- 172
- 716
- 93
Nice set-up..
Keep it up...
Welcome to the thread brother... Thnx for your comments... Be along...Nice start...aage padhne me maza aayega...
Keep it up...
Last edited:

Thnx brother... Be along..Nice and awesome update....
Are Bhai Bhai Kya hi khichadi paka rhe ho ...sala dimag ka fuse ud gaya...kafi achchha laga update ...vivan aur janhavi aur vivan ka break up ho gaya hai kinhi karno se ..aur same time indono ke naye naye ashik bhi samane aa Gaye ..jisme se virat thakur to mental lag hai..CHAPTER – 1
{PAST – RIGHT YA WRONG}
UPDATE – 2
PLACE :- SHUKLA SADAN (DELHI)
PLACE INFO :- DELHI ke DWARKA shehar mein bana ek bahut hi khubsurat sa ghar. Zyada bada nahi hai par haan ek duplex makaan bol sakte hain isse. Chaar kamre, ek kitchen, chhota sa ek hall , ek garden aur oopar terrace. Basically ek upper middle class family ka ghar kaha jaa sakta hai isse.
BACK TO STORY :-
Iss ghar ke terrace par khadi hai ek ladki jo iss samay apalak chaand ko nihaar rahi hai. Ya yun kahun ke usmein kisi aur ko hi dekh rahi hai. Aankhon mein peeda ke saath saath ek gussa.. krodh aur ghrina bhi spasht dekhe jaa sakte hain. Wahin terrace ke muhaane par khade ek aadmi – aurat joki shayad iss ladki ke Mata – Pita hain nam aankhon se apni beti ko dekh rahen hain.
Wo aurat shayad apni beti ko iss haalat mein aur der tak naa dekh paayi aur rote huye neeche ki aur chali gayi. Wo aadmi bhi ek nazar apni beti ko dekhne ke baad neeche chale gaye.
Wo aurat neeche hall mein baithi fafak fafak kar rone lagi aur wo aadmi unhe chup karwaane ki koshish mein lage the. Aankhen to unki bhi nam hi thi par fir bhi wo apne dukh ko pare rakh kar unki peeda kam karne ki koshish kar rahe the. Ke tabhi ghar ke main door par kuchh aahat huyi aur un dono ki nazar uss taraf chali gayi.
Wahaan darwaaze par khade the ek ladki aur ek ladka jinhone andar aakar baari baari se un aadmi & aurat ke charan sparsh kiye aur wahin sofa par baith gaye. Uss aurat ko dekh kar hi wo maamla samajh gaye the par wo bhi jaante the ke is sabme kuchh kar paana unke bas ki baat thi hi nahi.
Chaliye sabse pehle kuchh jaan pehchaan ho jaaye in sab kirdaaron se,
[ INTRO :- PRABAL SHUKLA & DEVYANI SHUKLA :- Age – 50 & 47. Terrace par khadi uss ladki ke Mata Pita. Shayad hi koyi itna bebas ho jitna ye dono khud ko mehsoos karte hain. Jis beti ko ye dono jaan se zyada pyaar karte hain uske dard ki koyi dawa nahi hai inke paas. Sab kuchh jaante huye bhi ye dono kuchh nahi kar sakte.
UPDATE – 1 ke {SCENE – 3} mein maujood wo aadmi aur aurat yahi dono the. PRABAL SHUKLA ek chhota sa Import – Export ka business chalate hain aur theek thaak aamdani bhi ho jaati hai inki uss se. Wahin inki Mrs. ek house wife hain aur wo ghar ko sambhaalti hain. ]
[ INTRO :- MEHUL LUTHRA & KANIKA KAUL :- Age – 25. Ye dono hi uss terrace waali ladki ke college friends hain. Aur ye dono bhi wo baat jaante hain jiske kaaran uss ladki ki ye haalat hai. Aksar yahaan aate rehte hain taaki kisi tarah uss ladki ka mann behlaya jaa sake aur uski hasi khushi jo kabki chhin gayi hai wo usse waapis dilaayi jaa sake.
