UPDATE NO - 148(B) post kar diya hai dosto.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
Aey haye maza aa gya rider na to system.ko system.ke maded sa hw hara deyaUPDATE NO - 130
END OF ARCHITECTURE
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise meri sari memory recover ho jati hai. Aur double DENGEON me sb mujhe jagane ki kosis me lage hote hai, jabki architecture sbko rokne ki puri kosis karta hai.
AB AAGE.....
Aayat ke samne is time Architecture khada tha. Wo Aayat ki taraf dekhte hue ek smile ke sath kahta hai " Tum logo ke sath Khelne me maja aata hai. "
" Bahut jyada maja. "
" Mere design ke bahar aur bhi kuch karne ki kosis karo. Mai bhi to dekhu jara aakhir tum log kya kya kar skte ho ? "
SWOSS....
SWOSS....
Aayat apne samne Architecture ko dekh kar, apne sword dance skill ki help se attack krne lagti hai.
Architecture ye dekh kr kehta hai " Bas itna hi."
" Mujhe pasnd aaya. "
Hahahaha.......
CLINK... CLINK....
Itna bol kar architecture Aayat ke sword attack ko rokte hue jor jor se hasne lagta hai.
Aayat apne full speed me ye attack kar rahi thi. Lakin architecture apne dono hatho me pakde hue bade bade Sword se bade aaram se rok raha tha.
SLICE....
Aahhhh.....
Tabhi Architecture ki ek sword Aayat ke attack ko rokte ke baad teji se ja kar uske Right solder ko acha khasa chir deti hai. Jiske karan Aayat ki ek dard bhari karah nikal jati hai. Aayat ke solder se kafi blood niklne lagta hai.
Aayat jldi se kud ko architecture se thoda piche karti hai. Aur apna solder apne left hath se pakad kar kud ko sambhalne ki kosis karne lagti hai.
Wahi uske samne kuch duri par khada architecture Aayat ki taraf apne sword ko point karte hue kehta hai " Hahah... "
" Kya tumne abhi se haar maan li hai ? "
" Attack karte time, Aakhir me tumne bhi ek design ko hi follow kiya. "
( Apni gardan naa me hilate hue ) " Humans logo ke sath khelne me maja nahi aata hai. "
" Bilkul bhi maja nahi aata hai. "
( Baki sare hunturs ki taraf dekhte hue jo ki use hi dekh rahe the. ) " Mera design aisa hai ki wo kisi bhi result ko dekh ke uske bare me predict karke fir uske hisab se response karta hai. "
" Tum logo apne in chote mote Attack se mere design ko break karne ke bare me soch bhi nahi sakte ho. "
" Tum log mere design se bahar kuch unique result dene me bilkul asamarth ho. "
Is time sare hunturs log ek sath ek circle bana kar kud ko bachane me lage hue the. Injured hunturs ko Healer heal kar rahe the. Baki sare unki taraf aa rahe status ko rokne ki kosis kar rahe the.
Boom.....
Tabhi ek chota aag ka gola ja kar sidhe Architecture ke face par lagta hai. Jo ki Anubhav ne feka tha.
Anubhav " Hme huntur Rider ko jagana hi hoga. "
" Hmare paas iske alawa aur koi rasta nahi hai. "
JUMP..... RUN...
Jab tak Anubhav, architecture ka dhyan apni taraf karta hai itne der me Aayat apni jagah se apne injured solder ko pakde hue full speed me Meri taraf aane lagti hai.
Uske solder se lagatar blood nikale ja raha tha.
Aur jab architecture piche mud kar dekhta hai to Aayat uske pahuch se dur ja chuki hoti hai.
SWOOSH....
BOOM.....
Aayat bhi mere kafi najdik aa cuki hoti hai ki tabhi use apne upar kisi khatre ka ehsas hota hai aur wo jaise hi upar dekhti hai use ek bahut bada hath dikhayi deta hai. Jise dekh kar wo turant hi ek taraf ko jump laga deti hai. Aur wo big hath jo ki big Statue ka tha wo sidhe jamin me kai feet niche ghus jata hai.
Ab tak architecture bhi waha aa jata hai. Aur wo Aayat ki taraf ek smile ke sath dekhte hue kehta hai " Tum bachne me kafi achi ho. "
Tabhi Architecture ko kuch dikhayi deta hai jisase uski aakhe surprise se badi badi ho jati hai.
Architecture surprise me sath Aayat ko dekhte hue " Ek Shadow ? "
Ji ha dosto Architecture ko Aayat ke parchhai me ek chota sa Shadow soldier dikhayi deta hai. Jise dekh kr wo aage kehta hai " Is room ke rule ke karan ye yaha tumhari parchhai se bahar to nahi aa skta hai. Lakin iska yaha presence jarur maujood hai. "
" Ye ek Human hai. Lakin King ne iske suraksha ke liye ek shadow soldier ko rakha hua hai. "
" Aakhir tum logo ne is jagah ko dundha kaise ? "
" Tumhara Rider ke sath kya rishta hai ? "
Ye sun kar Aayat jo ki abhi bhi apna solder pakde hui thi kehti hai " FRND'S ! "
" Hum sun Rider ke dost hai. "
" Mai yaha huntur Rider ko bachane aayi hu. "
Architecture smile ke sath " To matlb ye king ka irada nahi tha. Tum sub ko yaha bulane ka. "
" Thik hai ! Mai tumhe ek chance dunga. "
" Aaj world me ek great Monarch ka janam hoga. Wo is duniya me apna kadam rakhenge. "
( Meri taraf dekhte hue ) " Mai tumhe chance dunga ki tum wo glorious scene dekh sko. "
( Baki sare hunturs ki taraf dekh kr ) " Lakin baki sub logo ke liye. "
" Aaj un sub ko marna hoga. Jaha wo khade hai wahi marna hoga. "
Ye sun kar wapas se sare hunturs Aayat ke paas aa kar ek circle bana lete hai. Aur sare bache hue Statues bhi unko charo taraf se gher lete hai. Ab inke bachne ka koi chance nahi bacha tha.
Sare hunturs bahut sare hue bilkul saant khade the.
Tabhi us room me architecture ke piche se ek aawaj aati hai.
" Aur kiske hisab se aaj ye sub yaha marenge ? "
BHISOOM.....
CRACK.... CRACK.....
Ye aawaj sun kar sare log confused ho jate hai ki ye kisne kaha. Sabhi ko ye aawaj jaani pehchani lag rahi thi. Lakin dar ke karan koi yaad nahi kar paa raha tha. Architecture bhi abhi piche mud kar aawaj ke source ki taraf dekhne hi wala tha ki uske bade se face par left side ek ek bahut hi powerful punch padta hai.
Ye punch marne wala koi aur nahi mai hi rehta hu. Mera punch side uske jabde ko todte hue uske muh me ek bada sa hole kar deta hai. Jaha se stone ke chote chote tukde jo ki uska face tha wo niche gir rahe the.
Architecture dard se bahut tej chilla padta hai. Aur ek sadme me chala jata hai ki abhi kya hua yaha ?
Mai wapas se apne hath se ek punch bana kar, apna hath piche le ja kar dusra punch marne ki taiyari karte hue ekdam cold tone me puchta hu " Tumne... "
" Aakhir meri body ke sath tumne kya kiya ? "
Mere pure body se is time purple color ki energy kafi jyada amount me nikal rahi thi. Mera black heart us energy ka source tha. Jo ki sbko ek energy source ke roop me dikh raha tha.
Mujhe jaga hua dekh kr Anurag shocked ho jata hai. Wo apni jagah khada hi kar bas ek tak mujhe hi dekh raha hota hai.
Anubhav ek gehri saal chorte hue apni gardan jukha kar niche dekhte hue apni aakho ko bnd kar leta hai.
Aayat apne injured solder ko pkde apni badi badi aankho ke sath meri taraf ek tak dekhti rehti hai.
Baki sare hunturs ka to isase bhi bura haal tha. Kai hunturs to rone lage the. Abki ab ummid ki ek kiran dikahyi de rahi thi.
Mera ek aur punch padte hi architecture niche gir padta hai. Aur mai uske badi si body ke upar uske muh par khada ho kar apne pairo se uske face ko jamin ke ander press karte hue Dekhne lagta hu.
Architecture shocked ke sath aakhe fade mujhe dekhte hue kahta hai " N....nahi... "
" Tum King nahi ho. "
" Tum kaise ho skte ho.... "
" Tum is time yaha King ki jagah kaise khade ho ? "
" Ek Black heart ke hote hue bhi tum apne emotions ko kaise maintain karke rakh sakte ho ? "
Mai ye sun kar apne black heart ki taraf dekhte hue kud se kehta hu ' Black heart ! '
' Ye jo mere ander se incredible Magic nikal raha hai. Ye sub is black heart ki wajah se hai ? '
'
Tabhi mujhe ek notification aata hai.
Ding.....
{ [ TITLE : DEMON HUNTUR ]
[ Aapne Demon Huntur banane ki condition ko pura kar liya hai.
Aapko yaad aa gaya hai ki kaise Demon's king, Baran of white salt ko aapne haraya tha.
Power ne aapko uske Malik ke roop me pehchan liya hai. ]
[ EFFECT :-
' BLACK HEART ' : MANA +100,000 ] }
Ding....
[ MP : 109,433 ]
Ye sub dekhne ke baad mai Architecture ki taraf dekhta hu. Jiska muh aur aakhe shocked se pure ke pure khule hue the.
Mai apne man me ' Iske reaction se hi ye baat saaf pata chal rahi hai. '
' Ye Black heart ko kabhi bhi mere ander se nikalna nahi chahata tha. '
' Quki usne kabhi ye nahi socha tha ki black heart mujhe strong bhi bana skta hai. '
' Jo Data isne mujhe yaad karwaye hai. Usase bhi mujhe mere swalo ke jawab nahi mile. Maine abhi bhi sub kuch nahi pata hai. '
Mai, architecture ko dekhte hue " Tumne kaha tha ki jab mujhe player choose kiya gaya tha. Tab tumne mera viord kiya tha. "
" Lakin Player ka asl me matlb kya hai ? "
" Tumhara intention aakhir kya tha ? "
Architecture jo ki sayad is sadme ke karan kuch smjha nahi pa raha tha kehta hai " Nahi..... "
( Gusse se chillate hue ) " SHADOW MONARCH, tum..... "
" Tmhe kya lagta hai ki baki dusre Monarch bas side me khade ho kar ye sub dekhte rahenge ? "
Tabhi mere agal bagal se 4 bahut chote chote portal open hote hai aur unme se mere 4ro dagger nikal kar bahar aa jate hai. Mere bina touch kiye hue hi wo hawa me fly karte hue architecture ki face ki taraf jane lagte hai.
Mai apne pair se architecture ko aur bhi jyada press karte hue ekdam cold tone me kehta hu " Bas mere swalo ka jawab do. "
Architecture " Hahahahah..... Mujhe nahi kaga tha, ye sub aise badal jayega. "
" Mere khyal se mai janta hu kyu tumhe select kiya gaya hai. "
" Ahh..... "
" Ye kya !? "
" Ye Statue... "
" Ye to abhi bhi hmare taraf aa rahe hai. "
Jo Statue move hona stop hi gaye the. Wo wapas se baki sare hunturs ki taraf move hone lagte hai jise dekh kr wapas se sare hunturs darne lagte hai.
Architecture " ahhh.... Agar tumne mujhe maar diya to fir koi bhi mere in puppets ko nahi rok payega. "
( Ek smile ke sath ) " Kya tum mujhe abhi bhi marna cahte ho ? "
Ye sun kar mai architecture ki taraf dekh kr ek smile ke sath kehta hu " Kaisa rahega agar mai phle tumhe maar du. Aur uske baad tmhare in puppets ko ? "
Ye sun kar Architecture turant hi kehta hai " Agar tumne is system ke creater ko maar diya to.... "
Mai smile ke sath architecture ki baat bich me hi katate hue " To mai Wapas se ek E Rank huntur ban jaunga ? "
" Maine iske bare me bhi kafi socha hai. "
" Bhale hi system ka creater gayab ho jaye..... Jo system phle se hi bana hua hai wo fail nahi hoga. "
Ye sun kar to architecture ki aakhe bilkul freeze ho jati hai. Use ab aur kuch nahi sujhta hai to aakhir me wo kehta hai " Agar situation yaha tak aa gayi hai to.... Mai system ko hi destroy kar dunga... "
Aur turant hi architecture system ko destroy karne ki kosis karne lagta hai. Lakin jo results use milta hai wo dekh kr wo bikul pagl ho jata hai.
Ding....
[ System ne creater ko access karne se rok diya hai. ]
Ding....
[ System ne creater ko access karne se rok diya hai. ]
Ding....
[ System ne creater ko access karne se rok diya hai. ]
Architecture 1-2 Baar nahi bahut baar try karta hai. Lakin har baar use ek hi result milta hai.
Architecture shocked ke sath " System aisa kaise kar skta hai....? "
Mai " Ha ! Maine is bare me bhi socha tha. "
" Maine phle hi kaha tha past me. Agar system mujhe use kar raha hai to mai System ko kud use karne lagunga. "
" Aur maine aisa hi kiya. "
" Aisa lagta hai tmhare design me kuch galtiya reh gayi thi. "
Architecture ye sun kar paglo ki tarah chillate hue " Nahi ! Tum.... "
SWOSS..... SWOSS....
SWOSS..... SWOSS....
Lakin isase phle ki wo kuch aur bolta maine apne chro dagger ko command deta hu. Aur mere sare dagger architecture ke body ko jagah jagah se cut karte hue na jane kitne parts me divide kar dete hai.
Aur mai waha se mud kar jane lagta hu.
Architecture jiska face do alag alag face se mil kar bana tha wo alag alag hisso me hone ke baad bhi abhi kuch keh raha hota hai.
" Prediction... "
" Nahi. "
" Bhavishyavaani. "
" when the pillars of fire are build to uphold the heavens. ( जब आकाश को सम्भालने के लिये आग के खम्भे बनाए जाते हैं। ) "
" Tab ek anivarya death tumhe dundegi. "
Ye sun kar mai jo waha se ja raha hota hu ruk kar apni gardan piche ghuma kar architecture ki body ki tarf apni glow hoti aakho ke sath dekhte hue bikul serious tone me kehta hu " Mujhe uska intejar rahega. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Matleb ka in sub ke waat laag Chokii haUPDATE NO - 131
GIANT'S
Ab tak aapne dekha dosto ki jab Aayat mujhe jagane hi wali hoti hai tabhi big Statue use rok leta hai. Fir Architecture ko Aahat ke shadow me ek shadow soldier dikhayi deta hai. Jisase wo jaan jata hai Aayat mere liye important hai. Tab wo Aayat ko chor kar baki sub ko marne ko redy ho jata hai.
Lakin wo kuch kar pata isase phle hi mai hose me aa jata hu. Aur fir ja kar architecture ko bahut marta hu. Wo mujhe dekh kr shocked hota hai aur mere System ko destroy karne ki kosis karta hai. Lakin maine phle hi ye soch ke use system access karne se rok diya aur use maar deta hu.
AB AAGE.....
OUTSIDE THE DOUBLE DENGOUN
Double DENGEON ke bahar sare log abhi bhi hum sub ka bahar aane ka wait kr rahe the. Jinme Courage Guild wale bhi the.
Abki najre DENGEON ke Gate ke upar hi taktaki lagaye hue thi.
Courage Guild ka ek member gate ki taraf dekhte hue " Hunturs Guild ke logo ko DENGEON ke ander gaye hue 1 hour se bhi jyada ho gaya hai.... "
" Aakhir ander chal kya raha hai ? "
Ek female huntur " Agar hmara Guild ander gaya hota to, hum bahut badi musibat me fase hote. "
Tabhi sabhi logo ko Gate ke ander se kuch aakritiya bahar aate hue dikhayi dete hai. Jise dekh kr sub smjh jate hai ye Hunturs Guild aur Huntur Association ke hi members hai.
" Wo bahar aa rahe hai. "
Tap... Tap... Tap...
Jab sare hunturs Gate se bahar aate hai to unke sir niche ko jhuke hue the. Almost sabhi ki armours jagah jagah se tute hue the. Sabhi ke body me kahi na kahi se blood nikal raha tha. Abki haalat bahut hi jyada buri thi. Almost sabhi hunters injured the. Bahar aane wale sare logo me sbse aage Anurag tha aur uske piche Aayat, Anubhav ek dusre ko sambhalte hue bahar aa rahe the.
Mai abhi bhi DENGEON se bahar nahi nikla hota hu.
In logo ka ye haal dekh kar bahar unka wait kar rahe sare logo ke hose hi ud jate hai. Wo sub bahut jyada dar jate hai. Jinme sbse buri halat thi Courage Guild walo ki.
Courage Guild huntur shocked nd dar ke sath subko dekhte hue " Hunturs Guild ke Elite members is haal me DENGEON se bahar aa rahe hai... "
" Aakhir is C Rank DENGEON ke ander hua kya hai ? "
Ye sawal sirf is huntur hi nahi balki bahar khade sabhi logo ke man me ghum raha tha.
Tabhi Anurag courage Guild ke members ki taraf aate hue kehta hai " Kya tum log courage Guild ke members ho ? "
" Kya tum log hamari help kar skte ho, mare hue Hunturs ki body ko bahar lane me ? "
Anurag ne jaise hi ye kaha waha khade sare log jo ab tak shocked aur dare hue the wo ab sbdme me hi chle gaye the.
Ek huntur thodi himmat juta kar haklate hue kehta hai " Kya.. aapne dead huntur kaha ? "
Anurag apna sir niche jhukate hue " Haa... Tumne sahi suna. "
" Maine dead hunturs hi kaha. "
Fir jab sare log mil kar DENGEON ke ander se mare hue Hunturs ki body ko nikal lete hai, tab kahi mai DENGEON ke ander se bahar aata hu.
