UPDATE NO - 148(B) post kar diya hai dosto.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
Nice updateUPDATE - 56Ab tak aapne dekha ki hum sb Gate ke bahar aate hai. Aur bs hme Gate se bahar aata dekh kr sare White Tiger guild ke log bhut jyada surprise ho jate hai. Fir Sachin mujhse puchta hai ander kya hua tha. Lakin mai Buraka ko shadow Soldier me na convert kr pane ke karan bahut gusse me rahta hu. Tm meri usase kuch kaha suni ho jati hai. Uske baad mai kirti ko uske ghar drop krta hu. Jaha wo jate hue mujhe bhaiya kah kar jati hai. Next day Shubham mujhe raid ke liye lene aa jata hai. Aur mai uske sath kirti ko bhi pick up kr leta hu. Hmari bate sun kr use hmare bare me kuch shak hota hai.
AB AAGE......
INSIDE A, C Rank DENGOUN
Mai aur Shubham ek C Rank DENGOUN ke ander raid kr rahe the.Is DENGEON ke ander stone jaise body wale Monsters the. Unki body ko dekh ke aisa lagta tha ki jaise inhe chote chote stone ko sath me jod kr bana gaya hai.
SWOOSSS........ SWOOSSS......
BOOM.... DHADAAMMMM.......
Meri Shadow army in sb se fight kr rahi thi. Kisi ka sir to kisi ke hath pair aise hi katate hue wo sare Monsters ko maar rahe the. Jinme sbse aage IGRIS aur IRON the.
Un dono ko to dekh kr aisa lag raha tha jaise dono aaps me compition kar rahe ho kon jyada Monsters marega.Mai aur Shubham inke piche khde sbko dekh rahe the. In sb ko dekh ke Shubham bahut hi jyada dar jata hai.
Use to smjh me hi nahi aa raha tha ki ye sb ho kya raha hai. Uske pure body se bahut sara pasina nikalne lagta hai.Shubham ( bahut jyada darte hue ) " R... Raider !! "
" Ye sb log aakhir hai kya ? "Mai ( Shubham ko dekh ke apne man me sochta hu ) ' Aahh !! Ye Shubham ke liye phli baar hai.Fir mai Shubham se kahta hu " ye meri ek skill hai. "Shubham ( shocked se aakhe fade hue ) " Tum in sb logo ko apne ek skill se bula skte ho ? "Mai " Ye toda muskil hai smjhane ke liye. Lakin.... "
" Ye achi baat hai na ki sare log mere liye hunting kr skte hai. "
" Ye sare mana crystals ke khudayi ka bhi kaam kr skte hai. "KATTTT... KATT....Quki maine kuch KNIGHTS ko DENGEON me jo bhi Mana crystal the unki khudayi krke collect krne ke kaam pr lagaya hua tha. Aur wo bahut hi lagan aur ache se ye kaam kar rahe the.Shubham khudayi krne wale KNIGHTS ko dekh ke mere paas aata hai aur request krte hue kahta hai " Rider ! Kya mai kam se kam Mana crystal ko collect krne ka kaam kar skta hu ? "Mai ( Shubham ko dekh ke ) " Kyu ? "Shubham ( nirash hone ki sakal banate hue ) " Quki mujhe aisa lag raha hai jaise maine apni jagah kho di hai. "Mai ( Shubham ki taraf dekh kr smile ke sath sochta hu ) ' Ye such me bahut jyada acha hai. 'Aur fir mai use Mana crystal collect krne ko bol deta hu. Jisase wo khush ho jata hai. Aur ja kr khudayi krne wale KNIGHTS ke paas se Mana crystal le kr ek bag me rakhne lagta hai.Shubham ( KNIGHTS se mana crystals lete hue mujhse kahta hai ) " sukriya Rider. "
( Apne man me ) ' ye kitna darawna bhi hai. 'Mai ( Shubham ko dekh ke apne man me ) ' Shubham ke sath ye Raid krne ke baad, hmare biche jo 19 raids ka deal hua tha wo kl khtam ho jayega. 'Aur aise hi aaj ke sare Raid khtam ho jate hai.
Aur fir kl bhi hm sare Raid jldi se complete kr lete hai. Jisase hmdono ke bich jo 19 Raid sath complete krne ki baat hui ti wo puri ho jati hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
SOMEWHERE IN EASTERN UNITED STATES
Ek bahut bade maidan me kai pahadiyon ke biche ek pahadi ke niche ek ghuffa thi. Jaha ek Gate open hua tha. Jo ki ek A Rank ka DENGOUN tha.
Aahhhhhh..........
Us Gate ke ander US ki ek Huntur ki team aayi Hui thi DENGEON ko clear krne ke liye.
Sare ander jate hai. Kuch der baad waha pr gaye hue sare hunturs mare jate hai. Bs ek huntur ko chod ke jiska name James tha. Jo ki ek A Rank huntur tha.James ( andar ka najara dekh kr ) " hey bhagwan ! "
( Apne man me ) ' Attack force ke sare members mare gaye . '
' mujhe to yakin hi nahi ho raha hai. '
' human type Monster ? 'Waha ka najara hi kuchh aisa tha. Jagah jagah hunturs ki mari hui body padi hui thi. Guffa ko support krne wale lakdi ke structure buri taraf se is fight ke karan tut gaye the. Kuch hunturs ki body un lakdiyo pr bhi padi hui thi.
Aur in sb ke bich ek human khada tha. jiske sir pr bahut bade bade baal the. Jo ki uski kamar tak aa rahe the. Uske kapde jagah jagah se pate hue the. Wo dikhne me hi bahut strong lag raha tha.James ( us human type Monster ko dekh ke apne man me kahta hai ) ' hmlogo ko pure DENGEON me kahi bhi ek bhi Monsters nahi mila. '
' maine socha kuch aur andar jane pr sayad hme kuch mile. '
' lakin Hmne nahi socha tha ki aisa bhi koi aisa Monster bhi kabhi jmane samne aayega. '
' Is akele Monster ke ander se itni magic flow ho rahi hai ki wo ek A Rank DENGEON ke equal hai. '
' lakin aisa kabhi nahi ho skta hai. '
' Aakhir ye Monster kitna jyada storng hai ? 'Tabhi wo human type Monster James ki taraf apni gardan ghuma kr usase kahta hai " Hey !! "
BHADHAMM......
Aahhhhhhh......
Aur uske achank se hi aise James ko dekhne aur fir insano ki language me baat krne se James bahut jyada dar ke karan niche jamin pr gir jata hai. Aur uski bhut tej chikh nikal jati hai.James ( bahut jyada dar ke sath ) " Mere paas mat aana ! Mere paas mat aana ! "Human type Monster ( apne kaan pr apna hath rakhte hue ) " Aahhhh !!! "
" Mere kaan dard krne lage tmhare chillane se . "
" Daro mat, maine in sb hunturs ko mara nahi hai. Maine to inhe bs behos kiya hai. "
" Aur tum sb log aise achank se mujh pr hamla kyu kiye ? "
" Mai koi Monster nahi hu. Mai bhi tmhare tarah ek human hu. "Lakin James to apne dono kano pr hath rakh ke dar se kaap raha tha. Use bahut jyada pasina nikal raha tha. Aisa lag raha tha. Jaise wo dar se sadme me chla gaya hai.Ye dekh kr wo human type Monster kud se kahta hai " Ye meri baat ko smjh nahi pa raha hai. "
" Well, aisa lagta hai ye American meri language nahi smjh skte hai. "
( Fir apne aap ki taraf hath se ishara karte hue english me kahta hai ) " I am an Indian. "
" And I want to go home. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
A RESTORANT IN DELHI
Mai aur Shubham ek avg. Se restorant ke ek corner me aamne samne baithe hue the. Hmdono ke samne table pr dher sari khane ke item rakhi hui thi sath me uske bear aur vodka bhi tha.Mai " Aur aaj ke Raid ke sath hi hamri sari raid khatam hoti hai. "Shubham ( vodka ka ek pag hath me liye hue ) " Mujhe maaf kar dena Rider. "
" Mai hmare aakhiri time milne ke karan tmko kahi aur mehngi aur achi jagah le jana chahata tha. "Mai ( Shubham ke sath vodka Cheers krte hue ) " Are nahi , Balki mai itne der se tention me tha ki ye sb tm jaise rich family ke young son ko suit nahi krega. "
" To ab aage tumhara kya karne ka plan hai ? "
" Quki Riads to ab khtam ho cuki hai. "
TAKKK....
Aur hum dono apne glass ko Cheers krte hai aur ek ek pag pi jate hai.
DING.....
[ Ak hanikarak substance aapke body me paya gaya hai.]
[ Detox kr diya gaya hai. ]
Shubham ( mujhe dekh ke sochte hue ) " Ab mai jitni jldi ho ske hunturs association ka ek paper exam de kr apne Guid master hone ka Licence lene ki kosis krunga. "
" Fir mai us license ke sath ja kr apne papa se baat krunga. "Fir Shubham aur mai dono log apna sir niche karke apne man me kuch sochne lagte hai.Shubham ( apne man me ) ' Aur Rider ke sath mera kiya hua promise usi baat pr thika hua ha. 'Mai ( apne man me ) ' Ye bahut achi baat hai ki mujhe 30 BILLION ki building milegi. '
' Lakin ye to mere liye bs ek bonus hai. '
' Mera asli maksad to leveled up Krna tha. '
' Quki ab mera maksad pura ho gaya hai. To mujhe ab Shubham ke sath ki koi jarurat nahi hai. '
DING......
{ [ STATUS ]
( Name : Rider )
( Job : Shadow Monarch )
( Tital : WOLF SLAYER +1more )
( HP : 13001 )
( MP : 1677 )
( Level : 61 )
( Fatigue : 0 )
-------------------
( Strength : 142 )
( Agility : 121 )
( Sense : 103 )
( Vitality : 101 )
( Intelligence : 89 )
( AP : 0 )
-------------------
( Remaining point : 0 )
[ Physical damage reduction : 46percent Equipped ] }
Mai ( apne hath me ek red color ki key ko dekh ke apne man me kuch sote hue ) ' Lakin.... '
{ [ ITEM : CASTLE DOOR KEY ]
[ ITEM CLASS : A ]
[ TYPE : KEY ]
[ Ek key jisase Deamon castle door khola ja skta h. Ye Gatekeeper ko maarne ke baad mila h. ] }
Usase phle hi Shubham khana khate hue mujhse puchta hai " Rider ab aage tum kya karoge ? "Mai ( us key ko apni muddi me ks kr pakadte hue ) " Mai kuch dino ke liye tumse nahi mil paunga. "
" Aisi ek jagah hai jaha mujhe jana hai. "Ye sun ke Shubham 2 se 3 peg vodka ke shot pine ke baad mujhse kahta hai " Rider agr mai tmko paresan karta hu, to please mujhe bata do. "
" Isase mai tmko fir kabhi paresan nahi karunga. "Mai ( apne man me ) ' Kya isne mujhe fir se galt samjh liya hai. '
' Ye ladka bhi na... 'Mai ( Shubham se ) " Shubham !! "Shubham ( naraj hote hue apna sir niche jukha kr ) " Ha Rider ! "Mai " Mai tmhare liye kitna mayne rakhta hu ? "Shubham ( sochte hue ) " Mera ek bada bhai hai. Jo ki mujhse 10 yr bada hai. "
" Wo mujhe pasand nahi krta hai. Isiliye humne sath me jyada time nahi bitaya hai. "
" Uski tulna mai tmhara comparison kru to, Rider tum wo jo jisne meri jaan bachayi hai aur mere problems ko bhi solve karne me meri bahut help ki hai. "
" Mere liye tum Rider, ek bhai se bhi badh kr aur mere real brother se bhi badh ke ho. "Mai ye sb sun kr such me surprise ho jata hu. Ki Shubham mujhe itna jyada manta hai.Mai ( smile ke sath Shubham se ) " Agr tum mere bare me yahi sochte ho to... "
( Ek vodka ka shot aage Shubham ki taraf cheers ke liye badhate hue ) " Mai ab se tumhe apne chote bhai ki tarah smjhunga. "Bs itna sunte hi Shubham ek chote bache ki tarah jor jor se rone lagta hai. Uska pura face aasuo se bhig jata hai.Shubham ( Rote hue ) " R... Rider !! "Aur wo rote hue uth krmere chair ke paas aa jata hai aur apne hath faila kr mujhse khta hai " Rider kya mai tmko gale laga skta hu ? "Mai ( ghbrate hue ) " Are suno to tumhe chadh gayi hai. "Shubham mereek hath ko apne dono hatho se pakd kr apne baho me lete hue " Nahi ! Rider, Mai aaj se phle itna hose me kabhi nahi tha. "Mai ( Shubham ko dekh ) " Huh ! Ye such me pagal hai. "Tabhi hotel me hi chl rahe TV pr ek news aane lagti hai jiski taraf mera dhyan chla jata hai.
Jisme Sachin samne khada tha aur usase reporter dhersare swal puch rahe the.1st reporter " We kah rahe hai ki new recruits ko training dete samay ek major accident ho gaya tha. Kya ye such hai ? "2nd reporter " Kya ye baat such hai ki sare High Rank ke hunturs mare gaye aur kewal low Rank ke hi sare hunturs jinda bach paye hai ? "3rd reporter " jo jinda bach ke wapas aaye hai. Unse Aisi bhi bate sunane ko mili hai ki unlogo me koi ek tha jisne abki jinda wapas aane me help ki. Aap is bare me kya sochte hai ? "Sachin " Association ke sath investigation phle hi puri ho cuki hai. "
" Ye such hai ki waha ek accident hua tha, lakin isme koi bhi bahar ka aadmi samil nahi tha. "Mai ( apne man me ) ' outside party ? '
' Ye mere bare me nahi hai ? '1st Reporter " To fir aap hm sb ko survivors ke sath inverviews lene ke liye rok kyu rahe hai ? "Sachin " Aaj ke liye bs itna hi. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
WHITE TIGER GUILD'S BUILDING
Sachin apne cabin me apne chair pr aa kar baitha hua tha.Sachin ( apne tai to loos karte hue kahta hai ) " Damm Reporters... "
" Ye sare such me bahut ache hai chijo ko sungh kr pata lagane me. "
TRIN.... TRIN......
Tabhi uske samne table pr rakha hua phone bajne lagta hai. Aur sachin unko recive karke speekar on kr deta hai.Phone ke dusri side se " Master , huntur Ajay call krke aapse baat karne ki request kr rahe hai. Mai kya karu ? "Sachin " Ajay ? "
" Usase abhi connect kro. "Tb udhr se ajay ko connect karke sachin kr baat krne laga diya jata hai.Ajay " Sachin tumhara phone switch off kyu aa raha hai ? "Sachin " Mai reporters ke saant hone tak Chupne ke kosis kr raha hu. "Ajay " Are wo Red Gate ! Maine bhi uske bare me japan me suna tha. "Sachin " Kya ? Tum japan me ho abhi ? "Ajay ( smile krte hue ) " waise sachin Tum screen pr bahut ache dikhte ho. "Sachin ( thoda gusse se ) " Mere se panga mat lo. Mai abhi majak ke mood me nahi hu. "
Ajay " Tum uski fikar mat kro ye sb jldi hi khtam ho jayega. Aur sb jldi hi saant ho jayenge. "
" Mere paas isase bhi ek badi khabar hai. "Sachin ( thode surprise se ) " badi khabar ? "
" Maine soch raha tha ki tum japan me ho. "Ajay " Japan ne ek week phle chupke se indian huntur association ko call kiya tha. "
" Aur jb maine is baat ko kud check kiya to ye maine jitna socha tha usase bhi jyada serious baat nikli. "
" Iske bare me jldi hi pure india me baate hone lagengi. "Sachin ( Surprise hote hue ) " Japan ne Indian Hunturs association ko chupke se call kiya tha ? "
" Unhone aakhir kya manga hai unse ? "Ajay " unhone jin hunturs ne Jeju iceland ke Raid ko experience kiya hua hai. Un hunturs se consultation krne ke request ki hai. "Sachin ( bhut jyada shocked ke sath ) " Mujhe saari baate details me batao. "Ajay " S Rank Gate JEJU island me aaj se 4 yr pahle open hua tha. "
" 3 oprations ke fail hone ke baad aakhir kaar government ne ne haar maan li. "
" Bhle hi 4 yr ho gaye hai lakin abhi bhi wo iceland Ant's Monsters se bhara pada hai. "
" Isi reason ke karan maine aur tmne dono ne lagbhag apne death ko Bikul karib se experience kiya hai. "Sachin " Tum sahi kah rahe ho ye ek aisa Sapna hai, jise mai kabhi bhi yaad nahi rakhna nahi chahta hu. "Ajay " Mere khyal se waha mutation ho raha hai. "Sachin ( darte hue ) " Mutation ? "
" Isase koi fark nahi padna chahiye quki we sare Monsters wahi us iceland me fase hue hai. "
" Isase koi fark nahi padna chahiye bhale hi hum log unhen waha akele chod de to. "Ajay " well.... "
" Wo iceland ko chod skte hai. "
" Wo sagar ke upar se udh kr iceland chod skte hai. "
" Japan cost ke paas ek Ant, wings ke sath paya gaya hai. "
" Wo sale harami bhut hi khatarnak rate se grow kr rahe hai. "
NOTE :Janta hu Frnd's aaj ka update kuch chota hai. Lakin promise krta hu next Sunday aapko 2 update dunga. Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
UPDATE - 57
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mai aur Shubham sath me raid karne jate hai. Jaha mai apne SHADOW EXTRACTION skill ke bare me Shubham ko batata hu. Wahi US me ek jagah ek A Rank DENGEON ke ander ek human type Monster milta hai. Jo ki kahta hai ki wo ek indian Huntur hai aur use ghr jana hai. Yaha mai aur Shubham sath me raids khtam hone ki khusi me party ke rahe hote hai. Tab Shubham mujhe batata hai ki mai uske liye kya mayne rakhta hu. To mai use apna chota bhai maan leta hu. Sachin ki baat ajay se hoti hai. Ki japan walo ne Indian association walo se chupke se call krke JEJU island ki details mangi hai. Sath me ye bhi batate hai ki waha bahut teji se Ant's grow kr rahe hai.
AB AAGE.....
RIDER HOUSE
Mai apne kuch kapde aur kuch jaruri saman ek bag me daal kr kahi jane ke liye packing kar raha tha apne room me ki kavya waha aa jati hai. Aur mujhe ye sb karta dekh kr kahti hai " Aap apna saman kyu pack kr rahe ho ? "
Mai " ha mai kuch kaam se bahar ja raha hu. "
Tap... Tap... Tap...
Itna kah kar mai apni packing puri karke nikalne lagta hu.
