UPDATE NO - 148(B) post kar diya hai dosto.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
Block marne ka sidha maine bhi complaint daal di hOye sun ye meri story hai. Meri marji mai update du ya na du. Wo meri problem hai. Tu reader hai to aa aur story read kar. Update na mile to tum request hi kar skte ho update ke liye. Tum mujhe order nahi de skte. Quki ye koi paid site nahi hai.
Aur Aaj tak tere meri story par kitne like aur comments hai ye batana jara. Koi regular reader hota wo ek baar aisa kehta to mai ignore karne ki sochta bhi. Lakin tu hai kon ? Jaao mat aana meri story par mujhe tum jaise readers ki koi jarurt nahi hai.
Aur agar iske tarah koi aur bhi soch rakhta hu to hath jod kar aap sub se nivedan hai ki meri story par aap jaise logo ki koi jarurt nahi hai.
AmazingUPDATE - 65
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Xabhi mujhe samjhate hai Huntur Association me aane me mera kya fayda hai. Lakin mai kafi sochne ke baad unko mana kr deta hu. Quki Association wale sirf E Rank aur D Rank ke DENGOUN hi clear krte the. Jisase mai apna level up nahi skta hu. Mere mana karne ke baad wo sochte hai mai paise ke karan mana kar raha hu lakin mai unko kahta hu ki mujhe Monsters se fight Krna hai. Ye sun ke Sabhi ko kud ke jawani ke din yaad aa jate hai. Wahi USA me Namit hospital me admit tha aur use bhut jyada chot aayi thi. Deputy Director use ek video dikhate hai jisme Aloknath humans ki help kr raha hota hai. Lakin fir bhi Namit kahta hai wo ek Monster hai. Aur wo plan banane lagta hai ki wo aloknath ko kaise marega.
AB AAGE....
MID NIGHT
RIDER HOME
Late night ho raha tha. Mai apne room me sari lights off krke apne study table par rakhe computer me online kuch dekh raha tha.
Computer screen pr ek site open thi. Jiska name The Huntur Auction tha.
Ye ek company thi. jiska online aur offline Market tha hunturs logo ke liye. Isme hunturs log Raid se mili hui koi bhi item kharid ya bech sakte the.
Humare country me is time 10,000 se bhi jyada hunturs the. Aur ye ek bhut hi acha aur aasani se accessible hone wala market tha hunturs logo ke liye jisme wo equipment ka Trade kar skte the.
Ek huntur ke equipment uske lifeline ke liye bahut hi jaruri aur basic chij hai.
Ache equipments ka matlb hai ki huntur aur bhi jyada protected aur safe hai.
Isi liye E Rank aur D Rank wale hunturs apni low income se in equipment ko nahi buy kar pate hai.
Lakin unki kahani badal sakti hai aur wo ek stable Attack force join kar lete hai to.
Quki hunturs jo equipments use krte hai unme magic bhara hua hota hai.
Isi liye kisi D Rank ke Hunter ki sword jo wo use krta hai, uski bhi price million rupee me hoti hai.
Quki C Rank ya usase upar Rank wale hunturs guaranteed huge income earn krte hai. Isi liye jab baat equipments buy krne ki baat aati hai to wo bikul bhi kanjoosi nahi karte hai. Na hi unke paas koi reason hota hai is mamle me kanjoosi dikhane ka.
To ab ye to batane ki jarurat nahi padegi ki High Rank hunturs jo equipments use krte hai wo 100 million se bhi jyada costly hoti hai.
Excellent equipment ki price ek baat bikul sahi sabit karti hai ki. Bahut se log ise apna sb kuch bechne ke baad nhi karid sakte hai.
Mai site pr sare item dekhte hue " Aakhir ye sare equipments itne costly kyu hai ? "
( Sochte hue ) " Meri filhal ki savings bhi inko buy krne ke liye kafi nahi hongi. "
" Aur mai ab tak soch raha tha ki maine kafi paise bacha liye hai. "
Fir mai DEMON CASTLE ke bare me sochte hue kahta hu " Jaise jaise mai Castle me aur upar ja raha hu na sirf Fire attribute wale Attack ki strength badhti ja rahi hai. "
" Blki waha ki jamin bhi lagatar aur bhi jyada garam hoti ja rahi hai. "
" To mujhe kud ko in Fires se bachne ke liye kuch Equipment cahiye. "
Fir mai apne System ke store ko open krte hue kud se kahta hu " Kya mujhe System ke Store ko try krna cahiye. "
Kuch der usme se dhundhne ke baad " lakin yaha bhi koi sutable equipments nahi hai. Jo mai dundh raha hu waisa. "
" Mere khyal se ab mere paas ORB OF AVARICE ko bechne ke siwa aur koi choice nahi hai. Tabhi mai wo equipment's buy kr paunga jo mujhe cahiye. "
" Chlo kam se kam ye baat to achi hai ki mai ise sell to kar skta hu. "
" Jo online best artifacts available hai wo to use ke power ko bs 20 - 30 percent hi increase kar skti hai. "
" Lakin kyuki mera ye ORB user ke power ko double kr deta hai to ye ek unexpected price me hi sell hogi. "
" Quki is ORB me kahi se bhi kuch bhi ajib nahi hai to, mai ise Black market me bechne ki koi jarurat nahi hai. Mai ise normal market me hi sell kr skta hu. "
" Lakin fir bhi mere liye ek problem hai. Mujhe logo ko ye samjhana hoga ki mujhe ye kaise mile. "
Fir mai kuch der apne man me sochta hu ' Ek E Rank huntur ke paas ek aisi unimaginable chij , jo ki exist hi nahi karti hai dekh kr kya wo sb is baat ko aise hi jane denge ? '
' Mujhe apne S Rank ke Licence ke milne tak ka wait Krna cahiye. '
' We sb log mere upar tab shak nahi karenge jb mere huntur record me A Rank DENGEON listed ho jayega. '
' Lakin abhi bhi aisa koi rasta nahi hai jisme koi High Rank raid team mere jaise kisi E Rank ke Hunter ko apne sath Raid me join kr le. '
Tabhi mujhe company screen par kuch dikhta hai.
Mai ( shocked ke sath ) " ... Huh ? "
" Yaha such me aisi ek team hai jo abhi hunturs ko recruit kar rahi hai ? "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
NEXT MORNING,
HUNTURS ASSOCIATION
XABHI CABIN
Xabhi Hmesa ki taraf apne office me apne formal kapdo me apni chair par baitha hua tha.
Tap... Tap... Tap...
Tabhi uske cabin me Anurag aata hai aur uske hath me ek file rahti hai.
Wo us file ko open krke XABHI ki taraf badhate hue kahta hai " Ye wo file hai jo aapne mangi thi. "
Aur ye file kisi aur ki nahi balki meri hi thi.
Xabhi meri file ko utha kr meri photo dekhte hue kahte hai " kya ye identification photo usne 4 yr phle khichwayi thi ? "
" Uske aaj ke look ke hisab se ye is photo me bilkul bacha lag raha hai. "
Anurag " Ye uske hunting ka pichle 4 yr ka record hai. Wo E Rank walo me bhi sbse kamjor huntur tha. "
Xabhi file ko dekhte hue " Tb to ye sb karna uske liye kisi suicide se kam nahi hai.... "
" Kya wah ek false Ranker hai ? "
Anurag " Uske purane Raid ke members se puch tach krne ke baad aisa nahi lagta hai."
" Subka ek hi kahna hai wo E Rank huntur hi hai. "
Xabhi " Lakin 4 year... "
" Sayad uski S Rank ki reawakening abhi haal hi me nahi hui hai. "
Anurag " Tab to Double Lair Raid ke mostly members ko marna nahi cahiye tha. "
Xabhi ( details read krte hue ) " bahut jldi jldi Injured hone ke baad bhi wo raid krta raha, wo ruka nahi. "
Anurag " Usne isi liye haar nahi mani quki use apne Maa ke medical bills bharte the. "
Xabhi " kitna Nayab ladka hai ye.. "
" Apne Pita ke kho jane ke baad apni bimar maa ka aur apni choti sister ka isne kud se khyal rakha hai. "
Anurag " Mr. Chairman !! "
" Actually , aisa report hme mili hai ki Huntur Rider ne ek Raid team join kar li hai. "
Xabhi ( Surprise ke sath aakhe badi krte hue ) " phle se hi ? "
Anurag " HUNTURS GUILD ki Raid team. "
Xabhi ( apne man me nirash ho kr sochte hue ) ' To iska matlb kya wo sb sirf kahne ki bate thi ? '
' Lakin asal me wo HUNTURS GUILD ke dikhaye hue contract payment se use accept krne ko majboor ho gay ? '
Anurag " Confirm source se pata karne ke baad ye pata chla hai ki Huntur Rider ne Attack force ki jagah Mining team ko join kiya hai. "
Ye to sun kar Xabhi apna mata hi pit leta hai ki ab ye kya hai.
Xabhi ( bahut jyada confused hote hue ) " Ek S Rank huntur ek miner ka kaam kar raha hai. "
" Ye such me ek aisa ladka hai jise samjhna bahut hi muskil hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
SOMEWHERE IN DELHI
Mai ek DENGEON ke gate ke bahar khada tha. Maine ek dark blue color ki mining wali uniform pahni hui thi. Aur sath me uniform ke upar maine sefty ke liye phne jane wale ek cote, helmet aur kamar me ek belt phne hue tha. Belt me kai intrument lage hue the.
Aur sare logo ke gale me unki huntur id latki hui thi.
Mere alawa waha aur bhi bahut sare log the. Jo apna apna kaam krne me lage hue the. Waha par bahut sari heavy gadiya bhi thi. Jo sayad is raid me kaam aane wali thi.
Mai pata karte hue ek aadmi ke paas ja kar ek paper use deta hu. Aur apne dono hatho ko piche krke khada ho jata hu.
Wo aadmi koi aur nahi Mining team ka incharge tha. Wo paper ko khol kr pmread karta hai.
Mining incharge ( mujhe dekhte hue ) " To tum ek E Rank huntur ho ? "
Mai " yes sir !! "
Mining incharge " kya tmhe is line ke work ka koi experience hai ? "
Mai " Nahi sir. "
Mining incharge " Acha fir tumhari combat type ( fighting style ) kya hai ? "
Mai " Mai ek physical combatant hu. "
Mining incharge " Chlo kam se kam ye baat to achi hai. "
( Mere solder pr pyar se hath rakhte hue ) " Yaha par tmhare jaise jyada log nahi hai. "
" To Nervous mat hona aur dil laga kar kaam karna. "
" Tum abhi standby pr ho aur hmare sath Gate ke ander enter karoge. "
" Aur haa, apne equipments bahr hi bhool mat jana. "
Mai " Yes sir. "
Hmlogo se hi kuch duri par Attack force Gate ke ander jane ke liye ready ho rahi thi.
Unhe dekh kr mai apne man me sochta hu ' Quki high Rank DENGEON ka Scale bahut bada hota hai. To Attack force sare kaam ko kud se handle krne me asamarth hoti hai. '
' Isi liye ye log kaam ke anusar unko alag alag group me baat dete hai. '
' ATTACK FORCE : Ye sare Monsters ko handle krti hai. '
' MINING TEAM : Ye DENGEON ke ander se milne wale Mana crystals ko mining krke nikalte hai. '
' COLLECTING TEAM : ye monsters ke mari hui body ko DENGEON se bahar nikalte hai.'
'Mining team aur collecting team DENGEON me tabhi enter karti hai jb Attack force DENGEON ke ander ke sare Monsters ko maar deti hai. Siway Boss Monster ke. '
' Aisa lagta hai ki yaha bahut jyada manpower use hoti hai. '
' Lakin hum kar bhi kya sakte hai. Quki aaj kal ki mordern machin jo ki electricity par chalti hai. Wo DENGEON ke ander kaam nahi karti hai. So majburan Hme manpower hi use krni padti hai. '
' lakin ye bhi ek note krne wali baat hai ki Normal person yaha kaam nahi skta quki usme itni strength hi nahi hoti hai ki wo yaha ke kaam kar ske. '
' isi liye low Rank ke Hunter ye kaam karte hai. '
Fir mai ja kar paas hi Rakhe ek kudati karne wale kuddal ko utha ke dekhta hu to wo bhi koi normal kuddal nahi thi. Uske ander se bhi magic flow ho rahi thi.
Iska matlab ise bhi banate time Magic ka use kiya gaya hoga.
Tap... Tap... Tap...
Fir apna kaam smjhne ke baad me Gaye ke samne ja kar khada ho jata hu. Aur use dekhne lagta hu.
Mai ( gate dekhte hue apne man me ) ' To ye hai Ek A Rank Gate. '
' Mai na jane kab se apni aakho se ek High Rank DENGOUN dekhna chahata tha. '
' Mujhe khusi hai ki maine yaha aane ka sahi decision liya. '
' Quki bahut jldi hi future me mujhe bhi aise hi DENGEONS me enter karna hoga. '
Tap.... Tap... Tap... Tap...
Fir kuch der baad Attack force ke sare hunturs DENGEON ke ander chle jate hai.
Ye Attack force kisi aur Guild ki nahi HUNTURS GUILD ki thi. Jiska master Anubhav tha.
DENGEON me kafi ander jane ke baad. Sare hunturs ek jagah ruk jate hai. Inme sbse aage Anubhav khada tha.
Is time usne ek Blue color ka full suit set pahna hua tha. Aur uske alawa usne apne back pr ek Red color ka fancy sa Robe phna hua tha. Jiske upar solder ke side me golden color ke design bane hue the.
Anubhav DENGEON me ander ki taraf dekhte hue kahta hai " Is baar ka ye DENGEON kafi deep hai. "
" Hame phle hi jitna time socha tha usase jyada time lag gaya hai. "
" Quki baki team ke logo ke aur bhi plans honge is Raid ke khtam hone ke baad. To agar hum yaha aur jyada time lagayenge to baki ke teams ko apna kaam karne me bhut si problem ho skti hai. "
Tap... Tap.. Tap...
Tabhi 30 feet lambe Monsters ander ki taraf se unki taraf aane lagte hai. Unke sir par bade bade sigh nikle hue the. Aur unki aakhe bhi ekdam red thi.
Unhe dekh kr Attack force ke kuch members Anubhav ke aage aa jate hai. Taki wo Monsters se fight kr ske.
Tab unko rokte hue Anubhav kahta hai " Piche aa jao. "
Tap.. Tap...
To wo hunturs piche ho jate hai. Fir samne se aate hue Monsters ko dekh ke Anubhav apne sigrate ka ek kas lagate hue kahta hai " Mai aise room ka bahut bada fan nahi hu jaha bahut jyada lights ho. Lakin..... "
SWOSSSSSS......
BUZZZZZZ.......
Aur agle hi pal wo apne right hath me pakde hue sigret ko samne ki taraf hawa me uchal deta hai. Aur phle apne ek finger se sigret ke chro taraf halki si aag jalata hai. Aur fir apne right hath ko dhire dhire us aag ki taraf krke apne hatheli ko pura open krne lagta hai.
Aur wo aag dhire dhire karke bs 2 se 3 Second me ek bhut bade circle me convert ho jati hai. Aur Anubhav use apne hath ke pressure se DENGEON ke ander ki taraf press kr deta hai.
BUZZZZZZ.....
BOOMMMMMM.......
Aur bas itna karte hi wo aag pure DENGEON ke ander tak kafi dur tak chli jati hai. Aur uske raste me jitne bhi Monsters aate hai. Sare jal kr mar jate hai. Ek bhi Monsters jinda nahi bachata hai.
Fir turant hi samne dekhte hue Anubhav kahta hai " Tanks, jaldi se apni jagah le lo. "
" Ek storm jldi hi aane wala hai. "
Tap... Tap.. Tap...
DHAM.... DHAM... DHAM....
Aur turant hi Attack force me jitne bhi Tank type huntur rahte hai wo sare ek circle bana leta hai. Aur us circle ko apne bade bade shield se cover kr dete hai.
BUZZZZZZ......
BUZZZZZZ......
BOOMMM......
Aur jaisa ki Anubhav ne bola thik aisa hi hui bs Kuch Second me hi aag ka ek bahut bada storm unki taraf aata hai. Lakin Tanks ke shield se takrakr wo unko kuch nahi kar pata hai. Aur kuch der me hi sb saant ho jata hai.
Anubhav ( smile ke sath ) " Chlo mai sayam rakh lunga account ke mamle me quki agr Monsters ki body bahut jyada ache se burn ho gayi hogi. To hum unka koi use nahi kar payenge."
" Hme nahi pata hai ki ye DENGEON aur kitna jyada deep hai. Lakin mai itna kah skta hu ki sare paas ke Monsters to jal kr ashes me badal gaye honge. "
Anubhav ke samne shield se aag ke tufan rokne ki kosis krte hue do Tank apne man me Anubhav ko dekhte hue sochte hai.
1st tank ' Ye kitna jyada amazing hai... '
2nd tank ' Jb bhi mai ise dekhta hu to mujhe bahut hi jyada strong force feel hota hai. '
Jb aag ka storm puri tarah se sant ho jata hai to Anubhav sbse aage chalte hue kahta hai " Chlo mai tum sb ko safely Guide karta hu aage jane me. "
( Ek lady huntur ki taraf dekh kr ) " Lakin aap sensitive naak wali mohtarma jalne ke smell se jara savadhani rakhiyega. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
OUTSIDE OF THE DENGEON
Mining incharge HUNTURS GUILD ke ek employee ke sath Gate ke samne khade Gate ki taraf dekh rahe the.
