• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy SOLO LEVELING

Story aapko kaisi lagi ?

  • Bahut achi lagi .

    Votes: 310 93.9%
  • Thik thak hi hai .

    Votes: 20 6.1%

  • Total voters
    330

Ss mujrim

Active Member
629
467
63
UPDATE NO - 106
RISE OF BERU




Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mai, Ajay ke help se Aayat ko heal karke khatre se bahar nikalta hu. Uske baad mai sbko le kr ke tunnel se bahar nikalte hue safely helicopter tak le jata hu. Waha sare logo ko helicopter me baithane ke baad mai KAISEL par baith kar wapas se Ant tunnel me aa jata hu. Aur bache hue Ant's egg ko khtam kar deta hu. Sath hi mai Blcak ant ki tarah 100 se jyada egg ko bhi khtam karta hu. Uske baad mai Black Ant ko arise kar leta hu. Wahi ek Warship par Minoru Hoshino baki ke apne guild members ko Black Ant ke bare me bata raha tha. Lakin Reiji Sugimoto use batata hai ki Raid over ho gayi hai.
Jbki USA me Hunturs management bureau ke ghar par unka hi ek employee Michael meri ant's se fight wali video dikhata hai. Aur wo mujhe india se apne yaha lane ki planing karne lagte hai.



AB AAGE......


Black Ant ka Shadow mere samne respect se apan sir jhukaye hue tha. Aur system mujhe usase releted notification show kar raha tha.

Mai notification ko dekhte hue kahta hu " Ye to ek aisa Rank hai jise aaj se pahle maine kabhi nahi dekha hai. "
" Normal, Elite, Knight, Elite Knight... Aur sayad uske baad jo next rank aata hai wo jarur General ka hi hoga. "
( Mai Black Ant ke Shadow ko dekhte hue apne man me sochta hu ) ' Ye jerk baki ke dusre shadow Soldiers se bahut hi jyada strong hai. '
' Aur iske jinda rahne par jo iska states tha ye us baat ko justify bhi karta hai. '

Ye sub sochne ke baad mai Queen ki taraf mud jata hu. Aur QUEEN ant ki body ko dekhte hue kahta hu " Ab wakat hai Queen ka. "

Abhi mai Queen ko arise karne hi wala hota hu ki mujhe piche se koi aawaj deta hai.

" My King.. "
" Please mujhe ek name dijiye. "

Ye Aawaj sunte hi mai piche mud kar dekhta hu ki aakhir ye Aawaj aa kaha se rahi thi. Jo ye bol raha tha wo koi aur nahi Black Ant ka Shadow hi tha. Uski aawaj sunte hi mai thoda chauk jata hu.
Fir kud ko shaant karte hue mai apne man me sochta hu ' Aisa lagta hai ki iske liye bhi mere parti ultimate loyalty baki dusre shadow Soldiers ki hi tarah hai. '

Fir mai Black Ant ke shadow ke paas ja kar puchta hu " Tum mujhse baat kaise kar pa rahe ho ? "

Black Ant, meri taraf dekhte hue kahta hai " Mai baat karne me smarth hu. "

Mai ye sun kar kud ke man me kahta hu ' Ye baat karne me sakcham hai ? '
' Quki marne se pahle bhi ye baat karne me sakcham tha. To kahi isiliye to nhi marne ke baad shadow banane par bhi ye baat karne me sakcham hai ?

Fir sochte hue aage fir se mai apne man me kud se kahta hu ' Nahi, IRON bhi to ek human tha aur wo bhi marne se phle bol skta tha. Lakin shadow banane ke baad usne ek word bhi nahi bola hai. '
' Huntur Ajay aur TUSK bhi to same example hai. '
' In sub me kewal ek hi difference hai aur wo hai inke Ranking ka. '
' To sayad baki sare bhi aage chal kar bolne lag skte hai agar unka Rank bhi increase hote hue Iske Ranks tak pahuch jaye to. '

Fir mai Black Ant ke Shadow ki taraf dekhte hue kahta hu " Mai hi wo person hu, jisne tmhe mara hai. "
" Kya tum tab bhi mere obedient bane rahoge aur Hmesa mujhe follow karoge ?"

Black Ant shadow, mujhe dekhte hue kahta hai " Mai mara nahi hu.. "
" Mera to balki mere Liege's ke power ki wajagh se dubara janam hua hai. "
( Apne ek hath ko apne chest par rakhte hue, mujhe respect show krte hue aage kahta hai ) " Mai ander se bahut jyada khush hu. Aur ye khusi mere ander se overflow ho rahi hai. "
" Mai aapko Hmesa follow karunga mere Liege. "

Itna bolne ke baad Black Ant apne dono ghutne ke bal niche jamin par baith jata hai aur mere taraf dekhte hue kahta hai " my Liege. "
" Please mujhe ek name dijiye. "

Ye sun kar mai thoda soch me pad jata hu, aur apne chine par hath rakh kar sochte hue kahta hu " Ant to tumhare liye acha name nahi rahega. "
" Iska ek aisa name hona cahiye jo ki ise baki sare ant's se bilkul alag rakhe. "

Tabhi Ek famous author jisne ki THE ANT name ki ek book likhi thi. Achanak se pata nahi kyu mere dimak me uska name pop-up hota hai. Us author ka name Bernard Werber rahta hai. Aur usi se mai Black ant ke liye ek naya name bana leta hu.

Mai " BERU. "
" Tumhara name BERU rahega. "

BERU mere samne apna sir jukha kar kahta hai " Thank you.... Mere Liege. "

DING.....


[ BERU Lev.1 ]

[ RANK : GENERAL ]

Mai chal kar Queen ant ki badi si body ke paas aate hue kahta hu " Achi baat hai. "
" Chlo ab Queen ko bhi apna Shadow bana lete hai. "
" ARISE. "

Ssssssssssss.......
Ssssssssssss.......


Aur kuch second me hi Queen ant ka bhi bada sa shadow mere samne khada ho jata hai.

DING.....

[ ?? Lev. 1 ]
[ RANK : GENERAL ]

Aur Queen ke jinda hote hi mere sare Ant's ke Shadow Soldiers ko kuch hone lagta hai. Ye baat notice karte hue mai kud se apne man me kahta hu ' Huh ? Ant's ke bich ka connection ab pahle se weak ho gaya hai. '

Mujhe thik se samjh me nahi aat hai tabhi mujhe mere bagal me BERU khada dikahyi deta hai. Aur mai isase puchta hu " BERU kya ho raha hai ? "

BERU ek obedient Solder ki tarah apne chest par ek hath rakhte hue kahta hai " Ant ke Queen ki jo normal ability hai wo ant's ke colony ko control karna hai. "

Mai, BERU ki taraf dekhte hue kahta hu " Iska Matlb ki Ant's ke colony ka sara control ab Queen Ant ke upar chala gaya hai ? "

BERU " Ha, aisa hi hua hai. "

Mai " Queen ant ke rank ke hisab se usme utna jyada magic Power nahi hai. Kya Queen ke magic ke decrease hone ka koi reason hai ? "

BERU " Queen Ant ke Magic ke most of the part ka use reproduction me ho jata hai. "
" Aur bina kisi body ke Ant's ko reproduces karna impossible hai. "

Mai " To tum kahna cahte ho ki Queen ant fight nahi karti hai ? "

BERU " Ha mere liege mai aapko yahi batana chahta hu. "

BERU ki baat sun kar mai apne man me sochta hu ' Kisi bhi organization me do hand ke hone ki koi jarurat nahi hoti hai. '
" Cancel Extraction. "

Ye sub soch kar mai Queen ant ke shadow ko CANCEL kar deta hu.
Tabhi achanak se meri najar mere baki ke Shadow Soldiers par jati hai. Jo ki raid khatam hone ke baad waha se magic crystals ko collect karne ka kaam karti thi.
Aur yaha bhi wo same kaam kar rahi thi.

Mai apne Shadow Soldiers ki taraf dekhte hue kahta hu " Ruk jao. Hme magic crystals ko collect karne ki koi bhi jarurat nahi hai. "
" In magic crystals ka use JEJU island ko wapas se build karne me lag jayega. Sath me inse yaha ka damage bhi kafi had tak manage ho jayega. "
" Yeh aisi chijen hai jis hme apne paas nahi rakhna chahiye. "

Ye sunte hi mere sare Shadow Soldiers apne paas collect kiya hua Magic crystals wahi chor dete hai.

Mai ab apne hath me ek black stone pakde hue kud se kahta hu ' BERU ke dead body se mili hui ye chij hi meri liye kafi hai. '

Aur mai us stone ko apne inventory me rakh leta hu.

Uske baad mai tunnel ke entrance ki taraf dekhte hue sochta hu ' Filhal ki to sbse badi problem hai ki jo ant's bach gaye hai. Unka kaise kaam khtam karu ? '
' Kya mai un sub ko apne itne force ke sath puri tarah se khtam kar paunga ? '
" Mujhse jitna ho sakega mai, apni taraf se utni kosis karunga. "

BERU jo ki itni der se mere ko santi se khada kisi soch me dube dekh raha tha wo kahta hai " Master... "
" Maine feel kiya hai ki.... "
" Kisi leader ke na hone se Enemys Ant's ko bahut si problems ka samna karna pad raha hai. "
" Wo ek hi jagah jund nahi bana pa rahi hai. Jiske karan wo yaha waha akele ghum hai hai. "

Mai piche mud kar BERU ko dekhte hue kahta hu " BERU, kya tumhe pata hai ki Ant's ki sankhya aakhir me kitni thi ? "

BERU " Aaj ki Raid se pahle tak total 8700 Ant's the. "
" Aur abhi bhi 4000 Ant's jinda bache hue hai. "

Mai ek lambhi saas lete hue upar ki taraf dekhte hue kahta hu " Maine to socha tha ki ab tak bahut sare ant's khatam ho chuke honge. "
" Maine kabhi nahi socha tha ki itne jyada ant's abhi bhi jinda bache honge. "
( Wapas se BERU ki taraf dekhte hue ) " Agar tum hote to, tumhe kya lagta hai , kya tum itne sare ant's ko khtam kar pate ? "

Ye sunte hi BERU ki aakhe glow hone lagti hain aur uski body se powerful aura niklne lagta hai aur wpne dono panjon ko upar utha kar dekhte hue wo kahta hai " Agar aap mujhe order de to...... "


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


NEAR THE JEJU ISLAND ON WARSHIP

Manish JEJU island ki taraf sky me dekhte hue jor se chilla kar " Ant's log fly karte hue yaha aa rahe hai. "
" Sare log jaldi se ready ho jao. "

BOOMMM.....

BOOMMM.....
BOOMMM.....

Warship par maujud tank ek sath sky me Ant's ko aim bana kr unke upar gole dagna start kr cuke the.

BUZZZZZZ......
BOOM.... BOOM.... BOOM.....


Magicians type hunturs apne magic ka sath me use krte hue kai powerful spell se sky me Fly karte hue unke taraf aa rahe ant's ko fire se buri tarah jala rahe the.

Sirf ek Warship par nahi sari Warships ka yahi haal tha is time sare ship ek sath mil kar Ant's ke upar combined Attack kar rahe the. Pure aakash me bas aag ke gole, fly karte hue Ant's aur mari hui Ant's ki body sky se sea me girti hui dikhayi de rahi thi.

Tabhi Hunturs Guild ka Aman apne warship se ye sub dekhte hue kahta hai " Ye sare ant's to West me ja rahi hai. "
" Aur waha unka mukabla REAPER Guild se ho raha hai. "
" Hme unki help karni hogi. "
" Sare log ready ho jao. "

Aman ke itna kahte hi Soniya, aur baki sare Hunturs guild ke members fight ko ready ho jate hai.

Wahi Fame Guild ki vice Guild Master, Aur Jay ki gf ko bhi apne Warship se yahi sub dikhayi deta hai.

Jay ki gf " Ab hmare Fame Guild ka bhi is battle ko join karne ka time aa gaya hai. "
" Sare log ready ho jao. "

Fame Guild ka ek member " Hum in sare Ant's ko kaat ke rakh denge. "

Wahi Reper Guild ke Warship par ek huntur Sangam ke upar chila raha tha " Tum kya kar rahe ho ? "
" Ek ant Ek B Rank ke Hunter ke equal hai. "
" jaldi se formation me aao. "
" Hum hmare REAPER Guild ki khoyi hui reputation ko aaj wapas aa kar hi rahenge. "

Aaaaa..... Aaahhhaaa....

Lakin Sangam itne sare ant's ko apni taraf aata hue dekh kr bahut jyada dar gaya tha. Wo dar se buri tarah kaap raha tha. Sath me is time usne apne dono hatho se apna kaan band kiya hua tha jisase usko ant's ki awaje na sunayi de. Wo us huntur ki ek bhi baat sun nahi pa raha tha dar ki wajah se.

Sangam bahut jyada dar se kapte hue " Mai kaise ? "
" Mai in ant's se fight karne ke bare me soch bhi kaise skta hu ? "
" Ye sare real monsters hai. "

Wo Huntur jo ki itne der se Sangam ko bulane ki kosis kar raha tha. Ab wo santi se wapas se apne baki ke teammates ke paas jate hue Sangam ko dekh ke apne man me sochta hai ' Bhle hi Ye ek A Rank huntur ho. Lakin ye ek khali dibbe ke alawa aur kuch bhi nahi hai. '

Wahi india ke bhi kuch port par sea ke upar se fly karke aate hue Ant's dikhayi de rahe the. Unme se hi ek port par Anjana aur Rahul apne kuch baki ke Teammates ke sath the.
Un sub ne bhi Ant's ko apne taraf aate hue dekh liya tha. Aur sare ye dekh kr ready ho gaye the battle ko.

Anjana thode Surprise se " Ant's itni jldi yaha India tak bhi aa gaye ? "
" Aapka kya lagta hai ? Kya hum inhen hara payenge ? "

Rahul sky me ant's ki taraf dekhte hue " Jldi se sub ready ho jao. "
" Ye sun hmare sir ke upar tak aa gaye hai. "

Sare jagah JEJU island ke sea me India ke ports par har jagah sare hunturs is time sky me apne taraf aate der sare ant's ko dekh rahe the.

Tabhi Jaha Anjana aur Rahul log rahte hai waha port se unko sky me ek ajib chij dikhayi deti hai aur abki aakhe fati ki fati rah jati hai.

SWOSSSSSS.......
SWOSSSSSS.......


Koi light ke speed se aata hai aur bas ek hi hit me unke samne ke almost 30 percent ant's ko maar girata hai.

Anjana sky ki taraf shocked se dekhte hue " A...Akhir kisne just abhi in ant's ko maar giraya ? "

Rahul bhi sky ki taraf dekhte hue shocked se " uski speed to incredible thi. "
"Mai to apni aakho se use dekh bhi nahi paya. "
" Aakhir.... "
" Aakhir wo chij kya hai ? "

SWOSSSSSS......
SWOSSSSSS......


Aur wapas se wahi chij ek baar fir yaha se gujarti hai aur sare ant's mar kar niche sea me girne lagte hai.
Lakin koi bhi is marne wale ko dekh nahi pata hai.















Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Matleb rider ko apne army ko Gerenal meel gya ha
 

Ss mujrim

Active Member
629
467
63
UPDATE NO - 107
ENTRY OF TWO UNKNOWN PERSON





Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mai Black Ant ka name BERU rakhta hu. Uske baad wo mujhe Queen Ant ke bare me batata hai. Sath hi me wo mujhe batata hai ki abhi bhi 4000 ant's jinda hai. Jo kisi leader ke na hone se JEJU island ke charo taraf yaha waha batakne lage hai. Fir wo mujhse in sare ant's koarne ka order kahta hai. Wahi bache hue Ant's JEJU island ke paas ke sea me khade Warship par Attack kar dete hai. Aur sare backup kr liye khade India ke top 5 Guild ke A aur B Rank hunturs unse mukabla karne lag jate hai.

India bhi kuch ant's pahuch chuke the. Aur usko koi achank se aa kar bina kisi ki najar me aaye maar kar chla gaya.



AB AGEE........


Sare Ant's ko khtam karne me almost 2 din lagte hai.

India ke sea par jab Ant's pahuch gaye to jahir si baat hai ki China ke sea par bhi Ant's fly krte hue pahuch gaye the.
Aur sirf itna hi nahi Ant's to China ke main land me bhi pahuch cuke the.


SEA OF CHINA

China ke sea me last 3 day se JEJU island ki direction me khada Warship abhi bhi ekdam mustaidi se nigrani rakhe hue tha.
Main Dack me Captain khada ho kar samne ke screen ki taraf dekh raha tha. Wo is time bahut hi thaka hua lag raha tha. Yahi haal uske baki sare employe ka bhi tha. Lakin fir bhi sub lage hue tha.

Captain samne screen ki taraf dekhte hue " Hme last ke 2 din se sone ka bhi ab tak time nahi mila hai. "

Ek employee jo ki Screen ki taraf dekh raha tha wo jaldi se kahta hai " Sir Ant's ka ek jund hmari taraf aa raha hai. "

Ye sunte hi Captain ke bagal me unse thode hi piche khada Firstmate captain ko dekhte hue kahta hai " Please Hme inko shoot krne ke liye order dijiye. "

Captain samne dekhte hue " Nahi, 1 minute ruk jao. "
" Quki hamara hero in logo ka khyal kud se hi rakhna chahata hai. "

Fir sare log Warship ke Open areaketaraf dekhne legte hai. Jaha ek tall, fair and handsome sa man khada tha. Uski age 30+ hogi. Usne Red shirt nd Black jeans pahni hui thi. Aur apne kamar tak aate balo ko usne ponny tail banaya hua tha.
Uske Kamar me ek belt laga hua tha. Jisme do bade bade sword latke hue the. Dekhne se hi ye ek bahut hi strong person maalum cahlta tha. Uski height bhi 6 feet + hi thi.
Aur wo Dack par akele hi khada sky me fly karte hue inke hi taraf aa rahe ant's ko bade aaram se dekh raha tha. Ye aadmi koi aur nahi China ka best huntur ek matra 7 Star Rank huntur Liu Zhigang hi tha.