Kavya ( apne balo me hairband bandhte hue ) " Aap aaj kal jyada hi bahar jane lage ho. "
" Aur aaj bhi aap aise achanak se trip pr ja rahe ho ? "
Mai ( piche mud kr kavya ko dekhte hue ) " Mai is baar lagbhag pure Week ke liye bahar ja raha hu. "
Kavya ( kuch soch kr smile krte hue) " Aur aap kiske sath trip par ja rahe ho ? "
" Kya mere bhaiya ko koi special mil gayi hai ? "
Mai " Mai apne ek dost ke sath ja raha hu. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Twins Tower, DELHI
Mai ek baar fir se twins tower ke samne apne right hath ko apne pocket me dale aur left hath se apna bag pakde hue khada tha. Aur mai twins tower ko hi ghur raha tha. Jo ki aise to normal dikh rahi thi.
BUZZZZZZ.....
BUZZZZZZ......
Lakin jaisehi main uske samne last time ki taraf key laga kr use ghumaya wo puri building mujhe wapas se puri aag ke laptop ke bich jltihui dikhayi dene lagi. Sath me bade bade aur majboot janjiron se wo bandhi hui bhi dikh rahi thi.
Mai ( twins tower ko dekhte hue apne man me ) ' Jab aakhiri baar maine KERBEROS ko haraya tha. Wah mujhse us time se lagbhag 20 level upar tha. '
' Lakin ab mera level last time se 3time jyada ho gaya hai. '
' Is baar mai last time ki tarah utna struggle nahi krunga. '
Tap... Tap... Tap....
CHUUUU........
Aur mai chl kar jata hu aur phle wala gate open krta hu aur uske ander chla jata hu. jiske baad mujhe samne Deamon castle ka Door dikhta hai.
Mai inventory se key nikal leta hu.
DING.....
{ [ ITEM : CASTLE DOOR KEY ]
[ ITEM CLASS : A ]
[ TYPE : KEY ]
[ Ek key jisase Deamon castle door khola ja skta h. Ye Gatekeeper ko maarne ke baad mila h. ] }
DING....
[ Kya aap key ko enter karna cahte hai. ]
[ ( Yes ) ( No ) ]
Mai " yes !! "
CHUUUUU......
Tap... Tap.... Tap....
Aur mere itna kahte hi Deamon castle ka Door open ho jata hai. Mai chl kr uske ander chla jata hu. Tabhi ek notification aata hai.
DING....
[ Ek naya QUEST open hua hai. ]
Mai jab Deamon castle ke ander pahuchta hu to mujhe wo Bikul khali dikhta hai.
Mere samne ek bahut lambi gallery thi. Jiske upar donk side vampire type me Monsters ke status jagah jagah lage hue the.
Mai ( ye sb dekh kr ) " ye sub kya hai ? "
" Mujhe yaha pr kisi bhi Monsters ke hone ka pata nahi lag pa raha hai. Mai kisi bhi Monsters ko yaha par sense nahi kr pa raha hu. Kya ye sirf hall me jane ka rasta hai ? "
" Ya ye, yaha se bahar jane ka rasta hai ? "
Abhi mai ye sb hi soch raha tha ki ek aur notification aata hai.
DING.....
{ [ NORMAL QUEST : COLLECT DEAMON SOULS ( Part 1 ) ]
[ Ye castle Deamons se bhara pada hai. special reward pane ke liye Deamons ka shikar karo aur unke souls ko collect kro. ]
[ QUEST ko pura krne ke liye cahiye : 10,000 Deamons souls ]
[ REWARDS
1. Jo aap caho wo ek item.
2. BONUS stats +20
3. Hidden reward. ] }
Mai ye Quest dekh kr kahta hu " Bahut time ho gaya mujhe koi Quest mile hue. "
" Aur is Quest ke rewards bhi kafi ache hai. "
" Mai bonus stats bhi pa skta hu. Aur store se koi ek item bhi choose kar skta hu. "
Mai store ko open krke weapon dekhne lagta hu. Aur sare High class ke weapon ko dekhne ke baad mai kud se kahta hu " Yaha to aise bahut se weapon hai jo 10 billion gold se bhi jyada price ke hai. Mai inme se koi bhi ek le skta hu. Mujhe bs is Quest ko pura karna hai. "
Tap... Tap... Tap....
Mai use raste se ho kar aage jane lagta hu aur kud se kahta hu " Lakin agr reward itna acha hai. To Quest ki difficulty bhi usi hisab se hogi. "
Maine lagbhag us gallery ko paar kar liya tha. Aur mere samne fir se ek door aa jata hai.
CHUUUUU......
Mai use bhi open krte hue kahta hu " Mujhe yaha tak abhi ek bhi Monsters nahi mila. "
Aur jaise hi mai door ko open krke uske ander jata hu meri aakhe shocked se khuli ki khuli rah jati hai.
Mai ( samne dekh kr ) " Kya ? "
" Ek field type ? "
Quki mere samne ka najara hi kuchh aisa tha. Is door ke ander jaise ek puri duniya hi thi. Chro taraf badi badi building thi. Jinme se jyadatar tuti futi hui thi. Jagah jagah aag lagi hui thi. Upar aasman tha jisme suraj nikla hua tha lakin wo ekdam red color ka tha. Baadal bhi black color ke the.
Mai ( surprise se chro taraf dekh kr) " Maine kabhi nahi socha tha ki koi DENGEON kabhi field type bhi hoga. "
" Kya is DENGEON ko Delhi ki hi taraf pura banaya gaya hai ? "
Quki wo sari building aur raste aur pura scenes sb delhi ka hi lag raha tha. Dekh ke aisa lag raha tha. Yahi bahut badi jung ladi gayi ho jisase delhi ka ye haal ho gaya hai.
Mai samne dekhte hue apne man me sochta hu ' Mujhe 10,000 deamon souls ko collect karna hai. '
' Iska matlba is Deamon Castle ke ander km se kam 10,000 Deamons to jarur honge. '
AAAAAA......
ROARRRRRRRRR.....
AAUUUUUUUU.....
Tabhi Mujhe mere samne se dher sare, uncountable monsters aate hue dikhayi dete hai. Wo sare kisi ek hi type ke Monsters nahi the. Ye sare Deamons kai alag alag type ke lag rahe the.
Kisi ke ek singh nikala hua tha to kisi ke do . Koi bada tha to koi chota . Aise hi na jane kitne Monsters mere taraf chillate hue aa rahe the.
DING.....
[ Aap her ek Deamon se ek soul le sakte ho. Lakin aapko upar ke floors me kuch aise bhi Deamons milenge jinke paas ek se jyada soul hogi. ]
Mai sb Demon's ko dekhte hue kud se puchta hu ' Main Trip par ja raha hu, aisa bahana maine sbse banaya hai. '
' Lakin kya ye ek week kafi hoga ye sb krne ke liye ? '
THUDDD.....
RUN.... RUN....
ZZZZZ.... ZZZZZZ......
Mai apna bag wahi jamin pr gira deta hu. Aur teji se bahgte hue Demon's ki taraf jane lagta hu. Aur jate hue hi mai apne dono hatho me apne daggers ko bula leta hu.
SWOOSSS.... SWOOSSS......
SWOOSSS.... SWOOSSS......
Aaaaahhhh..... Aau........
ROARRR...... DADHHH.... BHDHAM.......
Aur mai apne dono hatho me pakde hue dagger se Deamons ko marne lagta hu. Mere samne jo bhi Demon's aa raha tha. Kisi ka hath, kisi ka pair, kisi ka gala sb katata hi chla ja raha tha.
Mai ( sbko marte hue ) " Abhi to ye aasan hai. "
Tabhi system se 2 naye notification aate hai.
DING....
[ Aapne 3 low grade Deamons ko maar diya hai. ]
[ Aapko 100 X3 EXP. milti hai.]
[ Aapko X3 Deamon souls bhi milta hai. ]
DING...
[ Next level me phuchne ke liye EXP. ki jarurat hai : 59,700]
Mai ( surprise ke sath ) " Ab yaha ek aur option aa gaya hai. Jisase ki mai ye dekh skta hu mujhe next level me jane ke liye abhi aur kitna time lagega sath me mera experience bhi kitna increase ho raha hai. Wo bhi pata lag jayega. "
" Ye kitna jyada suvidhajanak hai. "
( Smile ke sath ) " Ab ye time hai sirf fight pr focus krke apne aap ko aur jyada strong banane ka. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
5 STARS RESTORANT, DELHI
Shubham apne pita ke sath ek 5 Star restorant me lunch karne aaya hua tha. Actually lunch to ek bahana tha wah to apne pita se apne company ke guild ke bare me baat krne aaya tha.
Wo dono log restorant ke ek privet cornor me baithe hue the. Shubham apne pita ke samne table ke dusre taraf baitha hua tha. Wo is time Bikul apne pita ki tarah formal kapdo aur suit me tha.
Samne table pr ek se badh kr ek mahngi aur testy item khane ke liye bahut hi beautiful tarike se saja kr rakhi hui thi.
Jinme se thoda thoda apne pasand ka khana Shubham aur uske pita dono ne apne plate me liya hua tha.
Shubham apne pita ko batata hai ki usne Guild master ka Licence le liya hai. Aur usne kitne C Rank ke DENGEON ke raid ko kud se lead krte hue clear kiya hai.
Shubham ke pita Dilip " To tum cahte ho ki The Heven Guild ko mai tmhe manage karne du ? "
Shubham ( full confidence se ) " Aapne sahi kaha Papa. "
Dilip ( ek pad me lage hue kuch document ko utha ke read krte hue ) " To ye tumhara Guild master ka Licence aur tumhara track record hai. "
Shubham ( apne man me ) ' Ye sub dekh kr mere Papa ko mere aur mere bhai ke biche kisi ek ko choose krne me bhut problem hone wali hai. '
Shubham ( apne papa se ) " Jaisa ki aap pahle se jante hai Papa, ki kisi bahari ko hamare Guild ka master banane me kitna bada khtra hai. Aur.... "
Abhi Shubham kuch aur kahta usase phle hi Dilip use rok deta hai " Ruk jao. "
" Yaha koi hai. Jisase phle tmko milna chahiye. "
Shubham ye sun ke confused ho jata hai. Aur apne papa ko ghurne lagta hai.
Dilip ( jor se ) " Ander aa jao. "
CHUUUU.......
Tap.... Tap... Tap....
Aur Dilip ke itna kahte hai. Us privet area ka door open hota hai. Aur ek aadmi ander aane lagta hai.
Wo ander aa kr Dilip ke aage apna sir jukha kr unhe greet karta hai.
Dilip ( Shubham se ) " Is aadmi ka name huntur Golu hai. "
Golu ( dono logo se ) " Hello sir !! Hello sir !!"
Dilip " Ye White Tiger guild ka ek huntur hai. Aur ye haal hi me hue Us Red Gate wale ghtna se jinda bachne wale hunturs me se ek hai. "
Ji ha dosto Golu aur koi nahi 1st C Rank huntur tha. Jo Red Gate se jinda bach gaya tha.
Shubham ( Golu ko dekh kr apne man me ) ' Red Gate ? '
' Aur ye Red Gate ka bacha hua huntur jise media se chupa kr rakha ja raha hai. Wo yaha kyu hai ? '
Dilip ( Golu se ) " Baith jao. "
Dilip ke kahte hi wahi indonk se dur rakhe hue ek chair pr Golu baith jata hai.
Dilip ( pyar se ) " Please mere bete ko batao ki us din tmhare sath kon tha ander Red Gate me. "
Golu ( Dilip ko dekh ke ) " Ji jarur. "
Golu ( Shubham ko dekhte hue ) " Well ! Waha hmare sath ek Hight school ki female huntur aur Mr. Rider the. "
Ye sun ke Shubham ko bahut bada jhatka lagta hai. Uski aakhe badi ho jati hai aur uska muh bhi shock se open ho jata hai.
Shubham ( apne man me ) ' Rider us Red Gate ke ander tha ? '
( Golu ko dekh ke ) " Tab to wo female huntur .... "
Golu ( Shubham ko dekh ke ) " Ji uska name Kirti tha. "
" Mr. Rider ka mai jitna sukriya karu utna kam hai. Quki sirf unki hi wajagh se hum Red Gate se jinda Wapas aa paye hai. "
Shubham ( Banawati haste huste hue ) " Hahahahaha..... "
( Apne man me ) ' Tabhi mai socho ki wo dono achanak se aise itna close kaise ho gaye the. '
' Rider aakhir tmne waha kya kya kiya hai ? '
Golu " Starting me hum sb bahut gussa hue the ki hmare Group ko 2 E Rank huntur join kr rahe hai Hmare traning session ko dekhne ke liye. "
Fir Golu waha par jo bhi hua tha wo sb Shubham aur Dilip ko batane lagta hai.
Shubham ( ye sub sun kr apne man me ) ' Ye to jahir si baat hai. Bhle hi mai iski ek bhi baat nahi janta. '
' Lakin mere se jyada Rider ki ability ke bare me aur kon janta hai. '
' Matlb ab sirf mai hi ek nahi hu jo Rider ke is secret ke bare me janta hai. '
' Ab mujhe mere papa se negotiation hi karna padega. Aur koi rasta nahi hai. '
Mai jaha ye sb soch raha tha. Wahi golu sari kahani batata rahta hi.
Golu " Lakin White Tiger guild wale mujhse kah rahe the ki mujhe Rider waha tha ye baat kisi ko bhi nahi batani hai. "
" Ye meri smjh se to bahar hai ki White Tiger guild walo ne aisa decision kyu liya hai. "
" Aur tabhi mujhe Chairman Dilip ke taraf se call aaya. "
Dilip ( golu ki taraf dekh kr ) " Huntur Golu itna kafi hoga. "
" Tum ab ja skte ho. "
Fir Golu waha se utha ke dono ko greet krte hue waha se bahr chla jata hai.
Dilip ( wapas se wo pad utha ke Shubham se ) " Tum ye baat to pahle se jante ho ki mai Qualified hunturs ke bare me information collect kr raha hu. "
" Aur jaise hi mujhe kisi 3rd party ka is ghatne me hone ka pata chla maine Red Gate ke ghatna ke bare me investigate Krna auru kar diya. "
" Lakin, maine aisi ummid nahi ki thi ki iska name tumhare Raid members ke list me hoga. "
" Mere sath negotiation karne ke liye ye bhut hi kharab time hai. "
" Tumhare Guild master ke Licence ko lene me Huntur Rider ne bahut jyada help ki hai. "
" Kya tum ye baat jante ho ki nahi ? "
Shubham ( apna sir niche kiye hue dhire se ) " Ji mai ye baat ache se janta hu. "
( Apne man me ) ' Mere aur mere bade bhai me koi bhi antar nahi hai. Quki usne bhi bahar logo se help liya hai. '
' Lakin mere papa ke paas ab aur koi wajah nahi hai ki wo mujhe select kre. '
Dilip ( Shubham ko dekh ke ) " Kya tumhe aur kuch kahna hai ? "
Shubham " please ! Kya aap The Heven Guild ko mere upar chod skte hai ? "
Dilip ( santi hai ) " Thik hai. "
Ye sunte hi Shubham surprise ho jata hai ki uske papa ne abhi kya such me yahi bola.
Shubham ( Surprise se ) " Huh ? "
Dilip " Mai The Heven Guild ko tmhare upar chorta hu. "
Shubham ( Surprise se ) " Lakin kyu ? "
Dilip " Jaisa ki tmne abhi kuch der pahle hi kaha tha. "
" Kisi bahari ke hatho me ye Guild dena bahut risky hai. "
" Aur kya maujhe jarurat hai aisa koi risk lene ki jbki mere paas tum ho ? "
Shubham " Lakin maine aapko Ullu banane ki kosis ki. "
Dilip ( apni jagah se khade hote hue ) " Kis tarah ka ullu Negotiation ke time aisi nakaratmak bate karta hai ? "
" Is ladke Huntur Rider ko. Kya tum ise The Heven Guild me la skte ho ? "
Shubham ( apne man me ) ' Aakhirkar mujhe ek chance mil hi gaya. '
" Haa papa mai apni puri kosis krunga. "
Dilip ( apne man me smile ke sath ) ' Aakhir ek Sher ka beta Sher hi hota hai. '
( Shubham se ) " Thik hai. Mai wait krunga. "
Dilip ( apne man me ) ' Mai apne The Heven Guild me 2 S Rank huntur ko rakhne ki kosis kr raha hu. '
' Ek to Aayat hai Huntur Guilds se aur dusra hai Ajay ko ki abhi retired ho cuka hai. '
' Anubhav jise ki Ultimate weapon bhi kahte hai, ke Hunters Guild me rahne tak Aayat us guild ki hamesa bs Vice president hi rah payegi. '
' Jbki mai use yaha The Heven Guild ka master banane ka offer dunga sath me financial back-up bhi dunga. Ye sb bato ka fayda utha kr mai use yaha bula skta hu. '
' Jabki Ajay ek helthy ladka hai. Aur abhi bhi ek huntur ki roop me active hai. '
' Usne retired hone ka faisala bs is liye liya quki wo JEJU island Raid me 3 baar fail ho gaya. '
' lakin ji Ant ki dead body Japan cost ke paas mili hai. Agr 4 th time JEJU island ke Ride ke liye team bani to mai use waha se apne team me la skta hu. '
( Shubham ki taraf dekh kr ) 'Ab dekhte hai, ki phle mai un dono ko is Guild me le kr aa pata hu. Ya pahle tum Huntur Rider ko is Guild me le kr aate ho. '
' isme bahut maja aane wala hai mere bete. '
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE DEAMON CASTLE
Mai dher sare Deamons ko maar krke apne dono hatho me unke khoon se sana hua dagger liye hue unki body ke upar khda tha.
Mai " Mujhe abhi bhi bahut aage jana hai. "
DING....
[ Ab tak aapne Deamons souls collect kiya hai : 309 / 10,000 ]
Aur in sb Demon's ko maar kr abhi tak mujhe kewal ek hi item bhut sara mila tha.
DING...
{ [ ITEM : Low grade Deamons ka horn ]
[ ITEM CLASS : NONE ]
[ TYPE : JUNK ]
[ Ek low grade Deamon ke head se aapko 2 patle horns milenge. ]
[ Deamons horn high grade ke magic ke liye ek material ka kaam karta hai. Aur ye kafi high price me milta hai. ] }
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Acha update thaUPDATE - 58
Ab tak aapne dekha dosto kaise mai apne ghar se naikl kar twins tower me Demon's castle ke ander chla jata hu. Jaha mujhe 10,000 Demon's souls ko collect karne ka task System deta hai. Mai Demon ko marne lagta hu. Wahi Shubham apne papa Dilip se The Heven Guild ke bare me baat krta hai. Tb uske papa huntur Golu ko bula kr usase Red Gate ki sari sacchayi Shubham ko bata dete hai. Ki use pata hai ki Rider ke karan hi use Guild master ka Licence mila hai. Lakin fir use Dilip use The Heven Guild dene ko maan jata hai. Lakin uski sart rahti hai Rider ko Shubham is Guild me le aaye.