Mining incharge ( employee se ) " kya Attack force ne abhi tak apna kaam khtam nahi kiya ? "
" Ab to kitna jyada time ho gaya jab tmne mujhse kaha tha ki unhone apna kaam bs kham hi kar liya hai ? "
Employee ( smile krte hue ) " Mujhe pura yakin hai ki unhone bs kaam khtam kar hi liya hoga aur wo ab kabhi bhi bahar aane wale honge. "
" Ye sub kuch bs aapke aur aapke team members ke safety ke liye hi ho raha hai team leader. "
" Please ! Jb tak ki sare Monsters nahi mare jate tab tak ke liye bs thodi der aur ruk jaiye. "
Mining incharge ( Narajgi dikhate hue ) " Ye 3rd time hai. Jb tmne yahi same baat mujhse kahi hai. "
Employee ( smile ke sath ) " Ye bhut hi khatarnak hoga ki jb aaplog apna kaam kar rahe honge usi time koi Monster bich me aa kar aapka kaam rok de aur aapke liye problem create kre. "
" Kaise rahega aap kaam khtam karne ke baad mere sath ek ek drink ke liye chle. "
Mining incharge ( narajgi ke sath hi ) " Tum jaise chap.... , Mai smjh skta hu. To kaisa rahega ki tum hme akele chor do. "
Fir kuch der baad Attack force Gate se ke ander se bahar aate hue dikhayi dete hai.
Unhe dekh kr mining ka ek banda chilla kr abki kahta hai " Attack force bahar aa rahi hai. "
" Sare log, taiyar ho jao. "
" Ab hum sb jldi hi Gate ke ander jane wale hai. "
TAP... TAP.... TAP....
Mai ( Attack force ko bahar aata hua dekh kr apne man me ) ' To finally in logo ne apna kaam khtam kar liya. '
' To ye sare hai... '
' Hmari country ke Strongest Attack force. '
' The HUNTURS GUILD. '
Inme sabse aage Anubhav tha. Aur baki ke Hunter uske piche piche chl rahe the.
Hm sare log side khade the aur Attack force ke members hmare bich se hote hue aage ja rahe the.
Mai Anubhav ko dekh ke apna helmet niche krne ke bahane apna face chupa leta hu.
Tabhi ek banda kahta hai " 2nd no. Ki Huntur bhi bahar aane hi wali hai. "
Tap... Tap... Tap....
Aur uske kahne ke kuch second baad hi Wo huntur bhi gate se bahar aa jati hai.
Mai use dekh kr apne man me ' Ye ladki... '
' ye to HUNTURS GUILD ki vice master hai. '
[ Note :- kal se almost is month end tak Updates late night 10pm to 11pm ke baad hi aayega. ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Maza aaey ga jab rider osy maar da gaUPDATE - 66
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mai online ek site par apne liye Demon Castle me wapas se jane ke liye kuch Equipment dundh raha tha. Lakin mujhe waha kuch nahi milta hai. Wahi Huntur Association me Xabhi ko Anurag mera 4 year ka huntur record dikhata hai. Jise dekh kr wo bahut hairan hota hai. Sath me Anurag ye bhi batata hai ki maine HUNTURS GUILD ki mining team join kr li hai. Ye sun ke Xabhi sochne lagte hai ki maine aisa kyu kiya.
Mai HUNTURS GUILD ke ak A Rank gate ke raid me aaya hua tha. Yaha aa kr mujhe high Rank ke Raid kaise hote hai ye smajh me aata hai. Attack force apna kaam karke Gate se bahar aati hai.
AB AAGE.....
Sbse aakhir me Gate ke ander se niklti hai ek ladki. Jo ki HUNTURS GUILD ki vice master thi. Usne ek red nd black color ka skin fit bahut hi attractive costume pahna hua tha. Uske hath, pair nd solder pr armour the. Sath me uske kamar ke ek side me ek bahut hi beautiful nd high quality ki sword bandhi hui thi.
Uske baal bs uski Gardan tak aa rahe the. Nd wo golden color ke the. Wo ladki dekhne me bahut hi jyada Beautiful lag rahi thi.
Tap... Tap... Tap....
Wo niche dekhte hue santi se chli ja rahi thi.
Mai ( use dekhte hue apne man me ) ' Ye to HUNTURS GUILD ki vice master hai. '
' S Rank huntur, Miss Aayat. '
Mai use dekhte hi, uske body se niklne wale aura ko feel karne lagta hu. Jo ki bahut hi powefull tha.
Mai ( apne man me ) ' Mai to ise dekh kr soch me pad gaya hu. Ki is World me aakhir kitni ladkiya hongi jinke paas itni jyada energy hogi. '
' Ye kam se kam Anubhav ke level ki to hogi hi. '
' Ya mere khyal se usase bhi high level ki. '
' Mere khyal se ye Xabhi ke same level ki hogi. '
Abhi mai Aayat ki taraf dekhte hue hi ye sub soch hi raha tha ki, achanak se Aayat apna face jaha mai khada tha udhar hi ghuma kr wahi se dekhne lagti hai.
Lakin mujhe bhi is baat ka jaise hi pata chalta hai. Mai bhi Aayat ke dekhne se pahle waha se aur hat kr kuch aur logo ke piche chup kr khada ho jata hu.
Aayat ( mere side hi dekhte hue apne man me ) ' Hmmm ? '
' Mai just abhi yaha ek Strong presence feel kiya tha... '
' Kya mujhse koi galti hui hai ? '
' Mujhe ek second ke liye aisa laga jaise yaha Chairman Xabhi hai... '
' Lakin wo presence akdam se hi puri tarah se khtam ho gaya. Bina koi apna trace chore. '
( Niche dekh kr wapas se aage jate hue ) ' Aisa kabhi nahi ho skta ki Chairman jaise koi busy man yaha bs aise hi ghumne ke liye aa jaye. '
ACCHOOOO.......
Aur ek baar fir se Aayat ki ek chhik nikal jati hai. Quki Aayat ki nose bahut hi sensitive thi.
Iske baad wo apne paas rakhe rumal se apne nose ko wapas se cover kr leti hai.
Aur baki sare hunturs ke paas chli jati hai.
Mai ( ye sb dekhne ke baad apne man me ) ' Maine jitna socha tha ye to usase bhi tej hai.'
Fir mining incharge sbse aage ja kr sbse jor se kahta hai " Thik hai, Aakhirkar hmari bari aa hi gayi. Chlo chl kr hum sb apna best dete hai. "
Tap... Tap... Tap....
Aur sare Mining team ke members apne apne equipments utha kr Gate ke ander jane lagte hai.
Mai bhi un sb ke piche piche Gate ki taraf hi dekh raha tha.
Mining incharge ( meri taraf dekhte hue ) " Kya hua Mr. Rider ? "
" Koi problem hai kya ? "
" Hme ab ander chlna cahiye. "
Mai ( mining incharge ko dekhte hue ) " Nahi sir koi problem nahi hai. "
" Chaliye ander chalte hai. "
Tap... Tap... Tap...
Fir hum sb Gate ke ander chle jate hai.
A Rank Gate ke ander ki jagah such me bahut jyada badi thi.
Kisi Gate ki Rank uske ander jis Rank ke Monsters paye jate hai unke hisab se nahi nirdharit nahi ki jati hai. Blki uske ander se flow hone wali magical energy ke wave ke measurements se kisi Gate ka Rank nirdharit kiya jata hai.
Agr magical energy ki wave measurement karne par high nikalengi to DENGEON ka Rank bhi usi hisab se high ho jayega.
Bhale hi kisi DENGEON ke ander low level ke Monsters ke bahut sare jund ho, lakin fir bhi wo ek high level ki magic energy wave release kr skte hai.
Aur wo DENGEON ek high Rank DENGEON ban skta hai.
Jabki kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki insignificant Monsters ki ke fauj hi kyo na DENGEON ke ander bhari padi ho aur wo A Rank DENGEON ke matching ke Magic energy wave nahi release kr rahe ho to. Wo A Rank DENGEON nahi kahlayenge.
Aise B Rank ya usase niche Rank ke DENGEON ke sath hota rahta hai.
Lakin A Rank DENGEON ke sath aisa bahut hi kam na ke barabar hota hai. Wiki A Rank DENGEON powerful Monsters se bhari hui hoti hai.
Mai Gaye se ander enter karne ke baar waha ki hawa ko feel krte hue apne man me sochta hu ' Ye DENGEON ke ander ki hawa to... ? '
' ye koi aam hawa nahi hai. '
' Ye Magic energy ka Wave hai. '
' Aur jaha tak mujhe yakin hai ye bossroom ke ander se aa rahi hai. '
Mujhe dekh ke mining team ke hi 2 members Aapas me baat karte hai.
1st person " Kya tum logo ne suna hai ? "
" Ye jo naya banda kaam par rakha gaya hai. Ye ek E Rank hai. "
2nd person ( surprise se ) " Kya ? Inhone ek E Rank ko Recruit kiya hai ? "
1st person " Ha tmne sahi suna. "
2nd person " Aakhir team leader isko Recruit krte time kya soch rahe the ? "
" Kya ek E Rank huntur apne strength ko bhi thik se control kar skta hai ? "
1st person " Yahi to mai kahna cahata hu. "
2nd person " Ab to mujhe kuch confirm nahi hai ki hum apna aaj ka kaam samay par khtam kar payenge bhi ya nahi. "
Wahi mai un sb ki bate sunte hue apne man me kahta hu ' E Rank wale bechare jaha bhi jate hai unhen aisi hi problems ka samna karna hota hai. '
' well, aisa nahi hai ki, mai yaha lambe time tak rahunga. '
' To fikar ki koi baat nahi hai. '
Tabhi ek bodybuilder type mining team ka member mere paas aata hai aur mujhe ghurte hue kahta hai " Hey, chlo jldi jldi kaam karo. "
" Yaha bs khade mat raho jabki rasta.... "
Wo bs itna hi kah pata hai ki mai ek cold look me apna face utha ke uski aakho me dekhta hu.
Aur meri aakho ko dekhte hi wo ekdam se bahut jyada dar jata hai aur kahta hai " K... Koi b... Baat nahi hai. "
" Aisa hota hai kabhi kabhi. "
Tap... Tap... Tap...
Aur mai waha se nikal ke ek taraf chla jata hu.
Mujhe jate hue dekh kr wo member kahta hai " ... Kya ye such me ek E Rank huntur hai ? "
Uski puri body pasine se bhiga jati hai. Bs kuch der me hi dar se.
Ab tak hum log jaha mana crystals DENGEON me ander tha waha tak phuch jate hai.
Aur ek tarf mujhe ek bade se trolly me ek High Rank ke Monsters ki mari hui body ko rakh ke le jate hue 2 log dikhte hai.
" One... Two.... Three.... "
Aise hi uske piche aur bhi log the jo aise hi bade bade trolly me Monsters ki mari hui body ko rassi se ache se bandhe hue trolly ko khich kr bahar ke ja rahe the.
Ye sare collecting team wale the. Jo ki mining team walo se phle DENGEON ke ander aaye the. Wo phle se hi apna kaam karne me lage hue the.
To ab to aap smjh hi gaye honge ki kyu sbse pahle Attack force DENGEON me enter krti hai ?
Taki wo Boss Monster ko chor kr baki sare Monsters ko maar de . Uske baad collecting team DENGEON me enter krti hai. Aur sare mare hue Monsters ki body ko utha kar DENGEON ke bahar le jati hai.
Aur ending me Mining team enter karti hai aur DENGEON ke ander ke sare mana crystals ko collect krke bahar nikal leti hai.
Jyada se jyada profit pane ke liye koi bhi Guild in tino steps me se koi bhi step skill nahi kar skta hai.
Mana aur energy crystal ke bare me to aap sb jante hi hai.
Lakin high Rank Monster ki mari hui body bhi bahut kaam ki chij hoti hai. Inka use karke alag alag tarah ke high level ke tool aur equipment banaye jate hai.
Bone, Leather,flesh aur baki sb kuch use me aata hai.
High Rank Monster ke body ko koi bhi part feka nahi jata hai.
Aur yahi sbse bada diffrence hota hai low Rank aur high Rank ke DENGOUN ke ander.
Aur jb wo Guild wale paise kamane ke her ek possible item ko DENGEON se nikal lete hai tab Attack force aa kr boss Monster ko maar deti hai. Aur Gaye ko close kr deti hai.
Aur ye chro kaam bilkul sahi se, aur sahi order me karte hai kisi bhi high Rank DENGEON ko clear krne ke liye.
Mere samne collecting team Wale ek 40 feet ke Monster ki jali hui body ko rassiyon se bandh rahe the.
Mai use dekh kr sochta hu ' Mujhe to yakin hi nahi ho raha hai ki kisi Monster ki laas bhi itni profitable ho skti hai. '
Tap... Tap... Tap...
Tabhi mining incharge mere bagal me aa kr khada ho jata hai. Aur same Monster ko dekhte hue kahta hai " Ye sub dekh kr Tum bahut jyada chakit ho gaye hogi. Wiki ye tumhara 1st time hai na kisi. A Rank DENGOUN ke ander. "
Mai " Ji aapne sahi kaha. Maine jitna socha tha yaha ke Monsters usse kafi bade hai. "
" Sare Monsters maar diye gaye hai. Bs ek Boss Monster hi akela bacha hai na. Maine sahi kaha na ? "
Mining incharge " Haa tmne sahi kaha. We use tab tak nahi maar skte jab tak ki humlogo ka kaam khtam na ho jaye. Warna Gate band ho jayega. Use marne ke baad. "
Mai " Kya hoga agar boss Monster apne jagah se bahar aa jaye to ? "
Mining incharge " Aisi situation bahut hi rare dekhne ko mili hai. "
" Lakin agar aisa kuch hua to yaha ke sare log mare jayenge. "
Hm logo ke hi samne se ander ki taraf jate hue ek raste ki taraf dekhte hue mai, Mining incharge se kahta hu " Aapko dar nahi lagta hai ki ek bahut hi khatarnak Monster just aapke piche kuch duri par hai ? "
Mining incharge " Nahi ! Bilkul bhi nahi. "
" Mai HUNTURS GUILD ke sath 3 year se kaam kar raha hu. Aur aisa koi accident aaj tak kabhi nahi hua hai. "
Mai ( apne man me ) ' Kabhi kabhi ignor karna ek galti ban jati hai. '
' Bhale hi boss Monster abhi saant hai lakin fir bhi wo abhi bhi itni jyada energy release kr raha hai ki koi bhi us energy ko feel krke kaapne lage. '
' Is boss ka level VALCAN aur METUS se bhi jyada high hai. '
' Anubhav aur Aayat such me bhut hi impressive hai ki wo aise boss Monsters ko maar pate hai. '
' Lakin ye perfectly organized A Rank Raid team bahut jyada impresive hai. '
' Tabhi to aaj tak koi accident nahi hua hai. Aur isi karan ye log aisa DENGEON itne ache se clear kr pate hai. '
' Yaha bs strength aur manpower ka use nahi hai. Iske liye skills aur expertise bhi bahut jaruri hai. Jo ki in logo ne apne bahut jyada experience se sikha hai. '
KADAK..... KADAK.....
KADAK..... KADAK.....
In sb ke baad mai apne upar ke uniform ko nikal ke apne kamar me bandh leta hu. Aur apne ander phle hue ek white slivless t shirt me Mana aur energy crystal ki kudayi me ag jata hu.
Mai apne hath me kudaal liye hue ache khase strength ke sath khudayi kar raha tha. Kuch hi der me mere body se kafi pasina niklne lagta hai. Aur mere paas crystals ka dher lagana start ho jata hai.
Sare Mining wale members mujhe hi Surprise se dekhne lagte hai.
Ek Mining member jo ki mining incharge ke paas khada tha wo mujhe surprise se aakhe fade dekhte hue leader se kahta hai " Leader, kya aapne ye nahi kaha tha hmse ki ye iska 1st time hai ? "
Mining incharge ( surprise se mujhe dekhte hue ) " H... Haa maine kaha tha. "
Mining Member " kya ye such me ek E Rank hai ? "
" Iske kaam karne ki speed aur Skills Normal nahi hai. "
Mining incharge " Of course ! Maineiska license check kiya tha. "
" Tumhe kya lagta hai mai kisi ajnabhi ko uska license check kiye bina hi aise hi rakh lunga ? "
Mining Member " To aap is baat ko kaise explain kar skte hai ? "
Mining incharge kuch nahi bol pata hai. Uske paas koi jawab hi nahi tha dene ko.
Fir thori der baad wo kuch soch kr kahta hai " Mr. Rider ko pakka hevel se thodi si blessings mili hui hai. "
" Meri najar such me achi hai. Mai kaam karne wale bando ko pahchan jata hu. "
Kuch hour baad lunch ka time ho jata hai. To Mining team ke members ek dusre se time dekhte hue kahne lagte hai.
" Ye to lunch ka time ho gaya hai. "
" Chlo sb ek break lete hai. Aur chl kar khana khate hai. "
" Haa !! "
Mining incharge ( meri taraf dekhte hue ) " Mr. Rider kya tum hum logo ke sath nahi aa rahe ho ? "
Mai " Mai thik hu. Maine pahle hi khana kha liya tha. "
Mining incharge ( smile ke sath ) " Ohhh ? To tum jo karna chahe kar skte ho ? "
Tap... Tap... Tap....
Aur sare log lunch karne chle jate hai. Aur unke jane tak mai Mining karta rahata hu. Ab tak maine bina ruke bahut jyada crystals ko mining krke nikal diya tha.
DHAM....
Sbke jane ke baad mai apne hath me pakdi hui Kudal ko niche jamin par gira deta hu.
Aur apne man me kahta hu ' To aakhirkar, mai ab akele ho hi gaya. '
' Mai aisi opportunity ko apne hath se jane nahi de skta hu. '
' Mere paas 1 hour ka free time hai. '
' Mai jaldi se ja kr apna kaam karke wapas laut aaunga. '
Run..... Run... Run....