MEHUL & KANIKA ki sagaayi ho chuki hai aur jaise hi ye dono apne apne career mein thoda stable ho jaayenge shaadi ki planning shuru karne ki scope bhi ban jaayegi. Ye dono hi NOIDA aur NCR based ek IT company mein achhi posts par job karte hain. Par aage inke plans aapas mein partnership mein ek naya business start karne ke hain.
Ek zaroori baat ye ki UPDATE – 1 ke hospital scene mein jiss doosri ladki ka zikr hua tha, jisse VIVAN ne jaate jaate kuchh ishaara kiya tha wo koyi aur nahi balki KANIKA hi hai. Ab kya masla tha aur kya ishaara kiya tha ye sab to aage pata chalega. ]
KANIKA – Aunty wo kahaan hai?
DEVYANI – Aur kahaan hogi. Terrace par akeli khadi hai. Pata nahi hamari bachi ke saath hi aesa kyon hua. Sab kuchh uss.. uss ladke..
Aakhiri shabd kehte huye ek krodh ki jawala si bhadak uthi thi unki aankhon mein aur saath hi ek kadvahat saaf prateet ho rahi thi unki aawaz mein,
PRABAL ( Shouts ) – Naam mat lena uss kamine ka DEVYANI… Uska naam tak gaali lagta hai mujhe.
Poore gusse mein kahi thi ye baat unhone aur uss gusse ki hadh ko darsha raha tha unka shareer jismein ye baat kehne ke dauran kampan hone lagi thi.
MEHUL – Aunty ham uss se milkar aate hain.
ON THE TERRACE..
Wo ladki abhi bhi ussi mudra mein khadi thi. Ek sunapan sa jhalak raha tha uske chehre par joki gawaah tha uske dil mein uth rahe uss dard ka jo naa usse theek se jeene de raha tha aur naa hi marne. Chehra bhale hi sapaat ho uska par fir bhi uski aankhen kaafi thi bataane ke liye uska dard… uski takleef.. aur saath hi batane ke liye ke shayad ab uski zindagi se khushiyon ki chaah hi samaapt ho gayi thi.
Kherr! Uss ladki ko wahin paas mein hi khade dekh rahe the MEHUL aur KANIKA jo abhi abhi yahaan terrace par aaye the. Dono hi uske dard ko mehsoos kar sakte the parr uska ilaaz to nahi hi ho sakta tha. Kuchh palon baad KANIKA ne uss ladki ko awaaz lagayi…
KANIKA – JAHANVI…
[ INTRO :- JAHANVI SHUKLA :- Age – 24. Khubsoorti ki agar koyi aakhiri hadh ho sakti hai to wo yahi hai. Ek noorani chehre aur saath hi ek roohani dil ki mallika hai ye..
Aankhen.. Brown colour ki putliyon se saji iski dono aankhen kisi ko bhi unmein kho jaane ko majboor kar den..
Baal.. Lambe, gehre kaale baal jismein jhalakti ek bhoore rang ki latt unki Khoobsurti ko aur bhi badha deti hai..
Honth.. Gulaabi rangat odhe iske teekhe honth kisi ko bhi apni aur aakarshit kar len. Aur unke neeche bana wo til inki khubsurti mein chaar chaand lagane ke liye kaafi hai..
Chehra.. ek behadh hi santulit chehra. Jiska aakar halka elliptical ya kahun ke oval shaped kaha jaa sakta hai… Atyant gore rang par halke laal rang ke dore bhi spasht nazar aate hain… Maano yadi thoda bhi pressure daala jaaye chehre par to wo laal rang poore chehre ko hi apni zadh mein le le..
Shareer bhi apne aap mein hi ek misaal joki iske uss divya chehre ko poori tarah se Nyaya deta hai. Kahin se bhi excess fat nazar nahi aata joki saaf dikhata hai ke apne aapko kiss kadar fit rakha gaya hai…
Agar kam shabdon mein hi tareef karni ho to iss gaane ke bol shayad fit baithenge ke..
