UPDATE NO - 148(B) post kar diya hai dosto.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
nice niceUPDATE NO - 123(B)
GALTI HO GAYI
AB AAGE......
Aayat ki baat sun kar mai palt kar use gaur se dekhne lagta hu. Wahi Aayat apni aakhe band karke apne man me kai bate soche ja rahi thi ' Tmne us Aava ke sath wo Picture kyu li ? '
' Mai janti hu tum kahoge ki wo tmhare Guild ki new member hai. Lakin mujhe ye batao ki mai tmhare Guild me aane ke liye qualified nahi hu. Lakin wo hai aakhir aisa kyu ? '
' Ek S Rank huntur kisi bhi A Rank huntur se bahut hi jyada acha hota hai. '
' Tum kisi bhi mamle me dekh lo mai usase bahut jyada achi hu. '
' Mai usase jyada beautiful bhi hu. To fir kyu ? '
Aayat apne man me itna sub kuch sochti hai bolne ke liye. Lakin jab himmat karke wo kahti hai to usase ye sub kaha hi nahi jata hai wo kuch aur hi kahti hai.
Aayat " Actually.... "
" ... Huntur Ajay ne mujhe tumhe ek massage dene ko kaha tha. "
" Ye tumhare power ke bare me hai. "
Ye sunte hi mujhe ek bahut bada jhatka lagta hai. Aur meri aakhe badi badi ho jati hai.
Lakin tabhi mujhe khyal aata hai ki hum kaha hai aur hmare aas paas kuch log bhi the. Jo apne kaam se aa ja rahe the. Mai turant hi Aayat ko aage bolne se rokte hue kahta hu " Wait, Hum apni baat kahi aur akele me karte hai. "
" Tumhe isase koi problem to nahi hai. "
Ye sun kar Aayat apni gardan Na me hila kar apni manjuri de deti hai. Fir mai Aayat ko le kar apne Guild ke Office me aa jata hu. Jaha ab bhut se furnitures nd aur chije ab arrange ho cuki thim. Lakin is time yaha koi bhi nahi tha.
Aayat charo taraf dekhte hue " kya yaha Office me koi bhi nahi hai ? "
Mai hmare hi Office me bane hue chote se cafeteria ki taraf jate hue kahta hu " Vice Master ne kaha tha ki wo #####
Ye sunte hi Aayat ke gaal red ho jate hai aur wo mere back ko dekhte hue apne man me sochti hai ' Iska Matlb hai ki yaha is time bas mai aur huntur Rider hai. '
Mai in bato se anjan hmare liye coffee banate hue puchta hu " Ye kaise hua ? "
" Mere bare me huntur Ajay ne tmko massage kaise diya ? "
Mai tab tak 2 cup coffee bana chuka tha. Ek cup Aayat ko pakda kar mai mere cabin ke hi sofe par Aayat ke samne baith jata hu.
Aayat " Us din maine ek aawaj suni thi. "
" Jab mai JEJU island ke Raid me almost marne wali thi. To Mujhe aisa lag raha tha ki meri aatma ko ek Force apni taraf khich rahi thi. Tabhi ek hath piche se aa kar mujhe pakad leta hai. Aur jab mai piche mud kar dekhti hi to Wo hath kisi aur ka nahi Huntur Ajay ka hi rahta hai. "
" Fir wo mujhe kahta hai. "
Ajay " Huntur Rider ko batana.... "
( Bahut jyada fikar ke sath ) " please use kahna ki use apne power se sawdhaan rahne ki jarurat hai. "
" kabhi na khtam hone wali Darkness se koi mujhe apni tarf khich raha hai. "
" Halaki ye wapas se jinda hua person mai nahi hu. "
" Ye meri will aur consciousness jarur rakhta hai. "
" Lakin... Aisa lagta hai ki mai bina koi swal karne wala, bina kisi condition ke ek slave ban gaya hu. Jo ki sirf usko serve karne ke liye hi sirf bana hai. "
" Lakin asal me mai jis baat se dar raha hu wo ye hai ki mai aisa karne se happy feel kar raha hu. Aur mai kud use serve karna cahta hu. "
Aayat fikar nd confusion ke sath " Iska kya matlab hai ? "
Ajay " Uski power bahut hi jyada strong aur usase bhi jyada scary hai. "
" Aur use bhi ye baat ache se pata honi chahiye. "
" Yaad rakhna... Huntur Rider ki real army..... "
" Uski real army.... "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
NEXT DAY
INSIDE EN A RANK DENGEON
CHEW.... CHEW....
Mai is time Shubham ke sath ek A Rank DENGEON ke ander tha. Aur burger khate hue mai kal Aayat ne jo mujhe kaha tha usi ke bare me soch raha tha. Mere bagal me baitha hua Shubham bhi aaram se bina kisi tention ke burger khate hue samne mere Shadow Soldiers ko monsters ke sath fight krte hue dekh raha tha.
Mai apne man me ' Huntur Aayat ne jo kaha kya wo such hai ? '
' bhle hi ye baat such ho ya nahi lakin mujhe bhi apne power ke source ke bare me pata karna hai. '
' Ab aur bhi jyada strong hone se jayda is baat ka pata karna ab bahut jaruri hai. '
SWOSSSSSS.... SWOSSSSSS.....
DHAMM..... DHAMM....
Mere Shadow Soldiers lagatar monstars ko marne me lage hue the. Is DENGEON ke monstar ki body stone ke jaisi thi. Aur wo 20 feet lambe the. Unki skin unke Rank ke baki monstars ke mukalbe kafi jyada hard thi. Lakin fir bhi mere Shadow Soldiers ko in sub ko khtam karne me koi bhi problem nahi ho rahi thi.
Shubham samne dekhte hue burger khate hue kahta hai " Te sub dekh kl aammmm namu namo...."
" Mujhe hmale pulane gino ti yaad ta gayi bale bhaiya. Amm namu namu.... "
" Jb mai aapte saat mil kal C lank DENGEON clear kalta tha. "
Mai Shubham ki taraf dekhte hue apna sir pitate hue " Jo tumhare muh ke ander hai pahle use khatam kar lo fir baat karna. "
Shubham is baar apne muh ke ander ka khana khtam karke " Bade bhaiya summouns kud se bhi move ho skte hai na ? "
" To jab hum khana kha rahe hote hai ya jab hum ek hi jagah baithe hote hai to in summouns ko hi Kaam karne kyu nahi dete hai ? "
Mai " Nahi mai aisa karna nahi chahata hu. "
( Apne man me ) ' Aise to mai bahut chijo ko kud se experience nahi kar paunga agar inko aage ja kar kaam karne diya to...'
( Ek Shadow Soldier ki taraf isara karte hue ) " Mai nahi janta hu ki jab mai inhe nahi dekh raha hota hu to ye log aakhir kya karte hai. "
Shubham " Ohhh.... "
Fir kud der ke baad Shubham fir se kahta hai " By the way aapki choti sister ab kaisi hai ? "
" Jo us din hua aisa kuch khtarnak experience karne ke baad... "
Mai sochte hue " Hospital wale kah rahe the ki wo kuch time me thik ho jayegi. "
" Waise bhi maine uske paas uski security ke liye apne sbse trustworthy person ko rakha hai. To mujhe ab uske security ki chinta nahi hai. "
Uske baad mere man me achank se kuch khyal aata hai aur mai sochta hu ' Shubham ke kehne se ab mujhe yaad aaya ki ab mai apne Shadow Soldiers ko dekh skta hu cahe wo jaha bhi rahe aur jo bhi kaam karte rahe. '
' To kya mujhe ek baar un sub ko check kar lena cahiye ? '
{ [ SKILL
[Shadow Storage LV.2 ]
[ Job specific skill ]
[ No Mana required ]
[ Shadow banane wala apne shadow me inko store karke rakh skta hai. ]
[ Save hue Shadow Soldiers ko dubara se summouned karke use apne kisi bhi kaam ke liye use kr skte hai. ]
[ LV. 2 Effect : Kisi bhi selected Shadow ke Senses ko Share kar skte hai. ]
[ Shadow Save kar skte hai 840/840] }
Mai apne man me ' Ab jabki mai is skill ke LV.2 par pahuch cuka hu to mai apne kisi bhi Shadow ke Senses ko share kar skta hu. '
' Chlo dekhta hu ki abhi Kavya kya kar rahi hai ? '
SWOOSH.....
Aur ye sub soch kar mai apni aakhe band karke Apna dhyan BERU ke upar laga deta hu. Quki maine Kavya ke suraksha ke liye use hi lagaya hua tha. Uske agle hi second mere samne sbse phle TV dikhayi deta hai jisme koi movie ya drama chal raha tha. Usme ek 40+ age ka aadmi kah raha tha " Mere King ! "
" Aap to ek bahut hi great King hai. Aap aisa kyu behavio kar rahe hai ? "
Aur TV ke samne BERU apne hath me remote liye khada bade dhyan se ye sub dekh raha tha. Uske aage sofa rakha hua tha. Jiske upar Kavya apne pair bend kiye hue soyi hui thi. Aur uske upar ek blacket odhaya hua tha. Aur pure hall ki baki sari light off thi. Sirf TV hi chal raha tha.
TV ke ander se" Mere King ! "
" Nahi mere King ! "
" Please meri baat to suniye mere King ! "
Ye sub dekh kr mai apne man me sochta hu ' Aisa lagta hai ki Kavya aaram se so rahi hai.
' Ab mujhe pata laga ki BERU kyu itna funny hote ja raha hai aaj kal. '
' To wo is tarah ke show dekhna pasand karta hai ? '
' Chlo dekhte hai baki dusre log kya kar rahe hai. '
Fir mai Apni Maa ko dekhta hu jo big bazaar me shoping kar rahi thi. Unke aas paas aur bhi bhut se log the. Lakin waha bhi sub ok tha.
Fir mai Huntur Sachin aur Anubhav ke paas lagaye hue Shadow Soldiers ko dekht hu is time dono ek hi sath me kisi baat ko le kar aaps me halki fulki nok jhonk kar rahe the.
DRIP... DRIP... PLOP...
DRIP... DRIP... PLOP...
Ab mai next jagah dekhta hu to Mujhe sbse phle waha par bathroom dikhayi deta hai. Aur usme fuwaare se pani ki bunde niche tapak rahi thi. Bas itna kuch dekh kr hi meri dil ki dhadkane badi teji se badhne lagti hai. Aur jis chij se mai dar raha tha last me aakhirkar mujhe wahi dikhayi deta hai.
Bathtub me is time Aayat bina kisi kpdo ke baithi hui thi. Uska pura badan bhiga hua tha aur wo apni aakhe band kiye garam pani se nahane ka maja le rahi thi. Wo bathtub me apne dono ghutne mode baithi hui thi aur bathtub me pura pani bhara hua tha. Jiske karan mujhe Aayat ki bas back aur solder hi dikhayi deti hai. Aur ye sub kuch bas ek second ke liye hi mai dekhata hu.
Tabhi achanak se mujhe Shubham ki aawaj sunayi deti hai " Bade bhaiya aap so gaye hai kya ? "
Mai turant hi apni aakhe kholte hue apni jagah se shocked ke karan halka sa jump kar jata hu. Mera face is time bokul red hua pada tha aur mai Hadbadahat ke mare jldi se kahta hu " Na...nahi ! "
" Nahi ! "
" Mai soya nahi hu. "
Mai fir apne man me sochte hue ' Acha hoga agar mai kisi din mil kar usase Mafi maang lu. Kya uske liye mai ek lunch buy kru ? '
Shubham mujhe dekhte hue na jane kya kya kahe ja raha tha lakin mujhe kuch bhi sunayi nahi de raha tha.
Shubham thoda jor se " Bade bhaiya maine kya kaha aap sun rahe hai ? "
Fir hum sari bato ko bula kar waha se andar ki taraf chle jate hai.
Shubham " S Rank Gate Japan ke SHINJUKU me appear hua hai. "
" DENGEON ko break hone me ab bas 3 din hi bache hai. "
" Japan wale har jagah se hunturs ko ikatha kar rahe hai. Kya unhone aapse contact nahi kiya hai bade bhaiya? "
Mai apne man me ' Kya such me is gate ko appear hue itne din ho gaye hai ? '
" Unhone mujhse contact kiya tha. Lakin mere paas filhal usase bhi bahut jaruri kuch kaam hai. To mai abhi usi ke bare me sochne raha hu. "
{ [ NAME : LAYERS KI BANI HUI TEMPLE KI KEY ]
[ DIFFICULTY LEVEL : ?? ]
[ ITEM TYPE : KEY ]
[ • Ye key user ko Layer wali Temple me jane ke liye allow karta hai.
• Is key ko iske choose kiye hue Gate me hi use kiya ja sakta hai.
• Gate ki location ek nishchit samay ke baad batayi jayegi.
• Time Remaining : 27 hour 1 minutes 52 second ] }
Itna soch kar mai apne storage se Black key nikal kr use dekhte hue sochne lagta hu ' System ki taraf se mujhe invitation aaya hai. '
' Mai waha aakhir kon se swalo ke answer pa paunga ? '
' Mai kya hu ? '
' Kya ye jaan pana abhi mere liye sahi hai ya nahi ? '
' Ok koi baat nahi, ab bas 1 din hi bacha hua hai. '
' Mai jld hi such jaan jaunga. '
Fir mai apni jagah se uth jata hu aur Shubham ki taraf dekhte hue kahta hu " Agar tumhara khana ho gaya hai to chlo hum andar chalte hai. Abhi hme bahut kaam karna baki hai. "
Shubham jldi se uthate hue " Ha ! Ha ! Bade bhaiya chliye. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
SHORTSWORD GUILD OFFICE, JAPAN
Ek badi si multi storage ki Building ke meeting room me is time 4 log the. Ye chro log hi S Rank hunturs the.
Aur ye sub koi aur nahi SHORTSWORD GUILD ke 3 S RANK Hunter the. Jinme Sugimoto ek single sofe par baitha hua tha. Aur uske piche Kanae Hankawa, aur Minoru Hoshino khade the. Aur un tino ke same bade se sofe par ek badi si tond wala aadmi baitha hua tha. Uska weight almost 100+ kg hi hoga. Aur uske hair solder tak aate hue grey color ke the. Wo is time white shirt aur black paint me the. Iski age 40+ thi. Ye aadmi koi aur nahi Yuri Orlove tha.
Yuri Orlove tino ko dekhte hue " Mai Yuri Orlove hu, jaisa ki tum mujhe jante hi hoge. "
" Mai greatest support type huntur ke liye jana jata hu. "
" Maine SHORTSWORD GUILD ke dhwara bheje gaye Report ko read kiya tha. "
" Citizens ko waha se nikal ka faisla bahut hi acha hai. "
" Halaki, kya ye such hai ki manpower ke kami ke karan Japan sirf 6 S Rank hunturs ko bhej skta hai is Raid me ? "
Sugimoto , Yuri Orlove ko delhte hue " Ha. "
" Japan me appear hue A Rank Gate ko sambhalne ke liye kam se kam ek S Rank huntur ki jarurt to padegi hi. "
" Hmari Guild bhi isi liye ek S Rank huntur ko Is Raid me samil nahi karegi. Baki ke hum tino log aapke sath is Raid me samil ho kar aapki puri help karenge. "
Yuri Orlov bear ki ek ghut pite hue " Nahi ! Nahi ! Ye to galt baat hai. "
" Is tarah se tum log apne country ko kaise protact kar paoge ? "
" 3.6 billion per year ka. "
" Yani ki 10 million per day ka. "
( Ek evil simile ke sath ) " Itne paise de kar mujhe hire kar lo aur mai tumhari country ko jab tak tum chahoge tab tak protact karta rahunga. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nixe updateUPDATE NO - 124
BACK TO THE START
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Aayat aa kar mujhe Ajay ka massage deti hai. Jise sunane ke baad mai apne power ke source ke bare me pata karne ke liye nirnay le leta hu. Wahi agle din ek Raid me Shubham mujhse Japan ke S Rank DENGEON ke bare me puchta hai. Lakin mai mana kar deta hu. Quoi mujhe double layer wale DENGEON me jana tha. Wahi Japan me Yuri Orlove aa kar SHORTSWORD guild se milta hai.