Itna sub sochte hue mai teji se bhag kar boss Monster ke paas jane lagta hu.
Aur bas kuch hi minutes me boss Monster ke paas pahuch jata hu.
Wo mere se thodi hi duri pr sayad so raha hota hai. Uski height lagbhag 80 se 100 feet ki thi. Aur uske face me biche me sirf ek badi si aakh thi jo ki bilkul red color ki thi.
Mai ( boss Monster ko dekhte hue apne man me ) ' Ek Giant type boss ? '
' ye strong hai. Ab mujhe pura yakin ho gaya hai ki ye METUS se bhi jyada strong hai. '
' Meri abhi ki strength iske liye kafi hai lakin.... '
' Lakin pata nahi kyu meri anter aatma kah rahi hai ye galt hai. '
BUZZZZZZ.....
Itna sochte hue main apne left hath me apne dagger ko bula leta hu.
Mai " kya mujhe bs ise kaat dena cahiye ? "
( Apne man me ) ' Jaise hi mai is BOSS Monster ko maar dunga. Gate band hona suru ho jayega aur isase HUNTURS GUILD ko bahut jyada loss hoga. '
Tabhi achanak se mere piche se ek aawaj aati hai " Tum yaha kya kar rahe ho ? "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Kamal ba Ayat be rider ka pechy ha abUPDATE - 67
Ab tak aapne dekha dosto ki Attack force ke Gate se bahar aane ke baad hum log Gate ke ander jate hai. Waha par mai dekhta hu ki kaise top ke guild wale jyada se jyada profit ke liye kaise kaam karte hai. Fir mai Mining incharge se bhi puchna hu ki boss Monster yaha se kuch duri par hai. Aapko dar nahi lagta haim tab wo batata hai nahi Wiki aaj tak kabhi koi accident nahi hua hai. Jb sb members lunch karne jate hai. Tabhi mai acha muka dekh kr boss ko marne uske paas ja pahuchta hu. Tabhi mujhe ek aawaj sunayi deti hai.
AB AAGE....
" Maine tmne kuch pucha hai ? "
Mai akdam se kisi ke yaha aa jane se bahut ghbra jata hu. Lakin mera face uske opposite side me tha. Mere sath me mere dagger bhi tha. Lakin aawaj ko sunte hi mai Turant apna dimak lagata hu aur apne dagger ko wapas se inventory me bhej deta hu.
Hhhhaaaaaa.....
Aur fir ek lambi saas chorne ke baad mai apne aap ko relex karte hue apne man me sochta hu ' Jaisa ki maine socha tha.. '
' Ye ek bahut hi najdiki mamla ho skta tha. '
Aur fir wahi se khade khade se kahta hu " Mai Rasta bhatak gaya tha. Aur na jane kisi tarah mai yaha tak aa gaya. "
Aur ye jo awaj mere piche se aa rahi thi ye kisi aur ki nahi blki Aayat ki thi.
Wo hi mere piche khadi mujhe dekh rahi thi.
Aayat " Tum rasta bhatak gaye the ? "
( Mere uniform ko dekh kr andaja lagate hue ) " Kya tum mining Team ka hissa ho ? "
" Ye wo jagah hai jaha Boss rahta hai. Please waha se piche aa jao. "
Mai piche mud kr use dekhta hu. Is time bhi usne apne naak ko ek rumal se cover kiya hua tha.
Mai ( Aayat ko dekh kr apne man me ) ' Aayat ye koi Normal huntur nahi hai. '
' Ye mujhse fight krne me sakcham hai. To mujhe sb santi se nipta dena cahiye. '
Wahi Aayat mere hath ko khali dekh kr akdam se Surprise ho jati hai.
Aayat ( apne man me mere hath ki taraf dekhte hue ) ' kya abhi maine koi spna dekha ? '
' Mujhe pakka yakin hai isne apne hath me koi weapon pakda hua tha. '
Aayat ( mujhse ) " Please yaha se chli nikal jao. "
" Agr tmne Boss ko gussa dila diya to, yaha bahut sare log mare jayenge. "
Tap... Tap... Tap...
Aur mai waha se jane lagta hu.
Mai ( jate hue ) " Mujhe maaf kr dijiyega. Agr meri wajagh se koi problem hui ho to. "
Tap... Tap... Tap...
Jab mai waha se jate hue Aayat ke paas se aage nikla hu to. Aayat ki aakhe achank se badi ho jati hai.
Aayat ( kuch Surprise se mere taraf dekhte hue ) " Hey, ek second rukna jara. "
Mai ( confusion ke sath Aayat ko dekhte hue ) " huh ? "
Sniff... Sniff.....
Aur mai wahi ruk jata hu. To fir Aayat mere bilkul paas aati hai. Aur apni naak mere chest ke paas la kr mujhe smell krti hai.
Aayat mujhe sunghne ke baad bahut jyada surprise ho jati hai. Uski aakhe bhi ekdam se shock se badi badi ho jati hai.
Aayat ( apne man me ) ' Isase to koi mehak hi nahi aa rahi hai. '
Mai ( Aayat ko dekhte hue ) " kya koi problem hai kya ? "
Aayat " Kya tum such me ek huntur ho ? "
( Mere gale me latki hui Id card ko dekhte hue ) " E Rank... "
" Rider ! "
( Fir normal hote hue ) " Nahi koi baat nahi hai. Bs apna Dhyan rakhna aakhir ye DENGEON bahut bada hai. "
Mai " Ahhh... , Thik hai. "
Tap... Tap... Tap....
Aur mai waha se mining team ke baki members ki taraf jane lagta hu.
Aayat mujhe jata hua dekh kr apne man me ' kya uska Rank bhut jyada low hai, tabhi uski body se koi smell nahi aa rahi hai ? '
' Nahi balki wo to acha mehak raha tha. '
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch der baad mai Mining team ke baki sare members se mil jata hu. Wo bhi mujhe kaam ki jagah par na paa ke mujhse puchne lagte hai ki mai kaha tha ?
To mai unko wahi batata hu jo maine Aayat ko bataya tha. Meri baat sun kr sb shocked ho jate hai.
Tap... Tap... Tap...
Fir hum sb Wapas se kaam ki jagah pr wapas jate hue aaps me baat krne lagte hai.
Mining incharge ( mujhe dekhte hue ) " To tum kho gaye the aur tum Huntur Aayat se mile ? Kya tum lucky boy nahi ho ? "
" Unse ek baar baat bhi karna bahut rare baat hai. Aur tum to unse akele mile aur itni sari bate bhi ki. "
Mai ye sun kr bs ek badi si smile ke deta hu.
Mining incharge " Actually, huntur Aayat us time patrolling ke liye nikli thi, Quki unhe dar tha ki kahi boss apne room se bahar na aa jaye. "
" Apne break time me bhi patrolling, wo such me hi bahut hi down to earth hai. "
Mai ( apne man me ) ' Tabhi wo us time waha aayi thi. '
Tabhi mujhe Boss Monster ki taraf se aa rahi energy feel hoti hai aur mai apne man me sochta hu ' Mining team isi liye aise has has ke baate kar pa rahi hai, quki na hi un logo ne na hi boss ko dekha hai. Aur na hi ye sb uski Magical energy ko feel rah pa rahe hai. '
' Attack force ke members ka is bare me chinta karna bilkul jayaj hai. Quki wo sb achi tarah jante hai ki ye boss kitna jyada khatarnak hai. '
Tabhi ek chsma lagaye hue Mining team ka ek member mujhse kahta hai " Huntur Aayat, hunturs logo se aane wali scent ko smell kr skti hai. Jahir si baat hai ki ye kafi buri baat hai. "
Mai ( thoda chaukte hue ) " Hunturs logo se aane wali scent ? "
Chsme wala member " Ha ! We kahte hai ki ye kisi tarah ki ek unique ability hai. "
" Tabhi to wo jyadatar apne naak ko apne rumal se dhak krke rakhti hai. "
" Tmhe nahi lagta ki wo thodi unusual hai ? "
" Isi karan unko hunturs ke bich saas lena me muskil hoti hai. "
Ye sb sun kr mai apne man me sochne lagta hu ' kya isi liye wo us time waisa kar rahi thi ? '
' Aur mujhse puch rahi thi ki mai such me koi huntur hu ki nahi. '
Tabhi achanak se mujhe Buraka ( Ice ELVES ka Boss ) uski baat yaad aati hai.
Buraka " Hmare dimak me ek voice hmse lagatar baat karti rahti hai. "
" Aur wo hme lagatar humans ko marne ko kahti hai. "
" Lakin tumhare samne aisa kuch nahi kah rahi hai wo voice. "
Wo yaad aate hi mai apne man me sochta hu ' kya ye sb bikul us incident ki tarah ho raha hai ? '
' baki ke dusre Hunters ki tarah mujhse koi special smell nahi aati hai. '
' Aur na hi mere samne Monsters ke mind me mujhe marne ke liye koi aawaj aati hai. '
' Kya ye sb is liye hai quki mai System ka ek player hu ? '
' Haa yahi baat hogi. '
' Mere astitav ko bhi is System se kuch fayde mile hai. '
' Aakhir ye player hai kya ? '
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
SOME HOUR LATER
OUTSIDE THE DENGEON
Hum sb log apna kaam khtam karke DENGEON ke bahar khade the. Aur sare log kuch rest krke apne ghar jane ki taiyari kar rahe the.
Tabhi mining incharge mere paas aata hai. Baki Mining team ke members bhi hum dono ko gher lete hai. Fir mining incharge paiso se bhara hua ek lifafa meri taraf aage bhadhate hue kahta hai " Bahut acha kaam kiya, Mr. Rider ! "
" Tm kafi ache ho. "
" Aaj tumhe mana crystals mining krte hue dekhne ke baad aisa lag raha tha jaise ki tum koi Mining krne wale machin ho. "
Mai smile ke sath respect dete hue wo lifafa lete hue kahta hu " Aapka bahut bahut sukriya sir. "
Mining incharge ( smile ke sath ) " Nahi ! Nahi ! Tumhara bahut bahut sukriya. Quki bs tumhari wajah se hum aaj apna kaam time se 2 hour pahle hi khatam kar paye. "
" Mujhe to aaj bilkul bhi nahi laga tha ki hum apna kaam collecting team se phle khtam kar payenge. "
Baki sb members bhi jaha meri tarif kr rahe the. Wahi wo bodybuilder type wala mining team ka member hmse thodi dur khada meri tarif sbke muh se sun kr gusse se red ho raha tha.
Mining incharge " Main ye kaam karte hue bahut se logo se mila hu. "
" Lakin ye mere 1st time hai ki mai tumhare jaise kisi ladke se mila hu. "
" Tum Mining karne me bahut hi jyada telented ho. "
Mai ( apne man me haste hue ) ' ab mai kya batau tumhe. '
Mining incharge ( thode serious hote hue ) " Aise to mai jldi ye baat kisi se nahi kahta hu. "
" Lakin kya tumhe mouka mile to mere under me kaam karna cahte ho ? "
" Mai tumhara ache se dhyan rakhunga. "
Mai ( smile karte hue ) " Aapne mere bare me itna socha. Mai aapka bahut abhari hu. "
" Lakin mere paas pahle se hi ek dusri job hai. "
Mining incharge ( thoda sad hote hue ) " ohh ? Ye to dukh ki baat hai. "
" Acha to kal ke bare me kya khyal hai ? "
" Kya tum kal bhi kaam par aa skte ho ? "
Ye sun ke mai chup ho jata hu aur apne man me sochne lagta hu ' Re-evaluation bs 2din baad hai. To aise chote kaam ko fir se karna jaruri hai kya ? '
' Maine DENGEON ko puri tarah se saaf karne ke bare me lagbhag sb kuch sahi se sikh liya hai. '
' Ek min.... '
' kal bhi kaam pr ? '
Mai " HUNTURS GUILD kal fir se Raid krne ja rahi hai ? "
Mining incharge " Ha, bikul. "
" Ek aur A Rank Gate hai. "
" Lakin kal waha pr B team hogi A team ki jagah pr. "
Mai ( surprise hote hue apne man me ) ' B Team ? '
' kya HUNTURS GUILD walo me apne forces ko A Rank DENGEON ko clear krne ke liye 2 bhago me divide kr diya hai ? '
Mining incharge bhi sayad mere expression ko dekh ke smjh jata hai ki mai kya soch raha hu.
Mining incharge ( smile ke sath ) " HUNTURS GUILD ki yahi to power hai. "
" HUNTURS GUILD hi sayad India ki akeli aisi Guild hai jo apne Attack force ko 2 bhago me divide kr skti hai. A Rank DENGEONS ko clear krne ke liye. "
Mai " To kal mujhe kaha aana hoga ? "
Mining incharge ( khush hote hue ) " Tmne bilkul sahi decision liye hai Mr. Rider. "
" Mai yaha ke Main incharge se baat karta hu. Aur tumhara pay double karwa deta hum "
" Quki ye bilkul jayaj hai tumhare jaise kisi ke liye ki uska pay double ho jaye, jo akele hi 5 logo ka kaam kr deta ho. "
Mai ( smile ke sath ) " Ahh... Aapka bahut bahut sukriya iske liye. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
AN RESTORANT , DELHI
Shubham ek ladki ke sath usi restorant me aaya hua tha. Jaha wo aksar Rider ke sath aata tha. Us ladki ne bahut hi costly aur ache kapde pahne hue the. Aur uske upar usne ek bahut hi attractive black nd white color ka jacket pahna hua tha. Usne apne hair ki ponny tail banayi hui thi. Aur sir par ek black cap pahna hua tha.
Us ladki ka name Naina tha aur wo uski cousin sister thi.
Lakin Shubham normal se kapdo me tha.
Table par dher sari khane ki item rakhi hui thi. Sath me vodka ki bhi kuch bottle rakhi hui thi.
Dono ek dusre ke aamne samne baithe hue the. Aur Shubham nashe me lag raha tha.
Naina ( thodi narajgi se ) " Mai yaha sirf is liye aayi thi quki tmne sath me khane ke liye pucha tha. "
" Lakin tmne ye pork belly kyu mangwayi hai ? "
[ Pork belly ek korean dish hai.]
Shubham ( thode gusse se vodka ka ek shot pite hue ) " Huh ? Kya tm yaha niche rakhe is pork belly ko hi bs dekh rahi ho ? "
" Ye wahi place hai jaha maine aur Rider ne ak sath memory shared ki hai. "
Naina ( apni dono hatho ko aapse me mod kr gusse se Shubham ko dekhte hue ) " To fir tm apni is special jagah par mujhe kyu le kar aaye hue ho ? "
Shubham ( niche dekhte hue ) " Meri papa ke sath baatchit achi rahi. "
Naina ( thodi curiousity se ) " Kya ? Such me ? "
" To tum hamari Guild ke Guild Master banoge ? "
Shubham " Iske liye Mujhe Rider ki sahayata cahiye. "
Naina ( apne man me) ' Aakhir ye Rider hai kon ? '
Tabhi Shubham achanak se jor jor se rone lagta hai. Aur apna phone nikal kr usme se kuch Naina ko dikhate hue kahta hai " Ise dekho jara. "
" Rider mere call ko avoid kar raha hai, hai ki nahi ? "
Aur jb Naina phone me dekhti hai to use dikhta hai ki maine kafi time se Shubham ka call pick nahi kiya hai.
Shubham ( rote hue hi ) " Usne mujhsekaha tha ki wo kuch time ke liye mujhse baat nahi kar payega. "
" Lakin ab to ek week se bhi jyada time bit cuka hai. "
" Phle bhi aisa kabhi kabhi hota tha ki wo mere call 3 se 4 din tak pick up nahi karta tha. Lakin ek week to ab bahut hi jyada ho gaya hai. "
Naina ( Surprise hote hue ) " Kya tum uske sath relationship me ho ya aisi hi aur koi baat hai ? "
" Aise ajib behave karna band kro. "
Wahi RESTORANT ke TV me ek news dikhayi ja rahi thi. Jisme kisi bollywood star ke bare me kuch bata rahe the.
" Indian bollywood star Sangam bahut hi jald hi huntur Rank Evaluation ka sedule fix hone wala hai. "
Sangam ( reports se ) " Ji nahi meri aane wali movie ki shooting abhi khtam nahi hui hai. Mujhe mere Rank Evaluation hone tak wait Krna padega. "
" Tab hi mai Wapas se kaam par ja kar focus laga skta hu. "
Naina ( ye news dekh kr ) " Ab ye kya bakwas hai ? "
Shubham ( rote hue ) " Naina, ab tum humare bich ka topic kyu change kr rahi ho ? "
Aur wo bhi TV ke newsko dekhta hai. Aur gusse se kahta hai " Ye to Sangam hai na. "
" Bollywood star Sangam. "
" Ye kah rahe hai ki bs 2 din baad iska Rank evaluation hoga. "
Naina " Ye sb bas dikhawe aur publicity ke liye ho raha hai. "
" Ise phle hi A Rank mil cuka hai. Ye sb ye bs publicity ke liye kar raha hai. "
Shubham ( thode surprise se ) " Sangam ye sb bs publicity ke liye kar raha hai ? "
Naina " Ise bs skba attention cahiye hota hai. Lakin ise utna jyada attention ache kamo se nahi milta hai. "
" Ye woman's ke sath flirt karne ke liye badname hai. Yaha tak ki isne meri modeling ke juniors ke sath bhi Flirt krne ki kosis ki hai. "
" Ye aise plan banane me bahut acha hai. "
" Wo apne evaluation hone se phle se hi bahut hi jyada chalak hai. Ye sub bs ek... "
" Khir choro in bato ko, To kya tum Us Rider ke bare me hi mere se baat karna cahte the ? "
" Mai busy hu to.... "
( Shubham ke hath se uska phone chinte hue ) " Ise mujhe do. Chlo mai bhi tumhare Rider ko call keke dekhti hu. "
TRIN... TRIN....
