UPDATE NO - 148(B) post kar diya hai dosto.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
Read nd enjoy it.
Nd aaj ab tak ke comments ka aaj reply mil jayega.
Chlo os na apny choty bhai ka ea os ka pita ke help kaar he deUPDATE NO - 139
HAPPY BIRTHDAY SHUBHAM
AB AAGE......
Cristopher ye sun kar turnt apne hath me pakdi hui tea ke cup ko niche table par wapas rakhte hue santi se kehta hai " Lady Selner, aapne mere liye jo kuch bhi Kiya hi mai uske liye tahe dil se aapka sukragujar hu. "
" Lakin hum fir bhi ab tak ek dusre ke itne close nahi hue hi ki hum log ek dusre ke sath aise faltu ke majk kar sake. "
( Lady Selner ki taraf apni glow hoti eye ke sath dekhte hue ekdam serious tone me ) " Aakhir aisa kon hi jo mujhe marn cahta hai ? "
Ye sun kar Lady Selner santi se apni aakhe close karte hue kehti hai " Haal hi me maine, tmhare bare me ek dream dekha tha. "
Cristopher ye sun kar santi se kehta hai " Dekhiye, Lady Selner.... "
Lakin lady Selner, Cristopher ki baat ko najarandaj karke aage kehti hai " Mere us dream me tum Aadmiyo ke ek group se charo taraf se ghire hue the, jo ki.... "
Lakin Cristopher bhi gusse me chillate hue aage aur sune bine jor se kehta hai " Aap dono itni dur fly krke bas mujhe ye faltu ki bate batane ke liye aaye hai, quki aapko ek dream aaya tha. "
" Mai jnta hu awakened hone se phle aap kya karti thi. "
" Aisa kaha jat hai ki aapke paas ye jo unique ability hai, jo ki kisi dusre awakened me nahi payi jati wo isiliye hi kyuki aap ek Psychic thi. "
Ye sun kar Lady Selner na cahte hue bhi kuch nhi keh pati hai. Unko ye sun kar thodi thes bhi pahuchti hai.
Lekin Cristopher thi nhi rukata wo aage kehta hai " Mai ek National Authority Rank huntur hu. "
" Mujhe koi nahi maar skta hai. "
Lakin lady Selner fir bhi himmat juta kar ek baar fir se kehti hai " Mere dream me... "
Ye sun kar Cristopher pareshan ho jata hai, aur frustrated hote hue kehta hai " Fir se wo sala dream..... "
Lakin wo in dono logo ki respect bhi karta hai aur use lady Selner ka nature bhi ache se pat hai. Ki wo Jo batana chati hai jb tak wo bata nhi lengi wo manengi nhi. isiliye na chte hue bhi wo kud ko sant karte hue kehta hai " Thik hai.chlo maan liya aapki baat such hi lady Selner. Mi aapki baat par yakin karte hu. "
" Lakin mujhe ab ye batayiye ki aisi situation me, mai aakhir kisase help mangu ? "
" Aap kehna cahti hai ki aisa koi is duniya me hai, jo mujhe, ek National Authority Rank huntur ko protect kar skta hai ? "
" Aisa karne wala koi kabhi ho hi nahi skta hai. "
Lady Selner kuch second saant rahne ke baad kehti hai " Aisa koi hai jo tmhari help kar skta hai. "
" Hunter Rider . wo tmhe protact kar skta hai. "
Ye sunte hi Cristopher kafi shocked ho jata hai aur wo lady Selner ki taraf badi badi aako ke sath dekhte hue kud se kehta hai " Rider... "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
JAPAN
Ssssssssssss.....
Ssssssssssss.......
Mai, Japan me appear hue S Rank Gate se bahar niklte hue apne man me sochta hu ' Mujhe King ko marn pada. '
' Ye ek sahi kadam tha. '
' Uski Strength kafi jyada thi, jo ki gaur karne layak thi, quki wo tab special chains se sealed tha. '
' Agar mai use puri tarah se free kar deta aur use duniya me bahar aane deta jaisa ki uski ichaa thi to ........ '
' bhagwaan ka shukar hai ki ye sub hone se phle hi mine wo dekh liya. '
Fir mai double DENGEON me dekhe gaye us bade se wolf aur silver army ke logo ko yaad krte hue kud se kehta hu ' Mujhe abhi aur bhi jyada strong bnane ki jarurat hai. '
Giants ke puri tarah se safaya ho gaya hai ye news puri duniya me bhut teji se failne lagi.
Social media par to log is news se pagal ho gaye the. Aur sare log bas yahi keh rahe the ki ek naya National Authority Rank huntur aa gaya hai.
Is Raid aur Jeju Island ke Raid me kya difference hai iske bare me sirf Indians hi nahi baat kar rahe the.
Wo Giant jo ki sea ke traf se travel karte hue ja raha tha, use China ke Liu Zhigang ne sambhal liya tha.
Liu Zhigang us Giant ko marne ke baad uske body me apne dono sword ko ghusa deta hai. Aur uske upar aaram se baith kar kabhi na khtam hone wala sea ki taraf dekhte hue ek halki smile ke sath kehta hai " Japan me yaha se kafi jyada maja aaya hoga. "
" Kaas mai us sbse bade Giant se fight kar pata. "
Wahi Japan me Japanese hunter association ke president Matsumoto ne kud ko police ke hawle kar diya tha.
Ab aisa usne apne kud ke liye gaye faisalo ke responsibility lene ke liye kiya ya kisi aur karan se, iske bare me kisi ko kuch nhi pata.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
MARYLAND, USA
Wahi is duniya ke dusre kon me ek beutiful city Maryland me S Rank Gate ko safaltapurvak clear karne ki khushi me U. S. Govt. Dwara organise kiye gaye ek shandar party me USA ke S Rank hunturs samil ho kar apne aap ko relex kar rahe the.
Ye such me ek kafi badi aur shandar party thi. Jisme U.S. govt. Ne S Rank hunturs ko khush karne ke liye paisa pani ki tarah bahaya tha.
Hunters bhi aisi party me aa kar kafi khush the.
Is time party me sare log aaps me chote chote groups bana kar baatchit karne me busy the. Jinme Scavenger Guild ke bhi S Rank hunturs ek jagah aaps me lage hue the.
Unme se ek S Rank huntur dusre S Rank huntur se kehta hai " Lagat hai S Rank Gate hone ki wajah se is party ko organise karne me govt. Ne such me kafi mehnat ki hai. "
2nd huntur smile ke sath " Tumne bikul sahi kaha. Aur humne jaisa socha tha raid usase bhi kafi acha gaya hai. "
Tabhi un dono ke samne se Sandy nirwana apne hmesa ke beach wale outfit me chlte hue aata hai aur ek cunning smile ke sath kehta hai " To tum log aakhir yaha ho. "
" Hmari bet yaad hai na tum logo ko ? "
( Sbke taraf ek ek karke dekhte hue ) " Tmne apne Yacht ko bet par lagya tha, tmne apne mansion ko bet par lagya tha aur tumne.... "
" ....tmne kya bet lagya tha kya tum fir se bata skte ho ? "
Sandy nirwana ki bate sun kar sare hunturs ke face k colour change ho jata hai.
Last wala hunter Sandy nirwana ki taraf dekhte hue kehta hai " Maine bet me kuch bhi nhi lagaya tha. "
Ye sun kar Sandy nirwana uske face ke paas aa kar niche uski taraf dekhte hue smile ke sath kehta hai " Tmhari gale ki tie kafi achi dikh Rahi hai. "
3rd huntur darne ke bavajud himmat ke sath kehta hai " Lakin Maine... Bet par kuch bhi nahi lagya tha.... "
Sandy nirwana uske aur paas aa kar abhi bhi smile krte hue " Nacktie. "
3rd huntur darte hue " Nahi, Maine kuch bhi...... "
Lekin aakhir me na chte hue bhi use apni Nacktie nikal kar Sandy nirwana ko deni padti hai. Aakhir deta kaise nahi wo, quki use ache se pata hai Sandy nirwana ko jo chij pasand aa gayi wo use kisi bhi kimat par paa ke hi rehta hai.
Sandy nirwana apne gale me wo Nacktie pehen leta hai. Jo ki uske Hawaiian wale shirt ke sath bilkul bhi match nahi kar raha tha. Sath me wo uske bade body ke hisab se kafi chota bhi tha.
Apne gale me pehni Hui tie ko apni secretary Laura ko dikhate hue puchta hai " Tmhe meri Nacktie kaisi lagi ? "
Laura halke smile ke sath use dekhte hue kehti hai " Bhle hi ye dikhne me kafi expensive ho. Lakin fir bhi ye aapke Hawaiian shirt ke sath bikul bhi match nahi kar rahi hai. "
Ye sun kar Sandy nirwana turant us tie ko nikal kar wahi fekte hue ek smile ke sath kehta hai " Mai bhi bikul aisa hi soch raha tha. "
Lakin Laura is baat ko aur aage na badhate hue aage serious tone me kehti hai " Hmare liye ek problem ho gyi hai. "
Uski baat sun kar Sandy nirwana bhi kuch serious ho jata hai aur wo santi se Laura ki taraf dekhne lagta hai, tab Laura aage kehti hai " International Guild confrence ke liye is year jin Guilds ko bulaya gaya hai unke name release kar diye gaye hai. "
" Jisme India ke Aarohan Guild ko bhi sammil kiya gaya hai. "
Sandy nirwana confusion ke sath Laura ki taraf dekhte hue " Aarohan Guild ? "
Laura " Ha ! Ye wahi Guild hai jisne Hunter Rider ne banaya hai. "
Ye sun kar Sandy nirwana ek bahut badi smile ke sath samne dekhte hue kehta hai " To wo America aane wala hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
JAPAN
Mai sare Gains ko marne ke baad santi se jagh khada tha. Aur mere samne sare mare gaye Gains ke shadow apna sir jukaya khade the.
Mere se kuch duri par mere piche Shubham khada tha jiske sath is time Japanese hunter association ke bhi kuch log the.
Shubham samne khade sare shadow ko dekhte hue excitement ke sath kehta hai " Ye to incredible hai bade bhaiya. "
Mai bhi samne dekhte hue lakin unsetisfaction ke sath kehta hu " Kitne dukh ki baat hai ki mai use nahi paa sakta jo sea cross karke China nikal Gaya. "
" Lakin fir bhi in sub ke sath meri strength ab aur bhi jyada increase ho cuki hai. "
Wahi shubham ke paas hi khade japanese army aur huntur Association ke log ye scene dekh kr shocked hue pade the. Sbki aakhe is samay fati hui thi. Aur subke muh se n cahte hue bhi bas kuch hi bate nikal rahi thi.
" Wow... "
" Aakhir kaise.... ? "
" Kya ye huntur Rider ki ability hai ? "
Wahi Shubham unki bate sun kar aur unke expression dekh kar khush hote hue proud ke sath apne man me sochta hai ' bhle hi wo koi bhi ho, jo bhi bade bhaiya ki ability ko 1st time dekhta hai, wo surprised hue bina nahi reh pata hai. '
Tap... Tap... Tap...
Tabhi Hanekawa shubham ke piche se chlte hue aati hai jiske hath me is time ek phone tha.
Hanekawa, Shubham ki taraf dekh kar phone aage karte hue " Sir ? "
Ye dekh kr shubham kehta hai " Ohh ! Agar agar tum bade bhaiya ko dundh rahi ho to. Wo is samay.... "
Lakin Hanekawa Uski baat bich me hi kaatate hue aage kehti hai " Nahi, ye phone aapke liye hai huntur Shubham. "
Ye sun kar Shubham thod surprise ho jata hai ki aakhir use yaha phone karne wala kon ho skta hai. Lekin fir wo apni soch se bahar aate hue Hankewa ke hath se jldi se phone le leta hai.
Shubham phone ko apne kaan ke paas laga kar kehta hai " Hello ! Mai Shubham bol raha hu. "
Shubham ki aawaj sunane ke baad dusri taraf se jisne phone Kiya tha wo kuch bolta hai jise sun kar Shubham ke face ka colour hi change ho jata hai. Jaise use koi shock laga ho. Wo turnt hi mere taraf dekh kar kehta hai " Mujhe maaf karna bade bhaiya. "
" Mujhe abhi turant hi India ke liye niklna hoga. "
Mai ye sun kar fikar ke sath Shubham ko dekhte hue kehta hu " kuch hua hai kya ? "
Shubham mujhe jawb me bas itna hi kehta hai " Mujhe kud bhi details nahi pata hai, ki aakhir kya hua hai. Lakin mi itn janta hu ki meri family me koi problem Hui hai. Jiske karan mujhe abhi turant hi India ke liye wapas nikalna hoga. "
Mai Shubham ki baat bade dhyan se sunta hu.
Uske baad Hankewa se keh kar hum uske turant India jane ka arrengement karwate hai. Aur kuch hi der me Shubham ko airport tak le jane ke liye waha ek helicopter aa jata hai.
Helicopter ke aane par mai Shubham se kehta hu " Mai tmko Airport tak chorne cahlta hu. "
Shubham meri taraf dekhte hue aaram se kehta hai " Nahi bade bhaiya. Mai akele hi airport chala jaunga. "
Mai " pakka na ? "
Shubham jawab me bas apni gardan hila deta hai. Uske baad wo jldi se helicopter me baith jata hai. Aur waha ke window se bahar meri taraf dekhte hue chinta ke sath wo apne man me sochta hai ' Maine apni Mammy ki aawaj ko aaj tak itna jyada dare aur ladkhadate hue kabhi nahi suna hai. '
' Kya hua hai ? '
( Kud ko dilasa dete hue ) ' Nahi ! Mujhe is bare me itna jyada nahi sochna chiye. '
' Kya pata jo hua ho wo itna bhi jyada jaruri na ho. '
Uske baad helicopter jldi se Shubham ko le kar waha se airport ke liye nikal jata hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
INTERNATIONAL AIRPOR, NEW DELHI
NIGHT TIME
Shubham Jb India pahuchta hu to tab waha raat ho rahi hoti hai. Aur use lene ke liye phle se hi uske family ke employee waha aaye hue rahte hai.