Liu Zhigang sky ki taraf dekhte hue kahta hai " Dekhne se to yahi lagta hai ki yaha bahut sari ant's hai. "
" Lakin kya kar skte hai.... "
" Rest in peace in the ocean. "

Zzzzzzz........

SWOSSSSSS.......
SWOSSSSSS.......

Itna kahte hi Liu Zhigang apne aura ko fully relese karte hue bade hi style me apne dono sword ko apne back se nikal kar usase cross ka nisan banate hue hawa me chala deta hai.
Bs uska itna hi karna tha. Uske body se uski power relese ho kar sword me transfer ho jati hai, aur sword se fire nikal kar sky me cross ka nisan banate hue aage badhati jati hai.

BANG... BANG....

BANG... BANG....
BANG... BANG....


Jaise jaise ye fire aage badhati hai. Ye aur bhi jyada area cover karta jata hai.
Aur ending me ja kar wo idhar ki taraf hi aa rahe Ant's se takra jate hai.
Aur sare ke sare ant's bas is ek matra Attack se jal kar hawa me hi mar jate hai aur unki body kati patang ki tarah nich sea me girne lagti hai.

Aur apne sword ko wapas se apne back me rakhte hue Liu Zhigang sky se girte hue ant's ko dekh kr kahta hai " In choti machliyo ki jagah agar jisne Rider ke sath fight kiya tha wo abhi bhi jinda hai to, uske sath fight karna jyada exciting hoga. "
" Kitni saram ki baat hai. Ye Ant's mera ek Attack bhi thik se nahi khel payi. "



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

IN USA

Ek bahut hi aalishan, bada aur khubsurat ghar tha. Jiske living room ko bahut hi khubsurat tarike se sajaya hua tha. sofe ke pura set, uske samne 72 ince ka LED TV, A.C. , proper lights sari chije bokul sahi jagah par bahut hi Karine se sajayi hui thi.

Sofe par ek bahut hi bade body wala aadmi shirtless sirf shorts me baitha hua tha. Ye wahi aadmi tha jo JEJU island ke Raid se pahle Chairman Xabhi se Namit ke matter ke liye Mila tha. Jiske aane se India me halchal machi hui thi.
Ye wahi Aadmi tha. Jiski height almost 7 feet thi. Body Hulk jaisi, jiske samne acha sa acha bodybuilder bhi kisi chote bache jaisa lagta hai. Uske hair gray color ke the. Jo ki uske solder tak aate the.
Uske body par kai sare tattoo bane hue the. Dono solder ko cover karte hue back pr ek bahut hi bada aur khubsurat tattoo. Dono hatho par attractive tatoo.

Aur ye aur koi nahi World ka sbse strongest huntur tha. Jiska name Sandy Nirwan tha. Aur iske Ghuild ka name SCAVENGER GUILD tha.

Aapko Scavenger Guild ke bare me kuch bate bata deta hu :-

1. Ye Guild pure America me kaam karta hai.
2. Is Guild me bahut sare S Rank hunturs hai jinka Guild master Ek national level huntur Sandy Nirwan hai. Jo ki world ka sbse strongest huntur hai.
3. Kabhi kabhi ye apne S Rank hunturs ko Yad national level hunturs ko dusre country me waha ke High Rank DENGEON ko clear karne ke liye bhejate hai. Jab waha hi govt. Inse Request karke inhe inke kaam ke paise pay karti hai.

4. Namit bhi isi Guild ka ek Member hai.

Sandy Nirwan apne living room me sofe par baith kar aaram se TV par JEJU island ki raid me meri aur Black Ant ki fight dekh raha tha. Ki tabhi gate knock hota hai.

Knock.... Knock....

Sandy nirwan TV ki taraf dekhte hue " Ander aa jao. "

Kadak....

Aur Living room ke door se hote hue ek gray hair wali bahut hi khubsurat Lady ander aati hai. Uski bhi height almost 6 feet thi sath hi me wo dikhne me bhi bahut hi jyada hot thi. Usne formal lakin attractive kapde pahle hue the. Ye thi Sandy Nirwan ki secretary. Jiska name tha Laura.

Tap... Tap... Tap...

Chalte hue Laura Sofe ke paas aati hai. Aur TV ki taraf dekhte hue kati hai " Kaisa hai ye ? "
" Mister Namit aur Rider ke bich me kewal ek hi connection hai. "
" Mister Namit me bade bhai Amit, Sayad Rider ke hatho mara gaye the. "

Sandy Nirwan, Laura ko dekhte hue " To mujhe iska badla lena hoga ? "
" Is baat ka kya yahi Matlab nikalta hai ? "

Laura " Lag to aisa hi raha hai. "

Sandy Nirwan TV screen ki taraf isara karte hue " Ye ho jane ke baad Rider se milna ab aur bhi jyada difficult ho gaya hai. "
" Mai usase milna cahta hu. Lakin kitne saram ki baat hai. "

Laura " Aap kya karoge agar dono ke bich fight hui to ? "

Sandy Nirwan halke smile ke sath " Laura, Kya Tum abhi bhi mujhe nahi janti ho ? "
( Apni aura ko halka relese karte hue apne red eye ke sath ) " Mr. Namit, Scavenger Guild ke ander hai. "
" Aur Scavenger Guild mera hai. "

KADAK.....

Ye kahne ke baad Sandy Upar dekhte hue ek evile smile ke sath Apne hatho ki muthi ko kas leta hai. Jisase uske right hath me rakha hua TV ka remote bahut buri tarah tut jata hai.

Fir Sandy Nirwan kahta hai " Mai aise kisi bhi person ko kabhi maaf nahi karunga jisne bhi mere Guild ke ek bhi member ko touch bhi kiya to. "
" Bhale hi wo American Govt. Hi kyu na ho. "


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


JEJU ISLAND
3rd NIGHT OF JEJU ISLAND RAID



TAD.... TAD.... TAD...
TAD... TAD..... TAD...


Aaj JEJU island ke Raid ka 3rd night tha. Sky me full moon nikla hua tha. Sath me dher sare starts bhi nikale hue the. JEJU island ke ander bahut year ke baad santi aayi thi. Jise toda waha par aaye military ke aaye hue 4, 360 degree wale helicopters ne.
Wo helicopters JEJU island ke ant's ke TUNNEL ke paas ja kar land hoti hai. Unse Military aur Knight Guild ke members niche utarte hai.

Quki KNIGHT Guild ko hi JEJU island ke Raid ke baad waha se mana aur magic crystals ko collect karne ka kaam diya gaya tha.
Aur wo is time yahi kaam karne yaha aaye hue the. Quki abhi bhi unko ek dar tha ki kahi kuch ho na jaye to jitni jaldi ho sake hm log ye kaam bhi nipta leta hai.

Tap... Tap... Tap...

Knight Guild ke sare A aur B Rank hunturs is time yaha maujud the. Aur sabse aage Knight Guild ka Guild Master Manish hi chal raha tha. Uske thik bagal me Vivek aur uske piche baki sare Knight Guild ke hunturs aur sbse last me military ke log chal rahe the.

Manish sigret pite hue niche dekh kar kuch dukhi man se kahta hai " Yaha aisa bhi ek person hai. Jiske paas sayad hi koi luck hai. "

Vivek, Manish ki taraf dekhte hue confusion se " Kya ? "

Manish, Vivek ke sath ab sbse piche chalte hue aage kahta hai " Us Aadmi ne Hmesa apna best diya hai. Taki wo best ban ske. "
" Uska dream tha ki wo ek gold medalist bane."
" Jiske liye usne bahut hi hard tranning ki. "
" Apne weight ko kam kiya taki wo lower weight ke catigray me challenge de sake. "
" Usne bahut hi jyada hard tranning ki, din raat ek kar diya. "
" Sirf Olympics ke liye stage par utarna baki rah gaya tha. "
" Wo apne dream ko bas pane hi wala tha."
" Us raat se phle kabhi bhi use nightmare bhi nahi aaye. "
" Uska condition bhi sbse best tha. "
" Lakin..... "
" Achanak se hue AWAKENING ke karan, Magica masters ne use pakad liya aur wo Olympics me participate nahi kar paya. "

Ye sub kahte hue Manish almost rone hi lag jata hai. Wahi uski ye sari bate sun kr vivek kahta hai " Kya ye aapki story hai bade bhaiya ? "

Manish " Us aadmi ko apna dream chorna pada. Lakin usne apne liye ek new dream banaya. "
" Apne country ka best Guild banane ka dream. "

Vivek, Manish ko incrage karte hue " Mai janta hu aap amazing hai bade bhaiya. "

Tabhi unke piche hi chal rahi ek aur female huntur ek taraf dekhte hue kahti hai " Yaha kuda fekna ban kro. "

Fir Manish aur Vivek ko thoda aur aage Ant tunnel ke ander jane ke baad magic crystals dikhayi dene lagte hai.
Manish aage badh kar magic crystals ko apne dono hatho meek sath utha kar kisi chote bache ki tarah unki chmak ko dekhte hue kahta hai " Dekho in high quality ke magic stones ko. "
" Agar hum apne sath in sare Magic crystals ko le gaye to hum apne country ke sbse bade guild ban jayenge. "

Vivek bhi piche khada ho kar bahut hi excitement se Magic crystals ko dekh raha hota hai.
Wahi unke piche chal rahi wo female huntur halke gusse se kahti hai " Ye thik baat nahi hai. "
" Ye galat hai. "

Waha charo taraf ant's ki kati, mari hui body padi hui thi. ye sub dekh kr Manish Kahta hai " Waise yaha sub bahut hi saaf suthra hai. "
( Military walo ki taraf dekhte hue ) " To chinta karne ki koi baat nahi hai. Aur magic crystals ko collect karna suru kar do. Quki mujhe yaha par koi bhi magic feel nahi ho raha hai. "

SWOSSSSSS.....
SLASHHH......


Tabhi achanak se ek tunnel ke ander se ek jinda Ant Manish ko dikhayi de jata hai. Aur Manish bhi bina koi time gawaye, apne sword se us any ka sir uske body se alag kar deta hai.

Manish " Oops ! Yaha ek bacha rah gaya tha. "

Us Ant ko marne me baad Manish piche mud kar military walo ko dekhte hue kahta hai " Well, aap logo ko jyada chinta karne ki jarurat nahi hai. "
" Bhale hi yaha kuch aur ant's jinda ho skte hai. Lakin hum log yaha hai. "

Military wale log bhi darte darte hi sahi lakin apna kaam, Magic crystals ko collect karna suru kar dete hai.

Tabhi left side ki taraf dekhte hue Manish se darte hue kahta hai " Bade... Bade bhaiya ! "

Manish ( samne ki taraf dekhte hue ) " Kya hua ? "

Ek dusra huntur ( Vivek jis taraf dekh raha tha usi taraf dekhte hue dar ke sath ) " kon ho tum ? "

TAP.... TAP.... TAP....

Aur samne se ek Sandy Nirwan ke jaise hi bahut badi body wala person nage pair hi chalte hue inke hi taraf aa raha tha. Uski upper body open thi. Niche usne gutne tak bas ek fata hua clothes hi pahna hua tha. Jisko usne ek armour type se apne body se tikaye hue the. Uske hair black color ke uske gale tak aa rahe the. Uski 8 abs body aur bahut hi badi badi bhujaye thi. Usne apne solder par ek sher ka khal udha hua tha. Aur uske body par jagah jagah janwaro ke bone se bane hue kai sari chije usne pahn rakhi thi. Uski aakhe yellow color ki thi. Wo dekhne se hi bahut khatarnak lag raha tha.

Ab tak waha maujud sare logo ne use dekh liya tha aur Manish use dekhte hue apne man me sochta hai ' JEJU island par sirf Association hi ek matra hai jo hme mission aur Soldiers de skti hai. '
( Us bande ko dekhte hue jor se ) " Apni pehchan batao ? "

Vivek darte hue " Bade bhaiya, kya ye human hi hai ? "

Wahi Military wale log us Anjan aadmi ko dekh kr uske taraf gun point karte hue use shoot hi karne jate hai to Wo female huntur unke taraf dekh kr kahti hai " Hey use shoot mat kar dena. "
" Wo koi monster nahi hai. "

Military wala ek Soldier us Anjan aadmi ki taraf Gun point kiye hue kahta hai " Tum restricted area me ho. "
" Agar tum hmare order ko follow nahi karoge to hum tumhe shoot kar denge. "

Wo anjan aadmi paas aane ke baad sare logo ki taraf apni yellow eye ke sath ghur kar dekhte hue gusse me na jane kis language me kuch kahta hai.

Manish ye sun kr shocked hote hue apne man me sochta hai ' kya Ye ek Monster hai ? '

SNAP.....

Tabhi pata nahi kaha se koi ek chutki bajata hai. Aur agle hi pal waha par maujud sare log behosh ho kar apne apne jagah gir jate hai.
Aur waha wahi Anjan aadmi abhi bhi khada rahta hai.

Anjan aadmi piche mud kar kahta hai " Tum kya kar rahe ho ? "

Aur ye sunte hi Waha us Anjan aadmi ke piche ek blue skin wala aadmi aa jata hai. Uske hair ekdam snow ki taraf white the jo ki uske kamar tak ja rahe the. Usne pure kapde pahne hue the. Lakin uske kapde bhi niche se fate hue the. Aur un kapdo ke upar usne ek white color ka rob pahna hua tha. Wo dekhne se hi kafi old lag raha tha. Aur ye chutki bhi usi ne bajayi thi. Jise sunane ke baad waha ke sare log behosh ho gaye the.

Anjan old man " Hame yaha koi scene create karne ki koi jarurat nahi hai. "
" Maine in sub ko yaha bas thodi der ke liye sula diya hai. "
" kya Tum check karna cahte ho ? "

Anjan aadmi samne ki taraf dekhte hue " Mujhe pura yakin hai ye usi ki power hai. "

Anjan old man, Manish ki taraf dekhte hue " Ye to bada ajeeb hai. "
" Mujhe smjh menahi aa raha hai. Wo aakhir humans ki help kyu kar raha hai ? "

Anjan aadmi TUNNEL me idhar udhar dekhte hue " kon jane ? "
" Agar tum itne hi utsuk ho to, kud hi ja kar usase kyu nahi puch lete ho ? "
( Mare hue ant's ki body ko dekhte hue ) " ye yaha in incests se sade hue chijo ke jaise bahut hi buri badbu aa rahi hai. "
" Agar USNE ye dekh liya. To WO bahut hi jyada gussa karti. "

Anjan Old man " Hunt aise hi plan ke hisab se chalta rahega. "
" Kuch bhi Change nahi hoga. "

Anjan aadmi " Thik hai. "

Buzzzz.....
Buzzzz.....


Ye sun kar wo anjan old man apne right hath aage karta hai. Aur usme se blue color ki energy ka gola niklne lagta hai. Jise agle hi pal us old man me apne hath ko open karke niche gira diya. Aur wo energy ka gola samne ja kar ek bahut bade portal me Change ho jata hai.

Anjan aadmi tabhi kuch sochte hue kahta hai " Oh! Aisa lagata hai ki koi yaha tha. "

Anjan Old man ye sun kar piche mud kar anjan aadmi ko dekhte hue kahta hai " India me ? "

Anjan aadmi ek evile smile ke sath " Ab jabki hum yaha hai. Kya khyal hai ? "
" Kya hum hi uski khatirdari kar de ? "

Anjan Old man " Hume ye jagah uske hatho me chor dena cahiye. "

Anjan man " Tum isme involved nahi hona cahte, hai na ? "

Anjan Old man portal ke ander jate hue " Tum ise aise bhi dekh sakte ho. "
" Mujhe koi problem nahi hai. "
" Tum jaisa chaho waisa sochne ke liye free ho. "

Itna kah kar wo anjan old man portal ke ander chla jata hai. Aur wo portal bhi band ho jata hai.
Anjan Old man ke jane ke baad Anjan aadmi halke gusse se kahta hai " Darpok kahi ka. "

Fir wo ek baad Manish ko dekhta hai aur kahta hai " Well ! Mujhe bhi yahi lagta hai ki hame yaha scene banane ki koi jarurat nahi hai. "

SWOSSSSSS.....

Buzzzz.....
Buzzzz.....

Itna kah kar wo anjan aadmi hawa me hi apna left hath ek baar marta hai. Aur uske samne ek bada sa red portal open ho jata hai.
Aur wo anjan person bhi us portal ke ander chla jata hai. Aur agle hi pal ye portal bhi band ho kar gayab ho jata hai.

















Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Ab to or be powerfull log ana start ho gaay hn story ma ab maza aey ga
ya 2 new log aey hn odr sa rider ka papa be aa gaay hn ab story ista ista agy baar rhii ha
 

Ss mujrim

Active Member
629
467
63
UPDATE NO - 108
TRIBUTE TO AJAY



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise JEJU island ki raid ko 2 din bit chuke the. China ke sea aur main land par ant's pahuch chuke the. Liu Zhigang sea ke upar fly karte hue chuna ke taraf ja rahe unginat ant's ko apne sirf ek hi Attack se jala kar khtam kar dala.
Wahi Knight Guild wale JEJU island me pahuch cuke the magic crystals ko ikatha karne ke liye. Tahi waha do ajnabi log aate hai aur ek aadmi apne sirf ek chutki se abki behosh kar deta hai. Fir wo dono kisi ke bare me baat karte hai. Aur waha se portal open krke kahi chle jate hai.



AB AAGE.....


JEJU island ke raid ke baad har jagah bahut hi jyada shor macha hua tha. Har koi social media ke through ya aapas me bahut sari bate kar rahe the. Har kisi ki apni ek alag raay thi.