Gate se bahar aate hue Mai apne man me sochta hu ' Architecture ki real body kahi aur honi cahiye.... '
' Bhle hi maine uska jawab nahi suna. Lakin ye baat mai ache se janta tha ki wo mere kisi swalo ka answer nahi dene wala tha. '
Tabhi Anurag mere paas aa kar kehta hai " 20 ke lagbhag top ranked hunturs mare gaye. "
" Agar ye DENGEON breakdown ho jata to fir jo nuksan hota uske bare me kalpana bhi nahi kar skte the. "
" To aap keh rahe the ki, aap akele hi in sub ko rok sakte the ? "
Mai apne man me samne line se rakhi mare hue Hunturs ki body jo ki white kpde se cover kiye hue the ko dekhte hue sochta hu ' Maine courage Guild ke members se kaha tha ki Double DENGEON ke bare me association ko Report kar de. '
' Lakin maine ye nahi socha tha ki ye log meri help karne ke liye ander aa jayenge. '
' Jiske karan hi itni sari casuality hui hai. '
Lakin apne man ki baat ko najarandaz karte hue Mai anurag se kehta hu " Hum log survive kar paye iska sara credit Hunturs Guild aur monitoring division ko hi jata hai. "
Anurag apni aakhe band krte hue kehta hai " Monitoring Department ko S Rank hunturs ke sari movements ke bare me pata hota hai. "
" Hunturs Guild se help mangne ka faisla mera tha. "
" Jiska ant itne bade disaster ke roop me hua. "
( Fir achanak se Anurag, mere taraf dekhte hue kehta hai ) " Lakin ek baat smjh me nahi aayi ? "
" Huntur Rider aapko kaise pata chala ki yaha ek double DENGEON open hua hai ? "
Mai waha se aage jate hue kahta hu " DENGEON ne kud mujhe yaha bulaya tha. "
Anurag shocked ke sath " DENGEON ne aapko bulaya tha ? "
Mai " Ha ! Mujhe yaha is location par aane ke liye ek massage aaya tha. "
Anurag " Kya hum us massage ko dekh sakte hai ? "
Mai " Wo massage kewal mere mind me hi dikhayi deta hai. "
Anurag ye sun kar kud ke man me sochne lagta hai ' Yaha par ye jo body padhi hui hai usko dekhte hue mujhe nahi lagta hai ki ye koi majak kar rahe honge. '
( Fir kuch der sochne ke baad kud se hi kehta hai ) ' Mai apne limited knowledge ke sath inko nahi smjh skta hu. '
Tabhi piche se Aayat mere paas aate hue puchti hai " Kya hum thik ho ? "
Mai apni gardan ghuma kar use dekhte hue jawab deta hu " Ha ! Mai bilkul.... "
Tabhi mujhe halka halka chakkar aane lagata hai aur mai apne sir ko ek hath se pakade hue dhire se kehta hu " Nahi, sayad mai thoda sa.... "
" Thaka.... "
DHUMMM......
Aur bas itna bol kar mai chakkar khate hue niche jamin par gir jata hu.
Mujhe aise achanak se girta hua dekh kr waha persent sare log dar jate hai.
Anurag turant mere paas aa kr mujhe jagane ki kosis karte hue " Huntur Rider... "
" Aap thik to ho.... ? "
Aayat bhi ye dekh kr turant mere paas aati hai aur mere sir ko apne god me le kar ghbrate hue mere face ko dekhte hue kehti hai " Rider.... Rider.... "
" Utho na... Tumhe kya hua.... "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
S RANK DENGEON JAPAN
Japan me jaha S Rank Gate appear hua tha. Waha par dher sare truck ki help se Magic crystal ko laya ja raha tha. Aur fir unko phle se decide jagah par unko unlode kiya ja raha tha.
Wahi par ek jagah Yuri Orlov kada ho kr ye sub dekh raha tha. Wo is time armour phne hue apne costume me tha.
Yuri Orlov ye sub dekhte hue kehta hai " Lagbhag 200,000 ton magic crystals. "
" Jo ki Barrier ko power dene ke liye jarurt se bhi jyada sufficient hai. "
" Gate ko Center mante hue Magic crystals attact hone lagenge, jisase Magic start hone lag jayega. Aur ek barrier create ho jayega. "
" Iske baar barrier apne aap magic crystals se magic le kar apne aap ko banaye rakhega. "
Itna sub kehne ke baad Yuri Orlov apne chin ke beard ko khujate hue ek smile ke sath apne bagal me khade ek Japanese Association ke member se kehta hai " By the way.... Ye badi ajib baat hai. "
Huntur Association ka member turant uski taraf dekh kr kehta hai " Huh ? kya in sub me koi mistake hui hai ? "
Yuri Orlov " Nahi, Barrier to perfect hai. Halaki.... "
( Apni gardan move kiye bina apni aakho ke kone se dekhte hue ) " Aisa lagta hai ki koi aas paas hai... "
Huntur Association member confusion ke sath " Huh ? "
Yuri Orlov apne right side me ghum kar jor se kehte hue " Tum kon ho ? "
" Apni pehchan batao. Mere samne aao.. "
Ye sun kar Huntur Association ka member Yuri Orlov se kehta hai " Aapko kya lagta hai koi itna bahadur hoga jo kal DENGEON ke break hone ki baat janane ke bavajud bhi abhi tak yaha hoga ? "
Yuri Orlov uski taraf dekhte hue ek smile ke sath " Kya maine kaha ki wo ek person hai ? "
Ye sun kar to wo Huntur Association ka member aur bhi jyada shocked ho jata hai " Huh ? "
Tabhi ye log jaha khade the usase kafi dur sthit ek badi si building ke roof par kisi ki aakriti dikhayi deti hai. Aur ye aakriti kisi aur ki nahi mere papa Adityanath ki hi thi.
Adityanath ne is time ek bada sa cote wear kiya hua tha. Jisame unka sir aur pura face bhi cover tha.
Adityanath wahi se Yuri Orlov ki taraf dekhte hue apni golden color ki glow hoti aakho ke sath " Iske senses kafi tej hai. "
" Well.... Jaha se iski power aati hai is baat ko dhyan me rakha jaye to, isme koi strange ki baat nahi hai. "
( Sky me bade hue S Rank Gate ko dekhte hue ) " Halaki dhyan dene wali baat ye hai ki, aakhir ye sub suru ho hi gaya. "
" Jis tragedy ke bare me bhavishyavaani ki gayi thi. "
Wahi jaha Gate appear hua tha use chro taraf ka ilaka phle hi khali karwa liya gaya tha. Jiske charo taraf keep out ka yellow patti laga ke rakhe hue the.
Japanese Army ke log uske bahar chro tarf puri mustaidi se khade the. Taki koi is area ke ander na ja sake. Aur sath me jagah jagah army tank missile aur bhi kafi kuch backup ke liye ready thi.
Wahi ek jagah Reiji Sugimoto, Kanae Tawata aur Minoru Hoshino ye sub kahde ye sari arrangement dekh rahe the.
Kanae Tawata ek taraf dekhte hue kahti hai " In Monsters ke upar modern weapons ka koi jyada effect nahi padne wala hai. "
" To kya such me in army walo ka yaha hona jaruri hai? "
Reiji Sugimoto ye sun kar samne dekhte hue kehta hai " Agr kahi Yuri Orlov fail ho jata hai. To aise me hum hunturs logo ko attack karne ke liye jis time ki jarurt hogi wo time hme ye log denge. "
Kanae Tawata " Matlb ye log simply ek chare ka kaam karenge. "
Reiji Sugimoto " Inme aur hum logo me abhi to koi diffrence nahi hai. "
" Isase ye baat to saaf pata chalti hai ki in jaise disaster ke samne humans log kitne asahaay hai. "
Yahi sub karte hue saam ho jata hai. Tab tak Yuri Orlov Japanese huntur association Guild ke member ke sath pure area ka chakkar lagate hue sari taiyariyon ka jayaja le raha hota hai.
Yuri Orlov chalte hue " Perfect, bahut acha. "
" Agar sub isi tarah sahi chalta raha to, mai kud se akele ek S Rank Gate clear karunga. "
Yuri Orlov fir apne paas se alcohol ki ek mehngi bottle nikal kar uska dhakkan kholte hue ek smile ke sath aage kahta hai " Ek aadmi jisne ek S Rank Gate ko khud se clear kiya hai mai ye kehlana cahte hu.... "
" Lakin unfortunately, ek dusra huntur hai jo is name ke liye sbse acha fir hota hai. To mai lalchi nahi ho skta hu. "
Huntur Association ka member Yuri Orlov ki taraf dekhte hue thoda hichkichate hue kehta hai " Mr. Yuri Orlov... Alcohol to.... "
Yuri Orlov uski baat bich me hi katate hue kehta hai " Ye to ek Toast hai, taki mai apne nervousness ko khtam kar saku. Aur tum logo ko ek great show dikha saku. "
Fir Yuri Orlov bottle se alcohol pite hue aage kehta hai " To ye batao kitne S Rank hunturs stand by me hai ? "
Huntur Association member " 15 Hunturs total. "
Yuri Orlov " Mere audience ke hisab se ye kafi kam hai. "
" America kya kar raha hai ? "
" Kya unhone Yaha help ke liye kisi S Rank huntur ko nahi bheja hai ? "
Huntur Association member " Ek aur S Rank Gate America ke Maryland me appear hua hai. "
" Na sirf Japan balki England, South Korea aur bhi kai jagah S Rank Gate appear hua hai. "
Ye sun kar Yuri Orlov samne Gate ki taraf dekhte hue kehta hai " Sari country's is time manpower ki kami ke karan is time kafi jyada pressure me hogi. "
Tabhi huntur Association ka member shocked ke sath samne dekh kar almost chillate hue dar ke sath kehta hai " Ah... Ah... "
" Gate... Gate open ho raha hai. "
SWOSSSSSS...... SWOSSSSSS........
Aur bhut tej aawajo ke sath S Rank Gate breakdown ho jata hai. Uske ander se is time kafi jyada amount me magical energy nikal rahi thi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
AN HOSPITAL, DELHI
Mai is time ek hospital ke bed par leta hua tha. Tabhi ekdam se meri aakhe khulti hai.
Mai turant uthne ke baad apne charo taraf dekhta hu uske baad apne sir ko apne right hath se pakdte hue kehta hu " Hospital ? "
CUUUU.......
Tabhi mere room ka door open hota hai aur door ke bahar se Shubham mere room me dakhil hota hai. Jisne apne ek hath me apna cot pakda hua tha.
Shubham meri tarf shocked ke sath dekhte hue " Bade bhaiya ! "
Mai, Shubham ko dekh kr " Shubham.... "
" Kya hua ? "
Fir Shubham bhagg kar mere paas aata hai aur bacho ki tarah rote hue kehta hai " Aap abhi kyu uth rahe ho... ? "
" Hum sub soch rahe the ki aap marne wale ho. "
" Aap 3 din tak sote rahe ho. "
Mai ye sun kar shocked hote hue kehta hu " 3 din... "
Shubham " Haa bade bhaiya ! Mai aapke liye kitna dar raha tha. "
Jabki mai apne man me soch raha tha ' 3 din.... Isase hi pata chalta hai ki mai kitna jyada thaka hua tha. '
' Quki maine pichle kafi time se rest jo nahi kiya tha. '
' Sbse jaruri baat, jo scene mujhe creater ne dikhaye hai. Mai unhen bilkul bhi bhool nahi pa raha hu. '
' 1 min... '
' Agar mai 3 din ke liye soya pada tha. Iska matlab.... '
Mai turant hi Shubham ki taraf dekhte hue puchta hu " Shubham kya hua ? "
Shubham confused hote hue " Huh ? Aap kehna kya cahte ho ? "
Mai " Mai Japan me appear hue S Rank DENGEON ke bare me baat kar raha hu. '"
Shubham " Oh.... "
( Fir ekdam se wo bura face banate hue yaad krte hue mujhe batata hai " waha par.... "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
S RANK DENGEON, JAPAN
DHAMM.... DHAMM....
DHAMM.... DHAMM....
Sare log hunturs, army wale abki najre is time break ho rahe S Rank Gate ke taraf hi tha. Aur uske ander se sbse phle ek bahut hi bada pair bahar aata hai. Aur jaise hi wo jamin par padta hai jamin me kai feet ka ghadha ban jata hai. Aur uske pair ke niche ki sari jamin buri tarah se tut kar barbad ho jati hai.
" Giants ! "
" Ye to Giants hai... "
" Jo Upper A Rank DENGEONS me Boss Monsters rahte hai. Wo is DENGEON se abhi hi bahar aa rahe hai. "
Sare hunturs log ye scene dekh kr bahut jyada dar jate hai. Sub bahut jayada surprise hue pade the. Wo Giants 150 se 200 feet lambe the. Jinka Upper body open tha. Aur niche unhone purane time ki army ki tarah armours pehne hue the. Unke hath me axe, dagger jaise hi bade bade weapons the. Unke sir pe bhi 2 bade bade singh nikale hue the.
Yuri Orlov Gate ke paas samne khada ho kar sare Giants ko dekhte hue kehta hai " To jo Upper A Rank DENGEONS me Boss Monsters rahte hai. Wo is DENGEON se abhi hi bahar aa rahe hai. "
" Ye sub mere liye koi badi problem nahi hai. "
Itna keh kar Yuri Orlov apne hatho me pakde hue alcohol ke bottle ko ek side me pekte hue apne right hath ko samne upar ki taraf uthate hue apne magic ka use karne lagta hai.
Jiske karan uske hath se green color ki magic nikal kar apne aas paas pade hue Magic crystals se energy ko absorbed krke use Gate ki taraf aim karta hai. Jisase pure Gate par ek visible Barrier ban jata hai.
SWOSS.... SWOSS...
Ye dekh kr Gate se bahar aaye hue 3 Giants me se bich wala ek Giant apne hath me pakde hue axe ki help se Yuri Orlov ki taraf ek Attack karta hai. Lakin uska ye Attack barrier bade aaram se rok leta hai.
Yuri Orlov abhi bhi Barrie ko maintain karte hue us Giant ko dekh kr haste hue kehta hai " hahahaha..... "
" Maine bikul bhi nahi socha tha ki mai A Rank DENGEONS ke Monsters ko yaha dekhunga. "
" Tumhe kya lagta hai tmhare tarah ke log mere is Barrie ko penitrate kar skte ho ?! "
DHADHAMMM........
Tabhi us Gate ke ander se ek bahut bada hath aa kar us Giant ke piche se hi uske sir ko pakd kar ek khilane ki tarah utha kar use ek taraf fek deta hai. Aur wo chota Giant paas hi bane hue ek bahut hi bade building se takra jata hai. Jisase wo building buri tarah tut jata hai. Sath me us Giant ko bhi kuch chote lag jati hai.
Us bade Giant ka size almost 500 se 700 feet ke lagbhag tha. Yuri Orlov us Giant ke ek finger ke size ke barabar hi tha.
Wo Giant waha barrier ke us paar aate hi khada ho kar Yuri Orlov ko apna mundi niche karke dekhne lagta hai.
Yuri Orlov ka us Giant ko dekhte hue pasine nikalne lagte hai. Uske aakho aur face se dar saaf dekha ja sakta tha. Wo shocked ke sath ektak bas use hi dekhe ja raha tha.
Yuri Orlov " Huh ? Huh... "
SWOSSSSSS......
Fir wo Big Giant apne hath me pakde hue ek bahut bade Sword jo ki 100 feet se bhi bada hga ko utha kar samne Barrie ki taraf ghuma deta hai. Jisase ye strong Barrie 2 parts me divide ho jata hai.
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice updateUPDATE NO - 132
( A CHOICE )
Ab tak aapne dekha dosto kaise sare log hmara bahar wait kr rahe hote hai. Uske baad sare logo ko aise halat me bahar aata dekh kr aur 20 hunturs mare gaye hai ye sun kar sbki fat jati hai. Anurag mujhse puchta hai ki mujhe double DENGEON ke bare me kaise pata tab mai use kehta hu mujhe massage aaya thajo koi aur nahi dekh sakta hai. Fir mai waha behos ho jata hu.
Uske 3 din baad meri aakhe hospital me khulti hai. Tab mai Shubham se japan ke S RANK gate ke bare me puchta hu, aur wo mujhe batata hai waha Giants appear hue hai.
AB AAGE......
IN HOSPITAL, DELHI
Shubham dukhi man se kehta hai " Bade bhaiya ! "
" Wo raid..... fail ho gaya. "
Ye sun kar mai bhi bina kuch kahe santi se niche ki taraf dekhne lagta hu.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
THE HEAVEN ARCHITECTURE BUILDING, DELHI
Shubham ke papa Dilip is time apne bade se aalishan cabin me, apne ek aaramdayak chair par baithe hue samne rakhe table ke upar apna sir rakhe soye pade the.
Tabhi achanak se unki nind tut jati hai. Jiske baad wo apne sir par hath laga sehlane lagte hai. Quki itni der se table par soye hone ke karan unka wo hissa dard karne laga tha.
Tap... Tap... Tap...
Tabhi Dilip ke cabin me unka ek employee ander aata hai. Aur Dilip ke samne aa kar apne dono hath piche karke apna sir jukha kar khada ho jata hai.
Dilip usko dekhte hue " Mai jarur fir se achank hi so gaya tha. "
" Mai kitni der sota raha ? "
Employee " Sir aap 23 hour aur 46 minutes se soye hue the. "
" Hum aapko hospital le jane ke liye bilkul taiyar ho gaye the, agar aap 24 hour ke baad bhi apne nind se nahi jagte to. "
" Jaisa ki aapne hum logo ko order diya tha. "
Fir wo employe Dilip ki taraf ek file badhate hue kehta hai " Sbse phle ye 2 chije hai jinke bare me mujhe aapko inform karna hai. "
" Unse se jo pahli baat hai wo ye hai ki, ek patient hai jo ki Internal slumber se wapas apne hose me aayi hai.
Ye sunte hi Dilip shocked ke sath jldi se file ko pakde hue kehte hai " Ek patient jo ki Internal slumber se jaga hai ? "
Fir Dilip file ko open karke us patient ki profile dekhne lagta hai jo ki ek woman ki thi.
Employee " Ha sir. "
" Wo patient koi aur nahi Haal hi me S Rank bane huntur Rider ki Maa hai. "
Dilip jiske face se hi dekh kr pata lag raha tha ki wo bahut jyada thaka ya bimar hai. Uske aakho ke niche gehre dark circles the. Ye sub sun kr wo apne man me sochta hai ' Kahi iska matlab ye to nahi ki uske paas Internal slumber ko bhi thik karne ki ability hai ? '
Fir Dilip apne khyalo se bahar aate hue apne employe se kehta hai " .... Thik hai. "
" To second baat kon si hai ? "
CUUUU......
Cabin ka door open krte hue " Aur, young lady yaha aayi hui hai. "
Ye Young lady koi aur nahi Dilip ki wife Divya thi. Wo blond hair wali ek attractive woman thi. Jisne ek white one pis nd uske upar ek pink cote wear kiya hua tha.
Divya, Dilip ki taraf dekhte hue " kab se tumhari halat aisi ho gayi hai ? "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
S RANK DENGEON, JAPAN
AAAARGHHH !
Magic ka Barrie thodne ke baad wo big Giant Yuri Orlov ko apne right hath me kisi makkhi ki tarah utha kar apne muh ke upar le aata hai aur use wahi se niche chor deta hai. Aur Yuri Orlov dar se chillate hue us big Giant ke bade se muh ke ander chala jata hai.