Fir Naina mere no. Par Shubham ke phone se call mila deti hai. Aur mere phone par ghanti jane lagti hai.
Naina( Shubham ko uska phone dikhate hue ) " Ye kya hai ? Yaha se to usko call ja rahi hai. "
Shubham ( Surprise hote hue ) " Kya such me ? "
Mai call receive krta hu " Hey, bahut time ho gaya tumse baat kiye hue. "
Shubham ( Naina ke hath se phone le kr ) " Rider tmne mujhse kaha tha ki tum kuch time ke bahar ja rahe ho. Lakin tum itne din se aakhir kar kya rahe the ? "
Mai " Are jahir si baat hai. Mai DENGOUNS clear krne me laga hua tha. "
Shubham ( apne man me ) ' Jaisa ki Rider se mujhe ummid thi. Wo yahi kar raha hoga. '
Mai " To tmhari, Tmhare pita ke sath baat kaisi rahi ? "
Shubham " Mai isi bare me to tmse baat karna cahta tha. "
" Kya mai kl tumhare paas aa skta hu, agar tumhare paas kuch free time ho to ? "
Mai ( sochte hue ) " Kal ? Mai kal evening tak free ho paunga. "
Shubham " Thik hai, jaisa tum kaho. "
Aur Naina, Shubham ko aise phone pr baat krte hue dekh kr halke se smile krne lagti hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
SOMEWHERE IN DELHI
NIGHT TIME
Huntur Aayat is time apne ghr me thi. Sone ka time ho raha tha. Aayat ne sone ke liye ek choti si short aur ek white loose t-shirt pahni hui thim
Wo is time apne bedroom me thi aur waha se apne window se bahar ka najara dekhte hue kisi se call par baat kar rahi thi.
Aayat " Hello ! "
Samne se phone par " Huntur Aayat mujhe is time call kr rahi hai ? Kya baat hai ? "
Aayat " Kya tumne kuch information pata ki us ladke Rider ke bare me jo aaj Mining team ke sath kaam kar raha tha ? "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
UPDATE - 68
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Aayat bhi waha boss room ke paas achank se aa jati hai. Fir mai use rasta bhoolne ka bahana bol kar waha se nikal jata hu. Uske baad mai baki sb mining members ko ye baat batata hu tb wo log mujhe Aayat ke bare me kuch bate batate hai. Fir hum sb apna kaam sedule time se 2 hour pahle hi khatam kar lete hai aur ye sb bs meri wajah se hota hai. To Mining incharge mujhe apne under kaam karne ka offer deta hai to mai use Mana kr deta hu fir wo mujhe kal ke Raid ke bare me batata hai to mai haa kr deta hu.
Wahi Shubham Apni cousin sister Naina ke sath ek restorant me mujhe yaad krke bahut jyada udas hota hai to Naina uska phone le kr mujhse baat krwa deti hai.
AB AAGE.......
Aayat abhi bhi phone pr lagi hui thi. Aur dusri side se jisne phone pick up kiya tha usne kuch der wait karne ke liye kaha tha.
Aayat ( apne man me ) ' Wo kho gaya tha. Aur kisi tarah boss room ke samne phuch gaya tha, wo bhi itne bade DENGEON ke ander ? '
' Aisa kabhi nahi ho skta hai. '
' Mere khyal se wo kisi dusre Guild ka koi spy hai jo hmare Ghild me.... '
' Huh.... Ab ye baat mujhe paresan kr rahi hai. '
Phone me dusri taraf wala apne kisi co worker se baat krte hue " Huh ? Tmhara Matlb hai ki... "
" Is E Rank huntur ka Association ke sath koi nata hai ? "
Aayat " Tum ise jante ho ? "
Dusri side se " Ah, Actually baat ye hai ki.... "
" Mai aapko ek such batata hu. Master Anubhav ne bhi mere se aapki tarah hi is ladke ke bare me pata karne ko kaha hai. "
Aayat ( Surprise hote hue ) " Master Anubhav ne ? "
Phone ke dusri side se " Haa ! Wo bhi cahte hai ki mai is ladke ki information ke bare me pata karke unko batau. "
Aayat " Tumhe pata hai kya Master uske bare me kyu pata kar rahe hai ? "
Dusri side se " Well, mai thik se to kuch nahi bata skta hu.. "
" Maine apni puri kosis ki hai ki hai ki mai jitni ho ske is ladke ki information nikal saku. Lakin association ne is ladke ke data pr ek lock laga rakha hai. "
" kisi Non high Rank huntur ke liye uske information data pr itne sare security lock lage hue maine apni life me pahle baar dekha hai. "
Ye sb sun kar Aayat apne man me ' Master of HUNTURS GUILD iske identity ke bare me janana cahte hai. '
' Aur HUNTUR ASSOCIATION iski information chupane me laga hua hai. '
' Aakhir yaha ye sb chl kya raha hai ? '
Aayat " Thik hai kuch bhi pata chle to mujhe informed Krna. "
BEEPP......
Tap... Tap... Tap...
DHAMMM......
Aur wo call cut kar deti hai. Aur ja kar apne bed pr let jati hai.
Aayat bed pr lete hue hi apne man me sochti hai ' Aaj tak mai jitne bhi hunturs se mili hu ye un sb se Aakhir kyu alag hai ? '
Aayat ( upar roof ko dekhte hue ) " Ye 1st person hai meri life ka. Jo acha smell krta hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
NEXT DAY, MORNING TIME
Agle din mai jaha Next A Rank ki raid hone wali thi. Us jagah time se pahuch jata hu. Maine aaj ek black full sleeve ki t-shirt phna hua tha.
Mujhe dekhte hi sare Mining team ke members khush ho jate hai. Aur smile krte hue mujhe greet karne lagte hai.
Mining incharge ( smile ke sath ) " Ohh ! Mr. Rider tum yaha aa gaye. "
Chasme wala teammate ( smile ke sath ) " Chlo aaj bhi hum sb apna best denge. "
Mai bhi unki baat sun kr bs ek smile kar deta hu.
Quki is sb ko dekh ke aur inki bate sun kr mujhe apne purane din yaad aa gaye the. Jb mai aise hi Raid ke liye jata tha. Tab Anjana, Rohan, Rahul sb aisi hi bate karte the.
Mining incharge " Aaj tumhe hme lunch ke liye join karna hi hoga. "
Chasme wala teammate " Haa ! Aur ab ye mat kah dena ki aaj bhi tum khana phle se hi khaa kar aaye ho. "
Mai ( sbko dekh kr aur unki bate sun kr ) ' Mai pichle kuch time se in feelings ko to lagbhag bhool hi cuka tha. '
' Yaha ka atmosphere mujhe mere kuch purani memory ki yaad dila raha hai. '
' Ye aakhir itna bhi bura nahi hai. '
Wahi wo bodybuilder type wala mining member aaj bhi mujhe gusse se dekh raha tha. Aur mere se dur dur hi rahta tha.
Fir hum sb log DENGEON ke ander jane se phle jo sari taiyariya karni hoti hai. Wo karne me jut jate hai.
Aur jldi hi hum sb apna kaam nipta leta hai.
Mining incharge ( sbko dekhte hue ) " Mining team, Aaj ki morning me aap sb ne acha kaam kiya hai. "
" Hum ab kuch der ke liye rest karenge fir hum sb mil kar afternoon ka apna kaam karenge. "
Ye sun kar sare log kuch der ke liye aaram karane lagte hai.
Tap... Tap... Tap...
Abhi hm logo ko aaram karte hue thori hi der hui hoti hai ki, Attack force ka ek huntur hmari taraf aate hue smile ke sath kahta hai
" Kya aisa ho skta hai ki hum Mining team se kisi person ko aaj ke liye udhar le skte hai ? "
" Hmara porter ( saaman uthane wala. A kind of kuli ) aaj kaam par nahi aaya hai. "
Wo ek handsome sa lagbhag mere hi height aur age ka ladka tha. Usne apni huntur wali ek uniform pahni hui thi. Sath me usne apne body par costly armour bhi wear kiya hua tha. Aur apne back pr usne ek high level ka roab bhi carry kiya hua tha.
Uski baat sun kr sare Mining team ke members usase najre curate hue kahte hai.
1st member " Ye log Mining team me se kisi ko as a porter ke liye le jana cahte hai ? "
2nd member " Lakin yaha to collecting team me phle se hi bahut se Strong log hai. Jo heavy load aaram se carry kar skte hai. To ye log hmare paas kyu aaye hai ? "
Ye sun ke wahi paas me khada collecting team ka incharge us huntur ko dekhte hue kahta hai " Mere aadmiyo ko bina ruke Lagatar 3 Hour kaam karna hoga. Taki unka dinner na skipped ho jaye. Aur ara kaam bhi time se complete ho jaye. "
" Aur ab tum cahte ho ki ham logo me se koi ek tmko as a porter follow kare ? "
" Mere team ke paas itni manpower nahi hai. "
( Mining incharge ko dekhte hue ) " Ye sub isi liye ho raha hai quki Mining team ne kal apna kaam bahut jldi khatam kar liya tha. "
Mining incharge " Well, hm kal apna kaam sedule time se 2 hour phle khtam kar paye. Ye sub bs Mr. Rider ke karan hi ho paya tha. Unke bina hum ye kabhi nahi kar pate. "
Wo huntur ( sbko dekhte hue jor se ) " Kya yaha koi hai jo Attack force ke sath aana chahata hai ? "
" Ye Raid khtam hone ke baad hum itna Risk uthane me liye tmko usi hisab se payment bhi kr denge. "
Ye sun ke bhi sare members us huntur se apni najre cura rahe the. Aur apne man me kai sare bate soch rahe the.
1st member ( apne man me ) ' Kuch extra paiso ke liye apni life ko risk me dalna ? '
Bodybuilder type member ( apne man me ) ' Bhle hi ye mujhe pit pit kr maar dale, mai tab bhi inke sath nahi jaunga. '
Tabhi mining incharge us huntur ke paas ja kr kahta hai " Meri baat suniye leader Aman."
" Agar yaha B Rank DENGEON bhi hota tab bhi hum sb usme as a porter jane ke liye bahut ghbrate. Lakin yaha to A Rank DENGEON ke liye porter ka kaam karna ki baat ho rahi hai. hum sb ke liye bahut jyada hi khatarnak hai. "
" Hum sb jante hai ki bhale hi jo bhi person jayega use bs aapke equipments hi carry karna hoga. "
" Lakin fir bhi Mining ka kaam karne ke comparison me yaha Risk bahut jyada hai are liye. "
" Hmare mining team me jyadatar members D Rank huntur hai. Aur sath hi me hmari team me kuch E Rank huntur bhi hai. "
" Ek choti si khroch bhi humlogo ko marne ke liye kafi hai. "
" Kya aapko such me aisa lagta hai ki yaha par jitne bhi log hai, unme se koi bhi person bs kuch extra paiso ke liye apni jaan ko itne khtre me dalega ? "
Aman ( Nirash ho kr ek aakhiri baar puchte hue ) " kya yaha koi nahi hai ? "
Mai jo ki in sb logo se thodi dur par ek bench pr baitha hua tha. Apni jagah se khada ho jata hu. Aur apna hath upar uthate hue kahta hu " Mai jaunga. "
Meri baat sunte hi sare mujhe shocked ho kr dekhne lagte hai.
Aur sbke muh se ek hi aawaj aati hai " Kya ?"
Aur agle hi pal mining incharge aur wo chasme wala teammate mere paas aa jate hai. Aur mujhe smjhane lagte hai.
Chasme wala teammate " Ek E Rank huntur in logo ko A Rank DENGEON ke ander follow karna chahta hai ? "
Mining incharge " Mr. Rider aakhir aap soch kya rahe ho ? "
" Is DENGOUN ke ander powerful Monsters intejar kar rahe hai. Aakhir tum inke sath kyu jana cahte ho ? "
" Tumhare jaise kisi young ladke ko jiska future itna bright hai usko apne life ke sath aisa risk nahi lena cahiye ?
Mai ( un dono ko dekhte hue ) " Mai waha surakshit rahunga. Aisi baat nahi hai ki mere ander guts nahi hai. "
( Apne man me ) ' Bhle hi mai unke equipment's ko utha ke ander le jaunga. Lakin fir bhi in sub ko anpi aakho se Monsters ke sath fight krte hue dekh kr ye mere liye bahut kuch sikhne ka ek bahut hi acha chance hai. '
' Mujhe bhoolna nahi cahiye ki ye ek A Rank DENGEON hai. To jahir si baat hai yaha sikhne ko bhi bahut kuchh milega. '
Tabhi ek aur mining Team ka member ja kr Aman se smile krte hue kahta hai " Is ladke ne hmare sath bs Kal se hi kaam karna suru kiya hai. To isne bina kuch bhi jane apna hath utha diya hai. "
Aman ( mujhe dekhte hue ) " Is ladke ka Rank kya hai ? "
Wo member " Ye ek E Rank huntur hai. Wiki iska Rank bhi bahut low hai. To aapko kisi aur ko apne sath le jana cahiye. "
Aman ( smile ke sath ) " Nahi ! Hm ise hi le jayenge. "
Aur Aman ki ye baat sunte hi mining incharge aur baki jo mujhe pasand krte the. Wo ab nirash ho jate hai. Quki un sb ko meri bahut chinta thi. Wo nahi cahte the ki mujhe kuch bhi ho.
Aman mere paas aa kr mujhse hath milate hue smile ke sath kahta hai " Sukriya hmare sath DENGEON ke andar chalne ke liye. "
" Mera name Aman hai. Aaj ke Raid ko lead krne ka kaam mujhe hi diya gaya hai. "
Mai ( hath milate hue ) " Mera name Rider hai. "
Tap... Tap... Tap....
Fir mai Aman ke sath thori hi duri par khade Attack force ke paas chla jata hu. Aur unke equipment's se bhara hua bag apne back pr utha ke latka leta hu.
Aman " Kya ye bahut bhari hai ? "
Mai ( smile ke sath ) " Nahi ! Mai bilkul thik hu. "
Aman ( mujhe dekhte hue apne man me ) ' Ise dekh kr bikul bhi nahi lag raha hai ki ise ye bhari bag uthane me koi bhi problem ho rahi ho. '
Tap... Tap... Tap.....
BUZZZZZZ......
BUZZZZZZ......
Fir hum sb chl kar Gate ke paas aa jate hai.
Mai ( Gate ki taraf dekhte hue apne man me ) ' Kal ka Gate big tha. '
' Lakin kya ye kal wale Gate se bhi bada hai ? '
Aman ( mujhe dekhte hue ) " Kal tmhara mining ka 1st day tha na, hai ki nahi ? "
" Tb to aaj ye tumhara 2nd time hoga, jab tum kisi A Rank Gate ko dekh rahe ho. "
" Ye Gate tmmo kal wale se bada lag skta hai. Lakin unka kahna hai ki jo Magical energy iske ander se flow ho rahi hai. Wo kal wale Gate se kam hai. "
" Agar ye bahut jyada khatarnak hota to B Rank team ise handle nahi kr rahi hoti. "
Aman ke bate sunane ke baad mai apni jagah se mud kar Attack force ke baki ke members ko dekhne lagta hu.
Mai ( apne man me ) ' To ye hai HUNTURS GUILD ki B team. '
' Agr bs A team se dono S Rank huntur ko nikal de to, dono team ke Attack force me sayad hi koi antar hoga. '
' 11 A Rank huntur aur 6 B Rank hunturs. '
' Agar inke jagah aur koi Guild hoti to wo apne members ko is taraf 2 team me divide nahi kar sakte hai. '
Sare hunturs ready ho gaye the. Aur Gate ke samne bhi aa cuke the. Tab sbse aage khada Aman kahta hai " Chlo sub ander chalte hai. "
Tap... Tap.... Tap....
Fir sbse aage Aman Gate ke ander enter karta hai. Aur sbse aakhir me mai enter karta hu.
BUZZZZZZ....
BUZZZZZZ......
Gate ke ander enter krte time mujhe kuch feel hota hai to mai apne man me sochta hu ' Is Gate se flow hone wali magical energy kal wale gate ke comparison me kafi low hai. '
' Association ki measurement bhi galt nahi lag rahi hai. '
' Lakin fir bhi kyu ? '
' Mujhe kyu aisi feeling aa rahi hai, jo feelings Red Gate ke ander jate time mujhe feel hui thi ? '
' Kya ye is liye lag raha hai, quki mai bs Nervous hu ?'
' Mai to Attack force ka bhi hissa nahi hu. To mujhe bs relax rahna cahiye aur itni jyada fikar nahi karni chahiye. '
Aur mai bhi baki sb logo ke sath DENGEON ke ander chla jata hu.
DING....
[ Aapne ek DENGEON ke ander enter kiya hai. ]
DENGEON ke ander jane ke baad Attack force ki hi ek female huntur mere paas aati hai.
Usne purple color ka ek beautiful uniform pahni hui thi. Aur uske back pr ek purple colour ka hi roab tha. Uske hair kamar tak aa rahe the. Aur usne unko upar se open rakha hua tha aur ending me ek ribban lagayi hui thi.
Uska name soniya tha. Aur wo ek A Rank huntur thi.
Soniya ( mere sath DENGEON me aage chalte hue ) " Tumhe Nervous hone ki koi jarurat nahi hai. "
" Aman Bhaiya, mera Matlb hai ki.... "
" Leader aur yaha ke baki sare hunturs bahut hi ache aur outstanding hunturs hai. "
Aman sbse aage chalte hue baki sub se " Chlo is taraf chlte hai. "
Soniya ( mujhe dekhte hue smile ke sath ) " Tum bhi chlo. "
Mai bhi un sb ke sath aage jane lagta hu.