AB AAGE....
INSIDE DEAMONS CASTLE
Mai is jagah ke sare Monsters ko maar kar wapas apne bag ko apne kandhe par latkaye khada samne ki taraf dekh raha tha.
Mai ( sub jagah thik se dekhne ke baad ) " Demon Castle ki starting ki difficulty uthni jyada bhi muskil nahi thi. "
" Aisa lagata hai ki ye area clear ho cuka hai. Ab yaha aur Deamons nahi hai. "
( Mare hue demons ki body ko dekh ke ) " In Monsters ke level jyada se jyada D Rank hi hoga. "
" Lakin fir bhi, in sub ne mujhe acha khasa experience diya hai. "
" Abhi ek LEVEL up hone ke liye mujhe lagbhag 9, C Rank ke DENGOUN ko clear karna hoga. "
" Lakin, kya mai yaha 4 hour me 1 level up nahi kr skta hu ? "
" Jaise jaise mera level increase ho raha hai. Mujhe agla level complete krne ke liye itna hi jyada EXP. Aur experience time ki jurat pad rahi hai. "
" Agar sidhe sabdo me kahi to ab mujhe aur grow karne ke liye bahut hi jyada mehnat krni pad rahi hai. "
" Jab mai Sachin se mila tha tab maine feel kiya tha. Mera abhi ka level lagbhag ek S Rank ke huntur ke equal hi hoga. "
" Aur unse bhi jyada strong banane ke liye mai apni is speed ko nahi rukne de skta hu. "
Is pure floor ko clear krne ke baad aakhir me mujhe ek uniq paper bhi milta hai. Usme kisi bahut hi purani bhasa me kuch likha hua tha. Jo ki meri smjh me nahi aa rahi thi. Isi liye mai use System ke help se check krta hu.
{ [ ITEM : ENTRY PERMIT ]
[ ITEM CLASS : ? ]
[ TYPE : ? ]
[ Demon Castle ke 2nd floor pr jane ke liye entry permit. ]
[ 1st floor pr floor movement magic circle me kaam nahi karta hai. ] }
Mai ( Entry permit ko dekh kr ) " Chlo ab 2nd floor pr chlte hai. "
" Floor movement magic circle.... "
Fir mere se kuch duri pr mujhe ek building dikhti hai. Jiske upar badlo ka ghera tha aur uske bich se ek golden ray nikal kr us building pr pad rahi thi.
( Mai usi building ki taraf dekh kr ) " Ye jarur waha hoga. "
" Koi ek Monster type Soldier bahar aao. "
BUZZZ.......
Mere itna kahte hi mere shadow Soldier me se Ice Bears ka leader mere samne aa jata hai. Aur apna sir mere paas jukha deta hai.
Mai ( ice bear leader ko dekh ke ) " Are ye to Ice Bears ka leader hai. "
" Ye to kafi bada bhi hai. "
" Kya ye ek heavy duty vehicle ki tarah nahi lagta hai ? "
Jump......
Aur mai ye sb sochte hue Ice Bear ke Leader ke upar jump laga deta hu.
Mai ( Ice Bears ka sir sahlate hue ) " Well ! Ab chlo. Hum chalte hai. "
" Huh ? "
Abhi Ice Bears ka leader kuch kadam chla hi tha ki wo ekdam se ruk jata hai. Aur mai apne samne dekhta hu to 3 Deamons khade the. Jo ki mere hi taraf dekh rahe the.
Mai ( Deamon ko dekh ke ) " Damm ! Ye sale harami Monsters mujhe paresan kiye bina nahi manenge. "
ROARRRR........
TAP... TAP... TAP....
Abhi mai itna hi bol paya tha ki Ice Bear ke Leader bahut teji se chillate hue un Monsters ke tarf jhpat padta hai. Aur apne ek hi attack se tino Monsters ko maar deta hai.
Mai ( ye dekh kr khusi se uska sar sahlate hue ) " Ye to pura pagal hai. Aaj aur abhi se tumhara name TANK hoga. "
" Jab tak hum magic circle na phuch jao. Rukna nahi. Bs bhagte raho. "
Aur mere itna kahte hi ice bear leader teji se bhagte hue Magic circle ki taraf bhgne lagta hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
WASHINGTON
UNITED STATES BUREAU OF HUNTURS
United States bureau of hunturs ki building ke ek floor pr BUREAU OF HUNTURS ke Deputy Director aur unke sath kuch log khade the. Un sabhi ne formal kapde aur suit pahna hua tha.
Aur us room ke ek side diwar me ek bada sa glass laga hua tha. Jiske help sewo log mirror ke dusreside baithe hue ek bandeko dekh rahe the.
Wo ek chair pr criminals ke kpde pahne baitha hua tha. Uske dono hatho me hathkadi lagi hui thi. Lakin wo aadmi akdam santi se aaram se chair par baitha hua tha.
Aur ye band koi aur nahi wahi A Rank DENGEON se naiklna hua human type Monster tha.
Deputy Director ( human type Monster ko dekhte hue ) " Kya ye wahi hai ? "
Ek employee ( apna sir jukha kr ) " Ha sir ye wahi hai. "
Deputy Director " kya tmne is aadmi ki identity pata karne ki kosis ki hai ? "
Employee " Ye dawa kar raha hai ki ye Ek Indian Huntur hai. "
Deputy Director " Lakin ek aadmi jo ki India se hai wo Earth ke dusre side yaha hmare yaha ek DENGEON me kaise aa skta hai ? "
Employee " Wo kah rHa hai ki wo 10 yr pahle ek Dengoun ke ander Gate ke band ho jane ke karan fas gaya tha. Aur jb isne apni aakhe kholi to isne kud ko USA me paya. "
Deputy Director ( sochte hue) " ye to ak aisi ghtna hai jispe kabhi yakin nahi kiya ja sakta hai. "
" Quki Na sirf ek A Rank Gate se aadmi bahar aaya hai. Balki A Rank ke kai huntur se bani hui Raid team is akeleke khilaf khich bhi nahi kr pa rahi thi. "
" Kya tmne abhi tak bs itni hi information ikatha ki hai ? "
" Tum log mil aur aur information ikatha karne me kyu nahi lage hue ho ?"
Employee " Hme bahut jyada shak hai ki ye human memory yaad rakhne wala koi Monster hai. "
" Bina kisi S Rank ke Hunter ke help ke bina. Agr hum isase puch tach krne gaye to ye puri WASHINGTON rajdhani hi khatre me pad sakti hai. "
" SCAVENGER GUILD se baat krne ke baad hme pata chla hai ki ek S Rank huntur hai yaha jo ki Hindi bolne me bahut acha hai. "
Deputy Director " Aur kya wo SCAVENGER GUILD ka main huntur Mr. Namit hai ? "
Employee " Ji ha sir ! Aapne sahi kaha. "
Deputy Director " To kya Tum logo ne unhe bulaya hai ? "
Employee " Ji sir wo bas apna kaam India me khtam krke wapas laut hi rahe hai. "
" Wo aaj raat tak yaha aa jayenge. To hum isase interrogation kal kar skte hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
NEXT DAY
UNITED STATES BUREAU OF HUNTURS BUILDING
Namit yaha aa cuka tha aur wo apne dono hatho ko paocket me dale hue BUILDING me enter krte hue apne man me kahta hai " kya bakwas din hai. "
" Ek kida jise mai apne kud ke hatho se marna cahta tha. Wo Red Gate ke ander fas kr marne chla gaya. "
" Time isase jyada kharab nahi ho skta mere liye. "
Deputy Director ko unka employee aa kr informed krta hai ki Namit aa cuka hai.
Deputy Director ( khush hote hue ) " Ye to bahut achi baat hai. "
" Are haa !! Is aadmi ka name kya tha ? "
Employee " Iska name bolna hmare liye thoda mushkil hai. "
" Iska name Adityanath hai. Jo ki kah raha hai wo ek India huntur hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE DEAMON CASTLE
Deamon Castle ka har ek floor ko Dekh kar aisa lagta hai ki, jaise ki waha ek puri duniya hi basa di gayi hai.
Her ek floor pr Ek Monster jo ke Entry permit liye rahta hai. Wo hmesa achank se hi samne aa jata hai.
Aur aap next floor tabhi ja skte hai. Jab aap us Monster se wo entry permit le lenge.
Agr is bade se tower me 100 floor hai to aap aisa kah skte hai ki yaha 100 alag alag duniya basi hui hai.
Aur dhire dhire karke
2nd floor....
3rd floor....
4th floor....
27th floor tak pahuch cuka tha.
Jaise jaise time bit raha tha. Mai bahut hi khatarnak speed se is tower me upar chdta hua ja raha tha.
Aur mai har floor ke sare Monsters ko marte hue hi yaha tak aaya tha.
Abhi tak mujhe Intermediate Grade ke Monsters mil cuke the. Jinko marne se mujhe 300EXP. Milta tha.
DING...
[ DOMINATOR'S TOUCH Skill ka level increase ho gaya hai.]
Mai is time bahut sare Deamons ke laso ke upar khada tha. Unko dekh kr mai kahta hu " Intermediate Grade ke jo Deamons hai ye jyada se jyada C Rank ke Monsters ke level ke hai. "
" High Grade ya usase bhi jyada strong Demon's se fight krne me jo difficulty aayegi wo inke mukable bahut jyada hi badh jayegi. "
" Jaise ki A Rank aur S Rank ke HUNTERS ke bich ka difference bahut hi jyada hota hai. "
" waise hi in Demon's ke mamle me bhi yahi hoga. "
DING....
[ Ab tak aapne Deamons souls collect kiya hai : 2,116 / 10,000 ]
Tap... Tap... Tap...
Mai 27th floor par bhi abki marne ke baad aage next floor ki taraf jane lagta hu. Aur kud se kahta hu " Meri main problem time ki hai. "
" Agar yaha such me hi 100 floor hai to sbse upar ke floor pr 1 week ke ander phuchna impossible hai. "
" Jb mujhe is Deamon Castle ka key mila tha to mai bahut hi jyada dar hua tha ki yaha ek S Rank DENGOUN hoga. "
" Lakin mera ye dar bhi yaha bitate hue time aur in boring fights se khtam ho gaya. "
Isi tarah mai aur upar ki taraf tower me jata hi rahta hu.
47th floor....
48th floor....
49th floor....
50th floor....
Jab mai 50th floor par phuchta hu to mujhe waha ek bahut hi bada aur bahut hi mote tond ( tummy ) wala Deamon milta hai. Uski puri body Red color ki thi. Aur uske Daat bahut bade bade aur nukile bahar ko niklne hue tha.Uski 3 aakhe thi aur Usne sirf kamkalo ka hi langot type bana ka kuch bana kr pahna hua tha.
Wo samne ek bade se apne Sinhasan par baitha hua tha. Uske right hath me ek bahut hi bada aur mota lakdi ka tukda type kakoi hatiyar tha.
Wo size me lagbhag 50 feet uncha to hoga. hi. Uske aage bahut sare chote chote Deamons khade the.
Mai us bade Deamon ki taraf dekhta hu to system se Mujhe uska name pata chalta hai.
[ Lower floor ka Raja, AVARICIOUS VULCAN ( lalchi vulcan ) ]
Aur jab mai uske paas hi niche chro taraf khde chote Demons ki taraf dekhta hu to...
[ VALCAN'S GUARD ]
In gaurds Deamons ke alawa bhi inke aage bahut sare low grade ke Deamons khade the.
Ye sb dekh kr mai apne man me kahta hu ' Ek Boss Grade ka Deamon. '
Aur mai apne SHADOW SOLDIER ko yaha bula leta hu.
Mai ( Lalchi volcan ki taraf dekhte hue ) " Ye Giant Deamon dikhne me kahtarnak lag raha hai. Ise mai smbhalta hu. "
" Chlo suru karte hai. "
BUZZZZZZ.......
FIRE......
BOOMMM.......
Aur mere itna Bolte hi mere army ke tino MAGICIAN'S apna hath ko upar hawa me utha ke ek sath ek spell Bolte hai.
Aur unke spell Bolte hi hmare smne khade low grade wale Deamons ke upar aag ke kai sare bade bade gole ek sath girte hai.
Aur bahut sare Deamons wahi pal bhar me bhasam ho jate hai.
Mai ( IGRIS aur IRON se ) " Jao Baki sub ko sambhalo. "
Run... Run....
Tap... Tap... Tap...
Mere itna kahte hi yaha se meri army aur udhar se VALCAN'S GUARD bhag kr ek dusre ke taraf jane lagte hai.
DING...
[ VALCAN'S GUARD ko ek ghuspaithiya ka pata chla hai.]
Mai apni STEALTH skill ka use krke apni jagah se gayab hote hue kahta hu " In sab se jldi hi cuktara pao. "
SWOOSSS..... TAKKKK.....
SWOOSSS..... AAAHHHH......
SWOOSSS...... KHACHAK......
Aur meri army ke sare log un VALCAN'S GUARD ke upar tut padte hai. Kaas karke IRON aur IGRIS ye to pura khar dha rahe the Un sb pr. Kisi Deamons ke attack ko IRON rokta to IGRIS jldi se apne sword se do tukdo me baat deta. Koi IGRIS se fight krne me busy hota to IRON use apne Axe se faad ke rakh deta.
Mai gayab hue ye sb dekh kr smile krte hue apne man me sochta hu ' Bhle hi ye guards high Rank ke Deamons hai. Lakin mai bhi ab tak niche ke floors me apne sath apne army ka bhi level increase kar raha tha. '
' Ye sare SHADOW SOLDIER mere Intelligence ke stat ke karna aur bhi jyada takatvar ho gaye hai. '
' Aur mujhe ye bhi nahi bhoolna cahiye ki meri Shadow ko save krne ki sankya bhi ab pahle se kafi increase ho gayi hai. '
' Apne Intelligence stat ko itna jyada increase krne ke karan Ab mere paas kafi Mana bhi hai regeneration ke liye. '
( Lalchi volcan ki taraf dekhte hue ) ' Lakin ye Deamon to apni jagah se bikul bhi nahi hil raha hai. '
' mujhe jldi se ja kr use maar dena cahiye. Ye to maine jitna socha tha usase bahut hi jyada aasan .... '
Abhi mai itna hi bol paya tha ki mai dekhta hu ki wo Lalchi volcan apni jagah se gayab ho gaya tha. Aur ye sb second se bhi bahut kam time me hua tha.
Aur mai turant hi piche mud kr dekhta hu to wo Deamon mere shadow Soldier ke samne hawa me tha aur uske hath ka wo lakdi bhi uske hath me upar ki taraf utha hua tha.
Mai ( ye sub dekh kr apne man me ) ' Ye kaisi speed hai ? '
BOOMMMMM..... TAKKKK....
CARCK.... CRACK.....
Aur agle hi pal wo Lalchi volcan apne us bade se lakdi ke tukde ko hawa me utha ke mere army ki taraf apni puri takat se maar deta hai.
Uske is Attack ko rokne ke liye IRON apne bade se shield ko uske lakdi ke tukde ke samne kar deta hai. Lakin ye attack itna powerful hota hai ki.
Jb ladki ka tukda wapas hatata hai to mujhe waha IRON, IGRIS aur mere sare army ke Soldiers gayab hote hue dikhte hai.
Itna hi nahi unke niche ki jamin bhi bahut buri taraf se tut fut cuki thi.
Mujhe ye dekh kr bahut jyada gussa aata hai. Aur mai apni puri takat ke sath uske muh ke paas ek mukka marte hue kahta hu " ye sala, harami. "
BISOOM.....
BOOOMMM.....
Aur mera punch ja kr us Deamons ko bahut teji se lagta hai. Aur bahut hi tej aawaj hoti hai.
DING....
[ Ab tak aapne Deamons souls collect kiya hai : 4,388 / 10,000 ]
{ [ STATUS ]
( Strength : 150 )
( Agility : 139 )
( Sense : 111 )
( Vitality : 109 )
( Intelligence : 109 ) }
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Rider bhot acha ja rha ha maza aa gaayUPDATE - 59
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mai sare Deamons ko marte hue 50thfloor tak ja phuchta hu jaha mere aur Lalchi volcan jo ki niche ke floor ka Raja tha ke bich fight chl rahi hoti hai. Wahi USA me us human type Monster ko UNITED STATES BUREAU OF HUNTURS wale pakd rakhe the. Aur usase puch tach krne ke liye Namit ko bulaya gaya tha.
AB AAGE......
BISOOM.....
BOOMMM..... BOOMMMMM.....
DHADAAMMMM.....
Aur mera punch us Boss Deamon ko itna jor ka lagta hai ki wo mere se bahut hi jyada dur ja kr girta hai. Raste me jitne bhi buildings aati hai. Wo un sb ko todate hue bs dur aur Bahut dur ja kr girta hai.
Mai ye dekh kr bahut jyada surprise ho jata hu. Aur kabhi apne hath ko to kabhi jaha Boss Deamon ja kr gira hua tha waha ki taraf dekhne lagta hu.
Mai ( surprise ke sath ) " Maine apna aapa kho diya aur use bahut jor se mara. Lakin wo itni dur ja kar kyu gira ? "
( Tabhi mujhe kuch yaad aata hai ) " Ahh !! To ye baat hai. "
" Mere stats.... "
" Maine ab tak apne strength me paglo ki taraf invest kiya hai. "
{ [ STATUS ]
( Strength : 150 )
( Agility : 139 )
( Sense : 111 )
( Vitality : 109 )
( Intelligence : 109 ) }
Lakin mai tabhi us Deamon Boss ki taraf dekhta hu. Aur meri aakhe badi ho jati hai.
TAP... TAP... TAP...
Quki wo un buildings ke malbo me se nikal kr bahar aa jata hai. Aur mere samne khada ho jata hai.
DING....
[ Lower floor ka Raja, AVARICIOUS VULCAN , WRATH skill ka use kr raha hai. ]
[ VULCAN ye status jab tak cahe tab tak maintain kiye rakh skta hai. ]
ROARRRRRRRRR..............
BUZZZZZZ.........
Is notification ke aate hi VALCAN'S KA BOSS bhaut hi tej gusse me chillata hai. Aur uske chillate hi uske body se red color ki energy nikal kr chro taraf se failne lagtai hai.
Aisa lagta hai ki waha ek bahut tej tufan aa gaya ho.
Mai usase bachne ke liye apne dono hatho se apne face ko chupate hue samne dekhne ki kosis krne lagta hu.
DING....
[ VULCAN'S BOSS ka status 50 percent increase ho gaya hai. ]
[ VULCAN'S BOSS ko ab bahut hi kam pain feel hoga. ]
Mai ( apne man me ) 'Ue to same wahi skill hai jo Gatekeeper KERBEROS use kr raha tha. '
RUN.... RUN....
JUMPPPP.........
