UPDATE NO - 148(B) post kar diya hai dosto.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
Kamal.ka update ha rider q ni aa rha ha abe taakUPDATE - 97(A)
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Island par sare Japanese Huntur unke taraf Attack krne aaye hue Ant's ko marne me lage hue the. Unke guild ka vice master Reiji Sugimoto ne ek Warships se signal, space me antenna ko bhej kar sare ant's ka unke queen se contact break kr diya tha. Kanae Tawata ne Kumamoto ko bhi marne se bacha liya tha. Fir unke bich rider ko le ke baat ho rahi hoti hai. Jisase hme pata chalta hai Kanae Tawata ke man me Rider ke liye feeling hai. Wahi Indian Hunturs main guffa me entery ka lete hai jaha unko breeding ground dikhayi deta hai jaha 10k se bhi bahut jyada Ant's ke egg dikhayi dete hai. Aur waha unhe bhi wo sabse bada break hua egg dikhta hai. Jise dekh kr wo shocked ho jate hai.
Jabki C-CHARLIE team ke tino hunturs ko koi anjan person aa kr bas kuch hi second me maar kar waha se chla jata hai.
AB AAGE....
INSIDE THE ANT TUNNEL
Jay ke samne is time ek 10 feet se bhi bada Red color ka Ant khada tha. Jay jo ki ek Tank type huntur tha usne Apne left hath me pakde hue apne 6 feet ke Shield ko aage kar diya aur wo uske piche se us Ant ko dekhte hue apne man me sochta hai ' To ye sale hai us Queen ke Royal Guards. '
' Aise her ek Ant se bhidne ke liye hum S Rank hunturs ko bhi kafi hard time se gujarna hoga. '
' Lakin fir bhi ek Beast to beast hi hota hai. '
' Jaha ek huntur kai sare tarike aur technique ka use karta hai wahi ek beast ek set pattern me fight karta hai. Uski movement bahut dull hoti hai ek huntur ke comparison me. '
THUDDD.....
Jay yahi sb soch raha hota hai ki wo Ant Jay ke upar Attack kar deta hai. Lakin turant hi Jay bhi apne shield ko us tarf krke Ant ke Attack ko block karta hai. Jisase Ant ke panje bas Shield par hi takrate hai.
Jump.....
GUUPP....
KYQQQQQQ........
Aur aise hi Ant ko uljhane hue Jay jor se chillata hai " Miss Aayat.... "
Aur bas ye sunte hi Aayat jo ki Jay ke just piche hi khadi thi. Wo turant apne jagah se jump laga deti hai. Aur jump lagane ke sath hi wo apne sword ko nikal leti hai. Aur jaise hi jump laga kar ghumate hue us ANT ke sir ke upar se gujarati hai. Tabhi akdam se Aayat apne sword ka 1/3 part us Ant ke sir me ghusa deti hai.
CHIRRRR......
Uske baad wo sword ko majbuti se pakade hue apne strength se help se kuch niche tak late hue us ANT ke mind ko aur jyada cut kar deti hai. Aur last me Aayat ekdam se jamin par land karne ki jagah us Ant ke ander ghusi hui apne sword par hi land kar jati hai. Aur agle hi pal Aayat ke body ke weight aur jump ke time produce hone wale strength dono ki wajah se us Ant ki puri body ko sword piche se pura cut kar deti hai.
Thudd....
SWOSSSSSS.......
SWOSSSSSS.......
Fir Aayat furti se niche land karke turant hi apna sword uske back se nikal leti hai. Aur uske samne ja kar apne sword se do baad badi furti me Attack kar deti hai.
Aur is baar us Ant ke charo panje cut kar niche gir jate hai. Isi ke sath wo Ant wahi jamin par gir kar dher ho jata hai. Aur waha chro taraf bas us Ant ka purple color ka blood fail jata hai.
Aayat " Ye sare Ant's to kafi tagde hai. "
" Maine jitna ummid kiya tha usase bhi kahi jayada. "
Jay bhi us Ant ke mari hui body ki taraf dekhte hue kahta hai " Ha ye Royal Guards baki ke Normal Ant's se kafi jyada alag hai. "
" Lakin bhagwan ka sukar hai ki yaha bahut jyada Royal Guards nahi hai. "
Ye sun kar skbese piche kada Ajay kahta hai " Fikar mat karo dosto. "
" Mai tmhare piche hamesa khada hu. "
Tabhi Sachin jo ki Ajay se thodi hi duri par khada tha wo halki smile ke sath kahta hai. " Chlo jaisa maine socha tha. Tum kam se kam koi darpok to nahi ho. "
Ajay thode gusse se " Aur tum apne bare me kya kahna cahoge bade bhai. Tumhe ab aisi choti choti galtiya nahi karni chahiye. "
BOOM..... BOOM.....
Itna kahte hue Ajay ek sir kate hue Ant ki body ke charo hath pair par apne hath me pakde hue ek gada type ke weapon se jor jor se marta hai. Aur un movement kar rahe hatho pairo ko tod kar bejan kar deta hai.
Ye karne ke baad Ajay apne weapon ko apne right Soldier par rakhte hue Sachin ki taraf dekh kr kahta hai " Kya tum bhool gaye ? "
" Bhle hi tum inka sir cut karke inke body se alag kar do. Ye uske baad bhi 10 minute se bhi jayada time tak jinda rahte hai. "
" Puri tarah se inko nakara karne ke liye tmko inke sir ke sath sath inke hath aur pairo ko bhi destroy karna hoga. "
Sachi jhepte hue Ajay ki baat sun kar " A...hhh tumne sahi kaha. "
Baki Sare Indian Hunturs bhi Royale Guards ke sath fight krne me lage hue the. Apne samne ke sare Royale Guards ko marne ke baad wo charo taraf najar ghuma kar sb dekhne lagte hai.
Charo taraf 10 feet se bhi bade bade red Ant's jo ki Royal Guards the unki sir kati body padi hui thi. Aur chro taraf unka purple color ka blood jamin ko bhigo raha tha.
Sachin ye sub dekhta hua apne man me sochta hai ' Hum log abhi tak Queen ke chamber me bhi nahi phuche hai aur hame abhi hi Royal Guards ke sath fight karni pad rahi hai. '
' Halaki, Ek achi baat hai ki ye Ant's previous generation ke hai. '
( Baki sub ko dekhte hue ) " Ye mera bus guess hai.... "
" Lakin yaha ki in 1st generation ke in ant's ko Royal Guards se bahar kar diya gaya hai. "
" To ab yaha se aage bahut jyada possibility hai ki hum 2nd generation ya usase upar ke Ant's ke sath deal karna hoga. "
Ye sun kar Ajay apne kamar me ek belt ke through rakhe hue ek book ko nikal kar apne right hath me leta hai.
Aur uske baad ek spell bolta hai. Aur us spell ke khatam hote hi wo book Ajay ke samne hawa me udne lagti hai. Aur apne aap book open ho kar usme ek page khul jata hai.
Us page ko ek baar check krne ke baad Ajay apna right hath ko book ke upar karke fir se spell bolne lagta hai. Aur jaise jaise Ajay spell ko bolta jata hai waise waise us book ke ander se golden color ki light niklne lagti hai.
Ajay ke spell ko Complete karte hi wo apne hath ko sbse pahle Aayat ke samne karta hai.
BOOM....
Ajay ke aisa karte hi book se ek Ref color ki light naiklti hai. Aur wo light book se nikal kar Ajay ke hath se hote hue Aayat ke body ke ander chla jata hai. Aur uski puri body Red color ki light se cover ho jati hai. Sath me uske samne bada sa ye symbol ban jata hai.
Ajay ye sub karte hue ek smile ke sath " Agar aisi baat hai to acha hoga ki hum kud ko phle se hi prepared kar le. "
Itna kahte hue Ajay Aayat ke baad bari bari se apne hath ko Hari , Camera man , Jay , Anubhav aur Sachin ke tarf show krte hue same process karta hai.
Aur bari bari se us book me se alag alag color ki light nikal kar in sub me jati hai. Aur unka body us color ka glow hote hue unke samne bhi ek ek symbol banta hai.
Isase pahle ki koi kuch puchta sare logo ki confusion ko dur kahte hue Ajay ek smile ke sath kahta hai " Mai janta hu aap sub confused hai ki ye sub maine kya kiya. Aap sub ko itna to smjh me aa gaya hoga ki maine apne magic se use se aapko buffs energy di hai. "
" Ab mai sbse pahle sbko in light ke color aur in symbol ka matlab smjha deta hu. "
" 1. Aayat :- Aayat Ke ander Red color ki light gayi hai. Aur uske samne ye symbol bana tha...
free image sharing
" Red light swordman ke liye use hoti hai. Aur is symbol ka matlb hai ki, Ab Miss Aayat ki sword chalane ki intensity kai guna increase ho jayegi, Sath hi me inke Attack ab aur bhi jyada sharp aur Dangerous ho jayenge. "
" 2. Hari :- Hari ke ander Green color ki light gayi hai. Aur green light agility ko show krta hai. "
" Aur Hari ke samne ye symbol bana tha....
" Quki Hari ek Archer hai jisme agility ka sbse jyada use hota hai. Isase Hari ke Archery ki speed kai times increase ho jayegi. "
" 3. Camera man :- Camera man bhai ke ander blue color ki light gayi hai. Aur ye protection ko represent karti hai. "
" Aur inke samne ye symbol bana tha....
" Ye ek taraf ka high level ke shield ka symbol hai. Isase hmare Cameraman bhai sahab ant's ke kisi bhi Attack se kafi had tak safe rahenge. Aur hamare karname puri duniya walo ko bina kisi pareshani ke dikha sakenge. "
" 4. Jay :- Jay ke body ke ander Golden color ki light gayi hai. Jo ki power ko represent karta hai. "
" Aur inke aage ye symbol bana tha....
" Jo ki ek Tank ka symbol hai. Aur jaisa ki bacha bacha janta hai hmare Jay bhai ek Tank type huntur hai. To iske help se ab inki strength pahle se kafi times increase ho gayi hai. "
" 5. Anubhav :- Anubhav ke body ke ander light purple colour ki light gayi hai. Jo ki energies ko represent karta hai. "
" Sath me inke aage ye symbol bana tha....
" Jo ki ek magic stick hai. Ab inke help se Anubhav ke magic ki ability bhi kai times increase ho gayi hai. Sath me uski intensity bhi. "
" 6. Sachin :- Mere sabse pyare bhai Sachin ke body ke ander White color ki light gayi hai. Jo ki purity aur freshness ko represent karte hai. "
" Aur inke samne ye symbol bana tha...
" Jo ki ek single sword hai. Aur ab sbse hard meaning inke is light aur symbol ka hi hai. In dono ki help se Mere bade bhaiya ka dimak hamesa shaant rahega aur wo bikul fresh mind se fight krenge. Sath me inke Attack ki sharpness bahut jyada increase ho jayegi. Quoi ye apne dono hatho me lion ke panje ke type ka armour phen kar fight krte hai. "
Ajay ke itna sub karne aur subko sub samjhane ke baad sare indian hunturs kabhi kud ko to kabhi Ajay ko dekhte jo un sub ki taraf dekhte hue smile kr raha tha.
Sachin apne man me ' Mujhe such me apne body ke ander phle se ab kai time jyada strength feel ho raha hai. '
Ajay abki dekhte hue " Ye buffs koi normal buffs nahi hai jisase aapko sirf better feel hoga. "
" Ye buffs aap sub ko ek hi time me kai sare Enemys se fight krne ke liye ab pura sahyog karega. "
" Ab jaisi aap sub ki skills aur strength hai uske hisab se aap sub easily kai sare Enemys se ek hi time me fight kr paoge. "
Ye sub sun kar sare hunturs ab apne samne dekhne lagte hai. Jaha andhere ke ander se in sub ko bas bahut sari eyes dikhayi de rahi thi. Ye eye's Ant's ki hi thi. Jo ki is baar bahut sare the. Approx 50 ke aas paas.
Sachin ant's ki taraf hi dekhte hue " Ajay agar tmhari baat sahi hai to kya ab hum sub ek hi time me akele hi ek sath 10-10 Enemys ko sambhal sakte hai ? "
Ajay, Sachin ko dekh ke smile krte hue " Meri fighting power ek A Rank huntur ke lagbhag hai. "
" To agar tum logo se kuch ant's bach gaye to mai unhe sambhal lunga. "
Sachin, Ajay ko dekh kar badi si smile karte hue " Tum hamare sath majak kar rahe ho na ? Hme koi jarurat nahi hai ki ek healer yaha fight kre. "
" Tumne jo buffs hme diye hai wo jarurat se bhi bahut jyada hai. To tum bas hmare piche rah kar Hmara support karo. "
Mai phle hi bata du ki Sachin ne ye baat is liye boli thi ki agar Ajay ko kuch ho gaya to ye buffs magic bhi khtam ho jayega.
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice updateUPDATE - 97(B)
AB AAGE.....
TEAM D DELTA SIDE
Run... Run....
Ippei Izawa aur Kei apne full speed me bhagte hue Team C CHARLIE ke side ja rahe the. Aage Ippei Izawa tha aur uske piche Kei bhag raha tha.
Ippei Izawa bhagte hue " Mujhe to abhi tak yakin hi nahi ho raha hai ki aakhir hame Team C CHARLIE ko check karne ke liye bheja gaya hai. "
" Wo bhi is liye quki pichle kuch time se hmlogo me se kisi bhi team ka unke sath koi contact nahi ho pa raha hai. "
" Aakhir is time ye tino sale , kamine, ullu kar kya rahe hai ? Jo hmlogo se ye contact nahi kar rahe hai. "
Kei jo ki uski baat sunte hue almost usi ke speed se bhag raha tha jldi se kahta hai " Ruk jao. "
Fir dono wahi ruk jate hai aur aas paas ki sari jagah dekhte hue Kei kahta hai " Mere khyal se wo tino yahi kahi aas paas hi honge. "
Waha par unko mari padi Ant's ki laase dikhayi deti hai. Unko dhyan se dekhte hue Ippei Izawa apne man me kahta hai ' Mujhe yaha fight ke evidence dikh rahe hai. '
' ye sub dekh kar to aisa lagta hai un logo ne yaha par kuch ant's ke sath fight kari hogi. '
Kei wahi se ek taraf dekhte hue kahta hai " Hey bhagwan ! Ab ye tino yaha se kaha chle gaye hai ? "
Tabhi Ippei Izawa ko ek Ant's ke body ke piche se Tatsumi Fujishima ka tuta hua chasma dikhayi deta hai. Jispar human blood bhi laga hua tha. Use dekhte hi Ippei Izawa ki aakhe badi ho jati hai aur wo shocked se apne man me bas itna hi kah pata hai ' Tatsumi ke glasses ? '
Aur bas kuch hi der me un dono ko Team C CHARLIE ke tino hunturs ki sirkati hui body dikh jati hai. Jise dekh kar wo dono bahut jyada shocked ho jate hai. Aur us jagah se wo dono sadme ke karan kuch kadam piche ho jate hai.
Un dono ko apni aakho par yakin hi nahi ho raha tha jo wo apne samne dekh rahe the.
Ippei Izawa darte hue " Aisa nahi ho skta hai.... "
" N...nahi aisa nahi ho.... "
UWEEEEEKK.....
UWEEEEEKK.....
Tabhi achanak se Kei ko bahut tej womit aati hai. Aur wo turant hi apna mask utarte hue wahi jamin par gutno ke bal baith kar bahut buri tarah se ulti karne lagta hai.
Jisase Ippei Izawa ka dhyan tutata hai aur wo Kei ki taraf dekhte hue fikar se kahta hai " kya ho gaya Kei ? "
Kei womit krne ke baad wahi jamin par baithe hue hi bahut bura samuh banate hue apne man me sochta hai ' Ye kya bakwas hai, kaisi sadi hui si badbu hai ye.... ! '
' Ye to kitna jyada buri scent hai. '
' Maine aaj se pahle apni puri life me itna bura kuch bhi smell nahi kiya tha. '
SSSSSSSSSS........
SSSSSSSSSS........
Tabhi un dono ko kuch feel hota hai aur wo dono sir utha kar samne dekhne lagte hai. Aur unko apne samne ped, paudho kr bich me se ek bahut hi Powefull aura unki taraf aata hua feel hota hai. Wo jo koi bhi tha usne apne aura ko almost pura relese kiya hua tha. Wo slowly slowly in dono ki taraf aa raha tha. Uske chro tarf surrounding me hawa bhi dark red color ki ho gayi thi.
Ab in dono ne samne se jo bhi aa raha tha use ye dekh nahi paye the. Lakin in dono ko pata chal gaya tha ye koi frnd nahi hai aur sath hi me ye un dono se kahi jyada Strong hai.
Zikkk.... Zikkk..... Zikkkk...
Dono bahut buri tarah dare hue rahte hai. Lakin tabhi kei jaldi se kud par kabu pate hue. Apne full strength ka use krte hue apne aur us Anjaan person ke aage ice ki 50 feet unchi aur 50 meter se bhi moti diwar khadi kar deta hai. Jab Ice ki diwar khadi hoti hai tab waha ke hill ke bhi kafi hisse tut tut kar idhar udhar bikar jate hai. Ye ice itni strength rakhti thi kud ke ander.
SWOSSSSSS...........
TADDDD.... TADDDD......
Lakin agle hi pal Dono ki aakhe fati ki fati rah jati hai. Quki wo anjan person apne hatho se samne chattan ki tarah khadi ice ke pahad par bas ek attack karta hai. Aur uska hath ice ko break krte hue sidhe Kei ke body se uska dil nikal leta hai. Aur fir wo us heart ko Kei ko dikhate hue hi wahi masal kr fek deta hai.
Kei to ye dekh kr hi ekdam sadme me ja cuka tha. Aur jab uska dil wo anjan person apne hatho me pakde hue use dikhata hai. Wo wahi gir kar khtam ho jata hai.
BAAM.....
Iske baad Ippei Izawa ki tarf wo ek Attack karta hai jo ki abhi tak sadme me hi tha ye sb dekh kr. Wo to jaise Statu hi ban gaya tha. Us Attack se uska sir hi pura 360 degree gum jata hai. Aur uske baad uski gardan wahi latak jati hai.
Aur wo anjan person fir se waha se nikal jata hai. Ab waha tukdo me tuti hui ice, un ice ke upar charo taraf bahta hua Kei ka blood aur thodi hi duri par pet ke bal jamin par giri hui Ippei Izawa ka body tha. Jiski aakhe sky ki taraf dekh rahi thi.
Isi ke sath ab tak total 5 Japanese Hunturs is raid me mare ja chuke the. Jiske bare me abhi tak kisi ko bhi koi khabar nahi thi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE ANT TUNNEL
Chro taraf jamin par un 10 feet se lambe Ant's ki body giri hui thi. Almost sabhi ke sir aur hath pair unke body se alag the. Aur jamin bhi puri purple color ki ho gayi thi. Un Ant's ke blood se.
Ab waha aur koi Ant's jinda nahi bacha hua tha. Aur sare indian Hunturs ek formation me abhi bhi khade the.
Sabko marne ke baad Sachin kahta hai " Dhat teri ki... Hmane jitna socha tha isme usase jyada time lag gaya. "
Anubhav " Nahi ! Agar is level ke itne Ant's ko marne ke ke liye hmane jo 5min se bhi kam ka time liya hai. Wo hmare taraf se to hmne kafi jaldi ye kaam kar diya hai. "
Sachin, Aayat ki taraf dekhte hue jo ki is fight ke baad abhi thoda rest kar rahi thi, apne man me sochta hai ' Amazing, aisa lag raha tha ki Aayat ne apne back par koi wings laga liye hai. '
' Itne short time me bhi maine jitne Ant's ko mara hai. Aayat ne almost mere se double Ant's ko maar giraya hai. '
' Mai janta hu Aayat ek powerful huntur hai. Lakin ye itni jyada skilled bhi hai ye mai aaj hi dekh pa raha hu. '
Yaha tak phuchene me hme lagbhag 15 minute lag cuke the.
Aur jin tunnels se hum phle hi nipat cuke hai. Unse gujarane ke liye hme ab adhik time nahi lagna chahiye. To in sub ko mila kar agar baat kare to...
Hmare paas abhi bhi total 30 min ka time hoga.
Tap... Tap... Tap...
Yahi sub bate karte hue indian hunturs aage badhte jate hai.