Yuri Orlov ke muh ke ander jane ke baad hi wo giant apne muh ko band karke chbate hue Yuri Orlov ko khaa jata hai. Uske baad wo ek smile krne lagta hai.
BOOM.... BOOM....
TAP... TAP.... TAP....
DHADHAMMM.......
DHADHAMMM.......
Ye sub dekhne ke baad waha backup ke liye khade army ke Tank ek sath un GIANT'S ke upar ek ke baad ek gole barsane lagte hai. Jo in Giants ko body par yaha waha lagne lagta hai.
TAD... TAD... TAD... TAD...
TAD... TAD... TAD... TAD...
Itna hi nahi sky me se kai helicopter se unke upar Machinegun se bhi lagatar heavy goliyon ki lagbhag barish si hone lagati hai.
Un GIANT'S ke uapr charo taraf aur sky sub taraf se lagatar attack hota rahta hai. Jisase jaha Giants khade the wo jagah light aur dhuee se bhar jata hai.
Lakin shocking baat ye the ki itna sub kuch hone ke baad bhi un GIANT'S ke upar koi khaas asar nahi pad raha tha. Reiji Sugimoto ye dekh kar kehta hai " In weapons ka, inke upar use karne se koi fayda nahi hone wala hai. "
" Tum sub log kiska intejar kar rahe ho ? "
" Jao sbko destroy kar do. "
Reiji Sugimoto ke itne kehte hi Kanae Tawata aur Minoru Hoshino jump lagate hue ek Giant se fight krne ke liye uske taraf chle jate hai.
Wo Giant bhi un dono ko apne paas aata hua dekh leta hai.
Kanae Tawata us Giant ki taraf dekhte hue awa me hi apne sword ko bahar nikal kar sochti hai ' Agar mai ise blind kar du to ye hmare movements ko read nahi kar payega. '
SWOSSSSSS......
DHR... DHR... DHR...
Wo Giant aur Kanae Tawata dono ek dusre ki hi aakho me ektak dekh rahe hote hai. Jaise hi Kanae Tawata uske paas pahuch kar uske aakho ke upar attack karne wali hoti hai. Tabhi ekdam se wo Giant apne hath me pakde hue bade se sword ko ekdam se uski taraf ghuma deta hai.
Kanae Tawata khatare ko bhaap kar turant hi apni jagah se gol gol ghumte hue piche ke sath upar ki taraf move ho jati hai. Jisase wo is Attack se bach jati hai. Aur wo Attack charo taraf khade bade bade buildings ko ja kar lagta hai jisase kuch hi second me na jane kitni buildings destroy ho jati hai.
Wahi Kanae Tawata fir niche ki taraf aati hui us Giant ko dekh ke apne man me shocked ke sath sochti hai ' Itna bada hone ke bavajud bhi ye itna fast kaise ho skta hai ? '
' Ye to bilkul ajib baat hai. '
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wahi kuch helicopter se kuch news channel wale bhi ye sub telecast karke logo ko dikhane me lage hue the.
Jinme se hi ek helicopter me ek report apni report dete hue keh raha tha " Hum log currently Tokyo se aapko live news dikha rahe hai. "
" Jaisa ki aap sub apne TV screen par dekh sakte hai ye kitna bhayankar scene hai, jo ki ghatna se itni dur hone ke bavajud bhi aap saaf saaf dekh skte hai. "
" Ye sbhi logo ko hell ki yaad dila raha hai. "
" Puri country is time bahut hi dhyan se in sub par najar banaye hue hai ki kaise hunturs log itna jyada efforts kar rahe hai is disaster ko khtam karne ke liye. "
Mai apne ghar me sofe par baitha TV par yahi news dekh raha hota hu. Ye sub dekhne ke baad mai apne mind me sochta hu ' Agar isi Rate se ye sub badhte rahe to, jaisa ki Jeju Island ke raid me hue tha.... '
' Ye sub pure Asia ke liye ek bahut bada khatra ban jayenge. '
' Mujhe jldi karna hoga..... '
Kadak.....
Tabhi Ek door open hone ki aawaj aati hai aur uske sath hi ek ladki ki aawaj mujhe sunayi deti hai " Mat jao. "
Mai aawaj ke taraf dekhta hu to wo Kavya thi. Jo ki is time ek loose long t-shirt nd shorts me thi. Wo apne door par khadi ho ke niche dekhte hue wapas se apni pyari aawaj me kehti hai " Bhaiya, mat jao. "
Mai, Kavya ko dekhte hue " Tum kehna kya cahti ho meri doll. "
Kavya " Tum jane ke bare me soch rahe hos na. "
Ye sun kar 1min tak hum dono me koi kuch nahi bolta hai. Mai smjh jata hu ki sayad Kavya ko us time ek bahut bada sadma laga tha. Jisase wo abhi tak bahar nahi aayi hai.
Fir mai shofe se khada hote hue apne face par ek smile ke sath kehta hu " Nahi, mai kahi nahi jane wala hu. "
" Maine last time bahut jyada time tak kaam kiya hai. To mai ab thoda rest karne ke bare me soch raha hu. "
" Tum fikar mat karo. "
Ye kehte hue Mai Kavya ke paas ja kar uske sir ko pyar se sehlate hue ghar se bahar nikal jata hu.
Ghar se nikal kar mai apne ghar ke hi paas bane ek park me chala jata hu. Jaha mai roj workout karne aata tha. Park is time bilkul khali tha. Wahi par ek bench par baith kar mai sochne lagta hu. Fir mai beru ko bulata hu " Beru.... "
Beru " Boliye, your Majesty. Mera matlb hai ki mere lord.... "
Ye sun kar mai Beru se kehta hu " Tum Kavya ko bodyguard karne ki jagah Dramas dekhte ho ? "
" Tmhari bate sun kar hi mai bata skta hu. "
Ye sun kar Beru ko pasina aane lagta hai. Aur wo dar se apna sir niche kar leta hai.
Mai " Kavya ab kaisi hai ? "
Beru " Unke behaviour me koi bhi ajib baat to nahi hui hai My Lord. "
Mai school wale DENGEON ke scene ko yaad karte hue apne man me sochta hu ' Use jarur gehra sadma laga hai. '
' Usne aaj tak mujhe kabhi bhi Raid par jane se nahi roka hai, siway 4 year pahle mere 1st raid ke. '
' Mai ab kya karu... ? '
Yahi sub sochte hue Mai park se nikal kar raste ke kinare walk karne lagta hu.
Tabhi mere bagal se ek black Car aa kar mere paas ruk jati hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
THE HEAVEN ARCHITECTURE BUILDING
Mai is time The Heaven Architecture ke building ke ek bade se guest room me baitha hua tha. Jaha par ek normal size ki table rakhi hui thi uske aamne samne Charo taraf 6 sofe lage hue the. Room bahut hi luxurious tha.
Wo jo car mere paas ruki thi use Dilip ne hi bheja tha. Unhone hi mujhe yaha bulwaya tha.
Mai is time ek sofe par baitha hua tha aur mere samne Dilip baithe hue the.
Mai, unko dekhte hue kehta hu " Aapko mere se kya kaam pad gaya ? "
" CEO Dilip. "
Dilip mujhe dekh kr smile karte hue " Aapse mil kar acha laga, Huntur Rider. "
" Mai The Heaven Architecture ka Dilip hu. "
Mai " Aapko kon nahi janta hai. "
Fir Dilip table par ek kagaj ka tukada rakhte hue use apne do ungliyon se mere taraf badha kar kehte hai " Mai koi arrogant person nahi hu. Jo ki socha hai ki MONEY se kuch bhi kharida ja sakta hai. "
" Aur Specially wo person jisase mai baat kar raha hu agar wo ek S Rank huntur ho to. Aisa mai soch bhi nahi skta hu. "
" To mujhe ye bahut acha lagega agar ise aap mere taraf se ek chota sa bhent smjhe to. "
Darasal wo kagaj ka tukada kuch aur nahi ek blank check hota hai. Mai us check ki taraf dekhte hue apne man me sochta hu ' Ye cahe jo kuch bhi kehne wale ho, wo jarur bahut hi khufiya baat hogi. '
' Ye kisi Guild ke invitation ki taraf to bikul nahi lag raha hai. '
Mai, Dilip ki taraf dekhte hue kehta hu " Aap mujhse kya kharidana cahte hai ? "
Phle to Dilip kuch second tak saant rahte hai fir ekdam se wo kehta hai " Mai bhi usi bimari se grasit hu jo tumhari mammy ko hua tha. "
Ye sunte hi mujhe ek bada jhatka lagta hai. Lakin kud ko saant rakhte hue Mai turant hi puchta hu " Kya Shubham ko is bare me pata hai ? "
Dilip " Agar mere Physician ko hata de to bas 3 log hi meri is bimari ke bare me jante hai. Jinme mai, meri wife aur mera secretary hi samil hai. "
Mai " To iska matlab ab total 4 log ho gaye hai. "
Dilip ek second ke liye apni aakhe band karte hue " Ha. "
" Jab mai is bimari ke ilaj ke bare me sabhi jagah dundh raha tha. Tab mujhe sirf ek hi person is pure duniya me mila jo is bimari se puri tarah thik ho paya hai. "
" Aur mujhe nahi lagta ki ye koi ittefak hai ki wo patient koi aur nahi tumhari mammy hi hai. "
" Mai tumse bas such janana chahta hu. "
" Agar tumne meri help ki to, mai tumhara ye Ehsan kabhi bhi nahi bhulunga. "
Mai ye sub sun kar apne man me Kavya aur Dilip dono ki bate sochte hue apne aap se kehta hu ' Aaj... '
' Mujhe ek chij ko choose karna hoga. '
[ Note :- To dosto maine jaisa promise kiya tha, uske hisab se last Update ke 50 likes pure hone par maine naya update post kar diya hai.
Ab se ye rule hi chlega. 50 likes aap pure karo mai naya UPADTE turant post kar dunga. Warna like pure nahi hue to Update apne time ke hisab se hi aayenge. ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice update broUPDATE NO - 133
( JAPAN RAID ON )
AB AAGE.....
NIGHT TIME,
S RANK DENGEON, JAPAN
Raat ka samay ho raha tha, aur aasaman me ek helicopter ud raha tha. Niche jamin par sadke, buildings har jagah tuti futi halat me dikh rahi thi. Jagah jagah bhayankar aag lagi hui thi. Jinse dhuwwa nikal kar is jagah ko dekhne me aur bhi bhayanak bana raha tha. In aag ko bujhane wala koi nahi tha. Aur koi bujhane aata bhi kaise ye Giants jo her jagah kehar dhaye hue the.
Helicopter me ek taraf se cameraman apne bade se camera se sub kuch dikhane me laga hua tha. Wahi uske bagal me baitha news reporter apne aakho dekha haal sbko bata raha tha.
Cameraman ye sub dekh kr kehta hai " Ye bhut hi bhayanak hai. "
News reporter apni aakhe fade ye sub dekhte hue " Jaisa ki aap sub dekh rhe hai dosto... "
" Ye Giants buildings ko destroy kr rahe hai. Tree's ko ukhad ukhad kar fenk rahe hai. "
" Ye yaha waha aise ghum kar tabahi macha rahe hai. Jaise ye is jagah se Insaniyat ka namo nishan mita kar rakh denna chahate ho. "
" Aur sbse important baat jo mai aap sub ko batana chahta hu wo ye hai ki, ye insano ko dekhte hi pakd kar unhen khane lag rahe hai. "
" Iska mtlb ye hai ki dosto ye hum logo ko bhi khaa sakte hai. "
" Lakin mai aap logo ko batana chahunga agar hum ek aisi height par rahe jaha ye hum tak na pahunch sake aur jab tak hum in par phle Attack nahi krte hai. Tab tak hum log yaha safe hai. "
" Kai baar in bato ko observed karne ke baad hi hum ye baat jaan paye hai. To hum keh skte hai ki ye baat bikul such hai. "
TAP... TAP... TAP...
BOOM.... BOOM.... BOOM....
Jaha Reporter ye news dene me laga hua tha. Aur Cameraman niche idhar udhar ghum rahe Giants ko filmane me laga hua tha. Tab niche 2 Giants ek rode se hote hue apne dono taraf ki buildings ko apne hatho se maar maar kar todne me lage hue the. Unke pairon ke niche car, army tank aa kar kisi toy ki tarah dub kar tut rahe the. Ye sun karte hue un Giants ke face par ek alag hi khusi dekhi ja sakti thi.
News reporter " Khair in sub me ek achi baat ye hai ki baki sare Giants jaha idhar udhar ghume rahe hai utpat macha rahe hai. "
" Jabki jo in sub me sbse bada wala Giant hai wo Akela Gate ke samne baith kar uski suraksha kar raha hai. "
" Ya to ye kisi ke aane ka intezar kar raha hai ya to ye Gate ko hold karke rakha hua hai. "
" Inme se kya such hai koi bhi confirm nahi janta hai. "
Wo Big Giant Yuri Orlov ko kahne ke baad wahi Gate ke samne bane hue 3-4 badi badi buildings ke upar baith jata hai. Jisase wo buildings kafi had tak tut jarur jati hai. Fir bhi wo ek seema ke baad uska weight uthane me skcham ho jati hai. Us par hi Big Giant baith kar rode me apne sword ko gaad kar uske hatthe ko pakd kr baitha baki sare Giants ko utpat machate hue dekh raha tha.
Baithne ke baad se wo apne jagah se ek baar bhi nahi hila tha.
Ye sub sun kar wo cameraman us big Giant ko record karte hue kehta hai " Personally, mujhe ye jinda to bilkul bhi nahi lag raha hai. "
" Ha mai janta hu ki ye halfa fulka move ho raha hai aur breath bhi kar raha hai. Lakin ye almost kisi machine ki tarah lag raha hai. Jo ki apne program ke anusar hi move hota ho. "
Ye sun kar wo news reporter kehta hai " Machin, such me tmhe aisa lagta hai.... ? "
" Agar ye such me bas ek Machin hi hota to iske upar jo bhi bom feke gaye the wo sub iske upar kaam karna cahiye tha. "
( Wapas se news reporting karte hue ) " To dosto Ab tak is Gate se bahar nikale hue total 31 Giants me se, hamare hunturs logo ne badi muskilo se abhi tak sirf 2 hi Giant ko maar paye hai. "
Fir news reporter apne Mike ko off karke Cameraman se wapas se puchta hai " Is DENGEON ko breakdown hue ab tak kitna time ho gaya hai ? "
Cameraman " Ab tak 2 din ho chuke hai. "
News reporter " Mujhe nahi pata ki hum log in logo ko sub kuch khtam karne se phle rok payenge bhi ya nahi. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
AAROHAN GUILD OFFICE, NOIDA
Mai is time apne Guild ke office me, hmare chote se meeting room me ek sofe par baitha hua tha. Mere samne Shubham bhi ek sofe par baitha hua tha. Hum dono me kisi topic par baat chal rahi thi.
Shubham shocked se almost chikhte hue " Kya ?! "
" Aap Japan ja rahe ho !? "
( Jldi se ) " Aapne news me dekha hai na. "
" Ye Jeju Island se bilkul hi alag level ka S Rank Gate hai. "
" Aaj tak itne bade Size ke Giants kabhi bhi dekhe nahi gaye hai bade bhaiya. "
Mai santi se jawab dete hue " Agar mai Ye Raid clear karne me safal raha to hmare Aarohan Guild ka name pure world me apne aap spread ho jayega. "
Shubham fikar ke sath " Lakin fir bhi... "
Shubham ko is tarah meri fikar karte dekh mai apne man me sochne lagta hu ' To ye Raid us level ka hai, jaha par mere upar hamesa trust karne wala Shubham bhi aaj mere liye chinta kar raha hai. '
' Lakin uski baat me bhi dam hai. Ye Gait koi normal S Rank Gate thodi na hai... '
Tabhi itni der se na jane kin khyalo me duba hua Shubham ek gehri sans lete hue kahta hai " Thik hai bade bhaiya. "
( Jose ke sath ) " Mai bhi aapke sath chlunga. "
Mai ye jawab sun kar to kafi jyada shocked hota hu aur Shubham ki taraf apni aakhe badi karke dekhte hue kehta hu " Huh ? Kya bol rahe ho tum ? "
Tab Shubham ek file ko nikalte hue kehta hai " Red Gate, Jeju Island Raid aur haal hi me hue Double DENGEON Raid ke time bhi.... "
" Aapko pata hai in sare time jo artical publish hue the unke kon si baat common thi ? "
Wo file open krke mujhe her ek articles dikhate hue kisi bache ki tarah rote hue Shubham aage kehta hai " Sbme bas ek hi chij common thi aur wo ye thi ki mai kisi me bhi nahi tha. "
" Mai dusro ke samne sirf is baat ka hi dikhawa kar sakta hu ki mai hamesa aapke side me hu, aapke sath hu. "
" Mujhe ye kehne me embarrassed feel hota hai, lakin bade bhaiya aap hi mere gurv karne ki wajah ho. "
Mai, Shubham ki ye bachkani harkat dekh kr apna sir naa me hilate hue kehta hu " Mujhe nahi lagta hai ki kisi itne Rich family ke child ko ye baat kehni cahiye. "
Shubham " Nahi mai nahi janta bade bhaiya. Ab se aap jaha jaoge, mai bhi aapke sath waha jaunga. "
" Please mujhe bhi apne sath le chliye. "
Mai " Abhi kuch der phle tum hi to the jo mujhe advise de rahe the ki waha mat jao.... "
" Tmhe yaad bhi hai ki mai kis jagah jane ki baat kar raha tha ? Bolo ! "
Ye sun kar Shubham bilkul santi se kehta hai " Mujhe aap par pura bharosa hai bade bhaiya. "
" To iska matlab agar aap safe rahoge, to mai bhi bilkul safe rahunga aapke sath. "
Shubham ki ye baat mere dil ko chhu leti hai. Aur mai apna sir niche karke ek second ke liye smile karta hu fir mai apne jagah se khade hote hue Office se bahar jate hue kehta hu " Mai majak kar raha tha. Aakhir aise situation me mai japan kyu jaunga ? "
Shubham ye sun kar confused ho jata hai aur mujhe dekhte hue kehta hai " Bade bhaiya ? "
CHUUUUU......