" Wow..... Mere paas kahne ko words nahi hai. "

" Mere to sochta tha itne sare creature ko summouned karna impossible hai. "

" Meri 10 year se cancer ke sath jo fight chal rahi thi. Wo Huntur Rider ke aur uske creatures ke fight dekhne ke baad khtam ho gayi.
Ab mai bilkul thik hu. "

" Wo kitna cool hai. Rider best hai. "

" Maine 4 year phle JEJU island me apne parents ko kho diya tha. "

" Mujhe pura yakin hai ki Huntur Rider ise read nahi kar raha hoga. Lakin fir bhi mai kahna cahte hu THANK YOU. "
" THANK YOU HMARE LIYE KHADE HONE KE LIYE. "


JEJU ISLAND ki Raid, Mere S Rank huntur banane ke baad ki 1st officel Raid thi. Aur is par bhi logo ke bahut hi sare reactions the....

" Kya ye ek National level huntur nahi hai, hmari country ki taraf se ? "

" Hey, ye itna bhi great nahi hai. Nahi, nahi jab tak ki egg me se chicken bahar na aa jaye use count karna galt hai. "

" Aakhir kyu nahi ise ek National level huntur mane ? Usne akele kud ke dam pr ek S Rank DENGEON ko clear kiya hai. Wo baki sare S Rank hunturs se ek alag hi level par hai. To wo ek National level huntur hua ki nahi ? "

" Huntur Rider ke paas abhi utna experience nahi hai. Agar wo Telented hai to log aise hi usko notice karna kud start kar denge , bhale hi wo kuch bhi na kar raha ho. "

" Wo awsm tha, aur aage bhi hmaesa awsm hi rahega. "

" Maine suna hai ki ek E Rank huntur, normal human se bas thoda sa hi strong hota hai. To Rider aise achanak se itna jyada Strong bangaya is baat ka koi sense kaise banta hai ? "

" Kya huntur Rider hi wo person hai jo reawakening se gujara hai ? "

" Yaha par abhi bhi aise bahut sare log hai jinhen abhi bhi ye baat nahi pata hai ki Rider reawakening se gujra hai. "

" Usne hmari suraksha karne ke liye signed up kiya hai. To uski information itni jldi kaise kisi ko mil sakti hai. "

" Tum logo ne abhi tak Sandy Nirwan aur Liu Zhigang ko nahi dekha hai tabhi tum aisa kah rahe ho. Unke samne Rider kuch bhi nahi hai. "

Pure India country me hi nahi pure world me log JEJU island ke Raid ki bate karna start kar diye the. Aur aisa is liye kuki wo Interested the is topic par baat karne ke liye.
Aur practically Mera ye Debut tha. Isi liye mera name hmasa is Raid ke sath kiya jane laga.

Halaki, sath me ye bate bhi charcha me thi ki maine JEJU island ke raid ko starting se join kyu nahi kiya. Jiske bare me bhi logo ki bahut se raay thi...

" Uski itni tarif karne se pahle ek baar ye socho jara ki agar Rider ye Raid ekdam starting se join karta to kya aaj Ajay jinda nahi hota ? "

" Aakhir usne ye Raid join kyu kiya, jabki usne ye Raid join karne se mana kar diya tha. "

Aur mai in criticism ko bikul bhi avoid nhi kr skta tha. Na hi mai inka koi jawab de skta tha. Kyuki sayad ek huntur ke alawa aur koi bhi meri majburi ko bilkul nhi smjha skta hai.
Ha mere support me bhut se log the. Lakin abhi bhi kuch log mere against me the. Jo ki lagataar meri burayi kiye ja rahe the.
Aur ye bilkul jayaj bhi tha kyuki aise bhut se log the jinhone sacrifice kiya tha apni jaan ko is raid ko safal banane ke liye.
Aur unme sbse bada name tha AJAY.

Ka-chick..... Ka-chick.....

Ka-chick..... Ka-chick.....
Ka-chick..... Ka-chick.....

Dher sare Cameraman apna apna camra liye photo click karne aur live video shoot karne me busy the. Aur ek side Reporters ki puri bhid ikatha thi. Wo bhi apne apne news channel ke liye Reporting kar rahe the.
Cameraman aur Reporters ke bhid ke bich se ek rasta ja raha tha. Jo ki bilkul saaf suthra aur khali tha. Kisi bhi Cameraman aur Reporters ko is raste par aana allow nahi tha.

SCREEEEEECCCHHHH...........
TUDD....


Tabhi us jagah ke bahar ek normal si car aa kar rukti hai. Aur uske Driving sheet se ek ladka bahar aata hai.

Ka-chick..... Ka-chick.....

Ka-chick..... Ka-chick.....
Ka-chick..... Ka-chick.....

Aur ek baar fir se Cameraman aur Reporters ne photo nd video banane ki race si lag jati hai. Pure jagah bs is ladke ke hi aane ke charche hone lagte hai. Jo ki koi aur nahi mai hi tha.

Tap.... Tap.... Tap....

Maine is time ek black suit, paint aur white shirt phle. Sath me Black shoes aur tie lagaye. Bilkul achi tarah se well dressed mai apne dono hatho me Chrysanthemums ka behad hi Sundar sa ek white color ka flower pakde hue apna sir niche kiye slowly slowly aage ja raha tha.
Aur mere piche khade Cameraman aur Reporters mujhe dekhte hi aur bhi jyada excitement se apna kaam karne lagte hai. Falses ki to baad si lag jati hai.
Ye ek bahut bada ground tha. Jiske end me samne ki taraf ek bada sa stage banaya gaya tha. Aur us stage ke upar JEJU island ke Raid me mare gaye logo ki photo flowers ke dher ke upar rakhi hui thi.
Aur un sub me sbse centre me Ajay ki photo thi. Jiske thik samne abhi mai khada tha.
Mai Ajay ki smile karti hui photo ko apna sir utha kar ek baar dhyan se dekhta hu. Fir aahiste se apne sir ko jukha kar apne hath me pakda hua flower Ajay ke photo ke samne rakhe baki sare flowers ke sath rakh deta hu.

Tap.... Tap.... Tap....

Fir mai stage se niche utar kar dusri taraf chla jata hu. Jaha JEJU island ke raid me mare gaye logo ke family members, Frnd's aur relative kai sare lines me salike aur santi se apna sir jukhaye khade the. Bahut se log unme to rahe the. Almost sbki aakho me halka halka aasu tha.
Ajay ki old Maa mujhe dekhte hi buri tarah rone lagti hai. Uski gf unka ek hath thame unko sambhalne ki kosis kar rahi thi.
Maine Ajay sirf ek lauti Ajay ki Maa ko hi apne JEJU island me late aane ke reason ko unke ghar akele ja kar bataya tha. Aur Quki wo ek Maa hai to ek baar me hi unhe meri baat smjh me aa gayi. Aur bina kisi shart aur shikayat ke unhone mujhe ek second me hi maaf kar diya tha.
Dukh to unhen bhi bahut tha apne aklaute bete ki mauth ka, lakin sath me wo ek Maa thi. To kaise meri feelings aur dar ko wo na smjh pati.
Bhale hi indian hunturs association ne unka pura khyal rakhne ko kaha tha. Lakin maine phle hi unhe kah diya tha ki aaj se mai hi aapka Ajay hu. Aur aaj se mai hi aapka khyal rakhunga. Maine to unhe apne sath hmare ghar bhi chalne ko kaha tha. Lakin wo is baat ke liye abhi nahi mani thi. Sayad aage wo maan jaye.
Mai Ajay ki Maa ke paas ja kar unko ek baar apne gale se laga kar waha se jane ke liye bahar ki taraf nikalne laga. Quki maine waha jyada time tak rakhna thik nahi smjha. Bhale hi maine JEJU island ke raid ko akele khtam kiya tha. Lakin fir bhi yaha bahut se aise log bhi the. Jo mujhe kahi na kahi in sub logo ke mauth ka jimmedar bhi mante the.
Aur mai aise time me kisi ko kuch kah kar is moment ko khrab bikul nahi hone dena chahta tha. Aakhir in logo ko kon samjhaye ki meri taraf aur bhi bahut se national level hunturs hai jo ye Raid aaram se clear kar sakte the. Lakin koi unhe blam nahi karega quki wo waha nahi gaye the.

Mai waha se naikl ho raha tha kimujhe Sachin ki aawaj sunayi deti hai " Mai yakin karta tha ki ek akela hero kabhi bhi, kisi bhi kimat par kud se ek War ko khtam nahi kar sakta tha. "
" Lakin jo is baar hua hai... "
" Uske karan ab maine fir se sochna start kar diya hai ki mai galt tha is bare me. "
" Apne sir ko mat jukhao Mr. Rider. "
" Tum hi wo ek laute huntur ho jisne is tragic Raid ko akele khtam kiya hai. "
" Chand logo ke kuch bhi bolne se ye such badal nahi jayega. So tum apne sir ko mat jukhao. "
" Aur haa... "
" THANK YOU. "

Sachin ke baat sun kar mujhe kafi acha lagta hai. Aur mai ab apna sir utha kar santi se aage jane lagta hu ki bas 2 kadam chalne ke baad mujhe 3 se 4 logo ke baad mere left side me Black skirt nd white shirt me Bikul thik khadi Aayat dikhayi deti hai.
Use dekhte hi mai apni jagah ruk jata hu. Aur jaise hi hmari najre milti hai. Aayat apni gardan ghuma leti hai. Jaise wo mujhse najre milane se dar rahi ho.
Ye dekh kr mujhe kafi shocked lagta hai. Ki ab ye kyu aisa kar rahi hai. Lakin fir mai kud ko smbhalte hue waha se ek baar piche mud kr wapas se stage ki taraf dekhta hu. Aur teji se Ground se nikal kar bahar aa jata hu.

Is 5th JEJU island ke Raid me total 4801 hunturs ne participate kiya tha. Jisme se 727 log normal awakeners the. Jisme se 64 awakeners aur 32 common log mare gaye.
Ye bahut dukh ki baat hai ki itne log mare gaye. Lakin ye ak matr aisa Raid tha jisme itne kam log mare gaye the as compared to baki ke 4 Raid se. Sath me is raid me bahut hi kam log injured hue the.

Ground se nikal kar mai ground ke outer area me aa jata hu. Jaha pahle se hi Chairman Xabhi aur unke kuch aadmi mera intejar kar rahe the.
Wahi ek midium si maje rakhi thi. Jiske dono taraf 2 long table baithne ke liye rakhi thi. Ek taraf mai to dusri taraf Cahirman Xabhi baithe hue the. Aur unke piche hi Anurag aur unke kuch aur aadmi apna hath piche kiye unse kuch duri par khade the.

Xabhi meri taraf dekhte hue " So.... "
" Huntur Rider tum ek Guild banane ke bare me plan kar rahe ho ? "
" S Rank huntur ke licence ke sath kisi bhi huntur ko Guild Master banane ke liye hmse permission lene ki koi jarurat nahi hoti hai. "
" Bas tumhe hum logo ko ek call karna hai aur kuch nahi. "
" Baki sub kuch hum log kud sambhal lenge. "

Mai " Ji ha. "
( Apne man me ) ' S Rank huntur hone ke aur kya kya Advantage hote hai ? Mujhe is opportunity ke jariye ye pata karna cahiye. "

Abhi mai yahi soch kar aage kuch kahta ki Xabhi bol padte hai " Mai soch raha tha ki tumne JEJU island par koi barrier lagaya hai kya ? "

Mai ye sun kar shocked ke sath Xabhi ko dekhte hue " Kya ? "

Xabhi " JEJU island me ek ghtana ghati thi, jab waha par log Ant's ki mari hui body aur Magic crystals Collect karne gaye the tab. Wo sare kuch der ke liye achank se ek sath behosh ho gaye the. "
" We sare A aur B Rank hunturs the jinme mostly Knight Guild ke hunturs the. "
" Mai tmse is liye puch raha hu, kyuki mujhe laga ho skta hai ki tmne waha koi barrier lagaya ho aur hame uske bare me batana bhool gaye ho. "

Mai " Nahi, maine waha aisa kuch bhi nahi kiya hai. "

Xabhi halke smile ke sath " Acha aisi baat hai kya ? Mujhe laga hi tha. Tumne aisa kuch nahi kiya hoga. "

Mai " Un sare logo ka kya kahna hai is bare me ? "

Xabhi " Unka kahna hai ki jab we sub ek sath behosh hue usase phle ka un sub ko kuch bhi yaad nahi hai. "
" Actually hme yebhi nahi pata hai ki un logo ke upar kisi magic se Attack hua bhi hai ya nahi ? "

Mai ( apne man me ) ' Kya wo ant's ke dwara choda gaya koi trap to nahi hai ? '

Tabhi association ka ek Member aa kar xabhi ke kaan ke paas kuch kahta hai " Chairmen. "

Xabhi khade hote hue " Ek Guest mujhse milne time se thoda jyada jaldi aa gaye hai. "
" So ab mujhe yaha se jana hoga. "
" Apna wakt dene ke liye. Tumhara bahut bahut sukriya. "

Mai bhi khade hote hue " Your welcome. "

Aur fir waha se Xabhi apne sare aadmiyo ke sath nikal jate hai. Unke jane ke baad mai bhi apni car ki taraf parking me jate hue sochta hu ' Ab mujhe bhi yaha se nikalna chahiye. '

Jaise hi mai apne car ka door open krne jata hu tabhi koi mujhe piche se aawaj deta hai.

" Kya tum hi Huntur Mr. Rider ho ? "

Mai piche mud kar aawaj ke Direction me dekhta hu. To waha mujhe suit buit me ek American dikhayi deta hai. Mai apna sir ha me hila deta hu.

Wo aadmi ek card mere taraf Badhate hue kahta hai " Helllo, Mr. Rider. "
" Mai senior agent Adam hu United States bureau of hunturs ki taraf se. "

Mai uske hath se wo card le kar dekhta hu aur apne man me kahta hu ' bureau of hunturs ? '

Adam " Aap mujhe bas Adam Bula skte hai. "
" Mai aapse, aapke office me milna chahata tha. Lakin aapko dundhna bahut hi mushkil hai. "
" Please mujhe smjhne ki kosis kijiyega ki mai aapse aisi jagah par kyu milne aaya. "

Mai, Adam ko dekhte hue apne man me ' Ye mere office aaya tha ? '
' Ohhh.... Ab mujhe smjh me aa raha hai. '
' kahi Yahi wo forgeigner to nahi hai jiske bare me Shubham mujhe bata raha tha ? '

Mai " Tum mujhse kyu milna cahte the ? "

Adam " Mere paas kuch information hai jo mai aapko dena cahta hu. "

Mai, Adam ko dekhte hue confusion ke sath " Kaisi information ? "

Adam " Aapko is information ke bare me shayad kahi bhi kuch na sunane ko mile. "
" Na hi kisi country ya institute se jo is duniya me existent hai. "
" Siway hmare. "

Ye sun kar meri bhi curiosity thodi increase ho jati hai lakin mai Normal rahte hue hi Adam ko dekh kr kahta hu " To tum mujhe aisi koi information kyu bana cahte ho ? "

Adam " Kuch chune hue logo ko is bare me batane par hmara bhi kuch fayda hota hai. "
" Originally, phle aapse mai akela hi milne wala tha. "
" Lakin Deputy director bhi JEJU island Raid ke touch me the. Iske karan wo aapse as a person milne ko bahut jyada ichukh hai. "
" Ye bahut hi Rare case hai. "
" Baki ki bate aapko deputy director hi batayenge. "
" Maine ek car ka intejam kiya hai jo yaha se bahut jyada dur nahi hai. Kya aap unse milna chahenge ? "

Mai apne man me ' Information huh ? '

TAKK....

Fir mai apne car ka door open krta hu. Aur driving sheet ki taraf dekhte hue kahta hu " Mai sure nahi hu ki ye information mere kaam ki hai bhi ya nahi. "
" Mai is bare me ache se sochne ke baad tmko call karke baad me bata dunga. "

Adam " Mai to lagbhag bhool hi gaya tha. "
" Kisi bhi negotiation me aapke paas jo sbse best card hota hai aapko unhe utna jyada der tak chupa ke nahi rakhna chahiye. "
" Mai ab aapko wo information de hi deta hu. "
" Kya kabhi aapne kisi aise awakeners ke bare me suna hai jo kisi dusre awakeners ki ability ko increase kar skta hai ? "

Ye sunne se pahle jo mai apne car me baith kar apna sheetbelt lagane hi wala tha ki mere hath wahi ruk jate hai. Aur mai kafi shocked se Adam ki taraf dekhne lagta hu.

Wrrroommm.....

SCREECH........

Uske baad mai Adam ke sath uski car me baith jata hu. Aur 15 min baad hi wo car ek 5 star hotal ke samne rukti hai. Aur car ke aage piche 3- 3 log suit buit me aakar khade ho jate hai.

Adam " Hum pahuch gaye hai. "

Hum car se utar kr kuch der me hi hotel ke hi ek luxury room me phuch jate hai.

TUDD....

Room ka door open hota hai aur ek yellow hair wala aadmi mere same khada rakhta hai. Ye koi aur nahi Deputy director Michael hi tha.

Michael meri taraf hand shake ke liye hath aage badhate hue " Aapse mil kar acha laga. "
" Mai deputy director Michael connor hu. "

Mai bhi hand shake karte hue " Aur Mai Rider hu. "

Tab Adam meri taraf dekhte hue smile ke sath kahta hai " Translations ko mujhe par chor dena. "

Fir hum dono aamne samne rakhe do bade se sofe par baith jate hai. Aur mere bagal me Adam baith jata hai. Hmare bich me ek glass ki badi si table thi. Jis par fihal kuch bhi nahi rakha hua tha. Aur are charo taraf unke kai sare agents santi se khade the.