“Meri Aankhon Ko Ye Kaisa Manzar Mila,
Tere Har Naksh Mein Bas Khuda Hi Khuda..”
Kherr! Ek IT company mein hi job karti hai ye bhi. Aur kuchh hi samay mein sabko apni mehnat aur lagan se impress kar liya hai isne. Filhaal iski zindagi ka matlab sirf office se ghar aur ghar se office hi hai.
Baaki inke character ke baare mein aap kahani ke saath jaante jaayenge. ]
BACK TO STORY:-
KANIKA ki aawaz kaano mein padne par jaise hi ye palti iski bheegi aankhen aur unmein base dard ko dekh kar un dono ke dil mein bhi ek tees apne aap hi paida ho gayi. Apni aankhen ponchkar..
JAHANVI – Tum dono yahaan, iss waqt.
MEHUL – Haan tumse hi milne aaye the. Tum thik ho naa??
JAHANVI ( ek feeki muskaan ke saath ) – Shayad haan ya shayad naa..
KANIKA ne aage badhkar usse gale laga liya aur kaha…
KANIKA – Apne aap ko sambhaalo JAHANVI. Sab thik ho jaayega.
JAHANVI – Jab 4 saalon mein kuchh thik nahi hua to aage bhi kya hi badal jaayega. Kherr.. meri to shayad kismat mein hi ye sab hai. Tum dono chinta mat karo… I’m fine.
KANIKA – Tum hamse jhooth bol sakti ho, baaki sabse bhi bol sakti ho par khudse nahi. Tum thik nahi ho JAHANVI… Bahut ho gaya ab. Apne baare mein nahi to kamse kam Uncle Aunty ke baare mein hi socho. Unpar kya guzarti hogi jab wo tumhe iss haal mein dekhte honge?
KANIKA ki baat sunkar JAHANVI ki aankhon se ek baar fir moti chhalak gaye.
JAHANVI – Main kya karoon… main nahi bhula sakti usse. Wo meri nas nas mein.. yahaan tak ki meri saanson mein bhi bas chuka hai. Kitni koshish karti hoon ke usse bhula doon par nahi hota mujhse. I’m.. I’m just helpless…
Aur itna kehkar wo KANIKA ke gale lag gayi aur foot – foot kar rone lagi. KANIKA bhi uske sar ko sehlakar usse shaant karne ki koshish karne lagi. Kuchh der baad jab wo shaant huyi to KANIKA aur MEHUL ne aur zyada uss baare mein baat karna uchit naa samjha. Kuchh der baat karne ke baad wo waapis chale gaye.
IN THE CAR...
MEHUL – JAHANVI ki condition theek nahi hai ANI ( MEHUL calls her this ). Its deteriorating daily.
KANIKA – You’re right MEHUL. Kaash ke hum uske liye kuchh kar paate.
MEHUL – She’s a pure soul ANI. Wo ye sab deserve nahi karti. Uncle Aunty ko dekh kar sachmein bahut dukh hota hai. Ek beti waise hi hospital mein hai aur doosri..
KANIKA – We can just hope ke kabhi to sab theek hoga.
Achaanak hi MEHUL ki aankhon mein gussa utar aata hai…
MEHUL – Tum mujhe hamesha kehti thi ANI ke wo kabhi naa kabhi apna asli rang zaroor dikhaayega. Aur ek main tha jo usse apna best friend maanta tha. That Bastard… He has ruined three lives.
Ye baat kehte huye MEHUL ki aawaz bahut tezz thi aur saaf jhalak rahi thi uski aawaz mein ek nafrat ki chingaari. Wahin KANIKA kuchh aur hi soch rahi thi.