Jay chlte hue apne man me ' Sabse jaruri baat ye hai ki hum log ko ye pata karne ki jarurat hai ki hum log kaise us Queen ko marenge ? '
Tabhi chalte chalte ek tunnels ke samne Aayat achanak seruk jati hai aur kahti hai " Ye smell.... "
" Mere khyal se ye Smell Queen Ant ki hi hai. Aur jaha tak mujhe lagta hai uske sath uske Royal Guards bhi hai. "
Sachin apne aura ko relese karte hue apni aakho ko Transform karke goldan color ka kar leta hai aur kahta hai " Mai phle ja kar check karya hu. "
Tap... Tap... Tap...
Aur Sachin kuch steps aage ja kar us tunnel ke samne khada ho jata hai. Aur apne transform eye se anderki tarf dekhne lagta hai.
Us TUNNEL ke ander bilkul andhera tha. Aur apne is Skill se Sachin badi aasani se andhere me bhi dekh skta tha. Use is time kisi negative ki tarah ander ka sara views dikhayi deta hai.
Ander ek bahut badi si Ant rahti hai. Almost 30 feet se uchi. Jiska body bahut hi bada aur bhari bharkam tha. Uske 6 panje the. Aur sare bahut bade aur strong the. Uske chro taraf kuch 15 feet ke height ki Ant's thi. Aur waha 100+ eggs bhi rakhe hue the.
Jo ki sayad Queen ne haal filhal me hi diye honge.
Sachin ye sub dekhte hue apne man me ' Kya yahi Queen Ant hai ? '
Fir Sachin baki sub indian hunturs ko waha ki details batane lagta hai. Aur sare hunturs uski baat bahut dhyan se sunane lagte hai.
Sachin " Queen Ant piche se 4th wala hai. "
" Yaha total 8 Guards hai jo queen ko protact kar rahe hai. "
" Wo sare Queen ke chro taraf khade hai. Aur akdam sawdhan hai. "
Jay ye sub sun kar apne man me sochne lagta hai ' Jin royal Guards se abhi tak hmara samna hua hai wo Around S Rank ke Monsters the. '
' Agar Aayat ki baat karu to agar mai Queen ant ko uljhaye rakhi aur Aayat ke liye kuch time de du to wo definitely Guards ko sambhal legi. '
Jay ye sub sochne ke baad baikul series hoge hue samne tunnel ki taraf dekhte hue kahta hai " Huntur Aayat mai Queen Ant se fight karne ja raha hu. Kya tum Gaurds ka dhyan rakh logi ? "
Aayat turant hi reply karti hai " Ji Huntur Jay aap in Gaurds ko mujh par chor dijiye. "
Run... Run...
Aur sare hunturs sawdhani se bahte hue us TUNNEL ke ander chle jate hai.
Anubhav bhi tunnel me Enter hote hue jor se kahta hai " usually, mai apne power ka ek limit me hi use krta hu. "
" Lakin aaj, aisa lagta hai agar maine aaj yaha apna koi Mana bachaya to wo bikuk waist hi hoga aisa karna. "
ROARRRR......
Aur itna kahte hi Anubhav apne dono hatho ko aage karte hue ek spell baokta hai. Aur agle hi pal waha Anubhav ke fire se ek Dragan form ho jata hai.
Jo ki hawa me idhar se udhar udhne lagta hai. Wo fire dragon almost 25 feet se bhi long hoga hi.
Wo sidhe ja kar ek Guard Ant ko lagta hai. Aur wo jal kar wahi rakh ho jata hai.
Abhi anubhav ye sub kar hi raha tha ki, Tabhi achanak se Anubhav ke piche se ek Guard Ant aa kar Attack kar deta hai.
SWOSSS..... SWOSSS.....
SWOSSS..... SWOSSS.....
SWOSSS..... SWOSSS.....
QUKKKKK......
Lakin isase phle ki wo Ant kuch kar pata ek hi Second me 6 ice Arrow aa kar sidhe uske sir me lagte hai. aur us Ant ki ek dard bhari chikh nikal jati hai. Ye arrow aur kisi ne nahi Hari ne mara tha.
Anubhav, Hari ke taraf dekhta hai aur Hari smile krte hue kahta hai " Mai tumhe puche se cover de raha hu. Tum bikul chinta mat karo. "
Ye dekh kr Sachin bhi apne man me kahta hai ' Tmne sahi kaha Anubhav yaha apne power ko roke lakhne ka koi fayda nahi hai. '
' Is liye mujhe bhi ab kud ko apne chupe hue form me convert kar lena cahiye. '
ZZZZZ.....
ZZZZZ......
Crack.... Crack.....
Aur bas 2 se 3 Second me Sachin apne beast form me change ho jata hai. Iske karan uske body ka upper portion ek line me convert ho jata hai. Uske pure sirpar bahut long white hair aa jate hai. Jo bahut jyada shine kar rahe the.
Uske hath me pahne hue armour tut kar jamin par gir jate hai. Aur hath ab convert ho kar panjo me badal gaye the. Koi bhi use dekhe to dar jate wo bahut hi jyada khatarnak lag raha tha is time.
Sachin apne man me ' Mujhe ab bas in fucking Ant's ko tabah karna hai. '
Jump.....
SWOSSS.....
SWOSSS.....
QUKKKKK...... QUKKKKK......
Aur Sachin apne jagah se jump laga kar apne samne khade do Royal Guards par tut padta hai. Aur apne dono panjo ko pailate hue wo apna aim dono ant's ke sir ko banta hai. Aur Sachin ke sharp panje side unke sir me pura ghus jate hai. Aur un dono ant's ko to ek bhi mauka nahi milta hai ki wo apna bachaw bhi kar pate.
Sare hunturs is time thode shocked se sirf Sachin ko hi dekh rahe the.
Aayat apne man me ' To huntur Sachin ka Beast form ye hai. '
Baki sare hunturs bhi apne man me yahi samne baat soch rahe the.
ROARRRR.....
Un dono ko marne ke baad Sachin wahi khada ho kar bahut jor se daharta hai.
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Matleb real fight ab start hoye haUPDATE - 98
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Indian Hunturs ka samna ab tak Queen ke front line worriers se hota hai.Ajay apne magic ke use se sare hunturs ko buff provide kr deta hai isase un sub ki ability aur strength kai times increase ho jati hai. Uske baad wo ajnabi person Team C CHARLIE ke hunturs ko dhundhne aaye hue Kei aur Ippei Izawa dono badi hi aasani se maar deta hai.
Wahi Indian Hunturs Queen ke front line worriers ke sare ant's ko maar kr aage Queen ke TUNNEL tak pahuch jate hai. Jaha unko Queen aur uski suraksha karte 8 Guards Ant's dikhayi dete hai. Yaha her koi apni full ability ko use krte hue in Guards Ant's ko marne lagta hai.
AB AAGE.....
INSIDE THE ANT QUEEN TUNNEL
Jay piche Aayat ki taraf dekhte hue jor se chilla kar " Mai inhe aap par chorta hu Huntur Aayat. "
SWOSSSSSS......
BOOMM.....
CRACK.... CRACK..... CRACK....
Jay ki baat sunte hi Aayat ek spell " PROVOKING QUAKE "
Bolte hue apne sword ko hawa me pura upar utha kar jor se jamin me sidha gaad deti hai. Sath me Aayat apna full aura bhi relese kar deti hai. Iska ye asar hota hai ki waha ek chota sa earthquake aa jata hai. Aur waha par jamin me jagah jagah cracks aa jate hai. Jisase unki taraf full speed se aa rahe 3 Royal Guards ant's ki speed bahut slow ho jati hai.
Run... Run... Run...
Jay jo ki apni baat kahne ke baad bhagte hue Queen Ant ki taraf ja raha tha. Wo ye dekh kar jor se kahta hai " Ant's ki speed ab kafi slow ho gayi hai. "
" Jab tak ki sare Royal Guards nahi mar jate hai. Mai is Queen Ant ka dhyan tum logo se apne taraf bhatkane ki kosis karta hu. "
Aur Jay Queen Ant ke paas pahuch kar Apna bada sa shield ko jo ki usne apne left hath me pakda hua tha wo use aage karte hue Queen Ant jo ki apne royal Guards ki tarf dekh rahi thi. Uska dhyan apne taraf karte hue kahta hai " Yaha dekhao. "
Queen Ant ki height 20 feet jyada badi thi. Uski body bikul White color ki thi jinme uske sare panjo ke her joint ke paas golden color ka armor type kuch tha. Uske panje bahut hi bade bade golden color ke aur sharp the. Aur uski aakhe bikul red color ki thi.
Queen Ant bhi Jay ko dekh ke uske taraf apne bade sa muh fade uske upar Attack karne lagta hai.
Lakin turant hi Jay apne shield ko aage karke Queen ke Attack ko rok deta hai.
Sbse piche khada Cameraman ye dekh kar bahut jyada shocked hota hai aur apne man sochne lagta hai ' To kya such final battle start ho gaya hai ? '
Tabhi us cameraman ke helmet me lage hue mike se aawaj aati hai " Abhi abhi viewership 80 percent increase ho gayi hai. Camera ko Queen Ant ke aur paas le jao, taki hmare viewer aur bhi clearly ye sb dekh sake. "
Cameraman ye sunte hi bahut jyada surprise hota hai aur apne man me sochne lagta hai ' Kya viewership 80 percent increase ho gayi hai ? '
' Tab to bas thoda sa aur aage jane se mai ye battle aur clearly dikha sakunga jisase viewership to world ke aaj tak ke bane hue sare records ko break kar dega. '
Tap... Tap...
Yahi sub sochte hue wo Jay aur Queen Ant ke aur paas jane lagta hai.
SWOSSS.....
Tabhi Ek Royal Guards ant achanak se Cameraman ke samne aa jata hai. Aur uske upar apne sharp bade bade panje se Attack kar deta hai.
Cameraman bechara to ye sub itna jldi hua kuch react bhi nahi kar paya. Use kuch samajh me hi nahi aa raha tha kya kare aur kya na kare itne me wo panja use lagne hi wala tha ki Tabhi piche se koi us Cameraman ko uske nack ke paas armour se pakdta hai. Aur wapas se use piche uski jagah khich leta hai.
Ye hath Ajay ka tha. Usne hi cameraman ko wapas piche khicha tha.
BUZZZZZZ......
QUKKKKK.....
Aur agle hi pal Anubhav ne us Ant ko apne powerful fire spell se jala diya tha.
Ajay, Cameraman ko dekhte hue " Ek S Rank DENGOUN ka Boss yaha is tunnel me hai. "
" Aur uske is room me rahte tmhare safety ki koi bhi garrenty nahi le skta hai. "
" Agar tum meri bato ka matlab smjh gaye ho to jaha khade ho wahi raho. Aur kosis karna ki Queen Ant ke paas kabhi bhi tum aane na pao. "
" Quki ab yaha se fight aur bhi jyada serious hoti jayegi. "
Cameraman bhi Ajay ki baat ka matlb smjh jata hai. Aur wo bhi wahi apne jagah khade ho kar ab kafi jyada shocked aur dar ke sath Ajay ko dekhne lagta hai sath me wo sochta hai ' In sare India hunturs ne to kaha tha ki healer ki combat skills kafi khrab hoti hai.. '
' Lakin jis tarah se inhone mujhe piche khicha usase to aisa lagta hai ki inki fighting skills ek A Rank huntur se bhi kafi jyada achi hogi. '
' Acha hua inhone mujhe piche khich liya warna aaj to mera marna fix tha. '
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
A SMALL HOUSE IN DELHI
Aaj Delhi ke sadkon par ek bhi person nahi dikhayi de raha tha. Aisa lagta hai ki sare hi log news me aaj ke JEJU island par ho rahe S Rank Raid ko dekhne me busy hai.
Isi time Delhi ke ek middle class family ke ghar me ek old woman apne samne lage hue ek chote se TV ko dekh rahi thi. Kuch der dekhne ke baad wo utha kar dusre room me chli jati hai. Jaha ek old man baitha hua tha jiske sare hair white ho gaye the. Usne aone aakho par ek power wala chasma lagaya hua tha.aur wo apne hath me newspaper le kar padh raha tha.
Wo old woman wahi darwaje kepaas se old man ko dekhte hue kahti hai " Aji.. sunte ho.. "
" News wale kah rahe hai ki aaj hmare hunturs JEJU island ke raid me kamayab ho jayenge. "
" Kya tum ye nahi dekhoge ? "
Old Man abhi bhi newspaper read krte hue kahta hai " Ye news walo ne to har time yahi kaha tha. "
" Isi liye mujhe ab in news wale logo ke bato par bilkul bhi bharosa nahi hai. "
Old woman " Yahi wo log hai jo hmare ek laute bete ke mauth ka badla lenge. "
" Well, mai to unhe news pr dekhne ja rahi hu. Bhle hi sari duniya destroy ho jaye lakin mai to ye Raid pura dekh kr hi rahungi. "
Tap.. Tap... Tap...
Itna kah kar wo old lady gusse me wapas se phle room me ja kar TV ke samne baith jati hai aur TV screen ko dekhte hue gusse me kud se kahti rahti hai " Kya bekar ka aadmi hai ye. "
" Newspaper padhne ka dikhawa kar raha hai, ye nahi ki aa kar ye raid dekhe. "
" Choro mujhe kya jo marji wo kare ye budhau. "
News anchor " Aur just abhi hmare Indian Hunturs ne Queen Ant ke khilaf bettel start kar diya hai. "
TV screen par Queen Ant aur usko roke hue Jay dikhayi deta hai.
Anchor " Yahi Ant Queen ka lair hai. "
" Aur ye jo aapko apne TV screen par abhi badi si Ant dikhayi de rahi hai yahi hai Queen "
" Ye ek aisi ant hai jiske jitni badi Ant aap logo ne apni aakho se na aaj tak na hi dekha hoga na hi aage kabhi future me kabhi dubara dekh payenge. "
" Filhal abhi Aap apni TV screen par dekh pa rahe hai ki Ant Queen ke sath abhi Huntur Jay fight karne me busy hai. Aur wo kafi achi tarah se usko sambhale hue hai. Lakin fir bhi dekh kr aisa lag raha hai ki baki sare hunturs ki bhi jarurat padegi Queen Ant ko marne ke liye. "
" Aur uske liye phle Indian Hunturs ke group ko sbse phle Royal Guards ko marna hoga. Tabhi wo sab ek sath mil kar Queen Ant se fight karke usko maar skte hai. "
Tabhi Pados ke hi ek ghar se ek aadmi ki khusi se bahut tej chillane ki aawaj aati hai " ohhhoo!!
Ohhhooo !! "
" Huntur Sachin ne just abhi ek royal Guard ko maar giraya hai. "
Achanak se hue is tej aawaj se wo old woman dar jati hai. Fir puri aawaj sunane ke baad wo halke gusse se kahti hai " Hey bhagwan ! "
" Mai to dar hi gayi thi. "
" Ye aaj kal ke log bhi kitna jyada hangama karne lage hai. "
Office me kaam karne wale, collage me padhne wale students, Caffe me couples, gharo me puri family, sare log apne Phone, TV, computer me jagah jagah live ye Raid dekhne me lage hue the. Sabki heartbeat normal se jyada speed se chal rahi thi.
Sabhi log taktaki lagaye bas ye dekhne me lage hue the ki ab kya hoga ab kya hoga.
Anchor " Ab, kewal 4 hi Royal Guards jinda bache hue hai. "
" Indian hunturs ne allready hi aadhe royal Guards ko thikane laga diya hai. "
( Aur bhi jyada tej voice me ) " jaisa ki aap sub dekh skte hai ab bas 3 hi royal Guards jinda bache hai. "
( 2 min baad aur bhi jyada tej voice me ) " Aur ab sirf 2 hi royal Guards jinda bache hue hai. Aur agar Indian Hunturs ne in dono Royal Guards ko bhi maar diya to indian hunturs finally Queen Ant se bettel start kr denge. "
" Ab aisa lag raha hai ki bahut hi jal ye Raid aakhirkar complet ho hi jayega. "
Old woman ( piche gardan ghuma kar apne husband ko pukarte hue ) " Aji... Sunte ho... "
" Sare Royal Guards bhi ab khtam ho chuke hai. "
Old man ( wahi se baithe hue jor se chilla kar ) " Agar ye inka JEJU island me Raid karne ka 4th attempt hai to ho skta hai ki wo sub is baar successful ho jaye. "
" Kyu aisa ho skta hai na ? "
Anchor " Ab waha kewal Queen Ant hi jinda bachi hai. "
" Agar ye Queen Ant ko marne me safal rahe to finally ye log Ant's ka JEJU island se safaya karne me safal rahenge. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
NEWS CHANNEL HEADQUARTER
News channel ke hedquarter me ek bade se room me diwar ke dono side diwal par kafi sari badi badi LED TV screen lagi hui jinme se almost sabhi par JEJU island ke raid ko dikhaya ja raha tha. Aur un sare Screen me center me ek sbse badi LED screen lagi hui thi. Jisme JEJU island ka bilkul live video chal raha tha. Diwal ke dono side TV screen ke niche table bane hue the. Aur almost 20+ log waha alag alag kaam karne me lage hue the.
Jo person main screen ke samne apne cahie par headphone lagaye hue baitha hua tha. Akdam se apna headphone hata kar wo piche mud kar formal kapde pahne hue ek aadmi se bahut hi excitement me kahta hai " Director hmari viewership abhi abhi 85 percent par pahuch cuki hai. "
Ye sunte hi uske piche khada aadmi khusi se apne muthi ko kas kar excitement me kahta hai " Yes ! Ye hamara ab tak ka best hi gaya hai. "
" Agar ab yaha se aage isi tarah viewership increase hoti rahi to ab hum world record break karna start kar denge. "
Anchor " America, China, Russia aur France ki tarah S Rank DENGOUN clear karne wali ki list me ab lagta hai hmari country bhi samil ho jayegi. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE QUEEN ANT TUNNEL
Jaha baki sare Indian Hunturs ne mil kar sare Royal Guards ko khtam kar diya tha. Wahi dusri taraf Jay abhi tak akele hi Queen Ant ka dhyan baki huntur se bhatkane me safal raha tha.
Ab jab ki sub Royal Guards mare gaye the. Sare hunturs Jay ke piche aa kar khade ho jate hai.
Jay " Mere upar se kudo. "
Jump...
SWOSS.... SWOSS....
SWOSS.... SWOSS....
SWOSS.... SWOSS....
SWOSS.... SWOSS....
SCREEEEEEEECCCHHHH......
Ye sun kar kaha Jay ke piche khada Sachin Jump karne wala hota hai. Usase phle Hari piche se hi apne jagah par ek long jump laga deta hai. Aur wapas jamin par land hone tak wo apne bow se almost 15 se hi jyada Arrow Ant Queen ke sir ki taraf aim karke chor chuka tha. Aur Quki Queen ka dhyan Jay ki taraf tha wo sare Arrow uske sir me ja ghuste hai. Jisase Ant Queen ki ak tej chikh nikal jati hai. Ab un jagah se halka halka blood niklne lagta hai.
JUMP.....
SWOSSS.....
Aur agle hi pal Sachin jo ki Jay ki baat sunte hi Ant Queen ki taraf jump laga diya tha. Wo Ant Queen ke dhyan bhatkane ka fayda utha kar uske ek hath par apne sharp panjo se Attack kr deta hai. Aur Queen ka wo hath buri tarah se injurd ho jata hai.
Sachin ye kahte hue kahta hai " Daro mat isase ! Ek Queen apne gurads ke bina ek kamjor Monsters se jyada kuch nahi hai. "
UWWAAAAA......
Wahi Ant Queen apne upar hue in dono Surprise Attack se bahut gusse me aa jati hai. Aur agle hi pal wo apne bade se muh ko pura khol deta hai. aur uske muh me sesher sara purple colour ka ek chipchipa sa liquid niklta hai.
Aahhhh.....
Aaahhhhh......
Jo sidhe ja kar Jay aur Sachin ko lagta hai. Ye liquid ek tarah ka Acid tha. Jisase Sachi. Aur Jay ki puri body bahut buri tarah se jalne lagti hai. Aur un dono ki bahut tej aur dard bhari chillane ki aawaj aane lagti hai. Wo liquid indono ke body se stick ho cuki thi.
Abhi koi kuch karta, samjhta usase pahle hi Ajay ne apna kaam suru kar diya.
Usne fir se apne book ko spell bol kar open kr diya aur uske baad usne open hue page me se dekhte hue ek spell bolte hue apna hath upar utha kar dono ke taraf show kr diya. Aur kuch hi Second me donk ki puri body bilkul pahle ki tarah thik hi jati hai.