Jaise hi Shubham airport se bahar aata hai uske father ka secretary uske paas aata hai aur uske samne apna sir jhuka kar use respect deta hai.
Secratary " Airport ke bahar hmari Car aapka wait kar Rahi hai young Master. "
" Please mere sath chliye. "
Uski baat mante hue Shubham uske sath Car ki taraf chlne lagta hu. Chlte hue wo aage kehta hai " Aapko apna Dil majboot kar Lena cahiye young Master. "
" Jaise hi hum pahuch jayenge mai aapko sub kuch bata dunga. "
Shubham uski baat sun kar ab aur bhi jyada chinta ke sath puchta hai " Tum kehna kya cahte ho ? "
Lekin pure raste wo shubham ko kuch nahi batata hai. Aur kuch hi der me wo log Delhi ke no. 1 hospital ke samne aa kar ruk jate hai. Hospital dekh kr to shubham such me kafi Dar jata hai.
Aur uske papa ka secretary use hospital ke ek VVIP room ke bahar le jar kehna suru karta hai " Ye ek bhut hi long story hai. Lakin.... "
" Chairman Dilip FINAL SLEEP STATE me ja cuke hai. "
Us VVIP room ke ander koi aur nahi Shubham ke papa Dilip hi lete hue the. Room ke samne lage transparent mirror ki help se Shubham ander ka najara saaf saaf dekh skta tha.
Jah uske papa bed par soye hue pade the. Aur unke pure body me alag alag life support machines lagi hui thi.
Ye scene dekh kar Shubham turant hi mirror par hath rakh kar jor se chillata hai " Papa..... "
Lakin uske papa ka secretary turnt hi usko rokte hue kehta hai " Aapko unke jyada paas nahi Jana cahiye. "
" Hunters jo apne power ko control nahi kar skte hai, agar wo log chairman ke jyada karib gaye to wo log sirf unki halat ko aur bigad skte hai. "
Ye sun kar Shubham nirash hote hue us room se dur hote hue kehta hai " To ye baat hai.... "
( Nirasha ke sath ) " Mai suru se le kar aaj tak ek useless beta raha hu. "
Tabhi wo secretary mere samne ek diary kar deta hai.
Diary ko dekh kar mai confused hote hue kehta hu " Ye kya hai ? "
Secretary " Apne hose khone se phle Tak Chairman sir isi ke upar kaam kar rahe the. "
" Mine ise sambhal kar rakh liya. Ki jab wo wapas se jaag jayenge to wo ise dundh skte hai. "
" Lakin mere khyal se abhi aapko iski sbse jyada jarurt hai. "
Jaise hi Shubham us dairy ko open karta hai, ander jo hota hai wo dekh kar use ek jatka lagta hai.
Us diary ke ander usase releted sare news articals ko date wise arrange karke akha gaya tha.
Shubham ye sub dekh kar kehta hai " Jaisa pita. Waisa beta... "
" Inhe bhi lagta hai news article's collect karne ka shuk hai. Jo bhi inko pasand ho. "
Secretary ek smile ke sath " Wo sare concours, exhibitions aur competition jisme aapne aur aapki behan ne participate Kiya tha. "
" Chairman ne wo sare news articals Sambhal kar rakhe hai. "
" Yaha tak ki haal ke bhi events ko unhone yaha add kar Diya hai. "
Aur secretary ka kehna bhi bikul sahi tha quki jab Shubham page's ko palt kar aage dekhta hai to waha uske aur mere Japan Raid se releted sare news article's add the.
Jaise ki " Aarohan Guild ka Vice president Shubham. Aakhir kon hi ye ? "
" Two hunters jo Japan Raid ke liye nikal chuke hai. "
Secretary " Aisa nahi hi ki Chairman apko pyar nhi karte the young Master. "
" Wo jitna jyada aapko pyar karte hai Unhe utna hi jyada aapse ummiden bhi hai. "
Ye sub sun aur dekh kar Shubham jor jor se chote bacho ki tarah rone lagta hai.
Secretary wapas bahar ki taraf chlne ka isara karte hue " chlo ab wapas Ghar chlte hai. "
Shubham kud ko sambhalte hue secratary ki baat mante hue kehta hai " Thik hai. "
TAP......
Jab wo dono wapas Jane lagte hai tabhi Shubham ko ek aawaj aati hai aur wo turant piche mud kar dekhta hai. Lakin use waha koi nahi dikhayi deta hai.
Secretary bhi piche mud kar dekhta hai " young Master kya hua ? "
Shubham " kuch nahi. "
Tap... Tap... Tap...
Fir wo dono waha se nikl kar bahar chle jate hai.
Darasal wo aawaj kisi aur ke nahi balki mere wajah se hui thi. Mai apne shadow exchange ability k use karte hue yaha aa cuka tha. Aur is time me Dilip ke room me tha.
Mai " Shubham tmhe rona nahi cahiye tha. "
" Tumhare rone se mere dil me bhi kafi pain hua. Mai tmhe is tarah se nahi dekh skta hu. "
Fir mai apne inventory me se HOLY WATER OF LIFE niklta hu ur use Dilip ko pilane lagta hu.
Wahi hospital ke niche isi time ek car aa kar rukti hai.
Car driver " Mam hum aa cuke hai. "
Lady car se utarte hue " Thank you sir. "
Fir car ke piche wala door open hota hai jisme se ek young lady bahar nikalti hai. Jo ki dikhne me kafi beautiful aur attractive lag rahi thi.
Tap... Tap... Tap...
Fir wo lady jaldi se hospital ke ander jane lagti hai. Wo dilip ke room ke taraf jate hue kafi dukhi lag rahi thi. Jo ki uske face ko dekh kar hi pata lag raha tha.
Tabhi achanak se uska dhyan yan kisi ke wajah se bhang hota hai aur wo uske taraf dekhne lagti hai.
Wo koi aur nahi mi hi tha jiska back is time uske taraf tha.
Lady meri back ki taraf dekhte hue thode confusion aur thode shocked ke sath " Huh ? Ye to.... "
Lakin fir wo in bato ko najarandaj karke jldi se Dilip ke room ke paas aa jati hai aur jise hi wo door open krti hai ander ka scene dekh kar wo kafi shocked ho jati hai. Uski aakhe fati ki fati reh jati hi.
Quki is time Dilip apne bed par baithe hue the. Aur wo apne pure hose me lag rahe the.
Dilip jb us lady ko dekhte hai to turant pyar se kehte hai " Somya... "
Ye Somya koi aur nhi Dilip ki hi beti aur Shubham ki sister thi.
Somya khusi se aakho me aashu liye hue " Papa.... !! "
Aur wo bhag kar apne papa ke paas jati hai aur unke gale lag kar rone lagti hai.
Dilip, apne beti somya ka sir pyar se sahlate hue kehta hai " Mai apne final sleep se jaag Gaya hu. "
Ab kahi j kar Somya ka dhyan us room me phle se maujud kai sare dr. Ke upar jata hai.
1st Dr. Shocked ke sath Dilip ko dekhte hue " iski to ummid hi nhi thi hme. "
" Aap final sleep se jag gaye hai. "
2nd Dr. Bhi shocked nd excitement ke sath " Media to pagal ho jayega agar unhe is baat ka pata chala to. "
Wahi mai is time hospitalized ke bahar aa cuka hota hu aur hospital ke hi parking me khada ho kar ye sub sunte hue halka sa bas smile karne lagta hu.
Tap... Tap... Tap...
Fir mi mud kar waha se bahar jate hue ek pyari si smile ke sath kehta hu " Bhle hi ye thoda jldi ho gaya. Lakin happy birthday Shubham. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Update bhot he zada late aa thy hnUPDATE NO - 140
( See off Japan )
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise maine Japan me appear hue sare monster's ko maar dalta hu. Jiski news pure world me bhut hi teji se fail jati hai. Tabhi achanak se Shubham ko wapas India aana padta hai. Jaha uske papa final sleep me ja cuke the use is baat ka pata chlta hai. Fir uska waha se nikal jane ke baad mai waha pahuch kar uske papa Dilip ko Holy Water of life pila kar unhe thik kar deta hu.
AB AAGE.......
Ye sub karne ke baad mai, Aasman me dekhte hue kud se kehta hu " Thik hai. Mujhe bhi ab japan wapas nikal Jana cahiye aur waha ke bache hue kaam ko nipta Dena cahiye. "
Tabhi mujhe kuch dhyan aata hai aur mai disappointed hote hue kehta hu " Ohh !! Shitt !! "
Aur mai nirash is karan se tha....
{ [ SHADOW EXCHANGE LV. 2 ]
[ CLASS SPECIFIC SKILL ]
[ MANA ki jarurat nahi hai is skill ko use karne ke liye. ]
[ 1. User aur select kiye gaye Shadow Soldier ke bich location Exchange ho jayegi.
2. Is skill ko wapas fir se tabhi use kar skte hai jab 3hour ka cooldown khtam ho jayega.
Cooldown :- 1 hour 54 min 11 sec ] }
Mai is notification ko dekhte hue sochta hu " 2 hour abhi aur lagega cooldown hone me ? "
" Ab 2 hour Tak mai kya karunga ? "
" Ab jabki such me mere paas free time hai, mujhe thik se pata hi nhi hi ki mujhe kya karn chahiye. "
" Na hi mere paas koi aisa hai, jisko mai call karke bula saku. "
Tabhi mujhe achanak se Aayat se hui last mulakat ke time ki baat yaad aa jati hai. Jab mine usase puch th ki kya wo mujhe like karti hai. Aur jawab me usne haa kaha tha.
Lakin fir mai apne dimak se us baat ko nikl kar upar aasaman ki taraf dekhte hue kud se kehta hu " Thik hai .. "
" Chlo chal kar dekhte hai ki mujhe koi bina owner ke DENGEON mil pata hai kya ? "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Christopher Reid House, USA
01 : 13 AM
Christopher Reid ke Ghar me is time bikul santi chhai hui thi. Ghar ke sare door locked the. Aur is time ghar me koi servent bhi maujud nhi tha. Sayad raat ke time wo aaram karne ke liye ghar ke hi paas bane hue chote chote ghro me chle jate the.
Christopher Reid bhi apne aalishan bedroom ke ek bhut hi costly aur aaramdayak bed par pet ke bal soya hua tha. Ki tbhi achanak se uski aakhe khul jati hai aur wo nind se jaag jata hai.
Nind se jagne ke baad Cristopher apne bedroom se ek mehnga night suit pehan kar bahar aa jata hai. Aur corridor se hote hue wo jab apne 1st floor ke Hall me aata hai to use kuch ajib lagta hai. Wo charo taraf najar ghum kar dekhta hi lekin use kuch bhi ajib nahi dikhyi deta hai.
Jisa aksar raat me hota tha waise hi almost sari lights off thi, sirf kuch main light's ko chor kar.
Christopher charo taraf dekhte hue apne man me ' Yaha to bikul santi chayi hui hai... '
Fir wo kuch aage badh kar wahi ek table ke upar rakhe ek wine ke phle se hi half bhare hue glass ko uthata hai aur chro taraf dhyan se dekhte hue us glass ko ekdam se niche gira deta hai.
Lakin abhi ek ajib baat hoti hai. Glass ke girne ke baad bhi waha par koi bhi aawaj nahi hoti hai. Jabki wo glass puri tarah se tut gaya hota hai.
Christopher gambhirta se sochte hue ' Abhi bhi koi shor nahi hua. Jabki mine to abhi glass ko niche gira kar tod bhi diya. '
' Aakhir yaha chal kya raha hai ? '
Yaha par Christopher ko koi bhi aawaj nahi sunayi deti hai. Cahe wo uske pairo ki hi aawaj kyu na ho. Use wo bhi sunayi nahi de raha tha.
Fir Cristopher waha se sidhiyo ke paas chala jat hai. Aur wah se dono floor ke charo taraf dekhte hue kehta hai " Kon hi waha ? "
Tab achanak se us time Cristopher ko American hunter association ke Deputy director ki baat yaad aati hai.
Deputy director " Agar tumhe kabhi bhi help ki jarurt ho. Please is no. Par call kar Lena. "
" Chairman Xabhi tumhari baat Rider se karwa denge. "
Itn keh kar Deputy director ne waha Xabhi ka card rakh diya aur wah se wo dono chal diye.
Cristopher ye sub yaad karte hi apne man me sochta hai ' Kya abhi jo ho raha hai, wo log isi ke hone ke bare me baat kar rahe the ? '
Ssssssssssss....
Tabhi sidhiyon ke niche ground floor par achanak se ek blue color ka light appear hot hi aur jb wo gayab hot hi to waha par ek aadmi khada dikhayi deta hai.
Wo acha khasa lamba lakin slim fit tha. Uske hair golden colour ke the. Usne koi alag hi tarah ke royal se kapde pehne hue the. Aur uske back par ek overcoat bhi tha jo ki white colour ka tha.
Jab wo appear hota hai Cristopher use hi chup chap dhyan se dekh rah hota hai.
Tbhi Cristopher ko apne piche se bhi 2 logo ke hone ka ahsas hota hai.
Wo dono abhi bhi andhera me hi the. Aur dhire dhire Cristopher ki taraf aa rahe hote hai.
