• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy SOLO LEVELING

Story aapko kaisi lagi ?

  • Bahut achi lagi .

    Votes: 310 93.9%
  • Thik thak hi hai .

    Votes: 20 6.1%

  • Total voters
    330

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 90



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Xabhi ko Anurag Japan se mili JEJU island ki sari information de raha tha. Tabhi Xabhi ko kisi strong magical energy ka sense hota hai aur wo bahar dekhne lagte hai. Wahi ek dabe par baithe hue Sachin aur Ajay ke sath bhi yahi hota hai tab Ajay use Anubhav aur Aayat honge kah kar saanti karwa deta hai. Fir indono ke bich aaps me aisi hi bate hoti hai.

Wahi mai tab tak hospital me pahuch jata hu aur apni Maa ko HOLY WATER OF LIFE pila deta hu. Lakin ye pilane ke kafi der baad meri Maa utati hai. Aur mai unke gale lag kar rone lagta hu.



AB AAGE.....


IN HOSPITAL
11 : 30 PM


Knock... Knock....

Ek young age ka doctor apne department head ke cabin me ata hai. Jo ki 60+ age ka ek old age aadmi tha. Uske sir se almost sare hair gir chuke the. Unhone Dr. Wala white cote pahna hua tha. Aur wo apne chair par baithe hue the.

Wo young Dr. Aa kar apne senior Dr. Se Rider ke Maa ke bare me batata hai.

Senior Dr. Shocked hote hue jor se chilla kar " kya ? "
" ENTERNAL SLUMBER ki ek patient jaag gayi hai ? "
" Iski to bikul bhi ummid nahi thi mujhe. "

Young Dr. " Patient ke Guardian unhen turant hi hospital se discharge karne ki request kar rahe hai. "
" To hme ab kya karna cahiye ? "

Senior Dr. " Nahi, iska koi chance hi nahi hai. "
" Na sirf wo abhi unstable hogi. Balki wo 4 year tak soti rahi hai. Jisase abhi uska body bhi bahut weak hoga. "
" Wo abhi chalne ke kabil bhi nahi hogi. "

Young Dr. " Well... Patient ka state bikul Normal hai. Aur uske sare test bhi Normal hai. "
" Unhe dekh kar Aisa bikul bhi nahi lagta hai ki jaise wo 4 years se so rahi ho. Yaha tak ki wo apne pairo par kud se chal pa rahi hai. "

Senior Dr. ( Ek baar fir se shocked se ) " To tum ye kahna cahte ho ki 4 years tak lagatar sone ke baad bhi uski health bikul normal hai ? "

Young Dr. " Mere khyal aisa life support machine ke karan hua hoga. "

Senior Dr. Sochte hue " Hummmm..... "
" Fir bhi itni jldi discharge karna ka matter ek alag baat hai. "
" Hme Pure World ko is baat ke bare me batana hoga. "

Young Dr. " Maine bhi unke Guardian ko same chij explained kiya lakin wo kuch sunane ko taiyar hi nahi hai. "
" Aur wo koi ordinary man bhi nahi hai. "

Senior Dr. " Kon hai uska Guardian ? "

Young Dr. , Senior Dr. Ke paas aa kar " Kya Aapne huntur Rider ke bare me suna hai. Jo haal hi me India ka 10th S Rank huntur bana hai ? "

Senior Dr. Ko Ye sunte hi akdam se sadma lagta hai aur uske pasine nikalne lagte hai.

Senior Dr. Apni chair ghuma kar apna muh young Dr. Se chipate hue kahta hai " Ah... "
" Hum kisi helthy patient ko uske marji ke bina yaha hospital me nahi rakh skte hai. "
" Hme unhe discharge karna hi hoga. "
" Jao ja kar discharge ke process ko pura karo. "


MORNING TIME

Mai sari raat hi apne Maa ke paas ruka tha. Ye dekhne ke liye ki kahi Maa ko fir se koi problem na ho, Ya koi side effect na ho.
Raat me hi maine Dr. Se kah kar Maa ke sare test aur checkup karwa liye the. Aur sare Reports bilkul normal the. Abhi kuch test ke results aane baki the jo sayad Afternoon tak aane wala tha.

Aur morning hote hi maine Kavya ko call karke hospital aane ko kah diya tha. Maine use Maa ke thik hone ke bare me bata diya tha. Use to yakin hi nahi ho raha tha is baat ka. Mai use jldi se hospital aane ka bol deta hu.
Aur 1 hour baad Kavya hospital me aa jati hai. Aur mai use Maa ke room me le kr chla jata hu. Maa bhi tab tak so ke uth chuki thi. Aur wo is time apne bed par baithi hui thi.
Kavya jb Maa ke room me aati hai aur Maa ko aise baithe hue kaha dekhti hai wo ekdam stachue ban jati hai. Uske muh se aawaj hi nahi nikal rahi thi.

Fir jaise hi Maa, Kavya ki taraf dekhti hai wo apni bahe faila kar pyar se kahti hai " Meri beti to itni badi ho gayi hai ab. "

Kavya, Maa ke muh se kud ke bare me sun kar bahut jor jor se rone lagti hai. Uska pura face aasuo se bhig gaya tha.

Kavya " Mammy........ "

Bas itna kah kar wo bhag kar Maa ke gale lag jati hai. Aur Maa bhi ek smile ke sath use pyar se gale galaye hue uske sir ko sahlane lagti hai.
Kavya Maa ko bahut jor se gale lagaye hue thi. Jaise wo wapas kahi na bhag jaye hme chor kar. Wo bas roye ja rahi thi. Maine bhi use 1st time aise pahli baar rote dekha tha.

Kavya ( rote hue ) " Mammy, ab aapko kuch nahi hone dungi. "
" Aap ab Hmesa hum dono ke sath rahogi. "
" Aur aapke hi god me ab mai soungi. "

Maa ( haste hue ) " Ha meri princess mai ab bilkul thik hu. "
" Aur ha ab tum dono mere sath hi sona. "

Kavya ( halke gusse se ) " Nahi ! Bhiya ke sath nahi. Sirf mere sath. "
" Aap phle kuch din sirf mujhe apne godi me sulayengi bas maine kah diya to kah diya. "
" Ye sbse phle meri jagah hai. "

Ye sub sun kar mere aur Maa hum dono ke face pr smile aa jati hai.

Ye sub dekh kar mai apne man me kud se kahta hu ' Mere efforts bekar nahi gaye hai. '
' Aisa feel ho raha hai ki mere aaj tak ke sabhi problems mujhe isi moment ki taraf le jane me lagi hui thi. '
' Lakin, as a Huntur kaam karte hue.....
' Mujhe aacharya hai ki kya maine kud ko in logo se itna dur kar liya hai ? '
' Quki mujhe inke paas jane me ek dar sa lag raha hai.... Pata nahi kyu... '


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

30 MINUTES LATER

Mai hospital ke hi Gardan me ek table ke upar baitha hua tha. Aur mai apne phone ko check kr raha tha. Jo maine apne inventory me rakha hua tha.

Mai phone check krte hue apne man me ' Demon Castle me rahte hue maine kafi time se apne phone ko check nahi kiya hai. '
' Isme to bahut se logo ke missed calls aaye hue hai. '
' Well, agar inmen se kisi ko koi important baat karni hogi to mujhe yakin hai wo dubara se jarur mere paas call karega. '

Tabhi meri najar ek news par chli jati hai.


IMG-20220824-173012

Jiske headline thi.....
" Sky me fly krte hue Monster ko dekha gaya hai. "
1. Kisi DENGEON ke break hone ka koi sabut nahi mila hai.
2. Ye flying Monster aakhir kaha gaya ?
3. Huntur Association ne abhi tak iske bare me kuch nahi kaha hai.

Aise hi aur na jane kya kya likha hua tha.

Mai apne man me ' Kya ye news KAISEL se related hai ? '
' Batao is stupid ghtna ko bhi in news channel walo ne breaking news bana diya hai. '

TRIN..... TRIN.....

Tabhi achanak se mera phone bajne lagta hai. Kisi ka call aa raha hota hai. Mai call ko pick up karta hu " Hello ! "

Samne se " Hello Huntur Rider ! mai Huntur Association se Xabhi bol raha hu. "

Mai thode surprise se apne man me ' Chairman Xabhi mujhe call kar rahe hai ? '
( Call par ) " Ji Chairman Xabhi boliye. Kya koi problem hai kya ? "

Xabhi " Mujhe yakin hai ki Tumne bhi news suna hoga. "

Mai " Aap kon si news ke bare me baat kar rahe hai ? "

Xabhi " Kya Tumne abhi tak news nahi dekha hai ? "

Mai apne man me ' Ahh... Ye jarur KAISEL ke bare me baat kar rahe honge. Word hum humans se bhi kafi teji se travel karte hai. '

Mai, Xabhi se phone par " Mai us baat ke liye maafi mangta hu. Mai next time aur bhi jyada careful rahunga. "

Xabhi ( confusion ke sath ) " Huh ? Tum kis bare me baat kar rahe ho ? "

Mai apne man me ' Kya ye KAISEL ke bare me nahi hai ? '

Mai phone par " Ahh... Kya baat hai chairman ? Mai just kuch time pahle hi ek aisi jagah se wapas aaya hu jaha koi service nahi thi. "

Xabhi " Aisa lagta hai tmne such me news ke bare me nahi suna hai. "
" Kya tumhare paas time hai taki mai kud tumhare paas aa kar tmhe explain kar saku ki kya baat hai ? "

Mai " Nahi ! Mai kud aapki jagah par aata hu. "


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kuch time baad mai Huntur Association building me Xabhi ke sath tha. Mai aur Sabhi usnke cabin me ja kar bate karne lagte hai.

Jaha Xabhi mujhe aane wale JEJU island ke raid ke bare me detailed se sub batate hai.

Xabhi " Raid 4 din baad suru hone wali hai. "
" Hum subi JEJU island par ja kar un sabhi Ant's ko Hmesa ke liye khtam karne wale hai. "
" Aur hmare aisa karne ke liye hme tumhari help ki jarurat hai Huntur Rider . "
" Sare citizens JEJU island ko wapas se human's ke rahne layak banana cahte hai. "
" Kya tum hmare sath is operation me join hoge ? "

Ye sub sun kar mai apne man me ' Normally, bina kisi hesitation ke mai turant hi haa kar deta. '
' Aakhir ye Highly Ranked Monsters ke sath fight karne ki baat hai. '

Apni Maa aur Kavya ke bare me sochte hue mai kahta hu " Mai..... "

Abhi mai aage kuch aur kahta ki usase phle hi mujhe bahut hi jyada magical energy sense hoti hai. Aur mai akdam chup ho kar us Direction me dekhne lagta hu.

Mai apne man me ' Magical energy ? '

Mujhe aisa achanak se bich me chup hota dekh kr Xabhi apne chair se khade ho kar mere paas aate hue kahte hai " Kya koi problem hai ? "

Mai " Ohh.... ! Nai aisi koi baat nahi hai. "
" Aisa lag raha hai ki yaha kahi paas me hi hunturs log aaps me fight kar rahe hai. "


Hahahaha.........

Xabhi haste hue " Jaisa ki mujhe tumse ummid thi. Tumhare senses bahut ache hai. "
" Tabhi to tmne itne jyada distance se bhi detect kar liya. "
" S Rank hunturs currently Gym me warm-up kar rahe hai. "
" Tum sayad usi ke bare me baat kar rahe hoge. "

Mai " S Rank hunturs ? "

Xabhi " Haa, Quki ab JEJU island ke raid me ab sirf 4 din hi bache hai. "
" To Ryuji Koto aur uske S Rank Japanise hunturs bhi uske sath hi abhi wahi par Warm-up kar rahe hai. "

Mai " Ryuji Koto se aapka matlab...... "
" Ye Japan ke Strongest person ka name hai, jiske bare me yaha tak ki kam se kam ek baar her ek ordinary citizens ne bhi suna hoga. "

Xabhi " Ryuji Koto ! Ha ye wahi hai. "
" Kya tum use dekhna chahoge ? "

Tap... Tap... Tap...

Ye sunte hi mai bhi apne sir ko haa me hila deta hu. Aur Xabhi ke sath Huntur Association me hi bane hue Gym ki taraf nikal jata hu.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

HUNTUR ASSOCIATION GYM

Huntur Association ke Building se hi thodi hi duri par ek egg ke shape me bahut hi bada structure bana hua tha. Yahi Huntur Association ka Gym tha. Ye koi Normal humans ke Gym jaisa nahi tha. Yaha wo sari facilities to thi hi uske alawa yaha ek bahut bada haal type bana hua tha. Jisme kafi bade bade dher sare fighting ke liye mat bane hue the.
Jinke upar hunturs log ek dusre se fight karke Warm-up karte the.

Unhi mat me se ek par Sachin ek Huntur ke sath Warm-up karne me laga hua tha. Sachin ne is time apne body me upar kuch nahi pahna hua tha. Aur apne power ko use krne ke karan uske hair aur aakhe white color ki hui padi thi. Usne niche bs ek loose trouser pahna hua tha.
Uske samne jo huntur tha wo Dobok ( Martial arts ke time jo uniform pahni jati hai ) pahne hua tha. Wo 40+ age ka tha. Uski height Sachin se bhi 1 feet jyada thi. Aur uski body sachin se bhi almost 1.5 time jyada thi. Uske face par halki halki dadhi thi. Ye huntur koi aur nahi S Rank huntur Jay tha. Jo ki Fame Guild ka Guild Master tha.
Ab jara aapko Fame Guild ke bare me thodi bate bata deta hu.
1. Fame Guild India ke Top 5 Guilds me se ek hai.
2. Is Guild ka bhi kafi acha impression hai. Tabhi ye Hunturs, White Tiger aur Reaper Guilds ke baad 4th position par hai.

Run... Run....

Haaaahh.....

Dono ek dusre ko ghur rahe hote hai fir Sachin apne jagah se bhagte hue Jay ki taraf jane lagta hai.

DUMMMM.....

Aur Jay ke paas pahunchte hi wo apne hatho se us par Attack kar deta hai. Lakin Jay bhi jldi se Sachin ke dono hatho ko apne dono hatho se pakd leta hai. Aur mauka dekhte hi Jay ne bahut hi furti se apne left hath se Sachin ke Solder ko pakda aur apne right pair se uske left pair ko pasa kar Agle hi pal Jay ne Sachin ko niche Mat par jor se gira diya.

Jay ek smile ke sath Sachin ko dekhte hue " Master Sachin aapke jaise ek young person to isase jyada strength use karne ke kabhil hota hai. "

Sachin ek smile ke sath " Mai aapke samne koi Master nahi hu. Master Jay. "

Aur ek baar fir se khade ho kar Sachin wapas se Jay ke sath bhid jata hai. Dono wapas se apne hath ek dusre se bhdaye hue phle ek dusre ko smile krte hue dekhte hai uske baad dono hi apne aura ko relese kar dete hai. Jisase waha acha khasa pressure creat ho jata hai.

In dono se hi kuch duri par 2st floor par khade ho kar mai, Xabhi ke sath ye sub hota hua dekh raha tha.

Xabhi ( samne dekhte hue ) " Aisa bahut hi kam hota hai ki itne sare S Rank hunturs ek hi jagah par ikatha hote hai. "
" Abhi kuch der phle jo magical energy tmne sense ki thi. Wo sayad inhi dono logo ki hogi. "

Mai samne dekhte hue " Huntur Sachin, apne opponent Huntur ke samne thode weak lag rahe hai. "

Tabhi hmare left side se ek jani pahchani aawaj aati hai " Lakin agar Huntur Sachin ne apna 100 percent diya to huntur Jay ke uske samne tikne ke koi chance hi nahi hai. "

Ye aawaj kisi aur ki nahi Huntur Anubhav ki thi. Jo ki just abhi hi yaha aaya tha. Itna kah kar wo hum dono ke samne Hello kahte hue sir jukha deta hai. Aur hum dono log bhi aisa hi karte hai. Anubhav Hmesa ki tarah aaj bhi well dressed tha.

Mai apne man me ' Anubhav ? '

Anubhav ( ek smile ke sath ) " Tmse mile kafi time ho gaya Huntur Rider. "
( Samne dekhte hue ) " Jis aadami ne Dobok pahna hua hai. Wo Fame Guild ke master Jay hai. "

Mai ( samne dekhte hue ) " Tum kah rahe ho ki Huntur Sachin apna 100 percent nahi de raha hai. "
" Lakin wo apni real strength kyu chupa raha hai, jabki Huntur Jay aise opponent nahi hai jinko wo apni puri strength ko use kiya bina kabhi hara ske ? "

Anubhav " Aise kisi ke liye bhaut muskil hota hai. Apni puri strength ka use karna jabki bahut sari aakhe aapko hi dekh rahi ho. "
" Quki Master Sachin ek Monster me change ho jate hai. Jab wo apni full strength ko use krne lagte hai. "

Mai apne man me ' To Sachin ke Transformation ability ke jo rumours hai wo such hai. '

Fir Anubhav mujhe wahi se samne ek ek karke niche sbke taraf isara karke unke name batate hue kahta hai " Aur jo hunturs yaha ikatha hue hai. Wo sub hai..... "

"
1. Huddi lagaye hue ek young ladka :- IPPEI IZAWA
2.
Orange color ke hair wali ladki :- MARI ISHIDA
3.
Bodybuilder type boy, face par right side aakho ke paas bada sa plus ke sine ka scar mark :- KENZO TANAKA
4.
Orange hair boy :- MINORU HOSHINO
5.
Long hair boy left eye nd muh par mask pahne hue :- ATSUSHI KUMAMOTO
6
. Cap phne hue Girl :- KANAE TAWATA
7.
Chasma lagaye formal kapdo me boy :- TATSUMI FUJISHIMA
8.
Apne pure naak aur muh ko ek black color ke mask se cover kiye hue ladka :- KEI
9.
Long Brown hair lolipop chusti hui girl :- AKARI SHIMIZU
10. RYUJI KOTO.
"

" Ye sare Japanese S Rank hunturs aur Ryuji Koto hai. "















Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Etny S Rank hunters ak naja paa
 

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 91



Ab tak aapne dosto ki kaise meri Maa ka Dr. Ja kar apne senior Dr. Se meri Maa kr bare me batata hai. Aur mai unhe discharge karwana cahta hu ye bhi. Lakin senior Dr phle to mana kar deta hai. Lakin jaise hi wo mera name sunta hai wo turant hi maan jata hai. Morning me mai Kavya ko hospital bula kar Maa se milwata hu. Uske baad mai apna phone check krne lagta hu to mujhe bahut se miss call aur KAISEL ke bare me breaking news dikhayi deta hai. Fir Xabhi ka mujhe call aata hai aur mai unse milne chla jata hu. Waha wo mujhe aane wale JEJU island ke raid ke bare me batate hai. Sath me mujhse participate karke help karne ko bhi Bolte hai. Tabhi mujhe magical energy feel hoti hai aur mai Xabhi ke sath Huntur Association ke Gym me chla jata hu. Waha Anubhav mujhe baki sare S rank huntur kr bare me batata hai.


AB AAGE......


Mai upar se Ryuji koto ki taraf dekhte hue apne man me ' To ye aadmi Japan ka sbse Strongest S Rank huntur Ryuji Koto hai. '

Wahi niche Ryuji Koto ke piche Hanekawa aur baki ke S Rank hunturs khade the.
Tabhi unme se Akari Shimizu ki najar Xabhi aur Anubhav ke sath khade mere upar pad jati hai. Aur wo Hanekawa se mere tarf isara karte hue puchti hai " Hmmm...... ? "
" Wo ladka kon hai ? "

Ye sunte hi sare Japanese Hunturs ka dhyan mere taraf chla jata hai. Aur sub upar mere taraf hi dekhne lagte hai.