Aur VALCAN'S BOSS mere taraf agle hi pal teji se bhagte hue aata hai. Aur mere kuch paas aate hi wo apne hath me pakde hue lakdi ke tukde ko hawa me upar utha leta hai. Mujh pr attack krne ko.
Mai ( ye sb dekh kr apne man me ) ' Ye to bahut tej ho gaya hai ?! '
' Mai is Attack ko rok nahi skta. Ye ek direct hit hoga. '
Tabhi achank se mere mind me kuch aata hai. Aur mai piche mud kr dekhte hue horse chillata hu " IRON !! "
Meri aawaj sunte hi IRON, jisne bhi ye attack hote hue dekh liya tha. Wo smjh jata hai. Mai kya kahna cah raha hu.
Aahhhhhhh.........
SWOOSSS.......
Aur agle hi pal IRON apne right hath me pakde hue apne bade se shield ko apni puri takat se mere taraf fek deta hai.
SWOOSSS.......
TADDDDDD........
Jise ki mai VALCAN'S BOSS ki taraf dekhte hue turant pakd leta hu. Aur agle hi pal mai shield ko apne dono hatho se pakd ke apne samne kr leta hu. Aur kud ko uske piche puri tarah se chupa leta hu.
BOOMMMMM.......
BADHAAMMMM..........
CRACK..... CRACK......
SWOOSSS.......
Aur mere itna karne tak VALCAN'S BOSS ka wo lakdi ka tukda mujhe piche chipaye shield par ja kr lagta hai. Aur mai wo attaito jhel jata hu. Lakin mere niche ki aas paas ki kafi jamin bhut hi buri tarah se tut gayi thi.
VALCAN'S BOSS fir se wo lakdi ka tukda hawa me Attack karne ke liye utha leta hai.
Mai ( ye dekh kr apne man me ) ' Mai ye kahtarnak Attack sirf apne strength ke karan hi jhel paya hu. Lakin mujhe jldi se koi jagah dekhni hogi jaha se mai iske upar counter attack kar sku. '
( Kuch sochte hue ) ' Iske algne Attack ke time hi mujhe counter attack krne ka time milega. Quki jb ye lagatar Attack kr raha hai to is time par jb iska hath wapas Attack ke liye power gain krne ko upar uthata hai aur wapas niche aata hai. To isme kafi time lagta hai. '
Jump.....
Aur jaise hi wo fir se apna hath upar uthata hai fir se Attack krne ko. Mai teji se apni jagah se jump krke mai uske is bade se body pr teji se bhagte hue jaise hi uske chest tak phuchta hu. Aur waha se ek jump laga deta hu uske muh ke taraf.
lakin tabhi Mai dekhta hu wo Demon Boss bhi meri harkat ko dekh leta hai. Aur wo apne hath me pakde hue lakdi ko mere taraf hi ghuma deta hai.
Mai ( ye dekh kr apne man me ) ' Shit !! Mai jb tak ki hawa me hu DEMON boss ke is Attack ko avoid nahi kr skta hu. '
' kaas mai apne body move kr skta. '
Tabhi mujhe ek idea aata hai ' Wait ! Apni body ko hila skta. '
Aur mai turant hi apne left hand ko utha ke samne ki taraf kr deta hu.
DING....
[ DEMINATOR'S TOUCH skill activate ho gaya hai. ]
Mai ' Bhle hi mai mai isko piche nahi dhkel sakta. '
' Mai kud ko is force ke sahare to piche dhkel skta hu.'
Sssssss......
SWOOSSS......
Aur hota bhi wahi hai. Meri is skill ke help se mai hawa me hi apne jagah se piche ki oor chla jata hu.
Aur VALCAN'S BOSS ka wo attack khali chla jata hai.
Tap....
Mai fir VALCAN'S BOSS se safe duri par niche jamin pr uthar aata hu aur VALCAN'S BOSS ki taraf dekh kr apne man me kahta hu ' Haa !! Maine kar dikhaya. Lakin ye attack mere bahut paas se ghujra hai. '
' Mai apne daggers se is VALCAN'S BOSS ko bs ek hi jagah chot pahucha skta hu. Aur wo jagah hai iska sar. '
' Lakin iske movement ki speed dekhne ke baad uske head ko aim karna bahut hi jyada khatarnak ho skta hai. '
' Lakin phle mujhe iske in ajib movements ko rokna hoga. '
Fir mai apne chro taraf dekhne lagta hu. Aur achank se hi mujhe apane samne ek badi si building bich se do part me tuti hui dikhayi deti hai. Jiska upar ka tuta hua part horizontally ho gaya tha wo bs rods ke sahare hi us building se tika hua tha.
Mai ( us building ko dekhte hue ) " mujhe ek aisi situation banani hogi jisase ye bach na sake. "
" Aur ye wahi hai. "
Run.... Run.....
RUN.... RUN.....
Aur mai apne jagah se us building ki taraf teji se bahgne lagta hu. Mujhe waha se bhagta hua dekh kr VALCAN'S BOSS ko bahut jyada gussa aata hai. Aur wo bhi paglo ki tarah mere piche bhagne lagta hai.
CRACK... CRACK.....
BOOM.... BADHAMMM.....
Us VALCAN'S BOSS ke itni teji se bhagne se aas paas ki kamjor ho cuki building tut kr girne lagti hai. Jagah jagah se rode bhi tutane lagti hai.
Us building ke paas pahuch kr mai kud se kahta hu " Abhi !! "
DING.....
[ SPRINT skill activate ho gaya hai. ]
Aur mai apni is skill ko activate krke apni full speed se us building se diwaro se upar ki taraf jane lagta hu. Aur jldi hi mai building ke tute hue part jo ki horizontally tha uske upar phuch kr niche dekhta hu.
Ab tak VALCAN'S BOSS bhi us building ke niche phuch cuka tha aur wo wahi niche khada ho kr mai kya kar raha hu wo dekh raha tha.
Mai VALCAN'S BOSS ko dekh ke kahta hu " bhale hi is baat ko tmne notice kar liya ho. Lakin ab tmhare liye bahut der ho cuki hai. "
Jump......
Aur itna kah kar mai wahi se building ki help leta hue bahut teji se niche VALCAN'S BOSS ki taraf kud jata hu.
Mai ( hawa me hi uske head ki taraf jate hue smile ke sath ) " ye tumhare liye bahut mushkil hai ki tum mujhe is speed se tmko chot pahunchane se rok pao. "
SWOOSSS.......
GHUPPPPPP......
ROARRRR..........
Aur jaise hi mai uske head ke paas puchta hu, apne dagger ki help se uske Head pr ek bahut hi bada aur deep cut kr deta hu.
Jisase VALCAN'S BOSS ki ek bahut hi tej pain bhari chikh nikal jati hai.
Uske waha sebahut hi jyada blood nikalne lagta hai.
Tap... Jump....
SWOOSSS........
GHUPPPP......
DHADAAMMMM....
Mai VALCAN'S BOSS ko marne ke baad niche jamin pr aa jata hu ap wapas se ek jump lagate hue jldi se VALCAN'S BOSS ke samne aata hu. Aur wapas se uske head me apna dagger pura hi ander daal kar usko chir dalta hu.
Aur wo VALCAN'S BOSS wahi jamin pr ek side me mar kr dher ho jata hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
RIDER HOUSE
Mere ghar me lock laga hua tha. Wiki meri small sister Kavya apne school gayi hui thi. Aur koi hum dono ke alawa waha nahi rahta tha.
To Do log jo ki mere bare me pata karne ya mujhse milne aaye the. Unhe aur koi idea nahi aata hai to aakhir me Wo mere neighbour se mere bare me puch rahe the.
Old woman ( my neighbour ) " Ek jawan ladka jo room no. 902 me rahta hai ? "
" Mujhe confirm to nahi hai. Lakin maine use kafi dino se nahi dekha hai. "
CHUUU.....
Itna bata wo apna ghr me andar ja kar apna door lock kr leti hi.
Mere bare me pata krne jo do log aaye hue the wo aur koi nahi Manoj aur Ragini the. Dono log is time formal kapdoe the. Aur apne suit ko apne hatho me liye hue the.
Manoj ( mere ghar ki taraf dekhte hue ) " Aakhir huntur Rider gaya kaha hai ? "
Ragini " Uski choti bahan bata rahi thi ki, wo apne frnd ke sath ek week ke liye kisi trip par gaya hai."
Manoj ( Ragini ko dekhte hue ) " Aur Miss. Ragini ko ye baat aakhir kaise pata hai ? "
Ragini " Mai Kirti ke sath contact me hu. Jo us din Rider ke sath Aayi thi Raid me. "
" Maine usase hi ye baat puchi thi. Wiki wo Rider ke choti sister ke bahut close hai. "
( Nirash hote hue ) " Hum itni dur usase milne aaye. Lakin sari mehnat bekar gayi. "
Manoj ( kuch sochte hue ) " Nahi ! Yaha kuch to gadbad hai. "
" Quki uske Country chor ke jane ka koi bhi surakh nahi hai. "
" Filhal ke dino me Na hi uske paise nikalne ka aur na hi uske Credit card use krne ka koi records samne aaya hai. "
Ragini ( Surprise hote hue ) " Aap log ye sb bhi pata lagane me sakcham ho ? "
Manoj " Well ! Mera job hi hai hunturs ko follow karna. "
" Aur hunturs association ke tracker ke hisab se aakhiri baar wo twins tower ke paas hi paya gaya tha. "
" Ye kafi mysterious nahi lagta hai ? "
Ragini ( fikar krte hue ) " Sayad use kisi ne kidnapped kr liya ho ? "
Manoj ( smile krte hue ) " Huntur Rider aur kidnapped ? "
" Usko kidnapped krne ke liye India ki special unit jo ki high Rank hunturs ko mila kr banayi gayi ho wo lagegi. "
" Miss Ragini Red Gate me huntur Rider ki ability dekhne ke baad bhi aapko ye baat nahi pata hai kya ? "
( Sochte hue ) " Aakhir is puri duniya me wo kaha gayab ho gaya hai ? "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice update ab yo rider ka aba Vv aa gya haUPDATE - 60
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mere aur VALCAN'S BOSS ke bich fight ho rahi hoti hai. Jisme ek break hui building ke help se mai use kafi buri taraf se injured kr deta hu.
Wahi mere ghr par Manoj aur Ragini mere se milne aate hai. Lakin ghar lock dekh kr wo mere neighbour se mere bare me puchte hai. Usase bhi unko kuch pata nahi chal pata hai. Manoj sochta hai ki mai aakhir kaha gayab ho gaya hu.
AB AAGE.....
Ab tak VALCAN'S BOSS ke Gaurds bhi sare mare ja chuke the. Matlb ab is floor par bhi koi Deamon jinda nahi bacha tha.
Mai VALCAN'S BOSS ke mari hui body ke paas aa ke khada ho jata hu. Aur dekhta hu to usne marne ke baad 4 item drop kiye the.
Mai ( charo item ko dekhte hue ) " Jaisa ki ek Boss type Monster se ummid ki jati hai. Iske dhwara giraye hue Item bahut hi jyada ache hai. "
Mai sbse phle us lakdi ke hi ek part ko jo ki lagbhag 5 feet ka tha, ko utha ke dekhta hu jisase wo mujhe marne ki kosis kr raha tha.
DING...
{ [ INGREDIENT ITEM : WORLD TREE FRAGMENT ]
[ ITEM CLASS : ?? ]
[ TYPE : INGREDIENT ]
[ VALCAN'S CLUB ke corrupted part ko nikalne ke baad bacha hua lakdi ka tukda. Jo ki WORLD TREE' S BRANCH se bana hua hai.
WORLD TREE ke ladki me bahut hi powefull magic hota hai. Aur ye highest quality ki magic item ke ingredients ke roop me use hoti hai. ] }
Mai " Highest quality ki magic item ke ingredient ke roop me use hogi... "
" Mai ise aise hi nahi fek skta hu, jabki abhi mai iska kya use hai ye bhi thik se nahi janta hu. Mai kisi na kisi din iska kya use hai wo pata kar hi lunga. "
Fir mai us lakdi ke tukde ko inventory me store kr leta hu.
Uske baad mujhe Jo dusra item dikhta hai wo ek earring rahta hai. Jo ki sirf ek kaan ka tha. Aur wo dikhne me baki earring se bhi bahut alag tha.
{ [ ITEM : DEMON MONARCH'S EARRING ]
[ ITEM CLASS : S ]
[ TYPE : Accessory ]
[ + 20 strength , + 20 Vitality ]
[ Pure set ka effect kaam krega, jb ye item in chijo ke sath pahna jayega.
:- DEMON MONARCH'S NACKLACE
:- DEMON MONARCH'S RING
Set Effect 1 :- ( locked )
Set Effect 2 :- ( locked ) ] }
Mai " Is item me ek set Effect bhi hai ? "
" Kya mai iske set ke baki item bhi yaha dundh paunga, agr mai yaha aise hi Demon's ko marta raha to ? "
" Ummid krta hu ki mai bahut jldi hi wo sb bhi paa lu. "
Aur fir me us earrings ko aone left kaan me phan leta hu. Ye item bhi kisi ko nahi dikhega. Sirf mai hi ise dekh skta hu piche ke sabi item ki tarah.
3rd item jo mila tha VALCAN'S HORN hi tha. Jo ki mujhe suru se hi yaha aane ke baad se milta hi ja raha tha.
Ab mai last item ko utha ke dekhta hu. Jo ke ek Orange color ki ek ball ke size ki Orb thi.
{ [ ITEM : ORB OF AVARICE ]
[ ITEM CLASS : A ]
[ TYPE : Magic Item ]
[ High Rank Deamon VALCAN ke blood ko jama ke banaya gaya ek Orb.
Ye magic ke Effects ko kai guna increase kar deta hai. Jisase Enemy ko jyada damage ho.
EFFECT - ' Desire for destruction ' : ' Double Magic Damage ' ] }
Mai ( Orb ko utha ke dekhte hue ) " Iske to bahut hi amazing Effects hai. Agr mere paas magic skills hoti to,Mai ise kud se hi use krta. "
" Ye magic se hone wale damage ko double kr skta hai. "
DHAM... DHAM... DHAM...
Abhi mai kuch soch hi raha tha ki, Mujhe mere piche se kuch aawaj aati hai. Aur jab mai piche mud kr dekhta hu to. Mai surprise ho jata hu.
Quki IGRIS apne aas paas ke sare Deamons ke sir ko kaat krke ek side ikatha kr raha tha.
Mai ( IGRIS se ) " Kya tum ye karna band kr skte ho ? "
Meri baat sunte hi IGRIS apne ek ghutne par baith kr apne sir ko hila kr mujhe ha kr deta hai. Sath me mafi bhi mangta hai.
Mai ( ek rahat ki saas lete hue ) " Tumhara bahut bahut sukriya. "
Kar.... Kar.... Kar...
Abhi mai ye sb IGRIS se kah hi raha tha ki mujhe fir se ek side se kisi bhari chij ke ghsitne ki aawaj sunayi deti hai.
Aur mai aawaj ke Director me dekhta hu to apna sir hi pit leta hu.
Wiki IRON VALCAN'S BOSS ke pure body ko ghasitate hue ek jagah le ja raha tha. Aur mere se kuch duri pr le ja kar wo ruk jata hai. Aur uske body ke side me khada ho ke model ki taraf pose dene lagta hai.
Clap... Clap... Clap...
Aur uske paas hi kade mere army ke kuch Soldiers IRON ke liye taliya bajane lagte hai.
Mai " IRON bhi same wahi kaam kr raha hai."
( Apne man me ) ' mujhe bolna to nahi cahiye, lakin ise to maine mara hai. '
Fir mujhe yaad aata hai ki maine IRON se shield li thi.
Ye yaad aate hi mai IRON se kahta hu " Thik hai, Quki tmne apni shield mujhe udhar di thi. To hum aisa kah skte hai ki tmne meri help ki thi. "
" Shield ? "
Tabhi mujhe ek idea aata hai.
Mai ( apne man me ) ' sayad.... '
Aur mai IRON ke paas hi khade taliya baja rahe apne MAGICIAN'S ko apne paas aane ka isara krte hue kahta hu " Magic unit, aisi bekar ki bato par dhyan dena choro aur yaha aao. "
Aur jaise hi wo mere paas aate hai. Mai ek magician ke hath me wo Orb dete hue kahta hu , mere samne kuch duri par khade ek building ki taraf isara karte hue kahta hu " ye lo aur us building ko jala do. "
Mere itna kahte hi jis MAGICIAN ne wo Orb apne hatb me pakde hue tha. Wo ek spell bolta hai. Aur uska jo hath khali tha use building ki taraf kar deta hai.
BUZZZZZZ.....
BOOMMM....
Aur agle hi second uske hath se aag ka bahut hi bada gola nikl kr us building ki taraf jati hai. Aur us building ko pura chaknachur kar deti hai.
Fir wo magician mujhe Orb wapas se de deta hai.
Mai ( orb ko dekhte hue ) " Incredible. "
( Apne man me orb ki discription dekh kr kahta hu ) ' Maine ek baat to notice nahi ki. '
' Yaha aisa kuch bhi nahi likha hai ki mai ise kisi aur ko de nahi skta hu. '
' ye to kisi bhi magic type huntur ko akdam pagal bana dega. '
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
UNITED STATES BUREAU OF HUNTURS BUILDING
Us human type Monster ko aaj fir se usi room me hathkadi laga kr chair par baithaya gaya tha. Uske samne Namit baitha hua tha.
Namit ( smile krte hue ) " Mujhe bilkul bhi ummid nahi thi ki jaise hi mai Wapas USA me aaunga. Mujhe yaha aisi interesting chij sunane ko milegi. "
" Itna amazing hai. "
" Ek Monster jo ke human ki language bol skta hai ? "
" Aur wo bhi Hindi. "
Aloknath ( niche table pr dekhte hue ) " Hey ! Maine kaha na ki mai koi Monster nahi hu. "
" Agr tmhe mere identity par koi shak hai to tum mera DNA ya aur koi test karwa sakte ho. "
Namit " Isase koi fark nahi padta hai. Hme tumse sawdhan rahna hoga Wiki tum ek Gate ke ander se aaye ho. "
" Kay jamana aa gaya hai ki ab Monsters bhi apne aap ko human batane lage hai. "
Ye sunte hi Aloknath Namit ko ghur ke dekhta hai. Aur Namit bhi aisa hi karta hai.
Namit ( thoda sakthi se ) " Ye tumhare liye hi acha hoga agar tum mere sath cooperat karo to. "
" Quki mai hi decided krunga ki tum Monster ho ya nahi. "
Itna kah kar Namit table par rakhe hue ek pad ko utha leta hai. Jisme Aloknath ki details likhi hui thi. Lakin use abhi padhta nahi hai.