Cristopher bina piche mude samne dekhte hue " Tum log kon ho ? "
Samne wala person ek smile krte hue " Agar human's ko bachane ki kosis karte hue, tum aise hi fight karte rahoge to, tum kuch bhi nahi bacha paoge. "
" Fragment of the brilliant light. "
Cristopher ye sun kar shocked hote hue kehta hai apne man me ' Monster's logo ki language !? '
( Fir us samne Wale person ko dekh kr keht hai ) " Aakhir tum ky bakwas kar rahe ho ? "
Ye sun kar wo person apni green colour ki glow hoti aakho ke sath ek smile karte hue Cristopher ko dekh kr use chup rehne k isara karte hue kehta hai " Ssssshhh..... "
" Mi tmse baat nahi kar raha hu. "
" Mai tmse jude us upar Wale se baat kar Raha hu. "
Cristopher jo ki ab tak kuch sidhiyan se utar kar bich me aa cuka tha. Wo person ab uske just samne sidhiyon ke end par tha. Aur baki ke 1st floor ke dono log sidhiyo ke suruaat me the.
Cristopher apne aura ko halka halka release karte hue " Mujhe kuch khrab karne par majbur mat karo. "
Fir wo apne aura ko puri tarah se release karke apne asli roop me aa jata hai. Jisme uske body se halki halki aag ki lpaten nikalne lagti hai. Jisase wo night suit wahi jal kar rakh ho jata hai. Uske hair bhi aise lag rahe the, jaise waha hair nahi balki aag ki lpaten jal rahi ho. Uska face puri tarah se change ho cuk tha. Uska sir upar aur left right dono side ulta arrow ke type nikl cuk tha. Jise dekh kar aisa lag raha tha jise usne koi ajib cap phni ho. Sath hi me uski dono aakhe marge ho kar ek ho cuki thi. Lekin wo uske dono aakho ke area ko cover kiye hue thi. Usase silver glow nikal Raha tha.
Apne asli roop me aane ke baad Cristopher kehta hai " Mai to Kam se Kam tmse hi baat kar Raha hu. Ha tum jo niche khade ho. "
Cristopher ke piche is time koi ur nahi ek man aur ek woman khade the.
Jo man tha wo koi aur nahi Jeju Island ke last me appear hua wo bodybuilder hi tha. Aur woman bhi kisi beautiful Ghost se kam nahi lag rahi thi.
Dono Cristopher ke taraf halke surprise se dekh rahe the.
Man " Spritual body manifestation ? "
Woman " Wo bhi ek kamjor human dwara ? "
Wahi Cristopher jo ki ab apne actual roop me a cuk tha uska size bhi ab double ho cuk tha. Wo apne jagah se direct niche us person ki taraf jump lagate hue apne fire power ko release karte hue kehta hai " Ab tum sare monster's ka marne ka samay aa gaya hai. "
Uske fire power ki strength itni thi ki uski sidhiyan buri tarah se tut jati hai.
Lakin fir bhi uske samne khada person abhi bhi smile krte hue aaram se apni jagah khad tha.
Ye dekh kr Cristopher apne fire power ki full strength ko release karte hue is baar uske upar attack kar deta hai.
Uska ye attack itna khatarnak tha ki uske pure Ghar se jaha taha se aag ki bhayanak lapte nikal rahi hoti hai. Uske Ghar ki roop bhi itne power ko sambhal nahi pati hai aur wo bhi puri tarah se tut jati hai. Aur waha se kuch kilometer upar tak Aasman me aag ki lpaten nikalne lagti hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
{ [ STATUS ]
( Name : Rider )
( Job : Shadow Monarch )
( Tital : THE DEAMON HUNTUR +2 more )
----------------------------
( HP : 65,230 )
( MP : 115,160 )
( Level : 122 )
( Fatigue : 0 )
-------------------
( Strength : 292 )
( Agility : 305 )
( Sense : 277 )
( Stamina : 281 )
( Intelligence : 310 )
( AP : 0 )
-------------------
[ Physical damage reduction : 65 percent Equipped ] }
{ [ SKILLS ]
----------------------------------
[ PASSIVE SKILLS ]
1. Unknown Lev. Max
2. Tenacity Lev.1
3. Master of dagger Lev. Max
-----------------------------------
[ ACTIVE SKILLS ]
1. Quicksilver Lev. Max
2. Multilate Lev. Max
3. Bloodlust Lev.2
4. Dagger Rush Lev. Max
5. Stealth Lev.2
6. Ruler's Authority Lev. Max
-----------------------------------
[ CLASS SPECIFIC SKILLS]
1. Shadow Extraction Lev. 2
2. Shadow Storage Lev. 2
3. Monarch's Territory Lev. 2
4. Shadow Exchange Lev. 2 }
{ [ ITEM ]
Equipped Item's :-
1. Red Knight's Earrings ( S )
2. Deamon Monarch's Earrings ( S )
3. Deamon Monarch's Necklace ( S )
4. Deamon Monarch's Ring ( S )
5. Truth seeker's Top ( A )
6. Truth seeker's Pants ( A )
7. Truth seeker's Gloves ( A )
8. Truth seeker's Shoes ( A ) }
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
JAPAN
Kuch dino me mai Japan me sub kuch sahi kar deta hu. Aur waha par apna Sara Kam khatam karne ke baad mai ab wapas India jane ke liye ready ho gaya hota hu.
Agle din Mai car ke ek bade se kafile ke bich ek car ke back sit par bitha hua tha. Ye sub kuch japanese hunter association ke hi log the. Aur mere airport jane ke raste par rode ke dono side me mera sukriya karne ke liye Japan ki aam janta khadi ho kar mujhe see off kar rahi thi. Mai car ke ander baith kar bhi car ki window se ye sub bade aaram se dekh paa rah tha.
Bache, teenagers, young aur old, man aur women sare tarah ke hi log yaha dikhayi de rahe the.
Car me hi mere aage driver ke seat ke bagal me bitha hua japanese hunter association ka ek member mujhse kehta hai " Aaj yaha par ye sare log sirf is liye akatha hue hai quki wo dekhna cahte the ki aakhir unke country ko bachane wala hero kon hai. "
" Hame thik se pata to nhi hai. Lakin yaha lagbhag 100,000 se bhi jyada log honge. "
Mai ye sub dekhte hue apne man me sochta hu ' To aaj mera yaha aakhiri din aa hi gaya. '
' Kisne socha th mera aakhiri din yaha ais hoga !! '
Tabhi BERU mere mind me mujhse kehta hai " Mere King, aapke log aapko respect de rahe hai. "
" Mere hisab se aapko unke taraf apna hath bahar nikal kar hilana cahiye. "
Mai " Beru tum puri t
arah se tum Galt smjh rahe ho. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nice update broUPDATE NO - 141(A)
( Is My Father a monster ? )
Ab tak aapne dekha doato ki kaise mai Shubham ke papa Dilip ko sahi karke wapas jane ki sochta hu lakin ja nahi pata hu.
Wahi USA me 3 monarch logo ne mil kar Cristopher ko khatam kar diya.
Jab mai Japan se apna Kaam khtam karke wapas jane pagta hu to waha ke log mujhe bhut Sara pyar dete hai.
AB AAGE.....
Mai is time India ke liye jane wali flight ke aaramdayak business class seat par santi se apni aakhe band kiye bitha hua tha.
Fir kuch der ke baad mai bina aakhe ospen kiye bolta hu " Mai soch raha tha ki kisi anjan country ke plan me kisi phle se mile hue person ka aapke bagal me baithne ke kitne percent chance ho skte hai ? "
" Mai ummid karta hu tum ise ek coincidence to nahi kahoge. "
Actually jab mai apne seat par baitha hua tab flight ke takeoff karne se kuch der phle hi mere bagal wali seat par USA Huntur Association ka Adam White aa kar bith jata hai. Aur ye dekh kar mai surprise ho jata hu. Lekin apne face par mai ye show nhi hone deta hu.
Adam White jo ki mere bagal me baitha hua tha wo ek smile ke sath kehta hai " Agar aap aisa sochte tab to bhut hi ach hota ... "
" Lakin mere khyal se Aisa kehna jabardasti hi hoga. "
Mai samne ki taraf dekhte hue " Hello ! Mr. Adam White. "
Adam White thode surprise ke sath mere taraf dekhte hue " Hum aaj tak sirf ek baar hi mile hai, lekin aapko fir bhi mai yaad hu. "
" Aapse dubara milna mere liye honor ki baat hai. "
Actually me mujhe Adam ka bas face yaad tha. Mujhe uska name yaad nhi tha. But abhi just 2 min phle hi maine BERU se kuch baat ki thi, jo ki ye tha....
Mai apne man me BERU se ' Well ! BERU ye jo aadmi mere bagal me baitha hai. Kya isne kabhi, mujhe apna name bataya tha ? '
Ye sun kar BERU kisi chote bacche ki tarah masoom bnane ka reaction dete hue kehta hai ' My King ! Iska name Adam ! Adam White hai. '
' Kam se Kam is baar to aapko kisi ka name galat nahi bolna cahiye. '
' Ek King hone ke taur par isase aapki reputation par bahut bura effect pad skta hai. '
Fir mai santi se samne ki taraf dekhte hue aage kehta hu " Hum jis deal ki baat kar rahe the, wo to phle hi over ho gyi thi na ? "
Adam santi se respect ke sath kehta hai " Mai ache se janta hu ki, aapko bina phle koi notice diye mai rules ke khilaf ja kar aapse Milne yaha aaya hu. "
" Lakin mujhe aapse ek urgent matter par baat karni hai. "
Ye sun kar mai Adam ki taraf dekhte hue kehta hu " Kya USA bhi S Rank Gate clear karne me nakam ho gaya ? "
Adam mere taraf dekhte hue jldi se jawab deta hai " Are Nahi ! Nahi ! "
" Use to bina kisi problems ke aaram se nipta diya gaya hai. "
" Please ek baar ise dekhiye. "
Itn keh kar wo ek laptop ko open krke usme se ek video open krke mere seat ke samne lage table par rakh deta hai.
Us video ke ander kahi bahut bhayankar aag lagi hui dikh rahi thi. Jise bahut sare firefighters bujhane me lage hue the. Lakin aag hai ki bujhne ka name hi nahi le rahi thi.
Sub firefighters aag bujhane ki puri kosis karte hue thi sub bol rahe the....
" Hum ise yu hi nahi bujha skte hai. "
" Haa ! Ye koi ordinary aag thodi hai. "
" Hey ! Piche hi raho warna tum is aag ki lapto se jal kar kisi rosted mutton me badal jaoge. "
" Hey GOD ! Hmara backup kaha hai ? "
" Hmara backup aakhir kab tak aayega ? "
Us video me yhi sub kuch dikh aur sunayi de raha tha. Mai video ko dekhne ke baad Adam ki taraf dekh kar kehta hu " Ye kaisa video hai ? "
Adam mere taraf dekhte hue " Ab jabki aapne video ko pura dekh liye hai. To mai aapko batata hu ki, ye jo aag lagi thi wo Cristopher Red ki wajah se lagi thi. "
" Jo ki National Authority hunturs me se ek hai. "
" Total 1800 firefighters aur 14 Top level Rank ke Mage type huntur ne mil kar is aag par kabu paya tha. "
Ye sun kar laptop ki screen ki traf dekhte hue Mai sochte hue kehta hu " Quki fire itne high level ki lagi thi, iska matlb hai ki waha jarur koi fight hui hogi. "
" Kahi iska matlb ye to nahi ki Cristopher.... "
Mai aage kuch bolta usase phle hi Adam meri baat ko smjh kr dukh ke sath apna sir haa me hila deta hai.
Uske baad Adam wapas se laptop me ek video open krke mujhe dikhata hai. Jisme Cristopher ki body building ke malbe ke bich fadi hui thi. Uske upar se malba to hata diya gaya tha aur sath hi me aag bhi lagbhag bujh cuki thi.
Cristopher ke body me jagah jagah kisi ke panjo ke nishan aur bhi kuch gehre chot dikhayi de Rahi thi. Uska left hath bhi half kata hua tha.
Adam " Hum logo ko kud is baat par vishwas nahi hua. Lekin jab tak hum log unko khoj pate tab tak wo kafi phle se hi mare hue the. "
Uske baad Adam apne cote ke ander wali pocket se ek photo nikalte hue mujhe dikha kar kehta hai " Aur ye us person ki photo hai. Jiske upar Huntur Association ko shuk hai. "
Jab mai Us person ki photo dekhta hu tab mere to hose hi ud jate hai. Shocked ke mare meri aankhen badi badi ho jati hai. Aur agle hi pal gusse ke karan mere body se ek bhut hi powerful aura release hone lgta hai.
Mai gusse ke mare apne Ruler's Authority skill ko use krte hue sbse phle palak jhapkate hi Adam ko uske seat se hawa me utha deta hu. Sath me hi mai gusse ke karan uske upar mai uske hisab se kafi pressure apply kar deta hu. Jise wear kar pane ke liye Adam ko apni Puri takat ka use Krna pad raha tha.
In sub ke sath mai apne samne pade us laptop ko bhi apne Ruler's Authority skill ki hi help se tod- marod kar ek chote ball ke roop me convert kar deta hu.
Mujhe is time itna gussa aa raha tha ki mere body se jo powerful aura nikal raha tha use koi bhi apne aakho se saaf saaf dekh skta tha.
Adam ko phle to kuch smjh me nhi aat hai ki ye sub ky hua. Quki sub kuch itn jldi jo gya. Lakin jaise hi use is baat ka ahsas hota hai ki wo hawa me apne aap plan ke floor se 2 feet upar hai uske to hose hi ud jate hai.
Adam shocked ke sath " Uh..... "
" Uh... ? "
Dard ke mare uske muh se karah nikal rahi hoti hai.
GAH !!
Mai gusse me apni cold aakho ke sath bilkul low tone me laptop ka aur bura haal karte hue kehta hu " Agar ye kisi tarah k majk hai to.... "
" Tum yaha se jinda wapas nahi Jaa paoge. "
Ye sun kar aur ye sub dekh kr us cabin me USA Huntur Association ke aur bhi jitne members phle se hi aas paas baithe hue the wo utha kar turant hi mere khilaf action lene ke liye aage badhte hai.
