• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy SOLO LEVELING

Story aapko kaisi lagi ?

  • Bahut achi lagi .

    Votes: 310 93.9%
  • Thik thak hi hai .

    Votes: 20 6.1%

  • Total voters
    330

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 73



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Aman darte hue hi sahi lakin ek akhiri chance lete hue KARGALGAN ko marne ke liye uske upar apne full strength se ek Attack kr deta hai. Lakin KARGALGAN us Attack se apne shield se bach jata hai. Fir wo Aman ko apne gravity ke power se bahut buri tarah injurd kr deta hai. Mai usko ja krke niche girne se bacha leta hun aur usase sare Monsters ko marne ke liye permission mangta hu. Tabhi ek Guard High orcs mujhe marne aata hai aur mai use apne skill se upar roof me ghusa kr maar deta hu. Uske baad Aman ka permission milte hi mai apni army ko bula leta hu.



AB AAGE.....


OUTSIDE THE DENGEON


CHARRR......

Ek black color ki costly aur beautiful car aa kar Gate se thodi duri par rukti hai.
Aur uske ander se Anurag ke sath ke sath 4 log aur bahar aate hai. In sb logo ne black color ka suit nd white shirt pahna tha. Sare apne huntur Association ke formal uniform me the. Aur sbke face par black chasma laga hua tha.

In sb ko dekh kr unse thodi hi duri par khade Mining team aur collection team ke members kuch surprise hote hai aur fir aaps me hi baat karne lagte hai.

" Monitoring department ke ye hunturs log yaha aaye hai. "

" Inspectors yaha kyu aaye hai ? "

" Kuch na kuch to jarur hua hai. "

Tap... Tap... Tap...

Anurag jo ki sayad in 5 hunturs me sbse senior tha wo Gate ke paas ja kr apne man me sochta hai ' Aakhir Rider ne yaha ek miner ka kaam karne ko kyu socha ? '
' Aur wo bhi kewal ek din ke liye nahi, blki 2 din ke liye. '
' Huntur Rider ki rank jldi hi renewal ho kar S Rank huntur ho jayegi. '
' Ye bahut achi baat hogi aur wo apne kaam ke bare me aur adhik self-aware rahe. Quki ab aise bahut se log honge jo iske upar apni najar banaye rakhenge aur Monitor karte rahenge. "

Tap... Tap... Tap...

In sub ko yaha dekh kr mining incharge jldi se Anurag ke paas jata hai aur kahta hai " Ah... , Aakhir aisi kon si baat ho gayi jo Association ke inspectors ko aisi jagah aana pad gaya hai ? "

Anurag ( Mining incharge ko dekhte hue kahta hai ) " Hum logo ne suna hai ki Huntur Rider yaha par Mining team ke sath kaam kar raha hai. Is samay wo kaha hai ? "

Mining incharge ( thode confusion ke sath ) " Wo young ladka fir se ? "
" Kya kahi koi problem ho gayi hai inspector ? "

Tabhi mining team ka wahi bodybuilder type member jo ki inse thodi hi duri par khada in sb ki bate sun raha tha. Wo bich me hi bol padta hai " Mai janta tha. "
" Agar wo ek huntur na hota to ab tak kisi na kisi ko maar cuka hota. "
" Jab us kamine ne meri taraf dekha aur smile kiya to, mujhe aisa laga uski aakhe mujhe khaa jana cahti hai. "
" Mujhe aisa laga jaise meri body akdam se sikud gayi hai. Mujhe aaj bhi wo feeling bahut ache se yaad hai. "


Anurag ( mining incharge se ) " To abhi huntur Rider kaha hai ? "

Mining incharge " Wo filhal abhi to Gate ke ander hai. "
" Attack force ka Porte aaj kaam par nahi aaya tha. "
" Yaha aisa koi nahi tha jo uski jagah le skta tha. To huntur rider ne kud apna name aage diya as a porter gate ke ander jane ke liye. "

Ye sun ke Anurag ko fir se ek jhatka lagta hai aur Gate ki taraf dekhte hue wo apne man me kahta hai ' Kal Mining ka kaam karne ke baad aaj ye ek porter ka kaam kar raha hai. "
" Kitna ajib banda hai ye. "

Mining incharge bhi gate ke taraf hi dekhne lagta hai aur wapas se Anurag se bolta hai " Aakhir aaj subko ho kya gaya hai ? "
" Miss Aayat bhi abhi kuch der phle isi ladke ko dundhte hue yaha aayi thi. "
" Aur jab maine puri baat unko batati to wo bhi uske piche is DENGEON ke ander chli gayi. "

Anurag ( thode surprise se ) " huntur Aayat bhi use hi dhundh rahi hai ? "

Tabhi wo bodybuilder type mining member Anurag se phuchta hai " Kya usne kisi ko mar dala hai ya kuch aur kiya hai ? "
" Wo aise hi kisi person ki tarah dikhta hai jo ki.... "

Anurag samne dekh kar apna chsma sahi karte hue " Tumhe kal ke news me iske bare me pata chl jayega. "

Tap... Tap... Tap...

Fir Anurag apne baki ke logo ke sath Gate ki taraf jane lagta hai. Wahi Mining incharge aur wo bodybuilder wala mining member dono ke paas baki ke Mining team ke members aa jate hai aur unko gher kar khade ho jate hai.
Tab wo bodybuilder wale members baki sub se kahta hai " Dekha ! Maine tum sub se kya kaha tha ? Wo suspicious hai. "

Ek Mining team member " Lakin wo dekhne se to aisa ladka bilkul bhi nahi lagta hai. "

2nd member " Ha, wo such me ek hard worker hai. Jo puri lagan se apna kaam karta hai. "

Tap... Tap... Tap...

BUZZZZZZ......
Crack.... Crack...

Aur wahi Anubhav jaise hi Gate ke bilkul paas aa kar uske ander dekhne ke liye apna bs ek step aage badhata hai to achanak se hi uska chsma bahut buri tarah se chhote chhote tukdo me tut jata hai.
Aur Monitoring division wale sare hunturs ke sath bhi aisa hota hai sbko hi bahut jyada energy feel hoti hai.

Anuraj ( bhut jyada shocked ke sath apne man me ) ' Ye kya hai ? '
' ye to ek atyachari energy hai. '

Use ye sb feel hote hi wo sare inspectors jldi se gate se thodi dur khade ho jate hai.
Sare logo ke face par bahut jyada pasina nikal aaya tha. Aur sab buri tarah se hafte hue kud ki saaso ko control kar rahe the.

Huff... Huff...

Anurag ( hafte hue ) " Hey bhagwan ! "
" Mujhe to yakin hi nahi ho raha hai. "
" Ek second ke liye to mujhe aisa laga ki jaise meri puri body tukdo me cut jayegi. "

Anurag ka ek co worker ( anurag ko dekhte hue ) " Chief, kya aapne bhi wahi feel kiya ?
Ye to.... "

Fir Anurag jldi se apne co workers ko gadi me se Gate ki energy mapne wala device mangwaya .
Aur do log jldi se ja kar car me hi rakhe hue ek alg type ke crystal ko aur ek energy ki reading batane wale device ko le aate hai.
Aur fir wo crystal ko Gate ke samne krke uski reading check krne lagte hai.
Aur jb reading aati hai 94218..
Ise dekh kr sbka hi muh khula ka khula rah jata hai. Sb sadme me chle jate hai.

Anurag ( reading dekh kr lagbhag chillate hue ) " Ye kya hai ? "
" Aaj tak ke sare A Rank gate me se ye sbse kahtarnak Gate hai. "
" Purani measurement galt thi. "
( Apne man me ) ' Agr association ke purane measurement ke hisab se Attack force banayi gayi hogi to, un sare hunturs ki jaan khatre me hai. '
' Agar yaha 2 S Rank huntur hote to koi jyada problem nahi hoti. Lakin... '

Anurag apne co workers ko dekhte hue " hum sb abhi ke abhi gate ke ander chlenge."



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


INSIDE THE DENGEON


Tap... Tap... Tap....

Aayat Gaye ke ander aa cuki thi. Aur DENGEON me thodi hi dur jane ke use un High orcs ki mari hui body dikhti hai. Jise Aman ke Attack force ne sbse pahle maar diya tha Rider ki help se.
Itne sare high orcs ki mari hui body dekh kr Aayat ko bahut bada jhatka lagta hai. Phle to wo ye sochti hai ki is DENGEON me High orcs kaha se aaye. Quki iske reading to bahut kam thi A Rank DENGEON ke hisab se.
Lakin fir usko ye soch ke bi bada jhatka lagta hai ki Aman ke team ne in sare high orcs ko maar dala.

Aayat ( aage aa kr high orcs ki body dekhte hue surprise ke sath ) " kya such me Aman ki team itni kabil hai ki unhone itne high orcs ko maar dala ? "
" Aakhir wo sub itne sare high orcs ke hote hue jit kaise gaye ? "

ZIZZZZZZZ.....

Tabhi DENGEON ke ander ki taraf se ek bahut hi Powefull aura Aayat ko feel hota hai. Aur usase uski cap tak ud kar niche jamin par gir jati hai.
Aayat bhi ab usi taraf dekhne lagti hai. Aur apne hair ko aur kas kar apne ribban se baandh deti hai. Aur apne man me kahti hai ' Nahi ! Aisa nahi ho skta. '
' Agar ye energy is DENGEON ke boss se aa rahi hai to, Aman ke team ko koi bhi members jinda nahi bach payega. '

Itna sochne ke baad wo ab teji se boss room ki taraf aane lagti hai.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


BOSS ROOM

Mai KARGALGAN ke samne us pletform par khada use hi dekh raha tha. Mere left side me IGRIS khada tha aur right side me Tank aur baki ke meri shadow army mere piche khade mere order ka wait kar rahe the.
Sare high orcs bhi mere army ko dekh kr jor jor se chillane lagte hai.

KARGALGAN mujhe aur mere army ko dekh ke ek smile krte hue kahta hai " Bs itne hi thode se Soldiers ke sath mil kar tum mere worriers ke sath fight krne ki kosis karna cahte ho. "

Mai ( ek smile krte hue ) " Agar tmne hum logo ko kamjor smjha to, ye tumhare liye bahut hi jyada khatarnak sabit hoga. "

DING......

[ SKILL : DOMAIN OF THE MONARCH activate ho gaya hai. ]

Ssssssssssss........

Aur fir se mere ander se black color ki energy niklti hai. Aur Tank , IGRIS me jane lagti hai. Aur fir unka color Change ho kar black and purple ho jata hai.
Ab wo aur bhi jyada glow karne lagte hai.

DING.....

[ Shadow Soldiers jo bhi CASTER'S SHADOW se upar ke level ka hoga fight karte time un sb ka Status 50 percent increase ho jayega. ]

Mai apne Tank aur IGRIS ko dekhte hue apne man me kahta hu ' Demon's castle me upar jate time 70 level phuchne par mujhe yahi new job specific skill mili thi. '
' Mere shadow Soldier ab aur bhi jyada strong ho gaye hai phle se. '

Wahi mere se kuch duri par khade sare hunturs apna aakh aur muh fade bs mujhe aur meri army ko hi dekhe ja rahe the.

Frock wali mage huntur ( bahut jyada shocked se ) " abhi yaha kya hua ? "

Lalten wala male mage type huntur ( shocked se ) " Mujhe to yakin hi nahi ho raha hai. "
" Mai apna best bhi du to mai bs 2 creature ko hi summouned karke bula skta hu. "

Frock wali mage huntur ( mujhe dekhte hue ) " Aakhir ek human ke ander se itni jyada ominous ( negative ) energy kaise aa skti hai. "

Ab tak meri army ne sare hunturs ko gher liya tha ek circle bana kr taki koi unko chot na pahucha paye. Aur wahi ab pletform ke niche khade sare high orcs ne hme chro taraf se gher liya tha.

KARGALGAN ( meri taraf dekhte hue ) " Tum sub kya kar rahe ho ? Ab tak to ye sub khtam ho jane cahiye the. "

ROARRRR......

KYEEAAAAA......
RUN... RUN... RUN.....

itna sunte hi sare high orcs chro taraf se jor s chillhue hmari taraf bhag kar aane lagte hai.

Aaaahhhhh......

Tabhi IRON high orcs ko dekh ke bahut tej chillata hai.

DING....

[ IRON apni TAUNTING CRY skill ka use kr raha hai. ]

DING....

[ Aapke dusmano ka Statu bahut jyada hai. TAUNTING CRY skill failed ho gaya hai. ]

Apni skill ko high orcs par kaam na hota dekh kar IRON ka popat ho jata hai. Aur wo baki shadow Soldier ko dekh ke thoda embarrassing feel karta hai.

SWOSSSSSS.....

KHACHAK.....
SWOSSSSSS.....

KHACHAK.....

Jisase agle hi pal usko gussa aane lagta hai.
Aur wo bahut jayada gusse me apne samne aane wale sare high orcs pr bahut buri tarah Attack karne lagta hai.
Uske ek ek Attack se 4 se 5 high orcs ek baar me hi mar rahe the. Kisi ka hath, kaisi ka gala, to kisi ka pet cut hote ja raha tha.

Wahi dusri taraf IGRIS apne sword ko apne dono hath me pakde bikul sidhe 90 degree ke angle par uthaye chup chap khada tha.
Uske back par bandha roab hawa se upar ud raha tha wo dekhne me bhi bahut jyada attractive lag raha tha.

RUN... RUN...

ROARRRR.....
AAAHHHH.....

KYAAA.....

Uske taraf bhi bahut sare High orcs apne weapons pakde hue Attack karne ko aa rahe the.

SWOSSSSSS.....

SWOSSSSSS.....
KHACHAK..... KHACHAK.....

Aahhhh.... Ahhh.....

Aur jaise hi wo sb IGRIS ke paas pahuchte hai. IGRIS her ek second me na jane kitne baad apne sword se un par no. Of Attack kar deta hai.
Wo apni jagah se bilkul bhi nahi hilta hai. Lakin uske paas ke sare High orcs bs marte hi ja rahe the. Wo itni speed se sword chla hi raha tha ki koi Normal huntur bhi uske movement ko nahi dekh pa raha tha.

RUN... RUN...

SWOSSSSSS.....
AAHHHHHH.....

SWOSSSSSS.... SWOSSSSSS.....

Mere taraf sbse jyada high orcs mujhe marne ko aate hai. Lakin unke Attack karne se pahle hi mai apne full speed se sare high orcs par apne hath me pakde BURAKA ke dagger se Attack karne lagta hu.
Meri speed itni jyada thi ki un bechare high orcs ko to mere hath ki movement hi nahi dikh rahi thi ki. Kab mera hath aata aur unke body se unka hath, pair aur gala alag karke chla jata.

SWOSSSSSS...

JUMP.....
SWOSSSSSS.... SWOSSSSSS.....

Fir ek bada sa pony tail bande hue high orcs mere samne aata hai aur mere upar apne weapon se Attack kar deta hai. Lakin jb tak ki uska Attack mujh tak phuch pata mai waha se ek jump laga kar hawa me kud jata hu. Aur uske face se le kar ke uske pure chest tak do baar apne dagger se bahut hi gehra ghaw bana deta hu.

DHADAAMMMM.....

Jisase wo high orc wahi gir kar dher ho jata hai.
Ye dekh kr 1st Tank type huntur kahta hai " ye to... "

Tabhi uske bagal me kadhi soniya bol padti hai " ha mai janti hu. Ye bilkul hmare vice master Aayat ki tarah hai. "
" Lakin isne apni ability ko chupa kar, as a porter kaam krne ke bare me kyu socha ? "

Run... Run...
SWOSSSSSS.... SWOSSSSSS....


Waha aisi hi bate baki sare hunturs kar rahe the jbki mai wahi se us high orc ke sir se jump laga apne aage khade baki high orcs ke upar se hi kudate hue bhag raha tha. Aur apne raste ke sare high orcs ko marta ja raha tha.

Apne samne aane wale high orcs ko marte hue mai apne man me soch raha tha ' IRON, IGRIS aur TANK ko hata du to baki ke mare Soldiers lagbhag B Rank ke Hunter ke saman hai. '
' Inme se bhut se pahle hi kai baad destroy ho cuke hai ek high orcs ko marne ki kosis me. '
' Quki abhi bhi itne sare high orcs ke marne ke baad bhi ye sare hmse sankhya me 3time jyada hai. '
' To mujhe sbse phle jitna ho sake uthna in sub high orcs ko maar krke inki ginti kam karni hogi. '

Aur mera ye sub sochna bhi bikul jayaj tha Quki high orcs A Rank ke Hunter ke saman level ka ek Monster hai use B Rank huntur ke level ke mere Soldiers akele bilkul bhi nahi maar skte the. Ha aur kuch Soldiers ek sath group me fight kare tab baat banane ke chances the. Lakin quki ye hmse ginti me bhi bahut jyada the to mere Soldiers ye kaam bhi nahi kar pa rahe the.
Wo sare high orcs se fight karke bs mere liye baki sare hunturs ko bacha rahe the. Aur mujhe jitna ho ske jyada se jyada time dene ki kosis kar rahe the.
Aur aisa karte hue mere Soldiers kai baar mare ja chuke the. Lakin thanks to IGRIS, IRON aur TANK jo abhi tak bina mare bahut hi speed me high orcs ko khtam kiye ja rahe the.

Abhi mai yahi sochte hue sbko maar raha tha ki mere samane apne throne par baitha KARGALGAN ek spell bolta hai " HYMN OF THE FIRE DRAGON. "

BUZZZZZZ......
BOOMMMMM......


Aur uske ye spell ke bolte hi mere piche ek bahut bada dhamaka hota hai. Aur mai piche mud kar dekhta hu to mere sare SHADOW SOLDIER us dhmake se destroy ho chuke the.

Mai ( surprise hote hue ) " kya ? Mere SHADOW SOLDIER.... "

Fir mai thode gusse se KARGALGAN ki taraf dekhta hu. To mujhe dikhta hai ki usne apne samne suru me jo purple colour ka wo inscription wala circle banaya tha uske bicho bich ek dragon ka sir bahar ko nikala hua hai. Aur uske muh se hi nikli aag se ye dhmaka hua tha aur meri army khtam ho gayi thi.

KARGALGAN ( smile krte hue ) " Tum in jaise useless puppets ko apne sath rakh kar aisa arrogant behave kyu kar rahe ho ? "

Mai ( gusse se KARGALGAN ko gurte hue ) " wo tum ho, jo yaha arrogant behave kar raha hai. "
" Lakin, jab tak mere paas Mana hai ye wapas se dubara generate hote rahenge. "

Aur mere Bolte hi mere sare SHADOW SOLDIER wapas se regenerate ho jate hai.
Aur fir se high orcs se fight karne me busy ho jate hai.

Ye dekh kr KARGALGAN thode gusse se mujhe ghurte hue kahta hai " Bhale hi ye wapas se regenerate ho jayenge, lakin fir bhi tum apna mana to consume karte hi rahoge. "
" isase phle ki tum mere worriers ko maar pao, Tumhara mana khtam ho jayega. "

Jump.....

Itna sun kar mai apne dono hatho me dagger le krke KARGALGAN ki taraf ek long jump lagate hue kahta hu " Usase phle tum mar jaoge. "

KARGALGAN " HYMN OF PROTECTION. "

ZIZZZZZZ......

SWOSSSSSS......
CHUUUU......

DHUM.....

KARGALGAN ke ye spell Bolte hi wapas se uske samne sky blue color ka wo transparent shield aa jata hai. Aur maine jo Attack apne dagger se kiya tha wo us se takra jata hai. Aur mai waps niche jamin par aa jata hu.

KARGALGAN " Ye sub bekar hai. Jitna jyada tum apna time mujh par barbad karoge. Utni hi jyada speed se tum apne Soldiers ko gwate rahoge. "

Mai niche aa kar KARGALGAN ki taraf dekhte hue " Mere khyal se.. "
( IRON, IGRIS aur TANK ko yaad karte hue ) " mere paas, mere kuch apne strong log abhi bhi hai. "
" Aur tumhe mere mana ke khatam honi ki chinta nahi karni chahiye. "

KARGALGAN gusse se " Tab to mai tm sub ko ek hi baat me khtam kar deta hu. "
" HEMN OF BLAZING FIRE. "

Uske itna kahte hi us circle ka ek fig. Glow hone lagta hai.

BOOM.... BOOM.... BOOM....

Aur mere SHADOW SOLDIER ek baar fir se sare ek baar me hi khtam ho jate hai.

Ye dekh kr mai KARGALGAN ko dekhte hue apne man me sochta hu ' Ye VALCAN aur METUS se bhi jyada powefull hai. '
' METUS thousands of undead logo ko control kar skta tha. '
' Lakin uska defence kamjor tha. '
' lakin iske paas to outstanding defence aur bahut hi Powefull spells hai. '
' Iske alawa mere piche hum log hundreds of high orcs se ek ektarfa battle lad rahe hai. '
' Ye to jab mai JOB CHANGE QUEST me gaya tha aur jo fight ki thi end me usase bhi bilkul alag hai. '

Mai " Inventory. "

Fir mai inventory ko open krta hu. Aur usme se potions ( medicine mila hua water ) ko dhundhne lagta hu. Aur jldi hi mujhe wo mil jata hai aur mai use buy karkr nikal kar apne hath me le leta hu.
Ye ek chote se glass ke round bottle me rahta hai. Ye liquid form me hota hai aur iska color sky blue color ka hota hai.