Door ko open krte hue " Aaj tamne acha kaam kiya, ab tum apne ghar ja sakte ho. "
Shubham bas mujhe jate hue dekh kr " Bade bhaiya. "
Shubham mere achanak se badle gaye faisle ki wajah nahi smjh pata hai. Aur jab tak wo mujhse koi aur sawal karta mai waha se naikle kar bahar aa jata hu. Aur footpath par walk karte hue apne man me sochta hu ' bhle hi mai apne Shadow soldiers ko use nahi kar skta tha. '
' Fir bhi wo Architecture almost mere jitna hi strong tha. Jabki mai tab 100 level par pahuch gaya tha. '
' Iska Yahi matlab hai ki abhi bhi aise kai log hai jo mere se bhi jyada powerful hai. '
' Ye duniya bahut badi hai. '
' To jahir si baat hai, abhi bhi is duniya me bahut se log honge jo mere se kafi jyada strong honge. '
' Mujhe ye bilkul bhi nahi sochna cahiye ki agar sirf mai hi waha gaya tabhi ye sub sahi hoga. '
' Quki mai koi hero nahi hu, jo har jagah ja kar har kisi ko bacha le. '
Yahi sub sochte hue Mai apne ghar aa jata hu. Aur ghar aane ke baad mai aawaj dete hue kehta hu " Mai ghar aa gaya. "
Meri aawaj sun kar Mammy kichen se bahar aate hue kehti hai " Tum ghar aa gaye beta ? "
" Tum bukhe hoge na ? Dinner laga du ? "
Aur mai Mammy ko dekh kar ek smile ke sath apni gardan haa me hila deta hu. Jiske baad mammy ja kar table par dher sara swadisht khana laga deti hai aur mai khane ke table par khana khane ke liye baith jata hu.
Mai khana khate hue bhi soch raha hota hu ' Choose... '
' Ha mujhe Choose karna hi hoga. '
Fir mai Mammy ki taraf dekh kr puchta hu " Kavya kaha hai mammy ? "
Mammy " Usne kaha use bhukh nahi hai. "
FLASHBACK,
Mai, Dilip ka blank check unke taraf wapas karte hue kehta hu " Mujhe maaf kar dijiyega. "
" Unfortunately, mere paas aisa kuch nahi hai jisase mai aapki help kar skta hu. "
Ye sun kar Dilip shocked hote hue jldi se kehte hai " To... To tmhari mammy kaise us bimari se recover hui thi, huntur Rider ? "
Mai apna sir naa me hilate hue " Sir, agar mai janta ye kaise hua, aur mujhe iske jariye paise banane hote, to mai iske bare me ab tak chup kyu rehta ? "
Ye sun kar Dilip nirasha se apni gardan jukhate hue kehte hai " Ha, tum sahi keh rahe ho. "
Fir mai bhi apni jagah se khade ho kar bahar ki taraf jate hue kehta hu " Acha sir ab mai chlta hu. "
Fir mai waha se nikal kar lift se niche jane lagta hu mai is time lift me akele hi rehta hu jiske karan mai ek lambi saas lete hue apni aakhe band krke sochta hu ' Haa..... '
' Jo bhi ho, lakin ye Shubham ke papa the... '
' Lakin mai unko nahi janta hu. '
' Mai nahi janta hu ki wo kis tarah ke person hai, aur kya such me unki condition aisi hai ya wo mere sath koi scheme kar rahe the. '
' Mere paas Holy Water of life limited amount me hi hai. '
' So mujhe use use karne se pahle 100 baar sochna hoga. '
Mai khana khate hue apne man me sochta hu ' Unka offer to bahut hi acha tha. Lakin wo mujhe iske liye mana nahi paye. '
' agar yah mere lie sab kuchh chunane ka samay hai to, mai... '
Fir kuch soch kar khate hue Mai kehta hu " Mammy... "
" Mai ja raha hu. "
( Apne man me ) ' Abhi bhi bahut se log aise hai jo mere se jyada strong hai. '
' Lakin fir bhi... Jab tak meri growth nahi rukti, mujhe lagatar battlefield me jana hoga taki mai har baar aur bhi jyada strong hota rahu. '
Mammy jo kichen me khade ho kar mere taraf apna back kiye apna kaam kar rahi thi. Meri baat sunane ke baad unke hath apne aap ruk jata hai. Lakin jldi hi kud ko wapas se sahi karte hue apna kaam karte hue wo kehti hai " Tmhare papa bhi bilkul aise the, agar wo bhi sunte ki kahi aag lagi hai to wo bhi waha jane ke liye bhagne lagte the. Bhle hi wo us wakt khana hi kyu na khaa rahe ho. "
" Tumhare khana khaa lene ke baad, mai tmhare bag pack karwane me help kar dungi. "
Kavya jo ki apne bed par leti blanket odhe hue ye sub sun rahi thi, hmari baat puri hote hi wo blanket se kud ko pura dhak kar uske ander rone lagti hai.
10:00 PM
TUDDD.....
Mai Kavya ke room ka door open krke uske room me ander jate hue, Kavya ke bed ki taraf dekhte hue kehta hu " Kavya, tum so gayi ho ? "
Kavya apne blanket ke ander se hi dhire se " Ha. "
Mai " Chlo thori der baat karte hai. "
Kavya " Mujhe sona hai. "
Lakin mai uski baat sune bina uske bed par ja kar ek kinare baith jata hu. Kavya mere se opposite side me karwat liye hue leti hui thi aur maj apne man me sochne lagta hu ' Kaha se suru karu mai... '
Fir kuch sochne ke baad mai kehta hu " Tumne dekha, mai haal hi me almost marne hi gaya tha. "
Kehne ko to mai ye keh deta hu lakin tabhi mujhe smjh me aata hai ki maine kya kaha, to mai turant hi kavya ki taraf dekhte hue jldi se aage kehta hu " Ummm... Well, mera kehne ka matlb ye nahi tha. "
" Mai kehna cahta tha ki, meri Jaan hamesa hi khatre me rehti hai. "
" Lakin ye sochna ki mai us time mar hi jaunga ya aur kuch, ye such me bahut hi khatarnak hai. "
" Lakin jo bhi ho main fir bhi waha se jinda wapas aaya. "
" Har baar jab bhi mai wapas apne gahr jinda aata hu to mai is baat ke liye bhagwan ko sukriya karta hu. "
( Kavya ke sir par pyar se hath ferate hue ) " To mai is baar bhi yaha jinda wapas aaunga. "
Fir kuch second chup hone ke baad mai aage kehta hu " Sukriya. "
Mere ye kehte hi Kavya blanket se apne muh ko bahar nikal kar diwar ko dekhne lagti hai. Jiske aakho me nami thi. Wo sochne lagti hai ki mai use kyu thank you bol raha hu.
Mai aage kehta hu " Sukriya, ki tumne mujhe kabhi bhi waha jane se nahi roka. "
Aur ye sunte hi Kavya ki aakho se jhar jhar aasu niklne lagte hai. Aur rote hue wo kehti hai " Aap waise bhi is baar bhi ja hi to rahe ho. "
Mai, Kavya ko soye dekhte hue uske sir ko lagatar sehla kar " Ha, mai wapas jarura aaunga. "
" Aur fikar mat kar. "
" Mai bhle hi yaha se bahut dur rahu. Mai tab bhi tumhari tmhari suraksha karunga. "
Itna keh kar mai 2 ant's ke Shadow soldiers ko bula kar Kavya aur Mammy ki suraksha karne ke liye chor deta hu.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
NEXT DAY
Mai ja kar Xabhi se milta hu. Aur unhen apne Japan jane ke bare me maine last night ko hi call karke bata diya tha. Jiske liye unhone ek press conference bulaya hua tha. Jisme almost sabhi media wale aaye hue the.
Conference me phle Xabhi sbko is confrence ko bulane ka karan batate hai. Uske baad stage par mujhe bulaya jata hai. Waha par ja kar mai bhi media ke kuch swalo ke jawab deta hu.
Jiske baad mai Xabhi se sbke samne hath mila kar vida leta hu. Fir morning ki hi flight se mai aur Shubham Japan ke liye nikal jate hai.
Kuch hour me mai aur Shubham Japan ke Tokyo city me land karte hai. Jaha par airport par hmare aane se media ki kafi bid ikatha rehti hai. Shubham apne sath bahut sare saman le kar aaya hua tha. Aur wo akele hi sara saman apne back par utha kar le kar mere piche chal raha tha.
Mai jab Shubham ko itne sare saman ke sath dekhta hu to mai apne sir pit leta hu. Lakin fir na cahte hue bhi uske saman me se sbse bhari chije jaise uska armour nd aur kai chije mai kud utha leta hu. Aur hum log exit Gate ki taraf jane lagte hai.
Jaha Japanese huntur association ke log phle hi bhid aur media walo ko rok kar hmare liye rasta banaye hue rakhte hai.
Har koi hamara photo aur video lene me laga hua tha. Sare log bas hamare hi bare me baat kar rahe hote hai.
[ Note :- Sorry dosto late update dene ke liye. Actually mujhe ummid hi nahi thi ki aap log itni jldi like ka target complete kar denge.
So ab se like ka target 60 likes ka hai. Aap 60 likes karo aur next update lo. Aur next update mai abhi se likhna suru kar raha hu to wo upload hone me late nagi hoga. ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Kamal.ka update ha matleb ab real fight start ho y wale haUPDATE NO - 134
( JAPAN RAID START )
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Japan me ho rahi tabahi ke bare me sare news channel dikhane me lage hue the. Mai Shubham se jane ki baat karta hu to wo bhi mere sath chalne ki jid karne lagta hai. Fir mai Mammy se apne jane ke bare me bataya hu to wo bhi mere is faisle ka support karti hai. Aur Kavya ko dilasa de kar mai, Shubham ko le kar Japan ke liye nikal padta hu.
AB AAGE.......
NIGHT TIME
TOKYO, JAPAN
Is time army ke 3-4 trucks Gate ke paas ke hi ilake me ek jagah khade the. Unke ander kafi sare civilians aur army ke soldiers baithe hue the. Jinme kuch civilians injured bhi the.
10-12 army ke Soldiers niche khade aas paas ke aur logo ko yaha se nikalne me unki help kar rahe the.
Wahi paas me ek hospital bhi rehta hai. Jaha kafi injured civilians admit the. Wo hospital ek old couple dr. Ka tha. Jo sabhi logo ki free me ilaj karne me juthe hue the.
Is time wo dr. Couple aur ek army ka Soldier aaps me baat kar rahe the.
Army soldier us Dr. Ki taraf dekhte hue " Sare patients ko yaha se le jane ke layak hmare paas jagah nahi hai. "
" Hum log abhi jyada se jyada 3 se 4 aur logo ko aur apne sath le ja sakte hai. "
Dr., Army soldier ko dekhte hue " Tum mere sath majak to nahi kar rahe ho. "
" Hmare paas 10 se jyada patients hai jo ki kud se hil nahi skte hai. "
Army soldier halke gusse se " Hum, un logo ki chinta nahi kar skte jo kabhi bhi mar sakte hai. "
" Giants isi taraf aa rahe hai. Hme jldi se yaha se nikalna hoga. "
" Agar aap log yaha ruke to aap log mar jaoge. "
Dr. " Mai apne patients ko yaha marta hua chor kar kud safe jagah nahi ja skta hu. "
" Meri wife aur maine in logo ko promise kiya hai ki hum Aakhir tak in sub ki help karenge. "
Haaaa......
Ye sun kar us army soldier ko apni glti ka pata chalta hai, uske ander ki insaniyat jaag jati hai aur wo Army soldier ek lambhi saas lete hue kehta hai "... Agar aisi baat hai to, mai. Hi yahi rukunga. "
" Ye jante hue ki abhi bhi yaha civilians bache hue hai mai apni jaan ki parwah karte hue yaha se bhaag nahi skta hu. "
Army soldier ki baat sun kar wo dr. Bhi bahut khush hota hai. Fir soldier ek naye josh ke sath kehta hai " Sbse phle hme yaha se ander chalna chahiye. Aur hmari suraksha.... "
BANG..... BANG.....
Abhi wo soldier itna hi keh pata hai ki use un Giants ke pairo ki aawaj sunayi deti hai. Ye sun kar sare log turant hi piche mud kar jaha se aawaj aur tej hoti ja rahi thi dekhne lagte hai.
Jaise hi wo piche dekhte hai, unhe apne building ke baad wali gali me se phle ek bada sa pair bahar aata hai. Uske baad building ke upper side ek bada sa face gali me se nikal kar samne aata hai. Ye koi aur nahi ek Giant hi tha. Jiske muh me ek army soldier tha. Uski half body ko wo Giant khaa cuka tha.
Wo Giant kisi bache ki tarah insano ke sath jaise hide and seek khel raha tha.
BANG..... BANG.....
Abhi sb yahi dekh rahe hote hai ki unhen rode par samne se bhi ek Giant inki hi taraf aata hua dikhayi deta hai. Dono Giants itne logo ko dekh ke bahut khush ho rahe the.
Jabki dusri taraf army soldiers aur aam logo ka inko dekh kar dar ke mare bura haal ho raha tha.
Tabhi army soldiers ka leader dar ke sath lakin jldi se chilla kar kehta hai " Y...ye to Gaints hai. "
" Shoot !! "
Tad... Tad... Tad...
Tad... Tad... Tad...
Aur ye sunte hi jaise sare army ke Soldiers hose me aate hai aur lagatar apne gun se us phle wale Giant ke upar goliyon ki barish karne lagte hai.
Lakin in goliyon ka us Giant ke upar koi asar nahi hota hai. Aur wo sbse aage khade un dono Dr. Couple ko khane ke liye unke taraf apna hath aage badhata hai.
Ye dekh kr wo army ka Soldier turant hi unko cover karte hue unke aage apne dono hath faila kar khada ho jata hai aur jor se kehta hai " Nahi. "
Wo dono Dr. Couple bhi ye dekh kr kafi dar jate hai.
SWOSSSSSS.......
Aaaaaahhhh........
DHADHAMMM........
BOOM... BOOM....
Tabhi samne se ek bahut bada sa equaman ke trishul jaisa weapon aa kar sidhe us Giant ke sine me lagta hai.
Is Attack me itna power tha ki wo Giant sidhe apni jagah se halka sa udate hue 1-2 km piche ja waha ki buildings ke upar girta hai. Jisase wo building bhi puri tarah se barbad ho jati hai. Aur wo Giant wahi mar jata hai.
KRRRRRR.......
Aise ekdam se ye sub hota hua dekh kr sare log shocked ho jate hai. Aur attack karne wale ki taraf dekhne lagte hai. To waha unhe ek bahut bada sa Shadow soldier dikhayi deta hai, jo Giant ko marne ke baad josh me chilla raha hota hai.
Ye Shadow soldier koi aur nahi JIMA hi tha.
{ Note :- Aarohan Guild ke 1st office raid me jisme Anurag bhi samil tha. Usme hi jis boss Monsters ko Rider ne mara tha wahi JIMA hai. }
JIMA ko dekh kar sare log kafi shocked ho jate hai. Wo sochne lagte hai. Ye naya Monster ab kaha se aa gaya aur wo inhe kyu bacha raha hai ?
Army soldier, JIMA ki taraf shocked ke sath dekhte hue " Is Duniya me aakhir aur kya kya dekhna baki hai ! "
Tabhi use piche se ek aawaj sunayi deti hai jo kisi aur ki nahi meri hi hoti hai.
Mai, JIMA se " Ye bahut hi khatarnak tha. "
" Acha hoga agar hum yaha se kahi aur chale jaye. Quik ye jagah hospital ke kafo paas hai. "
CRUMBLE.... CRUMBLE....
THUD... THUD....
Tabhi achank se hospital ki buildings in sare jhtko se kafi shake hone ke karan aur us Giant ke kuch Attacks ke karan halki damage hi gayi thi. Uske upper side ke hisse se kuch bade bade concrete ke tukde girne lagte hai. Jo sidhe un Dr. Couple ke upar hi girta. Lakin tabhi Shubham unke pas ja kar apne sath rakhe ek bade se shield se unko cover kar leta hai.
Wo sare bade bade tukade aa kar shield par girte hai. Jisase unko kuch nahi hota hai. Kuch tukde Shubham aur army walo ke upar bhi girte hai. Lakin army wale apne helmet se safe bach gaye the. Aur Shubham ko huntur hone ke nate kuch nahi hua tha in tukdo se.
Shubham, meri taraf dekhte hue " Jab tak ye log yaha se safe bahar nahi nikal liye jate hai. Tab tak mai inki help karne ke liye yahi rukta hu. "
Ye sun kar mai apne aura ko release karte hue kehta hu " Thik hai. "
Mere pure body ko ek purple color ki energy is time cover kiye hue thi. Aur mai apne formal kapdo me thi apne right hath ko apne paint ki jeb me dale hue santi se khada ho kar us dusre Giant ko dekh raha hota hu.
Mere left hath me mera dagger aa jata hai.
Sare log bina kuch bole ektak mujhe hi dekh rahe hote hai.
KRRRRRR....
KRRRRRR....
KRRRRRR....
Mera ek isara milte hi JIMA chillate hue apne trishul ko le kar dusre Giant ko upar Attack kar deta hai.
DHADHAM......
Aur wo Giant bhi JIMA ke Attack ke force ke karan kuch duri par ja kar buildings ke upar gir jata hai.
Run.... Run....
SWOSSSSSS.......
Aaaahhhhhhh.......
Tabhi mai teji se bhag kar JIMA ke back par se hote hue sidhe us Giant ke muh ke taraf jump laga kar apne hath me pakde dagger se uske pure face ko apne ek hi Attack me 2 parts me divide kar deta hu. Jisase wo Giant bhi wahi mar jata hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
U.S. EAST MARYLAND
Yaha ke ek 5 star hotel ke ek bade se VVIP room me is time kuch S Rank hunturs ruke hue the. Jo ki SCAVENGERS GUILD ke hi Hunturs the. Wo yaha Appear hue S Rank Gate ko clear karne ke liye yaha aaye hue the.
Is time unme se 3 S-Rank hunturs sath me ek bade se table par baith kar dinner karne me lage hue the. Table par khane ki ek se badh kar ek item rakhi hui thi.