Lakin tabhi Adam jo ki ye dekh leta hai turant hi kehta hai " Ruk jao. "
" Aisa mat karna. "
Adam ka order sun kar wo sare turant ruk jate hai. Fir Adam mere taraf dekhne ki kosis karte hue badi muskil se kehta hai " Is picture me jo aadmi hai wo ek DENGEON se bahar aaya hai. "
" Aap... Jiske bare me soch rahe ho... Ye wo person nahi bhi ho skta hai. "
Mai ye sun kar Adam ki taraf ek look dete hue kehta hu " DENGEON... ? "
Aur iske sath hi mai apne pressure ko Adam ke nack ke uppar ke hisse se kam kar deta hu taki wo sub kuch jldi aur sahi se bata sake.
Adam abhi bhi dar ke sath jldi se kehta hai " Jo magical Energy ye person emitt kar raha tha wo kisi monster's ke energy se matched kar raha tha. "
" Aur usne hmare S Rank hunturs ke upar bina kisi warning ke attack bhi kar diya tha. "
" Kya aapko kuch month phle Huntur Bureau 's ke Headquarter me hua explosion incident yaad hai ? "
" Wahi waha jo us time pure world ke news me chaya hua tha. "
Mai colde tone me " To tum kehna cahte ho ki uske piche mere Pita ka hath tha ? "
TAP....
DHADDD....
Uske baad mai apne left hath ki finger ko apne seat ke side me tap kar deta hu. Jisase Adam bhi niche jamin par apne ghutno ke bal gir jata hai. Aur uske niche aate hi jo baki ke employee the wo jldi se aa kar use uthane lagte hai. Aur usase uske condition ke bare me puchne lagte hai.
Lakin Adam bina unko koi response diye waise hi baithe baithe apni saase control karne ke baad apni nack ko sahlate hue meri taraf dekh kar kehta hai " Hmare hunturs logo ko pitne ke baad wo waha se bhaag gaya. "
" Usi ke baad se hi Hunter Bureau, secretly usko dundh rah hai. "
" Lakin ab tak uske bare me ek bhi surag hath nahi laga hai. Aisa lag rah hai jaise wo hawa me gayab ho gaya ho. "
" Mai smjh skta hu aapko kaisa feel ho rah hai. "
" Lakin mudde wali baat ye hai ki Cristopher wali ghatna ke liye iska hi name aage kiya gaya hai. Is ghata ke piche iske hath hai aisa hi sbke manana hai. "
Ye sub sun kar mai apne pita ki photo Adam ko dikhate hue santi se kehta hu " Aur tum ye photo mujhe hi kyu dikhana cahte the ? "
Ye sun kar Adam jiske pure body se pani ki tarah pasina nikal raha tha wo kehta hai " International Guild Conferance. "
( Ek lambi saas lene ke baad ) " Is year ke Guild Conferance me, jaha world ke sabhi leading Guides ke representatives aaye hue honge.... "
" American Hunter Bureau is Aadmi ke name Red Notice issue karne ki kosis kar skte hai. "
" Agar saaf sabdo me kaha jaye to ab is investigation ko aur jyada secret nahi rakha jayega. "
Ye sunte hi ekbaar fir se meri aakhe glow hone lagti hai. Lakin mai is baar Adam ko ya kisi aur ko kuch nhi karta hu.
Adam " American government ne is ghatna me apne ek valuable asset ko kho diya hai, jo ki ek National Authority Rank huntur tha. "
" Isiliye wo is ghtna ke piche jiska bhi hath hai use pakadne ke liye apna pura jor lag denge. "
" Hum Hunter Bureau wale aapke sath ek acha relationship banaye rakhna cahte hai, huntur Rider. "
" Isiliye public announcement hone se phle mai yaha aapse milne aaya, taki mai aapko is bare me bata saku. "
" Quki hum jnte hai ki aap bhi apne pita ki photo aise achanak se dekh kar shocked ho skte hai, ek aise event me jaha aapko invite Kiya gaya ho. "
Adam ki bate sunane ke baad mai apne pita ki photo dekhte hue apne man me sochta hu ' Mere pita jo aaj se 10 year phle gayab ho gaye the.... '
' ...wo ek DEAMON ban kar wapas laute hai ? '
Mujhe saant dekh kr hunter association ke members Adam se dhire se puchte hai " Kya aap thik hai sir ? "
Adam, meri taraf dekhte hue " Ha mai thik hu. Bas is samay mere body se bahut jyada water nikal cuka hai. To mai usi wajah se weak feel kar raha hu. "
[ Note :- Telekinesis - ye ek aisi super Power hoti hai, jisme koi person apne subject ko bina touch kiye apne hatho ke isaro se hi control kar skta hai. ]
Fir uske baad Adam meri taraf dekhte hue apne man me sochta hai ' Telekinesis ? '
' High Rank hunturs jo kisi objects ko move Kara skte hai unke mukabale ye to ek bilkul alag hi level par hai. '
' Mai to sochta tha ki kewal National Authority Rank hunturs ke hi paas is level ki telekinesis ki power hoti hai... '
' Nahi ! Isme koi shak nahi ki Ye Banda is world ka 6th National Authority Rank huntur hai. '
' Mujhe Vice chairman ko jitn jldi ho sake utni jldi in sub ke bare me inform Karn hoga. '
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Bhot dino ka bad update da rhy ho app khair to ha na BroUPDATE NO - 141(B)
INTERNATIONAL GUILD CONFRANCE
THE INTERNATIONAL GUILD CONFRANCE
Ye ek bahut hi important event hai, jisme har country ko represent karne wale waha ke sbse best Guild ko invited kiya jata hai aur wo isme jarur hissa lete hai. Is confrance me Hunter world ke future ke bare me socha, vichar kiya aur faisla liya jata hai.
Abhi kuch dino phle hi is baar ki organiser America Hunter bureau ne is year invite kiye hue Guilds ki list jari ki hai.
Jisme aise so lagbhag sabhi name jane pehchane hi hai. Lakin Is list ke aane se media me ek alg hi sunami mach gayi hai.
Quki is baar list me ek Naya name add hua hai Jo ki kafi surprise karne wala hai. Aur wo name kisi aur Guild ka nahi Balki Aarohan Guild ka hi hai. Jo ki is list me hone se pure world me hot topic bana hua hai.
Aur sb logo ko sbse jyada jo baat surprise kar rahi hai wo ye ki is Guild me sirf ek hi top Rank huntur resisterd hai aur wo koi aur nhi is Guild ka Guild master Rider kud hi hai.
Lakin America Hunter bureau is baat ke fact ko maan Rahi hai ki ye person akele hi is Confrance me invite hone ke liye kabiliyat rakhta hai.
Wo akele hi kai sare Top Ranked Guild ke Top Ranked hunturs ko takkar de skta hai.
THE HUNTER GUILD CONFRANCE HALL, NEW DELHI
Is time The Hunter Guild ke conference hall me india ke bhut sare jane mane news channel ke repoter baithe hue the. Aur cameramans ke sath sabhi reporters ka dhyan samne ke stage ki taraf tha.
Tabhi ek repoter apne seat se khada ho kar apne hath me mic le kar kehta hai " Jab se is year invite hue Guilds ki list jari Hui hai. Aur usme Is year The Hunter Guild ki jagah Aarohan Guild ka name samne aaya hai, tab se hum sabhi logo ki bahut si tarah tarah ki bate sunane ko mil Rahi hai. "
" Aapke is News ke bare me kya vichar hai The Hunter Guild ke Guild master Mr. anubhav ? "
Anubhav is time stage par podium ke piche white suit me khada reports kesare swalo ke jawab dene me lag hua tha. Actually me usne hi ye press conference bulwati thi.
Ye swal sunane ke baad wo kehta hai " Mujhe lagta hai ki America Hunter bureau ne bikul sahi faisla liya hai. "
"
Reporter " Bikul sahi faisla liya hai ? "
" Aapne Jo kaha wo baat hum logo ko to smjh me nahi aa rahi hai. "
Anubhav ek smile ke sath " Ha maine jo kaha mujhe us bat pr pura yakin hai. "
Dusra reporter " Lakin aap is baat ko nakar nahi skte hai ki Aarohan Guild actually me ek one man show ke alawa aur kuch nahi hai ? "
Anubhav haste hue " Ha aapne bikul sahi kaha. "
" lekin wo ek person koi aur nahi hunter Rider hai. "
" Agar aap logo ko lagta hai ki Guild members fight karne me mahir hote hai. "
" To aise case me Hunter Rider ke paas Hundreds of Guild members hai. "
" Aurjis kisi ne bhi Jeju Island aur abhi haal hi me Japan ke Raid me Huntur Rider ko dekha hoga wo is baat se inkaar bikul bhi nahi kar skt hai. "
" To mere hisab se to Aarohan Guild kisi bhi Country ke Top Guilds se kisi bhi mamle me kam hai. "
3rd reporter khada ho kar " Halaki The Hunter Guild jo ki har year hmari country ko is confrance me represent karta tha.
Mai imagine kar skta hu ki aap is news se ekdam khush to nahi hi honge. "
Anubhav ek gehri saas chorte hue " Ha ! Ye kafi dukh ki baat hai ki hum is year waha nahi ja payenge. "
" maine to apna passport bhi renewed karwa liya tha. "
( apna chasma sahi karte hue ) " Lakin sbse important baat mujhe gurve hai. "
" Agar kabhi koi aisa monster samne aa gaya jise aaj tak hmme se kisi ne bhi dekha suna na ho, to Ab hmare paas bhi ek aisa huntur hai jo use sambhalne ki kabiliyat rakhta hai. "
" such kahu to mere Guild members aur mai wapas jinda, Huntur Rider ki wajah se hi aa paye hai, jis baat ke liye hum hamesa uske ahsanmand rahenge. "
" Mai hunter Rider ke India ke representative cune jane par dil se such me bahut hi jyada happy hu aur proud feel kar raha hu. "
Tap... Tap... Tap...
Fir kuch der me aise hi baki reporters ke swalo ke jawab de kar Anubhav waha se bahar nikal aata hai.
Abhi anubhav waha se ja hi Raha hota hai ki The Hunter Guild ka hi ek employee uske paas ja kar kehta hai " Sir hum logo ko aaj morning me hi Gurugram me appear hue Gate par raid krne ka permit mil gaya hai. "
" Actually me to wo ek A Rank Gate hai, lakin uska measurements utna jyada high nahi hai. "
Anubhav ek smile ke sath " Ye to bahut hi achi news hai. "
( kuch der sochne ke baad ) " By the way, kya Aarohan Guild ne fir se parmit ke liye apply nahi Kiya kya ? "
Employee " Ji sir ! Haal hi me unke taraf se jyada activities dekhne ko nahi mili hai. "
Ye sun kar Anubhav apne man me sochta hai ' Hunter Rider ko Japan raid se wapas aaye hue aaj 4 din ho chuke hai. '
' Aur The God of dangeon destruction ko abhi tak kisi Gates me nahi dekha gaya hai. '
' Aur isi baat ka India ke sare Guild ke log jashan mana rahe hai. Quki Rider ke saant rehne se unko Raid ke permit ke liye paresan hona pad raha hai. '
' Mai The White Tiger Guild ke Sachin ya Reaper Guild ke Hari ke tarah nhi hu. '
' Jo kisi monkey ki tarah hai, jo kisi tree se ek Apple gira nhi ki khusi se jumne lagte hai. '
Wo employee Anubhav ko aise soch vichar karta hue dekh kar kuch sochne ke baad kehta hai " Aarohan Guild se compitition Kam hone ke karan hmara profit 40 percentage tak increase ho gaya hai. "
Anubhav ye sunane ke baad " Tree se gira hua apple. "
Employee confusion ke sath " Mai kuch smjha nahi. "
Anubhav " Nahi ! Kuch nahi. "
" Kya Association ko is bare me kuch pata hai ? "
Anubhav Apne man me ' Apne Rank reassignment test ke phle Wo ek din me ki sare Gate clear kr rah tha. '
' Aur jab wo ek S Rank huntur ban gya tab to usne dusre Guild ke ilako me bhi Raid karna suru kar Diya tha. '
' AK aisa hunter jisne haal hi me Japan me ek S Rank Gate ko akele hi kud ke dam par clear Kiya ho... wo aise saant baithe ? '
' Koi to baat hai... '
-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
HUNTER GUILD ASSOCIATION, DELHI
Anurag, is time Xabhi ke cabin me tha aur usko report kar raha tha.
Anurag " Huntur Rider ke data ke liye China se ek request aayi hai. "
Xabhi apni chair par bithe hue anurag ki taraf dekh kr kehte hai " Uski personal ke bare me information ? "
Anurag " Nhi sir. "
Xabhi " To fir kya ? "
Anurag " Request unke Raid record aur usase releted official reports ke bare me hai. "
Xabhi " Jahir si baat hai... China ko kud bhi yakin hoga ki use ek Top Ranked huntur ki personal details nahi mil skti hai. "
( sochte hue ) " Lakin aise achanak se unka interest Huntur Rider me kyu aa gaya ? "
" Unhe kud bahut ache se pata hoga ki Hunter Rider kisi bhi Country ke sath kisi bhi tarah ka negotiate bikul bhi nahi karega. "
Anurag " Ye request China ki govt. Ki taraf se nahi aayi hai sir. "
" ye ek individual person ki taraf se aayi hai. "
Xabhi surprise hote hue " Ek individual ki taraf se ? "
Anurag " Aisa lagta hai ki China ka Seven star Ranked huntur Liu Zhigeng ko hmare hunter Rider me dilchaspi ho gayi hai. "
Yaha Mai aap logo ko bata du ki China Hunters ki Ranking ke liye international standard ko follow nahi karta hai. Iski jagah wo kud ka apna bnaya hua standard follow karte hai.