Ajay, Queen Ant ki taraf dekhte hue kahta hai " Agar tum hame harana cahte ho to tumhe apna Attack mere upar karna cahiye. Na ki mere baki ke sathi hunturs ke upar. "
QYAAKKK......
Ye dekh kar Queen Ant gusse me jor se chillate hue apne muh se Ajay ki taraf Attack karne jata hai ki Jay apne shield ko aage karke us bich raste me hi rok leta hai.
Jay is Queen ant ko rokte hue smile ke sath kahta hai " Are jaha ruk jao.... "
" Mai tumhe hmare healers tak itni jaldi nahi phuchene dunga. "
Tap... Tap... Tap...
Tabhi itni der se piche khada ye sub kab se dekh raha Anubhav aage jate hue jor se chilla kar kahta hai " Sabhi log piche hat jao. "
BUZZZZZZ........ BUZZZZZZ......
BOOOMMM......
Aur Anubhav apne dono hatho ko aage karte hue Aage ka ek bahut bada gola bana kar use apne hath se instructions dete hue Queen ke body ke niche le jata hai. Aur fir fire ki intensity bahut jyada increase karke use bahut jor se blast kar deta hai.
Ye Attack itna powerful tha ki Waha pure TUNNEL me aag hi aag charo taraf fail jati hai. Anubhav ne jaha kud ko apne rob se dhak liya tha. Wahi baki kesare Indian Hunturs aur Cameraman Jay ke badi si shield ke piche chup jate hai.
Aage khtam hone ke baad waha bas smoke hi smoke fail jata hai.
Sachin ( Queen Ant ki taraf dekhte hue apne man me ) ' Ant Queen ab finished ho gayi hai. '
' Apne itne lambe Battle experience se mai ye baat bahut aasani se kah skta hu. "
SCREEEEEEEECCCCHHHHHH.........
Tabhi Smoke ke bich se Queen ka muh abki dikhayi deta hai. Aur wo is time dard bhari aawaj nikal rahi hoti hai.
Sachin apne man me ' Aisa lagta hai Queen Ant ka end ab najdik hi hai. '
' Aur victory ab hm logo se bas kuch hi steps ki duri par hai. '
' Jo bhi ho.... '
SCREEEEEEEECCCCHHHHHH...........
Aur agle hi pal Ant Queen apne bachi hui puri power ko laga kar ek bahut hi tej dard bhari aawaj nikalti hai. Jisase ek pal ke liye to pura Ant tunnel hi kaap utha tha.
Hari ye dekh kar confusion se " Ye kya tha ? "
Sachin Ant Queen ko dhyan se dekhte hue apne man me sochta hai ' Ek howl ? '
' ya kya ye iski marne se phle ki roar thi ? '
' Nahi ye in sub se bikul Different feel ho rahi hai. '
' Kahi ye help ke liye pukari gayi koi aawaj to nahi thi ? '
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
AT THE SECOND DDH-184
DRAW SWORD Guild ka vice master Reiji Sugimoto Warship par aaram se baitha hua tha ki samne Screen par usko kuch halchal hoti hui dikhayi deti hai. Aur wo turant hi sari bato ko dhyan se dekhne lagta hai. Aur use jab pura mamla smjha me aata hai to wo bahut hi jyada shocked ho jata hai.
Agle hi pal wo jldi se Ryuji koto se bluetooth par bahut jor se chillate hue kahta hai " Koto Bhai ! "
" Sari Ant's wapas apne tunnel ki taraf ja rahi hai. "
" Noise jammer ka bhi ab unke upar koi Effect nahi pad raha hai. "
Ryuji Koto bhi Surprise hote hue ye sub sunane ke baad kahta hai " Kya ? "
" Aisa kaise ho skta hai ? "
Run.. Run...
Aur wo bhi jldi se se ek hill par bhag kar pahuchta hai aur waha se TUNNEL ke taraf dekhta hai to use sare Ant's fly karke Such me TUNNEL ki taraf jate hue dikhayi dete hai.
Ye sub dekh kr Ryuji Koto apne man me kahta hai ' Aakhir yaha abhi ye sub ho kya raha hai ? '
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Run... Run....
JUMP.....
SWOSSSSSS.....
Wahi Queen Ant tunnel ke ander Aayat apni jagah se teji se full speed me bhagte hue Ant Queen ke paas jati hai. Aur uske baad ek jump laga kar wo apne sword ko Ant ke sir ki taraf chla deti hai.
THUDDD......
DHADHAM.....
SWOSSSSSS..... SWOSSSSSS...
Aur agle hi pal Ant Queen ka sir niche jamin par cut kar pada hua rahta hai. Aur isase phle ki aur kuch hota Aayat furti se apne swors ko Queen Ant ke sare hath pairo par chla deti hai. Aur wo bhi cut kar niche jamin par gir jate hai.
Aur uski baki ki bachi hui body bhi bahut tej awwaj ke sath niche gir jati hai. Jisme har taraf se dher sara purple color ka blood nikla raha hota hai.
Aayat, Ant Queen ki taraf dekhte hue " To ab sub khtam ho gaya ? "
" Hai ki nahi ? "
Hari bahut jyada shocked ke Ant Queen ki body ko dekhte hue kahta hai " To kya ab hum world ke 5th country ban gaye hai. Jo ki ek S Rank DENGEON ko clear karne me safal rahe hai ? "
Sachin kuch sochte hue " Itni jaldi khus mat ho. "
" Ruk jao jara quki mujhe abhi bhi yaha kuch gadbad lag rahi hai. "
Tabhi Jay ko waki toki se koi kuch batata hai aur wo massage sunane ke baad wo baki sare hunturs ko dekhte hue kahta hai " Unhone abhi bataya hai ki, sari Ant's wapas se tunnel ke taraf hi aa rahi hai. "
" Hme jldi karna hoga aur yaha se bahar nikalna hoga. "
Aayat ( shocked se ) " Kya ? "
Hari ( darte hue ) " Hmare paas abhi bhi thoda time hai yaha se bahar niklne ko hai na ? "
Sachin " Kya tum ye kahna cahte ho ki Japanese Hunturs Ant's ko 1hour bhi bahar nahi rok paye ? "
Jay " Mai bhi abhi sure nahi hu ki aakhir kya hua hai. Huntur Association walo ne kaha hai ki wo abhi bhi situation ko thik se samjhane ki kosis kar rahe hai. "
Tabhi Anubhav ko kuch feel hota hai aur wo kahta hai " Jo flam barrier maine tunnel ke entrance me lagaya hua tha wo just abhi break ho gaya hai. "
Aur achanak se hi sare hunturs ke dil me ek anjana sa dar aa jata hai. Unhe pata nahi kyu bahut jyada dar feel hone lagta hai. Sare Queen Ang ke main tunnel ke entrance ke taraf dekhne lagte hai.
TAP.... TAP.... TAP....
Aur unhen samne se ek black color ka Ant apne do pairo par chlte hue ander aata hua dikhayi deta hai.
Sachin use dekh kr bahut jor se " Nahi aisa nahi ho skta hai. "
TAP... TAP.... TAP....
SCREEEEEEEEEEECCCCCHHHHHH............
Aur wo black Ant ander aane ke baad wahi khade ho kar apne dono hath faila kar bahut jor se chillate hue apna full aura release kar deta hai.
Aur uske aura ke relese karte hi ek dark red color ki light uske body se niklne lagti hai. Aur wo light pure JEJU island par fail jati hai. Uske aura ko JEJU island par maujud sare S Rank hunturs bahut ache se feel kar pate hai.
Sachin us black Ant ko dekhte hue apne man me bahut jyada darte hue kahta hai ' Y....ye....
Ye... To.....'
' sirf is single Ant se ye itni powefull strength kaise feel ho rahi hai ? '
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Bhot ha acha update tha ab to rider ko aa jana Chy yaar os ka Saati Maar Rhy hn wo kaan aey gaUPDATE - 99
DEATH OF INDIAN HUNTUR
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise sare Indian Hunturs mil kar sare Royal Guards ko maar dete hai. Uske baad wo Sub mil kar Queen Ant se fight krne lagte hai. Tb Anubhav usko bahut buri tarah jala kar injured kar deta hai. Aur isi mauke ka fayda utha kar Aayat Ant Queen ka Sir kaat deti hai. Lakin marne se pahle Queen Ant ak bahut tej pukar laga chuka tha. Jise sun kr Sare Ant's Ant tunnel me wapas aanne lagti hai. Aur In sub logo ke samne Black Ant aa jata hai.
Wahi India me sare log Raid dekhne me busy the. Sare India me aisa lag raha tha jaise curfew laga ho.
AB AAGE.....
Urghhhhh.......
Us black Ant ke waha aane se hi Aayat ko bahut buri small aane lagti hai. Aur use bhi womating hone lagti hai. Wo wahi apne jagh par ghutno ke bal baith kar womating marne lagti hai.
TAP.... TAP.... TAP....
Wo black Ant, Queen Ant ke main tunnel ke entrance se ander ki taraf aane lagti hai. Wo Ant pura black color ka tha uske back par do bade bade Wings lage hue the. Uske aakhe akdam Red color ki thi. Aur uske body se dark red color ka bahut hi storng aura nikal raha tha. Wo dekhne se kisi Normal human ki tarah hi lag raha tha.
Is black Ant ko abhi tak sare India hunturs ne aur Cameraman ne dekh liya tha. Aur usko dekh kr sb sadme me ja cuke the.
Lakin Aayat ne abhi tak is Black Ant ko nahi dekha tha. Quki wo Queen Ant ko marne ke baad se hi apne back ko Entrance ke taraf kiye hue hi thi. Aur Na hi abhi koi apne hose me tha ki wo Aayat ko us black Ant ke bare me bata sake.
Isi liye Aayat apne jagah baithe hue thi. Lakin jb use bhi Black Ant ka powefull aura feel hota hai aur baki sare hunturs ka face dekhte hue wo bhi turant piche mud kr Black Ant ko dekhne lagti hai.
Black Ant ko dekhte hue Aayat apne man me sochti hai ' Ye kaisa terrifying pressure hai ? '
' Mujhe to yakin hi nahi ho pa raha hai. '
( dar ke sath ) ' Ye... Ye... Koi ordinary Beast nahi hai. '
Ye jo Black Ant in logo ke samne achanak se aa gaya hai. Ye ek aisi entity show kar raha hai jiske kewal footsteps ki aawaj se hi samne walo ke dil me dar paida ho jata hai.
Jay Black Ant ko dekhte hue apne man me ' Hmare paas time nahi hai ki hum iske samne aise khade rah sake. '
' Hme sbse phle jitni jldi ho ske utni jldi ise maar girana hoga. '
TAP.... TAP.... TAP....
Yahi sub sochte hue Jay us Black Ant ko marne ke bare me sochta hai. Lakin jaise jaise Black Ant uske samne se aaram se chalte hue gujarta hai tab uske itne paas se gujarne ke karan uske aura se Jay ko us time aisa feel hota hai, Jaise uske sarir sekisi ne sara maas nukal diya ho. Uske body ke sare bones tut kar chaknachur ho rahe ho.
Jay ko lagta hai jaise ye sub uske sath abhi ho raha hai. Aur ye feel hote hi uski aakhe blank ho jati hai. Aur wo bahut bure sadme me chla jata hai.
TAP.... TAP.... TAP....
Wahi wo Black Ant ab tak Queen Ant ke kate hue bade se sir ke paas pahuch cuka tha. Wo bahut hi dhyan se ektak bas use hi dekhe ja raha tha.
Use aisa karta dekh kr sare indian Hunturs shocked hone ke sath sath Surprise bhi hote hai. quki usne unhe kuch karna to dur unki taraf dekha tak nahi tha.
Aur sare indian Hunturs bas ek hi chij apne man me soch rahe the ' Ye bas hmare samne se gujar gaya fight kiye bina... '
SCREEEEEEEECCCCHHHHHH..........
Lakin agle hi pal wo Black Ant apne dono hatho ko upar utha kar apne panje bahut jor se band karte hue ek baar bahut tej chillata hai. Sayad wo Queen Ant ko aisa mara hua dekh kr gusse aur dard me chilla raha tha. Is aawaj se pura Ant tunnel kaap uthata hai.
Cameraman to dar aur is aawaj ke power se apni jagah niche jamin par gir jata hai.
Jabki baki huntur bhi apni puri takat laga kar kud ko kisi tarah khade rakhe hue the. Lakin sabke face par dahsat saaf dekhi ja sakti thi.
Chillane ke baad Black Ant akdam se mud kar sare Indian Hunturs ko dekhne lagta hai. Uski aakhe ab pahle se bhi jyada badi ho gayi thi. Aur unka color aur bhi jyada dark red ho gaya hua tha.
Run... Run... Run...
Black Ant ke sbse close is time Aayat hi thi. Uski body bhi is time halki halki dar se kaap rahi thi. Lakin fir bhi wo kud ko jitna hi ske utna control kiye hue Apne sowrd ko utha kar Black Ant se fight krne jane hi wali thi ki Black Ant uski aakho ke samne se akdam se gayab ho jata hai. Ye dekh kr Aayat kafi jyada Surprise ho jati hai. Wo aakhe fade bas apni samne hi dekh rahi thi ki Black Ant jo ki waha se apni full speed me bhaga tha wo sidhe Aayat ke piche aa kar khada ho jata hai.
BISOOM.......
Aahhhh......
BOOMMM.....
Aahhhhhh......
Crack...... Crack.......
Aayat ko bhi ye feel ho jata hai ki koi uske piche hai aur wo turant hi apni gardan ghuma kar piche dekhti hai. Aur jab tak ki wo halka se piche mud kr Black Ant ko apne piche khada dekhti hai. Agle hi pal Black Ant apne left hath se ek jordar punch sidhe Aayat ke kamar ke paas marta hai. Aur wo punch lagte hi Aayat waha se udate hue kafi dur ja kr sidhe tunnel ke left side ke diwar se takra jati hai. Aur waha ki diwar me bahut bade bade crack aa jate hai. Aur Aayat ke muh ke ek bahut bhayankar dard bhari chikh ke sath kafi sara blood nikal aata hai.
Aur wo wahi niche jamin me gir ar behosh ho jati hai.
Ye scene dekh kr sare indian Hunturs apne hose me aa gaye the.
Jay, Aayat ki taraf bahut jyada fikar se dekhte hue jor se chilla kr kahta hai " Huntur Aayat.... "
Run.... Run... Run...
Abhi wo aage aur kuch kahe isase phle hi wo Black Ant Aayat ko punch marne ke baad akdam se Jay ke samne aa jata hai. Jay jiska dhyan Aayat ki taraf thauski bhi apne samne koi feel hota hai aur wo turant apni najar ghuma kar apne samne dekhta hai to waha black Ant khada milta hai use.
BISOOM......
BOOMMM.....
Aur Black Ant turant hi apne right hath seek ounch Jay ko mar deta hai. Lakin Jay bhi jldi se apne laft hath jisme ki uska Bada sa shield tha use aage karke uske punch ke samne kr deta hai. Taki wo Black Ant ke punch se bach sake. Lakin ye kya jaise hi black Ant ka wo Punch Jay ke shield se takrata hai Jay ka shield Chote chote tukdo me bahut buri tarah se tut jata hai.
Aahhhhhh.......
Lakin yahi nahi wo punch waha bhi nahi rukta hai. Wo punch Shield break krne ke baad ja kar Jay ke left hath se takrata hai. Aur wo uske left hath ke bones ko bahut buri tarah se todte hue, kohani tak pure left hath ko bahut buri tarah se faad diya tha. Jay ka left hath ke logon tak ki hadiya cut ho gayi thi. Aur sara maas bich se pura fat kar kisi rabar ki tarah niche ko latkane laga tha.
In sub se Jay ko behisab dard ho raha tha. Lakin fir bhi himmat karke Jay apne right hath me pakde hue apne sword se us black Ant par Attack karne hi wala tha ki Black Ant Jay ki us hath ko bhi apne left hath se turat pakd leta hai.
Aahhhhhhh......
Aur agle hi pal Black Ant ek jhtke se Jay ke right hath ko apni taraf khichta hai aur Jay ka Right hath bhi kohni tak pura ukhad kr Black Ant ke hath me aa jata hai.
Jay ke dono hatho ko khtam karne ke baad Black Ant aaram se piche mud jata hai. Aur apne left hath me pakde hue uske Right hath ko wahi niche jamin pr gira kar aage chl deta hai.
Jay ke dono hath se jaise khoon ka fawwara bah raha ho. Aur wo dard se cillaye ja raha tha.
ROARRRR.....
Jump....
Black Ant Jay ko marne ke baad Aage ja raha hota hai. Tabhi Sachin jo ki kab dete sub hota hua dekh raha tha wo bhi bahut jor se gurrate hue Black Ant ke upar jump laga deta hai.
SWOSSSSSS....... SWOSSSSSS.....
TAP.... TAP.... TAP....
Lakin isase phle ki Sachin kuch kr pata, jaise hi wo Black Ant ke paas pahunchta hai Black Ant Samne ki taraf jate hue Sachin ki taraf bina dekhe hi hawa me hi uske upar so apne right panjo se Sachin ke upar do baad Attack kar deta hai.
Aur fir aaram se apne raste aage jane lagta hai. Jaise hi Sachin niche jamin par aata hai wo dekhta hai uske chest par Black Ant ke sharp panjk ke bahut sare aur bahut gahre nissan hai. Aur 5sec baad her ek jakhm se kafi blood niklne lagta hai.
Sachin bhi ab apne dard ke karan apna chest pakd kar baith jata hai.
SLASHHH......
BISOOM.......
Aaahhhhh.......
TAP... TAP... TAP....
Thoda aage jane par hi Black Ant ko apne samne Anubhav khada milta hai. Anubhav apne hath ko aage karke ek spell bolne hi wala hota hai ki agle hi pal Black Ant apne right panjo se uske upar Attack kar deta hai.
Aur wo panje Anubhav ke kamar se le kr Chest kar 3 gehre nishan banate hue upar uske face ki taraf chle jate hai. Aur jaise hi Anubhav ke face ke paas pahuchte hai. black Ant ek punch niche se uske Jabde par maar deta hai.
Anubhav ke muh aur chot se kafi blood niklta hai. Aur wo bhi wahi jamin par dhamm se karke gir jata hai.
Run.... Run... Run....
SWOSSSSSS.......
Abhi Black Ant Anubhav ko punch maar hi raha tha ki Hari thodi si hi duri se Black Ant ke piche se Apne bow ki help se ek ice Arrow uski taraf release kr deta hai aur apne man me sochta hai ' Agar mai is distance se apna shot relese krunga to mera shot kabhi bhi miss nahi ho skta hai.
Hari ne apne arrow ko Black Ant ke Face ki taraf release kiya tha.
TADDD.....
TADAK.....
Lakin jaise hi wo ice Arrow black Ant ke face se bas 2 ince ki duri par rahta hai. Turant hi Black Ant apne right hath se us Arrow ko pakd leta hai. Aur apni gardan ghuma kar Hari ki taraf dekhte hue apne usi hath se hi bade aaram se us ice Arrow ko toddeta hai.
Jump....
BISOOM.......
Aaahhhh.......
DHAMMM......
Aur turant hi Black Ant apne jagah se ek long jump karke Hari ke samne phuch jata hai. Aur turant hi apne right hath se ek punch uske pet me maar deta hai. Aur Hari apni jagah se udate hue bahut dur ja kr ek diwar se takra kar gir jata hai.
BISOOM.........
Caaarrr........ Caaarrr.......
Abhi Black Ant fly karte hue Hari ko aur marne ke liye uske paas jane hi wala hota hai ki use apne piche kisi kekhade hone ka ahsaas hota hai. Aur turant hi Black Ant piche mudne hi lagta hai ki ek punch sidhe black Ant ke pet me lagta hai. Aur black Ant is powerful punch se puche ki taraf jane lagta hai. Lakin turant hi Black Ant apna dimak lagate hue apne dono pairo kepanjo ko aur left hath ke panjo ko jamin me gada kar kud ko rokne ki kosis karta hai. Aur 10 feet aur aise hi khiskane ke baad Black Ant ruk jata hai.
Rukne ke baad Black Ant apna sirutha kar smne dekhne lagta hai. To uske samne koi aur nahi Jay hi khada tha. Jiske dono hath ab wapas se binkul thik ho chuke the.
Jay, Black Ant ko ek smile ke sath dekhte hue kahta hai " Bhale hi tmne mere dono hatho ko kohni se ukhad kr mere se alag kar diya tha. "
" Lakin jab tak mere paas Huntur Ajay hai mujhe kuch bhi nahi ho skta hai. "
Ji ha dosto jaha Black Ant baki sare hunturs ko injured karne me busy tha. Usi time Ajay Jay ko apne powerful healing ability se thik kar raha tha. Aur usi ka natija tha ki ab jay ke dono hath wapas bilkul thik ho chuke the.