Mai ( apne man me soniya ko dekhte hue ) ' Kya ye ek A Rank healer hai ? '
' Miss. Anjana bhi ek B Rank healer hai. Aur agar unhen us baat ka sadma nahi laga hota to wo bhi aaj ke time me aise hi kisi Attack force ka hissa hoti. '
' Is team ke jo 6 B Rank huntur hai. Wo bhi A Rank huntur ke lagbhag barabar hi hai. '
' HUNTURS GUILD ke paas 2 team hai jisme is tarah ki strength hai.... '
Soniya ( mujhe dekh ke aage chalte hue ) " Hmari Attack force me sari tarah ke fighting style wale hai. Is liye hum sbka aaram se samna kar skte hai. "
" To jab tak tum hmare banaye hue formation me rahoge tab tak tum Monsters ke Attack se surakshit rahoge. "
" Mai tumhe iske bare me thora smjhati hu. "
" Agar Mage ( magic type huntur ) hunturs ko chot lagi to Tankers uske liye jimmedar honge. "
" Agar healer ko chot lagi to Attack force uske liye jimmedar hogi. "
" Aur agar porter ke upar Attack hua aur use chot lagi to, Iske liye puri Guild jimmedar hogi. "
" Isi liye hum aisi situation kabhi nahi aane denge ki tum Monsters ka target bano. "
" Jab tak ki hmari puri Attack force khatam nahi ho jati hai. He kuch nahi ho skta hai. "
Mai ( apne man me ) ' Matlab porter par tabhi Attack ho skta hai, jb puri Attack force wipe out ho jaye. '
Wahi sbse aage chalte hue Aman apne man me sochta hai ' Mujhe HUNTURS GUILD ke is team ko lead krne ka kaam phli baar diya gaya hai. '
' Lakin agr mai aaj ke Raid ko successfully complet krne me safal raha to mujhe officially is Team B ka leader bana diya jayega. '
' Bhale hi mai Master Anubhav ya Vice Master Aayat nahi hu. '
' Lakin mai bhi sare A Rank hunturs me sbse best huntur hu. '
' Mai ye kar skta hu. '
Tap.... Tap..... Tap.....
Tabhi sbko ek bahut hi halki si aawaj sunayi deti hai. Aur agle hi second bina kuch kahe aur time barbad kiye sare hunturs log ek formation bana kr apne apne fighting position me aa jate hai.
Mai ye dekh kr bahut jyada surprise ho jata hu aur sbko dekhte hue apne man me sochta hu ' Bina kisi instructions ke ye sare fight ke liye ready ho gaye... '
' To ye hai asli strength A Rank Attack force ki. '
Run.... Run.....
AAUUUUUUUU........
AAUUUUUUUU.......
Samne se bahut teji se Monsters andere me se hmari taraf aa rahe the.
Aman ( unko dekh kr surprise se ) " Kya ? "
" Ye sare to..... "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Chlo rider samny a gyaUPDATE - 69
Ab tak aapne dekha kaise Aayat mere bare me information nikalne ki kosis krti hai. Tab use pata chalta hai ki Anubhav bhi mere bare me pata kar raha hai aur Huntur Association walo ne mere data par security lagayi hui hai.
Mai next day Raid ki jagah par jata hu to aaj ke Raid team ka leader Aman mining team ke paas aa kr ek bande ki maang karte hai Quki unka porter aaj nahi aaya tha. To mai chla jata hu. Aman mujhe DENGEON ke ander jane pr kafi kuch batata hai. Aur uske baad mujhe ek A Rank healer Soniya milti hai aur wo bhi mujhe bahut kuch batati hai. Tabhi hum logo pr Monsters ka hamla ho jata hai.
AB AAGE.....
AAUUUUUUUU.......
AAUUUUUUUU......
Run... Run...
Aman un Monsters ko dekh ke " Ye to DENGEON ke ander rahne wale siyar hai. "
SWOSSSSSS..... Auuuuu.....
KHACHAK......
Aur Aman ke itna Bolte hi wo sare siyar Attack force par hmla kar dete hai.
Aman aur usase thodi hi dur par khada Ek Tank type huntur unko formation ke ander jane se rok rahe the. Aur apne apne weapon se unko marne me lage hue the.
Wo sare siyar bs ek Attack me hi dher ho jati thi.
Jump.....
SWOSSSSSS.....
Aauuuu... Aauuuu......
Tabhi ek aur A Rank huntur piche se ek high jump laga kr Aman aur us Tank type huntur ke aage pauch jata hai. Aur apni sword ke bs ek hi Attack se 3 se 4 siyar ko ek baar me hi dher kr deta hai.
Aur uske agle hi second ek Mage type female huntur jisne ki ek sexy si costume phni hui thi, ne apne dono hatho me aage ke do bade bade gole bana leti hai. Aur chilla ke kahti hai " Niche jhuk jao. "
BUZZZZZZ....... BUZZZZZZ.....
BOOOMMM......
BOOMMM........
Uske itna kahte hi uske aage ke sare hunturs niche jukh jate hai. Aur wo apne dono hath me liya hua aag ka gola un sitaron ke jund pr fek deti hai.
Aur siyaro ka pura jund hi khtam ho jata hai. Sbki body ke kai parts ho gaye hote hai. Aur bahut se to jal ke raakh ho gaye the.
Jb sare siyar mar jate hai to unko body ko dekhte hue Aman khta hai " Ye kya hai ? "
Tank type huntur ( siyaro ki body ko dekh kr ) " Aakhir A Rank DENGEON ke ander ye siyar kya kar rahe hai ? "
Mai ( soniya se thoda confusion ke sath ) " Kya DENGEON ke siyaro ka A Rank ke DENGEONS ke ander se nikal ke samne aana Rare hai ? "
Soniya ( siyaro ki body ko dekh kr sochte hue ) " Nahi lakin..... "
" DENGEON ke siyar C Rank ke Monsters hai. "
" Quki ye sare bahut kamjor, aur Food chain me bhut niche aate hai to aan taur par inka koi na koi sikar kar leta hai. "
" Ye apne Pack ki sankhya ko badha nahi pate hai Quki inka sikar inse Strong Monsters kar lete hai. "
" DENGEON ke ye siyar yaha pr kisi bhi Monster ka sikar nahi kar skte bhale hi ye log Group me hi kyu na fight kre. "
" Aur Quki ye apne sikar ko hara nahi skte hai. Isi liye inke jaise weak Monsters yaha par survive nahi kr skte hai. "
Tabhi meri najar ek siyar ke gale me bandhe hue ek red patte par padhti hai. Aur mai us siyar ke paas ja kar niche baith jata hu. It use dhyan se dekhne lagta hu.
Mai ( use dekh kr apne man me ) ' Ek patte ka nishan '
" Ye ordinary Siyar nahi hai. "
" Koi inhe paal posh kar bada kar raha tha. "
Aman " Iska to ek hi Matlb nikalta hai. Koi inhe paal pos kar jinda rakhe hue hai. Inko sikari kutto ki tarah use karne ke liye. "
Mai ( apne man me ) ' Koi Monster jo ki utna jyada smart hai ki usne in sikari siyaro ko free chor diya aur hmare piche laga diya. "
" Bhale hi wo kisi bhi pathari ke Monsters ho. Lakin intellectual Monsters se deal Krna bahut hi muskil hota hai."
TAP... TAP... TAP....
Tabhi mujhe waha kisi ke aane ki aawaj sunayi deti hai. Aur usko sun kr mai DENGEON me ek taraf dekhte hue apne man me kahta hu ' Sayad.... '
' Meri bhwisywani such sabit ho skti hai. '
' Quki Jo is DENGEON ke asli Monsters hai wo aa rahe hai. '
TAP... TAP... TAP....
Tabhi waha jo real monsters rahte hai. Wo DENGEON ke ander se nikal kar hm sb ke samne aa jate hai.
Unko dekhte hi sare logo ko ek bahut bada sadma lagta hai. Sare hunturs ki aakhe ekdam se badi ho jati hai. Unke pure body se dar ke mare pasina nikalne lagta hai.
Aman samne khade Monsters ko dekhte hue bahut jyada dar ke sath " Hey bhagwan ! "
Thank huntur ( sadme se ) " High orcs ?! "
Ek huntur ( darte hue ) " High orcs hi kyu ? "
Hum sb logo ke samne red skin wale, human type ke bodybuilder Jinki height lagbhag 30 se 60 feet thi wo khade the. Unke daat bahut hi bade bade the. Aur vampire ki tarah unke muh se do lambe lambe aur nukile daat nikle hue the. Antar kewal itna tha ki inke niche ke cornor ke do daat bahar ko nikale hue the.
Wo sb lagbhag 20 ke karib the. Aur unke dono hatho me unke weapons the. Unki aakhe bilkul red colour ki thi aur bahut jyada glow kar rahi thi.
Aaaaahhhhhhhh........
SWOSSSSSS........
Unme se sbse aage khade ek high orc ne apne hath me pakda hua ek bhala Aman ki taraf apni puri power se fek diya.
TADHHHH.......
Aur wo bhala lightning speed se sidhe Aman ke samne chla aata hai. Lakin turant hi Aman ne bhi apne high quality ke Shield ko apne aage kr diya. Aur wo bhala sidhe ja kr us shield par laga.
BOOM........
CRACK.... CRACK.....
Aur shield se takra kar wo upar DENGEON ke roof me ja ghusa. Is Attack ko bhi rokne ke liye Aman ko apni sari strength lagani padi thi. Sath me jaha wo bhala uske shield se takrati thi.
Waha se shield bhi bahut buri tarah se crack ho jata hai.
Aman ( apne shield ko dekhte hue dar ke sath apne man me kahta hai ) ' Itni jyada power. '
JUMP......
SWOSSSSSS.......
TADDDD.......
Abhi Aman apne shield ko hi dekh raha tha ki agle hi pal use aisa feel hota hai koi uske upar hai. Aur wo jaise hi upar dekhta hai. Wahi bhale phekne wala high orc apni jagah se ek lambi jump laga kr apne hath me pakde sword se us par Attack kar deta hai.
Aman bhi turant hi fir se apna shield aage kar deta hai. Aur uske Attack ko rok leta hai.
Run... Run....
JUMP..... JUMP......
SWOSSSSSS......
SWOSSSSSS......
Uske sath baki sare High orcs bhi baki sb hunturs par apne apne weapons se Attack kar dete hai.
HYAAAAA...
Tabhi Tank type huntur apne weapons se un high orcs ke tarf karte hue unke upar Apne TAUNTS Skill ka use krte hai. Aur unka weapons red color me glow krne lagta hai.
Is skill ke use se samne wala apni sochne smjhne ki sakti kho deta hai. Aur paglo ki tarah bs Attack karne lagta hai.
Aise me dusman ko harana bahut aasan ho jata hai.
Run... Run....
JUMP.... JUMP....
SWOSSSSSS.....
SWOSSSSSS.....
Lakin ye kya samne khade high orcs ko to isase koi fark hi nahi pad raha tha. Aur wo phle jaise hi bhagte hue aur jump karte hue inke paas aa kr apne sword, kattar aur baki weapons se Attack kr rahe the.
Tank type huntur ( bahut jyada surprise se apne man me ) ' Ye kya inke upar to TAUNTS skill ka koi Effect hi nahi pad raha hai. '
JUMP... JUMP....
Tabhi waha se kuch high orcs jump keke formation ke ander ghus jate hai. Aur Mage type huntur ke taraf jane lagte hai.
Tank type huntur ( fight karte hue piche baki sbko chilla kr ) " ye sare high orcs Mage type huntur ke piche hai. Sambhal kr. "
Ye sub sun kar aur dekh kr Tank type huntur ke piche khade Mage type huntur sb sawdhan ho jate hai.
Aur ek mage type huntur jisne magician jaisi blue color ki uniform pahni hui thi sath me unme sk nukili lambi si gol cap bhi apne sar par pahni hui thi.
Uske hath me lalten type ek instrument tha.
Wo magician turant hi kahta hai " Fikar mat kro. Hum sb itne aasani se inse nahi harenge. "
BUZZZZZZ.....
BUZZZZZZ.....
Itna bol kar wo ek spell bolta hai. Aur apne hath me pakde hue lalten ko aage kr deta hai.
Aur uske baad us lalten me se kafi teji se aag ki kai sari lapte niklti hai aur unki taraf aa rahe us High orcs ko ja kr lag jati hai.
BOOMMMMM........
BOOMMM......
Aur usko agte hi aag ki bahut hi tej dhamaka karti hai. aur usko waha se piche ki taraf dhkelne lagti hai.
CHUUU..........
Run.... Run.....
Lakin ye kya wo High orcs thoda sa piche jane ke baad kud ko smbhal leta hai. Aur wapas se teji se mage huntur ki taraf aur bhi jyada gusse se badhne lagta hai.
Ye dekh kr wo lalten wala mege huntur dar aur chinta se kahta hai " Ye kaam nahi kiya ?! "
" Iska magic resistance to bahut hi jyada acha hai. "
ZZZZZZ..........
Tabhi wo wo sexy female mage huntur, jisne sare siyaro ko jala ke maar diya tha, wo aage us High orcs ke samne aati hai aur ek spell bol kr apne dono hatheli ko aaps me jod kar aage krti hai. Aur spell ke khtam hote hi unko open kr deti hai.
Aur tabhi uske hath se ek purple colour ki ek magic ray nikalti hai aur ja ke us High orcs ke puri body ko jakad leti hai.
Wo high orcs apne body ko bikul bhi hila nahi pa raha tha. Lakin usne bhi haar nahi mani aur high orcs apna pura jor lagane lagta hai isase niklne ke liye.
Sexy female mage huntur " Ye bahut jyada Powefull hai. Mai ise jyada se jyada bs 5 Second ke liye hi roke rakh sakti hu. "
Ye sunte hi lalten wala mage huntur kahta hai " Itna kafi hai. "
Aur wo Turant hi apne lalten ko apne hath me le kr hawa me upar utha deta hai. Aur chilla kr ek spell bolta hai " MERI PUKAR PAR DHYAN DO. AUR MERE ENEMYS KO MAAR DALO. "
BUZZZZZZ.....
BUZZZZZZ......
Aur spell ke khtam hote hi uske lalten se bahut hi dher sari fair nikalti hai. Aur bs agle hi second uske samne ek fire se bana hua tank type huntur khada ho jata hai. Uske dono hatho me aag ki bani hui sword thi.
SWOSSSSSS.... TAKKKK.......
SWOSSSSSS...... TAKKKK......
Aur wo aag ka bana hua creature ja kr us High orcs se fight krne lagta hai. Dono logo ke dono hatho me weapons tha. Jo aapas me takra rahe the. Dono me koi bhi piche hatne ko taiyar nahi tha. Dono apna pura jor laga rahe the.
Lalten wala huntur ye sub dekhte hue chinta ke sath apne man me sochta hai ' Mai 2 summouned creatures ko yaha bula skta hu.'
' Ek Single creature me A Rank huntur ke equal strength hogi. '
' Lakin is summouned magic ko use krne ke baad mai koi aur magic ka use nahi kar paunga. '
' Ye mera Trump Card hai jise maine ab tak bacha ke rakha tha. Quki agar unko koi chot pahunchi aur ye khtam ho gaye to mera Mana khtam ho jayega. '
' Lakin mera mana to phle se hi kam hai... '
' Dhat teri ki... Agar mujhe ek aur summouned creature bulana pada to mai bilkul asahay ho skta hu. '
SWOSSSSSS........
KHACHAK.......
Aaahhhh........
Wahi ek taraf ek High orcs apni ek bahut badi kulhadi se bs ek hi war se, ek B Rank huntur ka right hath hi pura kaat deta hai.
ZIGGG.....
ZIGGGGG........
Ye dekh kr usase hi kuch piche khada ek Male Healer jisne ki apne hath me ek long stick pakdi hui thi jiske top pr ek u form ka metal ka kuch bana hua tha, ne apne healing magic se us B Rank huntur ka hath heal karne lagta hai. Uske stick ke top par lage metal se ek badi si Green ray nikalti hai. Aur us B Rank huntur ka hath heal hone lagta hai.
Healer B Rank huntur ko heal krte hue kahta jor se chilla kr hai " Aakhir Tankers kya kar rahe hai ? "
" Back line ke hunturs ko bachao tum sb. "
Tab tak us huntur ka pura hath wapas se uske body se jud jata hai.
Tankers me se ek Huntur chillate hue kahta hai " Hmari TAUNTS skill in sb par kaam nahi kar rahi hai. Hmari skill hmare upar hi bounce back ho jati hai. "
Tabhi ek B Rank huntur ko ek high orcs uske sir se apne muthi me pakad kar hawa me utha deta hai.
Wo B Rank huntur ( bahut jyada dar ke sath ) " Bachao ! Bachao ! "
" Koi to mujhe bachao. "
" Jaldi kro. "
SWOSSSSSS......
DHAMMM....
Ye sunte hi paas khada ek A Rank huntur us high orcs apne sword se ek baar uske back par Attack krta hai. Aur high orcs us B Rank huntur ko niche gira deta hai.
Aur wapas se A Rank huntur se fight krne lagta hai.
Aman ek High orcs se fight krte hue chilla ke sbse kahta hai " Hum sb ginti me in high orcs se kam hai. "
" Lakin hum inse ghir nahi skte hai. "
" Group up ho jao. Tin tin logo ke group me bat jao. "
SWOSSSSSS.........
TAAANNNNNN........
Tbhi jo high orcs Aman ke sath fight kr raha tha. Usne ek apne sword se ek bahut hi powerful Attack kiya Aman ke upar aur Turant hi Aman ne apne tute hui shield se usko rok liya.