Mai ( potions ko dekh ke ) " Quki yaha potions available hai. "
" To mai apna mana wapas se gain kar skta hu. "

Uup... Uup... Uup....

Fir mai us options ko pura pi jata hu. Aur pine ke baad mai KARGALGANki taraf dekhte hue kud se kahta hu " Quki mai apna pet potions se pura nahi bharna chahata hu. Isliye mujhe jldi hi tumko marna hoga. "
" Yah ek intersting tamasha hone wala hai. "
" Ab mai tmko ek necromancer ka ak kabhi na tutne wala domain dikhaunga. "
" ARISE !! "

SSSSSS......

Mere itna kahte hi mare aas paas hi niche pade hue dher sare High orcs ki body se unke shadow nikalne lagte hai. Aur mere piche apna sir juka kar khade ho jate hai.
Ye dekh kr KARGALGAN ko bahut bada jhatka lagta hai. Use to jo abhi hua is baat par yakin hi nahi ho raha tha.

KARGALGAN ( bahut jyada shocked ho kar ) " Ye kya hai... "
" Tum mere worriers ko undead me kaisi badal rahe ho.... "

Mai " Yaha abhi bhi tumhare bahut se worriers bache hue hai. "
" Bahut jald ye sub bhi mere SHADOW me convert ho jayenge. "
( Apne finger ko KARGALGAN ki taraf point krte hue ) " Aur jb mai sb khtam kar dunga..... "
" Tab tum bhi mere SHADOW me convert ho jaoge. "

Ye sab dekh aur sun kar KARGALGAN ab apni aakhe fade bs mujhe hi dekhta rahta hai aur kahta hai " yah ho skta hai ki.....
" Yah wo ho...
" Mo....... "







Iske niche hi aaj ka 2nd update hai dosto jisme ye fighting puri ho jayegi.

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!

kamal ke.fight hoye ha dono ma
 
Last edited:

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 74



AB AAGE.....

SWOSSSSSS......

GHUPP.... DHDHAM....
ROARR....

Quki ab tak kafi high orcs bhi mare ja chuke the. Aur maine mare hue almost sabhi high orcs ko apne SHADOW SOLDIER me convert karke unhe bhi high orcs se fight karne ka order de cuka tha. Ab pletform par bs HUNTURS GUILD ke hunturs hi the aur mere Soldiers pletform ke dono side niche khade bache hue high orcs ko hunturs ke paas pahuchne se rokne ke alawa fight bhi kar rahe the.

KARGALGAN ( bahut dhire se ) " MONARCH.... ? "
( Apne man me sochte hue ) ' To fir hum sub kyu... '
' Hum yaha kyu hai ? '
' Quki jab hmane apni aakhe kholi, sirf ek hi baat hmare dimak me baar baar sunayi de rahi thi. Aur hmko order de rahi thi. '
( Upar dekhte hue ) ' Humans ka shikar karo.'
' Hme kisi karan ki jarurat nahi hai. Hme bs kisi bhi tarah is order ko pura karna hai. '

Ye sub soch kar KARGALGAN apne Throne se khada ho jata hai aur apne bache hue tino Guards se hmari taraf isara karte hue kahta hai " Jao aur in sub ko piece me kaat do. Aur inke mari hui body ko mere paas le kar aao. "

RUN.... RUN... RUN....

Itna sunte hi tino high orcs guards apne apne jagah se full speed me bhagte hue hmare taraf aane lagte hai.

Ye dekh kar mai smile krte hue kahta hu " ye to hum dono ke generals ke bich ki ladayi hai. "

Ye sunte hi mere tino generals jo ki TANK, IRON aur IGRIS the. Wo bhi in tino ke taraf chle jate hai.

SWOSSSSSS.....
TANN....


Sbse phle ek high orcs Guard, IRON ke paas jata hai. Aur uske upar apne bade se sword se ek powerful Attack kar deta hai.
Lakin IRON bhi turant apne us dono side wale sharp bade se Axe ki help se us Attack ko block kar deta hai.
Dono log apni puri strength laga rahe the. Jaha wo high orcs Guard apne strength se IRON ko niche push karne ki kosis kar raha tha.
Wahi IRON apni puri takat laga kar use upar ki taraf dhkel raha tha. Dono ek dusre ke aakho me dekh rahe the. IRON ka gussa increase hota hi ja raha tha.

AAAHHHHH.......

SWOSSSSSS.....
TADDD.....

Crack..... Crack......

AUR IRON jor se chillate hue apni puri jaan laga kar us Guard ke sword ko apne axe ki help se apne left side niche jamin me dhkel deta hai. Waha ki jamin bhi in dono ke attack ke force se buri tarah tut jati hai.

BOOMMM.....

Aur fir IRON turant hi bahut jor se apne sir ko us Guard ke sir me de marta hai.
Isase us Guard ne apne air aur face ko cover karne ke liye jo bada sa Skelton phna hua tha wo bahut buri tarah tut jata hai.
Sath me IRON ke itne powerful Attack se usko chakka aane lagte hai. Use kuch smjh me hi nahi aata hai ki kya ho raha hai.

SWOSSSSSS....

KHACHAK......
DHDHAM.....

Aur isi baat ka fayda utha kar IRON bina koi time gawaye agle hi pal apne axe se ak powerful Attack sidhe us high orcs Guard ke sir ki taraf karta hai. Aur uska sir kisi rabbar ki tarah bade aaram se cut kar kafi dur ja kar girta hai. Aur uski body wahi dhamm se gir jati hai.

JUMP... JUMP...

Isase thori hi duri par IGRIS apne hath me apni sword pakde hue khada tha uske samne jump krte hue do high orcs Guard aate hue dikayi dete hai. Wo dono abhi bhi hawa me hi the. Aur IGRIS bhi bilkul taiyar khada santi se un dono ko hi dekh raha tha.

SWOSSSSSS....

SWOSSSSSS....
TANN.....

Jisse hi wo niche jamin par aane wale the. Unme se IGRIS ke right side wala Guard apne sword se us par niche aate hue ek Attack kar deta hai.
IGRIS bhi turant hi apni sword ko upar karke uske Attack ko block kr deta hai.
Aur left side wala high orc jo ab tak jamin par aa cuka tha, usne apne dono hatho me ek Armor jaisa kuch pahna hua tha jisme se bahut lambe aur nukile panje nikle hue the. Wo apne panje se IGRIS par Attack karne hi wala tha.

Jump....

SWOSSSSSS.....

Aur jiase hi left wala high orc apne panje se IGRIS ke upar Attack karta hai, Turant hi IGRIS apne jagaht se hawa me bilkul ulta 180 degree ho jata hai. Uski sword abhi bhi right side ke sword ko block kiye hue thi.

CLANG.....
SWOSSSSSS..... GHUPP....


Aur ekdam furti se dono high orcs ko koi chance diye bina hi IGRIS apne back par hamesa chupa kar rakhe hue do dagger me se ek dagger ko apne left hath se nikalta hai. Aur use left wale Guard ke sir me aadha ghusa deta hai.

Tap...
GHUPPPPPP....


Aur fir turant hi uske sir par kud jata hai aur apne left pair se baki ka bahar nikala hua dagger bhi uske sir me pura ghusa deta hai.
Aisa karte hue IGRIS ghur kr us right wale high orc ko dekhta hai.

ROARRRR....

SWOSSSSSS.....
TANN....

Wo bhi IGRIS ko apne sathi ko marta hua dekh kr bahut gusse me aa jata hai aur apne sword ko niche se upar le jate hue ek powefull Attack karta hai. Lakin IGRIS bade aaram se niche jamin par aate hue uske Attack ko apne right hand me sword se rok leta hai.

KARRR....

SWOSSSSSS.....

Aur fir apni puri strength laga kar apne sword se usko ekdam jhtke se waha se piche ki taraf hawa me uda deta hai.

BAAAMMMM.....
SWOSSSSSS.....


Aur wo hawa me sidhe IRON ke samne se aage nikalne wala hi tha ki, IRON apne Aex se ak baar jor se usko hawa me hi marta hai. Aur uski sword wahi uske hath se gir jati hai. Aur wo fir se aage hawa me udte hue jane lagta hai.

DHAPPP....
BOOMMMM.....


Ye wala high orc to inka liye ball ban gaya tha. Ab hawa me hi wo sidhe ja kar TANK ( ice bear leader ) ke bade se hath me ja girta hai. Phle to TANK usko ek second ke liye dekhta hai. Aur agle hi pal usko jor se jamin me patak kr uske upar puri takat se apne ek pair rakh deta hai.
Ye wala Guard bhi wahi dher ho jata hai.

Fir IRON apne right hath ka apna thumb upar utha karke aur TANK apna ek panja uski taraf utha kr ek dusre ko badhayi dete hai. Jaise dono ek dusre ko good team work bol rahe ho.

Ye sub dekhne ke baad mai, KARGALGAN ko dekh kar smile krte hue kahta hu " Dekhne se to yahi lag raha hai ki mere generals tmhare wale se jyada superior hai."
( Fir apne man me mai sochne lagta hu ) ' bhle hi maine abhi thodi der phle bahut confident se bol diya tha, lakin mera mana jis rate se recover ho raha hai potions ki wajagh se usase bahut jyada speed se mera mana consume ho raha hai. '
' Agr ye puri tarah se khtam ho gaya to usi ke sath mere Soldiers bhi gayab ho jayenge.'

Wahi KARGALGAN bhi niche dekhte hue kud se kah raha tha " ab koi rasta nahi bacha hai..... "
" Lakin ye kaise ho skta.... "

Wahi baki sare hunturs ye sub hota hua dekh rahe the. Tabhi 2nd Tank type huntur sbko dekhte hue kahta hai " Hum yaha bs aise hi baithe nahi rah sakte hai. "
" Chlo chal kr uski madad karte hai. "

Tabhi ekdam se KARGALGAN kuch spells bolta hai Wiki ye sari baat usne bhi sun li thi " HYMN OF AGONY. "
" HYMN OF FRENZY. "
" HYMN OF BLINDNESS. "

Aahhhh...

Uuuaaaaa.....
Aahhhh....


Uske itna kahte hi us purple colour ke circle me se 3 simbol glow hone lagte hai. Aur sare hunturs ke muh, aakho, naak se blood aane lagta hai.

KARGALGAN " Audiance logo ko hmare bich me is stage par nahi aana chahiye. "
" Aur mai ab ek second aur tumhare is arrogant mouth ko apne, The great KARGALGAN ke samne bhokne nahi dunga."
" HYMN OF SLUMBER. "
" HYMN OF LETHARGY. "
" HYMN OF BLINDNESS. "

Aur uske ye tino spell ke bolte hi fir se same process hota hai is circle me ur mere taraf bahut sari energy aati hai usme se nikal kr. Lakin mere paas aate hi sb khtam ho jati hai.

DING....

[ Status Effect remove ho gaya hai ,
BUFF : IMMUNITY ke Effect ke karan. ]

KARGALGAN to ye sub dek kar hi sadme me chla jata hai. Uski aakhe badi badi ho jati hai. Wo bs itna hi kah pata hai " kya ? "

DING...

[ Tino curse ka effect gayab ho gaya hai. ]

KARGALGAN ( bahut jyada shocked ke sath ) " Tmne mere tino curse ko dispelled kaise kiya ? "

Mai ( smile ke sath KARGALGAN ko dekhte hue ) " Tumhe yaad nahi hai. Maine pahle tmse kya kaha tha ? "
( Apni t shirt apne hath se saaf karte hue ) " ki mai tumhare liye ek bad matchup hu. "


{ [ GREAT SPELLCASTER KANDIARU'S BLESSINGS : The GREAT SPELLCASTER KANDIARU ne aapko ek special mantr gift me diya h. KANDIARU ka ye special mantr sunishchit karega ki aap apne pure lifetime me strong aur healthy rahe. ]

[ :- TEMPORARY EFFECT WILL TO REHABILITATE : Agar body ka koi part nahi h to wah sahi ho jayega.

:- PARMANENT EFFECT LONGEVITY : Sari bimariya, poisons, aur Status effect sahi ho jayengi. sone se regeneration ki kshamata mein visphotak increament hogi. ] }

Ye sub mere isi skill ke karn hua tha.

Fir mai KARGALGAN ko dekh ke serious tone me kahta hu " Chlo ab mujhe phle tumhare is annoying shield ko todne do. "

Itna kah kar mai apne ek MAGICIAN ko bulata hu aur ORB OF AVARICE use de deta hu.
Wo magician apne right hath me wo orb pakd leta hai aur ek spell Bolte hue apne left hath ko hawa me upar uthaye rahta hai.
Jisase uske hath ke upar ek bahut hi bada sa aag ka gola taiyar ho jata hai.

BUZZZ......

SWOSSSSSS....
BOOMMMMM.....

Aage ke gole ke bante hi MAGICIAN ne use KARGALGAN ki taraf fek diya aur ye dekh kr KARGALGAN turant apne shield ko bulata hai " HYMN OF PROTECT.... "

Aag ka gola ja kr sidhe us shield ko lagta hai aur wo ek bahut tej dhamake ke sath puri tarah se tut jata hai.
Ye Attack itna powerful tha ki KARGALGAN ke face pr pahna hua Skelton bhi tut kar khatam ho jata hai. Aur wo niche ghutno ke bal jamin par gir jata hai.

KARGALGAN ( bahut jyada gusse se ) " GAAHHHH..... "
" T.... Tumhari himmat kaise hui ? "

Yaha ye sb chl raha tha wahi boss room ke door ko open krke Aayat bhi ander aa cuki thi.
Lakin jaise hi ander ka najara wo dekhti hai uski aakhe fati ki fati rah jati hai. Wo bs shocked se pure boss room me charo taraf hi dekh rahi thi.
Uske samne mere Soldiers baki bache high orcs se fight kar rahe the. Boss niche ghutno ke bal baitha hua tha.

Aayat ye sub dekh kr shocked ke sath apne man me ' kya ye sare summouned creature hai ? '
' yaha tak ki jo hunturs Summoning magic me bahut jyada specialised hai wo bhi kewal 1 ya 2 hi summouned creature ko bula skte hai. '
' aakhir yaha ho kya raha hai ? '

Tabhi HUNTURS GUILD ke kuch hunturs ki najar Aayat par padti hai.

" Huh ? Miss Aayat ! "
" Vice master... "

Run... Run...

Aur Aayat bhi unki aawaj sun kar unke paas bhgti hui aa jati hai.
Wo dekhti hai aman jamin me leta hua hai aur soniya apne healing power se usko heal kr rahi hai.

Aayat ( Soniya ko dekhte hue fikar se ) " Kya tum thik ho ? "
" Aakhir yaha hua kya hai !? "

Soniya bhi Aayat ko aise yaha achank se dekh kar thodi Surprise hoti hai fir kud ko sambhalte hue kahti hai " Hum sub ko kud confirm nahi hai ki yaha kya ho raha hai. "

Wahi KARGALGAN ab bahut jyada gussa ho jata hai aur chillate hue kahta hai " Tumhara ye bekar sa telente mere upar ab aur kaam nahi karega. "

Aur wo wahi par khade ho kar jldi ke kai sare spell bolne lagta hai " " HYMN OF RAGE. "
" HYMN OF STRENGTHNING. "
" HYMN OF GIANTS. "
" HYMN OF COMBINATION. "

BUZZZZZZ......
ZIZZIZZZZ......


KARGALGAN ke itna Bolte hi us circle se khub sari white nd purple colour ki energy niklne lagti hai aur wo sari ja kr KARGALGAN ke puri body ko cover kar leti hai. Fir wo energy ka size teji se increase hone lagta hai. Aur jb sb khtam ho jata hai to KARGALGAN ka size increase ho jata hai. Ab wo lagbhag 100 se 120 feel bada ho gaya hota hai. Wo is time apne ghutne ke bal baitha hua tha.
Lakin mai apni jagah khada santi se ye sb hota hua dekhta rahta hu.

Aayat jab ye dekhti hai to o bhi dar jati hai aur sare hunturs se kahti hai " Jldi se yaha se bahar ki taraf bhago. "

DHAMMM.......
BOOM......


KARGALGAN apne ek pair ko utha ke mere SHADOW SOLDIER ke upar rakh deta hai aur haste hue kahta hai " Mai tum sub ko incests ki tarah kuchal dalunga. "

Mai apne dono hath apne paint ke pocket me dale hue KARGALGAN ko dekhte hue kahta hu " Giant enemys ke sath mere kewal khrab yaade hi hai. "
" Aur ab tmne bhi mere dikhti nas par hath rakh diya hai. "

Mere itna Bolte hi KARGALGAN mujhe jukh kar dekhne lagta hai. Aur tabhi mujhe ek notification aata hai.

DING....

[ MP : 0/4526 ]

Mai ( ye dekh kr ) " Dhat teri ki ! "

KARGALGAN( mujhe dekhte hue ) " Itne jyada paresan mat ho. Quki mai phle tmhare sath thoda khelna chahata hu. "

BUZZZZ.....

Aur itna kah kar wo wahi ek jagah par aaram se baith jata hai. Aur apne dono hath ko aage karke koi spell bolne lagta hai. Ab uske sir ke upar DRAGON ka muh ban jata hai aur spell ke kahtam hote hi uske muh se wapas se phle wale se bhi kai time jyada aag niklne lagti hai.

KARGALGAN ( apne muh se aag nikalte hue ) " kya mai, KARGALGAN abhi bhi tmko, tamhare se kamjor lagta hu. "

Run...... Run....

Lakin jab tak ki wo aag mujhe lagti mai apni jagah se bahut speed me hat jata hu aur mai bhagte hue KARGALGAN ke face ke left side me phuch jata hu.

Mai wahi se KARGALGAN ko dekhte hue apne hath me apne dagger ko bula kar kahta hu " Ha ! "

SWOSSSSSS.....
GHUUPPP......


Aur mai apna dagger uske left eye me pura ghusa deta hu. Aur kahta hu " Agar tum bade ho gaye ho to tum kewal ek aasan target ban gaye ho. "
" Aisa koi tarika nahi hai ki ek jadugar bina kisi guards ke ek ASSASSIN ka Attack rok sake. "

SWOSSSSSS..... Aahhhh.....

SWOSSSSSS.....Aahhhh.....
SWOSSSSSS.....Aahhhh.....

SWOSSSSSS.....Aahhhh.....

Uske baad to mai apni full speed se bhagte hue KARGALGAN ke puri body par uncountable Attack karne lagta hu. Jisase wo bs jor jor se chillata rahta hai.

KARGALGAN ki body par dher sare Attack karne ke baad mai ruk kar use dekhte hue sochne lagta hu ' Mai itne bade enemy ke upar apne dagger se critical Attack nahi kar skta hu. '
' To aise time me, sirf ek hi rasta bachta hai.'

Itna kah kar mai apne dagger ko inventory me bhej deta hu. Aur apne hath ko kas ke bhinch kar punch bana leta hu.

Run.... Run....

BHISOOM....

Aur apne full speed se ja kar uske left gaal par apni puri strength se ek punch de marta hu aur kahta hu " Abhi ke liye yahi best tarika hai. "

ROARRRR....
DHADAAMMMM.....


KARGALGAN bahut jor se chillate hue ja kar jamin par teji se gir jata hai.

Aur mai waha se kud kar jldi se KARGALGAN ke samne jamin par kud jata hu.
KARGALGAN wahi se jamin me lete hue hi apna sir utha ke mujhe gusse aur pain se apne ek aakh se dekhta hai.

Mai use dekhte hue kahta hu " Jis moment ek magician apna guard kho deta hai. "
" Tabhi uske jitne ke chances Zero ho jate hai. "

Aur tabhi mere paas tino Guard high orcs aa jate hai jinko maine apna shadow Soldier bana liya tha.

KARGALGAN " Aisa koi tarika nahi hai.... "
" Aisa koi tarika nahi hai ki meri ye body tukde tukde ho sake. "

AAAAAAAAAAA.........

GHUPPPPPP.....
GHUPPPPPP.........

GHUPPPPPP.......

Aur uske itna bolne tak hi mere order par tino Guard high orcs apne apne weapons ja kar uske body ke ander ghusa kar aar paar kar dete hai.
Aur uske body se dher sara purple colour ka blood niklne lagta hai.

DING.....

[ Aapne DENGEON ke boss ko maar diya. ]
DING....

[ Aapka 2 Leveled Up ho gaya.]











Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Bhot maza aa gya ha yara g
ache fight the mujy Q laag rha ha Bad ma Rider hw Villan na Nkly
 

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 75



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mere aur KARGALGAN ke bich fight hoti hai. IRON,TANK aur IGRIS ne mil kar uske tino Guards ko maar dete hai. KARGALGAN mere upar apne Magic se bahut Attack karya hai lakin uske sare Attack fail ho jate hai. Uske shield ko mai apne magician aur orb ke help se tod deta hu. Fir wo kuch spell bol kr apne size ko bahut bada kar leta hai. Aur isi baat ka fayda utha kar mai usko maar deta hu. Aayat bhi boss room me aa kar ye sb dekh kr bahut jyada shocked ho jati hai baki ke hunturs ki tarah.



AB AAGE......


Aayat ke boss room me aane ke kuch der baad Anurag apne baki ke co workers ke sath boss room ke ander pahuchta hai.
Aur jaise hi wo sare log apne samne boss room ka najara dekhte hai sabka muh khula ka khula rah jata hai. Sare logo ko ek sadma sa lagta hai.

Anurag ke muh se shocked ke karan bas itna hi nikal pata hai " Aakhir hmari aakho ke samne... "
" Ye ho kya raha hai... ? "
" Is duniya me aakhir chl kya raha hai ? "
" Aur Aakhir is world me aur kya kya chupa hua hai Hmari aakho se ? "

SWOSSSSSS..... KHACHAK.....
DHADAAMMMM......


In logo ko sbse phle jo dikhta hai wo ye tha ki mera summouned kiya hua ek high orc apne niche jamin pr gire hue 2 high orcs ko apne sword se jagah jagah undono ke body ke aar paar kiye ja raha tha.

Abhi Anurag itna bol kar sadme se wahi dekh raha tha ki usase hi kuch duri par khadi Aayat bhi udhar hi dekh kr bol padti hai " Ye sare us ladke ke summouned kiye hue creatures hai. "

Anurag ( Aayat ki taraf dekhte hue ) " Huntur Aayat !! "
" Us ladke se, kahi aapka Matlb.... "

Aur wo aayat ke bataye hue Directon me dekhne lagta hai. Jidhar mai, bade hi cuke KARGALGAN ke body par full speed me bhagte hue apne dagger se dher sare Attack kar raha tha.
Aur jb mai apne ek punch se maar kar KARGALGAN ko niche jamin pr gira kar uske samne ja kar khada ho jata hu to mujhe dekh kar Anurag kahta hai " Huntur Rider ? "

Aur Anurag ke muh se mera name sun kar Aayat ek baad fir se surprise ho jati hai aur Anurag ki taraf dekhte hue apne man me sochti hai ' Sirf Master Anubhav hi nahi, Monitoring division ke chief bhi is ladko ko jante hai. '

Anurag ( meri taraf dekhte hue Aayat se kahta hai ) " Jiase hi hmlogo ne is overwhelming magical wavelength ko sence kiya hum yaha turant hi madad karne ke liye aa gaye. "
" Lakin yaha sb kuch dekh kr to aisa lagta hai ki, hmari yaha koi jarurat nahi hai. "
" Quki hum sub kud apni aakho huntur Rider ko akele, kud ke dam par ek A Rank DENGEON clear karte hue dekh rahe hai. "
( Apne man me ) ' isase koi fark nahi padta hai ki tum in sb ko kaise dekhte ho. '
' Kya ye kisi Elite combat type huntur ki tarah nahi lagta hai ? '
' Lakin ye Summoning magic bhi bahut achi tarah se use kar skta hai ? '
' Ye huntur Rider ki ek ability hai sayad. '
' Mai to ye soch raha hu ki ye aakhir kitne creatures ko summouned kar skta hai ? '

Aayat ( meri taraf dekhte hue Anurag se puchti hai ) " Aakhir ye ladka hai kon ? "
" Kya tum iske bare me kuch bhi jante ho ? "

Anurag ( apne chsme ko niche karke mujhe dhyan se dekhte hue ) " Mai thoda bahut iske bare me janta hu. "
" Bs bahut thoda sa hi.. "

Wahi mai in se se kafi dur aage KARGALGAN ko marne ke baad ghum kar apne sare shadow Soldiers ko dekhne lagta hu.

Mai " Maine boss ko sambhal liya hai. "
" Aur bache hue high orcs ko pahle hi mere sare SHADOW SOLDIERS dhyan rakhe hue hai. "

Fir mai dekhta hu KARGALGAN ke marne ke baad uske paas 3 item usase nikal kar girte hai.

Mai un items ko dekhte hue " Kya mujhe in gire hue drops ko le lena cahiye ? "
( Apne chin par hath rakh kar sochte hue ) ' Nahi, quki ye DENGEON HUNTURS GUILD ki property hai unhone iske liye high amount oay kiya hai. "
" To mujhe itna jyada lalchi nahi hona cahiye. "
" Lakin uski jagah mai KARGALGAN ke Shadow ko EXTRACT kar skta hu. "
" ARISE !! "

Ssssssssssss......

Ssssssssssss.......
ROARRRR.....


Aur mai ja kar KARGALGAN ke face par apna right hand rakh kar ARISE bol deta hu.
Mere itna Bolte hi uske chro taraf puri body se black color ki energy nikalne lagti hai. Aur wo hawa me upar ki taraf jane lagti hai. Aur agle hi second bahut tej chillate hue KARGALGAN ki SHADOW mere samne aa kar apne ek ghutne ko niche rakhe mere samne sir jukha kar baith jati hai.

Ye sub hota dekh kr to Sare hunturs, Aayat, Anurag aur uske co workers sbki fat jati hai. Inke liye ye ab tak ka sbse bada sadma sabit hota hai.
Sare dar se kuch steps piche chle jate hai. Aur apni aakhe aur muh khole hue bs mujhe aur KARGALGAN ke Shadow ko hi dekh rahe the.

Jabki in sb chijo se anjaan mai KARGALGAN ke Shadow ko dekh ke kahta hu " Ab Shadow banane ke baad tum pahle se kafi saant ho gaye ho. "

DING....


[ Is Soldier ke liye ek Name select kijiye. ]

Fir System mujhe KARGALGAN ke Shadow ka name rakhne ko kahta hai sath me uska Rank bhi mujhe dikhata hai.
Uske Rank ko dekh ke mai apne man me sochta hu ' Normal Rank ( KNIGHTS ), Elite Rank ( magicians ), KNIGHT Rank ( IGRIS, TANK, IRON ). '
' Ab tak maine bs yahi tino Rank hi dekhe hai. Ye mere 1st time hai jab mai is Rank ko dekh raha hu. '

Fir mai KARGALGAN ke Shadow ko dekh ke kahta hu " Ab aisa to hona hi tha, Quoi tum A Rank DENGEON ke boss jo hai. "
" Koi Normal Monster to ho nahi. "
( Yaad karte hue ) " Tumhara name kya bataya tha tumne ? "
" Ye kuch kar.... Karke tha. "
" Sorry, mujhe yaad nahi hai. "
( Uske sir par pyar se hath rakhte hue ) " koi baat nahi tm fikar mat karo, mai koi name sochta hu tmhare liye. "
" TUSK. "
" Aaj se tumhara name TUSK Hoga. "

DING...

[ TUSK Lv. 1]
[ RANK : Elite Knight ]

Ab tak mere SHADOW SOLDIERS ne bhi baki bache hue high orcs ko khatam kar diya tha.
Aur sare aa kar mere piche khade ho gaye the.

Mai unko dekhte hue apne man me kahta hu ' High orcs ke strength ko bhi apni army me samil karne par mujhe bahut hi acha results mila hai. '
' Ab to mai bhi 127 SHADOWS ko save kr skta hu. '
' Mai phle bekar ke shadows ke jinko mai ab save nahi kar paunga unko yaha se hamesa ke liye nothingness me bhej deta hu. '
' Aur baki bache hue Shadows ko mai save kr leta hu. '


SSSSSSSS..........

SSSSSSSS..........

Mere itna sb sochte hi phle limit se jyada wale Shadows gayab ho jate hai. Aur uske kuch second baad hi baki bache hue mere army ke Shadows mere me save ho jate hai.

Meri back ke piche khade baki sare log mujhe ye sub karta hua dekh rahe the. Kuch kabhi wo shocked ho jate, Kabhi confused, to kabhi blank ho jate the.

Tap... Tap... Tap...

Fir jb wo sb bhi dekh lete hai ki ab boss room me hmare alawa aur koi jinda nahi bacha hai. Tab Anurag apna chsma sahi karte hue aage aata hai aur bahut respect me kahta hai " Huntur Rider ! "

Mai jab sunta hu ki koi piche se mujhe aawaj de raha hai to mai piche mud kar deta hu. Aur ab kahi ja kar mai akdam shocked ho jata hu. Aur kuch steps piche chla jata hu.

Mai ( shocked se apne man me ) ' Chief Anurag ? '
' Aayat bhi hai yaha par... '
' Kya mai fight me itna jyada busy ho gaya tha ki mujhe inme se kisi ke aane ka pata bhi nahi chla ? '

Tap... Tap... Tap...

Ab tak baki sare hunturs aur Monitoring division ke members sb mere kafi paas aa gaye the.

Soniya " Mr. Rider... "

1st Tank type huntur " Mr. Porter akhir abhi yaha hua kya tha ? "

Mai apni jagah khada ab dar raha tha ki mai ab sbko kya bataunga. Mujhse kuch bola hi nahi ja raha tha.

Mai ( apne man me ) ' Ab mai is situation se kaise bahar niklunga ? '

Tap.. Tap... Tap...

Abhi mai ye sb soch hi raha tha ki Anurag aur uske co workers aa kar mujhe cover ke lete hai.
Aur Anurag mere samne khada ho kar HUNTURS GUILD wale hunturs se kahta hai " Hum ASSOCIATION ke Monitoring division se aaye hai. "
" Association , huntur rider ka sabhi kamo ki nigrani karta hai. "
" Aur ye baat ek top secret matter hai, jiska khulasa public ke bich nahi kiya ja sakta hai."
" Ak baar hum is DENGEON se bahar nikal jaye, fir hum aapko yaha jo kuch bhi hua hai uske bare me detailed me explanation provide karwa denge. "
" Lakin please aap sb ne yaha jo bhi kuch dekha hai uske bare me kisi aur ko aap log kuch bhi mat bataiyega. "

Jaha Anurag baki ke hunturs se baat karte hue yaha ka situation sambhal raha tha. Wahi mere bilkul paas khade Monitoring division ke hi do inspectors mujhse dhire se kahte hai.

1st inspector " Hum yaha se aapko bahar nikalne ke liye guide karenge sir. "

2nd inspector " Yahi best tarika hai Sir, aage hone wali kisi complications ko avoid karne ka. "

1st inspector " Aapne just abhi yaha par, India ke Top Guild ke samne S Rank ko bhi piche chod dene wala strength dikhaya hai."

2nd inspector " Hum aapko yaha se, santi se bahar nikalne me puri madad krenge. "

Mai bhi un sb ki baat ko smjh jata hu. Aur unki baat maan jata hu.

Anurag ( baki sare hunturs se ) " Agar aapko koi bhi swal puchna ho to aap aage ki jankari ke liye Association ko kabhi bhi contact kar skte hai. "

Tap... Tap... Tap...

Abhi Anurag baki sbko aise hi smjha raha tha ki ek huntur samne aata hai aur bich me hi bol padta hai " 1min ruk jao ! "

Ye Aman tha jo ki Soniya ki healing magic se ab kafi thik ho cuka tha lakin abhi bhi ek B Rank huntur uske ek side se pakde hue tha.
Aman mere samne aata hai aur kahta hai " Agar tumhare paas such me itni jyada strength hai to, Abhi ki situation jo hai wo utni jyada bhi ajib nahi hai. "
" Mai tumse ye nahi puchunga ki tmne porter banane ke liye apna hath kyu uthaya tha. "
" Hum sb yaha jinda bach paye. Uske liye tmhara bahut sukriya. "
" Mai tmhe mere pure Attack force ki taraf se sukriya ada karta hu. "

Itna kah kar Attack force ke sare members apna sir mere samne respect me jukha lete hai.

Fir mai apne back se Soniya ki dairy nikal kr uske taraf badhate hue kahta hu " Quki ab tum jinda bach gayi ho. To kaisa rahega agar ye will tum ab kud se hi apne family ko do ? "

Soniya dairy dekhte hue phle to confused hoti hai ( apne man me ) ' will.... ? '

Hahahahha....

Fir jaise hi use yaad aata hai wo turant hi wo dairy mere hath se le leti hai. Aur mujhe dekh ke hasne lagti hai.
Mai bhi use dekh kr ek smile paas kar deta hu.

Anurag ( mujhe dekh ke ) " To ab chle yaha se ? "

Tap... Tap... Tap...

Anurag ki baat sun kr mai Monitoring division ke logo ke sath boss room se bahar ki taraf jane lagta hu.

Jab mai un sb se thodi dur chla jata hu tabhi Aayat apne ek hath aage badhati hai. Jaise wo mujhe rokna cahti ho.
Aur meri taraf dekhte hue bs itna hi kah pati hai " Ah...... "

Uske bagal me khadi Frock wali mage type huntur Aayat ko dekhte hue kahti hai " Ummm... "
" Vice master ! "

Aayat ( use dekh kr ) " Ha bolo. "

Frock wali mage type huntur , Aayat ke left hath ki taraf isara karte hue " Aap yaha ye kudal kyu leke aayi hai ? "

Aayat apne left hath ko dekhte hue jisme usne abhi bhi wo Kudal pakdi hui thi jo usne mining incharge se ki thi " wo... M.. mai... "

Fir achank se use kuch yaad aata hai aur wo turant hi usase puchti hai " Kya mai iske sath Ajib lag rahi hu ? "

Frock wali mage type huntur , aayat ki taraf dekhte hue confusion se " kise ? "
" Aapko aise kon dekh raha hai ? "

Ye sunte hi Aayat apna face niche kar leti hai aur jamin ko dekhne lagti hai. uske gaal bhi halke halke red ho gaye the.

Aayat " wo.. "
" Kuch bhi nahi. "
" Choro is baat ko. "











Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Yara g rider ko wo item.la lny chy thy Q ka wo to Fazool he jayan gaay jab wo is sa bahir nkly gaay to wasy he ya band ho jaay ga to hunter waly be ni la.payan gaay
 

Mast fakir

Member
364
640
108
Congratulation bro for 900 pages completed. I know brother you are busy but Mujhe Koi problem Nahin Hai bus aap हाल-चाल bata Jaya Karo Yahi bahut hai bus apni attendance lagva diya yaar karo.
 
Last edited:

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 76



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise boss room ke ander Anurag bhi apne co workers ke sath aa gaya tha. Aur fir mai KARGALGAN ki bhi Shadow ko EXTRACT kar leta hu. Yesb dekh kr sare sadme me hi chle jate hai. Fir Anurag ke bulane se mujhe pata chalta hai ki yaha ab tak kon kon aa gaya hai. Sare hunturs mujhse swal puchte hai lakin Anurag aur uske co workers mujhe waha bacha kar DENGEON se bahar nikal late hai.


AB AAGE.....


A RESTORANT, DELHI

Jis restorant me mai, Shubham se dusri bar mila tha, usi restorant ke ek corner me Shubham ek chair par baitha hua niche table ki taraf dekhta hua. Kisi ka wait kr raha tha. Is time usne formal shirt aur pant hi wear kiya hua tha.
Wo bahut hi serious face ke sath kisi soch me ghum tha. Uske samne table par ek cup me coffee rakhi hui thi. Jise dekhne se hi kah raha tha ki us coffee ke cup se sirf 2 se 3 ghut hi Shubham ne pi hogi.
Aur aisa bhi lag raha tha wo coffee ab tak tandhi bhi ho cuki hai.

Shubham ( apne man me ) ' Bhagya ka time ab aa gaya hai. '
' Rider ke ek decision par mera pura future tika hua hai. '
( Apne dono hath se apne head ko pakad kar saant karte hue ) ' Apna dridh sankalp banaye rakho Shubham, banaye rakho. '


Tap... Tap... Tap...

Tabhi waha kisi ke pairo ki aane ki aahat hoti hai. Aur jab Shubham apna sir utha kar samne dekhta hai to samne se mai ander aata hu use dikhayi deta hu.

Shubham khusi ke sath apna ek hath utha kr mera dhyan kud ki taraf karwate hue " Hey, Rider idhar ! "


Tap.. Tap... Tap...

Aur mai chl kar uske paas pahuch jata hu.
Jaise hi mai uske paas pahuchta hu to mere taraf thode shocked ho kar dekhte hue Shubham kahta hai " Rider Tumhare kapde ko kya hua ? "

Uska aisa kahna bikul jayaj tha. Quki mai Anurag aur uske co workers ke sath DENGEON se niklne ke baad sidha yahi chla aata hu. To mujhe mere kapde change krne ka time nahi milta hai.

Shubham ke kahne se mere dhyan ab kahi ja kr mere kapdo ke upar jata hai aur mai apne kapdo ki taraf dekhta hu jo jagah jagah se halke fate aur jale hue the.

Mai " acha ye ? "
" Wo kya hai na mai abhi just ek DENGEON ke ander se sidha yahi aaya hu na. "

Shubham meri taraf dekhte hue apne man me ' Jaisa ki maine Rider ke bare me socha tha. '

' Ye abhi bhi apne khali time me DENGEONS ke ander traning kar raha hai. '

Fir mai bhi uske samne rakhi chair par baith jata hu.

Shubham " Rider me tumhe sb such such batata hu... "

Uske baad Shubham mujhe, uske aur uske papa ke bich jo kuch bhi baat chit hui thi wo sari bate details me batata hai. Aur mai chup chap santi se uski baat sunta rahta hu.

Jb Shubham sb kuch bata kar chup ho jata hai to mai usase kahta hu " To jab tum apne papa ke sath Negotiation kar rahe the tab waha White Tiger guild ka huntur Golu waha aata hai. "

" Aur wo Red Gate ki ghatna ke bare me sb kuch bata deta hai ? "

Shubham " Ha tmne Bikul sahi kaha. "
" Yaha tak ki wo ye bhi kahta hai ki Rider, aapne White Tiger guild ke members ko bachaya aur... "

Mai ye sub sun kar apne man me ' Is aadmi ne to such me bahut kuch aisa bol diya jiski koi jarurat nahi thi. '

Mai ( Shubham se ) " To tumhe The Heven Guild ka master banane ke liye mere cooperation ki jarurat hai ? "

Shubham ye sun kar ekdam se josh ke sath kahta hai " Mai sub kuch tmhare decision par chorta hu Rider. "
" Tmhe mere bare me soch kar, kud ke level ko ya dreams ko chorne ki koi jarurat nahi hai. "

Mai ( niche dekh kar sochte hue ) " Shubham, mai... "

Jaise jaise mai bol raha tha mere samne baithe Shubham ke pasine niklte ja rahe the. Use itni tention thi ki Wo apni saas tak roke hue tha mere decision ko gaur se sun raha tha.

Aur jab mai apna decision use batata hu to uski to akdam se saase hi tak jati hai. Aur wo bas aakhe fade mujhe hi dekhne lagta hai.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

HUNTURS GUILD BUILDING


Saam ke algbhag 7:00 baj rahe the. Anubhav apne cabin me baitha hua kuch files ko dekh raha tha. Is time wo apne office ke uniform me formal kapdo me tha aur uska suit uske chir par piche latka hua tha.
Tabhi uski cabin me koi aata hai. Wo koi aur nahi Aman tha. Jo is time bikul thik tha. Uski sari injuries puri tarah se heal ho cuki thi. Wo abhi ek blue color ke formal kapdo me tha, suit ke sath.
Fir Aman use kuch aaj ke Raid ke bare me batata hai jiske bare me sun kar Anubhav shocked se apne chair se khada ho jata hai.

Anubhav ( bahut jyada shocked hote hue ) " Huh ? "
" Tum kah rahe ho ki Rider hmari Raids me aaya tha !? "
" Usne mining team ke sath kal kaam kiya tha. Aur aaj usne as a porter hamare Attack force ke sath kaam kiya ? "
" Huntur Aman kya tum such bol rahe ho ? "

Aman " Mai nahi janta hu ki us time wo kya soch raha tha. Lakin... "
" Mujhe pura vishwas hai us par ki uska Aim hmara Raid me interfere karna to bilkul nahi tha. "
" Quki is DENGEON ka boss ham sare logo ke Knowledge se bhi bilkul bahar tha. Isi liye hum sub kud se use sambhal pane me asamarth the. "
" Aur huntur Rider jisne sayad ek porter ki tarah bs ek side me khade rah kar ye sab dekhne ka plan banaya tha, usne us time yahi socha hoga ki ab uske paas is Raid me hissa lene ke alawa aur koi rasta nahi bacha hai. "

Anubhav " White Tiger guild ke baad hmare Hunturs Guild ki bhi usne bahut badi help kar di hai. "
( Apne chin par apna hath rakh kar apne man me kuch sochte hue ) ' Wo dher sare creatures ko summouned kar sakta hai. '
' Wo kisi ASSASSIN type huntur ke jaise move kar skta hai. '
' Aur uske paas ability hai ki wo Mare hue Monsters ko wapas jaga kar apne ek command par unko fight krne ke liye bol skta hai. '
' Ye sari aisi abilities hai jise humne ab tak sayad hi kabhi dekha hoga. '
' Lakin agar uske paas aur bhi jyada aisi Hidden abilities hui to... '

Anubhav ( Aman ko dekhte hue kuch soch kar ) " Agar wo itna jyada strong hai to.... "
" Agar tumhe hum dono me se compare karke batana pade ki kon top par aayega. To tumhare hisab se wo kon hoga ? "

Aman ( sochte hue ) " Kisi bhi Raid me her position ke kamjori ko cover karne ke liye. Hum huntur ko alag alag duties me divided karte hai. "
" Attack duty, Tank duty aur support duty. "
" In tino me se kisi ek duty ke apni jagah par na hone Attack force kahtre me aa skta hai."
" Her ek members ki kamjori ko dusre teammates cover kr dete hai. "
" Jahir si baat hai, Ye to aap bhi jante hai,
" Lakin wo ek aisa ladka hai..... "
" ....jo in sub se bikul hi alag hai. "
" Kya aap aaj DENGEON ke jaise kisi high A Rank DENGEON ko akele kud ke dam par clear kar skte hai ? "

Ye sunte hi Anubhav ko bhi jaise ek jhatka sa lagta hai. Aur aisa soch kar hi uske hath halka kapne lagte hai.