Michael " Mai sidhe mudde ki baat karta hu Huntur Rider. "
( Mere taraf ek file badhate hue ) " Iske ander America immigration ke paper hai. "
" Normal ye 1 ya 2 year tak hi kaam karte hai. "
" Lakin Huntur Rider aapke liye ye alag hai. "
" One second. "
" Agar aapne bas ek word kah diya to aap ek american citizen ban jaoge. "

Mai apni sky blue color ki glow hoti aakho ke sath "Mai yaha aaya tha Quki agent Adam ne mujhse kaha tha ki mujhe yaha information mil sakti hai. "
( Apne man me ) ' The awakeners jo ki kisi dusre awakeners ki ability ko increase kar skte hai. '
( Michael ki taraf dekh kr ) " kya kisi ki ability ko such me increase kiya ja sakta hai ? "

Michael apna sir hilate hue " Mai aapko such batata hu. Aisi ability wali person yaha hamare paas hi hai. "
( Apne ek agent ko order dete hue ) " Mrs. Selner ko is room me le kar aao. "

Tap... Tap.... Tap....

Aur kuch min baad hi mujhe smne se ek lady aati hui dikhayi deti hai. Jise dekh kr meri aakhe glow karne lagti hai.















Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice update ab Agy dakty hn kia hota ha new new log enter ho rhy hn ab story ma
 

Ss mujrim

Active Member
629
467
63
UPDATE NO - 109
Rider ke antarman ki ek jhalak





Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mai aur baki sare hunturs nd almost puri India country JEJU ISLAND ke Rais me marne wale logo ko farewell de rahi thi. Waha se naiklte time mai Aayat ko dekhta hu lakin wo mere se najre cura rahi thi. Fir mai Chairman Xabhi se milta hu aur unhen apni ek Guild ko banane ke bare me batata hu. Uske baad mai waha se nikal raha tha ki mujhe ek american agent Adam mil jata hai. Aur wo mujhe ek hotal me apne deputy director Michael connor ke paas le jata hai. Jaha wo mujhe batate hai ki Hunturs ki ability ko increase kiya ja sakta hai kisi dusre Hunter ki help se. Fir wo waha ek lady ko bulate hai.



AB AAGE......


Tap... Tap.... Tap...

Ek lady hmare room ki taraf aa rahi thi. Jo ki uske chlne ke karan hone hue high hills ke aawaj se pata lag raha tha. Mai room ke door ki taraf dekh raha tha.
Jabki Michael mere taraf dekhte hue kahta hai " Is world me sirf ek hi person hai. "
" Jo baki dusre awakeners ko unki limit ke bhi paar jane me help kar skti hai. "
" Aur wo person hai Mrs. Norma Selner. "

Aur Michael ke itna kahne tak hmare room me Michael ke kahne par bahag gaye dono agents ek lady ko le kar aa jate hai. Wo ek black lady thi. Jo ki dikhne me 35-40th ki lag rahi thi. Uske hair caurly nd black color ke them usne grey color ka ek suit aur skirt pahna hua tha. Aur sath me usne apne sir par ek bahut badi si round cap laga rakhi thi. Apne Right hath me usne ek midium bag carry kiye hue thi.
Us lady ke aate hi Michael apne jagah se khada ho jata hai. Aur wo lady mere samne wale sofe ki taraf chli jati hai.
Mai bhi bade dhyan se Norma Selner ko hi dekh raha tha aur apne man me soch raha tha ' Iske paas baki dusre awakeners ke jaisa nahi balki ek bilkul hi alag atmosphere hai. '

Michael, Norma Selner se kahta hai " Mrs. Selner "
" Please apni ability ke bare me huntur Rider ko explain kijiye. "

Michael ki baat suns kar Norma Selner mere taraf dekhne lagti hai, aur kahti hai " Tmhe is baat par yakin nahi ho raha hai. Hai ki nahi ? "
" Baki dusre Hunter ka bhi 1st time same tmhare jaisa hi reaction raha tha. "
" Lakin ek baar jab tum ise experience kar loge... "
" Tumhare paas isko pane ke alawa aur koi choice hi nahi bachega. "

Itna kuch kahte hue Norma Selner Mere samne wale sofe par baith chuki thi. Jaha pahle Michael baitha hua tha. Aur uske baad wo apni wo badi si round cap utar kar wahi sofe me ek side me rakh deti hai.
Ab tak hmare samne ke table par bhi coffee aur kuch khane pine ka saman aa kar rakha ja cuka tha.

Jb Norma Selner mujhe itna sub kuch bata rahi thi to pata nahi kyu Michael ek baar unhe rokna cahta tha aur wo kahta hai " Mrs. Selner. "

Lakin wo bina ruke mere taraf jukhte hue meri aakho me dekhte hue aage kahti hai " Jaisa ki tum jante ho. Sare awakeners ki ek limit hoti hai. "
" Koi bhi ise paar nahi kar skta hai. "
( Apne same table par cack ke ek pis ko kaat kar uska ek chota tukda frok se utha kar khate hue aage kahti hai ) " So jab tak ki tum REAWAKEND nahi hote. "
" Tab tak aap high rank ke level par kabhi bhi nahi pahuch skte ho. "
" Ye kisi bhi huntur ke liye basic knowledge hai. Jiske bare me abhi Hunturs jante hai. "

Mai, Norma Selner ki taraf dekhte hue santi se " So, Mrs. Selner... "

Isase phle ki mai aage kuch kahta Norma Selner wo cack ka tukda khate hue bich me hi kahti hai " Ha mere paas wo ability hai jiske help se koi bhi huntur apni limit ke us paar ja skta hai. "
" Mai 3 stages ke through help karke unki Strength ko increase kar skti hu. "
" Lakin mujhe abhi bhi ye smjha nahi aata ki mai ise kya kahu ? Jabardasti force de kar karwaya gaya REAWAKEND ya Kisi ke potential ko increase karna. "

Michael jo ki Norma Selner ke bagal me hi ek side khada tha wo kahta hai " Unhone abhi jo bhi kaha sub such hai. "
" Lakin ek baad jab ye apne power ka use kar leti hai to inhen ek long time tak rest karna padta hai. "
" Isiliye her year sirf kuch hi awakeners ko choose kiya jata hai jo ki is benifit ka fayda utha sake. "

Ye sun. Kah mai apne man me kahta hu 'Aur mai un kuch logo me samiul hu. '
' Jo bhi ho agar ye baat such hai to..... '
' Ye ek bahut hi amazing ability hai. '

Mai, Norma Selner ki taraf dekhte hue " ... To kitni jyada efficient hai ye ability ? "

Norma Selner " Ye person ke upar depend karta hai. "
" Lakin ek baar jab unhone 3rd stage ko complete kar liya. To unhone kam se kam 20 percent ya 30 percent jyada kud ko pahle se mehsoos paya. "

Mai apne man me ' 20-30 percent ? "
' Aisa nahi ho skta. '
' Ab mujhe smjh me aaya kyu itni sari burayi aur criticism hone ke baad bhi huntur Namit ne America jane ka decision liya. '
' Aakhir aise offer ko kon mana kr payega ? '
' Baki dusre Hunters bhi iske liye bhagte hue America chle jayenge. '

Main, Michael ki taraf dekhte hue " Agar is ability ke bare me kisi ne outside world me leaks kar diya to.... "

Michael " Isi liye to Mrs. Selner hamre sath hai. "
" Inke safety ki responsibly hmare upar hai. Aur sath hi me hum inko ek reasonable amount pay karte hai. "
" Jiske liye Mrs. Selner hmare dwara select kiye gaye hunturs ko higher level par phuche me madad karte hai. "
" Mrs. Selner ki ability ek gift hai jise hum aapko dena cahte hai. "

Mai apne man me ' Ek gift ? '
( Michael ki taraf dekhte hue ) " Ye ek gift se jyada kisi deal ki tarah nahi lag raha hai ? "

Michael meri taraf dekhte hue smile ke sath " Agar tum USA ke ek huntur ban gaye to hum is baat ka pura dhyan rakhenge ki tum hi sbse phle person ho jise jyada se jyada benifits mile. "
" Sath hi is deal ko aur bhi acha banane ke liye. Hum tumhare choice ke kisi bhi USA ke guild ke sath judne ke liye sari arrengement karwa sakte hai. "

Norma Selner apne coffee ko khtam karke cup ko table par rakhte hue kahti hai " Tumhe jaldbaji karne ki koi jarurat nahi hai. Hum yaha tumhari help karne aaye hai. Jiske liye hum aaj abhi hi tumhare liye 1st button ko start krte hai. "

Mai ( thode Surprise se ) " Kya ? "

Norma Selner meri taraf dekhte hue " Hmne tmhe bataya tha na ? "
" Ye ek Gift hai. "

Michael meri taraf dekhte hue " Ye bikul sahi kah rahi hai. "
" Kya tum apne potential ko unlocked karne ke liye taiyar ho ? "

Mai, Michael ki taraf dekhte hue " Bina kisi cost ke ? "

Michael, meri taraf dekhte hue smile ke sath " Ise hmari taraf se ek Gift smjho bas. "

Mai, Norma Selner ki taraf dekhte hue apne man me ' Inhone yahi kaha tha na ki agar mai ise ek baar experience kar lunga to mai isase piche nahi hat paunga ? '
' Iska Matlb hai ki inko apne Ability par pura confidence hai. '

Fir mai bhi apna sir haa me hila kar apni rajamandi de deta hu. Uske baad Mrs Selner apne dono hatho ko aage karke mere right hath ko pakd kr kahti hai " Meri aakho me dekho. "
" Dhyan se. "
" Ye 1st step hai. "

Michael hum dono ki taraf Dhyan se dekhte hue ek smile ke sath apne man me kahta hai ' Achi baat hai. Ise ye feel hona suru ho gaya hai. '
' Bhale hi ye abhi apna aap ko saant dikha raha hai. Lakin ek baar jab ye 1st stage ko pura kar lega to ye hum logo ko wapas se jarur contact karega. '
' Nahi ! Agar ye impatient hua to ye abhi turant hi contract ko sign kar dega. '
' JEJU island ke jis Raid me Ryuji Koto name ka jo huntur National level huntur banane ke liye aim kiye baitha tha. '
' Wah iske rear ability ke karan bahut hi aasani se clear ho gaya. '
' Mai to yahi soch kar shocked hu ki iski limit aakhir kitni hogi. '

Norma Selner aur mai ek dusre ki aakho me dekh rahe the.
Unki aakhe jaha green color ki glow ho rahi thim wahi meri aakhe sky blue color ki glow ho rahi thi. Hum dono ke body ko sky blue color ki ek energy ki patli si layer cover kar leti hai. Aur kuch hi second me Norma Selner mere antarman me pahuch jati hai.
Jab wo waha phuchti hai to unhen waha charo taraf bikul andhera dikahyi deta hai. Wo apne gardan ko ghuma ghuma kar idhar udhar dekhti hai. Lakin her taraf unhe Ghana, kala andhera hi dikhayi deta hai. Aise hi wo idhar udhar dekh hi rahi thi ki unhen ek taraf unse kafi height par ek face dikhayi deta hai. Jab wo dhyan ne us face ko dekhti hai to unhen pata chalta hai wo face kisi aur ka nahi mera hi tha. Aur meri aakhe close thi. Aur mere face ke alawa waha aur kuch bhi dikhayi nahi de raha tha. Jb Mrs Selner aur dhyan se mere face ki taraf dekhti hai to ekdam se mere antarman me meri aakhe open ho jati hai. Aur wo ghur kar apne sky blue color ki aakho ke sath Mrs Selner ko dekhne lagti hai.

Aaaaaaaaa.........

Aur aisa hote hi Mrs Selner turant hi apne dono hatho ko wapas apni taraf bahut jor se chillate hue teji se khich leti hai.
Aisa hote hi waha par khade sare log aur sath hi mai, sabhi chauk jate hai.

Aur turant hi mere piche khade 2 american agent apni apni gun nikal kar use mere sir ki taraf point out karte hue kahte hai " Tum sale, kamine ! Tmne Mrs Selner ke sath kya kiya !? "

Aur ye dekhte hi turant hi Michael bahut jor se chillate hue un dono agents ko order dete hue kahta hai " Ruk jao ! "
" Kya tum logo ka dimak khrab ho gaya hai !? "
" Tum dono gadhe ho kyaaa..... ? "

Ek agent, Michael ki taraf dekhte hue halke dar ke sath " But Mrs Selner.... "

Michael gusse se " Agar tumhe Mrs Selner ki itni hi fikar hai to jao aur ja kar unko sambhalo. Aur unka dhyan rakho. "

Ye sun kar wo agents turant hi apne apne gun ko ander rakh lete hai. Adam aur kuch agents ja kar Mrs Selner ko pani pilate hai. Aur unko check karne lagte hai.

Michael mere samne aa kar turant hi apna sir jukha kar mujhse mafi mangate hue kahta hai " Mujhe maaf kar dijiyega Mr. Huntur. "
" Hmare agents ne aapke sath thik se behave nahi kiya. "

Mai bhi ab tak shocked ke sath Mrs Selner ko dekh raha tha aur apne man me ek hi baat soch raha tha ' yaha ho kya raha hai ? '
( Michael ki taraf dekhte hue ) " Koi baat nahi. "
" Mai thik hu. "

Ye sun kar ab kahi ja kar Micheal ne rahat ki saas li. Uske face ko dekh ke hi pata chal raha tha ki wo kitna dar gaya tha is sub se. Pasine ki bund fully A.C. room me bhiuske forehead par saaf dekhi ja sakti thi.

Michael mere piche khade dono agents ke paas ja kar unke kaan me dhire, lakin sakt tone me kahta hai " Agar aisa kuch Sandy Nirwan Ya Liu Zhigang ke samne hua hota to ab tak hum sb yaha mare pade hote. "
" Is baat ko apne dimak me fit kr lo. "
" Aakhir ye ek National level huntur hai tum ek mamuli se Gun se iska kya bigad lete ? "

Ye sun sunte aur smjhte hi un dono ke pure body se pasine nikalne lagte hai aur wo jldi se bas itna hi kah pate hai " Ji ! Ji ! "
" Aage se hum pakka dhyan rakhenge. "

Fir jaldi se Micheal Mrs Selner ke paas jata hai jo ki abhi tak dar ke karan bahut buri tarah kaap rahi thi. Sath hi me unke pure body se pasina pani ki tarah bah raha tha. Unhone apne dono hatho se apna sir pakd rakha tha Aur wo jaise kisi sadme me chli gayi ho. Wo bas niche jamin ki taraf dar aur khauf se dekh rahi thi.

Michael fikar ke sath Mrs Selner se kahta hai " Mrs. Selner kya hua ? "
" Aapko lagatar itna pasina kyu aa raha hai ? "
" Kahi aap bimar to nahi ho gayi hai ? "

Lakin Mrs Selner bina kuch bole chori chori dar ke sath mujhe hi dekhe ja rahi thi.

Michael meri taraf dekhte hue kafi nirasha se " Aisa lagta hai ki Mrs. Selner ki tabiyat aaj thik nahi hai. "
" Kya hum aapko baad me fir se contact kar skte hai ? "

Mai " Ji jarur. "

Michael, Adam ki traf dekhte hue " Adam Mr. Rider ko ache se ghar tak chod kar aana. "

Adam, Michael ki taraf dekhte hue " ji smjh gaya. "

Tap... Tap... Tap....

Aur mai waha se apne ghar ke liye nikal jata hu.

Mere jane ke baad Micheal wapas se Mrs. Selner ke paas jata hai aur puchta hai " Mrs. Selner kya hua ? "

Norma Selner dar ke mare niche jamin ko dekhte hue kapte hue apne hatho ke sath yaad karte hue kahti hai " W....wo e.....ek ..... "
" Wo ek Raja hai. "
" Aur sirf itna hi nahi wo ek bahut hi Powefull Raja hai. "

Michael bhi ye sun kah shocked ho jata hai aur haklate hue kahta hai " I...iska mat...matlab, kya wah National level hunturs ke jitne samne level par hai ? "

Norma Selner " Nahi mai thik se nahi kah sakti hu. "
" Maine aisa kuch bhi aaj tak kapne life me kabhi bhi experience nahi kiya hai. "
" Wo ek king hai. Lakin wo bakiyo se bilkul alag hai. "
( Meri antaratma ki eye ko yaad karte hue ) " Jab maine uske aakho me dekhne ki kosis ki . "
" Usne bhi wapas se mere aakho me dekha. "
" Aisa lag hi nahi raha tha ki wo Huntur Rider hai. Balki aisa lag raha tha ki uske ander kabhi na khtam hone wala andhkar tha. "
" Aur wo mujhe hi dekh raha tha. "
" Aur uski.... "
" K...koi ..limit nahi hai. "














Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!

Aey haye haye haye maza aa gya paaar kaaa
 

Ss mujrim

Active Member
629
467
63
UPDATE NO - 110
END OF THIS ARC




Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Adam mujhe ek hotal me le kar jata hai jaha meri mulakat USA huntur association ke deputy cheif Micheal se hoti hai. Aur fir wo mujhe Mrs. Norma Selner se milwate hai. Aur wo mujhe batatai hai ki wo 30 percent ability ko increase kar skti hai. Uske baad wo mujhe iske 1st step ke liye mana kar mera hath pakad ke mere aakho me dekhne lagti hai. Aur fir mere man me mai ulta hi Mrs. Selner ko ghur kar dekhne lgta hu. Jisase wo bahut jyada dar jati hai. Uske baad mai waha se nikal jata hu. Aur Mrs Selner baki subko mere bare me bahut jyada darte hue batati hai ki mai ek King hu.



AB AAGE.....


EVENING TIME
HUNTUR ASSOCIATION BUILDING, DELHI



Saam ka time tha, Suraj bas kuch hi der me dubne hi wala tha. Aur is time Chairman XAbhi apne cabin me bikul akele the. Aur apne chair par baithe hue the. Is time wo bahut hi paresan dikh rahe the. Unhone apni aakhe band krke apne hatho se apna sir pakde hue the.

Xabhi ek lambi saas lete hue " Haa..... "
( Dukhi man se ) " Hmne Huntur Ajay ko kho diya. "
" Nahi, wo retired ho gaya tha to ab hum use huntur nahi bula skte hai. "
" Ye ek noble sacrifice hai. Isiliye is Raid ko aise khtam hone ke karan mera dil hi tut gaya hai. Mujhe bahut hi bura lag raha hai. "
" Aur ab yaha aage aur bhi kai obstacle aane baki hai. "
" Aur jab wo samne aayenge wo kewal ek hi sacrifice se khtam nahi honge. "

TRINN..... TRINN.....