Ajay is time sbse piche khada tha aur wo kisi ko dikhayi nahi de raha tha. Usne apne book ko open krke hawa me rakha hua tha. Ajay ke sath uski sari chije book nd all sub is time hide the.
Ajay , Jay aur Black Ant ki taraf dekhte hue apne man me ' Mai apne protection skill jiska name ' CAMOUFLAGE ' hai uske karan hide ho pa raha hu. '
' Quki yes skill mujhe Bahut hi low almost hind kr cuka hai. Sath hi me isne mere presence ko bhi puri tarah se hide kar liya hai. '
' Lakin is skill ka ak disadvantage ye hai ki is skill ko use krte time mai apne jagah se bilkul bhi nahi move ho skta hu. '
' Lakin mere khyal se ek healer ke liye ye ek acha sauda hai. '
' Bhale hi Ye Black Ant mujhe marna cahe. Lakin use mere thikane ke bare me hi jab pata nahi chlega to kya ganta wo muje maar payega. '
' Jab tak mere team ke paas meri healing ability hai. Wo itni jaldi isase nahi haar skti hai. '
SWOSSSSSS.......
BOOM.... BOOM...
BOOM.... BOOM...
BOOM.... BOOM...
Aahhhh.....
Jaha Ajay ye sub sochte hue Black ant aur Jay ki fight dekh raha tha. Wahi Jay, Black Ant se fight krte hue uske face par ek powerful pahuch marta hai. Lakin Black Ant furti me in sub se kafi aage tha wo turant hi niche juk kar Jay ke is punch se to bachta hi hai. Sath me wo apne right hath meJay ka right leg pakad leta hai. Aur uske baad de Dana Dan wo Jay ko hawa me apne ek hath se hi bade aaram se ulta utha kar apne dono side ke jamin par bahut jor jor se patakne lagta hai. Jaise wo 100kg se jyada ka Jay nahi koi Toy ho.
Abhi wo Jay ko patak hi raha tha jisase Jay ko bahut chot lag rahi thi. Aur uski dard bhari karahne ki aawaj nikal rahi thi ki agle hi pal us Black Ant ki aakhe chmak uthati hai. Aur WO Jay ko patakte hue hi Jaha Ajay kud ko hide kiya hue khada tha waha ektak dekhne lagta hai.
Black Ant ko apni taraf hi dekhta paa kar Ajay ke to hose hi uad jate hai. Uske face se pasine ki badi badi bunde niklne lagti hai.
Ajay bahut jyada shocked aur dar se Black ant ki taraf dekhte hue apne man me ' Meri CAMOUFLAGE skill activat hai, to ise to ata nahi hona cahiye ki mai kaha hu... '
' Lakin.... ? '
Run... Run....
Aur kuch Second Ajay ki taraf dekhne ke baad Black ant ki aakhe coldness se bhar jati hai. Aur wo Jay ko wahi patak kar full speed me Ajay ki taraf nikal jata hai.
Sachin bahut tej chilla kar " Ajay..... "
Lakin tab tak bahut der ho cuki thi quki Black Ant ne apne jagah se bhate hue Ajay ke piche pauch jata hai aur turant hi apne right hath ko Ajay ke back se body ke ander pura ghusa kar uske heart uske chest se bahar nikal kar wapas se apna hath piche kich kar apne hath me le leta hai.
Ajay ko apne jagah se move hone tak ka chance nahi mila tha us skill ke karan. Aur is time uske body me hear ki side se aar paar saaf dikh raha tha.
DAK... DAK...
Ajay ka jo heat Black ant ke hath me tha wo bahar niklne ke baad bhi bas kuch Second dadakta hai aur fir shaant ho jata hai.
DHDHAM......
DHAMMM.....
Ajay ki body wahi jamin pr pet ke bal gir jati hai. Aur sath me Sachin bhi apne jagah Ajay ka ye haal dekhte hue sadme se DHAMMM se gir jata hai.
Sachin apna ek hath Ajay ki taraf karte hue jor se chilla kar " Ajay...... "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Xhlo finaly rider sbb fight ma in ho gaay hnUPDATE - 100
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Black Ant waha Queen Ant ke tunnel me pahuch jata hai. Aur bina kisi ke taraf dyan diye wo sidhe Queen Ant ke kate hue bade se sir ke paas chla jata hai. Aur apne full aurakq release krte hue kafi jor se chillata hai. Uske baad wo ek ek karke sare indian Hunturs ko bahut buri tarah injurd kar deta hai. Lakin Ajay ki healing power se Jay wapas se sahi ho jata hai aur Black Ant se wapas se fight krne lagta hai. Lakin Black Ant is baar bhi Jay ko bahut buri tarah marne ke baad Ajay ko dundh leta hai aur apne hath se uska dil nikal kr bahar khich leta hai.
AB AAGE.....
Jb us Black Ant ne apna hath Ajay ke back se uske body me daala tha tabhi Ajay apne samne khade Sachin ko dekhte hue bahut jyada pain aur kuch surprise ke sath bhaut fikar se kahta hai " B......bhai ! "
" Ple.. please yaha se bhag jao..... "
Ye sub dekhte hi Sachin sadme ke karan apne jagah ghutno ke bal gir jata hai. Lakin agale hi pal jo hota hai wo usase bhi bahut bura tha.
SWOSSSSSS......
DAK.... DAK.... DAK....
Black Ant apne hath me Ajay ka heart pakd kr uske body se bahar nikal leta hai. Uska dil Black Ant ke hath me aane ke baad bhi kuch Second ke liye dhrakta rahta hai. Aur agle hi pal Black ant Ajay ke heart ko kisi ball ki tarah masal deta hai.
GHUPPPP.........
DHAMMM........
Ye sub dekh kara jaha phle se sare indian Hunturs sadme me us Black Ant ko aur uske hath me abhi bhi pakde hue Ajay ki body ko dekh rahe the, ki akdam se Wo black Ant apna bada sa muh kholta hai aur Ajay ke sir ko pura ka pura ek baar me hi kha jata hai. Aur apne dono hatho se pakdi hui Ajay ke body ko wo chor deta hai. Aur Ajay ki sir kati body niche jamin pr pet ke bal gir jati hai.
Ye scene dekh kr to Jay, Anubhav, Hari, Cameraman sbki aakhe fati ki fati rah jati hai. Ye sub bas muh fade kabhi Us Black Ant ko to kabhi Ajay ki body ko dekhte.
Jump.....
Arghhhhh.......
Lakin In sub ke viprit Sachin ye scene dekh kr gusse se pagal ho jata hai. Kaha ek pal pahle wo bahut jyada sadme aur gum me tha. Wahi Black Ant ko Ajay ka sir khata dekh kr wo pgl ho jata hai. Aur apne jagah se kisi ghayal Lion ki tarah bas ek jump laga kar gurrate hue Black Ant Ke sir ke samne pahuch jata hai. Aur apne dono hatho ko panje ki tarah faila kr bas uspar Attack krne hi wala hota hai ki, Black Ant ne bade hi aaram se agle hi Second hawa me hi Sachin ko uske gardan se pakd liya.
Aur use apne right hath se pakde hue hi phle se hi jyada hawa me ucha utha diya.
Uske hath Sachin ke gardan par kaste hue hi ja rahe the. Jisase Sachin apne beast form se transformed ho kar ab phle ki tarah hi wapas human me change ho gaya tha.
Sachin apne dono hatho se Black Ant ke Right hath ko pakad ke apne full strength se uske hath se chhutne ki kosis karta hai. Lakin uski sari mehnat bekar hi sabit hoti hai.
" Bhai..... "
" Bhago..... "
" Please Yaha se bhag jao bhai..... "
Sachin ko aisa lagata hai jaise Us Black ant ke ander se Ajay khoon ke aasu rote hue usase ye sub kah raha hai.
Lakin wo kuch had tak sahi aur kuch had tak is bare me galat tha.
Ye Aawaj kahi aur se nahi us Black Ant ke muh se hi nikal rahi thi. Aur ye kahna Ajay hi caah raha tha.
Darasal Black Ant ne apne sikar Ajay ka sirf sir hi nahi nigla tha. Uske sath sath usne uski mind me Collect sari knowledge aur power bhi paa liya tha.
Aur aisa bilkul bhi nahi tha ki Black Ant ne ye kaam anjane me kiya ho. Usne Ajay ke sir ko isi kaam ke liye nigla tha.
Aur abhi just Jo baat Black Ant ne kaha tha wo is liye quki marne ke time uska mind yahi kahna chahta tha Sachin ko lakin kah nahi paya.
Sachin abhi bhi waise hi hawa me Black Ant ke hatho me tha. Uske face se pasine ki boonde tapak rahi thi. Lakin Ajay kibate us Ant ke muh se sun kr use fir se gussa aata hai aur Sachin gusse me Black Ant ko ghurte hue dekh kr bas itna hi kah pata hai " Sale harami ki aulad ! "
" Kud ke aap ka pata nahi aur yaha muh utaye chala aaya hai. "
Black Ant, Sachin Ko ghur kar dekhte hue kahta hai " T...tum log.... "
" Kam....jor ho. "
" Queen ke upar yaha Attack hua . "
" Bhale hi tum logo ne Royal Guards ko bhi maar diya ho. "
" Lakin mujhe to abhi tak yakin nahi ho raha hai ki tum logo ne ye kiya kaise ? "
" Quki tum sub me koi bhi itna Strong nahi hai ki wo ye sub kar paye. "
( apne hath ko Sachin ke gardan par aur jor se kaste hue Cold tone me ) " Tum logo ka King kon hai ? "
Sachin apne dono hatho se puri strength se Black Ant ke hath ki kapad ko loose karne ki kosis karte hue confusion ke sath " kaisa King ? "
Fir Black Ant waise hi Sachin ko pakde hue pure Queen tunnel ko ek baar achi tarah dekhta hai.
Sabse phle use Aayat dikhayi deti hai. Jo ki tunnel ke ek side me behosh ya mari padi hui thi. Use dekh kr Black Ant apne gardan ko ek baar na me hilata hai. Aur aage dekhne lagta hai.
Ab use Anubhav dikhayi deta hai. Jiske chest me ek bahut hi jaghra jakham black Ant ke panje se ho rakha tha.is samay wo apne ghutno ke bal baitha hua tha. Aur Wo apne dono hath lagaye waha se blood rokne ki kosis kar raha hota hai. Use bhi dekh kr woapni gardan na me hila kar aage dekhta hai.
DHAMMM.....
Ab use Cameraman dikhayi deta hai. Jo ki Black Ant ko ap taraf dekhta pa kar hi dar se kaapne lagta hai. Aur dar ke karan wahi dhamm se piche ki taraf gir jata hai. Iske baad Black Ant bari bari phle Hari fir Jay ko dekhta hai. Lakin phle ki tarah woin sub ko bhi dekh kr apna sir na me hila deta hai.
Tabhi achanak se Black Ant ko kuch feel hota hai. Aur wo turant hi apne gardan ko ghuma kar Tunnel ke Entrance ki taraf dekhne lagta hai. Aur Black Ant ki aakhe phle se halki choti ho jati hai.
Black ant " yaha se bahar.... "
" To wo yaha nahi balki yaha se bahar hai. "
Fad...Fad... Fad....
Fad...Fad... Fad....
Aur Itna kah kar wo Black Ant Sachin ko wahi baki indian hunturs ki taraf fek kar fly karte hue teji se Tunnel ke bahar nikal jata hai.
Sachin bhi kud ko smbhalte hue apne ghutno ke bal baith jata hai. Aur apne left hath se apna gala sahlate hue phle khasta hai fir kuch der soch kar kahta hai " Yaha se bahar ? "
" Kya ab ye Black Ant, Ryuji Koto ke paas ja raha hai ? "
Fir apne aap ko puri taraf se sambhalne ke baad Sachin himmat karke khade hote hue apne man me kahta hai ' Abhi ye wakt mere aise baithe rahne ka nahi hai. '
' Hum sub logo ko ye jagah us harami Ant ke wapas aane se phle jldi se chorni padegi. '
BUN.... BUN..... BUN.....
BUN.... BUN..... BUN.....
BUN.... BUN..... BUN.....
Tabhi Sachin ko Entrance se bahut si Ants Fly karte hue un logo ki taraf aate hue dikhayi deti hai.
Sachin un sb Ant's ki taraf dekhte hue " Fuck ! In sale Ant's ko bhi abhi hi yaha aana tha kya !!! "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
A-ALPHA TEAM SIDE
ALPHA team ke tino Members Ryuji Koto, Mari Ishida aur Minoru Hoshino bhut speed me bhagte hue C-CHARLIE team ke taraf bhag rahe the.
Mari Ishida bhagte hue " Ajib baat hai. "
" Phle hum logo ka C-CHARLIE team se connection tuta uske baad unko dundhne gaye D-DELTA team se bhi hamara connection break ho gaya. "
Ryuji Koto bhi sbse aage bhagte hue kahta hai " Kya waha signal ke sath koi problem hai ? "
" Quki agar aisa nahi hota to un logo ke sath hmara communication aise break nahi hota. "
" B-BRAVO team respond kro. "
Udhar se bluetooth pr Kanae Tawata jawab deti hai " Ha BRAVO team sun rahi hai. "
Ryuji Koto " Kya tum logo ka bhi CHARLIE aur DELTA team ke sath koi contact nahi ho pa raha hai ? "
Kanae Tawata " Ha hum logo ka bhi contact bas ALPHA team ke sath ho pa raha hai. "
" Baki dono team ke sath hmara bhi koi contact nahi ho pa raha hai. "
" Kya hum log waha ja kar unke bare me pata lagaye ? "
Ryuji Koto " Nahi uski koi jarurat nahi hai. "
" Hum log kud unka pata lagane nikal chuke hai. Tum log apne side ka kaam karke hmse milne ke liye taiyar raho. "
Kanae Tawata " Roger that. "
Uske baad B-BRAVO team ka call cut ho jata hai.
BEEEPPP......
Uske baad wapas se Ryuji koto ke paas kisi ka call aane lagta hai aur Ryuji Koto apne bluetooth se call receive karte hue kahta hai " Kya tumhe abhi bhi kuch kahna baki hai ? "
Dusri side se " Ye mai hu Koto. "
Ryuji Koto " President Matsumoto. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
AT THE COAST OF CHINA
China ke bhi coast me JEJU island ke Direction me kuch Warship khade the.
Unme se hi ek advance technology se less ek Warship ke main duck me Apne chair pr Ship ka Captain baitha hua tha aur uske left side me hi uska First man khada tha. Inke alawa baki sare Members apna apna kaam karne me busy the.
First man, Captain ki taraf dekhte hue " Aisa lagta hai India Ant tunnel ke ander is time kafi hangama kar raha hai. "
" Chlo kam se kam Ant Fly karke Filhal China to nahi aa skte hai. "
Captain samne screen par dekhte hue kuch sochne ke baad " Ha Quki Japanese Hunturs inki help kar rahe hai, mujhe aisa lagta hai ki ye log ye isliye kar rahe hai quki aisa karke wo apne Ryuji Koto ko ek National level huntur banan cahte hai. "
First man , Captain ki taraf dekhte hue " Haa aapne sahi kaha sir. "
" Quki her National level huntur ko Kam se kam Ek S Rank DENGEON clear karna hota hai. "
" Aur Ryuji Koto hi aisa ek lauta huntur bacha hai jisne S Rank DENGOUN abhi tak clear nahi kiya hai. "
Captain kuch sochte hue " Kya such me in Japanese Hunturs ka moto bad itna hi hai ? "
First man thode surprise se Captain ko dekhte hue " Aap kahna kya cahte ho sir ? "
Captain " Nahi aisa kuch khas nahi hai. "
" Sayad aisa sirf mujhe hi lag raha hai ki Japanese is opportunity ko media ke samne acha banane ke liye kar rahe hai. "
First man sochte hue " Hmmm.... "
Captain " Kisi bhi tarah se, Ryuji koto ki skill abhi bhi akele kafi nahi hai. "
First man thode surprise se " Kya such me aapko aisa lagta hai sir ? "
Captain smile krte hue " Well, Tmne agar Liu Zhigang ko dekha hota tab tmhe inke level me difference ka pata saaf chal jata. "
First man " Sir aisa lagta hai aap unke bahut bade Fan hai. "
Captain smile krte hue " Ha Tum caho to aisa kar skte ho. "
( Kuch der baad ) " Bhle jo bhi Case ho kisi na kisi ek party kr liye Raid bahut bada gamble sabit hone wala hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
C-CHARLIE TEAM SIDE
ALPHA team ke tino Members ab tak CHARLIE team ke area me aa cuki thi. Aur samne ka najara dekh kr Tino ko bahut bada shock laga tha tino hi apne apne jagah par khade aakhe fade apne samne ka najara dekh rahe the.
Dusri side se call par " Koto ? "
" Koto mujhe jawab do ! "
Lakin Koto to apne samne padi hui sare Japanese Hunturs ki body ko dekh kr sadme me tha. Mari Ishida ne apne muh par hath rakha hua tha. Wo to rahi thi.
Jabki Minoru Hoshino ye sub dekh kr gusse se laal hua ja raha tha.
Dusri side se " Kya hua ? "
Ryuji Koto samne dekhte hue " Hame kuch casualties hui hai. "
Dusri side se " Matlab hum log Indian Hunturs ke help karne ke chakkar me apne kuch teammates ko gawa chuke hai. Kya wo Soldiers Ant's se fight nahi kar rahe the kya ? "
Ryuji Koto " Bikul sahi kaha aapne. "
" In sub ka bas ek hi Matlab hai ki ye sub log weak the. Isiliye aapko fikar karne ki koi jarurat nahi hai. "
Dusri side se " Tum afi cold guy ho. "
" Well , hme sirf tmhari jarurat hai. In kuch logo ko khone se hme koi fark nahi padne wala hai. "
Ryuji Koto " Ji sir. "
Dusri side se " so India team Queen Ant ke sath fight kr rahi hai, maine sahi kaha na ? "
Ryuji Koto " Ha sir. "
" Abhi thodi der phle Jamming signals ke sath kuch dikkat hui thi. Jiske karan sare Ant's wapas Ant tunnel ke taraf chle gaye hai. "
" Mujhe thodi fikar hai ki iska kya effect padega. Lakin isase bahut jyada diffrence Nahi padna chahiye. "
( Rider ke bare me sochte hue ) " Quki Indian Hunturs ke strength ko test karne ke baad jo team is time Raid me participate kar rahi hai uske survive krne ke chances 0 percent hai. "
Dusri side wala band sigaar jala kr pite hue ek evil smile ke sath kahta hai " Achi baat hai... "
" Hum log media ko statement de denge ki Japanese Hunturs ne apna best try kiya. Lakin Indian Hunturs ke team ko khone ke karan hme majburan apne team ko is Raid se wapas bulana pada. "
" Unfortunately koto ka National level huntur banane ka aim sour me change ho gaya. "
Ryuji Koto " Hmara sare S Rank Indian Hunturs ko khtam karne ka ultimate aim aakhirkar successful ho gaya hai. "
Dusri side se " Apne sare logo ko waha se bahar nikal lo. "
Ryuji Koto " Yea sir. "
Uske baad call cut ho jata hai. Fir Ryuji Koto piche mud kar badi dono hunturs ko dekhte hue kahta hai " Hum log yaha se bahar ja rahe hai. "
Dono S Rank hunturs " Thik hai bade Bhai. "
Ryuji Koto " Hum log in logo ki body ko baad me yaha se nikal lenge. "
" Time..... "
Abhi koto aage kuch kahta ki use apne piche se koi bahut speed me aata hua feel hota hai. Aur koto turant hi ek side juk kr bachte hue apne sword ko nikal kar ready ho jata hai.
SWOSSS......
DHAMMM.....
Lakin tab tak Wo jo bhi koi tha wo Ryuji Koto ke side hat jane ke karan samne aayi hui Mari Ishida ka sir kaat kr uske body se alag kar deta hi. Sir ko wo apne hath me liye rahta hai. Aur uske gardan se khoon ka fawwara niklne lagta hai.
Minoru Hoshino ye dekh kr jor se chillate hue kahta hai " Ishida..... !!! "
Ye koi aur nahi wo Black Ant hi tha. Ab wo samne khada ho kar Ryuji koto ko hi ghur raha tha.