Namit ( kud ko saant krte hue ) " Tum sahi kah rahe ho. "
Namit " To kya tum DENGEON ke ander mare gaye the ? "
" Agar nahi to fir tumne 10 yr uske ander survive kaise kiya ? "
" Kya tum mare nahi ? "
Aloknath " Nahi ! "
Namit " To kya aisa koi jo DENGEON ke ander mar gaya ho. "
" Tumhare tarah wapas aa skta hai ? "
( Apne man me ) ' Agr aisa hua to mera bhai bhi wapas aa skta hai. '
Aloknath " Ye impossible hai. Jo DENGEON ke ander mar gaye hai wo kabhi bhi Wapas nahi aa skte hai. "
" Mai bhi tmse ek swal puchna cahata hu. "
Namit " Yaha swal sirf mai puch skta hu. Tum nahi. "
Aloknath ( Namit ko dekhte hue ) " Gate aur Monsters.. Aakhir tum is topic ke bare me kitna jyada jante ho ? "
Namit koi bhi jawab nahi de pata hai.
Wahi mirror ke dusre side Inko dekhte hue ek employee deputy Director se kuch kahna cahta hai " Deputy Director ...... "
Deputy Director ( samne dekhte hue ) " Chup raho. "
Namit " Tm kah rahe the ki tum kuch jante ho ? "
Aloknath " DENGEONS, Gates, Monsters.... Ye sb aur kuch nahi real war ke hi ek trailer hai. "
" Aur jo sbse bada khtra hai un sb me use wapas se jage hue jyada time nahi hua hai. "
Namit " To tumhara main goal kya hai ? "
Aloknath " Is hone wale sbse bade khatre ko rokna. "
Namit " Aur ye aaj tak ka sbse bada khtra aakhir hai kya ? "
Aloknath " Mai abhi uske bare me kuch kah nahi skta hu. "
Namit ( smile krte hue )" Ek aadmi jo ki duniya ke sbse bade khatre ko rokne wapas aaya hai. Wo sbse bada khtara aakhir hai kya uske bare me hi nahi batana chahta hai."
" Tumhe nahi lagta hai ki hum sab log sath me is par kaam kare to jyada acha hoga ? "
Aloknath " Kitnse sare log uske khilaf khade hai isase koi fark nahi padega use. "
" Yaha tak ki agar hum normal logo ko bhi ek sath ekatha kr le tab bhi we sb kisi kaam ke nahi honge. "
" Ye baat tum kud phle se smjhte hoge quki tum bhi thode bahut strong ho. "
Namit ( Surprise hote hue apne man me ) ' Thode bahut ? '
' Tumhari himmat bhi kaise hui mujhe kud se itna kamjor sochne ki. '
" Isiliye kewal tum hi use rok skte ho ? "
" To tmse aur baat karne ka ab koi fayda nahi hai. "
Aur Namit us pad ko padhne lagta hai.
Namit ( pad ko dekhte hue apne man me ) ' Iska name Aloknath hai. '
( Pad me lagi uski photo dekhte hue ) ' Agr iske balo ko cut krke chote kr diye jaye to ye bilkul aisa apne photo ki tarah hi dikhega. '
' lakin iski age itni jyada nahi badhi hai jbki ye 10 year DENGEON ke ander bita kar aaya hai. '
Namit ( pad ko read keke aloknath se ) " Tmhare din huntur banane ke baad kafi ache bite honge. Tmne us age me acha khasa paisa banaya hoga. "
" Ab yaha ek grading system hai. Aur mere level par tum bina kisi tention ke apni life ko ji skte ho. "
" Aur tumhe is new age ko apnana Cahiye. "
" Tmhari wife ka name Kavita hai. "
" Tmhare 2 bache hai. "
" Aur tumhara beta hai..... "
Namit jaise hi aloknath ke bete ka name padhta hai use bhut bada sadma lagta hai.
Namit ( aloknath se ) " Tumhe apne beti ka name yaad hai ? "
Aloknath " Kavya. "
Namit " Aur bete ka name ? "
Aloknath " Rider. "
Ye sunte hi Namit ke face pr ek bahut badi evil smile aa jati hai. Jise Aloknath ne bhi notice kar liya tha.
Aloknath ( Namit ki taraf dekhte hue ) " Ye abhi tmne kya kiya ? "
" Kya ye bloodlust hai ? "
Namit ( evil smile ke sath ) " Maine tmse phle bhi bola na yaha swal sirf mai puch skta hu. "
Aloknath " Mai tmhara jawab sunana chahata hu. "
Dono log ab apne energy ko halka halka release krne lagte hai. Jaha Namit ki body ko dhire dhire dark Red color ki energy cover krne lagti hai. Wahi aloknath ko golden colour ki energy cover krne lagti hai.
Namit " Aur agr mai jwab na du to ? "
Aloknath " Maujhe tab force Krna hoga batane ke liye. "
Namit " Tum kitne arrogant ho. "
" Aur ye bhagwan ne mujhe ek dusra mauka diya hai. "
BEEPPP.....
Aur itna kah kr usi table pr Namit ke side me rakhe hue ek red button ko press krke Namit kahta hai " Thik hai, tum jarur ek Monster ho. "
" Deputy Director ye aadmi ek Monster hai."
" Aur bahut hi jald ye Attack krne wala hai. Aapko ye jagah jldi hi khali karwa deni chahiye. "
Deputy Director ( Surprise se ) " Kya ? Ruko ! "
Uske baad Namit us button ko chor deta hai.
Namit " Mai abhi haal hi mai India se waps yaha aaya hu. "
" Aur mujhe tumhare bete ke abhi ke situation ke bare me bahut ache se pata hai. "
( Evil smile ke sath ) " Tumhara beta mar cuka hai. "
" Aur tum ab sidhe apne bete ko apni wasiyat sup skte ho. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE DEAMON CASTLE
Mai aage tower me aur upar ke floor pr sbko marte hue badhta ja raha tha. Aise hi ek floor par mai khada tha. Aur mere samne dead logo ko army thi. Wo floor pura kabristan jaisa lag raha tha. Jagah jagah kante the.aur unke upar wahi bhagwan ka nishan.
Aur mere samne kankalo ki ek puri aarmy khadi thi. Kisi se head me arrow to kisi ke headme sword ghusa hua tha.
Ye sb kisi horror Hollywood movie ke scene jaisa lag raha tha. Lakin in sb ko bhi dekh kr mujhe dar bilkul nahi lag raha tha. Mai bilkul santi se unke samne kuch duri par khada tha.
Aur in sare dead logo ki badi si army ke piche ek bade se darawne Throne pr ek aur kankal wala Deamon baitha hua tha. Jo in sb ka boss tha. Uske gale me khopdiyo ki mala thi. Aur usne fate hue black color ka ek maatr kapda pahna hua tha.
Meri taraf dekh kr wo apni aarmy ko apne ungliyo se Attack krne ka ishara karta hai.
Uske aisa karte hi mai kahta hu " IRON aur IGRIS mere liye ek rasta banao. "
Tap... Tap... Tap....
ROARRRRRRRRR....... SWOOSSS.....
BOOM... BOOM...
Aur mere itna kahte hi meri army ja kr in dead logo ki Army pr tut padti hai. IRON aur IGRIS to bahut jyada strong ho gaye the ab wo bhi puri taraf se kahar dhaa rahe the dead army pr.
Inke raste me jo aa raha tha. Wo ek hi Attack se khtam ho ja raha tha.
Ye sub dekh kr dead logo ke Boss ke face ka expression change hone lagta hai.
Mai ( Boss ko dekh kr smile ke sath ) " Mere bache kitne jyada strong hai. Ye dekh kr Tum surprise ho gaye ho ? "
Aur jb boss meri taraf dekhta hai to mai ek bahut bade se Kabra ke upar khada tha aur mere piche bahut bada sa red moon dikh raha tha.
Ye dekh kr wo Deamon Boss darne lagta hai.
Mai ( smile ke sath ) " Tumne aisa kuch hone ki ummid nahi ki thi na. "
" Kya mare hue logo ko bhi dar ka ahsas hota hai. "
" Well ! Is baat se koi fark nahi padta hai. "
Run... Run....
SWOOSSS.... SWOOSSS.....
SWOOSSS..... SWOOSSS.....
Aur mai apni jagah se full speed se bhag kar uske paas jata hu. Aur apne dagger se dher sare war kr deta hu. Uske body ke sare kankal elg elg Direction me pade hue hote hai. Aur wo kab ka mar cuka tha.
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aise hi banaye rakhiye !!
Bhot he zada kamal.ka update haUPDATE - 61
[ Note :- Aaj ke update me system ke notification bhut jyada hai. Jiske wajah se aapko aaj ka update short lag skta hai. Lakin ye aaj ke Update me dikhaya gaye System ke sare content bahut jaruri hai. Aage ke story ke liye. So jitna short ho ska maine kiya hai. So aaj ke Update short hai is baat ka complaint mat kariyega.
thank you]
Ab tak aapne dekha dosto ki mai Lower floor ke Demon King ko maar ke jo 4 item mile the. Unko apne paas rakh leta hu. Uske baad mai aage upar ke floor pr badhta hi rahta hu. Tabhi ek floor pr mujhe dead logo ki ek army milti hai. Jinse fight karke mai unke boss ko aur meri army wale uske army ko maar dete hai. Wahi Namit jb Aloknath se investigation kar raha hota hai to wo use ek bahut bade khatre ke bare me batata hai. Fir Namit ko details se pata chalta hai ki wo Rider ke Pita hai. To wo deputy Director ko jaan bujh kr kahta hai ki wo Monsters hai.AB AAGE....
INSIDE THE DENGEON
Yaha ab bs chro taraf kankal hi kankal pade hue the. Aisa lag raha tha jaise kankalo ka ek pahad ban gaya hai.
Mai Deamon Boss ko marne ke baad un kankalo ke upar aaram se baitha hua tha. Aur mere samne hi Deamon Boss ke kankal pade hue the.
Aur tabhi mere paas system ke notification ki baadh si aa jati hai.
Ding....
[ Aapne souls ko Guide krne wale Metus ko maar diya hai. ]
[ Aapko Gunjate Forest ka Spring water mila hai. ]
[ Aapko 200,000EXP mila hai.]
[ DEMON boss Metus ke Gale ke haar me jo souls kaid the. Wo sare paye gaye hai. ]
[ Aapko 220 Deamon soul mile hai. ]
[ Aapka 2 Leveled up ho gaya hai. ]
Mai ( DEMON boss Metus ko dekhte hue ) " Is Demon ka magic powerfull tha. Aur ye 100 se bhi jyada logo ko summouned kr skta tha, mere se bhi jyada. "
" Isi liye mai ise bhi apna Shadow soldier banana cahta tha. Lakin... "
DING....
[ Mana contamination ( dushit) hai. ]
[ SHADOW Extraction possible nahi hai. ]
Mai " Mujhe ye notification mila System se. "
" Aur isi karan mai ise apna shadow Soldier nahi bana paya. Aur na hi mai kisi aur Deamons ko apna Shadow soldier bana paya hu ab tak. "
" Aur is Boss Grade ke Monster ne ye necklace chora hai. Mere liye. "
Actually me wo ek hasiyo se bana hua ek NACKLACE se jiske center me ek chota sa Skelton ka sir tha.
{ [ ITEM : DEMON MONARCH'S NACKLACE ]
[ ITEM CLASS : S ]
[ TYPE : Accessory ]
[ + 20 Agility, + 20 intelligence]
[ Pure set ka effect kaam krega, jb ye item in chijo ke sath pahna jayega.
:- DEMON MONARCH'S EARRING ( Pahna hua hai )
:- DEMON MONARCH'S RING
Set Effect 1 :- ( locked )
Set Effect 2 :- ( locked ) ] }
Aur mai turant hi us NACKLACE ko apne game me pahn leta hu. Mere pahnate hi us NACKLACE se white color ki ek energy niklne lagtai hai. Aur thodi der me gayab ho jati hai.
DING....
[ SET EFFECT ITEM :-
Set Effect 1 :-. +5 All stats
Set Effect 2 :- ( locked ) ]
Mai ye notification dekh kr khusi se " Are wahh ye set Effect to 5 times leveled up krne ke equal hai. "
" Abhi is set Item ka ek aur piece bacha hua hai. "
" Iska matlab yaha abhi ek aur BOSS grade ka Monster bacha hua hai. "
" Is set ko pura karne ke liye mujhe ek aur boss Monster se abhi face off Krna hoga. "
" Lakin ye QUEST to abhi hi pura ho gaya hai. "
DING....
[ Ab tak aapne Deamons souls collect kiya hai : 10,001 / 10,000 ]
Mai ( upar dekhte hue ) " Aur filhal yahi meri limit hai. Mere me ab aur strength nahi bachi hai ki mai yaha se aur aage ja pau. "
DING...
[ NORMAL QUEST : DEMON'S ke souls ko collect karna ( part 1 ) pura ho gaya hai. ]
DING...
{ [ Aapko ye sare REWARDS mile hai. ]
[ 1. Jo aap caho wo ek item.
2. BONUS stats +20
3. Hidden reward. ] }
Mai ( system ki taraf dekhte hue ) " Reward no. 1 ko accept krta hu. "
Ding...
[ REWARD 1 ]
[ Aap koi bhi ek item chun sakte hai. ]
[ Please koi ek item select kijiye. ]
Aur mai fir store ko open karke usme se weapons dekhne lagta hu.
Mai ( weapons dekhte hue ) " Kya mujhe koi aisa item select Krna cahiye jiski price store me billion of Gold ho ? "
" Mujhe pura yakin hai, aise weapon me bahut hi amazing abilities hongi. "
" Lakin mai to DENGEON se hi hamesa koi na koi weapon pata rahta hu. "
" Aur jaise jaise din bitate ja rahe hai. Mujhe aur bhi ache weapons milte hi ja rahe hai. "
" Agr mai aise hi bina soche samjhe items select krta raha to, aakhir me mujhe ye sare item store ko wapas se sell krne padenge. "
" Mujhe kuch aisa select Krna hoga. Jiski such me mujhe jarurat ho. "
Kafi der sochne ke baad mere dimak me ek baat aati hai.
Mai ( smile karte hue ) " CURSED RANDOM BOX. "
DING...
[ Aapne CURSED RANDOM BOX ko select kiya hai. ]
Aur mere right hath me ek black color ka chota sa box aa jata hai. Jo ki ek yellow ribban se pack tha.
Mai yaad karne lagta hu ki last time jb maine HIDDEN DAILY QUEST ko pura kiya tha to mujhe 2 options mile the select krne ke liye.
Jinme 1st tha BLESSED RANDOM BOX aur 2nd tha CURSED RANDOM BOX.
[ BLESSED RANDOM BOX :-
( Isme se wo item niklega jo player cahta hai. ) ]
[ CURSED RANDOM BOX :-
( Isame se wo item niklega jiski jarurat player ko hai. ) ]
Mai "Jisame se maine BLESSED RANDOM BOX ko select kiya tha. Jisme se hi mujhe DEMON'S CASTLE KE DOOR ka key mila tha. "
" Aur iska sukriya kahna cahiye quki isi ke karan mai yaha aa kr apne level ko itna increase kar paya hu. Sath me mujhe itne jyada rare item mile hai. "
" Uske baad maine apne DAILY QUEST ko Kauai baar 2guna complete kiya lakin mujhe fir kabhi bhi koi aur Reward nahi mila. "
" Aur isi karan mai bahut jyada utsuk hi ki aakhir CURSED RANDOM BOX se mujhe kya milega. "
" Open ! "
ZZZZZ.....
Aur mere open kahte hai. Wo black box open ho jata hai. Aur usme seek Golden colour ki light niklne lagti hai. Jo kuch hi second me band ho jati hai.
Aur mere hath me ek black color ki key aa jati hai.
Mai ( key ko dekh ke ) " Ek aur key ? "
[ NAME : ? ]
[ ITEM CLASS : ? ]
[ TYPE : ? ]
Aur key ki description dekhte hi mai bahut jyada shocked ho jata hu.
Mai " Maine aaj tak koi bhi item bina description ke to nahi dekhi hai. "
" Aakhir is key ka kya use hoga ? "
" Koi baat nahi. Mai ek na ek din iska koi use dundh hi lunga. "
Itna kah kar mai us key ko apne inventory me store kr leta hu.
Mai " CURSED RANDOM BOX ke anusar ye mujhe koi aisa item dega jiski mujhe Future me jarurat pad sakti hai. "
" To jarur ye koi important item hi hoga. "
( System ki taraf dekh kr ) " Mai ab REWARD no. 2 ko accept krta hu. "
DING...
[ Aapko Bonus stats + 20 point milta hai. ]
Mai " mai apne in sare point ko apne intelligence me add krta hu. "
Aur itna kahte hi sare +20 point mere stats me add ho jate hai.
Ab mera Status kuch aisa tha.....
{ [ STATUS ]
( Strength : 178 )
( Agility : 147 )
( Sense : 119 )
( Vitality : 137 )
( Intelligence : 149 )
( AP : 0 )
-------------------
( Remaining point : 0 )
[ Physical damage reduction : 46percent Equipped ] }
Mai " Aur akhir me... "
" Mai REWARD no. 3 ko accept krta hu. "
DING...
[ Aapne REWARD no. 3, Hidden reward ko select kiya hai. ]
Is notification ke aane kebaad mere right hand me fir se ek Golden colour ki light chmakne lagti hai. Aur kuch hi second me mere hath me ek paper hota hai.
Mai ( apne hath me golden ray dekh kr ) " CURSED RANDOM BOX ko dekhne ke baad ab mujhe Hidden reward se utni jyada high expectations nahi hai. "
DING....
[ RECIPE : HOLY WATER OF LIFE ]
[ Iske use se aap HOLY WATER OF LIFE ko kaise banate hai, ye sikh sakte hai. ]
Mai ( confused ho kr ) " HOLY WATER OF LIFE ? "
" Ab ye kya hai ? "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
IN USA
BUZZZZ...... BUZZZZ.....
BOOMMMM......
CRACK.... CRACK.......
DHAMMM... DHAMM....
BUREAU OF HUNTURS ki building puri taraf se tut gayi thi. Lagbhag 50+ floor se jyada ki ye building is samay ek khandhar se kam nahi rag rahi thi. Aur building ka malba charo taraf faila hua tha. Wo to acha hua tha ki Deputy Director ne puri building ko khali karwa diya tha isi liye koi mara nahi tha. Lakin kafi log injurd ho gaye the. Charo taraf bs aag hi aag lagi hui thi. Wo bhi koi normal nahi bahut hi bhayankar aag.
Fire brigade ki na jane kitni gadiya khadi charo taraf se aag ko bujhane ki puri kosis kar rahe the.
Lakin unko bhi kafi mehnat krni pad rahi thi.
Lakin kuch hours ke baad slowly slowly wo aag par kabu pane lagte hai.