Tabhi Chairman Xabhi ke smartphone ring hone lagta hai. Aur wo apne phone utha kar call recive karte hai.
Samne wala kuch kahta hai. Jise sun kar Chairmen Xabhi thode shocked ke sath kahte hai " Kya ? "
" Waha bich rode par ek B Rank Gate open hua hai ? "

Ye sunte hi samne wala kuch kahta hai. Aur Sabhi apne man me sochne lagta hai ' Agar ye ek B Rank DENGEON hai to, koi Average Attack force isko bikul bhi nahi sambhal skta hai. '

Ye sochne ke baad Xabhi phone par kahte hai " Mai abhi turant hi ek big Guild ko contact karta hu. "

Tabhi Xabhi ko kuch yaad aata hai aur wo kahte hai " Ruko, us jagah ki location kya hai ? "

Fir dusre side ek jaha DENGEON open hua hota hai uski location batayi jati hai. Aur location ka name sunte hi xabhi kahte hai " Kya Huntur Rider ne usi ilake me apna new office nahi khola hai ? "


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

SAME LOCATION
ON TRAFFIC


Mai thik usi rode par jaha DENGEON open hua tha usase kuch duri par apne car me bitha hua idhar udhar dekh raha tha. Quki yaha abhi traffic jam laga hua tha. Aur uska karan mujhe bilkul bhi nahi pata tha. Mai to in sub bato se bekhabar draving sheet par bitha alag hi soch me ghum tha.

Mai apne man me ' Unhone definitely kuch na kuch dekha tha. '
' Lakin unhone dekha kya tha ? '
' Kya unhone System ke koi trace dekha tha ? '
( Mrs. Selner ka dara hua face yaad karte hue ) ' Wo kis chij se itna jyada dar gayi thi ? '
Unki aakhe dehsat aur khuff se bhari hui thi. To mujhe to nahi lagta hai ki wo wapas se dubara kabhi mujhse milengi. '
( Window se Bahar ki taraf jakh kar dekhte hue halke narajgi se ) " Is Traffic ko bhi pata nahi kya ho gaya hai ? "
" Isase acha to mai subway wale raste se yaha aa jata. "

TRINN.... TRINN.....

Tabhi car ke ander phone stand me rakha hua mera phone ring karne lagta hai. Chairman Xabhi ka call tha. Mai phone ko answer karke speekar par daal deta hu.

Xabhi " Mr. Huntur mai Chairman Xabhi bol raha hu. "

Mai " Ha mai janta hu, kya koi problem hai ? "

Fir Xabhi mujhe appear hue Gate ke bare me batate hai aur mai halke shock ke sath confirm karne ke liye kahta hu " Kya ? Bich rode per ek Gate open ho gaya hai ? "
( Apne man me ) ' tabhi mai sochu ki aaj ye traffic kyu hai yaha . '

Xabhi " Aisa lagta hai Wo ek B Rank Gate hai. Kya tum use sambhal skte ho ? "

Mai " Bina permission ke ? "

Hahahhah......

Ye sun kar Xabhi haste hue kahte hai " Mr. Huntur aapko permission kaha se milti hai ? "

Mai " Huntur Association se. "

Xabhi ek smile ke sath " Aur mai kon hu ? "

Mai ye sun kar kud par sharminda hote hue kahta hu " Aap waha ke chairmen ho. "

Hahahaha.....

Xabhi wapas se haste hue " To tmhe fikar karne ki koi jarurat nahi hai. "

Mai " To aapka bahut bahut sukriya iske.... "
" Nahi mera Matlab tha Thank you. "

Uske baad bas kuch hi min me jaha Gate open hua tha uske samne pahuch cuka tha. Waha samne such me ek bahut bada Gate tha jisko charo taraf se huntur association ke logo ne restricted karke rakha hua tha.
Bahut sare Reporters bhi waha ab tak aa cuke the. Aur wo waha ki Reporting karna suru kar cuke the.

Reporters " Abhi jo TV screen par aap gate dekh rahe hai. Wo gate Greater Noida ke highway ke paas me appear hua hai.

Huntur Association ke members logo ko waha se duri bana kar rakhne ko kahte hue " Sare log please aap log yaha se duri banaye rakhiye. "
" Aur rules ko follow kariye. "

Tap.... Tap.... Tap....

Wahi mai jo ab tak waha pahuch cuka tha, mai bina kisi ki taraf dhyan diye waha se gate ke taraf jane lagta hu. Tabhi Huntur Association ki ek female member jisne chasma lagaya hua tha wo apne official uniform me mere samne aate hue gusse se kahti hai " Hey ! Ek minute ruk jao. "
" Tum bina permission ke yaha ander nahi aa skte ho. "

Ab tak wo mere paas aa cuki thi. Aur mera face dekhte hi sayad wo mujhe pehchan leti hai aur shocked ke sath kahti hai " Huh... Huh ? "
" S...S Rank huntur R....Rider !? "

Ab tak waha Traffic ke karan waha jama log bhi mujhe dekh lete hai aur sare logo excitement ke sath chilla kar kahne lagte hai.

" Are ye to Rider hai. "

" Aisa lagta hai Rider yaha is Gate ko sambhalne ke liye aaya hua hai. "

" Ab jabki Rider yaha aa gaya hai to ab hame fikar karne ki koi jarurat nahi hai. "

" Wow, ye kitna handsome hai ? Kaas ye mera bf ban jaye. "

Reporters " Jaisa ki aap sub dekh skte hai yaha Huntur Rider aa cuke hai. Ab hme fikar karne ki koi bhi jarurat nahi hai. "

Jabki yaha ye female member abhi bhi halke gusse me mujhse kahti hai " T...tum yaha kaise aa gaye ? "
" bhle hi tum ek S Rank huntur ho. Lakin fir bhi hum tumhe process ko ignore karne nahi de skte hai. "
" Kya tumhe permission mila hai ? "
" Aur agar tumhare paas permission hua tab bhi hum tumhe gate ke ander nahi jane de skte hai, jab tak ki tumhare paas ander jane ke liye paryapt log nahi ho jate hai. "

Mai ye sub sun kr apne man me sochta hu ' Ye to kuch alag hi kah rahi hai. '

Aur fir mai bina usko koi reply diye Chairman Xabhi ko call laga deta hu. Aur jaise hi wo phone recive karte hai mai kahta hu " Well... Mai yaha phuche to gaya hu. Lakin mujhe lagta hai yaha ek problem hai. "

Itna kah kar mai apna phone us chasmis female member ki taraf badhate hue kahta hu " Lo pakdo. Aur baat karo. "

Ye sun kar wo Female member dar jati hai aur haklate hue kahti hai " K...kon hai ye ? "

Mai " Koi aisa jise tum na nahi kah sakti. "

Tab tak phone jo ki speekar par tha waha se chairman Xabhi bol padte hai " Mai chairman bol raha hu. "

Aur wo female member Cahirman ki aawaj turant pehchan jati hai. Aur turant hi phone ko pakad ke mere se thodi dur ja kar apna sir hilate hue dar dar kr baat karne lagti hai.

Female member " Ji ! Ji ! "
" Ji ! Ji ! Sir mai bikul waisa hi karungi jaisa aapne kaha hai. "

Tap... Tap... Tap...

Ye sunte hi mai aage Gate ki taraf jate hue kahta hu " Mai ab ander ja raha hu. "

Ye sunte hi wo female member bhi jldi se phone rakh kar mere taraf dekhne lagti hai. Lakin mai ab tak Gate se ander enter kar chuka tha.
Ye dekh kr wo female member apne man me gusse me kahti hai ' hump! Kaas wo kud se waha ander kud se gir jaye aur uske ek pair tut jaye. '

Tabhi baki sare huntur association ke members bahut jyada shocked ke sath Gate ki taraf dekhte hue dar ke sath kahne lagte hai
" Ye.... Ye kya ? "

" Ye Gate to.... "

" Is Gate ka color to change ho raha hai. "

BUZZZZZZ....... BUZZZZZZ........

Such me Gate Ka color blue se change ho kar red hone lagta hai. Aur ye dekh kr sare hi log bahut jyada shocked ho jate hai.

Wo female member bahut jyada shocked ke sath apna muh khole " Red gate.... "
( Apne man me ) ' Kya aisa is liye hue, quki mai uske hurt hone ke liye prathna kar rahi thi ? '


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

INSIDE THE RED GATE


Wahi mai ab tak Gate ke ander aa cuka tha. Ye koi jangal type ka DENGEON tha. Aur mere ander aate hi gate lock ho jata hai. Aur mere taraf se Gate gayab ho jata hai. Aur yaha abhi kafi tej barish ho rahi thi. Mai abhi bhi santi se apni jagah khada rahta hu. Aur Mai ye sub dekh kar kud se kahta hu " Aisa lag raha hai ye ek Red Gate hai. "

Piche mud kar dekhte hue " Exit bhi band ho chuka hai. " Mujhe ab kud par kuch jyada hi depend hona padega. "

Tabhi kud par depend hone ki baat se mujhe kuch yaad aane lagta hai.


JEJU island ke Raid ke baad jab mai ghar wapas aata hu to uske agle din meri mom ke sath baat hoti hai. Quki meri mom ko bhi pata chal chuka tha ki mai ek huntur hu. Aur koi mamuli huntur nahi ek S Rank huntur. Jisne JEJU island raid ko clear kiya hai.


Mom us time kitchen me saaf kiye hue bartan ek dry kapde se saaf kar rahi thi.

Mom " Hum awakning ke sath kuch nahi kar skte hai. "
" Aur usase bhi jyada Ab jabki tum ek S Rank huntur ho to tumhe bahut si jaane bhi bachani padegi. "
" Jaise ki tmhare papa karte the. "
( Kuch yaad karke ek bahut hi pyari smile ke sath ) " Jb wo Huntur nahi bane the to wo ek firefighter the. "
" Aur jab maine unko logo ko bachate hue dekha tabhi mai unse pyar kar baithi thi. "
" Lakin mai kya kar skti hu. Jab tum bhi unke hi bete ho to. "
" Lakin apne aap par iske karan bahut jyada pressure mat dalna. "

" Thik hai na ? "

Meri mom ne mujhse bas itna hi kaha tha. Aur ye sun kar maine ek bahut badi rahat ki saas li thi.

Mai mom ki baat ko yaad karke kud se smile krte hue kahta hu " Ye jaan kar mujhe bahut santi mili ki mom iske khilaf nahi hai. "

DHUMM.... DHUMM....
TAP.... TAP.... TAP.....


Tabhi waha par bahut sare Monsters mere samne jangal me se nikal kar aane lagte hai. Jinme se kai sare Monsters elephant se bhi size me 10 times jyada bade the. Aur wo to mere taraf aate hue apne raste me aa rahe bade bade majboot tree ko bhi kisi kamjor lakdi ke tukdo ki tarah todte, kuchalte hue aage aa rahe tha.
Unke face bahut hi bada aur ajib sa tha. Unhone apne sirf face par lakdi ke bane hue bade bade mask lagaye hue the. Unki aakhe bilkul red color ki thi. Meri height ke equal to unke sirf daat hi the.
Un bade Monsters ke alawa aur bhi bahut sare chote Monsters jangale ke bich se nikalte hue mere samne aa rahe the.

Un sub ko dekhte hue mai santi se kahta hu " Ye sub mere liye bhut jyada nhi hai. "
" Mai to inhe yaha ke time ke hisab se ek din me hi khtam kar skta hu. "

Bas itna kah kar mai apne sare Shadow Soldiers ko bula leta hu. Aur mere bulate hi sare aa kar mere piche kade ho jate hai.
Mere right side me IGRIS Aur IRON khade the to wahi left side me BERU aur TANK khade the. Aur mere piche TUSK khada tha.

Fir mai un Monsters ki taraf dekhte hue kahta hu " Sbko jldi se khtam kar do. "

Run.... Run.....

ROARRRR...... ROARRRR.......
SWOSSSSSS..... SWOSSSSSS.....

Aur uske baad mere sare shadow Soldiers un Monsters ke upar bhagte hue, ant's fly karte hue tut padte hai. Aur badi hi teji se ek ek karke Sbko khtam karne lagte hai.

Buzzzz.....
BOOM.... BOOM....


Shadow Magicians apne spell se fire ke gole bana kr Monsters ke upar dhmaka karke unko jala kar maar rahe hote hai.

SWOSSSSSS.....
SLASHHH.....


IGRIS jump karte hue bade bade Monsters ke ander apne sword se kai sare jaanlewa ghaaw de kar baad me unke sir me apne sword ko pura ghusa kar khtam kar raha tha. Jiske baad waha bas un Monsters ka Green blood aur Mari kati hui body rah jati hai.

ROARRRR......
SWOSSSSSS.......


IRON bhi apne aawaj se Monsters ko Lalkaar kar unke upar apne bade axe se Attack karke unko badi aasani se maar raha tha.

BOOMMM..... BOOMMM......

TUSK bhi apne hath me ORB pakd kr apne spells se un Monsters par kahar ban kar tut pada tha. Wo jaha se gujarta waha par sirf jalti jamin aur jali hui Monsters ki body padi rahti thi.

Aur BERU to in sub se akdam alag tha. Wo to bahut hi speed se Monsters ko mar raha tha. Aur abhi bas fight start hue kuch hi minutes hue the. Lakin wo 50+ monsters ke laso ke upar khada apne dono hatho ko faila kar baki Monsters ko cillate hue lalkar raha tha.

Jabki mai abhi bhi apni jagah par santi se khada in sub ko fight karte hue dekh raha tha. Aur apne man me soch raha tha ' Ek huntur ka janam hi hunt karne ke liye hota hai. '
' Monsters hi sirf ek lauta Enemy nahi hai kisi huntur ka. '
' Hunturs logo ko bahut hi careful rahne ki jarurat hai.taki koi aur uska sikhar na kar sake. Warna unka kud koi aur sikar kar skta hai. '
' ek huntur aur uske hunt ki position kabhi bhi badal sakti hai. '
' Isiliye 1st grade ke hunturs log apne guards ko kabhi bhi down nahi kar skte hai. '
' Bhle hi yaha Hundreds ho ya Thousands se bhi jyada hunts ho. '
' Hunt kabhi bhi khtam nahi ho skta hai. '
' Aur na hi mai Ruk skta hu. '

Jab tak mai ye sub soch raha tha. Tab tak mere sare Shadow Soldiers ne yaha ke sare Monsters ko khtam kar diya tha.
Aur ye dekh kr mai style se apne pocket me hath dale aage jane lagta hu. Aur mere sare Shadow Soldiers mere dono side mere ko respect dete hue khade ho kar apne ek ghutne par baith kar mere liye rasta saaf karne lagte hai.

Mai aage badte hue apne tie ko loose karte hue kahta hu " Chlo hum hmare next target ko taraf chlte hai. "
" Jo hme hunt karne se rokna chahata hai. "

Jaha mai in sub me busy tha. Wahi meri MAA aur choti behan in sub bato se bekhbar Kavya big bajar me shopping kar rahi thi.
Kavya unko ek meat ka packet dikha rahi thi aur use lene ka jidd kar rahi thi. Aur usko aise baccho ki tarah jidd karta dekh kar kafi jor jor se has rahi thi.
Baki sare S Rank hunturs bhi apne apne office me apne normal kaamo me busy the. Aur Aayat, Rahul se sword chalana sikhane ki practice kar rahi thi.














[ NOTE :- Aaj isi update ke sath hi Meri story ke sbse bade is 1st ARC ka end hota hai. Ab next update se story ne new ARC SHADOW MONARCH ki suruaat hogi. Jisme maine aapko phle hi apne ek post me bata diya tha ki kya kya ho skta hai. ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Chlo Ak Arc To khatam hoya ha ab dakty hn agy kia hota ha
 

big king

Active Member
621
1,055
123
Bhai itna bhi delay mat karo update dene me ki readers ka interest hi khatam ho jaay. Story mast hain but readers bhi insaan hi hote hain voh bhi bhul jaate hain. Jab tak update doge pura story dhundhla par jaayga sab ke liye. Thora hamara bhi sun lo bhai 🙏🙏
 

Ss mujrim

Active Member
629
467
63
UPDATE NO - 111
TOWARD THE BEGINNING




Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Chairman Xabhi, Ajay ke ab na rahne se sad feel rahe hote hai ki unhen highway ke bich rode par ek DENGEON ke open hone ka pata chalta hai. Aur location ka pata chalte hi unhe yaad aati hai ki wahi maine apna office open kiya tha. Aur wo mujhe call krke sari situation smjhate hai. Fir mai jaha Gaye open hua tha waha ja kar entry karne jata hu to huntur association ki ek member mujhe ander jane se rok deti hai. Uske baad mai uski baad chairman se karwa kar ander jata hu. Aur wo gate Red Gate me change ho jata hai. Aur waha par mai apne sare shadow Soldiers ko bula leta hu aur wo sare Monsters ko marne lagte hai. Wahi mai santi se khada apne apni Maa ke sath hui baat ko yaad karne lagta hu. Jaha unhe mere huntur hone ke bare me pata chal gaya hota hai.



AB AAGE.......

SOMEWHERE IN EARTH
LATE NIGHT



BUZZZZZZ....... BUZZZZZZ.........

India ke bahar kisi dusri country me ek pahadi ilake me sunsan jagah par is time sayad koi DENGEON open hua tha. Late night ka time ho raha tha. Aur sky me bikul andhera faila hua tha. Aur wo DENGEON jaha open hua tha uske aage hi pathro ka do bahut bade bade pahad the. Ye dekhne me aise lag rahe the jaise is DENGEON ke liye Entrance ka kaam kar rahe ho.