AB AAGE.....
Sugimoto shocked se Yuri Orlove ko dekhte hue khta hai " 10 million dollars ek din ke liye !? "
Yuri Orlove ek evile smile ke sath " Tum 3.6 billion dollars de kar apne country ko save kar skte ho. "
" Aisa nahi hai ki mai Sandy ki tarah 36 trillion dollars maang raha hu. "
" Mere hisab se to ye kafi cheap hai. "
Minoru Hoshino jo ki Sugimoto ke piche santi se khada tha wo bina koi reaction diye dhire se apne bagal me khadi Kanae tum to thodi Russian bol leti ho na ? "
" Aakhir Abhi is bewde ne kya kaha ? "
Kanae Tawata samne dekhte hue " Mai sure nahi hu, lakin itna pata hai mujhe ki yaha kuch bhi sahi nahi hai. "
Yuri Orlove haste hue " To, tum 10 million dollars per day me apne country ko buy kroge ya sirf kuch paiso ko bachane ke liye apne country ko musibat me jane doge ? "
BWAHAHAHAHA......
Yuri Orlove thode bhari tone me " Tmhe kya lagta hai ki tumhare paas abhi bhi select karne ka aur mere samne kud ko show off karne ka chance hai ? "
" Agar tm mere boots ko lick karte hue bhi aisa karne ke bare me sochoge to bhi aisa nahi hoga. "
Sugimoto, Yuri Orlove ko ektak ghurte hue kahta hai " To tmne apne abilities par bahut jyada confidence hai tabhi tumne to tmne ye baat hmare samne kahne ki himmat ki hai. "
Yuri Orlove " Of course ! "
" Tmhare piche jo losers khade hai. Aise 100+ log bhi mere liye kuch bhi nahi hai. "
" Hme is baat par matbhed to bilkul bhi nahi karna cahiye, ye to tum jante hi hoge. "
Minoru Hoshino gusse me Yuri Orlove ki taraf dekhte hue " Isne just abhi hmari insults ki hai. Hai na ? "
Kanae Tawata bhi gusse me apne red color ki ho rahi aakho ke sath Yuri Orlove ko dekhte hue turant hi kahti hai " Jane kya kaha wo to mujhe smjha me nahi aaya. "
" Lakin iski baato ka kya Matlb hai ye mujhe bahut achi tarah se smjh me aa gaya hai. "
Abhi wo dono gusse se kuch karte usase phle hi unhe apne charo taraf ek bahut hi powerful pressure feel hone lagta hai. Aur wo presan ho kar charo taraf dekhne lagte hai. To unhe apne charo taraf ek purple color ka powerful ghera dikhayi deta hai.
Tabhi ekdam se Yuri Orlove jiski aakhe is time light green color ki glow ho rahi thi aur jo ki apne right hath ko aage karke baithe hue hi aaram se ye pressure ka ghera banaya hua tha wo kahta hai " Tum log dekh skte ho ki mere bina anumit ke tum log ek step bhi hil nahi skte ho. "
" Tum log agar isase bahar niklne ke liye try karna cahte ho to tum try kar skte ho. "
Minoru Hoshino aur Kanae Tawata dono apni puri power ke sath, puri strength laga kar us pressure ke gole ko todne ki kosis karte hai. Lakin sb bekar rahta hai wo to apni ek finger bhi nahi move kar paa rahe the.
Minoru Hoshino bahut baar try karne ke baad Yuri Orlove ko dekhte hue apne man me sochta hai ' Aakhir isne hmari movement ko hi kaise restricted kr diya. Jabki hum dono S Rank hunturs hai. '
Kanae Tawata dusri taraf shocked se soch rahi thi ' Dhat teri ki ! Ye to aisa feel ho raha hai ki jaise mujhe kisi ne puri tarah se bahut tightly bandh diya ho. '
Ye sun dekhne ke baad Yuri Orlove, Sugimoto ki taraf dekhte hue ek evil smile ke sath kahta hai " To mai tumhare S Rank gate ko sambhal lunga. Aur mai in dono idiots ko bhi jane de raha hu wo bi bina kisi extra charge ke. "
" Kya kahte ho is bare me ? Mere hisab se tumhe is baat se satisfied ho. "
SINGH....
Sugimoto ek lambhi saas chorte hue apni aakhe band krke niche dekhte hue kahta hai " Maine just abhi tmhari ability ko confirm kiya hai. "
" Halaki hmari government itne jyada khrche ke liye approval deti hai ya nahi wo ek alag matter hai.... "
( Apne man me ) ' Mai aashcharya chaki hu ki hma logo iski ability par bhrosa karne ke alawa aur kuch nahi kar skte hai. '
" Nahi sub thik hai. "
" Kya tum mujhe ijajat doge ki mai in sub ki ek Report bana lu ? "
Yuri Orlove smile karte hue " Ha kyu nahi. Jao ja kar apna kaam karo. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
RIDER HOUSE
NEXT DAY MORNING
Mai is time apne ghar me hall me sofe par baith kar apne jute ke diye baand raha tha. Is time maine ek black full sleeve wala t-shirt pehna hua tha aur ek black full cargo Jens bhi.
Mai " Mai ja raha hu. "
Tabhi piche se meri Maa aati hai jo mujhe hi jute ke leases tie karte hue mere back ko dekh rahi hoti hai. Fir kud der dekhne ke baad bade hi pyare voice me kahti hai " Beta. "
" Tumhari Mom ko kisi chij ko le kar chinta karne ki to koi jarurat nahi hai na ? "
Ye sun kar mai apni aakhe ek pal ke liye band krta hu fir kahta hu " Ye bhi koi kahne ki baat hai. "
" Aapko, meri fikar karne ki koi jarurat nahi hai. "
" Mera aaj bas kisi ke sath ek appointment hai. "
KHTAK.....
Fir mai door open krke bina mude bahar nikalte hue kahta hu " Mai thodi der me wapas aata hu. "
Fir mai apne Building ke bahar aa jata hu.
DING....
{ [ NAME : LAYERS KI BANI HUI TEMPLE KI KEY ]
[ DIFFICULTY LEVEL : ?? ]
[ ITEM TYPE : KEY ]
[ • Ye key user ko Layer wali Temple me jane ke liye allow karta hai.
• Is key ko iske choose kiye hue Gate me hi use kiya ja sakta hai.
• Gate ki location ek nishchit samay ke baad batayi jayegi.
• Time Remaining : 0 hour 1 minutes 2 second ] }
[ Time Remaining : 0 hour 0 minutes 50 second ]
[ Time Remaining : 0 hour 0 minutes 36 second ]
[ Time Remaining : 0 hour 0 minutes 15 second ]
[ Time Remaining : 0 hour 0 minutes 5 second ]
[ Time Remaining : 0 hour 0 minutes 0 second ]
SWOSSSSSS.....
Tabhi mai apne left hath ko aage karta hu aur mere hath me Black key appear ho jata hai.
DING....
[ Key ko aap kaha use kr skte ho uski location disclose ho cuki hai. ]
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
KAVYA COLLEGE
Kavya ke College jaha High orcs ka DENGEON break ho gaya tha. Wo tab se band pada hua tha. Charo taraf restrictions ka wo yellow Patti lagi hui thi. Aur College ke Building me wapas se construction ka kaam suru hota usase phle hi yaha ek aur Gate appear ho gaya tha.
Jisme is time Raid chal rahi thi. Aur Gate ke bahar Huntur Association wale khade apna kaam kar rahe the. Unhi logo me se do log aapas me baat kar rahe hote hai.
1st person " Sochne wali baat hai ki same location par ek baar fir se Gate appear ho gaya hai. "
2nd person " Achi baat ye hai ki College band tha. Agar College open rahta to ye students logo se pura bhara rahata. Aise situation me hum yaha sub kuch sahi se control bhi nahi kr pate. "
Tabhi Huntur Association ki Raid ki dekh rekha karne wale wo chasmis ladki jo ki ek side me khadi thi usko samne se koiblack huddi me aate hue dikhayi deta hai.
Girl " Ahh ! Aap yaha nahi aa skte hai. "
Wo band koi aur nahi mai hi rahta hu. Us ladki ke samne aa kar mai apna huddi hata deta hu. Aur mere face ko dekhte hi wo ladki turant hi shocked se kahti hai " Ahhh ! Huntur Rider aap ? "
Mai " Is Gate ko appear hue kitna time ho gaya hai. "
Girl, meri taraf dekhte hue politely " 3... 3 din. "
Mai ye sun kar apne man me sochne lagta hu ' To ye baat hai. '
' Waise bhi Usme likha tha ki location ka pata ek time ke baad pata chlega. Usme ye nahi likha tha ki Gate bhi samne time par hi appear hoga. '
' Sochne wali baat hai is Gate ko open hue 3 din bit chuke hai. '
( Gate ki taraf dekhte hue ) ' Gate ke ander se jo Magic energy nikal rahi hai uske hisab se to Gate C Rank ka hai. '
' Jo ki koi badi baat nahi hai. '
Mai, us ladki ki taraf dekhte hue " Kya Hunturs log Gate ke ander ja chuke hai ? "
Girl " Ha lagbhag 2 hour phle hi. "
Tap... Tap... Tap...
Mai Gate ki taraf jate hue " Tumhe un logo ko wapas bula lena cahiye. "
Girl thode confusion aur shocked se " Lakin hmare analyke hisab se ye Gate to sirf ek C Rank hi hai. "
Mai " Assault team khatre me hai. "
" Agar unhen abhi wapas nahi bulaya gaya to wo sare mare jayenge. "
Girl shocked ke sath " Sare hunturs mare jayenge. Ye kahne se aapka kya matlab hai ? "
Mai Gate ke ander enter karte hue " Mai, Assault team ke sath wapas aaunga. "
Girl jldi se " Aakhir aap ye sun kyu kar rahe hai ? Agar aap hme smjha sakte to bahut acha hota.... "
Mai " Hmare paas uske liye time nahi hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE DENGEON
C Rank monstars ki mari hui body pure DENGEON me jagah jagah padi hui thi. Aur Hunturs logo ki ek team ek bade se door ke bahar khadi thi.
Ye Gate same wahi tha jo Rider logo ke time Double DENGEON ka Gate tha.
Hunturs log Gate ko dekhte hue aaps me baate kar rahe the.
" Kya ye Boss room hai ? Kahir jo bhi ho ye open kyu nahi ho raha hai ? "
" Ab hum kya kare ? Yaha tak ki Magic ke help se bhi hum is door ke upar ek scratch bhi nahi la paa rahe hai. "
" Tumhare kahne ka matlb kya hai ? Tum khana cahte ho ki itni dur aane ke baad hum yaha se wapas laut jaye ? "
Tap.... Tap.... Tap....
Tabhi sbke piche se apne paint ke pocket me hath dale aaram se aate hue mai kahta hu " Ye ek trap hai. "
Piche se aaye is aawaj ko sun kar sare log chuk jate hai aur sub turant hi piche mud kar dekhne lagte hai. Jaha mai bade aaram se chalta hua unke hi taraf aa raha hota hu.
Ek huntur apne saaso ko kabu karke rahat ki saas lete hue mujhe dekh ke kahta hai " Oh shit ! "
" Tumne to hme ekdam se bahut jyada Surprise kar diya. "
2nd huntur halke gusse se " Aur tu hai kon ? "
Mai un sub ko dekhte hue " Mai Double DENGEON ka survivor hu. "
1rd huntur shocked ke sath " Double DENGEON ka survivor ? "
Tabhi ek huntur bahut jyada Surprise hote hue kahta hai " Oh !! "
" Ye ladka to.... Kahi ye Huntur Rider to nahi hai na ? "
Ek dusra huntur darte hue jor se chilla kar " Ha... Ye.. ye... To Huntur Rider hi hai.... "
Mai subko dekhte hue santi se kahta hu " Tum imagine bhi nahi kar skte ho ki ye place kitni jyada dangerous hai. "
" Ab is Raid ko yaha se mai smbhalunga. So sare log please abhi is DENGEON se bahar chale jaiye. "
Itna kahne ke baad mai aage ja kar door ko open krne lagta hu. Lakin jaisa ki assault team ke members ke sath hota hai. Door open nahi hota hai. Sare hunturs mujhe hi dekh rahe hote hai.
Mai door ko dekhte hue apne man me ' Ye open nahi ho raha hai. Kya ye Magic se band kiya hua hai ? '
Tabhi mujhe door me ek jagah ek hole dikhayi deta hai.
DING...
[ LAYERS KI BANI HUI TEMPLE KA DOOR FILHAL KE LIYE LOCKED HAI. ]
[ PLEASE KEY KO USE KIJIYE.]
Ye dekh kr mai apne right hath ko aage karke usme black key mangwa leta hu. Aur use dekhte hue sochta hu ' Ye pichli baar se alag hai. '
' Tabhi mujhe is key ki jarurt thi. '
CUUU......
Uske baad mai us keyhole me Black key daal kar lock ko open kr deta hu. Aur agle hi second wo bada door open hone lagata hai.
Ye dekh kr mere piche khade sare Assault team ke hunturs ek baar fir se Surprise hote hue kahne lagate hai.
" Kya ? Ye kya hai ? "
" Isne door ko kaise open kiya ? "
" Ye door halka sa hila bhi nahi tha jab hum logo ne open krne ki kosis ki thi tab. "
Aisa is liye kyuki maine key se is door ko open kiya ye kisi ne nahi dekha mai apni body ko cover karte hue chupke se key se door ko open kiya tha.
Tabhi ekdam se us assault team ka leader jisme full body armour pehna hua tha meri taraf dekhte aage aate hue halke arrogant tone me kahta hai " Excuse me huntur sir ! "
" Is DENGEON ke Raid ki permission Courage Guild ne buy kiya hai. "
" To aapko koi right nahi hai ki aap hmko is DENGEON ko chor kar jane ko kahe. "
Ye sun kar ek aur huntur gusse se meri taraf dekhte hue kahta hai " Ye sahi kah rahe hai. Tum bhale hi S Rank huntur ya india ke Top huntur hoge. Lakin iska ye Matlb nahi hai ki sub kuch tmhari marji ke hisab se chlega. "
Inki bate sun kar mai kuch kahne hi wala hota hu ki achanak se mere dimak me ek idea aata hai aur mai, un sub ko dekhte hue kahta hu " Thik hai fir mai tum logo ko nahi rokunga. "
" Jo koi bhi is Door ke ander jana chahata hai wo door ke ander ja skta hai. "
Ye sun kar Raid team ka leader sbse aage aate hue full confidence me kahta hai " Thik hai fir mai sbse phle ander jaunga. "
Door ke ander is time bikul andhera chhaya hua tha. Ander kya tha kuch bhi pata nahi chal raha tha. Bas door ke ander muskil se door se 1se 2 feet ki duri hi dikhayi de rahi thi. Jo ki bilkul khali thi.
Tap... Tap... Tap...
Raid team ka leader bina kisi dar ke aaram se samne ki taraf dekhte hue ander jane lagta hai. Aur jaise hi wo door ke ander apne pair rakhta hai.
DING....
[ Ek aisa Person jiske paas key nahi hai wo Tample me enter hua hai. ]
[ Entry ki permission nahi hai.]
SWOSSSSSS.....
JHUPP....
BOOMMMMM......
Aur leader ke ek kadam aur ander pair rakhte hi door ki rakhwali kar rahe dono side ke bade bade stone ke guards me se right side wala stone statue turant hi apne sword ko puri takat se Leader ke taraf ghuma deta hai.