Hanekawa, mere taraf dekhte hue " Ohh ye ! "
" Ye Huntur Rider hai jo haal hi me S Rank huntur bana hai. "

Ryuji Koto, mere taraf dekhte hue apne man me ' Kya ye ek ASSASSIN Class huntur hai ? '
' Quki iske Enormous presence ko ye caah ke bhi puri tarah se nahi rok skta hai. '
" Ye jarur ek excellent ASSASSIN type huntur hoga ? "

Hanekawa ( Ryuji Koto ki taraf dekhte hue ) " Excuse me sir kya kaha aapne ? "
" Yeh ek Mage class Hunter hai. "

Ryuji Koto kafi surprise ke sath Hanekawa ki taraf dekhte hue " Mage class Hunter ? "
" Aisa kabhi nahi ho skta hai. "

Hanekawa " Ye officially confirmed information hai. "

Wahi ek taraf Reaper Guild ka master Hari baitha hua thoda rest kar raha tha. Aur uske samne hi Aayat khadi thi. Uske gale me ek chota towel rakha hua tha. Jisase wo bhi apne pasine ko saaf karti hui rest kr rahi thi.

Tabhi achanak Hari ki najar mere upar padti hai. Aur wo meri taraf dekhte hue Aayat se kahta hai " Wo dekho kon aaya hai yaha. "
" Ye Rider hi hai na jisne hmare Sangam ke debut ko barbad kar diya tha ? "

Ye sunte hi Aayat bhi turant hi piche mud kar mere taraf dekhne lagti hai. Mai is time Xabhi aur Anubhav se baat kar raha tha.

Aayat mere taraf dekhte hue apne man me ' Rider ? '
' Tabhi mai sochu ki yaha aas paas ki Air aise achanak se Change kyu lag rahi hai. '
' Ho na ho ye isi ke Karan hoga. '

Wahi Ryuji Koto ke piche khadi Mari Ishida apne bagal me khade Kei se mere taraf isara karte hue kahti hai " Kei, ye huntur haal hi me India ka 10th S Rank huntur bana hai. "

Kei, Bina Uski taraf dekte hue " Ishida mujhse baat mat karo. "
" Mai yaha khade sare S Rank hunturs ko yaha se bahar fek dena chahta hu. "

Sare Japanese Hunturs ke yaha aa jane ke karan Aayat ne apne sensitive nose ke karan, apne nose par ek rumal rakh leti hai.

Kei, Aayat ko aisa karte hue dekh leta hai. Aur chori chori usko dekhte hue apne man me sochta hai ' Lagta hai yaha India me mere jaise sensitive nose wala bhi koi hai. '
' Lakin agar sirf ek rumal se ye smell ko block kar pa rahi hai to, isase ye baat prove hoti hai ki iske sense mere se kuch level kam hai. '
' Agar mai aise suddenly ja kar usase baat karunga to, kya isase aisa lagega ki mai iske upar try maar raha hu ? '
' Agar maine Hindi sikhi hoti to sayad mai..... '

Wahi in sub se thodi duri par hi Sachin aur Jay abhi bhi aapas me frndly fight krne lage hue the.
Aur mere baad baki sub logo ka dhyan unke upar hi chla jata hai. Aur sub unke taraf hi dekhne lagte hai.

Hanekawa sare Indian Hunturs ki taraf dekhte hue Japanese me hi kahti hai " To ye sub hai India ke best hunturs. "
" Yaha hmare liye dekhne ko jyada kuch nahi hai. "

Ryuji Koto bhi samne dekhte hue kahta hai " Kya such me aisi baat hai ? "

Hanekawa " Ab jabki maine Aapko na jane kitne Raids ko clear karte hue dekha hai. "
" Baki dusre S Rank Hunters ko dekhne me mujhe ab jyada maja nahi aata hai. "
" Wo sub mujhe aapke samne kuch nahi lagte hai. "

Ryuji Koto, Aayat ki taraf dekhte hue " Ye baat puri taraf se such nahi hai. "
" Yaha kam se kam ek useful Huntur to hai. "
"
Apne man me ' kya in logo ne iska name Aayat bataya tha ? '
' Aayat aur Xabhi in dono ki tulna mere Guild ke best hunturs ke sath kar skte hai. '

Tabhi piche se ek aawaj aati hai " Hey, Translator Lady. Abhi tumne kya kaha ? "
" Indian hunturs bekar hai ? "
" Tumhe kya lagta hai tum japanese bol rahi thi bas isi liye maine tmhari baat nahi suni ? "
" Maine apne High school ke time Japanese ko apne 2nd language ke roop me learn kiya tha. "

Ye aawaj kisi aur ki nahi Knights Guild ke Guild Master Manish ki thi. Jo ki ek A Rank huntur hai. Uski body bhi kisi athlet ki tarah thi.
Uske piche uske Guild ka hi ek Member Vivek khada tha. Ye bhi ek A Rank huntur tha. Dono ne black and white suit pahna hue formal kapdo me the. Manish ne apne dono hath apne paint ke pocket me dala hua tha.

Ab jara Knights Guild ke bare me bhi aapko kuch bate bata dete hai.

1. Ye Guild India ke top 5 Guilds me se ek hai.
2. Bhale hi is Guild ka Guild Master ek S Rank huntur nahi hai. Fir bhi is Guild me India ke sbse jyada A Rank huntur hai.

Vivek jo ki Manish ke piche khada tha wo khush hote hue kahta hai " Jaisa ki Bade bhai se ummid thi. "

Hanekawa, Manish ki taraf dekhte hue " Tum kon ho ? "

Manish to kuch nahi bolta hai. Lakin Vivek ko gussa aa jata hai. Aur wo Manish ke aage aa kar jor se gusse me Hanekawa ko dekhte hue kahta hai " Ye aadmi Knights Guild ke Guild Master hai. "
" Master Manish. "

Hanekawa yaad karne ki kosis karte hue " Manish ? Ye name to maine aaj pahli baar suna hai. "

Ye sun kar to Vivek ko aur bhi jyada gussa aane lagta hai aur wo almost kisi bache ki tarah chillate hue kahta hai " Bade bhai ek A Rank huntur hai. To isiliye ho sakta hai ki tmne unka name abhi tak nahi suna hoga. "
" Lakin fir bhi hamara Guild India ke Top 5 Guilds me se ek hai. "
" Aur batane ki jarurat to nahi hai fir bhi bata deta hu humare Guild me India ke sbse jyada A Rank hunturs hai. "
" Baki kisi Guild me hmare jitne A Rank hunturs nahi hai. "

Manish , Vivek ke solder par apna hath rakhte hue " Vivek chup ho jao. Chillana band kro ab. "

Hanekawa " India ke A Rank huntur..... "
" Kya tum bhi JEJU island ke Raid me participate karne wale ho ? "
" Lakin maine to suna tha ki sirf S Rank hunturs hi JEJU island ke raid me participate kar skte hai. "

Ye sun kar Manish se kuch bola nahi jata hai. Lakin tabhi bagal me khade Ryuji Koto ko kuch gadbad lagti hai bhle hi usko ye smjh me nahi aa raha tha ki Hanekawa aur Manish kya baat kar rahe the. Lakin fir bhi inke baat karne ke tone aur body language se use kuch kuch andesha to ho hi gaya tha.
Isi liye Ryuji koto, Hanekawa ki taraf dekhte hue kahta hai " Hanekawa tum log kya baat kar rahe ho ? "

Wahi Vivek, Hanekawa ki baat sun kr fir se chote bacche ki tarah gussa karte hue kahta hai " Bade bhai DEFENCE SQUAD ka hissa hai. Ye ek important kaam hai. Jisme hme pure JEJU island ko puri tarah se block Krna hai. "

Hanekawa " Chlo kam se kam ye to Rahat ki baat hai. "
" Hum itne important Raid ke liye A Ranks ke hunturs par nirbhar nahi rah sakte hai. "

Ryuji Koto " Hanekawa, agar tum koi problem khadi karne wali ho to tumhe abhi ruk jana cahiye. "

Manish, Vivek ko waha se le jate hue " Ruk jao. Aakhir yaha Translator ka kaam karne aayi Hui ek ladki ko kya pata hoga ? "

Ye sunte hi Hanekawa ko gussa aa jata hai aur wo kahti hai " Kya tum apni aakho se kud meri skills dekna cahte ho ? "
( Proud ke sath laude voice me ) " Mai Hanekawa Japan ki ek A Rank huntur hu. "
" Ab tum apne bare me ye to sunana pasand nahi karoge na ki tum yaha translating ke liye aayi Hui ek huntur tak ko nahi hara paye, hai ki nahi ? "

Itna kah kar wo apne cote ko utar deti hai. Sath me apne aura ko bhi relese kar deti hai.
Ye sun kar waha se ja raha Manish ruk jata hai aur bina piche mude Hanekawa ko dekhte hue kahta hai " Ahhh... Such me yaha. "
( Thode cold tone me ) " Hey translater lady, Tmhe hum logo ko kam smjhna band kar dena cahiye. "

Tap... Tap...

Itna kah kar Manish wapas se aage jane lagta hai tabhi Hanekawa fir se kahti hai " Kahi tum ek non combatant huntur to nahi ho ? "
" Jo bas dinge hakta hai, aur fight krne ke time piche hat jata hai. "

Mai apni jagah khada upar se ye sub dekh raha tha ' India aur Japan. '
' 2 A Rank hunturs ke bich ek mukabala. '

Mere bagal me khada Anubhav samne dekhte hue excitement ke sath " Ye to kafi interesting hone wala hai. "

Ab tak Manish bhi mukabala karne ka man bana chuka tha. Hanekawa apna cote wahi niche jamin par gira deti hai. Aur Manish aage kahta hai " Thik hai. Lakin faisla Rules ke hisab se hoga. "
" Ek dusre ko pitne se acha Yahi hoga. "
" Rule bahut hi simple hai. "
" Jo bhi phle apne samne wale ki kalayi pakdega wahi ye mukabla jitega. "
" Agar tumhari kalayi maine phle pakd li to tum haar jaogi. "

Hanekawa apne man me ' Agar maine apne fist ko Attack karne ke liya swing kiya aur mai pakdi gayi to iska Matlb hoga ki sub tabhi khatam ho jayega. '
' Iska Matlb hai ki koi bhi carelessly Attack nahi kar skta hai. '
( Manish ko dekhte hue ) " Ye to aise rule hai jisme thoda mind game bhi involved hai. "
" By the way. "
" Ab mujhe ye mat kahna ki tum isi posture ke sath fight krne wale ho ? "

Manish apne dono hatho ko pocket me dale hue apne aura ko relese karte hue " Meri chinta mat karo tum. Mujhe tumhari kalayi pakdne ke alawa apne hatho ko apne pocket se nikalne ki koi jarurat nahi padne wali hai. "

Hanekawa apne man me ' Aisa lagta hai ye apne speed ko le kar kafi confident hai. '
" Thik hai Chlo suru karte hai. "

Run... Run....

Hanekawa speed se bhagte hue Manish ke paas jati hai aur uske kalayi ko pakdne ki kosis karti hai. Lakin Manish bhi speed me ek side ko ho jata hai. Aur aise hi Hanekawa lagatar aur bhi jyada speed me move krte hue Manish ki kalayi pakdne ki kosis karti hai. Lakin Manish har baar aur bhi jyada furti se dusre side ho jata.

Hanekawa ye sub dekh kr apne man me ' Mai is dikhawa karne wale akdu insaan ka asli rang abhi sbke samne expose karti hu. '

Itna kah kar Hanekawa ab tak ke kiye sare attamps me se sbse fast Attack karne jati hai. Lakin utni hi teji se Manish apne right pair se usko halka sa hi dakka de deta hai.
Aur kahta hai " Ahh... Tumhari jankari ke liye bata du ki ye koi Attack nahi tha. "
" Ye to ek halka sa dhakka tha. "
" Mujhe pura yakin hai tumhe itna to pata hoga hi. "

Us dhakke se Hanekawa halka piche ko ho jati hai lakin jldi hi wo kud ko smbhalte hue kahti hai " Sorry, lakin mai tmhare bato ko thik se smjha nahi payi hu. "
" Aur ha usase jyada jaruri baat. Tumhe aisa koi pose nahi banana chahiye jb Tmhara trouser bich se fat gaya ho. jisase ki Tmhara underwear dikh rha ho. Ye bilkul bhi cool nahi hai."

Ye sunte hi Manish apne trouser ko dekhta hai aur jaise hi wo dekhta hai wo fat gaya hai wo bahut jyada sharminda ho jata hai.
Wahi Hanekawa jaise hi dekhti hai manish ka dhyan uski taraf nahi hai wo turant hi apne man me ' yahi sahi wakt hai ' kahte hue furti se Manish ke hath ko pakdne ke liye apna hath aage bada deti hai.
Lakin Manish bhi koi kam nahi tha wo turant hi aisa feel hote hi Hanekawa ki kalayi pakad leta hai aur uski aakho me dekhte hue kahta hai " Tum bahut slow ho Translater Lady. "

Hanekawa ye sun dekh kar bahut jyada shocked hoti hai usi abhi bhi in sub par yakin nahi ho raha tha. Wo apne man me sochti hai ' Abhi kya hua ? '
" Kya tum apne Tanks type huntur ke piche Hmesa chupe rahte ho ? "

Manish " Mujhe ye batane ki jarurat nahi hai ki Tmhara humans ke khilaf combat experience bikul na ke barabar hai. "
" Yaha India me sare sports me koi na koi troubles hota hi hai. "
" Bhale hi tum fight karna bilkul bhi na caho lakin fir bhi aisa time kai baar jarurt aata hai jab aapko humans ke khilaf fight karni hi padti hai. "
" Aur sbse jyada worst case me aapko use jaan se marna bhi padta hai. "
( Hanekawa ka hath chorte hue ) " Agar Tumne is baat par dhyan nahi diya to tum aage bahut suffer karna pad sakta hai. "
" Monsters ki taraf humans kisi simple pattern me move nahi hota hai. "
" Agar abhi mere hath me ek Knife hota to simply mai tumhare kalayi ko pakdne ki jagah tumhara gala kaat chuka hota. "

Ye sun sun kar Hanekawa ko bhi sharmindgi mahsus hoti hai. Aur wo apni gardan jhuka leti hai.

Clap... Clap....

Hum sub log ye dekh rahe hote hai tabhi Ryuji Koto taliya bajate hue kahta hai " Ye kafi acha tamasha tha sath me kafi interesting duel tha. "
( Hanekawa ke paas aate hue ) " Hanekawa kya tum mere ek massage ko sbko deliver kar skti ho. Jo mai abki bolna chahata hu ? "

Hanekawa, Ryuji koto ko dekhte hue " Ha jarur. "
" Ye bhi koi puchne ki baat hai. "

Fir Ryuji Koto bolta hai aur Hanekawa baki sbko wo baat hindi me smjhati hai " Ek dusre ke bich trust banane ke liye, mere paas ek proposal hai jo mai aap Indians ke samne rakhna cahta hu. "
" Kaisa rahega agar hum abhi same rules ke sath S Rank hunturs ke bich aapas me spar kare to ? "

Tap... Tap... Tap....

Tabhi ek taraf se mai, Xabhi ke sath chalte hue niche sbke samne aane lagta hu. Aur sare hunturs hum dono ke taraf hi dekhne lagte hai. Hum dono ne bhi ye baat sun liya tha.

Xabhi, Ryuji Koto ke paas jate hue apne man me ' Isase ye definitely hum sub ki skills check karna cahta hoga. '
" Thik hai. "
" Lakin isme se Mage class aur non combatant type ke hunturs ko samil nahi karenge. Quki unme kon jita ye pata karna bahut hard hoga. "

Sachin " Chlo isme kuch aur bhi rules add krte hai. "
" Jo koi bhi huntur kisi dusre ke back ko touch kar dega aur use knock out kar dega use bhi winner mana jayega. "
" Aur 1 vs 1 ki jagah chlo group competition karte hai. "
" Dusre sabdo me kahe to isase koi fark nahi padta hai ki tum kise face karte ho. Ye kaisa rahega ? "

Hanekawa, Ryuji koto ko Sachin ki ye sari baat translate karke batati hai. Aur unko sunane ke baad Ryuji Koto apne man me sochta hai ' Iska Matlb ki agar jo team phle dusre team ke kisi ek Member ko knock out kar degi use ek kafi bada Advantage milega.aur battle uske side me jane ke chances jyada ho jayega. '
' Well waise baat bhi sahi hai agar sirf Kalayi pakdne ki baat hoti to agar kisi bhi side koi ASSASSIN type huntur hua to use bahut bada Advantage mil jayega. '
( Sare Indian Hunturs ko dekhte hue ) " Thik hai. Jaisa aap sub ne kaha waise hi karte hai. "

Xabhi " Huntur Sachin, Jay, Aayat aur Hari India ki taraf se participate karenge. "
" Japan ke team ki taraf se kon participate karega ? "

Ryuji Koto " Kenzo Tanaka, MINORU Hoshino, Atsushi Kumamoto aur Kanae Takawa. "
" Japan ki taraf se ye chro participate karenge. "












Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Ma.smja idr sa rider ko bhjn gaay
 

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 92



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Sare japanese hunturs ka dhyan mere taraf chla jata hai tab Hanekawa unhen mere bare me batati hai. Hanekawa hum indian hunturs ko Japanese Hunturs ke aage kamjor bolti hai tabhi waha Knight Guild ka master Manish waha aa jata hai. Aur Hanekawa ko aisa karne se mana karta hai. Nalin Hanekawa use ek fight ke liye kahti hai. Jisme Manish jit jata hai. Aur use uski galto andiya batata hai. Sare hunturs is fight ko dekhte hai aur Ryuji koto hum logo se ek duel karne ka offer karta hai. Jise Xabhi accept kar lete hai. Aur Sachin bhi usme kuch rules aur add kr deta hai.


AB AAGE.....


Mai samne khade Ryuji Koto ki taraf dekhte hue apne man me ' Jaisa ki mujhe ummid thi Ryuji Koto is duel me kud hissa na le kr piche ho jayega. '
' Kya ye hum sub ko side me khade rah kar observar karne ki kosis kar raha hai ? '
( Halki smile ke sath ) ' Cahe jo bhi Case ho. Aapko S Rank hunturs ki battle her roj dekhne ko nahi milti hai. '
' Acha hua ki aaj mai yaha aa gaya. Warna mai ye sub miss kar deta. '

Fir kuch der me hi Gym ke hi ander open are me bane hue kai bade bade stage me se bich wale ek stage par ek side me Jay, Sachin, Hari aur Aayat khade the.
Aur unke thik samne Japan ke 3 male aur 1 female huntur khade the. Ye sub ek dusre ke group ko dhyan se dekh rahe the.

Kenzo Tanaka jiske face par plus ke scar ka nishan tha wo Jay aur Sachin ko ghurte hue apne man me sochta hai ' Jay aur Sachin ki thodi der phle hue fight ko dekhte hue mai abhi hi bata skta hu ki ye dono kitne jyada strong hai. '
' Lakin ye kamina Sachin, Mujhe aisa feel ho raha hai ki isne abhi bhi hmse kuch chipa rakha hai. '

Cap wali girl huntur Kanae Takawa, Aayat ki taraf dekhte hue apne man me ' Agr ye 4 on 4 ki battle hai to meri opponent ye ladki hi honi cahiye, hai ki nahi ? '

Hari charo Japanise hunturs ko dekhte hue halke dar ke sath apne man me ' Mai Ummid karta hu ki ye log mere sath aaram se hi battle kare. '

Jay " Alright ! "
( Apne aura ko relese karte hue ek smile ke sath ) " Chlo suru karte hai. "

Kenzo Tanaka bhi apne aura ko relese karte hue Jay ki taraf dekh kr ek badi smile krte hue apne man me sochta hai ' Jay ! Iski power to such me bahut jyada hai. '
' Ye ek aisa Huntur hai jo pure strength ke battle ko bahut jayada pasand karta hai. '
" Achi baat hai !
Achi baat hai !
Ek Aadmi ko simply aisa hi rahna cahiye. "

Jay bhi Kenzo Tanaka ko dekh kar badi si smile krte hue " Chlo dekhte hai ki hum dono me kon jyada Strong hai ! "

BHISOOM..... BHISOOM.....
BOOM....