Jisme highest Rank 5 star Rank hai.
Halaki sirf ek person ko waha Seven star ka Rank Diya hua hai Jo koi aur nahi Liu Zhigeng hai jise 7 star Rank mila hua hai.
Xabhi surprise ke sath " Use Liu Zhigeng ko hmare Rider me dilchaspi ho gayi hai ? "
Anurag " Liu Zhigeng ne Ek Giant type monster ke sath fight Kiya tha. "
" Sayad isi wajah se uski dilchaspi hmare Hunter Rider me ho gayi hogi jisne akele baki sare Giants ko sambhal liya tha. "
Xabhi apne man me sochte hue ' To ek strong person dusre strong person ko pehchan hi jata hai. '
Xabhi kuch der sochne ke baad " Request ko reject kar do. "
" aur uske sath sirf simply jo data jata hai wo bhej Dena. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Nixe updateUPDATE NO - 141(C)
RIDER ENTRY IN USA
SCAVENGER GUILD OFFICE, USA
Scavenger Guild building ke Guild master ke office me Sandy Nirwana transparent glasses ke wall ki taraf khada waha se bahar ka najara dekh raha tha.
Is time night ka time tha aur pura USA unginat lights se chamchma raha tha.
Tak... Tak... Tak...
Tabhi Sandy Nirwana ki secretary Laura waha aati hai. Aur wo sidhe Sandy Nirwana ke piche ja kar khadi ho jati hai.
Laura, Sandy Nirwana ko respect show krte hue apn sir juka kar kena start krti hai " Hunter Rider ki USA kal aane ki ummid hai. "
Sandy Nirwana bahar dekhte hue hi " Wo ek din phle hi yaha aa rah hai ? "
Knock.... knock....
Tbhi office ke main door par knock hota hai. Aur koi wahi bahar se khade ho kar hi jor se kehta hai " Kya aapne mujhe bulaya hai sir ? "
Sandy Nirwana bina piche mude apni gardan ko ghuma kar halka sa door ki taraf dekhta hai uske baad wo halke smile ke sath kehta hai " Are ha ! "
" Tm bikul shi smay par aaye ho. "
Ye sun kar wo person ander Sandy Nirwana ke samne kuch duri AK aa kar khada ho jata hai.
Sandy Nirwana " Kuch tha jo mujhe tmko batana tha. "
Person " Ji kahiye. "
TAP....
Sandy Nirwana ek kadam aage aate hue" Mai ghuma fira kar kehne ki jagah sidhe mudde ki baat kehta hu. "
( us person ke kaan ke paas j kar thode warning tone me ) " Hunter Rider ke sath koi panga mat Krna. "
" Mr. Namit ! "
Sandy Nirwana ki aisi aawaj sun kar hi Namit ki saase ruk so gayi thi. Usase Sandy Nirwana ki taraf dekha bhi nahi j rah tha. Wo ek chote bache ki tarah niche jamin ko hi lagatar dekhe ja rah tha. Uske mathe se pasine ki boonde chlak aayi thi. Jabki AC full speed me chal raha tha.
Sandy Nirwana " Mai jnta hu tmhare bhai aur Hunter Rider ke bich kya hu hai. "
" Mai ye bhi jnta hu ki tmhe us par sak hai aur tm us din exactly kya hua tha wo janana cahte ho. "
Ye sun sun kar Namit apni Puri himmat ko ikatha karke upar Sandy Nirwana ki taraf dekhte hue gusse se kehta hai " Lakin.... "
Parantu isase phle ki wo aage kuch aur keh pata Sandy Nirwana apne right hath ko uth kar uski taraf warning ki tarah ungli dikhate hue apne aura ko halka sa release karte hue apni glow hoti aakho ke sath ek smile krte hue kehta hai " Maine tmhe abhi tak bolne ki permission di aisa mujhe to yaad nahi. "
Aur is baar Sandy Nirwana ki takat ka namuna feel hote hi Namit ki ho halat hi khrab ho gayi. Wo bhut jyada dar Gaya. Uske face ka expression ekdam se bahut hi bura ho gaya. Usase is time thik se saas bhi nahi liya ja raha tha.
Laura jo ki in dono se thori hi dur kadi chup chap ye sub dekh Rahi thi wo apne man me sochti hai ' Are Ullu bas apna muh band rakhna... ab aage kuch bhi kehne ki sochn bhi mat. '
' Ek top Rank Huntur ko aise warning har koi nahi de skta hai. '
' Sandy Nirwana se aur ummid bhi kya ki ja skti hai. '
( Namit ke face ki taraf dekhte hue ) ' Lakin is aadmi ki bhi ek bahut buri aadat hai. Ye apne Target ke liye bilkul pagal rehta hai. Cahe kuch bhi ho jaye ye apne Target ko kabhi hath se nahi jane deta hai. '
Sandy Nirwana apne right hath Namit ke right solder par rakhte hue kehta hai " Galti se bhi Hunter Rider ko touch karne ki bhi kosis mat karna. "
" Is confrance ke time Tak jao tm, hmare Guild ke kisi villa me ja kar holiday manao. "
( ek smile me sath ) " Well kya tm meri baat mnoge ? "
Namit kuch bhi nahi bolta hai. Ye dekh kr Sandy Nirwana dubara puchta hai " Mr. Namit ? "
Namit na chte hue bhi apna sir jukha kar kehta hai " Thik hai. "
Sandy Nirwana " Achi baat hai. "
" Ab tak yaha se ja skte ho. "
Tap... Tap... Tap...
Fir Namit waha se jldi se nikal kar chala jata hai.
Laura aur Sandy Nirwana use jate hue piche se dekhte rahte hai. Jab Namit kuch dur chala jat hai tab Laura Namit ko dekhte hue kehti hai " Kya ab yesub kuch thik ho cuk hai ? "
Sandy Nirwana, bhi Namit ke back ko dekhte hue kehta hai " Nahi ! Bikul nahi ye us baat ko bhool Jaye aisa ho nahi skta hai. "
( kuch sochne me baad ) " Laura Mr. Rider ke USA se Jane tak Mr. Namit ke upar kadi nigarani rakhwao. "
Laura " kya wo iske liye manenge ? "
Sandy Nirwana ek smile ke sath " Well mujhe pura yakin hai ki thoda sa paresan hona , Marne se to kahi jyada acha hai. "
Wahi Namit is time gusse se bhara hua tha. Jiske karan uske body se uska aur na chte hue bhi bahar nikal Raha tha.
Khir wo to aage wakt hi batayega hm sub ko ki Sandy Nirwana ka dar jitega ya Namit k gussa ?
Aur Rider ka is par kya reaction hoga ?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
NEXT DAY, USA
American Hunter bureau agency jaha confrance hona tha wah par invited sare country ke flag lage hue the. Building ke bahar press repoters ka hujum umda pada tha. Sab apne apne TRP ke liye reporting karne me lage hue the.
Aisa hi mahul ya kahe to isase bhi jyada USA me ek jagah aur tha Aur wo jagah thi. Paa k hi international airport. Jaha par is time ek ke baad ek Country ke top Guild ke Representative lagatar aate ja rahe the.
Airport ke bahar American Hunter bureau ke log bahut sari cars le kr in logo k aane ka wait kr rahe the. Sari gadiyo par alag alg country ke flag lage hue the. Security ka yaha pura bandobast tha. Taki aam jnta ya repoters log Hunturs ko paresan na kar ske. Inlogo ka kam aaye hue hunturs ko unke hotel tak pahunchana se le kar unke yaha se wapas Jane tak sub kuch dekhna tha. Har country ke hunters ke liye alag alag team banayi gayi thi.
Tap... Tap... Tap...
Tabhi kisi ke airport ke main exit door se bahar aane ki kadmo ki aawaj sunayi deti hai. Aur kafi logo ki najar unke taraf chli jati hai.
Click... click....
Ye 2 person the. Dono hi ache khase lambe tagde the. Aage jo chal Raha th uske hair blonde the. Sath me wo kafi handsome bhi tha. Uske piche ek mascular man chal Raha tha. Jise dekh kr hi dar lag raha tha. Iske hair solder tak the. Dono is time suit me saje hue the.
Unke bahar aate hi cameramans apna kaam strt kr dete hai.
Jo person aage chal Raha tha wo koi aur nahi Germany ke Top Guild RICHTER GUILD Ka Guild master Lennart Niermann tha. Wo dono reporters ke samne aakr kuch duri par khade ho jate hai taki wo unki photo le sake.
1st person charo taraf dekhte hue " Yaha itne sare reporters kyu hai ? "
2nd person " Wo Indian Huntur jiske bare me sabhi log bate kar rahe hai. Uske aaj hi yaha aane ki ummid hai. "
1st person " Oh to wo bhi aa raha hai ? "
2nd person ek taraf dekhte hue " Devil ke bare me baat Kiya aur dekho wo aa gaya. "
TAP... TAP... TAP...
TAP... TAP... TAP...
Aur usne sahi kaha Usi wkt Mai min exit gate se bahar aata hu. Mere sath is time Shubham aur Anurag the.
Mere aate hi sare reporters jo ab tak dure hunturs ke paas the wo aur sare cameraman bhgte hue mere taraf aane lagte hai. Security bhi turant apne kaam me lag jati hi aur wo mere aage charo taraf ek ghera bana deti hai.
Click.... Click....
Click..... Click.....
Photo nd video lene walo ki line lag jati hai. Reporter swalo ki jhadi laga dete hai. Sare hi chill chilla kr apna questions puchne
me lage hue the. Lakin mai chup chap waha khada sbko dekhta hi rahta hu. Sare hunter aur sub bas mujhe hi dekh rahe hote hai.
Aaj ke liye itn hi dosto.
masti me read krne ka aur enjoy karne ka.
Kamal ke Story ha maza aa gya ha paar ka omd karty hn Story agy be laaki jaay gaiUPDATE NO - 142(A)
( DRAGON KAMISH )
Meri taraf dekhne ke baad German Guild ka Guild master Lennart Niermann apne sath aaye Huntur se kehta hai " Kya hame uske paas ja kar greetings exchange karna chiye ? "
" Waise bhi kisi strong Huntur se parichit hone me koi burai nahi hai. "
Tap... Tap...
Badaapp.....
Itna keh kar wo mere taraf badhne lagt hai. Lakin jaise hi wo sirf 2 steps hi mere taraf aa pata hai. Uska dhyan kisi chij par jata hai. Aur wo dekh kr uske face ka expression turant hi change ho jata hai. Uske dil ki dhadkan ne just abhi Jo dekha wo chij dekh kr uska heart ek dhadkan miss kar gaya. Uske face par pasine ki choti choti bunde saaf dekhi ja skti thi.
Lennart Niermann ko yu achanak se bich me hi rukta dekh kr sath aaya hua hunter puchta hai " Kya aap usase j kar baat nahi karenge ? "
Lennart Niermannjo ki abhi bhi mere hi taraf dekh Raha tha wo halke kapte hue aawaj me keht hai " Tm... tmne wo nahi dekha kya ? "
Sath aaya hua hunter meri taraf dhyan se dekhte hue confusion ke sath " kya ? "
Lennart Niermann dar ke sath ektak mujhe dekhte hue apne man me sochta hai ' Ye apne summons worries ko kisi dusre dimension se nhi bulata hai..... '
( meri parichayi ki taraf dekhte hue ) ' Balki wo sabhi hmesa hi uske sath hi rehti hai !!! '
' Wo itne Saro summon ke sath to akele hi USA ke sath war lad skta hai. '
Ji ha dosto Lennart Niermann mere shadow me chupe hue mere sare summons ko dekh skt tha. Quki wo koi aam hunter nahi balki ek bhut hi powerful S Rank hunter tha.
Tabhi mai jo ki Lennart Niermann se kuch hi duri par tha , mujhe kuch feel hota hi aur mai piche mud kar dekta hu.
Shubham meri taraf dekhte hue " Bade bhaiya kya aapne aise kisi ko dekha kya jo aapko yaad ho ? "
Mai piche dekhte hue " Nahi, lakin kuch foreigner mere ko ghur rahe hai. "
Ye sun kar Shubham ek smile ke sath kehta hai " Aapka name news me har jagah hot topic bana hua hai. To jahir si bat hai aapke kafi sare fan's bhi honge. "
" Mere khyal se wo aapka autograph cahte honge. "
Fir achanak se Shubham ek smile ke sath Dusri taraf dekhta hai jaha Anurag khada tha " Choro in bato wo, waise aap yaha kyu aaye hai Chief Anurag ? "
Anurag ye sun kar skpaka jata hai aur apna hopeless face dikhate hue badi muskil se kehta hai " Mai yaha Huntur Rider ka...... bodyguard ban kar aaya hu. "
Ye sun kar Shubham ekdam se shocked ho jata hai " Hai.... !! "
Fir wo Anurag ke paas ja kar dhire se tease karte hue kehta hai " Aapne kya kaha ? Fir se kehna jara ? "
Anurag apn sir niche ko jukha kar saram se kehta hai " Mai, unke liye bodyguard ka kaam karunga yaha par. "
Hahahaha......
Ye sun kar Ab shubham se apni hasi control nahi hoti aur wo jor jor se hasne lagt hai aur fir se kehta hai " Bodyguard... ? "
" Aur wo bhi kiska.... ? "
Tabhi samne ki taraf dekhte hue mai kehta hu " Mere khyal se wo log hme hi yaha se le jane ko aaye hai. "
Meri baat sun kar Shubham aur Anurag bhi ab samne ki taraf dekhne lagte hai.
Hme lene ke liye koi aur nahi Kud Mr. White aaye hue the. Aur unke sath kafi sare aur log bhi the.