Fireman ( chilla kr apne co worker se ) " Haa jaldi se idhar pani se aag bujhao. "
Wahi in sb se thodi duri par khade Deputy Director apne kuch employee ke sath ye sb dekh rahe the.
Employee ( samne dekhte hue ) " Maine suna to tha ki jab S Rank ke ladayi hoti hai to, aas paas ka wo pura ilaka badal kr bikul barbad ho jata hai. "
" Lakin Battle ko bs itne hi damage ke sath khatam kar dene me wo aloknath sakcham hai. Iska matlb hai ki... "
Deputy Director ( samne dekhte hue ) " Tum sahi kah rahe ho. "
" Ye bahut hi buri baat hai. "
" Bahut hi jyada buri baat. "
" Aur huntur Namit bhi ghum ho gaya hai. "
" Abhi tak wo hme nahi mila hai. "
" Isase phle ki wo aur jyada tabahi failaye hame use dundhna hi hoga. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
AN HOSPITAL, DELHI
MID NIGHT
Hospital ke ek normal se privet room me, bed pr ek woman leti hui thi. Uski aakhe band thi. Aur uske sir ke side me kai sare medical machin lage hue the.
Jo ki us woman ke condition ke bare me bata rahe the.
Tabhi us room me ek ladka enter krta hai.
Ye ladka koi aur nahi Rider hi tha. Aur wo woman koi aur nahi meri maa hi thi.
Quki mera DEMON'S CASTLE me filhal ka mission pura ho gaya tha. Aur abhi mujhe kuch rest ki bhi jarurat thi to mai waha se wapas aa gaya tha.
Aur mai apne ghr se ek baar fresh hone ke baad sidha yaha hospital aaya tha apni Maa ke paas.
Quki baat hi kuch aisi thi.
Mai ( apni Maa ki taraf dekh kr ) " Maa !! "
Fir mai wahi paas me rakhe ek stool ko le ja kar apne maa ke sir ke paas baith jata hu.
Mai apne hath me HOLY WATER OF LIFE ko banane ka wo paper nikal kr dekhne lagta hu.
{ [ RECIPE : HOLY WATER OF LIFE ]
[ Iske use se aap HOLY WATER OF LIFE ko kaise banate hai, ye sikh sakte hai.]}
{ [ HOLY WATER OF LIFE ]
[ ITEM CLASS : S ]
[ TYPE : Pine layak ]
[ Ek rahsymayi aushdhi. Jo ki apne powerful magic ki help se kisi bhi bimari ko thik kar sakti hai. Iska Effect tabhi kaam karega jab is aushdhi ki puri bottle pi li jayegi. ] }
Mai " Ek aisa item jisase ki mai koi bhi bimari sahukar skta hu. Usko banane ka tarika mujhe is QUEST Se mil gaya hai. "
( Apni Maa ki taraf dekh kr ) " Aisa mai ise bana paya to meri Maa... "
" To mujhe total 3 item cahiye HOLY WATER OF LIFE ko banane ke liye. "
" Jisme se 1st item jo ki WORLD TREE'S FRAGMENT hai. Wo maine 50th floor ke Boss VALCAN'S ko maar kar le liya tha. "
" SPRING WATER OF THE ECHOING FOREST ( Gunjane wale jangal ka Spring water ) jo ki 2nd item hai wo mujhe 75th floor ke boss METUS ko hara kar mil gaya hai. "
" Aur akhiri item hai PURIFIED BLOOD OF DEAMON KING. "
" Main abhi tak is item ko nahi dundh paya hu. Lakin ye baat to jahir si hai ki ye item kaha milega. "
" Baki ke bache hue upper ke floors par. "
" Aur jaha tak mujhe lagta hai. DEAMON CASTLE ka boss jo hai wo sbse upar ke floor par hoga. "
" Iska matlab agr maine DEMON'S CASTLE ko clear kar liya to mere paas HOLY WATER OF LIFE banane ke liye tino item honge. "
" Maine apne level ko sirf ek week me hi DEMON CASTLE ke ander 16 level increase kar liya hai. "
( Apni muthi kaste hue ) " Ab mai definitely ek S Rank huntur hunga. To ab mujhe kisi se bhi darne ki jarurat nahi hai. "
( Apni Maa ki taraf dekh kr ) " Maa bs kuch din aur wait kr lijiye. "
" Bahut hi jaldi mai aapko bikul thik kar dunga. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
AFTER SOME DAY,
INDIAN HUNTURS ASSOCIATION, DELHI
Yaha ke ek room me Man baitha hua tha jiska name Kishan tha. Jiski age lagbhag 40+ thi. Aur usase hi kuch duri par ek aur young age ka ladka aur ladki apne apne chair pr baithe hue the. In sb ne white shirt nd black paint pahne hue the. Aur gale me tie thi. Tino bilkul formal kapdo me the.
Aur unkha dhyan samane T. V. Me chl rahe news par tha.
" Jab se USA BUREAU OF HUNTURS me wo Mysterious explosion accident hua hai. Tab se hi USA me bahut hangama macha hua hai. "
" Aisi afwahen sunane ko mili hai ki ye accident S Rank hunturs ke niche hue fight ke karan hua hai. "
Kishan ( news dekhte hue ) " Ye duniya ke end ki shuruaat hai. Hunturs ab ek problem ban gaye hai. "
Tap... Tap... Tap...
Tabhi us room me ek huntur aata hai. Jise dekh kr young man Kishan se kahta hai" Assistant manager Kishan ek huntur aaya hua hai. "
Fir Kishan us huntur ko dekhta hai. Aur apne dono co worker se baki process puri karne ko bol deta hai.
Young man ladki ke kaam me dhire se " kabhi kabhar , kuch aise hunturs bhi hote hai, jo apni reality ki inki jo abhi ki RANK hai wo accept nahi kr pate hai. Aur yaha chle aate hai. "
Ladki ( huntur ki taraf dekh kr ) " To kya ye bhi aisa hi koi huntur hai ? "
Young man fir se ladki ke kaan me kahta hai dhire se " Ye sb sir me dard kar dete hai. To isko bas itna smjha do ki kitna cost pay karna hoga. Aur ise re-evaluation room ki taraf bhej do. "
Girl employees " Thik hai. "
Fir young man us huntur ka form utha kr dekhne lagta hai aur apne man me kahta hai ' Iska name... Kaha likha hai yar... '
' haa mil gaya... Iska name .....'
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
WHITE TIGER GUILD'S BUILDING
Sachin Yaha apne office ke ander apni chair pr baitha hua kuch files dekh raha tha.
TRIN... TRIN.... TRIN...
Tabhi uske samne table pr rakhe hua phone baj uthata hai. Sachin call receive krke phone ka speaker on kr deta hai.
Sachin " Ha mai Sachin bol raha hu. Kahiye aapko kya kahna hai ? "
Sachin ko phone krne wala aur koi nahi wahi young man tha jo abhi us huntur ki details dekh raha tha.
Wo is time apne office ke cafeteria me ek saant aur khali jagah me aa kr Sachin se baat kar raha tha.
Young man ( dhire se ) " Ahhh !! Mr. Sachin !"
" Ye us huntur ke bare me hai. Jiske bare me aapne mujhse kuch din phle baat ki thi. "
" Wah such me yaha aaya hai. "
Sachin ( Surprise ke sath ) " wah abhi waha hai ? "
Young man " Ha usne abhi kuch der pahle hi apply kiya hai.
" Huntur Rider yaha apna Rank re-evaluated krwane aaya hai. "
Wahi us room ki lady employee ko bhi us young man ne huntur Rider ko ache se treat krne ko bol diya hai. Wo sari formality puri karke smile krte hue mujhse kahti hai " Aap mere piche aa jayiye. Mai aapko Guide krti hu. "
Mai ( apne dono hath pocket me dale hue ) " Ji thik hai. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aise hi banaye rakhiye !!
Fainaly rider be baan gya S rank hunterUPDATE - 62
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mai 75th floor tak phuch cuka tha Twins tower ke ander. Aur METUS ko marne ke baad mera QUEST bhi complete ho jata hai. To mai METUS ko maar kr jo item mila tha wo aur QUEST complete hone pr jo REWARD milta hai wo sb le kr waha se bahar aa jata hu. Aur mai fir raat me apni Maa ko dekhne ke liye hospital me jata hu. Aur unke bs kuch din aur mera wait krne ko kahata hu.
Wahi USA me Aloknath, Namit ko bahut buri taraf pit kr puri building thod kr waha sebhag jata hai.
Kuch dino baad mai apne re-evaluation karwane huntur Association jata hu.
AB AAGE.....
Mai Re-evaluation room ke bahar rakhe chair pr baitha hua tha. Mere alawa waha 3 log aur baithe hue the. Sayad unko bhi apna test karwana tha. Hum sb saanti se baithe hue the. Aur test room ka door close tha.
CHUUUU.........
Tabhi Test room ka door open hota hai. Aur ek young ladki us room se bahar aati hai. Usne bhi uniform pahni hui thi . Ye bhi aha ki employee thi. Jo is department me kaam karti thi.
Girl ( ek ladke ki taraf dekh kr ) " Next kon hai ? Please ander aa jayiye. "
Tap... Tap... Tap....
CHUUU......
Aur hum logo ke sath hi bitha hua ek ladka khada ho kar uske piche test room me chla jata hai. Wo bahut hi jyada nervous lag raha tha. Aur un dono ke ander jate hi test room ka door fir se close ho jata hai.
Mai ye sb dekh kr apne man me ' Yaha kuch bhi nahi badla hai. Sub kuch waisa hi purane dino ki tarah hai.'
Kuch der ke baad hmare bich hi baitha hue ek blue jacket phne hue ek ladka smile krte hue kahta hai " Nervous hone ki koi jarurat nahi hai. "
" Kuch aise log hai, jinki jindgi bilkul ulat gayi hai inke test results ke baad. Lakin ye uthi aam baat bhi nahi hai. Aise bahut hi kam log hai. "
( Piche khade kuch logo ki taraf hath se ishara karke ) " Lakin agr tmhe D Rank ya uske upar ka koi Rank mila to, tumhe in scouts logo me se koi ek apne Guilds me aane ka offer denge. "
Hum jaha baithe the. Usase kuch duri par hi kafi log khade se unke se bahut se log scouts the. Jo ki kisi na kisi guild se the. Aur wo yaha test room se apna Rank pata krke nikalne wale hunturs ko turant hi apne apne guild me aane ka offer dene lagte hai . unke rank ke hisab se unko offer diya jata hai.
In logo ke sath bahut se hunturs khade baat kr rahe the. Jo ki aaj hi apne Rank ka result jaan paye the.
Mai ( un sb ki taraf dekh kr ) " Scouts ? "
Blue jacket boy " Ha !! Ye sare log bahut se alag alga small Guilds se hai. "
" Quki small Guild ko jyada hunturs join hone ke liye nahi jate hai. To wo sb yaha unka wait karte hai. Aur jaise hi wo apna Evaluation ka result le kar bahar aate hai. Wo un hunturs ko apne guild me join hone ke liye attract karte hai. "
" Lakin in Guilds ko join na karna hi acha hoga. "
" Quki ye Small Guild aaye din Dangerous Raid ko attempt krte rahte hai. Jiske karan inmen marne ke chances bahut jyada hota hai. "
Mai ( apne man me ) ' Lakin ek samll Guild ke najariye se dekha jaye to. Wo aise hi low Rank ke DENGEON ko clear karke apna kaam nahi chla skte hai. Jaise koi person Raid team krti hai. '
' Quki isase unko profit nahi ho payega. Isi liye wo High Rank ke DENGOUN ko clear krne ki kosis krti hai. '
' Lakin High Rank DENGOUN ko clear krne ke liye inke paas utni ability nahi hoti hai. To aise case me hunturs ki death to hogi hi. '
' Mere past time me ye sb nahi tha chlo acha hai. '
CHUUU.......
Tap... Tap... Tap....
Ek baar fir se Evaluation room ka gate open hota hai. Aur jo ladka kuch time pahle ander gaya tha wo apna muh latkaye hue usase bahar nikalta hai.
Boy " Aisa kaise ho skta hai ? "
Uske piche wo lady employee bhi niklti hai.
Lady employee " Next kon hai ? Please andar aayiye. "
Tap... Tap... Tap...
Ye sunte hi blue jacket wala ladka khada ho jata hai. Aur smile nd confidence ke sath ander jate hue mere aur bache hue ek aur aadmi ki taraf dekh kr kahta hai " Agr tum apne expectations ko apne dimak se bahar nikal do, to tum utne jyada nervous feel nahi kroge. "
" Jb tak ki tum ek E Rank huntur nahi bante. Tmko apne liye khana ke liye paise earn krne me koi problem nahi hoga. "
Itna kah kar wo us lady employee ke sath ander chla jata hai.
Tabhi mere bagal me baitha hua ek 40+ age ka aadmi bahut jyada dar ke sath kud se kahta hai " Agr mai Ek bade Guild me ja paya to mai ache paise kama paunga. "
" Tab mai apne sare lone cuka skta hu. "
" Mai apni beti ke sath purane dino ke jaisa fir se rah paunga. "
" C Rank ! "
" Mujhe kam se kam C Rank milna hi chahiye. "
Mai ( apne man me ) 'Sahi baat hai Rank bahut se logo ki life badal skta hai. '
' Ek huntur ke strength ka pata uske Rank sehi chlta hai. '
' Isase koi fark nahi padta hai ki kisi ne apne body ko kitna jyada train kiya hai. Ya kisi ne tarwarbaji ki kitni jyada prectice ki hai. '
' Isase unke Rank me jo Gap aata hai. Usko nahi bhara ja sakta hai. '
' Aur isi tarah aap income me bhi hone wale difference ko ignore nahi kar sakte hai. '
' Jaise ki ab is baat ko hi dekh lo ki bhale hi Mr. Rahul ne apne talwarbaji ki salo tak prectice ki hui hai. '
' Vo Anil ke khilaf bilkul bhi nahi tik paye the Wiki dono ke Rank me antar tha. '
' Mai kud kai salo se Raid krta aa raha hu. Lakin mai kud apne E Rank se Tag se bhag nahi skta. '
' Lakin ab.... '
CHUUU......
Tap... Tap... Tap....
Tabhi fir se door open hota hai. Aur phle wo blue jacket wala ladka bahar nikalta hai. Uska face akdam blank tha. Use dekh kr aisa lag raha tha jaise jiske body se uski aatma nikl gayi ho.
Blue jacket boy ( bhut jyada dukh ke sath upar dekhte hue ) " M.... Mai ek E Rank huntur hu. "
Tap... Tap.. Tap..
Tabhi uske pice se wahi lady employee nikl kar bahr aate hue kahti hai " Next kon hai ? Please andar aayiye. "
Next turn mere bagal me baithe use aadmi ka tha. Lakin Blue jacket boy ki baat sun kr wo bhut jyada dar jata hai. Usko dar se bahut jyada pasina aane lagata hai.
Lady employee ( us aadmi ko dekh kr ) " aap kud ko bimar to feel nahi kar rahe hai ? "
Aadmi ( dar ke sath ) " N... Nahi ! Aisi baat nahi hai. "
( Meri taraf dekh kr ) " Mai abhi thoda Nervous feel kr raha hu. "
" Kya tum mujhse phle ander jana pasand karoge ? "
Mai " Thik hai. "
Tap... Tap... Tap....
Aur mai us lady employee ke piche piche us evaluation room ke ander chla jata hu. Aur door band ho jata hai.
Us Room ke ander kuch duri pr ek 4 feet ka bada sa black color ka gola ek stand ke upar rakha hua tha. Uske niche ek pletform bana hua tha. Aur us Black gole se kafi sare wire connected the. Jo ki kuch dui pr rakhe ek badi si machin se jude hue the.
Lady employee ja kr us machin ke samne khdi ho jati hai.
Lady employee ( Meri taraf dekhte hue ) " Aapka name kya hai ? "
Mai ( lady employee ko dekh ke ) " Mera name Rider hai. "
Lady employee ( machine me meri details dekhte hue apne man me ) ' huh ? Ise phle se hi E Rank mila hua hai. '
( Mujhse ) " Kya tum Re-evaluation ke liye aaye ho ? "
Mai " Yes. "
Lady employee ( gusse se apne man me ) ' Hmesa jab bhi koi re-evaluation ke liye aata hai wo ek E Rank wala hi kyu hota hai ? '
( Meri taraf dekh kr ) " please apna hath samne rakhe Black crystal pr rakhiye aur thodi der wait kriye. "
Aur mai apna hath black crystal pr rakh deta hu. Aur mere hath rakhte hi black crystal se powefull aura bahar ki taraf niklne lgta hai.
Lady employee ( machine ke screen ki taraf dekhte hue thode surprise ke sath apne man me ) ' huh ? Ek error ? '
( Mujhse ) " please thodi der aur rukiye. Mai fir se kosis karti hu. "
Kuch der baad bhi screen me same wahi chij dikhata hai.
Lady employee ( paresan hote hue ) " Huh ? Aisa aaj se phle kabhi nahi hua hai. "
" Mujhe maaf kriyega. Mai ek baar fir se kosis krti hu. "
Mai lady employee ki baat sunte hue santi se black crystal pr apne hath rakhe hue uski taraf dekhta rahta hu.
Lady employee ( paresan hote hue ) " Aakhir is machin ko ho kya gaya hai ? "
Tap... Tap... Tap....
Tabhi room me wo young man aata hai. Jisne Sachin ko call keke mai yaha aaya hu ye baat batayi thi.
Young man ( lady employee se ) " Kya hua ? Aur tumhara senior kaha gaya ? Tum yaha akeli kyu ho ? "
Lady employee ( machine ko check krti hui ) " Wo washroom break ke liye gaye hue hai. "
Young man " Wo aadmi busy hours me apne kaam ko chor kar aise gayab ho gaya hai. "
( Apne man me ) ' Are mai bhi to same wahi kaam kar raha hu. '
( Lady employee se ) " To mujhe ye batao kya problem hai ? "
Lady employee " Yaha detector ke sath kuch na kuch gadbad hai. "
Young man ( apne man me ) ' Mai to yaha bs isi liye aaya hu. Quki mai ye janan cahta hu ki Sachin ne aakhir is huntur ke bare me jo kaha hai. Kya wo such hai ya wo mere sath ek majak kar raha hai. '
' Ummm ! Aisa kabhi nahi ho skta. Double awaking koi aam baat nahi hai. '
' Kya ye 3 month phle wala hi huntur hai ? '
' Jab pure association me ye baat faili hui thi ki ek E Rank huntur double Awakened hua hai. Aur kud Monitoring division ke head usko milne gaye the. '
' lakin baad me pata chla tha ki kuch bhi nahi hua hai. '
Lady employee ( machine ke screen ki taraf young man ko dikhate hue ) " Yaha dekhiye abhi bhi Error dikha raha hai. "
Lakin young man ka dhyan abhi bhi screen ki taraf nahi tha wo abhi bhi apne man me soch raha tha ' Aise sirf ek ya do log nahi hai. Jo apne paise ko barbad karte hai kud ko re-evaluation krwa kr..... '
Tabhi young man ka dhyan machin ke screen ki taraf jata hai. Aur uska muh pura ka pura khula rah jata hai. Uski aakhe akdam se badi ho jati hai. Wo bahut jyada shocked ho jata hai.