Anubhav ( apne man me ) ' Isase koi farak nahi padta hai ki mai kitna jyada strong hu. Agar mujhe bhaut sare Monsters ek sath gher lete hai to ye mere liye bahut hi jyada muskil hoga ki mai apna defence tab bhi banaye rakh pau. '

Anubhav ( Aman ko dekhte hue ) " Nahi, aisa karna mere liye impossible hai. "
" The Ultimate Soldier ka Nick name ab mujhe kuch atpata sa lagne laga hai. "

Fir kuch der baad Aman, Anubhav se kahta hai " Master Anubhav, Mai abhi is position par nahi hu ki mai Guild ke recruitment process ke bare me kuch bhi bol saku. Lakin.... "
" Wo ladka... "
" Huntur Rider kaise bhi karke hmare Guild me hi hona cahiye. "

Anubhav ( Aman se ) " Mai apni puri kosis karunga. "



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

RE-EVALUATION DAY
HUNTUR ASSOCIATION BUILDING



Huntur Association ke Building ke bahar is time bahut sare news Reporters apne cameraman ke sath entrance gate ke samne kuch duri par khade the.
Almost sare bade news Reporters yaha the. Usnke cameraman apan apna camera set karne me busy thi. Mostly reporters apne phone par busy thi. Uske ek hath me writing pad tha. Kafi shor sharaba ho raha tha jaise wo kisi badi news ka wait kar rahe the.

Wahi insub se kuch duri par hi ek side car parking thi. Jaha par park ek costly balack car ke ander do log back seat par baithe hue the.
Unme se ek young age ka ladka handsome tha ladka tha. Jisne white shirt aur blue paint pahna hua tha. Aur apne shirt ke upar usne ek full sleeve ka orange colour ka t-shirt pahna hua tha.
Uske bagal me hi formal kapdo me ek news Reporter baitha tha jiske gale me uska I'd card latka hua tha.
Ye young age ka ladka koi aur nahi Sangam hi tha. Jiske bare me do din pahle ek news channel me dikhaya gaya tha.

Sangam car ki closed window se bahar dekhte hue smile ke sath " Bahar bahut log dikhayi de rahe hai. "
" Acha hai kam se kam itne to hone hi cahiye. "

Reporter uski taraf kuch paper badhate hue " Ye dekho ! "
" Ye kal ke news ki headline hone wali hai. Tum kya raay hai iske bare me ? "

Sangam, Reporter se wo paper le kr read karte hue smile ke sath kahta hai " Sangam, wo aadmi jiske paas sab kuch hai. Use ab wo power mil gayi hai jo humanity se bhi pare hai. "
" Ye thoda baccho jaisa hai, lakin ye bura nahi hai. "


CHUUU.......
CHUUU.......


Tabhi waha par achanak se do car aati hai. Aur reporters se thori hi duri par rukti hai.
Isase sare reporters ka dhyan un dono car ki taraf chla jata hai. Aur sb piche mud kar udhar hi dekhne lagte hai. Camera ka bhi face sb idhar hi kar dete hai.

Ek camera man " Huh ? Koi yaha aaya hai. "

Aur tabhi dono car ka gate open hota hai. Aur ek car se Sachin aur dusre car se Anubhav utarte hai. Dono is time well dress up the.

Ek reporter ( Surprise se ) " Ye to Sachin hai."

Dusra reporter ( aur bhi jyada surprise se ) " Anubhav bhi yaha aaye hue hai. "


FLASH..... FLASH....

Aur fir sare camera man un dono ki bina ruke dher sari photo click krne lagte hai. Waha ab bs flash light aur camera ki hi aawaj sunayi deti hai.

Sachin, sare Reporters ki taraf dekhte hue " In reporters ko kya hua hai ? "
" Yaha aaj itni bhid Kyu lagi hui hai ? "

Tabhi ek reporter apne hath upar utha kar dono ka dhyan apne taraf karte hue kahta hai " Kya aap dono bhi aaj Association isi liye aaye hai ki aap Sangam ko apne Guild ke liye Recruit kar sake ? "

2nd reporter " India's ke hunturs Guild ke representative hone ke nate, aapko Sangam ke Entertainment world se hone wale retirement ke bare me kaisa feel ho raha hai ? "

3rd reporter " Aapko kya lagta hai Sangam ka Rank kya ho sakta hai ? "

4th reporter " please, Sangam ke bare me kuch to comment kijiye. "

Ye sub sun kar ab kahi ja kar in dono ko kuch kuch smjh me aane lagta hai ki aakhir yaha itne sare reporters kyu hai.

Sachin ( thode surprise se apne man me sochte hue ) ' Kya ? '
' Ye sub yaha us Sangam ya jo bhi name hai uske liye ikatha hue hai ? '
' Aakhir un logo ne aur kahi nahi balki association ke samne hi kyu press conference rakhi hui hai ? '

Fir Sachin kuch ko sant karte hue kahta hai " Mai yaha us aadmi ke liye nahi aaya hu. Mere paas aage bolne ko kuch nahi hai. "

Anubhav ( ek polite smile krte hue reporters se ) " Mujhe pura yakin hai ki aap logo me se bahut se log pahle se hi ye baat jante honge ki Sangam ne phle hi REAPER GUILD ke sath contract signed kar liya. "
" Mai yaha aaj kisi dusre kaam se aaya hu. "

Dono ke itna Bolte hi sare Reporters ka muh hi utar gaya tha. Aur wo wapas se piche mud kar apna kaam karte hue kud se kahne lagte hai.

' oh, ab choro bhi. '
' Maine to socha tha yaha ek bada scope hoga. '
' kitna discounting hai ye. '


Tap... Tap... Tap...

FLASH..... FLASH....

Fir dono chl kar Association ke entrance gate ke samne ja kar khade ho jate hai. Aur camera man ke liye smile krte hue pose dete hue aaps me baat karne lagte hai. Aur camera man un dono ka sath me pic lene .e lage rahte hai.

Sachin ( ek smile ke sath ) " Maine news suna hai. "
" Hunturs Guild bhi lagbhag marte marte bachi hai. "

Anubhav " Ye to White Tiger guild ke comparison me kuch bhi nahi hai. Jisne apne new Recruit A Rank huntur ko kho liya tha. "

Ye sunte hi Sachin ko bahut tej gussa aata hai. Lakin wo apne aap ko control kar leta hai.

Sachin " Baat cahe kuch bhi ho, aakhir me usne hum dono ke hi Guild ki madad ki hai. "

Anubhav " Uske madad ke bina to hamari puri B team hi khtam ho jati. "
" Apne prior moral obligation ke karan, mai us ladke ko apne guild me kisi bhi kimat par lana chahata hu. "

Sachin apne aura ko halka sa relese karte hue ek smile ke sath Anubhav ko dekhte hue " Mere Guild is time casualties ke karan suffered kar rahi hai. "
" Tumhe nahi lagta hai ki hame us ladke ko reinforcements ke hisse ke roop me recruit karna cahiye ? "

Anubhav bhi apne aura ko relese karte hue smile ke sath " Aakhir tum kya kar rahe ho ki, tumhe reinforcement ke roop me is ladke ki jarurat hai ? "
" Kya tum kisi war par lagai jane ka plan kar rahe ho ya kuch aur ? "

Sachin " Aur tumhara kya ? "
" Aakhir tum kab se itne morally obligated ho gaye ? "


Tap... Tap... Tap...

Abhi ye dono aise hi baat kar hi rahe the ki inke samne chalte hue koi aata hai aur kahta hai " Huh, kya Wo Sachin aur Anubhav nahi hai ?"

Ye koi aur nahi REAPER GUILD ka Guild Master S Rank huntur Hari tha.

Hari ( undono ke paas aa kar ) " Hey, Tum dono. "
" Kya tum dono hmare Sangam ke liye fight kar rahe ho ? "

Dono apne man me usko dekhte hue ek hi baat soch rahe the ' Aakhir kya chakkar hai us kamine ke sath ? '

Fir dono ek sath gusse se chilla kar Hari ko kahte hai " hme us Sangam, fangam ya jo bhi uska name hai uski koi chinta nahi hai. "

Ye sun kar Hari thoda confused ho jata hai ki aakhir indono ko kya ho gaya hai.

Fir wo kud se kahta hai " Aakhir in dono ko kya ho gaya hai ? "

Wahi us black car ke ander se ye sub dekhte hue Sangam ek smile kr sath kahta hai " Sachin aur Anubhav ye dono bhi yaha aa gaye hai ? "
" Nation's Top Guild's mere liye fight kr rahi hai. "

Use quki car ke ander se itni dur ki koi bhi baat nahi sunayi de rahi thi. To wo bahar ye sb hota dekh bs yahi soch raha tha ye sb kewal uske liye hi fight kar rahe the.

Tabhi car me aage driving seat par baitha ek aadmi piche Sangam ki taraf dekh kr kahta hai " Sangam hum ready hai. Chlo sbse pahle interview ke sath start karte hai."

Sangam ( use dekh kr ) " Thik hai. "


Tap... Tap... Tap...

Fir wo car ka gate open krke Association ke entrance gate ke samne ja kar sare reporters ke samne khada ho jata hai. Aur apna hath hila kar ek smile ke sath sbko hello karne lagta hai.

FLASH.... FLASH...

Uske baad to sare camera man bs ek ke baad ek photo khichne lagte hai. Aur ek baar fir se waha bs camera ke flash light ki aawaj gunjne lagti hai.

Tap... Tap... Tap...

Tabhi in sb ke piche mai aata hu aur samne itne sare Reporters ko dekh ke bahut jyada shocked hota hu. Aur apne dono hath mod kr samne dekhte hue apne man me kahta hu ' In sabhi logo ko kya ho gaya hai ? '




Ab jara aap logo ko REAPER GUILD ke bare me bhi bata du.

:- India ki pahle ki no. 1 Guild.
:- Iski ranking no. 1 se is liye gir gayi kyuki White Tiger guild isase alag ho gaya.

:- Sath me usi Time Hunturs Guild ko Aayat ne join kiya tha. Jisase Hunturs Guild ki strength increase ho gayi aur wo India ki no. 1 Guild ban gayi.







[ Note : Aap sb ne meri problem ko smjha aur apna positive response diya uske liye aap sab ka tahe dil se sukriya dosto. Mai aap logo ko promise karta hu ye story jarur complete hogi.
Aur aaj aap sb ko mai story ke bare me thoda sa bata deta hu. Is story ka 1st Arc 110 Updates par khtam ho jayega. Uske baad story ka 2nd Arc strat hoga jo 180 updates par khatam ho jayega. Fihal abhi ke liye story itni hi hai aage kuch hua to wo aapko pata chl jayega.
Ek baar fir se aap sb ka dil se sukriya. ]


Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Bhot Acha Chl RhA Ha Story bhot ache ja rhii ha
 

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 77



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mai, Shubham se milen jata hu. Aur waha wo uske aur uske papa ke bich hui sari baat batata hai. Uske baad mai apna decision usebatata hu jise sun kar uska muh khula ka khula raha jata hai. Fir re-evaluation wale din association ke samne bahut sare reporters ki bhid ikatha thi. Aur ye sb Sangam ka hi kiya dhara tha publicity ke liye. Tabhi waha Anubhav aur Sachin bhi mere liye aate hai. Lakin reporters smjhte hai wo Sangam ke liye aaye hai. Lakin baad me wo dono sbko bata dete hai ki wo kisi aur kaam se yaha aaye hai. Fir mai waha phuchta hu aur itni bheid dekh kar shock ho jata hu.


AB AAGE....


Mai ( apne man me ) ' kya reporters logo ko pahle hi mere bare me hawa me udti udti khabar mil chuki hai. '
' Mere khyal se aisa nahi hoga. Quki inme se to koi mujhe pahchanta bhi nahi hai. '
( Samne ki bhid dekhte hue ) " Agar ye sub aisa hi chalta raha to mai Association ke Building ke ander filhal to bilkul nahi pahuch paunga. "

Quki reporters aur camera man logo ne entrance gate ke samne ka pura rasta hi block kr diya tha. Are Sangram ki photo lene me busy thi.
Jab mai dekhta hu mere paas aur koi rasta nahi hai to mai Reporters aur camera man logo ke biche se unko halke halke dakka dete hue aage ki taraf jane lagta hu.
Jisase unhe thodi disturbance hone lagti hai aur aas paas ke reporters kahne lagte hai.

" Hey, ye kya hai ? "
" Are, ab ise kya ho gaya hai ? "
" Tum ander kaha ja rahe ho ? "
" Piche hato, kaha ja rahe ho ? "

Mai ( entrance gate ki taraf jate hue ) " Excuse me, jara rasta dijiye. "

Jab mai sare reporters aur camera mans ke biche se nikal kar aage phuch jata hu.
Aur jaise hi mai sidhiyo se upar entrance gate ki taraf jane lagta hu, tabhi mere samne achanak se Sangam ka wo bodybuilder type driver aa kar khada ho jata hai.

Driver ( mujhe ghur kar dekhte hue ) " hey, Tum kon ho ? "
" Kya tum Association ke worker ho ? "
" Kya tumhe yaha khade sare Reporters nahi dikh rahe hai ? "

Mai ( driver ko dekhte hue aaram se ) " Mujhe Association ke sath kuch kaam hai. "

Driver " Tum aise hi in sub ko piche karke ander nahi ja skte ho. "
" Tum abhi ander nahi ja skte Association ke. Jaha se aaye ho wahi laut jao. "

Wahi uske piche khada Sangam bhi mujhe dekh ke apna bura sa muh banate hue apne man me kahta hai ' Aakhir iski kya problem hai ? Kitna senseless hai ye ? '
' Ye agar aisa hi raha to bahut jldi hi ye kisi ke hathe chadh jayega. '

Driver ( mujhe dekh ke gusse se chillate hue ) " Tum aise hi yaha se ander nahi ja skte. To jaldi se jaha se aaye ho waha chle jao. "

Abhi ye sb bawal ho hi raha tha ki entrance gate ke paas se hi ek kadak aawaj aati hai " Aur kiski Authority se tum inhen yaha se wapas bhejne ki kosis kar rahe ho ? "

Sare logo ka dhyan us awwaj ki hi taraf chla jata hai. Aur ye aawaj kisi aur ki nahi Chairman Xabhi ki hi thi. Jo kud entrance gate ke paas apne well dressed uniform me khade hmari hi taraf dekh rahe the.
Unko yaha dekh kar mujhe chor kar sare log shocked ho jate hai.

Sangam ke muh se to bs itna hi niklta hai " Huh ? "
" C.... Chairman Xabhi ? "

Xabhi ( meri taraf ek smile ke sath dekhte hue ) " Ye ladka hmara guest hai. "
( Fir Sangam ki taraf dekh kr ) " Mr. Sangam, mujhe yakin hai ki aapko pahle se hi ye baat pata hai ki aapko yaha press conference karne ke liye kisne permission diya hai ? "

Sangam ( halka darte hue ek banawati smile ke sath haklate hue Xabhi ko dekh kr ) " H.....ha bilkul."
" Mujhe ache se yaad hai. "

Tap... Tap... Tap...

Fir mai aaram se apne ek pocket me hath dale Chairman Xabhi ke sath baat karte hue Association building ke ander chla jata hu.
Aur baki sare mujhe bahar khade shocked aur confusion se bas dekhte hi rahte hai.

1st camera man ( apne bagal wale se ) " Wo ladka kon tha ? Jo Chairman kud personally usko yaha se ander le jane aaye ? "

Ek Reporter ( sare logo se ) " kya koi janta hai, ki wo ladka aakhir kon tha ? "

Ye sb sun kar Sangam ko bahut gussa aata hai. Aur wo piche mud kar mujhe ander jate hue dekh kr gusse se apne daat piste hue kahta hai " Iski himmat kaise hui, jo isne mere debut ko kharab karne ki kosis ki ? "

Fir kud ko control karte hue piche mud kar apne driver ko dekhte hue Sangam kahta hai " Jao aur pata karo, aakhir is ladke me aisi kya khash baat hai. "

Driver " Thik hai. "

Tap... Tap... Tap....

Aur uska driver bhi waha se bahar ki taraf jane lagta hai, sayad apne kuch janane walo se uske bare me kuch pata lagane ko.
Washi Sangam piche mud kar sare reporters ko dekhte hue apne man me sochta hai ' Ab mai apne is mood ko kaise fix karunga.. '
' Chlo apne plan ko aage badhate hai. Aur jaisa maine phle se soche rakha tha usme thoda chnage karte hue apna evaluation abhi turant hi start karwa leta hai. '

Fir Sangam smile krte sare reporters ko dekhte hue apna hath hilate hue kahta hai " Sare log bs ek min ke liye meri baat suniye. "
" Mai ja kar jaldi se Association se apne aaj ke sedule ke bare me baat kar leta hu. "

Tap... Tap... Tap...

Tap... Tap... Tap...

Abhi itna kah kar Sangram ander jane ke liye muda hi tha ki achanak se 5log hunturs association ke uniform me aa kar Entrance gate ko band krte hue apne dono hath piche krke uske samne khade ho jate hai.
Ye Sab itna achanak se hota hi ki Sangam ekdam se surprise ho jata hai aur apni aakhe badi karte hue kahta hai " Huh ? "
" Is baar ab ye kya hai ? "

Un 5 logo ke sbse bich me Anurag hi khada tha. Wo Sangam ko dekhte hue santi se kahta hai " Abhi ek dusre Hunter ka evaluation chl raha hai. "
" Jab tak ki uska evaluation 11:00 Am tak pura nahi ho jata hai. Kisi ko bhi building ke ander jane ke ijajat nahi hai. "

Sangam ( surprise se chillane hue ) " Kya, bak rahe ho ? "
Fir wo apne smartphone ko nikal kar usme time dekhne lagta hai jisme abhi 10:30 am ka time show ho raha tha.

Sangam apne man me ' Yaha to abhi bhi 30min baki hai. '
' Jab isne kaha ek dusre Hunter ka, to usase kahi iska matlab us ladke se to nahi hai jo abhi hi kuch der pahle Chairman ke sath ander gaya hai ? '

Fir ye sb sochne ke baad Sangam thoda jor dete hue Anurag se kahta hai " Mere aaj ka Rank Evaluation ka appointment hai 11:00am ka. Aur reporters bhi yaha kab ka aa chuke hai. Mujhe ab ander jane do. "
" Chairman bhi is bare me sab jante hai aur tum mujhe chup karwana cahte ho ? "
( Anurag ke kaan ke paas aa kar dhir se ) " Hey, kya tum nahi jante mai kon hu ? "
" Mai Sangam hu. "
( Thoda jor se ) " Mai Sangam hu. "

Anurag ( santi se ) " Agar tumhara Rank evaluation ka appointment 11:00am par hain. To tum us time par building ke ander ja skte ho. "

Ye sun kar ab Sangam ko gussa aane lagta hai aur wo apni aakho se Anurag ko ghur kar dekhte hue cold tone me kahta hai " Tummm.... !! "
" Kya tum nahi jante ho ki Association ka sbse bada sponsor The Heven architecture hai. "
" Mere papa The Heven architecture ke vice hai. "
" Aur jitni money wo Association ko donate karte hai us hisab se Tmhe nahi lagta hai ki tumhe mere khyal rakhna chahiye ? "
( Reporter ki taraf isara karte hue ) " Aur sath me kya tumhe itne sare log nahi dikh rahe hai ? "
" Kya tumhare ander itni himmat hai ki tum in sare camera ke samne mujhe ignor kar sako ? "
" Kya tum in sb se hone consequences ke result ko handle kar paoge ? "

Anurag ( santi se ) " Ha, mai kar lunga. "

Sangam ( shocked se Anurag ko dekhte hue ) " kya ? "
( Bahut jyada gusse me ) " Aakhir tum kud ko smjhte kya ho ? "
" Aur tum ye kahna chahte ho ki wo huntur itna jyada amazing hai ? "

Ye sun ke Anurag ko ab thoda gussa aa jata hai. Aur wo apne aura ko relese karte hue apna chasma utar kr apni glow hoti aakho se Sangam ko dekhte hue kahta hai " Agr mai tumse kahu ki... "
" kya Mr. Sangam yaha hone wale consequence ko handle kar payenge ? "

Anurag ki aisi kahtarnak aakhe dekh kr hi Sangam ki fat jati hai. Aur wo bahut jyada dar se use dekhte hue piche hatne lagta hai.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

INSIDE THE ASSOCIATION BUILDING

Tap... Tap... Tap....