Ha... Ha...

us country ki ek Attack force bhut phle hi waha aa kar us DENGEON ke ander ja chuki thi. Aur is wakt DENGEON ke ander, samne dekhte hue is Attack force ka leader kafi jor se haafte hue apne saaso ko control karne me laga hua tha.
Wo dikhne me white man tha. Uske hair brown color ke the. Aur uski kafi ghani moustache thi. Sath usne french cut me beard bhi rakhi hui thi. Wo bahut jyada Surprise aur dar ke sath samne ki taraf dekh raha tha. Uske body aur face se kafi sara pasina nikal raha tha.

Leader dar ke sath haklate hue samne dekh kr kahta hai " Tum..... "
" Tum kya ho ? "

Uske samne fate kapdo me wo blue skin wala hi old aadmi khada tha jisne ki JEJU island par apne ek chutki se Sbko behosh kar diya tha. Wo Attack force ke leader ki taraf dekhte hue kahta hai " Ye bhi wo nahi hai. "
" Wo bahut hi chaturai se use chhipa rahe hai. "
" Cmakdar light ke tukde.... "


BUZZZZZZ.....
BUZZZZZZ......


Tabhi waha us old man ke piche hi ek purple color ka portal open hota hai. Aur uske ander se ek aur old but muscular body wala aadmi nikal kar bahar aata hai. Uske kapde bhi niche se fate hue the. Aur usne huddi type bahut hi ajib se purple color ke kapde pahne hue the. Un kapdo ke sath hi usne bahut hi ajib sa armour pahna hua tha. Jisne uske sir ke paas sig nikle hue the. Aur face me chin se le kar chick tak bhi ek armour type kuch tha. Uske hair White color ke ho chuke the.
Use bina dekhe hi wo old man kahta hai " Yogumunt, Tum yaha kya kar rahi ho ? "

Yogumunt portal se bahar aate hue " Mai yaha tmhe South ke territory ke bare ek information dene aaya hu. " Yadi tumhara matlb South ke us chote se territory se hai. Jaha Shadow monarch rahta hai. "
" Kya tmne nahi kaha tha tum us jagah ka kud khyal rakhoge ? "

Yogumunt " Aisa lagta hai Ruler log South kei taraf apne sainy tukadi ko relese karne wale hai. "
" Mai wo jagah le lunga. "

Old man " Tab to Shadow monarch.... "

Yogumunt " Jab tak Architecture apna role ache se kar raha hai. Tab tak koi bhi problem nahi hone wali hai. "

Jabki in dono se thodi duri par khade Attack force ke sare members dhire se yaha se bahar ki taraf khisakne lagte hai.
Ye dono apne bato me lage hue the. Jiska Attack force wale fayda uthane cahte the. Quki wo ache se smjh gaye the ki in dono ka ye bilkul bhi mukabla nahi kar skte hai.

Yogumunt ek evile smile ke sath aage kahta hai " Ek aur interesting news ka pata chala hai. "
" Ye baat confirm ho gayi hai ki chmakdar light ka sbse bada tukda wahi hai. "


Kukukuk.....

Ye sun kar wo old man bhi ek evile smile karte hue Yogumunt ko dekhta hai aur kahta hai " To tum yaha mujhe ye baat batane ke liye aaye ho ? "

Yogumunt " To ab tum is bare me kya karoge ? "

Old man " Agar tum mujhe wah dene ko taiyar ho. Wo bhi puri tarah se. "
" Lakin usase jaruri baat hai ki.... "
" Aisa lagta hai ki hame yaha lalach dekar bulaya gaya hai. "
" Aur ek aisa ladka jiske paas chamakti hui light ka ek tukada bhi nahi ho skta hai. "
" Mujhe aacharya ho raha hai ki wo chmakdar light ka trace kyu chor raha hai.... "
" Aur wo hmare raste me aane ke bare me plan banaye hue hai. "


Tap.... Tap.... Tap....

Jab tak old man ye bolte hue DENGEON ke ander se entrance ki taraf dekh raha tha. Tabhi kisi ke inke taraf aane ki aawaj sunayi deti hai. Aur jaise jaise uske pair dikhayi dete hai waise waise uske pairo se purple light ki cingati jaisi nikal kar yaha waha gir rahi hoti hai.
Aur aise hi karte hue wo inke bikul samne aa kar khada ho jata hai. Usne is time huddi wala ek long overcoat pahna hua tha. Uske kapde bhi niche se chithde hue pade the. Jaise wo bahut dino se bahut sari fight kiye hue yaha aa raha tha.

Wo anjan ladka apni glow hoti aakho se in dono ki taraf dekhte hue kahata hai " South ke Small territory tmhara matlb.... "
" India se hai kya ? "

Old man us ladke ki taraf apni glow hote eye ke sath dekhte hue " Kyu ? Tmhe isme koi interest hai kya ? "

Yogumunt old man ki taraf dekhte hue " MONARCH OF FROST. "
" Mujhe nahi lagta hai ki aapke paas is young ladke ke sath khelne ka time hai. "

Monarch of frost, us young ladke ki taraf dekhte hue " Agar tum hame rok skte ho to. Kosis karke dekh lo. "

Yo young ladka apne dono hatho khol kar kahta hai " Mai tmlogo ko yaha se bhagne nahi dunga. "


SWOSSSSSS.....

SWOSSSSSS.....
BAAM....

Itna hi kahte hi us young ladke ke dono hatho me dagger aa jata hai. Aur wo turant hi apne Dagger ko Monarch of forst ke upar chla deta hai.
Lakin ye kya isase pahle ki wo Dagger use lagta. Monarch of forst smile karte hue apne left hath ko aage kar deta hai. Aur waha almost 6 feet ka ice ka ek bahut hi majboot Shield ban jata hai. Aur us young ladke ka dagger usase takra kar ruk jata hai. Wo ice ka shield itna strong tha ki dagger use tod kar dusri taraf ja hi nahi paya.
Ye ladka koi aur nahi mai hi tha. Aur ye Attack maine hi kiya tha. Aur wo dono ajib log bhi Monarch the. Jisme se old man Forst Monarch tha.


BOOMMM......

Forst Monarch mere taraf dekh kr smile karta hai. Aur mai uske aakho me ghur kar dekhta hu. Aur hum dono hi apne power ko fully relese kar dete hai. Jisase waha ek bahut bada dhamaka hota hai.


Tabhi achanak se mera Sapna tut jata hai. Aur mai apne nind se jaag jata hu. Mai abhi bhi Red Gate ke ander tha. JEJU island ke Raid se aane ke baad abhi tak maine thik se aaram bhi nahi kiya tha ki mujhe yaha aana pad gaya tha. Aur yaha par almost 1 din bitane ke karan aur bahut se Monsters ko marne ke karan mai kafi thak gaya tha. Isiliye maine BERU ko apni suraksha karne ko kah kar mai ek nap lene ke liye let gaya tha.
Sath hi maine BERU ko kah diya tha agar koi bhi problem ho to mujhe jaga dene ko. Aur jab mai so raha tha tabhi mujhe ye ajib sa dream aaya tha. Jiske bare me mujhe kuch bhi smjha me nahi aa raha tha. Ye dream bilkul asli lag raha tha. Jaise waha mai such me hu aur ye sub such me hua ho.
Lakin fir mujhe is Red Gate ka khyal aata hai aur mai sari bato ko apne mind se naikal kar pahle yaha se nikalne ke liye aage badh jata hu.

Jangal me kafi aage jane ke baad mere samne wapas se wahi dher sare bade bade Monsters aa jate hai. Jinke bich me ab tak ka sbse bada Monster khada tha. Uski height almost 60feet se bhi jyada thi. Uska ekbada sa Dragan jasa face tha jiske sir par do 10-10 feet ke sig lage hue the. Baki hi uski body kamar tak human ki tarah normal thi. Lakin kamar ke niche uski body kisi janwar jaisi thi. Kamar ke niche uske 4 pair the. Jiske end me ek lambhi aur moti si tail bhi lagi hui thi.
Wo sayad in monsters ka boss tha.

Boss Monster mere taraf dekhte hue gusse me kahta hai " To wo kamina tu hai jo mere bhaiyo ko yaha par aa kar maar raha hai. "
" Mujhe kahna padega ye kafi impressive hai. "
" Ki tum apne is chote se body ke sath na sirf yaha aaye ho. "
" Balki tumko hmari bhasa bhi jante ho. "
" Lakin fir bhi jo bhi ho ab yahi tumhara ant hai. "
( Kafi jor se chillate hue ) " Hmare commander phle se hi tumhare intejar me ghaat lagaye baithe hue hai. "
" Chlo sub bahar aa jao. "

Itna kah kar wo saan se mujhe dekh ke smile karne lagte hai. Lakin uske itne kahne ke baad bhi charo taraf bikul santi chayi hui thi. Jb kuch der tak koi halchal nahi hoti hai to wo apna sir idhar udhar ghuma kar dekhne lagta hai. Lakin use koi najar nahi aata hai.
Wo confusion me idhar udhar hi dekh raha tha ki mai smile karte kahta hu " kya hua ? "
" Koi bhi bahar nahi aaya. "
" Ye to bahut hasi ki baat hai. "
( Serious tone me ) " Chlo bahar aa jao. "


Sssss....... Sssss.......

TAP.... TAP.... TAP....
DHAM... DHAM.... DHAM....

Aur mere kahte hi mere sare Shadow Soldiers mere piche ke jangal me se nikal kar bahar aane lagte hai. Aur un sub ke hath me to kisi ke sword me in monsters ki mari hui body rahti hai.
Un monsters ki body mere sare Shadow Soldiers boss Monster ke pairo ke paas fek dete hai. Aur mere piche khade ho jate hai.

Mai, boss monster ki taraf dekh kr " Lagta hai tum logo ke alawa ab aur koi jinda nahi bacha hai. "

Boss Monster apne samne padi baki Monsters ki mari hui body ko dekhte hue aacharya ke sath kahta hai " Kya.... Ye kya hai ? "


SUUU......
DHAM....


Tabhi boss Monster ke face par aa kar kuch lagta hai aur wo usase bachne ke liye apne aakho ko band kr leta hai. Lakin wo chij uske face se takra kar girne lagti hai to apne right hath ko aage karke use pakd leta hai. Aur jab wo apni aakhe open krke apne hath me dekhta hai to wo usi ke ek Monster ka kata hua sir tha wo. Use dekh kr wo gusse me mere taraf dekhne lagta hai.

SNAP....

Tabhi mere bagal me hi in monsters ke banaye hue ek mote se lakdi ke khambhe pr ekdam se fly karte hue aa kar BERU baith jata hai.

DHAMM.... DHAMM....

Aur uske piche hi TUSK bhi chlta hua sbke samne aa jata hai.

Boss Monster bahut jyada gusse se meri taraf dekh kr chillate hue " Tum.... Tum sale.... Kamine.... ".

Mai santi se khada niche dekhte hue aaram se kahta hu " Sabko maar dalo. "


ROARRRR..... ROARRRR.....

Run.. Run.. Run...
SWOSSSSSS..... SLASH.....

Aur mera order milte hi mere sare Shadow Soldiers bhgte, fly aur jump karte hue sare Monsters ke upar chillate hue tut padte hai.

WHAM....
WHOOSM......


IRON, sare Shadow ko lead karte hue kahar ban kar sare Monsters ko marne me laga hua tha.

Run... Run...

Wahi do 4 pair wale human monster apne dono hatho me sword aur bhale liye hue mere taraf full speed me aa rahe the. Lakin mai bina kisi tention ke aaram se apni jagah khada tha.

JUMP.... ROARRRR......

SMASH......

Tabhi mere sir ke bahut upar se TANK ek JUMP lagate hue chilla kr un dono Monsters ke upar tut padta hai. Sbse phle dono ko apne dono bade bade panjo se pakdta hai. Uske baad ek monster ka sir kha jata hai. Aur uske baad dusre monster ke sath bhi TANK yahi karta hai.

Boss Monster mere taraf dekh kr gusse se gurate hue " Tum kamine ! Mere sath bidhne ki kosis bhi mat karna. "


Run.... Run...
JUMP.....


Ye sun kar mai apne glow ho rahi aakho ke sath ek cold look ne me uski tarf dekhta hu. Aur mere aisa karte hi. Mere piche khada IGRIS apne full speed me bhagte hue aur BERU apne jagah se JUMP lagte hue Boss Monster ki taraf chal dete hai.

SWOSSSSSS......
SLASH....


BERU jaha speed me boss Monster ke right hath ko hi apne sharp panjo se katate hue aage nikal jata hai. Jisase uska dhyan uski taraf ho jata hai. Aur isi ka fayda uthate hue IGRIS bhi agle hi pal uska ek pair kaat kar uske body se alag kar deta hai.

Aaaahhhhhh.......
WHAM.....


Achanak hue is hamle se Boss Monster dard se chillate hue ladkhada kar girne lagta hai. Lakin apne left hath ko jamin par rakh kar wo kud ko smbhal leta hai.

DING.....


[ TUSK 'HYMN OF GAINTS' skill ka use kr raha hai. ]

Aur aisa karte hi dekhte hi dekhte kuch hi second me TUSK ka size Boss Monster se double ho jata hai. Aur TUSK apna bada sa right hath faila kar use Boss Monster ke upar aage kar deta hai.

DING....


[ TUSK 'HYMN OF REVERSE GRAVITY' skill ka use kar raha hai. ]

BOOM......

Aur agle hi pal TUSK ke Powefull gravity ke karan Boss Monster ki puri body jamin me bahut tej takra jati hai. Aur uske body ka jyadatar hissa jamin ke ander kafi ander tak dhans jata hai.

Tap... Tap... Tap...

Uske baad mai chlte hue aaram se boss Monster ke samne aa kar uske left hath ke upar apna pair rakh kar bahut tej use nice ki taraf press karte hue kahta hu " Ab mere Questions ka answer do ? "
" Agar tmne maine jaisa kaha waise kiya to ye sub tumhare liye kam dard wala hoga. "

Boss Monster mere taraf dekhte hue Ha me apna sir hila deta hai. Uske baad mai usase kuch questions puchta hu. Jikse answer uske paas bhi nahi the.


BAAM.....

To last me mai apne right pair ko utha kar jor se uske bade se muh par de marta hu. Aur uske sir ki almost sari bone tut jati hai. Aur uske muh se purple color ka bahut sara blood nikal kar aas paas ki jamin ko bhigone lagta hai.

Mai apne paint ke pocket me dono hath dale santi se kahta hu " Mujhe is baar bhi kuch bhi naya pata nahi chala. "
" System definitely isme interfere kar raha hai. "
" Chlo koi baat nahi. Sub thik hoga. Samay ke sath me sari chije jaan jaunga. "

Aur ye kahte hue mai inventory open krke usme se ek black color ki key nikal leta hu.
Us key ko dekhte hue mai kahta hu " Ye wahi key hai to mujhe Random Cursed box se mila tha. "
" Jab mai JEJU island ke Raid me 100 level par pahucha tha to main is key ke requirements ke liye fullfill karke iske kabil ban gaya tha. "

Aur usi time mujhe kai notification mile the.


DING....


[ Key ki partial information open ho cuki hai. ]

{ [ NAME : LAYERS KI BANI HUI TEMPLE KI KEY ]
[ DIFFICULTY LEVEL : ?? ]
[ ITEM TYPE : KEY ]
[ • Ye key user ko Layer wali Temple me jane ke liye allow karta hai.
• Is key ko iske choose kiye hue Gate me hi use kiya ja sakta hai.
• Gate ki location ek nishchit samay ke baad batayi jayegi.

• Time Remaining : 417 hour 6 minutes 52 second ] }

Mai black key ko dekhte hue apne man me ' Ye key Layer wali Temple ki hai. '
' Mai layer wali tample ko kaise bhool sakta hu. Bhle hi mai kistni bhi kosis hi kyu na kar lu Mai use kabhi nahi bhool skta hu mai. '
( Apne E Rank wale last Raid ko yaadkarte hue ) ' Double DENGEON. '
' System mujhe wapas se bula raha hai. '
' Jaha se ye sub start hua tha. '

Kud ko double DENGEON se phle ka yaad karte hue mai aage apne man me sochta hu ' Lakin ab chije badal chuki hai. '
' Agar ye sub starting se hi planned tha..... '
' Agar wo mera waha aane ka wait kar rahe hai.... '
' Agar aisa hi hai to, mera intejar karo. '
( Double DENGEON ke Sbse bade Stachue ko yaad karte hue ) ' Mai bahut hi jld waha aa raha hu. '



















Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice nice ab rider sa powerfull log aa rhy hn samny
Chlo dakty hn kia hota ha
 

Ss mujrim

Active Member
629
467
63
UPDATE NO - 112
AAYAT WANT TO JOIN RIDER GUILD





Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mai red Gaye ke ander ek ajib sa Sapna dekhta hu. Uske baad mai waha se jaag kar red Gaye ke boss se milta hu. Jaha mere sare shadow Soldiers mil kar Sbko maar dete hai. Mai boss Monster se bhi System ke bare me puchne ki kosis karta hu lakin mujhe kuch bhi pata nahi chal pata hai. To mai use maar deta hu. Uske baad mai apne inventory me se Black key nikalta hu jo ki 100 level me pahuchne ke baad partial unlock ho cuka tha. Is key se mujhe itna to pata chal jata hai ki ye double DENGEON ka hi key hai. Aur mujhe System wapas se wahi bula raha hai jaha se in sub ki suruwat hui thi.


AB AAGE.....


CLICK... CLICK... CLICK...
CLICK... CLICK... CLICK...


Shubham office me ek chair par bitha apne Table par rakhe computer ke mouse aur keyboard ko bahut speed se chlate hue kuch kar raha tha. Uski ungliyan bahut hi speed me chal rahi thi.

Shubham gusse se computer screen ki taraf dekhte hue bahut tej tej apni ungliyan chlate hue kahta hai " Ye sale trolls ! "
" Mai Bade bhiya ki badnami karne walo kisi bhi person ko maaf nahi karunga. "
" Jab tumhare upar mukadma darj hoga aur usase tum log rone lagoge. Tab bhi tumhe koi madad nahi milegi. "

CLICK... CLICK... CLICK...

CLICK... CLICK... CLICK...
TUDD....