Lakin isase phle ki wo Attack leader ko lag pata mai turant full speed me move ho kar leader ko uske gale se pakad kar ekdam se piche door ke bahar kich lata hu.
Sword jamin se takra kar waha par ek bahut bada crack bana deti hai. Aur wo stone ka bada Statue jhukne ke karan bahar se aa rahi light me dikhne lagta hai jo ki apne red color ki glow hoti aakho ke sath apna sir ghuma kar bahar kahde sare hunturs ko dekh raha hota hai.
Fir agle hi second wo statue wapas se apne phle wali position me aa jata hai.
Mai, leader ki taraf dekhte hue " Ye DENGEON aisi hi chijo se bhara pada hai. "
" Ab batao kya tum abhi bhi iske ander jana cahte ho ? "
Ye sun kar wo leader jo ki ab thak bahut jyada dara hua aur shocked me tha. Turant hi apni gardan naa me hilane lagta hai. Uska haal is time bahut bura tha puri body pasine se bhigi hui thi. Aakhir aisa ho bhi kyu na wo maut ko bas kuch Centimetres se chhu kar jo aaya tha.
Aur ye haal sirf uska hi nahi balki baki ke pure Assault team ka tha.
Mai " Dhyan se meri baat suno. "
" Please is DENGEON me se abhi nikal jao. Aur ja kar Huntur Association ko contact karo. "
" Unse kahna ki ek double Gate appear hua hai. "
Tap... Tap... Tap...
Itna kah kar mai santi se apne paint ke dono pocket me apne hath dale Gaye ke ander chala jata hu. Aur bahar khade sare Assault team wale muh fade bas mere ko hi ander jate dekh rahe hote hai.
DING....
[ Key rakhne wala ek person Tample me enter kiya hai. ]
BAAMMM.....
Mere door ke ander jate hi door bahut hi jor se band ho jata hai. Aur assault team ke sare members kuch der kud ko control karne ke baad turant hi feel speed me DENGEON se bahar nikalne lagte hai.
Buzz.... Buzz.... Buzz....
Wahi mere ander aate hi door ke band hone ke agle hi second pure room me charo diwal par lagi hui badi badi masale apne aap jalne lagti hai. Aur uske baad mujhe waha sub kuch last time ki hi tarah bilkul same dikhayi deta hai. Circle ke size me bana hua ek bahut bada room. Jiske charo kafi sare almost 50 feet ke stone ke bane hue Statue. Her ek ke hath me alag weapon ya musical instruments the.
Aur in sub ke alawa room ke bikul centre me ek bahut badi chair jiske upar 200+ feet ka ek bahut bada stone ka Statue baitha hua tha. Jo ki in sub ka king laha raha tha. Ye sub kuch, sari chije bikul last time ki hi tarah same thi.
YE SUB KUCH YAHI SE START HUA THA.
Mai sb chije bade dhyan se dekhte hue bikul calm way me chlte hue aage ja raha tha aur kahta hu " Ek baar fir se. "
" Mai pratibandhit chijo ko break karte hue yaha aa gaya hu. "
( Apne man me ) ' Lakin is baar ye alag hai. '
' Mai apne bones me ye sub kuch feel kar skta hu. '
( Diwar ke sath lage hue sare Statue ko dekhte hue ) " Ye Statuse na to monstars hai na hi living beings. "
" Ye sub kisi chij ya kisi ke hatho ki kewal kathputaliya hai. "
" Lakin is room me bhara hua Magic kewal ek hi source se hi emits ho raha hai. "
" Tum iske ture source ho. "
Ye sub kahte hue mai ek Statue ke paas aa kar ruk jata hu. Aur apni glow hoti aakho ke sath usko ektak dekhte hue kahta hu " Kya tum kuch bhi nahi kahoge ? "
" Mere hisab se wo past time jo sub kuch hua tha wo tmne hi kiya tha. "
Ye sub mai kisi aur Statuse se nahi balki us Statuse se kah raha tha jiske back par angle wings the. Aur usne apne dono hatho se ek bada sa slab pakda hua tha. Jiske upar wo rule likhe hue the. Jisko follow karke mai last time end tak bacha rah paya tha.
Jab mai ye sub kah raha hota hu to us huddi wera kiye hue Statue me koi motion nahi hota hai. Uska face bhi andhera hone ke karan nahi dikhayi deta hai. Lakin kuch mere bolne ke kuch der baad hi us Statue ke dark face me se mujhe do aakhe aur ek muh dikhayi deta hai. Uski aakhe bahut hi jyada glow kr rahi thim aur uske face par ek bahut hi badi si smile thi jisase uske pure daat saaf saaf dekhe ja skte the.
Statue bahut badi smile krte hue " Kam se kam, tum yaha tak itni dur to aa gaye. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice upate broUPDATE NO - 125
DOUBLE DENGEON
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Yuri Orlove S Rank Gate ko clear krne ke liye bahut paise mangata hai sath hi mai SHORTSWORD GUILD ke S Rank hunturs ki bejatti bhi karta hai. Wahi mai apne ghar se naikal kar Kavya ke College jata hu jaha par wapas se ek C Rank DENGEON open hua tha. Fir mai Association ke logo ko bata kar Gate ke ander chala jata hu jaha par Assault team Tample ka gate open krne ki kosis kar rahe hote hai. Fir mai Black key ke help se Door ko open krke ander chala jata hu.
AB AAGE.......
SHINJUKU AIRPORT , TOKYO
JAPAN
Japan me ijis citybme S Rank Gate open hua tha. Waha ke Airport par ek privet plan land karta hai. Aur us plan se Yuri Orlove smile krte hue bahar nikalta hai.
Jaise hi wo Airport se bahar aata hai waise hi Reporters ki bhid use gher kar khadi ho jati hai.
FLASH.... FLASH....
Aur sare Cameraman uski live coverage ya photo lene me jut jate hai.
" Ye to Yuri Orlove hai. "
" Please idhar dekhiye. "
Ye dekh kr Yuri Orlove smile krte hue apna hath hilane lagta hai.
Ek Reporter apne Mike ko aage karte hue " Yuri Orlove, Aapne Gate ko block karne ke liye kya plan banaya hai ? "
Yuri Orlove smile kr sath " Mai jaise hmesa kaam karta hu thik waise hi is baar bhi is Gate ko block karunga. "
" Mai Gate ke charo taraf ek magic circle draw karunga. "
" Fir uske ander power dalunga, aur bas ho gaya. "
" Itna karne ke baad Gate ke ander jo kuch bhi hoga wo sub bahar nahi nikal payenge. "
Ek dusra Reporter " Aap kahna cahte hai ki, aap ek S Rank Gate ko kud ke dam par akele hi block kar denge ? "
" Kya aap hmare un citizens ke liye kuch kahna cahenge jinhe aapki abilities par yakin nahi hai ?
Yuri Orlove smile ke sath " Agar mai barrier ko banaye rakhne ke liye sirf apne magic ka use kru, to ye kar pana bilkul impossible hai. ".
" Halaki, meri abilities barrier ko apne surrounding se magic absorb karne ki permission to deti hai. Jisase barrier aur bhi jyada stabilize hota hai. "
" Lakin agar ek large amount me Mana crystal ko Gate ke charo taraf rakh diya jaye to Magic circle, Mana crystal se hi magic absorb karegi. "
" Ye bilkul kisi engine ko start krne jaisa hai. "
" Ek baar bas barrier activat ho gaya, Ye magic absorb karna start kar dega, sath hi me aur bhi jyada strong barrier ke roop me transform ho jayega. "
" Mai sabhi logo ko bacha lunga. "
" Tum logo ko. Bas ek hi chij yaad rakhni hai, aur wo ye hai ki Tum logo ko kisne bachaya ! "
Yuri Orlove ka ye live interview TV par pure world me dikhaya ja raha tha. Quoi S Rank Gate ek bahut badi baat hoti hai. Aaj ke time me.
Huntur Association ke Building me Chairman Xabhi ke cabin me sofe par baithe wo samne lage LED TV screen par chal rahi ye news dekh kr kahte hai " Hummm.... "
" Mai nahi janta hu ki Yuri Orlove ye S Rank Gate block kar payega ya nahi.... "
" Lakin mai itna to jarur janta hu ki agar Yuri Orlove is Gate ko block kr pane me fail hua to iske kya consequence honge. "
Fir piche khade Anurag ki taraf dekhte hue wo kahte hai " Waise Huntur Rider aaj kal kya kar raha hai ? "
Anurag ek file apne hath me le kar use Xbahi ko dete hau " Wo aaj kal Delhi NCR ke Gates ko clear karne me laga hua hai. "
" Is file me jaha jaha check mark laga hua hai. Waha par Raid karne ke liye Aarohan Guild ne Rights mange hai. "
Xabhi file dekhte hue shocked ke sath " Ye... Ye sari jagah par ? "
Anurag " Quki ye sub jagah White Tiger, Hunturs aur Reaper Guild ke sath overlap ho rahi hai. "
" Isi liye hum apni puri kosis kar rahe hai ki in logo ke bich koi conflicts paida na hone paye. "
Ye sun kar Xabhi apni aakhe bnd krke kuch sochte hue smile krte hai aur kahte hai " Ek small Guild, jisme kewal ek Person hai jise hum Huntur keh skte hai. Wo bade Guild's ke sath fight kar raha hai. "
" Ye soch kar hi mujhe hasi aa rahi hai. "
Anurag " Meri soch bhi bilkul aapke hi jaisi hai. "
Xabhi " Aarohan Guild walo ko ye sub area hi kyu cahiye Raid ke liye, kya iske bare me unhone koi explanation nahi diya hai ? "
Anurag " kisi reason se sirf ek week ke liye unhen sirf paas ke hi Gate Rais karne ke liye cahiye. "
Xabhi sochte hue " Hmmm.... Agar sirf yahi reason hai tab to thik hai. "
TRINN.... TRINN....
Tabhi Anurag ka phone ring hone lagta hai. Aur wo Xabhi se kahta hai " Ek call aayi hai... "
" Kya mai 2 min le skta hu taki mai ye call utha saku ? "
Xabhi khade hote hue " Utha lo. "
" Meri ek appointment hai. To mujhe jana hoga. "
Anurag jukh kar respect dete hue " Thik hai sir. "
Tap... Tap... Tap...
TUDD....
Fir Xabhi apne cabin se nikal kar bahar chale jate hai aur waha bas Anurag hu rah jata hai.
Uske baad Anurag call ko receive karta hai " Mai Chief Anurag bol raha hu. "
Dusri side se " Cheif, hme ek khabar mili hai. Mere khyal se aapko ja kar waha check Krna cahiye is bare me. "
" Aapko wo College yaad hai jaha se High orcs bahar nikle the ? "
Anurag " Kyu waha kya ho gaya fir se ? "
Dusri side se " Abhi tk to aisa hi lagta hai ki kuch bhi serious nahi hua hai. Lakin College ke gate ke ander hi.... Hme double DENGEON mila hai. "
Anurag shocked ke sath " Double DENGEON ?! "
Dusri side se " Aur wo.... "
Anurag jaldi se " Ab is baar kya hua ? "
Dusari side se " Huntur Rider double DENGEON ke ander enter kar chuka hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE DOUBLE DENGEON
RUMBLE.... RUMBLE....
Double DENGEON ke ander mai us Wings wale Statue ke samne khada tha ki achanak se wo statue shake karne lagta hai. Aur agle hi pal us statue ke back par lage hue wings pure open ho jate hai. Uske back par 2-4 nahi pure 6 wings lage hue the. Aur wo sare wings open ho kar hawa me Statue ko fly krwate hue bahut hi supreme look show kr rahe the.
CRACK....
Abhi baat yahi par khtam nahi hota hai. Hawa me hi fly karte hue wo Statue apne hatho me pakde hue us bade se stone jis par wo instruction likhe hue the, par apni power ka use karte hue aur wo stone chote chote tukdo me tut kar floor par girne lagta hai.
Statue smile ke sath " To tum finally yaha aa hi gaye. "
Mai ye sub dekhte hue bina dare santi se uske samne khada apne man me sochta hu ' Wo stone ka slab, kya usne use bas aise hi tod diya ? '
( Statue se ) " Jo us ston par jo bhi rules likha hua tha un sub ka suru se hi koi Matlb ya kahe to koi value nahi tha. "
Statue smile krte hue " Iska Matlb tha. "
" lakin ab iski koi jarurt nahi hai. "
Mai " tmne hi mujhe yaha bulaya hai na ? "
Statue ek evil smile ke sath " Ha !! "
Mai cold tone ke sath uski glow hoti red aakho me dekhte hue " Kya tum ek monstar ho ? "
CLAP... CLAP... CLAP...
Statue taliya bajate hue " Tum galat swal puch rahe ho. "
" Tumhe ye nahi puchna cahiye ki mai kon hu ? "
" Balki tmhe puchna cahiye ki tum kya ho ? "
" Ab, ye tmhara final test hai. "
" Agar ye test khtam hone ke baad bhi tum apne pairo par khade rah paye, tab mai tumhe sub kuch bataunga. "
" Ye tumhara Reward hoga is test ka, jo mai tumhe test paas karne ke baad dunga. "
RUMBLE.... RUMBLE....
TAP... TAP... TAP...
Ye sub kahte hue wo Statue apne hatho se 3 times clap karta hai. Uske ye karte hi room me diwar se sat kar khade sare Statue bhi shake krne lagte hai. Aur agle hi pal un sub ki bhi band hui aakhe open ho jati hai. Aur wo red color ki glow hone lagti hai. Fir wo sare Statue mere taraf aane lagte hai.
Ye dekh kr mai jo ki apne paint me santi se dono hath dale khada tha, turant hi kehta hu " ARISE.... "
WHOOSH......
Aur mere itna kahte hi mere shadow me se bahut teji se bahut jyada black color ki energy nikalne lagti hai.
Click....
Lakin isase phle ki mere Shadow Soldiers ban pate wo Wings wale Statue ne apne right hath se ek jor ki cutki baja di. Jisase ki wo sari energy wapas se mere ander sama jati hai.
Statue ek evil smile ke sath " Hmare paas wo options nahi hai. "
" Aakhirkar ye final test jo hai. "
Uske itna kahte hi mere mind me turant hi notification aata hai....
DING.....
[ Class Specific skills, band ho gayi hai Final test ke liye. ]
[ Kisi bhi medicines and store ke sare items ka use final test ke liye nahi kar skte hai. Level up hone per milne wala status recovery effects aur Quest Bonuses ye sub bhi bann hai.]
Statue " Mai sirf tmhe test Krna cahta hu. "
" Mujhe tmhare servents ki ability dekhne me bikul bhi interest nahi hai. "
Ye sub dekh aur sun kar mujhe bahut hi bada jhatka lagta hai aur mere muh se bas itna hi nikal pata hai " Kya ? "
Tabhi ek aur notification aata hai mujhe ....
DING....
[ Aap is final test ke end hone se phle yaha se bahar nahi ja skte hai. ]
TAP... TAP... TAP...
Sare Statue ab tak mere paas lagbhag phuch hi cuke the. Sbke hath me unke alag alag weapons the. Unhone mujhe charo taraf se ghera hua tha.
Mai sbko dekhte hue kahta hu " To ye aise hone wala hai ? "
" Kon jata tha ki maine aaj tak jitne bhi hidden Trump Card maine banaye hai. Wo sare aise moment par bilkul hi bekar ho jayenge. "
SWING.....
Tabhi ek statue mere upar apni badi si sword se attack kar deta hai. Aur mai uski taraf bikul dhyan se dekhte hue apne man me sochta hu ' Mai abhi bhi apne inventory ko access kar skta hu. '
' To fir.... mujhe in sub ko sirf apne Strength ke dam par hi harana hoga ! '
SWOOSH....
CLANG.....
BAAM....
SMASH.....