Mr. White sbse aage khade ho kar apna sir respect me jukhate hue kehta hai " Hum aapke hi aane ka intejar kar rahe the Hunter Rider. "
Mai, Mr. White ki taraf dekhte hue " Aap to Bureau ke Asian branch ke liye kaam karte the na Mr. White ? "
Hahahaha.....
Mr. White " Ji aapne sahi kaha. "
" Lakin kuch time phle Tak hi. "
" Ab Mai aapse Jude kisi bhi matter ka incharge hu. "
( fir wo Shubham aur Anurag ki taraf dekhte hue kehta hai ) " Aapke sath aaye logo ko mere Aadmi surakshit Hotel tak pahuncha denge. "
Ye sun kar Mai piche mud kar Shubham aur Anurag ki traf dekhte hue kehta hu " Shubham, tum Chief Anurag ke sath Hotel chle jao. "
Shubham meri taraf dekhte hue " Ok bade bhaiya. "
Mr. White, meri taraf dekhte hue " Aur kya aap hmare sath aa skte hai Mr. Rider ? "
Ye sun kar Mai apne man me sochta hu ' Kya ye mere pita ke bare me hai ? '
Mr. White mujhe sochta hua dekh kar ek smile ke sath kehta hai " Hunter Rider, Ye kuch Aisa hai jisase aapko hi sabse jyada fayda hoga. "
" Maine phle hi aapko explain kar Diya tha ki USA hunter bureau aapke bare me kya sochta hai, hai ki nahi ? "
Tap... Tap... Tap...
Tap... Tap... Tap...
Ye sun kar Mai Mr. White ke sath exit gate ki traf jane lagta hu.
Mai chlte hue " Kya jis bare me aap mujhe batane ya dikhane ja rahe hai wo ek secret hai ? "
Mr. White " Kuch bato ko top secret category me rakha jata hai. Aur ha hum unme se hi ek par baat karne Wale hai. "
Vroommmm.........
Vroommmm.........
Iske baad Mai, Mr. White aur unke kuch logo ke sath Airport se nikal kar ek car me baith jata hu. Aur aage baitha hua driver gadi ko destination ki taraf le jane lagta hai. Aur mere aage piche charo taraf security ke liye kuch gadiya follow karne lagti hai.
Mai " Hum ja kaha rahe hai ? "
Mr. White " Hum is samay Huntur bureau ki taraf ja raha hai. "
Mai halka shock hote hue " Hunter bureau ? "
Mai is time jis car me baitha hua tha wo ek costly aur bahut sari facilities se bhari padi thi. Back side me aamne samane ki taraf 2-2 seat lage hue the. Mai piche ki ek seat par aaram se baitha hua tha aur mere hi samne ke seat par Mr. White baithe hue the. Iske bawajood car me kafi space tha. Sath hi me waha TV, computer, wine aur bhi kafi chijo ki facilities available thi.
Mr. White mere taraf smile karte hue kehta hai " Such kahu to is samay hmare upar bahut hi pressure hai. "
" National hunter Christopher, USA ke strength ke ak main pillar ke jaisae the. Lakin ab wo mar cuke hai. "
" Aur hum jld se jld unki Khali jagah ko bharna cahte hai. "
" Sari chije abhi saant hai quki unki death ke bare me abhi tak public ko kuch bhi pata nahi hai. Lakin..... "
" Isiliye hum log apne power ka use krke hmse jo ban padega wo karenge ek aise Huntur ko dhundhne ke liye jo inki jagah ko wapas se bhar sake. "
Mai " Aur mai, tmlogo ke liye un candidate me se ek hu ? "
Ye sun kar Mr. White apna sir haa me hilane lagta hai.
BEEP......
Uske baad Mr. White apne ek hath ko aage badha kar side me rakhe ek remote type chij ko uthata hai aur ek button press krta hai. Jisase hawa me ek holographic image ban jati hai. Jiske sbse upar secret file likha hua tha sath hi me uske niche ek bade se dragon ka Skelton rakha hua tha aur uske niche ek alag window me ek run stone rakha hua tha.
Mr. White " Jaisa ki aap bhi is baat se phle hi bhalo bhati parichit hai. "
" Kisi bhi Run stone ki value directly depend karti hai ki wo kisase nikali gayi hai. Aur us run stone ke master ki Power kitni thi. "
BEEP.......
Uske baad wapas se Mr White ek button press karta hai aur screen par image change ho jati hai. Jaha ab ek real dhagon ki image ban jati hai.
Jo ki dikhne me bahut hi bada aur khatarnak lag raha tha uske sir par total 5 bade bade aur nukile singh nikle hue the. Wo red color ka tha. Nd uske paas ek bahut hi majbut wings ki Jodi bhi thi.
Mr. White " Human jati ki history me ab tak ki sbse bhyankar aur khrab calamity, jise har koi apne yado se bhula Dena cahta hai.... "
" ... DRAGON KAMISH "
Uske baad fir se screen change hota hai aur wapas se phle wala Dragon ka Skelton aur wo black color ka run stone samne aa jata hai. Jiske upar ek ajib sa increption bana hua tha.
Mr. White " Hum ek naye owner ki talash kar rahe hai... "
" Is Run stone ke liye jo ki Dragon Kaminsh ko maar kar paya gaya tha. "
" Ab aapka kya kehna hai ? "
" hmare is naye offer ke bare me ? "
Lakin Mera Dhyan Mr. White ke upar na ho kar un photos ke upar hota hai. Aur mai kafi dilchaspi ke sath aur dhyan se dekhte hue turant hi kehta hu " Wo sare photos.... "
" Kya tum Thora back kr skte ho ? "
Mr. White ye sun kar confusion ke sath mere taraf dekhte hue kehta hai " Mujhe maaf kijiyega. Mai smjha nahi aap kya kehna cahte hai ? "
Mai abhi bhi screen ki taraf dekhte hue " Mai is Run stone ke photo se phle wali photo dekhna cahta hu. "
BEEP......
Ye sunte hi Mr. White screen ko back karke mujhe wo photo dikhate hue kehte hai " aapka matlab Dragon Kaminsh ki Body ki photo se hai ? "
Mai Dragon Kaminsh ki photo ko dhyan se dekhte hue kehta hu " Kya USA abhi tak Dragon Kaminsh ke body ko sambhal ke rakhe hue hai ? "
Mr. White " J...ji ha ! Humne abhi tak sambhal kar rakh hua hai. "
Mai abhi bhi us photo ko hi dekhte hue kehta hu " Ye kaha hai abhi ? Phle wala chlte hai. "
Mr. White ye sun kar shocked ho jata hai aur uske muh se bad yhi nikalta hai " Kya such me ? "
Mai " Mai jab Hunter Bureau ke liye apna itna time nikal skta hu. "
" To jahir si baat hai mere paas kam se kam itna to right hai ki mai apni ye demand rakh skta hu ? "
Ye sun kar Mr. White serious hote hue kehta hai " Mere paas Dragon Kaminsh ki itni jankari isi liye hai quki itni information ke liye hi mere higher up ke logo ne mujhe allow Kiya hai. "
" Yaha tak ki mai kud bhi ye nahi janta hu ki Dragon Kaminsh ke body ko kaha par store karke rakha gaya hai. "
( fir wo apna phone nikalte hue aage kehtaa hai ) " Halaki...., Ab jabki ye aapki request hai, mujhe pura yakin hai ki wo khusi khusi iske liye Maan jayenge. "
" Mai aap thodi der wait kar skte hai, Tab tak mai apne higher up ko iski report de du ? "
Mai ek smile ke sath " Well ! Mere hisab se dono logo ko hi wait Krna padega. To Aisa kyu nahi karte hai hum Hunter bureau ja kar ek sath me hi wait kr lete hai. "
Ye sun kar to Mr. White ke ekdam totte hi ud jate hai. Wo iske aage aur kuch bol hi nahi pata hai.
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Waah kamal.ka update ha bro maza aya ha paar kaUPDATE NO - 142(B)
(NEW SHADOW)
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise USA aane ke baad mujhe nd meri team ko lene ke liye Mr. White aate hai uske baad mai Mr. White ke sath Huntur bureau ki taraf nikl jata hu jaha raste me wo mujhe Dragon Kaminsh ke Run stone ke bare me batate hai. Lakin Mera interest to Dragon Kaminsh ke body me rehta hai. Aur mai jaha body thi uski waha le jane ki request karta hu.
AB AAGE....
HUNTER BUREAU BUILDING, USA
Mai aur Mr. White Hunter bureau ke building me aa jate hai. Jaha ek VIP guest room me mujhe wait krne ko keh kar Mr. White apne senior se Milne aur meri request ke bare me baat krne Building ke ander hi dusri jagah chala jata hai.
Jaha director ka cabin tha, wo knock krke cabin ke ander jata hai jaha is wakt director Devid Brennon aur Deputy director Michael Connor the.
Mr. White unko dono ke samne meri request rakhte hai jise sun kar undono ke bhi totte ud jate hai.
Devid Brennon blank face ke sath " To tum ye keh rahe ho ki Huntur Rider is time yaha hai ? "
" Aur us Run stone ka kya ? "
" kya usne uske bare me kuch kaha ? "
Mr. White " Nahi sir ! Unhone us Run stone ke bare me aaj ke pure din me kuch bhi nhi kaha. "
Devid Brennon sochte hue " Ha.... ! Ye to hmare liye ach hai. "
" lakin kya such me bas us skeleton ko hi dekhna chta hai ? "
( fir samne khade Mr. White ki taraf dekhte hue wo aage kehte hai ) " Mujhe deputy director ke sath is bare me kuch baatchit karni hai. "
" To kya tum bahar hmara intejar kar skte ho ? "
Mr. White " Jaisa aap kahe sir. "
Itna keh kar Mr. White cabin se nikal kar bahar wait karne lagte hai. Wahi cabin ke ander director aur deputy director dono aapas me is bare me kuch bate karne lagte hai.
Devid Brennon, Michael Connor ki taraf dekhte hue " Tmhe koi idea hai ki wo aakhir Dragon Kaminsh ki Body ko kyu dekhn caht hai ? "
Michael Connor " Fihal to mai is bare me kuch nahi keh skta hu... "
" Lakin ek baat to tay hai wo koi tourist to hai nahi jo sirf DRAGON KAMISH ki body ko dekhna cahta ho. "
" Ek skill ki value unimaginable hoti hai. "
" Top Rank ke Hunturs Run stones ko buy karne ke liye bhut jyada paise kharch karne ke baad bhi bahut hi jyada happy rahte hai. "
" Ek skill Hunter ke power ko show karti hai. Aur Power ek hunter ke servival ke equal hota hai. "
" Aur agar tab bhi wo Dragon Kaminsh ki Body dekhna cahta hai, iska matlab hi ki uska dhyan is skill se bhi jyada valuable kisi chij par gaya hai. "
Tabhi Devid Brennon kehta hai " kya Uski wo ability to sirf uske hatho mare gaye monsters tak hi simat nahi hai ? "
Tabhi Devid Brennon ke mind me kuch aata hai aur wo kud se bahut jyada shocked hote hue apne man me kehta hai ' Wait.... '
' bahut samay phle kisi aur ke hatho mare gaye monsters ke corpses me se bhi agar wo summons bana le to ? '
Aur Michel Connor bhi thik isi samay yahi baat sochta hai aur wo bhi itna hi jyada shocked hote hue apne mathe par apn hath marte hue kehta hai " Hey bhagwan ! "
" wo.... wo Dragon Kaminsh ko apne summons me se ek banane ka plan banaye baitha hai. "
Ye baat sunte hi Devid Brennon apne chir se turant khada hote hue kehta hai " Kya... ? "
" Agar ye baat such hi to. Hum aisa nahi hone denge. "
" Ek individual person itne jyada power apne paas nahi rakh skta hai. "
Lakin Michael Connor saant dimak se kam lete hue kehta hai " Lakin sir, Agar hum uski request ko man karte hai to uske sath ache relationship bnaye rakhna bahut hi muskil hoga. "
Ye sun kar Devid Brennon bhi hose me aata hai aur saant dimak se sochne lagta hai, last me kafi sochne ke baad wo kehta hai " Tum sahi keh rahe ho. "
" Thik hai. "
" Agar aisi baat hi to mai kud use waha le kar jaunga. "
" Mere khyal se ek ek bahut badhiya mauka bhi hai apni aakho se uski ability ko dekhne ka. "
Fir Wo dono cabin se bahar aate hai aur Mr. White ke sath mere paas aate hai aur mujhe kud waha le jane lagte hai.
Uske baad hum sub lift se hote hue usi building ke basment me Jane lagte hai.
Devid Brennon life me jante hue samne dekhte hue kehta hai " Meri iccha thi ki mai tmse kafi saant aur saral tarike se baat Karu. Lakin mere khyal se tum mere is tarike se baat krne ke tarike ko hi prefer karte hoge. "
Devid Brennon ki baato ko translate karke Mr. White mujhe batate hai Jo ki is wakt mere just bagal me hi khade the.
Lakin mai in sub bato par dhyan na dete hue apne man me sochta hu ' Mujhe to yakin hi nahi ho raha hai in logo ne Huntur bureau ka headquarter yahi bana Diya jaha dragon Kaminsh ko haraya aur mara gaya tha. '
Lift se utarne ke baad Devid Brennon sabse aage chlte hue hme rasta batate hue kehta hai " Is taraf aayite please. "
Waha samne ek bahut bada automatic metal ka Gate laga hua tha. Jo ki kafi majbut aur moti diwaro ka bana hua tha. Aur wo gate is wkt puri tarah se close tha.