Mai, Chairman Xabhi ke sath ek special Evaluation room ki taraf ja raha tha.
Tabhi mujhe us room se thodi hi duri par Sachin aur Anubhav khade dikhayi diye. Jinhone Chairman ko dekhte hi respect se apna sir jukha liya. Aur mujhe dekh ke smile karne lage.
Jab hum unse kuch aage nikal aaye to Xabhi mujhse kahte hai " Ye dono yaha 1hour pahle hi aa gaye the. "
" Aur tab se hi ye dono tumhara yaha wait kar rahe hai. "

Tap... Tap... Tap...

Mai bhi ek baar mud kar unki taraf dekhta hu fir hum aage us room ki taraf jate rahte hai.

Xabhi " Aakhiri me 2 years me tum phle S Rank huntur hoge. "
" Jb se Anubhav ne tumhare power ke bare me kud apne teammates se muh se suna hoga, wo tab se aur bhi jyada excited ho gaya hoga tumko apne Guild me lene ke liye. "

Fir mai, Chairman Xabhi ke sath ek room me pahuch jata hu. Jaha Association ka hi ek member unke hi uniform me ek power wala gol chasma lagaye apne hath me ek pad liye hamare hi aane ka wait kar raha tha.
Ye room ek bahut bada room tha. Lakin bikul khali tha. Sayad yaha bs high Rank hunturs ki hi ability dekhne ke liye unko laya jata tha.
Xabhi ja kar us worker ke piche santi se khade ho jate hai. Hum mujhe hi dekhne lagte hai.

Association worker ( mujhe dekhte hue ek smile ke sath ) " Huntur Rider nice to meet you. "

Mai bhi use dekh kr smile ke sath kahta hu " Hello ! "

Association Worker " Isase phle ki hum aapka Evaluation start kare, hum aapki abilities ko dekh kar Confirm karna cahte hai. Taki hum ye decided kar sake ki aapka class kya hai ? "
" Aap kis tarah ki abilities ko use kr skte hai ? "

Mai " Mai kuch aisa kar skta hu. "

SSSSSS.....

Itna kah kar mai undono ke samne apne ek normal KNIGHT Shadow Soldier ko bula leta hu.

Ye dekhte hi us worker ka to muh shocked se pura khula ka khula rah jata hai. Sabhi bhi thode shocked hote hai lakin bahut jyada nahi.

Association Worker ( shocked se ) " Kya ? "
" K....kya ye ek summouned creature hai ? "
" Aap creatures ko control kar skte ho ? "

Tabhi achanak se Xabhi bol padte hai " Huntur Rider. "
" Kya tum kahna cahte ho ki yahi tumhari abilities ki full capacity hai ? "

Ye sunte hi mai apne man me sochne lagta hu ' Quki ab tak mujhe bahut se logo ne aisa karte dekh liya hai to ab juth bolne se koi fayda nahi hai. '
( Apni aakhe band krke sochte hue ) ' Aakhiri baar to maine high orcs ko bhi apne shadow Soldiers me convert kar liya tha. '

SSSSSSSS......
SSSSSSSS......


Fir mai apne save kiye hue sare SHADOW SOLDIERS ko us room ke ander bula leta hu. Aur pure room me black color ki energy se mere Shadow Soldiers banane lagte hai. Aur bs kuch hi second me wo pura room mere shadow Soldiers se pura bhar jata hai.
Mere Shadow Soldiers ne hum tino ko charo taraf se khere khade ho jate hai.
Ye dekh kr ab us worker ke sath Chairman Xabhi ko nahi bahut bada sadma lagta hai.
Dono kuch second ke liye dar bhi jate hai. Aur fir aapni aakhe fade wo dono ghum ghum kar bs pure room me khade mere Shadow Soldiers ko hi dekhne lagte hai.

Is time room se bahut high energy nikalne lagti hai. Jise bahar khade Sachin aur Anubhav ne bhi bahut ache se sence kar liya tha.
Un dono ko bhi bahut bada jhatka lagta hai ki aakhir itni jyada high energy is room se kaise aa rahi hai. Aur jahir si baat hai unko bhi pata tha ki waha mera hi evaluation ho raha hai to ye energy bhi meri hi hogi.

Mai ( Xabhi ko dekhte hue aaram se ) " Mai 100 se bhi jyada creatures ko summouned kar sakta hu. "

Association worker ( chro taraf dekhte hue dar ke sath ) " 1.... 100 se bhi jyada ? Aisa kahi nahi ho skta... "

CHUUUU.......

Tap... Tap.... Tap....

Fir mai baki ke process nipta kar. Apna new S Rank wala huntur association ka is card le kar use dekhte hue us room se bahar aane lagta hu.
Mera left hath abhi bhi paint ke pocket me tha. Aur right hath me id. Aur mai use dekhte hue smile kr raha tha.

Sachin mujhe bahar aata dekh kr mere aura ko feel karte hue shocked hote hue bs mujhe hi ghur raha tha. Aur apne man me soch raha tha ' Rider se ander se kitni jayada powerful Magical energy bahar ko flow ho rahi hai ? '
' Isko to bikul bhi comparison nahi kar skte last time wale Rider se jab mai isase mila tha. '
' ye to ab mere upar puri tarah se hawi ho cuka hai. '

Sachin ( meri taraf dekhte hue ) " Huntur Rider ! "
" Me. Rider kya aapke paas kuch khali time hoga ? "

CHUUU....

Lakin mai undono ki taraf dekhte hue ek pyari si smile ke sath Entrance gate ka door open krte hue kahta hu " Mujhe maaf kar dijiyega. "
" Lakin abhi bhi kuch kaam baki hai jo mujhe karne hai. "

Anubhav " Huh ? Ye bahar jane ka rasta.... "

Abhi Anubhav aage kuch bolta ki Sachin bich me hi bol padta hai " Agar tumhari jagah mai hota to mai yaha se bahar nahi jata. "

Mai undono ki baat sun kr gate ko halka sa open kiye hi apne man me sochne lagta hu ' Kahi iske kahne ka matlba ye to nahi hai ki, inhone ek vichar karne layak contract banaya hai mere liye, aur agar mai use sune bina yaha se gaya to mujhe is baat ka baad me bahut pachtawa hoga ? '

CHUUU....
Tap....


Lakin mai unki bato ko ignore karte hue gate ko khol kar jaise hi ek kadam bahar rakhta hu. Mai bahar ka najara dekh kr bahut jyada shocked ho jata hu. Meri aakhe kud badi ho jati hai samne ka najara dekh kar.

FLASH.... FLASH....

FLASH..... FLASH....

Bahar wo sare jo Reporters aur camera man khade the ab unse bhi bahut jyada Reporters aur camera man khade the. Aur sare ke sare meri photo click karne me lage hue the.
Mere bahar nikalte hi mujhe to bas flash light hi dikhne lagti hai.

Mai ( bahut jyada shocked se samne dekhte hue ) " Ye kya hai ? "










Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Xhlo Ak S rank to meel gya ha
But S rank bhot he Chota ha rider ka lea
 

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
Chl
UPDATE - 78



Ab tak aapne dekha dosto ki mai Association ke ander jane lagta hu to Sangam ka driver mujhe rokne lagta hai. Lakin tabhi Chairman Xabhi aa kar kud mujhe apne sath anderle jate hai. Aur Sangam ko Anurag ander nahi jane deta hai. Fir mai apni shadow Soldiers ki ability Xabhi ko aur ek Evaluation lene wale worker ko dikhaya hu. Jise dekh kar dono sadme me chle jate hai. Jab mai apni new S Rank wali I'd le kar bahar nikalta hu to Sachin aur Anubhav mujhse baat karne ki kosis karte hai lakin mai pyar se manakar deta hu. To wo mujhe yaha se bahar jane ko mana krte hai lakin mai unki baat na maan kar jaise hi bahar jata hu mujhe bahut sare reporters nd camera mans gher lete.



AB AAGE....


Kavya apne school me, classroom me apne seat par baith kar kuch padh rahi thi. Sayad ye lacture off tha uska. Uske class ke baki students bhi aapas me gappe maar rahe the. Koi study kar raha tha. Aise hi sub lage hue the.
Uske bagal me hi next seat par baithi kirti bhi apne smartphone me kuch kar rahi thi.
Aur achanak se wo kuch aisa dekhti hai ki wo shocked ho jati hai. Aur wo Turant hi Kavya ko apne mobile me kuch dikhate hue bahut jyada shocked ke sath lagbhag chilla kar kahti hai " Hey Kavya tmhare bahiya.... "
" Tmhare baiya TV par hai. "

Aur Kavya ke sath uske aas paas baithi uski kuch frnds curiosity se kirti ke smartphone me dekhne lagti hai. Usme live news dikha rahe the. Jisne meri wahi shocked wali face dikha rahe the. Aur Jiska headline tha...

" Ek naya S Rank huntur janam le cuka hai. "

Kavya, kirti ke hath me pakde smartphone ki taraf dekhte hue normally kahti hai " ye kaisi bekar ki baat hai ? "
" Mere bhaiya kyu ..... ? "

Lakin jaise hi wo Kirti ke hath me pakde smartphone me chl rahi news dekhti hai wo bhi chup ho jati hai aur Surprise se uski bhi aakhe badi badi ho jati hai.
Fir wo sub mil kar news dekhne lagti hai.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


HUNTUR ASSOCIATION
10 MINUTES EARLIER



Anurag ke darane ke baad Sangam fir se building ke ander jane ki kosis karna chor deta hai. Aur ye sochne lagta hai ki aakhir ab mai reporters ka dhyan kud ki taraf kaise karu. Tabhi kuch soch kar wo ja kr sabke samne kuch duri par khada hi jata hai.

Sangam ( Samne sbke taraf dekhte hue ) " Bhle hi mera Evaluation thik na jaye aur akhair me mujhe ek low Rank mile. "
" Lakin mai aaj tak aap sub logo se mile pyar ko wapas lautane ke liye apne life ki aakhiri saas tak Monsters se fight karta rahunga. "
" Evaluation results ki parwah kiye bina, mai Sangam is country ke sare citizens ko ek huntur ke roop me Hmesa protact karta rahunga. "

Ye sunte hi Reporters log to sawalo ki jahdi laga ete hai. Camera mans log video aur photo lene ki hod laga dete hai.

1st Reporter " Kya ? Sangram aap retired ho rahe hai ? "
" Apna Rank jane bagair ? "

2nd reporter " Aap kahna cahte hai ki aap apne Asia's no. 1 star ke Tital ko chor kar ek low Rank ka Hunter banane ke liye ready hai ? "

Aise hi sare reporters apne apne swal puchne lagte hai. Aur Sangam santi se apne dono hath faila kar unke samne khada apne man me khush hote hue sochta hai ' Ab sab thik hai. Sare logo ka dhyan mere taraf hi hai. '
' Mai no. 1 star apni entertainment industry se retirement ki announcement kar raha hu. To aisa to hona hi tha. '

3rd Reporter " Mr. Sangam idhar dekhiye. "

4th Reporter " Agar aap Ek low Rank huntur ban jate hai to bhi kya aap apna sab kuch chor dene denge ? "

Sangam abhi bhi sare Reporters ki taraf dekhte hue bs smile kar raha tha. Koi reply nahi kar raha tha.

Sangam apne man me ' Jahir si baat hai ye sb ek saaf juth hai. '
' Mera evaluation phle hi ho cuka hai aur mujhe A Rank phle hi mil chuka hai. '
' Sirf 2 year. '
' Mera plan hai ki mai REAPER GUILD'S ke public relations Employ ke roop me kaam karte hue 2 year ke ander kafi moti rakam earn kar lu. '
' Aur yahi sbse best tarika hai isase mere purane sabhi aur aane wali sbki weird rumours bhi khatam ho jayengi. Aur mere upar koi kabhi shak bhi nahi karega. '
' Apne career ke sbse Highest point se niche aa kar logo ko protact karne ke liye kud ki life ko risk me dalna. '
' Kya ye bahut sandar role nahi hai ? '

Tap... Tap... Tap...

Ye sub sochte hue apne man me Sangam bahut jyada khus ho raha tha. Aur Tabhi uske piche aa kar Hari khada ho jata hai. Jise dekhne ke baad ab kahi ja kar wo kuch kahta hai " Aur ab yaha khade Reaper guild ke GUILD Master Hari wo mera aage ka vision aur.... "

TRIN.... TRIN....
TRIN.... TRIN....


Abhi wo itna hi kah paya tha ki use samne khade reporters logo me kai Reporters ke phone bajne lagta hai. Aur wo sare ke sare call utha kr baat karne lagte hai. Aur jaise hi un sari ne dusre side se kuch suna un sub ko achanak se bahut bada jhatka lagta hai. Aur wo sub kafi jor jor se baat karne lagta hai.

1st Reporter ( phone par baat karte hue ) " Kya ? S Rank huntur ? "

2nd Reporter ( shocked se ) " Kya ? Tmhe abhi turant hi Association se news mili hai ? "

3rd Reporter ( chillate hue ) " kya ? Tum ab mujhe is bare me kyu bata rahe ho ? "

4th Reporter " Kya ye such baat hai ki 10th S Rank huntur announced ho cuka hai ? "

Sare reporters ab aise hi phone par baat karne lagte hai. Aur ye sb khur pusur sunte hue Sangam bhi apne man me sabke samne smiles karte hue sochta hai ' huh ? Kya ho raha hai ? '

Tabhi ek Reporter apne phone screen ko dekhte hue chilla kar kahta hai " Association ka homepage such me update ho gaya hai. "
" Kya yahi wo ladka hai !? "
" Yahi wo 10th S Rank huntur hai !? "

Sare Reporters us reporter ke hi smartphone me dekhne lagte hai. Jaha par Association ke home page par mere photo ke sath headline likha hua tha " 10th S Rank huntur. "

Ye dekhte hi sare Reporters apne man me entrance gate ki taraf dekhte hue apne man me sochne lagte hai.

1st Reporter ' Kya unhone morning me nahi kaha tha ki Evaluation room busy hai? '

2nd Reporter ' To Ye Sangam ki wajagh se busy nahi tha ? '

3rd reporter ' To fir kya Evaluation room Sangam ke liye nahi balki new S Rank huntur ke liye book tha morning se ? '

Run... Run... Run...
Run... Run... Run...


Aur sare Reporters aur camera mans yahi sb sochte hue entrances gate ki taraf bhgane lagte hai. Jaha pahle se hi Anurag aur uski team Gate ko cover kiye hue the. Taki koi ander na ja paye.

Ek Reporter Gate ki taraf bhagte hue " Mai is country ke 10th S Rank huntur ki news reporting karne ki opportunity ko aise hi miss nahi hone de skta hu. "

Sangam sare reporters aur camera mans ko aise bhagte dekh kr abhi bhi smjh nahi pa raha tha ki ye sub ho kya raha hai.

Sangam " Everyone meri baat to suniye.... "

Nahi sare reporters yaha tak ki usko dhakka dete hue gate ke paas ja kar khade ho jate hai. Anurag aur uski team ko dekh ke sb kahne lagte hai.

1st reporter " Hme ander jane do. "

2nd reporter " Maine suna hai yaha ek naya S Rank huntur aaya hai. "

3rd reporter " kya aap logko hme aisi chijo ke bare me pahle hi notify nahi kar dena cahiye ? "

4th Reporter " piche hato aap log. Hme ander jane do. "

Wahi sare Reporters ke piche niche jamin par gira hua Sangam ye sub sun kr sadme me chla jata hai aur blank face ke sath sb dekhte hue kahta hai " K... Kya ? S Rank huntur ? "
" Yaha Aaj ek naya S Rank huntur aaya hai ? Sare dino me use aaj hi aana tha ? "

Tabhi Sangam ko apne sath car me baitha hua wo reporter dikhta hai. Jo kisi se phone par baat kar raha tha. Use dekh kr Sangam kahta hai " Hey Reporter Lim ? "

Reporter Lim, Sangam ko dekhte hue " Ohh ! Mr. Sangam mai aapko baad me contact karta hu. "

Tap... Tap... Tap...

Itna kah kar wo jldi se aage jate hue phone par kahne lagta hai " Ha tmne bikul sahi suna. Kal ka headline change krke likho.
" Ek E Rank huntur jo kal tak problems ke karan rota tha aaj wo S Rank banane ke baad khusi ke aasu baha raha hai. "

Usase kuch duri par gira hua Sangam bhi ye sun leta hai. Aur lagbhag rote hue kud se kahta hai " Ye sub kya hai ? "
" Ye galat baat hai. "

FLASH.... FLASH......

Aur tabhi door ko open krke mai bahar aata hu. Aur sare camera man mere photo aur video lene ke jut jate hai.


Mining incharge Aaj bhi apne team ke sath kisi raid par aaye the. Abhi wo lunch karke free hue the. Aur apne phone me news dekh rahe the ki achanak se unhe live news me mai dikhayi deta hu.

Mining incharge thode surprise hote hue " kahi ye Mr. Rider to nahi lag raha hai ? "
" Mr. Rider aakhir news me kya kar rahe hai ? "

Ye sunte hi aas paas ke sare Mining team ke members aur wo bodybuilder sb aa jate hai aur phone me chl rahe news ko dekhne lagte hai.

Cahme wala member ( thode surprise se) " Are ha aap to sahi kah rahe hai. Ye to Mr. Rider hi hai. "

Bodybuilder member gusse se " Mai janta tha. Jb usne mere aakho me dekha tha tabhi mai smjh gaya tha ye banda gadbad hai. "
" Mujhe bhi dekhne do ki aakhir isne kya galat kaam kiya hai ? "

Ye sun kar baki members ko bhi kuch dought hone lagta hai aur wo bhi kahne lagte hai " Mr. Rider ? "
" Aakhir kon sa galat kaam usnekiya hoga ? "

Sbka dhyan live news par hi tha jisme mai dikhaya ja raha tha. Aur tabhi report ki aawaj aati hai " India ke 10th S Rank huntur, Rider bs abhi abhi hi Association se apna evaluation karwa kar.... "

Ye sunte hi sare Mining Members ko ek bahut bada jhatka lagta hai ki abhi kuch din hi unke sath kaam karne wala banda ek S Rank huntur tha. Lakin sbse jyada sadma lagta hai us bodybuilder ko.
Sare Mining team ke members bhi use gusse se ghur ke dekhne lagte hai. Aur wo saram aur dar se apna sir niche jukha leta hai.


Anjana bhi apne ghar me apne mother ke sath table pr baith kar lunch kar rahi thi. Aur samne TV chl raha tha.
Jaise hi usne ye news suna use bhi phle bahut bada jhatka lagta hai. Ki ek E Rank huntur jise wahi Hmesa heal karti thi. Wo aaj ek S Rank huntur ban chuka hai.
Aur fir kuch der me hi uske face par ek pyari si smile aa jati hai.


Rahul bhi apne kuch students ko sword ki tranning de raha tha. Aur is time wo bhi sbko kuch round ki practice ke baad thoda aaram kar raha tha.
Tabhi uska ek student aa kr apne phone me chl rahe is live news ko unko dikhata hai.
Aur Rahul bhi ye dekh kr bahut jyada surprise ho jata hai.
Quki mai jab last time unse mila tha tab mai itna jyada strong nahi tha. Lakin wo bhi mere liye khush the.


Shubham ke papa apne office me, apne cabin me rakhe sofe par baithe hue the. Aur wo bhi apne phone me chl rahe is live news ko dekhte hai. Shock to wo bhi hote hai ise dekh kar lakin utna jyada bhi nahi.

Dilip ( news dekhte hue ) " Unhone just abhi use Ek S Rank Mage class Hunter announced kiya hai. "

Unke samne ke single sofe par Shubham baitha hua tha.