Itna sochte hue hi mai turant hi us Statue ke ke bade se Sword ko side hote hue apne dono hatho se pakd leta hu. Aur agle hi pal apne right hath se mai ek jor ka mukka us sword ke upar marta hu jisase wo sword bich se tut kar uske upar ka pointed part mere hath me rah jata hai.
SWOSS..... GHUUP.....
Jump.... CRACK....
THUDDD.....
Aur mai bina wakt barbad kiye turant hi wo break hue sword ko usi Statue ke sir ko aim karte hue jor se fek deta hu. Aur wo break hue sword ka part ja kar sidhe us Statue ke sir me pura ander ghus jata hai. Ye dekh kr wo status apne hath ko upar utha kar apne sir se wo sword nikalne hi jata hai ki mai apni jagah se turant hi jump karke sidhe us Statue ke muh me ghuse us sword par land karta hu. Aur wo break hua sword us statue ke muh me pura ander tak ghus jata hai. Aur wo Status wahi niche jamin par girne lagta hai.
SWING.....
WHOOSH....
Jump....
GHUUP..... CRACK.... CRACK....
Ye dekh kr uske badal me hi khada ek dusra Statue apne hath me pakde hue ek bade se 6 feet ke axe se mere upar Attack kar deta hai. Ye dekh kr mai turant hi apne dono hath me dagger ko bula kar apne Dagger se us axe ko bich se 2 parts me divide kr deta hu. Aur fir mai phle wale statue ke sir hawa me ek lung jump maarke sidhe dusre wale statue ke sir ke upar land karta hu. Aur apne dono hatho me pakde hue dagger ko uske sir ke piche pura ghusa kar upar ki taraf khichte hue uske sir me do bahut bade bade mark bana deta hu.
WHOOSH.... CLANG....
Tabhi mere right side se ek statue apne hath me pakde hue bow aur Arrow se mere taraf aim karte hue ek Arrow mere upar launch kar deta hai. Jo lightning speed se mere taraf aane lagti hai. Lakin mai bhi turant hi piche ki taraf bend hote hue apne hath hath ko utha kar apne dagger se us Arrow ko 2 parts me divide kar deta hu. Jisase Arrow ke aage ka part ghum kar usi Statue ke Direction me ho jata hai.
TAP... KICK...
BAAM.... CRACK... CRACK...
Aur mai ye chance dekh kr mai turant hi jump laga kar hawa me hi abhi ghum rahe us Arrow ke aage ke part ko apne right pair se ek powerful kick marta hu. Jisase wo arrow phle se bhi speed me sidhe ja kar Arrow chalane wale statue ke muh me lagta hai. Aur is powerful Attack se uska pura muh hi chote chote tukdo me pura tut jata hai.
Isi taraf sare Statues ko apne full speed me marte hue mai apne man me sochta hu ' Sahi baat hai, mai is moment ka kab se wait kar raha tha. '
' Mai isi moment ke liye hi to ab tak jinda tha. '
Yahi sub sochte hue mai ek ke baad ek bahut teji se Statues ko khtam karne me laga hua tha.
Wahi hum sub se dur hawa me upar fly kr raha wo wings wala Statue ye sub dekh kr smile krte hue kahta hai " Human body ke sath itni dur tak aana..... "
" To ye such hai... "
" Tum bahut ache se grown hue ho. "
CLANG... CLANG... CLANG...
Wahi mai niche sbse fight krte hue apne man me sochta hu ' Is baar Last time ki tarah nahi ho raha hai. Mai is baar in sbke movements dekh skta hu. '
' Ye sare strong hai. Lakin mai ye kar skta hu. '
Aur yahi sb sochte hue mai aur bhi jyada speed aur power se sare Statue se fight krne lagta hu.
Upar hawa se ye sub dekh kr wo Wings wala Statue apne dono hatho ko cross karke smile krte hue kahta hai " Tum such me amazing ho. "
" Halaki, abhi bhi itni jldi is test ko khtam karna jaldbaji hogi. "
CLAP.... CLAP....
RUMBLE.... RUMBLE....
Aur ye kah kar wo Wings wala Statue wapas se ek baar apne dono hatho se sirf 2 baar clap kar deta hai.
Aur agle hi second mujhe room ke ek taraf se jamin ke hilne ki aawaje sunayi dene lagti hai.
Aur jaise hi mai us taraf dekhta hu to waha mujhe sbse bada Statue jo ki 500+ feet se bhi bada tha. Wo mujhe apne chair se khada hota dikhayi deta hai.
DHUMM......
Aur agle hi pal wo apne dono pairo par khada ho jata hai. Aur uske muh ke bagal me hi wo Wings wala Statue santi se hawa me khada mujhe hi ek evile smile ke sath dekh raha tha. Ye sare statue us bade wale Statue ke sirf ek finger ke hi size ke the. Wo bada wala statue mujhe hi apni red glow hoti aakho ke sath ek badi si smile krte hue dekh raha tha.
Wings wala Statue evile smile ke sath " Ab Bhagwan ki prathna karne ka time aa gaya hai. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Waaah mayltleb system ke Suchii bhair.aa rhii haUPDATE NO - 126
I'M SYSTEM CREATOR
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mai double DENGEON ke ander sare Statue. Logo se fight krne me laga hua tha. Aur bahuto ko mai khtam bhi kar deta hu. Tabhi wo Wings wala Statue, sbse bade Statue ko isara karke usme jaan daal deta hai. Aur sbse bada Statue mujhe marne ke liye aage badh jata hai.
Wahi Yuri Orlove Japan me reposts ke samne show off kr raha hota hai aur Huntur Association ke Office me Xabhi mere bare me baat kar rahe hote hai fir Anurag ko ek call aata hai aur use pata chalta hai ki Kavya ke College me double DENGEON open hua hai.
AB AAGE......
HUNTUR ASSOCIATION BUILDING
Huntur Association Building ke ek small meeting room me is time kuch bade log present the.
Jinme se do log us room ke center me charo taraf lage hue sofe par aamne samne baithe hue the.
Ye dono log aur koi nhi Chairman Xabhi aur Japanese Huntur Association ke Chairman Matsumoto Shigeo the. Xabhi ke piche jaha unke hi Guild ka ek member khada tha jo ki Actual me translater ka kaam karne aaya tha. Wahi Matsumoto Shigeo ke piche Hanekawa khadi thi. Aur wo bhi yaha translation ka kaam karne aayi thi.
Matsumoto Shigeo bich me rakhi ek table par ek paper rakh kar use Xabhi ki taraf badhate hue kahta hai " Ye ek contract hai jisme likha hai ki hum log JEJU island me mile hue ek bhi Magical Cores ka use nahi karenge. "
Xabhi wo contract ke paper dekhte hue " Aur Wo kyu ? "
Matsumoto Shigeo " Iski jagah par hum Huntur Rider ko apne yaha hire karna cahte hai. "
Hahahaha....
Jaise hi Xabhi ke piche khada indian Association ka translater ye baat translate karke kahta hai Xabhi ye sun kar smile kiye bina nahi rah pate hai " Ye bahut badi saram ki baat hai, ki wo Huntur Association ka part nahi hai. "
Ye sun kar Matsumoto Shigeo, Xabhi ko dekhte hue kahta hai " Mai samajh skta hu. Halaki mai ye bhi janta hu jab tak ki koi Indian association ke through usase contact na kare koi usase baat nahi kar skta hai. "
" Hum ye nahi kah rahe hai ki aap usase hmare liye puche. "
" Hum bas uske sath negotiation karne ka ek chance maang rahe hai. "
Ye sun kar Xabhi soch me pad jate hai aur apne man me sochte hai ' Ye log sirf is opportunity ke liye itne jyada amount me paiso ko dene ko ready hai. '
' Ryuji Koto ke jane ke sath hi,in logo ke paas ab S Rank gate ko block karne ki power nahi bachi hai. '
' Agar huntur Rider ke potential ke bare me socha jaye to ye koi bura offer nahi hai. '
Hmmm.....
Fir kuch der sochne ke baad Xabhi japanese language me kahte hai " Chlo is bare me bina kisi ke aur ke dakhalandaji ke baat karte hai. "
Xabhi ke muh se Japanese sun kar room me present tino log shocked ho jate hai. Aur sbse jyada shocked Matsumoto Shigeo hota hai.
Matsumoto Shigeo shocked ke sath Sabhi ko dekhte hue kahta hai " Tum... Tum japanese jante ho ? "
Xabhi niche table ko dekhte hue Japanese me hi " Jab mai chota tha tab Mere Pita ji ek small business chlate the waha. "
Uske baad Hanekawa aur wo Indian male translater dono ko wo dono room ke bara bhej dete hai aur wo dono santi se bahar ja kar door Close kar dete hai. Aur door ke hi dono side me wo dono santi se khade ho jate hai agla koi order milne tak.
Xabhi " Association ke president Matsumoto Shigeo. "
" Agar tum koi bekar ki trick use krne ke bare me soch rahe ho to yahi sbse acha hoga ki tum abhi ye sub karna band kr do. "
Matsumoto Shigeo apne samne rakhe kuch papers ko dekhte hue " Tum kya kahna cahte ho ? "
Xabhi " Aisi afwah sunane ko mili hai ki SHORTSWORD GUILD tmhare sath ab apna relationship khtam kar chuki hai. "
Ye sun kar Matsumoto Shigeo ko gussa aa jata hai jaise uski chori pakdi gayi ho aur wo gusse me khade ho kar jor se kahta hai " Tumhe kaise pata... ? "
Xabhi santi se Matsumoto Shigeo ko dekhte hue " SHORTSWORD GUILD ne Japanese Huntur Association se support fund lena ban kar diya hai aur uski jagah wo govt. Ki subsidy lene lage hai, ye janane ke baad Jo maine kaha wo sochna kisi bache ke liye bhi bahut aasan hoga. "
" Agar such kahe to, SHORTSWORD GUILD Japanese Huntur Association ke hath aur pair jaise tha. "
" Ryuji Koto ke influence ke sath S Rank hunturs ko apni taraf karna bahut aasan tha. Lakin Ryuji Koto ke ab na rahne par ye bahut hi jyada muskil ho gaya hai. "
" Jab se SHORTSWORD GUILD apne top position se gira hai, tab se Japan ke dusre Guild's aaps me power ke liye fight Krna start kr cuke hai. Aur Association ab isko aur jyada sambhal nahi pa raha hai. "
" Jo maine kaha wo sahi hai ki nahi ? "
( Itna kahne ke baad Xabhi kuch der rukte hai aur fir aage kahte hai ) " Agar ye Gate block nahi ho paya to, sari responsibilty..... "
" Huntur Association president Matsumoto Shigeo sari responsibilty aapke shoulders par aa jayegi. "
" Tmhare intensions halat the. Lakin koto Japanese Country ko represent kar raha tha. "
Fir Xabhi ek tape recorder samne table par rakhte hai, Aur aage kahte hai " SHORTSWORD GUILD aur Koto ki life dono ke loss ki responsibilty... "
" ############### "
" Aur aise bekar ke trick use krne ki responsibilty. "
Ye sub sun kar Matsumoto Shigeo ke hose ud cuke the, aur tap recorder dekh kr wo haklate hue kahta hai " Ye.. ye... Kya hai ? "
Xabhi " Ye Japanese transceiver se mila hua ek black box hai. "
" Ye Koto ke team ka hai. "
( Gusse se cold tone me hote hue Xabhi, Matsumoto Shigeo ko ghurte hue apni glow hoti hui aakho ke sath kahte hai ) " Tumhe kya lagta hai, mai nahi janta hu ? "
" JEJU island me mile hue Magic Cores ke sath kya karna cahiye iske bare me baat karna thik nahi hai. "
" Quki ye kisko belong karte hai ye puchne ki baat to bikul bhi nahi hai. "
" Agar ye baat bahar release ho jaye to tumhe nahi lagta hai ki Tumhare yaha ke citizens sirf jyada se jyada blam tumhare upar hi lagayenge ? "
Ye sab sun kar jaha Matsumoto Shigeo ke body se fully A.C. room hote hue pasine nikalne lagte hai sath hi me uske face ki hawayiya udati hi ja rahi thi.
CRUNCH.... BAAM...
Aur fir Xabhi ka gussa itna jyada badh jata hai ki wo Apne hath me pakda hua wo tape recorder ko itna jor se bhichte hai ki wo bahut buri tarah chote chote tukdo me tut jata hai. Aur sirf itna hi nahi wo apne hath ko gusse se table par de marte hai aur bich me rakha hua table buri tarah se tut kar wahi jamin par gir jata hai.
Ye dekh kr Matsumoto Shigeo ki fat jati hai aur wo bahut buri tarah se darte hue Xabhi ki taraf dekhne lagta hai.
Xabhi " Halaki, ye itni bhi strange baat nahi hai ki tumne aise bure kaam kiye hai. "
" Ek Person ke trick ke karan, ek country nahi.... "
" Pura Asia crisis ka sikar nahi ho skta hai. "
" Tmhe to Huntur Rider ka Sukriya karna cahiye. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE DOUBLE DENGEON
TAP... TAP... TAP...
SWOSS... BAAM...
Wahi Double DENGEON ke ander sare Statues mere taraf aa kar attack karne me lage hue the. Aur mai sare Statues ko attack se bachate hue unhe marne me laga hua tha.
Mai sare statue ko marte hue apne man me kahta hu ' In Statues ka koi ant nahi hai. '
Ye sochte hue mai piche mud kr dekhta hu to sbse piche mujhe sbse bada wala Statue apni glow hoti aakho ke sath meri taraf aata hua dikhayi deta hai, aur use dekhte hue mai turant apne man me kahta hu ' Ise dodge karne ka ab time nikal chuka hai. '
' to ab.... '
BUZZZZ.....
Aur mai turant hi apne hath me pakde hue dagger ko wapas se inventory me rakh kr turant hi apne right hath ko aage karke kahta hu " DOMINATOR'S TOUCH. "
SWOOSH....
BUZZZZZZ....
Aur mere itna kahte hi mere samne khade 2 Statue turant hi hawa me utha jate hai. Aur wo bada Statue apne dono aakho se mere taraf fire se attack kr deta hai. Jo ki sidhe mere taraf aata hai lakin mai phle se hawa me uthaye hue un dono Statue ko bich me la deta hu. Lakin wo dono statue fire ke attack me aate hi force se niche aane lagte hai. Lakin mai bhi apni puri strength laga deta hu unhe control karne me.
DING....
[ SKILL : DOMINATOR'S TOUCH apne final form tak upgrade ho gaya hai, RULERS'S AUTHORITY. ]
Lakin itna kuch karne ke baad bhi wo dono statue is fire Attack ko khel nahi pate hai aur jal kr dust me convert ho jate hai. Ye sub kuch sirf 5 second ke Time ke ander hi hua tha.
Jaise hi wo dono Statue khtam hote hai. Waise hi fire sidhe mere taraf aa jata hai. Lakin mai turant hi apni jagah se aage ki taraf bhag jata hu. Jisase wakt rahte mai is attack se bach jata hu.
Mai is attack se bachate hue apne man me kahta hu ' Ye to such me bahut hi khtarnak hai. Yaha tak ki mere current strength ke sath bhi, is attack ko direct apne upar lena mere liye bahut hi khtarnak sabit ho skta hai. '
Fir big Statue ke fire Attack ke khtam hone ke baad mai uske taraf dekhte hue apne man me kahta hu ' Mujhe sbse phle ise hi khtam karna hoga. '
CRUNCH.....
RUN.....
SMASH..... BAAMMM....
Uske baad mai apne pairo par jor dete hue full speed me jaha khada tha waha se us big Statue ki taraf bhagne lagta hu. Meri speed itni jyada thi is time ki mai jaha khada tha waha ki jamin me crack aa cuke the.