Ryuji Koto, Black ant ko dekhte hue apne man me ' ye baki ke Ant's ki tarah bilkul bhi nahi hai. '
" Ise mere liye chor do. "
" Minoru tum jao aur ja kar jldi se BRAVO team ko join kro. "
Minoru Hoshino " Lakin Koto bhai... "
Ryuji Koto, Black Ant ko dekhte hue hi kahta hai " Agar ye Ant strong hua to tum yaha rah kar kewal mere raste me aaoge. "
Run... Run...
Ye sun Minoru Hoshino waha se full speed me BRAVO team ke side nikal jata hai.
Ryuji Koto apne aura ko puri tarah se relese karte hue Black Ant ki taraf dekhte hue kahta hai " Hey Ant, tum kafi darawna aura relese kar rahe ho. "
Tap... Tap... Tap...
Black Ant, Mari Ishida ke sir ko apne left hath me pakde hue hi Ryuji Koto ki taraf aate hue kahta hai " Kya Tum King ho ? "
Ye sun kar phle to Ryuji Koto ko jhtka lagta hai ki aakhir ek Ant kaise bol skta hai. Yahi sochte hue wo apne man me smile krte hue sochta hai ' Ek beast.... Aur sahi kahu to ek Ant baat kar raha hai ... ? '
" Kya Mai king hu ? "
Fir kuch soch kar Apne sword wo aage karte hue Ryuji Koto kahta hai " Ha mai hi King hu. "
BOOM.....
BOOM.....
Ye sunte hi Wo Black Ant apne sharp panjo ko aaps me takrate hue apne full aura ko relese kar deta hai.
Ryuji Koto ko bhi ye bahut ache se feel hota hai aur wo bhi ab dar jata hai. Aur blank face ke sath apne man me sochta hai ' Ye kaisa immsen pressure hai ? '
( Rider ke bare me sochte hue ) ' Abhi jo mai feel kar raha hu. Aisa maine phle hi ek baar experience kiya hua hai. '
TADDDD.......
SWOSSSSSS........
DHAMMM.......
Aur agle hi pal Black Ant ek Attack karta hai Koto ke uapar lakin koto apne sword ko samne kar deta hai is Attack se bachne ko. lakin ye kya Black Ant to koto ki sword ko kisi lakdi ki tarah tod deta hai. Aur agle hi pal Ryuji Koto ka sir uske body se alag ho kar niche jamin par gir jata hai.
Aur waha charo taraf khoon hi khoon failne lagta hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE QUEEN ANT TUNNEL
BUZZZZZZ......
BUZZZZZZ......
Indian Hunturs ke upar kafi sari Ant's Attack karne me lagi hui thi. Lakin sbse aage rah kar Anubhav apne fire ke use se un sb ko jala kar rokne ki apni puri kosis kar raha tha.
Uske piche Sachin, Cameraman ke sahare khada tha. Aur uske hi bagal me Jay bhi khada tha. Sabhi abhi bahut jyada tention me the.
Sachin, Anubhav se kahta hai " Mr. Anubhav aap apne fire ke intensity ko aur bhi jyada kyu nahi bada dete hai ?! "
Anubhav sare Ant's ko rokne ki kosis karte hue " Agar maine aisa kuch kiya to mai yaha ke sare Oxygen ko fire jalane me use karke khtam kar dunga. Aur hmare saas lene ke liye yaha oxygen nahi bachega. "
Sachin apne man me ye sub dekhte hue ' Sare log yaha bahut buri tarah se injurd hai. '
' Agar Ajay yaha hota to kafi had tak in sub chijo se hmko chutkara dilwa deta. '
' Lakin uske ab yaha na hone se jo Damage hua hai use ab koi bhi bhar nahi skta hai. '
' Is time hum log ab kewal Anubhav ke hi in flames par nirbhar karte hai. '
BUZZZZZZ......
BUZZZZZZZZZZZZZ........
Anubhav apni puri strength laga kar in sub ant's ko rokne ki puri kosis kar raha tha. Lakin fir bhi inki sankhya bahut jyada hone ke karan wo puri tarah se safal nahi ho pa raha tha. Aur Ant's indian hunturs ke paas aur paas aati ja rahi thi.
Sachin samne dekhte hue fikar ke sath apne man me sochta hai ' Kya yahi end hai ? '
Ssssssssssss.........
BOOM.....
BOOM.....
Tabhi achanak se Sachin ke Parchayi me se ek Shadow nikal kar bahar aata hai. Aur in par Attack krne hi wale do Ant's ko rok deta hai. Ye koi aur nahi Rider ka hi ek Shadow KNIGHT tha.
Apne samne us shadow ko dekh kr Sachin ki aakhe badi badi ho jati hai. Aur wo apne man me sochta hai ' Ye Black knight kon hai ? '
Wahi us Shadow Soldier se jb in ant's ko sambhalna mushkil ho jata hai to wo ek signal bhej deta hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
RIDER APARTMENT BUILDING OUTSIDE
Rider is time apne ghar ke building ke bahar rode par khada tha. Jaha JEJU island ke Raid ke karan abhi koi bhi nahi tha. Pura sanatta faila hua tha waha par tabhi use ek signal milta hai aur wo sky me dekhte hue kahta hai " EXCHANGE ! "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Bhot kamal ka updte ha broUPDATE - 101
RIDER ENTRY ON JEJU ISLAND
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Black Ant Ajay ka sir kha leta hai jisase uske ander Ajay ki sari Knowledge aur power aa jati hai. Aur wo ab human's ki tarah bolne lagta hai. Ye dekh kr sare Indian Hunturs bahut jyada shocked ho jate hai. Aur Sachin gusse me use marne jata hai lakin Black Ant use aaram se rok deta hai. Uske baad wo King kon hai puchne lagta hai lakin yaha sare weak lagte hai use to wo bahar Ryuji Koto ke paas chla jata hai jaha wo Mari Ishida ko marne ke baar koto ko bhi ek baar me hi maar girata hai. Wahi Tunnel ke ander Anubhav apne fire magic se abhi tak Ant's ko roke hue tha. Lakin wo bhi unhe jayada der rok nahi pata hai. Abki lagta hai wo ab marne wale hai. Tabhi Sachin ko ek Shadow Soldier dikhayi deta hai.
AB AAGE.......
INSIDE THE QUEEN TUNNEL
Cameraman pasine se nahaya hua tha. Uske body se dar ke mare bahut sara pasina nikal raha tha. Aur apne samne itne sare Ant's ko dekh ke wo bahut jyada dara aur gabraya hua tha.
BUN.... BUN.... BUN.....
Tap... Tap... Tap...
Ek 3rd generation ka Ant fly karte hue aur ek 2nd generation ka bade se muh wala Ant jamin se teji me chalte hue dono uske paas aa rahe the. Unko dekh kr Cameraman kud se kahta hai " Mujhe to yakin hi nahi ho raha hai ki maine apne papa ke sath jo aakhiri baat ki thi usme maine unse bas itna hi pucha tha ki kya unhone khana khaya ki nahi. "
" Mujhe unke sath aur bhi jyada baat karni cahiye thi. "
" Papa mujhe maaf kar dena..... "
SWOSSSSSS........
Tabhi 3rd generation wala Ant fly karte hue Cameraman ke akdam paas aa kar uske upar Attack kar deta hai. Aur uske piche se hi 2nd generation ka Ant niche se us par Attack kar deta hai. Ye dekh kr Cameraman rote hue apni aakhe band kar leta hai. Aur apni mauth ka intejar karne lagta hai.
SWOSSSSSS......
GHUPPPP...... GHUPPPP......
Lakin jab kuch Second aakhe band karne ke baad bhi use kuch nahi hota hai use bas kuch aawaje sunayi deti hai. To himmat karke wo dhire se apni aakhe kholta hai aur jo najara wo apne samne dekhta hai use dekh kr uske hose ud jate hai.
Quki samne Ek badi si sword fly karne wale Ant ke chest me aur 2nd generation ke Ant ke Bade se muh me aar paar ho rakha tha. Aur sword se dher sara purple colour ka Ant blood niche jamin par gir raha tha.
Ye sword kisi aur ki nahi IGRIS ki hi sword thi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
NEWS CHANNEL HEADQUARTER
India me mostly jagah baraish ho rahi thi is time . Aur News channel ke hedquarter me Director apne dono hatho seapna sir pakde bahut jyada nirasha me baitha hua tha.
Direct dukhi hote hue " Sir ek Ant ki wajah se sare S Rank hunturs mare jayenge ? "
" Aakhir aise achank se ye kaha se aayi aur sari situation hi badal kr rakh di ? "
Tabhi piche se ek staff member chillate hue kahta hai " Chief ! Hmare viewers ke taraf se call ki flood aane ke hmara communication network almost die hone wala hai. "
Direct gusse se us employee ko upar lagbhag chillate hue " To mai kya karu ? "
" Kahi tum ye to nahi kahna cahte ho ki mai broadcast fir se start kr du jisase ki hmare country ki sari janta hmare S Rank huntur ko us Black Ant ke hatho marte hue, tukde tukde hote hue dekhe ? "
Ye sun kar wo employe santi se situation ko handle karne me lag jata hai.
Darasal hua ye tha ki Raid ko 10 min delay se live dikhaya ja raha tha. To jab news headquarter me Director ne us black Ant ko Tunnel me aate dekha aur uske hatho indian hunturs ki ho rahi buri tarah fitayi dekhi. Aur last me jab usne Ajay koaar dala tabhi Director ne broadcast ko stop karwa diya. Agr wo aisa na karta to puri country me hangama mach jata. Aur Director ka aisa sochna aur karna bilkul sahi bhi tha.
Director apne muh ko apne hatho se chupate hue nirasha se " Sub khtam ho gaya. Hmare liye ab sub khtam ho chuka hai. "
Tabhi achanak se jo employe main screen ke aage baitha hua raid ko live dekh kr apna kaam kar raha tha. Wo chillate hue kahta hai " chief ! Koi anjaan figure just abhi screen par dikhayi diya hai. "
Ye sun kar Director jaldi se bhagte hue maine Screen ke samne aakr kud live Raid ko dekhte hue kahta hai " Huh ? "
" Kya matlba hai tumhara isase.... ?! "
Wo employe jldi se " Ek baar yaha dekhiye to sir... "
Screen par jo chal raha tha wo dekhte hi Director ke hose hi ud jate hai aur uski aakhe badi badi ho jati hai. Uska muh khula ka khula rah jata hai aur wo kahta hai " Oh... My God ! "
" Mujhe to yakin hi nahi ho raha hai. "
( Fir agle hi pal wo kahta hai ) " jldi kro aur broadcast ko fir se start kro. "
Ye sunte hi wo main screen wala employe thoda shocked se kahta hai " Huh ? "
" Lakin agar hmne abhi ye broadcast start kiya to hme sub kuch live dikhana hoga. "
" Agar koi emargency ki situation banti hai to hum us situation ke sath deal nahi kar payenge. "
Director chillate hue " Hum logo ne phle hi apne broadcast ko ek baar stop kr diya hai. "
" To chije ab isase jyada buri nahi ho skti hai. "
" Ab hme kuch bhi nahi rok skta hai. "
" Broadcast ko abhi turn on kro cahe jo ho jaye. "
Fir Director Main screen ki taraf dekhte hue jaha Rider apne aura ko relese karte hue chal raha tha aur uske side me IGRIS aur uske baki ke sare shadow Soldiers unke piche the, kahta hai " Ab hmari sari ummid.... "
" Bas is ladke ke upar puri tarah se tiki hui hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE QUEEN TUNNEL
Tap.... Tap.... Tap....
Mai santi se chlte hue apne share shadow Soldier ko cross krte hue sbse aage jata hu. Mere Shadow Soldiers bhi mere liye respect ke sath rasta chorte jate hai. Abhi Shadow Exchange complete nahi hua tha. Sbse phle mera face uske baad upar se niche tak meri body black color ke smoke se Nikal kar samne aati ja rahi thi. Jaha jaha meri body show ho rahi thi waha se mere body me se purple color ka aura bahar nikal raha tha. Aur niche se black smoke me meri body gayab thi.
Maine yaha aate hi apne sare shadow Soldiers ko turant hi yaha bula liya tha. Aur wo sare paas ke sare Ant's ko yaha aate hi turant maar chuke the.
DING......
{ [ SKILL ]
[ SHADOW EXCHANGE LV. 1 ]
[ Class specific skill hai ye. ]
[ Ise use krne ke liye Mana ki koi jarurat nahi hoti hai. ]
[ 1. Is skill ki help se aap apne kisi bhi Shadow Soldiers ke sath place ko exchange kar skte hai.
2. Ek baar use karne ke baad is skill ko cooldown hone me 3 hour ka time lagta hai. Jiske baad hi is skill ko dubara use kr skte hai.
3. Cooldown ka time is skill ke level ke upar depend karta hai. ]
[ Aap is skill ko dubara use kr skte hai :- 2 hour 59 minute 46 Second baad ] }
Mai sbse aage aa kar khada ho jata hu. Aur mere piche mere sare Shadow Soldiers khade ho jate hai. Mai samne dekhne lagta hu. Aur mere sare Shadow Soldiers bhi.
BUN.... BUN.... BUN....
TAP.... TAP.... TAP.....
BUN.... BUN.... BUN....
Aur ab tak jo Ant's achanak se hum sub ke aane se thode confused ho gaye the ki ye kya ho raha hai. Wo sub bhi ab wapas se apne full speed me hum logo ki taraf badhne lage the. 3rd generation ke Red Ant fly karte hue to 1st and 2nd generation ke Gray color ke Ant's bhagte hue hamari taraf aa rahe the.
Mai apne Shadow Soldiers ki taraf thumbs up krke kahta hu " Acha kaam kiya tum logo ne. "
DING....
{ [ ITEM ]
[ ITEM :- THE DEAMON KING DAGGERS ]
[ ITEM RANK :- S ]
[ ITEM TYPE :- DAGGER ]
[ Attack + 220 ]
[ 1. Is Dagger ko Deamon King BARAN ko marne ke baad paya gaya hai.
2. Dono dagger ko ek sath use krne par ek set Effect apply hota hai.
3. SET EFFECT :- ' TWO FOR ONE '
Her ek dagger ke Attack me holder ke state jitni power hogi. ] }
Mai apne inventory me se Deamon King BARAN ko marne ke baad mile dono daggers ko nikal kar apne dono hatho me pakad leta hu.
Run.... Run.... Run....
SWOSSSSSS...... SWOSSSSSS........
SLASHHH....... SLASHHH.......
Aur agle hi second mai teji se bhagte hue apne samne aa rahe Ant's ke upar unki mauth ban kr tut pakdta hu. Mai bina kisi pareshani ke speed me bhagte hue apne dono hatho me pakde Dagger ko bahut hi furti aur power se chalaye ja raha tha. Jiske mere dono taraf samne aane wale sare ant's Gajar, muli ki tarah kat rahe the.
Cahe wo kisi bhi generation ka Ant ho na meri speed kam ho rahi thi. Na hi un ant's ko marne me mujhe koi pareshani ho rahi thi.
Mai jaha se jata waha par bas Ant's ki tukdo me kati body aur dher sara purple colour ka blood jamin par milta.
Wahi TUSK mere hi order ko follow karte hue sare indian Hunturs aur Cameraman ko protact karte hue unke aage khada tha. Aur usne apni magic se samne wahi badi si transparent shield bana di thi.
Taki agar galti se koi Ant waha pauch bhi jaye to wo transport Shield se takra kar wahi ruk jaye aur us jagah se aage na ja paye.
Sachin, Jay, Anubhav aur Cameraman sare aakhe fade samne mujhe aur mere Shadow Soldiers ko ek tak dekhe ja rahe the.
Jay bahut jyada shocked ke sath samne dekhte hue " Y.....yaha achank se ye sub kya ho gaya ? "
" Is samay in ant's ke sath kon fight kar raha hai ? "
Sachin dhyan se meri taraf dekhte hue " Master Jay ab hum logo ko fikar karne ki koi bhi jarurat nahi hai. "
" Ab se sub sahi ho jayega. "
SWOSSSSSS...... SWOSSSSSS......
SWOSSSSSS...... SWOSSSSSS......
IGRIS bhi bahut teji se apne samne aane wale sare ant's ko apni badi sowrd se khtam karte ja raha tha. Uske sword ka Attack bhi itna khtarnak tha ki, wo ek baar apne sword ghumata aur 4 se 5 Ant's ki body jagah jagah se kat kar niche jamin par gir jati. IGRIS mostly Ant's ka sir hi katne me laga hua tha.
Wahi meri dusri tarah IRON aur TANK Ant's ka safaya karne me lage hue the.
TANK to ek Ant ko apne muh me daal kar khata to uske sath hi apne aage ke dono panjo se do Ant's ke body ko apne sharp panjo se chir faad deta.
IRON bhi pure junun ke sath Ant's ko apne Axe se katne me laga hua tha.
Mai kafi sare Ant's ko marne ke baad unki mari hui body ko dekhte hue kahta hu " kya hum yaha sub jldihi nipta denge ? "
" ARISE "
Ssssssssssss........ Ssssssssssss.......
Ssssssssssss........ Ssssssssssss.......
Mere itna kahte hi waha padi hui sari Ant's ki body me se black color ki energy upar ki taraf niklne lagti hai.
Ye dekh kr Cameraman ek baar fir se bahut jyada dar jata hai. Aur meri taraf dekhte hue dar se apne man me sochta hai ' Ye kya hai ? '
' Aakhir yaha ho kya raha hai ?! ".
' Kya ye Ant's wapas se jinda ho gayi hai ?! '
Aur uska aisa sochna aur aisa react karna bikul jayaj tha. Quki usne Aaj tak aisa kuch hota hua kabhi bhi nahi dekha tha.
Mere Arise kahte hi Waha mari padi sari Ant's mere Shadow Soldiers me covert ho jati hai. Aur meri taraf dekhne lagti hai.
Aur mai unhe baki ke jinda Ant's ko marne ka order de deta hu.
Cameraman ye sub dekh kr to sadme me hi ja chuka tha. Tabhi uske sir me lage helmet ke speekar se aawaj aati hai " Hey !kya tum waha ho ? "
" Jldi se waha ki situation ko telecast karo abhi ke abhi. "
" Puri country hme is samay dekh rahi hai. "
Ye sun kar Cameraman us sadme se bahar aata hai lakin puri tarah se nahi aur wo samane dekhte hue kahta hai " Uh... Uhh..... Y...yaha tak ki mai kud bhi sure nahi hu ki yaha abhi kya ho raha hai.... "
" Mai sure nahi hu ki aisa kyu ho raha hai, lakin Ant's ek dusre ko maar rahi hai. "
Aur such me ho bhi yahi raha tha. Actually jo ant's meri Shadow Soldiers ban cuki thi ab wo bhi jinda bachi hui Ant's ko marne me lag gayi thi. Koi kisi ant ko khaa rahi thi to koi kisi ant ka sir aur hath pair kaat rahi thi.
Ye sub karne ke baad mai Indian Hunturs ke paas hi ek jagah bhagte hue aata hu aur unko dekhte hue kahta hu " Sare log please yaha aa jaiyye. "
Mere itna kahte hi Sare Indian Hunturs yaha aa jate hai. Aayat ko Jay to Hari ko Anubhav utha kar apni god me waha late hai aur aaram se jamin par leta dete hai. Dono hi behosh rahte hai.
Fir mai sbke samne hi apne system ke store me se healing aur medicine wale kuch samll bottel nikalta hu. Unhe apne hath me le kr dekhte hue mai apne man me sochta hu ' Are haa.... ! "
" Mai in logo ko ye sell nahi kar skta hu. Aakhir ye log jo kar rahe hai ek hmare country ke liye hi kar rahe hai. "
Fir mai ek ek bottel subko deta hu aur Aayat ke liye ek bottel Jay ko extra deta hu. Aur mai kud Hari ko ek bottel se wo medicine pilate hue kahta hu " Mai sari bate aap sub ko baad me explain kar dunga. "
" Lakin abhi ke liye please bas ise drink kr liyiye aap sub. "
Meri baat sunte hi sare Indian Hunturs aage bina koi swal puche wo medicine pi lete hai. Aur us medicke pite hi sare Indian Hunturs ki sari injury sari chot sub bilkul thik ho jati hai. Sath me un sub ka mana bhi puri tarah se recover ho jata hai. Hari bhi ab apne hose me aa jata hai.