Aur fir dono teji se ek dusre ki taraf aate hai. Aur Kenzo Tanaka apne Right hath se ek punch Jay ki taraf marta hai. Lakin Jay bhi turant hi apne left hath se ek powefull punch marta hai. Aur dono ke punch aapas me takra jate hai. Aur waha ek tej BOOM ki aawaj sunayi deti hai. Aise hi ye dono aapas me fight karna suru kar dete hai. Ye dono purely apne strength ka use karke ek dusre se fight kar rahe the.

Run... Run...

Wahi Minoru Hoshino bhi apne aura ko relese karke speed se bhagte hue Hari ki taraf jane lagta hai.

Hari ye dekh kar apne man me kahta hai ' Ye fast hai. '
' Ye sayad apne speed ko le kar kafi confident hai. '
' Agar mai iske close jane ki kosis karunga to isase mujhe kafi disadvantage hoga. '

SUU..... SUU..... SUU.....

Fir Hari apne right hath ko aage karte hue apne aura ko relese karke apne hath ke chro taraf dher sare Magical Arrow banata hai aur use Minoru Hoshino ki taraf release karte hue kahta hai " Distance create karna hi to meri speciality hai. "
" Aur long Range se Attack karna bhi. "

Minoru Hoshino, Hari ke relese kiye hue Arrow se bachte hue Surprise ke sath apne man me kahta hai ' Magical Arrow ?! '

BOOM.... BOOM.....

Wo magical arrow aage ja kar baki tino Japanese Hunturs ko bhi lagne wale hote hai lakin wo sub bhi unse bachte hue idhar udhar hote hai. Aur wo arrow ja kar ground aur diwaro me lag kar unko tod fod rahe the.

Atsushi Kumamoto jiske muh aur ek eye par mask laga hua tha. Wo un Arrow se bachte hue Hari ki taraf dekhte hue jor se kahta hai " Kya tum ek Ranger type ho !? "
" Fine ! To tumlog kahna cahte ho ki tum is battle ko one on one nahi rahne dena cahte ho, hai na ? "
" To mere khyal se hum logo ko thodi der wait karna hoga jab tak ki Minoru Hoshino sbse phle us Bande ko sambhal nahi leta hai. "

Xabhi dur khade ye sub dekhte hue " Ye tranning room hunturs ke tranning ke liye high LEVEL ke Mana crystals ka use karke bahut hi ache tarike se banaya gaya hai. "
" Average Hunturs itne kabil nahi hai ki wo is room me ek dent bhi la sake. Lakin in logo ne to bs kuch hi time me yaha kafi mess kar diya hai. "
( Apne man me ) ' In young logo ko is battle me participate karne ki anumati dena lagata hai mere ek galat faisla tha. Mujhe ab regret ho raha hai apne faisle par. '
' Inke opponent jo hai wo baki sare S Rank hunturs me sbse strongest huntur hai. '
' Inhe bahut sawdhan rahne ki jarurt hai. Quki saman wale hunturs na sirf aapki kalayi pakad skte hai balki wo usko buti tarah se tod bhi skte hai. '

Atsushi Kumamoto apne aura ko relese karte hue un Arrow se bachte hue apne man me kahta hai ' Kya chep trick hai ! '
( Thodi duri par khade Sachin ko dekh kr apne man me smile krte hue ) ' Kisne kaha mai sirf rules ko follow karunga aur sirf arms aur back ko hi target banaunga ? '
' Yaha baat sbse kabil Huntur ke servival ka hai. '

SWOSSSSSS......
Run.... Run....


Sachin teji se ja kar Atsushi Kumamoto ka hath pakdne ki kosis karta hai. Lakin Atsushi Kumamoto halka sa piche ho kar Sachin se bach jata hai. Aur speed me wo apni jagah se bhag kar Sachin se kafi duri par samne pahuch jata hai.
Sachin bhi ye sub dekh kr apne man me kahta hai ' Mujhe definitely yaha bloodlust feel ho rahi hai. '
( Atsushi Kumamoto ki taraf dekhte hue )' Lakin agar aisi baat hai to ye piche kyu hat gaya ? '
' kya ye Dar gaya hai ? '

Wahi Sachin se khuch duri par khade ho kar Atsushi Kumamoto apne dil par hath rakh kar apne heartbeat ko control karne ke sath lambi saas lete hue apne man me kahta hai ' Fuck mai fir se nervous ho gaya. '
' Mujhe lagta hai mai abhi bhi ek acha huntur banane ke layak nahi hua hu. '

Sachin apne man me Atsushi Kumamoto ko dekhte hue ' Mujhe yakin hai iska name Kumamoto hai. '
' Mai thik se nahi kah skta hu ki ye decision making me genius hai ya ye sirf ek Darpok hai. '
' Mere khyal se ye bahut jyada aggressive nahi hai. '
' Aisa lagta hai ki Koto is bande ke jariye hum sub ki skills ke level ko check Krna cahta hai. '
' Mai hope karta hu ki ab jo hone wala hai ye phle se hi uske liye prepared ho. '
' Agar tum log mujhe ek subject ki taraf treat karne ki kosis karoge. '
' Bas thoda sa.... Mai thoda sa serious ho jaunga tb to. '

Itna kah kar Sachin ne apne aura ko aur bhi jyada relese kr diya ab uski aakhe aur hair dono aur bhi jyada white color me glow krne lagti hai. Uske hath bhi change ho kar panji me Transform ho jati hai. Jisme bahut bade bade nakhun nikal aate hai.

Atsushi Kumamoto ye dekh kr bahut jayad darte hue apne man me kahta hai ' Are ye kya ? '
' Iski aakhe to change ho gayi hai. '
' Ye mere ander bhut jyada bhay paida kar raha hai. Mai yaha nahi rahna cahta hu. '

Run.... Jump.....

SWOSSSSSS......

Aur uske itna sochne tak me hi Sachin apne jagah se teji se bhagne ke sath lambe lambe jump laga kr Atsushi Kumamoto ke samne aa kar apne hath se uske upar Attack kar deta hai. Aur jaldi se Kumamoto bhi ek side hat kar is Attack se bach jata hai.

Sachin lagatar Attack krte hue jor se kahta hai " Tumhe to maine ek Darpok smjha tha. Lakin tum to usase bhi gire hue ho. "
" Sharm ki baat hai, jab tumhara AWAKENING hua hoga to tum sabhi S Rank hunturs ke bich ek top huntur ke roop me nikal kar samne aaye hoge. "
" Lakin tumhari harkate. Chiiii.... "

In sub se dur khada Manish bhi ye sub dekhte hue surprise ke sath khta hai " Hey bhagwan ! Ye sare such me Monsters hai. "
" Abhi thodi der pahle hui meri battle in logo ke is battle ke samne to kisi bache ke khel jaisa tha. "

Ye sun kar uske bagal me hi khada Vivek jldi se kahta hai " N..Nahi ye such nahi hai bhai. "
" Aapki fight bhi pretty Damn cool thi. "

BOOM.......

Crack.... Crack......

Tabhi ek side se kafi tej aawaj aati hai. Aur sare logo ka dhyan udhar hi chla jata hai. Waha par puri taraf se dust faili hui thi jiske karan kuch dikh nahi raha tha. Lakin kuch 5 second baad jab waha dust clear hoti hai to jo dikhta hai wo dekh kr hum sub Indian Hunturs ko kafi bada shock lagta hai.
Actually waha par Jay pet ke bal jamin par pada hua tha. Aur uske chro taraf ki jamin bhi buri tarah se tut chuki thi. Aur uske sir ke paas hi Kenzo Tanaka aaram se khada tha. Uski bhi t shirt puri tarah se fat chuki thi.

Jay ( waise hi lete hue halke smile ke sath ) " Haha.... Mujhe yakin nahi hota hai. Isme mujhe jamin par patak diya. "
" Aisa mere sath phli baar hua hai. "

BOOM......

Crack......

Tabhi ek aur aawaj aati hai aur jldi se ab us aawaj ke taraf dekhte hai aur waha Hari ek diwar me kuch inch ander ghusa hua tha. Uske dono hath upar ki taraf the aur Minoru Hoshino uski kalayi ko pakde khada tha.

Hari " UGH ! "

Minoru Hoshino, Waise hi Hari ke aakho me dekhte hue " Mai ise apni jit samjhu, Hai ki nahi ? "

Hari jldi se apni gardan ha me hila deta hai.

Ab Japan ke tino male Huntur ja ke Sachin ke samne khade ho jate hai. Wo tino hi Sachin ko ghurte hue apna aura release kar rahe hote hai.

Sachin bhi tino ko dekhte hue ek lambhi saas le kr kahta hai " To Agla kon hai ? "
" Tum log sochte ho ki mujhe face karna Huntur Aayat ko face karne se aasan hoga ? "
" Tum log mujhe kam smjh rahe ho. "

Saayyy.... Saayyy.....

Saayyy.... Saayyy.....

Wahi in sub se bikul bekhabar Aayat apne hatho se lagatar apne ajibo garib Attack ki help se Kanae Tawata ko harane ki kosis kar rahi thi. Aur Kanae Tawata uske Attack se bachte hue lagatar piche ja rahi thi.

Kanae Tawata ye sub krte hue apne man me ' Ugh.... Maine to socha tha ki ye bs fast hogi. Lakin aisa to bilkul bhi nahi hai. '
' Mujhe to iske Attack me koi pattern hi nahi dikh raha hai. '

Aur aisa is liye tha quki Aayat ka Nick name Dancer tha.
Aur usko ye Nick name is liye diya gaya tha quki uske nimble ( chatur ) Attack moves bikul dance moves ke similar hote hai. Jiske through wo apne opponent ko bahut hi jldi hara deti hai.
Lakin ye name sun kar Aayat ko embarrassment feel hota tha. Jiske wajah se inke Guild leader Anubhav ne kisi ko hi ye name use krne ke liye mana kar diya. Aur isi karan bhut se logo ko is bare me kuch bhi pata nahi hai.

Aise hi ye dono aaps me ek dusre ko harane me lage hue the Ki achanak se Kanae Tawata ko ek mauka milta hai aur wo jldi se apne right hath se Aayat ke left hath ko pakdne hi wali hoti hai ki Aayat bahut hi furti me uske hath ko jatak deti hai jisase wo piche ki tarf chli hai. Aur thik isi pal Aayat uske samne se gayab ho kar uske piche khadi ho jati hai aur bade hi pyar se ek smile ke sath Kanae Tawata ke back ko touch karte hue kahti hai " Maine tmhari back touch kr di. "

Kanae Tawata to abhi tak sdme me thi ki aakhir yaha hua kya. Use yakin hi nahi ho raha tha ki Aayat kab uske samne se piche gayi.

Wahi samne Sachin ke sath Kenzo Tanaka aur Minoru Hoshino ek sath fight krne me lage hue the. Aur sachin bhi dono ko akele hi kadi takkar de raha tha.
Jitne ke baad Aayat ki najar turant hi Unke taraf jati hai aur wo apne man me kahti hai ' Mujhe jldi se ja kar Sachin ki help karni hogi. '

BISOOM..... BISOOM....

BISOOM..... BISOOM....

Itna soch kar wo Sachin ke taraf bhagne hi wali hoti hai ki use apne piche kisi ke hone ka ahsas hota hai.
Aur ye koi aur nahi tha ye Atsushi Kumamoto tha. Jo apne hath se Aayat ke back ko touch karne hi wala tha. Aur aisa karte hue wo apne man me khush hote hue sochta hai ' Mujhe yakin hai mai un dono ko akele Us indian huntur ke sath chor skta hu. '
' Uski jagah mai Is ladki ko sambhalta hu. '

Abhi ye sub sochte hue wo Aayat ka back touch karta usase phle hi Aayat turant hi piche mudte hue piche wale ka face dekhe bina apne right hath se lagatar ek hi pal me kai punches uske muh par maar deti hai.

Kuch duri par khadi Lolipop wali Japanise huntur Akari Shimizu ye sub dekh kr bahut jyada shocked ho jati hai aur apni aakhe fade kahti hai " Huh ?! Ye abhi kya hua ? "

Uske bagal me khada Tatsumi Fujishima bhi ye sub dekh raha tha. Shocked to wo bhi hua tha lakin kud ko control me rakhte hue wo kahta hai " Ye to kisi Gatling Gun ki tarah dikh raha hai. "

Akari Shimizu " Abhi aakhir usne kitne fists use mare ? "
" Ten.... Nahi, sayad lagbhag 14. "

Tatsumi Fujishima " Itne kam time me itne jyada punches ke padne par Kumamoto to unko bilkul bhi block nahi kar paya hoga. "

Kuch second baad Aayat jb rukti hai to wo samne ka najara dekh kr apne man me kahti hai " Oh shit ! Maine kuch jyada hi kar diye hai. "

Quki haal hi kuch aisa ho gaya tha Kumamoto ka. Uske mask par almost har jagah blood laga hua tha. Aur ab usko gussa aa raha tha. Jisase uski aakhe light red ho gayi thi. Aur wo sirf Aayat ko hi dekhe ja raha tha.

Tatsumi Fujishima " Kumamoto ab gusse me hai. "
" Jab is kamine ko gussa aata hai to, iski personality completely change ho jati hai. "

Kei " Aisa nahi hai ki iski personality completely change ho jati hai. Bas ye tab apna sara control kho deta hai. "

Akari Shimizu " Jab ye fight khtam hogi, use kuch bhi yaad nahi rahega. "

Kei " Iski ye personality competition ke liye to bilkul bhi nahi hai. "
" Quki aise situation me ye na sirf koi illegal Attacks kar skta hai. Balki aise me ye apne teammates ke upar bhi Attack kar deta hai. "
" Aise me ye at least B Rank DENGEON ko kud se akele clear kar skta hai. "
" Lakin fir bhi agar wo A Rank DENGEON ke raid me participate nahi karega to wo kabhi bhi S Rank huntur nahi kahla payega. "

Atsushi Kumamoto, Aayat ki taraf dekhte hue ab paglo ki tarah smile krte hue apne full aura ko relese kar deta hai.

Ryuji Koto ye sub dekhte hue Hanekawa se kahta hai " Agar lage ki Indian team ki taraf se koi huntur seriously injured hone wala ho to Please use turant hi rok dena. "
" Mai bs inko test karna chahta hu. "

Hanekawa chinta ke sath " Agar aapko lagta hai ki hme use rok dena cahiye. To mere khyal se yahi sabse best time hai use rokne ka. "
" Quki mujhe nahi lagta hai ki jo damage hone wala hai hum use bhi compensate karna afford kar skte hai. "

BOOM......

Crack..... Crack.....
Run... Run...


Tabhi Atsushi Kumamoto apne right hath ko jor se niche jamin par de marta hai. Aur waha ki puri jamin bahut buri tarah tut jati hai. Jisase Aayat bhi wahi jamin par gir jati hai. Aur Kumamoto jldi se Aayat ke piche thori dur chla jata hai.

Aayat ye dekh kr apne man me ' Ye to kafi tej hai. '

Run.... Run...

Aur agle hi pal Kumamoto bhagte hue speed se niche jamin pr giri hui Aayat ke paas aa kar use jor se apne laat se marne hi wala hota hai ki mai alge hi pal aayat ke samne pahuch jata hu.
Mujhe mere jagah se waha jate hue koi nahi dekh pata hai. Meri speed thi hi itni jyada. Mai waha pahuch kr apne left hath se Kumamoto ke pair ko bich me hi pakd leta hu.
Aur Aayat jo ki dar ke mare apne face ko apne dono hatho se chupaye baithi thi, Jb kuch der tak kuch nahi hota hai to wo apni aakhe khol kr mujhe dekhti hai.

Mai, Aayat ki taraf dekhte hue Kumamoto se kahta hu " Ye to sirf ek competition hai. Lakin tumhara bloodlust iske hisab se kuch jyada hi hai. "
" Mai ummid karta hu Tmhe mere bich me aane se koi problem nahi hai. "

Atsushi Kumamoto gusse se mere tarf ek punch marte hue kahta hai " Tum sale, kamine. "

DHADDD......

Lakin isase phle ki uska punch mujhe lagta mai jldi se ja kar uske hath ko pakd kr use niche jamin par gira deta hu. Aur teji se uske dono hatho ko piche karke pakd leta hu. Ye sub maine bas ek second me hi kiya tha. Sare log ye dekh kr shocked ho jate hai.

Ryuji Koto ( surprise ke sath apne man me ) ' Ye move to.... '
( Hanekawa se ) " Hanekawa... kya tmhe pakka pata hai ki ye huntur ek mage type hai ? "

Hanekawa bhi shocked ke sath meri taraf dekhte hue " Ha... Well, official sources ne to yahi kaha hai. "

Ryuji Koto " Hmmm, Mere khyal se tum is baat ka kud pata lagao to jyada acha rahega. "

Mai, Aayat ki taraf dekhte hue " Huntur Aayat, mere khyal se yahi sbse best rahega agar hum is baat ko maan le ke Indian team is competition ko haar cuki hai. "

Aayat " Thik hai. "
( Ek taraf sachin ko dekhte hue )" Aisa lagta hai Huntur Sachin ko bhi in logo ne hara diya hai. "

Quki Sachin ke back par Kenzo Tanaka ka hath tha.

Sachin apne man me ' Agar mai honestly kahu to hmare Skills ke level me bahut jyada diffrence hai. '
' Bhale hi mai puri taraf se transformed ho jata tab bhi usase jyada fark nahi padta. '

Ab tak mai bhi Kumamoto ko chor kar khada ho chuka tha. Tabhi Hanekawa mere samne aa kar kahti hai " Mr. Huntur mere paas ek massage hai Ryuji Koto ka aapke liye. "

Fir Ryuji Koto mere samne aa kar kahta hai aur mere bagal me khadi Hanekawa use translat karke mujhe batati hai.

Ryuji Koto " Tumne kaha, tumhara name Rider hai, maine sahi kaha na ? "
" Agar hum dono me one-on-one fight ho to, tmhe koi problem to nahi hai isme ? "














Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Kamal.ke.fight dakny ko meele ha
 

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 93



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Indian aur Japanise hunturs ke bich battle ho raha hota hai. Jisme Jay aur Hari haar jate hai fir Japan ke tino male Huntur ek sath mil kar Sachin se fight karne lag jate hai. Wahi Aayat badi aasani se Japan ki female huntur ko hara deti hai. Aur jaise hi wo Sachin ki help karne jane wali hoti hai piche se Kumamoto aa kar uspar Attack karne hi wala hota hai ki Aayat bas kuch second me uske upar uncountable punches jad deti hai. Jisase uske pure muh se blood aane lagta hai jisase gussa ho kar wo Pagal ho kar Aayat ko seriously injured karne hi wala hota hai ki mai aa kar use rok deta hu. Fir Ryuji Koto mere sath fight krne ke liye offer deta hai.


AB AAGE.....

Ryuji Koto itna sab kah kar apne aura ko relese karte hue mujhe dekhne lagta hai.