1st S Rank huntur " Oh ? To Rider Japan gaya hai ? "
2nd S Rank huntur " Jo maine ab tak suna hai uske hisab se lady Selner ko uske power ke single level ka bhi pata nahi lag paya hai. "
3rd S Rank huntur " Wo jarur, waha mara jayega. "
2nd S Rank huntur " Hum sabhi logo ki power Lady Selner ke dwara Upgrade ki hui hai. "
" Wo ye baat bahut ache se janta hoga ki ek ordinary huntur's ability bahut hi limited hoti hai. "
" kahir jo bhi ho wo aakhir me ek Reawakened hi to hai. Maine sahi kaha na ? "
1st S Rank huntur ek smile ke sath "Wo apne strength ke upar kuch jyada hi bhrosa kar raha hai. "
" Kya wo such me ye sochta hai ki wo Ant's in Giants ke equal hai ? "
" Wo sare hunturs jo kud ke power ko overestimate karte hai. Aakhir me maare jate hai. "
" Mai apne yacht ko bet par lagata hu ki wo ek din ke ander hi mara jayega. "
3rd S Rank huntur ek smile me sath " Mai apne House ko bet par lagata hu, ki wo 2 din ke ander mara jayega. "
2nd S Rank huntur sochte hue " Thik hai. Agar aisa hai to mai apne..... "
Tabhi in logo ke just aage next table ke side me lage hui ek single big sofe par baitha hua Sandy Nirwana jo ki suru se inki bate sunte hue apne nonveg ka maja le raha hota hai. Wo apne caku aur kante ko rokte hue ekdam se kehta hai " Kya tum log is bare me sure ho ? "
( Apni gardan ko halka sa ghuma kar sbko ek smile ke sath dekhte hue ) " Agar ye baat hai to mai apne Scavenger Guild ke building ko hi bet par lagata hu. "
" Ki wo waha se jinda wapas aayega. "
" Kahir jo bhi ho, tum logo ko yaha appear hue S Rank Gate ke bare me chinta karni cahiye. "
" Kal yaha ke S RANK Gate ka DENGEON breakdown hoga. Mai to yahi soch raha hu ki hum sabhi logo me se yaha se kitne log jinda wapas ja payenge. "
Sandy Nirwana ki bate sun kar tino S Rank hunturs ek tak usi ki taraf dekhne lagte hai.
3rd S Rank huntur , Sandy Nirwana ko dekhte hue apne man me ' Ye aadmi hmesa mood ki band bajane me sbse aage rahta hai. Aur ye is kaam me kafi acha bhi hai. '
Wahi fir Sandy Nirwana jo ki is time apne shirt ke button khole khane ke maje ke samne baitha hua tha, wo apne right side me transparent glass se bahar dikha rahe S Rank Gate ki taraf dekhte hue ek smile ke sath kehta hai " Mere khyal se to USA ki jagah Japan me khelne me jyada maja aata. "
" Lakin mai itna to sure hu ki, kal yaha bhi chije kafi exciting hone wali hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
TOKYO, JAPAN
Yaha Tabahi ka manjar ab dhire dhire thamna suru ho gaya tha. Kafi jagah ab santi najar aa rahi thi. Wo alag baat hai ki waha phle se kafi kuch barbad ho chuka tha. Lakin ab chije kafi saant hone lagi thi.
Helicopter se reporting kar rahe ek news channel wale helicopter me se hi ye sub live dikha rahe the.
Reporter niche dekhte hue " Hmare pyare viewers.... ! "
" Kya aap abhi jo apni aakho se dekh rahe hai aapko us par yakin ho raha hai ? "
" Huntur Rider ke summoned shadows, Giants logo ko na sirf rok rahe hai. Balki unko hara bhi rahe hai. "
Helicopter se thori duri par niche ek Gaint ke pure body par mere saikado ( 100+ ) Ant's Shadow soldiers Attack karne me lage hue the. Jise abhi helicopter par baitha Cameraman abki live dikha raha tha.
Mere Shadow soldiers se wo Giant cutkarna pane ki kafi kosis kar raha tha. Lakin wo safal nahi ho pa raha tha. Mere sare Shadows uske upar lagatar har taraf se uske pure body par Attack karne me lage hue the.
Mere shadow soldiers uske aakho me, muh ke ander ghus kar, naak ke ander, kaan me her jagah jaa jaa kar Attack kar rahe the.
Reporter " Jaisa ki aap sub dekh sakte hai, jo Giants phle humans ko khane me lage hue the. Wahi ab sikar ban chuke hai. "
" Ye Monster Giant Huntur Rider ke Bugs ka sikar ban chuka hai. "
ANOTHER LOCATION IN TOKYO, JAPAN
Ek choti si 5 se 7 year ki masoom si ladki, jisne ek white color ki beautiful si frock pehni hui thi. Uske solder tak aate baalo ki ponny tail bani hui thi. Wo tute-fute buildings aur rode ke bich se hote hue apni puri takat se apne nanhe nanhe pairo se bhagne me lagi hui thi. Usne apne pairo me is time kuch nahi pehna hua tha. Sayad bhagte hue Chapple gir gayi ho ya aur koi baat hui ho. Uske badi badi gol aakho nami saaf dekhi jaa sakti thi.
Wo dekhne me bahut hi cute aur pyari lag rahi thi. Lakin wo is time ek Giant ke dar se apni puri jaan laga kar bhag rahi thi.
Cute girl bhagte hue " Mamma.... Bachao.... "
" Mamma.... Bachao.... "
BANG..... BANG.....
Lakin uske piche jo Giant laga hua tha, wo us bachhi ka pichha chor hi nahi raha tha. Wo haste hue aaram se us choti bachhi ko bhagane me laga hua tha. Dekhne se aisa lag raha tha ki wo Giant, is bachhi ko marne se phle uske sath jaan bujha kar khel raha tha.
Cute Girl rote hue " Mamma.... Mamma.... "
Fir jab uska man bhar jata hai to wo us bachhi ko pakadne ke liye apna ek hath aage badha deta hai. Ye dekh kr wo choti bachhi bahut dar jati hai.
SWOSSSSSS....
Aaahhh......
Tabhi ekdam se ek aawaj aati hai. Uske baad dard se ek chillane ki aawaj aati hai. Darasal Us Giant ka hath kisi ne kaat kar uske body se alag kar diya tha. Ye chillane ki aawaj usi ki thi. Uske Kate hath se blue colour ka blood kafi teji se nikal raha hota hai. Wo apne dusre hath se apna kata hua hath pakad kar dard se tadpane lagta hai.
Wo hath katne wala koi aur nahi mera shadow soldier IGRISH tha. Wo choti si bachhi is samay uske bade se right hath ke sahare uske gode me baithi hui thi. Aur IGRISH ke left hath me uski lung Sword thi. Jisase hi usne Giant ka hath kata tha.
Wo choti bachhi IGRISH ke gode me baithi apne samne dard se chillate use Giant ko dekh rahi hoti hai.
ROAAARRR...
SWOSS.....
THUDDD......
Tabhi us Giant ke upar se ek aawaj sunayi deti hai. Aur jab tak wo Giant upar dekhta hai tab tak IRON chillate hue apne big axe ki help se uske sir pe ek bahut hi powerful Attack kar deta hai. Jisase us Giant ka sir 2 tukdo me divide ho jata hai. Aur wo wahi marne ke baad gir padta hai.
Lakin us Giant ke girne se waha aas paas ki kafi buildings tut kar girne lagti hai. Jisase kuch der ke liye waha ek chota sa tufan ban jata hai.
IGRISH turant hi us choti bachhi ko apne body se puri tarah cover kar leta hai. Jisase ki use koi nuksan na pahunche. Wo choti bacchi bhi IGRISH ke kas kar pakad kar uske sine me dubak jati hai. Wo smjh jati hai ki IGRISH use nuksan nahi pahunchayega.
Fir Aur jab kuch der me sub kuch khtam ho jata hai. To IGRISH pyar se us choti bachi ke sir par hath ferne lagta hai. IGRISH ke hath se use ehsaas hota hai. Aur wo dhire se apni aakhe khol kar dekhti hai to sub thum gaya tha. Fir wo dhire se apna sir utha kar IGRISH ke piche pade us Giant ke body ko dekhti hai.
Tab waha use us Giant ke body ke upar IRON khada dikhayi deta hai. IGRISH bhi IRON ko ek look deta hai jaise keh raha ho
' Kya karta hai ? '
' Thodi bhi akal nahi hai ? '
' Agar bacchi ko lag jati to ? '
IRON bhi IGRISH ke look ko dekh kar halka dar jata hai. Wo smajh jata hai ki wo kya kehna caah raha hai.
Hehehhehehe.....
Lakin uske baad jo hota hai wo dekh kr IRON smile karne lagta hai. Wo choti bachhi IRON ko aise darta dekh kr khilkhila kar hasne lagti hai. Ye dekh kr IGRISH bhi smile krte hue bachhi ko dekhne lagta hai. Aur fir wo bachhi smile krte hue IGRISH ke galo par ek kiss de deti hai.
Mai ek jagah khade ho kar apne sare shadow soldiers ko fight karte hue dekhne me laga hua tha. IRON aur IGRISH jis area ki taraf gaye the. Waha ka najara dekh kr mai kud se kehta hu ' Lagta hai IRON apne pramotion se kafi excited ho gaya hai. '
' Well, wo apna kaam kafi ache se kar raha hai, to ye ek achi baat hai. '
Tabhi wahi Japanese Army soldier mere paas aata hai aur apna sir jukha kar kehta hai " Umm... Thank you. "
" Aapka sukriya hum sub ki jaan bachane ke liye. "
Tabhi mai uski taraf thumbs up karte hue ek smile ke sath kehta hu " Tum ek ache aur Brave soldier ho. "
Us soldier ko mere muh se ye sub sunane ki bikul ummid nahi thi isiliye wo ye sun kar shocked ho jata hai. Jo uska khula muh dekh kar saaf pata lagaya ja sakta tha.
Fir bhi kud ko sambhalte hue wo itna hi keh pata hai " Ha... "
" Aapka sukriya itna kehne ke liye. "
Mai piche mud kar Shubham ko dekhte hue kehta hu " Shubham Is aadmi ko apne sath le jao aur evacuation ka kaam khtam karwao. "
Shubham, meri baat sunane ke baad " Thik hai bade bhaiya. "
Fir Shubham us soldier ko waha se le kar chala jata hai. Aur mai apne samne mare pade us Giant ki body ko dekhte hue apne glow hoti aakho ke sath kehta hu " To ab, serious hone ka time aa gaya hai. "
" ARISE. "
[ Note :- Is bas bhi target60 likes hai. ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Kamal ka upate tha broUPDATE NO - 135
( Only One Left )
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Japan jane ke baad me waha par apne sabhi shadow soldiers ko summoned karke unhe alag alag jagah bhej deta hu Giants ko rokne ke liye. Wahi East Maryland me Appear hue S Rank Gate ke liye Scavenger Guild ke Top ke S Rank hunturs pahuch chuke the. Wo mere jine aur marne ko le kar, aapas me bet lagate hai.
AB AAGE.......
JAPAN HUNTUR ASSOCIATION BUILDING
Japanese huntur association ke building me is time bahut se employe Monitoring room me baithe hue, pure Japan ke alag alag jagah par najar banaye hue the.
Unka president Matsumoto bhi wahi us room me is time tha. Wo is time bahut jyada paresan lag raha tha.
Tabhi ek employe, Matsumoto ki taraf dekhte hue jldi se kehta hai " Nagoya recover ho gaya hai sir. "
Jaise hi ye employe ye kehta hai uske baad to baki employe logo ki line lag jati hai same chij kehne ki.
" Nakatsugawa bhi recover ho gaya hai sir. "
" Shizuoka bhi recover hi gaya hai sir. "
" Takayama aur Nagano bhi recover ho gaya hai sir. "
Kai sare employees ek ke baad ek details check krte hue lagatar update diye ja rahe the.
Wahi us room me khada Matsumoto shocked ke sath bas her kisi ki baat sune ja raha tha use yakin hi nahi ho raha tha apne kaano par " Ye kaise possible hai... ? "
Tabhi use ek baat yaad aati hai aur wo apni badi badi aankho ke sath kehta hai " Koto sahi tha. "
( Meri aakho ko yaad karte hue ) ' Wo aakhe , jab maine use 1st time airport par dekha tha. '
' Mai aaj tak apni life me countless hunturs logo se mila hu. '
' Lakin wo.... Itna jyada powerful tha ki uski tulna kisi aur se nahi ki ja sakti hai. '
FLASHBACK
TOKYO AIRPORT
Tap... Tap... Tap...
FLASH.... FLASH....
Mai jab airport se bahar lobby me aata hu to waha logo aur media ki kafi bhid ikatha rehti hai. Jo meri picture lene aur video banane me lage hue the.
In sub ko rokne ke liye Japanese huntur association ke bahut se log lage hue the. Yahi rok mere liye aage jane ke liye khali rasta bhi banaye hue the. Aur usi raste pr exite gate ke paas hi Japanese huntur association ka president Matsumoto apne kuch khaas logo ke sath khada mera intejar kar raha tha.
Meri taraf dekhte hi, mere aura aur glow hoti aakho ke karan uske pasine nikalne lagte hai. Uska face kisi bimar insaan ki tarah ho jata hai.
Matsumoto shocked ke sath meri taraf dekhte hue " Aapse mil kar acha laga. "
" Hum is time bahut hi kharab situation me hai. To mai ummid karta hu ki aap meri baat ko smjhenge. Isi liye mai aapse sidhe mudde ki baat karna cahta hu. "
" Giants log filhal Osaka ki taraf ja rahe hai. "
" To mai aapse request karna cahunga ki please aap apni 1st priority Osaka ko safe rakhna smjhenge. "
Waise to mujhe sari language smjh me aati thi fir bhi mai ye baat abhi tak sbse chupaye rakha tha. To isiliye ek translate mere bagal me khada ho kar Matsumoto ki kahi her baat ko translate karke mujhe bata raha tha.
Jab tak wo translater mujhe translate kar raha tha, tab tak meri taraf dekhte hue Matsumoto apne man me socha hai ' Isase koi fark nahi padta hai ki, ye kitna jyada Strong hai. '
' Ye un sare Giants ko akele kabhi nahi hara payega. '
' Jab tak ye unhe roke rakhta hai, hum tab tak dusre countrys ke sath negotiation kr skte hai. '
Mai sari bate sunane ke baad kehta hu " Mujhe manjur nahi hai. "
Meri baat sun kar sare Japanese logo ke hose ud jate hai.
Matsumoto jldi se mujhe dekhte hue kehta hai " To fir aapka kya karne ka plan hai ? "
IN PERSENT
Matsumoto Japan ke alag alag jagah ki condition monitor karte hue apne man me sochta hai ' Bhle hi usne us time koi reply nahi diya tha. '
' Mujhe is baat par sandeh jarur hua tha.... '
' ki wo akele hi in sare Giants ko marne wala hai. '
' Wo abhi kya kar raha hai ? '
' wo aakhir such me karna kya cahta hai ? '
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
SOMEWHERE IN JAPAN
Mai is time ek jagah santi se khada samne dekh raha tha. Ye ek bahar bada maidan tha. Jaha kafi khali jagah thi. Lakin ye bhi almost barbad hi ho chuka tha. Mere samne is time 5 Giants ke shadows apne ghutno par khade the.
Mai un sub ko dekhte hue apne chin par hath rakh kar sochte hue kehta hu " Ummm.... "
( Hath se her ek ki taraf isara karte hue ) " To tum log ka name hoga no. One, Two, Three, Four aur Five. "
Tabhi aasmaan me se BERU fly karte hue mere paas aa kar apne ghutno ko jukha kar kehta hai " Mere King, Maine ek aur ko maar giraya hai. "
Ye sun kar mai kehta hu " Thik hai, tab wo hoga no. Six. "
Shubham mere piche hi waha ek sahi jagah dekh kar hmdono me rahne ke liye ek bada sa portable tent laga chuka tha. Shubham in kamo me kafi mahir tha. Usne almost sari jarurt ki chije apne sath la rakhi thi.
Ye sub kaam karne ke baad wo wahi khada mere aane ka intejar kar raha hota hai. Jabki mai usko ye sub karta hue dekh kr apne man me sochta hu ' Mujhe SHADOW Exchange skill ka use karke alag alag jagah apne new Shadow soldiers banane ke kiye jana hoga. '
Ye baat sochne ke baad mai piche mud kar Shubham se kehta hu " Mai kuch kaam se ja raha hu. "
" To mere na rahne par tum apna khyal rakhna. "
" Mai jldi hu wapas aane ki kosis karunga. "
Shubham jo ki ab mujhe ache se smjhne laga tha wo turant hi kehta hai " Thik hai,bade bhaiya. "
Fir mai samne dekhte hue apne man me sochta hu ' Ab tak to sub kafi aasan raha hai. '
' Lakin abhi to bas iski suruaat hui hai. '
Fir mai waha se apne shadow exchange skill ki help se dusre jagah teleport ho jata hu.
Maine apne jo Shadow soldiers pure Japan me alag alag jagah bheje hue the. Wo sub waha ke hunturs logo ki Giants ko marne me help kar rahe the.
Mere paas ab bahut jyada Mana point hone ke karan, lambi chalne wali flights me mere jitne ke chances bahut jyada increase ho gaye the.
Isi karan in lambi chalne wali fights me kab se fight kar rahe Giants bahut jyada thake hone ke karan mere Shadow soldiers ke samne nahi tik pa rahe the. Jo ki destroy hone ke baad turant hi regenerat ho jata rahe the.
Maine apne Shadow soldiers ko alag alag team me divide karke fight krne alag alag jagah bheja tha.
IRON aur IGRISH ek sath kaam karte hue Gaints ko khtam karne me lage hue the.
TUSK akele hi apne orb ke use se un Giants ke upar bhari pad raha tha.
TANK nd uske sathi bhi hunturs logo ki in Giants ko marne me kafi help kar rahe the.
Lakin in sub me sbse badi problem ye thi ki Is ek S Rank DENGEON ke karan pure Japan me alag alag jagah aur bhi bhut sare small level ke DENGEON breakdown ho gaye the.
Low level ke Monsters, Giants ke sath mil kar sub kuch tabah karne me lage hue the.
Isi liye logo ko inse safe bachana aur inko marna dono kaam ek sath karna pad raha tha. Jisame kafi time lag raha tha.
7th NIGHT OF DENGEON BREAK
TOKYO
Tap... Tap... Tap...
S- Rank DENGEON ke break hone ke 7th night ko mai almost sari jagah se monsters clear krte hue yaha Tokyo me aa phucha tha. Mere sath Shubham bhi tha. Jo mere pich piche hi char raha tha.
Hum dono tute fute rode se hote hue aas paas ki barbad ho cuki buildings aur sb chijo ko dekhte hue aage badh rahe the.
Fir hum dono ek jagah ja kar ruk jate hai. Jaha se aage ka rode khtam hi chuka tha. Uske aage bas badi badi khai hi dikhayi de rahi thi. Tute fute car, bus idhar udhar pade hue the. Ye sun kuch Giants aur army ke bich hue fight se hua tha. Hmare samne kuch kilometres ki duri par hame wo s RANK Gate dikhayi de raha tha. Jiske aage baitha hua wo sbse bada Giant bhi hme waha se saaf saaf dikhayi de raha tha.
Shubham charo taraf dekhte hue " Ye jagah to bilkul barbad ho cuki hai, bade bhaiya. "
Mai bhi sub taraf dekhte hue kehta hu " Ha tum sahi keh rahe ho. "
Tabhi ek taraf se ek ladki ki aawaj aati hai " Aap aa gaye ? "
Mai aur Shubham jab us awaj ki taraf dekhte hai to hme waha Hanekawa dikhayi deti hai. Aap logo ko yaad dila du ki Hanekawa Jeju Island ke time translater ka kaam kar rahi thi.