Sachin kafi shocked se kud ko dekhte hue " Meri sari chote bikul sahi ho gayi hai. "
Baki sare hunturs ka bhi yahi reaction rahta hai. Lakin abhi tak Aayat ko hose nahi aata hai. To Jay mujhe Aayat ke paas bulata hai. Mai Aayat ko dekhta hu jiske muh se abhi bhi halka halka blood aa raha tha. Mai apne system ke Store me se ek aur bottel nikal kar Aayat ko pilata hu. Lakin abhi bhi uske upar koi fark nahi padta hai.
Jay, meri taraf dekhte hue " Aisa kyu hai ki Huntur Aayat ko abhi tak hose kyu nahi aaya hai ? "
Fir mai apne System ke help se Aayat ko check krta hu. Tab mujhe pata chalta hai ki Aayat ki condition bahut buri hai.
Mai Aayat ko dekhte hue uska hath pakd kr Jay se kahta hu " Ye abhi bahut hi critical State me hai. Aur mai apne abhi ke Skills ke sath inko thik nahi kar skta hu. "
Mujhe pata nahi kyu Aayat ko aise dekh kar bahut bura lag raha tha. Sath me gussa bhi aa raha tha kud par ki kyu maine us din Aayat ke shadow me se maine apne Shadow Soldiers ko hata liya.
Actually hua ye tha ki koto se fight waledin sabko check krne ke baad maine apne shadow ko Koto, Sachin, Anubhav me hi rahne diya tha. Quki sare Japanese Hunturs me mujhe koto ke alawa aur kisi se koi matlab nahi tha. Aur India hunturs me bhi mai abhi tak bas Anubhav aur Sachin ko hi janta tha. Baki sub Hunturs abhi mere liye Anjan hi the.
Isi liye jab Ajay aur baki Japanese S Rank huntur mare to mujhe kuch pata nahi chala. Aur Aayat, Hari ke behosh hone par bhi mujhe kuch pata na chla. Last me jb Ant ne Sachin ke upar janaleva hamla kiya to mere Shadow Soldiers ne mujhe information de diya. Aur mai turant hi yaha aa gaya.
Nahi to agar mujhe Baki kisi bhi ek member ke marne ka pata chl jata to mai turant hi yaha aa gaya hota.
Mai apne man me Aayat ki heartbeat check krte hue ' Inke senses to weak hoti ja rahi hai. '
Tab mai halke gusse me Jay se puchta hu " Yaha ab tak kya hua tha ? "
" Aur Miss Aayat ki aisi halat kaise ho gayi ? "
Fir Jay mujhe suru se le kar ab tak kya kya hua wo sub bata deta hai. Aur ye sub sun kar mujhe kafi gussa aata hai. Lakin mai kud ko control me rakhte hue Jay se jldi se kahta hu " Aisa lagta hai ki ye jagah ab clear ho cuki hai. "
" Isase phle ki Yaha aur bhi dher sari Ant's aaye aur aap sub ka rasta roke. Aap sub logo ko jldi se abhi turant yaha se nikal jana cahiye. "
Jay meri taraf dekhte hue " Ha hum sub abhi yaha se nikal jayenge. "
Tabhi mujhe kuch feel hota hai aur mai turant hi tunnel ke entrance ke taraf dekhne lagta hu.
TAP.... TAP.... TAP.....
Tunnel ke entrance se Black Ant Apne powerful aura ko relese karte hue ander hmari hi taraf aa raha tha.
Black Ant " King Bahar bhi maujud nahi hai. "
" Jo tha wo King nahi tha. "
" Kya yaha koi King hai ? "
" Kya yaha koi aisa hai jo king ban skta hai ? "
Sachin Black Ant ki taraf dekhte hue bahut jyada dar ke sath kahta hai " Ye sala, harami yaha wapas aa gaya hai.... "
" Kya iska Matlb ye hai ki koto bhi iske hatho mara gaya hai ? "
Jay, Black Ant ki taraf dekhte hue dar ke sath mujhse jldi se kahte hai " Huntur Rider yahi hai wo black Ant jisne Ajay ko mara aur hum sub Indian Hunturs ka ye haal kiya hai. "
" Ab to ye yaha aa gaya hai ab hmara kya hoga ? "
Mai apni jagah se khada ho kar Black Ant ki taraf dekhte hue kahta hu "Huntur Jay mai Huntur Aayat ki dekhbhal aapke upar chorta hu. Inka dhyan rakhna aap bas. "
Jay fikar ke sath mujhe dekhte hue "Huntur Rider uske paas mat jao.... "
Baki sare hunturs bhi mujhe Black Ant ke paas jane se mana karte hai.
Tap.... Tap.... Tap....
Lakin mai sbki baat ko ignore karte hue aage Black Ant ki taraf chala jata hu.
Black Ant ko dekhte hue mai apne man me sochta hu ' Mujhe phle hi smjh jana cahiye tha jb mera, mere us shadow ke sath signal disconnected ho gaya tha jise maine Ryuji Koto ke sath lagaya hua tha. To iske mtlba Koto mar gaya hai. '
TAP..... TAP..... TAP.....
Tap.... Tap.... Tap....
Black Ant mere taraf aate hue " Kya tum humans ke king ho ? "
Mai ek smile ke sath Black Ant ko dekhte hue " Wow... Ek bug mere sath baat kar raha hai. "
Fir hum dono ek dusre ke ekdam paas phuch jate hai. Black Ant ka Red aura aur mera purple aura hmare ander se releho kar bahut hi bayank dikh raha tha. Hmare aura ek dusre ko overcome karne ki kosis kr rahe the.
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Kamal ke fight ke ha rider naUPDATE - 102
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mereJEJU island jane ke baad ekdam se sari situation change ho jati hai. Mai waha jate hi apne sare Shadow Soldiers ke sath mil kar Ant's par kehar ban kr tut padta hu. Kafi ant's ko marne me baad mai un sub ko apne Shadow Soldiers me convert kar deta hu. Aur wo sub ab ant's ko marne me lag jate hai. Fir mai sare India hunturs ki injury ko apne system ke store se milne wale liquid medicine se thik kar deta hu. Lakin Aayat ke upar usase kuch khas effect nahi padta hai. To mai sare India hunturs ko yaha se nikal jane ko kahta hu. Tabhi waha ek baar fir se Black Ant aa jata hai.
AB AAGE.......
Black Ant mere samne apne powerful dark red aura ko relese karte hue mujhe dekh raha hota hai. Lakin mujhe isase koi fark nahi padta hai. Mai bina dare uski aakho me dekh raha hota hu.
Mera Aura uske aura ko supress karne lagta hai. Ye dekhte hue wo Black Ant mujhe dekhte hue " Human..... Tmhare paas bhut hi dangerous aura hai. "
SCREEEEEEEECCCCHHHHH...........
Us Black Ant ne ye baat bikul Ryuji Koto ki tarah boli thi. Aisa mujhe feel hota hai.
Lakin tabhi achanak se wo 9 se 10 feet ka black Ant apne Wings ko pura faila kar, mujhe dekhte hue aur darane ki kosis karte hue apne full aura ko relese karne ke sath hi bahut hi tej chillata hai.
Isase hum dono ke aas paas ke niche pade hue chote chote stone hum dono ke charo taraf ek chota sa tufan bana lete hai aur idhar se udhar udane lagte hai.
Lakin mere upar isase bhi koi fark nahi padta hai. Balki mai darne ki jagah smile karne lagta hu aur Black Ant ko dekhte hue kahta hu " Ab kahi ja kar tum ek bug ki tarah lag rahe ho. "
Ye dekh kr to wo black Ant to gusse se pagal ho jata hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
IN INDIA
5 MINUTE EARLIER
Is time india me kafi tej barish ho rahi thi. Aur almost pure India me is time aisa lag raha tha jaise carfew laga ho. Dundhne se bhi log bahar nahi dikh rahe the. Sare log is time Raid dekhne me busy the.
Koi TV, koi Smartphone to koi Computer jise jaha ho pa raha tha. Wo waha Raid dekhne me busy tha. Lakin Raid ko broadcast karne wale news channel ne broadcast ko stop kar diya tha. Aur aisa unhone kyu kiya tha ye to aap sub ko pata hi hai.
Her jagah screen par ek hi massage dikhayi de raha tha " Broadcast ko jldi hi start kar diya jayega. Hum Broadcast ko wapas se suru karne ke liye kaam kar rahe hai. Hum aapko hui is asuvidha ke liye maafi mangate hai. "
1st scene :-
Rahul smartphone me dekhte hue " Waha Hunturs logo ke sath kya ho raha hai ? "
" Ye kuch bata kyu nahi rahe hai ? "
Anjana bhi apne smartphone me news channel ki site par dekhte hue " Wo abhi kuch der pahle jo Ant dikha tha wo kya tha ? "
2nd scene :-
Manish apne smartphone me dekhte hue gusse se chilla kar " Ye log aisa Broadcast ko bich me kaise rok skte hai ? "
Vivek, Manish ko aise chillate hue dekh kr kahta hai " Bade bhai ! Waha abhi aakhir kya ho raha hai ? "
Tabhi news channel ke screen par ek man aur women anchor dikhayi dete hai.
Man " Ahhh..... "
" Hme abhi jo confirm news mili hai hum ab aapko uske bare me batane ja rahe hai. "
" Transmission ke through hme pata chla hai ki Ajay ab mara ja chuka hai. "
" Aur tunnel ke andar maujud sare hunturs ke life ki safety ki bhi koi garrenty nahi hai. "
Ab tak is Raid ko dekhte hue jaha sare indian khusi se jhum rahe the, ki unke country ke hunturs ne bhi S Rank DENGOUN ko ab clear kar hi liya hai.
Achank se news channel dhwara bataye gaye is news ko sun kar to smjho pure india me shoke ki lahar daud gayi ho. Pure country me matam cha gaya tha.
Sare hunturs bhi jo is time jagah jagah Phle se fight ko ready the un sub ko bahut bada sadma lagta hai.
Tabhi wo man news anchor jor se chillate hue kahta hai " Ahhh... ! Ek indentify huntur just abhi JEJU island ke tunnel me aaya hai. "
" Hum ab Broadcast ko wapas se suru kr rahe hai. "
Aur sare logo ko apne TV, smartphone, computer screen par Mai dikhayi deta hu. Aur mere piche meri puri shadow Soldier ki army.
Sare country walo ka mujhe screen par dekhte hi muh khula ka khula hi rah jata hai.
Sare hunturs bhi Sangam, Ragini, Aman, soniya, Manish sbki aakhe fati ki fati rah jati hai. Is time meri entry hi aisi thi ki her koi bina palak jhapkaye bas mujhe hi dekh raha tha.
Subke dimak me ek hi swal tha ki, mai to yaha India me tha to mai waha JEJU island me achnak se kaise phich gaya. Aur mere piche ye sare Shadow Soldiers aakhir hai kon ?
Quki ye first time tha jab normal humans meri skills ko dekhne wale the.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
JAPAN HUNTUR ASSOCIATION BUILDING
Ek 45+ age ka man 3pis suit pahne hue apne bade se cabin me apne chair par baitha hua sigar pi raha tha. Uske hair kaan ke paas dono side white the. Baki ke pure hair black the. Wo dekhne me kafi raub wala insaan lag raha tha.
TRIN.... TRIN.....
Uske samne table par rakha phone ring karta hai aur wo phone ko speekar par daal kar baat karne lagta hai. Ye call DRAW SWORD Guild ke vice Guild Master Reiji Sugimoto ka tha.
" Ant tmhara aura bahut hi dangerous hai."
" Kya tum king ho ? "
" Ha tmne sahi kaha. Mai hi King hu. "
" Keekeek "
BEEEEEPPPP......
Darasal Reiji Sugimoto Us dusre side ke aadmi ko Ryuji Koto se hui aakhiri batchit ko suna raha tha.
Ye aadmi koi aur nahi Japanese Huntur Association ka president tha. Jiska name Matsumoto Shigeo tha.
Uske baad Reiji Sugimoto bahut hi sad tone me kahta hai " Aur yahi par hm logo ka unke sath contact tut gaya. "
Ye sunte hi Matsumoto Shigeo gusse se apne dato ko jor se bhichta hai jiske karan uske muh me rakha hua sigar uske daato ke pressure se tut kar niche gir jata hai.
Matsumoto Shigeo apne man me 'Ek ant jo ki humans ki tarah baat karne me sakcham hai ?! Aur usase bhi kahi jyada shocked hone wali baat ye hai ki Koto ko us Ant ne akele hi maar giraya ?! "
Reiji Sugimoto is time usi Japan ke warship par tha jisase Queen ke signal ko Jamm kiya gaya tha. Wo abhi ek Screen ke samne khada tha jisme kai sare chote chote red dot dikh rahe the. Aur un sub ke bich ek bahut hi bada white dot dikh raha tha.
Ye red dot sare S Rank hunturs aur Normal Ant's ko show kr rahe the. Aur wo bada sa white Dot Black Ant ko show kr raha tha. Sayad ye machin magical energy ko sense karta ho.
Matsumoto Shigeo gusse se " Wo sala harami Monster Ant kaha hai abhi ? "
Reiji Sugimoto Screen ki taraf dekhte hue " Wo just abhi Queen ke tunnel me dubara se appear hua hai. "
Matsumoto Shigeo thode shocked ke sath " to Kya Indian Hunturs ki team abhi bhi jinda hai ? "
Reiji Sugimoto " Ha dekhne se to aisa hi lagta hai. "
Tbhi screen pr ek aur White dot dikhayi deta hai Black Ant ke size jitna hi. Ye dekh kar Reiji Sugimoto bahut jyada shocked ho jata hai aur jldi se chillate hue call par kahta hai " Just abhi hi Queen tunnel me appear hua hai jiske magical energy bahut hi insane hai. Aur wo Ant's logo ko Rival kar raha hai. "
Ye sunte hi Matsumoto Shigeo gusse me apne chair se khada ho jata hai aur apne samne khade employee se chillate hue kahta hai " Fuck the broadcast ! "
" Jldi se India me jo Broadcast ho raha hai use suru kro aur mujhe dikhao. "
Employee apna sir jukhate hue " Ji sir ! Abhi karta hu. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
RIDER HOUSE
Waha Sare India me log Raid dekhne me busy the. Wahi meri MAA is baat se anjan ghar me thi. Aur wo TV ko start krne ki kosis kar rahi thi. Lakin wo chalu hi nahi ho raha tha. Isi liye wo normal India ki tarah TV ko apne hatho se halke halke pitne lagti hai ki sayad wo tab start ho jaye.
Tak... Tak... Tak....
Tabhi ye shor sun kar achanak se Kavya bhagte hue Apne maa ke paas aati hai jo ki is time drawing room me thi.
Kavya, Mammy ki taraf dekhte hue kahti hai " Mom, Aap kya kar rahi ho ? "
Mom jo ki TV ke paas khadi thi wo Kavya ko dekhte hue kahti hai " Oh, kahi mai tumhe tmhare study me disturb to nahi kar rahi hu ? "
" Mujhe maaf kar dena beta. Lakin yeTV pata nahi kyu kaam hi nahi kar raha hai. "
Ye sunte hi Kavya achnak se kahti hai " Bhaiya kaha gaye hai ? "
Mammy Wapas se TV ko start krne ki kosis karte hue kahti hai " Wo bahar gaya hai. Usne kaha tha ki use kuch kaam hai isi liye wo bahar ja raha hai. "
" Kavya beta ye TV kaise kaam karta hai. Mujhe batao na beta. "
THUDD....
Kavya ye sunte hi jldi se door band krte hue apne room me ghus jati hai aur wahi se chilla kar kahti hai " Wait ! Ek Second ke liye rukiye mom mai abhi aayi. "
Ye dekhte hi mammy gusse me Kavya ke room ki taraf dekhte hue apne dono hatho ko kamar par rakh kar kahti hai " Ye aaj kal ke bache kuch jyada hi chillane lage hai. "
" Hmari koi baat hi nahi sunte hai. "
Darasal hua ye tha ki mujhe jaise hi mere shadow Soldier me Signal bheja mai apne gahr me ja kar Apne mom se kaam ka bahana bana kar bahar aa jata hu. Sath me mai TV ka cable bhi bahut hi sawdhani se nikal ke uske paas hi aise rakh deta hu ki kisi ko pata na chale ki cable nikla hua hai.
Aur Kavya ko to mere huntur hone ka aur mere JEJU island me na jane ke bare me sub phle se hi Social media se pata chal gaya tha.
Lakin jaise hi wo TV ko band dekhti hai uska dimak kaam karne lagta hai aur wo Mom se mere bare me phuchti hai. Aur usetab confirm ho jata hai. Aur kud ki baat ko sahi sabit karne ke liye wo apne room me ja kar Turant hi apna smartphone nikalti hai. Aur live broadcast Dekhne lagti hai.
Aur live broadcast par jaise hi wo mujhe dekhti hai uske to hose hi ud jate hai. Uska muh pura ka pura khula rah jata hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
AN HOSPITAL, DELHI
Xabhi aaj apne regular health check up ke liye hospital me aaye hue the. Aur wo bhi dr. Ke room me hi samne rakhe TV par live broadcast dekh rahe the.
Kadak... Kadak....
Jaise hi wo TV screen par mujhe JEJU island me entry karte hue dekhte hai. Excitement me wo jis chair par baith kar checkup karwa rahe the uska dono side ka hatha ki udhad dete hai.
Xabhi bahut jyada excitement ke sath " Ye Rider hi hai na ? "
Jo dr. Unka checkup kar raha tha wo xabhi ke achanak se aisa karne se dar jata hai aur darte hue kahta hai " Chairmen ! Please aap saant ho jaiye. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE QUEEN TUNNEL
BISOOM......
Mere smile krke Black Ant ko dekhne se wo gusse se pagal ho jata hai. Aur turant hi wo apne right hath se mere muh par ek bahut hi Powefull punch marta hai.
Crack.... Crack....
Ye punch itna powerful tha ki uske padte hi mere piro ke niche ki jamin puri tut jati hai. Aur usme bahut sare crack aa jate hai.
BISOOM......
BOOM.... BOOM.....
Crack.... Crack......
Lakin mujhe mere pairo par khada dekh kr Black Ant is baar apne pure strength ke sath ek punch aur marta hai. Is punch ke karan waha aisa lagta hai jaise chota sa earthquake aa gaya ho. Niche ki jamin aur bhi buri tarah tut jati hai. Jisme se stone hawa me upar ud jate hai. Jaha mai khada tha waha dust ke karan bas smoke hi smoke fail jata hai. Jo ki udate hue pure Queen chember me bhar jata hai.
Anubhav bahut jyada shocked aur fikar ke sath samne dekhne ki kosis karte hue " Iske magic ki strength bahut jyada insane hai. "
Sachin fikar ke sath " Hmne Ant ko bahut kamjor smjha. Lakin Usne to ekdam direct hit liya hai. "
" Kya wo bacha hoga ? "
Dhire dhire Chamber me se dust khtam hone lagta hai aur dikhna start hone lagta hai. Jaha sare indian Hunturs ko bas Black Ant hi khada dikhayi de raha tha.
Black Ant samne dust me dekhte hue " Kamjor... "
" Tum bhi King nahi ho. "
Tabhi samne se Dust saaf ho jata hai aur waha ka najara dekh kr Black Ant aur sare Indian Hunturs ki aakhe sadme se badi badi ho jati hai.
Mai apne jagah hi abhi tak khada tha. Waha se mai 1inch bhi nahi hila tha. Lakin ab meri aakhe sky blue color ki glow hone lagi thi. Aur mai ak tak bas Black Ant ko hi dekhe ja raha tha.
TUU....
DING....
[ SKILL : ' DOMINATOR'S TOUCH ' Activate ho gaya hai. ]
Mai , Black Ant ke punch se apne muh me jama Blood ko wahi side me tukta hu. Aur fir apne mind me bol kar apne Dominator's Touch skill ko activate kar deta hu.
Ab mere left hath ko ek Sky blue color ki energy cover kar leti hai. Aur mai apne hath ko aage karke apne panjo ko band krte hue muthi banane lagta hu.
THADD......
Jisase naa cahte hue bhi mere samne khada Black Ant jukhne lagta hai. Wo apni puri takat laga raha tha. Lakin mere aage uski ek nahi chalti hai aur wo dumm se niche jamin par apne ghutno ke bal gir jata hai.
Niche jamin par apne ghutno ke bal baithe hone ke karan gusse se Black ant mujhe dekhne lagta hai. Uski aakhe aur red hone lagti hai.
BISOOM......
Suuuuu......
Tabhi mai apne right hath se ek punch sidha us black Ant ke sir par bicho bich marta hu. Mera punch itna powerful tha ki uske padte hi Black Ant light ke speed se waha se udate hue sidhe mere samane ke tunnel ke diwal se ja takrata hai.