Mai Ryuji Koto ko dekhte hue apne man me kud se kahta hu ' Jo aura ye release kr raha hai... '
' Mai uske bina kuch kahe sirf uske aura ko hi dekhte hue ye kah skta hu ki ye aakhir kya kahna cahta hai. '
' To ye sayad kud se ye dekhna chahata hai mai aakhir kitna strong hu. '
( Ryuji Koto ko dekh kr smile karte hue )' Mai nahi janta ki aakhir iska true intention kya hai... '
' Lakin ye mere liye koi bura mauka nahi hai kud ko check karne ka ki mai Demon castle se kitna jyada strong ban kr wapas aaya hu. '

Wahi jab mere samne khada Ryuji Koto mujhe smile krte hue dekhta hai to wo apne man me kahta hai ' Ye mere upar has raha hai !? '

Mai Hanekawa se is fight ke liye haa kar deta hu. Sath me mai use kuch kahta hu jisne sun kar uski aakhe badi ho jati hai shocked se Aur meri baat sun kar Hanekawa abhi bhi shocked ke sath turant hi Ryuji Koto ki taraf dekhte hue kahti hai " Koto sir huntur Rider ne aapne challenge ko accept kar liya hai. "
( Thoda darte hue ) " Lakin uski ek condition hai. "

Ryuji Koto " Aur wo kya hai ? "

Hanekawa " Usne kaha hai wo tabhi aapse fight karega jab aap apne full strength ke sath fight karenge. "

Ye sunte hi to Ryuji Koto ko ek bahut bada jhatka lagta hai. Aur wo mujhe ghur kar dekhte hue apne man me sochta hai ' Kya ye bacha is baat ko le kar ab serious ho gaya hai ? '

Wahi hum dono ke charo taraf khade baki sub hunturs bhi ye sari bate sun rahe the. Sab abhi tak bilkul saant the. Lakin ander hi ander sab bahut Surprise bhi the. Lakin koi khich show nahi kar raha tha.

Hari halka darte hue " Huh ? Aakhir yaha ab kya hone wala hai ? "

Ryuji Koto jise ki ab thoda gussa aa gaya tha wo mujhe dekhte hue apne man me sochta hai ' Interesting.... '
' Jab tak hmare paas hmari S Rank healer Shimizu hai. Mujhe nahi lagta hai ki yaha koi seriously injured hoga. '
" Meri taraf se ok hai. "
( Apni S Rank healer ko dekhte hue )" Shimizu injured logo ka ache se dhyan rakhna. "
( Meri taraf isara karte hue ) " Aur specially iska kuch jyada ache se. "

Mujhse thori duri par jamin par baith kar rest kar raha Jay bhi ye sub dekhte hue kahta hai " To ye wo Infamous India ka 10th S Rank huntur hai. "
" Mai abhi se bata skta hu ki ye kafi strong hai. "
" Mujhe to yakin hi nahi ho raha hai ye Ryuji Koto se fight karne wala hai. "

Jay ke aage thi khadi Aayat apne man me kahti hai ' Kya sub kuch thik rahega ? Kahi Rider ko kuch ho na jaye ? '
' Lakin ye to akele hi A Rank DENGEON ke boss aur 100 se bhi jyada high orcs ke sath fight karne ke kabil hai. '

Sachin, Aayat ki taraf dekhte hue " Yaha itne sare hunturs ke hote hue bhi kya tum thik ho ? "

Aayat, Sachin ki baat ko smjh jati hai ki wo kya kahna cahta hai aur fir wo uski taraf dekh kar kahti hai " Well, aisa nahi hai ki JEJU island ke raid pr jane ke baad mai apne nose ko har time cover krke hi rakhu. "
( Kuch der baad ) " Aur ha tmne kaha tha ki tum Rider Rider se parichit ho ? "

Sachin " Ye bikul sahi hai. "

Aayat " To kya tumhe is match ko rokna nahi cahiye ? "

Sachin samne meri taraf dekhte hue " Ab jab samne Koto hoga to aisa reaction hona to Normal si baat hai. "
" Aakhir kon koto ke sath frndly fight ko accept karna chahega ? "

Aayat " To fir tum kyu nhi...... ? "

Sachin ( bich me Bolte hue ) " Mera bhi wahi tark hai jo tumhara hai. "

Ye sunte hi Aayat Sachin ko dekhne lagti hai. Aur Sachin smile ke sath meri taraf dekhte hue kahta hai " Kya tum is match ke liye excited nahi ho ? "
( Apne man me ) ' Agar Rider such me koi aisa huntur hai jiske paas aisi power hai ki wo continuously strong hota jata hai. '
' Tab aisa possible ho skta hai ki wo ab aur bhi jyada Strong ho gaya hoga, last time mai jab usase mila tha uske comparison me. '

Mai niche dekhte hue " Thik hai. "
" Chlo suru karte h..... "

Abhi maine apni baat bhi puri nahi ki thi ki Ryuji Koto bahut hi furti se apne Power ko use krte hue apne right hath ki hatheli ko open karke sidhe mere face ki taraf Attack kar deta hai.

Run.... Run.....

Jab uska hath mere aakho se 2 inch dur hi rahta hai to mujhe is baat ka ahsas hota hai. Aur mai turant hi apne jagah se left side ki taraf bhag jata hu. Aur thodi dur jane ke baad ek jagh ruk kar apne man me sochta hu ' Isne to mere baat khtam hone se phle hi Attack kar diya. '

Wahi Ryuji Koto apne man me ye sub dekh kr sochta hai ' Kya maine miss kar diya ? '
( Meri taraf dhyan se dekhte hue ) ' Tum log to kah rahe the ki ye ek Mage type huntur hai ? '
' Sub bakwas hai. '
' Wo sare nimble aur soundless moves.... '
' Bhale hi tum baki sare logo ko fool bana sakte ho. Lakin tum mujhe fool kabhi nahi bana sakte ho. '
' Mai tumhare ander se aur jyada secrets ko bahar nikal ke rahunga. '
' Ye sub ab tab tak khtam nahi hoga, jb tak ki mai wo sub kuch bahar na nikal lu jo tum sbse chupane ki kosis kr rahe ho. '

Itna sub soch kar Ryuji Koto apne power ko aur bhi jyada use krte hue mere upar fir se Attack krne ke liye ready hone lagta hai.
Mai, Ryuji Koto ki taraf dekhte hue apne man me sochta hu ' Ye definitely Baki S Rank hunturs se bilkul alag hai. Ye bahut hi jyada strong hai. '
' Lakin, fir bhi iske Attack aise nahi hai jinhe mai avoid na kar saku. '

Mere itna sochne tak Ryuji Koto fir se mere upar aur bhi jyada strength aur speed se Attack kar deta hai. Jise mai bas halka sa apne body ko left side me karke avoid kar deta hu. Aisa karte hue mai smile kr raha tha. Aur thik isi wakt meri aur Ryuji Koto ki aake milti hai.
Mujhe fir se smile krta hua dekh kar Use ab bahut gussa aane lagta hai. Aur wo apne man me sochta hai ' Tum fir se mujhe dekh ke smile kr rahe ho !? '

Wahi hum dono se achi khasi duri par khade baki sub hunturs ye sub hota hua dekh rahe the.

Ippei Izawa Hmari taraf dekhte hue " Tmhe nahi lagta hai ki hme is match ko ab rok dena cahiye ? "

Kenzo Tanaka " Dekhne se to aisa lag raha hai ki Koto is match ko seriously lene ki planing kar raha hai. "

Hari Surprise ke sath samne dekhte hue " Ye sare kuch scary Attacks the. "
" In Attack ko apni aakho se bhi thik se track nahi kar paya. "

Jay aakhe fade samne dekhte hue " Lakin Huntur Rider ne ise ab tak kafi ache se sambhala hai. "
" Aise bahut hi kam log hai jo Japan ke best hunturs ke in scary Attacks ko dodge kar sake. "

Aayat samne dekhte hue apne man me ' Huntur Rider in Attack ko sirf smbhal nahi raha hai. '
' Wo koto ke taraf se kiye ja rahe non stop Attack se bachte hue use aur bhi jyada strength ke sath Attack karne ke liye utsa raha hai. '

Wahi Anubhav kahi bahar gaya hua tha. Wo bhi jab wapas aata hai to to uski najar bhi hum dono ke match par chli jati hai aur ye sub dekh kar kahta hai " Lagta hai jab mai smoking ke liye gaya tha. Yaha tab se bhut kuch Interesting ho cuka hai. "

Ryuji Koto fir se mere upar Attack krta hai lakin mai is Attack se fir se bade aaram se bach jata hu. Jise dekh kr Ryuji Koto apne man me sochta hai ' Tmne is Attack ko dodge kr diya ? '
' Kya ye sub luck ke karan hai ? '
' Aisa lagta hai agar maine apne full strength ka use nahi kiya to mai is bacche se haar jaunga. '
' Maine ab apna mind change kar liya hai. '
( Gusse ke sath ) ' Ab mai is kamine ko jaan se maar kar hi dam lunga. '

Itna sub soch kar Ab Ryuji Koto apne full strength ka use karte hue bahut hi furti se mere taraf ek Attack karta hai. Aur uske is Attack se mere left chick pr ek sharp cut lag jata hai. Jaha se halka blood niklne lagta hai.

DING.....

[ WARNING : Aapke aas paas ke area me aapne kisi ka Immense Bloodlust ko sense kiya hai. ]

Mai apne man me ' Bloodlust ? '

Abhi aage mai kuch karta usase phle hi Ryuji Koto wapas se mere upar Attack kar deta hai uska hath sidhe mere face ki taraf aata hai. Aur mai jldi se uske hatheli ko pakd leta hu. Aur apne man me kahta hu ' Agar mai iske sath aise hi kafi der tak mess hota raha to mujhe Anil aur Namit ke time ki tarah Emergency Quest mil jayega. '
( Smile karte hue ) ' Agar mai thoda sa bhi slow hota to ab tak mai apna ek aakh kho chuka hota. '

Wahi Ryuji Koto shocked hote hue apne man me kahta hai ' Ye kaisi Immense strength hai ? '
' Ye meri wrist ko bhi pakad skta tha. Lakin isne uski jagah isne mere hath ko pakda chose kiya ? '
( Smile krte hue mujhe dekh ke ) " Tumhe kya lagta hai tum mere sath khel skte ho ? "

Mai bhi smile krte hue " Mai sure nahi hu ki tum abhi kya kah rahe ho ? "
" Lakin match khtam ho jata agar mai tumhare wrist ko pakdta to. "
" Aur mere khyal se tum bhi hamare match ko is tarah se khtam nahi karna cahte, maine sahi kaha na ? "

Mere itna kahne ke baad mai Ryuji Koto ka hath chor deta hu. Aur fir hum dono hi serious hote hue ek dusre ki aakho me dekhte hue apne apne aura ko full relese kar deta hu.
Hmare aura ko dekh kar baki sare hunturs bahut jyada dar jate hai. Aur hum dono un sub ki parwah kiye bina ek dusre ke tarf badh jate hai. Lakin usase phle hi hum dono ko hmare taraf ke hunturs log pakd kr rok lete hai.
Mere dono hatho ko Sachin piche se pakd leta hai. Aur jis right hath se mai Ryuji Koto ko marne wala tha mere is hath ko Aayat apne dono hatho se lock krke rok deti hai.

Aayat mere taraf dar se dekhte hue jor se " Rider !!!! "

Mai bhi Aayat ke awwaj sehose me aata hu aur Aayat ko hi dekhne lagta hu ektak.
Wahi dusri taraf Ryuji Koto ko piche se Minoru Hoshino ne pakda hua tha.
Jabki Kei ne ham dono ke bich me apne power se Ice ki ek bahut hi moti diwar bana diya tha.
Sachin jo ki mujhe piche se pakd kar badi muskil se roke hue tha wo Hanekawa ki taraf dekhte hue kahta hai " Ab is match ko yahi rokte hai. "
( Ryuji Koto ki taraf dekhte hue ) " Ye wo person hai jo kuch hi dino me JEJU island par hone wale raid me Japanese Hunturs ko lead karne wala hai. "

Aayat abhi bhi mera hath pakade hue Ryuji Koto ki taraf dekhte hue " Agr inhe yaha chot lag gayi to humlog is baat ki responsibly nahi le sakte hai. "

Sachin, Hanekawa ko dekh kr jor se " Quki ye fight ab humlog ke hath se bahar ja chuka hai. Isliye hmare aaj ke practice match ko yahi khtam kar dena cahiye. "

Hanekawa, jo ki ye sub dekh kar bahut dar cuki thi jisase uske pure face par pasine bhi aa chuke the. Wo bhi Sachin ki baat sun kr jldi se kahti hai " Thik hai. "

Fir sare log hum dono ko chor dete hai. Aur mai bhi ab tak kud ko puri tarah se shaant kar chuka tha. Tab Sachin mujhe dekhte hue kahta hai " Kya maine tab interfere kiya jab mujhe nahi karna cahiye tha ? "

Mai santi se " Nahi tumne sahi kiya. "

Aayat ne abhi bhi mera hath pakada hua tha . Ye dekh kar mai Aayat ki taraf dekhte hue kahta hu " Mera hath ? "
" Mai ab thik hu. "

Aayat sharminda hote hue mera hath chodte hue bas itna hi kah pati hai " Oh... Ha !! "

Wahi dur khada Kei ye sub dekh kr na ja e kyu apni muthi kaste hue gussa karne lagta hai. Lakin wo kahta kuch nahi hai. Quki use bhi mere power ka kuch andaja ho gaya tha.

Aayat bhi mere paas se ab thodi dur ja kar kahi ho cuki thi.

Jay haste hue mere paas aa kar kahta hai " Hoho ! Tum Ryuji Koto ke samne na sirf tike blki tumne to uske cheeks par ek scratch bhi de diya. "
" Tum kafi Interesting fellow ho. "
( Mere Solder par hath rakhte hue ) " Oho ! Tmhari body to kafi hard hai. Kya Incredible physique hai tmhari. "
" Mera Guild Maze type hunturs se bhra pada hai. Humare Guild me Physical fighters ki bahut jyada kami hai. "
" Young Master Rider agar aapke paas koi Guild nahi hai to, aap kyu nahi mere Guild me aa jate hai ? "

Is baat ko 1st floor par khade Anubhav ne bhi itni dur se sun liya tha. Wo wahi se jor se chilla kar kahta hai " Master Jay, Rider ek Mage type huntur hai. "

Ye khane ke baad wo hasne lgta hai. Jay bahut jyada surprise ke sath kabhi mujhe to kabhi Anubhav ko dekhta hai.
Jabki in sub se bekhabar mai jamin ki taraf dekhte hue apne hi soch me ghum tha.

Mai apne man me ' Mai kuch jayad hi involved ho gaya is fight me. '
( Sare hunturs ki taraf dekhte hue ) ' Mai ab yaha par present sare hunturs ki strength ko jaan cuka hu. '
' Sath me main Xabhi, Aayat, Sachin, Anubhav aur Ryuji Koto ke bare me bhi bahut kuchh jaan chuka hu. '
' Bhale hi ye log strong S Rank hunturs hai, lakin fir bhi ye log apne shadow ke ander chupe hue mere Shadow Soldiers ko detect nahi kar paye. '
' Mai sbse jyada surprise to tab hua jab Ryuji Koto bhi apne shadow ke ander chupe hue mere Shadow Soldier ko bikul bhi detect nahi kar paya. '

Mai, Xabhi se " Committee leader Xabhi. "

Xabhi " Ha huntur Rider ! "

Mai " Aapne mujhse pucha tha na ki mai aane wale JEJU island ke raid me participate karunga ya nahi ? "

Ye sun kar Xabhi mere taraf bahut ummide ke sath dekhne lagte hai.

Wahi Hanekawa, Ryuji koto ki taraf dekh kar kahti hai " Koto sir ? "

Lakin Ryuji Koto koi reply nahi deta hai. Actually usne to hmari fight khtam hone ke baad se hi kuch nahi kaha tha. Tab se hi wo sadme me tha. Uski puri body pasine se nahayi hui thi. Uski aakho se dar saaf dekhi ja sakti thi. Wo in sb bato se bekhabar akdam santi se jamin ki taraf dekhte hue na jane kaha ghum tha.









[ Sorry FRND'S match dekhne me time ka pata hi nahi chla. ]

Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Ache fight the dno ke bech ma
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
Oye sun ye meri story hai. Meri marji mai update du ya na du. Wo meri problem hai. Tu reader hai to aa aur story read kar. Update na mile to tum request hi kar skte ho update ke liye. Tum mujhe order nahi de skte. Quki ye koi paid site nahi hai.
Aur Aaj tak tere meri story par kitne like aur comments hai ye batana jara. Koi regular reader hota wo ek baar aisa kehta to mai ignore karne ki sochta bhi. Lakin tu hai kon ? Jaao mat aana meri story par mujhe tum jaise readers ki koi jarurt nahi hai.
Aur agar iske tarah koi aur bhi soch rakhta hu to hath jod kar aap sub se nivedan hai ki meri story par aap jaise logo ki koi jarurt nahi hai.
Ban karwao sidhe bhai aise reader ko
 

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 94



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Mai, Ryuji Koto ke challenge ko accept kar leta hu. Fir hum dono ke bich fight start hoti hai. Jise phle to Ryuji koto hmke me lete hai. Lakin jab mai smile krte hue usko gussa dilata hu to wo apne full strength ke sath mujhse fight krne lagta hai. Lakin abhi bhi wo mujhe touch bhi nahi kar pata hai. Jisase wo bahut jyada gusse ne aa kar mujhe jaan se marne ke bare me soch leta hai. Aur mere gaal par ek cut de deta hai jisase Mai bhi ab serious ho kr us par Attack kar deta hu. Lakin hum dono ko itna serious hote hue dekh kar baki sub hum dono ko rok dete hai. Aur match ko yahi khtam kar dete hai. Lakin ab Ryuji koto sdme me ja cuka tha na jane kyu.


AB AAGE.......

WHITE TIGER GUILD BUILDING
6 : 00 PM


Sachin apne cabin ke ander apne chair par baitha hua tha. Uske cabin me is time sirf ek hi light jal rahi thi. Baki pura cabin andhere me duba hua tha.
Sachin one side transparent glass se bahar ki taraf dekhte hue apne apne man me na jane kya sochne me laga hua tha.

Sachin apne man me ' Kya aisa kuch hona possible hai ? '
' Mujhe to abhi tak yakin nahi ho raha hai ki wo ek aisa huntur hai ki jo continuously Strong hote ja raha hai. '
' Mujhe to aacharya hai ki ye aur kitna jyada worthy banega. '
' Huntur Rider ko Recruit karne ki kosis karna fruitless hai. '
' Lakin abhi bhi bahut se tarike hai Telented hunturs ke sath relationship banane ke. '
" Ab time hai Plan B ka. "


TU... TU...

Tabhi Sachin ke phone par ek massage aata hai aur wo apna phone utha ka wo massage dekhne lagta hai aur kud se kahta hai " Ye jarur 4 din baad JEJU island par hone wale Raid me participate karne wale hunturs ki list hogi. "

Lakin jb Sachin massage ko read karta hai to usko bahut bada jhatka lagta hai. Uski aakhe badi badi ho jati hai.

Sachin almost chillate hue " Huntur Rider ka name is list me nahi hai ?! "

Use to yakin hi nahi ho raha tha is baat par wo fir se us list ko dhyan se read karta hai. Lakin jab name list me ho tab na wo use dikhe.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

AN 5 STAR HOTEL
6 : 23 PM


Japan ke sare hunturs ko Delhi ke hi ek top rating ke 5 class hotel me thraya gaya tha.
Ryuji Koto bhi is time apne room me tha. Uske room me ek bada sa royal Bed Attached bathroom ke alawa, samne sofa ka pura set aur bhi baki jaruri saman tha.
Ryuji Koto is time single sofe par baitha hua tha. Aur uske samne table par ak bade se jar me ice cubes ke bich vodka ki ek bottle rakhi hui thi. Sath me 2 glass bhi side me rakhe hue the.