Big Statue bhi mere taraf hi dekh raha tha. Jaise hi wo mujhe kud ki taraf aate hue dekhta hai wo turant hi apne right pair ko utha kar mere upar rakh deta hai. Jisase uske pairo ke weight aur force me karan big Statue ke puro ke niche ki jamin bahut buri tarah tut jati hai, aur waha par 2 feet ka uske pair ke size ka gaddha ban jata hai. Aur charo taraf dul ma ek gubbar ban jata hai.
Ye dekh kr Big Statue smile krke apne daat dikhane lagta hai. Lakin tabhi waha ki sari dhul dhire dhire saaf hone lagti hai. Jiske baad big Statue ko niche ek purple color ki light shine hote hue dikhayi deti hai. Ye dekh kr Big Statue ki aakhe shocked se badi ho jati hai.
Jump... WHOOSH....
Aur Big Statue ke aage kuch karne se phle wo light jo ki mai tha. Turant hi waha se ek high jump laga deta hu. Aur mai teji se big Statue ke sir ki taraf aane lagta hu. Is time hum dono ek dusre ko hi dekh rahe hote hai.
Tabhi Big Statue ki aakhe wapas se glow krne lagti hai aur ye dekh kr mai turant hi kud se kahta hu ' Ek aur beam ! '
Mai turant hi apne right hath ko aage karte hue Dominator's Touch skill ko use karte hue aur speed se upar ki taraf jane lagta hu aur fir kud se kahta hu ' Agar jis speed se wo Wings wala Statue isko control kar raha hai, mai uske speed se bhi jyada teji se kaam karu to, mai is tarike se ek blind spot create kar skta hu. '
Aur mai jo ki ek sidhi line me Big Statue ke face ki taraf ja raha tha, mujhe jaise hi lagta hai ki ab uske eye se fire beam niklne wali hai. Mai turant hi apne raste se mud kar big Statue ke hatho ke paas aa jata hum aur turant hi uske shoulder tak phuch jata hu.
BUZZZZZZ....
Aur agle hi pal Big Statue ke dono eye se mere purane raste ki traf fire beam shoot ho jata hai. Lakin quki mai phle hi side hat cuka tha mujhe kuch bhi nahi hota hai.
Wahi mai apni skills ke bare me sochte hue sochta hu ' Ye power, bhle hi ye bahut kam hai lakin mai ise feel kr skta hu. '
' Mere khyal se jab mai apne skills ko use karta hu to mai normal se kai time jyada teji se grow krta hu. '
Mai jo ki ab big Statue ke face ke paas pahuch cuka tha aur apne dono hatho me Dagger pakde hue khada tha Big Statue ko hi ghur raha tha. Wahi Big Statue bhi apni gardan ghuma kar mujhe hi dekh raha hota hai.
Mai " One Thousand Cuts. "
SLASHHH.... SLASHHH....
Aur mere itna kahte hi big Statue ke face par mere dagger se uncountable cuts ban jate hai.
Ye dekh kr mai thoda shocked hote hue apne man me sochta hu ' Mai un sare Statues ko maar skta hu. Lakin is Big Statue par mai kewal scratch hi bana pa paya. '
Wahi Big Statue mere taraf dekh kr ek evil smile karta hai jaise wo mujhe chida raha ho.
Ye dekh kar mujhe gussa aata hai aur mai apne man me kahta hu ' Agar mai is tarike se isko nahi hara sakta hu to, mujhe koi dusra tarika try Krna hoga. '
JUMP.....
Fir mai apne jagah se jump laga kar Big Statue ke face ki taraf jate hue kud se kahta hu ' Mujhe bas cracks ka dhyan rakhna hoga. '
BISOOM...
BAAM.....
Aur bas itna sochte hue mai Big Statue ke left gaal ke paas land karta hu. Aur waha par dikh rahe crack ke sahare khada ho kar mai dikh rahe crack ki taraf dekhte hue mai apne right hath se mukka bana kar apni puri strength ke sath ek powerful punch marta hu.
Mai " Break.... "
Aur mere is powerful punch se waha ban bana hua cracks tut jate hai. Big Statue ka muh dard se open ho jata hai. Aur uski gardan ek taraf jhuk jati hai.
Dur se ye sub dekh raha Wings wala Statue smile krte hue kahta hai " To tum mere banaye hue in Statue ke sath aise behave kroge. "
BISOOM..... BAAM....
BISOOM..... BAAM....
Lakin mai bina ruke ek ke baad ek kai sare punch us Big Statue ke muh pr same jagah par marta rahta hu. Jisase wo ladkhadane lagta hai.
Mai jor se " ye sub level 103 par phuchene ka power hai. "
BISOOM.... BAAM....
CRUMBLE.....
BAAMMM.....
Uske baad mai apne hath se ek aur punch marta hu. Jisase wo Big Statue apne jagah se kadkada kar ekdam se niche jamin par gir jata hai. Aur waha room me jaise earth quick aa gaya ho. Jaha wo Big Statue gira tha waha ki puri jamin buri tarah se tut kar andar ko dhas gayi hoti hai.
Fir mai niche jamin par land karta hu. Waha par 3 status phle se hote hai. Jaise hi wo mujhe niche apne samne dekhte hai wo mere taraf Attack kar dete hai. Lakin mai bhi turant apne right hath ko aage karke wapas se DOMINATOR'S TOUCH skill ko activat kar deta hu. Jo ki ab RULAR'S AUTHORITY me convert ho chuka tha.
Mai apne hath ko hawa me upar utha kar jor se niche jhatak deta hu. Jiske karan wo tino status bhi phle upar hawa me jate hai uske baad wo bahut jor se niche jamin par aate hai. Aur uske ander dhas jate hai. Jiske sath hi wo tino Statue ka kaam tamam ho jata hai. Isi tarah mai baki sare Statues ka bhi same yahi haal karta hu. Sbko khtam karne ke baad mai charo taraf dekhte hue apne man me sochta hu ' Mere khyal se is fight ke sath hi mai power ke agle level par phuch chuka hu. '
CLAP... CLAP... CLAP...
Tabhi achanak se mujhe ek taraf se taliyo ko aawaj sunayi deti hai. Mai jab us taraf dekhta hu to mujhe dikhayi deta hai ki, Ye taliya koi aur nahi wo wings wala Statue hi baja raha hota hai.
Wings wala Statue meri taraf dekhte hue taliya baja kar " Increadible. "
Mai, uski taraf dekhte hue " Ab apne promise ko pura karo. "
Hahahaha.....
Ye sun kar wo statue bahut jor jor se hasne lagta hai fir hasne ke baad wo kahta hai " Ye test abhi khtam kaha hua hai. "
" Dekho, mai abhi bhi khada hu. "
" Kya mai tumhe dikh nahi raha hu ? "
Tabhi achanak se mujhe ek notification aata hai.
DING....
[ Ek Emergency Quest suru ho gaya hai. ]
Wings wala Statue apne dono hath filate hue ek smile ke sath " Mai hi final test hu. "
DING...
{ [ Aapki Heartbeat ruk jayegi agar aapne diye hue time ke ander apne enemy ko nahi haraya to. ]
[ Time remaining : 10:00 Min ] }
Mai ye sub dekh kr gusse nd Surprise ke sath Wings wale Statue se puchta hu " Aakhir tum ho kon ? "
[ Time Remaining : 9:58 Min ]
Lakin yaha ek badi hu ajib baat hoti hai. Wings wala Statue jo bhi kahta hai. Wo same chij mera system bhi mujhse kahta hai. Aur wahi notification likh kar mere aakho ke samne dikhayi deta hai.
Wings wala Statue " Maine kaha tha na tumse, ki ye ek silly question hai. "
[ Maine kaha tha na tumse, ki ye ek silly question hai. ]
( Fir kuch sochne ke baad ) " Fine! Mai tmhare question ka jawab dunga. "
[ Fine! Mai tmhare question ka jawab dunga. ]
" Mai ? "
[ Mai ? ]
" Mai is system ka creator hu. "
[ Mai is System ka creator hu.]
" Kya tum mere jawab se santusht ho ? "
[ Kya tum mere jawab se santusht ho ? ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice update broUPDATE NO - 127(A)
Ab tak aapne dekha dosto ki Xabhi se milne Japan se Matsumoto Shigeo aaya hua tha wo usase mil kar Rider ko hire karne ke bare me kahta hai, lakin Xabhi JEJU island me hue uske karnamo ki pole khol kar suna dete hai jisase Matsumoto Shigeo ka hose ud jata hai.
Wahi Double DENGEON ke ander mai sare Status ke sath fight karne me laga hua tha, fir mai big Statue ko bhi khtam kar deta hu. Uske baad wo Wings wala Statue mujhe ek imergency quest deta hai jisme mujhe 10 min ke ander use harana tha.
OUTSIDE THE DOUBLE DENGOUN
Jaise hi Courage Guild ke members Double DENGEON ke Gate se bahar aate hai wo sabhi turant hi DENGEON ke bahar khade Huntur Association ke logo ko iske bare me informed karte hai aur unke ander rahne tak kya hua wo sub babate hai.
Unki sari bate sunane ke baad ab tak is Raid ko seriously na lene wale Association ke log ab is Raid ko bilkul seriously lena suru kr diye the.
Us Chasmis Huntur Association ki member bhi Anurag ko call karke sub ek baar fir se informed kar deti hai.
Kuch hi der baad waha Anurag apne sath Huntur Association ki best team le kar Waha pahuch jata hai.
In sabhi logo ne bahut hi high Quality aur Costly, full body armour wear kiya hua tha.
Anurag yaha aate hi sidhe Gate ki taraf jane lagta hai. Uske piche baki ke Huntur Association ke hunturs bhi usi taraf jane lagte hai.
In logo ko Waha aate hue dekh kar Huntur Association ke phle se waha maujud log unke paas ja kar kahte hai " Monitoring Department Ke Anurag sir is taraf se aayiye. "
Tap... Tap... Tap...
Anurag Gate ki taraf jate hue apne man me sochta hai ' Mai apne sath 7 Elite hunturs ko le kar aaya hu, jo ki is time available the. '
' Lakin..... Mai janta hu ki ye hunturs, huntur Rider ki kisi bhi tarah se help nahi kar skte hai. '
' Ye to yaha bas is liye persent hai ki agar koi problem hui to ye use sambhal sake. '
Itna sochte hue Anurag jaise hi Gate ke paas pahuch kar ander jane ki kosis karta hai use bahut ajib sa feel hota hai jiske karan wo wahi shocked expression ke sath na cahte hue bhi ruk jata hai.
Anurag ke piche Gate ke ander aa rahe baki ke hunturs tabhi kahte hai....
" Chief ? "
" Sir ? "
Jabki Anurag apne man me sochta hai ' Ye kaise ho skta hai.... '
Bina piche mude kahta hai " Kya tum logo ko bhi ye sub feel ho raha hai ? "
Is time Anurag ko aisa feel ho raha tha ki jaise uske piche Yamraj khade hai. Jo ki dikhne me bahut hi khatarnak lag raha tha, bilkul apne name ke anusar Death of God. Usne apne hath me ek bahut hi bada L shape ka ek dhardar weapon pakda hua tha. Jiska nichala sharp sira Anurag ko apne Gale ke paas feel ho raha tha. Use aisa feel ho raha tha ki jaise ki wo bas 1 inch bhi apni gardan ko hilayega to usk gardan cut kar gir jayegi. Ye sub feel karke Anurag ko bahut hi jyada shocked feel hota hai.
Anurag apne man me ' Ye kaisi Cold feeling hai ? '
' Ek bahut hi khatarnak Magical Storm.... '
Ye sub feel karne ke baad Anurag Gate ke ander jane ke bajay kuch kadam piche le leta hai. Aur fir apni gardan ghuma kar piche dekhte hue kahta hai " Kya yaha aas paas koi large Guild kisi Raid ke liye taiyari kar raha hai ? "
Anurag ki baat sun kar Waha phle se khade Huntur Association ke logo me se ek kahta hai " Ha Hunturs Guild yahi paas me ek Raid ke liye aayi hui hai. "
Anurag " Kya usme, unke Guild ke dono S Rank hunturs aaye hue hai ? "
Wo member " Huntur Aayat aur Huntur Anubhav dono hi Is Raid me hissa lene wale hai. "
Ye sun kar Anurag Gate ki taraf dekhte hue kahta hai " jldi se unse contact karke kaho ki ek Emergency Request hai. Kya wo yaha help karne ke liye aa skte hai. "
Apne man me ' Huntur Rider.... Aakhir tum ho kon ? '
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE DENGEON
Double DENGEON ke ander wo Wings wala Statue ab fly karne ki jagah jamin par aa chuka tha.
Jiske baad uske body me kuch changes hote hai. Jinme sabse pahla change ye hota hai ki uske stone face ke left side ka stone tut jata hai. Aur stone ke ander ka uska half face visible ho jata hai.
Jo ki kisi Skelton ki taraf bikul white color ka tha aur left eye change ho kar kisi robot ki tarah ho jata hai. Matlb us Statue ka face ab dekhne par lag raha tha ki kisi 2 alag alag logo ka face ho. Aur uske forehead par bich me shiv ji ki 3rd eye ke jaise kuch glow kar raha tha.
RUMBLE... RUMBLE...
Iske alawa uske back par lage hue 4 Wings bahut fast circle me ghumte hue change ho kar 6 hand me convert ho jate hai. To ab us Statue ke total 8 hand ho jate hai. Ye aisa karne ke baad wo mere samne kuch duri par khada ho kar mujhe smile karte hue ghurne lagta hai. Aur mai bhi santi se apni jagah khada use hi dekhta rahta hu.
DASH....
Fqpair achank se hi wo Statue apni jagah se gayab ho jata hai. Aur agle hi second mere samne aa jata hai. But actually me wo gayab nahi hua tha uski speed hi itni jyada thi ki wo mujhe apni taraf aata hue dikhayi hi nahi diya. Use aise achanak se apne paas dekh kr mai bahut hi shocked hota hu.
BISOOM.... BISOOM....
Aur mere paas aate hi wo ek sath apne left side ke 2 hatho se 2 bahut hi jordar punch mujhe marta hai. Jinhe mai turant hi apne dono hatho ko cross karke rokne ki kosis karta hu. Lakin fir bhi ye punch itna jordar tha ki mai is punch ko rokne me buri tarah fail hota hu. Uska ek punch mere hatho se kafi had tak ruk jata hai. Lakin dusra punch sidhe mere tummy me ja kar lagta hai.
Lakin wo mujhe marne ke baad rukta nahi hai. Balki apne punch ko marne ke baad uske hi flow me mujhe meri jagah se apne punch ke sahare uthaye hue thodi dur le ja kar apne puri strength se mere piche ki taraf fek deta hai.
DHADHAM....
Aahhhh.....
Jiske karan mai sidhe ja piche ki diwar se bahut buri tarah takra jata hu. Wo diwar bahut hi buri tarah tut jati hai. Mere muh se blood ki kuch drop bhi bahar nikal jati hai. Mujhe bahut time ke baad itni katarnak maar padi thi.
BISOOM.....
DHADHAM.....
Abhi mai waha diwar par takra kar apne dard se puri tarah ubhar bhi nahi paya tha ki mai achanak se ek hath apne hi taraf bahut speed se aate hue dekhta hu. Jise dekh kr mai turant hi apne jagah se right side ko move ho jata hu. Lakin jaise hi mai udhar ko hota hu waha bhi wo Statue apne 2 hatho se mere taraf Attack kar deta hai.
BISOOM.... BISOOM....
BISOOM.... BISOOM....
BISOOM.... BISOOM....
Uske baad to mere taraf to wo Statue apne 6 hatho se lagatar bahut speed me smile karte hue attack karne lagta hai.
Lakin kuch hi second me wo jab meri taraf Attack karte hue dekhta hai to use smjh me aata hai ki mai phle jo usase buri tarah pit raha tha wo ab uske speed ko match karte hue uske har ek Attack ko rok raha hota hu.