Mai uski taraf dekhte hue kehta hu " Ha. "
" Hanekawa yaha tmhare alawa koi aur huntur nahi hai na ? "
Hanekawa nirasa se apna sir jhukate hue " Ha aap sahi keh rahe ho. "
" Tokyo me mere alawa aur koi huntur nahi hai. "
" Hme to ab wo no. Bhi nahi yaad hai ki, TOKYO me aakhir hum kitni baar haar chuke hai. "
" Giants yahi se Japan ke baki dusre ilako me gaye hai. "
" Aapko mila kar ab tak yaha total 16 S Rank hunturs bheje ja chuke hai. "
" 6 japanese, 2 Chinese, 3 Canadian, 2 koren, 1 Raasiya aur 1 U.K. se. "
" Guild ko mila kar kul 6 groups. "
Fir ek lambi saas le kar Hanekawa aage kehti hai " Aur agar marne walo ki baat kare to, Russia ka Yuri Orlov , Canada ka Lucas Hoyle aur hmare Japan ke Black Hole Guild ka Hanjawa kouki ye log ab tak mare gaye hai. "
" Jyadatar Giants Packs me aage badh rahe hai. Jiske karan unhen marna ka kaam, A Rank DENGEON ke Boss Monster ko marne se bhi kafi jyada muskil ho gaya hai. "
Mai ye sub sunane ke baad samne dekhte hue apne man me sochta hu " 3 S Rank hunturs mare gaye. Iska matlab mai keh skta hu ki bahut sare A Rank hunturs bhi ab tak mare gaye honge. Aur usase kam walo ki to koi ginti hi nahi hogi . "
Hanekawa " Us Gate se Total 31 Giants bahar aaye the. "
" Jinme se ek ke bare me kaha ja raha hai ki wo sea paar karke China ki taraf ja raha hai. "
" Manpower ki bahut kami hone ke karan hum pure Japan ko nahi bacha paye. "
" Lakin aapki wajah se jyadatar Giants ab tak mare ja chuke hai. Iske liye aapka bahut bahut dhanyawad. "
" Baki ke jo Giants bache hue hai, unko aapke bheje gaye Shadow soldiers aur baki dusre hunturs khtam karne me lage hue hai. "
Mai ye sub sun kar samne us Big Giant ki taraf dekhte hue kehta hu " To fir... "
" Mere khyal se sirf yahi ek jinda bacha hai. "
Fir mai us tute hue pool ke ek sire par khada ho kar apne charo taraf sehar ka najara dekhne lagta hu. Jaha jagah jagah sir tute fute bade bade buildings dikhayi de rahe the. Jinme kahi kahi aag laga hua tha. Sath hi me unse dhuww bhi nikal raha tha.
Mai ye sub dekhte hue apne man me sochta hu ' Lakin, ye view mujhe kahi dekha hua, jana pehchana sa lag raha hai. '
' Lakin maine ye kaha dekha hai ? '
' Bhale hi ye abhi puri tarah burning city ki tarah nahi lag raha hai. '
' Lakin mujhe ye Demon Castle ki yaad dila raha hai. '
' Agar wo DEMON castle ki barbad hui city system ke taraf se koi hint hai to.... '
' Mai soch raha hu ki aakhir Architecture mujhe kya batana chahta tha ? '
' Ab architecture kab ka mar ke is duniya se ja chuka hai. '
' Aur ab jabki uske yaha kuch bhi nahi bacha hai to mai keh skta hu ki wahi architecture ki real body thi. '
( Apni muthiya kaste hue ) ' Bhle hi DEMON castle is duniya ka future kya hoga uska ek hint deta ho, lakin kuch bhi karke mujhe aisa hone se rokana hoga. '
' Aakhir isi liye to maine kud ko itna takatwar banaya hai. '
' Mai yaha itni dur apne strength ke khoj me hi to aaya hu. Mai nahi cahta hu ki mai yaha waha ek kamjor insaan ban kr ghumu. '
Fir mai Hanekawa ki taraf dekhte hue kehta hu " Ab jabki sare log yaha aa gaye hai. To chlo start krte hai. "
Meri baat sun kar Hanekawa confused hote hue kehti hai " Maaf karna aapko rokne ke liye. Lakin baki hunturs abhi yaha nahi aaye hai. "
Mai samne dekhte hue " Nahi, sabhi log yaha aa chuke hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
ANOTHER LOCATION IN JAPAN
GHUPP.....
Aur Kanae Tawata apne dono sword ko Giant ke body me pura ander ghusa deti hai. Jisase ek aur Giant mara jata hai.
Uske baad Kanae Tawata wahi uske badi si body ke upar let jati hai aur sky ki taraf dekhne lagti hai. Uske body me kahi kahi injury ke nisan the. Jo sayad fight ke karan lage hue the. Wo kafi jayda thaki hui lag rahi thi.
Kanae Tawata apni saase durust krte hue halke gusse se " Dhat teri ki.... Ye kitna annoying hai.... "
Minoru Hoshino samne dekhte hue " Bhle hi ye annoying hai. Lakin sari chije ab wapas se sahi ho rahi hai. Jo ki bahut achi baat hai. "
Kanae Tawata ye sun kr niche dekhte hue nirasha ke sath kehti hai " Mai janti hu. Lakin.... "
" Inhe dekh kar aisa lag raha hai ki jin Giants ke khilaf fight karne me hmko itni muskilo ka samna karna pad raha hai, in logo ko jbki in Giants se jaise koi fark hi nahi padta hai. "
" Aur ye log in Giants ko lagbhag mara hua chor kar ab TOKYO ki taraf ja rahe hai. "
( Gusse se ek mukka Giant ki body par marte hue ) " Jaise ki ye hum logo se keh rahe ho ki hmare jane ke baad in sub ko khtam karke yaha se hatane ka ya kahe to in kachre ko saaf karne ka kaam hmara hai. "
" Kitni khrab baat hai, jabki ye sub bas Rider ke summoned hai. "
Minoru Hoshino ek smile ke sath " Lakin tum to Rider ko pasand karti thi na ? "
Ye sun kar Kanae Tawata ka face akdam se red ho jata hai. Aur wo apna face dusri taraf karte hue kehti hai " Tumse kisne kahi ye baat ? "
" Aisa kuch nahi hai. "
Minoru Hoshino ye sun kar smile karte hue bas itna hi kehta hai " Haa... Ha pata chal raha hai. "
" Kya such hai kya juth hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
TOKYO, JAPAN
Mere itna kehte hi, mere piche se mere sare Shadow soldiers aa kar mere piche kahde hone lagte hai.
TUSK, IRON, IGRISH baki shadow soldiers se aage aur just mere piche aa kar apna sir jukha kar khade ho jate hai.
Shubham aur Hanekawa apna sir ghuma kar mere aa rahe shadow soldiers ko hi dekhte rahte hai.
JIMA, TANK bhi aa kar ek taraf khade ho jate hai.
Kaarrrrrrrrr......
Tabhi ek bahut tej chillane ki aawaj upar se aati hai aur Shubham aur Hanekawa turant sky ki taraf dekhne lagte hai. Aur kuch hi second me unko BERU fly karte hue hi mere paas aata hua dikhayi deta hai.
Wo sbse aage just mere piche aa kar apne ek ghutne par baith jata hai.
Mai ek najar piche dekhte hue " Oh, to tum sub yaha aa gaye ho. "
" Bahut acha kaam kiya tum sub ne. "
Beru apna sir jhukate hue " Aapka Sukriya Mere King. "
Mai, Shubham ki taraf dekhte hue " Shubham tum Hanekawa ke sath yaha se kafi dur chle jao. "
Shubham, mujhe dekhte hue " Thik hai bade bhaiya. "
Tap... Tap... Tap...
Fir wo dono yaha se dur chle jate hai.
Unke jane ke baad mai niche khai ki taraf dekhte hue kehta hu " Ab, tum sub bhi bahar aa jao. "
Sssssss.......
Aur mera order milte hi sare Giants ke shadows ek sath samne aa kar khai me line se khade ho jate hai.
Mai apna right hath upar uthate hue aage ki taraf ghuma kar kehta hu " Mere soldiers. "
" Attack. "
[ Note :- Aaapke itne pyar aur support ke liye mai dil se sukriya kehna chahta hu dosto.
Is UPADTE se like ka targethai 75likes ( Ab mai fir se target increase nahi karunga. Ye final target hai ) Uska karan bhi hai mere paas. 75 likes hone tak mere paas bhi paryapt time hoga update ko likhne ka.
To ummide karta hu aap abhi bhi apna pyar aur support dete hue ye target jldi se jldi pura karenge. ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice update ache fight theUPDATE NO - 136
( DEATH OF BIG GIANT )
Ab tak aapne dekha dosto kaise Japan aane ke baad mai bas 3 dino me hi almost sare monsters logo ko apne shadow soldiers nd dusre hunturs ki help se khtam karwa deta hu. Fir aakhir me mai TOKYO jata hu jaha par mujhe Hanekawa milti hai aur wo mujhe ab tak ki sari details batati hai. Uske baad mai apne sare shadow soldiers ko bula kar us Big Giant ke upar Attack karwa deta hu.
AB AAGE.......
KYYRREEGH.......
Mere itna kehte hi BERU bhi josh me bahut jor se chillata hai. Aur iske sath hi mere sare Shadow soldiers ek sath us Big Giant ke taraf Attack karne ko badh jate hai.
DHUM... DHUM...
RUN.... RUN....
Jo fly kr skte the wo fly karte hue, jo fly nahi kar skte the wo apne full speed se bhagte hue, kudate hue aise hi sare us Big Giant ki taraf teji se aage badh rahe the.
In sare shadow soldiers me sbse aage haal hi me mere Shadow soldiers bane Giants ke shadow the. Jo apne hatho me apna apna weapon pakde apne hi leader ko marne ke liye uske taraf teji se ja rahe the.
Raat ke andhere me ye najara dekhne se aisa lag raha tha ki jaise sea ki vishal lahare sunami aane ke karan teji se aage badhti ja rahi ho. Dhire dhire karke mere samne ka pura ilaka mere Shadow soldiers se bhar jata hai.
Mere sare Shadow soldiers josh me chillate hue aage badh rahe the. Mere samne ke pure sky me, sadko par, buildings ke upar har jagah mujhe bas mere Shadow soldiers hi dikhayi de rahe the.
Aur mai santi se us tute hue pool par khada santi se ye sub dekh raha hota hu. In sub me sbse jyada surprise krne wali baat ye thi ki wo big Giant abhi tak apne taraf aati meri army ko dekh ke bhi, apni jagah se bilkul nahi hila tha. Wo abhi bhi wahi aaram se baithe hue apne samne ye sub hota dekh raha tha.
Kuch hi samay me meri army uske paas, bahut hi paas pahuch cuki thi. Mera pura focas usi ke upar rehta hai.
Tabhi mai dekhta hu ki uski red color ki aakhe jo normal lag rahi thi wo ekdam se badi ho kar glow hone lagti hai. Uske face ka expression change ho kar gusse me badal jata hai.
SWOSSSSSS.......
Fir ekdam se lightning ki speed se wo apne jagah se khada ho kar apne sword ko ek samne ki taraf meri army ki taraf ghuma deta hai.
Fir uske baad wo lagatar apne us bade se sword ko move karte hue bina kisi pareshani ke bahte hue aur aage aane lagta hai.
Us Big Giant ki speed such me bahut hi jyada thi. Jo ki itne bade Size ke hone ke baad lagbhag Impossible hi hai.
Mai ye sub dekhte hue apne man me sochta hu ' Kya incredible power hai. '
' Sirf ek single swing se usne Hundred se bhi jyada ko khtam kar diya. '
' Iska Size kitna jyada bada hai. '
' Aur jis speed se ye mere Mana ko kam kar raha hai,uske hisab se to jldi hi mere sare Mana point khtam ho jayenge. '
' Ye mujhe bhadkane ki kosis kar raha hai. '
' Aakhir aisa koi jiv in world me kaise ho skta hai ? '
' Ise dekh kar mere man me jo bhadhas aa rahi hai. Isase chutkara pane ka sirf 2 hi tarika hai. '
' Ya to aapko jiske wajah se ye gussa, aa raha hai aap usase kahi dur bhag jao aur fir in sub ke bare me hamesa ke liye bhool jao. '
' Ya to aap us wajah ko hi hamesa ke liye khtam kar do. '
Wahi wo Big Giant ekdam se ek jagah uske samne kisi ke aane ke karan ruk jata hai. Jab wo apna sir utha ke samne dekhta hai to use apne samne TUSK khada dikhayi deta hai. TUSK ne red orb ka use karke apne magic se apna size almost us Big Giant ke jitna bada kar liya tha.
Dono ek dusre ki taraf dekhte hai TUSK, Big Giant ko dekh kr smile karta hai. Uske baad wo red orb ke use se apne magic ko magnified krte hue apne bade se muh ko open karke lagata aag nikalne lagta hai. Jo sidhe ja kar us Big Giant ki muh par lagta hai.
SWOSS.....
Big Giant isase bachne ke liye apne bade se hath ko samne krke rokne ki kosis karta hai. Aur waise bhi uske upar iska koi kaas fark nahi padta hai. Lakin tabhi use kuch feel hota hai aur wo apne aakho ke putliyo ko right side karke udhar dekhta hai to waha se use dikhayi deta hai ki ek Giant ka shadow uske almost paas pahuch kar uske upar Attack karne hi wala hota hai ki tabhi wo Big Giant apne right hath me pakdi hui apni long sword ko us Giant ke shadow ki taraf ghuma deta hai.
Jisase wo Shadow turant hi kamar se do hisso me divide ho kar destroy ho jata hai.
Kaarrrrrrrrr....
Iske turant baad hi mere sare Ant's Shadow soldiers jo fly nahi kar skte the. Wo us Big Giant ke dono pairo ke uapr Attack karke unhe apne shap nakhuno aur dank se katne lagte hai. Thousands ki sankhya me ant's Shadow Big Giant ko kaat rahe the. Lakin uski body ki skin itne skath thi ki uske upar in sub ka jyada asar nahi ho raha tha.
KAARRRRRRRRR........
Ye dekh kr mere piche khada BERU gusse se jor se chillata hai. Wo bas us big Giant ke upar Attack karne ke liye jane hi wala tha ki, Mai bina BERU ki taraf dekhe, samne us Big Giant ko dekhte hue apna hath utha kar BERU ko mana kar deta hu.
Mai " Abhi nahi BERU. "
Mera ishara milte hi BERU turant hi saant ho jata hai.
Maine is fight me hissa lene ke liye apne sabhi shadow soldiers ko bhej diya tha. Lakin BERU aur IGRISH ko maine abhi roka hua tha. Wo dono hi mere piche santi se khade ho kar samne sub kuch hote hue dekh rahe the.
Mai samne dekhte hue apne man me sochta hu ' Itna kuch mere expectations ke ander tha. '
' Mere paas kafi mana hai kharch karne ko. '
' Mujhe apne Attack ki intensity ko thoda aur increas karna hoga taki mai iski kamjori ka pata laga saku. '
BISHOOM......
CRACK.... CRACK.....
Tabhi wo Big Giant apne right hath se ek mukka bana kar apne dono pairo ke upar de marta hai. Jisase karan uske pairo ko kaat rahe mere shadows ek chutki me destroy ho jate hai.
Ding....
[ MP : 107,423 / 109,433 ]
Ek hi jahtk me Thousand ki Sankhya me mere Mana point kam hi jate hai.
GARRRRR.......
SWOSS.....
Tabhi dusre taraf se TANK gurate hue aata hai aur uske upar jump laga kar Attack kar deta hai.
JIMA bhi ek taraf se apne trisul ke sath big Giant ke upar Attack kar deta hai. Lakin dono ke majoot,sharp daato aur weapon ka uske body pr koi asar nahi hota hai. Wo uske body ke halki si khroch bhi nahi de paa rahe the.
BANG... BANG....
BISHOOM.... BISHOOM....
Jbki wo Big Giant in sub chijo se beasar mere shadow soldiers ke upar lagatar apne mukke aur sword se Attack kiye ja raha tha. Jisase meri army ko har ek Attack me kafi nuksan hota ja raha tha.
Ding....
Ding....
[ MP : 103,623 / 109,433 ]
[ MP : 90,463 / 109,433 ]
Mera Mana bahut hi teji se kam hota ja raha tha. Lakin jab wo Big Giant Attack nahi karta to us time kafi speed se mera Mana point recover bhi ho raha tha.
Ding....
[ MP : 91,463 / 109,433 ]
Jiska saboot ye saaf bata rahi thi.
Mai apne man me ye sub dekhte hue ' Uska Mana bhi kud ko kisi armour ki taraf cover kar raha hai. '
' Isi baat se saaf pata chal raha hai ki wo aaj tak kabhi hara kyu nahi tha. '
' To use yaha se confidence milta tha. '
Fir achanak se mere mind me kuch aata hai aur mai us scene ko yaad karte hue sochta hu ' Is Big Giant ne apne aap ko kisi Attack se bachane ki kosis nahi ki, siway ek Attack ke. '
' Jab TUSK ne uske face ki taraf Attack kiya tha to usne apne hatho ko aage karke uske Attack ko rok liya tha. '
' Matab iski weakness iski aakhe aur iska face hai. '
YAAAAA........
Ye sub sochte hi meri aakhe glow karne lagti hai aur mai turant hi aawaj lagata hu " KAISEL. "
Mere aawaj dete hi, mere samne hawa me udta hua KAISEL chillate hue aa jata hai. Mai uske back par khada ho jata hu. Fir mai piche dekhte hue kehta hu " Chlo chote hai. "
Mere itna kehte hi IGRISH bhi mere piche KAISEL ke back par khada ho jata hai. Aur BERU to apne Wings ki helps se fly karte hue hum logo ke sath us Big Giant ki taraf chlne lagta hai.
Flap... Flap....
KAISEL mere order ke hisab se full speed me fly karte hue us big Giant ke face ke paas jane lagta hai.
Apni taraf teji se kisi ko aata dekh kr us Big Giant ki najar bhi hmari taraf pad jati hai.
TAD... TAD... TAD...
SWOSSSSSS......
Ab tak mai damon king Baran ki long sword IGRISH ko de deta hun. Jise wo apne dono hath upar karke hawa me utha leta hai. Jisake karan aasaman me se bahut jayada amount me lightning nikal kar us sword me jane lagta hai. Uske baad IGRISH sword ko sidhe Big Giant ke face ki taraf swing kar deta hai.