Mujhe waha pahuche hi kuch feel hone lagta hai aur mai apne man me sochta hu ' Yaha ki hawa me magical Energy hai. '
' Agar aaj ke time me bhi isase itni energy nikal Rahi hai jabki ise mare 8 year ho cuke hai. To mai soch Raha hu ye jab mere soldier me convert ho jayega tab ye kitn powerful hoga. '
BEEP.....
Swosssss.......
Fir Devid Brennon us metal gate ke ek side me ja kar ek card scan karwate hai. Jiske baad wo mental ka door open hone lagta hai.
Aur jaise jaise door open hota hai mai aur jyada shocked hota jata hu. Waha mere samne ek moti fiberglass ki transparent diwar bani hui thi. Jo ki 200 feet lambi aur 500 feet width me thi. Uske ander usase bhi 1.5 times jyada space me dragon Kaminsh ka Skelton rakha hua tha. Aur o khrab na ho is liye us chember me tin side ke diwaro se kafi jyada amount me koi Gas supply ki ja Rahi thi.
Iske bahar hmare just samne ek 10×5 ka glass ka chota sa chember aur bana tha. Jiske ander DRAGON KAMISH ko maar kar paya gaya Run stone rakha hua tha.
Devid Brennon samne dragon Kaminsh ki Body ko dekhte hue kehta hai " Isne 100 se bhi jyada elites hunters ko maar Diya tha. "
" Aur sirf bache hue 5 National Authority hunters ke hatho ki Hara tha. "
" Isko body ko iske Marne ke baad se hi bikul surakshit sambhal kar rakha gaya hai. "
" Is Building me jitni bhi electricity use hoti hai wo sub dragon Kaminsh ke is body se nikal rahe magical Energy se bnti hai. "
" kya tum ab satisfied ho hunter Rider ? "
Mr. White mujhe sari bate translate karke bata rahe the. Waise to mujhe in sub ki koi jarurt to nhi thi. Lakin mai apni har ek skill ko sbke samne show nahi Karn cahta tha.
Tap...
Mai ek step aage jate hue kehta hu " Please piche ho jao. "
Meri baat sun kar sare thode piche ho jate hai. Tabhi Mr. White, meri taraf dekhte hue kehta hai " Aap such me ye karna cahte hai sir ? "
Tabhi Devid Brennon kehta hai " Koi baat nahi. Maine phle hi use iske liye permission de Diya hai. "
" Ab hum sub dekhte hai... aage kya hota hai. "
Wahi mai santi se khada ho kar DRAGON KAMISH ki body ko dekhte hue apne aura ko release karte hue apni glow hoti aakho ke sath apne right hath ko us transparent glasses ke diwar par rakh kar kehta hu " ARISE ! "
Swosss.......
Dher sari black energy nikl kar skeleton ki taraf jati hai. Lakin kuch hi der me system ka notification aata hai.
Ding.....
[ Shadow Extraction Fail ho gya hai. ]
[ 2 Attempts ur bache hai. ]
Mai ek baar apni aakho ko bnd karke saas lete hue wapas se kehta hu " ARISE ! "
Swosssss.......
Swosssss.......
Aaaaaaa..........
Is baar phle se bhut jyada amount me black energy mere ander se nikal kar dagon KAMISH ke Skelton me Jane lagti hai. Aur sbse phle us black energy ke bhut bade gole ke ander se ek bahut hi bada Dragon ka sir bahar aata hai.
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Bhot he kamal.ka update thaUPDATE NO - 143
SHUBHAM MISSING ?
Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Me. White apne higher up ko meri request ke bare me batate hai. Jise sun kr wo soch me pad jate hai ki aakhir maine ye demand kyu rakhi. Aur kafi sochne ke baad unko hint lag hi jata hai ki mai kya chahta hu. Uske baad Devid Brennon mujhe kud Dragon Kaminsh ke body ke paas le jate hai. Jaha mai use arise krne ki kosis karta hu.
AB AAGE..........
Dragon ke sir ke baad dhire dhire uski Puri body black color ke energy se bahar aane lagti hai. Jo ki aakar me uske actual size se bhi kafi badi thi.
Dragon Kaminsh ka shadow black nd purple color ka bana hua tha Jo dekhne me bahut hi jyada attractive aur khatarnak dono hi lag raha tha.
GAAAARRRR..................
Dhadhak...... Dhadhak......
Dhadhak...... Dhadhak......
Phussss....... Phussss........
Dragon Kaminsh ka shadow jaise hi is word me aata hai wo apna bada sa muh samne ki taraf karke ek baar jor se grajata hai.
Jiske wajah se is floor ke glass se bani hui sari lights nd all equipments upar, niche charo taraf se tut Tut kar Jamin par girne lagte hai. Room me jis pipeline se kuch special gases jo bheji ja rahi thi, jisase Skelton damage n ho wo pipeline bhi break ho kar idhar udhar se leck krne lagti hai. Jiske karan charo taraf gases ka dhuaa sa banane lagta hai. Aur upar se gir rahe glasses rain ki tarah lag rahe hote hai.
Dragon Kaminsh ka shadow jo ki bilkul mere samne khada tha wo apna sir niche ki taraf karke mere ko ghurte hue ekdam attitude me keht hai " Tum hi wo ho jisne mujhe summoned Kiya hai ? "
( kuch second mujhe dekhne ke baad ) " King of death, SHADOW MONARCH. "
Dar ke karan mere se kafi dur ho chuke jab president nd baki sub ye dekhte hai to unka to hose jo ki phle se hi ud th wo aur jyada khrab ho jata hai.
Devid Brennon shocked ur confusion ke sath meri taraf dekhte hue " Umm..... "
" What t...... ? "
Mr. White " What the hell ! Aakhir ye kya hai ? "
Dragon Kaminsh ka shadow jab Mr. White aur Devid Brennon ki voice sunta hai tab uska dhyan baki sare logo par jata hai. Jinhe dekh kr uskoz gussa aane lagt hai aur wo subko dekhte hue kehta hai " Humans.... "
" Humans.,.. ? "
" Humans ko maar dalo.... "
" Maar dalo. Mai in sbko maar dalunga. "
Itn keh kar wo apne ek panja sare humans ki traf aage hawa me uth deta hai. Lakin bich me fiber glass ki bani hui wo moti majbut diwar aa jati hai.
CRACK..... CRACK......
Lakin ye kya wo moti bullet nd bam proof glass bhi Dragon ke panje ke touch karne bhar se chtakne lagti hai. Aur kuch hi second me puri glass ke diwar me har jagah cracks hi cracks najar aane lagte hai.
Ye dekh kar Devid Brennon ke pasine niklne lagte hai aur wo shocked ke sath samne dekhte hue apne man me sochta hai " To Ranks ke Mana ka use karke bnayi gayi is Reinforced glass ka ye haal ...... "
Kadak....... kadak........
Tad... tad... tad...
Gurrrrrr.......
TAP....
Aur agle hi pal wo glass ki moti diwar kisi aam glass ki tarah puri tarah se tut kar niche jamin par girne lagti hai. Aur Dragon Kaminsh ka shadow us chember se ek hlaki si dahad ke sath bahar aa jat hai.
Aur agle hi pal wo sare humans ki traf apna muh karte hue apna muh open kr deta hai. Jiske karan uske muh ke bich me energy ki ak ball si create hone lagti hai. Jo ki asal me dragon ki aag hi thi. Jo shadow me convert hone ke karan cold fire me convert ho cuki thi.
Ye scene dekh kr to waha bhagdad mach jati hai. Sare idhar udhar se bahar ki taraf bhagne ki nakam kosis karne lagte hai.
Lakin is bich bhi bhi kuch trusted employee jo the. Unme se ek Devid Brennon, Michel cannon aur Mr. White se jldi se chilla kar kehta hai " Sir aap logo ko jldi se yaha se nikal Jana cahiye. "
Ye sun kar darne ke bawjood president Devid Brennon apni jagah se bhage bin kehte hai " Ye koi aam chij nahi, blki dragon Kaminsh ki breath hai. "
" Aakhir hum isase bachne ke liye kaha bhag skte hai !? "
Tabhi sapno jagah santi se khda mai Dragon Kaminsh ki shadow ki taraf sir uth kar dekhte hue kehta hu " Bas bahut hua. "
" Tmhare sir me lage hua mana crystal ko bhut phle hi nikal Diya gaya hai. "
" Ab se tumhe kisi rulers ki baat manane ki koi jarurat nahi hai. "
Mujhe alag hi language me baat karte hue dekh kr sare log shocked se pagl ho jate hai. Aur b sub apni apni jagah ruk jate hai aur meri taraf dekhne lagte hai.
Mr. White bhut jyada shocked ke sath " Kya.... hunter Rider is time monster ki language me baat kar rahe hai ? "
Michael Connor bhi shocked ke sath ye sub dekhte hue kehta hai " Mujhe smjh me nahi aa raha hai ki mai kise react Karu in sub chijo ke liye. Jabki ye sub kud mere aakho ke samne hi ho raha hai.
Dragon Kaminsh ka shadow mera order milte hi turant apna muh band kar leta hai. Aur santi se apna sir mere paas la kar mujhe dekhte hue keht hai " To Shadow monarch ka ek subject banane ke baad aisa feel hota hai, Huh ? "
Fir Dragon Kaminsh apni aakho ko mere samne jukh kar apn ek panj aage karke mere samne apn sir jukh kar kehta hai " Mai ek bahut hi ach sewak hu, jisne ek baar King of Dragon ko apni sewa pardan ki hai. "
" Aapka ye Naya sewak apne naye King ko greet karta hai. "
Mai ye sunane ke baad kheta hu " Tum king of dragons ki sewa kar cuke ho ? "
Dragon Kaminsh shadow " Ha mere king. "
" Maine pagal dragons ke king, jise Monarch of Destruction ke name se bhi Jana jata hai ki sewa ki hai. "
Mai Dragon Kaminsh ke Shadow ki taraf dekhte hue apne man me shocked ke sath sochta hu ' Kitna khatarnak Rage hai iska.... ! '
' Mai to soch kar hi shocked hue j raha hu ki ek shadow soldier bhi apne ander itna independence ego rakh skta hai. '
' Mera mukabala aaj tak jitne bhi, aur jin bhi monsters ke sath hua hai isne sbko piche chor Diya hai. '
' Isme koi bhi Shak nahi hai ki ye ek incredible being hai. '
Dragon Kaminsh ka shadow is time apni badi aur lambhi tail hawa me idhar udhar hila raha tha. Jaise ek dog apne owner ke paas hone par khusi jatate hue hilata hai.
Aur ye scene dekh kr mere piche khade sabhi logo ka muh shocked ke karan khula ka khula reh jata hai.
Mr. White haklate hue ye dekh kr " S...sir ! Ye apna puch hila raha hai. "
Uske bagal me khade Michel cannon bhi shocked ke sath apna muh khole koi jawab diye bina bas ye sub hota hua dekh rahe hote hai.
Aur sirf yahi dono hi nahi baki sub k bhi yahi reaction tha aur baki sub bhi aapas me yahi sub bate kar rahe hote hai.
Jabki mai apne man me abhi bhi kuch alag hi chije soch Raha hota hu ' Ek King of death hai, jise Shadow Monarch kehte hai. '
' Ek King of Giants tha, jisko Monarch of the Biginning kehte hai. '
' Mere khyal se system me mujhe jo 9 monarch dikhaye the, ye unme se hi ek aur Monarch hoga. '
Mai apne khyalo me khoya hua ye sub soch hi rah tha ki Dragon Kaminsh ki shadow ki wajah se Mera dhyan wapas se uske upar jat hai.
Dragon Kaminsh ka shadow " But aisa lagta hai mere King, ab mujhe aapko alvida kehna hoga. "
Mai ye sun kar confuse aur paresan Hite hue kehta hu " Kya ? "
Dargon Kaminsh ka Shadow jiski body ab dhire dhire gayab ho rahi thi kehta hai " Aisa lagta hai ki aapke sath meri ye mulakat kafi late hue mere King. "
Ye sunte hi mere dimak me ek hi khyal aata hai ' 8 year ke bite hue time gap ko SHADOW MONARCH bhi apne power se kam nahi kar skte hai. '
Mai, KAMISH ki gayab hoti Shadow ko dekhte hue chillate hue kehta hu " System ! "
" System ! "
Dragon Kaminsh jiske Shadow ka 25 percent hissa ab tak gayab ho cuka tha wo kehta hai " Mujhe aapke un soldiers se ab jalan ho Rahi hai Jo anantkaal ke liye aapki sewa kar skte hai. "
" Mere King, Is duniya me aise 4 Human's hai Jinhone Rulers ki power Li Hui hai. "
" Aap unse sawdhan rehna mere Lord. "
" Bhle hi hmari mulakat bahut hi kam samay ke liye hui, lakin Aapse milna mere liye honor ki baat hai mere new King. "
Aur iske sath hi Dragon Kaminsh ka Shadow puri tarah se khtam ho kar chala jata hai. Mai uske shadow ke kuch antim bache hue energy partical ko touch karte hue nirash ho jata hu.
Tabhi mere mind me system ka notification aata hai.
Ding.....
[ Shadow Extraction failed ho gaya hai. ]
[ Target ka Shadow ab is duniya se ja cuka hai. ]
[ Target ko mare hue kafi jyada time ho gaya hai. SHADOW Extraction ke ab koi aur attempt ka kuch bhi effect nhi hoga. ]
Fir mai Santi se piche mud kar chalte hue Devid Brennon, Michel cannon aur Mr. White ke samne ja kar kehta hu " Mr. White please aap Director se kahiyega ki mai in sub se liye dil se sorry kehta hu. "
" Aur yaha par Jo bhi Damage hua hai un sub ki bharpayi mai karwa dunga. "
Mr. White meri taraf dekhte hue turant hi kehta hai " Thik hai sir. "
Tap... Tap... Tap...