Ryuji Koto phone par apne Draw Sword Guild ke vice master Reiji Sugimoto se baat kar raha tha. Jo ki is time Japan me tha aur inke Guild se sirf yahi ek S Rank huntur yaha India nahi aaya tha. Na hi ye JEJU island ke Raid me participate kar raha tha.

Ryuji Koto phone par " Sugimoto bhai, Yaha India me ek talented huntur hai. "

Reiji Sugimoto " Hahah.... Lakin mujhe abhi bhi yakin hai wo Tmse kamjor hi hoga. "

Ryuji Koto sochte hue " Well.... Mai is barr me yakin ke sath kuch nahi kah skta hu. "

Reiji Sugimoto " Us huntur ka name kya hai ? "

Ryuji Koto " Rider ! "
" Ye abhi haal hi me S Rank huntur bana hai. "

Reiji Sugimoto " Kitni ajib baat hai iska name yaha nahi hai. "

Ryuji Koto surprise ke sath " Huh ? "
" Tm kahna kya cahte ho ? "

Reiji Sugimoto " Ahh ! Lagta hai mai phle hi bata diya. "
" Actually, abhi kuch der pahle hi India ne JEJU island par Raid me jane wale apne hunturs ki final list bheji hai. "
"
Anubhav,

Jay,
Sachin,
Aayat,
Hari,

Ajay. "
" Ye sare un hunturs ke name hai jo 4din ke baad hone wale Raid me participate karenge. "

Ryuji Koto abhi bhi Surprise ke sath " Kya ? Ye sahi nahi ho skta hai ? "
" Kya ye log pagala gaye hai. Aisa kabhi nahi ho skta hai ki Chairman Xabhi, Rider jaise telented hunturs ke bina ye Raid team banaye. "

Reiji Sugimoto " Well, hum kya kar skte hai ? "
" Is Raid me phle se hi 16 S Rank hunturs participate kar rahe hai. "
" Jisase waha koi problem nahi hoga. "

Ryuji Koto " haaa.... Mai bina wajah ki tention le raha hu. "
" Mai tumhe baad me call karta hu, kab Raid start ho jayega. "

Reiji Sugimoto " Ha. "



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

JEJU ISLAND

JEJU island me Ant nest ke ander ek bahut badi Ant khadi thi. Uski aakhe Red color ki thi. Aur uska baki ka body pure White color ka tha. Ye koi aur nahi Ant's Queen hi thi. Jo ek bahut bade guffa type jagah me khadi apne samne jamin par rakhe apne bade bade uncountable eggs ko dekhte hue kud se kahti hai " Hme ye Island chod kar jana hi hoga. "
" Yaha hmare khane ke liye ab kuch nahi bacha hai. "
( Ek taraf pade kuch ant's ki mari padi body ko dekhte hue ) " Mere Childrens ab ek dusre ko khane lage hai. "
" Hmare Empire ko support karne ke liye ab yaha aur khana nahi bacha hai. "
" Hum ab aise nahi rah sakte hai. "

Itna kah kar Ant Queen sare Ant's egg ke bich rakhe hue ek sbse bade almost 4 feet ke aur transparent egg ke paas ja kar use dekhte hue aage kahti hai " Hme aur bhi jyada strong Soldiers ki jarurat hai. "
" Hme ek ultimate Soldier ki jarurat hai, jo ki hamare empire ko lead kr ske. "
" Hmare Empire ke glory ke puri duniya me faila sake. "
" Jo Enemy hme rokna cahe unke dil me hmara dar paida kar sake. "

Us bade Egg ke ander ka Ant, egg ke ander rahte hue bhi apne man me Queen ki ye baate dohrane lagta hai. Jaise ki wo yaad kar raha ho ' Hmare Empire ki glory ko pure world me failana hai. '
' Jo Enemy hame rokne ki kosis karenge. Mai unke dil me hamara dar paida karunga. '
' Mai jarur hmare Enemy ke d me hmara dar paida karunga. '

Queen " Tmhe baki sub se bahut jyada Strong bana hai. "

Big egg Ant ' Mai sbse jyada strong banunga. '


Crack..... Crack......

BOOMMM...........

Fir achank se wo bada egg crack hone lagta hai. Aur uske ander se sbse phle ek ant ka hath hi bahar aata hai. Aur uskebaad pura egg tut jata hai aur usme se ek black color ka Ant bahar aata hai. Jo ki apne do panjo par hi khada tha. Aur uske wings bhi the. Aur usne bahar nikalte hi apne aura ko full relese kar diya. Jisase waha ek bahut hi bada dhamaka hota hai. Aur na sirf is pure guffa me balki pure island par is dhmake ki aawaj sunayi det hai. Sath me hi uske aura ko bhi pure island par feel kiya ja sakta tha. Wo itna jyada powerful tha. Pure island me se kahi bhi raha kar uske aura ke release hone ke se hue dhmake ko dekha ja sakta tha. Aisa lag raha tha jaise koi bahut hi bada dhamaka hua ho.

SCREEEEEEEECCCCCHHHH..........

Wo Black Ant sath me bhut hi tej aawaj me chillata hai jo ki pure island par gunjne lagti hai. Ye bahut hi khatarnak najara tha koi kamjor heart wala to ye dekh kr wahi heart attack se mar jaye.

Queen Ant us black color Ant ki taraf dekhte hue dur se hi kahti hai " Bas ab mere bachhe tum khao jitna ho sake uthna khao... "
" Aur jitna ho sake uthne jyada Strong bante jao..... "
" Mere bacche. "



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


RIDER HOME
7 : 09 PM



Mai apna decision xabhi ko batane ke baad Huntur Association se nikal kar wapas se hospital chla jata hu. Aur waha se apni Maa ko hospital se discharge karwa kar ghar par le aata hu. Kavya bhi hmare sath hi thi. Jo morning se hi Maa ke paas hi ruki hui thi. Wo to Maa ke paas se hatne ke name hi nahi le rahi thi. Aur aisa hona swabhavik bhi tha aakhir 4 saal baad jo Maa ko wapas paya tha hum dono ne.
Lakin fir bhi usne Maa ka morning se bahut ache se khyal rakha tha Mammy to ab bilkul thik thi. Lakin fir bhi wo mammy ki her ek baat ko darkinar karte hue unka pura dhyan rakh rahi thi. Mere hospital me na rahne ke time usne hi mammy ko jabrdast Lunch karwaya tha.


Creeaaaaakkkk.....
Tap... Tap... Tap...


Maine apne ghar ka main door open kiya aur hum tino door hote hue drawing room me pahuch jate hai. Aur waha pahuchte hi jo najara hum dekhte hai hmare kadam wahi ruk jate hai. Mai to samne ka najara dekh kr ekdam shocked ho jata hu.
Jabki Kavya apni najre idhar udhar curane lagti hai. Aur Maa wo samne ka najara dekh kr ekdam shocked thi.

Darsal drawing room ka haal hi is time kuch aisa tha ki hum shocked hue bina nahi rah sake. Sare saman bikhre hue the. Sofe par snacks ke tukde bikhre hue the. Sofe ke takiye niche jamin par gire pade the. Kavya ke kapde bhi yaha waha gire pade the. Table par bhi dher sari gandgi faili hui thi. Tv ke upar bhi kapde tange hue the. Pura kamare me sb faila hua tha.

Mai ye sub dekhte hi apne man me sochne lagta hu ' Jab tak mai Demon castle me raha us time me Kvaya ne pure ghar ko mess kar diya hai. '

Kuch...
Aur mai halka narajgi se kavya ke gaal pakd kr pull karne lagta hu.

Kavya " Ouchie..... !!! "


Hahahahha.....

Tabhi hum dono ke piche khadi Maa hasne lagti hai. Hum dono thode surprise ke sath ghum kar unko dekhne lagte hai to wo smile krte hue kahti hai " To meri princess abhi bhi wahi choti bacchi hai. "

Kavya ( thoda sharma kar ) " Wo mammy, mai to Hmesa saaf hi rakhti hu ghar. "
" Ye bas last ke kuch din maine safayi par dhyan hi nahi diya to ho gaya. "
" Sorry mammy !! "

Maa haste hue " koi baat nahi meri princess. "
" Mujhe bhi ghar ka koi kaam kiye hue 4 year se jyada ho chuka hai. "
" To kya tum log meri help karna chahoge, is kaam me ? "

Mai bhi ye sub sun kar smile karne lagta hu. Hum Mammy ko kaam karne se mana karte hai lakin fir bhi wo nahi manti hai to hum tino mil kar sab saaf safayi me lag jate hai.
Kavya ja kar vacuum cleaner le aati hai aur wo pure ghar ko saaf karne me lag jati hai.

Mai kapdo ko utha kar ek tab me daalne lagta hu. Aur fir sare kapde utha lene ke baad tab ko mai bathroom me rakh deta hu. Kapdo ko wash karne ke liye. Uske baad mai sara kachra utha kar dustbin me dalne lagta hu.
Maa ek kapde se TV aur baki table sofa saaf karne lagti hai.

Maa safayi karte hue " Ye ghar ab purana ho chuka hai. "
" Yaha bahut si jagah par ab mail jama ho gayi hai. Jo ki pahle nahi thi. "

Mai bhi dustbin me kuda rakhte hue " Well, ye wahi ghar hai jisme hum Bachpan se rahte aa rahe hai. "

Tabhi safayi karte hue mammy ki najar TV ke bagal me rakhe ek photoframe par padti hai. jo ki hmari family photo thi. Usme mere mammy, papa khade the. Aur unke aage hum dono khade the. Ye hmari bachpan ki pic thi. Jisme mai to normal hi khada samne dekh raha tha. Lakin Kavya ek icecream khate hue apne balo ki do choti banaye hue ek bahut hi cute smile ke sath Mammy aur papa ko dekh kar smile kr rahi thi.
Wo use utha kar kpde se thik se saaf krne ke baad us par hath ferte hue kahti hai " Rider.... "
" Jab mai soyi hui thi. Kya tmne apne pita ke bare me koi bhi news suni ? "

Mai kud der silence rahne ke baad niche dekhte hue nirasha se kahta hu " Nahi, maine kuch bhi nahi suna unke bare me. "

Meri baat sun kar Maa wapas se photo par hath fekte hue kuch sochne lagti hai. Wahi mai apne man me kud se kahne lagta hu ' Agar maine apne mammy ko bata diya ki mai bhi papa ke hi tarah ek huntur hu... '
' To mujhe dar hai ki mammy ka kya reaction hoga, wo kya kahengi ? '
' Mammy Is purane ghar ko chor kar kisi dusre ghar me nahi jana cahti hai iska bhi ek reason hai. '
' Bhle hi mai ab itne jyada paise earn kar chuka hu. Aur kisi ke bhi imagination se bahut jyada future me earn kar skta hu. Jisase ki hum ab aasani se kisi bhi achi jagah ja kar rah sakte hai. '
' Lakin Yaha is ghar me mere abhi bhi rahne ka aur iska rent pay karne ka bhi ek reason hai. '
' Meri Mammy aaj bhi mere Papa ka wait kar rahi hai. Jo bhut pahle ek Dengoun ke ander missing ho gaye the. '
' Meri Mammy ko aaj bhi ummid hai ki mere papa yaha wapas aane ka rasta ek na ek din dhundh hi nikalenge. '
' Meri Mammy ko is jagah ki.... "
' Nahi meri Mammy ko abhi bhi meri jarurat hai. '
' Isi liye mai JEJU island ke raid me hissa nahi le skta hu. '



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

HUNTER ASSOCIATION CONFRENCE HALL


Huntur Association ke confrence hall me is time ek bade se stage par samne ek bahut badi screen lagi hui thi. Jis par JEJU island ke Ant's ke bare me video ke jariye dikhaya ja raha tha. Aur screen ke hi samne khada huntur association ka hi ek Member as a anchor sbko screen se dekh kr explain kar raha tha. Screen ke dono taraf 2-2 minister baithe hue the.
Aur stage ke niche hall me dher sari chairs par Reporters baithe hue the. Aur stage ke side se aur niche ki tarah Cameraman apne camra ke sath sub shoot karne me lage hue the.

Anchor screen ki taraf dekh kar media ko sb explain karte hue " Jis Rate se Ant army evolve ho rahi hai wo phenomenal hai. "
" Her bar jo unke new Soldiers born ho rahe hai wo apne se phle ke sare Ant's ko dominant kar rahe hai. "
" Aur hum is baat se hi ye bahut aasani se samjha skte hai ki wo aakhir kis rate se evolve ho rahe hai. "



IMG-20220908-193143

" Abhi same screen par aap jo image dekh rahe hai wo ant's ke stage 1 or stage 2 ke evolutionary phase ki pic hai. "
" Is satage me to ye ordinary Ant's ki tarah hi behave karti hai jo ki badi muskil se jamin par rengati hai. "
" Inme sirf yahi anter hota hai ki ye Ant's size me bahut hi jayad badi hoti hai. "



IMG-20220908-193159

" jabki .... "
" Ye pic us time hi hai jab Ant's apne evolutionary phase ke 3rd stage me hoti hai. "
" Ant's ab hum humans ki taraf apne arm's ke use se clna suru kar deti hai. Inke Giant head ab small ho jate hai. "
" Ye ab apne charo hath arms ko use krne lag jate hai. "
" Sirf 2 year ke ander hi inme kafi jyada badlaw aaya hai. "



IMG-20220908-193238

" Aur ye image abhi haal hi ki hai. "
" Ye usi Ant ki image hai jisne kuch din phle Japan me bawal machaya hua tha. "
" Ye ab almost human ke tarah hi ban gaye hai. "
" Aur ab to inke back par Wings bhi nikal aaye hai. "

1st minister " To iska Matlb ye hai ki ye sub ab sky me fly karne layak ho gayi hai ? "

Anchor , minister ki taraf dekhte hue " Aapne bikul sahi kaha. "
" Sayad ye Last chance ho India aur Japan ke joint Raid team ka in ant's ko Harane ke liye. "

2nd minister " Ab mai clearly smjh skta hu ki kyu mostly hunturs in Ant's ko dekhne ke baad waha se bhag jate hai. "

3rd female minister " Well, hme khusi hai ki ek retired huntur ne bhi is Raid team me join hone ka courage dikhaya hai. "



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

NIGHT TIME
9 : 28 PM



Ghar ki puri safayi karne ke baad mai khana kaa kar bahar tahalne ke liye nikla tha. Tahalate hue mai apne phone ko nikal kar news check krne lagta hu. To waha mujhe tarah tarah ke news dikhne lagte hai.

" Huntur Rider ka name participate ki list me kyu nahi hai ? "

" Sirf S Rank huntur ban jane se uski personality completely change nahi ho skti hai. Ek baar jo E Rank banta hai wo Hmesa hi ek E Rank hi huntur rahta hai. Jarur wo dar gaya hoga aur dar se kahi bhag gaya hoga. "

" Yaha tak ki retired huntur Ajay bhi is Raid me hissa le raha hai. Lakin Darpok huntur rider nahi. "

" Ek S Rank huntur aisa behave bilkul bhi nahi karta hai. Mujhe apni country ke liye sad feel ho raha hai iske wajah se. "

Aise hi na jane kya kya mere bare me news par bola ja raha tha. Sare logo ke comments bhi aise hi the.
Mai chlta hua apne phone me ye sub dekhte hue kud se kahta hu ' Mujhe in hate comments se bikul bhi fark nahi padta hai. '
' Mujhe to bas is baat ki chinta hai Kavya par in sub ka kya Effect padega. '

Wahi mujhe dekh ke mere aas paas se gujar rahe baki log aaps me hi bate kr rahe hote hai " Huh ? Ye Rider hi hai na ? "

2nd person " Ha ye wahi hai, darpok huntur. "


TRIN.... TRIN....

Tabhi mere phone par kisi ka call aane lagta hai aur mai call ko pick up karta hu.

Dusre side se " Bade bhaiya, mai bol raha hu Shubham. "

Mai " Ohhh Shubham tum ! Kya tum abhi bhi hotel me roke hue ho ? "

Shubham " Nahi, ab nahi bade bhaiya. "
" Mai haal hi mai new jagah shift ho gaya hu. Acha hua ki meri mammy mere touch me thi. Unhone ne hi mera yaha rahne ka intejam karwaya hai. "
( khusi se ) " Are haa bade bhaiya, maine ek office dhundha hai. Mujhe pura yakin hai ki aapko wo jagah jarur pasand aayegi. Ek baar aapko time mile to aap yaha aa jao aur ek baar office ko dekh lo ? "

Mai " office ? "

Uske baad mai use abhi aane ko bol deta hu. Aur Shubham bhi mujhe apna new address massage kar deta hai.
Mai bhi ek cab karke Shubham ke new apartment par pahuch jata hu. Waha se o mujhe paas me hi ek jagah le jata hai jaha usne hmare office ke liye jagah dekhi hui thi.

Hum dono is time ek bahut bade khali space me khade the. Jisme office ke kaam me aane wale chair, table , cabin aur bhi bahut se chije rakhi hui thi.

Shubham excitement ke sath " Agar aap ek Guild banana cahte ho to sbse phle aapko jis chij ki jarurat wo hai ek office ! "
" Aapka is office ke bare me kya khyal hai bade bhaiya ? "
" Na hi sirf ye ek best places me se ek hai, balki ye aapke ghar se bhi jyada dur nahi hai. "

Mai thode surprise ke sath pure office ko dekhte hue " Abhi ke liye hum bas 2 hi log hai. "
" Tumhe nahi lagta hai ye place hmare liye kuch jyada hi badi hai ? "

Shubham mujhe smjhata hue " Aap kahna kya cahte ho bade bhaiya ? "
" Aapko Guild Master, Vice Guild Master aur guild ke baki Members ke liye space cahiye hoga. "
" Agar aap koi guild start karte hai to aapko kam se kam 3 log cahiye hi hote hai. "

Mai, Shubham ki taraf dekhte hue " To mujhe lagta hai ki mujhe ek aur person ko recruit karna hoga. "
( Apne man me ) ' Mujhe to aacharya hoga agar yaha koi huntur hua to. Quki mai janta hu mai unhe bas as a filler hi use karunga. Mere Guild ko start karne ke liye. '

Tabhi Shubham ko achanak se kuch yaad aata hai aur wo apne pocket me hath daal kar kuch dundhte hue mujhse kahta hai " Are ha bade bhaiya, Mujhse koi mila tha jo aapko dundh raha tha. "

Mai thoda surprise ke sath " Mujhe dundh raha tha ? "
" Kon ? "

Shubham " Wo koi foreigner tha. Jo ki English me baat kar raha tha. "
( Mujhe ek card dete hue ) " Ye aadmi kah raha tha ki wo 17th September tak India me hi rahne wala hai. "
" Sath me use ummid thi ki aap usase contact karoge. "

Mai card le kar dekhte hue apne man me ' Ek foreigner jo english me baat kar raha tha.... Aakhir kon ho skta hai ye ? '

Abhi mai aage aur kuch kahta usase phle hi mujhe kuch feel hota hai. Aur meri aakhe sky blue color ki akdam se glow karne lagti hai.


Tap... Tap... Tap...

Mai piche mud kar apni aakhe band karke kuch karte hue Shubham se kahta hu " 1 second rukna. "

Shubham confused hote hue " Kya hua bade bahiya ? "

Mai kuch second baad Shubham ki taraf dekh kar ek smile ke sath " Mujhe abhi turant ghar wapas jana hota. Tum aaram se ghar chale jana. "
" EXCHANGE. "


SSSSSS.........
SSSSSS.........