BOOM.....
Lakin big Giant bhi tunarnt hi ek taraf ko move ho kar is Attack se bach jata hai. Jisase wo Attack ja kar sidhe uske piche ke building par lagta hai. Aur wo buri tarah se tut jata hai.
Ye dekh kr mai kud se kehta hu ' Mai janta hi tha. '
SWOSSSSSS.....
Tabhi furti se Big Giant apne long sword se hmari taraf Attack kar deta hai. Lakin ek time par mai aur IGRISH KAISEL ke upar se us Big Giant ke upar jump laga kar is khatarnak Attack se bach jate hai. Lakin KAISEL is Attack ke karan destroy ho jata hai.
Abhi wo big Giant kuch relex hota usase phle hi use apne body par kuch feel hota hai. Aur wo aur wo jab apni gardan niche karke dekhta hai to use apne chest par se hote hue baag kar apne muh ki taraf aata hua dikhayi deta hai.
SWOSSSSSS......
Face ke close aa kar IGRISH fir se Sword ko uske face ki taraf ghuma deta hai. Jisase wapas se lightning ka ek bada gola uske taraf jane lagta hai. Lakin Big Giant wapas se apne hath ko utha kar is Attack se bach jata hai.
SWOSS....
Aaaahhhh.....
Aisa karte hue Big Giant smile karne lagta hai tabhi un lightning ke bich se hote hue ekdam se nikal kar mai uske left eye ko upar apne dagger se Attack kar deta hu. Jiske karan use 1st time pain feel hota hai aur wo dard se chilla padta hai. Isase phle ki wo mujhe pakd pata mai waha se speed me uske solder par bhag jata hu.
Mai uske solder par se usko dard se chillata hua dekh kr smile ke sath sochta hu ' Jaisa maine socha tha. Wahi hua. '
Kaarrrrrrrrr......
Tabhi ekdam se BERU us Big Giant ke gaal ke paas fly karta hua aata hai aur apne sharp nakhuno ko pura kholte hue uske pure galo me gada kar niche ki taraf jane lagta hai. Jisase Big Giant ek baar fir se dard se chilla padta hai. Uske gaalo me nisan pad jate hai.
Mai aone dono hath me dagger liye keha hu " Ruler's authority. "
Uske baad mere body ke chro taraf mere baki ke 3 dagger aur aa jate hai.
SWOSS.... SWOSS....
SWOSS.... SWOSS....
SWOSS.... SWOSS....
Fir mai bina ruke us Big Giant ke pure face par apne sare dagger ke help se Attack par Attack karne lagta hu.
Jiske karan wo Big Giant dard se ab sub kuch bhool kar bas apne hath idhar udhar marta hua chillata rehta hai. Wo apne hatho se mujhe rokne ki bahut kosis karta hai. Lakin meri speed usase bahut jyada fast thi. Wo mujhe rokta usase phle mai uske face me dusre jagah Attack karne lagta.
Shubham aur Hanekawa dur kahde ye sub dekh rahe hote hai.
Hanekawa " Ye battle ab kisi Huntur aur Monster ke bich ka nahi raha. "
" Ye battle to dekhne se 2 monster's ke bich ka battle lag raha hai. "
Jabki Shubham meri taraf ek smile ke sath dekhte hue kehta hai " Mere bade bhaiya..... "
Mai ab tak us Big Giant ke aakho ke paas kafi Attack kar chuka tha. Jisase uske aakkho ke paas kaafi sare jakhm ke nishan ban gaye the.
Aur mai uske gale me pehni haddiyo ki ek badi si mala par khada ho kar use hi ekdam se dekhe ja raha tha.
Mai " Mutilate. "
Ding....
[ SKILL : MUTILATE Activate ho gaya hai. ]
SWOSS.... SWOSS....
SWOSS.... SWOSS....
Aahhhhh.......
Apni is skill ko Activate karte hue hue Mai Big Giant ke right eye jo ki 6 feet ka tha, par apne sare dagger se Attack par Attack karne lagta hu.
Jisase kuch hi second me uski aakhe fut jati hai. Aur wo Big Giant dard se jor jor se chillane lagta hai. Uske aakho se bahut sara blue colou ka blood nikal raha hota hai.
Lakin mai bina in sub bato ki parwah kiye piche dekh kr jor se chillata hu " BERU. "
Meri aawaj sunte hi BERU full speed me waha aate hue kehta hai " Jaisa aap kahe mere King. "
Sssnnnn.....
Aur BERU apne full speed me Big Giant ke us futi hui aakh ke ander pura ghus jata hai.
Ding....
[ SKILL : MUTILATE Activate ho gaya hai. ]Ding....
[ SKILL : MUTILATE Activate ho gaya hai. ]
Swosss..... Swosss....
Aahhhh... Ahhh...
Bahar se mai apne sare dagger se uske face par Attack karta hu to uske aakho ke ander ghus kar BERU apne sharp panko se lagatar uske maas ke nochta rehta hai.
BLLURRRR.......
DHUMMM.....
Crack... Crack...
wo Big Giant itne sare Attack ko khel nahi pata hai aur bahut buri tarah khoon ki ultiya karte hue wahi ekdam se Bejan ho kar gir jata hai. Jisase uske piche khadi bahut sari buildings ekdam buri tarah tut jati hai.
Ding.....
[ Aapne enemy ko hara diya hai. ]
Aur iske sath hi mere mind me ek notification aata hai.
[ Note :- Like ka target75 hi hai.]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice updateUPDATE NO - 137(A)
( THE RAID IS NOT OVER YET )
Ab tak aapne dekha dostoki kaise mere Shadow soldiers us big Giant ke upar ek sath Attack kar dete hai lakin uska Big Giant ke upar koi asar nahi hota hai. Mai dura khada uski weakness pata karne me laga hua tha. Aur jab mujhe uske weakness uske face ke bare me pata chalta hai to mai BERU aur IGRISH ke sath mil kar ek sath uske upar Attack kar deta hu. Aur kuch hi der me hum tino mil kar use maar girate hai.
AB AAGE.....
Ding....
[ Aapka level up ho gaya hai. ]
[ Aapka level up ho gaya hai. ]
[ Aapka level up ho gaya hai. ]
[ Aapka level up ho gaya hai. ]
Big Giant ko marne ke baad ek sath kai level up ke notification mere samne aa jate hai.
Big Giant ko khtam karke mai wahi paas ke ek 6 se 7 manjila building ke upar aa kar khada ho jata hu. Mere piche IGRISH bhi wahi aa kar khada ho jata hai.
Mai wahi se khada ho kar Big Giant ki body ko dekhte hue apne man me sochta hu ' "Aapne, enemy ko hara diya hai" huh.... ? '
Wahi Shubham bhi ab tak mere paas aa pahucha tha wo niche rode se apna sir utha kar meri taraf dekhte hue chilla kar kehta hai " Bade bhaiya.... "
TAK...
Shubham ko dekhte hi mai wahi se jump laga kr Direct niche rode par aa jata hu.
Shubham mere paas aa kar " Mujhe aapse Isase kuch kam ki ummid bhi nahi thi, bade bhaiya. "
" Aapne Giants logo ke boss ko hara diya. "
Lakin mai abhi bhi us Big Giant ke body ko dekhte hue apne man me sochta hu ' "Aapne DENGEON ke owner ko maar diya hai. " Ye notification nahi aaya is baar. '
' Jiska matlb hai ki ye Raid abhi tak khtam nahi hua hai. '
' Aur na hi is Giant ke body se black smoke nikal raha hai. Iska matlb mai iske upar Shadow Extraction skill ka use nahi kar skta hu. '
Ding...
[ SHADOW EXTRACTION skill ka use is target ke upar nahi ho skta hai. ]
Mai apne man me ' Mujhe laga hi tha aisa hi kuch hoga. '
Tabhi mujhe kuch feel hota hai. Aur mai us Big Giant ki taraf dekhte hue apne ek hath se ishara karke Shubham ko jaha tha wahi rukne ko kehta hu.
Aur aage second us Big Giant ke khule hue bade se muh ke ander se BERU bahar aate hue kehta hai " Mere King. "
" Ye mai hu. "
Mai BERU ko dekh kar " Ohh.... Acha to ye tum ho. "
( Apne man me ) ' Bhle hi ye ab mar chuka hai, lakin abhi bhi iske body se jo Magical Energy nikal rahi hai. Wo BERU ke presence ko bhi cover up karne ke liye kafi hai. '
SSSAAAAAA..........
SSSAAAAAA..........
Tabhi us S Rank Gate se bahut hi tej kisi tufan ki tarah Magical Energy niklne lagti hai.
Mai ye sub shocked ke sath dekhte hue apne hath se kud ko cover karte hue un Magical Energy ke tufan se bachane ki kosis karta hu ki tabhi BERU mere samne aa kar khada ho jata hai jisase mai rahat ki saas lete hue apne man me sochta hu ' Kya powerful Magical Energy ka tufan hai. '.
Tabhi achanak se mujhe Shubham ki yaad aati hai aur mai kud se kehta hu ' kya Shubham safe hai ? '
Aur itna soch kar mai turant hi piche mud kar dekhne lagta hu to mai dekhta hu ki IGRISH apne rob ki help se Shubham ko puri tarah se cover kiye hue tha.
Ye dekh kar ek chain ki saas lete hue Mai kud se kehta hu ' Phew.... Chlo ye dekh kr sukun mila. '
Tabhi mere dhyan samne ho rahi ek aur ghatna par jata hai. Wo gate Big Giant ke body se nikal rahi sari magical energy ko absorbed kar raha tha. Uske body me jo bhi Magical Energy bachi hui thi wo sub wo gate kafi teji se apne ander absorbed kiye ja raha tha.
Wahi ye dekhne ke chakkar me jab mai apne face ko BERU ke piche se halka sa bahar nikalta hu to Magical Energy ke tufan ke speed se mere gaal par ek cut lag jata hai. Jaha se halka sa blood bhi bahar aane lagta hai.
Mai ye dekh kr sochta hu ' Ye itna jyada powerful hai ki ye body par aaram se cut de paa raha hai. '
' Ye sub kuch to aaj se phle kabhi nahi hua. '
Fir mai Shubham ki taraf piche mud kar dekhte hue kehta hu " Shubham tum yahi wait karna. "
" Mai is Gate ke ander ja raha hu check karne ki aakhir Gate ke ander chal kya raha hai. "
Shubham ye sun kar fikar ke sath kehta hai " Bade bhaiya please sambhal ke jayiyega. "
Run.... Run.... Run....
Uske baad mai BERU ke sath apne full speed me us magical energy ke tufan se hote hue us Gaye ki taraf bhagne lagta hu. Aur kuch hi second me us Big Giant ke body se hote hue mai Gate ke ander ek jump laga deta hu.
TAK........
Jaise hi jump laga kar mai Gate ke ander ghusa hu, to mai almost 15-20 floor ke lagbhag ki uchai se sidhe niche jamin par ja utarata hu.
Mere samane ek bahut hi bada galiyara rahta hai. Jiski height almost 1000 meter hogi. Aur lambai ke bare me to mai kuch bata hi nahi skta. Us galiyara me dono side diwar ke upar badi badi masale jal rahi thi. 2 floor ka ye galiyara tha. Jisme bahut sare khambhe bane hue the. Aur un khambo ke upar taraf tarah ke Monsters ke bade bade Statue rakhe hue tha. Roof par bahut achi karigari ki gayi thi.
Mai shocked ke sath ye sub dekhte hue kehta hu " Ye to kafi bada hai. "
" Well aisa to hona hi tha. Aakhir un bade bade Giants ko yaha se jo gujrna tha.
Tabhi BERU jo ki mere sath hi yaha Gate ke ander aaya tha wo apna sir juka kar mere samne kehta hai " Mere King, kya aapne wo suna ? "
Mai dhyan se sunte hue " Ha ! Kya tumne bhi ye aawaj suni ? "
Hahahahahah.....
Dhyan se sunane par hame ek bahut hi tej aur kafi bhari ek hasi ki aawaj sunayi deti hai. Jo ki zkisis bhi angle se kisi Human ki hasi to rehne se rahi.
Beru, meri taraf dekhte hue " Ye to kisi ki bahut hi bhayanak hasne ki aawaj hai. "
Mai apne man me ' Mai jo ki us hasne wale monster ka enemy hu. Aur mai uske Is DENGEON ke gate ke ander ghur kar use marne aaya hu. Ye sub kya us Monster ko funny lag raha hai ? '
' Kitna ajib Monster hai ye. '
Mai apne hatho ki muthiyo ko kas kar unhe ghumate hue samne dekh kr kehta hu " Chlo chal kar isase bhi mil leta hai. "
[ Note :- Mai janta hu Update chota hai. Lakin iski importance dekho aap. Sath hi me mere paas aaj time ki thodi kami thi to isi liye ye update chota hi de kar post kr raha hu.
LIKE TARGET75 HI HAI. ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice updateUPDATE NO - 137(B)
ANOTHER MONARCH
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise us Gate me se magical energy ka tufan chalne lagta hai. Jiske karan mai Shubham ko bahar hi rahne ka bol kar us Gate se anderchla jata hu. Jaha mujhe kisi ki bahut jor jor se hasne ki aawaj sunayi deti hai.
AB AAGE....
Hahahaha.....
Mai jaise hi ek bade se room ke door ke bahar phuchta hu mujhe uske ander se sbse phle kisi ki bahut tej tej hasne ki aawaj sunayi deti hai. Uske baad wo aage kehta hai " Hilarious !! "
" Such me bada anand aa raha hai. "
Fir kuch second ruk kar upar ki taraf dekhte hue wo aage kehta hai " Are Oo.. Haramkhore Rulers.... "
" Kya tum log ye dekh paa rahe ho, aakhir sbse phle kisne mujhe yaha dundha hai ? "
Tap... Tap... Tap...
Aur jab mai us bade se room ke ander jata hu to mujhe ek Giant dikhayi deta hai. Almost 20 feet lamba kisi bodybuilder type body wala hota hai. Uske baal kafi bade aur ghane the. Jo uske solder tak aa rahe the. Uski dadhi aur mujhe bhi kafi badi badi thi.
Wo is bade se room ke bicho bich apne ghutno ke bal baitha hua tha. Ya agar ye kahu ki jabardasti baithaya gaya tha to ye jyada uchit lagega.
Wo jaha baitha tha uske niche red color ka ek bada sa incription bana hua tha. Us Giant ke dono ghutno ko lohe ke bahut mote shikanje se jakd kar uske dono taraf bahut badi aur moti kile jamin me ander tak thoki gayi thi. In kilo ka size 2 feel se jyada lamba aur 1/2 feet mota tha.
In sub ke alawa is big Giant ke dono ghutno ke ander se kisi nukile chij se maiti moti janjiren aar paar karke unhe bikul tight rakhte hue jamin me toka gaya tha.
Uske dono hatho ko viprit disa me faila kar dono hatho me lohe ke mote kade pehna kar un kado me se jude 4 janniro ko bilkul tight krte hue unhe bhi kamre me jagah jagah gada gaya tha.
Yaha such to chlo fir bhi thik tha. Uske baad uske solder me nukili kile aar paar karte hue unko bhi tight bandha tha.
Uske gale me bhi ek mota janhit pehna kar use niche jamin me pura gaad diye the. Jisase wo apni gardan ko bhi bilkul nahi hila sakta hai.
Kul mila kar aap itna smajh lo uske pure body ko nukili Giant kilo se aar paar karte hue unko moto moti janriro se charo taraf se bandh ke rakha gaya tha. Aur jis incription ke upar wo baitha hua tha sayad usase sare janjiro me koi bahut hi powerful magic flow ho raha tha. Itna sub kuch sirf use rokne ke liye kiya gaya tha.
Wo Giant apna sir niche kiye hue hi kehta hai " Tmhara swagat hai, Monarch. "
Mai use dhyan se dekhte hue apne man me sochta hu ' Kya ye hi Boss hai ? '
Wo Giant niche ki taraf dekhte hue kehta hai " Janjir.... "
" Mujhe in janjiro se mukt karo. "
" Mai janta hu baki Rulers kya planing kar rahe hai. "
" Baki dusre Monarch's ko bhi is bare me bahut jld hi pata lag jayega. "
Fir dhire se wo Giant apna sir utha kar mere taraf dhyan se dekhte hue gusse me kehta hai " Tum... "
" Tum wo nahi ho jise mai janta hu. "
Mai us Giant ki taraf dekhte hue santi se kuch duri par khada ho kar kehta hu " Kya wo Ruler's ya unhen tum jo kuch bhi kehte ho wo hi responsible hai tmhare sath ye sub kuch karne ke liye ? "
Giant " Wo mera use karne ki kosis kar rahe hai. "
" Jo true War aage hone wali hai. Mujhe uske foundation ke kisi stepping stone ki tarah use kar rahe hai. "
Ye sub sunane ke baad mai apne man me sochta hu ' Maine apne intelligence ka use karte hue isase phle kai baar Monsters logo ke sath communicate karne ki kosis ki hai. '
' Lakin aaj tak kisi ne bhi mujhe uske Origin ya kisi aur details ke bare me kuch nahi bata paye hai. '
Mai fir se apna dhyan us Giant ke upar karte hue kehta hu " To wo RULER'S kon hai, jinke bare me tum bol rahe the ? "
Giant " Monarchs logo ka ancient times se chle aa raha enemy. "
Mai ye sun kar apne man me wapas se sochta hu ' Monarch's logo ka enemies.... '
' To kahi iska matlb ye to nahi wo log mere bhi enemy hai ? '
Mai, Giant se " To unhone tumhe yaha aise janjiro me baadh ke rakha hai. To iska matlb ye hai ki..... "
Giant bich me hi meri baat ko kaatate hue aage kehta hai " Ha ! Mai bhi. "
" Mai bhi ek Monarch hu. "
" Sare Monsters log aur Ruler's log, har koi tumhe apne side karna chahta hai. "
" Jaise abhi tum ho, tum Fihal apne paas wo strength nahi rakhte ho ki tum akele hi un sub ka samna kar pao. "
" Tumhe support ki jarurt hai. "
Mai, us Giant ko dekhte hue confusion ke sath kehta hu " Kaisa Support ? "
Giant " Mujhe mere seal se aajad kar do. "
" Mai tmhari help karunga. "
Ye sunte hi mai apni glow hoti aakho ke sath use dekhte hue kehta hu " Tum meri help karoge ? "
" Tum, ek Monster, meri, ek Human ki help kroge ? "
" Kya tum such me, mere se ummid karte ho ki mai tumhari baat par yakin kar lunga ? "
Ye sun kar wo Giant kehta hai " To fir mai kuch aisa karta hu jisase ki tum, mujh par yakin krne lago. "
Uske baad wo Giant mere taraf dekhte hue koi secret Mantra kub jor jor se bolne lagta hai. Aur kuch der me wo mantra bolna ban kar deta hai tab ek notification mere mind me aata hai.