Aman high orcs ke Attack ko roke hue use dekh kr apne man me sochta hai ' Bhle hi ye ek A Rank Gate hai, lakin fir bhi Hmne ye kabhi ummid nahi kiya thi ki hamara samna 20 high orcs ke sath hoga. '
' Jab Association walo ne is Gate ki energy measure ki thi to is Gate se bahar niklne wale Magical energy ka Level utna jyda nahi tha. '
' Dhat teri ki... '
' High orcs koi ordinary orcs nahi hote hai. '
' Ye orcs ki prajatiyon me sbse strongest hote hai. '
' Yaha ke sare orcs jo fight kr rahe hai. Unme se har ek, Ek A Rank huntur se aamne samne fight karne me sakcham hai. '
' Lakin yaha to unki puri Gang hi hai. '
' Yaha total 22 high orcs hai. Aur hum bs kewal 17 hai. To ye 17 Vs 22 ki fight hai. '
' Na sirf hum sb inse sankhya me kam hai. Balki high orcs aise opponent bikul bhi nahi hai jise hmare B Rank huntur akele sambhal payenge. '
' Ek taraf jaha hamare A Rank hunturs in high orcs se kafi strong hai. Wahi dusri taraf agar hmare B Rank hunturs phle mare gaye to hme isase ek bahut hi bada disadvantage hoga. '
' Hmare paas aur koi choice nahi hai. '
' Yaha hone wali sacrifices ko tala nahi ja sakta hai. '
' Dhat teri ki, Please sare log kosis Krna ki tmlogo me se koi bhi na mare. '
Jaha Aman us high orcs se fight krte hue ye sb apne man me soch raha tha.
Wahi isase kuch duri par hi ek B Rank huntur khada sare hunturs ko fight krte hue dar se dekh raha tha.
Tabhi uske piche se na jane kaha se ek high orcs aa kr khada ho jata hai. Jiske bare me is huntur ko bilkul bhi pata nahi tha.
SWOSSSSSS......
Lakin jaise hi wo high orcs apne bade se Axe ko hawa me upar uthata hai. Is huntur ko marne ke liye. Waise hi huntur piche mud kr high orcs ko dekh leta hai. Aur use dekhte hi wo akdam jaise sadme me chla jata hai.
KHACHAK........
AAAHHHHHHHHH..........
Aur us high orcs ne isi baat ka fayda utha kr apna Axe iske sir ki taraf niche ko chla deta hai. Lakin wo Hunter kud ye dekh kr thoda hose me aata hai. Aur turant hi apne right side kud jata hai.
Isase ye to hota hai ki uski jaan bach jati hai. Lakin wo axe sidha us huntur ke left hath ko uske solder ke paas se pura cut karte hue nikal jata hai.
DHAM.....
Run..... CHUUU.....
Itna hote hi wo huntur jhtke se niche gir jata hai. Aur dard se chillane lagta hai.
Tabhi Attack force ki ek aur Mage type female huntur akdam se bhagte hue uske aur high orcs ke bich aa kar khadi ho jati hai.
Usne ek black and white color ka frock type costume pahna hua tha. Sath me apne sir pr usne mini mouse wala ek hairband lagaya hua tha. Uske hath me ek bhi ek Long stick thi jiske upar half moon shape me ek material laga hua tha. Aur usme kai ribban lage hue the.
Wo waha aate hi high orcs ko dekh ke kahti hai us B Rank huntur se kahti hai " Mere piche hi rahna. "
BOOM..........
ZIZZZZZZZZ...,...
Aur fir wo apne stick ko dono hatho se pakad ke samne jamin par jor se patakti hai. Aur ek spell bolti hai. Aur stick jaha jamin me khada tha waha ek incription glow hone lagta hai. Aur agle hi pal uske stick se ek dark blue color ka bahut hi long snake nikalta hai. Aur ja ke us High orcs ko puri tarah se jakad leta hai.
Aaahhhhhhh.......
Hissss......
Wo high orcs apni puri takat lagane lagta hai us snake ke sikanje se niklne ki. Lakin wo snake bhi apne puri strength se usko jakde rahta hai. Dono khub jor jor se chillane lagte hai.
Tabhi us B Rank huntur ke paas soniya pahuch jati hai. Aur uske paas hi niche apne ghutno ke bal baith kr usase kahti hai " Apne aap ko sambhalo aur kuch der ke liye hilna band kro. "
ZIGGGGG.....
ZIGGGGG........
Wo huntur soniya ki baat maan kar kud ke dard ko control karne ki kosis karne lagta hai. Aur fir soniya apne dono hath ko uske kate hue hath ki taraf krke apne healing power se uske hath ko wapas banane lagti hai.
Aur bs kuch hi second me us huntur ki body me soniya ke healing power se ek naya hath jud jata hai. Bilkul uske purane hath ki hi tarah.
TAP... TAP... TAP...
KYAAAAAA..........
Tabhi Soniya ke piche kisi ke pairo ki aane ki aawaj hoti hai. Aur wo turant hi apni gardan ghuma kr dekhti hai to waha ek high orcs khada tha. Jo use hi ghure ja raha tha.
Ye high orcs koi aur nahi wahi high orcs tha jisko us snake ne jakda hua tha.
Uske solder pr us snkae ki mari hui body ka ek lamba sa part latak raha tha. Aur sath me uske body par jagah jagah us snake ka blood laga hua tha.
Ye dekh kr wo Frock wali huntur jo dusre high orcs se fight krne me busy ho gayi thi tention se kahti hai " Shit ! Ye to abhi tak jinda hai. "
KKKYYYAAAAAAA.......
Aur wo high orcs Soniya ko dekh ke bahut jor se chillata hai. Aur uski taraf apne weapon se Attack kr deta hai. Ye dekh kr Soniya bahut jyada dar jati hai. Wahi baithe hue apni aakhe band kr leti hai.
Abhi kisi ke paas bhi chance nahi tha ki wo Soniya ko us high orcs se jinda bacha sake.
DHUMMM......
SWOSSSSSS..... SWOSSSSSS....
SWOSSSSSS.... SWOSSSSSS......
Tabhi mai jo ki sbse piche khada tha. Mai jldi se apna back pr rakhe hue bag ko wahi jamin pr ekdam se gira deta hu. Aur apni STEALTH skill ko turant hi activat karke us high orcs ke paas apni full speed se phuch jata hu. Aur uske hath pairo me uncountable Attack krke last me uska Gala hi apne dagger se ret deta hu.
Wo High orcs is achanak hue hamle aur meri STEALTH skill ke karan mujhe bilkul bhi dekh nahi pata hai. Aur apna gala apne dono hatho se pakd leta hai. Jisase bahut jyada purple colour ka blood nikl raha tha.
K......KEU.......
Soniya bahut time ho jane ke karan apni aakhe dar ke karn slowly slowly open krti hai. Aur jaise hi high orcs ko dekhti hai. Uski aakhe akdam se badi ho jati hai. Quki uske samne high orcs apna gale ko pakd kr usase niklne wale blood ko rokne ki nakam kosis kar raha tha. Aur dard se kuch bolne ki kosis kr raha tha.
DHDHAM.......
Aur kuch second baad hi wo wahi Soniya ke samne niche jamin pr dham se girl jata hai. Jiske karan Soniya ke face par bhi us high orcs ka kuch blood chla jata hai.
Soniya ye sb dekh kr bahut jyada surprise ke sath apne man me ' kya.... Aakhir yaha abhi thodi der phle kya hua ? '
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Bhot he kamal ka update ha Rider ko samny any he paary ga Sub ko bachny ka leaUPDATE - 70
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise hm logo pr kisi aur Monsters ke pale hue siyar the. Quki ye bahut hi Low Rank ke Monsters the to sare log sochne lag jate hai ye yaha kyu hai tabhi hmare samne 20 ke lagbhag High orcs aa kr Attack kr dete hai. Attack force ke sare hunturs mil kar unka puri tarah se samna karte hai. Lakin fir bhi wo unke samne nahi tik pa rahe the. Tabhi soniya ek B Rank huntur ko heal kr rahi hoti hai ki ek High orcs uske paas Attack krne aa jata hai. Aur mai apni STEALTH skill ka use karke usko maar deta hu.
AB AAGE......
HAIYAH !!!
SWOSSSSSS.....
SWOSSSSSS.......
Aman apne samne khade high orcs ke upar apne sword se 4 se 5 Attack karta hai. Lakin ye kya ek bhi Attack ko high orcs ne Doug nahi kiya sare Attack sidhe high orcs ki majboot body ko ja lage.
HaH.....
HaH.....
Aman ( hafte hue surprise ke sath high orcs ko dekhte hue ) " Ye kya ? "
" Pata nahi kaise, lakin achanak se ye fight aasan ho gayi hai. "
DHDHAM.....
Aur Aman ke samne ka high orcs mar cuka tha aur uski body jamin pr akdam se gir jati hai.
SWOSSSSSS........
SWOSSSSSS........
KHACHAK......
DHADAAMMMM.........
DHAMMM.....
Ye sb dekhte hue shocked nd confusion ke sath wo piche dekhta hai to aur bhi jyada shocked ho jata hai. Quki ab tak jin high orcs se fight Krna itna muskil ho raha tha. Wahi ab sare hunturs bahut hi aasani si inki maar pa rahe the. Aur ye ek ek karke marte ja rahe the. Ye phle jaise hunturs ke Attack ko ab rok nahi pa rahe the.
SWOSSSSSS..... SWOSSSSSS......
SWOSSSSSS..... SWOSSSSSS......
Maine is time Apni STEALTH skill activate ki hui thi. Aur mai bhut teji se move hote hue sare hunturs ke najro se bachte hue apne samne aane wale high orcs ko ak ak karke apne hath me phkde hue dagger se critically injurd karta ja raha tha.
Kisi ka pair kisi ke ribs to kisi ke hath ko apne dagger se kafi injurd krte hue mai aage badhta ja raha tha.
Mai ye sub krte hue apne man me khta hu ' Mai bina kisi ki najro me aaye jitna mujhse ho skta hai utna in high orcs ko kamjor kar raha hu. '
Hunturs to nahi lakin kuch high orcs mujhe aisa karte hue dekh lete hai mere STEALTH skill activat hone ke bawjood. Quki wo bhi koi normal Monsters to the nahi. Aur wo mere taraf hi ghur ke dekh rahe hote hai.
Unko dekhte hue apne man me aage kahta hu ' Aisa Lagta hai inme se kuch ne mujhe dekh liya hai. '
SWOSSSSSS.....
GHUP......
Ye dekhte hi mai teji se ek high ke paas jata hu aur jb tak ki wo kuch kar pata mai apna dagger uske muh me niche se pura upar tak ghusa deta hu aur kahta hu " Agr tum sb aise hi bina kaam karoge jiski koi jarurat nahi hai to. Ye tum sb ke liye ek bahut badi problem ho skti hai. "
" Jaisa ki tmne abhi kiya. "
SWOSSSSSS.....
SWOSSSSSS....
BISOOM.....
DHAMMM....
Aise hi mai ek high orcs ko injurd krta hu tabhi usase fight kar rahi ek B Rank female huntur apni puri strength se ek punch uske chest me marti hai.
Aur uska waha se ek bahut bada hole ho jata hai. Quki uski strength koi kam thi nahi.
High orcs ke marte hi wo female huntur khusi se chillane lagti hai " Maine kar dikhaya. "
" Maine ek high orcs ko maar diya. "
Us high orcs ki khoon ki kuch boonde mere hath par bhi girti hai. Mai unko dekhte hue apne man me ' ... High orcs ka kuch blood mere upar bhi gir gaya hai. '
' mujhe ise bhi saaf karna hoga. '
Uske baad mai waha se aage badh jata hu aur baki ke high orcs ko bhi injurd krne lagta hu.
Mai ( ye sb krte hue apne man me ) ' Aman ko mila kar yaha jitne bhi hunturs hai sare Elite hunturs hai jinhe HUNTURS GUILD ne select kiya hua hai. Sath hi ye sub hmare country ke finest hunturs me se ek mane jate hai. '
' Aisa bikul bhi nahi hai ki mujhe in sub ke upar yakin nahi hai. Lakin high orcs koi aisa Monster nahi hai jise halke me liya ja sakta hai. '
' Kuch der phle Soniya bs allmost marne hi wali thi. '
' Is liye mai kewal yaha baith kar in sub ko marte hue nahi dekh sakta hu. '
DING...
[ Aapka leveled up ho gaya hai. ]
Ye sunte hi mai surprise ho jata hu aur apne aap se kahta hu ' Main apna level kewal kisi party ko Monsters ko marne me support krke bhi up kar skta hu ? '
' Mujhe is bare me bilkul bhi pata nahi tha. '
' Mera sayad ek aur level increase kar pata aur maine in sare Monsters ko kud apne hatho se mara hota to. '
' Lakin quki HUNTURS GUILD ne is DENGEON ke permit ke liye kafi paise pay kiye hue hai. Isi liye maujhe bahut jyada interfere nahi karna cahiye. '
' Mai in sub ke liye bs itna hi jyada kar skta hu. '
Wahi sare high orcs ab tak mare ja chuke them sabki mari hui body wahi chro taraf padi hui thi. Mai bhi apne jagah wapas se ja kr equipment wala bag utha ke chup chap khada ho jata hu. Aur sbse sath chro taraf dekhne lagta hu.
Lakin kisi ko bhi yakin nahi ho raha tha ki ye sare high orcs ab mare ja chuke hai.
1st tank type huntur " Kya ye sub ab khtam ho gaya hai ? "
2nd tank type huntur ( chro taraf dekhte hue ) " k...kya hum jit gaye ? "
Aman ( sare hunturs ko dekhte hue ) " kya kisi ko chot lagi hai ? "
" Agar kisi ko lagi hai to batao, quki jun tak aapki saase chalti rahegi, hmare Attack force ke A Rank healer aapko thik kar skte hai. "
Fir sare hunturs Aman ko wo thik hai ye batate hai.
1st B Rank huntur, 2nd B Rank huntur ko dekhte hue " Mujhe to yakin hi nahi ho raha hai. Ki yaha high orcs ka ak pura gang tha.. "
2nd B Rank huntur " Hum sub bahut lucky hai. Jo hum logo me se koi bhi mara nahi gaya. "
Sare hunturs aise hi aapas me baat kar rahe the. Lakin mere se hi thodi duri par khadi wo frock wali mage type huntur chori chori mujhe dekh rahi thi aur apne man me kahti hai ' Ye porter... Ye jarur yahi soch raha hoga ki hmare Attack force ke sare members fools hai. '
' Lakin aisa ho hi nahi skta hai ki STEALTH jaisi koi skill Magic karne wale hunturs se chupi rah paye. '
Tap... Tap... Tap...
Tab Soniya chl kr Aman ke paas jati hai aur usase kahti hai " Hey Aman bhiya... "
Aman ( Soniya ko dekh ke ) " Ha bolo. "
Soniya " Jb hum sb high orcs se fight kr rahe the. Abhi kuch der pahle.... "
Uske baad usne jo bhi dekha wo sub Aman ko bata deti hai.
Aman ye sub sun kr kahta hai " Ek high orcs ka Gala achanak se hawa me hi cut gaya jb wo tm pr Attack karne ke liye jump kiya tha tb ? "
" Tum kahna cahti ho ki kisi ne chupke se magic ka use kiya tha ? "
Soniya " Ha bikul, mai yahi kahna cahti hu. "
Aman ( Use sexy female mage type huntur se ) " Hey Gina kya wo tum thi ? "
Gina " Mere Skills set ke sath aisa karna impossible hai. "
" Mai to badi muskil se apne Telekinesis magic ke use se unke movements ko rok pa rahi thi. Na hi hamare paas aisa koi hai jo curse magic ko yaha use kar skta hai. "
" Aur hmara Attack force mainly fire power par focused hai to hmare paas koi ASSASSIN'S bhi nahi hai. "
Tabhi wo frock wali mage type huntur meri taraf dekhte hue kahne lagti hai " Gina bikul sahi kah rahi hai. Agar yaha koi aisa kar skta hai to wo koi bahari person hi ho skta hai. "
Mai use apni taraf dekhta pa kr nervous ho jata hu aur idhar udhar dekhne lagta hu.
Tab wo frock wali huntur apne man me sochti hai ' Uske paas jarur koi na koi karan hoga jiske wajah se wo apni power ko chupa raha hai. Kya mujhe ise bs aise hi jane dena cahiye ? '
Tabhi wo 3rd Mage type male huntur kahta hai " Bhagwan ka laakh laakh sukar hai. "
" Quki agar mujhe ek aur summouned creature ko bulana hota to mera mana khatam ho jata aur mai yahi mar jata. "
Aman " Tum sub sahi kah rahe ho. "
" Fight ke 2nd half me High orcs confirm bahut hi ajib behave kar rahe the.