Dilip ( Shubham ko dekhte hue ) " To kya tum Rider ko Recruit karne me safal rahe ? "

Shubham ( apna sir niche jhukate hue ) " Mujhe maaf kar dijiye papa. "
" Mai Rider se jit nahi saka. "
( Apne papa ko dekhte hue ) " Rider ne decide kiya hai ki wo apna kud ka ek Guild banayega. "
" Aur usne apne Guild me mujhe Vice Master ki position offer ki hai. "

Ye sunte hi Dilip ko ab kahi ja kar ek bada jhatka lagta hai. Lakin fir bhi kuch ko control karte hue wo Shubham ko dekh ke kahte hai " Tumhe pata hai mai The Heven Guild kyu banana cahta hu ? "

Shubham " Kya yah paise ke liye nahi hai ? "

Dilip " Agar ye paise ke liye hota to mere paas pahle se hi bahut jyada paise hai. "
" Kya tumhe such me lagta hai ki mai ek major guild banaunga aur uske karan hone wali paresaniya ka samna karunga bs thode se aur paise ke liye ? "

Shubham ( thode curiosity se) " To fir aap aisa kyu kar rahe hai ? "

Dilip " Ye mai, Hum sub ko bachane ke liye kar raha hu. "
" Jis hisab se hunturs logo ki power aur unki pahuch har badalte din ke sath increase hoti ja rahi hai. "
" Uske karan aaj ke time me kuch aise case bhi samne aa cuke hai jaha ek huntur ki power aur pahuch ek pure nation ke equal ho gayi hai. "
" Aaj ke is so called world me kuch aise bhi hunturs aa chuke hai. Jinhone S Rank ke bhi paar kar diya hai. Aur wo itne jyada strong ho gaye hai ki unhen NATIONAL LEVEL HUNTURS kaha jane laga hai. "
" Aisi situation me jaha kuch small nations hunturs ko abhi se King ki tarah treat karne lage hai. "
" Tumhe kya lagta hai aur kitne dino tak ye law, govt Aur govt Authority hme bacha payengi ? "
" Mai ek guild bana kr kuch trustworthy hunturs ko ek sath ekatha karna chahta tha. "
" Aise dependable hunturs jo paiso aur apne person connection ki wajagh se hmko chor kar kisi aur ke sath na mil jaye. "
" Aur aisa lagta hai tmne phle hi aise ek huntur ko dhundh liya hai. "

Apne samne cup me rakhe coffee ko utha kar pite hue dilip " Tum paas ho gaye ho. "
" Mai The Heven Guild ko tmhare upar chorta hu. "

Ye sunte hi Shubham ki aakhe shocked se badi badi ho jati hai aur wo apne papa ko hi ek tak dekhne lagta hai.

Dilip " The Heven Guild ko devlop kro. "
" Trustworthy aur strong hunturs ke sath apne connection banao. Aur unhe apna allies banao. "
" Bahut jald hi ye kisi bhi welth se bahut jyada kimati ban jayenge. "

Ye sb kahte hue aakhir me Dilip ek pyari si smile karne lagta hai Shubham ko dekh kar.

Lakin tabhi Shubham apne papa ko dekh kr kahta hai " Aapka bahut sukriya papa. "
" Lakin mujhe nahi lagta hai ki ye ye sub kar paunga. "

Dilip ( thode surprise se ) " huh ? "

Shubham ( full confidence se ) " Mai Rider ki Guild join karunga. "


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

ASSOCIATION ENTRANCE GATE


Mai Gate ke bahar khada tha. Aur mere samne 100 se bhi jyada Reporters nd camera man kahde the.
Aur unko Association ke hi 20+ Worker Anurag ke sath sidhiyo se niche khade roke hue the.

Mai ( ye sb dekh kr apne men me ) ' Ye camera man Sangam ki jagah meri picture kyu click kr kar hai ? '

1st Reporter " Mr. Rider kya aap wahi E Rank huntur Rider hai jo Association ke under kaam karte the ? "
" Aap just abhi double Awakened hone wale bahut hi kam logo me se ek ban gaye hai. Aapko abhi kaisa lag raha hai ? "

2nd reporter " Mr. Rider please idhar dekhiye. "

Ek camera man " Mr. Rider please hamare liye smile kijiye. Is time aapko pura nation dekh raha hai. "

Aur na jane kya kya sb sawal hi sawal puche ja rahe the.

Tap.. Tap... Tap...

Tabhi mere piche se Sachin aata hai aur mere right solder par apna hath rakhte hue kahta hai " Agar tum inse nipatne jaoge to mai to tab tak thak jaunga. "
" Chlo chalte hai. Hum tmko jaha jana hai waha chor denge. "

Jump....
Run... Run...


Lakin mai Sachin ke baat ke pure hote hi, agle hi second plak japkte hi apne jagah se jump karke waha se sida sare Reporters ke ur paar pahuch jata hu.
Aur apni Jacket ka huddi phnte hue wahi se Sachin ko dekh kr kahta hu " Mai thik hu. "

Sachin, Anubhav aur sare Reporters, camera man, Association wale sb achanak mere waha se gayab hone se ekdam se surprise ho jate hai.
Lakin jaise hi sub meri aawaj sun kr meri taraf dekhte hai wo aur bhi jyada shocked ho jaye hai. Unki aakhi fati ki fati rah jati hai.sub yahi soch rahe hote hai ki mai ekdam se yaha se waha kaise chla gaya.
Sbke muh se bs yahi niklta hai.

" Huh ? "
" Ye kaise ho gaya ? "

Anubhav kud ko sambhal kr Sachin ke paas aata hai aur ek smile ke sath kahta hai " Ek Mage class Hunter, jiske paas aisi speed ho ? "
" Mr. Sachin ? "

Lakin Sachin koi reply nahi deta hai. Wo to jaise sadme me ja cuka tha. Wo waha tha hi nahi. Sachin bs ek tak mujhe dekhte hue apne man me soche ja raha tha ' Ye bahut fast hai. '
' Itna jyada fast ki meri aakhe bhi usko itni tej jate hue nahi nahi dekh payi. '

Sachin ne jis hath se mera solder pakda hua tha. Ab uska wo hath kaap raha tha.
' Mai phle se janta tha ki wo strong hai. '
' Lakin currently ye problem nahi hai. '
' Uski abhi ki jo movement thi. '
' Aur jo Magical energy jo evaluation room ke ander se jo flow ho rahi thi. '
' Ye ab phle se bahut jyada strong hai. '

Sachin ( halka darte hue Anubhav se ) " Abhi ka jo Rider hai wo hum dono se definately Strong hai. "

Tap... Tap... Tap...

Itna kah kar Sachin waha se apne Car ke taraf jane lagta hai. Aur Anubha use jata hua bs confusion ke sath dekh raha hota hai. Ki ise kya ho gaya hai.

Sachin car ke paas jate hue apne man me ' Iska double Awakened sayad kuch samay pahle hue hai. '
' Tab to Iska koi Matlb hi nahi banta ki wo ab aur bhi strong ho gaya hai. '
( Kuch min sochne ke baad ek dar ke sath ) ' Nahi, mere khyal se ye sayad Double awakening nahi hai. '
' Sayad... '
( Mujhe jate hue piche se dekh kr dar ke sath haklate hue ) ' Y.... Ye ek aisa h....Huntur hai jo lagatar grow karta ja raha hai...? '









Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Chlo Sachin to Smj gya ha tora bhlt rider Ko
 

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE -79



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mai sare news channels me chaya hua tha. Har taraf meri hi bate chl rahi thi. Mujhe janane wale sare logo ko is bare me pata chl cuka tha. Shubham ne bhi apne pita Dilip ko mera faisala bata diya tha. Aur sath me usne The Heven Guild ko chor kr mere Guild me samil hone ki baat bhi bata di thi. Mai apne ASSASSIN skills ko use karke sare Reporters se bach nikalta hu aur sb dekh kr sare log shocked ho jate hai. Aur Sachin kuch kuch mere bare me sahi anuman lagane lagta hai.


AB AAGE......


IN USA

In news.....

" 2 year me ye pahla S Rank huntur samne aaya hai. "

Ek costly hospital ke privet room me TV par is headline aur mere photo ke sath yahi breaking news chl rahi thi.
Aur ye room kisi aur ka nahi balki Namit ka hi thi.
Wo ab tak kafi thik ho cuka tha. Lakin abhi bhi uske face par kuch pattiya bandhi hui thi.

Namit ye news dekh kr bahut gusse ke sath " Rider ? "
" Ye sala, Kamina.... "
" .... Abhi bhi jinda hai ? "
( Apne aura ko relese karke bahut hi jyada gusse me ek cold tone ke sath ) " Iske ghar ke sare ke sare log bahut bade wale kamine hai. "


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

IN DELHI

Ek 50+ year ka aadmi black and white suit me tha. Usne apne gale me ek black color ka bow pahna hua tha. Sath me uske aakho ke samne do chote lenses wala chasma type kuch tha. Jo purane time me diamond ya gold ke vyapari use krte the unki quality check krne ke liye.
Uske dono hatho me white color ka glows tha. Aur uske samne ek Red color ka ORB ek box me makhmali cloth me rakha hua tha.

Aadmi ORB ko dekh ke bahut jyada shocked hote hue " Mai Artifacts ka bahut lambe time se mulyankan karta aaya hu. Lakin ye 1st time hai meri life me jb mai ek Red color ka ORB dekh raha hu. "
" Kya ye such me Magic ke Effect ko 100 percent amplify kar skta hai ? "
( Apne man me ) ' Yaha tak ki aaj tak ke most famous Artifice Master craftsman ne bhi apni puri dil se lagan aur mehnat karke bhi bs jo ORB banaya tha wo bhi kewal 50 percent hi magic ko amplify kar skta tha. '
' Agar Master Anubhav ne ise dekh liya to wo yaha paiso ke dher ke sath bhage chale aayenge. '

Ji ha dosto aapne sahi socha hai mai is time ek Auction House me aaya hua tha. Aur maine apna Red ORB waha ke ek senior employee ko dikhata hu.

Senior employee, meri taraf dekhte hue " Aapne ye kaha se kharida hai ? "

Mai " Mujhe ye ek DENGEON ke andar mila hai. "

Senior employee ( shocked se ) " Aapko ye ek DENGEON ke ander mila hai ? Kya such me ? "
( Apne man me ) ' Kya koi aisi chij DENGEON ke ander bhi mil skti hai ? '

Senior employee ek smile ke sath " Kya aap is Item ka hmare Auction House ke jariye Auction karwana cahenge ? "
" Hum aapko iska best price pane me puri madad karenge. "

Mai " Mai iske bare me sochunga. "
( Apne man me ) ' Mujhe jitna jldi hi ske uthna jldi DEMON CASTLE ko clear karna hai. Aur HOLY WATER OF LIFE ko banana hai. '
' Mujhe koi aisa Artifacts cahiye jo mujhe DEMON CASTLE ke garam hawao se meri suraksha kar sake. '

Ye sub soch kar mai Senior employee se kahta hu " Kya mujhe yaha fire resistance wala koi artifacts mil sakta hai ? "

Senior employee( Halka surprise hote hue ) " Fire resistance ? "

Mai " Kya aisa kuch dundh pana muskil hai ? "

Senior employee " Nahi ! Bilkul bhi nahi. "
" Blki ye to bilkul opposite hai. "

Mai " Oh ? Aisi baat hai. Wo Actually mujhe online aisa kuch bhi dhundhne ar kahi nahi mila. "

Senior employee " Wo baat kuch aisi hai ki elements resistance wale artifacts aam taour par kafi costly hote hai. Isi liye hum unhen online nahi bechate hai. "
" Lakin fir bhi ye sub aisi chijen hai, jo aapko bahut aasani se kahi bhi mil jayengi. "

Tap... Tap... Tap....
THUDD.....


Itna kah kar senior employee mujhe le kr ek gate ke paas aa jata hai. Aur us Gaye ke Right side me lage hue machin me wo password dalta hai. aur samne ka door open ho jata hai. Aur hm ander jane lagte hai.

Senior employee ( mujhe ander le jate hue ) " Different tarah ke magic types me Fire Magic sbse common hai. "

Mai ( ander ki taraf jate hue apne man me ) ' Well, Rahul aur Anubhav bhi to Fire magic ka use krte hai. Yaha tak ki TUSK bhi to Fire magic ka hi use karya hai. '
' Sahi baat hai tab to ki Fire magic sbse common, elemental magic hai. '

Senior employee " Please , mere piche aayiye. "

Tap... Tap.... Tap...

Aur fir us Gate se hote hue hum dono ek bade se room me aa jate hai. Jaha bhut sare costly, aur attractive magic resistance wale artifacts transparent glasses ke bane bade bade box me rakhe hue the.
Senior employee aage chl raha tha. Aur mai sare Artifacts ko dhyan se dekhte hue uske piche piche chl raha tha.

Senior employee ( piche mud kr meri taraf dekhte hue ) " Kya aapko kuch aisa dikha jo aapko pasand aaya ho ? "

Mai ( Artifacts ko dekhte hue ) " Kya in Artifacts ko in patle glass ke sheets ke ander rakhna Surakshit hai ? "
" Mujhe to yaha koi special security device bhi nahi dikh raha hai ? "

Ye sun kar Senior employee wahi ruk jata hai aur glass ke sheets ko dekhte hue kahta hai " Ye sare glass ke jo sheets hai , inhe magic se reinforced kiya gaya hai. "
" Aur bhale hi ek A Rank huntur bhi isko apne full power se mare to bhi ye glass nahi break hoga. "

Mai ( thode surprise se ) " yaha tak ki A Rank huntur bhi ise nahi break kar skta ? "

Senior employee " Kya aap iske upar hit karke check karna chahenge ? Agar aapko meri bato ke upar yakin nahi hai to. "
" Agar aap ise break karne me successful rahte hai to, yaha tak ki aap iske ander jo bhi Artifacts hoga wo bhi apne paas rakh skte hai. "

Mai ( Samne glass ke box ko dekhte hue apne man me ) ' Mujhe kuch Magical energy to sence ho rahi hai, lakin fir bhi kya ye itna jyada majboot hai ? '

Itna sochne ke baad mai apne aura ko halka sa relese karte hue apne hath me apne energy ko thoda sa flow krwata hu. Aur punch bana kar use glass par marne hi wala hota hu ki mere sath hi khada Senior employee ye sb dekh kr turant hi mujhe rokte hue jldi se kahta hai " W...wait ! Mai to sirf majak kar raha tha. "
" Agar Aapne ise such me break kar diya to kuch experienced hunturs jaldi se, yaha bhagte hue aa jayenge. "
" Hmare auction house ka Hunturs Guild ke sath contract hai security ke liye. "
( Mujhe dekhte hue apne man me ) ' Kya ye ladka ek Mage class Hunter nahi hai ? '
' Aakhir iski spirit itni besarm kaise ho skti hai. '

Mai bhi ye sb sun kar apna hath piche kar leta hu. Aur fir senior employee ko dekhte hue kahta hu " kya yaha koi dagger hai, jise mai dekh skta hu ? "

Senior employee " Ha bikul. "

Fir senior employee ak aur young age ke employee ko apne paas bulata hai aur mujhe daggers dikhane ke liye kahta hai. Isne bhi itke tarah hi same kapde pahne hue the.

Young employee, ek smile ke sath apne hath se ek Director ki taraf mujhe isara karte hue kahta hai " Hello, Mai yaha ke weapons ka Incharge hu. "
" Please mere sath is taraf caliye. "

Tap... Tap... Tap...

Aur mai uske sath jane lagta hu. Tabhi hum jaha khade the wahi par senior employee ki najar samne rakhe ek glass ke box ke upar chli jati hai.

Senior employee bahut jyada shocked hote hue " Ye kya hai ? "
" Ye kab ho gaya ? "

Darasal glass ke box ke upar jaha mai punch marne wala tha waha ek bada sa crack aa gaya tha. Aur yahi dekh kar wo senior employee itna jyada shocked ho gaya tha.

Senior employee ( mujhe jate hue dekh kr kud se baat karte hue ) " Ab ye mat kahna ki is ladke ne bina touch kiye hi is glass me crack la diya. "

Fir mujhe wo young employee weapons section me Ek taraf le aata hai. Jaha ek badi se table ke upar jisme daggers ko rakhne ke liye bahut ache khane bane hue the. Jinme ek se bad kar ek dagger rakhe hue the.
Aur mai bade dhyan se un daggers ko dekh raha tha.

Mai ek dagger ko utha kar apne hath mele leta hu aur use dekhte hue Young employee se puchta hu " Ye kitne ka hai ? "

Young employee ( mere hath me pakde hue dagger ko dekhte hue ) " Ye 30 million rupee ka hai. "

Mai dagger ko dekhte hue apne man me ' Ye dagger mere KNIGHT KILLER DAGGER se bhi khrab hai. Lakin fir bhi ye itna jyada expensive hai ? '
' Iske stats To jyada se jyada mere RASAKA FANG ke equal hi hoga. '

Fir mai chupke se apna KNIGHT KILLER DAGGER Inventory me se nikal leta hu aur use Young employee ko dikhate hue puchta hu " Is dagger ki jyada se jyada kitni cost hogi ? "

Young man mere hath se dagger le kar bade dhyan se dekhte hue kahta hai " Wow ! Mujhe saaf saaf dikhayi de raha hai ki ise banane me bahut hi detailed me kaam kiya gaya hai. "

Mai ( apne man me ) ' ye to mera kud ka hai. Jo maine store se buy kiya tha. '

Young employee " Ye kam se kam 100 million me to aaram se sell ho jayega. "

Mai ( bahut jyada shocked ke sath apne man me ) ' Ek dagger jise maine store se sirf 2.8 million gold me khrida tha. Wo real life me itna mehnga sell hoga !? '
' Rohan ki wo sword jo ki + 10 Attack wali thi. Wo lagbhag 3 million ki thi. '
( Jab mai aur Shubham 1st time mile the ?) ' Aur jiska bahut hi kam use hua tha, Shubham ke wo Equipments jo usne pahne hue the. Unki value hundreds of millions tha. '
' Agar mai store se mili hue chijo ko itne jyada paiso me sell krunga to, mujhe ORB OF AVARICE ko bechne ki kabhi koi jarurat hi nahi padegi. '


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


WHITE TIGER GUILD'S BUILDING
AT 8:00PM


Sachin apne cabin me, apni chair par akele baitha hua tha. Wo kisi bahut gahri soch me gum tha.

Sachin ( apne man me ) ' Kya ye possible hai ? '
' Ek huntur lagatar grow kar skta hai ? '

Sachin ( niche jamin ki taraf dekhte hue ) " Meri aakhe jb apne Beast form me hoti hai to wo kisi ki bhi ability ko accurately bata skti hai. "
" Rider, Red Gate incident ke time definitely mujhse weak tha. "
" Lakin ab.... "
( Upar roof ko dekhte hue ) " Mai hi fool tha. "
" Is tarah ki ability hone ke baad wo aakhir kisi aur ke Guild ko kyu join karega ? Aisi ability hone ke baad to Wo apni kud ki ek Guild banayega. "
" National's ke Top Guild ka uske liye kya hi kaam hai ? "
" Agar wo aisehi Lagatar grow karta raha to, jaha bhi wo rukega wo tab tak is pure world ka best huntur ban cuka hoga. "
" Maine aur Anubhav dono logo ne bina wajah hi itna jyada effort lagaya. "


In TV news channels....

" Sochiye jaha Huntur Double awakening huntur Rider 5 stage ko jump karne me successful rahe hai. "
" Iske alawa unke paas Mage class ki bhi abilities hai.... "

Manoj aur uske co workers bhi ye news apne cabin me baithe dekh rahe hote hai.

Manoj ( pure jose ke sath ) " Master Sachin ne bhale hi haar maan li ho Rider ko Recruit karne se. "
" Lakin maine abhi haar nahi mani hai. "
" Agar mai usase bs ek baar aur baat kar saku to mujhe pura yakin hai ki.... "

Vinay ( jose ke sath Manoj se ) " Chief mujhse bhi jitna ho sakega mai aapki utni madad karunga. "

Aur ye sare mere Ghar ki taraf nikal padte hai.

Aur jb ye sub kuch time baad mai jis building ke ek apartment me rahta tha waha pahuchte hai to in sb ki aakhe ekdam badi badi ho jati hai.
Quki mere building ke bahar ek do nahi pure Reporters, Cameraman aur na jane kitne logo ka mela laga hua tha. Sare log wahi building ke entrance ke bahar khade wait kr rahe the.

Vinay ( ye sub dekh kr Manoj se ) " Chief Manoj, kya Huntur Rider itne sare Reporters ke yaha rahte hue hmse milenge bhi ? "

Manoj ( sare reporters ki taraf dekh kr ) " Dhat teri ki... "
" Hme bhi yahi baith kar camp out karna padega. "

Tabhi Kavya hmare ghar me lage hue transparent glass ke windows se chupke se ghutno ke bal baith kar bahar ka najara dekhti hai aur kahti hai " Wow... Bhaiya . "
" Ye sare Reporters to abhi tak yaha se nahi gaye hai. "

Tabhi niche se Vinay ko window se bahar ki taraf jakta hua koi dikhayi deta hai. Aur wo chilla kar kahta hai " Hey, waha upar dekho. "

Manoj ( upar dekhte hue ) " Kaha ? "

Flash.... Flash.... Flash....

Aur itne der me hi sare Cameraman apne camera ko upar karke pic lena suru kar dete hai.
Aur jaise hi kavya ye dekhti hai wo dar se jhat se puri tarah niche baith jati hai.