Aur agle hi pal mai Shubham ke samne se Teleport ho jata hu aur mera ek Shadow Soldier meri jagah aa jata hai.
Quki Shubham ne bhi meri is Skill ko nahi dekha tha to wo bas aapne muh ko fade mujhe gayab hote hue aur uske baad meri jagah par aaye Shadow Soldier ko hi dekhta rahta hai.
Use to abhi jo hua us baat par yakin hi nahi ho raha tha ki mai aise gayab kaha ho gaya. Lakin fir kud ko control me karne ke baad wo bhi waha se apne apartment ki taraf nikal padta tha.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

RIDER HOUSE BUILDING BACK SIDE AREA
10 : 48 PM


Hahahaha......

Mere hi neighbourhood ke piche ke gali me ek musalman type ka 35+ age ka aadmi mere hi ek pados ki lady ke gale par ek sharp chaku lagaye evil hasi has raha tha.
Wo lady bhi in sub se bahut jyada dar gayi thi jisase uske aakho se lagatar aasu bahte hue uske galo se hote hue chaku par gir rahe the.

Aadmi evil smile ke sath " Agar tmne koi bhi aawaj ki to mai tumhe maar dunga. "
" Tum to phle se hi janti hogi ki yaha kitne log ab tak mare ja chuke hai ? "

Lady rote hue dar ke sath " P.... Please mujh...e mat maro... "

Aadmi " Isi liye to mujhe ye aas pados ki jagah mujhe itni jyada pasand hai. "


Ssssssssssss......

Tabhi piche ek ek aawaj dono ko sunayi deti hai " Sahi kaha ! "
" Mujhe bhi ye aas pados ka ilaka isi liye bahut pasnd hai. "

Ye aawaj sun kar wo aadmi turant hi piche mud kar dekhta hai to us gali ke starting me mai apne paint ke pocket me dono hath dale aaram se khada tha.

Darasal hua ye tha ki maine apna jo shadow Soldier yaha nigrani ke liyechoda tha Usi ne mujhe ye bataya tha aur mai turant hi apne shadow exchange skill ki help se Office se yaha aa gaya tha.

Mai santi se " Mai utsuk hu janane ke liye. "
" Ki aakhir ye kaam tum kyu karte ho ? "

Wo aadmi mujhe nahi janta tha. Aur age me bhi mai usase bahut chota tha jisase wo mujhe halke me lete hue mere taraf dekhte hue ek evil smile ke sath kahta hai " kyu ? "
" Kya tum yaha mujhe koi updesh dene aaye ho ? "
" Tumhara yaha aane ka reason kya hai ? "
" Lakin ab tmne mujhse ye sub karne ka karan pucha hai to mai unko nirash nahi karunga. "
" Mai ye sub karta hu kyuki mujhe ye sub karne me bahut hi jyada maja aata hai. "


Run.... Run....

Itna kah kar wo apne full speed me mere taraf chaku point karte hue aane lagta hai. Mai apni jagah santi se khada rahta hu. Wo mere paas aa kar mujhe mere solder se ek side se pakad kar aage kahta hai " Tmne dekha, agar mai apne se kamjor kisi ko dekhta hu to mai uske sath sach me panga karne aa jata hu. Aur fir mai..... "

Wo abhi aage kuch aur kahta usase phle hi mai apne aura ko halka sa relese karte hue apne sky blue eye ke sath use dekhte hue cold tone me kahta hu " Sayad mai bhi is feeling ko bahut ache se janta hu. "
" Lakin ek baar tum is feeling ke sikar ho jaoge tab... "
" Wapas tum pahle jaise kabhi nahi ban skte ho. Aisa karna bahut hi mushkil hota hai. Smjh lo next to impossible. "


SWOSSS....... SWOSSS.....
Aaahhhhh..... Agghhhh.......


Aur itna Bolte hue mai us aadmi ke kuch smjhne se phle hi uske hath se badi furti se chaku ke ker ke uske hi dono pairo me jaang aur pure pairo par kai jagah thik thak cut laga cuka tha. Ye sub maine bas 5 second ke ander hi kiya tha. Wo aadmi wahi jamin par gir gaya tha aur dard se chillane ke sath chatpata raha tha.

Mai us lady ki taraf dekhte hue jo ki ye sub dekh ke ab shocked hui padi thi kahta hu " Isase phle ki aur bhi jyada late ho. Tumhe apne ghar chle jana cahiye. "


Run.... Run....

Ye sunte hi wo lady waha se apne full speed me bhag jati hai. Uske jane ke baad mai apne glow hoti aakho ke sath clod tone me us aadmi se kahta hu " Midnight se phle, apne aap ko badal lo. "

Iske baad mai apne ek high orc us aadmi ke hi Shadow me chod deta hu aur uski Shadow me chupe high orc ki taraf dekhte hue apne man me kahta hu ' Agar ye kamina Midnight tak apne aap ko na badle to isko maar dena. '

Ye sun kar High orc apne lip ko apne hoto par firate hue smile krne lagta hai.


Tap... Tap... Tap...

Mai fir waha se wapas mud kar apne ghar jane lagta hu aur jate hue kahta hu " Mai Ummid karta hu ki tum kal jinda rahoge. "
( Apne man me ) ' Quki mai kuch abhi tak nahi janta hu ki ek high orc me aakhir kitna patience hota hai. '
( Upar sky me moon ko dekte hue ) ' Kal wo din hai. Jab JEJU island ka Raid start hoga. '



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

NEXT MORNING

TADDDD..... TADDDDD.......

TADDDD..... TADDDDD.......

Sea ke upar se Indian army ka ek plan JEJU island ke liye India se kafi speed me nikal chuka tha. Isi plan ke ander Indian Hunturs baithe hue the.

Wahi japanese hunturs bhi sare apne country me bilkul taiyar baithe hue the. Aur sare apne Guild me phuch cuke the. Sirf Ryuji Koto ka hi aana baki tha. Wo bhi ready ho kar bas niklne hi wala tha.
Fir achanak se wo apna phone nikal kar kisi ko call krne hi wala hota hai. Ki uske hath kapne lagte hai. Sayad wo apne hi guild ke Vice Guild Master Reiji Sugimoto ko call lagane wala tha. Lakin jab uske hath kapne lagte hai to wo apne phone ko wahi niche table par rakh deta hai.

Ryuji Koto apne man me ' Ye feeling jo abhi is moment me mai feel kar raha hu. '
' kya ye death ki feeling hai ? '

Itna sochte hi koto ko Rider ke sath fight ka wo last moment yaad aa jata hai jab rider bhi apne aura ko relese karke uske upar Attack karne hi wala tha. Tab use rider ke piche me ek bahut bada dark blue nd black color ka ek sir dikhayi diya tha. Jo ki muh fade uske hi taraf badh raha tha. Bahut hi jyada darawna tha wo. Isi ke karan to match ke baad wo itna jyada dara hua tha.

Koto kud ke sir ko pakd kar apne aap ko saant krte hue " Haha... Mujhe yakin nahi ho raha hai. "
" Mere khyal se mai ab weak ho gaya hu. "









Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Bhot kamal.ka.update ha mujy lagta tha rider jaay ga Raid la.ka lea or apny jandy gaaar ka.ary ga
 

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 95(A)



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Sachin mere bare me hi soch raha hota hai wahi Koto mere bare me apne vice master ko batata hai. Lakin jab wo mera name Ride par jane wale list me nahi dekhta hai to wo bahut jyada suprise ho jata hai.

JEJU island par ek bahut hi Powefull Ant ka janam hota hai. Mai apne Manny ko ghar le kar aata hu fir hum waha safayi karte hai. Wahi Mammy, papa ke bare me puchti hai. Fir mai dinner kar ke tahalne ke liye bahar nikal jata hu jaha Shubham ka call aata hai aur wo mujhe hmara new office dikhata hai.

Next day Indian Hunturs JEJU island ke raid ke liye yaha se nikal jate hai. Jabki koto ko abhi bhi mere bare me soch kar dar lag raha tha.


AB AAGE.....

COST OF INDIA
COST OF CHINA
COST OF TAIWAN
COST OF JAPAN

Sare jagah sea me JEJU island ke Director ki taraf her ek country ke combat fighter boats phle se nirdahrit kiye gaye apne apne location par khade the.

Aur JEJU island ke cost ke aas paas chro taraf bhi bahut se combat type boats khade pure JEJU island ko ghere hue the.
Jinme kuch famous combat type boats the jo is prakar the.

TWO KDX-111 DESTROYER
TWO KDX-14 DESTROYER
FOUR DDH-975 DESTROYER
ONE DDH-971 DESTROYER
Aur 12 other combat boats.

Inhi boats ke upar India ke top 5 hunturs Guild ke baki sare hunturs hai. Sabhi Guild ke Guild Master apne apne guild ke pure hunturs ke sath JEJU island ke chro taraf boats par alag alag Direction me the.
Hua ye tha ki sare S Rank huntur india se aane ke baad yaha aa kar phle se hi maujud apne apne team ko instructions dene aaye the. Waha se her ek Guild ke S Rank huntur apne Guild ke baki Members ko ache se samjhane ke baad waha se ak small boat se ek hi jagah ikatha ho rahe the. Jaha se unhen aage ek sath JEJU island par ek japanese army ke plan se jana tha.
Baki ke bache hue boats par japanese army ke Soldiers aur baki ke japan ke Hunturs Guild's ke log maujud the. Sub log puri taiyari ke sath yaha ready the. Hunturs apne apne armour aur weapons ke sath. Soldiers apne costumes ke sath. Sub ready the.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

KNIGHT Guilds ka Guild Master vivek Boats se JEJU island ki taraf dekhte hue apne sare teammates se kahta hai " Apne saaso ko kabu me karo. Aur Nervous hona band karo. "
" Aur tum logo me se jisne aisa nahi kiya. Ant's uske is feeling ko sence karke sbse phle uske upar hi Attack kar denge. "

Uske piche hi khada Manish, Vivek ki taraf dekhte hue masumiyat se puchta hai " Bade bhaiya kya ye baat hum dono ke upar bhi apply ho gai ? "

Vivek santi se " Kya pata ? "
" Lakin fir bhi hmara yahi style hai, ki hum hamesa hi kisi bhi situation ke liye phle se hi taiyar rahte hai. "
" Agar koi Ant's galti se bhi fly karte hue hum logo ki taraf aaya to hum mercilessly use maar denge. Aur yaha se ek bhi Ant's ko aage nahi jane denge. "

Manish excitement se apne dono hatho ki muthi bana kar khus hote hue " Mujhe mere bade bhaiya se yahi ummid thi. Mai Manish aapki kahi gayi her ek baat ko follow karunga. "

Aur baki ke KNIGHT Guild ke bhi hunturs aisa hi kahte hue ready ho jaye hai.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wahi ek dusre boat par FAME GUILD ke sare hunturs ready the aur unke aage Guild master Jay aur unki vice Guild Master Kanika khade the.

Jay, Kanika ki taraf dekhte hue ek smile ke sath " To mai rear defence tum logo ke upar chorta hu. "

Kanika jo ki ek bahut hi beautiful lady thi. Jiski age 30+ thi. Aur sath me wo Jay ki gf bhi thi. Aur sayad is JEJU island ke raid ke baad wo dono jld hi Sadi bhi karne wale the. Wo Jay ki taraf dekh kr kahti hai " Mere liya yaha karne ko kya hai ? "
" Jo log incharge of defence hai. Wo sare hunturs phle hi standby par ready hai. "
" Yaha aaj mere paas sayad karne ko kuch bhi nahi hai. "

Jay " Well, jabki hmare Guild ka her ek member yaha is ship par hai. Aur tum jo ki inki vice Guild Master ho. Tum caho to inme aaps me tranning ke liye combat karwa sakti ho. "

Kanika thoda sad hote hue " Aur mai wo kaise karwa skti hu ? Quki mai vice Guild Master bas name ki hi hu. "

Jay smile ke sath " Is Guild me jo person sbse jyada Sukriya ka hakdar hai wo koi aur nahi bas tum hi ho. "
" Quki wo tum hi ho jo akele is Guild ke inner aur outer ke sare matters ko dekhti ho aur use solve karti ho. "
" Aur quki mai Guild ke management me kafi bura hu suru se hi. "

Kanika, jay ka hath hath kar bade pyar se uske aakho me dekhte hue " Thik hai. Thik hai. "
" Mai smjha gayi tum kya kahna cahte ho. "
" Mujhe bas ab itna hi kahna hai ki Please ghar bikul sahi salamat wapas aana. "

Jay bhi uske baad kanika ko ek tight hug karke yaha se small boat se nikal jata hai.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Wahi ek dusre boat par REAPER Guild ka guild Master Hari kisi ke sath phone par khub jor jor se baat kar raha tha.

Hari ( chillate hue ) " Huh ? Tum kya soch rahe ho ? "
" Tumne hmare Huntur Sangam ko waha kyu bheja ? "
" Waha us jagah par Ant's ke Attack karke ke chances hai. To ho sake to usko waha se jitna dur le ja skte ho le jao. "
" Kya tumhe nahi pata hai ki us ladke ki kitni value hai ? "
" Kya ? Ab tum usko waha se nahi nikal sakte ho. Ab bahut der ho gayi hai ? "
" To usko call krke bolo wo wahi kahi chup jaye. Aur jitni der ho sake utani der chupa hi rahe. "

Wahi Huntur Association ke dwara India ke sare hunturs se request ki gayi thi ki wo india ke east side me sea ke paas ja kar kisi bhi situation ke liye ready rahe.

Aur india ke un 5 top ke guild ke sare hunturs to phle se hi JEJU island ke paas them to baki ke bache hue sare Guild ke hunturs association ki baat maan kar India ke east side me ja kar kisi bhi anjane situation me liye ready the.
Unhi me se ek jagah par Sangam bhi tha. Jisne phle hi publisity ke liye media ko apne yaha ba liya tha. Aur media bhi waha ja kar uske phone aur interview lene me busy ho gayi thi.
Ye sub dekh kr Sangam bahut khush hota hai aur apne man me kahta hai ' Good ! Good ! Mai yaha kuch merits hi earn kar lu. '

Huntur Association ka aisa request karne ki ek main wajah thi aur wo ye thi ki, agar Raid Successful bhi ho gayi tab bhi kya pata koi Ant's survive kar jaye aur fir wo fly karke yaha tak hmare main land tak aa jaye.
Agar aisa kuch hota hai to hmare Hunturs is situation ke liye phle se hi ready rahne cahiye.
Main land ke sare hunturs ko alag alag team me divide kar diya gaya tha. Her ek team ka leader ek B Rank huntur tha. Jiske niche 3 C Rank hunturs aur 10+ D Rank hunturs the.
Aise hi group bana kar sare team ko pahle se identify kiye hue jagah par sea ke paas ke main land me bhej diya gaya tha.
In hunturs me Retired hunturs aur aise hunturs bhi sammil the jo awaking hue to the, lakin unhone ne Hunturs na ban ker kisi aur profession ko apne liye select kiya tha.
Jinme Anjana, Rahul bhi samil the. Ye bhi aise hi ek team ka hissa the. Jisko lead Anjana kar rahi thi.

Aise total 5000 hunturs the jo ki Huntur Association ke request par apne taraf se help kr liye aage aaye the.
Lakin fir bhi ye sub mila kr bhi hmare country me total jitne awaking ability wale log hai unka bas 1/10 th hi hai.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

TADDDD..... TADDDDD.......
TADDDD..... TADDDDD.......


India ke sare S Rank hunturs small boat se ek bade se warship boat me phuchte hai. Jisme se wo japanese army ke ek bade se plan me baith jate hai. Is plan me aage aur piche dono side helicopter ki taraf upar wings laga hua tha.
Wo plan us boat ke runway se udta hua JEJU island ki taraf rawana ho jata hai.
Is plan me hum sare indian S Rank hunturs ke alawa ek cameraman bhi tha. Baki ke plan ke kuch staff members.

Jay, sachin aur Ajay ek taraf baithe hue the. Aur unke samne Aayat aur Hari baithe hue the. Unhi ke bagal me wo camera man bhi baitha hua tha. Usne bhi is time ek full body black color ka armor pahna hua tha. Uske sir me ek helmet type tha. Jiske right side me camra laga hua tha.

Camera man sile krte hue apna hath aage Sachin ki taraf badhate hue " Mai Official Huntur Reporting Center ka ek camera man hu. "
" Jaisa ki aap name se andaja laga sakte hai. Mai ek aisa Cameraman hu jo hunturs ki filming karne me specialized hai. "
" Ye Raid TV par live broadcast hoga. "
" Aur mai aapko pahle hi bata du. Kisi bhi hone wali galti ke liye aapko fikar karne ki koi jarurat nahi hai. "
" Quki broadcast jo hai wo 10min delay se hoga to editing team un parts ko live dikhaye jane se phle hi cut kar degi. "

Sare hunturs hi Cameraman ki baato ko dhyan se sunte hai fir Sachin Cameraman se hath milate hue thode surprise se kahta hai " Mujhe to yakin hi nahi ho raha hai hmare sath itne kahtarnak jagah par ek Cameraman ja raha hai. "
" Aakhir Chairman Xabhi ne kya soch kar ye faisla liya hai ? "

Jay thode smile ke sath sachin se kahta hai " Well, As a hunturs ye hmari duty hai ki hum logo ki in jaise Monsters se jaan bachaye. "
( Camera man ki taraf dekhte hue ) " Lakin aapko ye baat abhi hi samjhni padegi ki aapki life aapke kud ke hatho me hai. "


Apne bagal me rakhi hue ek sword ko touch karte hue Cameraman kahta hai " Ha mai janta hu is baat ko. Aap meri chinta mat kijiye. Mai bhale hi ek Cameraman dikhta hu. Lakin actually me mai ek A Rank huntur hu. "

Kuch hunturs ke paas unke huntur license to hote hai. Lakin kuch time baad unko ye baat jab smjh me aati hai ki Raids karna uske bas ka nahi hai. Wo ye kaam nahi kar skte hai to wo log apne pasand ka koi dusra kaam dundh lete hai. Jaise bhi baki ke Normal humans karte hai.
Aur ye Cameraman A Rank huntur ke licence ke sath aisa hi ek person tha.

Cameraman " Huntur hona mera ek side job hai. "
" Ye mera koi 1st time nahi hai jo mai aise dangerous circumstances me filming kar raha hu. "
" Maine isase phle bhi kafi dangerous situation me bahut se DENGEONS ke ander shoot kiya hai. "
" Lakin fir bhi mai ye baat janta hu un sari situation aaj ke is Raid ke situation se compare to bikul bhi nahi kiya ja sakta hai. "

Itna bol kar wo apne sword ko pakd kar apne paas rakhne lagta hai aur uske hath dar se kaam rahe the. Jo ki sare hunturs ne dekh liya tha.

