktiya kaam karna band kar deti hai kyunki dharti par ek vishesh prakar ka jaadu hua hai jiske chalte vaha kisi bhi prakar ki shaktiya kaam nahi karti hai….. Dharti par keval vahi jaadu kar sakte tha jo ya toh Magical City se ho ya fir vo Sword of Destruction ki suraksha karne ka liya janam liya ho…..
Sword of Destruction apne aap mei ek khaas shakti hai jiska kaam hai vinash karne ka….. Ya ek essi shakti hai jisse kisiko bhi pal bhar mei hi khatam kar diya jaa sakta hai aur usse bachane vala koi nahi hoga….. Sword of Destruction ko hassil karne ka liya Shubham ko Magical City ka jungle mei jaana pada jaha pahuchne ka liya Shubham ko Magical City mei raaj kar rahe shetan ko harana pada aur uske baad hi vo vaha pahuch saka……
Vahi dharti par Shubham ki jagah entry hui ek essa shaks ki jo Shubham ko nuksaan pahuchana cahata tha, islye usne Dharti par Shubham ki jagah khudko ko uske pariwar ka bich mei jagah di aur sabhi logo se Shubham bankar milne laga….
Ghar mei Aaliya ki mulakat Shubham se hui jaha usse ya baat pata chali ki Shubham asli kon hai aur ghar par jo hai vo Shubham ki jagah ghar ka logo ko nuksaan pahuchane ki koshish kar raha hai….. Issi bich sahi Shubham na Aaliya ko dhyan mei baithne ka liya kaha jaha se vo pahuch World of Dream mei ek essi jagah jaha se Aaliya ko uski purani yaade milne vali thi……
Aaliya ka dhyan mei baithne ka saath hi vo kuch samaye mei World of Dreams mei pahuch gayi, par uska ya safar behad aasan nahi tha…. Usse iss safar mei chunauti mili usse jisse sabhi Nitin (Nakli Shubham) ka naam se jante hai….. Usne Sapno ki duniya mei Aaliya ko bhatka diya aur usse uss taraf bhej diya jaha par agar Aaliya kaid ho jaati toh usse vaha se kabhi nahi laya jaa sakta tha…..
Aaliya ko bachane ka liya Shubham ka pass keval ek hi rasta bacha tha aur vo tha apni Sword of Destruction ka tyaag kar uss Dream world mei enter karna aur Aaliya ko sahi salamat nikalna aur Shubham na vahi kiya jiske fal swaroop Shubham se uski Sword dhur ho gayi….
Shubham aur Aaliya Dream World se bahar toh aaye par bahar aane ka turant baad hi dono behosh ho gaye jiska karan tha kamjori….. Inn dono ko Dharti se sahi salamat nikalne ka liya Elika ki madat kari Glimo na….. Glimo Shubham ka dost hai dusri duniya ka jiske saath Shubham na apne bachpan ka kuch samaye bitaya tha, vaise Glimo asal mei ek Jinn hai, par vo abhi tak duniya ka samne ek dum simple raheta tha…..
Khair ek baar firse dharti se dhur dusri duniya mei pahuch kar Shubham na kuch plans draw kare apne dimak mei aur unke hissab se hi aage badne laga jiske liya usne apne kul 8 roop ( 7 clone aur ek Original kare) unn sabhi aatho ko usne alag alag duniya mei bhej diya jo alag alag jagah uske liya alag alag kaam kar rahe tha…..
Yahi issi bich ek aur badi heran karne vali baat hui aur vo ya ki ek Shaitan na Elika ko kaid karne ki koshish kari, aur uske badle apni beti ko Shubham ko nuksaan pahuchane ka liya bhej diya, par uska pata Shubham ko chal gaya tha aur issi vajah se Shubham na uss shaitan ko khatam karne ka liya ek khaas laal pathar ki jarurat thi jo usse mila Roop Nagar mei…..
Roop Nagar ek essi jagah thi jaha Shubham ka samna Roop Nagar ki Rani se hua jo duniya mei sabhi ko kaid kar apna gulam bana leti thi, par ya baat alag thi ki ya sab kuch usse karwaya gaya tha jabki vo khud bilkul saaf dilki thi…..
Roopnagar mei Shubham ko Laal Pathar ka alawa ek teer Kaman bhi mila jo ki usse aage kaam mei aane vala tha…… Iss safar ka bich Shubham ki mulakat hui Guru Trajang ka sabse bada putr se jinse Shubham ko ek khaas gyan hassil karna tha jisko sikhne ki jarurat kyu hai ya abhi usse nahi pata thi aur usse kaha gaya tha ki ya gyan vo khud tak rakhe aur jab sahi samaye hoga iska karan usse samjha diya jaayega……
Laal Pathar lekar Shubham pahuch Andheri ki duniya ka sabse chota grah par jaha par kaid kiya hua tha Elika ko….. Vaha jakar Shubham na Elika ka roop mei kaid hui Kimya ko bachaya aur Shaitan ki beti ko maut ka ghaat utar diya….. Par iss youdh ka bich ek behad badi baat hui, Shaitan na Aaliya par humla kiya jisse usse choti sic hoot aa gayi, jisse dekh Shubham apna aapa kho baitha aur ban gaya vo jiske naam se hi saare sansar mei hadkamp mach jaata tha….
Shubham mei kaid bhakshak ka janam hua aur uss bhakshak na uss pura grah ko hi jala daala aur Shaitan ka sharir ko uske sar se alag kar diya, usne uss sar ko iss tarah se faika jo jakar siddha gira Imosopher ka pair mei jisse dekh Imosopher aur uski Maa dono hi behad khush hua….. Essa kyu iska reason aage mil jaayega…..
Vahi Shubham iss sabke baad behosh ho gaya,,,,, Jab aankh khuli toh usse sab yaad aaya aur usse samajh aaya ki vo kya se kya ban gaya hai….. Par fir uske ander base bhakshak ki awaj aayi (Jisse abhi tak hum bs awaj ka naam se jante hai….) usne Shubham ko samjhaya aur jo hua usko face karne ka liya bhi kaha…..
Uss awaj na Shubham ki kaafi madat bhi kari usse Guru Trajan ka dusre bacho se gyan prapt karne mei, vahi Shubham ki badti takat ko dekh Draco na ek nayi chaal chali aur usne ek essa kida ko Land of River and Mountain mei bheja jisne dhere dhere karke saari jagah ko sada diya…..
Ab Shubham uss jagah ko bachane ka liya nikala par usse phele usse ek dusri Shiksha ka adhyan karna jaruri tha islye usne baaki sabhi ko vaha bhej diya aur khud pahuch gaya dusri jagah jaha usne aag ko niyantran karna sikha jiski vajah se vo tej lava jaisi agni mei bhi jal na saka…..
Apni Shiksha ko khatam karke SHubham Pahucha Land of River and Mountain jaha Shubham ka intezar kar raha tha Blue Dragon jo uske armor ko uski asli takat pradhan karne vala tha….. Iss bich Shubham ka saath clone mei se ek clone ki maut ho gayi thi aur ek clone Earth par tha…. Ab bache hai 6 clone aur ek Shubham khud…..
So friends this is the story so far….. Ya ek small aur quick overview hai story ka abhi tak….. Bus aaj se hi hum naye updates shuru kar dega…..