Kavya ( dar se ) " Baal baal bach gayi. "

Mai ( kavya ko ye sub krte hue dekh kr kahta hu ) " Kya mai niche ja kar unhen yaha se jane ke liye, aur hme akela chorne ke liye bol du ? "

Kavya ( thoda jor se ) " Nahi ! Aapka definitely ye kaam bikul nahi karna cahiye. "
" Bhaiya aapka internet par phle hi kafi majak ban cuka hai. Ab agar aap abhi ja kar reporters ko lecture denge to mamla aur bhi jyada kharab ho jayega. "

Mai ( thode surprise se ) " Mera majak udaya ja raha hai, Lakin kyu ? Maine aisa kya kar diya jo log aisa kar rahe hai ? "

Kavya ( gusse me meri taraf ghutne ke bal chl kar aate hue ) " Aap reporters ko bina koi attention diye hai waha se bhag aaye. "
" Mai kisi bhi tarah se thik hu. Bhaiya bs aap in Reporters ke bare me bhool jao. "

Knock.... Knock.....
Tap... Tap... Tap...


Tabhi mere ghar ka main door knock hone lagta hai. Aur ye sunte hi jaise hi mai door ki taraf dekhta hu Kavya chote bacho ki tarah dar ke apne room me bhag jati hai. Aur apne room ke door ke piche chup par bahar ki taraf dekhne lagti hai.

Mai ( Main door ki taraf dekh ke gusse se ) " Ab to ye hamare door ko bhi knock karne lage hai. "
" Mai ja kar unhen jaha manners sikha kar aata hu. "

Kavya apne room ke door ke piche se bs sir bahar nikal kar mujhe dekhte hue " Ohh ! Bhaiya aap such me aisa kuch nahi karoge na. "

Knock... Knock.....

Tap... Tap... Tap...
THUDD......


Aur mai gusse me teji se ja kar Apne ghar ka Main door open karte hue kahta hu " Hey, kya tum sare log..... "

Tabhi mai samne khade person ko dekh ke apni baat aadhe me hi rok deta hu.
Mere samne abhi Shubham khada tha. Uske back par ek bada sa bag tha. Aur wo baccho ki tarah ro raha hota hai.

Shubham ( mujhe dekhte hi chote baccho ki rote hue ) " Rider .... "
" Rider, Mere papa ne mujhe ghar se bahar nikal diya hai.... "

Mai bhi usko yaha dekh kr phle confused hota hu. Fir uski baat sun kr mujhe bhi bura feel hota hai.

Mai ( Shubham ko dekhte hue ) " Kya tum unse alag nahi rahte the ? "

Shubham ( Rote hue ) " Well ! Baat aisi hai ki mai jis villa me rahta tha wo mere papa ke name par hai. "
" Rider isi liye mai ummid kar raha tha ki, kya aisa ho skta hai ki mai kuch dino ke liye tumhare ghar me rah skta hu ? "

THUDDD......

Uske itna Bolte hi mai apne Ghar ka main door band ke deta hu.

Kavya jo ki ab apne room se bahar aa gayi thi. Wo mujhse puchti hai " Bhaiya, Wo kon tha ? "
" Koi aisa jise aap jante ho ? "

Mai " Nahi ! Mai apni puri life me isase kabhi nahi mila hu. "

Knock.... Knock....

Shubham " Rider.... "
" Rider.... "

Aur Shubham fir se rote hue Main door apne hatho se pitne lagta hai.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


SHUBHAM HOUSE


Shubham ke papa Dilip apna kaam khtam karke just abhi apne ghar pauche the. Abhi wo apne nack se apni tie hi nikal rahe the ki piche khadi Shubham ki mammy, Dilip ko dekh ke aaram se kahti hai " Dear, aapko nahi lagta hai ki aap, Shubham ke sath kuch jyada hi harsh behave kar rahe hai ? "

Dilip ( narajgi se ) " Hump ! Wo isi layak hai. "
" Agar use independence cahiye to use kud ke dam par kuch karna cahiye. "
" Lakin wo to us Rider ko follow kar raha hai. "

Itna kah kar Dilip apne hatho se aapni aakho ko ek baar rub karta hai aur apni wife ko dekh ke kahta hai " Kitni ajib baat hai. "

Shubham mammy ( Dilip ko dekhte hue ) " Aap kis bare me baat kar rahe hai ? "

Dilip " Tumhara face... "
" Mujhe ye do do dikh rahe hai. "

Shubham mammy confusion se " huh ? "

DHADAAMMMM.....

Aur Dilip chakkar aane se niche apne ghutno ke bal gir jata hai.

Shubham mammy ( Dar se chillate hue ) " Dear..... "

Aur wo turant niche Dilip ke paas baith kar unke back ko sahlane lagti hai.






[ Note : Frnd's waise Update mai SUNDAY ko hi dene wala tha, quki mai abhi bhi itne dino ki bhaag daud se thak gaya hu. Lakin aap logo ka pyar dekh kar mai aaj Update dene ka faisala le liya tha. Quki aapki wajah se hi ye sb hai.
Aur jaha tak Mega update ya extra update ki baat wo mai next week me kisi ek off wale din post krke puri kar dunga. Kisi din bhi wo aa skta hai. Mai kisi specific day ke liye promise nahi kar raha hu. Ha itna hai ki next week tak de dunga. ]


Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice nice
 

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 80


Ab tak aapne dekha dosto ki mai Auction House me apne ORB ke bare me kuch pata karne aur DEMON CASTLE me wapas jane ke liye kuch artifacts lene gaya tha. Sachin bhi ab kafi kuch smjh jata hai mere bare me aur wo mujhe apne Guild me recruit karne ke plan ko give up kar deta hai. Mere ghar ke bahar reporters ki bhid lagi hui thi. Tabhi Shubham mere ghar aata hai aur batata hai uske papa ne use gajr se nikal diya tha. Wahi Shubham ke ghar Dilip ki tabiyat kharab ho jati hai.



AB AAGE.......


CHUUUUU.......

Mai bahut dhire se Kavya ke room ka door open krta hu. Aur uske ander chla jata hu.
Jaha Kavya apne light ke ek loose se t shirt nd shorts me aaram se apne dono hatho ko upar nice kiye hue kisi chote bache ki tarah gahri nind me so rahi thi.

Kavya ko aise sote hue dekh kr mere face par apne aap ek smile aa jati hai.

Mai ( apne man me ) ' Ho skta hai jb mai yaha kuch time ke liye na rahi to, meri choti bahan se kuch log contact kar skte hai. '
' Aur sayad use paresan bhi kar skte hai. '

Fir mai apne kuch shadow Soldier ko yaad karta hu aur kahta hu " Bahar aao. "


SSSSS.....

Mere itna kahte hai Kavya ke room ke ander, mere piche black color ki energy nikalne lagti hai aur agle hi second waha TUSK ko phle protact karne wale 3 Guards high orcs aa jate hai. Aur wo tino apne ghutno ke bal baith jate hai.

Mai ( tino ko dekhte hue ) " Isme se koi bhi ek akele hi A Rank huntur tak ko handle karne ke liye kafi hai. "

Fir mujhe kuch yaad aata hai aur mai tino ko dekh ke kahta hu " Tum log to TUSK'S ke 4 Guards the na ? "
" To yaha tum sirf Tin hi log kyu ho ? "

Ye sun kar unme seek apne hath ki ek ungali se roof ki taraf isara krta hai. Aur mujhe sub yaad aa jata hai.

Mai ( ek smile krte hue ) " Ah... "
( Man me) ' Mai last wale Guard ko apne shadow Soldier me convert nahi kar paya tha. Quki wo bechara ko us Boss room ke roof me hi fas gaya tha. '

Fir mai dono cornor wale High orc Guard ko isara karte hue kahta hu " Tum dono log wapas chle jao. "

Ye sunte hi dono corner wale High orc wapas se gayab ho jate hai.

Mai, Kavya ki taraf dekh kar sochte hue " Mujhe do Gaurds aur lagane cahiye meri choti sister ko safe rakhne ke liye. "

Aur fir mai do KNIGHTS ko bhi bulata hu. Aur untino ko mere yaha wapas se na aane tak meri sister ko protact karne ke liye kah deta hu.
Ye sunte hi wo tino wapas se Black color ki energy me change ho kar ja kar meri chori sister Kavya ki body ke parchayi me chup jate hai.


Fir mai waha se apne building ke tarac par chla jata hu. Aur waha ja kar mai ek tanki ke upar baith jata hu.

Mai ( charo taraf dekhte hue kud se sochta hu ) " Jab tak mai in logo me seek hu, Aur yaha hu, to kya mujhe mere neighbourhood( adosi - padosi ) ko bhi protact karna cahiye ? '

Kuch der sochne ke baad mai wahi Tarace par apne 5 shadow KNIGHTS ko bulata hu.


SSSSSSSS.....

Aur bs agle hi pal mere samne tarac par 5 KNIGHT khade hote hai.

Mai ( unhe dekhte hue ) " Aaj abhi, isi wakt se tum sub mere sare neighbourhood ke Watchman ka kaam karoge. "
" Aur haa is baat ka kaas khyal rakhna ki tum logo ko koi bhi aadmi notice na kar paye. "
" Chlo jao ab ab patrolling karna suru karo tum sub. "

Ye sunte hi wo sare 5 KNIGHTS bhi waha se black color ki energy form me gayab ho jate hai.

In sub ko jata hua dekh kar mai kud se kahta hu " Yaha tak ki agar kabhi koi murderer bhi inke samane aa gaya. Aur bas wo ek high Rank huntur ke level ka nahi hua, to wo bhi mere Shadow Soldiers ko kabhi nahi hara payega. "
" Isase Duniya thodi aur santi se chlegi aur kuch logo ki help bhi ho jayegi. "

Fir mai apne ghar wapas se ja kar apni kuch aur taiyariya karta hu. Aur sb karne ke baad mai aaram se chain ki nind so jata hu.



NEXT DAY


Agli subah mai Kavya ko wapas se kah deta hu ki mai kuch dino ke liye ghar se bahar ja raha hu. Aur jldi hi wapas aa jaunga.

Aur mai apne bag ko le kar ghar se nikal jata hu. Bahar mujhe lene ke liye apni gadi le kar Shubham pahle se hi wait kar raha tha. Jise maine hi bulaya tha.
Shubham car chla raha tha aur mai ander baitha hua tha. Maine black color ki huddi wali jacket pahni hui thi. Aur shubham ne bhi ek black t shirt pahna hua tha.

Mai ( Shubham ko dekhte hue ) " Kya tum raat me thik se so paye the ? "

Shubham ( car chlate hue ) " Ha Rider ! PG ki facilities aaj kal kafi achi hai. "

Mai " Tum aaram se wahi ruke rahna, jab tak ki hum log Hmare Ghild ke office ke liye koi achi si jagah nahi dundh lete hai. "

Actually maine hi kal Shubham ko apne ek known ke yaha par as a PG par tahrwaya tha.

Mai ( apne man me ) ' Mujhe phle se hi dought tha, lakin isne such me The Heven Guild ke Guild Master ki position ko chor diya aur ue yaha aa gaya. '
' lakin abhi bhi, mai iska kabhi bhi is baat ko le kar majak nahi bana skta hu, Quki isne wo sub kuch bs is liye chor diya quki ye mujhe jyada pasand karta hai. '

Abhi mai ye sub soch raha tha ki Shubham kahta hai " By the way, Rider tmhe kon sa kaam hai Twins tower ke ander wo bhi morning me itni jldi ? "


KADAK....

Aur bas hum waha pauch hi gaye the. Aur mai piche se chalti hui car ka door open krte hue Shubham ko dekh ke ek smile ke sath kahta hu " Mai ja raha hu. "

Shubham piche mud kar mujhe dekhta hai " huh ? "

Aur mai akdam se car se gayab ho jata hu. Mai waha se itni speed me DENGEON ke ander Enter hota hu ki Shubham kuch dekh hi nahi pata hai. Use bas waha piche khali padi car ki seat aur lock hua drwaja hi dikhta hai.
Ye sb dekh kr Shubham phle to thoda Surprise hota hai. Lakin jldi hi wo kud ko normal bhi kar leta hai. Quki usase jyada meri Skills ko aaj tak aur kisi ne nahi dekha tha.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


INSIDE THE DEAMON CASTLE


Mai ek baar wapas se DEMON CASTLE ke ander aa cuka tha. Aur chro taraf dekh raha tha. Sb waisa hi tha jaisa maine chora tha.

DING.....


[ Aapne DEMON CASTLE ke DENGEON ke ander enter kiya hai. ]

Mai ( apne man me chro taraf dekhte hue ) ' Ab Quki difficulty bahut hi dramatically tarike se increag hogi. '
' Isi liye mai is baar puri tarah se taiyar ho kar aaya hu. '
' Ab samay hai kud ko yaha ke in field's ke heat se bachane ka. '

Aur itna soch kar mai apne bag ko open karke usme se ek gray color ka Rob nikal kar use apne nack ke chro taraf lapet kar pahn leta hu. Is rob me solder ke side red color ka design bana hua tha. Aur usase mera half face bhi cover ho ja raha tha. Fir mai apne hath me ek golden Ring bhi pahn leta hu.

Mai ( apne man me ) ' Wind Rob aur ye Namless Ring jo ki Water attribute ke magic se bhara pada hai. '
' In dono hi artifacts ko hi maine Auction House se khrida tha. '
" Meri prepration is perfect ho gayi hai. "


Tap... Tap... Tap....

Aur fir mai aage jane lagta hu DENGEON ke ander. Abhi mai kuch dur bhi bada tha ki System ka ek notification aata hai.

DING.....


[ Ek QUEST aaya hai. ]

Mai screen ki taraf dekhte hue thode surprise aur confusion ke sath " Fir se ? "

DING.....


{ [ NORMAL QUEST : COLLECT DEAMON'S SOULS ( PART 2 ) ]

[ 1. DEMONS ka MONARCH ' BARAN ' is Demon Castle ke sbse Highest floor par rahta hai.
2. BARAN ko maar karke uske soul ko collect karo. ] }

DING......

{ [ QUEST COMPLETION REQUIREMENT : DEMON King ko defeat kro. ]

[ REWARDS :
1. Height quality ka Run stone
2. Bonus Stats + 30

3. Hidden reward ] }

Mai in sari notification ko dekhte hue " Is baar ke Rewards to last time se bhi ache hai. "

Tabhi ek aur notification aata hai. Aur mai use dekhne lag jata hu.


DING.....


{ [ HIGHEST QUALITY RUNSTONE : SHADOW EXCHANGE ]

Ek job specific skill jise Run ko Break karke paya ja sakta hai. }

Mai ( is notification ko dekh ke ) " Ek Run stone jo mujhe ek job specific skill degi. "

Fir mai apne man me ab tak ke sare jobs ko yaad karne lagta hu ' Shadow Extraction. '
' Save Shadow. '
' Domain of the Monarch. '
' Maine ab tak 3 job specific skill gain ki hai. Inme se Har ek ka abhi tak bahut hi incredible Effect samne aaya hai. Mujhe ab iska besabri se intejar hai. Ki ab is skill ka kya kya Effect hoga. '

Aur fir mai chalte chalte us jagah puch jata hu jaha ek white nd red color ki energy ka ek bahut bada gola type bana hua tha. Isi ke help se mai next floor par jata tha.


DING.....


[ 1st se le kr 76th floor tak sare unlock hai. ]
[ Aap kaha jana cahte hai ? ]

Mai, energy gole ko dekhte hue " 76th Floor. "

ZZZZZ.........

Mere karna kahte hi wo energy ka gola mere pure body ko cover kar leta hai. Aur bas kuch second me hi mai teleport ho kar 76th floor par pahuch jata hu.
Mai is floor par last time nahi aaya tha. To isi liye yaha aane ke baad phle mai sb tarah ache se dekhta hai.
Aur bilkul sawdhan rahte hue mai aage jane lagta hu. Quki mujhe ye baat ache se pata thi ki ab aage ke baki sare floor bahut kahtarnak aur difficult hone wale hai.


ROARRRR......... ROARRRR........
TAP... TAP... TAP.....


Mai thoda hi aage jata hu ki mujhe apne samne bahut bade bade alag alag tarah ke powerful Demon's dikhne lagte hai. Koi 2 horn wala to koi 3 horn wala.
Kuch demon's ke paas wings the to wo hawa me fly kar rahe the. Aur jo jamin par chl rahe the. Wo itne bade aur powerful the ki unke chalne se hi aas paas ki puri jamin kaap rahi thi.

In sub ko dekh kar mai Abhi kewal Phle TUSK ko bulata hu aur apne us RED ORB ko TUSK ko de deta hu. Aur jaise hi TUSK us ORB ko apne hath me leta hai. Uska size kuch hi second me increase ho kar uske hath ke Size jitna ho jata hai.


BUZZZZZZ.......

Fir TUSK kuch spells bolta hai. Aur wo Red ORB bahut tej glow karne lagta hai.
Aur ab TUSK ka size bhi un Monsters ke jitna ho jata hai.


BUZZZZZZ..........

BOOMMMMM.........
BOOMMMMMM.......
AAHHHH..... AHHHH......

ROARRRR.... ROARRRR....

Fir TUSK ek aur spell bolta hai nd uske bade se muh se wahi dragon ki aag nikalne lagti hai. Jiska nishana sare Demon's rahte hai. Wo jaha jaha demon's the. Cahe wo jamin me ho ya aasman me har jagah se unko is dragon ke aag se jala de raha tha.
Aur sirf aas paas ke hi nahi kafi dur dur tak kade sare Demon's jal kar raakh hote ja rahe the.


DING......


{ [ Aapne ek highest grade Demon ko hara diya hai. ]
[ Aapko 1,700 EXP. milte hai. ]
[ Aapne ek Ancient Demon ko hara diya hai. ]

[ Aapko 2,200 EXP. Milte hai. ] }

Aise hi notification ki baadh si lag jati hai.
Mai TUSK se thodi dur khada apne rob se kud ko ache se cover kiye hue ye sb dekh raha tha.

Mai " Kya amazing power hai ? "
" Bhle hi TUSK shadow me covert ho gaya hai. Lakin ORB of AVARICE pakdne ke baad iski power to aur bhi jyada increase ho gayi hai. "
" Aisa lagta hai ORB of AVARICE ka size bhi user ke hisab se Change ho jata hai. "
" Mujhe kuch time ke liye ise TUSK ke paas hi chor dena cahiye. "

Jab TUSK, dragon fireko rokta hai. To almost aas paas ke sare Demon's mare ja chuke the. Aur is aag ki range me aane wali lagbhag sari jagah baraf ki tarah melt ho gayi thi. Har taraf bad kahtarnak najara hi dikh raha tha. Sare Demon's raakh me badal gaye the.



{ [ STATUS ]

( Name : Rider )
( Job : Shadow Monarch )
( Tital : THE ONE WHO OVERCOME ADVERSITY +1more )
----------------------------
( HP : 24406 )
( MP : 5019 )
( Level : 81 )
( Fatigue : 0 )
-------------------
( Strength : 186 )
( Agility : 175 )
( Sense : 126 )
( Vitality : 145 )
( Intelligence : 189 )
( AP : 0 )
-------------------
( Remaining point : 0 )
[ Physical damage reduction : 46percent Equipped ]
--------------------------------
[ PASSIVE SKILLS ]
1. Unknown lev. Max
2. Perseverance lev.1
3. Advance dagger art lev.2
----------------------------------
[ ACTIVE SKILLS ]
1. Sprint lev. Max
2. Vital strik Max
3. Bloodlust lev.1
4. Dagger throw lev.2
5. Stealth lev.2

6. Dominator's Touch lev.2 }



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


AN HOSPITAL DELHI

Delhi ke hi no. 1 hospital ke privet room me Dilip admit the. Usni tabiyat kharab hone ke karan wo behos ho gaye the. Jiske baad unko yaha laya gaya tha.
Ab unhen hose aa cuka tha. Aur wo apne us privet room ke bed par baithe hue the. Unke body se abhi bhi medical machines connected thi. Jo unke helth ke bare me bata rahi thi. Usnke samne ek bahut bada Dr. Tha. Jisne halke power wala chasma lagya hua tha.

Dilip ( Dr. Ki taraf dekhte hue ) " Mai kitne time se yaha so raha tha ? "

Dr. " Aap lagbhag pure 2 din seso rahe the. "

Dilip " Mai jarur bahut thaka hua tha. Isi liye aisa hua hoga. "
" Kya aapko tests se kuch pata chla hai ? "

Is room me Dr. Ke hi piche Unki wife bhi thi. Jo dono ki bate sun rahi thi. Aur wo bahut jyada tention me dikh rahi thi.

Dr. " Kya aapke close me koi aisa hai jo ki ek huntur ho ya use haal hi me kisi ne awaking ki ho ? "

Dilip ( confusion se ) " Dr. Aap Achanak se yaha huntur ki baat ki baat kaha se bich me le ke aa gaye ? "

Dr. " Kya aapne kabhi bhi ENTERNAL SLUMBER ke bare me kuch bhi suna hai ? "

Dilip na me apna sir hila deta hai.