Jay ek smile ke sath " Itna jyada darne ki jarurt nahi hai. "
" Huntur Association ke chairmen ne tumhe yaha is Raid me aane ko tabhi allow kiya hoga quki wo bahut ache se jante hai ki is baar sub kuch unke plan ke according chlega. Aur hum is baar definitely successful honge. "

Camera man ko ye sun kar kafi tasali milti hai aur wo smile ke sath Jay ko dekhte hue kahta hai " Aapke is dilase ke liye bahut bahut sukriya. "
" Mujhe abhi iski bahut jyada jarurat thi. "

Sachin " Are tum fikar mat karo. "

Fir kuch sochne ke baad Jay kahta hai " Ye sayad 1St time hoga jab Normal humans ek S Rank Raid apni aakho se dekhenge. Aur sayad ye unka last time bhi ho. "
" In sb ke alawa JEJU island ke 3rd Raid ke fail hone ke baad se hi sare log waha par rah rahe Ant's se apna badla cahte hai. "
" Chlo is baar ise pura karne ke liye apni puri jaan laga dete hai. "

Sachin apne man me ' Usase bhi jyada jaruri baat ye hai ki agar hum is baar bhi fail hote hai to ye probably JAPAN ka end hi hoga. '
' logo ko is time ek hero ki sbse jyada jarurat hai. '

Abhi Sachin yahi sub soch raha tha ki uska dhyan achanak se uske bagal me baithe Ajay par jata hai. Jo suru se hi bilkul sant baitha hua tha.

Sachin, Ajay ko dekhte hue " Mai to surprise hu ki tum bhi is Raid par aakhir aa hi gaye. "

Ajay ek smile ke sath " Wo is liye quki mai janta hu ki agar mai waha tmko heal karne ke liye nahi rahunga to sbse phle marne wale huntur tum hi hoge. "
" Quki tum aise hunturs ho jo bina soche samjhe jo dikhta hai wo karne lag jate ho. "

Ye sun kar sare log hasne lagte hai. Aur Sachin gusse me Ajay ki taraf dekhte hue kahta hai " Mai kyu bina soche samjhe kisi se bhi bhid jaunga ? "

Abhi Sachin aur kuch kahta ki Aayat achanak se usase puchti hai " Ahh... Guild Master Sachin, aapki Huntur Rider ke sath koi baat hui hai ? "

Sachin thode surprise se " Nahi ! Lakin aap kyu puch rahi hai is bare me ? "

Aayat jaldi se " Are nahi ! Nahi ! "
" Mai to bas aise hi puch rahi thi. "

Tabhi Jay jo ki plan ke window se bahar dekh raha tha wo bahar ki taraf dekhte hue hi kahta hai " Aakhirkar chlo ye Raid ab start hone wali hai. "

Jay ki baat sun kar sare hunturs aur Cameraman window se bahar ki taraf dekhne lagte hai. Aur sbko JEJU island dikhayi dene lagta hai. Jaha khali padi Building dikh rahi thi. Aur hum sub bas ab JEJU island pahuchne hi wale the.
Ajay JEJU island ko dekh kar kud ko control karne ki kosis karta hai. Lakin fir bhi uske dono hath dar ke karan kaap rahe hote hai.
Lakin wo kisi ko bhi pata chle bina kud ko shaant krne me laga hua tha.






[ Note :- Frnd's M9 se hi kuch personal kaam me busy tha to Update complete nahi hua hai. To iska baki ka bacha hua part 95(B) raat 9-10PM se phle hi update kar dunga. Agar possible hua to usase phle hi de dunga. ]

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice update mujy lagta ha rider aey ga
 

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 95(B)



AB AAGE.....


Ryuji Koto ne apne DRAW SWORD Guild ke sare S Rank hunturs jo ki is raid me participate kar rahe the. Unko 4 alag alag team me baat diya tha.

1. A-ALPHA

2. B-BRAVO
3. C-CHARLIE

4. D-DELTA

Jinme jo S Rank huntur the wo ye the....

1. A-ALPHA :- ( Ryuji Koto, Mari Ishida, Minoru Hoshino )

2. B-BRAVO :- ( Kanae Tawata, Atsushi Kumamoto )
3. C-CHARLIE :- ( Tatsumi Fujishima, Akari Shimizu, Kenzo Tanaka )

4. D-DELTA :- ( Ippei Izawa, Kei )

[ Note : - Inke name itne matter nahi karte hai. So name yaad rakhne ki koi jarurat nahi hai. ]

Ye sare hunturs Indian Hunturs ke JEJU island me aane se phle hi yaha aa cuke the. Aur chro team JEJU island ke charo Direction me apne apne decided kiye hue jagah par ja rahe the. Sare hunturs ne apne apne ear me Bluetooth lagaya hua tha.
Ryuji Koto bhi apne team ke sath apne jagah ki tarf ja raha tha. Raste me use khali padi hui dukanen, Buildings aur raste dikh rahi thi. Kuch jagah Building aur raste tute fute hue the.

Tap... Tap... Tap...

Abhi wo thoda aur aage bade the ki unke same rode par kuch ant's ki mari hui body padi hui thi. Jinke body dekh kar ke aisa lag raha tha ki kisi ne use khaya ho.

Ryuji Koto pure area ko dekhte hue " Kya ye JEJU island ka upper district hai ? "
" Jo bhi ho lakin ye kisi Ghost Town se kam nahi lag raha hai. "

Tabhi achanak se uski najar un mari padi Ant's ke body par padti hai unhe dekhte hue wo apne man me sochta hai ' ye kaisi mari hui bodys hai ? '
' kya inhone ek dusre ko khana start kar diya hai ? '
' In logo ke bich jarur koi darinda hi hoga . Jisne aisa kaam kiya hai. '
' Lakin mai is baat ka pata indian hunturs ko lagne nahi de skta hu. '

Aur wo waha se aage badh jata hai. Aur kuch der me apne jagah pahuchne ke baad.

Ryuji Koto " Hello ! "
" Ye A-ALPHA bol raha hai. "
" Mujhe isi order me jawab do.

Kanae Tawata " B-BRAVO over ! "

Tatsumi Fujishima " C-CHARLIE over ! "

Ippei Izawa " D-DELTA over ! "

Ryuji Koto " To sare log apne jagah par phuch gaye ho ? "

Sub team wale " Yes. "

Ryuji Koto " Thik hai fir. "
" Sare log ek sath relese karo abhi. "

BOOMMMMM.........

BOOMMMMM.........
BOOMMMMM.........

BOOMMMMM.........

Aur koto ka order milte hi sare Japanese S Rank hunturs apna aura puri tarah se ek sath relese kar dete hai.
Jisase JEJU island ke charo Direction me 4 bahut bada dhamaka hota hai. Jaise na jane kitne boom ek sath blaster hue ho. Aur ise JEJU island ke charo taraf se cover kiye hue ships se bhi bilkul saaf saaf dekha ja sakta tha. Ise dekh kar sub samjh gaye the ki JEJU island ki Raid ab suru ho cuki hai.

Plan se windows se JEJU island ko dekh rahe indian hunturs bhi ye najara dekhte hai.

Sachin kafi surprise hote hue " Kya enormous magical energy hai ? "

Anubhav " Lagta hai Japanese Hunturs ne apna Attack start kar diya hai. "

BUNN.... BUNN.... BUNN.....

BUNN.... BUNN.... BUNN.....
BUNN.... BUNN.... BUNN.....

Aur japanese hunturs ke aura ke relese hone ke kuch hi second baad JEJU island me jaha ant's ne apna thikana banaya hua tha. Jo ki ek pahadi upar lack ki jagah thi. Jiska water ab sukh chuka tha. Aur ye kisi khali jawalamukhi ke tarah ki pahadi thi. Usi padhari ke ander se thousand ki sankhya me Ant's nikal kar Island ke charo taraf japanese hunturs ke aura ke Director me bahut speed se udate hue jane lagti hai.

BUNN.... BUNN.... BUNN.....

Kuch ant's ne indian hunturs ke plan ko bhi dekh liya tha to wo fly karte hue uske piche lag jati hai.

THADDDD......
Tap... Tap... Tap...


Tabhi plan ke back side me bana hua bada sa door open ho jata hai. Aur Anubhav bina kisi dar ke chalte hue back door ke center me ja kar khada ho jata hai. Aur wo plan ke taraf aa rahe Ant's ko dekhte hue ek smile ke sath baki indian hunturs se kahta hai " Inhe mai sambhalta hu. "

BUZZZZZZZZ......

Anubhav " FLAME SPEAR "

Anubhav ye spell bolne ke baad apna right hath utha kar use Ant's ke taraf move karta hai. Aur itne me hi uske hath se arrow ke form me aag niklta hai aur ja kar sidhe un Ant's ko lagta hai.

BOOM.....

BOOM.....
BOOM.....

Aur lagte hi wo aag ke gole dhamake ke sath wahi fat jate hai.

Ajay ye dekh kar " Ye kafi impressive tha. "

Anubhav " Nahi ! Vastav me ye impressive nahi tha. "
( Samne dekhte hue ) " Jaisa ki maine socha tha. "
" Itne amount of Flam inka jyada kuch nahi bigad payegi. "

Aur Anubhav ki ye baat bhi bikul sahi thi. Quki jin Ant's ki taraf Anubhav ne wo flam ke arrow chode the. Usase sirf sbse kamjor wale kuch ant's hi jal kar mare the. Baki ke Ant's abhi bhi plan ke piche lage hue the. Unka ye aag kuch bhi nahi bigad pati thi.

Anubhav ( jor se chillate hue ) " Plan halka shake ho skta hai. Isi liye sub log jldi se koi bhi chij tightly pakd lo. "

BUZZZZZZZZZZZZZ.......

Itna kah kar Anubhav apne right hath ko upar hawa me utha kar ek spell kahta hai. Aur uske baad wo use wapas se Plan ke taraf aa rahe ant's ki Direct me relese kar deta hai. Phle jaha fire ke Arrow ja kar ek ek Ant's ko lage the. Is baar continue fire Anubhav ke hath se nikalte hue sare Ant's ki taraf gayi. Jiski intensiti bahut hi jyada tha. Sare Ant's is baar fire se jal kar niche jamin par gir jate hai.

Anubhav " Ant's ab kafi evolved ho cuki hai. Ye last time se ab kafi diffrent hai. "
" Ye ab kisi A Rank DENGEON ke Monsters ke jitne powerful ho gaye hai. Inke body me ab itna jyada resistance aa gaya hai. Isi liye ab mujhe inke khilaf apne flames ko use krte hue focus bhi karna hoga. "
" Mai phle pata karta hu ki ye log ab kitne jyada Strong ho gaye hai. Aur inme ab kya kya changes aa chuke hai. "

Ab tak plan bhi JEJU island me Ant's ke main thikane tak pahuch cuka tha. Aur ye dekh kar Anubhav plan se niche kud jata hai.

Ye dekh kr Anubhav ke piche khade sare hunturs dar jate hai.

Jay ( dar ke mare jor se chillate hue ) " E...Ek minute ruk jayiye master Anubh...... "

Lakin Anubhav to ab tak niche kud chuke the plan se. Sare hunturs jaldi se plan ke back door ke paas pahuch jate hai aur wo sub niche dekhne lagte hai.
To unhe Anubhav apne dono hath ko apne pocket me dale aaram se niche jate hue dikhte hai. Actually me Anubhav ne apne magic se ek spell ka use kiya tha jisase unke piro ke niche continuously flam niklne lagta hai. Aur usi ke help se wo aaram se niche ki taraf jata rahta hai.

Jay, Anubhav ko dekhte hue " Kya master Anubhav thik rahenge niche... ? "

Aayat niche ki taraf hi dekhte hue " Mujhe pura yakin hai wo bikul thik honge. "
" After all, unka magic tab hi sbse jyada kaam karta hai jab jyada se jyada Enemys inke samne hote hai. "

Darasal ye log is liye nahi dar rahe the ki Anubhav ko yaha se niche kudne se chot na lag jaye. Blki wo is liye dar rahe the quki niche jamin par abhi bhi kafi Ant's maujud the.

Tak.....

Ab tak Anubhav bhi niche jamin par aa chuka tha.

BOOM......
BUZZZZZZ......


Aur niche aate hi wo apne full aura ko relese kar deta hai. Jiske karan k bahut bada dhamaka hota hai. Aur Anubhav ke body ke charo taraf pure Direction me aag ka ek tufan generate ho kar aage ki taraf nikal jata hai.
Aur iske karan waha niche jamin par jo kuch ant's bache hue the wo sare isme jal kar raakh ho jate hai.

Anubhav ek smile ke sath samne dekhte hue " Ye mera 1st time hoga jab mai Ant's ke sath ak khelunga. Last time to mai inse apne bachpan me hi mila tha. "
" Aur jab mai ek bacha tha tab mai nadani me chote Ant's ko lighter se jala kar khus hota tha. "
" Aur wo bechare tab bhi wo apni popping aawaj nikalte the. "
" Lakin aaj jo aawaj mujhe sunayi de raha hai wo kewal loud explosion ki hi hai. "
( Upar sir utha kar plan ki taraf dekhte hue ) " Yaha ab sab safe hai. Aap sub log ab niche aa sakte ho. "

Upar Jahaj se sare indian hunturs Anubhav ka ye karnama dekh rahe the. Aur sub kafi surprise the ye sub dekh kr.
Anubhav ke bolne ke baad Jay kahta hai " jis Idea ke sath hum is baar kaam kar rahe hai. Ye bhi hmare JEJU island ke pichle attamps ki tarah ban skta hai. "
" Ho skta hai hum Ant's cave ke ander trapped ho jaye aur Un Ant's ka shikar ban jaye. "
" Lakin is baar hmare paas ek sbse bada advantage ye hai ki japanese hunturs un Ant's ko yaha se almost 1 hour ke liye dur rakh skte hai. "
" Aur isi time limit ke ander hame kaise bhi karke Queen Ant ko mar kar yaha se bahar nikalna hoga. "
" Ab aur jyada na kahte hue mai bas itna hi kahunga ki sare log kisi bhi situation ke liye bilkul taiyar rahe. "
" Aur mujhe yakin hai. Agar hum sub ek sath mil kar kaam karenge to hmare samne koi bhi problem tik nahi payegi. "
" Chlo hum sub ab chlte hai. "

Itna kah kar baki sare Indian Hunturs bhi plan se niche jamin ki taraf kud jate hai. Jinka kram is parkar tha jay, Sachin, Aayat, Hari,Ajay aur sabse aakhir me Camera man tha.











Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Kamal ke fight ho rhii mujy bes rider ka wait ha
 

Sandeep singh nirwan

Jindgi na milegi dobara....
11,034
70,162
259
Acha Kiya hai kar de jo sahi bole usko block kar de uske alawa kya ukhad liya tune
Hurrr ...dur rah....hurrrr hurrr..
 

Ss mujrim

Active Member
629
466
63
UPDATE - 96



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise sare Indian aur Japanise hunturs log JEJU island par phuch cuke hai. Aur apne plan ke hisab se 1st step chal cuke hai. Wahi aas paas ke sare country ke Warships bhi sea me taiyar the aur unke upar sabhi A Rank hunturs kisi bhi situation ko handle karne ke liye waha ready the. India me bhi East sea side me huntur association ke request par 5000+ hunturs kisi bhi situation ke liye aa kar ready ho gaye the. JEJU island ka raid start ho cuka tha.


AB AAGE.....


AT THE SECOND DDH-184

Ak combat type warship JEJU island ke paas hi khada tha. Iska size kafi bada tha. Iske upar 6 Fight jet bhi ek side me rakhe hue the. Aur ship ke sbse upar ek line se 4 runway bhi bana hua tha. Jo ki bilkul clean tha taki kisi bhi out of control situation me in fight jet ko yaha se bhej kar unki help li ja sake. Aur bhi bahut si facilities aur technology se bhara pada tha ye ship, jo ki Japan Country ka tha.
Ship ke Bridge par sare crewmembers apne apne kaam me lage hue the. Aur un sub ke thik thoda hi piche ek badi si table rakhi hui thi. Jiske piche ek badi si chair rakhi hui thi. Usi par is warship ka Captain baitha hua baki sbko instructions de raha tha.

Creeaaaaakkkk.....
Tap... Tap... Tap...


Tabhi Bridge ka main door piche se open hota hai aur DRAW SWORD Guild ka vice master Reiji Sugimoto ander aata hai. Aur wo Captain ki taraf dekh kar kahta hai " Captain ! Dono side se Attack start ho cuka hai. Hme bhi apna kaam suru kar dena cahiye. "

Captain uski baat sunte hi apne first mate ( Captain Right hand of ship ) se kahte hai " Electric Jamming Waves to start kro. "

First mate apna kaam karte hue " Mai Electric Jamming Waves ko activate kar raha hu. "

Aur itna kahte hue wo Captain ka order sunte hi jldi se apne kaam par lag jata hai. Aur ship ke System ko kuch instructions deta hai. Aur instructions dene ke baad kuch hi second me ship me lage hue Antenna 📡 se Space me ghum rahe Japan ke hi ek satellite ko ek signal jata hai. Aur space me ghum raha wo Satellite Turant hi JEJU island ke upar aa kar waha se ek signal relese karta hai.
Aur satellite ke signal ke JEJU island ke area ko cover karte hi yaha par maujud sari Ant's ka connection apne Queen Ant se break ho jata hai.
Jiske karan phle to un sari Ant's ko ek jhatka lagta hai. Aur wo sayad halka smjhne ki kosis karti hai kya hua. Lakin abhi unki intelligence bilkul na ke barabar thi. To wo wapas se jo kaam kar rahi hoti hai apne us kaam me lag jati hai. Aur wo kaam tha japanese S Rank hunturs ke upar charo taraf Attack karna.

First mate, Captain ki taraf dekhte hue " Captain ! Electric jamming waves activate ho cuka hai. Aur wo proper kaam bhi kar raha hai. "

Captain halki smile ke sath " Good ! "

Ye sub hote hi Reiji Sugimoto smile krte hue kahta hai " Aur isi ke sath ab sari Ant's ab apne Queen Ant ka signal receive nahi kar payengi. "


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

TEAM B BRAVO SIDE

Is Riad me Japan ke sare hunturs ne black color ka koi uniform type pahna hua tha. Ye sayad inke Guild ka dress code tha. Jisme black full body uniform uske upar black long jacket. Aur uske upar hi black color ke armour the.
Atsushi Kumamoto ( ek aakh wala S Rank huntur ) ke upar ek Ant ne achanak se hi piche se hamla kar diya lakin wo bikul is baat se anjan samne ki taraf dekh raha tha.

SWOSSSSSS..... SWOSSSSSS.....
THADD...


Lakin samay rahte hi KANAE TAWATA jo ki is dress me kafi beautiful lag rahi thi ne ye dekh liya tha. Aur wo jldi se Kumamoto ke piche ja kar us Ant ko apne dono hatho me pakde sword se kai parts me divide kar detti hai.

Us Ant ko marne ke baad Kanae Tawata, Kumamoto ki taraf gusse me dekhte hue kahti hai " Kaha khote hue ho Kumamoto. "
" Apne dar se bahar nikalo. Warna kisi bhi pal tum yaha mare jaoge. "

Kumamoto is tarah Ant ke achank Attack karne se kafi dar gaya tha. Lakin Kanae Tawata ki baat sunte hi wo kud ko control karte hue kahta hai " Tumhara Sukriya Kanae. "
" Mai aage se bilkul caukkana rahunga. "

Kanae Tawata ye sun kar saant ho jati hai aur kahti hai " Thik hai. Bas dhyan rakhna agali baar aisa na ho. "

Kumamoto " Ha bikul. "

Fir Kanae Tawata aur Kumamoto waha par charo taraf najar rakhe hue rahte hai ki thodi der baad Kanae Tawata kahti hai " Tumhe pata hai Kumamoto wo India S Rank huntur jiski fight apne Master ke sath hui thi. Aur jisme wo almost jit hi gaya tha. Wo is Raid ka hissa nahi hai. "

Kumamoto " Ha maine bhi list me uska name nahi dekha tha. "

Kanae Tawata " Wahi to mai bahut surprise hui thi ki aakhir Indian Hunturs association ne use is Ride me samil kyu nahi kiya. "

Kumamoto " Maine Ryuji Koto bhai se suna tha usne kud is raid me aane se mana kar diya tha. "
( Kuch attitude ke sath ) " Darpok kahi ka. "

Kanae Tawata ko ye baat nahi pata thi aur ye baat sunte hi use halka shock bhi jarur laga tha. Lakin Kumamoto ki aakhiri baat use achi nahi lagi.