Aur itna kah kar Shubham wapas se apne kaam me lag jata hai. Aise hi kuch der aur computer par kaam karne ke baad Shubham A4 papaer ke kafi sare pages jo ki print kiye the usne unko steeple karke aise hi phle ke aur kai sare A4 paper sheet ke bandal ke sath rakhte hue aakhirkar rahat ki saas leta hai.

Whew......

Aur uske baad wo chair par tek laga kar baithate hue apni aakhe band krke upar ki taraf apna sir karke kahta hai " Ak aur. "
" Maine bade bhaiya ki burayi karne wale ek aur group ke sath deal kar liya hai. "
"

Tabhi mai waha bina koi aawaj kiye achanak se aa jata hu. Aur Shubham ko aise aakh band kiye hue itne sare files ke bich baithe dekh kr kahta hu " Tum to such me bahut jyada mehnat kar rahe ho. "

Meri aawaj sunte hi Shubham turant hi aapni aakhe open krta hai aur mere taraf dekhte hue halke Surprise se kahta hai " Are... Bade bhaiya. "
( Apne man me ) ' Ye bina koi aawaj kiye hue hi kahi bhi aa aur waha se chle jate hai. '

Mai, Shubham ki taraf dekhte hue " Kya kuch hua hai ? "

Shubham, meri taraf dekhte hue "Nahi bade bhaiya ! "
" Lakin aap aise kyu dikh rahe ho ? "

Actually mai is time direct Red gate se nikal kara yaha aa gaya tha. Isi liye mere kapde kkafi mess lag rahe the.

Mai Shubham ki taraf High magic core aur crystal se bhara hua ek bag badhate hue kahta hu " Mai just abhi ek DENGEON se bahar aaya hu. "
" Tumne kaha tha ki hme Guild ko banane ke liye kuch money ki jarurat pad sakti hai. Hai ki nahi ? "

Shubham bahut jyada Surprise ke sath apne aakhe faad ke magic cores ki taraf dekhte hue kahta hai " Ye sare sbse high levels ke magic cores hai na ? "
" Kya aapne ek high Rank Gate clear kiya hai ? "

Itna kah kar Shubham mere hath se wo magic'crystal se bhara hua bag le leta hai. Aur khusi se excited hote hue aage kahta hai " Aap incredible ho bade bhaiya. "
" Is sub ke hote hue hme apne employees ko salary dene ke liye ab bilkul bhi chinta karne ki jarurat nahi hai. "

Mai, Shubham ki taraf dekhte thode confusion ke sath " Employees ? "

Shubham un magic core ko band karke ek jagah ache se rakhne ke baad ek towale la kar mujhe deta hai. Quki red gate ke ander barish bhi ho rahi thi. Jisase mai almost puri taraf se bhiga hua tha.
Mai apne aap ko us towel se pochne lagta hu. Tab Shubham meri taraf dekhte hue kahta hai " Aapko yaad nahi hai kya ? "
" Hme Guild banane ke liye abhi ek aur founding member ki jarurat hai. "

Mai Shubham ki baat sun kar kud ko pochte hue kahata hu " Ah, hme 3 Guild members cahiye, maine sahi kaha na ? "
" Guild Master, Vice Guild Master aur ek 3rd member. "
" Bhle hi ye bas Quota ko bharne ke liye hi hai. Lakin agar wo koi mehnati hoga to bahut hi achi baat hogi. "
" Aisa nahi hai ki hum us person ko bas ek ya do baar dekhenge. "
" Khair, kya bas yahi baat hai ? Ya abhi bhi koi kaam bacha hua hai ? "

Shubham meri taraf dekhte hue bikul serious ho kar kahta hai " Nahi ! Abhi ek aur sbse urgent kaam pura karna baki hai. "

Mai towel ko apne sir par hi rakhe confusion ke sath Shubham ki taraf dekhte hue kahta hu " Aur wo kya hai ? "

Shubham bilkul serious ho kar ek tak mujhe dekhte hue kahta hai " Kya aapne ab tak Guild ka koi name decied kiya hai ? "

Mai, Shubham ki taraf dekhte hue " Ah...Maine socha tha tum koi important baat karoge. "

Ye sunte hi Shubham ek chote bachhe ki tarah chillate hue kahne lagta hai " Ye ek bahut bhaut bahut hi jyada crucial matter hai, bade bhaiya. "
( Apne aakhe mund kar kuch der sochne ke baad kud se hi badbadane lagta hai ) " Hmare name ke last word ko mila kar banaya hua name 'Ram Guild' ye kaisa hai ? " Nahi ye sunane me cool nahi lag raha hai. "
" Hamer ye sunane me kuch thik bhi lag raha hai. Lakin mera name aake name se phle aaye aisi gustakhi mai kabhi bhi nahi kar sakta hu. "
" Hum Rishu Guild bhi rakh skte hai. Hmare name ke starting word ko use karte hue. Ye bhi koi bura name nahi hai. "

Shubham aise hi kud me badbada raha hota hai ki mai ekdam se kahta hu " Solo Play Guild is name ke bare me kya khyal hai tumhara ? "

Ye name sunte hi Shubham meri taraf shocked ke sath aakhe aur muh fade dekhne lagta hai " Kya ? "

Mai, Shubham ki taraf dekh kr santi se kahta hu " Hamara Guild waise bhi solo Hunting par hi based hai. "

Ye baat sunte hi Shubham dusri taraf apna muh karke shocked ke sath kud se hi bahut dhire se kahta hai ' Kya Bade bhiya ne abhi mere sath koi majak kiya hai ? '
( Ghum par ek baad jldi se mera face dekh kr wapas se udhar hi apna facekarte hue ) ' Nahi unke face ko to dekh kr aisa bokul nahi lagta hai. '
' Mere khyal se chlo aakhir koi to chij hai jisme bade bhaiya bhi bure bhi. '
' Aakhirkar wo bhi ek human hi hai. '

KNOCK.... KNOCK....

Hum dono abhi inhi bato me busy the ki. Hmare office ka main door knock hone lagta hai.

Shubham door ki taraf dekhte hue jor se " Kon hai ? "

CRECK....

Aur itna kah kar Shubham ja kar door open kar deta hai.

Samne se " Kya ye huntur Rider ke Guild ka Office hai ? "

Shubham door ke bahar khade person ko dekhte hue kahta hai " Ha ye huntur Rider ke hi Guild ka Office hai. Lakin aap kon..... "

Lakin jaise hi door ke us side khade person ka face Shubham dekhta hai wo Surprise ke sath aakhe fade kafi jor se kahta hai " Huntur Aayat Aap ? "

Ji ha dosto door ke bahar khada person koi aur nahi huntur Aayat hi thi. Wo is time bahut hi beautiful lag rahi thi. Black skinfit Jeans nd White color ka ek bahut hi sunder sa top.
Is time wo bikul hi santi se kisi Normal person ki tarah bina kisi attitude ke khadi thi. Koi dekh ke bilkul bhi nahi kah skta tha wo ek S Rank huntur hai.
Ab tak Shubham ne door ko pura open kr diya tha. Aur maine bhi Aayat ko bahar khade dekh liya tha.

Mai, Aayat ki taraf aate hue " Aap yaha kya kar rahi ho Huntur Aayat ? "

Aayat niche jamin ki taraf dekhte hue phle jijhakte hue kahti hai " Wo kya hai na ki..... "

Fir apne aakhe mund kar kuch der himmat juta kar wo meri aakho me dekhte hue kahti hai " Mai tumhara Guild join karna cahti hu. "

Ye sun kar mai use ander bula kar ek sofe par baithata hu aur uske samne ek shoft drink ka can rakhte hue kud uske samne rakhe ek sofe par baith kar mai Aayat ki taraf dekhte hue kahta hu " Kya aap thik se bata sakti ho, aap kya kahna cahti ho ? "

Aayat can se shoft drink ka ek ghut pite hue kahti hai " Jaisa ki maine kaha. "
" Tumhare Guild' ko mai join karna cahti hu. "

Ye sun kar mai apne mannme sochta hu ' huu ? Aakhir chal kya raha hai ? '

Fir mai kuch soch kar Aayat se kahta hu " Kya haal hi me aap Association ke chairmen se mili thi ? Aur unhone aapse aisa kuch karne ko kaha tha ? "

Ye sun kar Aayat Surprise aur confusion ke sath mujhe dekhte hue kahti hai " Huh ? "
" Lakin wo aisa kyu kahenge mujhse ? "

Ye sun kar mai smjha jata hu Chairman ne Aayat se kuch nahi kaha tha to kuch aur soch kar mai fir se kahta hu " Kahi Anubhav ne to aapko apne Guild se bahar nahi nikal diya hai ? "

Aayat " Nahi. "

Mai " To fir aisa kya hai ? "
" Jo aap hmara Solo Play Guidl join karna cahati ho ? "

Ye sunte hi Aayat ko ek jhatka lagta hai aur wo ghur kar mujhe dekhte hue kahti hai " Kya... Kya tumhare Guild ka name Solo Play hai ? "

Mai santi se Aayat ki taraf dekhte hue " Mai aur vice Guild Master hum dono isi name par agreed hue hai. "
" Kya isme koi problem hai kya ? "

Ye sunte hi Aayat kuch kahti usase phle Shubham halke gusse se mere upar chillate hue jldi se kahta hai " Bade bhaiya Solo Play Guild se aapka kya matlab hai ? "
" Ab ye mat kahiyega ki ye name allready decided ho gaya hai. "
" Maine jo suggestions diya uska kya ? "

Mai, Shubham ki taraf dekhte hue dhire se kahta hu " Jab maine ye name suggest kiya tha. Tab tmne kuch bhi nahi kaha tha. "
" To maine socha ki tumhe ye name pasand hai. "

Shubham meri taraf dekhte hue jldi se kahta hai " L...Lakin mujhe ye name... "

Lakin mai shubham ki baat ko ignor karke kud ke man me sochne lagta hu ' Nahi, abhi ke liye kud ko shaant rakho Rider. '
' Mere faisle is time sahi nahi ho rahe hai quki ye situation mujhe bahut confused kar raha hai. '

Mai Aahat ko dhyan se dekhne lagta hu jo ki apni najre mere se chura rahi thi. Aur mai kud ke man me sochta hu ' Iski Heartbeat, breathing aur expression. '
' in sub ko dekh kr to yahi lagta hai ki ye kud ko calm dikhane ki kosis kar rahi hai. Lakin ye mujhe fool nahi bana sakti hai. '
' Aakhir wo ye sub karke hmare Solo Play Guild me kyu join hona cahti hai ? '

Mai " Huntur Aayat aapko Awakning hue hue 2year bhi abhi complete nahi hua hai. "
" Kya aap abhi bhi Hunturs Guild's ke sath contract ke under bandi hui nahi hai ? "

Aayat mere taraf dekhte hue turant hi kahti hai " contract ko bich me hi chorne ke baad penalty ke roop me dene ke liye paise mere paas hai. "

Mai apne man me ' Ye to hme join karne ke liye penalty ke paise bhi dene ko taiyar hai. '

Fir mai Aayat ko dekhte hue kahta hu " Hmare Guild ke paas abhi uthne resources bhi nahi hai ki hum aapke calibre ke jitne kisi bhi huntur ko sahi se compensate kar sake. "

Aayat niche dekhte hue " Nahi, mere liye ye baat koi mayne nahi rakhti hai. "
" Mujhe to tum logo ke sath contract sign karne ka bhi koi bonus nahi cahiye. "

Mai ye sun kar Aayat ki taraf dekhte hue kahta hu " Aap aakhir hmare Guild ko join karne ke liye itna such kyu kar ri ho ? "
" Yaha pane ko aapke liye kuch bhi nahi hai. "

Ye sun kar Aayat apni aakhe close karke apne man me sochne lagti hai ' Mai tmhe kaise batau ? '
' Nahi. '
' Mai ise nahi bata sakti. Warna agar maine ise bata diya to ye mujhe pagal smjhega. '

Fir Aayat apne life ke last ke kuch dino ke bare me sochne lagti hai.

1st scene :-

Sbse phle wo hmari 1st mulakat ke bare me sochne lagti hai. Jaha mai aur wo ek DENGEON ke ander Lunch time me mile the. Aur Aayat ko mere se koi buri scent nahi aati hai.
Us incedent ko yaad karte hue Aayat apne man me sochti hai ' Starting me mai sirf uske scent ne mera dhyan uske taraf kiya tha. '
' Aur isase baad meri uske parati curiousity badhne lagi. Aur wo mere bare me aur pata karne ki kosis karne lagi.

2nd scene :-

Uske baad Aayat hmari 2nd mulakat ke bare me sochne lagti hai. Jaha mai akele High ORCS ke sath fight kar raha tha.

3rd scene :-

Aur fir Aayat us raid ke baad waha se bahar aa kar Kud se hi mere bare me internet par sub kuch search kar dalati hai. Aur use Pata chalta hai ki maine Sangam ke press conference ko barbad kar diya tha.
Aur Internet par mere bare me bahut sare negative comments bhi hai. Ye sub dekhte hue Aayat kud se kahti hai
" Jaisa ki maine socha tha wo such nikla, Rider ek S Rank huntur hai. "

" Aur mere hisab se Actually me wo ek bura person to bikul bhi nahi hai. "
" Lakin mujhe in sub bato ko chod kar apna Dhyan aane wale JEJU island ke Raid par lagana chahiye. "

" Quki ab Raid me jyada din baki nahi hai. "

4th scene :-

Uske baad Aayat Huntur Association me jab mai sare S Rank hunturs ko practice karte hue dekhne aaya tha aur uske baad JEJU island ke raid ko tab ke yaad karte hue kud se kahti hai ' Yaha tak ki jab JEJU island ke Raid se phle maine kud se kaha tha ki mujhe chinta karne ki koi jarurat nahi hai. '
' Yaha tak ki jb mere paas wakt nahi tha... '
' JEJU island me jab mere liye charo taraf andhera hi tha tab wo ke lauta hi light tha mere liye us dark jagah par. '
' mai dari hui thi. '
' Nervous thi. '
' Aur to aur maine ye tak soch liya tha ki mai mar gayi. '
' Lakin..... '

5th scene :-

Aayat helicopter me leti hui rahti hai. Auar Chairman Xabhi aa kar use jagane ki kosis karte hai to Aayat akdam se hose me aa jati hai. Aur wo utha kar baith jati hai.

Xabhi " huntur Aayat. "

" Kya tum ab apne hose me ho ? "

Aayat, Chairmen Xabhi ki taraf halke shock se dekhte hue " Mai kaha hu ? "

Xabhi " Tum helicopter me ho jo ki ab Huntur Association ke Roof par land kar chuka hai. "
" Aur hum to bahut hi jld tmko hospital me shift karne ki soch rahe hai. "

Ye sun kar Aayat thoda saant ho jati hai. Tabhi Achanak se use kuch yaad aata hai aur wo Xabhi ki taraf dekhte hue jldi se puchti hai " Kya Huntur Rider waha aaya tha ? "

Jiske jawab me Xbahi kewal smile ke sath apna sir ha me hila dete hai.
Aur ye dekh kar Aayat bahut jyada khush hoti hai. Aur uske gaal pata nahi kyu sarm se red ho jate hai aur wo niche dekhte hue apne man me sochti hai ' Jaisa ki maine socha tha... '
' Wo koi dream nahi tha. '
' Mai almost is baar mar hi gayi thi. '

' Nahi... Sayad mai mar hi gayi thi... '

Aayat mujhe dekhte hue apne man me ' Waha agar ye nahi hota to... Such me meri death hone se koi bhi nahi rok skta tha. '
( Niche dekhte hue )' Mai kya karu ? '
' Mai ye nahi kah sakti hu... '
' Aakhir mai ye ise kaise bata skti hu ki...'
' Mai ummid karti hu ki tum end tak hamesa hi mere sath rahoge. '

Ye sochate hi mere samne baithi Aayat ka pura face red ho jata hai. Wo blush karne lagti hai. Aur wo apne dono hatho se apna face chupa leti hai.