Young man ( lady employee se ) " Tmhe yaha kaam karte hue kitna time ho gaya hai ? "
Lady employee " Mujhe yaha kaam karte hue lagbhag 6 months ho cuke hai. "
" Kya maine kuch galat kiya hai ? "
Young man ( machin ke screen ko dekhte hue apne man me ) ' 6 months... '
' aakhir baar aisa kuch 2 year phle tab hua tha jab Aayat ka Evaluation hua tha yaha par. Uske baad se ye pahli baar hai jo aisa kuch hua hai. To isme koi surprise ki baat nahi hai ki naye employee is bare me nahi jante honge. '
( Lady employee se ) " Nahi ! Tmne kuch bhi galat nahi kiya hai. "
" Jao jaldi apne senior ko yaha bula kr lao, Abhi turant. "
Lady employee ( confusion ke sath ) " Huh ? "
Young man ( apne man me ) ' Maine bhi is huntur ki quality ko nahi pahchana. Isi liye mera promotion nahi ho pata hai. '
" Washroom is samay jaruri nahi hai. Jao aur jldi se use yaha bula kr lao. "
Lady employee " Assistant manager aapko ho gaya gaya hai ? "
" Aapko pata hai na wo male bathroom me honge."
Young man ( lady employee se ) " Ye koi error nahi hai. Ye immeasurable hai. Kya tmne abhi bhi smjh me nahi aaya iska kya matlba hota hai ? "
Lady employee apni nack ko na me hila deti hai.
Young man " Iska matlb hai ki hamara detector is huntur ki magic power ko measure krne me sakcham nahi hai. "
Lady employee ( thode surprise se ) " To iska kya matlab hua ? "
Young man ( mere taraf dekh kr ) " Ye ladka India ka 10th..... !! "
" Ha tmne sahi socha hai. "
" Ye ek S Rank huntur hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
OUTSIDE OF THE
INDIAN HUNTURS ASSOCIATION BUILDING
Indian Huntur association building se hi kuch duri pr ek saant jagah pr 2 aadmi aapas me kuch baat kar rahe the.
Unme se ek ne hunturs association ki uniform pahni hui thi. Nd dusre aadmi ne light pink color ki check formal kapde pahne hue the Suit nd shirt, paint . Pink uniform wala aadmi sigrate pi raha tha. Uske hair bikul red color ke the.
Pink suit aadmi ( smoke krte hue ) " Chief Anurag mai aapse huntur Namit kebare me kuch puchna cahta hu ? "
Ja ha dosto huntur association wala aadmi koi aur nahi Anurag hi tha.
Anurag " Ji puchiye !! Aap kya puchna cahte hai ? "
Pink suit aadmi " Kya ye such hai ki Haal hi me hue Red Gate wale incident se uska koi connection nahi hai ? "
Anurag " Ji ha, jaisa ki aap soch rahe hai. Huntur Namit wo bahri huntur nahi tha jisne unki help ki Red Gate ko clear krne me. "
" Mai aapko kud is baat ki garrenty de skta hu. Quki mai kud incident ke place par maujood tha. "
Pink suit aadmi " Tb to tm ye bhi jante hoge ki wo bahri huntur kon tha jisne unki help ki. "
Anurag " Mai waha par Gate ke clear hone tak nahi tha. To mere paas exact details nahi hai. "
" Agr mujhe kisi par suk karna ho to... "
( Apne man me ) ' Nahi ! Last time ke incident ki tarah Mai fir se kuch bhi aise hi nahi soch skta hu. '
Pink suit aadmi " Tum tak tak apne muh se kuch bhi nahi bologe jab tak ki tum is baat ko le ke confirm nahi ho jate ho. "
" Mai smjhta hu tumhari baat ko. "
" Waise bhi mai usase jyada is baat me curious hu ki ek Ant paya gaya hai wo bhi wings ke sath. "
Anurag " Hmne abhi bs ek body pati hai. Lakin agar ye baat confirm ho gayi ki wo bina mare us iceland se fly karke mainland ja skte hai to..."
" Nahi mujhe yakin hai usase pahle Guild ko waha bula liya jayega. "
Pink suit aadmi " Mai smjhta hu. "
" Aur HUNTUR GUILD isme pura sath dega. "
( Side me ek building ki taraf dekhte hue ) " Waise building B se aaj kuch jyada hi aawaje aa rahi hai. "
Anurag ( same building ki taraf dekhte hue ) " Building B ? "
" Maine to kuch bhi nahi suna. "
Pink suit aadmi " Mai kuch jyada hi sensitive hu. "
Anurag ( sochte hue ) " Koi new huntur apne Rank ke karan waha halla macha raha hoga."
" Mai ja kar waha par check krta hu. "
Pink suit aadmi ( apni sigrate ko bujhate hue ) " Nahi ! "
" Mai bhi thoda utsuk hu janane ko. "
Anurag ( uski taraf dekh kr apne man me ) ' Kya inhone fir se kuch sense kiya ? '
' Inke jentle impression ke karan. Mai lagbhag ye baat bhool hi gaya tha. Ki aakhir ye kaise aadmi hai. '
Pink suit aadmi " Chlo sath me chalte hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE BUILDING
Sare chij check krne ke baad mujhe evaluation room se bahar wait krne ko bol dete hai.
Aur kuch der baad wo sb employee mere paas aate hai aur kahte hai " Um... Hmare abhi ke detector ke sath aapki Magic power ko hum measure nahi kar sakte hai. "
" Mujhe apne Higher authority se permission leni hogi. Taki hum aur bhi jyada precise detector use kr sake. "
" To kya aap please 3 din baad yaha fir se aa skte hai ? "
Jaise hi ye sari bate waha room se bahar khade sare log aur scouts sunte hai. Sb akdam shocked ho jaye hai. Aur surprise ke sath aaps me bate karne lagte hai.
" Kya ye is ladke ka Evaluation postponed kr rahe hai ? "
" Kya isne such me abhi immeasurable kaha ? "
" Iska matlba kya ye ladka ek S Rank huntur hai ? "
" Maine to aaj tak bs is bare me afwahen hi suni thi. Lakin aaj apni inhi do aakho se mai immeasurable ka witness ban raha hu. "
Kuch scouts apne man me kah rahe the.....
' 10th S Rank huntur !! '
' Ye koi aisa banda nahi hai jo kisi small Guild me jayega. '
' Lakin kya ek opportunity nahi hai ? '
' kya mujhe apni akhe band karke bs ek baar try Krna cahiye ? '
' Mere paas kuch influence hai . To sayad mai.... '
' hmare guild ke paas itna fund nahi hai ki hum ek S Rank huntur ke sath negotiation kar sake. '
Tabhi mere sath phle baitha hua aadmi kahta hai employees se " H.... Hey mera bhi Evaluation kro. "
Lady employee " y... yes !! "
Tabhi ek scout entry gate ki taraf dekh kr chillata hai " Are ye to.... "
Sare log entry Gate ki taraf dekhne lagte hai. Aur abki aakhe ek baar fir se badi ho jati hai.
Aur sare log aaps me kahne lagte hai.
" Aisa nahi ho skta. "
" India ke best Guild HUNTURS ke..... "
" HUNTURS GUILD ko present krne wala..... "
" Ye to A.... Anubhav hai. "
" Ek huntur jise THE ULTIMATE SOLDIER kaha jata hai. Wo yaha kyu aaya hai ? "
Ye Anubhav koi aur nahi wahi Pink suit pahne aadmi tha.
Aur usne hi abhi yaha entry kiya hai. Anubhav dikhne me ek bahut hi smart, good looking nd saant dimak ka huntur hai. Wo apne face pr hamesa apna power wala ek chsma aur ek polite smile rakhta hai.
[ HUNTURS GUILD ]
(1. India ki no.1 Guild.
2. India ki ek matra Guild jisme 2 S Rank huntur hai. )
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aise hi banaye rakhiye !!
Ya to Xabhi apny saaat la.ka ja rha haUPDATE - 63
Ab tak aapne dekha dosto ki mai Evaluation room me jb apna re-evaluation karwane jata hu to screen pr error show karne lagta hai. Jiske bare me new employee ko kuch nahi pata tha to wo sochti hai machin kharab ho gayi hai. Lakin young man aa kr usko iska matlb batata hai. Bahar jaise hi chote guild ke scouts ye sunte hai. Sare shocked ho jate hai. Wahi kuch bahar duri par Anurag aur Anubhav aaps me Red Gate aur Ant Monsters ke bare me baat kar rahe hote hai. Tab achanak se Anubhav kuch sense krta hai. Aur Anurag ke sath Building ke ander aata hai. Jaha sare log use dekh kr ek baar fir se shocked ho jate hai.
AB AAGE.....
ANUBHAV
S - RANK HUNTUR
GUILD MASTER OF HUNTURS GUILD
Mai bhi Anubhav ko ab tak dekh cuka tha. Aur Quki mai bhi ab S Rank huntur ke jitna powerful ho gaya tha to mujhe Anubhav ka aura bahut ache se feel ho raha tha.
Mai ( apne man me ) ' Ye aadmi to Anubhav hai na ? '
' Logo ka kahna hai ki apne Top class ke fire magic ke sath, ye bina jyada mehnat kiye apne sirf ek spell se ek puri Building ko wipe out kr skta hai. '
' Ek huntur jise log THE ULTIMATE SOLDIER ke name se bhi jante hai. '
' Mere nick name ka origin. '
Aur ye sb sochte hi mere face par ek badi si smile aa jati hai.
Tap... Tap... Tap....
Anubhav chl kr mere samne aata hai. Tab tak baki ke log aaps me kuch bate kar rahe the.
" Kya ye phle se hi Fix hai ki ye ladka HUNTURS GUILD join karega ? "
" Kya HUNTURS GUILD wale phle se hi is ladke ke bare me jante hai ? "
" Such me Top ke Guild ka ek alag hi level hai. "
" Tabhi to Evaluation se pahle hi unko iske bare me pata hai. "
" HUNTURS GUILD ke Master kud yaha aaye hai. Is ladke se milne.... "
Anubhav ke piche hi Anurag bhi chal kr meri taraf aata hai. Aur mujhe dekhte hi surprising ke sath apne man me sochta hai ' Huntur Rider ? '
' Kya ye such me ek S Rank huntur hai ? '
Anubhav ( apne chasme ko sahi karte hue mujhe dekh ke apne man me sochta hai ) ' Aisa kabhi ho hi nahi skta ki immeasurable Result ke karan ho rahe itne jyada shor gul ko mai ignore kar du. '
' Ye ladka 10th.... '
Quki Anubhav bhi ek S Rank huntur tha. To wo bhi mere body se niklne wale powefull aura ko ache se feel kr pata hai.
Anubhav ( apne man me ) ' Mujhe kisi detector ki jarurat nahi hai. '
' Bina kisi shak ke Yah ek S Rank huntur hai.'
' 3 din rukane ka to koi swal hi nahi hota hai. '
Anubhav smile ke sath apne hath age badha kr mujhse kahta hai " Mera name Anubhav hai. Mai HUNTURS GUILD ka representative hu. "
" Aisa lag raha hai ki tmne abhi hi apna evaluation karwaya hai. Kya tumhare mind me phle se hi koi Guild hai. "
" Agr nahi to mai tumhara kuch time lena cahunga. Taki hum dono is bare me baat kar ske. "
Tap... Tap... Tap....
Abhi Anubhav ki baat bhi nahi puri hui thi ki mai chl kar uske aage nikal jata hu. Aur bina piche mude waise hi usase kahta hu " Mujhe maaf karna. Lakin mai pahle hi naa karta hu."
Tap... Tap... Tap...
Aur itna kah kar mai Entry Gate se bahar nikal jata hu.
Meri baat ko sun kr Anubhav ki to bolti hi band ho gayi thi. Uska face akdam blank ho gaya tha.
Ye dekh kr aur hum dono ki bate sun ke waha khade sare aaps me kahne lagte hai.
" Ye kya ? "
" kya abhi is ladke ne Anubhav ko mana kar diya ? "
Aise hi aur na jane kya kya sb kah rahe the.
Lakin mai bahar aa kar apne man me sochta hu ' Fir se re-evaluation hone me abhi 3 din aur lagenge. '
' Mujhe bahut sare kaam bhi karne hai. '
' mujhe jldi se jldi Demon's castle me ja kr 3rd ingredient find karna hai. Aur medicine banani hai. '
Jabki itna sub hone ke baad bhi Anubhav ko abhi bhi yakin nahi ho raha tha ki maine use mana kar diya.
Anubhav ( Anurag ki taraf dekh kr ) " Anurag, kya mai abhi kud ko introduce karna bhool gaya tha ? "
( Apne man me ) ' Kya mai uske sath jabardasti kr raha tha ? '
Fir Anubhav piche mud kr mujhe dekhta hai. Lakin mai waha se kab ka ja chuka tha. Mujhe kahi bhi na paa ke anubhav smile ke sath kahta hai " Wo yaha se bina koi awaj kiye gayab ho gaya. "
" Ye jarur ek excellent ASSASSIN type huntur hoga. "
( Apne man me ) ' Agr ye ladka hmare HUNTURS GUILD ko join kr leta hai to, hmare Guild me na sirf 3 S Rank huntur ho jayenge. '
' Balki tab hmara Guild world ke top Guild's ke sath kandhe se kandha mila kar khada bhi ho payega. '
SSSSUUUUUU........
Tabhi entrance gate ke samne Sachin aa kar rukta hai. Use dekh kr hi aisa lag raha tha. Jisse wo yaha par bhut teji se bhag kar aaya ho.
Usne bhi formal kapde pahn rakhe the. Uska cote uske hath me tha.
Sachin aur Anubhav dono ne ek dusre ko dekh liya tha.
Sachin ( apne man me Anubhav ko dekh ke surprise se ) ' President Anubhav ! '
Anubhav ( apne man me ) ' President Sachin yaha kya kar rahe hai ? '
( Dhyan se sachin ka face dekh kr ) ' Ye to kisi aise ka face hai, jiski koi chori pakadi gayi ho. '
Huff... Huff... Huff...
Sachin kafi haaf raha tha aur aaram se ander aate hue wo apni saaso par kabu pata hai.
Sath me wo chro taraf dekhte hue Rider ko hi dundhne ki kosis krta hai aur apne man me kahta hai ' Rider kaha hai ? '
Anubhav ( Sachin ko dekh ke apne man me sochta hai ) ' WHITE TIGER GUILD ki building me aur HUNTUR ASSOCIATION ki building ke bich bahut jyada distance hai. '
' Jaise ye saase le rahe hai. Usase to yahi lagta hai ki ye jarur transform hue honge. Aur pure raste bhag kar yaha aaye hai. '
' Ha mai sahi soch raha hu. Sachin is ladke ke bare me bahut pahle se janta tha. '
' Aur sath me wo ye bhi janta tha ki yaha kya hone wala tha. '
' Sayad, jo incident WHITE TIGER GUILD ke traning session ke time hua tha. '
' Wo mysterious bahri ladka... '
( Ek smile ke sath ) ' Maine dundh liya. '
' Wo pakka yahi ladka hai. '
' Sachin ne use jane nahi diya. '
' Balki Sachin us ladke ko rok hi nahi paya. '
' Kuch der pahle us ladke ka attitude dekhne ke baad mai kah skta hu ki wo koi aisa ladka nahi hai. Jisase tum itni aasani se jit jao. '
Wahi Jab Sachin ko bhi Rider kahi nahi milta hai to wo apne man me Anubhav ko dekh kr gusse se kahta hai ' Damm !! Kya mujhe yaha aane me kuch jyada hi time lag gaya ?'
' Ab to mujhe is Anubhav ne bhi yaha dekh liya hai. '
Tabhi samne Evaluation room se wo aadmi bahar nikalta hai aur khusi se rote hue chilla chilla ke kahta hai " C Rank !! "
" Mai ek C Rank huntur hu. "
Lakin filhal uski taraf jyada logo ka dhyan nahi tha.
Tap... Tap... Tap...
Fir Anubhav waha se nikal kar bahar ki taraf chla jata hai.
Sachin ( Anubhav ko jata hua dekh kr apne man me ) ' Ye to ab aur bhi mushkil hota ja raha hai. '
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
HOSPITAL
NIGHT TIME
Mai apni Maa ke room me unke paas hi ek chote se stul par baitha hua unko dekh raha tha.
Mai ( apni Maa ki taraf dekh kr ) " Agr mai inki taraf dekhta hu to mujhe aisa lagta hai ki ye bina kisi pareshani ke kisi bhi moment apni aakhe open kr dengi. "
" Lakin aisa nahi ho skta. "
" Quki meri Maa ko ETERNAL SLUMBER name ki bimari hai. "
ETERNAL SLUMBER ek aisi bimari hai. Jisme banda ek aisi neend sota hai ki wo kabhi jagta hi nahi hai.
Ye bimari tab logo ko hona suru hui jab Gate appear hona suru hue.
Mai " Mai aapko bachaunga. "
" Bas mera intezar kijiye jab tak ki mai.... "
CHUUU....
Tap... Tap.. Tap...
Fir mai apni Maa ke room ka Gate open krke bahar aate hue apne man me sochta hu ' Mujhe aur bhi jyada strong banan hoga. '
' Agr Demon's castle ke Mid Boss itne jyada strong hai to. Top floor ke boss se mai haar jaunga. '
' Jab mai aur upar ke floor par jaunga tab mera level increase hoga. Lakin..... '
Abhi mai itna hi sochte hue aage ja raha tha ki mujhe ek aawaj sunayi deti hai.
" Us din ... "
Mai piche mud kr dekhta hu to ye aur koi Anurag tha. Wo apne dono hath piche kiye hue santi se khada tha.
Anurag " Us din kya wo tum hi the jisne Double Lair wale Monsters ko haraya tha ? "
" Tumhara sukriya. Quki tumhari wajah se hi mai ye baat sikh paya ki mera najariya hamesa sahi nahi ho skta hai. "
Mai " Hum ek baar fir se ek dusre se mil gaye Cheif. "
Anurag ( meri taraf dekhte hue ) " Monitoring division ka sbse pahla gole yahi hai ki. Hum sb Monsters ki jagah phle humans se deal karte hai. "
" Dusre sabdo me kahu to hum law todne wale hunturs ko monitor karte hai. Aur uske baad unko panish krte hai. "
Tap... Tap... Tap...