BOOOMMM......
Uske baad waha ek bahut bada dhamaka hota hai. Aur waha ki diwar bahut buri tarah tut jati hai. Charo taraf bas smoke hi smoke dikhayi deta hai. Aisa lagta hai na jane kitne KG RDX laga kar waha visfot kiya gaya ho.
Hari aur Cameraman jo ye sub kab se dekh rahe the. Ye scene dekh kr to unki aakhe shocked se fati ki fati rah jati hai. Aur unka muh to aisa khulta hai ki jaise wo niche ja kar unke pairon se mil jayega.
Aur ye haal sirf inka hi nahi tha. Yahi haal baki sabhi indian hunturs ka bhi tha.
Jay shocked ke sath mujhe dekhte hue " Master Sachin...
Master Anubhav.... "
" Kya aapka pakka pata hai ki Huntur Rider ek Mage type huntur hai ? "
Sachin bhi shocked ke sath mujhe dekhte hue " Yaha tak ki mujhe bhi is baat par yakin karne me kafi jyada time laga. "
SCREEEEEEEECCCCHHHHHH...........
Run.... Run....
Itni buri tarah maar khane par wo Black Ant aur bhi jyada gusse me aa jata hai. Aur ab wo su smoke me se bahut tej chillate hue bhag kr meri taraf Attack karne aata hai.
Ye dekh kr mai apne man kahta hu ' Ye kafi tagda hai. '
' kya aisa iske outer Skelton ke karan hai ? '
Aur aisa soch kar mai wapas se apne Dominator's Touch skill ko activat karte hue Black Ant ko dhyan se dekhte hue kahta hu " Jo bhi ho.... Iska ye Outer Skelton ab mere raste me aa raha hai. "
BAAMMM....
THUDDD.....
Crack.... Crack....
Abhi mai kuch karta usase phle hi Black Ant apne dono hatho ko ek sath jod kr mere sir ke taraf ek powerful Attack kar diya. Jise mai apne left hath ko upar utha kar rok leta hu. Aur Ant ka Attack mere hatho se takra kar wahi ruk jata hai. Lakin is powerful Attack se niche ki jamin me kafi crack aa jate hai.
BISOOM.....
BISOOM.....
BISOOM.....
Uske baad mai black Ant ke left kohni pr ek powerful punch marta hu. Jiske jawab me wo black Ant bhi mere face par ek punch marta hai. Aur mai agle hi pal teji se Black Ant ke sir ke bicho bich ek punch maar deta hu. Jisase uski puri body kaap jati hai.
Hum dono aise hi fight krne me busy the. Hum dono se hi powerful Aura aur pressure nikal raha tha. Jise sare hunturs bahut ache se feel kar pa rahe the.
Cameraman hmari taraf dekhte hue apne man me ' In dono ke fight krne se jo pressure yaha ban raha hai. Wo bahut hi jyada hai. '
' Jiske karan Mere Jaisa Ak A Rank huntur bhi apne pairo par badi muskil se khada ho pa raha hai. '
' In dono ke magic ke strength ke karan mujhe aisa lag raha hai jaise mai kabhi bhi yaha behosh ho jaunga. '
Wahi mere kafi sare punch Jab Black Ant ke Sir par padte hai to uske Sir ke Skelton me kafi sare cracks aa jate hai. Jise wo black Ant bhi bahut ache se feel kar pa raha tha.
Black Ant apne man me ' Mai strength ke battel me isase haar raha hu ? '
( Mujhe ghur kar dekhte hue ) ' Ye kya hai ? '
' Aakhir is human ki asli identity kya hai ? '
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Maazy ke fight ho rhii ha ab rider ka baary ma saarii dunia ko pata laag jaay gaUPDATE - 103
AB AAGE......
Mai aur Black Ant ek dusre ki aakho me bina palke jhapkaye ek tak dekhe ja rahe the.
BISOOM.......
BISOOM.......
BAAM....
Fir hum donohi ek sath apne apne right hath se ek punch ek dusre ko marte hai. Aur hmare mukke aapas me hi takra jate hai. Aur jaise hi ye hota hai waha ek bahut hi Powefull energy nikalti hai aur pura Queen tunnel usase halka shake hone lagta hai.
Jaise hi hmare punches aapas me takrate hai Hmari magical energy krkaran waha kuch spark bhi ho jata hai. Jaise do hath nahi balki do sword aapas me takrayi ho.
Sath me hum dono hi apni apni jagah se kuch dur piche ki taraf puss ho jate hai.
Crack..... Crack.....
Hum dono ke hi punches bahut hi powerful the. Lakin mera punch itna jyada Powefull tha ki Black Ant ke body ka outer shall me buri tarah se crack aa jata hai.
Black Ant surprise ke sath kabhi mujhe to kabhi kud ki body ko dekhte hue apne man me sochta hai ' Isne mere shall ko cracked kar diya ? '
' Ye impossible hai. Aisa nahi ho skta hai. '
' Lakin isne kya such me mere sath aisa kar diya hai ? '
Run... Run....
BISOOM.....
Abhi Black Ant sadme me yahi sub soch hi raha tha ki mai teji se bhagte hue Black ant ke paas jata hu aur jaise hi mai uske paas pahuchta hu. Black ant ko mere aane ka ahsas ho jata hai aur wo mere taraf jaiseye dekhta hai, agle hi pal mai uske chest par ek jordar punch jad deta hu.
Jisake karan black Ant dard se chillate hue piche ki taraf ho jata hai.
Abhi Black Ant upar ki taraf apna sir kiye hue tha ki uske muh se purple colour ka nukile daar wala ek janjir type kuch nikalta hai. Aur turant hi Black Ant apne sir ko mere taraf dekhte hue shake kr deta hai. Jisase wo janjir type pointed chij kisi janjir ki tarah hawa me ghumate hue teji se meri taraf aa kar mere right gaal par ek chota sa khroch karte hue nikal jati hai. Ye sub itne jldi me hua ki mujhe kud ko bachane ka time hi nahi mil paya.
JUMP......
Jaise hi mujhe apne gaal par Karoch ka ahsas hota hai mai turant hi Black Ant ko dekhte hue turant hi piche ki taraf ek jump laga deta hu. Aur Black Ant se thik thak duri bana leta hu.
Mai is time apne ek gutne ke bal jamin par baitha hua tha. Tabhi mujhe mere right gaal pr hue cut se kafi pain feel hone lagta hai. Aur mere dimak me sbse phle ek hi khyal aata hai ' poison ? '
Mere Right gaal ki nase purple colour ki hoti hui mere nack tak teji se badti ja rahi thi.
Wahi mujhe aisa apne ghutne ke bal baithe aur mujh par apne poison ka asar hote hue dekh kr Black Ant khush hote hue mujhe dekh ke kahta hai ' Ye ek aisi skill hai jise maine abhi kuch der phle hi ek snail ( ghonghe ) ko khaa kar usase obsorb ki hai. '
' Ye ek paralysis poison hai. '
' Ye one of the deadly poison hai. Jo ki jangal ke ander paya jata hai. '
' Ye body ke ander maujud Magic ke sath mil kar aur bhi jyada concentrate ho jata hai. Jo ki is poison ko aur bhi jyada khatarnak banata hai. '
TAP.... TAP.... TAP....
Fir khush hote hue wo Black Ant aaram se chalte hue mere paas aate hue kahta hai " Kitne durbhagya ki baat hai, Human. "
" Ab tumhe marna hoga. "
Itna kahte hue Black Ant apna right panja hawa me upar utha kar mere sir ki taraf Attack kar deta hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
JEJU ISLAND KA OUTER AREA
JEJU island ke outer area me jaha khali Buildings thi, jinme phle JEJU island ke log rahte the. Unke bahar hi ek khali aur saaf jagah par Minoru Hoshino apna sir latkaye baitha hua tha. Aur usase hi kuch duri par Kanae Tawata khadi thi.
JEJU island par bhi is time kafi tej barish ho rahi thi. Lakin ye dono barish se beparwah aise hi bigh rahe the.
Kanae Tawata, Minoru ki taraf dekhte hue kahti hai " Minoru Sugi motosen ne mujhse contact kiya tha. "
" Kya hua hai ? Mujhe batao. "
Minoru Hoshino jo ki bahut jyada dar se sadme me ja cuka tha aur abhi bhi kaap raha tha. wo jamin ki taraf dekhte hue bahut jyada dar se kahta hai " H....hum nahi jit skte hai..... "
" Monster... S Rank ya jo bhi cahe wo kah lo... "
" Yah aisa koi Monster bilkul nahi hai jo kisi bhi human ke dwara sambhala ja sake. "
( Paglo ki tarah badbadate hue ) " Na hi Koto bhai ... "
" Aur na hi hum me se koi bhi use hara skta hai. Koi bhi nahi. "
Minoru ko aise paglo ki tarah badbadate dekh kr Kanae Tawata uske jacket ka coller pakdte hue use utha kar jor se jakjhorti hai aur kahti hai " Aakhir tum ye sub kya kah rahe ho ? "
" Kya tumhara dimak khrab ho gaya hai ? "
Lakin fir bhi Minoru ko hose nahi aata hai. Wo aise hi badbadate rahta hai. Yedekh kr Kanae Tawata use waise hi chor deti hai aur minoru dhamm se niche jamin par gir jata hai.
Kanae Tawata uski taraf gusse me dekhte hue kahti hai " Damm it ! "
" Tum bikul nikkame ho. "
Atsushi Kumamoto bhi is time yahi in dono ke sath tha. Lakin wo bhi dar ke mare kuch nahi bol raha tha.
Tabhi waha achanak se Kanae Tawata ko plan ki aawaj sunayi deti hai aur upar sky ki taraf dekhne lagti hai. Jaha ek plan usko unki hi taraf aate hue dikhayi deta hai.
Us plan ko dekhte hue Kanae Tawata kahti hai " Aisa lagta hai yaha se ab hme bahut si muskilo ka samna karna padega. "
" Dhat teri ki sub barbad ho gaya. "
Ab wo jet in logo ke kafi paas aa kar upar ek hi jagah fly karte hue niche rop ki bani hui sidhiya gira deta hai. Jisase ek ek karke ye JEJU island se nikalne lagte hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE QUEEN TUNNEL
BHISOOM.....
THUDDD...
Wahi Tunnel ke ander mai poison ke asar ke karan niche dekh raha hota hu aur ye dekh kr mujhe paralysis smjh kar jaise hi Black Ant mere upar apne right hath se Attack karta hai. Mai bina upar dekhe Black Ant ka hath hawa me hi pakad leta hu.
Ye hote hi black Ant ko to yakin hi nahi hota hai aur wo sadme se bas itna hi kah pata hai " Y....ye kya... ? "
BISOOM.......
Suuuuu.........
BOOM......
Aur agle hi pal mai apne jagah se furti se khada hote hue Black Ant ke muh par ek jordar punch marta hu. Aur ye punch padte hi wapas se Black ant light ke speed se udate hue dur ja kar tunnel ke diwar se ja takrata hai. Aur waha ki diwar buri tarah tut kar bikhar jati hai. Black Ant wahi se apni gardan ghuma kar mere face ko dekhta hai jaha ab koi cut ka nisan nahi tha. Sath hi me mere face aur nase bhi bilkul phle ki tarah bilkul normal ho cuki thi.
DING.....
[ Poison effect neutralize ho gaya hai. ]
Mai bhi Black Ant ko dekhte hue santi se apne man me sochta hu ' Mai soch hi raha tha ki ye achanak se aise itna khush kyu ho raha hai. '
' Ab pata chala ye poison ke karan itna khush ho raha tha. '
' Sayad mera perception state ab phle se kafi increase ho gaya hai. '
' Tabhi mai is Ant ke felling ko itne strongly read aur smjh pa raha hu. '
Aisa sochte hue mai Black Ant ke eye ko dhyan se dekhne lagta hu aur apne man me kahta hu ' Ye pakka ab nervous ho ho gaya hai. '
' Halaki mai kud bhi bahut jyada Nervous hu. '
Aisa sochte hue mai bina mude hi Apne kankhiyo se Wahi behos padi Aayat ko dekhta hu. Jiski halat ab aur bhi jyada bigadti hui mujhe dikhayi deti hai.
Aur ye dekhte hi mai kud se kahta hu ' Mujhe jitna jldi ho ske ab is fight ko khtam karna hi hoga. '
Run... Run...
Jump.....
Aisa kud se kah kar mai teji se bhagte hue Black Ant ke kuch paas ja kar ek bahut hi ucha jump marte hue mai apne right pair se ek bahut hi Powefull Attack black ant ke upar karta hu.
BOOM.....
Crack..... Crack.....
Lakin isase phle ki mera Attack black ant ko lagta wo apne jagah se gayab ho jata hai. Aur mera Attack sidhe waha ki jamin par lagta hai. Jisase jaha Black Ant khada tha wo jamin bahut buri tarah tut jati hai. Aur kafi sara dust hawa me udhne lagta hai. Sath me kuch stone bhi hawa me udane lagte hai.
Sachin surprise ke sath hmari taraf hi dekhte hue " Wo kaha gaya ? "
Anubhav bhi Surprise ke sath meri taraf dekhte hue " Wo to jaise Gayab hi ho gaya hai. "
Lakin eri najre apne right side me upar ki taraf thi. Jaha par Black Ant abhi apne Wings ki help se fly kar raha tha.
Mujhe dekhte hue Black Ant apne man me kahta hai ' Poison ka iske upar koi effect nahi ho raha hai. '
' Strength ka mukabla karna isase to bikul bekar hi hai. Jisme mera sirf time hi waste hoga. '
' Agar iski Strength iski physical power hai to mujhe iske sath iski physical power match karne me koi fayda nahi hai. '
' Quki meri real strength meri speed me hai. Aur yahi mera sbse bada advantage hai. '
Itna sub sochte hue Black ant pata nahi apni kis skill ka use karta hai aur wo apne size ko chota karke 6 feet ka kar leta hai. Uske hath, pair, sir, uski puri body hi 6 feet ki body ke andar reduce ho jati hai.
Uska size almost half ho gaya tha ab. Aur wo aisa karne ke baad apne man me mujhe dekhte hue kahta hai ' Maine apna size jo increase kiya tha ab use wapas se kam kar diya hai. Aur ab maine apna sub kuch apne agility me laga diya hai. '
' Maine ab tak bahut Warm-up kar liya hai. '
' Ab real fight suru karne ka time aa gaya hai. '
Black ant jaha itna sub sochte hue apne size ko kam kar raha tha. To mai bhi uske in sub action ko dekhte hue kuch kuch uski thinking smjh jata hum aur mai apne inventory me se DEMON KING BARAN ka dono dagger nikal leta hu aur use apne dono hatho me pakde hue bahut hi cold look ke sath Black ant ko dekhne lagta hu.
Suuuu.......
Black ant bhi plak jhapkate hi apne jagah se teji se mere paas aa kar apne right hath se mere sir ke upar Attack kar deta hai. Lakin ye kya uska hath hawa me aise hi khali jata hai. Quki Black Ant ne mere nahi blki mere after image ke upar Attack kiya tha.
Ye dekhte hi black Ant ki aakhe shocked se ek baar fir se badi ho jati hai aur wo kud se kahta hai ' Usne mere Attack ko dodged kr diya ? '
SWOSSS......
TAKKK......
Aur abhi Black Ant is shocked se bahar nikalta ki mai uske left side se us par apne Dagger se Attack kar deta hu. Lakin black Ant bhi kuch kam nahi tha wo bhi jldi se apne left panje ko upar karke mere dagger ko rok diya.
SWOSSS......
TAKKK......
Mai ek baar fir se apne dusre hath me pakde hue Dagger se Black Ant par turant hi Attack kar deta hu. Lakin Black ant usko bhi apne panje se rok deta hai.
Aur wo mujhe bahut jor ka piche ki taraf jhtka deta hai. Mai bhi uski is jhatke kesath flow me piche udate hue tunnel ke diwar se ja kar apne pairo se takrata hu aur isi force ka use krte hue double speed se wapase se Black Ant ki taraf Attack karne ke liye jump laga deta hu.
Suuuu......
Suuuuu......
Suuuuu......
Suuuuu......
Black bhi apni jagah se force ke sath mere taraf jump karta hai. Aur aise hi karte hue light ke speed se hum dono ek dusre ke piche lag jate hai. Hum dono ko alawa baki dusre logo ko hum nahi dikh rahe the. Unhe hmari jagah ek dark red aur ek sky blue light hi dikhayi de rahi thi. Jo teji se pure Queen tunnel me idhar se udhar ho rahi thi.
Mai Attack karta to Black Ant rok leta. Wo Attack karta to mai use apne Dagger se rok leta. Aisa hi chal raha tha.
Tabhi black Ant apne man me kud se kahta hai ' Ye na sirf meri speed ko match kar raha hai. '
' Ye to usase bhi tej hota ja raha hai.... '
( Shocked ke sath ) ' Ye kaise possible ho skta hai... ? '
Wahi mai Black Ant ke piche bhagte hue apne man me sochta hu ' Ye almost DEMON Monarch ke level ka hi hai. Ya sayad ye usase bhi jyada strong hai. '
' Lakin is baar mere paas bahut hi jyada ache weapons hai. '
' Aur mai DEMON Monarch ko harane ke baad ab phle se kafi jyada strong bhi ho chuka hu. '
( Dhyan se Black Ant ko dekhte hue ) ' Aur bina kisi shak ke mai ye kah skta hu ki, iska Outer Skelton me ab bahut sare cracks aa cuke hai. Jo ki aaram se ab dekhe ja skte hai. '
' Mai ise finish kar skta hu. '
SWOSSS...... TAKKK....
SWOSSS...... TAKKK....
SWOSSS...... TAKKK....
SWOSSS...... TAKKK....
Aur mai bahut hi jyada speed me apne dono Dagger se Black Ant ke upar dher sare powerful Attack karne lagta hu.
Aur un sare Attacks ko Black Ant apne dono panjo se speed me rokta rahta hai. Mai use sochne ka bhi bilkul mauka nahi deta hu.
Aur jab mai apne Attack ko kuch der ke liye rokta hu to black ant apne dono panjo ko same karke dekhta hai. Jisase hum dono ko dikhayi deta hai ki uske sare panje buri taraf se tut gaye the. Ab unke wo sharpness nahi thi.
Mai " Ab samay ho gaya hai. "
DING....
[ Skill : Critical Hit skill activat ho gaya hai. ]
SWOSSSSSS.......
Aur ye dekh kar mai apne Dagger ko bahut speed me Black Ant ke taraf Attack karte hue apne critical hit skill kr use karte hue ek khtarnak Attack kar deta hu.
Jisase Black Ant ke body me jagah jagah kai sare bahut hi khatarnak chote aa jati hai.
DING.....
[ Skill Critical Hit upgrade ho kar apne final stage me pahuch gaya hai jo ki hai ' Critical Chain. ' ]
[ Critical Chain ( lev. Max ) ]
Mai he notification sunte hi kahta hu " Upgrade ? "
" Critical Chain.... "
Mera System ke karan thodi der ke liye dhyan kya bhatakta hai. Isi mauke ka fayda utha kar Black Ant uadate hue waha se khisakne lagta hai.
Jise mai jldi hi dekh leta hu aur smile karte hue kahta hu " Tumhe kya lagta hai tum mujhse bach kar bhag paoge...? "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Kamal ka updats ha bro maza aa gya ha paar ha finaly dunia ko be rider ka bary ma pata laag gya haUPDATE - 104
[ Death of Black Ant ]
AB AAGE......
Run... Run.....
SWOSSSSSS..... SWOSSSSSS......
Aur mai apne full speed me bahgte hue Black Ant ke piche ja kar apne is new skill se us par Attack kar deta hu.
DING....
[ Skill : Critical Chain activat ho gaya hai. ]
Is skill ke activet hote hi mere dagger ke ak hi Attack se black Ant ke upar kai sare Attack ho rahe the. Aur wo sare Attack bahut hi khtarnak Attack the.
Apne is skill ka itna acha effect dekh kr mai kafi impress hota hu. Aur mai black Ant ki taraf dekhte hue kahta hu " Wahh kya baat hai. "
" Ye to kafi achi skill hai. "
SWOSSSSSS.... SWOSSSSSS......
SWOSSSSSS.... SWOSSSSSS......
Aur mai kai times critical Chain chain ko activat karte hue us black Ant ke charo taraf se uske puri body par no. Of Attack kr deta hu. Mere sare hi Attack bahut hi khatarnak the. Jisase Black Ant ka bahut bura haal ho jata hai.