" Jiske karan hum sb unko bina kisi problems ke bahut hi aasani se maar paye hai. "
2nd tank type huntur Aman ko dekhte hue " Leader kya hame is Raid ko abhi bhi continue rakhna hoga ? "
1st B Rank huntur ( darte hue ) " Aisa karna kahtarnak nahi hoga kya ? "
3rd B Rank huntur " Hum sub Entry Gate se bahut jyada dur nahi hai. Aur hm sb ka samna high orcs ke ek gang se ho gaya. Aage jane par isase bhi bahut jyada khatarnak chij hamara wait kr rahi hogi. "
1st tank type huntur, Aman ke solder par apna hath rakhte hue " Quki ab hum jante hai ki is DENGEON ke ander high orcs hai to bina hmare Master aur Vice Master ke ye Raid aage continue karna bahut hi jyada khatarnak hoga. "
" Abhi ke liye hum sub wapas kyu nahi chlte hai ? "
" Quki is Raid ko continue rakhne ke liye hme Two aur healers ki jrurat padegi aur 3 aur mage type huntur ki. Jo ki apne magic skills me powerful ho. "
" Aman mai janta hu ye tumhara 1st time hai jab tum kisi Attack force ko lead kr rahe ho aur ye frustrating bhi hai. Lakin hme ise yahi khtam karna hoga. "
Ye sub sun kr Aman apna sir nice karke apne man me sochne lagta hai ' Agr mai aaj Is Raid me successful ho jata to mai is Team ka official leader ban jata. '
( Apne hath ki muthi kaste hue ) ' Sayad mujhe koi dusra chance na mile. '
Sare hunturs Aman ko hi dekh rahe the. Mai bhi use hi dekhte hue apne man me sochne lagta hu ' Ye iske liye aasan nahi hai. '
' Aisi situation me koi aur bhi hota to wo bhi bs ek hi chij sochta ki use is DENGEON ko kaise bhi clear karna hai. Aur wo is Raid ko continue rakhta. '
' Lakin agar ye ek jimmedar Leader hai to... '
Tab tak kafi sochne ke baad Aman sbko dekhte hue kahta hai " Thik hai, chlo abhi ke liye Wapas chalte hai. "
Ye sun ke sare hunturs logo ne ek rahat ki saas li.
1st B Rank huntur " Maine apni saase rok ke rakhi hui thi. Quki mujhe lag raha tha Leader Aman hme ye Raid continue rakhne ke liye kahenge. "
Aman ( uski taraf dekhte hue ) " Mai, itna bewkuf nahi hu. "
" Mai janta hu. "
" Mere hathon ko dekho. Kya tumhe ye kapte hue nahi dikh rahe hai ? "
" Ab kisi bacha ki tarah banna band kro aur yaha se wapas Gate ki taraf chlna suru karo. "
Tap... Tap... Tap....
Tap... Tap.... Tap....
Thodi der baad hum sb gate ke paas pahuch jate hai. Tabhi kuch dekh kr Aman Lagbhag chillate hue kahta hai " Ruk jao sub. "
1st tank type huntur ( gate ki taraf dekhte hue ) " yaha kya hua hai ? "
2nd tank type huntur ( Gate ki taraf dekhte hue ) " Ab ye kya hai ? "
ZZZZZ.......
ZZZZZ.......
Aur baki sare hunturs logo ke man me bhi yahi swal the. Quki Gate ka color change ho gaya tha. Wo pink aur golden color ka color ka ho gaya tha.
Aur dekhne me bhi bahut ajib lag raha tha.
Frock wali mage huntur ( Sbse aage ja kr gate ko dekhte hue ) " Ye ek barrier hai. "
" Jise ek high level ke spell se banaya gaya hai. "
Aman " Ye rasta kyu block ho gaya hai ab ? Jab yaha se ander aaye the tab to ye sahi tha. "
Frock wali mage huntur " Agar tum mujhe thoda time do. To mai iske bare me pata kar skti hu. "
Aman " kya tum isase hme chutkara dila skti ho ? "
Frock wali mage huntur ( apne man me ) ' Important baata yaha ye hai ki, yaha koi aisa hai jo high spells magic ka use kr skta hai. '
' Humne bikul sahi decision liya tha. '
' Hmare current Attack force ke hisab se hum is DENGEON ko kabhi bhi clear nahi kr skte hai. '
ZIZZZZZZZ.....
Itna kah kar wo apne stick ko dono hatho me pakd kar aage kar deti hai. Aur koi spell bol kr us barrier ko todne ki kosis karti hai.
Lakin Tabhi hum sb logo ko ak bahut hi powefull aura feel hota hai. Jisase sare log ek pal ke liye akdam Statu ban jate hai.
Aur jaise hi wo aura wapas se remove hota hai. Sare hunturs bahut jyada surprise ho jate hai.
Sbke muh se bs yahi sb niklne lagta hai.
" Oh my god... ! "
" Kya ye is DENGEON ka boss tha ? "
" N....nahi aisa kabhi nahi ho skta. "
Tab mage type hunturs turant hi Gate ke samne aa jate hai. Aur turant hi frock wali mage huntur Gina se kahti hai " Gina hme jldi karna hoga. "
Gina " Mai janti hu. "
Male mage huntur " Ye aasan nahi hone wala hai. "
BUZZZZZZ......
ZIZZZZZZZ......
ZZZZZ.......
Aur tino log apne apne magic se us Gate pr lage barrier ko todne ki apni puri kosis karne lagte hai.
Mai ye sub dekh kr sbse piche khada apne man me sochta hu ' Is barrier se niklne wali Magical energy ka wavelength bahut hi jyada heavy hai. Yaha tak ki jo hunturs Magicl energy ko sense tak nahi kr skte wo bhi ise sence kar pa rahe hai. '
' Ye ek alag hi scale par hai. '
' Aakhir hame is Gate ke bahar se ye powerful energy sence kyu nahi paye ? '
' Agar yaha koi aisa boss Monster hua jo apne magical energy ko hide kr skta hai to...'
Aahhhhhh......
Cough... Cough.....
Uwwwaaaa......
Maine itna socha hi tha ki tino mage type hunturs ke muh se bahut sara blood nikalne lagta hai. Aur wo apni jagah par hi ghutno ke bal gir jate hai. Unko internal bahut sari injuries aayi thi. Un tino ke aakho me bhi blood aa cuka tha.
Ye dekh kr Aman turant hi chinta se kahta hai " CURSED magic ? "
" Ye hmare mage type hunturs ko target kr raha hai. "
" Jldi se holy magic use kro. "
TAP.... TAP.... TAP.....
TAP... TAP.... TAP.....
Abhi Aman itna hi kah paya tha ki piche se hame bhut se logo ki aane ki aawaj sunayi deti hai. Sare log turat hi piche mud kr dekhte hai to andhere me countless dark red eyes hi dikhayi deti hai.
1st Tank type huntur ( bahut jyada darte hue ) " Aman.... "
Aman ( un aakho ko dekhte hue dar ke sath ) " Dhat teri ki. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Waaah maza aa gaay dakty hn ab agy kia hota haUPDATE - 71
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise maine apni STEALTH skill ka use karke sare high orcs ko unke important part we apne dagger se injurd krke waps se apni jagah aa jata hu. Aur tb sare hunturs badi aasani se sbko hara dete hai. Lakin frock wali mage huntur ne mujhe aisa karte dekh liya tha.
Soniya ko bhi us high orcs ka marna kuch ajib lagta hai to wo ja kr Aman ko batati hai fir sare log aaps me ek dusre se puchte hai is bare me lakin fir baat ko aise hi khtam kar dete hai. Fir baki ke teammates Aman se puchte hai ki ye Raid continue karna hai ya nahi. Lakin Aman mana kr deta hai aur sare wapas aa jate hai Gate ke paas lakin us par bahut hi high power ka Magic use hua tha isi liye koi bahar nahi ja pata hai. Tabhi hmare piche bahut sare Monsters aa jate hai.
AB AAGE......
Amna un Monsters ki taraf dekhte hue apne man me ' hamare Attack force ne abhi kuch der pahle hi 20se jyada high orcs ke sath fight kiya hai.'
' Aur badi hi muskil se hum unse jit paye hai.'
' Lakin is baar to..... '
2nd tank type huntur ( Monsters ko dekhte hue dar ke sath ) " Mere khyal se yaha..... "
" 50 se bhi jyada high orcs honge abhi ? "
TAP.... TAP.... TAP....
ROARRRR..... ROARRRR......
Is time hm logo ke samne Gate ke opposite direction me 50 se bhi jyada high orcs khade the. Her ek ke hath me ek ya do weapons the.
Wo sub samne se hme puri tarah se ghere hue the. Aur hmko hi ghurte hue chilla rahe the.
TAP... TAP.... TAP...
Fir ek high orcs waha se ekele hi aage hmari taraf aaram se chl kar aata hai. Aur humlogo me sbse aage khade aman ke samne aa kr uske face ko ghur ke gusse se dekhta hai. Aman bhi is time kafi sara hua lag raha tha.
Tabhi uske piche khada ek huntur ankit ki taraf dekh kr ghbrate hue kahta hai " A....Aman ! "
Sayad wo Aman se puchna cahta tha ki hame insb pr Attack kar dena cahiye. Lakin Aman soch smjh kr kahta hai.
Aman ( bina piche mude ) " Nahi ! Ruk jao. "
" Agar humne inse fight kiya to hum sb mare jayenge. "
Itna kah kar Aman Kapte hue apni sword ko apne hath me chupke se pakdte hue apne man me sochta hai ' Agar Kewal Master Anubhav ya Huntur Aayat me se koi ek bhi abhi yaha hote to... '
High orcs " KHRERHAK TUU SHEENAH WEGERRU AHRAKANAKAH. "
Abhi Aman apne man me itna hi soch paya tha ki uske samne khada high orcs apni language me bahut tej tej kuch kahne lagta hai. Jo ki kisi ko bhi smjh me nahi aata hai. Lakin uske aawaj me hi itni power thi ki Aman apni aakhe dar se band kr leta hai.
Aur wo high orcs 2 se 3 baar yahi dohrata rahta hai.
High orcs " KHRERHAK TUU SHEENAH WEGERRU AHRAKANAKAH. "
Fir achanak se uske aakho ka color change hone lagta tha. Aur uske sir ke paas koi red color magic ki wavelength aa kr takrati hai. Aur ab uski aakhe phle se bhi jyada glow krne lagti hai. Aur kuch secend baad jb wo wapas se bolta hai to sare hunturs log shocked ho jate hai.
[ Note : dosto ye high orcs ki muh se kahi hui baato ko is liye kai lines ruk ruk ke likha hai. Wiki wo ek Monster hai wo humans ki tarah itne flow me sb ek sath nahi kah skta hai. ]
High orcs ( santi se ) " Human.... "
" Humans.... "
Ji ha wo ab ajib si language nahi blki hmari language bolne laga tha. Aur ab wo chilla kr nahi blki aaram se lakin bahut hi bhari aur raubadar voice ke sath bol raha tha. Aur sare hunturs shock ke sath aakhe fade bs use hi dekh aur sun rahe the.
High orcs " Mai.... "
" KARGALGAN hu.... "
" Meri.... "
" tum humans se.... "
" milne ki iccha hai. "
1st Tank type huntur ( surprise ke sath ) " Ek orc humans ki language bol raha hai ? "
" Magic ? Kya ye koi magic hai ? "
Frock wali mage type huntur jise Soniya apne healing power se heal kr rahi thi wo high orc ki taraf gurte hue kahti hai " Ye bs ek puppet hai. Koi aur iske through hmse baat kar raha hai. "
1st Tank type huntur ( Aman ko dekhte hue ) " Ek Monster hmse baat karna cahta hai ? "
" Aman tm iski baat ka yakin nahi kar rahe ho na, Hai ki nahi ? "
" Aman, ye pakka koi trap hai. Bhale hi ham yaha mare ya na mare, chlo inse mil kar fight krte hai. "
Aman ( High orcs ko dekhte hue ) " KARGALGAN, kya wo tum hi ho jisne is Gate pr ye barrier lagaya hai ? "
High orcs apni right hand ki muthi ko sbko dikha kr kaste hue " Ha ! "
" Mai in prideful orcs ka...... "
" great Sorcerer hu..... "
" Mera magic.... "
" Tum humans ke hatho.... "
" Dispelled... "
" Nahi ho skta hai. "
Aman Ab apne dar par kabu pa cuka tha. Wo fir se is baar us high orc ko ghurte hue puchta hai " Kya is DENGEON ke ander tumse bhi jyada powerfull koi aur hai ? "
High orcs ( thode gusse ke sath ) " kiske ander.... "
" Itni himmat hai ki... "
" Wo mere khilaf jayega. "
Fir kuch der chup rahane ke baad wo high orc wapas se kahta hai " Kud choose kro... "
" Mere aadmiyo.... "
" Ke hatho.... "
" Marna pasand karoge...... "
" Ya... "
" Inko follow karna. "
Aman " Hum sb tmko follow krenge. "
Aman ki ye baat sunte hi turant hi uske piche khade Attack force ke sare hunturs usase kuch kahne ke liye unko pukarne lagte hai.
" Aman.. "
" Bhiya... "
" Leader... "
" Aman sono to... "
Lakin Aman kisi ki bhi baat nahi sunta hai.
Wo na jane kis soch me khoya hua tha.
Aur Aman ke samne khada high orc mudte hue piche dekh kr skta hai " Hmare piche chlo... "
" humans. "
Tap... Tap... Tap...
Hum sb bhi Us high orc aur Aman ke piche piche DENGEON ke ander chl dete hai.
Mai bhi sbke sath ander jate hue apne man me sochta hu ' Boss room ke ander, Boss ke sath aur bhi bahut sare high orcs waha maujud honge. '
' waha unke sath fight karke apni jaan bachane ke chances yaha se bhi bahut kam honge. '
( Aman ki taraf dekhte hue ) ' Kya ye boss ke sath negotiate karna chahta hai ? '
' Taki hum sb wapas jinda ek piece me is Gate ke bahar laut sake. '
Wahi sbse aage chalta hue Aman nice jamin ko dekhte hue apne man me soch raha tha ' Mere paas aur koi rasta nahi hai. '
' Mujhe is single chance par hi apna daaw lagana hoga. '
Fir Aman piche mud kr mujhe dekhta hai aur kahta hai " Mr. Huntur. "
Mai ( Aman ko dekhte hue ) " Ha boliye. "
Wo ishare se mujhe apne paas bulata hai aur mai thoda tej chl kar uske bikul paas pahuch kr chlne lagta hau.
Aman ( dhire se samne dekh kr chlte hue ) " Hum sub boss ke upar ek Surprise Attack karne wale hai, jab hum waha pahuch jayenge tb. "
" Bhale hi hum isme safal rahe ya na rahe. Lakin Boss apna magic maintain nahi rakh payega. "
" Isiliye jab hum uska dhyan apni taraf kar denge. To Tmko yaha se bhag kar bahar jana hai. Aur jaise hi tum bahar phuch jao main Attack force ko yaha bula lena. "
Mai " Lakin jb tak next Attack force yaha aayegi. Tum sare log yahi mare jaoge. "
" Kya tum sare logo ne boss ke sath marne ka plan bana liya hai ? "
Aman " Hmara objective yaha se jinda bach kr Wapas jana nahi blki is gate ko close karna hai. "
" Isi liye to log hme itna jyada money pay krte hai. "
Aman ki baat abhi khatam hi hui thi ki mere just piche chl rahi Soniya apne hath me pakdi hui ek dairy mere taraf badhate hue kahti hai " Mai bhi tmse ek favor mangna cahti hu. "
" Jyda kuch nahi, ye bs meri will hai. "
" Please ye meri family ko de dena agar tum yaha se bahar nikalne me kamayab ho paye to. "
Mai bhi wo dairy Soniya se le leta hu.
Fir wo aage kahti hai " Hum sub aaj wahi karne ja rahe hai. Jo aaj tak Hmne sikha hai. "
" Lakin ye tmhari fight nahi hai. "
" Mai ummid karti hu ki tum yaha se jinda bahar nikal pao. "
Mai dairy ko apne pocket me rakhte hue kahta hu " Mai abhi ke liye ise apne paas rakh leta hu. "
" Lakin, ise dene ke liye meri jarurat nahi padegi. "
Fir mai apne man me sochne lagta hu ' Jo magic wavelength boss se aa rahi thi. '
' uske hisab se agar boss ke paas itni jyada energy hai to.... '
' Abhi bhi, yaha kuch bhi ho skta hai. '
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
OUTSIDE THE DENGEON
Aayat is time ek blue Jeans paint aur loose white color ki full t-shirt phle hue thi. Sath me usne ek pink color ka cap sir par rakha hua tha.
Wo is time Team B jis DENGEON ke ander gayi hui thi usi ke bahar Mining team ke paas chup chap khadi thi. Aur wo dur se hi sare logo me mujhe dundhne ki kosis kr rahi thi.
Aayat charo taraf dekhte hue apne man me ' Wo to yaha nahi hai ? '
' Kya usne pahle hi Mining ka ye job chor diya hai ? '
Huntur Aayat ko waha khada dekh kar Mining team ka incharge unke paas chla jata hai.
Mining incharge " huntur Aayat kya aaj aapka off day nahi hai ? "
Aayat ( mining incharge ko dekhte hue ) " Hello ! "
" Kya thodi der ke liye hi, lakin kya Huntur Rider aaj yaha aaya tha ? "
Mining incharge " Mr. Rider ne to abhi kuch der pahle hi DENGEON ke ander as a porter enter kiya hai... "
Aayat ( bahut jyada surprise hote hue ) " Ek porter ? "
" Tum kah rahe ho ki wo abhi kuch der pahle hi Gate ke ander gaya hai ? "
Fir mining incharge use puri story batate hai. Ki abhi thodi der pahle kya hua tha. Ye sb sun kr Aayat aapne man me sochti hai " Ek E Rank huntur ne, kud ko portal ke liye volunteer karke ek A Rank DENGEON ke ander chla gaya ? '
' Hum sub logo ke paas kewal ek hi life hai. Aakhir wo soch kya raha hai ? '
' Jo mai uske bare me soch rahi thi ki, Wo boss room ke bahar ek weapon ko pakde hue tha. '
' ab mujhe yahi lagta hai ki, mai galat nahi soch rahi thi. Mujhse koi mistake nahi hui thi dekhne me. '
' Kitna suspicious hai ye sb. '
Tap... Tap... Tap...