Mai aage jate hue " Agr possible ho paya to. Ai Monitoring division ke sath involve bilkul nahi hona cahunga."
Anurag " Well !! Hmara existence hi hunturs par ek hathkadi ka kaam karti hai. "
" Lakin ek S Rank huntur ke liye meaningless hai."
" Yaha koi aisa hai jo tumse milna cahata hai. "
" Kya tumhare paas kuch khali samay hai ? "
Mai haa me gardan hila deta hu.
Anurag ( ek taraf apna hath aage krte hue ) " Huntur Association ke chairman Xabhi . "
" Wah tumhara is taraf wait kar rahe hai. "
Ye kahte hue Anurag mujhe respect show krte hue jukh jata hai.
Tap... Tap... Tap...
Tab mai uske sath usi direction me uske piche piche chl deta hu. Aur kuch hi der me hum waha pahuch jate hai.
Mai ( Xabhiko dekh kr apne man me ) ' Ye aadmi to.... '
Mere samne ek Old man black suit phle hue formal kapdo me khada tha. Unko dekh kr hi mujhe ander seniklne wala aura feel ho raha tha. Unki body bhi kisi bodybuilder type ki thi.
Xabhi ek smile ke sath apna hath meri taraf badhate hue " Huntur Rider. "
" Tumse mil kar acha laga. Mai Xabhi hu. "
" Please , yaha baitho. "
Aur hum dono logo me handshake kiya. Aur aamne samne rakhe hue 2 shofe par baith gaye. Aur Anurag ja kr Xabhi ke piche ek side me khada ho gaya.
Mai ( Xabhi ko dekh ke apne man me sochta hu ) ' Bhle hi inki age 80+ ho gayi hai. Lakin inki body abhi bhi aisi hai ki ye mujhe retired wrestlers ki yaad dila rahe hai. '
' Aur ye batane ki jarurat nahi hai ki ye bhi ek S Rank huntur hai. '
' Ye koi Normal huntur nahi hai... '
Mai yahi sb soch raha tha ki Xabhi Bolte hai " Mai sbse phle tmmo congratulate karna cahunga ek S Rank huntur banane ke liye. "
Mai " Abhi bhi ek Re-examination hona baki hai."
Xabhi " Mai tumhe ek sachayi batata hu. Re-examination ka koi matlba nahi hai. Ye bekar hai. "
" Ek precise detector hme results ko alag alag Rank me batane me help karta hai. "
" Yah koi aisa tool nahi hai jo hame scope se jyada Magic ko mapne me help kar paye. "
" Bhale hi hum abhi ke range ko measure krne me sakcham ho. "
" Ye fir bhi abhi hmare liye impossible hai ki hum ek S Rank, SS Rank aur SSS Rank ke Hunter ko measure karke alag alag Rank me baat paye. "
Mai " To fir ye.... "
Xabhi ( bich me hi meri baat kaat kr kahte hue ) " Re-examination ka procedure kyu hai, tum yahi puchna cahte ho na ? "
" Yah is liye hai. Taki hum apne liye kuch time kharid sake. "
Mai ( confusion ke sath ) " Time kharid sake ? "
Xabhi " Taki hum time kharid sake kisi aur ke milne se pahle, Tumhare jaise S Rank ke hunturs se milne ka liye .
" Jaisa ki tum phle se hi jante ho ki Huntur Association ke pass chief Anurag jaise telented hunturs bahut jyada nahi hai. "
" Aakhir kon Huntur Association ko join karna chahega, jabki Top guild unko Fame aur bahut achi sallery dene ki guarantee deti hai. "
" Bahar bhut se log hai jo Top Guild's ke sare core members ke name unko yaad honge. "
" Lakin aisa bahut hi kam log hai jo hamare Cheif ka name bhi jante honge. "
" A Rank ke top huntur me se ek hone ke bawjood. "
" Isi liye hum logo ne ye ek chota sa trick banaya telented hunturs se milne ke liye. "
" Re-examination ka asli matlab yahi hai. "
" Mai sidhe point par aata hu. "
" Quki hum koi enterprise nahi hai to mai tmko bhut sare paiso dene ka promise nahi kar skta hu. "
" Lakin, hum tumhe ek alag raste pr le jane me help kr skte hai. "
Mai ( Xabhi ki taraf dekh kr ) " Aap kis bare me baat kr rahe hai ? "
Xabhi ( apne dono hath ko aage krte hue ) " Hum help kar sakte hai, jisase huntur rider ek dusre path par ache se kud ko nikhar skte hai. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Kamal.ka update ha bap bhata 2no he bhot powerfull hnUPDATE - 64
Ab tak aapne dekha dosto ki mai, Anubhav ke proposal ko suru me hi mana kr deta hu. Aur waha se nikal jata hu. Is baat ka Anubhav ko yakin hi nahi hota hai. Tabhi waha Sachin aa jata hai. Aur usko dekh kar Anubhav samjh jata hai Red Gate me maine hi unki help ki thi. Mai apne Maa se milne aaya hua tha ki mujhe Anurag milta hai. Jo mujhe Xabhi ke paas le jata hai. xabhi mujhe Huntur Association me aane ka offer dete hai.
AB AAGE....
Xabhi " Hamari Country ko current time me govt. Nahi chala raha hai. Balki hmari country ko is time me Hunturs chla rahe hai. Jo logo ko Monster se bacaye hue hai. "
" Aur jo unke upar hai wo hai HUNTUR ASSOCIATION. "
" Hum tumhe apne sath kandhe se kandha mila kr khade hone me help karenge. "
Mai ( apne man me ) ' Kya inka kahne ka matlb authority se hai ? '
Mai " Aap mujhe ye sb offer kyu de rahe hai ? "
Xbahi " Kya tum Top 5 Guild ke bare me jante ho ? "
" Is country ka balance filhal badi muskil se in 5 dinosaurs ne sambhala hua hai. "
" 1. HUNTURS
2. FAME
3. WHITE TIGER
4. REAPER
5. KNIGHTS. "
" Agar tum inme se kisi bhi ek Guild ko join karte ho to, abhi jo balance bana hua hai wo bigad jayega. Aur isase pure country me arajkta aa skti hai. "
" Law, system, normal govt. Authority ye sb itne jyada powerful nahi hai ki wo sb hunturs pr ankus laga ske. "
" Isi liye HUNTUR ASSOCIATION ki jarurat hoti hai. "
Mai ( apne man me ) 'Monsters hi sirf Monsters nahi hai. '
' Hunturs jo ki Monsters se fight karte hai wo bhi ek tarah se Monsters hi hai. '
Xabhi " To ab batao tumhara kya decision hai ? "
Mai, Xabhi ki sari bate sunane ke baad apne man me dhyan se sochne lagta hu ' Ye koi bad proposal nahi hai. '
' koi bhi jiske piche Chairman Xabhi ka khade honge wo success ki ki ek alag hi rah par chl dega. '
' National assembly, Govt. , Association aur media... '
' Bahut hi jyada muskil hai aisa koi feild dundhna jaha Chairmen Xabhi ki pahuch na ho. '
' Jaisa ki maine socha tha Xabhi aap amazing ho.. '
' Aur aapki skills bhi bikul waisi hi hai. '
' Bhale hi maine itne level up kar liye hai. Lakin fir bhi hamare skills bahut jyada ek dusre ke saman hai. '
' Ye aisi koi opportunity nahi hai jo her roj kisi ko mil jaye. '
' HUNTUR ASSOCIATION hi 6th aur ek maatr hi aisa force hai jo baki ke 5 top Guild's se alag hai. '
' Aur is country ko bhi HUNTUR ASSOCIATION ki bahut jyada jarurat hai. '
' Xabhi ko dekhte hue nahi lagta hai. Ki ab inke paas bahut jyada time bacha hoga. '
' Mujhe bhi ek aise hi kisi successfully insan ki jarurat hai. Jo mere liye ek position surakhshit kar ske. '
Fir kafi der sochne ke baad mai kahta hu " Mujhe maaf kar dijiyega. "
Ye sunte hi Xabhi ko ek bahut bada jhatka lagta hai. Quki mujhe sochta dekh kr unhe lag raha tha ki mai haa bol dunga isi baat se wo smile kr rahe the.
Lakin mera ans sunte hi unka expression akdam se change ho jata hai.
Xabhi nirash ho kr apni aakhe band krte hue apne man me kahte hai ' To aakhir me . Kya ye paise ki baat hai... ? '
Mai " Mai fight Krna cahta hu. "
Mere ye kahte hi Xabhi fir se aakhe badi hue he Surprise se mujhe dekhne lagte hai.
Xabhi ( surprise se ) " Kahi iska matlb ye to nahi ki tum Monsters ke sath fight Krna cahte ho ? "
Mai ( santi se ) " Haa !! "
Mai itna kah kar wapas se sochne lagta hu ' Dengoun jo ki HUNTURS ASSOCIATION clear karti hai wo baki Guild ke dwara reject ki gayi low Rank ki D Rank ya E Rank ki hoti hai.'
' Aur agar mai Association join karta hu to mai ab aur jyada level up nahi kar paunga. '
' Mujhe lagatar abhi bhi aur jyada strong banana hoga isi liye mai nahi ruk skta hu. '
Mai ( Xabhi ko dekh kr serious hote hue ) " Mujhe aisa lagta hai ki DENGEON ke ander hi wo jagah hai jaha mujhe hona cahiye. "
Ye sun ke to Xabhi ko aur bhi bada sadma lagta hai. Aur wo mujhe dekhte hue apne man me sochte hai ' Hey bhagwan ! '
' Iski aakhe... Ye such bol raha hai. '
Badham..... Badham......
Xabhi ( Apne heart ke side chest pr hath rakh ke ) ' Na jane mujhe kitna time ho gaya jab maine aisa kuch feel kiya tha ? '
' Mujhe to kud yakin nahi ho raha hai ki mera dil abhi bhi itni jor se dhadak skta hai. '
' Agr mai abhi ki age se bs 20 yr.. nahi bs 10 yr bhi young hota to mai kud bhi.... '
Fir Mai apne jagah se khada ho jata hu aur mujhe dekh kar Sabhi bhi khade ho jate hai.
Mai " Quki meri choti sister ghr me akeli hai, to ab mujhe jana hoga. "
Xabhi " Mere liye apna time nikalne ke liye sukriya. "
Tap... Tap... Tap...
Aur mai chalte hue Anurag ke paas se gujarte hue kahta hu " Chief Anurag, Aapki soch galat nahi thi. "
" Mai wo nahi tha jisne Double Lair me Monsters ko mara. "
Anurag ( suprise aur shock dono hote hue apne man me ) " To wo kon tha jisne ..... "
Aur fir mai waha se apne ghar ke liye nikal jata hu.
Mere jane ke baad Xabhi ja kr usi room ke window se bahar dekhte hue Anurag se kahte hai.
Xabhi " Jb Healer aur unki healing ki magic is duniya me logo ke samne aayi. "
" To maine socha mai fir se Jawan ho skta hu. Aur apni is thakne wali old body se cutkara pa skta hu. "
" Mujhe yakin tha is baat me. "
" Lakin mai galat tha. Yaha tak ki advance healing magic bhi age ko wapas se kam nahi kar sakti hai. "
( Fir kuch der soch kr ) " Sabhi 5 top Guild is time apne strength ko increase karne me lagi hui hai. "
" Unki strength abhi hi Nation's military ke equal ho gayi hai. "
" Jis bhi moment Association apni power kho dega. Tabhi wo sare Guild free ho jayengi. "
Anurag " Lakin jo HUNTURS ASSOCIATION ke sbse uche position par baitha hai wo aap hai. Mr. Chairman. "
Xabhi " Ha mai ye baat janta hu. Aur ye bhi janta hu mai ki agar HUNTUR ASSOCIATION Ko lambe samay tak rahna hai to mujhe jinda rahna hoga. "
" Lakin ye bs ek faltu ki soch hai. "
Tabhi Xabhi ko meri baat yaad aati hai ' hunturs ko DENGEON ke ander hona cahiye. '
Xabhi ( Anurag se ) " Meri aaj ki bachi hui sari appointment cancel kar do. "
Anurag " Lakin aapko abhi bhi ministers ke sath meetings karni baki hai. "
Xabhi " Mai apna ye mood un sare old logo ke sath meetings karke khrab nahi karna chahta hu. "
" Kaisa rahega aur tum mujhe drink ke liye join kro ? "
Anurag ( jhepte hue ) " Mai alcohol pine me utna acha nahi hu... "
" Tab tab bhi aapko koi problem nahi hogi ? "
Xabhi ( Anurag ko dekh kr thode surprise ke sath ) " Ohh !! Maine tmse ye ummid nahi ki thi. "
( Samne dekh kr apne man me smile krte hue ) ' Tmne mere heart ko ye sukhad dhdhakan gift me diya hai..'
( Anurag se ) " Mai soch raha hu wo ladka aakhir kitna jyada drink kar skta hoga. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
IN USA
BISOOM.......
Aahhhhh.......
DHADAAMMMM......
BOOM.....
Namit ko koi bahut buri taraf pit raha tha. uska ek punch sidha ja kr Namit ke face pr lagta hai. Aur wo sidhe ja kar ak diwar ko todta hua dusre room me phuch jata hai.
BISOOM.....
Aaaahhhhhh.......
Namit abhi Wapas se khada hi hua tha ki ek aur punch aa kar usko lagta hai. Aur uske muh se bahut sara blood bahar ko nikalne lagta hai.
Namit jaise hi wapas uski taraf dekhta hai. To use marne wala ka hath bas apne paas aata hua dikhayi deta hai.
Abhi wo hath usko aa kr lagta usase phle hi uski aakhe open ho jati hai.
Ji ha dosto aapne sahi socha Namit ek Dream dekh raha tha. Lakin usne jo bhi dream me dekha wo ek tarah se kah skte hai. Behosi me usi scene ko dekh raha tha jo uske sath hua tha . Aur uska ye haal kisi aur ne nahi Aloknath ne hi kiya tha.
Wo is time USA ke ek bade hospital ke ek VIP room me apne bed par leta hua tha.
Uske dono hatho aur right leg me plaster laga hua tha. Gale me support ke liye supporter laga hua tha.
Left pair aur pure chest nd back me bhi dher sari pattiya bandhi hui thi. Face me bhi jagah jagah pati lagi hui thi. Ek aakh buri taraf se suja hua tha aur uske chro taraf ka hissa kala pad gaya tha.
Abhi bhi na jane kon kon si machine uske body se connected thi. Aur glucose abhi bhi Namit ko laga hua tha.
Namit jagne ke baad kud se kahta hai ' Ek dream ? '
' Nahi wo Dream nahi tha ? '
CHUUU......
Tap... Tap... Tap...
Tabhi ek aadmi room ke doorko open krke andar chalta hua Namit ke paas aata hai.
Namit ander aaye hue person ko ek najar dekhta hai fir apni aakhe close keke bolta hai " Ek hare hue Huntur se ab tum aur kya cahte ho ? "
" Agar tum yaha kuch kahne aaye ho to. Please jaldi se kah kar yaha se chle jao. "
Jo person ander aaya tha wo Deputy Director the.
Deputy Director ( Namit ke paas aa krke ) " Mai tmse directly kuch puchne ke liye hi tumhare hose me aane ka wait kar raha tha ? "
" Wo aadmi Aloknath... "
" Kya wo such me ek Monster hai ? "
Namit ( deputy Director ki taraf dekhte hue ) " To aap kahna cahte hai ki maine ek aam nagarik par hamla kiya hai ? "
Ye sun kar Deputy Director ak tablet ko aage karke usme se ek video Namit ko dikhate hai.
Deputy Director " Ye us din ke CCTV me record hua ek video hai. "
" Maine aaj tak kisi Monster ko humans ki help karte hue nahi dekha hai. "
Us video me Aloknath dono side se do humans ke upar gir rahi diwal ko roke hue the. Aur ek human dusre behos ho cuke human ko utha kar bahar le ja raha tha.
Deputy Director " Kya tumhe abhi bhi lagta hai ki ye ek Monster hai ? "
Namit ( Deputy Director ko dekhte hue ) " To aapne kabhi suna hai ki aaj tak kisi Gate se ko human bahar aaya hai ? "
Ye sun ke Deputy Director kuch bhi nahi bol bate hai.
Namit " Bina kisi shak ke work Monster hai. "
Deputy Director " Mai smjha skta hu. "
" Jab tum puri tarah se thik ho jao. To bureau aa jana. "
" Abhi bhi kuch papers bache hue hai. Jinko tumhe pura karna hai. "
Itna kah kar Deputy Director bahar jane lagte hai. Tabhi Namit puchta hai " Us aadmi ka kya hua ? "
Deputy Director ( mud kr Namit ko dekhte hue ) " Tmhare sath fight krne ke baad wo gayab ho gaya hai. "
" Bureau abhi bhi uske piche lagi hui hai. Lakin mujhe nahi lagta hai ki hum aise kisi ko pakd skte hai jo tumhe pit kar bhaga ho."
Namit ( ye sun ke gusse se ) " Dhat teri ki. "
Tap... Tap... Tap...
Fir Deputy Director waha se chle jate hai.
Namit apne man me sochta hai ' ye ek sharmnak haar hai. '
Fir use wo scene yaad aata hai jb Aloknath ne use behosh krne se pahle kuch bola tha.
Aloknath ( Namit ke chest pr apna pair rakhe hue ) " India me apne kadam dubara mat rakhna. "
" Ye mere bete ke liye nahi balki tumhare liye ek warning hai."
" warna marne ke baad bhi tum aapni aakhe band nahi kar paoge. "
Namit ( gusse se ) " Kya kaha tha tune, ki mai apni aakhe marne ke baad bhi band nahi kar paunga ? "
" Tmne himmat kaise ki mujhe darane ki ? "
" Mujhe pata hai wo kaha gaya hoga ? "
" Aur use pakadne ke liye mujhe equipment ki jarurat padegi. "
" Mai Guild ko bulaunga. "
" Agar mere sath mera Guild hoga to mujhe koi problem nahi hogi. "
" Jab mai puri tarah se thik ho jaunga... "
" Mai tumhe tukdo tukdo me karke rakh dunga. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Very true ..Oye sun ye meri story hai. Meri marji mai update du ya na du. Wo meri problem hai. Tu reader hai to aa aur story read kar. Update na mile to tum request hi kar skte ho update ke liye. Tum mujhe order nahi de skte. Quki ye koi paid site nahi hai.
Aur Aaj tak tere meri story par kitne like aur comments hai ye batana jara. Koi regular reader hota wo ek baar aisa kehta to mai ignore karne ki sochta bhi. Lakin tu hai kon ? Jaao mat aana meri story par mujhe tum jaise readers ki koi jarurt nahi hai.
Aur agar iske tarah koi aur bhi soch rakhta hu to hath jod kar aap sub se nivedan hai ki meri story par aap jaise logo ki koi jarurt nahi hai.