SWOSSSSSS....
Aur fir mauka dekhte hi mai ek bahut jyada Powefull Attack uske left hath par karta hu. Jisase uska left hath kohni se cut kar alag ho jata hai.
RUN.... RUN.....
Aur uske baad to wo Black Ant bahut hi speed me mere se kuch duri bana leta hai. Aur is time wo thik se chal bhi nahi pa raha tha. Bahut buri tarah wo ladkhda raha tha.
Wahi se wo mujhe dar ke sath dekhte hue wo apne man me kahta hai ' Kya aisa koi ek bhi chij hai jisme mai is human se aage hai ? '
( Kuch second sochne ke baad uske dimak me kuch aata hai aur wo turant hi kud se kahta hai ) ' Nahi ! '
' Ek chij hai jisme mai isase supirior hu. '.
Screeeeeeeeeeeccccchhhhhh........
Aur itna sochte hi black Ant apni jagah se khade ho kar apni baki ki bachi hui puri strength ke sath apne hatho ko faila kar bahut jor se chillata hai.
RUN.... RUN.... RUN....
RUN.... RUN.... RUN....
Aur uske aisa karte hi achank se kuch hi second me Queen tunnel ke ander bahut teji se bhagte hue fly karte hue uncountable Ant's aane lagte hai. Jinme tino generation ka Ant's the.
Wo sare ant's aa kar Black Ant ke piche khade ho jate hai. Jaise wo uske next order ka wait kar rahe ho.
Uske baad wo Black Ant meri taraf dekhta hai use lagta hai ki mai sayad itne sare Ant's dekh kr dar jaunga.
Black Ant bade khush hote hue kahta hai " Ye kaisa laga human ? "
Uski baat sunte hi mai jo ki apni jagah santi se khada tha, ek smile krne lagta hu. Aur meri smile dekhte hi Black Ant ki fat jati hai. Uski aakhe dar aur shocked se badi ho jati hai. Aur wo bina palke jhapkaye meri taraf dekhne lagta hai.
Mai apni jagah khade ho kar smile karte hue kahta hu bade style me kahta hu " Chlo ab bahar aa jao. "
Ssssssssssss........
Ssssssssssss........
Mere itna kahte hi mere body me se bahut sari black and purple color ki energy nikal kar mere charo taraf failne lagti hai. Aur usme se ek ek karke mere sare Shadow Soldiers ki army bahar aane lagti hai.
IGRIS mere right me to IRON mere left me khada o jata hai. Mere piche TUSK khada ho jata hai. Aur uske bagal me TANK khada rahta hai.
Meri Shadow Soldiers ki army ko hi dekh kar black Ant ki darne lagti hai.
Tabhi mai kahta hu " Mere Soldiers ek bhi Ant jinda nahi bachna cahiye. "
" Jao ja kar maje karo. "
ROARRRR......
ROARRRR......
Mere itna kahte hai IRON aur TANK bahut hi tej chillate hai jisase ki ek baar ko hmari taraf aa rahe sare ant's apni jagah hi ruk jate hai. Lakin unke dahad khtam hote hi wo wapas se hmare taraf aane lagte hai.
Aur yaha se mere sare shadow Soldiers bhi unke upar tut padte hai. IGRIS, IRON, TANK aur high ORCS ke Gaurds inme sbse aage the.
Jump.... jump....
High orcs to apni jagah se jump karte hue Ant's ke jund ke bich kud gaye the.
In sub me aaj sbse aage IRON tha. Wo kafi jyada excited lag raha tha itne sare Ant's ko dekh ke.
SWOSSSSSS....... SLASHHH.......
ROARRRR........
GHUPP..... Skkeechhh.....
Aur jaisa ki mujhe laga hua bhi aisa hi IRON to ant's ke jund ke bich jate hi bina ruke lagatar apne bade axe ko hawa me idhar se udhar ghumate ja raha tha. Jisase waha par bas IRON ki khusi se gurrane, Ant's ki dard bhari chikh-pukar ki aawaje aa rahi thi. Aur jamin par bas Ant's ke blood ki barish ho rahi thi.
JUMP......
SWOSSSSSS....... SLASHHH.......
GHUPP..... Skkeechhh.....
Wahi dusri taraf IGRIS to kisi boss ki taraf Ant's ke jund ke ander jump karte hue entry marta hai. Uske baad wo apni badi si sword ko kisi kabil swordman ki tarah Ant's ki taraf chlata hai. Jaha se uska sowrd gujarta waha se bas kati hui Ant's ke body ke parts aur unka blood hi hawa me uadta hu najar aata.
In sub se alag HIGH ORCS ke Gaurds aur TANK ne jaise ek team bana li ho. TANK apne bade se panjo se Ant's ko hawa me idhar se udhar fekta aur high ORCS ke Gaurds jump karte hue apne weapons se unko hawa me hi do parts me divide kar dete.
Mai apni jagah khada aaram se ye sub dekh raha tha. Fir mujhe kuch sujhta hai aur mai TUSK ki taraf dekhte hue kahta hu " Aage badho. "
TAP... TAP... TAP....
Ye sunte hi TUSK mere paas chlte hue aata hai.
Mai apni gardan utha kar use dekhte hue kahta hu " Kewal Ant's par hi focus karna. Agar kisi bhi Human ko halki si bhi chot lagi to mai tmko dubara kabhi summouned nahi karunga. "
Meri baat sunte hi TUSK apna sir haa me hilata hai. Uske baad wo red ORB ko apne hath me pakd kr ek spell bolta hai.
DING....
[ TUSK skill : TUSK ne Hymn of the giant skill ko activat kiya hai. ]
TUSK ke is skill ke use krte hi uska size phle se kafi time bada ho jata hai. Wo almost QUEEN TUNNEL ke hight ke barabar ho jata hai.
Uske baad TUSK ek aur spell kahta hai.
DING....
[ TUSK skill : TUSK ne Hymn of fire skill ko activat kiya hai. ]
BUZZZZZZ..... BUZZZZZZ.....
TUSK ke is Spell ke khtam hote hi wo apne bade se muh ko ant's ki taraf open kr deta hai. Aur agle hi pal uske muh se bahut hi high intensity ki aag nikalne lagti hai. Ye fire itna powerful thi ki ye Ant ke TUNNEL ko break karte hue bahar tak nikal jati hai.
Hari ye sun dekh kr sadme me aa cuka tha aur wo aise hi kahta hai " Ye... Ye ek summouned worrier hai ? "
" Kya such me ? Ise summouned kiya gaya hai ? "
Hari ke alawa baki sabhi ka bhi yahi reaction tha TUSK ko dekhne ke baad.
Jay bhi TUSK ko dekhte hue apne man me bahut jyada shocked ke sath sochta hai ' Nahi.... '
' Bhale hi ye dikhane me ek summouned worrier lag raha hai. Lakin ye ek kewal koi summouned worrier nahi hai. '
' Ise dekh kar to aisa lag raha hai ki jaise koi Deamon King hell se sidhe yaha earth par aa gaya ho. '
Aur Jay ka ye kahna bikul bhi galt nahi tha. Quki TUSK is time giant roop me tha. Usne apne dono hatho ko faila rakha tha. Uske right hath me red orb tha. Aur uske muh se fire nikal raha tha. Jo ki uske charo taraf faila hua tha. Lakin usko is fire se kuch bhi nahi ho raha tha.
Kuch minutes baad jab TUSK apne muh ko band krta hai to fire band ho jati hai.
Lakin sath hi mai yaha aapko ek baat aur clear kar deta hu ki kuch log soch rahe honge ki fire ka use to Anubhav ne bhi kiya tha aur wo bhi sayad TUSK ke jitni powefull fire laga skta tha. Lakin sare hunturs ko oxygen ki kami na ho isi liye wo apni fire ko jyada badhka nahi raha tha.
TUSK ko bhi ye baat ache se pata thi isi liye usne apne powerful fire se sbse phle waha tunnel me hi ek bahut bada dhamaka karte hue bahut bada hole bana diya jisase kisi ko oxygen ki bilkul bhi kami na ho.
Fire ke band hone ke baad waha samne bas Black Ant hi khada dikhayi deta hai. Baki sare ant's is fire me jal kar mar chuke the.
Ye sub dekh kr to wo Black Ant pgl hi ho jata hai. Use yakin ho nahi ho raha tha ki main uske sare ant's ko maar diya wo bhi itni jldi.
Black Ant charo tarf dekhte hue avishvaas ke sath apne man me kahta hai ' Aisa kaise ho skta hai ? '
' mai... '
' Mai jab se paida hua hu tab se mai bakiyon se sbse jyada shaktishali hu. '
' Maine aaj tak apne raste me aane wale sare logo ko maar giraya hai. Aur usi ke karan mai Hmesa sbse upar choti par khada raha hu. '
' Jo bina kisi limit ke grow kar skta hai mai wo tha. '
' Ek monarch. '
' mai ek monarch tha. '
' Yaha sub kuch mere hisab se hona cahiye tha. '
Tabhi un bujh rahi aag ki lapto ke bich Black Ant ko phle meri image dikhayi deti hai. Uske baad dhire dhire use mai dikhne lagta hu. Jiske piche Giant TUSK khada tha.
Mujhe dekhte hue darte hue Black Ant kud se kahta hai " Bhagna... "
" Mujhe yaha se bhag jana cahiye. "
" Agar mujhe jinda rahna hai to mujhe jldi se jldi yaha se bhag jana cahiye. "
Ye sochte hue Black Ant kud ko heal karne lagta hai. Uske wings aur uski baki ki body jo ki bahut bure halat me thi. Wo heal hone lagta hai.
Ye dekh kr mai apne man me kahta hu ' Ye jarur huntur Ajay ki hi healing ability hogi. '
' Aisa maine phli baar dekha hai ki koi Monster kisi ki bhi ability ko absorb kar skta use kha kar.
Fly....fly....
Aur kafi thik hone ke baad Black Ant turant hi apni jagah se fly karte hue TUSK ke fire se break hue bade se hole ki taraf jane lagta hai. Aur jate hue wo kud se kahta hai ' Mujhe jldi se hum dono ke bich kuch Distance bana lena cahiye. '
DING.....
[ Skill : Dominator's Touch skill activate ho gaya hai. ]
BOOM.....
Crack.... Crack......
Mere black Ant ko bahgta hua dekh kr apne is skill ke help se apne right hath ko aage hawa me utha kar bahut jor se niche latakta hu. Jiske karan mere skill me effect se ek bahut hi heavy pressure ke karan black Ant bahut jor se niche aate hue sidhe jamin se ja takrata hai.
Black Ant ke muh se kafi sara blood niklne lagta hai. Wo mujhe kahuf ke sath dekhte hue apne dono panjo ki madad se rengte hue aaoge ki taraf jane ki kosis karta hai. Lakin mai apne Dominator's Touch skill ki help se use apni taraf khichne lagta hu.
Kiiii....
Kiyyaaa.......
CHUUU...... karrr........
Black Ant apni puri takat lagate hue apne dono panjo ko pura jamin meander tak gada deta hai. Kud ko piche jane se rokne se. Lakin meri strength ke aage uski ek nahi chalti hai aur uske panje jamin me ghiste hue bhi mere paas aane lagte hai.
Jiske karan black Ant khuf se chillane lagta hai.
JUMP.....
Mai apni jagah se ek jump lagate hue hawa me hi black Ant ko dekhte hue kahta hu " Mai tmko yaha se bhagne nahi dunga. "
DING.....
[ Skill : Critical Chain skill activat ho gaya hai. ]
SWOSSSSSS.... SWOSSSSSS....
Aur mai apne is ski ke help se apne dono Dagger se full strength ke sath Black Ant ke upar uncountable Attack kar deta hu. Jiske uski body me bahut hi jyada gahre cut ke nisan banate rahte hai. Lakin mai bina ruke aur jyada Attack karta rahta hu.
Tabhi mere system par ek notification aata hai.
DING....
[ Aapne apne dusman ko hara diya hai. ]
DING.....
[ Aapka 2level increase ho gaya hai. ]
Ye dono notification sunane ke baad mai kahi ja kar Attack karna rok deta hu. Aur apne Dagger ko wapas se inventory me bhej deta hu.
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Acha update tha but be he zada chota update tahUPDATE NO - 105(A)
Converting Ajay in my Shadow Soldier
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mere aur Black Ant ke bich bahut hi jabardast fight hoti hai. Mere se her field me harne ke baad aakhir me Black Ant apne sare ant's ko apne paas bula leta hai. Lakin mai bhi turant hi apni sari army bula leta hu jise dekh kr Black Ant kehose hi ud jate hai. Aur aakhir me jb sare ant's mare jate hai to black Ant waha se bhagne ki kosis karta hai. Lakin mai use bhagne nahi deta hu. Aur black Ant ko maar deta hu.
AB AAGE.....
Jaise hi mai black Ant ko maar kar khali hota hu. Waise hi Sachin piche se chilla kar mujhe kahta hai " Huntur Riade... ! "
" Aayat ki halat ab..... "
Run.... Run....
Aur mai bhag kar waha se Aayat ke paas ja kar baith jata hu aur use dekhne lagta hai.
Aayat ka face ab halka halka nila padne laga tha. Uski halat phle se bhi jyada kharab dikh rahi thi ab.
Mai, Aayat ki taraf bhaut fikar se dekhte hue apne man me kud se kahta hu ' Dhat teri ki !! '
' Maine bahut jyada time waste kar diya. '
' Mujhe jldi se jldi ek healer ko find karna hoga. '
' Shadow Exchange bhi yaha kaam nahi karega. '
' Quki Shadow Exchange ko dubara use krne me abhi cooldown time baki hai aur sath hi mai maine abhi tak ye bhi test nahi kiya hai ki mai kisi dusre person ke sath Shadow Exchange kar bhi skta hu ki nahi. '
' Aur agar mai yaha KAISEL ka use kru to bhi Aayat ko yaha se kisi Healer ya hospital le jane tak wo mar sakti hai. '
' Kya Drawn Sword Guild ke paas is time koi healer Jinda bacha hai ? '
' Mujhe jldi se jaldi koi na koi rasta nikalna hi hoga. '
Aayat ki halat her badhte samay ke sath aur bhi jyada kharab hoti ja rahi thi.
Tabhi achanak se mere dimak me ek idea aata hai. Aur meri aakhe sky blue color ki glow krne lagti hai.
Aur mai turant hi piche mud kar mere hi piche khade Cameraman ki taraf dekhte hue jldi se kahta hu " Kya tum ye Camera kuch der ke liye band kar skte ho ? "
Ye sunte hi Cameraman shocked aur confusion ke sath mujhe dekhte hue kahta hai " Excuse me ? Aapko pata bhi hai aap kya kah rahe hai ? "
Ye sunte hi mai jo ab tak Normal tone me usase baat kar raha tha, mera tone ekdam se change ho jata hai aur me cold tone me apni glow hoti aakho se Cameraman ko aktak gurte hue kahta hu " Jaldi karo. "
" Warna agar tmne camera band nahi kiya to mai kud tumhare Camera ko destroy kar dunga. "
Cameraman, meri tarah dar dekhte hue jldi se kahta hai " Ha.. mai abhi band karta hu. "
Aur wo cameraman dar aur shocked ke sath turant hi apne helmet ko utar leta hai jisme camra laga hua tha. Aur uske baad helmet ke back me ek switch press kar deta hai. Jisas Camera band ho jata hai.
Camera bnd karne ke baad wo apne man me sochta hai ' Aise achanak se Camera kyu band karwa diya isne ? '
Cameraman aur baki ke indian hunturs mujhe ghere hue khade the aur ab yahi soch rahe the.
Wahi mai Camera off hote hi turant hi apne sare shadow Soldiers ko apne paas bulata hu. Aur mere sare shadow Soldiers mere samne aa kar khade ho jate hai.
Mai apne sare shadow Soldiers ko dekhte hue " Mere sare shadow Soldiers tum sb jaldi Se jao aur Ajay ke body ko dundh kr mere paas le kar aao. "
Mere order ko sunte hi mere sare Shadow Soldiers turant pure Queen tunnel me fail jate hai aur Ajay ki body ko dhundhne lagte hai.
Jabki yaha Indian Hunturs ye sun kr shocked aur confusion ho jate hai.
Sachin mere taraf dekhte hue confusion ke sath apne man me ' Ajay ki body ? '
( Jor se ) " Nahi aisa nahi ho skta.... "
TAP.... TAP..... TAP.....
Tab tak ek High orcs Guard ko Ajay ki sir kati body mil jati hai aur wo bade aaram se use apne god me utha kr mere paas le aata hai. Aur wo use mere Samne niche jamin par rakh deta hai.
Mai, Ajay ki body ko dekhta hu to halka sa shock mujhe bhi lagta hai. Quki mujhe nahi pata tha ki Black Ant ne Ajay ke sir ko hi khaa liya tha.
Mai apne man me ' Iska sir to Black Ant kha chuka hai. '
' Kya ye kaam karega ? '
Wahi jb high orcs Guard mere paas Ajay ki body lata hai to Sachin se bhi nahi raha jata hai aur wo mere paas aa kar kahta hai " Huntur Rider ! Aakhir tum kya karne ki planing kar rahe ho ? "
Lakin mai Sachin ki bato ko ignore karke apne kaam me laga rahta hu sbse phle mai system se Ajay ki body ko check karta hu. Ki Shadow summouned uske body ke sath abhi bhi possible hai ya nahi.
DING....
[ Shadow summouned is body ke sath possible hai. ]
Ye notification milte hi mai ek rahat ki saas leta hu aur kud se kahta hu ' Kitne subhagya ki baat hai. '
' Quki is time mere paas bas ek yahi rasta hai. '
Fir mai Ajay ki body ko dekhte hue kahta hu " ARISE. "
Ssssssssssss.......
Ssssssssssss.......
Mere itna kahte hai jamin ke ander se black color ki energy nikal kar Ajay ki body ke ander jane lagti hai.
Lakin kuch second baad hi ye band ho jata hai. Aur ek notification aata hai...
DING....
[ Shadow summon fail ho gaya hai. ]
Ye dekh kar mai halke gusse me kahta hu " Dhat teri ki !! "
Lakin mai fir se ek baar try karta hu " ARISE. "
Fir se wahi sun hota hai aur last me same notification aa jata hai....
DING....
[ Shadow summon fail ho gaya hai. ]
Ab do baar fail hone ke baad mai Ajay ki body ki taraf dekhte hue apne man me kahta hu ' Mere summouned skill ke level ke hisab se ye to bahut hi aasan hona cahiye. '
' Ye kisi aur se summoun na ho iske liye isne jarur koi na koi strong magic apne body ke sath kiye rakha hoga. '
' Jaise ki ye mujhe batana chah raha ho ki kisi person ko Shadow ko Summoned karna ek bahut hi evil kaam hai. '
Aisa sochte hue mujhe IRON ki yaad aati hai aur mai uske taraf dekhne lagta hu. Wahi IRON mujhe kud ki taraf aise dekh kr confused ho jata hai ki maine kya kar diya.
Mai lakin wapas se apna Dhyan Aayat ki taraf laga kar apne man me sochta hu ' Lakin jo kuch bhi ho. '
' Jinda logo ki jyada value hai. '
Aur mai Aayat ko dekhte hue apne mind ko strong bana kar akhiri baar Ajay ki body ki taraf dekhte hue jor se kahta hu " ARISE. "
Ssssssssssss......
Ssssssssssss.......
Aur is baar baki dono times se sbse jyada black color ki energy jamin me se nikal kar Ajay ki body me jane lagti hai. Uske body ke charo tarah ab bas Black energy hi dikhayi de rahi thi.
Ye sub dekhte hi Sachin, mere Solder ko pakdte hue jor se kahta hai " Huntur Rider ! "
" Aakhir tum Ajay ki body ke sath kya kar rahe ho ? "
Aur agle hi pal uski aankhe shocked se fati ki fati rah jati hai.
Wo samne dekhte hue ek samne me chala jata hai aur kahta hai " Tumhari ability... "
" Tumhare Ability ka true nature hai ki.... "
" Tum dead logo ke upar apne power ko use kr skte ho. "
Darasal hua hi kuch aisa ki Sachin ke sath sath sare indian Hunturs ki bhi fat ke hath me aa gayi.
Mere last time ARISE kahte hi kuch second baad us black color ki energy me se ek hath bahar nikalta hai. Aur dhire dhire Pura ka pura Ajay hi mere Shadow Soldiers me convert ho kar hum sbke samne aa kar khada ho jata hai.
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!