Hum dono ki glow hoti aakhe attack karte aur rokte hue ek dusre ko hi dekh rahi hoti hai. Antar bas itna hi tha ki jaha mai bikul serious tha wahi wo mujhe evil smile ke sath dekh raha hota hai.
Statue smile karte hue " kya Surprise ki baat hai ! "
" Tum to meri expectations se bhi bahut aage ja chuke ho. "
BISOOM.... BISOOM....
Ahh.... Ahh...
Itna kahne ke baad wo Statue ek bar fir se apni speed ko double kar deta hai. Aur ek ke baad ek lagtar mere muh par kai sare punches jadne lagta hai.
SWOOSH.....
BISOOM.....
SLIDE.....
Lakin mai bhi kuch hi second me jaldi se Us Statue ke attack ke bich se nikalte hue ek taraf ko ho kar Uske muh par apni puri strength ke sath ek punch jad deta hu. Mera punch itna strong tha ki, Jiske karan wo Statue khisakte hue kafi piche jane lagta hai lakin apne hatho ko jor se jamin me gada kar wo kafi dur jane ke baad aakhirkar ruk hi jata hai. Uske baad wo mere taraf dekhte hue kahta hai " Kisne socha tha kisi Humans ke khilaf fight karne me itna maja aayega ? "
" Maine apne pure life me kabhi is baat par yakin nahi kiya tha ek human itna worthy opponent sabit ho skta hai. "
" Kitni maje ki baat hai.... "
Itna kah kar wo apni jagah se mujhe aur bhi jyada evile smile ke sath dekhne lagta hai.
Wahi mai apne jagah par khada ho kar use hi ghur raha hota hu. Is time mera face mere hi blood se half bhiga hua tha.
Mai, Statue ki taraf dekhte hue apne man me ' Jaise hi mai 101 level par pahucha, turant hi isne mujhe yaha invite kar diya. '
' Ye jarur yahi soche baitha hoga ki is level ki strength ke hisab se ye mujhe aasani se hara payega. '
' Lakin mai ye kar skta hu. '
Mai, bikul serious tone me " Architect tumne abhi tak mere ek bhi question ka answer nahi diya hai. "
" Ki ye system ko kyu banaya gaya hai ? "
" Mujhe hi ek player ke roop me kyu select kiya gaya hai ? "
" Is world ka aage kya hoga ? "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice update ha rider na is test ko be pass kaar lea haUPDATE NO - 127(B)
Wo Statue jiska name Architect tha wo meri taraf dekhte hue ek smile ke sath kahta hai " to tum mujhse jawab cahte ho ? "
" Ohhh ab pata chala..... "
" Tum shayad soch rahe hoge ki agar tum mujhe maar doge to tmko tmhare swalo ke jawab nahi milega. "
RUN... RUN...
Itna keh kar wo full speed me bhagte hue mere taraf aane lagta hai.
Aur use yu apni taraf aata hua dekh kr mai apne man me sochta hu ' Ye sare attacks faltu hai iske upar. '
RUN... RUN...
Uske baad mai bhi apni jagah se teji se bhagya hue ek taraf jate hue apne right hand ko architecture ki taraf krke open krte hue apne skill ko on kr deta hu.
Ding...
[ SKILL :- ' Ruler's authority ' Activate ho gaya hai. ]
Mujhe apne is skill ko use karta hua dekh kr architecture kehta hai " Tum mere upar duri se war karna cahte ho ? "
" Ye bilkul bekar hai. "
Itna keh kar uske face par ek evil smile aa jati hai aur wo mere taraf dekhte hue apne right hath ko utha kar meri hi tarah Ruler's authority skill ka use krne lagta hai.
RUMBLE.... RUMBLE....
Hum dono ke power ek dusre se takrate hai. Aur unke takrane se energy ka ek bada sa gola ban jata hai. Aur waha ek bahut bada dhmaka hota hai. Jisase hum dono kuch kadam piche ki taraf khisak jate hai. Aur waha ki jamin buri tarah se tut jati hai.
Mai kud ko rokte hue shocked ke sath apne man me sochta hu ' Ye mere tarah same Skills ko use kr skta hai. '
' Iska matlab dur se attack karna ka bhi koi fayda nahi milega mujhe. '
Wahi architecture meri taraf dekhte hue kahta hai " Isase koi fark nahi padta hai. "
" Cahe tum mujhe maar dalo ya nahi..... "
" Jo jawab tumhe milenge wo phle se hi decided hai. "
SWOSS.... SWIRL....
Ye kehte hue Architecture apne back par lage hue apne sabhi 6 hand ko hawa me upar ki taraf utha kar wapas se Ruler's authority ka use karta hai.
Aur agle hi pal piche distroy ho chuke Status ke niche pade hue weapons fly hote hue ekdam se uske hatho me aa jate hai. Aur uske kud ke 2 hatho me 2 bahut hi sharp sword aa jati hai.
SWOSS..... SWOSS....
Kuch duri par khada mai jab ye sub dekhta hu to mai bhi apne dono hatho me apne dagger ko system se lete hue kahta hu " Tum sub kuch plan kaise kar paye ? "
" Aur aakhir tum mujhe ye sari power kaise de paa rahe ho ? "
Architecture ye sub sun kar smile ke sath meri taraf dekhte hue kehta hai " Maine tmhe choose nahi kiya tha. "
" Balki iska ulta hua tha. "
" Mai bas ek designer hu, is Player leveling system ka. "
" Mera plan perfect tha. "
Jab Architecture ye sub keh raha tha Tabhi meri najar achank se chal rahe emergency Quest ke timing par jati hai.
[ Time remaining : 6:19 ]
Ye dekhte hi mai apne man me kehta hu ' Mere paas jyada time nahi bacha hai. Mere paas directly attack karne ke alawa ab aur koi rasta nahi bacha hai. '
SWOSS.....
Abhi mai ye soch hi raha tha ki Architecture hawa me udte hue sare wapons ke sath mere taraf jump laga deta hai.
Architecture meri taraf aate hue " Chlo bache hue time me apni puri ji jaan laga kar fight karte hai. "
THUDD.... Jump....
Aur uski baat khtam hone tak wo mere par apne sare weapons se attack karte hue kud padta hai. Lakin isase phle ki koi bhi weapon mujhe touch bhi kar pate mai waha se jump laga kar ek taraf ko ho jata hu.
DING... DONG....
DING.... DONG....
aur fir turant hi mai bhi Architecture ke upar jump laga kar usase fight krne lagta hu. Jaha architecture apne 8 hatho me pakde hue weapons se mujhe par attack kar raha tha. Wahi mai apne dono dagger se uske har ek Attack ko puri ji jaan se block karne ki kosis kar raha tha.
Tabhi fight karte hue mujhe kuch feel hota hai. Meri aakho ki brightness aur bhi jyada increas ho jati hai.
Mai apne man me ' Ye kya hai ? '
' Mere senses aur bhi jyada sharp hote ja rahe hai. '
' Mai ye kar skta hu. '
( Architecture ke hath me pande hue sare weapons ) ' Sword, spear, club, hammer, axe. '
' Mai sbko feel kar skta hu. '
SLIDE....
SWOSS... CRACK...
SLIDE.....
Fir Architecture se fight karte hue dhire dhire me uske sare attacks ko aasani se apni taraf aate hue dekh pa raha tha. Jiske baad mai opposite direction me ja kar , ya jujh kar uske Attack se badi aasani se bach ja raha tha. Aur sath hi mai apne dagger se ab usko kafi nuksan bhi pahuncha paa raha tha.
Architecture jab ye sub dekhta hai to wo bahut jyada surprise hote hue apne man me kehta hai ' Iski movement... '
' Ye apne kud ke power se mere attack ko block aur Dodge kar paa raha hai. '
' Aur sath me ye ab phle se bhi tej hota ja raha hai. '
Aisa Architecture ne is liye bola kyuki ab mai uske attack se bachte hue use bahut sare marks de chuka tha. Uska status jagah jagah se kat chuka tha. Wo pura jor laga kar mujhe rokne ki kosis kar raha tha. Lakin mai bina koi chance diye uska haal bigadne me laga hua tha.
SWOSS....
Tabhi ekdam se mai uske ek hath par apne dagger se jor se attack karta hu. Aur uska ek hath puri tarah se kat kar hawa me uadte hue kafi dur ja kar girta hai.
Urghhh....
Architecture dard se karahte hue meri taraf shocked se dekhte hue ekdam se kahta hai " Bhle hi ye ek nakli body hai fir bhi tumne mujhe straggle karne par majbur kar diya hai. "
( Kud ko mere se bachne ke liye piche khisakte hue mujhe gaur se dekhte hue ) " Ab smjh me aaya. "
" Tumhe hi choose kiya gaya. Iske pich ek karan hai. "
" Bhale hi wo bahut thoda sa hai. "
" Lakin tumhare ander wo hai. "
Mai jo ki is time blood se sana hua tha. Mere face me half side blood pura laga hua tha. architecture ki bate sunta hua mai use ghur kar dekhta hu.
Architecture pehli baar gusse me meri taraf dekhte hue chilla kar kehta hai " Tum sirf ek aam, kamjor Human ho. "
" Tumhari himmat kaise hui ? "
DING....
[ Time remaining : 3:45 ]
CRACK.... CRACK....
CRUMBLE....
Mai dekhta hu ki Jin status logo ko mai distroy kar chuka tha. Wo sub ek ek karke wapas se apni jagah par se jagne lagte hai.
[ Time remaining : 3:30 ]
[ Time remaining : 3:20 ]
Aur kuch hi der me sare Statues wapas se khade ho jate hai jinme wo big Statue bhi samil tha. Aur sare mere taraf hi ghur rahe hote hai.
RUN... RUN... Jump....
Mai ye sub dekhte hue gusse se apne daat piste hue full speed me bhag kar un logo ki taraf ek jump laga deta hu.
WOONG....
SLAM....
Aur hawa me hi hote hue mai apni Ruler's authority skill ka use karte hue un sub Statue ke bich apna hath niche ki taraf karte hue kud padta hu.
Jisase waha par mere charo taraf paas ke khade sare Statues bahut hi buri tarah girte hue jamin ke ander kai feet ander dhans jate hai.
[ Time remaining : 3:15 ]
RUN... jump...
BAAM....
Mai bina wakat gawaye wapas se Architecture ki taraf jane lagta hu. Lakin bich me hi us big Statue ka bada sa mukka mere upar aa kar padta hai. Lakin isase phle ki wo punch mujhe lagta, mai waha se architecture ki taraf jump laga cuka tha. Jisase wo punch jamin ko todte hue ander das jata hai. Lakin mujhe kuch nahi hota hai.
DING... DONG....
DING.... DONG....
Wahi mai architecture ke paas pahuchte hi usase wapas se fight start kar deta hu. Hum dono apni puri speed se ji jaan laga kar ek dusre par attack kar rahe the. Lakin is baar scene alag tha. Jaha is baar mai, architecture ke upar attack kar raha tha. Wahi architecture mere attack ko block karne ki kosis kar raha tha.
SWOSS.... DHAMMM....
Is baar fir se apne ek khatarnak attack se mai Architecture ke left ke do hathi ko kaat deta hu. Uske alawa mai uske right hath me pakde hue uske sword ko bhi bich se break kar deta hu.
[ Time remaining : 3:02 ]
SLAM....
Aahhhh......
Lakin isi bich mujhe bhi architecture ke ek weapon ka attack lag jata hai, jisase mai piche ki tarah jane lagta hu. Lakin tabhi mere right solder par kisi ne piche se attack kar diya tha. Jo ki koi aur nahi shield pandne wala Statue tha. Usne apne shield ko sidhe mere solder par pure power se de mara tha. Jisase dard ke mare mere muh se ek karah nikal jati hai.
Mai piche mud kar us Statue ko dekhte hue apne man me ' Ye status ? '
' Acha haa !! Ye to wahi hai.... '
Jab mai piche mud kar use dekhta hu to mujhe last time ki sari baate yaad aa jati hai. Ki isi ne mere leg ko kata tha last time. Aur ye yaad aate hi mere gussa apne charam par chala jata hai.
[ Time remaining : 2:40 ]
Jump... Break....
Aur mai turant hi apne jagah se ek high jump laga kar us Statue ke sir ke upar jata hu aur apne right hath ke kohani ko sidhe uske muh par de karta hu. Jisase us status ka sir 2 parts me divide ho jata hai.
Uske baad mai wahi se piche mud kar architecture ki taraf gusse me dekhta hu. Aur is baar mera ye roop dekh kr dar ke mare architecture ka muh khula ka khula reh jata hai.
[ Time remaining : 2:21 ]
Jump.... SWOSS....
SLASH... BAAM....
CRACK.... CRACK...
Fir bina wakt gawaye mai wahi se jump laga kar architecture ke upar kud padta hum aur is baar ek ek karke mai uske back se nikle sare 6 hath kaat deta hu. Aur use bahut buri tarah marta hu.
Hum dono ke fight ke karan waha dhool ka gubbar ban jata hai. Aur kuch second me jab dool waha se hatati hai to waha ki jamin puri tarah se tut chuki thi.
[ Time remaining : 2:13 ]
Waha par bich me architecture leta hua tha. Mai uske upar khada tha aur Uske gardan par mera dagger rakha hua tha.
Architecture darte hue " Mai haar manta hu. "
" Ye test ab khtam ho gaya hai. "
[ Time remaining : 2:11 ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Bhot he Acha updatw tha maza aya paar kaUPDATE NO - 128
SHADOW MONARCH
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mere aur architecture me bahut hi khatarnak fight hoti hai. Jisme bahut straggle karne ke baad ekdam se meri speed increase ho jati hai. Aur mai Ab architecture par attack karne lagta hu aur wo mere attack ko block karne lagta hai. Ant me mai Emergency Quest ke time ke khtam hone ke 2 min phle hi ye task complete karke Architecture ko hara deta hu.
AB AAGE......
Architecture mere tarah apne right hath ko utha kar index finger se isara karte hue kehta hai " Sare jawab tumhare hi ander hai. "
Mai jiske kapde jagah jagah se fat gaye the aur waha se meri mast body show ho rahi thi ye sun kar, Architecture ki taraf dekhte hue hairani se kehta hu " Mere ander ? "
Ding.....
Aur bas tabhi system se mujhe ek notification milta hai. Jab tak mai wo notification read kar raha hota hu tab tak architecture ek evil smile ke sath meri taraf dekhte hue kehta hai " Mai tmhe choice de raha hu. "
{ [ Aapke memory me jo Data store hai wo recover ho jayegi. ]
[ Kya aap ise accept krte hai ? ] }
Mai system ke is notification ko read krne ke baad apne man me sochta hu ' Data jo phle se meri memory me store hai ? '
Fir kuch second sochne ke baad mai system ke notification ki taraf dekhte hue kahta hu " Ha ! "
" Mai accept karta hu. "
Aur mere itna Bolte hi ek new notification turant hi screen par aa jata hai.
Ding....
[ Data safaltapurvak recover ho gaya hai. ]
PAAATTTT.......
WOONGGGG......
Aur mere accept karte hi Architecture ke body ke ander se ek golden color ki energy nikal kar almost pure chamber ko ak tej sound ke sath cover kar leti h. Uske baad wo Golden light sidhe aa kar mere ander jane lagti hai. Uske baad meri aakhe band ho jati hai. Aur jab meri aakhe wapas se open hoti hai to Mai double DENGEON ke ander na ho kar kud ko ek anjan jagah pata hu.
Meri aatma mere body me is time nahi thi. Meri aatma mere body se nikal kar ek white energy ke form me sky me ek bahut bade maidan me ek hi jagah tiki hui thi. Mere niche ek bahut bada battlefield tha. Jiska koi ant hota hua nahi dikh raha tha. Us maidan ko dono taraf se uche uche pahado ne ghera hua tha.
Us battlefield me is time uncountable tarah tarah ke bade se chote monsters, demon's khade the. Jaha tak dekho bas wahi sare dikhayi de rahe the.