Kanae Tawata, Kumamoto ki taraf dekhte hue " Acha ek darpok kud dusro ko darpok kah raha hai. "
" Agar darpok hota wo to us din us indian female huntur ko bachane ke liye tumhare samne bikul nahi aata. "
" Aur tumhare us roop ke samne aane me to hum sub kud darte hai siway koto bhai ko chor kar. "

Kumamoto ko Riders ki tarif pasnd nahi aati hai isi liye wo aage kahta hai " Jo bhi ho wo to us din Koto bhai ko sbne rok diya tha. Warna uska to usi din kaam ho jata. "

Kanae Tawata " Tumne sayad sahi se nahi dekha tha koto bhi se unko nahi. Balki usase sub koto bhai ko bacha rahe the. "
" Usne apne master Ryuji Koto ko bhi almost hara hi diya tha. "
" Wo hum sub logo me sbse strong hai. "

Kumamoto gusse se " Tumhe aaj ho kya gaya hai. "
" Tum kab se kisi ladke ki tarif karne lagi. "
" Aaj tak to tmne Sirf koto aur Sugimoto bhai ki hi tarif ki hai. Wo bhi bas ek limit me. "
" Lakin tum aaj us Anjan Huntur ki itni tarif kar rahi ho jise ab tak bas ek baar hi tmne dekha hai. "

Kanae Tawata kuch soch kar halka sarmate aur smile karte hue " Quki maine ab tak aisa koi ladka nahi dekha tha. "
( Apne man me ) ' Sayad aage chl kar hum ache frnd ban skte hai. Mai puri koshish karungi ye raid khtam hone ke baad Tmse milne ki. '

Kumamoto " Ab kya ho gaya. Ab kuch bol kyu nahi rahi. "

Kanae Tawata " Kuch nahi chlo wapas Raid par dhyan dete hai. "

Aur wo dono wapas apne kaam me lag jate hai.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


TEAM C CHARLIE SIDE

Akari Shimizu ( lolipop girl ) apne right hath me ek badi si axe pakde hue thi. Jo ki aage, piche aur upar tino side se bahar ko nikale hue the. Jo ki kafi jyada sharp bhi the. Usne apne Axe ko apne shoulder par rakha hua tha. Jisme acha khasa blood laga hua tha aur wo niche jamin par tapak raha tha.
Uske piche Tatsumi Fujishima kahada tha. Aur niche charo taraf kafi sare ant's ki kati piti body padi hui thi. Aur filhal yaha aur koi Ant's nahi the inke samne.

Akari Shimizu, Tatsumi Fujishima ki taraf dekhte hue kahti hai " Tumhe nahi lagta agar isi rate se hum in ant's ko marte rahe to indian hunturs team ke Ant Queen ko marne se phle hi hum in sub ko yaha se khtam kar denge ? "

Tatsumi Fujishima samne dekhte hue " Ha aisa possible ho skta hai. "
" Kenzo Tanaka ( bodybuilder huntur jisne Jay ko haraya tha ) kaha hai ? "

Akari Shimizu " Wo Ant's ke sath abhi khelne me laga hua hai. "
" Wah yaha charo taraf in ant's ko dhundhne ke marne me laga hua hai jinke paas wings hai aur wo fly kar skte hai. "
" Jaisa ki ek kid karta hai as usual. "

Tatsumi Fujishima haste hue " Ye kabhi nahi sudhar sakta hai. "


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

TEAM D-DELTA SIDE

BOOM....

BOOM....
BOOM....

Yaha par Kei aur Ippei Izawa dono unke taraf aaye hue kuch Ant's ko maarne ke baad aaram kar rahe the. Tabhi unko Ant's ke Tunnel wale bade se hill se ek sath kai dhamake sunayi aur dikhayi dete hai.

Kei piche mud kar Ant's Tunnel ki taraf dekhte hue " Mujhe Ant's tunnel ke entrance ki taraf kuch fireworks dikh rahe hai. "

Ippei Izawa jiske dono hath me dagger tha wo bhi Ant's Tunnel ki taraf dekhte hue kahta hai " Sayad uska name Anubhav hai. Mere khyal se ye kaam usi bande ka ho skta hai. "

Inke piche ice ka dher sa laga hua tha. Jiske ander Ant's freeze kiye hue dikh rahe the. Aur Ant's ka jo parts ice se bahar tha wo parts cut ke niche jamin par gira hua tha. Ye kaam in dono ka hi tha.

Kei " Meri Ice aur uska Flames... "
" Mai soch raha hu kya hoga jab hum ke magic aaps me clashed honge ? "

Ippei Izawa thodi der sochne ke baad " Hona kya hai phle cold hoga, fir hot hoga ya iska ulta hoga. "
" Aakhir aur kya ho skta hai ? "

Kei uski baat sun karke apna sir pit leta hai.

Fir wo wapas se apne kaam me lag jate hai.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

ANT'S TUNNEL

Sare India hunturs JEJU island me ant's ke Tunnel ke ander the. Aur wo sub apne charo taraf dekh rahe the. Samjho ye khali jwalamukhi ki tarah tha. Ye sb uske ander bich me khade the. Aur inke charo taraf bahut ucahi me hill ne cover kiya hua tha. Aur un hill ke ander dher sare guffa dikh rahi thi.

Anubhav charo taraf dekhte hue " To ye hai BAENGNOK DAM CARTER LACK.... "
" Maine suna tha ye place apne beauty ke liye famous tha. "
" Ab to ye Completely mess ban gayi hai. "
" Aur abhi ke liye ye ek Ant's house ke alawa aur kuch nahi hai. "

Zzzzzzzz....... Zzzzzzzz......

Fir Anubhav apne hath ko upar utha karke ek spell bolta hai. Aur us Tunnel ke entrance par ek bada sa fire ka jaal create ho jata hai. Jisne Tunnel ke entrance ko pura cover kr liya tha.

Baki sare hunturs bhi anubhav ko ye karte hue dekh rahe the.

Anubhav sb karne ke baad " Halaki mere is flam prison ka primary use Enemys ko bandhne me liye kiya jata hai. "
" Lakin abhi ke liye maine iska use yaha kiya hai. B Rank se kam ke Ant's mere is prison ko paar nahi kar skte hai. "
" Chlo ab jab ye kaam ho gaya hai to mai ab hme kis ghuffa me jana hai iska pata lagata hu. "

Ye kah kar Anubhav niche ghutno ke bal baith jata hai aur apne ek hath ko wahi jamin par rakh kar ek spell bolta hai.

Buzzz... Buzzz... Buzzz...

Buzzz... Buzzz... Buzzz...
Buzzz... Buzzz... Buzzz...

Aur turant hi waha Anubhav ke charo taraf hawa me 100 se bhi jyada aag ke gole a jate hai.
Aur Anubhav ke spell ke khtam hote hi wo sare aag ke gole waha se tunnel ke chro tarf bane hue sare guffa me teji se chle jate hai.

Ye sub dekh kar baki sare hunturs dar jate hai aur tabhi Sachin un aag ke gole ki taraf dekhte hue kahta hai " Tum kya kar rahe ho ? "

Anubhav " Ye tunnel kisi ghumaavadaar bhoolabhulaiya ke jaisa hai. "
" Agar hum log sawdhan na rahe to hum sub yaha bahut jldi hi kho jayenge ya hum sub wapas se yahi aa pauchenge jaha se hmane chalna suru kiya tha. Jaisa ki mere fire ball kar rahe hai abhi. "
" Jaha tak mujhe lagta hai ANT'S Queens wahi hogi jaha koi bhi explosion phuch nahi payega. "
" Aur aise case me sirf yahi ek guffa bachati hai. "

Ye kahte hue Anubhav ek guffa ki taraf isara karta hai. Jaha uska koi bhi fire ball nahi gaya tha.
Baki sare India hunturs bhi wahi dekhne lagte hai.

Sachin, Anubhav ki taraf dekhte hue apne man me ' Jaisa ki Anubhav se ummid ki ja sakti hai...
Anubhav ek bahut hi reliable teammate hai.'

Anubhav " Chlo hum sub ander chlte hai. "

Tap... Tap... Tap....

Fir sare India hunturs Anubhav ke piche us guffa me chl dete hai.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

AN PARK

Huff... Huff... Huff...

Apne ghar ke paas ke hi ek park me Rider running kar raha tha. Aur apni running complete krne ke baad just abhi wo ruka tha aur apne saaso ko control karne me laga hua tha.
Tabhi ek notification usko aata hai.

DING...

[ Amount Run : 10 KM ]
[ Aapne apne Running ka 10KM complete kar liya hai. ]

DING....

{ [ STATUS ]
( Strength : 219 )
( Agility : 230 )
( Sense : 200 )
( Vitality : 200 )
( Intelligence : 250 )
( AP : 0 )
-------------------
( Remaining point : 0 )

[ Physical damage reduction : 46percent Equipped ] }

Ab mera Status increase ho kar itna ho cuka tha. Apne saaso ko control karne ke baad. Mai pure park ko ghum ghum kar dekhne lagta hu. Mujhe park me ek person bhi dikhayi nahi deta hai.

Ye sub dekhte hue mai apne man me sochne lagta hu ' Waise to ye ek park aam taur par mere aas paas ke logo se bhra rahta hai. Lakin aisa lagta hai aaj yaha koi bhi nahi hai. '
' Mere khyal se ye JEJU island ke Raid ke karan hoga. Aur sayad wo ab tak suru bhi ho chuka ho. '
' Is time Sare Indian aur Japanise S Rank hunturs waha honge. '
' Aur mai undoubtedly ye bol skta sktahu ki unme se kuch S rank hunturs bahut jyada strong bhi hai. '
' Isi liye is Raid ko dekhne ka mere pas koi bhi reason nahi hai. '
' Mujhe pura yakin hai ki wo sub mere bina bhi itne jyada skilled hai ki wo is Raid ko successfully complet ke lenge. '
' Bas waha kuch bhi ulta sidha na ho. '

Tap... Tap... Tap...

Yahi sub sochte hue wo apne ghar ki taraf chal deta hai.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

INSIDE THE ANT TUNNEL

Swoss...
Swoss...
Swoss...


Ek sath 3 ice Arrow kafi teji se aate hai aur ja kar sidhe Ek Ant ke sir me ghus jate hai. Aur wo Ant wahi dher ho jata hai.

Ye arrow kisi aur ne nahi Apne S Rank huntur Hari ne apne bow se chode the. Wo bhi baki sare Indian Hunturs ki tarah aar full body armour pahne done bow ke sath is Raid me aaya tha.
Sare Indian Hunturs khade the aur ek baar sab taraf najar marne lagte hai. Waha charo taraf ant's ki bas mari hui body padi hui thi.

Anubhav " In last wale kuch Ant's ko agar hata de do baki abhi tak hmane jitne bhi Ant's ko mara un sb ke yaha hone ki hmane phle se ummid ki thi. "

Hari, Anubhav ki taraf dekhte hue " Ye mera first time hai jo maine in bastards ko apni aakho se dekh raha hu. "
" Kya ye sub Queen ke royal Guards hai ya kuch aur... ? "
" Jo bhi ho ye kafi weak hai. "

Anubhav ek Ant ki taraf dhyan se dekhte hue " Inki aakhe choti ho cuki hai. "
" Mere khyal se ye sari Ant's is Ant Tunnel ko ander se guard karne ke liye viksit kiye gaye the. "

Sachin " Tab to in logo ko marne me hmko yada mehnat nahi karni padegi. "
" Jab tak ki yaha Queen ke royal Guards nahi aa jate hai. Tab tak hme yaha koi rok sake aisa kuch nahi ho skta hai. Kisi me itna strength nahi hoga. "

Ajay kuch sochte hue " Kya tmhe such me lagta hai ki yaha Queen hogi ? "
" Quki aise bahut se cases history me hu hai, jaha king apne logo ko akela chhor kar waha se bhag jata hai. "

Sachin " Ye bas Ant's hai. Wo ye sub karna nahi janti hai. "
" Uske alawa ye ek island hai. To us Queen ke paas yaha se bhag kar kahi aur jane ka bhi koi rasta nahi bacha hai. "

Sare hunturs aaps me baat kar rahe the. Wahi Cameraman apne helmet me lage camera ko sahi karte hue apne man me sochta hai ' Yaha kafi andhera hai. Kya isne sub sahi se capture kiya hoga ? '
' Well, mujhe pura yakin hai main headquarter ne mujhe ek decent camera provide kiya hai. '

Tap... Tap... Tap...

Fir waha se sare log aage chl dete hai. Sbse aage Anubhav chal raha tha aur usne apne right hand ko aage kiye hua tha jisme ek aag ka gola jal raha tha. Usi ke light se wo log waha sub dekh pa rahe the.
Kafi aage jane ke baad wo bade se chamber me pahuchte hai. Jaha ka najara dekh kr sare logo ka muh shocked se khula ka khula rah jata hai. Sabke face ka color akam se changho gaya tha.

Anubhav ( shocked se ) " Ye to.... "
" Breeding ground hai. "

Jay " Agar breeding ground yaha hai to, iska Matlb Queen ka nest bhi yahi kahi aas paas hi hogi. "

Ji ha dosto wo ek bahut bada chamber tha jisme inki jaha tak najar ja skti thi. Waha tak unhe sirf ant's ke egg hi dikh rahe the. Jinki sankhya ten thousand se bhi kafi jyada thi.

Anubhav samne dekhte hue " Iska Matlb abhi hmane jin Ant's ko mara tha wo in eggs ko Guard kar rahe the. "
" Mai abhi in sare egg ko jala deta hu. "

Aisa kahte hue Anubhav apne right hath ko aage krne lagta hai tabhi Aayat jaldi se kahti hai " nahi ruk jaiye. "

Sare eggs ke bich pade Ek sbse bade half break hue egg ki taraf isara karte hue " In sare band Egg ke bich ek yahi egg sbse bada aur break hua hai. "

Ajay shocked ho kar wo agg dekhte hue " No way ! "
" Ye koi egg nahi ho skta hai. Maine sahi kaha na ? "
" Aakhir ye kaise paida ho skta hai ? "
" Kya ye ek Royal Hoga ? Tab Queen..... "

Sachin, Ajay ke shoulder par apna hath rakh kar use calm karte hue " Hme bas us Queen Ant ko marne par apna pura dhyan dena hai Isiliye kisi bhi aur chij par dhyan bilkul mat do. "

Ajay bhi Sachin ke saant karwane se saant ho jata hai. Lakin uske pasine niklne suru ho gaye the.

Sachin apne man me ' Mai bhi dekh skta hu kyu Ajay dar raha hai. '
' Ye Monsters.... '


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

TEAM B BRAVO SIDE

Akari Shimizu, Kenzo Tanaka ki taraf dekhte hue kahti hai " Kenzo tum to bilkul mess dikh rahe ho. "

Kenzo Tanaka jisne sirf Apne group ke uniform ka bas Armor wala ek black trouser pahna hua tha. Uski upper body puri open thi. Aur uske pure body par ant's ka purple color ka blood laga hua tha. Sath me uske left shoulder ke paas ek bada cut bhi bana hua tha. Jaha se uska blood bhi nikal raha tha. Usne apne dono hatho me Kata hue Ant's ke sir pakda tha.

Tap... Tap... Tap...

Wo baki dono hunturs ki taraf aate hue kahta hai " Ye sare kamine Ant's kafi annoying hai. "
" Inke dimak me phle se hi kuch strategy fit thi. Quki ye mere taraf alag alag formation me fly karke aa rahe the. "
" Maine lagbhag 30 Ant's ko mara hai ab tak. Lakin itne Ant's ko marne me mai apne shoulder aur hip ko bhi injured karwa baitha hu. "

Akari Shimizu ek smile karte hue " Tum cahte ho ki mai tumko heal kru ? "
" Lakin ek condition par mai aisa karungi. "

Kenzo Tanaka halke gusse se " Shimizu ye faltu ki bakwas band karo. Aur abhi turant mujhe heal karo. "

Akari Shimizu " Lakin kuch aisa hai jo mujhe cahiye. Aur is baar baat money ki nahi hai. "

Kenzo Tanaka halke narajgi se apne kamar par dono hath rakhte hue " To aisa kya hai fir wo ? "
" Aur jaha tak paise ki baat hai wo tmhare paas mere se kahi jyada hai. "
" Tumhare jaisi ek young ladki allready paise ki addicted ho cuki hai.... "

BUNN.... BUNN.... BUNN.....

BUNN.... BUNN.... BUNN.....

Tabhi piche se kuch aawaje aati hai aur tino udhar dekhne lagte hai waha sky me Ant's ka ak jund inke taraf hi aa raha hoga hai.

Kenzo Tanaka unko dekh kr smile krte hue " Chlo waha khade rah kar majak karna band karo. "
" Dekho Ant's ka ek aur jund yaha aa raha hai. "
( Akari Shimizu ki taraf dekhte hue ) " Jldi karo. "
" Acha batao tmhe kya ca....... "

SWOSSSSSS.......

THUDD......

Abhi wo aage aur kuch kahta ki achank se hi uske aakho ke samne hi Akari Shimizu ka pura sir cut kar niche gir jata hai. Ye sub itna jldi hua ki baki bache dono S Rank hunturs ko ye bhi pata nahi chla ki unke samne khadi Akari Shimizu ko aakhir kisne mara. Aur to aur Akari Shimizu ko to dard ka bhi ahsaas nahi hua wo bina chillaye is duniya se chli gayi.

THUDD.... THUDD....

Kuch Second baad uske hath se uska Axe aur uski baki ki body bhi jamin par gir jati hai.
Aur uske samne khade baki dono hunturs abhi bhi shocked me the. Dono ki aakhe fati hui thi. Lakin uski body ke girne se hui aawaj se Kenzo Tanaka hose me aata hai aur chillate hue jor se Tatsumi Fujishima se kahta hai " Ye jo koi bhi hai. Abhi bhi Hmare aas paas hi hai. "
" Bilkul sawdhan rahna, apne Guard ko niche bilkul bhi niche mat karna aur ........ "

Tabhi Kenzo Tanaka ko apne samne kafi speed me aati hui do red and white aakhe dikhti hai.

Kenzo Tanaka uske taraf full power se apna punch marne ke liye apna right hath piche krte hue jor se kahta hai " Tu sale harami bachega na...... "

SWOSSSSSS......
THUDD.......


Aur agle hi Second Kenzo Tanaka ka bhi sir uske body se alag hote hue niche jamin par gir jata hai. Lakin uski body abhi bhi phle ke movement ke karan wo punch marte hue ladkara kar niche gir jati hai.

Ab waha akela bacha hua Tatsumi Fujishima ye dekh kar jor se chillate hue kahta hai " Nahiii....... "

Run... Run....

Aur akdam gusse me apne sword ko apne right hath se pakdte hue wo bhi us marne wale ki taraf full speed me jane lagta hai.

SWOSSSSSS......
THUDD.....


Lakin isase phle ki wo apna sword bhi nikal pata wo anjan person Tatsumi Fujishima ka bhi sir uske body se alag karke waha se gayab ho jata hai.

Tatsumi Fujishima ka sir to kafi phle hi gir gaya tha lakin movement me hone ke karan uski body kafi aage ja kar niche jamin par girti hai.
Ab waha par kewal in tino huntur ki sir kati body padi hui thi. Jinse dher sara blood lagatar nikal raha tha.













Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Ooh hoo 3 S rank hunter maary gay hn matleb Real War start ho gai ha
 
Top