KANIKA ( mann mein ) – Tum kuchh nahi jaante MEHUL. Jo usne kiya hai wo karne ka koyi soch bhi nahi sakta. He has just destroyed his whole life for JAHANVI. Pata nahi kahaan hoga wo. Hamesha maine usse galath hi samjha par aakhir usne mujhe galath saabit kar hi diya. Kaash wo din waapis aa paate…
SHUKLA SADAN...
Yahaan hall mein baithe the iss ghar ke teeno sadasya ke tabhi PRABAL ji ke phone ki ghanti baji. Unhone phone pick kiya…
MOBILE – Kya main PRABAL SHUKLA se baat kar raha hoon.
PRABAL – JI main hi hoon. Kahiye.
MOBILE – OK. Main HEALTHCARE Hospital se bol raha hoon. Aapke patient ki condition mein bahut betterment aayi hai aur doctors ka kehna hai ke jald hi wo comma se baahar aa jaayengi.
PRABAL ( khush hote huye ) – Aap… aap sach keh rahe hain… Main .. main abhi aata hoon.. main aa raha hoon..
Aur itna kehkar unhone phone cut kar diya.
PLACE :- KAPOOR VILLA (BANGLORE)
Shayad aap samajh hi gaye honge ke ye hai hamari NAVYA madam ka niwaas sthaan. Ek bahut ji bada bangla jismein har tarah ki sukh suwidhaa maujood hai. Naukron ki fauj inki sewa mein har waqt taiyaar rehti hai. Iss samay NAVYA Madam apne vishaal bedroom mein maujood hain aur aankhen band karke kisi ko yaad kar rahin hain, kisse, of course apne VIVAN Babu ko..
NAVYA ( Mann mein ) – How cute he was!!! Kyon mujhe wo baar baar yaad aa raha hai. Kuchh to baat thi usmein jo main uska chehra bhula hi nahi paa rahi hoon. Alag hi vibes aa rahi thi mujhe usmein se. He was so different.
Agar mujhe wo contract mila hota to shayad main to wahin pe dance shuru kar deti. Par uske liye to jaise kuchh hua hi nahi tha. Kaash kaash wo single ho. God please wo single ho. I promise main kabhi bhi gussa nahi karoongi bas meri ye wish poori kar dena.
Aur fir khud ki hi baat par apne hi sar par chapaat laga li..
“ Ye sab kya sochne lagi main. But kuchh bhi kaho handsome to bahut tha wo. We’ll meet again Mr. VIVAN… Soon… Very soon..”
PLACE :- UNKNOWN (DELHI)
Ek bade se office room ke revolving chair par baitha hua hai ek ladka. Three piece formal suit pehne.. kalayi par branded ghadi aur pairon mein mehenge joote.. bataane ke liye kaafi hain ke zaroor ye koyi moti party hai.
Tabhi office ka door knock hota hai..
LADKA – Come In.
Aur wahaan se andar enter karta hai ek madhyam umra ka vyakti jiske haath mein hai ek envelope. Wo aage aakar pehle to uss ladke ko wish karta hai aur fir usse wo envelope thama deta hai.
AADMI – Sir, uss ladki ki poori information nikalwa li hai. JAHANVI SHUKLA naam hai uska… SOORI ki company mein kaam karti hai. Aur jaisa aapne poochha tha wo bhi pata laga liya hai. Abhi tak shaadi nahi huyi hai aur naa hi koyi boy friend hai. Ek dum simple lifestyle hai uska. Baaki ki information is envelope mein hai.
Uss ladke ne aadmi ko baahar jaane ka ishaara kiya aur fir uss envelope ko khola. Sabse oopar hi ek tasveer thi jisse haath mein lekar dekhte huye wo badbadane laga…
LADKA – Arre agar tumhaara koyi boyfriend hota bhi to wo zinda nahi bachta. Kyonki ab tum sirf meri ho aur jo cheez mujhe pasand aa jaati hai usse main haasil karke rehta hoon. After all… VIRAT THAKUR naam hai mera… I’m coming for you JAHANVI...
Aaj ke liye itna hi...