Mai ye sub dekh kar bahut jyada shocked ho jata hu jisase mera muh khula ka khula reh jata haj aur mai fir kud se kehta hu " Oh God ! "
" Yaha par kitne sare monsters log ekatha hue hai. "
Fir wo sare monsters ek sath upar sky ki taraf dekhne lagte hai. Ye dekh kr mai bhi kud se kehte hue apni gardan mod kar upar ki taraf dekhne legta hu " Ye sub aakhir kya dekh rahe hai ? "
Aur jaise hi mai upar sky ki taraf dekhta hu mera muh ek baar fir se khula ka khula reh jata hai.
Quki pure battlefield ke upar sky me kai sare DENGEON ke gate bane hue the. Jo ki kai kilometer me faile pure battlefield ko cover kiye hue the. Sare Gate S Rank ke gate se bhi size mekafi bade the.
Mai ye sub dekhte hue kehta hu " Ek purple sky, jiske sath me countless monsters.... "
" Kya ye place earth nahi hai ? "
( Niche khade monsters ki taraf dhyan se dekhte hue ) " Yaha par bahut se monsters ikatha hue hai Ice Elves, High Orcs, Goblins and Giants. "
" Agar yaha par ikatha ye sare monsters ek sath kisi ek hi Gate se hmare yaha bahar aa jaye to humanity ke bachne ka koi bhi chance nahi hoga. "
" Halanki Fihal ye jin logo ka Saamna kar rahe hai wo koi humans nahi hai. "
CRACK.... CRACK......
SHAA..... SHAAA.....
Tabhi sky me jo Gate bana rehta hai usme crack banane lagta hai. Jaise wo blackhole jaisa gate tutne lagta hai. Aur kuch second me hi to kisi glass ki tarah buri tarah tut jata hai. Aur usme se uncountable humans type ke hi silver armour phne hue log niklne lagte hai. Wo sub dikhne me ek jaise hi the. Aur unhone ak jaise white color ke kpde phne hue the. Unke back par white color ke 2 Wings nikle hue the. Jiske madad se wo fly kar rahe the. Aur apne hath me un sub ne weapons pakda hua tha.
Wo sare log gate se nikal kar sky me hi ek army ke tarah fly karte hue niche khade monsters ko dekhne lagte hai.
Mai ye sub dekh kr kehta hu " Ab is point ke baad yaha jo kuch bhi hoga. "
" Bahut hi jaldi mujhe is baat ka pata chal jayega. "
POOOO..........
Uske baad wo fly karne wale logo me se kuch log koi bhopu jaisi chij se war ka bigul funk dete hai. Aisa lag raha tha jaise wo war ki ghosna kar rahe ho.
Ji ha dosto ye ek WAR hi tha. Jisme sare Monsters ne apne strength ko ek sath milaya hue tha. Taki wo Silver soldiers ke khilaf ye War me fight kar paye.
Uske baad dono logo me ek bahut hi khatarnak fight start ho jata hai. Silver Soldiers aur monsters dono log ek dusre ke jitna jyada ho sake logo ko marne me lage hue the. Dono taraf se koi bhi rukne ka name hi nahi le raha tha.
Har taraf bas weapons ke ek dusre se takrane ki aur armours ke break hone ki hi aawaje sunayi de rahi thi.
Lakin silver Soldiers, monsters logo par bhari pad rahe the. Jitne ki udghoshna karne wale monsters logo ki aawaje bahut jldi hi pain se bhari chikh nd pukar me badal gayi. Aur sath hi ground ka color change ho kar red hone laga tha.
Silver Soldiers monsters ki tulna me kafi strong the.
Jab monsters logo ke bikul khtam hone ki naubat aa gayi thi.
Jit ki taraf badh rahe silver Soldiers jo unstoppable lag rahe the. Wo ek ke baad ek rukna start hone lagte hai.
TAP... TAP... TAP....
Quki tab is sbse bade War me me entry hoti hai ek person ki. Jo ki ek ghode par baith ke battlefield me aaram se aata hai. Uski skin purple color ki thi. Usne black color ke kpde aur pure body par silver armour pehna hua tha. Usne back par ek rob bhi wear kiya hua tha. Jo ki black color ka hi tha. Uske kapde jagah jagah fate hue the. Jaise usne wo kapde kai salon se pehna ho.
Uske sath hi uska ghoda bhi bahut khatarnak lag raha tha. Jo ki bilkul black color ka tha. Aur uski red color ki 4 aakhe thi. Uske ghode se bhi magical energy nikal rahi thi. Sath me Uske pure body se bhi Energy nikal rahi thi. Aur battlefield me aate hi wo sirf ek hi chij kehta hai....
" ARISE.... "
Use dekhte hi mai ekdam se chauk jata hu lakin sath me mai andaja lagane lagta hu ki wo kon hai.
SHAAA...........
Uske ye kehte hai waha battlefield me uske body se nikal kar bahut sari black energy pure battlefield me fail jati hai. Aur uske baad kuch second me hi pure battlefield me black color ki Energy hi har jagah dikhne lagti hai. Aur agle hi pal mare hue sare Monsters log shadow me convert ho kar wapas se jinda hone lagte hai.
OOOH..... OOOH.....
Sare Monsters jinda hone ke baad Khushi aur gusse se bahut jor jor se chilla kar silver Soldiers ko lalkarne lagte hai. Jabki wo aaram se apne ghode par swar apne shadow army ke bich chalta hua aage jata rehta hai.
Mai ye sub dekh kr " Ye to.... "
" Monarch's territory aur Shadow Extraction hai. "
" Iska matlab ki... "
" Ye SHADOW MONARCH hai ? "
IMMORTAL....
Ji ha dosto ye kuch aur nahi IMMORTAL ARMY hi thi.
In Monsters ki sacrifice inke death ke sath hi khtam nhi hoti hai. Ab inka blood dark power me convert ho gaya tha jisase ab inke paas nyi power aa gyi thi.
Mai upar se jb itne sare Shadow soldiers ko dekhta hu to mai bhi hakka bakka reh jata hu mere muh se bas itna hi nikalta hai " Ye to ek incredible number hai. "
" Mai to isase kud ki tulna karne ke bare me soch bhi nahi skta hu. "
Ek baar fir se sare Monsters log mauth se laut aate hai aur silver Soldiers ke upar ek naye jose ke sath dhawa bol dete hai.
Silver Soldiers nd Monsters logo ki army aaps me ek dusre ko harane me lagi hui thi.
Is baar to Monsters log aur bhi jyada nidar ho kar fight kar rahe hote hai. Jisake chalte Silver soldiers ka marna kafi teji se start ho jata hai.
Ek baar fir se pure battlefield me chikh pukar ki aawaje sunayi dene lagti hai. Aur Shadow Monarch ke lead me ek flag hawa me lahrane agta hai.
Aakhir ek tarfa massacre to ek pura war to nahi keh skte hai na. Aur sirf ek bande ki upasthit se War ka pura naksha hi badal gaya.
SWING....
MWAHAHAHA.....
SLICE.... SLICE.....
Ye sub dekh kr sare silver Soldiers Shadow Monarch ko gher kar uske upar attack kar dete hai. Jiske jawab me Shadow Monarch apni long sward nikal kar sirf ek hi baad use ghumata hai.
Ye dekh kr uska ghoda bhi bahut jor se hinhinata hai. Aur us ek attack se na jane kitne silver Soldiers tukdo me kat kar sky se jamin par girne lagte hai.
TAP... TAP... TAP....
SHOOO.....
CLENCH.....
Fir Shadow Monarch ka ghoda speed me aage ki taraf jane lagta hai. Jispar baitha hua Shadow Monarch apne right hath ko samne krte hue ruler's Athourity skill ka use kar deta hai. Jiske karan samne sky me sthit bahut sare silver Soldiers bahut jyada force ke karan hawa Me hi blast ho jate hai.
Mai ye dekh kr kehta hu " The Ruler's authority skill. "
" Iske Skill ke power ki to mai kud ke skill ke power se kar bhi nahi skta hu. "
Isi tarah Shadow Monarch ke lead me immortal army apna kehar jari rakhti hai. Jisase har taraf sirf tabahi hi tabahi mach rahi hoti hai. Aur ye sub tab tak chalta hai jab tak ki enemy log ginti me bahut kam nahi ho jate hai.
Shadow Monarch jaha se bhi gujarat tha waha uske jane ke baad bas laso ka dher, tabahi hi machi hui dikhti thi.
Wo ise Monsters aur shadow soldiers ke jit ke roop me dekh raha tha.
Jab tak ki wo log waha nahi aa jate hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
OUTSIDE OF DOUBLE DENGEON GATE
Huntur Association ke request par Hunturs Guild ki Team A help karne ke liye yaha aa cuki thi. Jinke sath mil kar Huntur Association ke hunturs Is DOUBLE DENGEON ke gate se hote hue is Room ke gate ke bahar tak pahuch chuke the. Jinme Anubhav, Aayat, Xabhi aur sabhi top class huntur the.
Anubhav Gate ke bahar khada ho kar door ko dekhte hue Xabhi se puchta hai " Kya tmhe is bare me pakka pata hai ? "
" Yaha par jo magic Power hai wo bahut hi incredible hai. "
" Tumne kaha tha ki Huntur Rider yaha ander gaya tha ? "
Xabhi bhi door ki taraf dekhte hue kehta hai " Ha ! Mujhe pura yakin hai. "
Wahi Anubhav ke bagal me halka sa piche kahdi Aayat ne jab door ke ander se aati hui magical energy ko feel kiya to wo kud se man me kehti hai ' Ye power to..... Huntur Rider ki hai hi nahi. '
' To aakhir itna powerfull is duniya me aur kon ho skta hai ? '
Xabhi ki baat sunane ke baad Anubhav kehta hai " Ye ek Double DENGEON hai....aur mujhe ander ja kar dekhna hai ki ye afwahen sahi hai ya nahi. "
" Quki mujhe bhi Huntur Rider ka ek favour utarna hai. To mai ander jarur jaunga. "
TAP... TAP... TAP...
Itna keh kar Anubhav door ko open krne ke liye aage badhne lagta hai. Wahi Xabhi uske aur mere bich hui kafi phle hui ek mulakat ki baat yaad karne lagta hai ' Huntur Rider ne to dawa kiya tha ki Double DENGEON ko clear karne wala person wo nahi tha. '
' To aakhir wo yaha wapas se kyu aaya hai ? '
' Kam se kam usne ye baat aise hi majak me to bikul nahi kahi thi. '
CREAAKKKK..........
Aur apne power ke use se Anubhav band hue us door ko open kr deta hai. Aur jaise hi wo ander ka scene dekhta hai uski aakhe fati ki fati reh jati hai wo ekdam shocked hote hue kehta hai " Kya..... ? "
" Ye sub kya hai ? "
" Ye kon si jagah hai ? "
Yahi haal baki sub hunters ka bhi hota hai. Quki room ke ander unhe almost sare jagah tute hue Statues dikhayi dete hai. Jinme wo big Statue bhi samil tha. Aur sath hi me room ke ander ka pura floor barbad ho chuka tha. Koi bhi jagah sahi nahi bachi thi.
Xabhi ander ka najara dekhte hue shocked ke sath " To... To ye sub such me yaha hai. "
" Stone ke status such me yaha hai. "
Ye sub dekhte hue wo sub log room ke ander aa jate hai. Aur apni fati hui aakho se sub kuch dekh hi rahe hote hai ki unhen ek taraf se achanak se ek aawaj sunayi deti hai.
" Ye sub kya hai ? "
" Mujhe to nahi yaad ki maine yaha Humans ko invite kiya tha. "
" Ahhh..... To ye ak aur external affairs ka matter hai. "
Ye aawaj kisi aur ki nahi Architecture ki hi thi. Yaha in sub ko aaya hua dekh kr phle to wo thoda shocked hota hai. Lakin agle hi pal wo ek evil smile ke sath sare hunturs ko dekhne lagta hai.
Wahi sare hunturs jab architecture ki aawaj sunte hai to sub achanak aayi hui is aawaj se ekdam se chauk jate hai. Aur jldi se aawaj ki directon me dekhte hai. Tab waha unhen ek bahut bada Statue dikhayi deta hai. Jo tuta futa hua tha. Lakin wo unki tarf dekh ke evil smile kar raha tha.
Ye sub kuch dekh kr wo sub bahut shocked ho jate hai. Aur architecture ki taraf dekhte hue kehte hai....
" Ye Monster to baat kar raha hai ?"
" Yaha sirf mai hi to eklauta nhi hu na jo ye sub kuch sun raha hu, hai na ? "
" Ye Monster human language smjh skta hai ? "
Architecture ek evil smile ke sath apne ek finger se sbko chup rehne ka ishara karte hue " Hush.... "
" Ab jabki tum sub ne king ke slumber ko disturb karne ki kosis ki hai. "
Sare hunturs ek sath confusion se " King ? "
Tabhi abki najar Architecture ke piche khade mujh par jati hai. Jaha mai ek hi jagah par bina hile dule santi se khada tha. Meri aakhe bahut hi jyada glow kar rahi thi. Sare hunturs mujhe aise dekh kr bahut jyada shocked hote hai. Unhe smjh me nahi aata hai ki mujhe ho kya gaya hai.
Tabhi ek A Rank huntur meri taraf dekhte hue kehta hai " Huntur Rider..... Wo aakhir waha kar kya raha hai ? "
SWOSS......
Lakin tabhi architecture apne jagah se light ke speed me move hota hai. Aur sath hi me wo apne right hath me pkde hue sword se ek Attack kar deta hai. Jisase samne khade 3 A Rank hunturs ki body palak jhapkate hi 2 parts me divide ho jati hai.
Ye sub itna jldi hui ki Anubhav aur Aayat ko bhi react karne ka bilkul bhi mauka nahi mila.
Architecture is attack ke baar sare hunturs ke piche pahuch jata hai aur piche mud kar abki dekhte hue wo kehta hai " Strong Humans. "
" Tmhe King ke slumber ko disturb karne ki ab kimat chukani hogi. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice update maza aya paar kaUPDATE NO - 129(A)
TRY TO WAKE UP RIDER
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Architecture mere ander phle se hi store sare memory ko recover kar deta hai. Jisase mai ek alag hi jagah pahuch jata hu. Jaha Monsters aur Silver soldiers ke bich fight hoti hai. Jisme Monsters haar jate hai. Tabhi waha Shadow Monarch ki entry hoti hai aur wo apne Immortal army ki help se sare silver Soldiers ko bahut buri tarah hara deta hai.
Wahi Huntur Guild ke help ke sath Anurag bhi yaha aa pahuchta hai. Jaha unki mulakat Architecture se hoti hai aur fir architecture apne ek hi attack se 3 A Rank hunturs ko maar girata hai.
AB AAGE.......
BUZZZZZ..... BUZZZZZ.....
War ke baad Shadow Monarch ek jagah santi se khada tha ki tabhi mujhe ek taraf se bahut jor ki aawaj sunayi deti hai.
Aawaj sun kar mai turant hi apni gardan ghuma kar us taraf dekhta hu.
Jaise hi mai waha dekhta hu mujhe waha 2 bahut bade bade portal khulte hue dikhayi dete hai. Shadow Monarch kr samne jo portal open ho raha tha uska color redtha. Aur uske side me jo portal open ho raha tha uska color purple tha.
CRACK.... CRACK....
TAP... TAP... TAP...
Uske baad red wala portal crack ke sound ke sath open ho jata hai aur uske ander se countless demon's apne ek hath me apne clan ka flag liye. And dusre hath me weapon liye bahar nikalne lagte hai.
Bas kuch hi der me ek person ke lead me hajaro ki tadad me demon's portal se bahar aa jate hai.