Dr. " INTERNAL SLUMBER ek aisi sone ki bimari hai jisme patient kabhi bhi need se nahi jaag pata hai. "
" Na sirf isme patient nind se jagne me unable hota hai. "
" Balki isme patient apne life force ko bhi bahut hi teji se consume karta hai. Jiske wajah se useek life support machine ki jarurat padti hai. Jo ki magical energy ke use se chlti hai. "
" INTERNAL SLUMBER, jab se hmari duniya me ye Gates aur DENGEONS open hona start hue hai tabhi se astitav me aaye hai. "
" Inke bimari ki wajah se abhi tak na jane kitne logo ki jaan gayi hai. Jo bechare life support machine ko afford nahi kar skte the. "
" Jo bhi patients is bimari se affected hue hai, unhe consistently susti feel hoti rahti hai. Aur bahut hi jld wo kabhi na khtam hone wali nind me chle jate hai. "

Dilip " In sub ka hunturs se kya lene dena hai ? "

Dr. " INTERNAL SLUMBER, magical energy ke sath Gahrayi se juda hua hai. "
" Hmare bich kuch aise log hote hai jo nature se Magical energy ko bardasht nahi kar pate hai. "
" Aur INTERNAL SLUMBER ek aisi hi bimari hai jo bahut lambe samay se magical energy ke sampark me rahne par hi ho skta hai. "
" Aapko Monsters, Mana crystals aur aise log jo Magical energy emit karte hai. Un se sawdhan rahna hoga. "
" Yah dekhte hue ki achanak se kaise iske symptoms dikhne lage hai. Jarur kuch to aisa hona cahiye jiske karan president Dilip aapki ye halat hui hai. "
" President Dilip boliye aapke family me koi aisa hai jo ki ek Huntur ho ? "

Dr. Jaha ye sub puche ja raha tha wahi Dilip apne man me na jane kya soch rahe the.

Dilip apne man me Shubham ka face yaad karte ue ' Magical energy ke contact me bahut jyada time rahne ke karan. '
' Jaise jaise time badhta jayega magical energy ka use lagatar usi hisab se increase hota jayega. '
' Aur jo log Magical energy ko emit karte hai unki sankhya bhi bahut teji se badhati ja rahi hai. '
' Mere jaise kisi person ke liye jo ki aaj ke time me Magical energy ko handle nahi kar paa raha hai, iska matlba hai ki ... '
" Mai phle se hi pichhad raha hu. "

Dilip ( kud se baat karte hue ) " Mai Dilip, Mai pichhad raha hu ? "
" Mai haar nahi skta. "
" Maine abhi tak apni haar nahi mani hai. "



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

IN THE SAME TIME
ON ONE OF JAPAN ISLAND


Tap... Tap... Tap...

Japan ke hi kisi ek Island par ocean ke kinare jamin par ek Red Ant bina mare successfully pahuchne me sakcham ho gaya tha.
Aur wo ak normal human ke height ka Ant santi se apna sir niche kiye us Island ke ander chla jata hai.
Uske back par uske wings lage hue the. Uske hath aur pairo ke nakhun bahut hi sharp dikh rahe the.













Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Story saat saat or maazy daaar hote ja rhii ha
 

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 81



Ab tak aapne dekha dosto ki mai wapas se DEMON CASTLE ke DENGEON ke ander enter kar leta hu. To mujhe fir se System se ek Quest milta hai. Fir mai 76th foor par ja kr TUSK ko Apna ORB de deta hu. Aur TUSK akele hi samne aane wale sare Demon's ko jala kar raakh kr deta hai. Wahi hospital me admit Dilip ko pata chalta hai ki use INTERNAL SLUMBER name ki ek bimar ho gayi hai. Jiske wajah se bahut jldi wo kabhi na pura hone wali need me jane wala hai. Lakin Dilip kud se kahta hai abhi maine haar nahi mani hai. Mai kuch na kuch karke rahunga. Wahi Japan ke Island par ek Ant bina mare fly karte hue pahuch jata hai.



AB AAGE.....


AN ISLAND, JAPAN

MORNING TIME

Japan ke ek island me morning ka time tha. Ye ek bahut hi khubsurat subah thi, charo taraf sani faili hui thi. Chidiya apne nest ko chod kr apne khane ki talash me nikal cuki thi.

Tap... Tap... Tap...

Usi island me kahi par 2 young age ke ladke chalte hue kahi ja rahe the.
Ek ladka jiska hair golden colour ka tha. Usne black t-shirt aur yellow color ki paint pahni hui thi sath me usne ek brown color ka rob pahna hua tha. Jisase uski mostly body cover thi. Uske hath me ? Symbol ki tarah ek long stick thi. Iska name Agamoto tha.
Wahi uske sath chl rahe dusre ladke gray color ki paint aur shirt pahani hui thi. Usne apne hatho aur solder par silver colour ka armour pahna tha. Aur uske kamar me ek sword latki hui thi. Iska name Nogawa-san tha.

Nagawa-san ek smile ke sath Agamoto ko dekhte hue " Peace such me sbse achi hoti hai. "

Tap... Tap... Tap....

Fir wo dono log kuch der aur chalne ke baad ek normal se ghar ke samne aa kar ruk jate hai.

CHUUU....

Us ghar ka door open ho ta hai. Aur fir usme se ek old age ka aadmi bahar aata hai. Uski sir ke almost sare baal gir chuke the.

Old man, Nagawa-san ko dekh kar kahta hai " Nagawa-san mai aaj bhi patrolling ka kaam tumhare hawale karta hu. "

Nagawa-san apna sir us old man me samne juka kar " Ji bilkul, aap befikar rahiye. "

Old man, Agamoto ki taraf dekh kar kahta hai " Kya ye ek naya ladka hai ? "

Nagawa-san ek smile ke sath " Ha ye ek naya ladka hai. "
" Please ! Iska khyal rakhiyega. "

Tap... Tap... Tap....

Ab wo dono log fir se aage badh jate hai. Nagawa-san chalte hue samne dekhte hue Agamoto se kahta hai " Bhale hi yaha jyada kuch nahi hota hai. Fir bhi hme yaha roj patrolling par jana hota hai. Aur sath me hmare liye hi acha hoga agar hum yaha ke villagers ke face yaad kar le to. "
" Quki agar Is remote island par kabhi koi Gate open ho gaya to hum bahut bade khatre me pad jayenge. "
" Hum sare log mare jayenge agar yaha koi DENGEON break hota hai. Aur hum uska time se pata nahi laga paye hai to. "
" Isi liye hme yaha roj patrolling karni hoti hai aur agar kabhi koi Gate dikha to hme Magical energy sensor ki help se pata karna hota hai ki aakhir us Gate ka Rank kya hai. "
" Fir hum yaha se uske hisab se hunturs ke liye is Island se bahar request bhejate hai. "
" Aur 3 din baad kahi ja kar help yaha aa pati hai. "
" Dusre sabdo me kahe to, Agar tum soch kar dekho to yaha help aane me 3 din lagte hai. To hume 3 din ke bhitar dikhne wale kisi bhi Gate ka pata lagana hota hai. "
" Is village me bus hum dono hi hunturs hai. Aur humdono D Rank aur E Rank huntur hai to hum dono ke upar bahut badi responsibly hai..... "

Abhi Nagawa-san aage aur bhi kuch bolta hai ki usase phle hi Agamoto samne kuch dekh kr ekdam se bahut Surprise ho jata hai. Aur kahta hai " Nagawa-san wo dekho... "

Nagawa-san bhi samne dekhta hai aur wo bhi shocked ho jata hai.

Nagawa-san ( samne dekhte hue confusion ke sath ) " Kya ? Kya ye koi aadmi hai ? "

Un dono ke samne Ek human size ka Ant tha. Jo apne do pairo par humans ki tarah chl raha tha. Ye Ant aur koi bhai wahi Ant tha jo jinda yaha fly karte hue aa paya tha.

Nagawa-san jor se chilla kr kahta hai " Kon ho tum ? "

Ye sunte hi wo Ant apni jagah par ruk jata hai. Uska face dekh kar aisa lag raha tha jaise ki wo ek evil smile kr raha ho.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


INSIDE THE DEAMON CASTLE


Jamin par na jane kitne dher sare Deamons ki mari hui body padi hui thi. Wo dikhne me bahut ajib aur alag alag size ke the. Aur in sub ko mere Shadow Soldiers ne hi mara tha.
Is Area ke jb sare demons khtam ho jate hai to mai apne sare shadow Soldiers ko dekhte hue apne man me kahta hu ' Quki maine apni intelligence stat ko phle se kafi jyada increase kar liya hai isi liye ab meri Shadow Soldiers ko EXTRACT aur unko Save krne ki, ye dono ability badh gayi hai. '

{ [ Shadow Soldiers ko EXTRACT kar skte hai : 127 / 820 ]
[ Shadow Soldiers ko save kar skte hai : 127 / 155 ] }

Mai ( mare hue Demon's ke body ki taraf dekhte hue ) " Agar Demon's ke Shadow ko EXTRACT karna possible hota to is time mere paas ek Gigantic army hoti. "

Fir mai Apne shadow Soldiers ki taraf dekhte hue wapas apne man me sochta hu ' Sare army ka ek bade group me kahi bhi le jane me bahut problem hogi. Aur iska jyada koi fayda bhi nahi hai. '
' Mujhe ab inhe aur efficiently tarike se manag karna hoga. '

Mai " Mai abhi se tum logo ko Alag alag teams me divide kar raha hu. "
" Ab se yaha par total 6 team hogi. "

Itna kah kar mai un sub ko total 6 team me divide kar deta hu. Jo ki kuch is prkar thi....

1. TUSK TEAM

2. IGRIS TEAM
3. IRON TEAM
4. TANK TEAM
5. HIGH ORCS TEAM 'A'

6. HIGH ORCS TEAM 'B'

Sare teams ka name maine unke Leader ke hi name par rakha tha. Bs kewal High orcs team 'A' aur 'B' ka Leader maine baki ke bache hue dono high orcs Guard ko banaya tha. Aur in dono ki team me high orcs worries the. TUSK ki team me bhi high orcs worries hi the. IGRIS ki team me KNIGHTS se. IRON ki team me KNIGHTS nd magician the. Aur TANK ki team me ice bears the.

Mai sbko dekhte hue " Mere sirf 2 hi orders hai. "
" Phla apne apne group ke anusar sare 6 team me divide ho jao. Aur tumhare samne aane wale kisi ki dusman ko khtam kar dalo. "
" Aur dusra order hai, Jb kisi ko Entry paas mil jaye wo turant hi aa kar mujhe khabar karega. "
" Chlo jldi se ab sare mere aakho ke samne se gayab ho jao. "

SSSSSSSS......

Aur mere itna kahte hi mere sare Shadow Soldiers black color ki energy form me waha se gayab ho jate hai. Aur alag alag Direction me is floor par chle jate hai.

Mai us bade se aag ke gole ki taraf dekhte hue jisase hm next floor par jate hai " Mujhe Entry permit milne par baki ke bache hue drops ( items ) ko yahi chorna hoga. "
" Quki meri abhi ki priority, jitna jldi ho sake utna jldi top floor par puchna hai. "

DING.....

[ Aapko 1,500 EXP milte hai. ]
[ Aapko 1,500 EXP milte hai. ]
[ Aapko 900 EXP milte hai. ]

[ Aapko 1,100 EXP milte hai. ]

Aise hi na jane kitne notification lagatar aane suru ho jate hai.

Mai, ye sare notification dekhte hue " Abhi mujhe in sub ko bheje hue bhut jyada time bhi nahi hua hai. Aur mujhe EXP milna suru bhi ho gaya hai. "
" Ye phle se bahut jyada convenient hai. Aise me ab mujhe yaha waha faltu me ghum kar apna time bhi waist nahi karna padega. Jisase mera bahut time save hoga. "
" Aur jb tak inme se koi marta nahi hai mai apna Mana bhi lose nahi karunga. "
" Lakin quki ab highest grade Deamons samne aana suru ho cuke hai. To mere Normal Soldiers ko ab bahut muskilo ka samna karna pad raha hai unko face karte hue. "
" Mujhe lagatar POTION ko pite rahna hoga jisase ki mera Mana recover hota rahe. "

Quki high grade Deamons se fight krte hue mere low level ke Soldiers distroy ho ja rahe the. Jiske karan mera Mana kam hone laga tha.
Isi liye mai store ko open krke usme se POTION ko buy karke pita bhi rahta hu.

Bhle hi mai Deamon Castle ke ander tha lakin mujhe yaha bhi apne daily Quest ko Complete karna pad raha tha. Warna mujhe PENALTY ZONE me jana pad sakta tha. Aur mai yaha apna jara bhi time bikul bhi khrab nahi karna chahta tha.


A FEW DAYS LATER...

Mere bagal me TANK khada tha. Mai use dekhta hu tbhi ek notification aata hai.

DING....

[ SHADOW MONSTER LV. 24 ]
[ ELITE RANK ]

Mai ( thode surprise se ) " Huh ? "
" TANK ko maine jab last time dekha tha. Tab se ab tak TANK ne 10 times apna level increase kr liya hai. "
( Baki sare Shadow Soldiers ki taraf dekhte hue ) " Na sirf mera level increase hua hai. Balki mere Shadow Soldiers ka bhi level increase ho gaya hai. "
" Team bana kar sikar karne me to mere ummid se bhi jyada fayda hua hai. "

DING.....

[ SHADOW KNIGHT LV. 16 ]
[ NORMAL RANK ]

[ SHADOW MAGICIAN LV. 19 ]

[ ELITE RANK ]

Aise hi mere sare SHADOW SOLDIERS ka level phle se kafi jyada increase ho gaya tha.

Mai, Usi bade se aag ke gole ki taraf dekhte hue " Abhi bhi 20 floors bache hue hai. "
" 80 floor tak maine jitna time socha tha mai usase kafi phle hi phuch gaya hu. "
" Mujhe 80th floor par phuche hue phle hi 2 din bit chuke hai. "
" Aur Main baat ye hai ki mujhe ab tak is floor par entry permit nahi mila hai. "
" Kya yaha is floor par kisi jagah koi strong Enemy hai ? "

[ MP : 4,583 / 5,672 ]
[ MP : 4,282 / 5,672 ]

Mai is floor par ek unchi jagah par ja kar khada ho jata hu. Aur chro taraf dekhte hue apne man me kud se kahta hu ' Mera Mana bahut hi teji se kam ho raha hai. '
' Koi lagata mere Shadow Soldiers ko destroy kiye ja raha hai. '
( Ek Direction me dekhte hue ) ' kya ye us tarf ho raha hai ? '
' Is tarah se to mere Soldiers ke regeneration ki speed ise kabhi pakad hi nahi payegi. '
' Jarur ye Enemy mere un Shadow Soldiers par bhari pad raha hoga. '
" Ye sayad wahi team hogi jise IRON lead kar raha hai. "
" Ek aisa Enemy jo IRON ke upar baar baar bhari pad raha hai. Ye soch kar hi mai smjha skta hu wo Enemy kitna strong hoga. "

[ MP : 3,231 / 5,672 ]

Ye dekhte hi mai kahta hu " Mere paas abhi filhal aur koi choice nahi hai. Mujhe mere sare Shadow Soldiers ko wapas bulana hi padega. "

Aur fir mai apne sare Shadow Soldiers ko apne man me order deta hu aur chro taraf se black color ki energy aa kar mere ander samane lagti hai.


NEXT DAY.....

lagatar mere Shadow Soldiers par hone, ghat laga kar hone wale Attack ke karan mujhe ek baar fir se mere sare Shadow Soldiers ko wapas bulana pada.

Mai ek jagah jamin par baith kar ek lakdi se jamin par ek drawing banata hu. Jisme mai central me tha. Aur mere chro taraf jis jis Directon me me mere Shadow Soldiers ki jo team jati hai unka name tha.



IMG-20220802-185111
upload image online

Mai " High orcs ke B team par Attack karke unko destroy karne ke baad. Unhone IGRIS ke team par Attack kiya. "
" Jaisa ki maine socha tha wo baat sahi hai aur is floor ek strong Enemy hai. "
" Lakin ek baat ajib hai. "
" TUSK team IGRIS team ke thik aage thi. Lakin Enemy ne kisi taraf uske samne na ja karke, wo high orcs ke Team 'A' ke paas gaya. Aur use khtam kar diya. "
" Kya demons itne jyada Strong nahi hai ki wo TUSK ko hara sake. "
" Agar Enemy jaanbujh kar sirf unhi ko tar target kar raha hai. Jinse wo jit skta hai. "
" Iska matlb uske paas itna dimak hai ki wo ye soch skta hai ki wo kise hara skta hai aur kise nahi. "
" Agr wo jaanbujh kar High orcs ke team 'B' par Attack kar raha hai... "
( TANK ki taraf dekhte hue ) " Tab uska next target jrur TANK ki team hi hogi. "
" Ye definitely yahi team honi cahiye, warna in sb bato ka koi logic hi nahi banta hai. "

Fir Mai wapas se apne sare Shadow Soldiers ko unki jagah wapas bhej deta hu. Aur TANK ke team ke piche mai kud chup kar jane lagta hu.
Jab TANK ke team kafi aage nikal aati hai. Tab achanak se unke samne kuch Demons aa kar kuch duri par khade ho jate hai.

Mai ( chup kar un sub demons ko dekh kar apne man me kahta hu ) ' To ye rahe wo sub.'

Ye sare human ki body structure ki tarah ke hi demons the, unka face alag tha unke sir par horn lage hue the. Aur wo sare apne hatho me bhale, sword liye hue horse jaise dikhne wale demon animal par baithe hue the. In sare demons ki body par bhi kafi attractive armours the.

Mai ( dur khada chori se unko dekhte hue kud se kahta hu ) ' Ek demon NOBLE aur 3 Demon KNIGHTS. '

GWWAAAAAA.......
GWWAAAAAA.......


Un sab ko dekh kar TANK aur uske sathi jor se chillane lagte hai. Aur unki taraf Attack krne ke liye teji se badh jate hai.

RUN......

JUMP......
SWOSSSSSS........

GWWAAAA......

Tabhi unme se ek demon KNIGHT apne horse se utar kar teji se bhagte hue TANK ki taraf aata hai. Aur ek jump laga kar apne bhale se TANK ke sir par ek Attack karta hai aur TANK destroy ho jata hai.

RUN.... RUN....

SWOSSSSSS.......
SWOSSSSSS......

Isi taraf baki ke dono demon KNIGHTS bhi teji se baki ke bache hue ice bears ki taraf jate hai. Aur kuch hi der me tino demons KNIGHT ne puri TANK ki team ko khtam kar diya.

Ye sb dekhne ke baad mai STEALTH skill se kud ko jo chupaye hue tha. Mai un logo ke samne aa jata hu aur kahta hu " Shadow Monsters ka inke samne jitne ka koi chance hi nahi hai. "

RUN.....

SWOSSSSSS.....

Mujhe samne dekh kr sbse aage khada demon KNIGHT bhagte hue mere taraf aate hai aur apne bhale se mere tarf ek Attack karta hai. Lakin mai aasani se niche jukh kar uske is Attack se bach jata hu.

BAAAMMMM........
DHADAAMMMM.....


Aur fir mai turant hi apne right pair se uske muh par apne pure strength se ek last marta hu. Aur wo ulta udte hue kafi dur ja kr jamin me girta hai aur wahi mar jata hai.

DING....

[ Aapne ek demon KNIGHT ko hara diya hai. ]
[ Aapko 3,000 EXP. Mila hai. ]

Uske piche khade baki ke dono demon KNIGHTS mujhe hi ghur kar dekh rahe hote hai. Lakin mai fir se apni STEALTH skill ka use karke gayab ho jata hu.
Ye dekh kr wo dono demon KNIGHTS kafi shocked hote hai aur idhar udhar dekhne lagte hai.

SWOSSSSSS.....

SWOSSSSSS......
SWOSSSSSS.....

SWOSSSSSS......

Tab tak mai unke samne pahuch jata hu aur apne dagger se aas paas hi khade dono demon KNIGHTS ke upar dher sare Attack kar deta hu. Aur agle hi pal un dono demon KNIGHTS ki body kai parts me wahi niche gir jati hai.
Aur wapas se mujhe inko marne par EXP. Point mil jata hai.

In sub ko marne ke baad mai bina ruke teji se us Demon NOBLE ke paas pauchta hu aur uske samne ja kar khada ho jata hu.
Wo Demon NOBLE to dar ke mare thar thar kaap raha hota hai. Usne hath me sword pakdi hui thi. Aur usne apne pure body par red and white color ka full armor pahna hua tha.

Mai ( use dekhte hue ) " mai soch raha tha ki kya monsters ko bhi dar mehsoos hota hai. "

Fir mai Apne aura ko relese karte hue apne blue eye se us demon NOBLE ko dekh kr cold tone me kahta hu " Lakin ab mujhe pata chal gaya hai. "













Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Kamal ka update ha ab to demon be darny laagy hn rider sa
 
Top