Milte hain agle update mein...
dono update padhne ke baad ye Vivan aur jahnavi ki haalat dekh yahi kavita yaad aaye..CHAPTER – 1

Thanks a lot & Welcome to the thread brother.. Be along..Congrats for the new story..
Complicated romantic theme...full of suspense till now.vivan kese apahich bana.vivan ka breakup.?sab log usko bura mante hain lekin sab logon ki soch galat he..bahut Raaz chupaa hua he..
Both the updates are outstanding
Thanks a lot brother.. Sahi kaha Virat pyschic to hai jiska suboot bhi aage dekhbe milega..Are Bhai Bhai Kya hi khichadi paka rhe ho ...sala dimag ka fuse ud gaya...kafi achchha laga update ...vivan aur janhavi aur vivan ka break up ho gaya hai kinhi karno se ..aur same time indono ke naye naye ashik bhi samane aa Gaye ..jisme se virat thakur to mental lag hai..
Dekhate ki break up ka reason Kya tha...aur wo dono kaise inn aane wale musibato se samana Karke ek duje ke hote hai...ek baat Mai Dave ke sath kah sakta hu ki vivan aur janhavi ke Milan ke bhi Karan yahi virat aur Navy's banege...
Thanks a lot for the revo Naina Ji.. Baat to aapki solah aane sach hai ke in dono ne alag hokar bhi sirf dukh hi paaya hai..dono update padhne ke baad ye Vivan aur jahnavi ki haalat dekh yahi kavita yaad aaye..
Kyun aisi ummeed ki jindagi se, Jo aise nakaam huyi...
Door banaayi thi jo manzil ...
to raste mein hi shaam huyi......
Ab kahan jaaye ye dono. Kisko samjhaaye ye dono..
Kya indono ne chaaha tha, aur dekho to..
AV14 sahab ki kripa se kya indono ki kismat mein aayi...
Jaise andheron ki ho gehraayi
well.... to jaha ek tarah itna amir aur successful business man ban jaane ke baad bhi, aaj bhi vivaan ek nirah si jindagi jee raha hai, kyunki uski life ab jahnavi nahi hai...
Wohi dusri taraf vivaan se zyada badtar aur nirah jindagi bita rahi jahnavi.....
btw yaha dono hi kirdaar chutiya hai
tyag balidaan deke jaha vivaan ko mila baba ji ka ghanta wohi dusri taraf jahnavi kisi dukhi aatma ki tarah khud bhi dukhi rahti hai aur sath hi aas paas rehne chaar logo ko bhi dukhi kar deti hai.... specially khud ki mom dad ko..... are us jahnavi ko koi samjhao yaar mom dad se badhkar aur koi nahi is sanshar mein kahe apne ujre pyar ke ragistan mein apne mom dad bhi ghasit rahi hai... upar se uski sis bhi hospital mein admit hai.... uski to jaise khabar hi nahi....
waise kehte hai jab do log jhagdte hai to faida uthata hai koi teesra insaan...
Yahan ek taraf vivaan ke mamle mein jaha navya the kaamuk gal faida uthane ki chakkar mein hai...
Wohi dusri taraf wo hawas ka pujari wo ladka jahnavi ko hasil karne ki chakkar mein hai... taaki apne hawas ko mita sake
waise us dilli wale ladke aur is navya ki jo feelings hai kahani ke hero heroine ke liye.... wo bas ek Madness hai...
are wohi ami manjulila aur aparichit type ke
shaandaar update,shaandaar lekhni..shaandaar shabdon ka chayan aur saath hi dilchasp kirdaaro ki bhumika bhi...
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills komal ji
are wohi ami manjulila aur aparichit type ke
aur phir reason rakhne ke baad navya se shaadi kar lega ...Hai naThanks a lot for the revo Naina Ji.. Baat to aapki solah aane sach hai ke in dono ne alag hokar bhi sirf dukh hi paaya hai..
But jaldi hi VIVAN iss sabka reason aapke saamne rakhegaa..
Thanks again & Be along..