Uske baad mai chup chaap waha se bahar ki taraf nikal jata hu. Aur mujhe aise santi se waha se jate hue sub dekhne lagte hai. Un sub ko smjh me nahi aata hai ki aakhir yaha hua kya.
BANGG.......
Crack... crack.....
Waha se bahar aane ke baad Mai jo ki itne der se apne gusse aur nakami ko dabaye hue tha wo aakhir me bahar aa hi jata hai. Aur mai wahi ek piller me ek mukka maar deta hu.
Halaki maine mukka jor se nahi mar tha. Fir bhi wo piller buri tarah se tut jata hai. Usme jagah jagah cracks dikhne lagte hai.
Aur jab mujhe realise hota hi ki abhi Maine ky Kiya to mai kud se disappointed ho jta hu ki mujhe Aisa nahi karn cahiye tha.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mai waha se nikal kar apne hotel me phuchta hu. Jaha par phle se hi Anurag aur Shubham ko pahucha Diya gaya tha.
Jaise hi Mai hotel me phuchta hu to mujhe hotel ke lobby me hi Anurag mil jata hai.
Anurag mujhe dekhte hi mere paas aa kar turant kehta hai " Sir hum kafi time se aapse contact kar rahe the. Lakin aapk phone hi nhi lag rah tha. "
Mai, anurag ko dekhte hue kehta hu " Ohhh wo kya hi n mai ek aisi jagah par tha jaha par koi bhi call aa Jaa nahi skti thi. "
Anurag aage kehta hai " To aap Huntur Shubham se mile ya nahi ? "
Mai confusion ke sath " Mai smjha nahi kuch. "
Anurag " Jaise hi use aapka massage Mila wo aapke paas jane ke liye turant hi nikl pada. "
" Wo keh raha tha ki aap uska Hunter bureau ke headquarter me wit kar rahe hai. "
Ye sun kar Mai confusion ke sath kehta hu " kya baat kare ho tum ? Mai kud abhi wahi se aa raha hu. "
Tabhi Mr White jo ki mujhe yaha drop karne aaye the wo hmari bate sunane ke baad aage aa kar mere se kehte hai " Shubham ka name to visitors ke list me nahi tha. "
Ye sun kar Anurag shocked hote hue kehta hai " Huh ! Aisa ho hi nahi skta hai. "
" Scavenger Guild ka ek Hunter 2 hour phle kud personally use pick karne yaha aaya hua tha. "
Ye sun kar Mai Mr. White ki taraf dekhta hu to wo turant hi kehta hai " Bhle hi Scavenger Guild ke Hunter bureau se kafi ache aur close relations hai. Lakin unke paas hmari jagah hmara kaam karne ka koi authority nhi hai. "
" Sbse jldi pata karne ka thi trika hi ki hum unse directly baat krke is bare me puche. "
Itna keha kar Mr. White apna phone nikl kar ek no. Dile karte hai.
Wahi ye sub sunane ke baad mujhe kuch acha nhi lagta hai aur mai sochta hu ' Ye sub sun kar mujhe kisi anhoni ke hone ka andesha kyu ho Raha hai ? '
Kuch hi der me Mr. White jinhone Laura ko call lagya tha wo pickup hota hai. Jise Mr. White sari baate batate hai. Wo sub sunane ke baad Laura jo ki is time office me thi kehti hai " To aap kehna cahte hai ki Scavenger Guild ka koi member waha aa kar Aarohan Guild ke vice president ko kahi bahar le gaya ? "
Tabhi Laura ko kuch yaad aata hai aur wo shocked hote hue apne man me kehti hai ' Aisa nahi ho skta hai. '
Aur fir wo turant hi Mr. White se puchti hai " Kya hunter Rider ko in sub ke bare me pata hai ? "
Mr. White jo ki is time mere se thodi dur khade the wo kehte hai " Nahi ! Unhe abhi is bare me pata nahi hai. "
" Lekin unki party ne is bare me pata karne ki kosis ki thi jab Hunter Rider mere sath Hunter bureau ke headquarter me the. "
Laura dar ke sath " Tab to hme is bare me jitn jldi ho sake utna jldi pata karn hoga. "
Ye sun kar Mr. White piche mud kar jldi se kehta hai " Rider sir, Scavenger Guild ne kah hai ki wo is bare me pata kr rahe hai. Aur jaise hi unhe pat chlta hai wo hme inform kar denge. "
" huh ? "
Lakin ye kya jab Mr. White dhyan dete hi to unhe mai kahi bhi dikhayi nahi deta hu. Wo charo taraf ghum ghum kar mujhe dhundhne ki kosis karte hai lekin mai unko kahi nahi dikhta hu.
Aur dikhunga bhi kaise mai phle hi shubham ko dundhne ke liye nikl cuk tha.
Run.... Run....
Jump... jump.....
Mai apne full speed me bhagte aur jump karte hue apne aas paas ki sbse uchi building par jane me laga hua tha.
Mai bhagte hue apne man me sochta hu ' Mai hi careless ho gaya tha. '
' Kafi time phle Shubham ke papa President Dilip ki jaan bachane ke baad maine Shubham ko Guard karne ke liye kisi shadow ko nahi lagaya tha. '
( fir mujhe meri choti sister Kavya ke school wala incident yaad aa jata hai ) ' Agar us tarah ka koi incident fir se hua to.... '
Ab tak mai ek kafi uchi building ke rooftop par aa cuk tha. Waha pahuch kar mi turant hi kehta hu " Sare bahar aa jao. "
" sub jagah chaan Maro. Jitni jldi ho sake Shubham ko dundh nikalo. "
Swosssss..... swosssss.....
Swosssss..... swosssss.....
Aur mere itn kehte hai mere ander se uncountable shadows bahar nikal kar teji se charo direct me jane lagte hai. Jo ki kuch hi min. Me pure City me faail jate hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
SCAVENGER GUILD
ONE OF VILLA
Scavenger Guild ke hi kai sare properties me se ek villa me is time Sandy Nirwana khada tha. Uske piche is time 4 bodyguard aur khade the.
Aur samne ka Jo najara tha wo dekh kr Sandy Nirwana ka para chadt ja raha tha.
Us villa ke hall me is time Scavenger Guild ke hi kai sare bodyguard adhamare halat me pade hue the. Furniture nd bahut sare item jagh jagah tute fute pade hue the.
Sandy Nirwana apne aakho se chasma hate hue apni glow hoti aakho ke sath bhari voice me kehta hai " Usne such me abhi hi ye sub karn tha. "
Kadak.... kadak....
Aur gusse me Sandy Nirwana apne costly chasme ko buri tarah se Tod deta hai aur chillate hue gusse me kehta hai " Namit.... "
( apne piche khade logo se ) " Dundho use, isase phle ki Rider use dundh le. "
" Hame use phle dundhna hi hoga. "
" cahe jo bhi ho jaye. "
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
UPDATE NO - 144(A)
( RIDER VS SANDY WILL THIS HAPPEN? )
Mai ek bahut hi unchi Building ke top ke Corner par khada ho kar apne samne se charo taraf dikhayi de rahe city ke ek bahut hi bada hissa dekhte hue apne aura ko fully release kar deta hu. Jiske karan meri body co purple color ki ek energy puri tarah se cover kar leti hai.
Meri sari sences is type apne full potential me work kar Rahi hoti hai. Meri eyes bhi is time glow kar Rahi hoti hai. Mai samne city ko taraf dekhte hue sabki bate sunane ki kosis karne lagta hu.
' Smith ! Aur Aaj kal kya chal Raha hai ? '
' Sir ! Hmare store ki policy aisa allowed nahi karti hai. Agar coustomer apna mind change kar le to....... '
' Last night tum party me kyu nahi aaye the yarr ? '
Aise hi har koi apne life se releted kuch na kuch kisi na kisi se bata ya sun Raha tha.
Jab mujhe abhi bhi Shubham ka pata nahi chalta hai to mere man me kuch khayal aata hai.
' Kya wo is City ko left kar cuke hai ? '
' Lakin Shubham to ek combat type D Rank Huntur hai. '
' Normal person to uska kuch bhi nahi bigaad skte hai. Bhle hi wo kitne bhi log aa jaye. '
Fir kuch minutes sochne ke baad wapas se mere man me khyal aata hai ' Agar koi Car jo ki Huntur bureau Headquarter jane wali ho aur wo waha na ja kar achanak se agar city se bahar Jane Lage to aise me Shubham ne jarur kuch n kuch notice Kiya hoga aur usne uske baad virod bhi Kiya hoga. '
Fir mujhe Anurag ki kahi baat bhi yaad aati hai jab wo mujhe batata hi ki jo banda aaya tha wo Scavenger Guild se tha, ye yaad aate hi mai apne man me sochta hu ' Ab tak sirf ek hi sabut mere paas hai aur wo ye ki Jo koi bhi culprit hai wo Scavenger Guild se Hai. '
' Scavenger Guild....... Ek minute.. '
' Lalit ka chota bhai Namit bhi to Scavenger Guild se hi tha na. '
' Jarur wo kafi times se hum logo ka yaha America me aane ka intejar kar raha hoga. '
' Taki wo uske bhai ke death ka secret jaan sake. '
' Us Raid me sirf mai aur Shubham hi bache the. '
' Namit ko jarur yahi lagta hoga ki hum dono ne hi uske Bhai ko mara joga. '
Fir mujhe wo scene yaad aata hai jab Anurag mujhe Namit ke bare me deta hai aur mi sochta hu ' Aakhir kisne socha tha Anurag ki warning aise such me badal jayegi ? '
' Maine past me jo kuch bhi Kiya hai mujhe us baat k regret bikul bhi nahi hai. '
' Lakin ye such kuch itna aage kabhi nahi badhta agar mai Shubham ke sath ek guard chor rakha hota to. '
' Agar Shubham ko kuch bhi ho gaya to..... '
Ye sochte hue Mai apni dono hatho ki muthiyo ko bahut jor se band kar leta hu.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sandy Nirwana cabin
Scavenger Guild building
Sandy Nirwana apne cabin me apne bade se chair par baitha hua, apne cabin ke piche Lage transparent mirror se bahar ki taraf dekh Raha tha, tab uska ek employee uske cabin me enter hota hai.
Sandy Nirwana bina piche mude " Abhi tak koi news nahi mili ? "
Employee apna sir nirasha me jukhate hue " Nahi ! Sir. "
Ye sun kar Sandy Nirwana apne serious expression ke sath apne man me sochta hai ' Kahi aisa such me to nahi hai ki use kud ke Marne ka koi dar nahi hai ? '
Fir kuch soch kar kud hi apn sir Naa me hilate hue aage sochta hai ' Nahi ! Mister Namit ek S Rank Huntur hai. '
' Wo kud ke aur Rider ke strength me difference ke bare me bahut ache se janta hoga. '
' Fir bhi Aisa bewkufi bhara kaam karna jiske anjam ke bare me unko ache se pata hai. Iska matlb hai ki...... '
' wo ache se jante hai ki mai unki side lene ke liye aage aaunga. '
' Sayad mai apne hunters logo ke prati bahut jyada kind hu. '
Uske baad Sandy Nirwana apne phone ko nikal kar apne secretary Laura ko phone milata hai.
Sandy Nirwana " Laura situation ab kaisi hai ? "
Laura jo ki is time apne car ko drive karte hue kahi ja rahi thi wo phone ko recive karke speaker on karke baat karte hue jawab deti hai " Huntur bureau ke corporation ki help se hum Mr. Namit ke Last kuch month ke pattern ko analysis kar rahe hai. "
" Jinse hme ye pata chala hai ki ab tak total 3 hi incidents hue hai jaha wo apne usual activities ko chor kar kahi gaye hue the. "
" Aur tino time place same tha. "
Sandy Nirwana ye sunte hi turant kehta hai " Hmare sare logo ko waha bhejo. Mai bhi abhi wahi ke liye nikal Raha hu. "
Laura " Ji sir ! "
Tabhi Sandy Nirwana ke man me ek baat aati hai aur wo turant hi Laura ke call cut karne se phle bolte hai " But wait ! "
" Aakhir tumne Huntur bureau ko hmari help karne ke liye manaya kaise ? "
Laura " Maine unhe kaha ki agar humne Namit ko nahi dundha to aap aur Rider aaps me ek dusre se takra sakte hai. "
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
HUNTER BUREAU HEADQUARTER, USA
Hunter Bureau ke headquarters me is time afra tafri ka mahol tha. Sare staff wale bahut jyada busy lag rahe the. Koi phone par kisi se baat kar Raha tha, koi laptop aur computer me kuch dundh rahe the. Har table par dher sari files padi hui thi. Yaha waha paper seet gire pade the.
Har kisi ke face ka expression bikul uda hua tha. Jaise unhe koi bahut bada dar sata raha ho.
Run.... Run....
Tab tak waha Mr. White bhagte hue aata hai aur vice president se jldi se kehta hai " Scavenger Guild ke sare Members kahi ja rahe hai. "
Vice president shocked hote hue Mr. White ki taraf dekh kar turant puchte hai " Sare 100 members ? "
Mr. White jaldi se " Ha sare 100 Hunturs, unki schedule sari raid ko unhone cancel kar Diya hai. "
" sare ke sare Hunters ek sath kahi ja rahe hai. "
Vice president ye sun kar tention ke sath samne dekhte hue apne man me sochte hai ' Scavenger Guild ke sare Hunters ek sath kahi ja rahe hai, to jarur iske piche Sandy Nirwana ka hi hath hoga. '
' Kuch bada hone wala hai. '
' Aakhir ye sub ho kya raha hai ? '
[ Note :- Mujhe is time personal work se bikul bhi time nahi mil pa Raha hai. Isiliye update chota hi hai. Kosis karunga aise hi chote hi sahi lakin Update de kar story ko aage continue krta rahu. ]
Aaj ke liye bs itna hi dosto !!
Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!