Mai un demon's ke hath me pakde hue flag ko dekhte hue kud se kehta hu " Ricardo, Faetos, Rokan, Ingress...... Aur Radis Clan jaha Esil rehti thi. "
" Ye sare Clan yaha kya kar rahe hai ? "
CRACK..... RUMBLE..... SLAM.....
Jab sare demon's portal se bahar aa jate hai. Tab ek bahut bada jabda portal se bahar aata hai jo ki ek bahut bade wolf ka tha. jiska size 800-1000 meter hota hai. Wo ek white wolf tha. Jiski aakhe blood red thi. Wo portal se bahar aate hi shadow Monarch ki taraf ghur ke dekhte hue gurata hai.
Us white wolf ke chlne se hi uske pairo ke niche ki jamin buri tarah se tutne ke sath earthquake ki tarah hil rahi thi. White wolf ke aane se sare demon's bhi jhose me aa kar chillane lagte hai.
SHAAA.....
GRRR.....
Jabki unka leader jiske do bahut hi bade aur lambi singh the. Aur usne apne pure body par armour pehna hua tha. Wo Shadow Monarch ki taraf dekh kr ek lambhi saas chorta hai.
Ye dekh kr Wo white wolf aur karib aa kar ab aur bhi jyada khatarnak tarike se gurrane lagata hai.
SHAA....
Jabki in sub se kuch hi duri par apne ghode par baitha hua Shadow Monarch bde dhyan se ye sub dekh raha hota hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INSIDE THE DOUBLE DENGOUN
Double DENGEON ke ander Architecture sare hunturs logo ke sath khelne me laga hua tha. Jiske karan kai A Rank hunturs bahut buri tarah injured ho gaye the.
Ye dekh kr In sub ka leader Anubhav jldi se kehta hai " He... Heal karo jldi se ise. "
" Sare log apne pure strength ko ikatha karo. "
" Injured logo ko piche ki taraf move kro. "
Ye sun kar sare hunturs log turant hi kaam me lag jate hai. Wo injured logo ko jldi se front line se hata kar piche move kr dete hai jaha Healers phle hi unka wait kar rahe hote hai.
Ek Healer, ek injured hue huntur ko heal krte hue kahta hai " Shiva hum abhi tmhe heal krne ka rahe hai. To please kud ko sambhalne ki kosis karna. "
TAP... TAP.... TAP....
Tab tak koi huntur chilla kar kehta hai " Dusman karib aata ja raha hai. "
Ye sun kr jinka dhyan samne nahi tha wo sub apne chro taraf dekhne lagte hai to unhen sare tute fute Statues apne hi taraf aate hue dikhayi dete hai.
Big Statue bhi unke samne ab apne pairo par wapas se khada ho kar apni gardan jukha kar un sub ko hi dekh raha hota hai. Aur architecture bhi big Statue ke aage khada ho kar un logo ki taraf dekhte hue ek smile ke sath kahta hai " Mai tum sub logo ko ek chance deta hu ek glorious King ke janam ko dekhne ka. "
" Uske liye tm sub ko mere sare puppets logo ko distroy karna hoga. "
" Tab tak tum logo me se jo koi bhi jonda rahega wo ye mahan scene deakh payega. "
WHIR.....
Architecture itna kehta hai ki tabhi Anubhav dekhta hai ki wo big Statue in logo ki taraf dekhte hue ek smile ke sath ek aankh marta hai. Aur uske baad uski aakhe bahut hi jyada glow karne lagti hai.
Ye dekh kr Anubhav turant hi chilla kar kehta hai " Sare log bacho.... "
PEW....
Aur Anubhav ke itna kehne tak hi ki deri me wo big Statue apne dono aakho se fire laser ke form me niche khade sare hunturs ki taraf ek smile ke sath shoot kar deta hai.
BOOM... BOOM... BOOM....
Tap... Tap... Tap...
Isase bachne ke liye turant hi Anubhav aur baki ke hunturs apne jagah se ek taraf ko bhagte ya jump laga dete hai. Jisase sare hunturs kudkismati se bach jate hai.
Lakin us big Statue ka wo fire lasers jamin me jaha bhi hit karta hai wo ache khase area ko buri tarah se distroy kr deta hai. Aur waha ek bahut bada gaddha bana deta hai.
PAAT....
CRASH....
Anubhav bina wakt gawaye turant hi aage safe jagah par aa kar big Statue ke muh ke taraf apne right hath ko ghumate hue ek fire spell bol deta hai. Jiske karan uske hathon se ek khatarnak fire ki layer nikal kar sidhe big Statue ke face par lag jati hai. Jisase uska dhyan disturb ho jata hai. Aur uske aakho se fire nikalna band ho jati hai.
Anubhav fir turant hi sare hunturs ko kehta hai " jab tak ye distract hai. Tab tak jitne ho sake itne Statues ko distroy kar do. "
Anubhav ke itna kehte hai sare hunturs turant hi Statues logo se fight krne me lag jate hai. Jiske karan ek khatarnak fight start ho jati hai.
WHOOSH.....
BAAMM.....
Anurag bhi is mauke ka fayda utha kar apne jagah se jump laga kar ek statu ke sir par pahuch jata hai. Aur apne right hath ke se ek jordar punch uske muh par de marta hai.
Lakin ye kya punch marne ke baad jab wo apna sir utha kar us Statue ko dekhta hai to wo shocked reh jata hai. Quki us punch se status ko jara si bhi khroch nahi aati hai.
Anurag apne man me ' Maine jitna socha tha ye usase bhi jyada strong nikla. '
BOOM.....
Abhi Anurag ye soch hi raha tha ki use kuch feel hota hai aur wo turant hi us Statue ke upar se jump laga deta hai.
Darasal jab Anubhav dekhta hai ki Anurag ke puch se Statue ke upar koi fark nahi padta hai to wo turant hi ek powerfull fire Attack us status ke face ki taraf cast kar deta hai. Jiske karan uske face par ek bada sa dhmaka hota hai. Aur anurag bhi wakt rahte waha se hat gaya hota hai.
Anubhav " Ye sale kamine, inka Physical resistance normal nahi hai. "
" Sare log dhyan se. "
Lakin ye kya jab kuch der baad us status ke face ke paas se sara duwa hatata hai to sb dekhte hai ki uska face abhi bhi sahi salamat hai. Aur wo Anubhav ko hi ghur raha hota hai. Ye dekh kr Anubhav shocked ke sath apne man me sochta hai ' Itna jyada magical power bhi inke liye kafi nahi hai ? '
' Kya inke paas magical resistance bhi hai, kya ? '
Baki sare hunturs log bhi apne apne best skill ke sath in sub status ke sath fight krne me lage hue the.
Aman ek status ke sath fight krte hue Aayat se kahta hai " Vice Guild Master, meri Taunt ability inke upar kaam nahi kar rahi hai ! "
Aayat bhi Statues logo se fight karte hue reply deti hai " Ye sub meri bhi lower level skills ke ability ke sath move nahi ho rahe hai. "
Anubhav bhi fight krte hue ye sari bate dhyan de raha tha. Ye sub sun kar wo paresan hote hue apne daato ko jor se piste hue kud se kehta hai ' Dhat teri ki ! '
' Kya such me aur koi tarika nahi hai ? '
Itna soch kar wo idhar udhar pure room me charo taraf dekhne lagta hai. Aur achanyse uski najar Mere upar parti hai.
Anubhav, mujhe dekh kr apne man me sochta hai ' To ab aakhir me baat yahi par aa gayi hai. '
' Hme Rider ko hose me lana hi hoga. '
' Kya ye kisi spell ke control me hai ? '
Itna soch kar Anubhav mere taraf apne fire magic se ek Attack kar deta hai. Jo ki uske hatho se nikal kar bahut tej speed me mere taraf aane lagta hai.
Anubhav apne man me ' Mai sahi se nahi janta ki kya hoga. Lakin is time sirf yahi ek tarika hai jiske help se mai use jaga skta hu. '
BANG....
Lakin isase phle ki wo fire Attack mujhe lagta, Architecture na jane kaha se akdam se bich me aa jata hai. Aur apne dono hatho ki help se wo Attack mujhe lagne se rok deta hai.
WHOOSH....
Aur bina samay diye wo turant hi Anubhav ki taraf Attack krne ke liye aate hue kehta hai " Tumne king ke Slumber ko disturb karne ki kosis ki ? "
FLY..... SLAM....
Lakin isase phle ki wo Anubhav tak phuch pata, Anubhav ke piche se Anurag aur 2 A Rank hunturs tino ek sath mil kar architecture ko dhakka dete hue piche ki taraf dhkelte hue le jate hai.
Anurag ye sub krte hue Aayat ki taraf dekhte hue jor se chilla kar kehta hai " Huntur Aayat hum in sub ko dekhte hai. Aap jldi se ja kar please huntur Rider ko jagane ki kosis kijiye. "
Aayat, Anurag ki baat sun kar meri taraf full speed me bahgte hue kehti hai " Thik hai. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Bhot he acha update ab rider ko apne Suchii pata laaag gai haUPDATE NO - 129(B)
SHADOW MONARCH RIDER
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise waha portal open hota hai aur waha Demon's logo ki ek bahut badi army Shadow Monarch me samne aa kar khadi ho jati hai. Wahi DENGEON ke ander Architecture aur Baki ke Statue log sare hunturs ko marne me lage hue the. Aakhir me koi aur rasta na hone par sub mujhe jagane ka sochte hai. Aur Aayat jagane ke liye full speed me mere taraf aane lagti hai.
AB AAGE.....
Mai apne yado me is time dekh pa raha tha ki Shadow Monarch, demon's aur Beasts ke samane apni Immortal army ko bula leta hai. Uske baad dono army me bahut hi khatarnak war start ho jata hai. Har taraf demon's, beasts aur shadow ek dusre ko khtam karne me lage hue the. Dono hi army pure josh ke sath fight karne me lage hue the. Koi kisi se haar manane ko taiyar nahi tha.
Demon's to mar hi rahe the. Immortal army ke shadow bhi, in powerful demon's aur Beasts ke samne kafi teji se distroy ho rahe the. Parantu jaise hi wo shadow distroy hota wo wapas se regenerat ho jate the.
Ye dekh kr mai kud se kehta hu " Itni jyada sankhya me aur is tarah distroy hone ke baad bhi shadows kitni jaldi wapas se regenerat ho ja rahe hai. "
" Agar Iski jagah mai hota to mai itne jyada magic Power ke consumption se hi kab ka mar jata. "
" Mai to bata bhi nahi skta ki aakhir in sub ke liye kitni jyada power ki jarurt padti hogi. "
Un dono portal se jo bhi demon's clan aur Beasts bahar aaye the. Wo sub shadow soldiers ko bina 1 bhi second soche bas marne me lage hue the.
Mai " Agar yahi war Monsters aur Silver soldiers ke bich hoti to unhe fight krne ke liye kisi reason ki jarurat nahi hoti. "
" To fir Shadow army, monsters ke side nahi hai kya ? "
" Agar ye baat nahi hai to fir.... "
" Internal conflicts ? "
Aur ye baat smjh me aate hi mai bahut jyada shocked ho jata hu. Meri aakhe badi badi ho jati hai.
Ab mujhe pura mamla smjh me aa jata hai ki Monsters log hai to ek hi side. Lakin in logo me aaps me manmutav bhi hai.
Kuch hi der me sare shadow soldiers mil kar sare Demon's aur Beasts ko maar dalte hai. Ek baar fir se pure field me laso ka dher lag jata hai.
Demon's ka leader ek bade se chattan ke sahare khali hath apna sir jhukaye, baitha hua tha. Uski ek aakh fut cuki thi.
TAP... TAP... TAP....
Aur uske samne se Shadow Monarch aaram se chalta hua aa rha tha.
Shadow Monarch, Demon's ke leader ko dekhte hue kehta hai " Hum aaj fight ko khtam kar skte the. "
" Tumne mere sath vishvaasaghaat kyu kiya ? "
Ye sun kar demon's ka leader jo ki is time khoon se sana hua tha wo Shadow Monarch ki taraf dekhte hue ek smile ke sath kehta hai " Kya bakwas kar rahe ho. "
" Mai tumhe aaj khtam kar skta tha. "
Shadow Monarch gusse ke sath demon's leader ko dekhte hue " Maine pucha kyu ? "
Hahahaha....
Ye sun kar demon leader jor se hasne lagta hai aur Shadow Monarch ki aaakho me dekhte hue kehta hai " Hu.... Maja aa gaya. "
" Such me aaj to maja aa gaya. "
Ye sub dekh kr Sandow Monarch ko bahut jyada gussa aata hai. Aur wo apne left hath ko aage badha kar demon's ke leader ko uske gale se pakad kar upar hawa me utha leta hai.
CRACK.....
Lakin demon's leader abhi bhi kuch nahi batata hai. Ye dekh kar Shadow Monarch apne hath ko uske gale par tight karta jata hai. Aur kuch hi second me wo itna tight ho jata hai ki uske muh se ekdam se khoon ki ulti hone lagti hai.
Isase phle ki wo marta meri najar uske aakho par padti hai. Jo mujhe jaani pehchani lagti hai " Ye aakhe.... "
" Maine inhe kaha dekha hai.... "
TUMP....
Tabhi maine apne hatheli ko open kr deta hu Aur demon's leader niche apne ghutno par gir jata hai.
Aur mai apne kapte hatho se, apne hatho ko badha kar demon's leader ke muh par laga hua mask pakd kar nikal deta hai.
TUMP....
TUMP...
Aisa karte hue meri dil ki dhadkan bahut teji se dhadak raha tha. Aur jab mai Demon's leader ke face ko dekhta hu to mai ekdam shocked ho jata hu.
Mai use dekhte hue apne man me shocked ke sath ' Demon's logo ka King Baran ? '
' Aakhir ye yaha..... '
Tabhi mujhe achanak se yaad aata hai. Mai King Baran ko aise kaise apne samne dekh pa raha hu.
TUMP....
TUMP....
TUMP....
Mere dil ki dhadkan ek baar fir se kafi speed se bhagne lagti hai. Aur mai apne dono hatho ko samne krke dekhta hu to mujhe Shadow Monarch ke hath dikhayi dete hai.
Ji ha dosto shadow Monarch ki body me is time koi aur nahi mai hi tha.
Pata nahi kab mai sky se gayab ho kar ekdam se shadow Monarch ke body me aa jata hu. Is time shadow Monarch ke face ka mask hat gaya tha. Aur mere face dikhayi de raha tha.
Mai ye sub dekh kr shocked ke sath sochta hu ' Huh ? '
' kaise... Maine ab tak ye notice kyu nahi kiya ? '
TUMP.... TUMP.... TUMP....
Ab mera dhyan mere dil ke dhadkane ke upar bhi jata hai. Jo ki left se nahi balki mere right side se aa raha tha.
Mai apne left hath se apne right chest ke upar hath rakh kar check karta hu to ha such me wo aawaj wahi se aa rahi hoti hai. Aur jab mai apni aakhe band krke apne magic se apne ander jhak kar dekhta hu to mujhe jo dikhta hai wo dekh kr mai bahut jyada surprise hota hu.
Darasal mere sine ke ander left side mera dil to rehta hi hai. Mere sine me right side me ek extra dil rehta hai. Jo ki pure black color ka tha. Aur uske ander se purple color ki magic waves nikal rahi thi.
SWOSS....
Aur agle hi pal mere body par se Shadow Monarch ka pehna hue sare armour hawa me gayab hone lagte hai. Aur mai apne aap ko bikul usi huliye me pata hu jaise double DENGEON me is time me tha.
SHWAAA......
Tabhi mujhe apne piche se bahut sari aawaje sunayi deti hai aur mai apna sir ghuma kar upar sky ki taraf dekhta hu to mujhe wapas se silver Soldiers niche aate hue dikhayi dete hai. Jo ki phle se bhi jyada powerfull lag rahe the.
Tabhi mere mind me ek notification aata hai.
Ding....
[ Data recovery finish hk cuka hai. ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!