Fir Gate ke taraf jate hue Aayat, Mining incharge se kahti hai " Mujhe Gate ke ander jana hoga. "
Mining incharge ( confused hote hue ) " Huh... "
" Kya yaha kisi tarah ki koi problem ho gayi hai kya ? "
" Kya hum Guild ko reinforcements ke liye call kr de ? "
Aayat " Nahi ! Ye ek personal matter hai. Tmhe fikar karne ki koi jarurat nahi hai. "
( Apne man me ) ' Are ha mere weapons... ?'
' Maine kabhi ummid nahi ki thi ki mujhe mere off day me kisi DENGEON ke ander jana hoga. '
Fir Aayat piche mud kr mining incharge ko dekhte hue kahti hai " Kya aisa ho skta hai ki mai tumhare paas se koi weapon thodi der ke liye udhar le skti hu ? "
Mining incharge ( piche mud kar apne aadmiyo se jor se ) " Hey, inke liye kuch Equipments yaha le kar aao. "
Fir ek member ek kudal la kr mining incharge ko deta hai. Aur wo use Aayat ko de dete hai. Aayat use dekhti hai aur fir mining incharge se kahti hai " Kya iske alawa aur kuch hai kya ? "
Mining incharge " Iske alawa kuch aur... ? "
Aayat " Ha, jaise ki koi sword ya koi bhala. "
Mining incharge apna sir khujate hue " Hum logo se aisi koi chij mangana... "
Aayat bhi uske baat ka matalab smjh jati hai aur wo Kudal wapas se mining incharge ko pakadate hue kahti hai " Mai thik hu. Mai iske bina aise hi ander chli jaungi. "
Tap... Tap... Tap....
Aur wo wapas se mud kr Gaye ki taraf jane lagti hai. Kuch der to unko jate hue Mining incharge bs dekhte hai fir kuch soch kar thoda jor se kahte hai " Huntur Aayat, kya aap such me bina kisi weapon ke aise khali hath DENGEON ke ander jane ke soch rahi hai ? "
Aayat bhi uski baat smjh jati hai aur jaldi se wapas aa kar uske hath se wo Kudal wapas se le leti hai.
Mining incharge " Aapne bikul sahi decision liya. Khali hath jane se ye acha hi hai. Hai ki nahi ? "
Aayat " tum sahi kah rahe ho. "
( Apna sir jukha kr )" Iske liye tmhara sukriya. "
Tap... Tap... Tap....
Aur wo wapas se DENGEON ke ander jane kahti hai. Aur Mining incharge ab Aayat ke kudal le lene se usko smile krte hue dekhne lagta hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE DENGEON
Hum sare log un high orcs ka picha karte hue boss room ke ander aa cuke the.
Wo koi normal boss room nahi tha. Ye ek bahut hi bada kisi King ka darbar jaisa tha. Jo ki bahut hi bada aur kafi uncha bhi tha. Hum sub us boss room ke bich bane hue ek pletform par khade the . Aur hamare dono side us pletform se thoda nice ki jamin pr 1000+ high orcs khade the.
Pura darbar hi unse bhara pada tha. Wo hme dekh kr bahut jor jor se chillane lage the.
Hum sb se kafi duri par boss room ke samne phle kuch sidhiya bani hui thi uske baad waha pr ek bahut hi bada stage type bana hua tha.
Aur us stage pr ek badi si chair pr in sb ka boss baitha hua tha. Uske dono side me 2- 2 in high orcs se bhi kafi jyada strong aur size me bade high orcs khade the.
Ye chro us boss Monsters ki security ke liye the. In chro ko hi dekh kr lag raha tha. Ye in normal high orcs se bahut hi jyada powerful aur high level ke high orcs hai. Un chro ke hath me unke bade bade weapons the.
Aur last me jo in sbke bich me us big chair ke upar boss Monster baitha hua tha. Wo bhi ek high orcs hi tha. Lakin wo size me in sb se sbse bada tha. Uske dono hatho me kohni se le kar ungliyo tak green color se ek bahut hi attractive design bana hua tha. Uske gale me Skeltons ki ek mala thi. Aur uske face pr ek bada sa Skelton ka mask laga hua tha. Jisme left side me 2 Singh nikle hue the. Aur usne mostly magician ki tarah ek fate hue black color ke kapde se apne body ko pura dhak hua tha huddi ke sath.
Wo bahut hi aaram se apne chair par baitha hua tha. Aur hm sb ko hi bade dhyan se dekh raha tha.
KARGALGAN " Humans, tmhara swagat hai."
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Maza aa jaay ga phr toUPDATE - 72
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise hme 50+ high orcs ghere khade the. Fir ek high orcs aa kr Aman ke samne aa kr human language me baat krta hai. Aur uske piche aane ko bolta hai. Aman aur hum sb uske piche chal dete hai. Fir Aman mujhe apne plan ke bare me batata hai. Jb hum Boss room me phuchte hai to waha hme 1000+ high orcs khade dikhte hai aur sbse aage ke Throne pr unka boss baitha hua tha.
Wahi DENGEON ke bahar Aayat mere bare me Mining incharge se pata karne ke baad mere piche Gate ke ander aane ka decision le leti hai.
AB AAGE....
Hum sub us pletform ke bicho bich khade the. Aur apne chro taraf khade high orcs ko dekh rahe the.
Wo sare hme dekhte hue bahut jyada khush la rahe the sayad. Sare hunturs unko dekh kr dare hue the. Sbko ye sub dekh kr bhut jyada pasine aa raha tha.
Aman chro taraf khde high orcs ko dekhte hue apne man me ' Agar ye sare high orcs yaha se bahar is Gate se bahar nikal gaye to.... '
' Main Attack force ke aane se pahle ye sb mil kr ek small city tak ko puri tarah se destroy kr pane me shakcham hai. '
( Boss Monster ko dekhte hue ) ' Lakin kam se kam, hame mil kar is boss ko to marna hi hoga. '
( Charo Guards ki taraf dekhte hue ) ' Ye chro Guards bhi koi kam nahi hai. "
' Kya hum sb such me in charo Guards se bach ke us boss Monster ke paas pahuch payenge aur ek hi chance me use maar payenge ? '
Wahi baki sare hunturs bhi Boss Monster ki taraf dekhte hue apne man me ek hi baat soch rahe the.
' Jaise hi Aman hame signal dega.. '
' usi time hum sb ek sath, in high orcs ke is leader ko target karenge. '
Tabhi achanak se KARGALGAN apne Right hath me ek Skelton pakde hue kahta hai " Kya tmlogo ko mujhse dar lag raha hai humans ? "
BUZZZZZZZZ......
Itna kah kar wo ek evil smile krne lagta hai aur apni baat kahtam karte hi usne apna aura puri tarah se release kr diya.
Uska aura release hote hi pure room me ak bahut hi high pressure fail jata hai. Aur sare hunturs ko bhi ye pressure bhut hi ache se feel hota hai. Sare hunturs ka haal aisa ho jata hai jaise unhone abhi apki maut ko kud apni aakho ke samne dekh liya ho.
Sb bahut jyada dar jate hai. Sare logo ki najre niche jamin ko dahsat se dekhne lagti hai. Sbka waha apne pairo par khada rah pana bhi bahut mushkil lag raha tha.
Ye sb jyada nahi kuch 4 se 5 Second ke liye hi hota hai uske baad KARGALGAN apne aura ko wapas se apne ander khich leta hai.
Sexy mage type huntur ( bahut jyada dahsat se niche dekhte hue apne man me ) 'H....hey bhagwan ! '
' Aakhir iske paas itni powerful magical energy kaise ho skti hai ? '
2nd Tank type huntur ( Dahsat se KARGALGAN ko dekhte hue ) ' Hme aisi powerful energy rakhne wale is Monster se fight krni hogi ? '
Frock wali mage huntur ( apne man me dar se niche dekhte hue ) ' Ye to ek alag hi level par hai. '
' Iske comparison me mere jaisi MAGICIAN kuch aur nahi ek 3rd class magician hi kahlayegi. '
Aman, KARGALGAN ko dekh kar buri tarah kapte hue " kyu.... "
" K....Kyu..... "
" A...akhir kyu tmne hum logo ko yaha bulwaya hai ? "
" Quki Tumhare worriers hi kafi the hum sub ko waha marne ke liye. "
KARGALGAN " Hmare Entertainment ke liye."
Aman ( blank face ke sath ) " Kya ? "
KARGALGAN " Yaha Hmare khali time me, Mere aadmiyo ke Entertainment ke liye hum ek ek karke tm sb ko yaha maar denge. "
ROARRRR......
HUAAAAAA.....
KYYYYYAAAAA......
Ye sunte hi waha boss room me khade sare high orcs khusi se chillane lagte hai. Aur apne apne weapons ko hawa me utha kr apni khusi ka ijhar karne lagte hai.
KARGALGAN apne right hath se apni aakho ko kitarf touch krte hue meri taraf ghur kr dekhte hue kahta hai " Halaki.. "
"... Tmlogo me koi to thoda ajib hai. "
Wahi Aman ko to jaise ye last ki baat sunayi hi nahi deti hai wo abhi bhi KARGALGAN ke muh se nikne hue 2nd last baat ke bare me hi soch raha tha ' Entertainment ? '
' Hme yaha lane ka inka maksad aur kuch nahi, inka Entertainment karna hai ? '
' Hme apna dusman smjhne ki jagah , inke liye hmari life Bas ek Toy ki tarah hai. '
' jisase ye jab marji cahe khelenge aur man bharne ke baad kisi kachre ke saman hme utha kar bahar fek denge ? '
Run... Run.... Run....
Ye sb sochte hi Aman ko bahut gussa aane lagta hai aur wo chilla kr KARGALGAN ki taraf bhagte hue kahta hai " Now !! "
" Sare log apni kmaan smbhal lo nd fight ko ready ho jao. "
Aman apni full speed se KARGALGAN ki taraf bhagne lagta hai. Uske piche sare hunturs apne weapons to hath me le lete hai. Lakin abhi bhi bahut jyada dar ke karan unke hath kaap rahe hote hai. Sbke faceka color uda hua tha ki ab kya hoga. Sare bahut jyada darte hue Aman ko hi dekh rahe the.
Run..... Run.... Run....
Aman ab tak sidhiyon tak phuch cuka tha. Aur usne unpar chdna bhi suru kar diya tha.
Aaahhhhhhh......
Aman ne apne sword ko dono hatho se pakad ke hawa me upar utha diya Attack krne ko.
Tabhi KARGALGAN ek spell bolta hai.
KARGALGAN " HYMN OF PROTECTION. "
SSSSSSSSSS.........
Aur agle hi second uske samne hawa me hi ek bada purple colour ka magical cirle sa kuch aa jata hai jiske ander kuch special increption bane hue the. Aur outer me uske kuch symbol bane hue the.
TINNNNNN.......
Aur spell ke khtam hote hi Aman apne sword se apne pure strength se ek Attack kr deta hai lakin usase phle hi us circle ka ek symbol glow hone lagta hai. Aur agle hi second KARGALGAN ke samne ek sky blue color ka around 50 feet ka ek shield aa jata hai.
SWOSSSSSS......
KARRR......
DHADAAMMMM......
Aur Aman ka sword sidhe bahut hi jor se us shield se takrata hai. Aur wo bahut tej takkar hone ke karan kafi dur niche jamin pr gir jata hai.
Wo shield wapas se gayab ho jata hai. Aur Aman apne jagah se abhi bs apne ghutno ke bal hi baitha hua KARGALGAN ko dekh ke dar se kapne lagta hai.
KARGALGAN ( Aman ko ghur kr dekhte hue kahta hai " Bewkuf Insaan. "
Itna kahne ke baad wo apne right hath ke 1st finger ko Aman ki taraf point krte hue ek spell kahta hai " Gravitation Magic. "
SWOSSSSSS.......
Aur Aman ki puri body iske finger ke isare par upar ki taraf hawa me uthne lagti hai. Jaise jaise KARGALGAN ke hath ki finger upar uthati hai waise waise Aman ki body bhi hawa me aur upar uthne lagta hai.
Fir KARGALGAN ek aur spell bolta hai " Gravity Acceleration. "
SWOSSSSSS.....
DHADAAMMMM.....
Crack..... Crack.....
ye spell bolne ke baad KARGALGAN apne finger ko akdam se niche kar deta hai. Aur Aman ki body bhi bhi ekdam se speed me hawa se niche jamin me gir jati hai. Aur waha ki jamin achi khasi tut jati hai, aman ki body jamin ke ander kafi ghus chuki thi.
KARGALGAN " Gravitation. "
SWOSSSSSS.....
DHAMM......
Crack.... Crack....
SWOSSSSSS.....
DHADAAMMMM.....
Crack.... Crack......
Itna kah kar wapas se KARGALGAN apne finger ke isare se Aman ki body ko kai baar upar boss room me roof aur niche jamin pr patakte rahta hai.
Koi bhi hunturs kuch nahi kar pa raha tha. Abki aakho se aashu nikal rahe the. Abhi hunturs bahut jyada dare hue bhi the.
1st B Rank huntur ( rote hue ) " Leader Aman. "
Soniya ( bhut jyada rote hue ) " Bhaiya..... "
SWOSSSSSS.....
Fir KARGALGAN kafi baar Aman ki body ko upar aur niche patakne ke baad apne magic ko us par se hata deta hai. Aur Aman ki boy roof se niche kafi speed me bina kisi movement ke girne lagti hai.
RUNNNN.......
DHAPPP.....
Sbse piche khada mai kab se ye sb hote hue dekhta rahta hu. Lakin jaise hi mai Aman ki body ko roof se speed se gairte hue dekhta hu. Mai kafi speed se ja kar uski body ko niche nahi girne deta hu aur catch kar leta hu.
KARGALGAN ka bhi dhyan mere taraf chla jata hai, jaise hi mai apni jagah se itne speed me bhag kr Aman ke paas jata hu to.
Wo bhi mujhe ghur kr dekhne lagta hai.
Mai Aman ko aaram se wahi niche pletform par lita deta hu. Uske body me Aakh, muh naak, aur na jane kaha kaha se blood nikal raha tha. Wo bahut jyada pain me tha. Aur uska body blood se lath path tha.
Mai, Aman ko dekhte hue kahta hu " Mr. Aman. "
" Ye DENGEON HUNTURS GUILD ki property hai. Mai isme interfere nahi karna chahta hu."
" Lakin ye Attack force bs wiped out hone wali hai. "
Wahi KARGALGAN jo ki kab se meri taraf hi dekh raha tha. Usne apne left side khade ek Guard ko apni ek finger se mujhe marne ka isara kar diya.
Wo Guard bhi mere taraf apne bade se Axe ko le ke chl deta hai.
Wahi mai Aman ke paas boss ke side apne back ko kiye baitha hua usase aage kahta hu " Mai bs tmse ek baat puchna cahta hu. "
" Kya mai is room me present sare Monsters ko maar du ? "
TAP... TAP... TAP....
SWOSSSSSS.....
Lakin tab tak wo Guard High orcs mere bikul piche aa cuka tha aur usne apne Axe ko upar hawa me utha hi liya tha mujhe usase marne ke liye. Aman ka bhi dhyan bs us Guard wale high orcs par hi tha. Wo bahut jyada dar ke sath us high orcs ko hi dekh raha tha.
Mere piche kya ho raha tha mujhe bhi is baat ka ache se pata tha. Mai bina piche mude apne left hath ko piche us high orcs ki taraf keke apni demonstration skill ko activate kar deta hu.
SWOSSSSSS.......
ROARRRR.......
BOOMMMMMM......
CRACK.... CRACK.....
Aur isase phle ki wo mujh par Attack kar pata, mai use bina dekhe hi hawa me uda deta hu. Wo chillane lagta hai lakin mai apne hath ke isare se use sidhe boss room ke roof me bahut speed se de marta hu. Aur wahi par roof me uski half body ander ghus jati hai. Aur wo wahi mar jata hai.
Aman ye sb dekh kr bahut jyada shocked ho jata hai. Usi najre abhi bhi us Guard wale high orcs ki hi roof me fasi hui body pr thi.
Mai wapas se santi se Aman ko dekhte hue kahta hu " Mai ek baar fir se tumse puchta hu. "
" Yaha present sare Monsters ko.. "
" Kya mai maar dalu ? "
Is time meri aakhe ekdam blue color ki glow ho rahi thi. Aman ab bs meri aakho ko hi dekhne lagta hai aur bahut jyada pain ke sath dhire dhire kahta hai " P..... Please ! "
( Rote hue ) " Please hmari madad kro. "
Wahi hmse kafi dur khade baki sare hunturs bhi mujhe ye sb karta dekh kr bahut jyada shocked ho gaye the. Sare aakhe fade bs mujhe hi dekhe ja rahe the.
KARGALGAN ( mujhe dekhte hue ek evil smile ke sath ) " Ek human hone ke bawjood tumhare paas kafi amazing telent hai. "
" Lakin aakhir ye kitni der tak hum sb logo ke samne tik payegi ? "
Mai apni jagah se khada ho jata hu aur piche mud kar KARGALGAN ko bina dekhe kahta hu " Maine aaj tak aisi powefull energy ko kabhi bhi feel nahi kiya hai. "
Hahahhah.....
KARGALGAN ( haste hue ) " Kya ye obvious nahi hai ? "
Mai " Halaki, ye ek terrible matchup hai. Tumhare liye. "
" Aage aao...... "
" Mere shadow Soldiers. "
SSSSSSSS..........
Mere itna Bolte hi mere niche se black color ki bahut sari energy niklne lagti hai. Aur bs kuch hi second me mere piche meri puri Shadow army summouned ho kar kadi ho jati hai.
IGRIS,IRON, Sare KNIGHT'S soldier aur ice Bear sub aa jate hai.
[ Note : kal ek sath 2 update aayega Frnd's aur undono me pura fighting sequence hoga.]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!