Aayat ko itne der se aise chup baitha dekh kr mai apne man me sochta hu ' Aakhir ye kya soch rahi hai ? '
' kahi aisa kuch to nahi hai jo ye mujhe bata nahi sakti hai ? '
' Ye mere sawalo ka answer kyu nahi de rahi hai ? '
' Mai iske face ko hi dekh kr bata sakta hu ye definitely mujhse kuch chupa rahi hai. '
' Mai nahi janta hu ki ye kya chupa rahi hai. '
' Lakin jo bhi baat hai. Lakin uske liye isne bahut time se sab kuch plan karke rakha hai. '
" Kya aap mere Question ka such me answer nahi dogi ? "

Aayat jo ki ab apne face ko chupana chod kar kud ko calm karne ki kosis kar rahi thi. Wo apne muthi ko jor se band karte hue kahti hai " Comfortably. "
" Mai comfortably rahna cahti hu. "
" Kya mujhe aisa karne ki ijajat nahi hai kya ? "

Mai " Nahi.. aisa bilkul nahi hai. "
" Tumhe ijajat hai. Koi tumhe nahi rok skta hai. "

Shubham jo ki itne der se mere piche cahir par bitha ye sub dekh aur sun raha tha wo Mere kaan ke paas aa kar dhire se kahta hai " Bade bhaiya imagine kijiye ek huntur ko aisa kahne ke liye kud ko kitna force karna pada hoga. "

Ye sun kar mai apne man me sochne lagta hu ' Huntur Aayat abhi sirf 22 ya 23 year ki hi hogi. '
' Aur ek S Rank huntur hone ka burden kitna jyada hota hai ye mere se acha aakhir kon jaan skta hai. '
' Aur JEJU island ke Raid ke baad ye samay inke liye bahut kathin gujra hoga. '
' Mai iske situation ke smjha skta hu.Aur mujhe sahnabuti bhi hai iske sath Lakin... '

Fir mai niche dekhte hue apne aakhe band krke kahta hu " Actually hmare Guild me join hone ke liye ek entrance test dena hota hai. "

Aayat, meri taraf dekhte hue thoda Surprise se " Huh ? "
" Recruiting Notice me to aisa kuch bhi nahi likha hua tha. "

Mai, Shubham ki taraf dekhte hue " Ye ek naya rule hai. To isiliye hmare VICE Guild Master ne ye mistake kar di. "

Shubham jaldi se " Ha, bade bhaiya sahi kah rahe hai. "

Aayat, meri taraf confidence ke sath dekhte hue " Ye test kis tarah ka hoga ? "

Mai Aayat ki aakho me dekhte hue apne man me ' Kya ye sincerity hai ? '
' Ya fir ye bas pride hai ? '
( Aayat se ) " Is test me Aapko mere choose kiye hue ek summouned creature ko harana hoga. "

Aayat apne aakhe close krke thodi nirasha se " huntur Raider, Kya aapke hisab se mai itne kamjor hu ? "
( Meri aakho me dekhte hue ) " Kis summouned creature ko mujhe harana hoga ? "

Mai bhi Aayat ki aakho me dekhte hue " Huntur Aayat aapke liye mai apna sbse strongest Shadow choose karunga. "

Aayat bhi meri aakho me dekhte hue Pride ke sath kahti hai " Tab to achi baat hai. "















Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Bhot he kamal.ka update h bro
 

Ss mujrim

Active Member
629
467
63
UPDATE NO - 113
AAYAT BEAT THE IGRIS





Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Mai Red gate se nikal kar Apne office chla jata hu jaha Shubham computer par bitha kar mere khilaf gatal bolne walo ko sabak sikhane ke liye unki sari details nikal raha tha. Mai use red gate se mile hue Magic crystals se bhara bag use deta hu. Fir Shubham mujhse ek aur team member ko add karne aur Guild ke name ke bare me discuss karta hai. Jaha mai Guild ka name Solo Play suggest karta hu. Tabhi Aayat waha aa jati hai. Aur fir wo kahti hai ki wo mera Guild join karna cahti hai. Mai karan puchta hu to wo koi answer nahi deti hai. Aur fir mai use ek test dene ke liye kahta hu. Jisne use mere sbse Strongest shadow Soldier ko harana hota hai.



AB AAGE.....


Maine Shubham ko Aayat ke liye kuch khane aur ke liye lane ko bahar bheja tha. Aur is time office me bas hum dono hi the.
Aayat apni jagah se khadi ho kar meri taraf dekhte hue " To test kab hai ? "

Mai, Aayat ki taraf dekhte hue " Chalo abhi karte hai. "
" Hum ise Association ke Gym me kare ye test to kaisa rahega ? "

Ye kah kar mai apne man me sochne lagta hu ' Ab jabki mai ise Huntur Association ke Gym me karne ki soch raha hu to, lakin wo to yaha se kafi dur hai. '
' Kya mujhe Shadow Exchange skill ko check kar lena cahiye, ki 2log is skill ka use krke yaha se waha move ho skte hai ya nahi ? '

Mai abhi tak ye soch hi raha tha ki mere samne khadi Aayat ab tak Huntur Association ki taraf jane ke liye door ko open kr rahi thi. Mai use aisa karte dekh kr turant hi kahta hu " Tmko waha se jane ki jarurat nahi hai. "

Aayat meri taraf dekh kar confusion me kahti hai " Huh ? "

Tap.... Tap.... Tap....

Mai Aayat ke paas ja kar kahta hu " Waha jane ka ek aur aasan tarika hai. "
" Uske liye hum dono ko ek dusre ke sath chipka hoga. "
" Kya tumhe isase koi aapatti hai ? "

Aayat " Ah... N...nahi ! "
" Mujhe koi aapatti nahi hai. "

Ye sun kar mai, Aayat ko kamar se pakd kar apne body se bikul chipka leta hu. Aur Aayat bhi mere baho me aane ke baad bahut jyada blush karne lagti hai. Wo kafi sarma rahi thi. Lakin mere body se aane wali special khusbu ko sungne ke baad wo madhosh ho jati hai. Aur uske hath mere chest se fisalte hue mere back par aa jate hai. Aur wo apni aakhe band kiye bas mujhe gale lagaye khade ho jati hai.

Wahi mai in sb bato ko Normal hug karna smjh kr apne abhi ke main kaam ko karne me lag jata hu.

Mai " Exchange. "

SHAAA..... SHAAA.....

Aur mere itna kahte hi mere ander se black color ki energy nikal kar hum dono ke body ko puri tarah se cover kar leti hai. Aur hmare pairo ke niche se black energy ka ek black hole type ban jata hai. Aur mai, Aayat ke sath uske ander jane lagta hu.

Creak....

Tabhi hmare office ka main door open hota hai. Aur Shubham apne hatho me kuch sweets le kar door se ander aate hue kahta hai " Aap dono ko baat karne ke sath kuch khaa bhi lena c.... "

Door open krke ander aate hue Shubham flow flow me itna to kah gaya lakin jaise hi uski najar samne padti hai. Wo shocked ke karan Statue ban jata hai. Uska muh khula ka khula rah jata hai.
Quki Shubham ko samne is time Aayat mere baho me thi. Mera hath Aayat ke kamar par tha. Aur hum dono is black energy ke almost ander ja hi chuke the.
Jaise hi hum dono yaha se gayab hote hai. Waise hi hum dono ko jagah ek high orc aa jata hai. High orc ke achanak se yaha aa jane se Shubham ek baar ko dar jata hai.

Chomp....

Wo High orc mud kar Shubham ko dekhta hai. Aur jhat se uske hath se sweets ka plat ke kar wo sare sweets ko plat ke sath hi ek baar me khaa jata hai. Aur Fir Shubham ko dekh ke wo smile krne lagta hai. Aur ye sub dekh kr Shubham apna sir pit leta hai.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


HUNTUR ASSOCIATION GYM

WHOOSH....

Mai, Aayat ko le kar Huntur Association ke Gym me aa jata hu. Aur waha pahuchte hi mai Aayat ke kamar par se apna hath hata kar charo taraf dekh kar kud se confirm karte hue kahta hu " Hum Pahuch gaye hai. "

Lakin Aayat abhi bhi mujhe gale lagaye khadi thi. To mai wapas se Aayat ko kahta hu " Hum Pahuch gaye hai. Tum thik to ho ? "

Ye sunte hi Aayat ko jaise hose aata hai ur wo mere face ki taraf dekhte hue jldi se kahti hai " Nahi mai thik hu. "
" Wo Actually mai dar gayi thi. Isi liye tmko pakd liya tha. "

Aur wo mujhe chor kar ab charo taraf dekhte hue shocked ho jati hai. Use yakin hi nahi ho raha tha. Wo baar baar idhar udhar dekhte hue aakhirkar mujhse puch hi leti hai " K...kaise ? "
" Hum yaha aise kaise pahuch gaye ? "

Mai, Aayat ko dekhte hue santi se apne man me sochta hu ' Jaisa ki maine socha tha. '
' Mai bilkul sahi tha. '
' Shadow Exchange kisi Gate ki tarah kaam karta hai. '
' Aur mai kisi aur ko apne sath le kar move kar skta hu ye is baat ka sabut hai. '
' Mera location Entrance point banta hai. '
' Jabki mere select kiye hue Shadow Soldier ka location exit point banta hai. '
' Ha wo alg baat hai ki ise abhi bhi cooldown ho kar dubara use karne me 3 hour lagte hai. '
' Lakin mai to ye soch kar hi shocked hu ki mai apne ek skill ko as a Gate use kar skta hu. '
' Ek aisa Gate jiske use se mai is pure world me kabhi bhi, kahi bhi ja sakta hu. '

Aayat ek do baar aur mere se is bare me puchti hai. Lakin mujhe koi answer na deta dekh kar, kisi soch me dube hue dekh kar wo mujhse kuch aur puchna chod kar idhar udhar hi abhi bhi Surprise se dekhne lagti hai.

Mai apni soch se nikal kar Aayat ki taraf dekhte hue kahta hu " To chlo suru karte hai. "

Ye sun kar Aayat palat kar mere taraf dekhte hue kahti hai " Ab jab mai test ke bare me soch rahi hu to, Abhi mujhe yaad aaya ki mai apna weapon lana bhool gayi hu. "

Mai " Oh ! Kahi tum us kulhadi ki to baat nahi kar rahi ho ? "

Ye sun kar phle to Aayat confus ho jati hai ki mai kis kulhadi ki baat kar raha hu. Lakin thodi der sochne ke baad Use yaad aata hai ki jab High orc wale DENGEON me maine Hunturs Guild ke members ko bacha tha tab Aayat waha ek kulhadi hi hath me le kar pahunchi thi.
Aur ye baat yaad aate hi Aayat ka face sharam se lal ho jata hai. Aur wo turant hi apne dono hatho se naa ka isara karte hue jldi se kahti hai " Are... Nahi ! Nahi ! "
" Wo mera weapon nahi hai. Mera.... "

Hehehe.....

Mai, Aayat ko bich me hi rok kar haste hue kahta hu " Are mai majak kar raha hu. "

Aayat " Tab thik hai. "
" Sayad yaha ke storage me mujhe koi acha weapon mil jaye. "

Tap... Tap... Tap...
Beep.....


Aur Gym me ek taraf aage ja kar ek side me lage hue ek machin par apna Huntur ka card aage nikal kar touch karti hai.

Karrr.... Karrr.....

Aur agle hi Second waha laga hua bada sa automatic gate open ho jata hai. Jiske ander bahut se weapons dikhayi dete hai. Jinme sword, Axe, bhala aur bhi bahut se tatha ke weapons rakhe hue the.

Aayat mere taraf dekhte hue ek smile ke sath kahti hai " Quki ye hunturs logo ke liye bana hua ek Gym hai. "
" Isiliye yaha phle se hi kai tarah ke weapons rakhe rahte hai. "
" Ye bahut jyada ache nahi hai. Lakin sparring ke liye sutable hai. "

Aayat ander ja kar waha se ek sword utha kar apne hatho me le kar mere taraf aate hue kahti hai " Mai taiyar hu. "

Mai Aayat ke hath me pakdi hui sword ko dekh kar kahta hu " Kya tum iske sath comfortable ho ? "
" Ye tumhara usual weapon nahi hai. To sayad ye tmko suit na kare. "

Aayat mere samne khadi ho kar kahti hai " Isase koi fark nahi padta hai ki mai kon sa weapon use kar rahi hu. "
" Aur waise bhi monsters log hmare sath hmare terms ke hisab se fight thodi karte hai. "

Mai apne man me ' Ye sahi kah rahi hai. '
' Aur agar mai iske samne apne kisi normal shadow Soldier ko bulaunga to ye use Secondo me hi use khtam kar degi. '

Mai " IGRIS. "

WHOOSH......

Aur mere itna kahte hai. Mere ander se black color ki energy nikalti hai. Aur agle hi Second mere piche aa kar IGRIS khada ho jata hai.

Mai, Aayat ki taraf dekhte hue kahta hu " Mere shadow Soldiers ke bich me ye sbse best swordman hai. "
" Ye hi tumhare sath fight karega. "

Aayat " Hum ye kaise decide karenge ki kon ye match jita ? "

Mai " Tmhe tab tak fight karni hogi jab tak ki mera Soldier destroy nahi ho jata hai. "
" Ya jab tak ki Tum kud Surrender nahi kar deti ho. "

Fir mai IGRIS ko dekhte hue apne man me sochta hu ' Maine Aayat se kah to diya tha ki mai apna sbse Strongest shadow Soldier use karunga. '
' Lakin BERU ko Aayat se fight karne ke liye bulana sahi nahi hoga. '
' To kya ab hame ye fight start kar deni chahiye? '

Aisa soch kar mai Aayat ke taraf dekhta hu to wo apne Golden color ke aura ko relese karte hue apne right hath me sword le kar bilkul ready ho cuki thi.

Mai apne man me ' Wait ! Isne kaha tha ki weapon matter naihi karta hai. '

Aur ye baat yaad aate hi mai Aayat se kahta hu " Kya bas ek min ke liye tum piche dekhogi ? "

Aayat " Lakin.... Acha thik hai. "

Aur Aayat piche mud kar diwal ko dekhne lagti hai.

HISSSS......

Aur mai jldi se apne storage se Deamon King BARAN ki sword nikal kar IGRIS ko de dete hue kahta hu " Ise use karo. "

IGRIS apne dono hatho se Sword ko pakd kr apna sir mere aage jukha kar haa me hila deta hai.

Mai " Chlo ab ye test start karte hai. "

Aayat wapas se samne ki taraf mudte hue " Thik hai. "

Fir Aayat aur IGRIS dono Gym me bane hue hi ek bade se fighting stage par chad jate hai. Ek taraf Aayat to uske samne IGRIS. Aur un dono ke bich me mai khada ho kar kahta hu " To chlo ye test start kro. "

Tap... Tap... Tap...

Crackle..... Crackle....
SWOSSSSSS.....
WHOOSH.....

BOOM.....

IGRIS, Aayat ki taraf aaram se ek sadhi hui caal me chalte hue Demon King ke sword ko hawa me hi Aayat ke taraf chala deta hai. Jisase sword me se lightning nikal kar sidhe Aayat ke taraf bahut hi speed me chlo jati hai.
Lakin Aayat bhi bade hi furti se apne body ko juka kar IGRIS ke is Attack se bach jati hai. Aur wo lightning ja kar sidhe Gym ke hi ek diwar se takra jati hai. Jiske wajah se waha ek bahut bada dhamaka hota hai. Aur wo diwal kafi had tak damage ho jati hai.

Mai dur khada ye dekh kr apne man me sochta hu ' Jaisa ki maine socha tha. '
' Ye bahut fast hai. '
' Agar abhi yaha Aayat ki jagah koi aur normal huntur hota to wo ab tak yaha mara pada hota. '

SWOSSSSSS..... SWOSSSSSS.....
CLANGGG.....


Uske baad Aayat aur IGRIS bhagte hue ek dusre ke paas aate hai aur phle Aayat apne sword se IGRIS par Attack kar deti hai. Lakin IGRIS ne turant hi apne sword se uske is Attack ko rok liya tha.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

HUNTUR ASSOCIATION BUILDING
CHAIRMAN CABIN


Chairman Xabhi apne cabin me apne chair par baith kar ek file ko read kar rahe the ki, achanak se unki najar samne ke window se dikh rahe Huntur Association ke Gym ki taraf chli jati hai. Jaha is time bhi lights on the.

Xabhi, Gym ki taraf dekhte hue apne man me ' Aaj to Gym ka koi reservation nahi hona cahiye. '

BEEP......

Aur turant hi wo apne samne table par rakhe hue phone ke speed dile se ek no. Mila dete hai.

Phone se " Ji Mr. President. "

Xabhi " Kya tum Gym ke CCTV camere ki live recoding mere cabin me transfer kar skte ho ? "

Phone se " Yes sir. "
" Mai abhi karta hu. "

Itna sun kar Xabhi call cut kar dete hai. Aur kuch hi Second me unke samne rakhe TV ke screen par Gym ki live footage dikhna start ho jati hai.
Waha TV screen par unhe mai aur Aayat Gym me khade dikhayi dete hai.

Xabhi TV screen ke taraf dekhte hue apne man me ' Ye dono kab Waha gaye ? '

Tabhi akdam se Xabhi ko Aayat ke sath ka wo incident yaad aata hai. Jab wo JEJU island se Helicopter se yaha layi gayi thi. Aur usne Mere waha aane ke bare me pucha tha.
Aur jaise hi use mere waha aane ke bare me pata chalta hai to uske face par ek bahut hi pyari si smile aa jati hai.

Aur ye yaad karte hue Xabhi smile ke sath kahte hai " Maine dekha to tha. Lakin tb mujhe is baat ka ahsas nahi ho paya tha. "
" Miss Aayat jarur huntur Rider se pyar karti hai. "

BEEP......

Xabhi wapase apne phone se call laga kar apne employee se kahte hai " Mujhe maaf karna tmhe dubara se paresan karne ke liye. "

Phone se " Are nahi sir ! Aap bas order kijiye. "

Xabhi " Ek kaam karna Gym ke sare CCTV cameres ko off kar dena. "

Phone se " Lakin aisa kyu sir ? "

Xabhi " Aisa karke bas ek note likh dena ki Waha aaj ek inspection the. "

Phone se " Thik hai Mr. President. Jiska aap kahe. "

BOOMMMMM.......

Aur thodi der me hi ek bahut bada jhatka lagta hai. Jisase Chairman Xabhi ke bhi cabin ke kuch chije idhar se udhar ho jati hai.

Xabhi ek smile ke sath " Jaisa ki mai Hmesa sochta hu. "
" Young hona bahut hi acha hota hai. "


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

HUNTUR ASSOCIATION GYM

IGRIS Gym ka hi ek diwal ko tod kr uske ander ghusa hua jamin par pada tha.
Isase saaf pata chal raha tha ki wo Aayat se ye bettel haar chuka hai.

SWOSSSSSS.......

Aayat apne sword ko hawa me ghumate hue meri taraf dekh kr kahti hai " Kya ye Black KNIGHT such me tmhara sbse Strongest shadow Soldier hai ? "
" Tmhe yaad hai na tmne kaha tha ki tum apne sbse Strongest shadow Soldier ko yaha bulaoge ? "
" Please use summoun karo. "

Mai " Tmhe chot lag sakti hai. "

Aayat confident ke sath " Mai thik hu. "
" Mai uske sath fir se fight karna cahti hu. "

Mai halke Surprise se " Tmhe pata hai uske bare me ? "

Aayat " Maine use kud apne aakho se dekha tha. "
" Aur maine bhi wo video dekha tha. "

Mai apne aakhe band krte hue " BERU. "

SHAAA.........

Mai, Aayat ki taraf dekhte hue " Mai tmse ek baar fir se puchta hu. "
" Kya tum such me iske sath fight Krna cahti ho ? "

Aur mere itna kahne tak BERU aa kar mere piche khada ho jata hai.




















Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Waah ak baar phr fight ka mazA aa jaay ga
 
Top