Ding....
[ Giant logo ka 'King', The Sovereign of the Beginning ' Regia ', ne skill ko Activate kiya hai : Pledge of Honesty ( Deal ) ]
[ Ek baar jab Pledge of Honesty ( Deal ) accept ho jayega, dono Party ek dusre se kabhi bhi koi juth nahi bol payenge. ]
{ [ Kya aap Pledge of Honesty ( Deal ) ko accept karna cahte hai. ]
[ Yes / No ] }
Mai ye sub read krne ke baad apne man me sochta hu ' King of Giants.... '
' Mujhe kya karna cahiye ? '
Fir kuch second sochne ke baad mai kehta hu " Yes. "
Ding...
[ Pledge of Honesty ( Deal ) dono party ke bich ban gaya hai. ]
[ Dono Party ke is skill ko accept karne ke karan, ab dono logo ke bich ab ek bond ban gaya hai. Jiske karan ab jab tak ki ye skill terminate nahi ho jati, tab tak dono log ek dusre se juth nahi bol skte hai. ]
Giant " Am mujhe mere seal se aajad karo. "
" Mai tmhari help karunga. "
Mai " Thik hai. "
" Mai tumhare upar puri tarah se bhrosa ..... "
Ekdam se mere se aage bola nahi jata hai. Mai wapas se bolne ki kosis karta hu. Lakin fir se wahi same haal hota hai. Jiske karan mai apna gala pakd leta hu.
Giant ek smile ke sath " Ha ! Yahi to power hai Pledge of Honesty ki. "
" Ye curse tumhe juth bolne se rok raha hai. "
Ye sun kar mai kafi Surprise hota hu fir kud ko saant karte hue mai aage kehta hu " To ye baat hai, lakin usase bhi jaruri ek baat hai jo mai tumse kb se puchna cahta hu. "
" Mai tmhare sath itni aasani se baat-chit kaise kar paa raha hu ? "
" Jabki dusre monsters logo ke sath aisa nahi ho pata tha. "
Giant thoda confused hote hue " Monsters ? "
Mai " Monsters, jo Gate se bahar aate hai. "
Giant " Ohh.... Tumhara matlb Chaos world ke nivasiyon se hai. "
Lakin fir mere questions ka answer dene ke bajaye wo mere se kehta hai " Well, mere paas bhi tmhare liye ek question hai. "
" Tumne chaos world ke nivasiyon ki tulna na jane kab se un sub ke upar rule krne wale Monarch se karne ke bare me socha bhi kaise ? "
" Chaos world ke sare nivasi jo Gates se bahar aate hai, wo sub defeated army ke bache hue log hai. "
" Jinhe Ruler's ki army se harne ke baad kaid kar liya gaya tha. "
" Unhe bahut lambe samay tak, bahut hi painful tarike se rakha gaya, torcher kiya gaya, humiliate kiya gaya. "
" To Gate se bahar aajad hone unka aise pahli ki tarah react karna bilkul natural hai. "
" Jabki mai ek King hu. "
" Unlogo ki tarah mera mansik santulan nahi bigada. Mai abhi tak kud ko thik rakh pane me safal raha hu. "
" Mai pure sabar ke sath us din ka intezar kar raha hu jab mai inke changul sebahar nikal pau. "
" Aur dekho aaj wo din aa hi gaya. Mai aur tum yaha ek dusre se mil hi gaye. "
Mai yaad karte hue bolta hu " Jab tumne armies of Ruler's ke bare me kaha, to tum un logo ki baat kar rahe the jinhone silver armour pehna hua tha aur jinke back par Wings hai ? "
Giant " Bilkul sahi kaha. "
" Wo Ruler's logo ke soldiers hai. "
Mai " To fir wo sale Ruler's log, lagatar monster's... "
( Lakin bich me hi ruk kar mai apne sabdo ko change karte hue aage kehta hu ) "... Un creatures logo ko Gate se bahar hmare paas kyu bhejte hai ? "
Ye sun kar Giant ke face ka expression halka sa change hota hai. Aur ghur kar wo mujhe dekhne lagta hai.
[ Note :- Target75 likes. ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Acha update tha timenka saat saat chzn intersting hote ja rhii hnUPDATE NO - 138
( ONE OF MONARCH'S DEATH )
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mai Gate ke ander jata hu to mujhe waha par ek aur Monarch milta hai, jise Janjiro nd Magic se baandh ke rakha hua tha. Wo mujhe, use aajad krne ko bolta hai. Jiske badale wo meri help krne ka offer deta hai. Sath hi me wo mere kai swalo ke jawab bhi deta hai.
AB AAGE......
Gaint " Jaisa ki maine kaha, Wo war ki taiyari kar rahe hai. "
" Wo log is world ko ek battlefield me badalna cahte hai. Jiske baad wo sub ek baar fir se sare Monarch's logo ke sath fight karna cahte hai. "
Mai ye sun kr confusion me kehta hu " Mai smjha nahi tumhari baat..... "
" Un monsters ko yaha earth par bhejne se ye ek duniya battlefield me kaise badal jayeg? "
Gaint " Ye to badi aasan si baat hai. "
" Iske liye unko, tumhare is world me bas magical energy hi to inject karna hai. "
Gaint ki baat bhi bikul sahi thi. Quki jaise gate se niklne wale Monsters jaha ek taraf manaw jati ke liye kisi vinash ki tarah hai.
Usi tarah se gate se nikalne wali Magical Energy manaw jati ke liye kisi blessing se kam nhi hai.
Aur ye baat sirf hunters hi nahi mante hai, balki Is baat ko jyadatar civilizations bhi mante hai.
Magic Crystals aur Magic stones, energy se bhare hote hai. Ye is World ke ander Energy ka sbse bada source bhi hai.
Mai apne man me sochta hu ' Iska matlb ye sub aane wale war ki taiyari ke taraf jane ke rasta hai ? '
Gaint " Ek aisi power jiska astitv hi nahi hai, ya dusre sbdo me kahe to jiske bare me kisi ko kuch bhi pata nahi hai. "
" Aise kisi power ka prachar, monster's log jinke paas power hai unke through karwane se acha aur koi tarika nahi ho skta hai. "
" Isi liye Rulers log ne apne in kaid kiye hue monster's ka use krne ke bare me faisla liya. "
" Tmhari is duniya me magical energy ki density har din dhire dhire badhti hi jaa rahi hai aur aise hi badhti rahegi. "
" Un sare monster's ko marwane ke karan yahi results un Ruler's ko milega. "
" Magical energy se ye world aur bhi jyada powerful ho jayega. "
" Aur Ruler's ka bhi yahi plan hai ki wo is World ko itna strong Banana cahte hai ki ye world War ke effects ko sehan kar sake. "
Mai, Gaint ki taraf ekdam dhyan se dekhte hue kehta hu " Aur war se tumhara matlb hai ki..... "
Gaint meri baat khtam hue bina bich me hi bol padta hai " Monarch's aur Ruler's logo ke bich me ek aur Battle. "
" Bahut hi jald jis world ko tum rahte ho wo ek hell me badal jayega. "
Ye sun kar mujhe Demon's world ke ander ke scenes yaad aa jate hai. Aur meri aakhe shocked se badi ho jati hai.
Itna sub kehne ke baad wo Gaint meri taraf dekhte hue jldi se kehta hai " Ab jyada wakt nahi bacha hai. "
" Ek baad agar unhen pata chal gaya ki hum dono ne aapas me ek contact kiya hai. Baki ke Monarch's aur Ruler's sare log hmari khoj me yaha aa jayenge. "
" Balki aisa ki ho skta hai ki ab tak Ruler's ke doot phle hi yaha, hamare paas aane ke liye nikal chuke ho. "
Mai Gaint ki taraf dekhte hue puchta hu " Tum suruaat se ye keh rahe the ki wo log mujhe target kar rahe hai.... "
" Aisa kyu hai ? "
Gaint meri taraf dekhte hue shocked ke sath " Kya Tum such me kuch nahi jante ho ? "
" Jo power tum apne paas rakhe hue ho. Wo actually me tmhari nahi hai. "
" Tumhare paas ye power hai iska matlb ye is baat ka saboot hai ki is power ke original owner ne Monarch's ko dhoka diya hai. "
" Tum Monarch's aur Ruler's dono logo ke dusman ban gaye ho. "
" Fir bhi mai kasam khata hu ki mai tmhari taraf se fight karunga. "
" To ab batao ! Kya tum meri help karoge ? "
Ye sun kar Mai, Gaint ki taraf dekhte hue kehta hu " Agar tum mere taraf aana hi cahte ho to, acha hoga ki mai simply tmko apne Shadow soldiers me convert karke apne side le aau. "
Jab mai ye baat keh raha tha. Tab Gaint ko kuch second ke liye aisa laga ki jaise uske samne khada person mai nahi balki asli Shadow Monarch hai. Aur aisa hote hi wo kafi jyada shocked to hota hi hai sath hi me wo kuch der ke liye dar bhi jata hai. Aur turant hi mujhe dhyan se dekhne lagta hai. Lakin is baar use sirf mai hi dikhayi deta hu.
Gaint apne man me ' Ye kya... ? '
' Ek moment ke liye to ye bilkul uske jaisa dikh raha tha..... '
Fir ye sub sochna ke baad wo kud ko saant karte hue jldi se kehta hai " Monarchs aur Ruler's ye dono hi spritual body rakhte hai. "
" Spritual body person ke marne ke baad destroy ho jati hai. Isi liye unko shadow soldiers me convert nahi kiya ja sakta hai. "
" To isiliye mai bhi tumhara shadow soldier nahi ban sakta hu. "
" Kya itna kafi hai ! ab tumhe, mujhe help karne ke liye ? "
Mai ye sunane ke baad niche dekhte hue apne man me sochta hu ' Ab mujhe smjh me aaya. '
' Lakin mera dil bechain kyu hai ? Mujhe kuch to sahi nahi lag raha hai ? '
' Yaha kuch to gadbad hai. '
Fir mai ye sub sochte hue apna man bana kar apne left hath ko aage ki taraf kar leta hu. Aur apne dagger ko bula kar apne hath me pakd leta hu.
Mere hath me pkde hue dagger ko dekhte hue Gaint kehta hai " Mujhe in janjiro se aajad karo. "
Tap... Tap... Tap...
Mai, Gaint ki taraf jate hue, uski aakho me dekhte hue kehta hu " To tum keh rahe ho ki tum mere side rahoge ? "
Gaint " Ha bikul. "
" Agar tum meri help karoge, mai bhi tumhari help karunga. "
" Ye hum dono Monarch's ke bich ek fair aur bilkul uchit deal hai. "
SWOSS....
Aur ye sunte hue Mai us Gaint ke right hath ki janjiro ko apne dagger se ek hi war me kaat deta hu.
Janjiro se jaise hi Gaint ka right hath aajad hota hai wo apni muthi bana kar apne hath ko halka ghumate hue dekh kr apne man me sochta hai ' Mujhe aisa laga ki ek moment ke liye maine use dekha. '
' Mai mai ye bas imagine kar raha tha ? '
Wahi mai ab uske left hath ke samne aa kar uske aakho me dekhte hue kehta hu " To.... "
" Kya tum humanity ke side ho ? "
Ye baat sun kar wo Gaint meri taraf halka gaur se dekhne lagta hai. Lakin kehta kuch nahi hai.
Mai ye dekh kr kehta hu " Tum meri is baat ka jawab kyu nahi de rahe ho ? "
" Kya ye pledge of Honesty ki wajah se hai ? "
Tabhi mujhe us Gaint ke back pr nack ke just niche ek red mana crystal halka sa bahar ki taraf nikla dikhayi deta hai.
Us crystal ko dekhne ke baad mai Gaint se kehta hu " Tmhare Back me nack ke just niche mana crystal laga hua hai.... "
" Aur jab tak wo waha laga hua hai tumhe bhi Ruler's ki voice sunayi deti rahegi. "
" SARE HUMANS KO MAAR DO ye aawaj jo ki baki ke sare Monsters ko bhi sunayi deti rehti hai. "
Jaise hi mai ye baat kehta hu wo Gaint apni puri takat laga kar, apne jabde bhichte hue apne right hath ko aage badha kar mujhe teji se pakde ne ki kosis karta hai.
Lakin meri speed usase kafi fast rahti hai. Aur mai turant hi ek taraf ho kar uske hath me aane se bach jata hu aur kehta hu " Hmare bich jo deal hua tha use bhool jao. "
" Tmhe jinda rakhna bahut hi jyada khatarnak nahi. "
Swosss....
GHUPP.....
GUGH....
Aur mai turant hi apne hath me pakde hue dagger ko uske pet ke ander pura ghusa deta hu. Jisase uske muh se blue blood bahar aane lagta hai.
Mai apna dagger aur ander dalte hue us Gaint ke kaan ke paas aa kar kehta hu " Ab Quki tum aane wale time me ek Aapda ka karan ban sakte ho. "
Mere dagger se Gaint ko pain to bahut ho raha tha. Lakin fir bhi himmat juta kar wo meri taraf dekh kr kehta hai " Nahi.... Tum galat ho. "
" Aapda ( problem ) mai nahi balki tum ho. "
RAARGH !!
Aur mai apne dagger se uske body par aur bhi kai sare Attack karta hu. Jiske karan ho dard se chillane lagta hai.
SWOSS....
SWOSS....
COUGH !!
Lakin mai bina ruke aur bhi kai sare Attack karta rehta hu. Jisase wo Gaint dard se chillate, continuously apne muh se dher sara blue blood nikalta rahta hai.
Itna hi nahi mai uske back par bhi kai sare Attack karta hu. Jisase uska dard badhta hi ja raha tha. Wo ab niche dekhte hue kehta hai " Agar tmhare world me rahne walo aur Ruler's dawara capture kiye gaye chaos world ke logo ke bich ka battle aur bhi jyada khatarnak hone lage to.... "
" Tumhara world ek hell ke jaise battlefield ke awala aur kuch nahi reh jayega. "
( Mujhe dekhte hue smile ke sath ) " Mai ummid karta hu.... "
" Har wo ek chij ya person jise tum protect karna cahte ho, wo is war ke dauran jal kar rakh me badal jaye. "
Ye sun kar mai ekdam cold tone me kehta hu " Aisa kabhi nahi hoga. "
SWOSS......
THUD....
Aur uske baad mai ekdam se apne dagger se uske sir ko uske body se kaat kar alag kar deta hu. Jo ludakte hue kisi football ki tarah uske dono tango ke bich ja girta hai. Aur uske body se fountain ki tarah Blue color ka blood nikalne lagta hai.
Ding....
[ Aapne DENGEON Master ko hara diya hai. ]
Ding....
[ Aapne 9 Monarch's me se ek Monarch, Monarch of Beginning ' Regia ' ko hara diya hai. ]
Tap... Tap... Tap...
Fir mai piche mud kar aaram se bahar ki taraf jane lagta hu. Lakin abhi bhi system lagatar mujhe ek ke baad ek kai sare notification bhejta rahta hai.
Ding....
[ Calculating EXP. ]
[ Bahut jyada amount me EXP. Receive hone ke karan, total EXP. Calculate karne me normal se jyada time lag raha hai. ]
Mai apne sath me Gaint ke back par laga hua wo mana crystal jise maine usko marne ke baad nikal liya tha use dekhte hue kud se kehta hu " Jaisa ki usne kaha tha. Ise marne ke baad mai ise apne shadow soldiers me convert nahi kar paya. "
" Lakin mai ise apne price ke roop me rakh leta hu. "
Ding.....
[ Aapka 8 level up ho cuka hai. ]
[ LEVEL :- 122 ]
Sssssss.........
Aur mere piche Gaint ki body apne aap destroy ho kar gayab hone lagti hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
MORNING TIME, USA
TAD... TAD... TAD...
Is time yaha subah ki shuruaat hi hui thi ki tabhi ek bahut bade ghar jo ki hajaron SQUARE feet ke area me bana hua tha. Aur jiske aage ek bahut bada saaf sutra ground tha. Isi ground par ek helicopter land ho raha hota hai.
Helicopter ke land hone ke baad uske ander se do person nikal kar us bade se ghar ke main door ki taraf jane lagte hai.
Ye dono log koi aur nahi Lady Selner aur American huntur Association ke Deputy director the.
Ghar ke main door par ek 6'6 feet lamba aura handsome sa aadmi khada tha. Jo ki is time bhi apne night suite me tha. Ye ghar usi ka tha. Aur uska name tha Christopher Reid. Jo ki ek National Authority Rank huntur tha.
Christopher Reid samne dekhte hue " Mujhe nahi pata tha ki aaj mere yaha visitors bhi aane wale hai. "
" Aap logo se mile hue mujhe bahut jyada time ho gaya hai Deputy director aur Lady Selner. "
Deputy director " Hme tumse ek bahut hi urgent matter par baat karni hai. "
" Kya tum kuch der ke liye sare logo ko yaha se bhej sakte ho ? "
Ye sun kar Cristopher apne secretary ko bula kar kehta hai " Jab tak ye dono log yaha se bahar na nikale mere room ke paas kisi ko bhi aane mat dena. "
Secretary, uske taraf dekh kr " Mai smjh gayi sir. "
Fir wo tino Cristopher ke ek privet room me aamne samne rakhe hue mehge sofe par baith jate hai. Jiske bich me rakhe hue table par phle se hi coffee ke 3 cup rakhe hue the.
Cristopher, samne dono ki taraf dekhte hue " Aisa kya kaam aa gaya, jiske karan tum logo ko itni dur mere paas aana pada ? "
" Agar tum log yaha East me kahi appear hue S Rank Gate ke liye aaye ho to, Mai tum logo ko phle hi clear kar deta hu. "
" Mai waha nahi jane wala. "
Itna keh kar wo apne samne rakhe hue cup ko utha kar usase coffee pine lagta hai.
Lady Selner, Cristopher ki taraf dekhte hue kehti hai " Mai yaha kisi Gate ke bare me baat karne nahi aayi hu Mr. Chris. "
" Hum yaha usase bhi kai guna ek bade problem ke bare me baat karne aaye hai. "
Ye sun kar Cristopher thode Surprise ke sath kehta hai " S Rank se bhi bada problem ? "
Lady Selner " Mr. Chris. "
" Aap aane wale kuch hi dino me aapka murder hone wala hai. "
Ye sun kar to Cristopher ke hose hi ud jate hai. Aur uske muh me bhari hui coffee bahar aa jati hai. Jiske baad wo dono logo ko ghur kar dekhne lagta hai.
[ Note :- Like Target80 likes ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!